Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PSALMS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 40
Psal UrduGeoR 40:1  Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Maiṅ sabar se Rab ke intazār meṅ rahā to wuh merī taraf māyl huā aur madad ke lie merī chīḳhoṅ par tawajjuh dī.
Psal UrduGeoR 40:2  Wuh mujhe tabāhī ke gaṛhe se khīṅch lāyā, daldal aur kīchaṛ se nikāl lāyā. Us ne mere pāṅwoṅ ko chaṭān par rakh diyā, aur ab maiṅ mazbūtī se chal-phir saktā hūṅ.
Psal UrduGeoR 40:3  Us ne mere muṅh meṅ nayā gīt ḍāl diyā, hamāre Ḳhudā kī hamd-o-sanā kā gīt ubharne diyā. Bahut-se log yih dekheṅge aur ḳhauf khā kar Rab par bharosā rakheṅge.
Psal UrduGeoR 40:4  Mubārak hai wuh jo Rab par pūrā bharosā rakhtā hai, jo tang karne wāloṅ aur fareb meṅ uljhe huoṅ kī taraf ruḳh nahīṅ kartā.
Psal UrduGeoR 40:5  Ai Rab mere Ḳhudā, bār bār tū ne hameṅ apne mojize dikhāe, jagah bajagah apne mansūbe wujūd meṅ lā kar hamārī madad kī. Tujh jaisā koī nahīṅ hai. Tere azīm kām beshumār haiṅ, maiṅ un kī pūrī fahrist batā bhī nahīṅ saktā.
Psal UrduGeoR 40:6  Tū qurbāniyāṅ aur nazareṅ nahīṅ chāhtā thā, lekin tū ne mere kānoṅ ko khol diyā. Tū ne bhasm hone wālī qurbāniyoṅ aur gunāh kī qurbāniyoṅ kā taqāzā na kiyā.
Psal UrduGeoR 40:7  Phir maiṅ bol uṭhā, “Maiṅ hāzir hūṅ jis tarah mere bāre meṅ kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai.
Psal UrduGeoR 40:8  Ai mere Ḳhudā, maiṅ ḳhushī se terī marzī pūrī kartā hūṅ, terī sharīat mere dil meṅ ṭik gaī hai.”
Psal UrduGeoR 40:9  Maiṅ ne baṛe ijtimā meṅ rāstī kī ḳhushḳhabrī sunāī hai. Ai Rab, yaqīnan tū jāntā hai ki maiṅ ne apne hoṅṭoṅ ko band na rakhā.
Psal UrduGeoR 40:10  Maiṅ ne terī rāstī apne dil meṅ chhupāe na rakhī balki terī wafādārī aur najāt bayān kī. Maiṅ ne baṛe ijtimā meṅ terī shafqat aur sadāqat kī ek bāt bhī poshīdā na rakhī.
Psal UrduGeoR 40:11  Ai Rab, tū mujhe apne rahm se mahrūm nahīṅ rakhegā, terī mehrbānī aur wafādārī musalsal merī nigahbānī kareṅgī.
Psal UrduGeoR 40:12  Kyoṅki beshumār taklīfoṅ ne mujhe gher rakhā hai, mere gunāhoṅ ne āḳhirkār mujhe ā pakaṛā hai. Ab maiṅ nazar bhī nahīṅ uṭhā saktā. Wuh mere sar ke bāloṅ se zyādā haiṅ, is lie maiṅ himmat hār gayā hūṅ.
Psal UrduGeoR 40:13  Ai Rab, mehrbānī karke mujhe bachā! Ai Rab, merī madad karne meṅ jaldī kar!
Psal UrduGeoR 40:14  Mere jānī dushman sab sharmindā ho jāeṅ, un kī saḳht ruswāī ho jāe. Jo merī musībat deḳhne se lutf uṭhāte haiṅ wuh pīchhe haṭ jāeṅ, un kā muṅh kālā ho jāe.
Psal UrduGeoR 40:15  Jo merī musībat dekh kar qahqahā lagāte haiṅ wuh sharm ke māre tabāh ho jāeṅ.
Psal UrduGeoR 40:16  Lekin tere tālib shādmān ho kar terī ḳhushī manāeṅ. Jinheṅ terī najāt pyārī hai wuh hameshā kaheṅ, “Rab azīm hai!”
Psal UrduGeoR 40:17  Maiṅ nāchār aur zarūratmand hūṅ, lekin Rab merā ḳhayāl rakhtā hai. Tū hī merā sahārā aur merā najātdahindā hai. Ai mere Ḳhudā, der na kar!