Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
PHILIPPIANS
Up
1 2 3 4
Toggle notes
Chapter 1
Phil UrduGeoR 1:1  Yih ḳhat Masīh Īsā ke ġhulāmoṅ Paulus aur Tīmuthiyus kī taraf se hai. Maiṅ Filippī meṅ maujūd un tamām logoṅ ko likh rahā hūṅ jinheṅ Allāh ne Masīh Īsā ke zariye maḳhsūs-o-muqaddas kiyā hai. Maiṅ un ke buzurgoṅ aur ḳhādimoṅ ko bhī likh rahā hūṅ.
Phil UrduGeoR 1:2  Ḳhudā hamārā Bāp aur Ḳhudāwand Īsā Masīh āp ko fazl aur salāmatī atā kareṅ.
Phil UrduGeoR 1:3  Jab bhī maiṅ āp ko yād kartā hūṅ to apne Ḳhudā kā shukr kartā hūṅ.
Phil UrduGeoR 1:4  Āp ke lie tamām duāoṅ meṅ maiṅ hameshā ḳhushī se duā kartā hūṅ,
Phil UrduGeoR 1:5  is lie ki āp pahle din se le kar āj tak Allāh kī ḳhushḳhabrī phailāne meṅ mere sharīk rahe haiṅ.
Phil UrduGeoR 1:6  Aur mujhe yaqīn hai ki Allāh jis ne āp meṅ yih achchhā kām shurū kiyā hai ise us din takmīl tak pahuṅchāegā jab Masīh Īsā wāpas āegā.
Phil UrduGeoR 1:7  Aur munāsib hai ki āp sab ke bāre meṅ merā yihī ḳhayāl ho, kyoṅki āp mujhe azīz rakhte haiṅ. Hāṅ, jab mujhe jel meṅ ḍālā gayā yā maiṅ Allāh kī ḳhushḳhabrī kā difā yā us kī tasdīq kar rahā thā to āp bhī mere is ḳhās fazl meṅ sharīk hue.
Phil UrduGeoR 1:8  Allāh merā gawāh hai ki maiṅ kitnī shiddat se āp sab kā ārzūmand hūṅ. Hāṅ, maiṅ Masīh kī-sī dilī shafqat ke sāth āp kā ḳhāhishmand hūṅ.
Phil UrduGeoR 1:9  Aur merī duā hai ki āp kī muhabbat meṅ ilm-o-irfān aur har tarah kī ruhānī basīrat kā yahāṅ tak izāfā ho jāe ki wuh baṛhtī baṛhtī dil se chhalak uṭhe.
Phil UrduGeoR 1:10  Kyoṅki yih zarūrī hai tāki āp wuh bāteṅ qabūl kareṅ jo buniyādī ahmiyat kī hāmil haiṅ aur āp Masīh kī āmad tak belaus aur be'ilzām zindagī guzāreṅ.
Phil UrduGeoR 1:11  Aur yoṅ āp us rāstbāzī ke phal se bhare raheṅge jo āp ko Īsā Masīh ke wasīle se hāsil hotī hai. Phir āp apnī zindagī se Allāh ko jalāl deṅge aur us kī tamjīd kareṅge.
Phil UrduGeoR 1:12  Bhāiyo, maiṅ chāhtā hūṅ ki yih bāt āp ke ilm meṅ ho ki jo kuchh bhī mujh par guzarā hai wuh haqīqat meṅ Allāh kī ḳhushḳhabrī ke phailāo kā bāis ban gayā hai.
Phil UrduGeoR 1:13  Kyoṅki Praiṭoriyum ke tamām afrād aur bāqī sab ko mālūm ho gayā hai ki maiṅ Masīh kī ḳhātir qaidī hūṅ.
Phil UrduGeoR 1:14  Aur mere qaid meṅ hone kī wajah se Ḳhudāwand meṅ zyādātar bhāiyoṅ kā etamād itnā baṛh gayā hai ki wuh mazīd dilerī ke sāth bilāḳhauf Allāh kā kalām sunāte haiṅ.
Phil UrduGeoR 1:15  Beshak bāz to hasad aur muḳhālafat ke bāis Masīh kī munādī kar rahe haiṅ, lekin bāqiyoṅ kī nīyat achchhī hai,
Phil UrduGeoR 1:16  kyoṅki wuh jānte haiṅ ki maiṅ Allāh kī ḳhushḳhabrī ke difā kī wajah se yahāṅ paṛā hūṅ. Is lie wuh muhabbat kī rūh meṅ tablīġh karte haiṅ.
Phil UrduGeoR 1:17  Is ke muqābale meṅ dūsre ḳhulūsdilī se Masīh ke bāre meṅ paiġhām nahīṅ sunāte balki ḳhudġharzī se. Yih samajhte haiṅ ki ham is tarah Paulus kī giriftārī ko mazīd taklīfdeh banā sakte haiṅ.
Phil UrduGeoR 1:18  Lekin is se kyā farq paṛtā hai! Aham bāt to yih hai ki Masīh kī munādī har tarah se kī jā rahī hai, ḳhāh munād kī nīyat purḳhulūs ho yā na. Aur is wajah se maiṅ ḳhush hūṅ. Aur ḳhush rahūṅgā bhī,
Phil UrduGeoR 1:19  kyoṅki maiṅ jāntā hūṅ ki yih mere lie rihāī kā bāis banegā, is lie ki āp mere lie duā kar rahe haiṅ aur Īsā Masīh kā Rūh merī himāyat kar rahā hai.
Phil UrduGeoR 1:20  Hāṅ, yih merī pūrī tawaqqo aur ummīd hai. Maiṅ yih bhī jāntā hūṅ ki mujhe kisī bhī bāt meṅ sharmindā nahīṅ kiyā jāegā balki jaisā māzī meṅ hameshā huā ab bhī mujhe baṛī dilerī se Masīh ko jalāl dene kā fazl milegā, ḳhāh maiṅ zindā rahūṅ yā mar jāūṅ.
Phil UrduGeoR 1:21  Kyoṅki mere lie Masīh zindagī hai aur maut nafā kā bāis.
Phil UrduGeoR 1:22  Agar maiṅ zindā rahūṅ to is kā fāydā yih hogā ki maiṅ mehnat karke mazīd phal lā sakūṅgā. Chunāṅche maiṅ nahīṅ kah saktā ki kyā behtar hai.
Phil UrduGeoR 1:23  Maiṅ baṛī kash-ma-kash meṅ rahtā hūṅ. Ek taraf maiṅ kūch karke Masīh ke pās hone kī ārzū rakhtā hūṅ, kyoṅki yih mere lie sab se behtar hotā.
Phil UrduGeoR 1:24  Lekin dūsrī taraf zyādā zarūrī yih hai ki maiṅ āp kī ḳhātir zindā rahūṅ.
Phil UrduGeoR 1:25  Aur chūṅki mujhe is zarūrat kā yaqīn hai, is lie maiṅ jāntā hūṅ ki maiṅ zindā rah kar dubārā āp sab ke sāth rahūṅgā tāki āp taraqqī kareṅ aur īmān meṅ ḳhush raheṅ.
Phil UrduGeoR 1:26  Hāṅ, mere āp ke pās wāpas āne se āp mere sabab se Masīh Īsā par had se zyādā faḳhr kareṅge.
Phil UrduGeoR 1:27  Lekin āp har sūrat meṅ Masīh kī ḳhushḳhabrī aur āsmān ke shahriyoṅ ke lāyq zindagī guzāreṅ. Phir ḳhāh maiṅ ā kar āp ko dekhūṅ, ḳhāh ġhairmaujūdagī meṅ āp ke bāre meṅ sunūṅ, mujhe mālūm hogā ki āp ek Rūh meṅ qāym haiṅ, āp mil kar yakdilī se us īmān ke lie jāṅfishānī kar rahe haiṅ jo Allāh kī ḳhushḳhabrī se paidā huā hai,
Phil UrduGeoR 1:28  aur āp kisī sūrat meṅ apne muḳhālifoṅ se dahshat nahīṅ khāte. Yih un ke lie ek nishān hogā ki wuh halāk ho jāeṅge jabki āp ko najāt hāsil hogī, aur wuh bhī Allāh se.
Phil UrduGeoR 1:29  Kyoṅki āp ko na sirf Masīh par īmān lāne kā fazl hāsil huā hai balki us kī ḳhātir dukh uṭhāne kā bhī.
Phil UrduGeoR 1:30  Āp bhī us muqābale meṅ jāṅfishānī kar rahe haiṅ jis meṅ āp ne mujhe dekhā hai aur jis ke bāre meṅ āp ne ab sun liyā hai ki maiṅ ab tak us meṅ masrūf hūṅ.
Chapter 2
Phil UrduGeoR 2:1  Kyā āp ke darmiyān Masīh meṅ hauslā-afzāī, muhabbat kī tasallī, Rūhul-quds kī rifāqat, narmdilī aur rahmat pāī jātī hai?
Phil UrduGeoR 2:2  Agar aisā hai to merī ḳhushī is meṅ pūrī kareṅ ki āp ek jaisī soch rakheṅ aur ek jaisī muhabbat rakheṅ, ek jān aur ek zahan ho jāeṅ.
Phil UrduGeoR 2:3  Ḳhudġharz na hoṅ, na bātil izzat ke pīchhe paṛeṅ balki farotanī se dūsroṅ ko apne se behtar samjheṅ.
Phil UrduGeoR 2:4  Har ek na sirf apnā fāydā soche balki dūsroṅ kā bhī.
Phil UrduGeoR 2:5  Wuhī soch rakheṅ jo Masīh Īsā kī bhī thī.
Phil UrduGeoR 2:6  Wuh jo Allāh kī sūrat par thā nahīṅ samajhtā thā ki merā Allāh ke barābar honā koī aisī chīz hai jis ke sāth zabardastī chimṭe rahne kī zarūrat hai.
Phil UrduGeoR 2:7  Nahīṅ, us ne apne āp ko is se mahrūm karke ġhulām kī sūrat apnāī aur insānoṅ kī mānind ban gayā. Shakl-o-sūrat meṅ wuh insān pāyā gayā.
Phil UrduGeoR 2:8  Us ne apne āp ko past kar diyā aur maut tak tābe rahā, balki salībī maut tak.
Phil UrduGeoR 2:9  Is lie Allāh ne use sab se ālā maqām par sarfarāz kar diyā aur use wuh nām baḳhshā jo har nām se ālā hai,
Phil UrduGeoR 2:10  tāki Īsā ke is nām ke sāmne har ghuṭnā jhuke, ḳhāh wuh ghuṭnā āsmān par, zamīn par yā is ke nīche ho,
Phil UrduGeoR 2:11  aur har zabān taslīm kare ki Īsā Masīh Ḳhudāwand hai. Yoṅ Ḳhudā Bāp ko jalāl diyā jāegā.
Phil UrduGeoR 2:12  Mere azīzo, jab maiṅ āp ke pās thā to āp hameshā farmāṅbardār rahe. Ab jab maiṅ ġhairhāzir hūṅ to is kī kahīṅ zyādā zarūrat hai. Chunāṅche ḍarte aur kāṅpte hue jāṅfishānī karte raheṅ tāki āp kī najāt takmīl tak pahuṅche.
Phil UrduGeoR 2:13  Kyoṅki Ḳhudā hī āp meṅ wuh kuchh karne kī ḳhāhish paidā kartā hai jo use pasand hai, aur wuhī āp ko yih pūrā karne kī tāqat detā hai.
Phil UrduGeoR 2:14  Sab kuchh buṛbuṛāe aur bahs-mubāhasā kie baġhair kareṅ
Phil UrduGeoR 2:15  tāki āp be'ilzām aur pāk ho kar Allāh ke bedāġh farzand sābit ho jāeṅ, aise log jo ek ṭeṛhī aur ulṭī nasl ke darmiyān hī āsmān ke sitāroṅ kī tarah chamakte-damakte
Phil UrduGeoR 2:16  aur zindagī kā kalām thāme rakhte haiṅ. Phir maiṅ Masīh kī āmad ke din faḳhr kar sakūṅgā ki na maiṅ rāygāṅ dauṛā, na befāydā jidd-o-jahd kī.
Phil UrduGeoR 2:17  Dekheṅ, jo ḳhidmat āp īmān se saranjām de rahe haiṅ wuh ek aisī qurbānī hai jo Allāh ko pasand hai. Ḳhudā kare ki jo dukh maiṅ uṭhā rahā hūṅ wuh mai kī us nazar kī mānind ho jo Baitul-muqaddas meṅ qurbānī par unḍelī jātī hai. Agar merī nazar wāqaī āp kī qurbānī yoṅ mukammal kare to maiṅ ḳhush hūṅ aur āp ke sāth ḳhushī manātā hūṅ.
Phil UrduGeoR 2:18  Āp bhī isī wajah se ḳhush hoṅ aur mere sāth ḳhushī manāeṅ.
Phil UrduGeoR 2:19  Mujhe ummīd hai ki agar Ḳhudāwand Īsā ne chāhā to maiṅ jald hī Tīmuthiyus ko āp ke pās bhej dūṅgā tāki āp ke bāre meṅ ḳhabar pā kar merā hauslā bhī baṛh jāe.
Phil UrduGeoR 2:20  Kyoṅki mere pās koī aur nahīṅ jis kī soch bilkul merī jaisī hai aur jo itnī ḳhulūsdilī se āp kī fikr kare.
Phil UrduGeoR 2:21  Dūsre sab apne mafād kī talāsh meṅ rahte haiṅ aur wuh kuchh nazarandāz karte haiṅ jo Īsā Masīh kā kām baṛhātā hai.
Phil UrduGeoR 2:22  Lekin āp ko to mālūm hai ki Tīmuthiyus qābil-e-etamād sābit huā, ki us ne merā beṭā ban kar mere sāth Allāh kī ḳhushḳhabrī phailāne kī ḳhidmat saranjām dī.
Phil UrduGeoR 2:23  Chunāṅche ummīd hai ki jyoṅ hī mujhe patā chale ki merā kyā banegā maiṅ use āp ke pās bhej dūṅgā.
Phil UrduGeoR 2:24  Aur merā Ḳhudāwand meṅ īmān hai ki maiṅ bhī jald hī āp ke pās āūṅgā.
Phil UrduGeoR 2:25  Lekin maiṅ ne zarūrī samjhā ki itne meṅ Ipafruditus ko āp ke pās wāpas bhej dūṅ jise āp ne qāsid ke taur par merī zarūriyāt pūrī karne ke lie mere pās bhej diyā thā. Wuh merā sachchā bhāī, hamḳhidmat aur sāthī sipāhī sābit huā.
Phil UrduGeoR 2:26  Maiṅ use is lie bhej rahā hūṅ kyoṅki wuh āp sab kā nihāyat ārzūmand hai aur is lie bechain hai ki āp ko us ke bīmār hone kī ḳhabar mil gaī thī.
Phil UrduGeoR 2:27  Aur wuh thā bhī bīmār balki marne ko thā. Lekin Allāh ne us par rahm kiyā, aur na sirf us par balki mujh par bhī tāki mere dukh meṅ izāfā na ho jāe.
Phil UrduGeoR 2:28  Is lie maiṅ use aur jaldī se āp ke pās bhejūṅgā tāki āp use dekh kar ḳhush ho jāeṅ aur merī pareshānī bhī dūr ho jāe.
Phil UrduGeoR 2:29  Chunāṅche Ḳhudāwand meṅ baṛī ḳhushī se us kā istiqbāl kareṅ. Us jaise logoṅ kī izzat kareṅ,
Phil UrduGeoR 2:30  kyoṅki wuh Masīh ke kām ke bāis marne kī naubat tak pahuṅch gayā thā. Us ne apnī jān ḳhatre meṅ ḍāl dī tāki āp kī jagah merī wuh ḳhidmat kare jo āp na kar sake.
Chapter 3
Phil UrduGeoR 3:1  Mere bhāiyo, jo kuchh bhī ho, Ḳhudāwand meṅ ḳhush raheṅ. Maiṅ āp ko yih bāt batāte rahne se kabhī thaktā nahīṅ, kyoṅki aisā karne se āp mahfūz rahte haiṅ.
Phil UrduGeoR 3:2  Kuttoṅ se ḳhabardār! Un sharīr mazdūroṅ se hoshyār rahnā jo jism kī kāṅṭ-chhāṅṭ yānī ḳhatnā karwāte haiṅ.
Phil UrduGeoR 3:3  Kyoṅki ham hī haqīqī ḳhatnā ke pairokār haiṅ, ham hī haiṅ jo Allāh ke Rūh meṅ parastish karte, Masīh Īsā par faḳhr karte aur insānī ḳhūbiyoṅ par bharosā nahīṅ karte.
Phil UrduGeoR 3:4  Bāt yih nahīṅ ki merā apnī insānī ḳhūbiyoṅ par bharosā karne kā koī jawāz na hotā. Jab dūsre apnī insānī ḳhūbiyoṅ par faḳhr karte haiṅ to maiṅ un kī nisbat zyādā kar saktā hūṅ.
Phil UrduGeoR 3:5  Merā ḳhatnā huā jab maiṅ abhī āṭh din kā bachchā thā. Maiṅ Isrāīl qaum ke qabīle Binyamīn kā hūṅ, aisā Ibrānī jis ke wālidain bhī Ibrānī the. Maiṅ Farīsiyoṅ kā membar thā jo Yahūdī sharīat ke kaṭar pairokār haiṅ.
Phil UrduGeoR 3:6  Maiṅ itnā sargarm thā ki Masīh kī jamātoṅ ko īzā pahuṅchāī. Hāṅ, maiṅ sharīat par amal karne meṅ rāstbāz aur be'ilzām thā.
Phil UrduGeoR 3:7  Us waqt yih sab kuchh mere nazdīk nafā kā bāis thā, lekin ab maiṅ ise Masīh meṅ hone ke bāis nuqsān hī samajhtā hūṅ.
Phil UrduGeoR 3:8  Hāṅ, balki maiṅ sab kuchh is azīmtarīn bāt ke sabab se nuqsān samajhtā hūṅ ki maiṅ apne Ḳhudāwand Masīh Īsā ko jāntā hūṅ. Usī kī ḳhātir mujhe tamām chīzoṅ kā nuqsān pahuṅchā hai. Maiṅ unheṅ kūṛā hī samajhtā hūṅ tāki Masīh ko hāsil karūṅ
Phil UrduGeoR 3:9  aur us meṅ pāyā jāūṅ. Lekin maiṅ is naubat tak apnī us rāstbāzī ke zariye nahīṅ pahuṅch saktā jo sharīat ke tābe rahne se hāsil hotī hai. Is ke lie wuh rāstbāzī zarūrī hai jo Masīh par īmān lāne se miltī hai, jo Allāh kī taraf se hai aur jo īmān par mabnī hotī hai.
Phil UrduGeoR 3:10  Hāṅ, maiṅ sab kuchh kūṛā hī samajhtā hūṅ tāki Masīh ko, us ke jī uṭhne kī qudrat aur us ke dukhoṅ meṅ sharīk hone kā fazl jān lūṅ. Yoṅ maiṅ us kī maut kā hamshakl bantā jā rahā hūṅ,
Phil UrduGeoR 3:11  is ummīd meṅ ki maiṅ kisī na kisī tarah murdoṅ meṅ se jī uṭhne kī naubat tak pahuṅchūṅgā.
Phil UrduGeoR 3:12  Matlab yih nahīṅ ki maiṅ yih sab kuchh hāsil kar chukā yā kāmil ho chukā hūṅ. Lekin maiṅ manzil-e-maqsūd kī taraf dauṛā huā jātā hūṅ tāki wuh kuchh pakaṛ lūṅ jis ke lie Masīh Īsā ne mujhe pakaṛ liyā hai.
Phil UrduGeoR 3:13  Bhāiyo, meṅ apne bāre meṅ yih ḳhayāl nahīṅ kartā ki maiṅ ise hāsil kar chukā hūṅ. Lekin maiṅ is ek hī bāt par dhyān detā hūṅ, jo kuchh mere pīchhe hai wuh maiṅ bhūl kar saḳht tag-o-dau ke sāth us taraf baṛhtā hūṅ jo āge paṛā hai.
Phil UrduGeoR 3:14  Maiṅ sīdhā manzil-e-maqsūd kī taraf dauṛā huā jātā hūṅ tāki wuh inām hāsil karūṅ jis ke lie Allāh ne mujhe Masīh Īsā meṅ āsmān par bulāyā hai.
Phil UrduGeoR 3:15  Chunāṅche ham meṅ se jitne kāmil haiṅ āeṅ, ham aisī soch rakheṅ. Aur agar āp kisī bāt meṅ farq sochte haiṅ to Allāh āp par yih bhī zāhir karegā.
Phil UrduGeoR 3:16  Jo bhī ho, jis marhale tak ham pahuṅch gae haiṅ āeṅ, ham us ke mutābiq zindagī guzāreṅ.
Phil UrduGeoR 3:17  Bhāiyo, mil kar mere naqsh-e-qadam par chaleṅ. Aur un par ḳhūb dhyān deṅ jo hamāre namūne par chalte haiṅ.
Phil UrduGeoR 3:18  Kyoṅki jis tarah maiṅ ne āp ko kaī bār batāyā hai aur ab ro ro kar batā rahā hūṅ, bahut-se log apne chāl-chalan se zāhir karte haiṅ ki wuh Masīh kī salīb ke dushman haiṅ.
Phil UrduGeoR 3:19  Aise logoṅ kā anjām halākat hai. Khāne-pīne kī pābandiyāṅ aur ḳhatne par faḳhr un kā Ḳhudā ban gayā hai. Hāṅ, wuh sirf duniyāwī soch rakhte haiṅ.
Phil UrduGeoR 3:20  Lekin ham āsmān ke shahrī haiṅ, aur ham shiddat se is intazār meṅ haiṅ ki hamārā Najātdahindā aur Ḳhudāwand Īsā Masīh wahīṅ se āe.
Phil UrduGeoR 3:21  Us waqt wuh hamāre pasthāl badanoṅ ko badal kar apne jalālī badan ke hamshakl banā degā. Aur yih wuh us quwwat ke zariye karegā jis se wuh tamām chīzeṅ apne tābe kar saktā hai.
Chapter 4
Phil UrduGeoR 4:1  Chunāṅche mere pyāre bhāiyo, jin kā ārzūmand maiṅ hūṅ aur jo merī musarrat kā bāis aur merā tāj haiṅ, Ḳhudāwand meṅ sābitqadam raheṅ. Azīzo,
Phil UrduGeoR 4:2  maiṅ Yuwadiyā aur Suntuḳhe se apīl kartā hūṅ ki wuh Ḳhudāwand meṅ ek jaisī soch rakheṅ.
Phil UrduGeoR 4:3  Hāṅ mere hamḳhidmat bhāī, merī āp se guzārish hai ki āp un kī madad kareṅ. Kyoṅki wuh Allāh kī ḳhushḳhabrī phailāne kī jidd-o-jahd meṅ mere sāth ḳhidmat kartī rahī haiṅ, us muqābale meṅ jis meṅ Klemens aur mere wuh bāqī madadgār bhī sharīk the jin ke nām kitāb-e-hayāt meṅ darj haiṅ.
Phil UrduGeoR 4:4  Har waqt Ḳhudāwand meṅ ḳhushī manāeṅ. Ek bār phir kahtā hūṅ, ḳhushī manāeṅ.
Phil UrduGeoR 4:5  Āp kī narmdilī tamām logoṅ par zāhir ho. Yād rakheṅ ki Ḳhudāwand āne ko hai.
Phil UrduGeoR 4:6  Apnī kisī bhī fikr meṅ ulajh kar pareshān na ho jāeṅ balki har hālat meṅ duā aur iltijā karke apnī darḳhāsteṅ Allāh ke sāmne pesh kareṅ. Dhyān rakheṅ ki āp yih shukrguzārī kī rūh meṅ kareṅ.
Phil UrduGeoR 4:7  Phir Allāh kī salāmatī jo samajh se bāhar hai āp ke diloṅ aur ḳhayālāt ko Masīh Īsā meṅ mahfūz rakhegī.
Phil UrduGeoR 4:8  Bhāiyo, ek āḳhirī bāt, jo kuchh sachchā hai, jo kuchh sharīf hai, jo kuchh rāst hai, jo kuchh muqaddas hai, jo kuchh pasandīdā hai, jo kuchh umdā hai, ġharz, agar koī aḳhlāqī yā qābil-e-tārīf bāt ho to us kā ḳhayāl rakheṅ.
Phil UrduGeoR 4:9  Jo kuchh āp ne mere wasīle se sīkh liyā, hāsil kar liyā, sun liyā yā dekh liyā hai us par amal kareṅ. Phir salāmatī kā Ḳhudā āp ke sāth hogā.
Phil UrduGeoR 4:10  Maiṅ Ḳhudāwand meṅ nihāyat hī ḳhush huā ki ab āḳhirkār āp kī mere lie fikrmandī dubārā jāg uṭhī hai. Hāṅ, mujhe patā hai ki āp pahle bhī fikrmand the, lekin āp ko is kā izhār karne kā mauqā nahīṅ milā thā.
Phil UrduGeoR 4:11  Maiṅ yih apnī kisī zarūrat kī wajah se nahīṅ kah rahā, kyoṅki maiṅ ne har hālat meṅ ḳhush rahne kā rāz sīkh liyā hai.
Phil UrduGeoR 4:12  Mujhe dabāe jāne kā tajrabā huā hai aur har chīz kasrat se muyassar hone kā bhī. Mujhe har hālat se ḳhūb wāqif kiyā gayā hai, ser hone se aur bhūkā rahne se bhī, har chīz kasrat se muyassar hone se aur zarūratmand hone se bhī.
Phil UrduGeoR 4:13  Masīh meṅ maiṅ sab kuchh karne ke qābil hūṅ, kyoṅki wuhī mujhe taqwiyat detā rahtā hai.
Phil UrduGeoR 4:14  To bhī achchhā thā ki āp merī musībat meṅ sharīk hue.
Phil UrduGeoR 4:15  Āp jo Filippī ke rahne wāle haiṅ ḳhud jānte haiṅ ki us waqt jab Masīh kī munādī kā kām āp ke ilāqe meṅ shurū huā thā aur maiṅ sūbā Makiduniyā se nikal āyā thā to sirf āp kī jamāt pūre hisāb-kitāb ke sāth paise de kar merī ḳhidmat meṅ sharīk huī.
Phil UrduGeoR 4:16  Us waqt bhī jab maiṅ Thissalunīke Shahr meṅ thā āp ne kaī bār merī zarūriyāt pūrī karne ke lie kuchh bhej diyā.
Phil UrduGeoR 4:17  Kahne kā matlab yih nahīṅ ki maiṅ āp se kuchh pānā chāhtā hūṅ, balki merī shadīd ḳhāhish yih hai ki āp ke dene se āp hī ko Allāh se kasrat kā sūd mil jāe.
Phil UrduGeoR 4:18  Yihī merī rasīd hai. Maiṅ ne pūrī raqam wasūl pāī hai balki ab mere pās zarūrat se zyādā hai. Jab se mujhe Ipafruditus ke hāth āp kā hadiyā mil gayā hai mere pās bahut kuchh hai. Yih ḳhushbūdār aur qābil-e-qabūl qurbānī Allāh ko pasandīdā hai.
Phil UrduGeoR 4:19  Jawāb meṅ merā Ḳhudā apnī us jalālī daulat ke muwāfiq jo Masīh Īsā meṅ hai āp kī tamām zarūriyāt pūrī kare.
Phil UrduGeoR 4:20  Allāh hamāre Bāp kā jalāl azal se abad tak ho. Āmīn.
Phil UrduGeoR 4:21  Tamām maqāmī muqaddasīn ko Masīh Īsā meṅ merā salām denā. Jo bhāī mere sāth haiṅ wuh āp ko salām kahte haiṅ.
Phil UrduGeoR 4:22  Yahāṅ ke tamām muqaddasīn āp ko salām kahte haiṅ, ḳhāskar shahanshāh ke gharāne ke bhāī aur bahneṅ.
Phil UrduGeoR 4:23  Ḳhudāwand Īsā Masīh kā fazl āp kī rūh ke sāth rahe. Āmīn.