Toggle notes
Chapter 1
I Jo | UrduGeoR | 1:1 | Ham āp ko us kī munādī karte haiṅ jo ibtidā se thā, jise ham ne apne kānoṅ se sunā, apnī āṅkhoṅ se dekhā, jis kā mushāhadā ham ne kiyā aur jise ham ne apne hāthoṅ se chhuā. Wuhī zindagī kā kalām hai. | |
I Jo | UrduGeoR | 1:2 | Wuh jo ḳhud zindagī thā zāhir huā, ham ne use dekhā. Aur ab ham gawāhī de kar āp ko us abadī zindagī kī munādī karte haiṅ jo Ḳhudā Bāp ke pās thī aur ham par zāhir huī hai. | |
I Jo | UrduGeoR | 1:3 | Ham āp ko wuh kuchh sunāte haiṅ jo ham ne ḳhud dekh aur sun liyā hai tāki āp bhī hamārī rifāqat meṅ sharīk ho jāeṅ. Aur hamārī rifāqat Ḳhudā Bāp aur us ke Farzand Īsā Masīh ke sāth hai. | |
I Jo | UrduGeoR | 1:5 | Jo paiġhām ham ne us se sunā aur āp ko sunā rahe haiṅ wuh yih hai, Allāh nūr hai aur us meṅ tārīkī hai hī nahīṅ. | |
I Jo | UrduGeoR | 1:6 | Jab ham tārīkī meṅ chalte hue Allāh ke sāth rifāqat rakhne kā dāwā karte haiṅ to ham jhūṭ bol rahe aur sachchāī ke mutābiq zindagī nahīṅ guzār rahe. | |
I Jo | UrduGeoR | 1:7 | Lekin jab ham nūr meṅ chalte haiṅ, bilkul usī tarah jis tarah Allāh nūr meṅ hai, to phir ham ek dūsre ke sāth rifāqat rakhte haiṅ aur us ke Farzand Īsā kā ḳhūn hameṅ tamām gunāhoṅ se pāk-sāf kar detā hai. | |
I Jo | UrduGeoR | 1:8 | Agar ham gunāh se pāk hone kā dāwā kareṅ to ham apne āp ko fareb dete haiṅ aur ham meṅ sachchāī nahīṅ hai. | |
I Jo | UrduGeoR | 1:9 | Lekin agar ham apne gunāhoṅ kā iqrār kareṅ to wuh wafādār aur rāst sābit hogā. Wuh hamāre gunāhoṅ ko muāf karke hameṅ tamām nārāstī se pāk-sāf karegā. | |
Chapter 2
I Jo | UrduGeoR | 2:1 | Mere bachcho, maiṅ āp ko yih is lie likh rahā hūṅ ki āp gunāh na kareṅ. Lekin agar koī gunāh kare to ek hai jo Ḳhudā Bāp ke sāmne hamārī shafā'at kartā hai, Īsā Masīh jo rāst hai. | |
I Jo | UrduGeoR | 2:2 | Wuhī hamāre gunāhoṅ kā kaffārā dene wālī qurbānī hai, aur na sirf hamāre gunāhoṅ kā balki pūrī duniyā ke gunāhoṅ kā bhī. | |
I Jo | UrduGeoR | 2:3 | Is se hameṅ patā chaltā hai ki ham ne use jān liyā hai, jab ham us ke ahkām par amal karte haiṅ. | |
I Jo | UrduGeoR | 2:4 | Jo kahtā hai, “Maiṅ use jāntā hūṅ” lekin us ke ahkām par amal nahīṅ kartā wuh jhūṭā hai aur sachchāī us meṅ nahīṅ hai. | |
I Jo | UrduGeoR | 2:5 | Lekin jo us ke kalām kī pairawī kartā hai us meṅ Allāh kī muhabbat haqīqatan takmīl tak pahuṅch gaī hai. Is se hameṅ patā chaltā hai ki ham us meṅ haiṅ. | |
I Jo | UrduGeoR | 2:6 | Jo kahtā hai ki wuh us meṅ qāym hai us ke lie lāzim hai ki wuh yoṅ chale jis tarah Īsā chaltā thā. | |
I Jo | UrduGeoR | 2:7 | Azīzo, maiṅ āp ko koī nayā hukm nahīṅ likh rahā, balki wuhī purānā hukm jo āp ko shurū se milā hai. Yih purānā hukm wuhī paiġhām hai jo āp ne sun liyā hai. | |
I Jo | UrduGeoR | 2:8 | Lekin dūsrī taraf se yih hukm nayā bhī hai, aur is kī sachchāī Masīh aur āp meṅ zāhir huī hai. Kyoṅki tārīkī ḳhatm hone wālī hai aur haqīqī raushnī chamakne lag gaī hai. | |
I Jo | UrduGeoR | 2:9 | Jo nūr meṅ hone kā dāwā karke apne bhāī se nafrat kartā hai wuh ab tak tārīkī meṅ hai. | |
I Jo | UrduGeoR | 2:10 | Jo apne bhāī se muhabbat rakhtā hai wuh nūr meṅ rahtā hai aur us meṅ koī bhī chīz nahīṅ pāī jātī jo ṭhokar kā bāis ban sake. | |
I Jo | UrduGeoR | 2:11 | Lekin jo apne bhāī se nafrat kartā hai wuh tārīkī hī meṅ hai aur andhere meṅ chaltā phirtā hai. Us ko yih nahīṅ mālūm ki wuh kahāṅ jā rahā hai, kyoṅki tārīkī ne use andhā kar rakhā hai. | |
I Jo | UrduGeoR | 2:12 | Pyāre bachcho, maiṅ āp ko is lie likh rahā hūṅ ki āp ke gunāhoṅ ko us ke nām kī ḳhātir muāf kar diyā gayā hai. | |
I Jo | UrduGeoR | 2:13 | Wālido, maiṅ āp ko is lie likh rahā hūṅ ki āp ne use jān liyā hai jo ibtidā hī se hai. Jawān mardo, maiṅ āp ko is lie likh rahā hūṅ ki āp Iblīs par ġhālib ā gae haiṅ. Bachcho, maiṅ āp ko is lie likh rahā hūṅ ki āp ne Bāp ko jān liyā hai. | |
I Jo | UrduGeoR | 2:14 | Wālido, maiṅ āp ko is lie likh rahā hūṅ ki āp ne use jān liyā hai jo ibtidā hī se hai. Jawān mardo, maiṅ āp ko is lie likh rahā hūṅ ki āp mazbūt haiṅ. Allāh kā kalām āp meṅ bastā hai aur āp Iblīs par ġhālib ā gae haiṅ. | |
I Jo | UrduGeoR | 2:15 | Duniyā ko pyār mat karnā, na kisī chīz ko jo duniyā meṅ hai. Agar koī duniyā ko pyār kare to Ḳhudā Bāp kī muhabbat us meṅ nahīṅ hai. | |
I Jo | UrduGeoR | 2:16 | Kyoṅki jo bhī chīz duniyā meṅ hai wuh Bāp kī taraf se nahīṅ balki duniyā kī taraf se hai, ḳhāh wuh jism kī burī ḳhāhishāt, āṅkhoṅ kā lālach yā apnī milkiyat par faḳhr ho. | |
I Jo | UrduGeoR | 2:17 | Duniyā aur us kī wuh chīzeṅ jo insān chāhtā hai ḳhatm ho rahī haiṅ, lekin jo Allāh kī marzī pūrī kartā hai wuh abad tak jītā rahegā. | |
I Jo | UrduGeoR | 2:18 | Bachcho, ab āḳhirī ghaṛī ā pahuṅchī hai. Āp ne ḳhud sun liyā hai ki muḳhālif-e-Masīh ā rahā hai, aur haqīqatan bahut-se aise muḳhālif-e-Masīh ā chuke haiṅ. Is se hameṅ patā chaltā hai ki āḳhirī ghaṛī ā gaī hai. | |
I Jo | UrduGeoR | 2:19 | Yih log ham meṅ se nikle to haiṅ, lekin haqīqat meṅ ham meṅ se nahīṅ the. Kyoṅki agar wuh ham meṅ se hote to wuh hamāre sāth hī rahte. Lekin hameṅ chhoṛne se zāhir huā ki sab ham meṅ se nahīṅ haiṅ. | |
I Jo | UrduGeoR | 2:20 | Lekin āp farq haiṅ. Āp ko us se jo Quddūs hai Rūh kā masah mil gayā hai, aur āp pūrī sachchāī ko jānte haiṅ. | |
I Jo | UrduGeoR | 2:21 | Maiṅ āp ko is lie nahīṅ likh rahā ki āp sachchāī ko nahīṅ jānte balki is lie ki āp sachchāī jānte haiṅ aur ki koī bhī jhūṭ sachchāī kī taraf se nahīṅ ā saktā. | |
I Jo | UrduGeoR | 2:22 | Kaun jhūṭā hai? Wuh jo Īsā ke Masīh hone kā inkār kartā hai. Muḳhālif-e-Masīh aisā shaḳhs hai. Wuh Bāp aur Farzand kā inkār kartā hai. | |
I Jo | UrduGeoR | 2:23 | Jo Farzand kā inkār kartā hai us ke pās Bāp bhī nahīṅ hai, aur jo Farzand kā iqrār kartā hai us ke pās Bāp bhī hai. | |
I Jo | UrduGeoR | 2:24 | Chunāṅche lāzim hai ki jo kuchh āp ne ibtidā se sunā wuh āp meṅ rahe. Agar wuh āp meṅ rahe to āp bhī Farzand aur Bāp meṅ raheṅge. | |
I Jo | UrduGeoR | 2:26 | Maiṅ āp ko yih un ke bāre meṅ likh rahā hūṅ jo āp ko sahīh rāh se haṭāne kī koshish kar rahe haiṅ. | |
I Jo | UrduGeoR | 2:27 | Lekin āp ko us se Rūh kā masah mil gayā hai. Wuh āp ke andar bastā hai, is lie āp ko is kī zarūrat hī nahīṅ ki koī āp ko tālīm de. Kyoṅki Masīh kā Rūh āp ko sab bātoṅ ke bāre meṅ tālīm detā hai aur jo kuchh bhī wuh sikhātā hai wuh sach hai, jhūṭ nahīṅ. Chunāṅche jis tarah us ne āp ko tālīm dī hai, usī tarah Masīh meṅ raheṅ. | |
I Jo | UrduGeoR | 2:28 | Aur ab pyāre bachcho, us meṅ qāym raheṅ tāki us ke zāhir hone par ham pūre etamād ke sāth us ke sāmne khaṛe ho sakeṅ aur us kī āmad par sharmindā na honā paṛe. | |
Chapter 3
I Jo | UrduGeoR | 3:1 | Dhyān deṅ ki Bāp ne ham se kitnī muhabbat kī hai, yahāṅ tak ki ham Allāh ke farzand kahlāte haiṅ. Aur ham wāqaī haiṅ bhī. Is lie duniyā hameṅ nahīṅ jāntī. Wuh to use bhī nahīṅ jāntī. | |
I Jo | UrduGeoR | 3:2 | Azīzo, ab ham Allāh ke farzand haiṅ, aur jo kuchh ham hoṅge wuh abhī tak zāhir nahīṅ huā hai. Lekin itnā ham jānte haiṅ ki jab wuh zāhir ho jāegā to ham us kī mānind hoṅge. Kyoṅki ham us kā mushāhadā waise hī kareṅge jaisā wuh hai. | |
I Jo | UrduGeoR | 3:3 | Jo bhī Masīh meṅ yih ummīd rakhtā hai wuh apne āp ko pāk-sāf rakhtā hai, waise hī jaisā Masīh ḳhud hai. | |
I Jo | UrduGeoR | 3:4 | Jo gunāh kartā hai wuh sharīat kī ḳhilāfwarzī kartā hai. Hāṅ, gunāh sharīat kī ḳhilāfwarzī hī hai. | |
I Jo | UrduGeoR | 3:5 | Lekin āp jānte haiṅ ki Īsā hamāre gunāhoṅ ko uṭhā le jāne ke lie zāhir huā. Aur us meṅ gunāh nahīṅ hai. | |
I Jo | UrduGeoR | 3:6 | Jo us meṅ qāym rahtā hai wuh gunāh nahīṅ kartā. Aur jo gunāh kartā rahtā hai na to us ne use dekhā hai, na use jānā hai. | |
I Jo | UrduGeoR | 3:7 | Pyāre bachcho, kisī ko ijāzat na deṅ ki wuh āp ko sahīh rāh se haṭā de. Jo rāst kām kartā hai wuh rāstbāz, hāṅ Masīh jaisā rāstbāz hai. | |
I Jo | UrduGeoR | 3:8 | Jo gunāh kartā hai wuh Iblīs se hai, kyoṅki Iblīs shurū hī se gunāh kartā āyā hai. Allāh kā Farzand isī lie zāhir huā ki Iblīs kā kām tabāh kare. | |
I Jo | UrduGeoR | 3:9 | Jo bhī Allāh se paidā ho kar us kā farzand ban gayā hai wuh gunāh nahīṅ karegā, kyoṅki Allāh kī fitrat us meṅ rahtī hai. Wuh gunāh kar hī nahīṅ saktā kyoṅki wuh Allāh se paidā ho kar us kā farzand ban gayā hai. | |
I Jo | UrduGeoR | 3:10 | Is se patā chaltā hai ki Allāh ke farzand kaun haiṅ aur Iblīs ke farzand kaun: Jo rāst kām nahīṅ kartā, na apne bhāī se muhabbat rakhtā hai, wuh Allāh kā farzand nahīṅ hai. | |
I Jo | UrduGeoR | 3:11 | Kyoṅki yihī wuh paiġhām hai jo āp ne shurū se sun rakhā hai, ki hameṅ ek dūsre se muhabbat rakhnā hai. | |
I Jo | UrduGeoR | 3:12 | Qābīl kī tarah na hoṅ, jo Iblīs kā thā aur jis ne apne bhāī ko qatl kiyā. Aur us ne us ko qatl kyoṅ kiyā? Is lie ki us kā kām burā thā jabki bhāī kā kām rāst thā. | |
I Jo | UrduGeoR | 3:14 | Ham to jānte haiṅ ki ham maut se nikal kar zindagī meṅ dāḳhil ho gae haiṅ. Ham yih is lie jānte haiṅ ki ham apne bhāiyoṅ se muhabbat rakhte haiṅ. Jo muhabbat nahīṅ rakhtā wuh ab tak maut kī hālat meṅ hai. | |
I Jo | UrduGeoR | 3:15 | Jo bhī apne bhāī se nafrat rakhtā hai wuh qātil hai. Aur āp jānte haiṅ ki jo qātil hai us meṅ abadī zindagī nahīṅ rahtī. | |
I Jo | UrduGeoR | 3:16 | Is se hī ham ne muhabbat ko jānā hai ki Masīh ne hamārī ḳhātir apnī jān de dī. Aur hamārā bhī farz yihī hai ki apne bhāiyoṅ kī ḳhātir apnī jān deṅ. | |
I Jo | UrduGeoR | 3:17 | Agar kisī ke mālī hālāt ṭhīk hoṅ aur wuh apne bhāī kī zarūratmand hālat ko dekh kar rahm na kare to us meṅ Allāh kī muhabbat kis tarah qāym rah saktī hai? | |
I Jo | UrduGeoR | 3:18 | Pyāre bachcho, āeṅ ham alfāz aur bātoṅ se muhabbat kā izhār na kareṅ balki hamārī muhabbat amlī aur haqīqī ho. | |
I Jo | UrduGeoR | 3:19 | Ġharz is se ham jān lete haiṅ ki ham sachchāī kī taraf se haiṅ, aur yoṅ hī ham apne dil ko tasallī de sakte haiṅ | |
I Jo | UrduGeoR | 3:20 | jab wuh hameṅ mujrim ṭhahrātā hai. Kyoṅki Allāh hamāre dil se baṛā hai aur sab kuchh jāntā hai. | |
I Jo | UrduGeoR | 3:21 | Aur azīzo, jab hamārā dil hameṅ mujrim nahīṅ ṭhahrātā to ham pūre etamād ke sāth Allāh ke huzūr ā sakte haiṅ | |
I Jo | UrduGeoR | 3:22 | aur wuh kuchh pāte haiṅ jo us se māṅgte haiṅ. Kyoṅki ham us ke ahkām par chalte haiṅ aur wuhī kuchh karte haiṅ jo use pasand hai. | |
I Jo | UrduGeoR | 3:23 | Aur us kā yih hukm hai ki ham us ke Farzand Īsā Masīh ke nām par īmān lā kar ek dūsre se muhabbat rakheṅ, jis tarah Masīh ne hameṅ hukm diyā thā. | |
Chapter 4
I Jo | UrduGeoR | 4:1 | Azīzo, har ek rūh kā yaqīn mat karnā balki rūhoṅ ko parakh kar mālūm kareṅ ki wuh Allāh se haiṅ yā nahīṅ, kyoṅki muta'addid jhūṭe nabī duniyā meṅ nikle haiṅ. | |
I Jo | UrduGeoR | 4:2 | Is se āp Allāh ke Rūh ko pahchān lete haiṅ: Jo bhī rūh is kā etarāf kartī hai ki Īsā Masīh mujassam ho kar āyā hai wuh Allāh se hai. | |
I Jo | UrduGeoR | 4:3 | Lekin jo bhī rūh Īsā ke bāre meṅ yih taslīm na kare wuh Allāh se nahīṅ hai. Yih muḳhālif-e-Masīh kī rūh hai jis ke bāre meṅ āp ko ḳhabar milī ki wuh āne wālā hai balki is waqt duniyā meṅ ā chukā hai. | |
I Jo | UrduGeoR | 4:4 | Lekin āp pyāre bachcho, Allāh se haiṅ aur un par ġhālib ā gae haiṅ. Kyoṅki jo āp meṅ hai wuh us se baṛā hai jo duniyā meṅ hai. | |
I Jo | UrduGeoR | 4:5 | Yih log duniyā se haiṅ aur is lie duniyā kī bāteṅ karte haiṅ aur duniyā un kī suntī hai. | |
I Jo | UrduGeoR | 4:6 | Ham to Allāh se haiṅ aur jo Allāh ko jāntā hai wuh hamārī suntā hai. Lekin jo Allāh se nahīṅ hai wuh hamārī nahīṅ suntā. Yoṅ ham sachchāī kī rūh aur fareb dene wālī rūh meṅ imtiyāz kar sakte haiṅ. | |
I Jo | UrduGeoR | 4:7 | Azīzo, āeṅ ham ek dūsre se muhabbat rakheṅ. Kyoṅki muhabbat Allāh kī taraf se hai, aur jo muhabbat rakhtā hai wuh Allāh se paidā ho kar us kā farzand ban gayā hai aur Allāh ko jāntā hai. | |
I Jo | UrduGeoR | 4:9 | Is meṅ Allāh kī muhabbat hamāre darmiyān zāhir huī ki us ne apne iklaute Farzand ko duniyā meṅ bhej diyā tāki ham us ke zariye jieṅ. | |
I Jo | UrduGeoR | 4:10 | Yihī muhabbat hai, yih nahīṅ ki ham ne Allāh se muhabbat kī balki yih ki us ne ham se muhabbat karke apne Farzand ko bhej diyā tāki wuh hamāre gunāhoṅ ko miṭāne ke lie kaffārā de. | |
I Jo | UrduGeoR | 4:11 | Azīzo, chūṅki Allāh ne hameṅ itnā pyār kiyā is lie lāzim hai ki ham bhī ek dūsre ko pyār kareṅ. | |
I Jo | UrduGeoR | 4:12 | Kisī ne bhī Allāh ko nahīṅ dekhā. Lekin jab ham ek dūsre ko pyār karte haiṅ to Allāh hamāre andar bastā hai aur us kī muhabbat hamāre andar takmīl pātī hai. | |
I Jo | UrduGeoR | 4:13 | Ham kis tarah jān lete haiṅ ki ham us meṅ rahte haiṅ aur wuh ham meṅ? Is tarah ki us ne hameṅ apnā Rūh baḳhsh diyā hai. | |
I Jo | UrduGeoR | 4:14 | Aur ham ne yih bāt dekh lī aur is kī gawāhī dete haiṅ ki Ḳhudā Bāp ne apne Farzand ko duniyā kā Najātdahindā banane ke lie bhej diyā hai. | |
I Jo | UrduGeoR | 4:15 | Agar koī iqrār kare ki Īsā Allāh kā Farzand hai to Allāh us meṅ rahtā hai aur wuh Allāh meṅ. | |
I Jo | UrduGeoR | 4:16 | Aur ḳhud ham ne wuh muhabbat jān lī hai aur us par īmān lāe haiṅ jo Allāh ham se rakhtā hai. Allāh muhabbat hī hai. Jo bhī muhabbat meṅ qāym rahtā hai wuh Allāh meṅ rahtā hai aur Allāh us meṅ. | |
I Jo | UrduGeoR | 4:17 | Isī tarah muhabbat hamāre darmiyān takmīl tak pahuṅchtī hai, aur yoṅ ham adālat ke din pūre etamād ke sāth khaṛe ho sakeṅge, kyoṅki jaise wuh hai waise hī ham bhī is duniyā meṅ haiṅ. | |
I Jo | UrduGeoR | 4:18 | Muhabbat meṅ ḳhauf nahīṅ hotā balki kāmil muhabbat ḳhauf ko bhagā detī hai, kyoṅki ḳhauf ke pīchhe sazā kā ḍar hai. Jo ḍartā hai us kī muhabbat takmīl tak nahīṅ pahuṅchī. | |
I Jo | UrduGeoR | 4:20 | Agar koī kahe, “Maiṅ Allāh se muhabbat rakhtā hūṅ” lekin apne bhāī se nafrat kare to wuh jhūṭā hai. Kyoṅki jo apne bhāī se jise us ne dekhā hai muhabbat nahīṅ rakhtā wuh kis tarah Allāh se muhabbat rakh saktā hai jise us ne nahīṅ dekhā? | |
Chapter 5
I Jo | UrduGeoR | 5:1 | Jo bhī īmān rakhtā hai ki Īsā hī Masīh hai wuh Allāh se paidā ho kar us kā farzand ban gayā hai. Aur jo Bāp se muhabbat rakhtā hai wuh us ke Farzand se bhī muhabbat rakhtā hai. | |
I Jo | UrduGeoR | 5:2 | Ham kis tarah jān lete haiṅ ki ham Allāh ke Farzand se muhabbat rakhte haiṅ? Is se ki ham Allāh se muhabbat rakhte aur us ke ahkām par amal karte haiṅ. | |
I Jo | UrduGeoR | 5:3 | Kyoṅki Allāh se muhabbat se murād yih hai ki ham us ke ahkām par amal kareṅ. Aur us ke ahkām hamāre lie bojh kā bāis nahīṅ haiṅ, | |
I Jo | UrduGeoR | 5:4 | kyoṅki jo bhī Allāh se paidā ho kar us kā farzand ban gayā hai wuh duniyā par ġhālib ā jātā hai. Aur ham yih fatah apne īmān ke zariye pāte haiṅ. | |
I Jo | UrduGeoR | 5:5 | Kaun duniyā par ġhālib ā saktā hai? Sirf wuh jo īmān rakhtā hai ki Īsā Allāh kā Farzand hai. | |
I Jo | UrduGeoR | 5:6 | Īsā Masīh wuh hai jo apne baptisme ke pānī aur apnī maut ke ḳhūn ke zariye zāhir huā, na sirf pānī ke zariye balki pānī aur ḳhūn donoṅ hī ke zariye. Aur Rūhul-quds jo sachchāī hai is kī gawāhī detā hai. | |
I Jo | UrduGeoR | 5:9 | Ham to insān kī gawāhī qabūl karte haiṅ, lekin Allāh kī gawāhī is se kahīṅ afzal hai. Aur Allāh kī gawāhī yih hai ki us ne apne Farzand kī tasdīq kī hai. | |
I Jo | UrduGeoR | 5:10 | Jo Allāh ke Farzand par īmān rakhtā hai us ke dil meṅ yih gawāhī hai. Aur jo Allāh par īmān nahīṅ rakhtā us ne use jhūṭā qarār diyā hai. Kyoṅki us ne wuh gawāhī na mānī jo Allāh ne apne Farzand ke bāre meṅ dī. | |
I Jo | UrduGeoR | 5:11 | Aur gawāhī yih hai, Allāh ne hameṅ abadī zindagī atā kī hai, aur yih zindagī us ke Farzand meṅ hai. | |
I Jo | UrduGeoR | 5:12 | Jis ke pās Farzand hai us ke pās zindagī hai, aur jis ke pās Allāh kā Farzand nahīṅ hai us ke pās zindagī bhī nahīṅ hai. | |
I Jo | UrduGeoR | 5:13 | Maiṅ āp ko jo Allāh ke Farzand ke nām par īmān rakhte haiṅ is lie likh rahā hūṅ ki āp jān leṅ ki āp ko abadī zindagī hāsil hai. | |
I Jo | UrduGeoR | 5:14 | Hamārā Allāh par yih etamād hai ki jab bhī ham us kī marzī ke mutābiq kuchh māṅgte haiṅ to wuh hamārī suntā hai. | |
I Jo | UrduGeoR | 5:15 | Aur chūṅki ham jānte haiṅ ki jab māṅgte haiṅ to wuh hamārī suntā hai is lie ham yih ilm bhī rakhte haiṅ ki hameṅ wuh kuchh hāsil bhī hai jo ham ne us se māṅgā thā. | |
I Jo | UrduGeoR | 5:16 | Agar koī apne bhāī ko aisā gunāh karte dekhe jis kā anjām maut na ho to wuh duā kare, aur Allāh use zindagī atā karegā. Maiṅ un gunāhoṅ kī bāt kar rahā hūṅ jin kā anjām maut nahīṅ. Lekin ek aisā gunāh bhī hai jis kā anjām maut hai. Maiṅ nahīṅ kah rahā ki aise shaḳhs ke lie duā kī jāe jis se aisā gunāh sarzad huā ho. | |
I Jo | UrduGeoR | 5:18 | Ham jānte haiṅ ki jo Allāh se paidā ho kar us kā farzand ban gayā hai wuh gunāh kartā nahīṅ rahtā, kyoṅki Allāh kā Farzand aise shaḳhs ko mahfūz rakhtā hai aur Iblīs use nuqsān nahīṅ pahuṅchā saktā. | |
I Jo | UrduGeoR | 5:19 | Ham jānte haiṅ ki ham Allāh ke farzand haiṅ aur ki tamām duniyā Iblīs ke qabze meṅ hai. | |
I Jo | UrduGeoR | 5:20 | Ham jānte haiṅ ki Allāh kā Farzand ā gayā hai aur hameṅ samajh atā kī hai tāki ham use jān leṅ jo haqīqī hai. Aur ham us meṅ haiṅ jo haqīqī hai yānī us ke Farzand Īsā Masīh meṅ. Wuhī haqīqī Ḳhudā aur abadī zindagī hai. | |