Toggle notes
Chapter 1
Dani | UrduGeoR | 1:1 | Shāh-e-Yahūdāh Yahūyaqīm kī saltanat ke tīsre sāl meṅ Shāh-e-Bābal Nabūkadnazzar ne Yarūshalam ā kar us kā muhāsarā kiyā. | |
Dani | UrduGeoR | 1:2 | Us waqt Rab ne Yahūyaqīm aur Allāh ke ghar kā kāfī sāmān Nabūkadnazzar ke hawāle kar diyā. Nabūkadnazzar ne yih chīzeṅ Mulk-e-Bābal meṅ le jā kar apne dewatā ke mandir ke ḳhazāne meṅ mahfūz kar dīṅ. | |
Dani | UrduGeoR | 1:3 | Phir us ne apne darbār ke ālā afsar Ashpanāz ko hukm diyā, “Yahūdāh ke shāhī ḳhāndān aur ūṅche tabqe ke ḳhāndānoṅ kī taftīsh karo. Un meṅ se kuchh aise naujawānoṅ ko chun kar le āo | |
Dani | UrduGeoR | 1:4 | jo beaib, ḳhūbsūrat, hikmat ke har lihāz se samajhdār, tālīmyāftā aur samajhne meṅ tez hoṅ. Ġharz yih ādmī shāhī mahal meṅ ḳhidmat karne ke qābil hoṅ. Unheṅ Bābal kī zabān likhne aur bolne kī tālīm do.” | |
Dani | UrduGeoR | 1:5 | Bādshāh ne muqarrar kiyā ki rozānā unheṅ shāhī bāwarchīḳhāne se kitnā khānā aur mai milnī hai. Tīn sāl kī tarbiyat ke bād unheṅ bādshāh kī ḳhidmat ke lie hāzir honā thā. | |
Dani | UrduGeoR | 1:6 | Jab in naujawānoṅ ko chunā gayā to chār ādmī un meṅ shāmil the jin ke nām Dānyāl, Hananiyāh, Mīsāel aur Azariyāh the. | |
Dani | UrduGeoR | 1:7 | Darbār ke ālā afsar ne un ke nae nām rakhe. Dānyāl Beltashazzar meṅ badal gayā, Hananiyāh Sadrak meṅ, Mīsāel Mīsak meṅ aur Azariyāh Abadnajū meṅ. | |
Dani | UrduGeoR | 1:8 | Lekin Dānyāl ne musammam irādā kar liyā ki maiṅ apne āp ko shāhī khānā khāne aur shāhī mai pīne se nāpāk nahīṅ karūṅga. Us ne darbār ke ālā afsar se in chīzoṅ se parhez karne kī ijāzat māṅgī. | |
Dani | UrduGeoR | 1:9 | Allāh ne pahle se is afsar kā dil narm kar diyā thā, is lie wuh Dānyāl kā ḳhās lihāz kartā aur us par mehrbānī kartā thā. | |
Dani | UrduGeoR | 1:10 | Lekin Dānyāl kī darḳhāst sun kar us ne jawāb diyā, “Mujhe apne āqā bādshāh se ḍar hai. Unhīṅ ne muta'ayyin kiyā ki tumheṅ kyā kyā khānā aur pīnā hai. Agar unheṅ patā chale ki tum dūsre naujawānoṅ kī nisbat duble-patle aur kamzor lage to wuh merā sar qalam kareṅge.” | |
Dani | UrduGeoR | 1:11 | Tab Dānyāl ne us nigarān se bāt kī jise darbār ke ālā afsar ne Dānyāl, Hananiyāh, Mīsāel aur Azariyāh par muqarrar kiyā thā. Wuh bolā, | |
Dani | UrduGeoR | 1:12 | “Zarā das din tak apne ḳhādimoṅ ko āzmāeṅ. Itne meṅ hameṅ khāne ke lie sirf sāg-pāt aur pīne ke lie pānī dījie. | |
Dani | UrduGeoR | 1:13 | Is ke bād hamārī sūrat kā muqābalā un dīgar naujawānoṅ ke sāth kareṅ jo shāhī khānā khāte haiṅ. Phir hī faislā kareṅ ki āindā apne ḳhādimoṅ ke sāth kaisā sulūk kareṅge.” | |
Dani | UrduGeoR | 1:14 | Nigarān mān gayā. Das din tak wuh unheṅ sāg-pāt khilā kar aur pānī pilā kar āzmātā rahā. | |
Dani | UrduGeoR | 1:15 | Das din ke bād kyā deḳhtā hai ki Dānyāl aur us ke tīn dost shāhī khānā khāne wāle dīgar naujawānoṅ kī nisbat kahīṅ zyādā sehhatmand aur moṭe-tāze lag rahe haiṅ. | |
Dani | UrduGeoR | 1:16 | Tab nigarān un ke lie muqarrarā shāhī khāne aur mai kā intazām band karke unheṅ sirf sāg-pāt khilāne lagā. | |
Dani | UrduGeoR | 1:17 | Allāh ne in chār ādmiyoṅ ko adab aur hikmat ke har shobe meṅ ilm aur samajh atā kī. Nīz, Dānyāl har qism kī royā aur ḳhāb kī tābīr kar saktā thā. | |
Dani | UrduGeoR | 1:18 | Muqarrarā tīn sāl ke bād darbār ke ālā afsar ne tamām naujawānoṅ ko Nabūkadnazzar ke sāmne pesh kiyā. | |
Dani | UrduGeoR | 1:19 | Jab bādshāh ne un se guftgū kī to mālūm huā ki Dānyāl, Hananiyāh, Mīsāel aur Azariyāh dūsroṅ par sabqat rakhte haiṅ. Chunāṅche chāroṅ bādshāh ke mulāzim ban gae. | |
Dani | UrduGeoR | 1:20 | Jab bhī kisī muāmale meṅ ḳhās hikmat aur samajh darkār hotī to bādshāh ne dekhā ki yih chār naujawān mashwarā dene meṅ pūrī saltanat ke tamām qismat kā hāl batāne wāloṅ aur jādūgaroṅ se das gunā zyādā qābil haiṅ. | |
Chapter 2
Dani | UrduGeoR | 2:1 | Apnī hukūmat ke dūsre sāl meṅ Nabūkadnazzar ne ḳhāb dekhā. Ḳhāb itnā haulnāk thā ki wuh ghabrā kar jāg uṭhā. | |
Dani | UrduGeoR | 2:2 | Us ne hukm diyā ki tamām qismat kā hāl batāne wāle, jādūgar, afsūṅgar aur najūmī mere pās ā kar ḳhāb kā matlab batāeṅ. Jab wuh hāzir hue | |
Dani | UrduGeoR | 2:3 | to bādshāh bolā, “Maiṅ ne ek ḳhāb dekhā hai jo mujhe bahut pareshān kar rahā hai. Ab maiṅ us kā matlab jānanā chāhtā hūṅ.” | |
Dani | UrduGeoR | 2:4 | Nujūmiyoṅ ne Arāmī zabān meṅ jawāb diyā, “Bādshāh salāmat apne ḳhādimoṅ ke sāmne yih ḳhāb bayān kareṅ to ham us kī tābīr kareṅge.” | |
Dani | UrduGeoR | 2:5 | Lekin bādshāh bolā, “Nahīṅ, tum hī mujhe wuh kuchh batāo aur us kī tābīr karo jo maiṅ ne ḳhāb meṅ dekhā. Agar tum yih na kar sako to maiṅ hukm dūṅgā ki tumheṅ ṭukṛe ṭukṛe kar diyā jāe aur tumhāre ghar kachre ke ḍher ho jāeṅ. Yih merā musammam irādā hai. | |
Dani | UrduGeoR | 2:6 | Lekin agar tum mujhe wuh kuchh batā kar us kī tābīr karo jo maiṅ ne ḳhāb meṅ dekhā to maiṅ tumheṅ achchhe tohfe aur inām dūṅgā, nīz tumhārī ḳhās izzat karūṅga. Ab shurū karo! Mujhe wuh kuchh batāo aur us kī tābīr karo jo maiṅ ne ḳhāb meṅ dekhā.” | |
Dani | UrduGeoR | 2:7 | Ek bār phir unhoṅ ne minnat kī, “Bādshāh apne ḳhādimoṅ ke sāmne apnā ḳhāb batāeṅ to ham zarūr us kī tābīr kareṅge.” | |
Dani | UrduGeoR | 2:8 | Bādshāh ne jawāb diyā, “Mujhe sāf patā hai ki tum kyā kar rahe ho! Tum sirf ṭāl-maṭol kar rahe ho, kyoṅki tum samajh gae ho ki merā irādā pakkā hai. | |
Dani | UrduGeoR | 2:9 | Agar tum mujhe ḳhāb na batāo to tum sab ko ek hī sazā dī jāegī. Kyoṅki tum sab jhūṭ aur ġhalat bāteṅ pesh karne par muttafiq ho gae ho, yih ummīd rakhte hue ki hālāt kisī waqt badal jāeṅge. Mujhe ḳhāb batāo to mujhe patā chal jāegā ki tum mujhe us kī sahīh tābīr pesh kar sakte ho.” | |
Dani | UrduGeoR | 2:10 | Nujūmiyoṅ ne etarāz kiyā, “Duniyā meṅ koī bhī insān wuh kuchh nahīṅ kar pātā jo bādshāh māṅgte haiṅ. Yih kabhī huā bhī nahīṅ ki kisī bādshāh ne aisī bāt kisī qismat kā hāl batāne wāle, jādūgar yā najūmī se talab kī, ḳhāh bādshāh kitnā azīm kyoṅ na thā. | |
Dani | UrduGeoR | 2:11 | Jis chīz kā taqāzā bādshāh karte haiṅ wuh had se zyādā mushkil hai. Sirf dewatā hī yih bāt bādshāh par zāhir kar sakte haiṅ, lekin wuh to insān ke darmiyān rahte nahīṅ.” | |
Dani | UrduGeoR | 2:12 | Yih sun kar bādshāh āg-bagūlā ho gayā. Baṛe ġhusse meṅ us ne hukm diyā ki Bābal ke tamām dānishmandoṅ ko sazā-e-maut dī jāe. | |
Dani | UrduGeoR | 2:13 | Farmān sādir huā ki dānishmandoṅ ko mār ḍālnā hai. Chunāṅche Dānyāl aur us ke dostoṅ ko bhī talāsh kiyā gayā tāki unheṅ sazā-e-maut deṅ. | |
Dani | UrduGeoR | 2:14 | Shāhī muhāfizoṅ kā afsar banām Aryūk abhī dānishmandoṅ ko mār ḍālne ke lie rawānā huā ki Dānyāl baṛī hikmat aur mauqāshanāsī se us se muḳhātib huā. | |
Dani | UrduGeoR | 2:15 | Us ne afsar se pūchhā, “Bādshāh ne itnā saḳht farmān kyoṅ jārī kiyā?” Aryūk ne Dānyāl ko sārā muāmalā bayān kiyā. | |
Dani | UrduGeoR | 2:16 | Dānyāl fauran bādshāh ke pās gayā aur us se darḳhāst kī, “Zarā mujhe kuchh muhlat dījie tāki maiṅ bādshāh ke ḳhāb kī tābīr kar sakūṅ.” | |
Dani | UrduGeoR | 2:17 | Phir wuh apne ghar wāpas gayā aur apne dostoṅ Hananiyāh, Mīsāel aur Azariyāh ko tamām sūrat-e-hāl sunāī. | |
Dani | UrduGeoR | 2:18 | Wuh bolā, “Āsmān ke Ḳhudā se iltijā kareṅ ki wuh mujh par rahm kare. Minnat kareṅ ki wuh mere lie bhed khole tāki ham dīgar dānishmandoṅ ke sāth halāk na ho jāeṅ.” | |
Dani | UrduGeoR | 2:19 | Rāt ke waqt Dānyāl ne royā dekhī jis meṅ us ke lie bhed kholā gayā. Tab us ne āsmān ke Ḳhudā kī hamd-o-sanā kī, | |
Dani | UrduGeoR | 2:20 | “Allāh ke nām kī tamjīd azal se abad tak ho. Wuhī hikmat aur quwwat kā mālik hai. | |
Dani | UrduGeoR | 2:21 | Wuhī auqāt aur zamāne badalne detā hai. Wuhī bādshāhoṅ ko taḳht par biṭhā detā aur unheṅ taḳht par se utār detā hai. Wuhī dānishmandoṅ ko dānāī aur samajhdāroṅ ko samajh atā kartā hai. | |
Dani | UrduGeoR | 2:22 | Wuhī gahrī aur poshīdā bāteṅ zāhir kartā hai. Jo kuchh andhere meṅ chhupā rahtā hai us kā ilm wuh rakhtā hai, kyoṅki wuh raushnī se ghirā rahtā hai. | |
Dani | UrduGeoR | 2:23 | Ai mere bāpdādā ke Ḳhudā, maiṅ terī hamd-o-sanā kartā hūṅ! Tū ne mujhe hikmat aur tāqat atā kī hai. Jo bāt ham ne tujh se māṅgī wuh tū ne ham par zāhir kī, kyoṅki tū ne ham par bādshāh kā ḳhāb zāhir kiyā hai.” | |
Dani | UrduGeoR | 2:24 | Phir Dānyāl Aryūk ke pās gayā jise bādshāh ne Bābal ke dānishmandoṅ ko sazā-e-maut dene kī zimmedārī dī thī. Us ne us se darḳhāst kī, “Bābal ke dānishmandoṅ ko maut ke ghāṭ na utāreṅ, kyoṅki maiṅ bādshāh ke ḳhāb kī tābīr kar saktā hūṅ. Mujhe bādshāh ke huzūr pahuṅchā deṅ to maiṅ unheṅ sab kuchh batā dūṅgā.” | |
Dani | UrduGeoR | 2:25 | Yih sun kar Aryūk bhāg kar Dānyāl ko bādshāh ke huzūr le gayā. Wuh bolā, “Mujhe Yahūdāh ke jilāwatanoṅ meṅ se ek ādmī mil gayā jo bādshāh ko ḳhāb kā matlab batā saktā hai.” | |
Dani | UrduGeoR | 2:26 | Tab Nabūkadnazzar ne Dānyāl se jo Beltashazzar kahlātā thā pūchhā, “Kyā tum mujhe wuh kuchh batā sakte ho jo maiṅ ne ḳhāb meṅ dekhā? Kyā tum us kī tābīr kar sakte ho?” | |
Dani | UrduGeoR | 2:27 | Dānyāl ne jawāb diyā, “Jo bhed bādshāh jānanā chāhte haiṅ use kholne kī kunjī kisī bhī dānishmand, jādūgar, qismat kā hāl batāne wāle yā ġhaibdān ke pās nahīṅ hotī. | |
Dani | UrduGeoR | 2:28 | Lekin āsmān par ek Ḳhudā hai jo bhedoṅ kā matlab insān par zāhir kar detā hai. Usī ne Nabūkadnazzar Bādshāh ko dikhāyā ki āne wāle dinoṅ meṅ kyā kuchh pesh āegā. Sote waqt āp ne ḳhāb meṅ royā dekhī. | |
Dani | UrduGeoR | 2:29 | Ai bādshāh, jab āp palang par leṭe hue the to āp ke zahan meṅ āne wāle dinoṅ ke bāre meṅ ḳhayālāt ubhar āe. Tab bhedoṅ ko kholne wāle Ḳhudā ne āp par zāhir kiyā ki āne wāle dinoṅ meṅ kyā kuchh pesh āegā. | |
Dani | UrduGeoR | 2:30 | Is bhed kā matlab mujh par zāhir huā hai, lekin is lie nahīṅ ki mujhe dīgar tamām dānishmandoṅ se zyādā hikmat hāsil hai balki is lie ki āp ko bhed kā matlab mālūm ho jāe aur āp samajh sakeṅ ki āp ke zahan meṅ kyā kuchh ubhar āyā hai. | |
Dani | UrduGeoR | 2:31 | Ai bādshāh, royā meṅ āp ne apne sāmne ek baṛā aur lambā-taṛangā mujassamā dekhā jo tezī se chamak rahā thā. Shakl-o-sūrat aisī thī ki insān ke roṅgṭe khaṛe ho jāte the. | |
Dani | UrduGeoR | 2:33 | aur pinḍliyāṅ lohe kī thīṅ. Us ke pāṅwoṅ kā ādhā hissā lohā aur ādhā hissā pakī huī miṭṭī thā. | |
Dani | UrduGeoR | 2:34 | Āp is manzar par ġhaur hī kar rahe the ki achānak kisī pahāṛī ḍhalān se patthar kā baṛā ṭukṛā alag huā. Yih baġhair kisī insānī hāth ke huā. Patthar ne dhaṛām se mujassame ke lohe aur miṭṭī ke pāṅwoṅ par gir kar donoṅ ko chūr chūr kar diyā. | |
Dani | UrduGeoR | 2:35 | Natīje meṅ pūrā mujassamā pāsh pāsh ho gayā. Jitnā bhī lohā, miṭṭī, pītal, chāṅdī aur sonā thā wuh us bhūse kī mānind ban gayā jo gāhte waqt bāqī rah jātā hai. Hawā ne sab kuchh yoṅ uṛā diyā ki in chīzoṅ kā nām-o-nishān tak na rahā. Lekin jis patthar ne mujassame ko girā diyā wuh zabardast pahāṛ ban kar itnā baṛh gayā ki pūrī duniyā us se bhar gaī. | |
Dani | UrduGeoR | 2:37 | Ai bādshāh, āp shahanshāh haiṅ. Āsmān ke Ḳhudā ne āp ko saltanat, quwwat, tāqat aur izzat se nawāzā hai. | |
Dani | UrduGeoR | 2:38 | Us ne insān ko janglī jānwaroṅ aur parindoṅ samet āp hī ke hawāle kar diyā hai. Jahāṅ bhī wuh baste haiṅ us ne āp ko hī un par muqarrar kiyā hai. Āp hī mazkūrā sone kā sar haiṅ. | |
Dani | UrduGeoR | 2:39 | Āp ke bād ek aur saltanat qāym ho jāegī, lekin us kī tāqat āp kī saltanat se kam hogī. Phir pītal kī ek tīsrī saltanat wujūd meṅ āegī jo pūrī duniyā par hukūmat karegī. | |
Dani | UrduGeoR | 2:40 | Āḳhir meṅ ek chauthī saltanat āegī jo lohe jaisī tāqatwar hogī. Jis tarah lohā sab kuchh toṛ kar pāsh pāsh kar detā hai usī tarah wuh dīgar sab ko toṛ kar pāsh pāsh karegī. | |
Dani | UrduGeoR | 2:41 | Āp ne dekhā ki mujassame ke pāṅwoṅ aur ungliyoṅ meṅ kuchh lohā aur kuchh pakī huī miṭṭī thī. Is kā matlab hai, is saltanat ke do alag hisse hoṅge. Lekin jis tarah ḳhāb meṅ miṭṭī ke sāth lohā milāyā gayā thā usī tarah chauthī saltanat meṅ lohe kī kuchh na kuchh tāqat hogī. | |
Dani | UrduGeoR | 2:42 | Ḳhāb meṅ pāṅwoṅ kī ungliyoṅ meṅ kuchh lohā bhī thā aur kuchh miṭṭī bhī. Is kā matlab hai, chauthī saltanat kā ek hissā tāqatwar aur dūsrā nāzuk hogā. | |
Dani | UrduGeoR | 2:43 | Lohe aur miṭṭī kī milāwaṭ kā matlab hai ki go log āpas meṅ shādī karne se ek dūsre ke sāth muttahid hone kī koshish kareṅge to bhī wuh ek dūsre se paiwast nahīṅ raheṅge, bilkul usī tarah jis tarah lohā miṭṭī ke sāth paiwast nahīṅ rah saktā. | |
Dani | UrduGeoR | 2:44 | Jab yih bādshāh hukūmat kareṅge, unhīṅ dinoṅ meṅ āsmān kā Ḳhudā ek bādshāhī qāym karegā jo na kabhī tabāh hogī, na kisī dūsrī qaum ke hāth meṅ āegī. Yih bādshāhī in dīgar tamām saltanatoṅ ko pāsh pāsh karke ḳhatm karegī, lekin ḳhud abad tak qāym rahegī. | |
Dani | UrduGeoR | 2:45 | Yihī ḳhāb meṅ us patthar kā matlab hai jis ne baġhair kisī insānī hāth ke pahāṛī ḍhalān se alag ho kar mujassame ke lohe, pītal, miṭṭī, chāṅdī aur sone ko pāsh pāsh kar diyā. Is tarīqe se azīm Ḳhudā ne bādshāh par zāhir kiyā hai ki mustaqbil meṅ kyā kuchh pesh āegā. Yih ḳhāb qābil-e-etamād aur us kī tābīr sahīh hai.” | |
Dani | UrduGeoR | 2:46 | Yih sun kar Nabūkadnazzar Bādshāh ne aundhe muṅh ho kar Dānyāl ko sijdā kiyā aur hukm diyā ki Dānyāl ko ġhallā aur baḳhūr kī qurbāniyāṅ pesh kī jāeṅ. | |
Dani | UrduGeoR | 2:47 | Dānyāl se us ne kahā, “Yaqīnan, tumhārā Ḳhudā ḳhudāoṅ kā Ḳhudā aur bādshāhoṅ kā Mālik hai. Wuh wāqaī bhedoṅ ko kholtā hai, warnā tum yih bhed mere lie khol na pāte.” | |
Dani | UrduGeoR | 2:48 | Nabūkadnazzar ne Dānyāl ko baṛā ohdā aur muta'addid beshqīmat tohfe die. Us ne use pūre sūbā Bābal kā gawarnar banā diyā. Sāth sāth Dānyāl Bābal ke tamām dānishmandoṅ par muqarrar huā. | |
Chapter 3
Dani | UrduGeoR | 3:1 | Ek din Nabūkadnazzar ne sone kā mujassamā banwāyā. Us kī ūṅchāī 90 fuṭ aur chauṛāī 9 fuṭ thī. Us ne hukm diyā ki but ko sūbā Bābal ke maidān banām dūrā meṅ khaṛā kiyā jāe. | |
Dani | UrduGeoR | 3:2 | Phir us ne tamām sūbedāroṅ, gawarnaroṅ, muntazimoṅ, mushīroṅ, ḳhazānchiyoṅ, jajoṅ, majisṭreṭoṅ, aur sūboṅ ke dīgar tamām baṛe baṛe sarkārī mulāzimoṅ ko paiġhām bhejā ki mujassame kī maḳhsūsiyat ke lie ā kar jamā ho jāo. | |
Dani | UrduGeoR | 3:3 | Chunāṅche sab but kī maḳhsūsiyat ke lie jamā ho gae. Jab sab us ke sāmne khaṛe the | |
Dani | UrduGeoR | 3:4 | to shāhī naqīb ne buland āwāz se elān kiyā, “Ai muḳhtalif qaumoṅ, ummatoṅ aur zabānoṅ ke logo, suno! Bādshāh farmātā hai, | |
Dani | UrduGeoR | 3:5 | ‘Jyoṅ hī narsingā, shahnāī, santūr, sarod, ūd, bīn aur dīgar tamām sāz bajeṅge to lāzim hai ki sab aundhe muṅh ho kar bādshāh ke khaṛe kie gae sone ke but ko sijdā kareṅ. | |
Dani | UrduGeoR | 3:7 | Chunāṅche jyoṅ hī sāz bajne lage to muḳhtalif qaumoṅ, ummatoṅ aur zabānoṅ ke tamām log muṅh ke bal ho kar Nabūkadnazzar ke khaṛe kie gae but ko sijdā karne lage. | |
Dani | UrduGeoR | 3:10 | Ai bādshāh, āp ne farmāyā, ‘Jyoṅ hī narsingā, shahnāī, santūr, sarod, ūd, bīn aur dīgar tamām sāz bajeṅge to lāzim hai ki sab aundhe muṅh ho kar bādshāh ke khaṛe kie gae is sone ke but ko sijdā kareṅ. | |
Dani | UrduGeoR | 3:12 | Lekin kuchh Yahūdī ādmī haiṅ jo āp kī parwā hī nahīṅ karte, hālāṅki āp ne unheṅ sūbā Bābal kī intazāmiyā par muqarrar kiyā thā. Yih ādmī banām Sadrak, Mīsak aur Abadnajū na āp ke dewatāoṅ kī pūjā karte, na sone ke us but kī parastish karte haiṅ jo āp ne khaṛā kiyā hai.” | |
Dani | UrduGeoR | 3:13 | Yih sun kar Nabūkadnazzar āpe se bāhar ho gayā. Us ne sīdhā Sadrak, Mīsak aur Abadnajū ko bulāyā. Jab pahuṅche | |
Dani | UrduGeoR | 3:14 | to bolā, “Ai Sadrak, Mīsak aur Abadnajū, kyā yih sahīh hai ki na tum mere dewatāoṅ kī pūjā karte, na mere khaṛe kie gae mujassame kī parastish karte ho? | |
Dani | UrduGeoR | 3:15 | Maiṅ tumheṅ ek āḳhirī mauqā detā hūṅ. Sāz dubārā bajeṅge to tumheṅ muṅh ke bal ho kar mere banwāe hue mujassame ko sijdā karnā hai. Agar tum aisā na karo to tumheṅ sīdhā bhaṛaktī bhaṭṭī meṅ phaiṅkā jāegā. Tab kaun-sā Ḳhudā tumheṅ mere hāth se bachā sakegā?” | |
Dani | UrduGeoR | 3:16 | Sadrak, Mīsak aur Abadnajū ne jawāb diyā, “Ai Nabūkadnazzar, is muāmale meṅ hameṅ apnā difā karne kī zarūrat nahīṅ hai. | |
Dani | UrduGeoR | 3:17 | Jis Ḳhudā kī ḳhidmat ham karte haiṅ wuh hameṅ bachā saktā hai, ḳhāh hameṅ bhaṛaktī bhaṭṭī meṅ kyoṅ na phaiṅkā jāe. Ai bādshāh, wuh hameṅ zarūr āp ke hāth se bachāegā. | |
Dani | UrduGeoR | 3:18 | Lekin agar wuh hameṅ na bhī bachāe to bhī āp ko mālūm ho ki na ham āp ke dewatāoṅ kī pūjā kareṅge, na āp ke khaṛe kie gae sone ke mujassame kī parastish kareṅge.” | |
Dani | UrduGeoR | 3:19 | Yih sun kar Nabūkadnazzar āg-bagūlā ho gayā. Sadrak, Mīsak aur Abadnajū ke sāmne us kā chehrā bigaṛ gayā aur us ne hukm diyā ki bhaṭṭī ko māmūl kī nisbat sāt gunā zyādā garm kiyā jāe. | |
Dani | UrduGeoR | 3:20 | Phir us ne kahā ki behtarīn faujiyoṅ meṅ se chand ek Sadrak, Mīsak aur Abadnajū ko bāndh kar bhaṛaktī bhaṭṭī meṅ phaiṅk deṅ. | |
Dani | UrduGeoR | 3:21 | Tīnoṅ ko bāndh kar bhaṛaktī bhaṭṭī meṅ phaiṅkā gayā. Un ke choġhe, pājāme aur ṭopiyāṅ utārī na gaīṅ. | |
Dani | UrduGeoR | 3:22 | Chūṅki bādshāh ne bhaṭṭī ko garm karne par ḳhās zor diyā thā is lie āg itnī tez huī ki jo faujī Sadrak, Mīsak aur Abadnajū ko le kar bhaṭṭī ke muṅh tak chaṛh gae wuh fauran nazar-e-ātish ho gae. | |
Dani | UrduGeoR | 3:24 | Achānak Nabūkadnazzar Bādshāh chaunk uṭhā. Us ne uchhal kar apne mushīroṅ se pūchhā, “Ham ne to tīn ādmiyoṅ ko bāndh kar bhaṭṭī meṅ phaiṅkwāyā ki nahīṅ?” Unhoṅ ne jawāb diyā, “Jī, ai bādshāh.” | |
Dani | UrduGeoR | 3:25 | Wuh bolā, “To phir yih kyā hai? Mujhe chār ādmī āg meṅ idhar-udhar phirte hue nazar ā rahe haiṅ. Na wuh bandhe hue haiṅ, na unheṅ nuqsān pahuṅch rahā hai. Chauthā ādmī dewatāoṅ kā beṭā-sā lag rahā hai.” | |
Dani | UrduGeoR | 3:26 | Nabūkadnazzar jaltī huī bhaṭṭī ke muṅh ke qarīb gayā aur pukārā, “Ai Sadrak, Mīsak aur Abadnajū, ai Allāh T'ālā ke bando, nikal āo! Idhar āo.” Tab Sadrak, Mīsak aur Abadnajū āg se nikal āe. | |
Dani | UrduGeoR | 3:27 | Sūbedār, gawarnar, muntazim aur shāhī mushīr un ke gird jamā hue to dekhā ki āg ne un ke jismoṅ ko nuqsān nahīṅ pahuṅchāyā. Bāloṅ meṅ se ek bhī jhulas nahīṅ gayā thā, na un ke libās āg se muta'assir hue the. Āg aur dhueṅ kī bū tak nahīṅ thī. | |
Dani | UrduGeoR | 3:28 | Tab Nabūkadnazzar bolā, “Sadrak, Mīsak aur Abadnajū ke Ḳhudā kī tamjīd ho jis ne apne farishte ko bhej kar apne bandoṅ ko bachāyā. Unhoṅ ne us par bharosā rakh kar bādshāh ke hukm kī nāfarmānī kī. Apne Ḳhudā ke siwā kisī aur kī ḳhidmat yā parastish karne se pahle wuh apnī jān ko dene ke lie taiyār the. | |
Dani | UrduGeoR | 3:29 | Chunāṅche merā hukm suno! Sadrak, Mīsak aur Abadnajū ke Ḳhudā ke ḳhilāf kufr baknā tamām qaumoṅ, ummatoṅ aur zabānoṅ ke afrād ke lie saḳht manā hai. Jo bhī aisā kare use ṭukṛe ṭukṛe kar diyā jāegā aur us ke ghar ko kachre kā ḍher banāyā jāegā. Kyoṅki koī bhī dewatā is tarah nahīṅ bachā saktā.” | |
Chapter 4
Dani | UrduGeoR | 4:1 | Nabūkadnazzar duniyā kī tamām qaumoṅ, ummatoṅ aur zabānoṅ ke afrād ko zail kā paiġhām bhejtā hai, Sab kī salāmatī ho! | |
Dani | UrduGeoR | 4:2 | Maiṅ ne sab ko un ilāhī nishānāt aur mojizāt se āgāh karne kā faislā kiyā hai jo Allāh T'ālā ne mere lie kie haiṅ. | |
Dani | UrduGeoR | 4:3 | Us ke nishān kitne azīm, us ke mojizāt kitne zabardast haiṅ! Us kī bādshāhī abadī hai, us kī saltanat nasl-dar-nasl qāym rahtī hai. | |
Dani | UrduGeoR | 4:5 | Lekin ek din maiṅ ek ḳhāb dekh kar bahut ghabrā gayā. Maiṅ palang par leṭā huā thā ki itnī haulnāk bāteṅ aur royāeṅ mere sāmne se guzarīṅ ki maiṅ ḍar gayā. | |
Dani | UrduGeoR | 4:6 | Tab maiṅ ne hukm diyā ki Bābal ke tamām dānishmand mere pās āeṅ tāki mere lie ḳhāb kī tābīr kareṅ. | |
Dani | UrduGeoR | 4:7 | Qismat kā hāl batāne wāle, jādūgar, najūmī aur ġhaibdān pahuṅche to maiṅ ne unheṅ apnā ḳhāb bayān kiyā, lekin wuh us kī tābīr karne meṅ nākām rahe. | |
Dani | UrduGeoR | 4:8 | Āḳhirkār Dānyāl mere huzūr āyā jis kā nām Beltashazzar rakhā gayā hai. (Mere dewatā kā nām bel hai.) Dānyāl meṅ muqaddas dewatāoṅ kī rūh hai. Use bhī maiṅ ne apnā ḳhāb sunāyā. | |
Dani | UrduGeoR | 4:9 | Maiṅ bolā, “Ai Beltashazzar, tum jādūgaroṅ ke sardār ho, aur maiṅ jāntā hūṅ ki muqaddas dewatāoṅ kī rūh tum meṅ hai. Koī bhī bhed tumhāre lie itnā mushkil nahīṅ hai ki tum use khol na sako. Ab merā ḳhāb sun kar us kī tābīr karo! | |
Dani | UrduGeoR | 4:10 | Palang par leṭe hue maiṅ ne royā meṅ dekhā ki duniyā ke bīch meṅ nihāyat lambā-sā daraḳht lagā hai. | |
Dani | UrduGeoR | 4:11 | Yih daraḳht itnā ūṅchā aur tanāwar hotā gayā ki āḳhirkār us kī choṭī āsmān tak pahuṅch gaī aur wuh duniyā kī intahā tak nazar āyā. | |
Dani | UrduGeoR | 4:12 | Us ke patte ḳhūbsūrat the, aur wuh bahut phal lātā thā. Us ke sāy meṅ janglī jānwar panāh lete, us kī shāḳhoṅ meṅ parinde baserā karte the. Har insān-o-haiwān ko us se ḳhurāk miltī thī. | |
Dani | UrduGeoR | 4:14 | Us ne baṛe zor se āwāz dī, ‘Daraḳht ko kāṭ ḍālo! Us kī shāḳheṅ toṛ do, us ke patte jhāṛ do, us kā phal bikher do! Jānwar us ke sāy meṅ se nikal kar bhāg jāeṅ, parinde us kī shāḳhoṅ se uṛ jāeṅ. | |
Dani | UrduGeoR | 4:15 | Lekin us kā muḍh jaṛoṅ samet zamīn meṅ rahne do. Use lohe aur pītal kī zanjīroṅ meṅ jakaṛ kar khule maidān kī ghās meṅ chhoṛ do. Wahāṅ use āsmān kī os tar kare, aur jānwaroṅ ke sāth zamīn kī ghās hī us ko nasīb ho. | |
Dani | UrduGeoR | 4:17 | Kyoṅki muqaddas farishtoṅ ne fatwā diyā hai ki aisā hī ho tāki insān jān le ki Allāh T'ālā kā iḳhtiyār insānī saltanatoṅ par hai. Wuh apnī hī marzī se logoṅ ko un par muqarrar kartā hai, ḳhāh wuh kitne zalīl kyoṅ na hoṅ.’ | |
Dani | UrduGeoR | 4:18 | Maiṅ, Nabūkadnazzar ne ḳhāb meṅ yih kuchh dekhā. Ai Beltashazzar, ab mujhe is kī tābīr pesh karo. Merī saltanat ke tamām dānishmand is meṅ nākām rahe haiṅ. Lekin tum yih kar pāoge, kyoṅki tum meṅ muqaddas dewatāoṅ kī rūh hai.” | |
Dani | UrduGeoR | 4:19 | Tab Beltashazzar yānī Dānyāl ke roṅgṭe khaṛe ho gae. Aur jo ḳhayālāt ubhar āe un se us par kāfī der tak saḳht dahshat tārī rahī. Āḳhirkār bādshāh bolā, “Ai Beltashazzar, ḳhāb aur us kā matlab tujhe itnā dahshatzadā na kare.” Beltashazzar ne jawāb diyā, “Mere āqā, kāsh ḳhāb kī bāteṅ āp ke dushmanoṅ aur muḳhālifoṅ ko pesh āeṅ! | |
Dani | UrduGeoR | 4:20 | Āp ne ek daraḳht dekhā jo itnā ūṅchā aur tanāwar ho gayā ki us kī choṭī āsmān tak pahuṅchī aur wuh pūrī duniyā ko nazar āyā. | |
Dani | UrduGeoR | 4:21 | Us ke patte ḳhūbsūrat the, aur wuh bahut-sā phal lātā thā. Us ke sāy meṅ janglī jānwar panāh lete, us kī shāḳhoṅ meṅ parinde baserā karte the. Har insān-o-haiwān ko us se ḳhurāk miltī thī. | |
Dani | UrduGeoR | 4:22 | Ai bādshāh, āp hī yih daraḳht haiṅ! Āp hī baṛe aur tāqatwar ho gae haiṅ balki āp kī azmat baṛhte baṛhte āsmān se bāteṅ karne lagī, āp kī saltanat duniyā kī intahā tak phail gaī hai. | |
Dani | UrduGeoR | 4:23 | Ai bādshāh, is ke bād āp ne ek muqaddas farishte ko dekhā jo āsmān se utar kar bolā, ‘Daraḳht ko kāṭ ḍālo! Use tabāh karo, lekin us kā muḍh jaṛoṅ samet zamīn meṅ rahne do. Use lohe aur pītal kī zanjīroṅ meṅ jakaṛ kar khule maidān kī ghās meṅ chhoṛ do. Wahāṅ use āsmān kī os tar kare, aur jānwaroṅ ke sāth zamīn kī ghās hī us ko nasīb ho. Sāt sāl yoṅ hī guzar jāeṅ.’ | |
Dani | UrduGeoR | 4:24 | Ai bādshāh, is kā matlab yih hai, Allāh T'ālā ne mere āqā bādshāh ke bāre meṅ faislā kiyā hai | |
Dani | UrduGeoR | 4:25 | ki āp ko insānī sangat se nikāl kar bhagāyā jāegā. Tab āp janglī jānwaroṅ ke sāth rah kar bailoṅ kī tarah ghās chareṅge aur āsmān kī os se tar ho jāeṅge. Sāt sāl yoṅ hī guzareṅge. Phir āḳhirkār āp iqrār kareṅge ki Allāh T'ālā kā insānī saltanatoṅ par iḳhtiyār hai, wuh apnī hī marzī se logoṅ ko un par muqarrar kartā hai. | |
Dani | UrduGeoR | 4:26 | Lekin ḳhāb meṅ yih bhī kahā gayā ki daraḳht ke muḍh ko jaṛoṅ samet zamīn meṅ chhoṛā jāe. Is kā matlab hai ki āp kī saltanat tāham qāym rahegī. Jab āp etarāf kareṅge ki tamām iḳhtiyār āsmān ke hāth meṅ hai to āp ko saltanat wāpas milegī. | |
Dani | UrduGeoR | 4:27 | Ai bādshāh, ab mehrbānī se merā mashwarā qabūl farmāeṅ. Insāf karke aur mazlūmoṅ par karm farmā kar apne gunāhoṅ ko dūr kareṅ. Shāyad aisā karne se āp kī ḳhushhālī qāym rahe.” | |
Dani | UrduGeoR | 4:29 | Bārah mahīne ke bād bādshāh Bābal meṅ apne shāhī mahal kī chhat par ṭahal rahā thā. | |
Dani | UrduGeoR | 4:30 | Tab wuh kahne lagā, “Lo, yih azīm shahr dekho jo maiṅ ne apnī rihāish ke lie tāmīr kiyā hai! Yih sab kuchh maiṅ ne apnī hī zabardast quwwat se banā liyā hai tāki merī shān-o-shaukat mazīd baṛhtī jāe.” | |
Dani | UrduGeoR | 4:31 | Bādshāh yih bāt bol hī rahā thā ki āsmān se āwāz sunāī dī, “Ai Nabūkadnazzar Bādshāh, sun! Saltanat tujh se chhīn lī gaī hai. | |
Dani | UrduGeoR | 4:32 | Tujhe insānī sangat se nikāl kar bhagāyā jāegā, aur tū janglī jānwaroṅ ke sāth rah kar bail kī tarah ghās charegā. Sāt sāl yoṅ hī guzar jāeṅge. Phir āḳhirkār tū iqrār karegā ki Allāh T'ālā kā insānī saltanatoṅ par iḳhtiyār hai, wuh apnī hī marzī se logoṅ ko un par muqarrar kartā hai.” | |
Dani | UrduGeoR | 4:33 | Jyoṅ hī āwāz band huī to aisā hī huā. Nabūkadnazzar ko insānī sangat se nikāl kar bhagāyā gayā, aur wuh bailoṅ kī tarah ghās charne lagā. Us kā jism āsmān kī os se tar hotā rahā. Hote hote us ke bāl uqāb ke paroṅ jitne lambe aur us ke nāḳhun parinde ke changul kī mānind hue. | |
Dani | UrduGeoR | 4:34 | Lekin sāt sāl guzarne ke bād maiṅ, Nabūkadnazzar apnī āṅkhoṅ ko āsmān kī taraf uṭhā kar dubārā hosh meṅ āyā. Tab maiṅ ne Allāh T'ālā kī tamjīd kī, maiṅ ne us kī hamd-o-sanā kī jo hameshā tak zindā hai. Us kī hukūmat abadī hai, us kī saltanat nasl-dar-nasl qāym rahtī hai. | |
Dani | UrduGeoR | 4:35 | Us kī nisbat duniyā ke tamām bāshinde sifar ke barābar haiṅ. Wuh āsmānī fauj aur duniyā ke bāshindoṅ ke sāth jo jī chāhe kartā hai. Use kuchh karne se koī nahīṅ rok saktā, koī us se jawāb talab karke pūchh nahīṅ saktā, “Tū ne kyā kiyā?” | |
Dani | UrduGeoR | 4:36 | Jyoṅ hī maiṅ dubārā hosh meṅ āyā to mujhe pahlī shāhī izzat aur shān-o-shaukat bhī az sar-e-nau hāsil huī. Mere mushīr aur shurafā dubārā mere sāmne hāzir hue, aur mujhe dubārā taḳht par biṭhāyā gayā. Pahle kī nisbat merī azmat meṅ izāfā huā. | |
Chapter 5
Dani | UrduGeoR | 5:1 | Ek din Belshazzar Bādshāh apne baṛoṅ ke hazār afrād ke lie zabardast ziyāfat karke un ke sāth mai pīne lagā. | |
Dani | UrduGeoR | 5:2 | Nashe meṅ us ne hukm diyā, “Sone-chāṅdī ke jo pyāle mere bāp Nabūkadnazzar ne Yarūshalam meṅ wāqe Allāh ke ghar se chhīn lie the wuh mere pās le āo tāki maiṅ apne baṛoṅ, bīwiyoṅ aur dāshtāoṅ ke sāth un se mai pī lūṅ.” | |
Dani | UrduGeoR | 5:3 | Chunāṅche Yarūshalam meṅ wāqe Allāh ke ghar se lūṭe hue pyāle us ke pās lāe gae. Aur sab un se mai pī kar | |
Dani | UrduGeoR | 5:5 | Usī lamhe shāhī mahal ke hāl meṅ insānī hāth kī ungliyāṅ nazar āīṅ jo shamādān ke muqābil dīwār ke plastar par kuchh likhne lagīṅ. Jab bādshāh ne hāth ko likhte hue dekhā | |
Dani | UrduGeoR | 5:6 | to us kā chehrā ḍar ke māre faq ho gayā. Us kī kamr ke joṛ ḍhīle paṛ gae. Aur us ke ghuṭne ek dūsre se ṭakrāne lage. | |
Dani | UrduGeoR | 5:7 | Wuh zor se chīḳhā, “Jādūgaroṅ, nujūmiyoṅ aur ġhaibdānoṅ ko bulāo!” Bābal ke dānishmand pahuṅche to wuh bolā, “Jo bhī likhe hue alfāz paṛh kar mujhe un kā matlab batā sake use arġhawānī rang kā libās pahnāyā jāegā. Us ke gale meṅ sone kī zanjīr pahnāī jāegī, aur hukūmat meṅ sirf do log us se baṛe hoṅge.” | |
Dani | UrduGeoR | 5:8 | Bādshāh ke dānishmand qarīb āe, lekin na wuh likhe hue alfāz paṛh sake, na un kā matlab bādshāh ko batā sake. | |
Dani | UrduGeoR | 5:9 | Tab Belshazzar Bādshāh nihāyat pareshān huā, aur us kā chehrā mazīd māṅd paṛ gayā. Us ke shurafā bhī saḳht pareshān ho gae. | |
Dani | UrduGeoR | 5:10 | Bādshāh aur shurafā kī bāteṅ malikā tak pahuṅch gaīṅ to wuh ziyāfat ke hāl meṅ dāḳhil huī. Kahne lagī, “Bādshāh abad tak jīte raheṅ! Ghabrāne yā māṅd paṛne kī kyā zarūrat hai? | |
Dani | UrduGeoR | 5:11 | Āp kī bādshāhī meṅ ek ādmī hai jis meṅ muqaddas dewatāoṅ kī rūh hai. Āp ke bāp ke daur-e-hukūmat meṅ sābit huā ki wuh dewatāoṅ kī-sī basīrat, fahm aur hikmat kā mālik hai. Āp ke bāp Nabūkadnazzar Bādshāh ne use qismat kā hāl batāne wāloṅ, jādūgaroṅ, nujūmiyoṅ aur ġhaibdānoṅ par muqarrar kiyā thā, | |
Dani | UrduGeoR | 5:12 | kyoṅki us meṅ ġhairmāmūlī zihānat, ilm aur samajh pāī jātī hai. Wuh ḳhāboṅ kī tābīr karne aur paheliyāṅ aur pechīdā masle hal karne meṅ māhir sābit huā hai. Ādmī kā nām Dānyāl hai, go bādshāh ne us kā nām Beltashazzar rakhā thā. Merā mashwarā hai ki āp use bulāeṅ, kyoṅki wuh āp ko zarūr likhe hue alfāz kā matlab batāegā.” | |
Dani | UrduGeoR | 5:13 | Yih sun kar bādshāh ne Dānyāl ko fauran bulā liyā. Jab pahuṅchā to bādshāh us se muḳhātib huā, “Kyā tum wuh Dānyāl ho jise mere bāp Nabūkadnazzar Bādshāh Yahūdāh ke jilāwatanoṅ ke sāth Yahūdāh se yahāṅ lāe the? | |
Dani | UrduGeoR | 5:14 | Sunā hai ki dewatāoṅ kī rūh tum meṅ hai, ki tum basīrat, fahm aur ġhairmāmūlī hikmat ke mālik ho. | |
Dani | UrduGeoR | 5:15 | Dānishmandoṅ aur nujūmiyoṅ ko mere sāmne lāyā gayā hai tāki dīwār par likhe hue alfāz paṛh kar mujhe un kā matlab batāeṅ, lekin wuh nākām rahe haiṅ. | |
Dani | UrduGeoR | 5:16 | Ab mujhe batāyā gayā ki tum ḳhāboṅ kī tābīr aur pechīdā masloṅ ko hal karne meṅ māhir ho. Agar tum yih alfāz paṛh kar mujhe in kā matlab batā sako to tumheṅ arġhawānī rang kā libās pahnāyā jāegā. Tumhāre gale meṅ sone kī zanjīr pahnāī jāegī, aur hukūmat meṅ sirf do log tum se baṛe hoṅge.” | |
Dani | UrduGeoR | 5:17 | Dānyāl ne jawāb diyā, “Mujhe ajr na deṅ, apne tohfe kisī aur ko dījie. Maiṅ bādshāh ko yih alfāz aur in kā matlab waise hī batā dūṅgā. | |
Dani | UrduGeoR | 5:18 | Ai bādshāh, jo saltanat, azmat aur shān-o-shaukat āp ke bāp Nabūkadnazzar ko hāsil thī wuh Allāh T'ālā se milī thī. | |
Dani | UrduGeoR | 5:19 | Usī ne unheṅ wuh azmat atā kī thī jis ke bāis tamām qaumoṅ, ummatoṅ aur zabānoṅ ke afrād un se ḍarte aur un ke sāmne kāṅpte the. Jise wuh mār ḍālnā chāhte the use mārā gayā, jise wuh zindā chhoṛnā chāhte the wuh zindā rahā. Jise wuh sarfarāz karnā chāhte the wuh sarfarāz huā aur jise past karnā chāhte the wuh past huā. | |
Dani | UrduGeoR | 5:20 | Lekin wuh phūl kar had se zyādā maġhrūr ho gae. Is lie unheṅ taḳht se utārā gayā, aur wuh apnī qadar-o-manzilat kho baiṭhe. | |
Dani | UrduGeoR | 5:21 | Unheṅ insānī sangat se nikāl kar bhagāyā gayā, aur un kā dil jānwar ke dil kī mānind ban gayā. Un kā rahan-sahan janglī gadhoṅ ke sāth thā, aur wuh bailoṅ kī tarah ghās charne lage. Un kā jism āsmān kī os se tar rahtā thā. Yih hālat us waqt tak rahī jab tak ki unhoṅ ne iqrār na kiyā ki Allāh T'ālā kā insānī saltanatoṅ par iḳhtiyār hai, wuh apnī hī marzī se logoṅ ko un par muqarrar kartā hai. | |
Dani | UrduGeoR | 5:22 | Ai Belshazzar Bādshāh, go āp un ke beṭe haiṅ aur is bāt kā ilm rakhte haiṅ to bhī āp farotan na rahe | |
Dani | UrduGeoR | 5:23 | balki āsmān ke Mālik ke ḳhilāf uṭh khaṛe ho gae haiṅ. Āp ne hukm diyā ki us ke ghar ke pyāle āp ke huzūr lāe jāeṅ, aur āp ne apne baṛoṅ, bīwiyoṅ aur dāshtāoṅ ke sāth unheṅ mai pīne ke lie istemāl kiyā. Sāth sāth āp ne apne dewatāoṅ kī tamjīd kī go wuh chāṅdī, sone, pītal, lohe, lakaṛī aur patthar ke but hī haiṅ. Na wuh dekh sakte, na sun yā samajh sakte haiṅ. Lekin jis Ḳhudā ke hāth meṅ āp kī jān aur āp kī tamām rāheṅ haiṅ us kā ehtirām āp ne nahīṅ kiyā. | |
Dani | UrduGeoR | 5:26 | ‘Mine’ kā matlab ‘ginā huā’ hai. Yānī āp kī saltanat ke din gine hue haiṅ, Allāh ne unheṅ iḳhtitām tak pahuṅchāyā hai. | |
Dani | UrduGeoR | 5:27 | ‘Taqel’ kā matlab ‘tolā huā’ hai. Yānī Allāh ne āp ko tol kar mālūm kiyā hai ki āp kā wazn kam hai. | |
Dani | UrduGeoR | 5:28 | ‘Farsīn’ kā matlab ‘taqsīm huā’ hai. Yānī āp kī bādshāhī ko Mādiyoṅ aur Fārsiyoṅ meṅ taqsīm kiyā jāegā.” | |
Dani | UrduGeoR | 5:29 | Dānyāl ḳhāmosh huā to Belshazzar ne hukm diyā ki use arġhawānī rang kā libās pahnāyā jāe aur us ke gale meṅ sone kī zanjīr pahnāī jāe. Sāth sāth elān kiyā gayā ki ab se hukūmat meṅ sirf do ādmī Dānyāl se baṛe haiṅ. | |
Chapter 6
Dani | UrduGeoR | 6:2 | Un par tīn wazīr muqarrar the jin meṅ se ek Dānyāl thā. Gawarnar un ke sāmne jawābdeh the tāki bādshāh ko nuqsān na pahuṅche. | |
Dani | UrduGeoR | 6:3 | Jald hī patā chalā ki Dānyāl dūsre wazīroṅ aur sūbedāroṅ par sabqat rakhtā thā, kyoṅki wuh ġhairmāmūlī zihānat kā mālik thā. Natījatan bādshāh ne use pūrī saltanat par muqarrar karne kā irādā kiyā. | |
Dani | UrduGeoR | 6:4 | Jab dīgar wazīroṅ aur sūbedāroṅ ko yih bāt mālūm huī to wuh Dānyāl par ilzām lagāne kā bahānā ḍhūṅḍne lage. Lekin wuh apnī zimmedāriyoṅ ko nibhāne meṅ itnā qābil-e-etamād thā ki wuh nākām rahe. Kyoṅki na wuh rishwatkhor thā, na kisī kām meṅ sust. | |
Dani | UrduGeoR | 6:5 | Āḳhirkār wuh ādmī āpas meṅ kahne lage, “Is tarīqe se hameṅ Dānyāl par ilzām lagāne kā mauqā nahīṅ milegā. Lekin ek bāt hai jo ilzām kā bāis ban saktī hai yānī us ke Ḳhudā kī sharīat.” | |
Dani | UrduGeoR | 6:6 | Tab wuh guroh kī sūrat meṅ bādshāh ke sāmne hāzir hue aur kahne lage, “Dārā Bādshāh abad tak jīte raheṅ! | |
Dani | UrduGeoR | 6:7 | Saltanat ke tamām wazīr, gawarnar, sūbedār, mushīr aur muntazim āpas meṅ mashwarā karke muttafiq hue haiṅ ki agle 30 din ke daurān sab ko sirf bādshāh se duā karnī chāhie. Bādshāh ek farmān sādir kareṅ ki jo bhī kisī aur mābūd yā insān se iltijā kare use sheroṅ kī mānd meṅ phaiṅkā jāegā. Dhyān denā chāhie ki sab hī is par amal kareṅ. | |
Dani | UrduGeoR | 6:8 | Ai bādshāh, guzārish hai ki āp yih farmān zarūr sādir kareṅ balki likh kar us kī tasdīq bhī kareṅ tāki use tabdīl na kiyā jā sake. Tab wuh Mādiyoṅ aur Fārsiyoṅ ke qawānīn kā hissā ban kar mansūḳh nahīṅ kiyā jā sakegā.” | |
Dani | UrduGeoR | 6:10 | Jab Dānyāl ko mālūm huā ki farmān sādir huā hai to wuh sīdhā apne ghar meṅ chalā gayā. Chhat par ek kamrā thā jis kī khulī khiṛkiyoṅ kā ruḳh Yarūshalam kī taraf thā. Is kamre meṅ Dānyāl rozānā tīn bār apne ghuṭne ṭek kar duā aur apne Ḳhudā kī satāish kartā thā. Ab bhī us ne yih silsilā jārī rakhā. | |
Dani | UrduGeoR | 6:11 | Jyoṅ hī Dānyāl apne Ḳhudā se duā aur iltijā kar rahā thā to us ke dushmanoṅ ne guroh kī sūrat meṅ ghar meṅ ghus kar use yih karte hue pāyā. | |
Dani | UrduGeoR | 6:12 | Tab wuh bādshāh ke pās gae aur use shāhī farmān kī yād dilāī, “Kyā āp ne farmān sādir nahīṅ kiyā thā ki agle 30 din ke daurān sab ko sirf bādshāh se duā karnī hai, aur jo kisī aur mābūd yā insān se iltijā kare use sheroṅ kī mānd meṅ phaiṅkā jāegā?” Bādshāh ne jawāb diyā, “Jī, yih farmān qāym hai balki Mādiyoṅ aur Fārsiyoṅ ke qawānīn kā hissā hai jo mansūḳh nahīṅ kiyā jā saktā.” | |
Dani | UrduGeoR | 6:13 | Unhoṅ ne kahā, “Ai bādshāh, Dānyāl jo Yahūdāh ke jilāwatanoṅ meṅ se hai na āp kī parwā kartā, na us farmān kī jis kī āp ne likh kar tasdīq kī. Abhī tak wuh rozānā tīn bār apne Ḳhudā se duā kartā hai.” | |
Dani | UrduGeoR | 6:14 | Yih sun kar bādshāh ko baṛī diqqat mahsūs huī. Pūrā din wuh sochtā rahā ki maiṅ Dānyāl ko kis tarah bachāūṅ. Sūraj ke ġhurūb hone tak wuh use chhuṛāne ke lie koshāṅ rahā. | |
Dani | UrduGeoR | 6:15 | Lekin āḳhirkār wuh ādmī guroh kī sūrat meṅ dubārā bādshāh ke huzūr āe aur kahne lage, “Bādshāh ko yād rahe ki Mādiyoṅ aur Fārsiyoṅ ke qawānīn ke mutābiq jo bhī farmān bādshāh sādir kare use tabdīl nahīṅ kiyā jā saktā.” | |
Dani | UrduGeoR | 6:16 | Chunāṅche bādshāh ne hukm diyā ki Dānyāl ko pakaṛ kar sheroṅ kī mānd meṅ phaiṅkā jāe. Aisā hī huā. Bādshāh bolā, “Ai Dānyāl, jis Ḳhudā kī ibādat tum bilānāġhā karte āe ho wuh tumheṅ bachāe.” | |
Dani | UrduGeoR | 6:17 | Phir mānd ke muṅh par patthar rakhā gayā, aur bādshāh ne apnī muhr aur apne baṛoṅ kī muhreṅ us par lagāīṅ tāki koī bhī use khol kar Dānyāl kī madad na kare. | |
Dani | UrduGeoR | 6:18 | Is ke bād bādshāh shāhī mahal meṅ wāpas chalā gayā aur pūrī rāt rozā rakhe hue guzārī. Na kuchh us kā dil bahlāne ke lie us ke pās lāyā gayā, na use nīnd āī. | |
Dani | UrduGeoR | 6:20 | Us ke qarīb pahuṅch kar bādshāh ne ġhamgīn āwāz se pukārā, “Ai zindā Ḳhudā ke bande Dānyāl, kyā tumhāre Ḳhudā jis kī tum bilānāġhā ibādat karte rahe ho tumheṅ sheroṅ se bachā sakā?” | |
Dani | UrduGeoR | 6:22 | Mere Ḳhudā ne apne farishte ko bhej diyā jis ne sheroṅ ke muṅh ko band kie rakhā. Unhoṅ ne mujhe koī bhī nuqsān na pahuṅchāyā, kyoṅki Allāh ke sāmne maiṅ bequsūr hūṅ. Bādshāh salāmat ke ḳhilāf bhī mujh se jurm nahīṅ huā.” | |
Dani | UrduGeoR | 6:23 | Yih sun kar bādshāh āpe meṅ na samāyā. Us ne Dānyāl ko mānd se nikālne kā hukm diyā. Jab use khīṅch kar nikālā gayā to mālūm huā ki use koī bhī nuqsān nahīṅ pahuṅchā. Yoṅ use Allāh par bharosā rakhne kā ajr milā. | |
Dani | UrduGeoR | 6:24 | Lekin jin ādmiyoṅ ne Dānyāl par ilzām lagāyā thā un kā burā anjām huā. Bādshāh ke hukm par unheṅ un ke bāl-bachchoṅ samet sheroṅ kī mānd meṅ phaiṅkā gayā. Mānd ke farsh par girne se pahle hī sher un par jhapaṭ paṛe aur unheṅ phāṛ kar un kī haḍḍiyoṅ ko chabā liyā. | |
Dani | UrduGeoR | 6:25 | Phir Dārā Bādshāh ne saltanat kī tamām qaumoṅ, ummatoṅ aur ahl-e-zabān ko zail kā paiġhām bhejā, “Sab kī salāmatī ho! | |
Dani | UrduGeoR | 6:26 | Merā farmān suno! Lāzim hai ki merī saltanat kī har jagah log Dānyāl ke Ḳhudā ke sāmne thartharāeṅ aur us kā ḳhauf māneṅ. Kyoṅki wuh zindā Ḳhudā aur abad tak qāym hai. Na kabhī us kī bādshāhī tabāh, na us kī hukūmat ḳhatm hogī. | |
Dani | UrduGeoR | 6:27 | Wuhī bachātā aur najāt detā hai, wuhī āsmān-o-zamīn par ilāhī nishān aur mojize dikhātā hai. Usī ne Dānyāl ko sheroṅ ke qabze se bachāyā.” | |
Chapter 7
Dani | UrduGeoR | 7:1 | Shāh-e-Bābal Belshazzar kī hukūmat ke pahle sāl meṅ Dānyāl ne ḳhāb meṅ royā dekhī. Jāg uṭhne par us ne wuh kuchh qalamband kar liyā jo ḳhāb meṅ dekhā thā. Zail meṅ is kā bayān hai, | |
Dani | UrduGeoR | 7:2 | Rāt ke waqt maiṅ, Dānyāl ne royā meṅ dekhā ki āsmān kī chāroṅ hawāeṅ zor se baṛe samundar ko mutalātim kar rahī haiṅ. | |
Dani | UrduGeoR | 7:4 | Pahlā jānwar sherbabar jaisā thā, lekin us ke uqāb ke par the. Mere deḳhte hī us ke paroṅ ko noch liyā gayā aur use uṭhā kar insān kī tarah pichhle do pairoṅ par khaṛā kiyā gayā. Use insān kā dil bhī mil gayā. | |
Dani | UrduGeoR | 7:5 | Dūsrā jānwar rīchh jaisā thā. Us kā ek pahlū khaṛā kiyā gayā thā, aur wuh apne dāṅtoṅ meṅ tīn pasliyāṅ pakaṛe hue thā. Use batāyā gayā, “Uṭh, jī bhar kar gosht khā le!” | |
Dani | UrduGeoR | 7:6 | Phir maiṅ ne tīsre jānwar ko dekhā. Wuh chīte jaisā thā, lekin us ke chār sar the. Use hukūmat karne kā iḳhtiyār diyā gayā. | |
Dani | UrduGeoR | 7:7 | Is ke bād rāt kī royā meṅ ek chauthā jānwar nazar āyā jo ḍarāunā, haulnāk aur nihāyat hī tāqatwar thā. Apne lohe ke baṛe baṛe dāṅtoṅ se wuh sab kuchh khātā aur chūr chūr kartā thā. Jo kuchh bach jātā use wuh pāṅwoṅ tale raund detā thā. Yih jānwar dīgar jānwaroṅ se muḳhtalif thā. Us ke das sīṅg the. | |
Dani | UrduGeoR | 7:8 | Maiṅ sīṅgoṅ par ġhaur hī kar rahā thā ki ek aur chhoṭā-sā sīṅg un ke darmiyān se nikal āyā. Pahle das sīṅgoṅ meṅ se tīn ko noch liyā gayā tāki use jagah mil jāe. Chhoṭe sīṅg par insānī āṅkheṅ thīṅ, aur us kā muṅh baṛī baṛī bāteṅ kartā thā. | |
Dani | UrduGeoR | 7:9 | Maiṅ dekh hī rahā thā ki taḳht lagāe gae aur Qadīmul-aiyām baiṭh gayā. Us kā libās barf jaisā safed aur us ke bāl ḳhālis ūn kī mānind the. Jis taḳht par wuh baiṭhā thā wuh āg kī tarah bhaṛak rahā thā, aur us par sholāzan pahie lage the. | |
Dani | UrduGeoR | 7:10 | Us ke sāmne se āg kī nahar bah kar nikal rahī thī. Beshumār hastiyāṅ us kī ḳhidmat ke lie khaṛī thīṅ. Log adālat ke lie baiṭh gae. Aur kitābeṅ kholī gaīṅ. | |
Dani | UrduGeoR | 7:11 | Maiṅ ne ġhaur kiyā ki chhoṭā sīṅg baṛī baṛī bāteṅ kar rahā hai. Maiṅ deḳhtā rahā to chauthe jānwar ko qatl kiyā gayā. Us kā jism tabāh huā aur bhaṛaktī āg meṅ phaiṅkā gayā. | |
Dani | UrduGeoR | 7:12 | Dīgar tīn jānwaroṅ kī hukūmat un se chhīn lī gaī, lekin unheṅ kuchh der ke lie zindā rahne kī ijāzat dī gaī. | |
Dani | UrduGeoR | 7:13 | Rāt kī royā meṅ maiṅ ne yih bhī dekhā ki āsmān ke bādaloṅ ke sāth sāth koī ā rahā hai jo Ibn-e-Ādam-sā lag rahā hai. Jab Qadīmul-aiyām ke qarīb pahuṅchā to us ke huzūr lāyā gayā. | |
Dani | UrduGeoR | 7:14 | Use saltanat, izzat aur bādshāhī dī gaī, aur har qaum, ummat aur zabān ke afrād ne us kī parastish kī. Us kī hukūmat abadī hai aur kabhī ḳhatm nahīṅ hogī. Us kī bādshāhī kabhī tabāh nahīṅ hogī. | |
Dani | UrduGeoR | 7:16 | Is lie maiṅ ne wahāṅ khaṛe kisī ke pās jā kar us se guzārish kī ki wuh mujhe in tamām bātoṅ kā matlab batāe. Us ne mujhe in kā matlab batāyā, | |
Dani | UrduGeoR | 7:18 | Lekin Allāh T'ālā ke muqaddasīn ko haqīqī bādshāhī milegī, wuh bādshāhī jo abad tak hāsil rahegī.” | |
Dani | UrduGeoR | 7:19 | Maiṅ chauthe jānwar ke bāre meṅ mazīd jānanā chāhtā thā, us jānwar ke bāre meṅ jo dīgar jānwaroṅ se itnā muḳhtalif aur itnā haulnāk thā. Kyoṅki us ke dāṅt lohe aur panje pītal ke the, aur wuh sab kuchh khātā aur chūr chūr kartā thā. Jo bach jātā use wuh pāṅwoṅ tale raund detā thā. | |
Dani | UrduGeoR | 7:20 | Maiṅ us ke sar ke das sīṅgoṅ aur un meṅ se nikle hue chhoṭe sīṅg ke bāre meṅ bhī mazīd jānanā chāhtā thā. Kyoṅki chhoṭe sīṅg ke nikalne par das sīṅgoṅ meṅ se tīn nikal kar gir gae. Aur yih sīṅg baṛh kar sāth wāle sīṅgoṅ se kahīṅ baṛā nazar āyā. Us kī āṅkheṅ thīṅ, aur us kā muṅh baṛī baṛī bāteṅ kartā thā. | |
Dani | UrduGeoR | 7:21 | Royā meṅ maiṅ ne dekhā ki chhoṭe sīṅg ne muqaddasīn se jang karke unheṅ shikast dī. | |
Dani | UrduGeoR | 7:22 | Lekin phir Qadīmul-aiyām ā pahuṅchā aur Allāh T'ālā ke muqaddasīn ke lie insāf qāym kiyā. Phir wuh waqt āyā jab muqaddasīn ko bādshāhī hāsil huī. | |
Dani | UrduGeoR | 7:23 | Jis se maiṅ ne royā kā matlab pūchhā thā us ne kahā, “Chauthe jānwar se murād zamīn par ek chauthī bādshāhī hai jo dīgar tamām bādshāhiyoṅ se muḳhtalif hogī. Wuh tamām duniyā ko khā jāegī, use raund kar chūr chūr kar degī. | |
Dani | UrduGeoR | 7:24 | Das sīṅgoṅ se murād das bādshāh haiṅ jo is bādshāhī se nikal āeṅge. Un ke bād ek aur bādshāh āegā jo guzare bādshāhoṅ se muḳhtalif hogā aur tīn bādshāhoṅ ko ḳhāk meṅ milā degā. | |
Dani | UrduGeoR | 7:25 | Wuh Allāh T'ālā ke ḳhilāf kufr bakegā, aur muqaddasīn us ke taht piste raheṅge, yahāṅ tak ki wuh īdoṅ ke muqarrarā auqāt aur sharīat ko tabdīl karne kī koshish karegā. Muqaddasīn ko ek arse, do arsoṅ aur ādhe arse ke lie us ke hawāle kiyā jāegā. | |
Dani | UrduGeoR | 7:26 | Lekin phir log us kī adālat ke lie baiṭh jāeṅge. Us kī hukūmat us se chhīn lī jāegī, aur wuh mukammal taur par tabāh ho jāegī. | |
Dani | UrduGeoR | 7:27 | Tab āsmān tale kī tamām saltanatoṅ kī bādshāhat, saltanat aur azmat Allāh T'ālā kī muqaddas qaum ke hawāle kar dī jāegī. Allāh T'ālā kī bādshāhī abadī hogī, aur tamām hukmrān us kī ḳhidmat karke us ke tābe raheṅge.” | |
Chapter 8
Dani | UrduGeoR | 8:1 | Belshazzar Bādshāh ke daur-e-hukūmat ke tīsre sāl meṅ maiṅ, Dānyāl ne ek aur royā dekhī. | |
Dani | UrduGeoR | 8:2 | Royā meṅ maiṅ sūbā Ailām ke qilāband shahr Sosan kī nahar Ūlāī ke kināre par khaṛā thā. | |
Dani | UrduGeoR | 8:3 | Jab maiṅ ne apnī nigāh uṭhāī to kināre par mere sāmne hī ek menḍhā khaṛā thā. Us ke do baṛe sīṅg the jin meṅ se ek zyādā baṛā thā. Lekin wuh dūsre ke bād hī baṛā ho gayā thā. | |
Dani | UrduGeoR | 8:4 | Merī nazaroṅ ke sāmne menḍhā maġhrib, shimāl aur junūb kī taraf sīṅg mārne lagā. Na koī jānwar us kā muqābalā kar sakā, na koī us ke qābū se bachā sakā. Jo jī chāhe kartā thā aur hote hote bahut baṛā ho gayā. | |
Dani | UrduGeoR | 8:5 | Maiṅ us par ġhaur hī kar rahā thā ki achānak maġhrib se āte hue ek bakrā dikhāī diyā. Us kī āṅkhoṅ ke darmiyān zabardast sīṅg thā, aur wuh zamīn ko chhue baġhair chal rahā thā. Pūrī duniyā ko ubūr karke | |
Dani | UrduGeoR | 8:6 | wuh do sīṅgoṅ wāle us menḍhe ke pās pahuṅch gayā jo maiṅ ne nahar ke kināre khaṛā dekhā thā. Baṛe taish meṅ ā kar wuh us par ṭūṭ paṛā. | |
Dani | UrduGeoR | 8:7 | Maiṅ ne dekhā ki wuh menḍhe ke pahlū se ṭakrā gayā. Baṛe ġhusse meṅ us ne use yoṅ mārā ki menḍhe ke donoṅ sīṅg ṭukṛe ṭukṛe ho gae. Is bebas hālat meṅ menḍhā us kā muqābalā na kar sakā. Bakre ne use zamīn par paṭaḳh kar pāṅwoṅ tale kuchal diyā. Koī nahīṅ thā jo menḍhe ko bakre ke qābū se bachāe. | |
Dani | UrduGeoR | 8:8 | Bakrā nihāyat tāqatwar ho gayā. Lekin tāqat ke urūj par hī us kā baṛā sīṅg ṭūṭ gayā, aur us kī jagah mazīd chār zabardast sīṅg nikal āe jin kā ruḳh āsmān kī chār simtoṅ kī taraf thā. | |
Dani | UrduGeoR | 8:9 | Un ke ek sīṅg meṅ se ek aur sīṅg nikal āyā jo ibtidā meṅ chhoṭā thā. Lekin wuh junūb, mashriq aur ḳhūbsūrat mulk Isrāīl kī taraf baṛhte baṛhte bahut tāqatwar ho gayā. | |
Dani | UrduGeoR | 8:10 | Phir wuh āsmānī fauj tak baṛh gayā. Wahāṅ us ne kuchh faujiyoṅ aur sitāroṅ ko zamīn par phaiṅk kar pāṅwoṅ tale kuchal diyā. | |
Dani | UrduGeoR | 8:11 | Wuh baṛhte baṛhte āsmānī fauj ke kamānḍar tak bhī pahuṅch gayā aur use un qurbāniyoṅ se mahrūm kar diyā jo use rozānā pesh kī jātī thīṅ. Sāth sāth sīṅg ne us ke maqdis ke maqām ko tabāh kar diyā. | |
Dani | UrduGeoR | 8:12 | Us kī fauj se rozānā kī qurbāniyoṅ kī behurmatī huī, aur sīṅg ne sachchāī ko zamīn par paṭaḳh diyā. Jo kuchh bhī us ne kiyā us meṅ wuh kāmyāb rahā. | |
Dani | UrduGeoR | 8:13 | Phir maiṅ ne do muqaddas hastiyoṅ ko āpas meṅ bāt karte hue sunā. Ek ne pūchhā, “Is royā meṅ pesh kie gae hālāt kab tak qāym raheṅge, yānī jo kuchh rozānā kī qurbāniyoṅ ke sāth ho rahā hai, yih tabāhkun behurmatī aur yih bāt ki maqdis ko pāmāl kiyā jā rahā hai?” | |
Dani | UrduGeoR | 8:14 | Dūsre ne jawāb meṅ mujhe batāyā, “Hālāt 2,300 shāmoṅ aur subhoṅ tak yoṅ hī raheṅge. Is ke bād maqdis ko nae sire se maḳhsūs-o-muqaddas kiyā jāegā.” | |
Dani | UrduGeoR | 8:15 | Maiṅ dekhe hue wāqiyāt ko samajhne kī koshish kar hī rahā thā ki koī mere sāmne khaṛā huā jo mard jaisā lag rahā thā. | |
Dani | UrduGeoR | 8:16 | Sāth sāth maiṅ ne nahar Ūlāī kī taraf se kisī shaḳhs kī āwāz sunī jis ne kahā, “Ai Jibrāīl, is ādmī ko royā kā matlab batā de.” | |
Dani | UrduGeoR | 8:17 | Farishtā mere qarīb āyā to maiṅ saḳht ghabrā kar muṅh ke bal gir gayā. Lekin wuh bolā, “Ai ādamzād, jān le ki is royā kā tālluq āḳhirī zamāne se hai.” | |
Dani | UrduGeoR | 8:18 | Jab wuh mujh se bāt kar rahā thā to maiṅ madhosh hālat meṅ muṅh ke bal paṛā rahā. Ab farishte ne mujhe chhū kar pāṅwoṅ par khaṛā kiyā. | |
Dani | UrduGeoR | 8:19 | Wuh bolā, “Maiṅ tujhe samjhā detā hūṅ ki us āḳhirī zamāne meṅ kyā kuchh pesh āegā jab Allāh kā ġhazab nāzil hogā. Kyoṅki royā kā tālluq āḳhirī zamāne se hai. | |
Dani | UrduGeoR | 8:20 | Do sīṅgoṅ ke jis menḍhe ko tū ne dekhā wuh Mādī aur Fāras ke bādshāhoṅ kī numāindagī kartā hai. | |
Dani | UrduGeoR | 8:21 | Lambe bāloṅ kā bakrā Yūnān kā bādshāh hai. Us kī āṅkhoṅ ke darmiyān lagā baṛā sīṅg Yūnānī shahanshāhī kā pahlā bādshāh hai. | |
Dani | UrduGeoR | 8:22 | Tū ne dekhā ki yih sīṅg ṭūṭ gayā aur us kī jagah chār sīṅg nikal āe. Is kā matlab hai ki pahlī bādshāhī se chār aur nikal āeṅgī. Lekin chāroṅ kī tāqat pahlī kī nisbat kam hogī. | |
Dani | UrduGeoR | 8:23 | Un kī hukūmat ke āḳhirī aiyām meṅ bewafāoṅ kī badkirdārī urūj tak pahuṅch gaī hogī. Us waqt ek gustāḳh aur sāzish kā māhir bādshāh taḳht par baiṭhegā. | |
Dani | UrduGeoR | 8:24 | Wuh bahut tāqatwar ho jāegā, lekin yih us kī apnī tāqat nahīṅ hogī. Wuh hairatangez barbādī kā bāis banegā, aur jo kuchh bhī karegā us meṅ kāmyāb hogā. Wuh zorāwaroṅ aur muqaddas qaum ko tabāh karegā. | |
Dani | UrduGeoR | 8:25 | Apnī samajh aur fareb ke zariye wuh kāmyāb rahegā. Tab wuh mutakabbir ho jāegā. Jab log apne āp ko mahfūz samjheṅge to wuh unheṅ maut ke ghāṭ utāregā. Āḳhirkār wuh hukmrānoṅ ke hukmrān ke ḳhilāf bhī uṭhegā. Lekin wuh pāsh pāsh ho jāegā, albattā insānī hāth se nahīṅ. | |
Dani | UrduGeoR | 8:26 | Ai Dānyāl, shāmoṅ aur subhoṅ ke bāre meṅ jo royā tujh par zāhir huī wuh sachchī hai. Lekin filhāl use poshīdā rakh, kyoṅki yih wāqiyāt abhī pesh nahīṅ āeṅge balki bahut dinoṅ ke guzar jāne ke bād hī.” | |
Chapter 9
Dani | UrduGeoR | 9:2 | kī hukūmat ke pahle sāl meṅ maiṅ, Dānyāl ne pāk nawishtoṅ kī tahqīq kī. Maiṅ ne ḳhāskar us par ġhaur kiyā jo Rab ne Yarmiyāh Nabī kī mārifat farmāyā thā. Us ke mutābiq Yarūshalam kī tabāhshudā hālat 70 sāl tak qāym rahegī. | |
Dani | UrduGeoR | 9:3 | Chunāṅche maiṅ ne Rab apne Ḳhudā kī taraf rujū kiyā tāki apnī duā aur iltijāoṅ se us kī marzī dariyāft karūṅ. Sāth sāth maiṅ ne rozā rakhā, ṭāṭ kā libās oṛh liyā aur apne sar par rākh ḍāl lī. | |
Dani | UrduGeoR | 9:4 | Maiṅ ne Rab apne Ḳhudā se duā karke iqrār kiyā, “Ai Rab, tū kitnā azīm aur mahīb Ḳhudā hai! Jo bhī tujhe pyār kartā aur tere ahkām ke tābe rahtā hai us ke sāth tū apnā ahd qāym rakhtā aur us par mehrbānī kartā hai. | |
Dani | UrduGeoR | 9:5 | Lekin ham ne gunāh aur badī kī hai. Ham bedīn aur bāġhī ho kar tere ahkām aur hidāyāt se bhaṭak gae haiṅ. | |
Dani | UrduGeoR | 9:6 | Ham ne nabiyoṅ kī nahīṅ sunī, hālāṅki tere ḳhādim terā nām le kar hamāre bādshāhoṅ, buzurgoṅ, bāpdādā balki mulk ke tamām bāshindoṅ se muḳhātib hue. | |
Dani | UrduGeoR | 9:7 | Ai Rab, tū haq bajānib hai jabki is din ham sab sharmsār haiṅ, ḳhāh Yahūdāh, Yarūshalam yā Isrāīl ke hoṅ, ḳhāh qarīb yā un tamām dūr-darāz mamālik meṅ rahte hoṅ jahāṅ tū ne hameṅ hamārī bewafāī ke sabab se muntashir kar diyā hai. Kyoṅki ham tere hī sāth bewafā rahe haiṅ. | |
Dani | UrduGeoR | 9:8 | Ai Rab, ham apne bādshāhoṅ, buzurgoṅ aur bāpdādā samet bahut sharmsār haiṅ, kyoṅki ham ne terā hī gunāh kiyā hai. | |
Dani | UrduGeoR | 9:9 | Lekin Rab hamārā Ḳhudā rahīm hai aur ḳhushī se muāf kartā hai, go ham us se sarkash hue haiṅ. | |
Dani | UrduGeoR | 9:10 | Na ham Rab apne Ḳhudā ke tābe rahe, na us ke un ahkām ke mutābiq zindagī guzārī jo us ne hameṅ apne ḳhādimoṅ yānī nabiyoṅ kī mārifat die the. | |
Dani | UrduGeoR | 9:11 | Tamām Isrāīl terī sharīat kī ḳhilāfwarzī karke sahīh rāh se bhaṭak gayā hai, koī terī sunane ke lie taiyār nahīṅ thā. Allāh ke ḳhādim Mūsā ne sharīat meṅ qasam khā kar lānateṅ bhejī thīṅ, aur ab yih lānateṅ ham par nāzil huī haiṅ, is lie ki ham ne terā gunāh kiyā. | |
Dani | UrduGeoR | 9:12 | Jo kuchh tū ne hamāre aur hamāre hukmrānoṅ ke ḳhilāf farmāyā thā wuh pūrā huā, aur ham par baṛī āfat āī. Āsmān tale kahīṅ bhī aisī musībat nahīṅ āī jis tarah Yarūshalam ko pesh āī hai. | |
Dani | UrduGeoR | 9:13 | Mūsā kī sharīat meṅ mazkūr har wuh lānat ham par nāzil huī jo nāfarmānoṅ par bhejī gaī hai. To bhī na ham ne apne gunāhoṅ ko chhoṛā, na terī sachchāī par dhyān diyā, hālāṅki is se ham Rab apne Ḳhudā kā ġhazab ṭhanḍā kar sakte the. | |
Dani | UrduGeoR | 9:14 | Isī lie Rab ham par āfat lāne se na jhijkā. Kyoṅki jo kuchh bhī Rab hamārā Ḳhudā kartā hai us meṅ wuh haq bajānib hotā hai. Lekin ham ne us kī na sunī. | |
Dani | UrduGeoR | 9:15 | Ai Rab hamāre Ḳhudā, tū baṛī qudrat kā izhār karke apnī qaum ko Misr se nikāl lāyā. Yoṅ tere nām ko wuh izzat-o-jalāl milā jo āj tak qāym rahā hai. Is ke bāwujūd ham ne gunāh kiyā, ham se bedīn harkateṅ sarzad huī haiṅ. | |
Dani | UrduGeoR | 9:16 | Ai Rab, tū apne munsifānā kāmoṅ meṅ wafādār rahā hai! Ab bhī is kā lihāz kar aur apne saḳht ġhazab ko apne shahr aur muqaddas pahāṛ Yarūshalam se dūr kar! Yarūshalam aur terī qaum gird-o-nawāh kī qaumoṅ ke lie mazāq kā nishānā ban gaī hai, go ham mānte haiṅ ki yih hamāre gunāhoṅ aur hamāre bāpdādā kī ḳhatāoṅ kī wajah se ho rahā hai. | |
Dani | UrduGeoR | 9:17 | Ai hamāre Ḳhudā, ab apne ḳhādim kī duāoṅ aur iltijāoṅ ko sun! Ai Rab, apnī hī ḳhātir apne tabāhshudā maqdis par apne chehre kā mehrbān nūr chamkā. | |
Dani | UrduGeoR | 9:18 | Ai mere Ḳhudā, kān lagā kar merī sun! Apnī āṅkheṅ khol! Us shahr ke khanḍarāt par nazar kar jis par tere hī nām kā ṭhappā lagā hai. Ham is lie tujh se iltijāeṅ nahīṅ kar rahe ki ham rāstbāz haiṅ balki is lie ki tū nihāyat mehrbān hai. | |
Dani | UrduGeoR | 9:19 | Ai Rab, hamārī sun! Ai Rab, hameṅ muāf kar! Ai mere Ḳhudā, apnī ḳhātir der na kar, kyoṅki tere shahr aur qaum par tere hī nām kā ṭhappā lagā hai.” | |
Dani | UrduGeoR | 9:20 | Yoṅ maiṅ duā kartā aur apne aur apnī qaum Isrāīl ke gunāhoṅ kā iqrār kartā gayā. Maiṅ ḳhāskar apne Ḳhudā ke muqaddas pahāṛ Yarūshalam ke lie Rab apne Ḳhudā ke huzūr fariyād kar rahā thā. | |
Dani | UrduGeoR | 9:21 | Maiṅ duā kar hī rahā thā ki Jibrāīl jise maiṅ ne dūsrī royā meṅ dekhā thā mere pās ā pahuṅchā. Rab ke ghar meṅ shām kī qurbānī pesh karne kā waqt thā. Maiṅ bahut hī thak gayā thā. | |
Dani | UrduGeoR | 9:22 | Us ne mujhe samjhā kar kahā, “Ai Dānyāl, ab maiṅ tujhe samajh aur basīrat dene ke lie āyā hūṅ. | |
Dani | UrduGeoR | 9:23 | Jyoṅ hī tū duā karne lagā to Allāh ne jawāb diyā, kyoṅki tū us kī nazar meṅ girāṅqadar hai. Maiṅ tujhe yih jawāb sunāne āyā hūṅ. Ab dhyān se royā ko samajh le! | |
Dani | UrduGeoR | 9:24 | Terī qaum aur tere muqaddas shahr ke lie 70 hafte muqarrar kie gae haiṅ tāki utne meṅ jarāym aur gunāhoṅ kā silsilā ḳhatm kiyā jāe, qusūr kā kaffārā diyā jāe, abadī rāstī qāym kī jāe, royā aur peshgoī kī tasdīq kī jāe aur muqaddastarīn jagah ko masah karke maḳhsūs-o-muqaddas kiyā jāe. | |
Dani | UrduGeoR | 9:25 | Ab jān le aur samajh le ki Yarūshalam ko dubārā tāmīr karne kā hukm diyā jāegā, lekin mazīd sāt hafte guzareṅge, phir hī Allāh ek hukmrān ko is kām ke lie chun kar masah karegā. Tab shahr ko 62 haftoṅ ke andar chaukoṅ aur ḳhandaqoṅ samet nae sire se tāmīr kiyā jāegā, go is daurān wuh kāfī musībat se dochār hogā. | |
Dani | UrduGeoR | 9:26 | In 62 haftoṅ ke bād Allāh ke masah kie gae bande ko qatl kiyā jāegā, aur us ke pās kuchh bhī nahīṅ hogā. Us waqt ek aur hukmrān kī qaum ā kar shahr aur maqdis ko tabāh karegī. Iḳhtitām sailāb kī sūrat meṅ āegā, aur āḳhir tak jang jārī rahegī, aisī tabāhī hogī jis kā faislā ho chukā hai. | |
Dani | UrduGeoR | 9:27 | Ek hafte tak yih hukmrān muta'addid logoṅ ko ek ahd ke taht rahne par majbūr karegā. Is hafte ke bīch meṅ wuh zabah aur ġhallā kī qurbāniyoṅ kā intazām band karegā aur maqdis ke ek taraf wuh kuchh khaṛā karegā jo behurmatī aur tabāhī kā bāis hai. Lekin tabāh karne wāle kā ḳhātmā bhī muqarrar kiyā gayā hai, aur āḳhirkār wuh bhī tabāh ho jāegā.” | |
Chapter 10
Dani | UrduGeoR | 10:1 | Fāras ke bādshāh Ḳhoras kī hukūmat ke tīsre sāl meṅ Beltashazzar yānī Dānyāl par ek bāt zāhir huī jo yaqīnī hai aur jis kā tālluq ek baṛī musībat se hai. Use royā meṅ is paiġhām kī samajh hāsil huī. | |
Dani | UrduGeoR | 10:3 | Na maiṅ ne umdā khānā khāyā, na gosht yā mai mere hoṅṭoṅ tak pahuṅchī. Tīn pūre hafte maiṅ ne har ḳhushbūdār tel se parhez kiyā. | |
Dani | UrduGeoR | 10:5 | Maiṅ ne nigāh uṭhāī to kyā deḳhtā hūṅ ki mere sāmne katān se mulabbas ādmī khaṛā hai jis kī kamr meṅ ḳhālis sone kā paṭkā bandhā huā hai. | |
Dani | UrduGeoR | 10:6 | Us kā jism pukhrāj jaisā thā, us kā chehrā āsmānī bijlī kī tarah chamak rahā thā, aur us kī āṅkheṅ bhaṛaktī mashāloṅ kī mānind thīṅ. Us ke bāzū aur pāṅw pālish kie hue pītal kī tarah damak rahe the. Bolte waqt yoṅ lag rahā thā ki baṛā hujūm shor machā rahā hai. | |
Dani | UrduGeoR | 10:7 | Sirf maiṅ, Dānyāl ne yih royā dekhī. Mere sāthiyoṅ ne use na dekhā. To bhī achānak un par itnī dahshat tārī huī ki wuh bhāg kar chhup gae. | |
Dani | UrduGeoR | 10:8 | Chunāṅche maiṅ akelā hī rah gayā. Lekin yih azīm royā dekh kar merī sārī tāqat jātī rahī. Mere chehre kā rang māṅd paṛ gayā aur maiṅ bebas huā. | |
Dani | UrduGeoR | 10:9 | Phir wuh bolne lagā. Use sunte hī maiṅ muṅh ke bal gir kar madhosh hālat meṅ zamīn par paṛā rahā. | |
Dani | UrduGeoR | 10:10 | Tab ek hāth ne mujhe chhū kar hilāyā. Us kī madad se maiṅ apne hāthoṅ aur ghuṭnoṅ ke bal ho sakā. | |
Dani | UrduGeoR | 10:11 | Wuh ādmī bolā, “Ai Dānyāl, tū Allāh ke nazdīk bahut girāṅqadar hai! Jo bāteṅ maiṅ tujh se karūṅga un par ġhaur kar. Khaṛā ho jā, kyoṅki is waqt mujhe tere hī pās bhejā gayā hai.” Tab maiṅ thartharāte hue khaṛā ho gayā. | |
Dani | UrduGeoR | 10:12 | Us ne apnī bāt jārī rakhī, “Ai Dānyāl, mat ḍarnā! Jab se tū ne samajh hāsil karne aur apne Ḳhudā ke sāmne jhukne kā pūrā irādā kar rakhā hai, usī din se terī sunī gaī hai. Maiṅ terī duāoṅ ke jawāb meṅ ā gayā hūṅ. | |
Dani | UrduGeoR | 10:13 | Lekin Fārsī bādshāhī kā sardār 21 din tak mere rāste meṅ khaṛā rahā. Phir Mīkāel jo Allāh ke sardār farishtoṅ meṅ se ek hai merī madad karne āyā, aur merī jān Fārsī bādshāhī ke us sardār ke sāth laṛne se chhūṭ gaī. | |
Dani | UrduGeoR | 10:14 | Maiṅ tujhe wuh kuchh sunāne ko āyā hūṅ jo āḳhirī dinoṅ meṅ terī qaum ko pesh āegā. Kyoṅki royā kā tālluq āne wāle waqt se hai.” | |
Dani | UrduGeoR | 10:15 | Jab wuh mere sāth yih bāteṅ kar rahā thā to maiṅ ḳhāmoshī se nīche zamīn kī taraf deḳhtā rahā. | |
Dani | UrduGeoR | 10:16 | Phir jo ādmī-sā lag rahā thā us ne mere hoṅṭoṅ ko chhū diyā, aur maiṅ muṅh khol kar bolne lagā. Maiṅ ne apne sāmne khaṛe farishte se kahā, “Ai mere āqā, yih royā dekh kar maiṅ dard-e-zah meṅ mubtalā aurat kī tarah pech-o-tāb khāne lagā hūṅ. Merī tāqat jātī rahī hai. | |
Dani | UrduGeoR | 10:17 | Ai mere āqā, āp kā ḳhādim kis tarah āp se bāt kar saktā hai? Merī tāqat to jawāb de gaī hai, sāṅs lenā bhī mushkil ho gayā hai.” | |
Dani | UrduGeoR | 10:19 | aur bolā, “Ai tū jo Allāh kī nazar meṅ girāṅqadar hai, mat ḍarnā! Terī salāmatī ho. Hauslā rakh, mazbūt ho jā!” Jyoṅ hī us ne mujh se bāt kī mujhe taqwiyat milī, aur maiṅ bolā, “Ab mere āqā bāt kareṅ, kyoṅki āp ne mujhe taqwiyat dī hai.” | |
Dani | UrduGeoR | 10:20 | Us ne kahā, “Kyā tū mere āne kā maqsad jāntā hai? Jald hī maiṅ dubārā Fāras ke sardār se laṛne chalā jāūṅgā. Aur us se nipaṭne ke bād Yūnān kā sardār āegā. | |
Chapter 11
Dani | UrduGeoR | 11:1 | Mādī bādshāh Dārā kī hukūmat ke pahle sāl se hī maiṅ Mīkāel ke sāth khaṛā rahā hūṅ tāki us ko sahārā dūṅ aur us kī hifāzat karūṅ.) | |
Dani | UrduGeoR | 11:2 | Ab maiṅ tujhe wuh kuchh batātā hūṅ jo yaqīnan pesh āegā. Fāras meṅ mazīd tīn bādshāh taḳht par baiṭheṅge. Is ke bād ek chauthā ādmī bādshāh banegā jo tamām dūsroṅ se kahīṅ zyādā daulatmand hogā. Jab wuh daulat ke bāis tāqatwar ho jāegā to wuh Yūnānī mamlakat se laṛne ke lie sab kuchh jamā karegā. | |
Dani | UrduGeoR | 11:3 | Phir ek zorāwar bādshāh barpā ho jāegā jo baṛī quwwat se hukūmat karegā aur jo jī chāhe karegā. | |
Dani | UrduGeoR | 11:4 | Lekin jyoṅ hī wuh barpā ho jāe us kī saltanat ṭukṛe ṭukṛe ho kar ek shimālī, ek junūbī, ek maġhribī aur ek mashriqī hisse meṅ taqsīm ho jāegī. Na yih chār hisse pahlī saltanat jitne tāqatwar hoṅge, na bādshāh kī aulād taḳht par baiṭhegī, kyoṅki us kī saltanat jaṛ se ukhāṛ kar dūsroṅ ko dī jāegī. | |
Dani | UrduGeoR | 11:5 | Junūbī mulk kā bādshāh taqwiyat pāegā, lekin us kā ek afsar kahīṅ zyādā tāqatwar ho jāegā, us kī hukūmat kahīṅ zyādā mazbūt hogī. | |
Dani | UrduGeoR | 11:6 | Chand sāl ke bād donoṅ saltanateṅ muttahid ho jāeṅgī. Ahd ko mazbūt karne ke lie junūbī bādshāh kī beṭī kī shādī shimālī bādshāh se karāī jāegī. Lekin na beṭī kāmyāb hogī, na us kā shauhar aur na us kī tāqat qāym rahegī. Un dinoṅ meṅ use us ke sāthiyoṅ, bāp aur shauhar samet dushman ke hawāle kiyā jāegā. | |
Dani | UrduGeoR | 11:7 | Beṭī kī jagah us kā ek rishtedār khaṛā ho jāegā jo shimālī bādshāh kī fauj par hamlā karke us ke qile meṅ ghus āegā. Wuh un se nipaṭ kar fatah pāegā | |
Dani | UrduGeoR | 11:8 | aur un ke ḍhāle hue butoṅ ko sone-chāṅdī kī qīmtī chīzoṅ samet chhīn kar Misr le jāegā. Wuh kuchh sāl tak shimālī bādshāh ko nahīṅ chheṛegā. | |
Dani | UrduGeoR | 11:9 | Phir shimālī bādshāh junūbī bādshāh ke mulk meṅ ghus āegā, lekin use apne mulk meṅ wāpas jānā paṛegā. | |
Dani | UrduGeoR | 11:10 | Is ke bād us ke beṭe jang kī taiyāriyāṅ karke baṛī baṛī faujeṅ jamā kareṅge. Un meṅ se ek junūbī bādshāh kī taraf baṛh kar sailāb kī tarah junūbī mulk par āegī aur laṛte laṛte us ke qile tak pahuṅchegī. | |
Dani | UrduGeoR | 11:11 | Phir junūbī bādshāh taish meṅ ā kar shimālī bādshāh se laṛne ke lie niklegā. Shimālī bādshāh jawāb meṅ baṛī fauj khaṛī karegā, lekin wuh shikast khā kar | |
Dani | UrduGeoR | 11:12 | tabāh ho jāegī. Tab junūbī bādshāh kā dil ġhurūr se bhar jāegā, aur wuh beshumār afrād ko maut ke ghāṭ utāregā. To bhī wuh tāqatwar nahīṅ rahegā. | |
Dani | UrduGeoR | 11:13 | Kyoṅki shimālī bādshāh ek aur fauj jamā karegā jo pahlī kī nisbat kahīṅ zyādā baṛī hogī. Chand sāl ke bād wuh is baṛī aur hathiyāroṅ se lais fauj ke sāth junūbī bādshāh se laṛne āegā. | |
Dani | UrduGeoR | 11:14 | Us waqt bahut-se log junūbī bādshāh ke ḳhilāf uṭh khaṛe hoṅge. Terī qaum ke bedīn log bhī us ke ḳhilāf khaṛe ho jāeṅge aur yoṅ royā ko pūrā kareṅge. Lekin wuh ṭhokar khā kar gir jāeṅge. | |
Dani | UrduGeoR | 11:15 | Phir shimālī bādshāh ā kar ek qilāband shahr kā muhāsarā karegā. Wuh pushtā banā kar shahr par qabzā kar legā. Junūb kī faujeṅ use rok nahīṅ sakeṅgī, un ke behtarīn daste bhī bebas ho kar us kā sāmnā nahīṅ kar sakeṅge. | |
Dani | UrduGeoR | 11:16 | Hamlā-āwar bādshāh jo jī chāhe karegā, aur koī us kā sāmnā nahīṅ kar sakegā. Us waqt wuh ḳhūbsūrat mulk Isrāīl meṅ ṭik jāegā aur use tabāh karne kā iḳhtiyār rakhegā. | |
Dani | UrduGeoR | 11:17 | Tab wuh apnī pūrī saltanat par qābū pāne kā mansūbā bāndhegā. Is zimn meṅ wuh junūbī bādshāh ke sāth ahd bāndh kar us se apnī beṭī kī shādī karāegā tāki junūbī mulk ko tabāh kare, lekin befāydā. Mansūbā nākām ho jāegā. | |
Dani | UrduGeoR | 11:18 | Is ke bād wuh sāhilī ilāqoṅ kī taraf ruḳh karegā. Un meṅ se wuh bahutoṅ par qabzā bhī karegā, lekin āḳhirkār ek hukmrān us ke gustākhānā rawaiye kā ḳhātmā karegā, aur use sharmindā ho kar pīchhe haṭnā paṛegā. | |
Dani | UrduGeoR | 11:19 | Phir shimālī bādshāh apne mulk ke qiloṅ ke pās wāpas āegā, lekin itne meṅ ṭhokar khā kar gir jāegā. Tab us kā nām-o-nishān tak nahīṅ rahegā. | |
Dani | UrduGeoR | 11:20 | Us kī jagah ek bādshāh barpā ho jāegā jo apne afsar ko shāndār mulk Isrāīl meṅ bhejegā tāki wahāṅ se guzar kar logoṅ se ṭaiks le. Lekin thoṛe dinoṅ ke bād wuh tabāh ho jāegā. Na wuh kisī jhagaṛe ke sabab se halāk hogā, na kisī jang meṅ. | |
Dani | UrduGeoR | 11:21 | Us kī jagah ek qābil-e-mazammat ādmī khaṛā ho jāegā. Wuh taḳht ke lie muqarrar nahīṅ huā hogā balki ġhairmutawaqqe taur par ā kar sāzishoṅ ke wasīle se bādshāh banegā. | |
Dani | UrduGeoR | 11:22 | Muḳhālif faujeṅ us par ṭūṭ paṛeṅgī, lekin wuh sailāb kī tarah un par ā kar unheṅ bahā le jāegā. Wuh aur ahd kā ek ra'īs tabāh ho jāeṅge. | |
Dani | UrduGeoR | 11:23 | Kyoṅki us ke sāth ahd bāndhne ke bād wuh use fareb degā aur sirf thoṛe hī afrād ke zariye iqtidār hāsil kar legā. | |
Dani | UrduGeoR | 11:24 | Wuh ġhairmutawaqqe taur par daulatmand sūboṅ meṅ ghus kar wuh kuchh karegā jo na us ke bāp aur na us ke bāpdādā se kabhī sarzad huā hogā. Lūṭā huā māl aur milkiyat wuh apne logoṅ meṅ taqsīm karegā. Wuh qilāband shahroṅ par qabzā karne ke mansūbe bhī bāndhegā, lekin sirf mahdūd arse ke lie. | |
Dani | UrduGeoR | 11:25 | Phir wuh himmat bāndh kar aur pūrā zor lagā kar baṛī fauj ke sāth junūbī bādshāh se laṛne jāegā. Jawāb meṅ junūbī bādshāh ek baṛī aur nihāyat hī tāqatwar fauj ko laṛne ke lie taiyār karegā. To bhī wuh shimālī bādshāh kā sāmnā nahīṅ kar pāegā, is lie ki us ke ḳhilāf sāzisheṅ kāmyāb ho jāeṅgī. | |
Dani | UrduGeoR | 11:26 | Us kī roṭī khāne wāle hī use tabāh kareṅge. Tab us kī fauj muntashir ho jāegī, aur bahut-se afrād maidān-e-jang meṅ khet āeṅge. | |
Dani | UrduGeoR | 11:27 | Donoṅ bādshāh muzākarāt ke lie ek hī mez par baiṭh jāeṅge. Wahāṅ donoṅ jhūṭ bolte hue ek dūsre ko nuqsān pahuṅchāne ke lie koshāṅ raheṅge. Lekin kisī ko kāmyābī hāsil nahīṅ hogī, kyoṅki muqarrarā āḳhirī waqt abhī nahīṅ ānā hai. | |
Dani | UrduGeoR | 11:28 | Shimālī bādshāh baṛī daulat ke sāth apne mulk meṅ wāpas chalā jāegā. Rāste meṅ wuh muqaddas ahd kī qaum Isrāīl par dhyān de kar use nuqsān pahuṅchāegā, phir apne watan wāpas jāegā. | |
Dani | UrduGeoR | 11:29 | Muqarrarā waqt par wuh dubārā junūbī mulk meṅ ghus āegā, lekin pahle kī nisbat is bār natījā farq hogā. | |
Dani | UrduGeoR | 11:30 | Kyoṅki Kittīm ke bahrī jahāz us kī muḳhālafat kareṅge, aur wuh hauslā hāregā. Tab wuh muṛ kar muqaddas ahd kī qaum par apnā pūrā ġhussā utāregā. Jo muqaddas ahd ko tark kareṅge un par wuh mehrbānī karegā. | |
Dani | UrduGeoR | 11:31 | Us ke faujī ā kar qilāband maqdis kī behurmatī kareṅge. Wuh rozānā kī qurbāniyoṅ kā intazām band karke tabāhī kā makrūh but khaṛā kareṅge. | |
Dani | UrduGeoR | 11:32 | Jo Yahūdī pahle se ahd kī ḳhilāfwarzī kar rahe hoṅge unheṅ wuh chiknī-chupṛī bātoṅ se murtad ho jāne par āmādā karegā. Lekin jo log apne Ḳhudā ko jānte haiṅ wuh mazbūt rah kar us kī muḳhālafat kareṅge. | |
Dani | UrduGeoR | 11:33 | Qaum ke samajhdār bahutoṅ ko sahīh rāh kī tālīm deṅge. Lekin kuchh arse ke lie wuh talwār, āg, qaid aur lūṭ-mār ke bāis ḍāṅwāṅḍol raheṅge. | |
Dani | UrduGeoR | 11:34 | Us waqt unheṅ thoṛī-bahut madad hāsil to hogī, lekin bahut-se aise log un ke sāth mil jāeṅge jo muḳhlis nahīṅ hoṅge. | |
Dani | UrduGeoR | 11:35 | Samajhdāroṅ meṅ se kuchh ḍāṅwāṅḍol ho jāeṅge tāki logoṅ ko āzmā kar āḳhirī waqt tak ḳhālis aur pāk-sāf kiyā jāe. Kyoṅki muqarrarā waqt kuchh der ke bād āegā. | |
Dani | UrduGeoR | 11:36 | Bādshāh jo jī chāhe karegā. Wuh sarfarāz ho kar apne āp ko tamām mābūdoṅ se azīm qarār degā. Ḳhudāoṅ ke Ḳhudā ke ḳhilāf wuh nāqābil-e-bayān kufr bakegā. Use kāmyābī bhī hāsil hogī, lekin sirf us waqt tak jab tak ilāhī ġhazab ṭhanḍā na ho jāe. Kyoṅki jo kuchh muqarrar huā hai use pūrā honā hai. | |
Dani | UrduGeoR | 11:37 | Bādshāh na apne bāpdādā ke dewatāoṅ kī parwā karegā, na auratoṅ ke azīz dewatā kī, na kisī aur kī. Kyoṅki wuh apne āp ko sab par sarfarāz karegā. | |
Dani | UrduGeoR | 11:38 | In dewatāoṅ ke bajāe wuh qiloṅ ke dewatā kī pūjā karegā jis se us ke bāpdādā wāqif hī nahīṅ the. Wuh sone-chāṅdī, jawāharāt aur qīmtī tohfoṅ se dewatā kā ehtirām karegā. | |
Dani | UrduGeoR | 11:39 | Chunāṅche wuh ajnabī mābūd kī madad se mazbūt qiloṅ par hamlā karegā. Jo us kī hukūmat māneṅ un kī wuh baṛī izzat karegā, inheṅ bahutoṅ par muqarrar karegā aur un meṅ ajr ke taur par zamīn taqsīm karegā. | |
Dani | UrduGeoR | 11:40 | Lekin phir āḳhirī waqt āegā. Junūbī bādshāh jang meṅ us se ṭakrāegā, to jawāb meṅ shimālī bādshāh rath, ghuṛsawār aur muta'addid bahrī jahāz le kar us par ṭūṭ paṛegā. Tab wuh bahut-se mulkoṅ meṅ ghus āegā aur sailāb kī tarah sab kuchh ġharq karke āge baṛhegā. | |
Dani | UrduGeoR | 11:41 | Is daurān wuh ḳhūbsūrat mulk Isrāīl meṅ bhī ghus āegā. Bahut-se mamālik shikast khāeṅge, lekin Adom aur Moāb Ammon ke markazī hisse samet bach jāeṅge. | |
Dani | UrduGeoR | 11:43 | Shimālī bādshāh Misr kī sone-chāṅdī aur bāqī daulat par qabzā karegā, aur Libiyā aur Ethopiyā bhī us ke naqsh-e-qadam par chaleṅge. | |
Dani | UrduGeoR | 11:44 | Lekin phir mashriq aur shimāl kī taraf se afwāheṅ use sadmā pahuṅchāeṅgī, aur wuh baṛe taish meṅ ā kar bahutoṅ ko tabāh aur halāk karne ke lie niklegā. | |
Chapter 12
Dani | UrduGeoR | 12:1 | Us waqt farishtoṅ kā azīm sardār Mīkāel uṭh khaṛā hogā, wuh jo terī qaum kī shafā'at kartā hai. Musībat kā aisā waqt hogā ki qaumoṅ ke paidā hone se le kar us waqt tak nahīṅ huā hogā. Lekin sāth sāth terī qaum ko najāt milegī. Jis kā bhī nām Allāh kī kitāb meṅ darj hai wuh najāt pāegā. | |
Dani | UrduGeoR | 12:2 | Tab ḳhāk meṅ soe hue muta'addid log jāg uṭheṅge, kuchh abadī zindagī pāne ke lie aur kuchh abadī ruswāī aur ghin kā nishānā banane ke lie. | |
Dani | UrduGeoR | 12:3 | Jo samajhdār haiṅ wuh āsmān kī āb-o-tāb kī mānind chamkeṅge, aur jo bahutoṅ ko rāst rāh par lāe haiṅ wuh hameshā tak sitāroṅ kī tarah jagmagāeṅge. | |
Dani | UrduGeoR | 12:4 | Lekin tū, ai Dānyāl, in bātoṅ ko chhupāe rakh! Is kitāb par āḳhirī waqt tak muhr lagā de! Bahut log idhar-udhar ghūmte phireṅge, aur ilm meṅ izāfā hotā jāegā.” | |
Dani | UrduGeoR | 12:5 | Phir maiṅ, Dānyāl ne dariyā ke pās do ādmiyoṅ ko dekhā. Ek is kināre par khaṛā thā jabki dūsrā dūsre kināre par. | |
Dani | UrduGeoR | 12:6 | Katān se mulabbas ādmī bahte hue pānī ke ūpar thā. Kināroṅ par khaṛe ādmiyoṅ meṅ se ek ne us se pūchhā, “In hairatangez bātoṅ kī takmīl tak mazīd kitnī der lagegī?” | |
Dani | UrduGeoR | 12:7 | Katān se mulabbas ādmī ne donoṅ hāth āsmān kī taraf uṭhāe aur abad tak zindā Ḳhudā kī qasam khā kar bolā, “Pahle ek arsā, phir do arse, phir ādhā arsā guzaregā. Pahle muqaddas qaum kī tāqat ko pāsh pāsh karne kā silsilā iḳhtitām par pahuṅchnā hai. Is ke bād hī yih tamām bāteṅ takmīl tak pahuṅcheṅgī.” | |
Dani | UrduGeoR | 12:8 | Go maiṅ ne us kī yih bāt sunī, lekin wuh merī samajh meṅ na āī. Chunāṅche maiṅ ne pūchhā, “Mere āqā, in tamām bātoṅ kā kyā anjām hogā?” | |
Dani | UrduGeoR | 12:9 | Wuh bolā, “Ai Dānyāl, ab chalā jā! Kyoṅki in bātoṅ ko āḳhirī waqt tak chhupāe rakhnā hai. Us waqt tak in par muhr lagī rahegī. | |
Dani | UrduGeoR | 12:10 | Bahutoṅ ko āzmā kar pāk-sāf aur ḳhālis kiyā jāegā. Lekin bedīn bedīn hī raheṅge. Koī bhī bedīn yih nahīṅ samjhegā, lekin samajhdāroṅ ko samajh āegī. | |
Dani | UrduGeoR | 12:11 | Jis waqt se rozānā kī qurbānī kā intazām band kiyā jāegā aur tabāhī ke makrūh but ko maqdis meṅ khaṛā kiyā jāegā us waqt se 1,290 din guzareṅge. | |