Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
COLOSSIANS
Up
1 2 3 4
Toggle notes
Chapter 1
Colo UrduGeoR 1:1  Yih ḳhat Paulus kī taraf se hai jo Allāh kī marzī se Masīh Īsā kā rasūl hai. Sāth hī yih bhāī Tīmuthiyus kī taraf se bhī hai.
Colo UrduGeoR 1:2  Maiṅ Kulusse Shahr ke muqaddas bhāiyoṅ ko likh rahā hūṅ jo Masīh par īmān lāe haiṅ: Ḳhudā hamārā Bāp āp ko fazl aur salāmatī baḳhshe.
Colo UrduGeoR 1:3  Jab ham āp ke lie duā karte haiṅ to har waqt Ḳhudā apne Ḳhudāwand Īsā Masīh ke Bāp kā shukr karte haiṅ,
Colo UrduGeoR 1:4  kyoṅki ham ne āp ke Masīh Īsā par īmān aur āp kī tamām muqaddasīn se muhabbat ke bāre meṅ sun liyā hai.
Colo UrduGeoR 1:5  Āp kā yih īmān aur muhabbat wuh kuchh zāhir karte haiṅ jis kī āp ummīd rakhte haiṅ aur jo āsmān par āp ke lie mahfūz rakhā gayā hai. Aur āp ne yih ummīd us waqt se rakhī hai jab se āp ne pahlī martabā sachchāī kā kalām yānī Allāh kī ḳhushḳhabrī sunī.
Colo UrduGeoR 1:6  Yih paiġhām jo āp ke pās pahuṅch gayā pūrī duniyā meṅ phal lā rahā aur baṛh rahā hai, bilkul usī tarah jis tarah yih āp meṅ bhī us din se kām kar rahā hai jab āp ne pahlī bār ise sun kar Allāh ke fazl kī pūrī haqīqat samajh lī.
Colo UrduGeoR 1:7  Āp ne hamāre azīz hamḳhidmat Ipafrās se is ḳhushḳhabrī kī tālīm pā lī thī. Masīh kā yih wafādār ḳhādim hamārī jagah āp kī ḳhidmat kar rahā hai.
Colo UrduGeoR 1:8  Usī ne hameṅ āp kī us muhabbat ke bāre meṅ batāyā jo Rūhul-quds ne āp ke diloṅ meṅ ḍāl dī hai.
Colo UrduGeoR 1:9  Is wajah se ham āp ke lie duā karne se bāz nahīṅ āe balki yih māṅgte rahte haiṅ ki Allāh āp ko har ruhānī hikmat aur samajh se nawāz kar apnī marzī ke ilm se bhar de.
Colo UrduGeoR 1:10  Kyoṅki phir hī āp apnī zindagī Ḳhudāwand ke lāyq guzār sakeṅge aur har tarah se use pasand āeṅge. Hāṅ, āp har qism kā achchhā kām karke phal lāeṅge aur Allāh ke ilm-o-irfān meṅ taraqqī kareṅge.
Colo UrduGeoR 1:11  Aur āp us kī jalālī qudrat se milne wālī har qism kī quwwat se taqwiyat pā kar har waqt sābitqadmī aur sabar se chal sakeṅge. Āp ḳhushī se
Colo UrduGeoR 1:12  Bāp kā shukr kareṅge jis ne āp ko us mīrās meṅ hissā lene ke lāyq banā diyā jo us ke raushnī meṅ rahne wāle muqaddasīn ko hāsil hai.
Colo UrduGeoR 1:13  Kyoṅki wuhī hameṅ tārīkī ke iḳhtiyār se rihāī de kar apne pyāre Farzand kī bādshāhī meṅ lāyā,
Colo UrduGeoR 1:14  us wāhid shaḳhs ke iḳhtiyār meṅ jis ne hamārā fidyā de kar hamāre gunāhoṅ ko muāf kar diyā.
Colo UrduGeoR 1:15  Allāh ko dekhā nahīṅ jā saktā, lekin ham Masīh ko dekh sakte haiṅ jo Allāh kī sūrat aur kāynāt kā pahlauṭhā hai.
Colo UrduGeoR 1:16  Kyoṅki Allāh ne usī meṅ sab kuchh ḳhalaq kiyā, ḳhāh āsmān par ho yā zamīn par, āṅkhoṅ ko nazar āe yā na, ḳhāh shāhī taḳht, quwwateṅ, hukmrān yā iḳhtiyār wāle hūṅ. Sab kuchh Masīh ke zariye aur usī ke lie ḳhalaq huā.
Colo UrduGeoR 1:17  Wuhī sab chīzoṅ se pahle hai aur usī meṅ sab kuchh qāym rahtā hai.
Colo UrduGeoR 1:18  Aur wuh badan yānī apnī jamāt kā sar bhī hai. Wuhī ibtidā hai, aur chūṅki pahle wuhī murdoṅ meṅ se jī uṭhā is lie wuhī un meṅ se pahlauṭhā bhī hai tāki wuh sab bātoṅ meṅ awwal ho.
Colo UrduGeoR 1:19  Kyoṅki Allāh ko pasand āyā ki Masīh meṅ us kī pūrī māmūrī sukūnat kare
Colo UrduGeoR 1:20  aur wuh Masīh ke zariye sab bātoṅ kī apne sāth sulah karā le, ḳhāh wuh zamīn kī hūṅ ḳhāh āsmān kī. Kyoṅki us ne Masīh ke salīb par bahāe gae ḳhūn ke wasīle se sulah-salāmatī qāym kī.
Colo UrduGeoR 1:21  Āp bhī pahle Allāh ke sāmne ajnabī the aur dushman kī-sī soch rakh kar bure kām karte the.
Colo UrduGeoR 1:22  Lekin ab us ne Masīh ke insānī badan kī maut se āp ke sāth sulah kar lī hai tāki wuh āp ko muqaddas, bedāġh aur be'ilzām hālat meṅ apne huzūr khaṛā kare.
Colo UrduGeoR 1:23  Beshak ab zarūrī hai ki āp īmān meṅ qāym raheṅ, ki āp ṭhos buniyād par mazbūtī se khaṛe raheṅ aur us ḳhushḳhabrī kī ummīd se haṭ na jāeṅ jo āp ne sun lī hai. Yih wuhī paiġhām hai jis kī munādī duniyā meṅ har maḳhlūq ke sāmne kar dī gaī hai aur jis kā ḳhādim maiṅ Paulus ban gayā hūṅ.
Colo UrduGeoR 1:24  Ab maiṅ un dukhoṅ ke bāis ḳhushī manātā hūṅ jo maiṅ āp kī ḳhātir uṭhā rahā hūṅ. Kyoṅki maiṅ apne jism meṅ Masīh ke badan yānī us kī jamāt kī ḳhātir Masīh kī musībatoṅ kī wuh kamiyāṅ pūrī kar rahā hūṅ jo ab tak rah gaī haiṅ.
Colo UrduGeoR 1:25  Hāṅ, Allāh ne mujhe apnī jamāt kā ḳhādim banā kar yih zimmedārī dī ki maiṅ āp ko Allāh kā pūrā kalām sunā dūṅ,
Colo UrduGeoR 1:26  wuh rāz jo azal se tamām guzarī nasloṅ se poshīdā rahā thā lekin ab muqaddasīn par zāhir kiyā gayā hai.
Colo UrduGeoR 1:27  Kyoṅki Allāh chāhtā thā ki wuh jān leṅ ki Ġhairyahūdiyoṅ meṅ yih rāz kitnā beshqīmat aur jalālī hai. Aur yih rāz hai kyā? Yih ki Masīh āp meṅ hai. Wuhī āp meṅ hai jis ke bāis ham Allāh ke jalāl meṅ sharīk hone kī ummīd rakhte haiṅ.
Colo UrduGeoR 1:28  Yoṅ ham sab ko Masīh kā paiġhām sunāte haiṅ. Har mumkinā hikmat se ham unheṅ samjhāte aur tālīm dete haiṅ tāki har ek ko Masīh meṅ kāmil hālat meṅ Allāh ke huzūr pesh kareṅ.
Colo UrduGeoR 1:29  Yihī maqsad pūrā karne ke lie maiṅ saḳht mehnat kartā hūṅ. Hāṅ, maiṅ pūrī jidd-o-jahd karke Masīh kī us quwwat kā sahārā letā hūṅ jo baṛe zor se mere andar kām kar rahī hai.
Chapter 2
Colo UrduGeoR 2:1  Maiṅ chāhtā hūṅ ki āp jān leṅ ki maiṅ āp ke lie kis qadar jāṅfishānī kar rahā hūṅ—āp ke lie, Laudīkiyā wāloṅ ke lie aur un tamām īmāndāroṅ ke lie bhī jin kī mere sāth mulāqāt nahīṅ huī.
Colo UrduGeoR 2:2  Merī koshish yih hai ki un kī dilī hauslā-afzāī kī jāe aur wuh muhabbat meṅ ek ho jāeṅ, ki unheṅ wuh ṭhos etamād hāsil ho jāe jo pūrī samajh se paidā hotā hai. Kyoṅki maiṅ chāhtā hūṅ ki wuh Allāh kā rāz jān leṅ. Rāz kyā hai? Masīh ḳhud.
Colo UrduGeoR 2:3  Usī meṅ hikmat aur ilm-o-irfān ke tamām ḳhazāne poshīdā haiṅ.
Colo UrduGeoR 2:4  Ġharz ḳhabardār raheṅ ki koī āp ko bazāhir sahīh aur mīṭhe mīṭhe alfāz se dhokā na de.
Colo UrduGeoR 2:5  Kyoṅki go maiṅ jism ke lihāz se hāzir nahīṅ hūṅ, lekin Rūh meṅ maiṅ āp ke sāth hūṅ. Aur maiṅ yih dekh kar ḳhush hūṅ ki āp kitnī munazzam zindagī guzārte haiṅ, ki āp kā Masīh par īmān kitnā puḳhtā hai.
Colo UrduGeoR 2:6  Āp ne Īsā Masīh ko Ḳhudāwand ke taur par qabūl kar liyā hai. Ab us meṅ zindagī guzāreṅ.
Colo UrduGeoR 2:7  Us meṅ jaṛ pakaṛeṅ, us par apnī zindagī tāmīr kareṅ, us īmān meṅ mazbūt raheṅ jis kī āp ko tālīm dī gaī hai aur shukrguzārī se labrez ho jāeṅ.
Colo UrduGeoR 2:8  Muhtāt raheṅ ki koī āp ko falsafiyānā aur mahz fareb dene wālī bātoṅ se apne jāl meṅ na phaṅsā le. Aisī bātoṅ kā sarchashmā Masīh nahīṅ balki insānī riwāyateṅ aur is duniyā kī quwwateṅ haiṅ.
Colo UrduGeoR 2:9  Kyoṅki Masīh meṅ ulūhiyat kī sārī māmūrī mujassam ho kar sukūnat kartī hai.
Colo UrduGeoR 2:10  Aur āp ko jo Masīh meṅ haiṅ us kī māmūrī meṅ sharīk kar diyā gayā hai. Wuhī har hukmrān aur iḳhtiyār wāle kā sar hai.
Colo UrduGeoR 2:11  Us meṅ āte waqt āp kā ḳhatnā bhī karwāyā gayā. Lekin yih ḳhatnā insānī hāthoṅ se nahīṅ kiyā gayā balki Masīh ke wasīle se. Us waqt āp kī purānī fitrat utār dī gaī,
Colo UrduGeoR 2:12  āp ko baptismā de kar Masīh ke sāth dafnāyā gayā aur āp ko īmān se zindā kar diyā gayā. Kyoṅki āp Allāh kī qudrat par īmān lāe the, usī qudrat par jis ne Masīh ko murdoṅ meṅ se zindā kar diyā thā.
Colo UrduGeoR 2:13  Pahle āp apne gunāhoṅ aur nāmaḳhtūn jismānī hālat ke sabab se murdā the, lekin ab Allāh ne āp ko Masīh ke sāth zindā kar diyā hai. Us ne hamāre tamām gunāhoṅ ko muāf kar diyā hai.
Colo UrduGeoR 2:14  Hamāre qarz kī jo rasīd apnī sharāyt kī binā par hamāre ḳhilāf thī use us ne mansūḳh kar diyā. Hāṅ, us ne ham se dūr karke use kīloṅ se salīb par jaṛ diyā.
Colo UrduGeoR 2:15  Us ne hukmrānoṅ aur iḳhtiyār wāloṅ se un kā aslāh chhīn kar sab ke sāmne un kī ruswāī kī. Hāṅ, Masīh kī salībī maut se wuh Allāh ke qaidī ban gae aur unheṅ fatah ke julūs meṅ us ke pīchhe pīchhe chalnā paṛā.
Colo UrduGeoR 2:16  Chunāṅche koī āp ko is wajah se mujrim na ṭhahrāe ki āp kyā kyā khāte-pīte yā kaun kaun-sī īdeṅ manāte haiṅ. Isī tarah koī āp kī adālat na kare agar āp Hilāl kī Īd yā Sabat kā din nahīṅ manāte.
Colo UrduGeoR 2:17  Yih chīzeṅ to sirf āne wālī haqīqat kā sāyā hī haiṅ jabki yih haqīqat ḳhud Masīh meṅ pāī jātī hai.
Colo UrduGeoR 2:18  Aise log āp ko mujrim na ṭhahrāeṅ jo zāhirī farotanī aur farishtoṅ kī pūjā par isrār karte haiṅ. Baṛī tafsīl se apnī royāoṅ meṅ dekhī huī bāteṅ bayān karte karte un ke ġhairrūhānī zahan ḳhāhmaḳhāh phūl jāte haiṅ.
Colo UrduGeoR 2:19  Yoṅ unhoṅ ne Masīh ke sāth lage rahnā chhoṛ diyā agarche wuh badan kā sar hai. Wuhī joṛoṅ aur paṭṭhoṅ ke zariye pūre badan ko sahārā de kar us ke muḳhtalif hissoṅ ko joṛ detā hai. Yoṅ pūrā badan Allāh kī madad se taraqqī kartā jātā hai.
Colo UrduGeoR 2:20  Āp to Masīh ke sāth mar kar duniyā kī kuwwatoṅ se āzād ho gae haiṅ. Agar aisā hai to āp zindagī aise kyoṅ guzārte haiṅ jaise ki āp abhī tak is duniyā kī milkiyat haiṅ? Āp kyoṅ is ke ahkām ke tābe rahte haiṅ?
Colo UrduGeoR 2:21  Masalan “Ise hāth na lagānā, wuh na chakhnā, yih na chhūnā.”
Colo UrduGeoR 2:22  In tamām chīzoṅ kā maqsad to yih hai ki istemāl ho kar ḳhatm ho jāeṅ. Yih sirf insānī ahkām aur tālīmāt haiṅ.
Colo UrduGeoR 2:23  Beshak yih ahkām jo ghaṛe hue mazhabī farāyz, nām-nihād farotanī aur jism ke saḳht dabāw kā taqāzā karte haiṅ hikmat par mabnī to lagte haiṅ, lekin yih bekār haiṅ aur sirf jism hī kī ḳhāhishāt pūrī karte haiṅ.
Chapter 3
Colo UrduGeoR 3:1  Āp ko Masīh ke sāth zindā kar diyā gayā hai, is lie wuh kuchh talāsh kareṅ jo āsmān par hai jahāṅ Masīh Allāh ke dahne hāth baiṭhā hai.
Colo UrduGeoR 3:2  Dunyāwī chīzoṅ ko apne ḳhayāloṅ kā markaz na banāeṅ balki āsmānī chīzoṅ ko.
Colo UrduGeoR 3:3  Kyoṅki āp mar gae haiṅ aur ab āp kī zindagī Masīh ke sāth Allāh meṅ poshīdā hai.
Colo UrduGeoR 3:4  Masīh hī āp kī zindagī hai. Jab wuh zāhir ho jāegā to āp bhī us ke sāth zāhir ho kar us ke jalāl meṅ sharīk ho jāeṅge.
Colo UrduGeoR 3:5  Chunāṅche un duniyāwī chīzoṅ ko mār ḍāleṅ jo āp ke andar kām kar rahī haiṅ: zinākārī, nāpākī, shahwatparastī, burī ḳhāhishāt aur lālach. (Lālach to ek qism kī butparastī hai.)
Colo UrduGeoR 3:6  Allāh kā ġhazab aisī hī bātoṅ kī wajah se nāzil hogā.
Colo UrduGeoR 3:7  Ek waqt thā jab āp bhī in ke mutābiq zindagī guzārte the, jab āp kī zindagī in ke qābū meṅ thī.
Colo UrduGeoR 3:8  Lekin ab waqt ā gayā hai ki āp yih sab kuchh yānī ġhussā, taish, badsulūkī, buhtān aur gandī zabān ḳhastāhāl kapṛe kī tarah utār kar phaiṅk deṅ.
Colo UrduGeoR 3:9  Ek dūsre se bāt karte waqt jhūṭ mat bolnā, kyoṅki āp ne apnī purānī fitrat us kī harkatoṅ samet utār dī hai.
Colo UrduGeoR 3:10  Sāth sāth āp ne naī fitrat pahan lī hai, wuh fitrat jis kī tajdīd hamārā Ḳhāliq apnī sūrat par kartā jā rahā hai tāki āp use aur behtar taur par jān leṅ.
Colo UrduGeoR 3:11  Jahāṅ yih kām ho rahā hai wahāṅ logoṅ meṅ koī farq nahīṅ hai, ḳhāh koī Ġhairyahūdī ho yā Yahūdī, maḳhtūn ho yā nāmaḳhtūn, Ġhairyūnānī ho yā Skūtī, ġhulām ho yā āzād. Koī farq nahīṅ paṛtā, sirf Masīh hī sab kuchh aur sab meṅ hai.
Colo UrduGeoR 3:12  Allāh ne āp ko chun kar apne lie maḳhsūs-o-muqaddas kar liyā hai. Wuh āp se muhabbat rakhtā hai. Is lie ab tars, nekī, farotanī, narmdilī aur sabar ko pahan leṅ.
Colo UrduGeoR 3:13  Ek dūsre ko bardāsht kareṅ, aur agar āp kī kisī se shikāyat ho to use muāf kar deṅ. Hāṅ, yoṅ muāf kareṅ jis tarah Ḳhudāwand ne āp ko muāf kar diyā hai.
Colo UrduGeoR 3:14  In ke alāwā muhabbat bhī pahan leṅ jo sab kuchh bāndh kar kāmiliyat kī taraf le jātī hai.
Colo UrduGeoR 3:15  Masīh kī salāmatī āp ke diloṅ meṅ hukūmat kare. Kyoṅki Allāh ne āp ko isī salāmatī kī zindagī guzārne ke lie bulā kar ek badan meṅ shāmil kar diyā hai. Shukrguzār bhī raheṅ.
Colo UrduGeoR 3:16  Āp kī zindagī meṅ Masīh ke kalām kī pūrī daulat ghar kar jāe. Ek dūsre ko har tarah kī hikmat se tālīm dete aur samjhāte raheṅ. Sāth sāth apne diloṅ meṅ Allāh ke lie shukrguzārī ke sāth zabūr, hamd-o-sanā aur ruhānī gīt gāte raheṅ.
Colo UrduGeoR 3:17  Aur jo kuchh bhī āp kareṅ ḳhāh zabānī ho yā amlī wuh Ḳhudāwand Īsā kā nām le kar kareṅ. Har kām meṅ usī ke wasīle se Ḳhudā Bāp kā shukr kareṅ.
Colo UrduGeoR 3:18  Bīwiyo, apne shauhar ke tābe raheṅ, kyoṅki jo Ḳhudāwand meṅ hai us ke lie yihī munāsib hai.
Colo UrduGeoR 3:19  Shauharo, apnī bīwiyoṅ se muhabbat rakheṅ. Un se talḳhmizājī se pesh na āeṅ.
Colo UrduGeoR 3:20  Bachcho, har bāt meṅ apne māṅ-bāp ke tābe raheṅ, kyoṅki yihī Ḳhudāwand ko pasand hai.
Colo UrduGeoR 3:21  Wālido, apne bachchoṅ ko mushta'il na kareṅ, warnā wuh bedil ho jāeṅge.
Colo UrduGeoR 3:22  Ġhulāmo, har bāt meṅ apne duniyāwī mālikoṅ ke tābe raheṅ. Na sirf un ke sāmne hī aur unheṅ ḳhush rakhne ke lie ḳhidmat kareṅ balki ḳhulūsdilī aur Ḳhudāwand kā ḳhauf mān kar kām kareṅ.
Colo UrduGeoR 3:23  Jo kuchh bhī āp karte haiṅ use pūrī lagan ke sāth kareṅ, is tarah jaisā ki āp na sirf insānoṅ kī balki Ḳhudāwand kī ḳhidmat kar rahe hūṅ.
Colo UrduGeoR 3:24  Āp to jānte haiṅ ki Ḳhudāwand āp ko is ke muāwaze meṅ wuh mīrās degā jis kā wādā us ne kiyā hai. Haqīqat meṅ āp Ḳhudāwand Masīh kī hī ḳhidmat kar rahe haiṅ.
Colo UrduGeoR 3:25  Lekin jo ġhalat kām kare use apnī ġhaltiyoṅ kā muāwazā bhī milegā. Allāh to kisī kī bhī jānibdārī nahīṅ kartā.
Chapter 4
Colo UrduGeoR 4:1  Māliko, apne ġhulāmoṅ ke sāth munsifānā aur jāyz sulūk kareṅ. Āp to jānte haiṅ ki āsmān par āp kā bhī mālik hai.
Colo UrduGeoR 4:2  Duā meṅ lage raheṅ. Aur duā karte waqt shukrguzārī ke sāth jāgte raheṅ.
Colo UrduGeoR 4:3  Sāth sāth hamāre lie bhī duā kareṅ tāki Allāh hamāre lie kalām sunāne kā darwāzā khole aur ham Masīh kā rāz pesh kar sakeṅ. Āḳhir maiṅ isī rāz kī wajah se qaid meṅ hūṅ.
Colo UrduGeoR 4:4  Duā kareṅ ki maiṅ ise yoṅ pesh karūṅ jis tarah karnā chāhie, ki ise sāf samjhā jā sake.
Colo UrduGeoR 4:5  Jo ab tak īmān na lāe hoṅ un ke sāth dānishmandānā sulūk kareṅ. Is silsile meṅ har mauqe se fāydā uṭhāeṅ.
Colo UrduGeoR 4:6  Āp kī guftgū har waqt mehrbān ho, aisī ki mazā āe aur āp har ek ko munāsib jawāb de sakeṅ.
Colo UrduGeoR 4:7  Jahāṅ tak merā tālluq hai hamārā azīz bhāī Tuḳhikus āp ko sab kuchh batā degā. Wuh ek wafādār ḳhādim aur Ḳhudāwand meṅ hamḳhidmat rahā hai.
Colo UrduGeoR 4:8  Maiṅ ne use ḳhāskar is lie āp ke pās bhej diyā tāki āp ko hamārā hāl mālūm ho jāe aur wuh āp kī hauslā-afzāī kare.
Colo UrduGeoR 4:9  Wuh hamāre wafādār aur azīz bhāī Unesimus ke sāth āp ke pās ā rahā hai, wuhī jo āp kī jamāt se hai. Donoṅ āp ko wuh sab kuchh sunā deṅge jo yahāṅ ho rahā hai.
Colo UrduGeoR 4:10  Aristarḳhus jo mere sāth qaid meṅ hai āp ko salām kahtā hai aur isī tarah Barnabās kā kazan Marqus bhī. (Āp ko us ke bāre meṅ hidāyāt dī gaī haiṅ. Jab wuh āp ke pās āe to use ḳhushāmdīd kahnā.)
Colo UrduGeoR 4:11  Īsā jo Yūstus kahlātā hai bhī āp ko salām kahtā hai. Un meṅ se jo mere sāth Allāh kī bādshāhī meṅ ḳhidmat kar rahe haiṅ sirf yih tīn mard Yahūdī haiṅ. Aur yih mere lie tasallī kā bāis rahe haiṅ.
Colo UrduGeoR 4:12  Masīh Īsā kā ḳhādim Ipafrās bhī jo āp kī jamāt se hai salām kahtā hai. Wuh har waqt baṛī jidd-o-jahd ke sāth āp ke lie duā kartā hai. Us kī ḳhās duā yih hai ki āp mazbūtī ke sāth khaṛe raheṅ, ki āp bāliġh Masīhī ban kar har bāt meṅ Allāh kī marzī ke mutābiq chaleṅ.
Colo UrduGeoR 4:13  Maiṅ ḳhud is kī tasdīq kar saktā hūṅ ki us ne āp ke lie saḳht mehnat kī hai balki Laudīkiyā aur Hiyarāpulis kī jamātoṅ ke lie bhī.
Colo UrduGeoR 4:14  Hamāre azīz ḍākṭar Lūqā aur Demās āp ko salām kahte haiṅ.
Colo UrduGeoR 4:15  Merā salām Laudīkiyā kī jamāt ko denā aur isī tarah Numfās ko us jamāt samet jo us ke ghar meṅ jamā hotī hai.
Colo UrduGeoR 4:16  Yih paṛhne ke bād dhyān deṅ ki Laudīkiyā kī jamāt meṅ bhī yih ḳhat paṛhā jāe aur āp Laudīkiyā kā ḳhat bhī paṛheṅ.
Colo UrduGeoR 4:17  Arḳhippus ko batā denā, ḳhabardār ki āp wuh ḳhidmat takmīl tak pahuṅchāeṅ jo āp ko Ḳhudāwand meṅ sauṅpī gaī hai.
Colo UrduGeoR 4:18  Maiṅ apne hāth se yih alfāz likh rahā hūṅ. Merī yānī Paulus kī taraf se salām. Merī zanjīreṅ mat bhūlnā! Allāh kā fazl āp ke sāth hotā rahe.