Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PSALMS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 91
Psal UrduGeoR 91:1  Jo Allāh T'ālā kī panāh meṅ rahe wuh Qādir-e-mutlaq ke sāy meṅ sukūnat karegā.
Psal UrduGeoR 91:2  Maiṅ kahūṅgā, “Ai Rab, tū merī panāh aur merā qilā hai, merā Ḳhudā jis par maiṅ bharosā rakhtā hūṅ.”
Psal UrduGeoR 91:3  Kyoṅki wuh tujhe chiṛīmār ke phande aur mohlak marz se chhuṛāegā.
Psal UrduGeoR 91:4  Wuh tujhe apne shāhparoṅ ke nīche ḍhāṅp legā, aur tū us ke paroṅ tale panāh le sakegā. Us kī wafādārī terī ḍhāl aur pushtā rahegī.
Psal UrduGeoR 91:5  Rāt kī dahshatoṅ se ḳhauf mat khā, na us tīr se jo din ke waqt chale.
Psal UrduGeoR 91:6  Us mohlak marz se dahshat mat khā jo tārīkī meṅ ghūme phire, na us wabāī bīmārī se jo dopahar ke waqt tabāhī phailāe.
Psal UrduGeoR 91:7  Go tere sāth khaṛe hazār afrād halāk ho jāeṅ aur tere dahne hāth das hazār mar jāeṅ, lekin tū us kī zad meṅ nahīṅ āegā.
Psal UrduGeoR 91:8  Tū apnī āṅkhoṅ se is kā mulāhazā karegā, tū ḳhud bedīnoṅ kī sazā dekhegā.
Psal UrduGeoR 91:9  Kyoṅki tū ne kahā hai, “Rab merī panāhgāh hai,” tū Allāh T'ālā ke sāy meṅ chhup gayā hai.
Psal UrduGeoR 91:10  Is lie terā kisī balā se wāstā nahīṅ paṛegā, koī āfat bhī tere ḳhaime ke qarīb phaṭakne nahīṅ pāegī.
Psal UrduGeoR 91:11  Kyoṅki wuh apne farishtoṅ ko har rāh par terī hifāzat karne kā hukm degā,
Psal UrduGeoR 91:12  aur wuh tujhe apne hāthoṅ par uṭhā leṅge tāki tere pāṅwoṅ ko patthar se ṭhes na lage.
Psal UrduGeoR 91:13  Tū sherbabaroṅ aur zahrīle sāṅpoṅ par qadam rakhegā, tū jawān sheroṅ aur azhdahāoṅ ko kuchal degā.
Psal UrduGeoR 91:14  Rab farmātā hai, “Chūṅki wuh mujh se lipṭā rahtā hai is lie maiṅ use bachāūṅgā. Chūṅki wuh merā nām jāntā hai is lie maiṅ use mahfūz rakhūṅgā.
Psal UrduGeoR 91:15  Wuh mujhe pukāregā to maiṅ us kī sunūṅgā. Musībat meṅ maiṅ us ke sāth hūṅgā. Maiṅ use chhuṛā kar us kī izzat karūṅga.
Psal UrduGeoR 91:16  Maiṅ use umr kī darāzī baḳhshūṅgā aur us par apnī najāt zāhir karūṅga.”