Toggle notes
Chapter 1
Ezra | UrduGeoR | 1:1 | Fāras ke bādshāh Ḳhoras kī hukūmat ke pahle sāl meṅ Rab ne wuh kuchh pūrā hone diyā jis kī peshgoī us ne Yarmiyāh kī mārifat kī thī. Us ne Ḳhoras ko zail kā elān karne kī tahrīk dī. Yih elān zabānī aur tahrīrī taur par pūrī bādshāhī meṅ kiyā gayā. | |
Ezra | UrduGeoR | 1:2 | “Fāras kā bādshāh Ḳhoras farmātā hai, Rab āsmān ke Ḳhudā ne duniyā ke tamām mamālik mere hawāle kar die haiṅ. Us ne mujhe Yahūdāh ke shahr Yarūshalam meṅ us ke lie ghar banāne kī zimmedārī dī hai. | |
Ezra | UrduGeoR | 1:3 | Āp meṅ se jitne us kī qaum ke haiṅ Yarūshalam ke lie rawānā ho jāeṅ tāki wahāṅ Rab Isrāīl ke Ḳhudā ke lie ghar banāeṅ, us Ḳhudā ke lie jo Yarūshalam meṅ sukūnat kartā hai. Āp kā Ḳhudā āp ke sāth ho. | |
Ezra | UrduGeoR | 1:4 | Jahāṅ bhī Isrāīlī qaum ke bache hue log rahte haiṅ, wahāṅ un ke paṛosiyoṅ kā farz hai ki wuh sone-chāṅdī aur māl-maweshī se un kī madad kareṅ. Is ke alāwā wuh apnī ḳhushī se Yarūshalam meṅ Allāh ke ghar ke lie hadiye bhī deṅ.” | |
Ezra | UrduGeoR | 1:5 | Tab kuchh Isrāīlī rawānā ho kar Yarūshalam meṅ Rab ke ghar ko tāmīr karne kī taiyāriyāṅ karne lage. Un meṅ Yahūdāh aur Binyamīn ke ḳhāndānī sarparast, imām aur Lāwī shāmil the yānī jitne logoṅ ko Allāh ne tahrīk dī thī. | |
Ezra | UrduGeoR | 1:6 | Un ke tamām paṛosiyoṅ ne unheṅ sonā-chāṅdī aur māl-maweshī de kar un kī madad kī. Is ke alāwā unhoṅ ne apnī ḳhushī se bhī Rab ke ghar ke lie hadiye die. | |
Ezra | UrduGeoR | 1:7 | Ḳhoras Bādshāh ne wuh chīzeṅ wāpas kar dīṅ jo Nabūkadnazzar ne Yarūshalam meṅ Rab ke ghar se lūṭ kar apne dewatā ke mandir meṅ rakh dī thīṅ. | |
Ezra | UrduGeoR | 1:8 | Unheṅ nikāl kar Fāras ke bādshāh ne Mitradāt ḳhazāṅchī ke hawāle kar diyā jis ne sab kuchh gin kar Yahūdāh ke buzurg Shesbazzar ko de diyā. | |
Ezra | UrduGeoR | 1:9 | Jo fahrist us ne likhī us meṅ zail kī chīzeṅ thīṅ: sone ke 30 bāsan, chāṅdī ke 1,000 bāsan, 29 chhuriyāṅ, | |
Chapter 2
Ezra | UrduGeoR | 2:1 | Zail meṅ Yahūdāh ke un logoṅ kī fahrist hai jo jilāwatanī se wāpas āe. Bābal kā bādshāh Nabūkadnazzar unheṅ qaid karke Bābal le gayā thā, lekin ab wuh Yarūshalam aur Yahūdāh ke un shahroṅ meṅ phir jā base jahāṅ un ke ḳhāndān pahle rahte the. | |
Ezra | UrduGeoR | 2:2 | Un ke rāhnumā Zarubbābal, Yashua, Nahmiyāh, Sirāyāh, Rālāyāh, Mardakī, Bilshān, Misfār, Bigwī, Rahūm aur Bānā the. Zail kī fahrist meṅ wāpas āe hue ḳhāndānoṅ ke mard bayān kie gae haiṅ. | |
Ezra | UrduGeoR | 2:36 | Zail ke imām jilāwatanī se wāpas āe. Yadāyāh kā ḳhāndān jo Yashua kī nasl kā thā: 973, | |
Ezra | UrduGeoR | 2:40 | Zail ke Lāwī jilāwatanī se wāpas āe. Yashua aur Qadmiyel kā ḳhāndān yānī Hūdāwiyāh kī aulād: 74, | |
Ezra | UrduGeoR | 2:42 | Rab ke ghar ke darbān: Sallūm, Atīr, Talmūn, Aqqūb, Ḳhatītā aur Sobī ke ḳhāndānoṅ ke 139 ādmī. | |
Ezra | UrduGeoR | 2:43 | Rab ke ghar ke ḳhidmatgāroṅ ke darj-e-zail ḳhāndān jilāwatanī se wāpas āe. Zīhā, Hasūfā, Tabbāot, | |
Ezra | UrduGeoR | 2:55 | Sulemān ke ḳhādimoṅ ke darj-e-zail ḳhāndān jilāwatanī se wāpas āe. Sūtī, Sūfirat, Farūdā, | |
Ezra | UrduGeoR | 2:58 | Rab ke ghar ke ḳhidmatgāroṅ aur Sulemān ke ḳhādimoṅ ke ḳhāndānoṅ meṅ se wāpas āe hue mardoṅ kī tādād 392 thī. | |
Ezra | UrduGeoR | 2:59 | Wāpas āe hue ḳhāndānoṅ Dilāyāh, Tūbiyāh aur Naqūdā ke 652 mard sābit na kar sake ki Isrāīl kī aulād haiṅ, go wuh Tal-milah, Tal-harshā, Karūb, Addūn aur Immer ke rahne wāle the. | |
Ezra | UrduGeoR | 2:60 | Wāpas āe hue ḳhāndānoṅ Dilāyāh, Tūbiyāh aur Naqūdā ke 652 mard sābit na kar sake ki Isrāīl kī aulād haiṅ, go wuh Tal-milah, Tal-harshā, Karūb, Addūn aur Immer ke rahne wāle the. | |
Ezra | UrduGeoR | 2:61 | Habāyāh, Haqqūz aur Barzillī ke ḳhāndānoṅ ke kuchh imām bhī wāpas āe, lekin unheṅ Rab ke ghar meṅ ḳhidmat karne kī ijāzat na milī. Kyoṅki go unhoṅ ne nasabnāme meṅ apne nām talāsh kie un kā kahīṅ zikr na milā, is lie unheṅ nāpāk qarār diyā gayā. (Barzillī ke ḳhāndān ke bānī ne Barzillī Jiliyādī kī beṭī se shādī karke apne susar kā nām apnā liyā thā.) | |
Ezra | UrduGeoR | 2:62 | Habāyāh, Haqqūz aur Barzillī ke ḳhāndānoṅ ke kuchh imām bhī wāpas āe, lekin unheṅ Rab ke ghar meṅ ḳhidmat karne kī ijāzat na milī. Kyoṅki go unhoṅ ne nasabnāme meṅ apne nām talāsh kie un kā kahīṅ zikr na milā, is lie unheṅ nāpāk qarār diyā gayā. (Barzillī ke ḳhāndān ke bānī ne Barzillī Jiliyādī kī beṭī se shādī karke apne susar kā nām apnā liyā thā.) | |
Ezra | UrduGeoR | 2:63 | Yahūdāh ke gawarnar ne hukm diyā ki in tīn ḳhāndānoṅ ke imām filhāl qurbāniyoṅ kā wuh hissā khāne meṅ sharīk na hoṅ jo imāmoṅ ke lie muqarrar hai. Jab dubārā imām-e-āzam muqarrar kiyā jāe to wuhī Ūrīm aur Tummīm nāmī qurā ḍāl kar muāmalā hal kare. | |
Ezra | UrduGeoR | 2:65 | nīz un ke 7,337 ġhulām aur launḍiyāṅ aur 200 gulūkār jin meṅ mard-o-ḳhawātīn shāmil the. | |
Ezra | UrduGeoR | 2:68 | Jab wuh Yarūshalam meṅ Rab ke ghar ke pās pahuṅche to kuchh ḳhāndānī sarparastoṅ ne apnī ḳhushī se hadiye die tāki Allāh kā ghar nae sire se us jagah tāmīr kiyā jā sake jahāṅ pahle thā. | |
Ezra | UrduGeoR | 2:69 | Har ek ne utnā de diyā jitnā de sakā. Us waqt sone ke kul 61,000 sikke, chāṅdī ke 2,800 kilogrām aur imāmoṅ ke 100 libās jamā hue. | |
Chapter 3
Ezra | UrduGeoR | 3:1 | Sātweṅ mahīne kī ibtidā meṅ pūrī qaum Yarūshalam meṅ jamā huī. Us waqt Isrāīlī apnī ābādiyoṅ meṅ dubārā ābād ho gae the. | |
Ezra | UrduGeoR | 3:2 | Jamā hone kā maqsad Isrāīl ke Ḳhudā kī qurbāngāh ko nae sire se tāmīr karnā thā tāki mard-e-Ḳhudā Mūsā kī sharīat ke mutābiq us par bhasm hone wālī qurbāniyāṅ pesh kī jā sakeṅ. Chunāṅche Yashua bin Yūsadaq aur Zarubbābal bin Siyāltiyel kām meṅ lag gae. Yashua ke imām bhāiyoṅ aur Zarubbābal ke bhāiyoṅ ne un kī madad kī. | |
Ezra | UrduGeoR | 3:3 | Go wuh mulk meṅ rahne wālī dīgar qaumoṅ se sahme hue the tāham unhoṅ ne qurbāngāh ko us kī purānī buniyād par tāmīr kiyā aur subah-shām us par Rab ko bhasm hone wālī qurbāniyāṅ pesh karne lage. | |
Ezra | UrduGeoR | 3:4 | Jhoṅpṛiyoṅ kī Īd unhoṅ ne sharīat kī hidāyat ke mutābiq manāī. Us hafte ke har din unhoṅ ne bhasm hone wālī utnī qurbāniyāṅ chaṛhāīṅ jitnī zarūrī thīṅ. | |
Ezra | UrduGeoR | 3:5 | Us waqt se imām bhasm hone wālī tamām darkār qurbāniyāṅ bāqāydagī se pesh karne lage, nīz Nae Chāṅd kī Īdoṅ aur Rab kī bāqī maḳhsūs-o-muqaddas īdoṅ kī qurbāniyāṅ. Qaum apnī ḳhushī se bhī Rab ko qurbāniyāṅ pesh kartī thī. | |
Ezra | UrduGeoR | 3:6 | Go Rab ke ghar kī buniyād abhī ḍālī nahīṅ gaī thī to bhī Isrāīlī sātweṅ mahīne ke pahle din se Rab ko bhasm hone wālī qurbāniyāṅ pesh karne lage. | |
Ezra | UrduGeoR | 3:7 | Phir unhoṅ ne rājoṅ aur kārīgaroṅ ko paise de kar kām par lagāyā aur Sūr aur Saidā ke bāshindoṅ se deodār kī lakaṛī mangwāī. Yih lakaṛī Lubnān ke pahāṛī ilāqe se samundar tak lāī gaī aur wahāṅ se samundar ke rāste Yāfā pahuṅchāī gaī. Isrāīliyoṅ ne muāwaze meṅ khāne-pīne kī chīzeṅ aur zaitūn kā tel de diyā. Fāras ke bādshāh Ḳhoras ne unheṅ yih karwāne kī ijāzat dī thī. | |
Ezra | UrduGeoR | 3:8 | Jilāwatanī se wāpas āne ke dūsre sāl ke dūsre mahīne meṅ Rab ke ghar kī nae sire se tāmīr shurū huī. Is kām meṅ Zarubbābal bin Siyāltiyel, Yashua bin Yūsadaq, dīgar imām aur Lāwī aur watan meṅ wāpas āe hue bāqī tamām Isrāīlī sharīk hue. Tāmīrī kām kī nigarānī un Lāwiyoṅ ke zimme lagā dī gaī jin kī umr 20 sāl yā is se zāyd thī. | |
Ezra | UrduGeoR | 3:9 | Zail ke log mil kar Rab kā ghar banāne wāloṅ kī nigarānī karte the: Yashua apne beṭoṅ aur bhāiyoṅ samet, Qadmiyel aur us ke beṭe jo Hūdāwiyāh kī aulād the aur Hanadād ke ḳhāndān ke Lāwī. | |
Ezra | UrduGeoR | 3:10 | Rab ke ghar kī buniyād rakhte waqt imām apne muqaddas libās pahne hue sāth khaṛe ho gae aur turam bajāne lage. Āsaf ke ḳhāndān ke Lāwī sāth sāth jhāṅjh bajāne aur Rab kī satāish karne lage. Sab kuchh Isrāīl ke bādshāh Dāūd kī hidāyāt ke mutābiq huā. | |
Ezra | UrduGeoR | 3:11 | Wuh hamd-o-sanā ke gīt se Rab kī tārīf karne lage, “Wuh bhalā hai, aur Isrāīl par us kī shafqat abadī hai!” Jab hāzirīn ne dekhā ki Rab ke ghar kī buniyād rakhī jā rahī hai to sab Rab kī ḳhushī meṅ zordār nāre lagāne lage. | |
Ezra | UrduGeoR | 3:12 | Lekin bahut-se imām, Lāwī aur ḳhāndānī sarparast hāzir the jinhoṅ ne Rab kā pahlā ghar dekhā huā thā. Jab un ke deḳhte deḳhte Rab ke nae ghar kī buniyād rakhī gaī to wuh buland āwāz se rone lage jabki bāqī bahut sāre log ḳhushī ke nāre lagā rahe the. | |
Chapter 4
Ezra | UrduGeoR | 4:1 | Yahūdāh aur Binyamīn ke dushmanoṅ ko patā chalā ki watan meṅ wāpas āe hue Isrāīlī Rab Isrāīl ke Ḳhudā ke lie ghar tāmīr kar rahe haiṅ. | |
Ezra | UrduGeoR | 4:2 | Zarubbābal aur ḳhāndānī sarparastoṅ ke pās ā kar unhoṅ ne darḳhāst kī, “Ham bhī āp ke sāth mil kar Rab ke ghar ko tāmīr karnā chāhte haiṅ. Kyoṅki jab se Asūr ke bādshāh Asarhaddon ne hameṅ yahāṅ lā kar basāyā hai us waqt se ham āp ke Ḳhudā ke tālib rahe aur use qurbāniyāṅ pesh karte āe haiṅ.” | |
Ezra | UrduGeoR | 4:3 | Lekin Zarubbābal, Yashua aur Isrāīl ke bāqī ḳhāndānī sarparastoṅ ne inkār kiyā, “Nahīṅ, is meṅ āp kā hamāre sāth koī wāstā nahīṅ. Ham akele hī Rab Isrāīl ke Ḳhudā ke lie ghar banāeṅge, jis tarah Fāras ke bādshāh Ḳhoras ne hameṅ hukm diyā hai.” | |
Ezra | UrduGeoR | 4:4 | Yih sun kar mulk kī dūsrī qaumeṅ Yahūdāh ke logoṅ kī hauslāshiknī aur unheṅ ḍarāne kī koshish karne lagīṅ tāki wuh imārat banāne se bāz āeṅ. | |
Ezra | UrduGeoR | 4:5 | Yahāṅ tak ki wuh Fāras ke bādshāh Ḳhoras ke kuchh mushīroṅ ko rishwat de kar kām rokne meṅ kāmyāb ho gae. Yoṅ Rab ke ghar kī tāmīr Ḳhoras Bādshāh ke daur-e-hukūmat se le kar Dārā Bādshāh kī hukūmat tak rukī rahī. | |
Ezra | UrduGeoR | 4:6 | Bād meṅ jab Aḳhaswerus Bādshāh kī hukūmat shurū huī to Isrāīl ke dushmanoṅ ne Yahūdāh aur Yarūshalam ke bāshindoṅ par ilzām lagā kar shikāyatī ḳhat likhā. | |
Ezra | UrduGeoR | 4:7 | Phir Artaḳhshastā Bādshāh ke daur-e-hukūmat meṅ use Yahūdāh ke dushmanoṅ kī taraf se shikāyatī ḳhat bhejā gayā. Ḳhat ke pīchhe ḳhāskar Bishlām, Mitradāt aur Tābiyel the. Pahle use Arāmī zabān meṅ likhā gayā, aur bād meṅ us kā tarjumā huā. | |
Ezra | UrduGeoR | 4:8 | Sāmariya ke gawarnar Rahūm aur us ke Mīrmunshī Shamsī ne shahanshāh ko ḳhat likh diyā jis meṅ unhoṅ ne Yarūshalam par ilzāmāt lagāe. Pate meṅ likhā thā, | |
Ezra | UrduGeoR | 4:9 | Az: Rahūm Gawarnar aur Mīrmunshī Shamsī, nīz un ke hamḳhidmat qāzī, safīr aur Tarpal, Sippar, Arak, Bābal aur Sosan yānī Ailām ke mard, | |
Ezra | UrduGeoR | 4:10 | nīz bāqī tamām qaumeṅ jin ko azīm aur azīz bādshāh Ashūrbanīpāl ne uṭhā kar Sāmariya aur Dariyā-e-Furāt ke bāqīmāndā maġhribī ilāqe meṅ basā diyā thā. | |
Ezra | UrduGeoR | 4:11 | Ḳhat meṅ likhā thā, “Shahanshāh Artaḳhshastā ke nām, Az: āp ke ḳhādim jo Dariyā-e-Furāt ke maġhrib meṅ rahte haiṅ. | |
Ezra | UrduGeoR | 4:12 | Shahanshāh ko ilm ho ki jo Yahūdī āp ke huzūr se hamāre pās Yarūshalam pahuṅche haiṅ wuh is waqt us bāġhī aur sharīr shahr ko nae sire se tāmīr kar rahe haiṅ. Wuh fasīl ko bahāl karke buniyādoṅ kī marammat kar rahe haiṅ. | |
Ezra | UrduGeoR | 4:13 | Shahanshāh ko ilm ho ki agar shahr nae sire se tāmīr ho jāe aur us kī fasīl takmīl tak pahuṅche to yih log ṭaiks, ḳharāj aur mahsūl adā karne se inkār kar deṅge. Tab bādshāh ko nuqsān pahuṅchegā. | |
Ezra | UrduGeoR | 4:14 | Ham to namak-harām nahīṅ haiṅ, na shahanshāh kī tauhīn bardāsht kar sakte haiṅ. Is lie ham guzārish karte haiṅ | |
Ezra | UrduGeoR | 4:15 | ki āp apne bāpdādā kī tārīḳhī dastāwezāt se Yarūshalam ke bāre meṅ mālūmāt hāsil kareṅ, kyoṅki un meṅ is bāt kī tasdīq milegī ki yih shahr māzī meṅ sarkash rahā. Haqīqat meṅ shahr ko isī lie tabāh kiyā gayā ki wuh bādshāhoṅ aur sūboṅ ko tang kartā rahā aur qadīm zamāne se hī baġhāwat kā mambā rahā hai. | |
Ezra | UrduGeoR | 4:16 | Ġharz ham shahanshāh ko ittalā dete haiṅ ki agar Yarūshalam ko dubārā tāmīr kiyā jāe aur us kī fasīl takmīl tak pahuṅche to Dariyā-e-Furāt ke maġhribī ilāqe par āp kā qābū jātā rahegā.” | |
Ezra | UrduGeoR | 4:17 | Shahanshāh ne jawāb meṅ likhā, “Maiṅ yih ḳhat Rahūm Gawarnar, Shamsī Mīrmunshī aur Sāmariya aur Dariyā-e-Furāt ke maġhrib meṅ rahne wāle un ke hamḳhidmat afsaroṅ ko likh rahā hūṅ. Āp ko salām! | |
Ezra | UrduGeoR | 4:18 | Āp ke ḳhat kā tarjumā merī maujūdagī meṅ huā hai aur use mere sāmne paṛhā gayā hai. | |
Ezra | UrduGeoR | 4:19 | Mere hukm par Yarūshalam ke bāre meṅ mālūmāt hāsil kī gaī haiṅ. Mālūm huā ki wāqaī yih shahr qadīm zamāne se bādshāhoṅ kī muḳhālafat karke sarkashī aur baġhāwat kā mambā rahā hai. | |
Ezra | UrduGeoR | 4:20 | Nīz, Yarūshalam tāqatwar bādshāhoṅ kā dārul-hukūmat rahā hai. Un kī itnī tāqat thī ki Dariyā-e-Furāt ke pūre maġhribī ilāqe ko unheṅ muḳhtalif qism ke ṭaiks aur ḳharāj adā karnā paṛā. | |
Ezra | UrduGeoR | 4:21 | Chunāṅche ab hukm deṅ ki yih ādmī shahr kī tāmīr karne se bāz āeṅ. Jab tak maiṅ ḳhud hukm na dūṅ us waqt tak shahr ko nae sire se tāmīr karne kī ijāzat nahīṅ hai. | |
Ezra | UrduGeoR | 4:22 | Dhyān deṅ ki is hukm kī takmīl meṅ sustī na kī jāe, aisā na ho ki shahanshāh ko baṛā nuqsān pahuṅche.” | |
Ezra | UrduGeoR | 4:23 | Jyoṅ hī ḳhat kī kāpī Rahūm, Shamsī aur un ke hamḳhidmat afsaroṅ ko paṛh kar sunāī gaī to wuh Yarūshalam ke lie rawānā hue aur Yahūdiyoṅ ko zabardastī kām jārī rakhne se rok diyā. | |
Chapter 5
Ezra | UrduGeoR | 5:1 | Ek din do nabī banām Hajjī aur Zakariyāh bin Iddū uṭh kar Isrāīl ke Ḳhudā ke nām meṅ jo un ke ūpar thā Yahūdāh aur Yarūshalam ke Yahūdiyoṅ ke sāmne nabuwwat karne lage. | |
Ezra | UrduGeoR | 5:2 | Un ke hauslā-afzā alfāz sun kar Zarubbābal bin Siyāltiyel aur Yashua bin Yūsadaq ne faislā kiyā ki ham dubārā Yarūshalam meṅ Allāh ke ghar kī tāmīr shurū kareṅge. Donoṅ nabī is meṅ un ke sāth the aur un kī madad karte rahe. | |
Ezra | UrduGeoR | 5:3 | Lekin jyoṅ hī kām shurū huā to Dariyā-e-Furāt ke maġhribī ilāqe ke gawarnar Tattanī aur Shatar-boznī apne hamḳhidmat afsaroṅ samet Yarūshalam pahuṅche. Unhoṅ ne pūchhā, “Kis ne āp ko yih ghar banāne aur is kā ḍhāṅchā takmīl tak pahuṅchāne kī ijāzat dī? | |
Ezra | UrduGeoR | 5:5 | Lekin un kā Ḳhudā Yahūdāh ke buzurgoṅ kī nigarānī kar rahā thā, is lie unheṅ rokā na gayā. Kyoṅki logoṅ ne sochā ki pahle Dārā Bādshāh ko ittalā dī jāe. Jab tak wuh faislā na kare us waqt tak kām rokā na jāe. | |
Ezra | UrduGeoR | 5:6 | Phir Dariyā-e-Furāt ke maġhribī ilāqe ke gawarnar Tattanī, Shatar-boznī aur un ke hamḳhidmat afsaroṅ ne Dārā Bādshāh ko zail kā ḳhat bhejā, | |
Ezra | UrduGeoR | 5:8 | Shahanshāh ko ilm ho ki sūbā Yahūdāh meṅ jā kar ham ne dekhā ki wahāṅ azīm Ḳhudā kā ghar banāyā jā rahā hai. Us ke lie baṛe tarāshe hue patthar istemāl ho rahe haiṅ aur dīwāroṅ meṅ shahtīr lagāe jā rahe haiṅ. Log baṛī jāṅfishānī se kām kar rahe haiṅ, aur makān un kī mehnat ke bāis tezī se ban rahā hai. | |
Ezra | UrduGeoR | 5:9 | Ham ne buzurgoṅ se pūchhā, ‘Kis ne āp ko yih ghar banāne aur is kā ḍhāṅchā takmīl tak pahuṅchāne kī ijāzat dī hai?’ | |
Ezra | UrduGeoR | 5:11 | Unhoṅ ne hameṅ jawāb diyā, ‘Ham āsmān-o-zamīn ke Ḳhudā ke ḳhādim haiṅ, aur ham us ghar ko az sar-e-nau tāmīr kar rahe haiṅ jo bahut sāl pahle yahāṅ qāym thā. Isrāīl ke ek azīm bādshāh ne use qadīm zamāne meṅ banā kar takmīl tak pahuṅchāyā thā. | |
Ezra | UrduGeoR | 5:12 | Lekin hamāre bāpdādā ne āsmān ke Ḳhudā ko taish dilāyā, aur natīje meṅ us ne unheṅ Bābal ke bādshāh Nabūkadnazzar ke hawāle kar diyā jis ne Rab ke ghar ko tabāh kar diyā aur qaum ko qaid karke Bābal meṅ basā diyā. | |
Ezra | UrduGeoR | 5:13 | Lekin bād meṅ jab Ḳhoras bādshāh ban gayā to us ne apnī hukūmat ke pahle sāl meṅ hukm diyā ki Allāh ke is ghar ko dubārā tāmīr kiyā jāe. | |
Ezra | UrduGeoR | 5:14 | Sāth sāth us ne sone-chāṅdī kī wuh chīzeṅ wāpas kar dīṅ jo Nabūkadnazzar ne Yarūshalam meṅ Allāh ke ghar se lūṭ kar Bābal ke mandir meṅ rakh dī thīṅ. Ḳhoras ne yih chīzeṅ ek ādmī ke sapurd kar dīṅ jis kā nām Shesbazzar thā aur jise us ne Yahūdāh kā gawarnar muqarrar kiyā thā. | |
Ezra | UrduGeoR | 5:15 | Us ne use hukm diyā ki sāmān ko Yarūshalam le jāo aur Rab ke ghar ko purānī jagah par az sar-e-nau tāmīr karke yih chīzeṅ us meṅ mahfūz rakho. | |
Ezra | UrduGeoR | 5:16 | Tab Shesbazzar ne Yarūshalam ā kar Allāh ke ghar kī buniyād rakhī. Usī waqt se yih imārat zer-e-tāmīr hai, agarche yih āj tak mukammal nahīṅ huī.’ | |
Ezra | UrduGeoR | 5:17 | Chunāṅche agar shahanshāh ko manzūr ho to wuh taftīsh kareṅ ki kyā Bābal ke shāhī daftar meṅ koī aisī dastāwez maujūd hai jo is bāt kī tasdīq kare ki Ḳhoras Bādshāh ne Yarūshalam meṅ Rab ke ghar ko az sar-e-nau tāmīr karne kā hukm diyā. Guzārish hai ki shahanshāh hameṅ apnā faislā pahuṅchā deṅ.” | |
Chapter 6
Ezra | UrduGeoR | 6:1 | Tab Dārā Bādshāh ne hukm diyā ki Bābal ke ḳhazāne ke daftar meṅ taftīsh kī jāe. Is kā khoj lagāte lagāte | |
Ezra | UrduGeoR | 6:3 | “Ḳhoras Bādshāh kī hukūmat ke pahle sāl meṅ shahanshāh ne hukm diyā ki Yarūshalam meṅ Allāh ke ghar ko us kī purānī jagah par nae sire se tāmīr kiyā jāe tāki wahāṅ dubārā qurbāniyāṅ pesh kī jā sakeṅ. Us kī buniyād rakhne ke bād us kī ūṅchāī 90 aur chauṛāī 90 fuṭ ho. | |
Ezra | UrduGeoR | 6:4 | Dīwāroṅ ko yoṅ banāyā jāe ki tarāshe hue pattharoṅ ke har tīn raddoṅ ke bād deodār ke shahtīroṅ kā ek raddā lagāyā jāe. Aḳhrājāt shāhī ḳhazāne se pūre kie jāeṅ. | |
Ezra | UrduGeoR | 6:5 | Nīz sone-chāṅdī kī jo chīzeṅ Nabūkadnazzar Yarūshalam ke is ghar se nikāl kar Bābal lāyā wuh wāpas pahuṅchāī jāeṅ. Har chīz Allāh ke ghar meṅ us kī apnī jagah par wāpas rakh dī jāe.” | |
Ezra | UrduGeoR | 6:6 | Yih ḳhabar paṛh kar Dārā ne Dariyā-e-Furāt ke maġhribī ilāqe ke gawarnar Tattanī, Shatar-boznī aur un ke hamḳhidmat afsaroṅ ko zail kā jawāb bhej diyā, “Allāh ke is ghar kī tāmīr meṅ mudāḳhalat mat karnā! | |
Ezra | UrduGeoR | 6:7 | Logoṅ ko kām jārī rakhne deṅ. Yahūdiyoṅ kā gawarnar aur un ke buzurg Allāh kā yih ghar us kī purānī jagah par tāmīr kareṅ. | |
Ezra | UrduGeoR | 6:8 | Na sirf yih balki maiṅ hukm detā hūṅ ki āp is kām meṅ buzurgoṅ kī madad kareṅ. Tāmīr ke tamām aḳhrājāt waqt par muhaiyā kareṅ tāki kām na ruke. Yih paise shāhī ḳhazāne yānī Dariyā-e-Furāt ke maġhribī ilāqe se jamā kie gae ṭaiksoṅ meṅ se adā kie jāeṅ. | |
Ezra | UrduGeoR | 6:9 | Roz baroz imāmoṅ ko bhasm hone wālī qurbāniyoṅ ke lie darkār tamām chīzeṅ muhaiyā karte raheṅ, ḳhāh wuh jawān bail, menḍhe, bheṛ ke bachche, gandum, namak, mai yā zaitūn kā tel kyoṅ na māṅgeṅ. Is meṅ sustī na kareṅ | |
Ezra | UrduGeoR | 6:10 | tāki wuh āsmān ke Ḳhudā ko pasandīdā qurbāniyāṅ pesh karke shahanshāh aur us ke beṭoṅ kī salāmatī ke lie duā kar sakeṅ. | |
Ezra | UrduGeoR | 6:11 | Is ke alāwā maiṅ hukm detā hūṅ ki jo bhī is farmān kī ḳhilāfwarzī kare us ke ghar se shahtīr nikāl kar khaṛā kiyā jāe aur use us par maslūb kiyā jāe. Sāth sāth us ke ghar ko malbe kā ḍher banāyā jāe. | |
Ezra | UrduGeoR | 6:12 | Jis Ḳhudā ne wahāṅ apnā nām basāyā hai wuh har bādshāh aur qaum ko halāk kare jo mere is hukm kī ḳhilāfwarzī karke Yarūshalam ke ghar ko tabāh karne kī jurrat kare. Maiṅ, Dārā ne yih hukm diyā hai. Ise har tarah se pūrā kiyā jāe.” | |
Ezra | UrduGeoR | 6:13 | Dariyā-e-Furāt ke maġhribī ilāqe ke gawarnar Tattanī, Shatar-boznī aur un ke hamḳhidmat afsaroṅ ne har tarah se Dārā Bādshāh ke hukm kī tāmīl kī. | |
Ezra | UrduGeoR | 6:14 | Chunāṅche Yahūdī buzurg Rab ke ghar par kām jārī rakh sake. Donoṅ nabī Hajjī aur Zakariyāh bin Iddū apnī nabuwwatoṅ se un kī hauslā-afzāī karte rahe, aur yoṅ sārā kām Isrāīl ke Ḳhudā aur Fāras ke bādshāhoṅ Ḳhoras, Dārā aur Artaḳhshastā ke hukm ke mutābiq hī mukammal huā. | |
Ezra | UrduGeoR | 6:15 | Rab kā ghar Dārā Bādshāh kī hukūmat ke chhaṭe sāl meṅ takmīl tak pahuṅchā. Adār ke mahīne kā tīsrā din thā. | |
Ezra | UrduGeoR | 6:16 | Isrāīliyoṅ ne imāmoṅ, Lāwiyoṅ aur jilāwatanī se wāpas āe hue Isrāīliyoṅ samet baṛī ḳhushī se Rab ke Ghar kī Maḳhsūsiyat kī Īd manāī. | |
Ezra | UrduGeoR | 6:17 | Unhoṅ ne 100 bail, 200 menḍhe aur bheṛ ke 400 bachche qurbān kie. Pūre Isrāīl ke lie gunāh kī qurbānī bhī pesh kī gaī, aur is ke lie fī qabīlā ek bakrā yānī mil kar 12 bakre chaṛhāe gae. | |
Ezra | UrduGeoR | 6:18 | Phir imāmoṅ aur Lāwiyoṅ ko Rab ke ghar kī ḳhidmat ke muḳhtalif gurohoṅ meṅ taqsīm kiyā gayā, jis tarah Mūsā kī sharīat hidāyat detī hai. | |
Ezra | UrduGeoR | 6:19 | Pahle mahīne ke 14weṅ din jilāwatanī se wāpas āe hue Isrāīliyoṅ ne Fasah kī Īd manāī. | |
Ezra | UrduGeoR | 6:20 | Tamām imāmoṅ aur Lāwiyoṅ ne apne āp ko pāk-sāf kar rakhā thā. Sab ke sab pāk the. Lāwiyoṅ ne Fasah ke lele jilāwatanī se wāpas āe hue Isrāīliyoṅ, un ke bhāiyoṅ yānī imāmoṅ aur apne lie zabah kie. | |
Ezra | UrduGeoR | 6:21 | Lekin na sirf jilāwatanī se wāpas āe hue Isrāīlī is khāne meṅ sharīk hue balki mulk ke wuh tamām log bhī jo Ġhairyahūdī qaumoṅ kī nāpāk rāhoṅ se alag ho kar un ke sāth Rab Isrāīl ke Ḳhudā ke tālib hue the. | |
Chapter 7
Ezra | UrduGeoR | 7:1 | In wāqiyāt ke kāfī arse bād ek ādmī banām Azrā Bābal ko chhoṛ kar Yarūshalam āyā. Us waqt Fāras ke bādshāh Artaḳhshastā kī hukūmat thī. Ādmī kā pūrā nām Azrā bin Sirāyāh bin Azariyāh bin Ḳhilqiyāh | |
Ezra | UrduGeoR | 7:6 | Azrā pāk nawishtoṅ kā ustād aur us sharīat kā ālim thā jo Rab Isrāīl ke Ḳhudā ne Mūsā kī mārifat dī thī. Jab Azrā Bābal se Yarūshalam ke lie rawānā huā to shahanshāh ne us kī har ḳhāhish pūrī kī, kyoṅki Rab us ke Ḳhudā kā shafīq hāth us par thā. | |
Ezra | UrduGeoR | 7:7 | Kaī Isrāīlī us ke sāth gae. Imām, Lāwī, gulūkār aur Rab ke ghar ke darbān aur ḳhidmatgār bhī un meṅ shāmil the. Yih Artaḳhshastā Bādshāh kī hukūmat ke sātweṅ sāl meṅ huā. | |
Ezra | UrduGeoR | 7:8 | Qāfilā pahle mahīne ke pahle din Bābal se rawānā huā aur pāṅchweṅ mahīne ke pahle din sahīh-salāmat Yarūshalam pahuṅchā, kyoṅki Allāh kā shafīq hāth Azrā par thā. | |
Ezra | UrduGeoR | 7:9 | Qāfilā pahle mahīne ke pahle din Bābal se rawānā huā aur pāṅchweṅ mahīne ke pahle din sahīh-salāmat Yarūshalam pahuṅchā, kyoṅki Allāh kā shafīq hāth Azrā par thā. | |
Ezra | UrduGeoR | 7:10 | Wajah yih thī ki Azrā ne apne āp ko Rab kī sharīat kī taftīsh karne, us ke mutābiq zindagī guzārne aur Isrāīliyoṅ ko us ke ahkām aur hidāyāt kī tālīm dene ke lie waqf kiyā thā. | |
Ezra | UrduGeoR | 7:11 | Artaḳhshastā Bādshāh ne Azrā Imām ko zail kā muḳhtārnāmā de diyā, usī Azrā ko jo pāk nawishtoṅ kā ustād aur un ahkām aur hidāyāt kā ālim thā jo Rab ne Isrāīl ko dī thīṅ. Muḳhtārnāme meṅ likhā thā, | |
Ezra | UrduGeoR | 7:12 | “Az: Shahanshāh Artaḳhshastā Azrā Imām ko jo āsmān ke Ḳhudā kī sharīat kā ālim hai, salām! | |
Ezra | UrduGeoR | 7:13 | Maiṅ hukm detā hūṅ ki agar merī saltanat meṅ maujūd koī bhī Isrāīlī āp ke sāth Yarūshalam jā kar wahāṅ rahnā chāhe to wuh jā saktā hai. Is meṅ imām aur Lāwī bhī shāmil haiṅ, | |
Ezra | UrduGeoR | 7:14 | shahanshāh aur us ke sāt mushīr āp ko Yahūdāh aur Yarūshalam bhej rahe haiṅ tāki āp Allāh kī us sharīat kī raushnī meṅ jo āp ke hāth meṅ hai Yahūdāh aur Yarūshalam kā hāl jāṅch leṅ. | |
Ezra | UrduGeoR | 7:15 | Jo sonā-chāṅdī shahanshāh aur us ke mushīroṅ ne apnī ḳhushī se Yarūshalam meṅ sukūnat karne wāle Isrāīl ke Ḳhudā ke lie qurbān kī hai use apne sāth le jāeṅ. | |
Ezra | UrduGeoR | 7:16 | Nīz, jitnī bhī sonā-chāṅdī āp ko sūbā Bābal se mil jāegī aur jitne bhī hadiye qaum aur imām apnī ḳhushī se apne Ḳhudā ke ghar ke lie jamā kareṅ unheṅ apne sāth le jāeṅ. | |
Ezra | UrduGeoR | 7:17 | Un paisoṅ se bail, menḍhe, bheṛ ke bachche aur un kī qurbāniyoṅ ke lie darkār ġhallā aur mai kī nazareṅ ḳharīd leṅ, aur unheṅ Yarūshalam meṅ apne Ḳhudā ke ghar kī qurbāngāh par qurbān kareṅ. | |
Ezra | UrduGeoR | 7:18 | Jo paise bach jāeṅ un ko āp aur āp ke bhāī waise ḳharch kar sakte haiṅ jaise āp ko munāsib lage. Shart yih hai ki āp ke Ḳhudā kī marzī ke mutābiq ho. | |
Ezra | UrduGeoR | 7:19 | Yarūshalam meṅ apne Ḳhudā ko wuh tamām chīzeṅ pahuṅchāeṅ jo āp ko Rab ke ghar meṅ ḳhidmat ke lie dī jāeṅgī. | |
Ezra | UrduGeoR | 7:20 | Bāqī jo kuchh bhī āp ko apne Ḳhudā ke ghar ke lie ḳharīdnā paṛe us ke paise shāhī ḳhazānā adā karegā. | |
Ezra | UrduGeoR | 7:21 | Maiṅ, Artaḳhshastā Bādshāh Dariyā-e-Furāt ke maġhrib meṅ rahne wāle tamām ḳhazānchiyoṅ ko hukm detā hūṅ ki har tarah se Azrā Imām kī mālī madad kareṅ. Jo bhī āsmān ke Ḳhudā kī sharīat kā yih ustād māṅge wuh use diyā jāe. | |
Ezra | UrduGeoR | 7:22 | Use 3,400 kilogrām chāṅdī, 16,000 kilogrām gandum, 2,200 liṭar mai aur 2,200 liṭar zaitūn kā tel tak denā. Namak use utnā mile jitnā wuh chāhe. | |
Ezra | UrduGeoR | 7:23 | Dhyān se sab kuchh muhaiyā kareṅ jo āsmān kā Ḳhudā apne ghar ke lie māṅge. Aisā na ho ki shahanshāh aur us ke beṭoṅ kī saltanat us ke ġhazab kā nishānā ban jāe. | |
Ezra | UrduGeoR | 7:24 | Nīz, āp ko ilm ho ki āp ko Allāh ke is ghar meṅ ḳhidmat karne wāle kisī shaḳhs se bhī ḳharāj yā kisī qism kā ṭaiks lene kī ijāzat nahīṅ hai, ḳhāh wuh imām, Lāwī, gulūkār, Rab ke ghar kā darbān yā us kā ḳhidmatgār ho. | |
Ezra | UrduGeoR | 7:25 | Ai Azrā, jo hikmat āp ke Ḳhudā ne āp ko atā kī hai us ke mutābiq majisṭreṭ aur qāzī muqarrar kareṅ jo āp kī qaum ke un logoṅ kā insāf kareṅ jo Dariyā-e-Furāt ke maġhrib meṅ rahte haiṅ. Jitne bhī āp ke Ḳhudā ke ahkām jānte haiṅ wuh is meṅ shāmil haiṅ. Aur jitne in ahkām se wāqif nahīṅ haiṅ unheṅ āp ko tālīm denī hai. | |
Ezra | UrduGeoR | 7:26 | Jo bhī āp ke Ḳhudā kī sharīat aur shahanshāh ke qānūn kī ḳhilāfwarzī kare use saḳhtī se sazā dī jāe. Jurm kī sanjīdagī kā lihāz karke use yā to sazā-e-maut dī jāe yā jilāwatan kiyā jāe, us kī milkiyat zabt kī jāe yā use jel meṅ ḍālā jāe.” | |
Ezra | UrduGeoR | 7:27 | Rab hamāre bāpdādā ke Ḳhudā kī tamjīd ho jis ne shahanshāh ke dil ko Yarūshalam meṅ Rab ke ghar ko shāndār banāne kī tahrīk dī hai. | |
Ezra | UrduGeoR | 7:28 | Usī ne shahanshāh, us ke mushīroṅ aur tamām asar-o-rasūḳh rakhne wāle afsaroṅ ke diloṅ ko merī taraf māyl kar diyā hai. Chūṅki Rab mere Ḳhudā kā shafīq hāth mujh par thā is lie merā hauslā baṛh gayā, aur maiṅ ne Isrāīl ke ḳhāndānī sarparastoṅ ko apne sāth Isrāīl wāpas jāne ke lie jamā kiyā. | |
Chapter 8
Ezra | UrduGeoR | 8:1 | Darj-e-zail un ḳhāndānī sarparastoṅ kī fahrist hai jo Artaḳhshastā Bādshāh kī hukūmat ke daurān mere sāth Bābal se Yarūshalam ke lie rawānā hue. Har ḳhāndān ke mardoṅ kī tādād bhī darj hai: | |
Ezra | UrduGeoR | 8:2 | Fīnhās ke ḳhāndān kā Jairsom, Itamar ke ḳhāndān kā Dānyāl, Dāūd ke ḳhāndān kā Hattūsh bin Sakaniyāh, Parūs ke ḳhāndān kā Zakariyāh. 150 mard us ke sāth nasabnāme meṅ darj the. | |
Ezra | UrduGeoR | 8:3 | Fīnhās ke ḳhāndān kā Jairsom, Itamar ke ḳhāndān kā Dānyāl, Dāūd ke ḳhāndān kā Hattūsh bin Sakaniyāh, Parūs ke ḳhāndān kā Zakariyāh. 150 mard us ke sāth nasabnāme meṅ darj the. | |
Ezra | UrduGeoR | 8:13 | Adūniqām ke ḳhāndān ke āḳhirī log Ilīfalat, Ya'iyel aur Samāyāh 60 mardoṅ ke sāth, | |
Ezra | UrduGeoR | 8:15 | Maiṅ yānī Azrā ne mazkūrā logoṅ ko us nahar ke pās jamā kiyā jo Ahāwā kī taraf bahtī hai. Wahāṅ ham ḳhaime lagā kar tīn din ṭhahre rahe. Is daurān mujhe patā chalā ki go ām log aur imām ā gae haiṅ lekin ek bhī Lāwī hāzir nahīṅ hai. | |
Ezra | UrduGeoR | 8:16 | Chunāṅche maiṅ ne Iliyazar, Ariyel, Samāyāh, Ilnātan, Yarīb, Ilnātan, Nātan, Zakariyāh aur Masullām ko apne pās bulā liyā. Yih sab ḳhāndānī sarparast the jabki sharīat ke do ustād banām Yūyārīb aur Ilnātan bhī sāth the. | |
Ezra | UrduGeoR | 8:17 | Maiṅ ne unheṅ Lāwiyoṅ kī ābādī Kāsifiyāh ke buzurg Iddū ke pās bhej kar wuh kuchh batāyā jo unheṅ Iddū, us ke bhāiyoṅ aur Rab ke ghar ke ḳhidmatgāroṅ ko batānā thā tāki wuh hamāre Ḳhudā ke ghar ke lie ḳhidmatgār bhejeṅ. | |
Ezra | UrduGeoR | 8:18 | Allāh kā shafīq hāth ham par thā, is lie unhoṅ ne hameṅ Mahlī bin Lāwī bin Isrāīl ke ḳhāndān kā samajhdār ādmī Saribiyāh bhej diyā. Saribiyāh apne beṭoṅ aur bhāiyoṅ ke sāth pahuṅchā. Kul 18 mard the. | |
Ezra | UrduGeoR | 8:19 | In ke alāwā Mirārī ke ḳhāndān ke Hasbiyāh aur Yasāyāh ko bhī un ke beṭoṅ aur bhāiyoṅ ke sāth hamāre pās bhejā gayā. Kul 20 mard the. | |
Ezra | UrduGeoR | 8:20 | Un ke sāth Rab ke ghar ke 220 ḳhidmatgār the. In ke tamām nām nasabnāme meṅ darj the. Dāūd aur us ke mulāzimoṅ ne un ke bāpdādā ko Lāwiyoṅ kī ḳhidmat karne kī zimmedārī dī thī. | |
Ezra | UrduGeoR | 8:21 | Wahīṅ Ahāwā kī nahar ke pās hī maiṅ ne elān kiyā ki ham sab rozā rakh kar apne āp ko apne Ḳhudā ke sāmne past kareṅ aur duā kareṅ ki wuh hameṅ hamāre bāl-bachchoṅ aur sāmān ke sāth salāmatī se Yarūshalam pahuṅchāe. | |
Ezra | UrduGeoR | 8:22 | Kyoṅki hamāre sāth faujī aur ghuṛsawār nahīṅ the jo hameṅ rāste meṅ ḍākuoṅ se mahfūz rakhte. Bāt yih thī ki maiṅ shahanshāh se yih māṅgne se sharm mahsūs kar rahā thā, kyoṅki ham ne use batāyā thā, “Hamāre Ḳhudā kā shafīq hāth har ek par ṭhahartā hai jo us kā tālib rahtā hai. Lekin jo bhī use tark kare us par us kā saḳht ġhazab nāzil hotā hai.” | |
Ezra | UrduGeoR | 8:23 | Chunāṅche ham ne rozā rakh kar apne Ḳhudā se iltamās kī ki wuh hamārī hifāzat kare, aur us ne hamārī sunī. | |
Ezra | UrduGeoR | 8:24 | Phir maiṅ ne imāmoṅ ke 12 rāhnumāoṅ ko chun liyā, nīz Saribiyāh, Hasbiyāh aur mazīd 10 Lāwiyoṅ ko. | |
Ezra | UrduGeoR | 8:25 | Un kī maujūdagī meṅ maiṅ ne sonā-chāṅdī aur bāqī tamām sāmān tol liyā jo shahanshāh, us ke mushīroṅ aur afsaroṅ aur wahāṅ ke tamām Isrāīliyoṅ ne hamāre Ḳhudā ke ghar ke lie atā kiyā thā. | |
Ezra | UrduGeoR | 8:26 | Maiṅ ne tol kar zail kā sāmān un ke hawāle kar diyā: taqrīban 22,000 kilogrām chāṅdī, chāṅdī kā kuchh sāmān jis kā kul wazn takrīban 3,400 kilogrām thā, 3,400 kilogrām sonā, | |
Ezra | UrduGeoR | 8:27 | sone ke 20 pyāle jin kā kul wazn taqrīban sāṛhe 8 kilogrām thā, aur pītal ke do pālish kie hue pyāle jo sone ke pyāloṅ jaise qīmtī the. | |
Ezra | UrduGeoR | 8:28 | Maiṅ ne ādmiyoṅ se kahā, “Āp aur yih tamām chīzeṅ Rab ke lie maḳhsūs haiṅ. Logoṅ ne apnī ḳhushī se yih sonā-chāṅdī Rab āp ke bāpdādā ke Ḳhudā ke lie qurbān kī hai. | |
Ezra | UrduGeoR | 8:29 | Sab kuchh ehtiyāt se mahfūz rakheṅ, aur jab āp Yarūshalam pahuṅcheṅge to ise Rab ke ghar ke ḳhazāne tak pahuṅchā kar rāhnumā imāmoṅ, Lāwiyoṅ aur ḳhāndānī sarparastoṅ kī maujūdagī meṅ dubārā tolnā.” | |
Ezra | UrduGeoR | 8:30 | Phir imāmoṅ aur Lāwiyoṅ ne sonā-chāṅdī aur bāqī sāmān le kar use Yarūshalam meṅ hamāre Ḳhudā ke ghar meṅ pahuṅchāne ke lie mahfūz rakhā. | |
Ezra | UrduGeoR | 8:31 | Ham pahle mahīne ke 12weṅ din Ahāwā nahar se Yarūshalam ke lie rawānā hue. Allāh kā shafīq hāth ham par thā, aur us ne hameṅ rāste meṅ dushmanoṅ aur ḍākuoṅ se mahfūz rakhā. | |
Ezra | UrduGeoR | 8:33 | Chauthe din ham ne apne Ḳhudā ke ghar meṅ sonā-chāṅdī aur bāqī maḳhsūs sāmān tol kar imām Marīmot bin Ūriyāh ke hawāle kar diyā. Us waqt Iliyazar bin Fīnhās aur do Lāwī banām Yūzabad bin Yashua aur Nauadiyāh bin Binnūī us ke sāth the. | |
Ezra | UrduGeoR | 8:35 | Is ke bād jilāwatanī se wāpas āe hue tamām logoṅ ne Isrāīl ke Ḳhudā ko bhasm hone wālī qurbāniyāṅ pesh kīṅ. Is nāte se unhoṅ ne pūre Isrāīl ke lie 12 bail, 96 menḍhe, bheṛ ke 77 bachche aur gunāh kī qurbānī ke 12 bakre qurbān kie. | |
Chapter 9
Ezra | UrduGeoR | 9:1 | Kuchh der bād qaum ke rāhnumā mere pās āe aur kahne lage, “Qaum ke ām logoṅ, imāmoṅ aur Lāwiyoṅ ne apne āp ko mulk kī dīgar qaumoṅ se alag nahīṅ rakhā, go yih ghinaune rasm-o-riwāj ke pairokār haiṅ. Un kī auratoṅ se shādī karke unhoṅ ne apne beṭoṅ kī bhī shādī un kī beṭiyoṅ se karāī hai. Yoṅ Allāh kī muqaddas qaum Kanāniyoṅ, Hittiyoṅ, Farizziyoṅ, Yabūsiyoṅ, Ammoniyoṅ, Moābiyoṅ, Misriyoṅ aur Amoriyoṅ se ālūdā ho gaī hai. Aur buzurgoṅ aur afsaroṅ ne is bewafāī meṅ pahal kī hai!” | |
Ezra | UrduGeoR | 9:2 | Kuchh der bād qaum ke rāhnumā mere pās āe aur kahne lage, “Qaum ke ām logoṅ, imāmoṅ aur Lāwiyoṅ ne apne āp ko mulk kī dīgar qaumoṅ se alag nahīṅ rakhā, go yih ghinaune rasm-o-riwāj ke pairokār haiṅ. Un kī auratoṅ se shādī karke unhoṅ ne apne beṭoṅ kī bhī shādī un kī beṭiyoṅ se karāī hai. Yoṅ Allāh kī muqaddas qaum Kanāniyoṅ, Hittiyoṅ, Farizziyoṅ, Yabūsiyoṅ, Ammoniyoṅ, Moābiyoṅ, Misriyoṅ aur Amoriyoṅ se ālūdā ho gaī hai. Aur buzurgoṅ aur afsaroṅ ne is bewafāī meṅ pahal kī hai!” | |
Ezra | UrduGeoR | 9:3 | Yih sun kar maiṅ ne ranjīdā ho kar apne kapṛoṅ ko phāṛ liyā aur sar aur dāṛhī ke bāl noch noch kar nange farsh par baiṭh gayā. | |
Ezra | UrduGeoR | 9:4 | Wahāṅ maiṅ shām kī qurbānī tak behis-o-harkat baiṭhā rahā. Itne meṅ bahut-se log mere irdgird jamā ho gae. Wuh jilāwatanī se wāpas āe hue logoṅ kī bewafāī ke bāis thartharā rahe the, kyoṅki wuh Isrāīl ke Ḳhudā ke jawāb se nihāyat ḳhaufzadā the. | |
Ezra | UrduGeoR | 9:5 | Shām kī qurbānī ke waqt maiṅ wahāṅ se uṭh khaṛā huā jahāṅ maiṅ taubā kī hālat meṅ baiṭhā huā thā. Wuhī phaṭe hue kapṛe pahne hue maiṅ ghuṭne ṭek kar jhuk gayā aur apne hāthoṅ ko āsmān kī taraf uṭhāe hue Rab apne Ḳhudā se duā karne lagā, | |
Ezra | UrduGeoR | 9:6 | “Ai mere Ḳhudā, maiṅ nihāyat sharmindā hūṅ. Apnā muṅh terī taraf uṭhāne kī mujh meṅ jurrat nahīṅ rahī. Kyoṅki hamāre gunāhoṅ kā itnā baṛā ḍher lag gayā hai ki wuh ham se ūṅchā hai, balki hamārā qusūr āsmān tak pahuṅch gayā hai. | |
Ezra | UrduGeoR | 9:7 | Hamāre bāpdādā ke zamāne se le kar āj tak hamārā qusūr sanjīdā rahā hai. Isī wajah se ham bār bār pardesī hukmrānoṅ ke qabze meṅ āe haiṅ jinhoṅ ne hameṅ aur hamāre bādshāhoṅ aur imāmoṅ ko qatl kiyā, giriftār kiyā, lūṭ liyā aur hamārī behurmatī kī. Balki āj tak hamārī hālat yihī rahī hai. | |
Ezra | UrduGeoR | 9:8 | Lekin is waqt Rab hamāre Ḳhudā ne thoṛī der ke lie ham par mehrbānī kī hai. Hamārī qaum ke bache-khuche hisse ko us ne rihāī de kar apne muqaddas maqām par mahfūz rakhā hai. Yoṅ hamāre Ḳhudā ne hamārī āṅkhoṅ meṅ dubārā chamak paidā kī aur hameṅ kuchh sukūn muhaiyā kiyā hai, go ham ab tak ġhulāmī meṅ haiṅ. | |
Ezra | UrduGeoR | 9:9 | Beshak ham ġhulām haiṅ, to bhī Allāh ne hameṅ tark nahīṅ kiyā balki Fāras ke bādshāh ko ham par mehrbānī karne kī tahrīk dī hai. Us ne hameṅ az sar-e-nau zindagī atā kī hai tāki ham apne Ḳhudā kā ghar dubārā tāmīr aur us ke khanḍarāt bahāl kar sakeṅ. Allāh ne hameṅ Yahūdāh aur Yarūshalam meṅ ek mahfūz chārdīwārī se gher rakhā hai. | |
Ezra | UrduGeoR | 9:10 | Lekin ai hamāre Ḳhudā, ab ham kyā kaheṅ? Apnī in harkatoṅ ke bād ham kyā jawāb deṅ? Ham ne tere un ahkām ko nazarandāz kiyā hai | |
Ezra | UrduGeoR | 9:11 | jo tū ne apne ḳhādimoṅ yānī nabiyoṅ kī mārifat die the. Tū ne farmāyā, ‘Jis mulk meṅ tum dāḳhil ho rahe ho tāki us par qabzā karo wuh us meṅ rahne wālī qaumoṅ ke ghinaune rasm-o-riwāj ke sabab se nāpāk hai. Mulk ek sire se dūsre sire tak un kī nāpākī se bhar gayā hai. | |
Ezra | UrduGeoR | 9:12 | Lihāzā apnī beṭiyoṅ kī un ke beṭoṅ ke sāth shādī mat karwānā, na apne beṭoṅ kā un kī beṭiyoṅ ke sāth rishtā bāndhnā. Kuchh na karo jis se un kī salāmatī aur kāmyābī baṛhtī jāe. Tab hī tum tāqatwar ho kar mulk kī achchhī paidāwār khāoge, aur tumhārī aulād hameshā tak mulk kī achchhī chīzeṅ wirāsat meṅ pātī rahegī.’ | |
Ezra | UrduGeoR | 9:13 | Ab ham apnī sharīr harkatoṅ aur baṛe qusūr kī sazā bhugat rahe haiṅ, go ai Allāh, tū ne hameṅ itnī saḳht sazā nahīṅ dī jitnī hameṅ milnī chāhie thī. Tū ne hamārā yih bachā-khuchā hissā zindā chhoṛā hai. | |
Ezra | UrduGeoR | 9:14 | To kyā yih ṭhīk hai ki ham tere ahkām kī ḳhilāfwarzī karke aisī qaumoṅ se rishtā bāndheṅ jo is qism kī ghinaunī harkateṅ kartī haiṅ? Hargiz nahīṅ! Kyā is kā yih natījā nahīṅ niklegā ki terā ġhazab ham par nāzil ho kar sab kuchh tabāh kar degā aur yih bachā-khuchā hissā bhī ḳhatm ho jāegā? | |
Chapter 10
Ezra | UrduGeoR | 10:1 | Jab Azrā is tarah duā kar rahā aur Allāh ke ghar ke sāmne paṛe hue aur rote hue qaum ke qusūr kā iqrār kar rahā thā to us ke irdgird Isrāīlī mardoṅ, auratoṅ aur bachchoṅ kā baṛā hujūm jamā ho gayā. Wuh bhī phūṭ phūṭ kar rone lage. | |
Ezra | UrduGeoR | 10:2 | Phir Ailām ke ḳhāndān ke Sakaniyāh bin Yihiyel ne Azrā se kahā, “Wāqaī ham ne paṛosī qaumoṅ kī auratoṅ se shādī karke apne Ḳhudā se bewafāī kī hai. To bhī ab tak Isrāīl ke lie ummīd kī kiran bāqī hai. | |
Ezra | UrduGeoR | 10:3 | Āeṅ, ham apne Ḳhudā se ahd bāndh kar wādā kareṅ ki ham un tamām auratoṅ ko un ke bachchoṅ samet wāpas bhej deṅge. Jo bhī mashwarā āp aur Allāh ke ahkām kā ḳhauf mānane wāle dīgar log hameṅ deṅge wuh ham kareṅge. Sab kuchh sharīat ke mutābiq kiyā jāe. | |
Ezra | UrduGeoR | 10:4 | Ab uṭheṅ! Kyoṅki yih muāmalā durust karnā āp hī kā farz hai. Ham āp ke sāth haiṅ, is lie hauslā rakheṅ aur wuh kuchh kareṅ jo zarūrī hai.” | |
Ezra | UrduGeoR | 10:5 | Tab Azrā uṭhā aur rāhnumā imāmoṅ, Lāwiyoṅ aur tamām qaum ko qasam khilāī ki ham Sakaniyāh ke mashware par amal kareṅge. | |
Ezra | UrduGeoR | 10:6 | Phir Azrā Allāh ke ghar ke sāmne se chalā gayā aur Yūhanān bin Iliyāsib ke kamre meṅ dāḳhil huā. Wahāṅ us ne pūrī rāt kuchh khāe-pie baġhair guzārī. Ab tak wuh jilāwatanī se wāpas āe hue logoṅ kī bewafāī par mātam kar rahā thā. | |
Ezra | UrduGeoR | 10:7 | Sarkārī afsaroṅ aur buzurgoṅ ne faislā kiyā ki Yarūshalam aur pūre Yahūdāh meṅ elān kiyā jāe, “Lāzim hai ki jitne bhī Isrāīlī jilāwatanī se wāpas āe haiṅ wuh sab tīn din ke andar andar Yarūshalam meṅ jamā ho jāeṅ. Jo bhī is daurān hāzir na ho use jilāwatanoṅ kī jamāt se ḳhārij kar diyā jāegā aur us kī tamām milkiyat zabt ho jāegī.” | |
Ezra | UrduGeoR | 10:8 | Sarkārī afsaroṅ aur buzurgoṅ ne faislā kiyā ki Yarūshalam aur pūre Yahūdāh meṅ elān kiyā jāe, “Lāzim hai ki jitne bhī Isrāīlī jilāwatanī se wāpas āe haiṅ wuh sab tīn din ke andar andar Yarūshalam meṅ jamā ho jāeṅ. Jo bhī is daurān hāzir na ho use jilāwatanoṅ kī jamāt se ḳhārij kar diyā jāegā aur us kī tamām milkiyat zabt ho jāegī.” | |
Ezra | UrduGeoR | 10:9 | Tab Yahūdāh aur Binyamīn ke qabīloṅ ke tamām ādmī tīn din ke andar andar Yarūshalam pahuṅche. Naweṅ mahīne ke bīsweṅ din sab log Allāh ke ghar ke sahan meṅ jamā hue. Sab muāmale kī sanjīdagī aur mausam ke sabab se kāṅp rahe the, kyoṅki bārish ho rahī thī. | |
Ezra | UrduGeoR | 10:10 | Azrā Imām khaṛe ho kar kahne lagā, “Āp Allāh se bewafā ho gae haiṅ. Ġhairyahūdī auratoṅ se rishtā bāndhne se āp ne Isrāīl ke qusūr meṅ izāfā kar diyā hai. | |
Ezra | UrduGeoR | 10:11 | Ab Rab apne bāpdādā ke Ḳhudā ke huzūr apne gunāhoṅ kā iqrār karke us kī marzī pūrī kareṅ. Paṛosī qaumoṅ aur apnī pardesī bīwiyoṅ se alag ho jāeṅ.” | |
Ezra | UrduGeoR | 10:12 | Pūrī jamāt ne buland āwāz se jawāb diyā, “Āp ṭhīk kahte haiṅ! Lāzim hai ki ham āp kī hidāyat par amal kareṅ. | |
Ezra | UrduGeoR | 10:13 | Lekin yih koī aisā muāmalā nahīṅ hai jo ek yā do din meṅ durust kiyā jā sake. Kyoṅki ham bahut log haiṅ aur ham se sanjīdā gunāh sarzad huā hai. Nīz, is waqt barsāt kā mausam hai, aur ham zyādā der tak bāhar nahīṅ ṭhahar sakte. | |
Ezra | UrduGeoR | 10:14 | Behtar hai ki hamāre buzurg pūrī jamāt kī numāindagī kareṅ. Phir jitne bhī ādmiyoṅ kī Ġhairyahūdī bīwiyāṅ haiṅ wuh ek muqarrarā din maqāmī buzurgoṅ aur qāziyoṅ ko sāth le kar yahāṅ āeṅ aur muāmalā durust kareṅ. Aur lāzim hai ki yih silsilā us waqt tak jārī rahe jab tak Rab kā ġhazab ṭhanḍā na ho jāe.” | |
Ezra | UrduGeoR | 10:15 | Tamām log muttafiq hue, sirf Yūnatan bin Asāhel aur Yahziyāh bin Tiqwā ne faisle kī muḳhālafat kī jabki Masullām aur Sabbatī Lāwī un ke haq meṅ the. | |
Ezra | UrduGeoR | 10:16 | To bhī Isrāīliyoṅ ne mansūbe par amal kiyā. Azrā Imām ne chand ek ḳhāndānī sarparastoṅ ke nām le kar unheṅ yih zimmedārī dī ki jahāṅ bhī kisī Yahūdī mard kī Ġhairyahūdī aurat se shādī huī hai wahāṅ wuh pūre muāmale kī tahqīq kareṅ. Un kā kām dasweṅ mahīne ke pahle din shurū huā aur pahle mahīne ke pahle din takmīl tak pahuṅchā. | |
Ezra | UrduGeoR | 10:17 | To bhī Isrāīliyoṅ ne mansūbe par amal kiyā. Azrā Imām ne chand ek ḳhāndānī sarparastoṅ ke nām le kar unheṅ yih zimmedārī dī ki jahāṅ bhī kisī Yahūdī mard kī Ġhairyahūdī aurat se shādī huī hai wahāṅ wuh pūre muāmale kī tahqīq kareṅ. Un kā kām dasweṅ mahīne ke pahle din shurū huā aur pahle mahīne ke pahle din takmīl tak pahuṅchā. | |
Ezra | UrduGeoR | 10:18 | Darj-e-zail un ādmiyoṅ kī fahrist hai jinhoṅ ne Ġhairyahūdī auratoṅ se shādī kī thī. Unhoṅ ne qasam khā kar wādā kiyā ki ham apnī bīwiyoṅ se alag ho jāeṅge. Sāth sāth har ek ne qusūr kī qurbānī ke taur par menḍhā qurbān kiyā. Imāmoṅ meṅ se qusūrwār: Yashua bin Yūsadaq aur us ke bhāī Māsiyāh, Iliyazar, Yarīb aur Jidaliyāh, | |
Ezra | UrduGeoR | 10:19 | Darj-e-zail un ādmiyoṅ kī fahrist hai jinhoṅ ne Ġhairyahūdī auratoṅ se shādī kī thī. Unhoṅ ne qasam khā kar wādā kiyā ki ham apnī bīwiyoṅ se alag ho jāeṅge. Sāth sāth har ek ne qusūr kī qurbānī ke taur par menḍhā qurbān kiyā. Imāmoṅ meṅ se qusūrwār: Yashua bin Yūsadaq aur us ke bhāī Māsiyāh, Iliyazar, Yarīb aur Jidaliyāh, | |
Ezra | UrduGeoR | 10:22 | Fashhūr ke ḳhāndān kā Iliyuainī, Māsiyāh, Ismāīl, Nataniyel, Yūzabad aur Iliyāsā. | |
Ezra | UrduGeoR | 10:23 | Lāwiyoṅ meṅ se qusūrwār: Yūzabad, Simaī, Qilāyāh yānī Qalītā, Fatahiyāh, Yahūdāh aur Iliyazar. | |
Ezra | UrduGeoR | 10:24 | Gulūkāroṅ meṅ se qusūrwār: Iliyāsib. Rab ke ghar ke darbānoṅ meṅ se qusūrwār: Sallūm, Talam aur Ūrī. | |
Ezra | UrduGeoR | 10:25 | Bāqī qusūrwār Isrāīlī: Parūs ke ḳhāndān kā Ramiyāh, Yazziyāh, Malkiyāh, Miyāmīn, Iliyazar, Malkiyāh aur Bināyāh. | |
Ezra | UrduGeoR | 10:30 | Pakhat-moāb ke ḳhāndān kā Adnā, Kilāl, Bināyāh, Māsiyāh, Mattaniyāh, Bazliyel, Binnūī aur Manassī. | |
Ezra | UrduGeoR | 10:33 | Hāshūm ke ḳhāndān kā Mattanī, Mattattāh, Zabad, Ilīfalat, yaremī, Manassī aur Simaī. | |