Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PSALMS
Prev Up Next Toggle notes
Chapter 9
Psal UrduGeoR 9:1  Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Tarz: Alāmūt-labbīn. Ai Rab, maiṅ pūre dil se terī satāish karūṅga, tere tamām mojizāt kā bayān karūṅga.
Psal UrduGeoR 9:2  Maiṅ shādmān ho kar terī ḳhushī manāūṅgā. Ai Allāh T'ālā, maiṅ tere nām kī tamjīd meṅ gīt gāūṅgā.
Psal UrduGeoR 9:3  Jab mere dushman pīchhe haṭ jāeṅge to wuh ṭhokar khā kar tere huzūr tabāh ho jāeṅge.
Psal UrduGeoR 9:4  Kyoṅki tū ne merā insāf kiyā hai, tū taḳht par baiṭh kar rāst munsif sābit huā hai.
Psal UrduGeoR 9:5  Tū ne aqwām ko malāmat karke bedīnoṅ ko halāk kar diyā, un kā nām-o-nishān hameshā ke lie miṭā diyā hai.
Psal UrduGeoR 9:6  Dushman tabāh ho gayā, abad tak malbe kā ḍher ban gayā hai. Tū ne shahroṅ ko jaṛ se ukhāṛ diyā hai, aur un kī yād tak bāqī nahīṅ rahegī.
Psal UrduGeoR 9:7  Lekin Rab hameshā tak taḳhtnashīn rahegā, aur us ne apne taḳht ko adālat karne ke lie khaṛā kiyā hai.
Psal UrduGeoR 9:8  Wuh rāstī se duniyā kī adālat karegā, insāf se ummatoṅ kā faislā karegā.
Psal UrduGeoR 9:9  Rab mazlūmoṅ kī panāhgāh hai, ek qilā jis meṅ wuh musībat ke waqt mahfūz rahte haiṅ.
Psal UrduGeoR 9:10  Ai Rab, jo terā nām jānte wuh tujh par bharosā rakhte haiṅ. Kyoṅki jo tere tālib haiṅ unheṅ tū ne kabhī tark nahīṅ kiyā.
Psal UrduGeoR 9:11  Rab kī tamjīd meṅ gīt gāo jo Siyyūn Pahāṛ par taḳhtnashīn hai, ummatoṅ meṅ wuh kuchh sunāo jo us ne kiyā hai.
Psal UrduGeoR 9:12  Kyoṅki jo maqtūloṅ kā intaqām letā hai wuh musībatzadoṅ kī chīḳheṅ nazarandāz nahīṅ kartā.
Psal UrduGeoR 9:13  Ai Rab, mujh par rahm kar! Merī us taklīf par ġhaur kar jo nafrat karne wāle mujhe pahuṅchā rahe haiṅ. Mujhe maut ke darwāzoṅ meṅ se nikāl kar uṭhā le
Psal UrduGeoR 9:14  tāki maiṅ Siyyūn Beṭī ke darwāzoṅ meṅ terī satāish karke wuh kuchh sunāūṅ jo tū ne mere lie kiyā hai, tāki maiṅ terī najāt kī ḳhushī manāūṅ.
Psal UrduGeoR 9:15  Aqwām us gaṛhe meṅ ḳhud gir gaī haiṅ jo unhoṅ ne dūsroṅ ko pakaṛne ke lie khodā thā. Un ke apne pāṅw us jāl meṅ phaṅs gae haiṅ jo unhoṅ ne dūsroṅ ko phaṅsāne ke lie bichhā diyā thā.
Psal UrduGeoR 9:16  Rab ne insāf karke apnā izhār kiyā to bedīn apne hāth ke phande meṅ ulajh gayā. (Higgāyūn kā tarz. Silāh)
Psal UrduGeoR 9:17  Bedīn Pātāl meṅ utreṅge, jo ummateṅ Allāh ko bhūl gaī haiṅ wuh sab wahāṅ jāeṅgī.
Psal UrduGeoR 9:18  Kyoṅki wuh zarūratmandoṅ ko hameshā tak nahīṅ bhūlegā, musībatzadoṅ kī ummīd abad tak jātī nahīṅ rahegī.
Psal UrduGeoR 9:19  Ai Rab, uṭh khaṛā ho tāki insān ġhālib na āe. Baḳhsh de ki tere huzūr aqwām kī adālat kī jāe.
Psal UrduGeoR 9:20  Ai Rab, unheṅ dahshatzadā kar tāki aqwām jān leṅ ki insān hī haiṅ. (Silāh)