Toggle notes
Chapter 1
Gala | UrduGeoR | 1:1 | Yih ḳhat Paulus rasūl kī taraf se hai. Mujhe na kisī guroh ne muqarrar kiyā na kisī shaḳhs ne balki Īsā Masīh aur Ḳhudā Bāp ne jis ne use murdoṅ meṅ se zindā kar diyā. | |
Gala | UrduGeoR | 1:4 | Masīh wuhī hai jis ne apne āp ko hamāre gunāhoṅ kī ḳhātir qurbān kar diyā aur yoṅ hameṅ is maujūdā sharīr jahān se bachā liyā hai, kyoṅki yih Allāh hamāre Bāp kī marzī thī. | |
Gala | UrduGeoR | 1:6 | Maiṅ hairān hūṅ! Āp itnī jaldī se use tark kar rahe haiṅ jis ne Masīh ke fazl se āp ko bulāyā. Aur ab āp ek farq qism kī “Ḳhushḳhabrī” ke pīchhe lag gae haiṅ. | |
Gala | UrduGeoR | 1:7 | Asal meṅ yih Allāh kī ḳhushḳhabrī hai nahīṅ. Bas kuchh log āp ko uljhan meṅ ḍāl kar Masīh kī ḳhushḳhabrī meṅ tabdīlī lānā chāhte haiṅ. | |
Gala | UrduGeoR | 1:8 | Ham ne to aslī ḳhushḳhabrī sunāī aur jo is se farq paiġhām sunātā hai us par lānat, ḳhāh ham ḳhud aisā kareṅ ḳhāh āsmān se koī farishtā utar kar yih ġhalat paiġhām sunāe. | |
Gala | UrduGeoR | 1:9 | Ham yih pahle bayān kar chuke haiṅ aur ab maiṅ dubārā kahtā hūṅ ki agar koī āp ko aisī “Ḳhushḳhabrī” sunāe jo us se farq hai jise āp ne qabūl kiyā hai to us par lānat! | |
Gala | UrduGeoR | 1:10 | Kyā maiṅ is meṅ yih koshish kar rahā hūṅ ki log mujhe qabūl kareṅ? Hargiz nahīṅ! Maiṅ chāhtā hūṅ ki Allāh mujhe qabūl kare. Kyā merī koshish yih hai ki maiṅ logoṅ ko pasand āūṅ? Agar maiṅ ab tak aisā kartā to Masīh kā ḳhādim na hotā. | |
Gala | UrduGeoR | 1:11 | Bhāiyo, maiṅ chāhtā hūṅ ki āp jān leṅ ki jo ḳhushḳhabrī maiṅ ne sunāī wuh insān kī taraf se nahīṅ hai. | |
Gala | UrduGeoR | 1:12 | Na mujhe yih paiġhām kisī insān se milā, na yih mujhe kisī ne sikhāyā hai balki Īsā Masīh ne ḳhud mujh par yih paiġhām zāhir kiyā. | |
Gala | UrduGeoR | 1:13 | Āp ne to ḳhud sun liyā hai ki maiṅ us waqt kis tarah zindagī guzārtā thā jab Yahūdī mazhab kā pairokār thā. Us waqt maiṅ ne kitne josh aur shiddat se Allāh kī jamāt ko īzā pahuṅchāī. Merī pūrī koshish yih thī ki yih jamāt ḳhatm ho jāe. | |
Gala | UrduGeoR | 1:14 | Yahūdī mazhab ke lihāz se maiṅ aksar dīgar hamumr Yahūdiyoṅ par sabqat le gayā thā. Hāṅ, maiṅ apne bāpdādā kī riwāyatoṅ kī pairawī meṅ had se zyādā sargarm thā. | |
Gala | UrduGeoR | 1:15 | Lekin Allāh ne apne fazl se mujhe paidā hone se peshtar hī chun kar apnī ḳhidmat karne ke lie bulāyā. Aur jab us ne apnī marzī se | |
Gala | UrduGeoR | 1:16 | apne Farzand ko mujh par zāhir kiyā tāki maiṅ us ke bāre meṅ Ġhairyahūdiyoṅ ko ḳhushḳhabrī sunāūṅ to maiṅ ne kisī bhī shaḳhs se mashwarā na liyā. | |
Gala | UrduGeoR | 1:17 | Us waqt maiṅ Yarūshalam bhī na gayā tāki un se milūṅ jo mujh se pahle rasūl the balki maiṅ sīdhā Arab chalā gayā aur bād meṅ Damishq wāpas āyā. | |
Gala | UrduGeoR | 1:18 | Is ke tīn sāl bād hī maiṅ Patras se shanāsā hone ke lie Yarūshalam gayā. Wahāṅ maiṅ pandrah din us ke sāth rahā. | |
Gala | UrduGeoR | 1:19 | Is ke alāwā maiṅ ne sirf Ḳhudāwand ke bhāī Yāqūb ko dekhā, kisī aur rasūl ko nahīṅ. | |
Gala | UrduGeoR | 1:20 | Jo kuchh maiṅ likh rahā hūṅ Allāh gawāh hai ki wuh sahīh hai. Maiṅ jhūṭ nahīṅ bol rahā. | |
Gala | UrduGeoR | 1:23 | Un tak sirf yih ḳhabar pahuṅchī thī ki jo ādmī pahle hameṅ īzā pahuṅchā rahā thā wuh ab ḳhud us īmān kī ḳhushḳhabrī sunātā hai jise wuh pahle ḳhatm karnā chāhtā thā. | |
Chapter 2
Gala | UrduGeoR | 2:1 | Chaudah sāl ke bād maiṅ dubārā Yarūshalam gayā. Is dafā Barnabās sāth thā. Maiṅ Titus ko bhī sāth le kar gayā. | |
Gala | UrduGeoR | 2:2 | Maiṅ ek mukāshafe kī wajah se gayā jo Allāh ne mujh par zāhir kiyā thā. Merī alahdagī meṅ un ke sāth mīṭing huī jo asar-o-rasūḳh rakhte haiṅ. Is meṅ maiṅ ne unheṅ wuh ḳhushḳhabrī pesh kī jo maiṅ Ġhairyahūdiyoṅ ko sunātā hūṅ. Maiṅ nahīṅ chāhtā thā ki jo dauṛ maiṅ dauṛ rahā hūṅ yā māzī meṅ dauṛā thā wuh āḳhirkār befāydā nikle. | |
Gala | UrduGeoR | 2:3 | Us waqt wuh yahāṅ tak mere haq meṅ the ki unhoṅ ne Titus ko bhī apnā ḳhatnā karwāne par majbūr nahīṅ kiyā, agarche wuh Ġhairyahūdī hai. | |
Gala | UrduGeoR | 2:4 | Aur chand yihī chāhte the. Lekin yih jhūṭe bhāī the jo chupke se andar ghus āe the tāki jāsūs ban kar hamārī us āzādī ke bāre meṅ mālūmāt hāsil kar leṅ jo hameṅ Masīh meṅ milī hai. Yih hameṅ ġhulām banānā chāhte the, | |
Gala | UrduGeoR | 2:5 | lekin ham ne lamhā-bhar un kī bāt na mānī aur na un ke tābe hue tāki Allāh kī ḳhushḳhabrī kī sachchāī āp ke darmiyān qāym rahe. | |
Gala | UrduGeoR | 2:6 | Aur jo rāhnumā samjhe jāte the unhoṅ ne merī bāt meṅ koī izāfā na kiyā. (Asl meṅ mujhe koī parwā nahīṅ ki un kā asar-o-rasūḳh thā ki nahīṅ. Allāh to insān kī zāhirī hālat kā lihāz nahīṅ kartā.) | |
Gala | UrduGeoR | 2:7 | Baharhāl unhoṅ ne dekhā ki Allāh ne mujhe Ġhairyahūdiyoṅ ko Masīh kī ḳhushḳhabrī sunāne kī zimmedārī dī thī, bilkul usī tarah jis tarah us ne Patras ko Yahūdiyoṅ ko yih paiġhām sunāne kī zimmedārī dī thī. | |
Gala | UrduGeoR | 2:8 | Kyoṅki jo kām Allāh Yahūdiyoṅ ke rasūl Patras kī ḳhidmat ke wasīle se kar rahā thā wuhī kām wuh mere wasīle se bhī kar rahā thā, jo Ġhairyahūdiyoṅ kā rasūl hūṅ. | |
Gala | UrduGeoR | 2:9 | Yāqūb, Patras aur Yūhannā ko jamāt ke satūn mānā jātā thā. Jab unhoṅ ne jān liyā ki Allāh ne is nāte se mujhe ḳhās fazl diyā hai to unhoṅ ne mujh se aur Barnabās se dahnā hāth milā kar is kā izhār kiyā ki wuh hamāre sāth haiṅ. Yoṅ ham muttafiq hue ki Barnabās aur maiṅ Ġhairyahūdiyoṅ meṅ ḳhidmat kareṅge aur wuh Yahūdiyoṅ meṅ. | |
Gala | UrduGeoR | 2:10 | Unhoṅ ne sirf ek bāt par zor diyā ki ham zarūratmandoṅ ko yād rakheṅ, wuhī bāt jise maiṅ hameshā karne ke lie koshāṅ rahā hūṅ. | |
Gala | UrduGeoR | 2:11 | Lekin jab Patras Antākiyā Shahr āyā to maiṅ ne rūbarū us kī muḳhālafat kī, kyoṅki wuh apne rawaiye ke sabab se mujrim ṭhahrā. | |
Gala | UrduGeoR | 2:12 | Jab wuh āyā to pahle wuh Ġhairyahūdī īmāndāroṅ ke sāth khānā khātā rahā. Lekin phir Yāqūb ke kuchh azīz āe. Usī waqt Patras pīchhe haṭ kar Ġhairyahūdiyoṅ se alag huā, kyoṅki wuh un se ḍartā thā jo Ġhairyahūdiyoṅ kā ḳhatnā karwāne ke haq meṅ the. | |
Gala | UrduGeoR | 2:13 | Bāqī Yahūdī bhī is riyākārī meṅ shāmil hue, yahāṅ tak ki Barnabās ko bhī un kī riyākārī se bahkāyā gayā. | |
Gala | UrduGeoR | 2:14 | Jab maiṅ ne dekhā ki wuh us sīdhī rāh par nahīṅ chal rahe haiṅ jo Allāh kī ḳhushḳhabrī kī sachchāī par mabnī hai to maiṅ ne sab ke sāmne Patras se kahā, “Āp Yahūdī haiṅ. Lekin āp Ġhairyahūdī kī tarah zindagī guzār rahe haiṅ, Yahūdī kī tarah nahīṅ. To phir yih kaisī bāt hai ki āp Ġhairyahūdiyoṅ ko Yahūdī riwāyāt kī pairawī karne par majbūr kar rahe haiṅ?” | |
Gala | UrduGeoR | 2:16 | Lekin ham jānte haiṅ ki insān ko sharīat kī pairawī karne se rāstbāz nahīṅ ṭhahrāyā jātā balki Īsā Masīh par īmān lāne se. Ham bhī Masīh Īsā par īmān lāe haiṅ tāki hameṅ rāstbāz qarār diyā jāe, sharīat kī pairawī karne se nahīṅ balki Masīh par īmān lāne se. Kyoṅki sharīat kī pairawī karne se kisī ko bhī rāstbāz qarār nahīṅ diyā jāegā. | |
Gala | UrduGeoR | 2:17 | Lekin agar Masīh meṅ rāstbāz ṭhaharne kī koshish karte karte ham ḳhud gunāhgār sābit ho jāeṅ to kyā is kā matlab yih hai ki Masīh gunāh kā ḳhādim hai? Hargiz nahīṅ! | |
Gala | UrduGeoR | 2:18 | Agar maiṅ sharīat ke us nizām ko dubārā tāmīr karūṅ jo maiṅ ne ḍhā diyā to phir maiṅ zāhir kartā hūṅ ki maiṅ mujrim hūṅ. | |
Gala | UrduGeoR | 2:19 | Kyoṅki jahāṅ tak sharīat kā tālluq hai maiṅ murdā hūṅ. Mujhe sharīat hī se mārā gayā hai tāki Allāh ke lie jī sakūṅ. Mujhe Masīh ke sāth maslūb kiyā gayā | |
Gala | UrduGeoR | 2:20 | aur yoṅ maiṅ ḳhud zindā na rahā balki Masīh mujh meṅ zindā hai. Ab jo zindagī maiṅ is jism meṅ guzārtā hūṅ wuh Allāh ke Farzand par īmān lāne se guzārtā hūṅ. Usī ne mujh se muhabbat rakh kar mere lie apnī jān dī. | |
Chapter 3
Gala | UrduGeoR | 3:1 | Nāsamajh Galatiyo! Kis ne āp par jādū kar diyā? Āp kī āṅkhoṅ ke sāmne hī Īsā Masīh aur us kī salībī maut ko sāf sāf pesh kiyā gayā. | |
Gala | UrduGeoR | 3:2 | Mujhe ek bāt batāeṅ, kyā āp ko sharīat kī pairawī karne se Rūhul-quds milā? Hargiz nahīṅ! Wuh āp ko us waqt milā jab āp Masīh ke bāre meṅ paiġhām sun kar us par īmān lāe. | |
Gala | UrduGeoR | 3:3 | Kyā āp itne besamajh haiṅ? Āp kī ruhānī zindagī Rūhul-quds ke wasīle se shurū huī. To ab āp yih kām apnī insānī koshishoṅ se kis tarah takmīl tak pahuṅchānā chāhte haiṅ? | |
Gala | UrduGeoR | 3:4 | Āp ko kaī tarah ke tajrabe hāsil hue haiṅ. Kyā yih sab befāydā the? Yaqīnan yih befāydā nahīṅ the. | |
Gala | UrduGeoR | 3:5 | Kyā Allāh is lie āp ko apnā Rūh detā aur āp ke darmiyān mojize kartā hai ki āp sharīat kī pairawī karte haiṅ? Hargiz nahīṅ, balki is lie ki āp Masīh ke bāre meṅ paiġhām sun kar īmān lāe haiṅ. | |
Gala | UrduGeoR | 3:6 | Ibrāhīm kī misāl leṅ. Us ne Allāh par bharosā kiyā aur is binā par Allāh ne use rāstbāz qarār diyā. | |
Gala | UrduGeoR | 3:7 | To phir āp ko jān lenā chāhie ki Ibrāhīm kī haqīqī aulād wuh log haiṅ jo īmān rakhte haiṅ. | |
Gala | UrduGeoR | 3:8 | Kalām-e-muqaddas ne is bāt kī peshgoī kī ki Allāh Ġhairyahūdiyoṅ ko īmān ke zariye rāstbāz qarār degā. Yoṅ us ne Ibrāhīm ko yih ḳhushḳhabrī sunāī, “Tamām qaumeṅ tujh se barkat pāeṅgī.” | |
Gala | UrduGeoR | 3:9 | Ibrāhīm īmān lāyā, is lie use barkat milī. Isī tarah sab ko īmān lāne par Ibrāhīm kī-sī barkat miltī hai. | |
Gala | UrduGeoR | 3:10 | Lekin jo bhī is par takiyā karte haiṅ ki hameṅ sharīat kī pairawī karne se rāstbāz qarār diyā jāegā un par Allāh kī lānat hai. Kyoṅki kalām-e-muqaddas farmātā hai, “Har ek par lānat jo Sharīat kī Kitāb kī tamām bāteṅ qāym na rakhe, na in par amal kare.” | |
Gala | UrduGeoR | 3:11 | Yih bāt to sāf hai ki Allāh kisī ko bhī sharīat kī pairawī karne kī binā par rāstbāz nahīṅ ṭhahrātā, kyoṅki kalām-e-muqaddas ke mutābiq rāstbāz īmān hī se jītā rahegā. | |
Gala | UrduGeoR | 3:12 | Īmān kī yih rāh sharīat kī rāh se bilkul farq hai jo kahtī hai, “Jo yoṅ karegā wuh jītā rahegā.” | |
Gala | UrduGeoR | 3:13 | Lekin Masīh ne hamārā fidyā de kar hameṅ sharīat kī lānat se āzād kar diyā hai. Yih us ne is tarah kiyā ki wuh hamārī ḳhātir ḳhud lānat banā. Kyoṅki kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai, “Jise bhī daraḳht se laṭkāyā gayā hai us par Allāh kī lānat hai.” | |
Gala | UrduGeoR | 3:14 | Is kā maqsad yih thā ki jo barkat Ibrāhīm ko hāsil huī wuh Masīh ke wasīle se Ġhairyahūdiyoṅ ko bhī mile aur yoṅ ham īmān lā kar wādā kiyā huā Rūh pāeṅ. | |
Gala | UrduGeoR | 3:15 | Bhāiyo, insānī zindagī kī ek misāl leṅ. Jab do pārṭiyāṅ kisī muāmale meṅ muttafiq ho kar muāhadā kartī haiṅ to koī is muāhade ko mansūḳh yā is meṅ izāfā nahīṅ kar saktā. | |
Gala | UrduGeoR | 3:16 | Ab ġhaur kareṅ ki Allāh ne apne wāde Ibrāhīm aur us kī aulād se hī kie. Lekin jo lafz Ibrānī meṅ aulād ke lie istemāl huā hai is se murād bahut-se afrād nahīṅ balki ek fard hai aur wuh hai Masīh. | |
Gala | UrduGeoR | 3:17 | Kahne se murād yih hai ki Allāh ne Ibrāhīm se ahd bāndh kar use qāym rakhne kā wādā kiyā. Sharīat jo 430 sāl ke bād dī gaī is ahd ko radd karke Allāh kā wādā mansūḳh nahīṅ kar saktī. | |
Gala | UrduGeoR | 3:18 | Kyoṅki agar Ibrāhīm kī mīrās sharīat kī pairawī karne se miltī to phir wuh Allāh ke wāde par munhasir na hotī. Lekin aisā nahīṅ thā. Allāh ne ise apne wāde kī binā par Ibrāhīm ko de diyā. | |
Gala | UrduGeoR | 3:19 | To phir sharīat kā kyā maqsad thā? Use is lie wāde ke alāwā diyā gayā tāki logoṅ ke gunāhoṅ ko zāhir kare. Aur use us waqt tak qāym rahnā thā jab tak Ibrāhīm kī wuh aulād na ā jātī jis se wādā kiyā gayā thā. Allāh ne apnī sharīat farishtoṅ ke wasīle se Mūsā ko de dī jo Allāh aur logoṅ ke bīch meṅ darmiyānī rahā. | |
Gala | UrduGeoR | 3:20 | Ab darmiyānī us waqt zarūrī hotā hai jab ek se zyādā pārṭiyoṅ meṅ ittafāq karāne kī zarūrat hai. Lekin Allāh jo ek hī hai us ne darmiyānī istemāl na kiyā jab us ne Ibrāhīm se wādā kiyā. | |
Gala | UrduGeoR | 3:21 | To kyā is kā matlab yih hai ki sharīat Allāh ke wādoṅ ke ḳhilāf hai? Hargiz nahīṅ! Agar insān ko aisī sharīat milī hotī jo zindagī dilā saktī to phir sab us kī pairawī karne se rāstbāz ṭhaharte. | |
Gala | UrduGeoR | 3:22 | Lekin kalām-e-muqaddas farmātā hai ki pūrī duniyā gunāh ke qabze meṅ hai. Chunāṅche hameṅ Allāh kā wādā sirf Īsā Masīh par īmān lāne se hāsil hotā hai. | |
Gala | UrduGeoR | 3:23 | Is se pahle ki īmān kī yih rāh dastyāb huī sharīat ne hameṅ qaid karke mahfūz rakhā thā. Is qaid meṅ ham us waqt tak rahe jab tak īmān kī rāh zāhir nahīṅ huī thī. | |
Gala | UrduGeoR | 3:24 | Yoṅ sharīat ko hamārī tarbiyat karne kī zimmedārī dī gaī. Use hameṅ Masīh tak pahuṅchānā thā tāki hameṅ īmān se rāstbāz qarār diyā jāe. | |
Gala | UrduGeoR | 3:25 | Ab chūṅki īmān kī rāh ā gaī hai is lie ham sharīat kī tarbiyat ke taht nahīṅ rahe. | |
Gala | UrduGeoR | 3:28 | Ab na Yahūdī rahā na Ġhairyahūdī, na ġhulām rahā na āzād, na mard rahā na aurat. Masīh Īsā meṅ āp sab ke sab ek haiṅ. | |
Chapter 4
Gala | UrduGeoR | 4:1 | Dekheṅ, jo beṭā apne bāp kī milkiyat kā wāris hai wuh us waqt tak ġhulāmoṅ se farq nahīṅ jab tak wuh bāliġh na ho, hālāṅki wuh pūrī milkiyat kā mālik hai. | |
Gala | UrduGeoR | 4:2 | Bāp kī taraf se muqarrar kī huī umr tak dūsre us kī dekh-bhāl karte aur us kī milkiyat saṅbhālte haiṅ. | |
Gala | UrduGeoR | 4:4 | Lekin jab muqarrarā waqt ā gayā to Allāh ne apne Farzand ko bhej diyā. Ek aurat se paidā ho kar wuh sharīat ke tābe huā | |
Gala | UrduGeoR | 4:5 | tāki fidyā de kar hameṅ jo sharīat ke tābe the āzād kar de. Yoṅ hameṅ Allāh ke farzand hone kā martabā milā hai. | |
Gala | UrduGeoR | 4:6 | Ab chūṅki āp us ke farzand haiṅ is lie Allāh ne apne Farzand ke Rūh ko hamāre diloṅ meṅ bhej diyā, wuh Rūh jo “Abbā” yānī “Ai Bāp” kah kar pukārtā rahtā hai. | |
Gala | UrduGeoR | 4:7 | Ġharz ab āp ġhulām na rahe balki beṭe kī haisiyat rakhte haiṅ. Aur beṭā hone kā yih matlab hai ki Allāh ne āp ko wāris bhī banā diyā hai. | |
Gala | UrduGeoR | 4:8 | Māzī meṅ jab āp Allāh ko nahīṅ jānte the to āp un ke ġhulām the jo haqīqat meṅ Ḳhudā nahīṅ haiṅ. | |
Gala | UrduGeoR | 4:9 | Lekin ab āp Allāh ko jānte haiṅ, balki ab Allāh ne āp ko jān liyā hai. To phir āp muṛ kar in kamzor aur ghaṭiyā usūloṅ kī taraf kyoṅ wāpas jāne lage haiṅ? Kyā āp dubārā in kī ġhulāmī meṅ ānā chāhte haiṅ? | |
Gala | UrduGeoR | 4:12 | Bhāiyo, maiṅ āp se iltijā kartā hūṅ ki merī mānind ban jāeṅ, kyoṅki maiṅ to āp kī mānind ban gayā hūṅ. Āp ne mere sāth koī ġhalat sulūk nahīṅ kiyā. | |
Gala | UrduGeoR | 4:13 | Āp ko mālūm hai ki jab maiṅ ne pahlī dafā āp ko Allāh kī ḳhushḳhabrī sunāī to is kī wajah mere jism kī kamzor hālat thī. | |
Gala | UrduGeoR | 4:14 | Lekin agarche merī yih hālat āp ke lie āzmāish kā bāis thī to bhī āp ne mujhe haqīr na jānā, na mujhe nīch samjhā, balki āp ne mujhe yoṅ ḳhushāmdīd kahā jaisā ki maiṅ Allāh kā koī farishtā yā Masīh Īsā ḳhud hūṅ. | |
Gala | UrduGeoR | 4:15 | Us waqt āp itne ḳhush the! Ab kyā huā hai? Maiṅ gawāh hūṅ, us waqt agar āp ko mauqā miltā to āp apnī āṅkheṅ nikāl kar mujhe de dete. | |
Gala | UrduGeoR | 4:17 | Wuh dūsre log āp kī dostī pāne kī pūrī jidd-o-jahd kar rahe haiṅ, lekin un kī nīyat sāf nahīṅ hai. Bas wuh āp ko mujh se judā karnā chāhte haiṅ tāki āp unhīṅ ke haq meṅ jidd-o-jahd karte raheṅ. | |
Gala | UrduGeoR | 4:18 | Jab log āp kī dostī pāne kī jidd-o-jahd karte haiṅ to yih hai to ṭhīk, lekin is kā maqsad achchhā honā chāhie. Hāṅ, sahīh jidd-o-jahd har waqt achchhī hotī hai, na sirf is waqt jab maiṅ āp ke darmiyān hūṅ. | |
Gala | UrduGeoR | 4:19 | Mere pyāre bachcho! Ab maiṅ dubārā āp ko janm dene kā-sā dard mahsūs kar rahā hūṅ aur us waqt tak kartā rahūṅgā jab tak Masīh āp meṅ sūrat na pakaṛe. | |
Gala | UrduGeoR | 4:20 | Kāsh maiṅ us waqt āp ke pās hotā tāki farq andāz meṅ āp se bāt kar saktā, kyoṅki maiṅ āp ke sabab se baṛī uljhan meṅ hūṅ! | |
Gala | UrduGeoR | 4:21 | Āp jo sharīat ke tābe rahnā chāhte haiṅ mujhe ek bāt batāeṅ, kyā āp wuh bāt nahīṅ sunte jo sharīat kahtī hai? | |
Gala | UrduGeoR | 4:22 | Wuh kahtī hai ki Ibrāhīm ke do beṭe the. Ek launḍī kā beṭā thā, ek āzād aurat kā. | |
Gala | UrduGeoR | 4:23 | Launḍī ke beṭe kī paidāish hasb-e-māmūl thī, lekin āzād aurat ke beṭe kī paidāish ġhairmāmūlī thī, kyoṅki us meṅ Allāh kā wādā pūrā huā. | |
Gala | UrduGeoR | 4:24 | Jab yih kināyatan samjhā jāe to yih do ḳhawātīn Allāh ke do ahdoṅ kī numāindagī kartī haiṅ. Pahlī ḳhātūn Hājirā Sīnā Pahāṛ par bandhe hue ahd kī numāindagī kartī hai, aur jo bachche us se paidā hote haiṅ wuh ġhulāmī ke lie muqarrar haiṅ. | |
Gala | UrduGeoR | 4:25 | Hājirā jo Arab meṅ wāqe pahāṛ Sīnā kī alāmat hai maujūdā shahr Yarūshalam se mutābiqat rakhtī hai. Wuh aur us ke tamām bachche ġhulāmī meṅ zindagī guzārte haiṅ. | |
Gala | UrduGeoR | 4:27 | Kyoṅki kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai, “Ḳhush ho jā, tū jo beaulād hai, jo bachche ko janm hī nahīṅ de saktī. Buland āwāz se shādiyānā bajā, tū jise paidāish kā dard na huā. Kyoṅki ab tark kī huī aurat ke bachche shādīshudā aurat ke bachchoṅ se zyādā haiṅ.” | |
Gala | UrduGeoR | 4:29 | Us waqt Ismāīl ne jo hasb-e-māmūl paidā huā thā Is'hāq ko satāyā jo Rūhul-quds kī qudrat se paidā huā thā. Āj bhī aisā hī hai. | |
Gala | UrduGeoR | 4:30 | Lekin kalām-e-muqaddas meṅ kyā farmāyā gayā hai? “Is launḍī aur is ke beṭe ko ghar se nikāl deṅ, kyoṅki wuh āzād aurat ke beṭe ke sāth wirsā nahīṅ pāegā.” | |
Chapter 5
Gala | UrduGeoR | 5:1 | Masīh ne hameṅ āzād rahne ke lie hī āzād kiyā hai. To ab qāym raheṅ aur dubārā apne gale meṅ ġhulāmī kā juā ḍālne na deṅ. | |
Gala | UrduGeoR | 5:2 | Suneṅ! Maiṅ Paulus āp ko batātā hūṅ ki agar āp apnā ḳhatnā karwāeṅ to āp ko Masīh kā koī fāydā nahīṅ hogā. | |
Gala | UrduGeoR | 5:3 | Maiṅ ek bār phir is bāt kī tasdīq kartā hūṅ ki jis ne bhī apnā ḳhatnā karwāyā us kā farz hai ki wuh pūrī sharīat kī pairawī kare. | |
Gala | UrduGeoR | 5:4 | Āp jo sharīat kī pairawī karne se rāstbāz bananā chāhte haiṅ āp kā Masīh ke sāth koī wāstā na rahā. Hāṅ, āp Allāh ke fazl se dūr ho gae haiṅ. | |
Gala | UrduGeoR | 5:5 | Lekin hameṅ ek farq ummīd dilāī gaī hai. Ummīd yih hai ki Ḳhudā hī hameṅ rāstbāz qarār detā hai. Chunāṅche ham Rūhul-quds ke bāis īmān rakh kar isī rāstbāzī ke lie taṛapte rahte haiṅ. | |
Gala | UrduGeoR | 5:6 | Kyoṅki jab ham Masīh Īsā meṅ hote haiṅ to ḳhatnā karwāne yā na karwāne se koī farq nahīṅ paṛtā. Farq sirf us īmān se paṛtā hai jo muhabbat karne se zāhir hotā hai. | |
Gala | UrduGeoR | 5:7 | Āp īmān kī dauṛ meṅ achchhī taraqqī kar rahe the! To phir kis ne āp ko sachchāī kī pairawī karne se rok liyā? | |
Gala | UrduGeoR | 5:10 | Mujhe Ḳhudāwand meṅ āp par itnā etamād hai ki āp yihī soch rakhte haiṅ. Jo bhī āp meṅ afrā-tafrī paidā kar rahā hai use sazā milegī. | |
Gala | UrduGeoR | 5:11 | Bhāiyo, jahāṅ tak merā tālluq hai, agar maiṅ yih paiġhām detā ki ab tak ḳhatnā karwāne kī zarūrat hai to merī īzārasānī kyoṅ ho rahī hotī? Agar aisā hotā to log Masīh ke maslūb hone ke bāre meṅ sun kar ṭhokar na khāte. | |
Gala | UrduGeoR | 5:12 | Behtar hai ki āp ko pareshān karne wāle na sirf apnā ḳhatnā karwāeṅ balki ḳhoje ban jāeṅ. | |
Gala | UrduGeoR | 5:13 | Bhāiyo, āp ko āzād hone ke lie bulāyā gayā hai. Lekin ḳhabardār raheṅ ki is āzādī se āp kī gunāhālūdā fitrat ko amal meṅ āne kā mauqā na mile. Is ke bajāe muhabbat kī rūh meṅ ek dūsre kī ḳhidmat kareṅ. | |
Gala | UrduGeoR | 5:14 | Kyoṅki pūrī sharīat ek hī hukm meṅ samāī huī hai, “Apne paṛosī se waisī muhabbat rakhnā jaisī tū apne āp se rakhtā hai.” | |
Gala | UrduGeoR | 5:15 | Agar āp ek dūsre ko kāṭte aur phāṛte haiṅ to ḳhabardār! Aisā na ho ki āp ek dūsre ko ḳhatm karke sab ke sab tabāh ho jāeṅ. | |
Gala | UrduGeoR | 5:16 | Maiṅ to yih kahtā hūṅ ki Rūhul-quds meṅ zindagī guzāreṅ. Phir āp apnī purānī fitrat kī ḳhāhishāt pūrī nahīṅ kareṅge. | |
Gala | UrduGeoR | 5:17 | Kyoṅki jo kuchh hamārī purānī fitrat chāhtī hai wuh us ke ḳhilāf hai jo Rūh chāhtā hai, aur jo kuchh Rūh chāhtā hai wuh us ke ḳhilāf hai jo hamārī purānī fitrat chāhtī hai. Yih donoṅ ek dūsre ke dushman haiṅ, is lie āp wuh kuchh nahīṅ kar pāte jo āp karnā chāhte haiṅ. | |
Gala | UrduGeoR | 5:19 | Jo kām purānī fitrat kartī hai wuh sāf zāhir hotā hai. Masalan zinākārī, nāpākī, aiyāshī, | |
Gala | UrduGeoR | 5:20 | butparastī, jādūgarī, dushmanī, jhagaṛā, hasad, ġhussā, ḳhudġharzī, anban, pārṭībāzī, | |
Gala | UrduGeoR | 5:21 | jalan, nashābāzī, rangraliyāṅ waġhairā. Maiṅ pahle bhī āp ko āgāh kar chukā hūṅ, lekin ab ek bār phir kahtā hūṅ ki jo is tarah kī zindagī guzārte haiṅ wuh Allāh kī bādshāhī mīrās meṅ nahīṅ pāeṅge. | |
Gala | UrduGeoR | 5:22 | Rūhul-quds kā phal farq hai. Wuh muhabbat, ḳhushī, sulah-salāmatī, sabr, mehrbānī, nekī, wafādārī, | |
Gala | UrduGeoR | 5:24 | Aur jo Masīh Īsā ke haiṅ unhoṅ ne apnī purānī fitrat ko us kī raġhbatoṅ aur burī ḳhāhishoṅ samet maslūb kar diyā hai. | |
Gala | UrduGeoR | 5:25 | Chūṅki ham Rūh meṅ zindagī guzārte haiṅ is lie āeṅ, ham qadam baqadam us ke mutābiq chalte bhī raheṅ. | |
Chapter 6
Gala | UrduGeoR | 6:1 | Bhāiyo, agar koī kisī gunāh meṅ phaṅs jāe to āp jo ruhānī haiṅ use narmdilī se bahāl kareṅ. Lekin apnā bhī ḳhayāl rakheṅ, aisā na ho ki āp bhī āzmāish meṅ phaṅs jāeṅ. | |
Gala | UrduGeoR | 6:2 | Bojh uṭhāne meṅ ek dūsre kī madad kareṅ, kyoṅki is tarah āp Masīh kī sharīat pūrī kareṅge. | |
Gala | UrduGeoR | 6:3 | Jo samajhtā hai ki maiṅ kuchh hūṅ agarche wuh haqīqat meṅ kuchh bhī nahīṅ hai to wuh apne āp ko fareb de rahā hai. | |
Gala | UrduGeoR | 6:4 | Har ek apnā zātī amal parkhe. Phir hī use apne āp par faḳhr kā mauqā hogā aur use kisī dūsre se apnā muwāzanā karne kī zarūrat na hogī. | |
Gala | UrduGeoR | 6:6 | Jise kalām-e-muqaddas kī tālīm dī jātī hai us kā farz hai ki wuh apne ustād ko apnī tamām achchhī chīzoṅ meṅ sharīk kare. | |
Gala | UrduGeoR | 6:7 | Fareb mat khānā, Allāh insān ko apnā mazāq uṛāne nahīṅ detā. Jo kuchh bhī insān botā hai usī kī fasal wuh kāṭegā. | |
Gala | UrduGeoR | 6:8 | Jo apnī purānī fitrat ke khet meṅ bīj boe wuh halākat kī fasal kāṭegā. Aur jo Rūhul-quds ke khet meṅ bīj boe wuh abadī zindagī kī fasal kāṭegā. | |
Gala | UrduGeoR | 6:9 | Chunāṅche ham nek kām karne meṅ bedil na ho jāeṅ, kyoṅki ham muqarrarā waqt par zarūr fasal kī kaṭāī kareṅge. Shart sirf yih hai ki ham hathiyār na ḍāleṅ. | |
Gala | UrduGeoR | 6:10 | Is lie āeṅ, jitnā waqt rah gayā hai sab ke sāth nekī kareṅ, ḳhāskar un ke sāth jo īmān meṅ hamāre bhāī aur bahneṅ haiṅ. | |
Gala | UrduGeoR | 6:12 | Yih log jo duniyā ke sāmne izzat hāsil karnā chāhte haiṅ āp ko ḳhatnā karwāne par majbūr karnā chāhte haiṅ. Maqsad un kā sirf ek hī hai, ki wuh us īzārasānī se bache raheṅ jo tab paidā hotī hai jab ham Masīh kī salībī maut kī tālīm dete haiṅ. | |
Gala | UrduGeoR | 6:13 | Bāt yih hai ki jo apnā ḳhatnā karāte haiṅ wuh ḳhud sharīat kī pairawī nahīṅ karte. To bhī yih chāhte haiṅ ki āp apnā ḳhatnā karwāeṅ tāki āp ke jism kī hālat par wuh faḳhr kar sakeṅ. | |
Gala | UrduGeoR | 6:14 | Lekin Ḳhudā kare ki maiṅ sirf hamāre Ḳhudāwand Īsā Masīh kī salīb hī par faḳhr karūṅ. Kyoṅki us kī salīb se duniyā mere lie maslūb huī hai aur maiṅ duniyā ke lie. | |
Gala | UrduGeoR | 6:15 | Ḳhatnā karwāne yā na karwāne se koī farq nahīṅ paṛtā balki farq us waqt paṛtā hai jab Allāh kisī ko nae sire se ḳhalaq kartā hai. | |
Gala | UrduGeoR | 6:16 | Jo bhī is usūl par amal karte haiṅ unheṅ salāmatī aur rahm hāsil hotā rahe, unheṅ bhī aur Allāh kī qaum Isrāīl ko bhī. | |
Gala | UrduGeoR | 6:17 | Āindā koī mujhe taklīf na de, kyoṅki mere jism par zaḳhmoṅ ke nishān zāhir karte haiṅ ki maiṅ Īsā kā ġhulām hūṅ. | |