Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PSALMS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 86
Psal UrduGeoR 86:1  Dāūd kī duā. Ai Rab, apnā kān jhukā kar merī sun, kyoṅki maiṅ musībatzadā aur muhtāj hūṅ.
Psal UrduGeoR 86:2  Merī jān ko mahfūz rakh, kyoṅki maiṅ īmāndār hūṅ. Apne ḳhādim ko bachā jo tujh par bharosā rakhtā hai. Tū hī merā Ḳhudā hai!
Psal UrduGeoR 86:3  Ai Rab, mujh par mehrbānī kar, kyoṅki din-bhar maiṅ tujhe pukārtā hūṅ.
Psal UrduGeoR 86:4  Apne ḳhādim kī jān ko ḳhush kar, kyoṅki maiṅ terā ārzūmand hūṅ.
Psal UrduGeoR 86:5  Kyoṅki tū ai Rab bhalā hai, tū muāf karne ke lie taiyār hai. Jo bhī tujhe pukārte haiṅ un par tū baṛī shafqat kartā hai.
Psal UrduGeoR 86:6  Ai Rab, merī duā sun, merī iltijāoṅ par tawajjuh kar.
Psal UrduGeoR 86:7  Musībat ke din maiṅ tujhe pukārtā hūṅ, kyoṅki tū merī suntā hai.
Psal UrduGeoR 86:8  Ai Rab, mābūdoṅ meṅ se koī terī mānind nahīṅ hai. Jo kuchh tū kartā hai koī aur nahīṅ kar saktā.
Psal UrduGeoR 86:9  Ai Rab, jitnī bhī qaumeṅ tū ne banāīṅ wuh ā kar tere huzūr sijdā kareṅgī aur tere nām ko jalāl deṅgī.
Psal UrduGeoR 86:10  Kyoṅki tū hī azīm hai aur mojize kartā hai. Tū hī Ḳhudā hai.
Psal UrduGeoR 86:11  Ai Rab, mujhe apnī rāh sikhā tāki terī wafādārī meṅ chalūṅ. Baḳhsh de ki maiṅ pūre dil se terā ḳhauf mānūṅ.
Psal UrduGeoR 86:12  Ai Rab mere Ḳhudā, maiṅ pūre dil se terā shukr karūṅga, hameshā tak tere nām kī tāzīm karūṅga.
Psal UrduGeoR 86:13  Kyoṅki terī mujh par shafqat azīm hai, tū ne merī jān ko Pātāl kī gahrāiyoṅ se chhuṛāyā hai.
Psal UrduGeoR 86:14  Ai Allāh, maġhrūr mere ḳhilāf uṭh khaṛe hue haiṅ, zālimoṅ kā jatthā merī jān lene ke darpai hai. Yih log terā lihāz nahīṅ karte.
Psal UrduGeoR 86:15  Lekin tū, ai Rab, rahīm aur mehrbān Ḳhudā hai. Tū tahammul, shafqat aur wafā se bharpūr hai.
Psal UrduGeoR 86:16  Merī taraf rujū farmā, mujh par mehrbānī kar! Apne ḳhādim ko apnī quwwat atā kar, apnī ḳhādimā ke beṭe ko bachā.
Psal UrduGeoR 86:17  Mujhe apnī mehrbānī kā koī nishān dikhā. Mujh se nafrat karne wāle yih dekh kar sharmindā ho jāeṅ ki tū Rab ne merī madad karke mujhe tasallī dī hai.