Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
LEVITICUS
Up
Toggle notes
Chapter 1
Levi UrduGeoR 1:1  Rab ne mulāqāt ke ḳhaime meṅ se Mūsā ko bulā kar kahā
Levi UrduGeoR 1:2  ki Isrāīliyoṅ ko ittalā de, “Agar tum meṅ se koī Rab ko qurbānī pesh karnā chāhe to wuh apne gāy-bailoṅ yā bheṛ-bakriyoṅ meṅ se jānwar chun le.
Levi UrduGeoR 1:3  Agar wuh apne gāy-bailoṅ meṅ se bhasm hone wālī qurbānī chaṛhānā chāhe to wuh beaib bail chun kar use mulāqāt ke ḳhaime ke darwāze par pesh kare tāki Rab use qabūl kare.
Levi UrduGeoR 1:4  Qurbānī pesh karne wālā apnā hāth jānwar ke sar par rakhe to yih qurbānī maqbūl ho kar us kā kaffārā degī.
Levi UrduGeoR 1:5  Qurbānī pesh karne wālā bail ko wahāṅ Rab ke sāmne zabah kare. Phir Hārūn ke beṭe jo imām haiṅ us kā ḳhūn Rab ko pesh karke use darwāze par kī qurbāngāh ke chār pahluoṅ par chhiṛkeṅ.
Levi UrduGeoR 1:6  Is ke bād qurbānī pesh karne wālā khāl utār kar jānwar ke ṭukṛe ṭukṛe kare.
Levi UrduGeoR 1:7  Imām qurbāngāh par āg lagā kar us par tartīb se lakaṛiyāṅ chuneṅ.
Levi UrduGeoR 1:8  Us par wuh jānwar ke ṭukṛe sar aur charbī samet rakheṅ.
Levi UrduGeoR 1:9  Lāzim hai ki qurbānī pesh karne wālā pahle jānwar kī antaṛiyāṅ aur pinḍliyāṅ dhoe, phir imām pūre jānwar ko qurbāngāh par jalā de. Is jalne wālī qurbānī kī ḳhushbū Rab ko pasand hai.
Levi UrduGeoR 1:10  Agar bhasm hone wālī qurbānī bheṛ-bakriyoṅ meṅ se chunī jāe to wuh beaib nar ho.
Levi UrduGeoR 1:11  Pesh karne wālā use Rab ke sāmne qurbāngāh kī shimālī simt meṅ zabah kare. Phir Hārūn ke beṭe jo imām haiṅ us kā ḳhūn qurbāngāh ke chār pahluoṅ par chhiṛkeṅ.
Levi UrduGeoR 1:12  Is ke bād pesh karne wālā jānwar ke ṭukṛe ṭukṛe kare aur imām yih ṭukṛe sar aur charbī samet qurbāngāh kī jaltī huī lakaṛiyoṅ par tartīb se rakhe.
Levi UrduGeoR 1:13  Lāzim hai ki qurbānī pesh karne wālā pahle jānwar kī antaṛiyāṅ aur pinḍliyāṅ dhoe, phir imām pūre jānwar ko Rab ko pesh karke qurbāngāh par jalā de. Is jalne wālī qurbānī kī ḳhushbū Rab ko pasand hai.
Levi UrduGeoR 1:14  Agar bhasm hone wālī qurbānī parindā ho to wuh qumrī yā jawān kabūtar ho.
Levi UrduGeoR 1:15  Imām use qurbāngāh ke pās le āe aur us kā sar maroṛ kar qurbāngāh par jalā de. Wuh us kā ḳhūn yoṅ nikalne de ki wuh qurbāngāh kī ek taraf se nīche ṭapke.
Levi UrduGeoR 1:16  Wuh us kā poṭā aur jo us meṅ hai dūr karke qurbāngāh kī mashriqī simt meṅ phaiṅk de, wahāṅ jahāṅ rākh phaiṅkī jātī hai.
Levi UrduGeoR 1:17  Use pesh karte waqt imām us ke par pakaṛ kar parinde ko phāṛ ḍāle, lekin yoṅ ki wuh bilkul ṭukṛe ṭukṛe na ho jāe. Phir imām use qurbāngāh par jaltī huī lakaṛiyoṅ par jalā de. Is jalne wālī qurbānī kī ḳhushbū Rab ko pasand hai.
Chapter 2
Levi UrduGeoR 2:1  Agar koī Rab ko ġhallā kī nazar pesh karnā chāhe to wuh is ke lie behtarīn maidā istemāl kare. Us par wuh zaitūn kā tel unḍele aur lubān rakh kar
Levi UrduGeoR 2:2  use Hārūn ke beṭoṅ ke pās le āe jo imām haiṅ. Imām tel se milāyā gayā muṭṭhī-bhar maidā aur tamām lubān le kar qurbāngāh par jalā de. Yih yādgār kā hissā hai, aur us kī ḳhushbū Rab ko pasand hai.
Levi UrduGeoR 2:3  Bāqī maidā aur tel Hārūn aur us ke beṭoṅ kā hissā hai. Wuh Rab kī jalne wālī qurbāniyoṅ meṅ se ek nihāyat muqaddas hissā hai.
Levi UrduGeoR 2:4  Agar yih qurbānī tanūr meṅ pakāī huī roṭī ho to us meṅ ḳhamīr na ho. Is kī do qismeṅ ho saktī haiṅ, roṭiyāṅ jo behtarīn maide aur tel se banī huī hoṅ aur roṭiyāṅ jin par tel lagāyā gayā ho.
Levi UrduGeoR 2:5  Agar yih qurbānī tawe par pakāī huī roṭī ho to wuh behtarīn maide aur tel kī ho. Us meṅ ḳhamīr na ho.
Levi UrduGeoR 2:6  Chūṅki wuh ġhallā kī nazar hai is lie roṭī ko ṭukṛe ṭukṛe karnā aur us par tel ḍālnā.
Levi UrduGeoR 2:7  Agar yih qurbānī kaṛāhī meṅ pakāī huī roṭī ho to wuh behtarīn maide aur tel kī ho.
Levi UrduGeoR 2:8  Agar tū in chīzoṅ kī banī huī ġhallā kī nazar Rab ke huzūr lānā chāhe to use imām ko pesh karnā. Wuhī use qurbāngāh ke pās le āe.
Levi UrduGeoR 2:9  Phir imām yādgār kā hissā alag karke use qurbāngāh par jalā de. Aisī qurbānī kī ḳhushbū Rab ko pasand hai.
Levi UrduGeoR 2:10  Qurbānī kā bāqī hissā Hārūn aur us ke beṭoṅ ke lie hai. Wuh Rab kī jalne wālī qurbāniyoṅ meṅ se ek nihāyat muqaddas hissā hai.
Levi UrduGeoR 2:11  Ġhallā kī jitnī nazareṅ tum Rab ko pesh karte ho un meṅ ḳhamīr na ho, kyoṅki lāzim hai ki tum Rab ko jalne wālī qurbānī pesh karte waqt na ḳhamīr, na shahd jalāo.
Levi UrduGeoR 2:12  Yih chīzeṅ fasal ke pahle phaloṅ ke sāth Rab ko pesh kī jā saktī haiṅ, lekin unheṅ qurbāngāh par na jalāyā jāe, kyoṅki wahāṅ Rab ko un kī ḳhushbū pasand nahīṅ hai.
Levi UrduGeoR 2:13  Ġhallā kī har nazar meṅ namak ho, kyoṅki namak us ahd kī numāindagī kartā hai jo tere Ḳhudā ne tere sāth bāndhā hai. Tujhe har qurbānī meṅ namak ḍālnā hai.
Levi UrduGeoR 2:14  Agar tū ġhallā kī nazar ke lie fasal ke pahle phal pesh karnā chāhe to kuchlī huī kachchī bāliyāṅ bhūn kar pesh karnā.
Levi UrduGeoR 2:15  Chūṅki wuh ġhallā kī nazar hai is lie us par tel unḍelnā aur lubān rakhnā.
Levi UrduGeoR 2:16  Kuchle hue dānoṅ aur tel kā jo hissā Rab kā hai yānī yādgār kā hissā use imām tamām lubān ke sāth jalā de. Yih nazar Rab ke lie jalne wālī qurbānī hai.
Chapter 3
Levi UrduGeoR 3:1  Agar koī Rab ko salāmatī kī qurbānī pesh karne ke lie gāy yā bail chaṛhānā chāhe to wuh jānwar beaib ho.
Levi UrduGeoR 3:2  Wuh apnā hāth jānwar ke sar par rakh kar use mulāqāt ke ḳhaime ke darwāze par zabah kare. Hārūn ke beṭe jo imām haiṅ us kā ḳhūn qurbāngāh ke chār pahluoṅ par chhiṛkeṅ.
Levi UrduGeoR 3:3  Pesh karne wālā antaṛiyoṅ par kī sārī charbī, gurde us charbī samet jo un par aur kamr ke qarīb hotī hai aur joṛkalejī jalne wālī qurbānī ke taur par Rab ko pesh kare. In chīzoṅ ko gurdoṅ ke sāth hī alag karnā hai.
Levi UrduGeoR 3:4  Pesh karne wālā antaṛiyoṅ par kī sārī charbī, gurde us charbī samet jo un par aur kamr ke qarīb hotī hai aur joṛkalejī jalne wālī qurbānī ke taur par Rab ko pesh kare. In chīzoṅ ko gurdoṅ ke sāth hī alag karnā hai.
Levi UrduGeoR 3:5  Phir Hārūn ke beṭe yih sab kuchh bhasm hone wālī qurbānī ke sāth qurbāngāh kī lakaṛiyoṅ par jalā deṅ. Yih jalne wālī qurbānī hai, aur is kī ḳhushbū Rab ko pasand hai.
Levi UrduGeoR 3:6  Agar salāmatī kī qurbānī ke lie bheṛ-bakriyoṅ meṅ se jānwar chunā jāe to wuh beaib nar yā mādā ho.
Levi UrduGeoR 3:7  Agar wuh bheṛ kā bachchā chaṛhānā chāhe to wuh use Rab ke sāmne le āe.
Levi UrduGeoR 3:8  Wuh apnā hāth us ke sar par rakh kar use mulāqāt ke ḳhaime ke sāmne zabah kare. Hārūn ke beṭe us kā ḳhūn qurbāngāh ke chār pahluoṅ par chhiṛkeṅ.
Levi UrduGeoR 3:9  Pesh karne wālā charbī, pūrī dum, antaṛiyoṅ par kī sārī charbī, gurde us charbī samet jo un par aur kamr ke qarīb hotī hai aur joṛkalejī jalne wālī qurbānī ke taur par Rab ko pesh kare. In chīzoṅ ko gurdoṅ ke sāth hī alag karnā hai.
Levi UrduGeoR 3:10  Pesh karne wālā charbī, pūrī dum, antaṛiyoṅ par kī sārī charbī, gurde us charbī samet jo un par aur kamr ke qarīb hotī hai aur joṛkalejī jalne wālī qurbānī ke taur par Rab ko pesh kare. In chīzoṅ ko gurdoṅ ke sāth hī alag karnā hai.
Levi UrduGeoR 3:11  Imām yih sab kuchh Rab ko pesh karke qurbāngāh par jalā de. Yih ḳhurāk jalne wālī qurbānī hai.
Levi UrduGeoR 3:13  to pesh karne wālā us par hāth rakh kar use mulāqāt ke ḳhaime ke sāmne zabah kare. Hārūn ke beṭe jānwar kā ḳhūn qurbāngāh ke chār pahluoṅ par chhiṛkeṅ.
Levi UrduGeoR 3:14  Pesh karne wālā antaṛiyoṅ par kī sārī charbī, gurde us charbī samet jo un par aur kamr ke qarīb hotī hai aur joṛkalejī jalne wālī qurbānī ke taur par Rab ko pesh kare. In chīzoṅ ko gurdoṅ ke sāth hī alag karnā hai.
Levi UrduGeoR 3:15  Pesh karne wālā antaṛiyoṅ par kī sārī charbī, gurde us charbī samet jo un par aur kamr ke qarīb hotī hai aur joṛkalejī jalne wālī qurbānī ke taur par Rab ko pesh kare. In chīzoṅ ko gurdoṅ ke sāth hī alag karnā hai.
Levi UrduGeoR 3:16  Imām yih sab kuchh Rab ko pesh karke qurbāngāh par jalā de. Yih ḳhurāk jalne wālī qurbānī hai, aur is kī ḳhushbū Rab ko pasand hai. Sārī charbī Rab kī hai.
Levi UrduGeoR 3:17  Tumhāre lie ḳhūn yā charbī khānā manā hai. Yih na sirf tumhāre lie manā hai balki tumhārī aulād ke lie bhī, na sirf yahāṅ balki har jagah jahāṅ tum rahte ho.”
Chapter 4
Levi UrduGeoR 4:2  “Isrāīliyoṅ ko batānā ki jo bhī ġhairirādī taur par gunāh karke Rab ke kisī hukm ko toṛe wuh yih kare:
Levi UrduGeoR 4:3  Agar imām-e-āzam gunāh kare aur natīje meṅ pūrī qaum qusūrwār ṭhahre to phir wuh Rab ko ek beaib jawān bail le kar gunāh kī qurbānī ke taur par pesh kare.
Levi UrduGeoR 4:4  Wuh jawān bail ko mulāqāt ke ḳhaime ke darwāze ke pās le āe aur apnā hāth us ke sar par rakh kar use Rab ke sāmne zabah kare.
Levi UrduGeoR 4:5  Phir wuh jānwar ke ḳhūn meṅ se kuchh le kar ḳhaime meṅ jāe.
Levi UrduGeoR 4:6  Wahāṅ wuh apnī unglī us meṅ ḍāl kar use sāt bār Rab ke sāmne yānī Muqaddastarīn Kamre ke parde par chhiṛke.
Levi UrduGeoR 4:7  Phir wuh ḳhaime ke andar kī us qurbāngāh ke chāroṅ sīṅgoṅ par ḳhūn lagāe jis par baḳhūr jalāyā jātā hai. Bāqī ḳhūn wuh bāhar ḳhaime ke darwāze par kī us qurbāngāh ke pāe par unḍele jis par jānwar jalāe jāte haiṅ.
Levi UrduGeoR 4:8  Jawān bail kī sārī charbī, antaṛiyoṅ par kī sārī charbī,
Levi UrduGeoR 4:9  gurde us charbī samet jo un par aur kamr ke qarīb hotī hai aur joṛkalejī ko gurdoṅ ke sāth hī alag karnā hai.
Levi UrduGeoR 4:10  Yih bilkul usī tarah kiyā jāe jis tarah us bail ke sāth kiyā gayā jo salāmatī kī qurbānī ke lie pesh kiyā jātā hai. Imām yih sab kuchh us qurbāngāh par jalā de jis par jānwar jalāe jāte haiṅ.
Levi UrduGeoR 4:11  Lekin wuh us kī khāl, us kā sārā gosht, sar aur pinḍliyāṅ, antaṛiyāṅ aur un kā gobar
Levi UrduGeoR 4:12  ḳhaimāgāh ke bāhar le jāe. Yih chīzeṅ us pāk jagah par jahāṅ qurbāniyoṅ kī rākh phaiṅkī jātī hai lakaṛiyoṅ par rakh kar jalā denī haiṅ.
Levi UrduGeoR 4:13  Agar Isrāīl kī pūrī jamāt ne ġhairirādī taur par gunāh karke Rab ke kisī hukm se tajāwuz kiyā hai aur jamāt ko mālūm nahīṅ thā to bhī wuh qusūrwār hai.
Levi UrduGeoR 4:14  Jab logoṅ ko patā lage ki ham ne gunāh kiyā hai to jamāt mulāqāt ke ḳhaime ke pās ek jawān bail le āe aur use gunāh kī qurbānī ke taur par pesh kare.
Levi UrduGeoR 4:15  Jamāt ke buzurg Rab ke sāmne apne hāth us ke sar par rakheṅ, aur wuh wahīṅ zabah kiyā jāe.
Levi UrduGeoR 4:16  Phir imām-e-āzam jānwar ke ḳhūn meṅ se kuchh le kar mulāqāt ke ḳhaime meṅ jāe.
Levi UrduGeoR 4:17  Wahāṅ wuh apnī unglī us meṅ ḍāl kar use sāt bār Rab ke sāmne yānī Muqaddastarīn Kamre ke parde par chhiṛke.
Levi UrduGeoR 4:18  Phir wuh ḳhaime ke andar kī us qurbāngāh ke chāroṅ sīṅgoṅ par ḳhūn lagāe jis par baḳhūr jalāyā jātā hai. Bāqī ḳhūn wuh bāhar ḳhaime ke darwāze kī us qurbāngāh ke pāe par unḍele jis par jānwar jalāe jāte haiṅ.
Levi UrduGeoR 4:19  Is ke bād wuh us kī tamām charbī nikāl kar qurbāngāh par jalā de.
Levi UrduGeoR 4:20  Us bail ke sāth wuh sab kuchh kare jo use apne zātī ġhairirādī gunāh ke lie karnā hotā hai. Yoṅ wuh logoṅ kā kaffārā degā aur unheṅ muāfī mil jāegī.
Levi UrduGeoR 4:21  Āḳhir meṅ wuh bail ko ḳhaimāgāh ke bāhar le jā kar us tarah jalā de jis tarah use apne lie bail ko jalā denā hotā hai. Yih jamāt kā gunāh dūr karne kī qurbānī hai.
Levi UrduGeoR 4:22  Agar koī sardār ġhairirādī taur par gunāh karke Rab ke kisī hukm se tajāwuz kare aur yoṅ qusūrwār ṭhahre to
Levi UrduGeoR 4:23  jab bhī use patā lage ki mujh se gunāh huā hai to wuh qurbānī ke lie ek beaib bakrā le āe.
Levi UrduGeoR 4:24  Wuh apnā hāth bakre ke sar par rakh kar use wahāṅ zabah kare jahāṅ bhasm hone wālī qurbāniyāṅ zabah kī jātī haiṅ. Yih gunāh kī qurbānī hai.
Levi UrduGeoR 4:25  Imām apnī unglī ḳhūn meṅ ḍāl kar use us qurbāngāh ke chāroṅ sīṅgoṅ par lagāe jis par jānwar jalāe jāte haiṅ. Bāqī ḳhūn wuh qurbāngāh ke pāe par unḍele.
Levi UrduGeoR 4:26  Phir wuh us kī sārī charbī qurbāngāh par us tarah jalā de jis tarah wuh salāmatī kī qurbāniyoṅ kī charbī jalā detā hai. Yoṅ imām us ādmī kā kaffārā degā aur use muāfī hāsil ho jāegī.
Levi UrduGeoR 4:27  Agar koī ām shaḳhs ġhairirādī taur par gunāh karke Rab ke kisī hukm se tajāwuz kare aur yoṅ qusūrwār ṭhahre to
Levi UrduGeoR 4:28  jab bhī use patā lage ki mujh se gunāh huā hai to wuh qurbānī ke lie ek beaib bakrī le āe.
Levi UrduGeoR 4:29  Wuh apnā hāth bakrī ke sar par rakh kar use wahāṅ zabah kare jahāṅ bhasm hone wālī qurbāniyāṅ zabah kī jātī haiṅ.
Levi UrduGeoR 4:30  Imām apnī unglī ḳhūn meṅ ḍāl kar use us qurbāngāh ke chāroṅ sīṅgoṅ par lagāe jis par jānwar jalāe jāte haiṅ. Bāqī ḳhūn wuh qurbāngāh ke pāe par unḍele.
Levi UrduGeoR 4:31  Phir wuh us kī sārī charbī us tarah nikāle jis tarah wuh salāmatī kī qurbāniyoṅ kī charbī nikāltā hai. Is ke bād wuh use qurbāngāh par jalā de. Aisī qurbānī kī ḳhushbū Rab ko pasand hai. Yoṅ imām us ādmī kā kaffārā degā aur use muāfī hāsil ho jāegī.
Levi UrduGeoR 4:32  Agar wuh gunāh kī qurbānī ke lie bheṛ kā bachchā lānā chāhe to wuh beaib mādā ho.
Levi UrduGeoR 4:33  Wuh apnā hāth us ke sar par rakh kar use wahāṅ zabah kare jahāṅ bhasm hone wālī qurbāniyāṅ zabah kī jātī haiṅ.
Levi UrduGeoR 4:34  Imām apnī unglī ḳhūn meṅ ḍāl kar use us qurbāngāh ke chāroṅ sīṅgoṅ par lagāe jis par jānwar jalāe jāte haiṅ. Bāqī ḳhūn wuh qurbāngāh ke pāe par unḍele.
Levi UrduGeoR 4:35  Phir wuh us kī tamām charbī us tarah nikāle jis tarah salāmatī kī qurbānī ke lie zabah kie gae jawān menḍhe kī charbī nikālī jātī hai. Is ke bād imām charbī ko qurbāngāh par un qurbāniyoṅ samet jalā de jo Rab ke lie jalāī jātī haiṅ. Yoṅ imām us ādmī kā kaffārā degā aur use muāfī mil jāegī.
Chapter 5
Levi UrduGeoR 5:1  Ho saktā hai ki kisī ne yoṅ gunāh kiyā ki us ne koī jurm dekhā yā wuh us ke bāre meṅ kuchh jāntā hai. To bhī jab gawāhoṅ ko qasam ke lie bulāyā jātā hai to wuh gawāhī dene ke lie sāmne nahīṅ ātā. Is sūrat meṅ wuh qusūrwār ṭhahartā hai.
Levi UrduGeoR 5:2  Ho saktā hai ki kisī ne ġhairirādī taur par kisī nāpāk chīz ko chhū liyā hai, ḳhāh wuh kisī janglī jānwar, maweshī yā reṅgne wāle jānwar kī lāsh kyoṅ na ho. Is sūrat meṅ wuh nāpāk hai aur qusūrwār ṭhahartā hai.
Levi UrduGeoR 5:3  Ho saktā hai ki kisī ne ġhairirādī taur par kisī shaḳhs kī nāpākī ko chhū liyā hai yānī us kī koī aisī chīz jis se wuh nāpāk ho gayā hai. Jab use mālūm ho jātā hai to wuh qusūrwār ṭhahartā hai.
Levi UrduGeoR 5:4  Ho saktā hai ki kisī ne beparwāī se kuchh karne kī qasam khāī hai, chāhe wuh achchhā kām thā yā ġhalat. Jab wuh jān letā hai ki us ne kyā kiyā hai to wuh qusūrwār ṭhahartā hai.
Levi UrduGeoR 5:5  Jo is tarah ke kisī gunāh kī binā par qusūrwār ho, lāzim hai ki wuh apnā gunāh taslīm kare.
Levi UrduGeoR 5:6  Phir wuh gunāh kī qurbānī ke taur par ek bheṛ yā bakrī pesh kare. Yoṅ imām us kā kaffārā degā.
Levi UrduGeoR 5:7  Agar qusūrwār shaḳhs ġhurbat ke bāis bheṛ yā bakrī na de sake to wuh Rab ko do qumriyāṅ yā do jawān kabūtar pesh kare, ek gunāh kī qurbānī ke lie aur ek bhasm hone wālī qurbānī ke lie.
Levi UrduGeoR 5:8  Wuh unheṅ imām ke pās le āe. Imām pahle gunāh kī qurbānī ke lie parindā pesh kare. Wuh us kī gardan maroṛ ḍāle lekin aise ki sar judā na ho jāe.
Levi UrduGeoR 5:9  Phir wuh us ke ḳhūn meṅ se kuchh qurbāngāh ke ek pahlū par chhiṛke. Bāqī ḳhūn wuh yoṅ nikalne de ki wuh qurbāngāh ke pāe par ṭapke. Yih gunāh kī qurbānī hai.
Levi UrduGeoR 5:10  Phir imām dūsre parinde ko qawāyd ke mutābiq bhasm hone wālī qurbānī ke taur par pesh kare. Yoṅ imām us ādmī kā kaffārā degā aur use muāfī mil jāegī.
Levi UrduGeoR 5:11  Agar wuh shaḳhs ġhurbat ke bāis do qumriyāṅ yā do jawān kabūtar bhī na de sake to phir wuh gunāh kī qurbānī ke lie ḍeṛh kilogrām behtarīn maidā pesh kare. Wuh us par na tel unḍele, na lubān rakhe, kyoṅki yih ġhallā kī nazar nahīṅ balki gunāh kī qurbānī hai.
Levi UrduGeoR 5:12  Wuh use imām ke pās le āe jo yādgār kā hissā yānī muṭṭhī-bhar un qurbāniyoṅ ke sāth jalā de jo Rab ke lie jalāī jātī haiṅ. Yih gunāh kī qurbānī hai.
Levi UrduGeoR 5:13  Yoṅ imām us ādmī kā kaffārā degā aur use muāfī mil jāegī. Ġhallā kī nazar kī tarah bāqī maidā imām kā hissā hai.”
Levi UrduGeoR 5:15  “Agar kisī ne be'īmānī karke ġhairirādī taur par Rab kī maḳhsūs aur muqaddas chīzoṅ ke silsile meṅ gunāh kiyā ho, aisā shaḳhs qusūr kī qurbānī ke taur par Rab ko beaib aur qīmat ke lihāz se munāsib menḍhā yā bakrā pesh kare. Us kī qīmat maqdis kī sharh ke mutābiq muqarrar kī jāe.
Levi UrduGeoR 5:16  Jitnā nuqsān maqdis ko huā hai utnā hī wuh de. Is ke alāwā wuh mazīd 20 fīsad adā kare. Wuh use imām ko de de aur imām jānwar ko qusūr kī qurbānī ke taur par pesh karke us kā kaffārā de. Yoṅ use muāfī mil jāegī.
Levi UrduGeoR 5:17  Agar koī ġhairirādī taur par gunāh karke Rab ke kisī hukm se tajāwuz kare to wuh qusūrwār hai, aur wuh us kā zimmedār ṭhahregā.
Levi UrduGeoR 5:18  Wuh qusūr kī qurbānī ke taur par imām ke pās ek beaib aur qīmat ke lihāz se munāsib menḍhā le āe. Us kī qīmat maqdis kī sharh ke mutābiq muqarrar kī jāe. Phir imām yih qurbānī us gunāh ke lie chaṛhāe jo qusūrwār shaḳhs ne ġhairirādī taur par kiyā hai. Yoṅ use muāfī mil jāegī.
Levi UrduGeoR 5:19  Yih qusūr kī qurbānī hai, kyoṅki wuh Rab kā gunāh karke qusūrwār ṭhahrā hai.”
Chapter 6
Levi UrduGeoR 6:2  “Ho saktā hai kisī ne gunāh karke be'īmānī kī hai, masalan us ne apne paṛosī kī koī chīz wāpas nahīṅ kī jo us ke sapurd kī gaī thī yā jo use girwī ke taur par milī thī, yā us ne us kī koī chīz chorī kī, yā us ne kisī se koī chīz chhīn lī,
Levi UrduGeoR 6:3  yā us ne kisī kī gumshudā chīz ke bāre meṅ jhūṭ bolā jab use mil gaī, yā us ne qasam khā kar jhūṭ bolā hai, yā is tarah kā koī aur gunāh kiyā hai.
Levi UrduGeoR 6:4  Agar wuh is tarah kā gunāh karke qusūrwār ṭhahre to lāzim hai ki wuh wuhī chīz wāpas kare jo us ne chorī kī yā chhīn lī yā jo us ke sapurd kī gaī yā jo gumshudā ho kar us ke pās ā gaī hai
Levi UrduGeoR 6:5  yā jis ke bāre meṅ us ne qasam khā kar jhūṭ bolā hai. Wuh us kā utnā hī wāpas karke 20 fīsad zyādā de. Aur wuh yih sab kuchh us din wāpas kare jab wuh apnī qusūr kī qurbānī pesh kartā hai.
Levi UrduGeoR 6:6  Qusūr kī qurbānī ke taur par wuh ek beaib aur qīmat ke lihāz se munāsib menḍhā imām ke pās le āe aur Rab ko pesh kare. Us kī qīmat maqdis kī sharh ke mutābiq muqarrar kī jāe.
Levi UrduGeoR 6:7  Phir imām Rab ke sāmne us kā kaffārā degā to use muāfī mil jāegī.”
Levi UrduGeoR 6:9  “Hārūn aur us ke beṭoṅ ko bhasm hone wālī qurbāniyoṅ ke bāre meṅ zail kī hidāyāt denā: Bhasm hone wālī qurbānī pūrī rāt subah tak qurbāngāh kī us jagah par rahe jahāṅ āg jaltī hai. Āg ko bujhne na denā.
Levi UrduGeoR 6:10  Subah ko imām katān kā libās aur katān kā pājāmā pahan kar qurbānī se bachī huī rākh qurbāngāh ke pās zamīn par ḍāle.
Levi UrduGeoR 6:11  Phir wuh apne kapṛe badal kar rākh ko ḳhaimāgāh ke bāhar kisī pāk jagah par chhoṛ āe.
Levi UrduGeoR 6:12  Qurbāngāh par āg jaltī rahe. Wuh kabhī bhī na bujhe. Har subah imām lakaṛiyāṅ chun kar us par bhasm hone wālī qurbānī tartīb se rakhe aur us par salāmatī kī qurbānī kī charbī jalā de.
Levi UrduGeoR 6:13  Āg hameshā jaltī rahe. Wuh kabhī na bujhne pāe.
Levi UrduGeoR 6:14  Ġhallā kī nazar ke bāre meṅ hidāyāt yih haiṅ: Hārūn ke beṭe use qurbāngāh ke sāmne Rab ko pesh kareṅ.
Levi UrduGeoR 6:15  Phir imām yādgār kā hissā yānī tel se milāyā gayā muṭṭhī-bhar behtarīn maidā aur qurbānī kā tamām lubān le kar qurbāngāh par jalā de. Is kī ḳhushbū Rab ko pasand hai.
Levi UrduGeoR 6:16  Hārūn aur us ke beṭe qurbānī kā bāqī hissā khā leṅ. Lekin wuh use muqaddas jagah par yānī mulāqāt ke ḳhaime kī chārdīwārī ke andar khāeṅ, aur us meṅ ḳhamīr na ho.
Levi UrduGeoR 6:17  Use pakāne ke lie us meṅ ḳhamīr na ḍālā jāe. Maiṅ ne jalne wālī qurbāniyoṅ meṅ se yih hissā un ke lie muqarrar kiyā hai. Yih gunāh kī qurbānī aur qusūr kī qurbānī kī tarah nihāyat muqaddas hai.
Levi UrduGeoR 6:18  Hārūn kī aulād ke tamām mard use khāeṅ. Yih usūl abad tak qāym rahe. Jo bhī use chhuegā wuh maḳhsūs-o-muqaddas ho jāegā.”
Levi UrduGeoR 6:20  “Jab Hārūn aur us ke beṭoṅ ko imām kī zimmedārī uṭhāne ke lie maḳhsūs karke tel se masah kiyā jāegā to wuh ḍeṛh kilogrām behtarīn maidā pesh kareṅ. Us kā ādhā hissā subah ko aur ādhā hissā shām ke waqt pesh kiyā jāe. Wuh ġhallā kī yih nazar rozānā pesh kareṅ.
Levi UrduGeoR 6:21  Use tel ke sāth milā kar tawe par pakānā hai. Phir use ṭukṛe ṭukṛe karke ġhallā kī nazar ke taur par pesh karnā. Us kī ḳhushbū Rab ko pasand hai.
Levi UrduGeoR 6:22  Yih qurbānī hameshā Hārūn kī nasl kā wuh ādmī pesh kare jise masah karke imām-e-āzam kā ohdā diyā gayā hai, aur wuh use pūre taur par Rab ke lie jalā de.
Levi UrduGeoR 6:23  Imām kī ġhallā kī nazar hameshā pūre taur par jalānā. Use na khānā.”
Levi UrduGeoR 6:25  “Hārūn aur us ke beṭoṅ ko gunāh kī qurbānī ke bāre meṅ zail kī hidāyāt denā: Gunāh kī qurbānī ko Rab ke sāmne wahīṅ zabah karnā hai jahāṅ bhasm hone wālī qurbānī zabah kī jātī hai. Wuh nihāyat muqaddas hai.
Levi UrduGeoR 6:26  Use pesh karne wālā imām use muqaddas jagah par yānī mulāqāt ke ḳhaime kī chārdīwārī ke andar khāe.
Levi UrduGeoR 6:27  Jo bhī is qurbānī ke gosht ko chhū letā hai wuh maḳhsūs-o-muqaddas ho jātā hai. Agar qurbānī ke ḳhūn ke chhīṅṭe kisī libās par paṛ jāeṅ to use muqaddas jagah par dhonā hai.
Levi UrduGeoR 6:28  Agar gosht ko hanḍiyā meṅ pakāyā gayā ho to us bartan ko bād meṅ toṛ denā hai. Agar us ke lie pītal kā bartan istemāl kiyā gayā ho to use ḳhūb māṅjh kar pānī se sāf karnā.
Levi UrduGeoR 6:29  Imāmoṅ ke ḳhāndānoṅ meṅ se tamām mard use khā sakte haiṅ. Yih khānā nihāyat muqaddas hai.
Levi UrduGeoR 6:30  Lekin gunāh kī har wuh qurbānī khāī na jāe jis kā ḳhūn mulāqāt ke ḳhaime meṅ is lie lāyā gayā hai ki maqdis meṅ kisī kā kaffārā diyā jāe. Use jalānā hai.
Chapter 7
Levi UrduGeoR 7:1  Qusūr kī qurbānī jo nihāyat muqaddas hai us ke bāre meṅ hidāyāt yih haiṅ:
Levi UrduGeoR 7:2  Qusūr kī qurbānī wahīṅ zabah karnī hai jahāṅ bhasm hone wālī qurbānī zabah kī jātī hai. Us kā ḳhūn qurbāngāh ke chār pahluoṅ par chhiṛkā jāe.
Levi UrduGeoR 7:3  Us kī tamām charbī nikāl kar qurbāngāh par chaṛhānī hai yānī us kī dum, antaṛiyoṅ par kī charbī,
Levi UrduGeoR 7:4  gurde us charbī samet jo un par aur kamr ke qarīb hotī hai aur joṛkalejī. In chīzoṅ ko gurdoṅ ke sāth hī alag karnā hai.
Levi UrduGeoR 7:5  Imām yih sab kuchh Rab ko qurbāngāh par jalne wālī qurbānī ke taur par pesh kare. Yih qusūr kī qurbānī hai.
Levi UrduGeoR 7:6  Imāmoṅ ke ḳhāndānoṅ meṅ se tamām mard use khā sakte haiṅ. Lekin use muqaddas jagah par khāyā jāe. Yih nihāyat muqaddas hai.
Levi UrduGeoR 7:7  Gunāh aur qusūr kī qurbānī ke lie ek hī usūl hai, jo imām qurbānī ko pesh karke kaffārā detā hai us ko us kā gosht miltā hai.
Levi UrduGeoR 7:8  Is tarah jo imām kisī jānwar ko bhasm hone wālī qurbānī ke taur par chaṛhātā hai usī ko jānwar kī khāl miltī hai.
Levi UrduGeoR 7:9  Aur isī tarah tanūr meṅ, kaṛāhī meṅ yā tawe par pakāī gaī ġhallā kī har nazar us imām ko miltī hai jis ne use pesh kiyā hai.
Levi UrduGeoR 7:10  Lekin Hārūn ke tamām beṭoṅ ko ġhallā kī bāqī nazareṅ barābar barābar miltī raheṅ, ḳhāh un meṅ tel milāyā gayā ho yā wuh ḳhushk hoṅ.
Levi UrduGeoR 7:11  Salāmatī kī qurbānī jo Rab ko pesh kī jātī hai us ke bāre meṅ zail kī hidāyāt haiṅ:
Levi UrduGeoR 7:12  Agar koī is qurbānī se apnī shukrguzārī kā izhār karnā chāhe to wuh jānwar ke sāth beḳhamīrī roṭī jis meṅ tel ḍālā gayā ho, beḳhamīrī roṭī jis par tel lagāyā gayā ho aur roṭī jis meṅ behtarīn maidā aur tel milāyā gayā ho pesh kare.
Levi UrduGeoR 7:13  Is ke alāwā wuh ḳhamīrī roṭī bhī pesh kare.
Levi UrduGeoR 7:14  Pesh karne wālā qurbānī kī har chīz kā ek hissā uṭhā kar Rab ke lie maḳhsūs kare. Yih us imām kā hissā hai jo jānwar kā ḳhūn qurbāngāh par chhiṛaktā hai.
Levi UrduGeoR 7:15  Gosht usī din khāyā jāe jab jānwar ko zabah kiyā gayā ho. Aglī subah tak kuchh nahīṅ bachnā chāhie.
Levi UrduGeoR 7:16  Is qurbānī kā gosht sirf is sūrat meṅ agle din khāyā jā saktā hai jab kisī ne mannat mān kar yā apnī ḳhushī se use pesh kiyā hai.
Levi UrduGeoR 7:17  Agar kuchh gosht tīsre din tak bach jāe to use jalānā hai.
Levi UrduGeoR 7:18  Agar use tīsre din bhī khāyā jāe to Rab yih qurbānī qabūl nahīṅ karegā. Us kā koī fāydā nahīṅ hogā balki use nāpāk qarār diyā jāegā. Jo bhī us se khāegā wuh qusūrwār ṭhahregā.
Levi UrduGeoR 7:19  Agar yih gosht kisī nāpāk chīz se lag jāe to use nahīṅ khānā hai balki use jalāyā jāe. Agar gosht pāk hai to har shaḳhs jo ḳhud pāk hai use khā saktā hai.
Levi UrduGeoR 7:20  Lekin agar nāpāk shaḳhs Rab ko pesh kī gaī salāmatī kī qurbānī kā yih gosht khāe to use us kī qaum meṅ se miṭā ḍālnā hai.
Levi UrduGeoR 7:21  Ho saktā hai ki kisī ne kisī nāpāk chīz ko chhū liyā hai chāhe wuh nāpāk shaḳhs, jānwar yā koī aur ghinaunī aur nāpāk chīz ho. Agar aisā shaḳhs Rab ko pesh kī gaī salāmatī kī qurbānī kā gosht khāe to use us kī qaum meṅ se miṭā ḍālnā hai.”
Levi UrduGeoR 7:23  “Isrāīliyoṅ ko batā denā ki gāy-bail aur bheṛ-bakriyoṅ kī charbī khānā tumhāre lie manā hai.
Levi UrduGeoR 7:24  Tum fitrī taur par mare hue jānwaroṅ aur phāṛe hue jānwaroṅ kī charbī dīgar kāmoṅ ke lie istemāl kar sakte ho, lekin use khānā manā hai.
Levi UrduGeoR 7:25  Jo bhī us charbī meṅ se khāe jo jalā kar Rab ko pesh kī jātī hai use us kī qaum meṅ se miṭā ḍālnā hai.
Levi UrduGeoR 7:26  Jahāṅ bhī tum rahte ho wahāṅ parindoṅ yā dīgar jānwaroṅ kā ḳhūn khānā manā hai.
Levi UrduGeoR 7:27  Jo bhī ḳhūn khāe use us kī qaum meṅ se miṭāyā jāe.”
Levi UrduGeoR 7:29  “Isrāīliyoṅ ko batānā ki jo Rab ko salāmatī kī qurbānī pesh kare wuh Rab ke lie ek hissā maḳhsūs kare.
Levi UrduGeoR 7:30  Wuh jalne wālī yih qurbānī apne hāthoṅ se Rab ko pesh kare. Is ke lie wuh jānwar kī charbī aur Sīnā Rab ke sāmne pesh kare. Sīnā hilāne wālī qurbānī ho.
Levi UrduGeoR 7:31  Imām charbī ko qurbāngāh par jalā de jabki Sīnā Hārūn aur us ke beṭoṅ kā hissā hai.
Levi UrduGeoR 7:32  Qurbānī kī dahnī rān imām ko uṭhāne wālī qurbānī ke taur par dī jāe.
Levi UrduGeoR 7:33  Wuh us imām kā hissā hai jo salāmatī kī qurbānī kā ḳhūn aur charbī chaṛhātā hai.
Levi UrduGeoR 7:34  Isrāīliyoṅ kī salāmatī kī qurbāniyoṅ meṅ se maiṅ ne hilāne wālā Sīnā aur uṭhāne wālī rān imāmoṅ ko dī hai. Yih chīzeṅ hameshā ke lie Isrāīliyoṅ kī taraf se imāmoṅ kā haq haiṅ.”
Levi UrduGeoR 7:35  Yih us din jalne wālī qurbāniyoṅ meṅ se Hārūn aur us ke beṭoṅ kā hissā ban gaīṅ jab unheṅ maqdis meṅ Rab kī ḳhidmat meṅ pesh kiyā gayā.
Levi UrduGeoR 7:36  Rab ne us din jab unheṅ tel se masah kiyā gayā hukm diyā thā ki Isrāīlī yih hissā hameshā imāmoṅ ko diyā kareṅ.
Levi UrduGeoR 7:37  Ġharz yih hidāyāt tamām qurbāniyoṅ ke bāre meṅ haiṅ yānī bhasm hone wālī qurbānī, ġhallā kī nazar, gunāh kī qurbānī, qusūr kī qurbānī, imām ko maqdis meṅ ḳhidmat ke lie maḳhsūs karne kī qurbānī aur salāmatī kī qurbānī ke bāre meṅ.
Levi UrduGeoR 7:38  Rab ne Mūsā ko yih hidāyāt Sīnā Pahāṛ par dīṅ, us din jab us ne Isrāīliyoṅ ko hukm diyā ki wuh Dasht-e-Sīnā meṅ Rab ko apnī qurbāniyāṅ pesh kareṅ.
Chapter 8
Levi UrduGeoR 8:2  “Hārūn aur us ke beṭoṅ ko mere huzūr le ānā. Nīz imāmoṅ ke libās, masah kā tel, gunāh kī qurbānī ke lie jawān bail, do menḍhe aur beḳhamīrī roṭiyoṅ kī ṭokrī le ānā.
Levi UrduGeoR 8:3  Phir pūrī jamāt ko ḳhaime ke darwāze par jamā karnā.”
Levi UrduGeoR 8:4  Mūsā ne aisā hī kiyā. Jab pūrī jamāt ikaṭṭhī ho gaī to
Levi UrduGeoR 8:5  us ne un se kahā, “Ab maiṅ wuh kuchh kartā hūṅ jis kā hukm Rab ne diyā hai.”
Levi UrduGeoR 8:6  Mūsā ne Hārūn aur us ke beṭoṅ ko sāmne lā kar ġhusl karāyā.
Levi UrduGeoR 8:7  Us ne Hārūn ko katān kā zerjāmā pahnā kar kamarband lapeṭā. Phir us ne choġhā pahnāyā jis par us ne bālāposh ko mahārat se bune hue paṭke se bāndhā.
Levi UrduGeoR 8:8  Is ke bād us ne sīne kā kīsā lagā kar us meṅ donoṅ qur'e banām Ūrīm aur Tummīm rakhe.
Levi UrduGeoR 8:9  Phir us ne Hārūn ke sar par pagaṛī rakhī jis ke sāmne wāle hisse par us ne muqaddas tāj yānī sone kī taḳhtī lagā dī. Sab kuchh us hukm ke ain mutābiq huā jo Rab ne Mūsā ko diyā thā.
Levi UrduGeoR 8:10  Is ke bād Mūsā ne masah ke tel se maqdis ko aur jo kuchh us meṅ thā masah karke use maḳhsūs-o-muqaddas kiyā.
Levi UrduGeoR 8:11  Us ne yih tel sāt bār jānwar chaṛhāne kī qurbāngāh aur us ke sāmān par chhiṛak diyā. Isī tarah us ne sāt bār dhone ke hauz aur us ḍhāṅche par tel chhiṛak diyā jis par hauz rakhā huā thā. Yoṅ yih chīzeṅ maḳhsūs-o-muqaddas huīṅ.
Levi UrduGeoR 8:12  Us ne Hārūn ke sar par masah kā tel unḍel kar use masah kiyā. Yoṅ wuh maḳhsūs-o-muqaddas huā.
Levi UrduGeoR 8:13  Phir Mūsā ne Hārūn ke beṭoṅ ko sāmne lā kar unheṅ zerjāme pahnāe, kamarband lapeṭe aur un ke saroṅ par pagaṛiyāṅ bāndhīṅ. Sab kuchh us hukm ke ain mutābiq huā jo Rab ne Mūsā ko diyā thā.
Levi UrduGeoR 8:14  Ab Mūsā ne gunāh kī qurbānī ke lie jawān bail ko pesh kiyā. Hārūn aur us ke beṭoṅ ne apne hāth us ke sar par rakhe.
Levi UrduGeoR 8:15  Mūsā ne use zabah karke us ke ḳhūn meṅ se kuchh le kar apnī unglī se qurbāngāh ke sīṅgoṅ par lagā diyā tāki wuh gunāhoṅ se pāk ho jāe. Bāqī ḳhūn us ne qurbāngāh ke pāe par unḍel diyā. Yoṅ us ne use maḳhsūs-o-muqaddas karke us kā kaffārā diyā.
Levi UrduGeoR 8:16  Mūsā ne antaṛiyoṅ par kī tamām charbī, joṛkalejī aur donoṅ gurde un kī charbī samet le kar qurbāngāh par jalā die.
Levi UrduGeoR 8:17  Lekin bail kī khāl, gosht aur antaṛiyoṅ ke gobar ko us ne ḳhaimāgāh ke bāhar le jā kar jalā diyā. Sab kuchh us hukm ke mutābiq huā jo Rab ne Mūsā ko diyā thā.
Levi UrduGeoR 8:18  Is ke bād us ne bhasm hone wālī qurbānī ke lie pahlā menḍhā pesh kiyā. Hārūn aur us ke beṭoṅ ne apne hāth us ke sar par rakh die.
Levi UrduGeoR 8:19  Mūsā ne use zabah karke us kā ḳhūn qurbāngāh ke chār pahluoṅ par chhiṛak diyā.
Levi UrduGeoR 8:20  Us ne menḍhe ko ṭukṛe ṭukṛe karke sar, ṭukṛe aur charbī jalā dī.
Levi UrduGeoR 8:21  Us ne antaṛiyāṅ aur pinḍliyāṅ pānī se sāf karke pūre menḍhe ko qurbāngāh par jalā diyā. Sab kuchh us hukm ke ain mutābiq huā jo Rab ne Mūsā ko diyā thā. Rab ke lie jalne wālī yih qurbānī bhasm hone wālī qurbānī thī, aur us kī ḳhushbū Rab ko pasand thī.
Levi UrduGeoR 8:22  Is ke bād Mūsā ne dūsre menḍhe ko pesh kiyā. Is qurbānī kā maqsad imāmoṅ ko maqdis meṅ ḳhidmat ke lie maḳhsūs karnā thā. Hārūn aur us ke beṭoṅ ne apne hāth menḍhe ke sar par rakh die.
Levi UrduGeoR 8:23  Mūsā ne use zabah karke us ke ḳhūn meṅ se kuchh le kar Hārūn ke dahne kān kī lau par aur us ke dahne hāth aur dahne pāṅw ke angūṭhoṅ par lagāyā.
Levi UrduGeoR 8:24  Yihī us ne Hārūn ke beṭoṅ ke sāth bhī kiyā. Us ne unheṅ sāmne lā kar un ke dahne kān kī lau par aur un ke dahne hāth aur dahne pāṅw ke angūṭhoṅ par ḳhūn lagāyā. Bāqī ḳhūn us ne qurbāngāh ke chār pahluoṅ par chhiṛak diyā.
Levi UrduGeoR 8:25  Us ne menḍhe kī charbī, dum, antaṛiyoṅ par kī sārī charbī, joṛkalejī, donoṅ gurde un kī charbī samet aur dahnī rān alag kī.
Levi UrduGeoR 8:26  Phir wuh Rab ke sāmne paṛī beḳhamīrī roṭiyoṅ kī ṭokrī meṅ se ek sādā roṭī, ek roṭī jis meṅ tel ḍālā gayā thā aur ek roṭī jis par tel lagāyā gayā thā le kar charbī aur rān par rakh dī.
Levi UrduGeoR 8:27  Us ne yih sab kuchh Hārūn aur us ke beṭoṅ ke hāthoṅ par rakh kar use hilāne wālī qurbānī ke taur par Rab ko pesh kiyā.
Levi UrduGeoR 8:28  Phir us ne yih chīzeṅ un se wāpas le kar qurbāngāh par jalā dīṅ jis par pahle bhasm hone wālī qurbānī rakhī gaī thī. Rab ke lie jalne wālī yih qurbānī imāmoṅ ko maḳhsūs karne ke lie chaṛhāī gaī, aur us kī ḳhushbū Rab ko pasand thī.
Levi UrduGeoR 8:29  Mūsā ne Sīnā bhī liyā aur use hilāne wālī qurbānī ke taur par Rab ke sāmne hilāyā. Yih maḳhsūsiyat ke menḍhe meṅ se Mūsā kā hissā thā. Mūsā ne is meṅ bhī sab kuchh Rab ke hukm ke ain mutābiq kiyā.
Levi UrduGeoR 8:30  Phir us ne masah ke tel aur qurbāngāh par ke ḳhūn meṅ se kuchh le kar Hārūn, us ke beṭoṅ aur un ke kapṛoṅ par chhiṛak diyā. Yoṅ us ne unheṅ aur un ke kapṛoṅ ko maḳhsūs-o-muqaddas kiyā.
Levi UrduGeoR 8:31  Mūsā ne un se kahā, “Gosht ko mulāqāt ke ḳhaime ke darwāze par ubāl kar use un roṭiyoṅ ke sāth khānā jo maḳhsūsiyat kī qurbāniyoṅ kī ṭokrī meṅ paṛī haiṅ. Kyoṅki Rab ne mujhe yihī hukm diyā hai.
Levi UrduGeoR 8:33  Sāt din tak mulāqāt ke ḳhaime ke darwāze meṅ se na nikalnā, kyoṅki maqdis meṅ ḳhidmat ke lie tumhārī maḳhsūsiyat ke itne hī din haiṅ.
Levi UrduGeoR 8:34  Jo kuchh āj huā hai wuh Rab ke hukm ke mutābiq huā tāki tumhārā kaffārā diyā jāe.
Levi UrduGeoR 8:35  Tumheṅ sāt rāt aur din tak ḳhaime ke darwāze ke andar rahnā hai. Rab kī is hidāyat ko māno warnā tum mar jāoge, kyoṅki yih hukm mujhe Rab kī taraf se diyā gayā hai.”
Levi UrduGeoR 8:36  Hārūn aur us ke beṭoṅ ne un tamām hidāyāt par amal kiyā jo Rab ne Mūsā kī mārifat unheṅ dī thīṅ.
Chapter 9
Levi UrduGeoR 9:1  Maḳhsūsiyat ke sāt din ke bād Mūsā ne āṭhweṅ din Hārūn, us ke beṭoṅ aur Isrāīl ke buzurgoṅ ko bulāyā.
Levi UrduGeoR 9:2  Us ne Hārūn se kahā, “Ek beaib bachhṛā aur ek beaib menḍhā chun kar Rab ko pesh kar. Bachhṛā gunāh kī qurbānī ke lie aur menḍhā bhasm hone wālī qurbānī ke lie ho.
Levi UrduGeoR 9:3  Phir Isrāīliyoṅ ko kah denā ki gunāh kī qurbānī ke lie ek bakrā jabki bhasm hone wālī qurbānī ke lie ek beaib yaksālā bachhṛā aur ek beaib yaksālā bheṛ kā bachchā pesh karo.
Levi UrduGeoR 9:4  Sāth hī salāmatī kī qurbānī ke lie ek bail aur ek menḍhā chuno. Tel ke sāth milāī huī ġhallā kī nazar bhī le kar sab kuchh Rab ko pesh karo. Kyoṅki āj hī Rab tum par zāhir hogā.”
Levi UrduGeoR 9:5  Isrāīlī Mūsā kī matlūbā tamām chīzeṅ mulāqāt ke ḳhaime ke sāmne le āe. Pūrī jamāt qarīb ā kar Rab ke sāmne khaṛī ho gaī.
Levi UrduGeoR 9:6  Mūsā ne un se kahā, “Tumheṅ wuhī karnā hai jis kā hukm Rab ne tumheṅ diyā hai. Kyoṅki āj hī Rab kā jalāl tum par zāhir hogā.”
Levi UrduGeoR 9:7  Phir us ne Hārūn se kahā, “Qurbāngāh ke pās jā kar gunāh kī qurbānī aur bhasm hone wālī qurbānī chaṛhā kar apnā aur apnī qaum kā kaffārā denā. Rab ke hukm ke mutābiq qaum ke lie bhī qurbānī pesh karnā tāki us kā kaffārā diyā jāe.”
Levi UrduGeoR 9:8  Hārūn qurbāngāh ke pās āyā. Us ne bachhṛe ko zabah kiyā. Yih us ke lie gunāh kī qurbānī thā.
Levi UrduGeoR 9:9  Us ke beṭe bachhṛe kā ḳhūn us ke pās le āe. Us ne apnī unglī ḳhūn meṅ ḍubo kar use qurbāngāh ke sīṅgoṅ par lagāyā. Bāqī ḳhūn ko us ne qurbāngāh ke pāe par unḍel diyā.
Levi UrduGeoR 9:10  Phir us ne us kī charbī, gurdoṅ aur joṛkalejī ko qurbāngāh par jalā diyā. Jaise Rab ne Mūsā ko hukm diyā thā waise hī Hārūn ne kiyā.
Levi UrduGeoR 9:11  Bachhṛe kā gosht aur khāl us ne ḳhaimāgāh ke bāhar le jā kar jalā dī.
Levi UrduGeoR 9:12  Is ke bād Hārūn ne bhasm hone wālī qurbānī ko zabah kiyā. Us ke beṭoṅ ne use us kā ḳhūn diyā, aur us ne use qurbāngāh ke chār pahluoṅ par chhiṛak diyā.
Levi UrduGeoR 9:13  Unhoṅ ne use qurbānī ke muḳhtalif ṭukṛe sar samet die, aur us ne unheṅ qurbāngāh par jalā diyā.
Levi UrduGeoR 9:14  Phir us ne us kī antaṛiyāṅ aur pinḍliyāṅ dho kar bhasm hone wālī qurbānī kī bāqī chīzoṅ par rakh kar jalā dīṅ.
Levi UrduGeoR 9:15  Ab Hārūn ne qaum ke lie qurbānī chaṛhāī. Us ne gunāh kī qurbānī ke lie bakrā zabah karke use pahlī qurbānī kī tarah chaṛhāyā.
Levi UrduGeoR 9:16  Us ne bhasm hone wālī qurbānī bhī qawāyd ke mutābiq chaṛhāī.
Levi UrduGeoR 9:17  Us ne ġhallā kī nazar pesh kī aur us meṅ se muṭṭhī-bhar qurbāngāh par jalā diyā. Yih ġhallā kī us nazar ke alāwā thī jo subah ko bhasm hone wālī qurbānī ke sāth chaṛhāī gaī thī.
Levi UrduGeoR 9:18  Phir us ne salāmatī kī qurbānī ke lie bail aur menḍhe ko zabah kiyā. Yih bhī qaum ke lie thī. Us ke beṭoṅ ne use jānwaroṅ kā ḳhūn diyā, aur us ne use qurbāngāh ke chār pahluoṅ par chhiṛak diyā.
Levi UrduGeoR 9:19  Lekin unhoṅ ne bail aur menḍhe ko charbī, dum, antaṛiyoṅ par kī charbī aur joṛkalejī nikāl kar
Levi UrduGeoR 9:20  sīne ke ṭukṛoṅ par rakh diyā. Hārūn ne charbī kā hissā qurbāngāh par jalā diyā.
Levi UrduGeoR 9:21  Sīne ke ṭukṛe aur dahnī rāneṅ us ne hilāne wālī qurbānī ke taur par Rab ke sāmne hilāīṅ. Us ne sab kuchh Mūsā ke hukm ke mutābiq hī kiyā.
Levi UrduGeoR 9:22  Tamām qurbāniyāṅ pesh karne ke bād Hārūn ne apne hāth uṭhā kar qaum ko barkat dī. Phir wuh qurbāngāh se utar kar
Levi UrduGeoR 9:23  Mūsā ke sāth mulāqāt ke ḳhaime meṅ dāḳhil huā. Jab donoṅ bāhar āe to unhoṅ ne qaum ko barkat dī. Tab Rab kā jalāl pūrī qaum par zāhir huā.
Levi UrduGeoR 9:24  Rab ke huzūr se āg nikal kar qurbāngāh par utrī aur bhasm hone wālī qurbānī aur charbī ke ṭukṛe bhasm kar die. Yih dekh kar log ḳhushī ke nāre mārne lage aur muṅh ke bal gir gae.
Chapter 10
Levi UrduGeoR 10:1  Hārūn ke beṭe Nadab aur Abīhū ne apne apne baḳhūrdān le kar un meṅ jalte hue koele ḍāle. Un par baḳhūr ḍāl kar wuh Rab ke sāmne āe tāki use pesh kareṅ. Lekin yih āg nājāyz thī. Rab ne yih pesh karne kā hukm nahīṅ diyā thā.
Levi UrduGeoR 10:2  Achānak Rab ke huzūr se āg niklī jis ne unheṅ bhasm kar diyā. Wahīṅ Rab ke sāmne wuh mar gae.
Levi UrduGeoR 10:3  Mūsā ne Hārūn se kahā, “Ab wuhī huā hai jo Rab ne farmāyā thā ki jo mere qarīb haiṅ un se maiṅ apnī quddūsiyat zāhir karūṅga, maiṅ tamām qaum ke sāmne hī apne jalāl kā izhār karūṅga.” Hārūn ḳhāmosh rahā.
Levi UrduGeoR 10:4  Mūsā ne Hārūn ke chachā Uzziyel ke beṭoṅ Mīsāel aur Ilsafan ko bulā kar kahā, “Idhar āo aur apne rishtedāroṅ ko maqdis ke sāmne se uṭhā kar ḳhaimāgāh ke bāhar le jāo.”
Levi UrduGeoR 10:5  Wuh āe aur Mūsā ke hukm ke ain mutābiq unheṅ un ke zerjāmoṅ samet uṭhā kar ḳhaimāgāh ke bāhar le gae.
Levi UrduGeoR 10:6  Mūsā ne Hārūn aur us ke dīgar beṭoṅ Iliyazar aur Itamar se kahā, “Mātam kā izhār na karo. Na apne bāl bikharne do, na apne kapṛe phāṛo. Warnā tum mar jāoge aur Rab pūrī jamāt se nārāz ho jāegā. Lekin tumhāre rishtedār aur bāqī tamām Isrāīlī zarūr in kā mātam kareṅ jin ko Rab ne āg se halāk kar diyā hai.
Levi UrduGeoR 10:7  Mulāqāt ke ḳhaime ke darwāze ke bāhar na niklo warnā tum mar jāoge, kyoṅki tumheṅ Rab ke tel se masah kiyā gayā hai.” Chunāṅche unhoṅ ne aisā hī kiyā.
Levi UrduGeoR 10:9  “Jab bhī tujhe yā tere beṭoṅ ko mulāqāt ke ḳhaime meṅ dāḳhil honā hai to mai yā koī aur nashā-āwar chīz pīnā manā hai, warnā tum mar jāoge. Yih usūl āne wālī nasloṅ ke lie bhī abad tak anmiṭ hai.
Levi UrduGeoR 10:10  Yih bhī lāzim hai ki tum muqaddas aur ġhairmuqaddas chīzoṅ meṅ, pāk aur nāpāk chīzoṅ meṅ imtiyāz karo.
Levi UrduGeoR 10:11  Tumheṅ Isrāīliyoṅ ko tamām pābandiyāṅ sikhānī haiṅ jo maiṅ ne tumheṅ Mūsā kī mārifat batāī haiṅ.”
Levi UrduGeoR 10:12  Mūsā ne Hārūn aur us ke bache hue beṭoṅ Iliyazar aur Itamar se kahā, “Ġhallā kī nazar kā jo hissā Rab ke sāmne jalāyā nahīṅ jātā use apne lie le kar beḳhamīrī roṭī pakānā aur qurbāngāh ke pās hī khānā. Kyoṅki wuh nihāyat muqaddas hai.
Levi UrduGeoR 10:13  Use muqaddas jagah par khānā, kyoṅki wuh Rab kī jalne wālī qurbāniyoṅ meṅ se tumhāre aur tumhāre beṭoṅ kā hissā hai. Kyoṅki mujhe is kā hukm diyā gayā hai.
Levi UrduGeoR 10:14  Jo Sīnā hilāne wālī qurbānī aur dahnī rān uṭhāne wālī qurbānī ke taur par pesh kī gaī hai, wuh tum aur tumhāre beṭe-beṭiyāṅ khā sakte haiṅ. Unheṅ muqaddas jagah par khānā hai. Isrāīliyoṅ kī salāmatī kī qurbāniyoṅ meṅ se yih ṭukṛe tumhārā hissā haiṅ.
Levi UrduGeoR 10:15  Lekin pahle imām rān aur sīne ko jalne wālī qurbāniyoṅ kī charbī ke sāth pesh kareṅ. Wuh unheṅ hilāne wālī qurbānī ke taur par Rab ke sāmne hilāeṅ. Rab farmātā hai ki yih ṭukṛe abad tak tumhāre aur tumhāre beṭoṅ kā hissā haiṅ.”
Levi UrduGeoR 10:16  Mūsā ne dariyāft kiyā ki us bakre ke gosht kā kyā huā jo gunāh kī qurbānī ke taur par chaṛhāyā gayā thā. Use patā chalā ki wuh bhī jal gayā thā. Yih sun kar use Hārūn ke beṭoṅ Iliyazar aur Itamar par ġhussā āyā. Us ne pūchhā,
Levi UrduGeoR 10:17  “Tum ne gunāh kī qurbānī kā gosht kyoṅ nahīṅ khāyā? Tumheṅ use muqaddas jagah par khānā thā. Yih ek nihāyat muqaddas hissā hai jo Rab ne tumheṅ diyā tāki tum jamāt kā qusūr dūr karke Rab ke sāmne logoṅ kā kaffārā do.
Levi UrduGeoR 10:18  Chūṅki is bakre kā ḳhūn maqdis meṅ na lāyā gayā is lie tumheṅ us kā gosht maqdis meṅ khānā thā jis tarah maiṅ ne tumheṅ hukm diyā thā.”
Levi UrduGeoR 10:19  Hārūn ne Mūsā ko jawāb de kar kahā, “Dekheṅ, āj logoṅ ne apne lie gunāh kī qurbānī aur bhasm hone wālī qurbānī Rab ko pesh kī hai jabki mujh par yih āfat guzarī hai. Agar maiṅ āj gunāh kī qurbānī se khātā to kyā yih Rab ko achchhā lagtā?”
Chapter 11
Levi UrduGeoR 11:2  “Isrāīliyoṅ ko batānā ki tumheṅ zamīn par rahne wāle jānwaroṅ meṅ se zail ke jānwaroṅ ko khāne kī ijāzat hai:
Levi UrduGeoR 11:3  Jin ke khur yā pāṅw bilkul chire hue haiṅ aur jo jugālī karte haiṅ unheṅ khāne kī ijāzat hai.
Levi UrduGeoR 11:4  Ūṅṭ, bijjū yā ḳhargosh khānā manā hai. Wuh tumhāre lie nāpāk haiṅ, kyoṅki wuh jugālī to karte haiṅ lekin un ke khur yā pāṅw chire hue nahīṅ haiṅ.
Levi UrduGeoR 11:5  Ūṅṭ, bijjū yā ḳhargosh khānā manā hai. Wuh tumhāre lie nāpāk haiṅ, kyoṅki wuh jugālī to karte haiṅ lekin un ke khur yā pāṅw chire hue nahīṅ haiṅ.
Levi UrduGeoR 11:6  Ūṅṭ, bijjū yā ḳhargosh khānā manā hai. Wuh tumhāre lie nāpāk haiṅ, kyoṅki wuh jugālī to karte haiṅ lekin un ke khur yā pāṅw chire hue nahīṅ haiṅ.
Levi UrduGeoR 11:7  Suar na khānā. Wuh tumhāre lie nāpāk hai, kyoṅki us ke khur to chire hue haiṅ lekin wuh jugālī nahīṅ kartā.
Levi UrduGeoR 11:8  Na un kā gosht khānā, na un kī lāshoṅ ko chhūnā. Wuh tumhāre lie nāpāk haiṅ.
Levi UrduGeoR 11:9  Samundarī aur dariyāī jānwar khāne ke lie jāyz haiṅ agar un ke par aur chhilke hoṅ.
Levi UrduGeoR 11:10  Lekin jin ke par yā chhilke nahīṅ haiṅ wuh sab tumhāre lie makrūh haiṅ, ḳhāh wuh baṛī tādād meṅ mil kar rahte haiṅ yā nahīṅ.
Levi UrduGeoR 11:11  Is lie un kā gosht khānā manā hai, aur un kī lāshoṅ se bhī ghin khānā hai.
Levi UrduGeoR 11:12  Pānī meṅ rahne wāle tamām jānwar jin ke par yā chhilke na hoṅ tumhāre lie makrūh haiṅ.
Levi UrduGeoR 11:13  Zail ke parinde tumhāre lie qābil-e-ghin hoṅ. Inheṅ khānā manā hai, kyoṅki wuh makrūh haiṅ: uqāb, daṛhiyal giddh, kālā giddh,
Levi UrduGeoR 11:16  uqābī ullū, chhoṭe kān wālā ullū, baṛe kān wālā ullū, har qism kā bāz,
Levi UrduGeoR 11:17  chhoṭā ullū, qūq, chinghāṛne wālā ullū,
Levi UrduGeoR 11:19  laqlaq, har qism kā būtīmār, hudhud aur chamgādaṛ.
Levi UrduGeoR 11:20  Tamām par rakhne wāle kīṛe jo chār pāṅwoṅ par chalte haiṅ tumhāre lie makrūh haiṅ,
Levi UrduGeoR 11:21  siwāe un ke jin kī ṭāṅgoṅ ke do hisse haiṅ aur jo phudakte haiṅ. Un ko tum khā sakte ho.
Levi UrduGeoR 11:22  Is nāte se tum muḳhtalif qism ke ṭiḍḍe khā sakte ho.
Levi UrduGeoR 11:23  Bāqī sab par rakhne wāle kīṛe jo chār pāṅwoṅ par chalte haiṅ tumhāre lie makrūh haiṅ.
Levi UrduGeoR 11:24  Jo bhī zail ke jānwaroṅ kī lāsheṅ chhue wuh shām tak nāpāk rahegā: (a) khur rakhne wāle tamām jānwar siwāe un ke jin ke khur yā pāṅw pūre taur par chire hue haiṅ aur jo jugālī karte haiṅ, (b) tamām jānwar jo apne chār panjoṅ par chalte haiṅ. Yih jānwar tumhāre lie nāpāk haiṅ, aur jo bhī un kī lāsheṅ uṭhāe yā chhue lāzim hai ki wuh apne kapṛe dho le. Is ke bāwujūd bhī wuh shām tak nāpāk rahegā.
Levi UrduGeoR 11:25  Jo bhī zail ke jānwaroṅ kī lāsheṅ chhue wuh shām tak nāpāk rahegā: (a) khur rakhne wāle tamām jānwar siwāe un ke jin ke khur yā pāṅw pūre taur par chire hue haiṅ aur jo jugālī karte haiṅ, (b) tamām jānwar jo apne chār panjoṅ par chalte haiṅ. Yih jānwar tumhāre lie nāpāk haiṅ, aur jo bhī un kī lāsheṅ uṭhāe yā chhue lāzim hai ki wuh apne kapṛe dho le. Is ke bāwujūd bhī wuh shām tak nāpāk rahegā.
Levi UrduGeoR 11:26  Jo bhī zail ke jānwaroṅ kī lāsheṅ chhue wuh shām tak nāpāk rahegā: (a) khur rakhne wāle tamām jānwar siwāe un ke jin ke khur yā pāṅw pūre taur par chire hue haiṅ aur jo jugālī karte haiṅ, (b) tamām jānwar jo apne chār panjoṅ par chalte haiṅ. Yih jānwar tumhāre lie nāpāk haiṅ, aur jo bhī un kī lāsheṅ uṭhāe yā chhue lāzim hai ki wuh apne kapṛe dho le. Is ke bāwujūd bhī wuh shām tak nāpāk rahegā.
Levi UrduGeoR 11:27  Jo bhī zail ke jānwaroṅ kī lāsheṅ chhue wuh shām tak nāpāk rahegā: (a) khur rakhne wāle tamām jānwar siwāe un ke jin ke khur yā pāṅw pūre taur par chire hue haiṅ aur jo jugālī karte haiṅ, (b) tamām jānwar jo apne chār panjoṅ par chalte haiṅ. Yih jānwar tumhāre lie nāpāk haiṅ, aur jo bhī un kī lāsheṅ uṭhāe yā chhue lāzim hai ki wuh apne kapṛe dho le. Is ke bāwujūd bhī wuh shām tak nāpāk rahegā.
Levi UrduGeoR 11:28  Jo bhī zail ke jānwaroṅ kī lāsheṅ chhue wuh shām tak nāpāk rahegā: (a) khur rakhne wāle tamām jānwar siwāe un ke jin ke khur yā pāṅw pūre taur par chire hue haiṅ aur jo jugālī karte haiṅ, (b) tamām jānwar jo apne chār panjoṅ par chalte haiṅ. Yih jānwar tumhāre lie nāpāk haiṅ, aur jo bhī un kī lāsheṅ uṭhāe yā chhue lāzim hai ki wuh apne kapṛe dho le. Is ke bāwujūd bhī wuh shām tak nāpāk rahegā.
Levi UrduGeoR 11:29  Zamīn par reṅgne wāle jānwaroṅ meṅ se chhachhūṅdar, muḳhtalif qism ke chūhe aur muḳhtalif qism kī chhipkliyāṅ tumhāre lie nāpāk haiṅ.
Levi UrduGeoR 11:30  Zamīn par reṅgne wāle jānwaroṅ meṅ se chhachhūṅdar, muḳhtalif qism ke chūhe aur muḳhtalif qism kī chhipkliyāṅ tumhāre lie nāpāk haiṅ.
Levi UrduGeoR 11:31  Jo bhī unheṅ aur un kī lāsheṅ chhū letā hai wuh shām tak nāpāk rahegā.
Levi UrduGeoR 11:32  Agar un meṅ se kisī kī lāsh kisī chīz par gir paṛe to wuh bhī nāpāk ho jāegī. Is se koī farq nahīṅ paṛtā ki wuh lakaṛī, kapṛe, chamṛe yā ṭāṭ kī banī ho, na is se koī farq paṛtā hai ki wuh kis kām ke lie istemāl kī jātī hai. Use har sūrat meṅ pānī meṅ ḍubonā hai. To bhī wuh shām tak nāpāk rahegī.
Levi UrduGeoR 11:33  Agar aisī lāsh miṭṭī ke bartan meṅ gir jāe to jo kuchh bhī us meṅ hai nāpāk ho jāegā aur tumheṅ us bartan ko toṛnā hai.
Levi UrduGeoR 11:34  Har khāne wālī chīz jis par aise bartan kā pānī ḍālā gayā hai nāpāk hai. Isī tarah us bartan se niklī huī har pīne wālī chīz nāpāk hai.
Levi UrduGeoR 11:35  Jis par bhī aisī lāsh gir paṛe wuh nāpāk ho jātā hai. Agar wuh tanūr yā chūlhe par gir paṛe to un ko toṛ denā hai. Wuh nāpāk haiṅ aur tumhāre lie nāpāk raheṅge.
Levi UrduGeoR 11:36  Lekin jis chashme yā hauz meṅ aisī lāsh gire wuh pāk rahtā hai. Sirf wuh jo lāsh ko chhū letā hai nāpāk ho jātā hai.
Levi UrduGeoR 11:37  Agar aisī lāsh bījoṅ par gir paṛe jin ko abhī bonā hai to wuh pāk rahte haiṅ.
Levi UrduGeoR 11:38  Lekin agar bījoṅ par pānī ḍālā gayā ho aur phir lāsh un par gir paṛe to wuh nāpāk haiṅ.
Levi UrduGeoR 11:39  Agar aisā jānwar jise khāne kī ijāzat hai mar jāe to jo bhī us kī lāsh chhue shām tak nāpāk rahegā.
Levi UrduGeoR 11:40  Jo us meṅ se kuchh khāe yā use uṭhā kar le jāe use apne kapṛoṅ ko dhonā hai. To bhī wuh shām tak nāpāk rahegā.
Levi UrduGeoR 11:41  Har jānwar jo zamīn par reṅgtā hai qābil-e-ghin hai. Use khānā manā hai,
Levi UrduGeoR 11:42  chāhe wuh apne peṭ par chāhe chār yā is se zāyd pāṅwoṅ par chaltā ho.
Levi UrduGeoR 11:43  In tamām reṅgne wāloṅ se apne āp ko ghin kā bāis aur nāpāk na banānā,
Levi UrduGeoR 11:44  kyoṅki maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ. Lāzim hai ki tum apne āp ko maḳhsūs-o-muqaddas rakho, kyoṅki maiṅ quddūs hūṅ. Apne āp ko zamīn par reṅgne wāle tamām jānwaroṅ se nāpāk na banānā.
Levi UrduGeoR 11:45  Maiṅ Rab hūṅ. Maiṅ tumheṅ Misr se nikāl lāyā hūṅ tāki tumhārā Ḳhudā banūṅ. Lihāzā muqaddas raho, kyoṅki maiṅ quddūs hūṅ.
Levi UrduGeoR 11:46  Zamīn par chalne wāle jānwaroṅ, parindoṅ, ābī jānwaroṅ aur zamīn par reṅgne wāle jānwaroṅ ke bāre meṅ shar'a yihī hai.
Levi UrduGeoR 11:47  Lāzim hai ki tum nāpāk aur pāk meṅ imtiyāz karo, aise jānwaroṅ meṅ jo khāne ke lie jāyz haiṅ aur aisoṅ meṅ jo nājāyz haiṅ.”
Chapter 12
Levi UrduGeoR 12:2  “Isrāīliyoṅ ko batā ki jab kisī aurat ke laṛkā paidā ho to wuh māhwārī ke aiyām kī tarah sāt din tak nāpāk rahegī.
Levi UrduGeoR 12:3  Āṭhweṅ din laṛke kā ḳhatnā karwānā hai.
Levi UrduGeoR 12:4  Phir māṅ mazīd 33 din intazār kare. Is ke bād us kī wuh nāpākī dūr ho jāegī jo ḳhūn bahne se paidā huī hai. Is daurān wuh koī maḳhsūs aur muqaddas chīz na chhue, na maqdis ke pās jāe.
Levi UrduGeoR 12:5  Agar us ke laṛkī paidā ho jāe to wuh māhwārī ke aiyām kī tarah nāpāk hai. Yih nāpākī 14 din tak rahegī. Phir wuh mazīd 66 din intazār kare. Is ke bād us kī wuh nāpākī dūr ho jāegī jo ḳhūn bahne se paidā huī hai.
Levi UrduGeoR 12:6  Jab laṛke yā laṛkī ke silsile meṅ yih din guzar jāeṅ to wuh mulāqāt ke ḳhaime ke darwāze par imām ko zail kī chīzeṅ de: bhasm hone wālī qurbānī ke lie ek yaksālā bheṛ kā bachchā aur gunāh kī qurbānī ke lie ek jawān kabūtar yā qumrī.
Levi UrduGeoR 12:7  Imām yih jānwar Rab ko pesh karke us kā kaffārā de. Phir ḳhūn bahne ke bāis paidā hone wālī nāpākī dūr ho jāegī. Usūl ek hī hai, chāhe laṛkā ho yā laṛkī.
Levi UrduGeoR 12:8  Agar wuh ġhurbat ke bāis bheṛ kā bachchā na de sake to phir wuh do qumriyāṅ yā do jawān kabūtar le āe, ek bhasm hone wālī qurbānī ke lie aur dūsrā gunāh kī qurbānī ke lie. Yoṅ imām us kā kaffārā de aur wuh pāk ho jāegī.”
Chapter 13
Levi UrduGeoR 13:2  “Agar kisī kī jild meṅ sūjan yā papaṛī yā safed dāġh ho aur ḳhatrā hai ki wabāī jildī bīmārī ho to use imāmoṅ yānī Hārūn yā us ke beṭoṅ ke pās le ānā hai.
Levi UrduGeoR 13:3  Imām us jagah kā muāynā kare. Agar us ke bāl safed ho gae hoṅ aur wuh jild meṅ dhaṅsī huī ho to wabāī bīmārī hai. Jab imām ko yih mālūm ho to wuh use nāpāk qarār de.
Levi UrduGeoR 13:4  Lekin ho saktā hai ki jild kī jagah safed to hai lekin jild meṅ dhaṅsī huī nahīṅ hai, na us ke bāl safed hue haiṅ. Is sūrat meṅ imām us shaḳhs ko sāt din ke lie alahdagī meṅ rakhe.
Levi UrduGeoR 13:5  Sātweṅ din imām dubārā us kā muāynā kare. Agar wuh dekhe ki muta'assirā jagah waisī hī hai aur phailī nahīṅ to wuh use mazīd sāt din alahdagī meṅ rakhe.
Levi UrduGeoR 13:6  Sātweṅ din wuh ek aur martabā us kā muāynā kare. Agar us jagah kā rang dubārā sehhatmand jild ke rang kī mānind ho rahā ho aur phailī na ho to wuh use pāk qarār de. Is kā matlab hai ki yih marz ām papaṛī se zyādā nahīṅ hai. Marīz apne kapṛe dho le to wuh pāk ho jāegā.
Levi UrduGeoR 13:7  Lekin agar is ke bād muta'assirā jagah phailne lage to wuh dubārā apne āp ko imām ko dikhāe.
Levi UrduGeoR 13:8  Imām us kā muāynā kare. Agar jagah wāqaī phail gaī ho to imām use nāpāk qarār de, kyoṅki yih wabāī jildī marz hai.
Levi UrduGeoR 13:9  Agar kisī ke jism par wabāī jildī marz nazar āe to use imām ke pās lāyā jāe.
Levi UrduGeoR 13:10  Imām us kā muāynā kare. Agar muta'assirā jild meṅ safed sūjan ho, us ke bāl bhī safed ho gae hoṅ, aur us meṅ kachchā gosht maujūd ho
Levi UrduGeoR 13:11  to is kā matlab hai ki wabāī jildī bīmārī purānī hai. Imām us shaḳhs ko sāt din ke lie alahdagī meṅ rakh kar intazār na kare balki use fauran nāpāk qarār de, kyoṅki yih us kī nāpākī kā sabūt hai.
Levi UrduGeoR 13:12  Lekin agar bīmārī jaldī se phail gaī ho, yahāṅ tak ki sar se le kar pāṅwoṅ tak pūrī jild muta'assir huī ho
Levi UrduGeoR 13:13  to imām yih dekh kar marīz ko pāk qarār de. Chūṅki pūrī jild safed ho gaī hai is lie wuh pāk hai.
Levi UrduGeoR 13:14  Lekin jab bhī kahīṅ kachchā gosht nazar āe us waqt wuh nāpāk ho jātā hai.
Levi UrduGeoR 13:15  Imām yih dekh kar marīz ko nāpāk qarār de. Kachchā gosht har sūrat meṅ nāpāk hai, kyoṅki is kā matlab hai ki wabāī jildī bīmārī lag gaī hai.
Levi UrduGeoR 13:16  Agar kachche gosht kā yih zaḳhm bhar jāe aur muta'assirā jagah kī jild safed ho jāe to marīz imām ke pās jāe.
Levi UrduGeoR 13:17  Agar imām dekhe ki wāqaī aisā hī huā hai aur muta'assirā jild safed ho gaī hai to wuh use pāk qarār de.
Levi UrduGeoR 13:18  Agar kisī kī jild par phoṛā ho lekin wuh ṭhīk ho jāe
Levi UrduGeoR 13:19  aur us kī jagah safed sūjan yā surḳhī-māyl safed dāġh nazar āe to marīz apne āp ko imām ko dikhāe.
Levi UrduGeoR 13:20  Agar wuh us kā muāynā karke dekhe ki muta'assirā jagah jild ke andar dhaṅsī huī hai aur us ke bāl safed ho gae haiṅ to wuh marīz ko nāpāk qarār de. Kyoṅki is kā matlab hai ki jahāṅ pahle phoṛā thā wahāṅ wabāī jildī bīmārī paidā ho gaī hai.
Levi UrduGeoR 13:21  Lekin agar imām dekhe ki muta'assirā jagah ke bāl safed nahīṅ haiṅ, wuh jild meṅ dhaṅsī huī nazar nahīṅ ātī aur us kā rang dubārā sehhatmand jild kī mānind ho rahā hai to wuh use sāt din ke lie alahdagī meṅ rakhe.
Levi UrduGeoR 13:22  Agar is daurān bīmārī mazīd phail jāe to imām marīz ko nāpāk qarār de, kyoṅki is kā matlab hai ki wabāī jildī bīmārī lag gaī hai.
Levi UrduGeoR 13:23  Lekin agar dāġh na phaile to is kā matlab hai ki yih sirf us bhare hue zaḳhm kā nishān hai jo phoṛe se paidā huā thā. Imām marīz ko pāk qarār de.
Levi UrduGeoR 13:24  Agar kisī kī jild par jalne kā zaḳhm lag jāe aur muta'assirā jagah par surḳhī-māyl safed dāġh yā safed dāġh paidā ho jāe
Levi UrduGeoR 13:25  to imām muta'assirā jagah kā muāynā kare. Agar mālūm ho jāe ki muta'assirā jagah ke bāl safed ho gae haiṅ aur wuh jild meṅ dhaṅsī huī hai to is kā matlab hai ki choṭ kī jagah par wabāī jildī marz lag gayā hai. Imām use nāpāk qarār de, kyoṅki wabāī jildī bīmārī lag gaī hai.
Levi UrduGeoR 13:26  Lekin agar imām ne mālūm kiyā hai ki dāġh meṅ bāl safed nahīṅ haiṅ, wuh jild meṅ dhaṅsā huā nazar nahīṅ ātā aur us kā rang sehhatmand jild kī mānind ho rahā hai to wuh marīz ko sāt din tak alahdagī meṅ rakhe.
Levi UrduGeoR 13:27  Agar wuh sātweṅ din mālūm kare ki muta'assirā jagah phail gaī hai to wuh use nāpāk qarār de. Kyoṅki is kā matlab hai ki wabāī jildī bīmārī lag gaī hai.
Levi UrduGeoR 13:28  Lekin agar dāġh phailā huā nazar nahīṅ ātā aur muta'assirā jild kā rang sehhatmand jild ke rang kī mānind ho gayā hai to is kā matlab hai ki yih sirf us bhare hue zaḳhm kā nishān hai jo jalne se paidā huā thā. Imām marīz ko pāk qarār de.
Levi UrduGeoR 13:29  Agar kisī ke sar yā dāṛhī kī jild meṅ nishān nazar āe
Levi UrduGeoR 13:30  to imām muta'assirā jagah kā muāynā kare. Agar wuh dhaṅsī huī nazar āe aur us ke bāl rang ke lihāz se chamakte hue sone kī mānind aur bārīk hoṅ to imām marīz ko nāpāk qarār de. Is kā matlab hai ki aisī wabāī jildī bīmārī sar yā dāṛhī kī jild par lag gaī hai jo ḳhārish paidā kartī hai.
Levi UrduGeoR 13:31  Lekin agar imām ne mālūm kiyā ki muta'assirā jagah jild meṅ dhaṅsī huī nazar nahīṅ ātī agarche us ke bāloṅ kā rang badal gayā hai to wuh use sāt din ke lie alahdagī meṅ rakhe.
Levi UrduGeoR 13:32  Sātweṅ din imām jild kī muta'assirā jagah kā muāynā kare. Agar wuh phailī huī nazar nahīṅ ātī aur us ke bāloṅ kā rang chamakdār sone kī mānind nahīṅ hai, sāth hī wuh jagah jild meṅ dhaṅsī huī bhī dikhāī nahīṅ detī,
Levi UrduGeoR 13:33  to marīz apne bāl munḍwāe. Sirf wuh bāl rah jāeṅ jo muta'assirā jagah se nikalte haiṅ. Imām marīz ko mazīd sāt din alahdagī meṅ rakhe.
Levi UrduGeoR 13:34  Sātweṅ din wuh us kā muāynā kare. Agar muta'assirā jagah nahīṅ phailī aur wuh jild meṅ dhaṅsī huī nazar nahīṅ ātī to imām use pāk qarār de. Wuh apne kapṛe dho le to wuh pāk ho jāegā.
Levi UrduGeoR 13:35  Lekin agar is ke bād jild kī muta'assirā jagah phailnā shurū ho jāe
Levi UrduGeoR 13:36  to imām dubārā us kā muāynā kare. Agar wuh jagah wāqaī phailī huī nazar āe to marīz nāpāk hai, chāhe muta'assirā jagah ke bāloṅ kā rang chamakte sone kī mānind ho yā na ho.
Levi UrduGeoR 13:37  Lekin agar us ke ḳhayāl meṅ muta'assirā jagah phailī huī nazar nahīṅ ātī balki us meṅ se kāle rang ke bāl nikal rahe haiṅ to is kā matlab hai ki marīz kī sehhat bahāl ho gaī hai. Imām use pāk qarār de.
Levi UrduGeoR 13:38  Agar kisī mard yā aurat kī jild par safed dāġh paidā ho jāeṅ
Levi UrduGeoR 13:39  to imām un kā muāynā kare. Agar un kā safed rang halkā-sā ho to yih sirf bezarar papaṛī hai. Marīz pāk hai.
Levi UrduGeoR 13:40  Agar kisī mard kā sar māthe kī taraf yā pīchhe kī taraf ganjā hai to wuh pāk hai.
Levi UrduGeoR 13:41  Agar kisī mard kā sar māthe kī taraf yā pīchhe kī taraf ganjā hai to wuh pāk hai.
Levi UrduGeoR 13:42  Lekin agar us jagah jahāṅ wuh ganjā hai surḳhī-māyl safed dāġh ho to is kā matlab hai ki wahāṅ wabāī jildī bīmārī lag gaī hai.
Levi UrduGeoR 13:43  Imām us kā muāynā kare. Agar ganjī jagah par surḳhī-māyl safed sūjan ho jo wabāī jildī bīmārī kī mānind nazar āe
Levi UrduGeoR 13:44  to marīz ko wabāī jildī bīmārī lag gaī hai. Imām use nāpāk qarār de.
Levi UrduGeoR 13:45  Wabāī jildī bīmārī kā marīz phaṭe kapṛe pahne. Us ke bāl bikhre raheṅ. Wuh apnī mūṅchhoṅ ko kisī kapṛe se chhupāe aur pukārtā rahe, ‘Nāpāk, nāpāk.’
Levi UrduGeoR 13:46  Jis waqt tak wabāī jildī bīmārī lagī rahe wuh nāpāk hai. Wuh is daurān ḳhaimāgāh ke bāhar jā kar tanhāī meṅ rahe.
Levi UrduGeoR 13:47  Ho saktā hai ki ūn yā katān ke kisī libās par phaphūṅdī lag gaī hai,
Levi UrduGeoR 13:48  yā ki phaphūṅdī ūn yā katān ke kisī kapṛe ke ṭukṛe yā kisī chamṛe yā chamṛe kī kisī chīz par lag gaī hai.
Levi UrduGeoR 13:49  Agar phaphūṅdī kā rang harā yā lāl-sā ho to wuh phailne wālī phaphūṅdī hai, aur lāzim hai ki use imām ko dikhāyā jāe.
Levi UrduGeoR 13:50  Imām us kā muāynā karke use sāt din ke lie alahdagī meṅ rakhe.
Levi UrduGeoR 13:51  Sātweṅ din wuh dubārā us kā muāynā kare. Agar phaphūṅdī phail gaī ho to is kā matlab hai ki wuh nuqsāndeh hai. Muta'assirā chīz nāpāk hai.
Levi UrduGeoR 13:52  Imām use jalā de, kyoṅki yih phaphūṅdī nuqsāndeh hai. Lāzim hai ki use jalā diyā jāe.
Levi UrduGeoR 13:53  Lekin agar in sāt dinoṅ ke bād phaphūṅdī phailī huī nazar nahīṅ ātī
Levi UrduGeoR 13:54  to imām hukm de ki muta'assirā chīz ko dhulwāyā jāe. Phir wuh use mazīd sāt din ke lie alahdagī meṅ rakhe.
Levi UrduGeoR 13:55  Is ke bād wuh dubārā us kā muāynā kare. Agar wuh mālūm kare ki phaphūṅdī to phailī huī nazar nahīṅ ātī lekin us kā rang waise kā waisā hai to wuh nāpāk hai. Use jalā denā, chāhe phaphūṅdī muta'assirā chīz ke sāmne wāle hisse yā pichhle hisse meṅ lagī ho.
Levi UrduGeoR 13:56  Lekin agar mālūm ho jāe ki phaphūṅdī kā rang māṅd paṛ gayā hai to imām kapṛe yā chamṛe meṅ se muta'assirā jagah phāṛ kar nikāl de.
Levi UrduGeoR 13:57  To bhī ho saktā hai ki phaphūṅdī dubārā usī kapṛe yā chamṛe par nazar āe. Is kā matlab hai ki wuh phail rahī hai aur use jalā denā lāzim hai.
Levi UrduGeoR 13:58  Lekin agar phaphūṅdī dhone ke bād ġhāyb ho jāe to use ek aur dafā dhonā hai. Phir muta'assirā chīz pāk hogī.
Levi UrduGeoR 13:59  Isī tarah phaphūṅdī se nipaṭnā hai, chāhe wuh ūn yā katān ke kisī libās ko lag gaī ho, chāhe ūn yā katān ke kisī ṭukṛe yā chamṛe kī kisī chīz ko lag gaī ho. Inhīṅ usūloṅ ke taht faislā karnā hai ki muta'assirā chīz pāk hai yā nāpāk.”
Chapter 14
Levi UrduGeoR 14:2  “Agar koī shaḳhs jildī bīmārī se shifā pāe aur use pāk-sāf karānā hai to use imām ke pās lāyā jāe
Levi UrduGeoR 14:3  jo ḳhaimāgāh ke bāhar jā kar us kā muāynā kare. Agar wuh dekhe ki marīz kī sehhat wāqaī bahāl ho gaī hai
Levi UrduGeoR 14:4  to imām us ke lie do zindā aur pāk parinde, deodār kī lakaṛī, qirmizī rang kā dhāgā aur zūfā mangwāe.
Levi UrduGeoR 14:5  Imām ke hukm par parindoṅ meṅ se ek ko tāzā pānī se bhare hue miṭṭī ke bartan ke ūpar zabah kiyā jāe.
Levi UrduGeoR 14:6  Imām zindā parinde ko deodār kī lakaṛī, qirmizī rang ke dhāge aur zūfā ke sāth zabah kie gae parinde ke us ḳhūn meṅ ḍubo de jo miṭṭī ke bartan ke pānī meṅ ā gayā hai.
Levi UrduGeoR 14:7  Wuh pānī se milāyā huā ḳhūn sāt bār pāk hone wāle shaḳhs par chhiṛak kar use pāk qarār de, phir zindā parinde ko khule maidān meṅ chhoṛ de.
Levi UrduGeoR 14:8  Jo apne āp ko pāk-sāf karā rahā hai wuh apne kapṛe dhoe, apne tamām bāl munḍwāe aur nahā le. Is ke bād wuh pāk hai. Ab wuh ḳhaimāgāh meṅ dāḳhil ho saktā hai agarche wuh mazīd sāt din apne ḍere meṅ nahīṅ jā saktā.
Levi UrduGeoR 14:9  Sātweṅ din wuh dubārā apne sar ke bāl, apnī dāṛhī, apne abrū aur bāqī tamām bāl munḍwāe. Wuh apne kapṛe dhoe aur nahā le. Tab wuh pāk hai.
Levi UrduGeoR 14:10  Āṭhweṅ din wuh do bheṛ ke nar bachche aur ek yaksālā bheṛ chun le jo beaib hoṅ. Sāth hī wuh ġhallā kī nazar ke lie tel ke sāth milāyā gayā sāṛhe 4 kilogrām behtarīn maidā aur 300 milīliṭar tel le.
Levi UrduGeoR 14:11  Phir jis imām ne use pāk qarār diyā wuh use in qurbāniyoṅ samet mulāqāt ke ḳhaime ke darwāze par Rab ko pesh kare.
Levi UrduGeoR 14:12  Bheṛ kā ek nar bachchā aur 300 milīliṭar tel qusūr kī qurbānī ke lie hai. Imām unheṅ hilāne wālī qurbānī ke taur par Rab ke sāmne hilāe.
Levi UrduGeoR 14:13  Phir wuh bheṛ ke is bachche ko ḳhaime ke darwāze par zabah kare jahāṅ gunāh kī qurbāniyāṅ aur bhasm hone wālī qurbāniyāṅ zabah kī jātī haiṅ. Gunāh kī qurbāniyoṅ kī tarah qusūr kī yih qurbānī imām kā hissā hai aur nihāyat muqaddas hai.
Levi UrduGeoR 14:14  Imām ḳhūn meṅ se kuchh le kar pāk hone wāle ke dahne kān kī lau par aur us ke dahne hāth aur dahne pāṅw ke angūṭhoṅ par lagāe.
Levi UrduGeoR 14:15  Ab wuh 300 milīliṭar tel meṅ se kuchh le kar apne bāeṅ hāth kī hathelī par ḍāle.
Levi UrduGeoR 14:16  Apne dahne hāth ke angūṭhe ke sāth wālī unglī is tel meṅ ḍubo kar wuh use sāt bār Rab ke sāmne chhiṛke.
Levi UrduGeoR 14:17  Wuh apnī hathelī par ke tel meṅ se kuchh aur le kar pāk hone wāle ke dahne kān kī lau par aur us ke dahne hāth aur dahne pāṅw ke angūṭhoṅ par lagā de yānī un jaghoṅ par jahāṅ wuh qusūr kī qurbānī kā ḳhūn lagā chukā hai.
Levi UrduGeoR 14:18  Imām apnī hathelī par kā bāqī tel pāk hone wāle ke sar par ḍāl kar Rab ke sāmne us kā kaffārā de.
Levi UrduGeoR 14:19  Is ke bād imām gunāh kī qurbānī chaṛhā kar pāk hone wāle kā kaffārā de. Āḳhir meṅ wuh bhasm hone wālī qurbānī kā jānwar zabah kare.
Levi UrduGeoR 14:20  Wuh use ġhallā kī nazar ke sāth qurbāngāh par chaṛhā kar us kā kaffārā de. Tab wuh pāk hai.
Levi UrduGeoR 14:21  Agar shifāyāb shaḳhs ġhurbat ke bāis yih qurbāniyāṅ nahīṅ chaṛhā saktā to phir wuh qusūr kī qurbānī ke lie bheṛ kā sirf ek nar bachchā le āe. Kāfī hai ki kaffārā dene ke lie yihī Rab ke sāmne hilāyā jāe. Sāth sāth ġhallā kī nazar ke lie ḍeṛh kilogrām behtarīn maidā tel ke sāth milā kar pesh kiyā jāe aur 300 milīliṭar tel.
Levi UrduGeoR 14:22  Is ke alāwā wuh do qumriyāṅ yā do jawān kabūtar pesh kare, ek ko gunāh kī qurbānī ke lie aur dūsre ko bhasm hone wālī qurbānī ke lie.
Levi UrduGeoR 14:23  Āṭhweṅ din wuh unheṅ mulāqāt ke ḳhaime ke darwāze par imām ke pās aur Rab ke sāmne le āe tāki wuh pāk-sāf ho jāe.
Levi UrduGeoR 14:24  Imām bheṛ ke bachche ko 300 milīliṭar tel samet le kar hilāne wālī qurbānī ke taur par Rab ke sāmne hilāe.
Levi UrduGeoR 14:25  Wuh qusūr kī qurbānī ke lie bheṛ ke bachche ko zabah kare aur us ke ḳhūn meṅ se kuchh le kar pāk hone wāle ke dahne kān kī lau par aur us ke dahne hāth aur dahne pāṅw ke angūṭhoṅ par lagāe.
Levi UrduGeoR 14:26  Ab wuh 300 milīliṭar tel meṅ se kuchh apne bāeṅ hāth kī hathelī par ḍāle
Levi UrduGeoR 14:27  aur apne dahne hāth ke angūṭhe ke sāth wālī unglī is tel meṅ ḍubo kar use sāt bār Rab ke sāmne chhiṛak de.
Levi UrduGeoR 14:28  Wuh apnī hathelī par ke tel meṅ se kuchh aur le kar pāk hone wāle ke dahne kān kī lau par aur us ke dahne hāth aur dahne pāṅw ke angūṭhoṅ par lagā de yānī un jaghoṅ par jahāṅ wuh qusūr kī qurbānī kā ḳhūn lagā chukā hai.
Levi UrduGeoR 14:29  Apnī hathelī par kā bāqī tel wuh pāk hone wāle ke sar par ḍāl de tāki Rab ke sāmne us kā kaffārā de.
Levi UrduGeoR 14:30  Is ke bād wuh shifāyāb shaḳhs kī gunjāish ke mutābiq do qumriyāṅ yā do jawān kabūtar chaṛhāe,
Levi UrduGeoR 14:31  ek ko gunāh kī qurbānī ke lie aur dūsre ko bhasm hone wālī qurbānī ke lie. Sāth hī wuh ġhallā kī nazar pesh kare. Yoṅ imām Rab ke sāmne us kā kaffārā detā hai.
Levi UrduGeoR 14:32  Yih usūl aise shaḳhs ke lie hai jo wabāī jildī bīmārī se shifā pā gayā hai lekin apnī ġhurbat ke bāis pāk ho jāne ke lie pūrī qurbānī pesh nahīṅ kar saktā.”
Levi UrduGeoR 14:34  “Jab tum Mulk-e-Kanān meṅ dāḳhil hoge jo maiṅ tumheṅ dūṅgā to wahāṅ aise makān hoṅge jin meṅ maiṅ ne phaphūṅdī phailne dī hai.
Levi UrduGeoR 14:35  Aise ghar kā mālik jā kar imām ko batāe ki maiṅ ne apne ghar meṅ phaphūṅdī jaisī koī chīz dekhī hai.
Levi UrduGeoR 14:36  Tab imām hukm de ki ghar kā muāynā karne se pahle ghar kā pūrā sāmān nikālā jāe. Warnā agar ghar ko nāpāk qarār diyā jāe to sāmān ko bhī nāpāk qarār diyā jāegā. Is ke bād imām andar jā kar makān kā muāynā kare.
Levi UrduGeoR 14:37  Wuh dīwāroṅ ke sāth lagī huī phaphūṅdī kā muāynā kare. Agar muta'assirā jagheṅ harī yā lāl-sī hoṅ aur dīwār ke andar dhaṅsī huī nazar āeṅ
Levi UrduGeoR 14:38  to phir imām ghar se nikal kar sāt din ke lie tālā lagāe.
Levi UrduGeoR 14:39  Sātweṅ din wuh wāpas ā kar makān kā muāynā kare. Agar phaphūṅdī phailī huī nazar āe
Levi UrduGeoR 14:40  to wuh hukm de ki muta'assirā pattharoṅ ko nikāl kar ābādī ke bāhar kisī nāpāk jagah par phaiṅkā jāe.
Levi UrduGeoR 14:41  Nīz wuh hukm de ki andar kī dīwāroṅ ko kuredā jāe aur kuredī huī miṭṭī ko ābādī ke bāhar kisī nāpāk jagah par phaiṅkā jāe.
Levi UrduGeoR 14:42  Phir log nae patthar lagā kar ghar ko nae gāre se plastar kareṅ.
Levi UrduGeoR 14:43  Lekin agar is ke bāwujūd phaphūṅdī dubārā paidā ho jāe
Levi UrduGeoR 14:44  to imām ā kar dubārā us kā muāynā kare. Agar wuh dekhe ki phaphūṅdī ghar meṅ phail gaī hai to is kā matlab hai ki phaphūṅdī nuqsāndeh hai, is lie ghar nāpāk hai.
Levi UrduGeoR 14:45  Lāzim hai ki use pūre taur par ḍhā diyā jāe aur sab kuchh yānī us ke patthar, lakaṛī aur plastar ko ābādī ke bāhar kisī nāpāk jagah par phaiṅkā jāe.
Levi UrduGeoR 14:46  Agar imām ne kisī ghar kā muāynā karke tālā lagā diyā hai aur phir bhī koī us ghar meṅ dāḳhil ho jāe to wuh shām tak nāpāk rahegā.
Levi UrduGeoR 14:47  Jo aise ghar meṅ soe yā khānā khāe lāzim hai ki wuh apne kapṛe dho le.
Levi UrduGeoR 14:48  Lekin agar ghar ko nae sire se plastar karne ke bād imām ā kar us kā dubārā muāynā kare aur dekhe ki phaphūṅdī dubārā nahīṅ niklī to is kā matlab hai ki phaphūṅdī ḳhatm ho gaī hai. Wuh use pāk qarār de.
Levi UrduGeoR 14:49  Use gunāh se pāk-sāf karāne ke lie wuh do parinde, deodār kī lakaṛī, qirmizī rang kā dhāgā aur zūfā le le.
Levi UrduGeoR 14:50  Wuh parindoṅ meṅ se ek ko tāzā pānī se bhare hue miṭṭī ke bartan ke ūpar zabah kare.
Levi UrduGeoR 14:51  Is ke bād wuh deodār kī lakaṛī, zūfā, qirmizī rang kā dhāgā aur zindā parindā le kar us tāzā pānī meṅ ḍubo de jis ke sāth zabah kie hue parinde kā ḳhūn milāyā gayā hai aur is pānī ko sāt bār ghar par chhiṛak de.
Levi UrduGeoR 14:52  In chīzoṅ se wuh ghar ko gunāh se pāk-sāf kartā hai.
Levi UrduGeoR 14:53  Āḳhir meṅ wuh zindā parinde ko ābādī ke bāhar khule maidān meṅ chhoṛ de. Yoṅ wuh ghar kā kaffārā degā, aur wuh pāk-sāf ho jāegā.
Levi UrduGeoR 14:54  Lāzim hai ki har qism kī wabāī bīmārī se aise nipṭo jaise bayān kiyā gayā hai, chāhe wuh wabāī jildī bīmāriyāṅ hoṅ (masalan ḳhārish, sūjan, papaṛī yā safed daġh), chāhe kapṛoṅ yā gharoṅ meṅ phaphūṅdī ho.
Levi UrduGeoR 14:55  Lāzim hai ki har qism kī wabāī bīmārī se aise nipṭo jaise bayān kiyā gayā hai, chāhe wuh wabāī jildī bīmāriyāṅ hoṅ (masalan ḳhārish, sūjan, papaṛī yā safed daġh), chāhe kapṛoṅ yā gharoṅ meṅ phaphūṅdī ho.
Levi UrduGeoR 14:56  Lāzim hai ki har qism kī wabāī bīmārī se aise nipṭo jaise bayān kiyā gayā hai, chāhe wuh wabāī jildī bīmāriyāṅ hoṅ (masalan ḳhārish, sūjan, papaṛī yā safed daġh), chāhe kapṛoṅ yā gharoṅ meṅ phaphūṅdī ho.
Levi UrduGeoR 14:57  In usūloṅ ke taht faislā karnā hai ki koī shaḳhs yā chīz pāk hai yā nāpāk.”
Chapter 15
Levi UrduGeoR 15:2  “Isrāīliyoṅ ko batānā ki agar kisī mard ko jaryān kā marz ho to wuh ḳhārij hone wāle māe ke sabab se nāpāk hai,
Levi UrduGeoR 15:4  Jis chīz par bhī marīz leṭtā yā baiṭhtā hai wuh nāpāk hai.
Levi UrduGeoR 15:5  Jo bhī us ke leṭne kī jagah ko chhue yā us ke baiṭhne kī jagah par baiṭh jāe wuh apne kapṛe dho kar nahā le. Wuh shām tak nāpāk rahegā.
Levi UrduGeoR 15:6  Jo bhī us ke leṭne kī jagah ko chhue yā us ke baiṭhne kī jagah par baiṭh jāe wuh apne kapṛe dho kar nahā le. Wuh shām tak nāpāk rahegā.
Levi UrduGeoR 15:7  Isī tarah jo bhī aise marīz ko chhue wuh apne kapṛe dho kar nahā le. Wuh shām tak nāpāk rahegā.
Levi UrduGeoR 15:8  Agar marīz kisī pāk shaḳhs par thūke to yihī kuchh karnā hai aur wuh shaḳhs shām tak nāpāk rahegā.
Levi UrduGeoR 15:9  Jab aisā marīz kisī jānwar par sawār hotā hai to har chīz jis par wuh baiṭh jātā hai nāpāk hai.
Levi UrduGeoR 15:10  Jo bhī aisī chīz chhue yā use uṭhā kar le jāe wuh apne kapṛe dho kar nahā le. Wuh shām tak nāpāk rahegā.
Levi UrduGeoR 15:11  Jis kisī ko bhī marīz apne hāth dhoe baġhair chhue wuh apne kapṛe dho kar nahā le. Wuh shām tak nāpāk rahegā.
Levi UrduGeoR 15:12  Miṭṭī kā jo bartan aisā marīz chhue use toṛ diyā jāe. Lakaṛī kā jo bartan wuh chhue use ḳhūb dhoyā jāe.
Levi UrduGeoR 15:13  Jise is marz se shifā milī hai wuh sāt din intazār kare. Is ke bād wuh tāzā pānī se apne kapṛe dho kar nahā le. Phir wuh pāk ho jāegā.
Levi UrduGeoR 15:14  Āṭhweṅ din wuh do qumriyāṅ yā do jawān kabūtar le kar mulāqāt ke ḳhaime ke darwāze par Rab ke sāmne imām ko de.
Levi UrduGeoR 15:15  Imām un meṅ se ek ko gunāh kī qurbānī ke taur par aur dūsre ko bhasm hone wālī qurbānī ke taur par chaṛhāe. Yoṅ wuh Rab ke sāmne us kā kaffārā degā.
Levi UrduGeoR 15:16  Agar kisī mard kā nutfā ḳhārij ho jāe to wuh apne pūre jism ko dho le. Wuh shām tak nāpāk rahegā.
Levi UrduGeoR 15:17  Har kapṛā yā chamṛā jis se nutfā lag gayā ho use dhonā hai. Wuh bhī shām tak nāpāk rahegā.
Levi UrduGeoR 15:18  Agar mard aur aurat ke hambistar hone par nutfā ḳhārij ho jāe to lāzim hai ki donoṅ nahā leṅ. Wuh shām tak nāpāk raheṅge.
Levi UrduGeoR 15:19  Māhwārī ke waqt aurat sāt din tak nāpāk hai. Jo bhī use chhue wuh shām tak nāpāk rahegā.
Levi UrduGeoR 15:20  Is daurān jis chīz par bhī wuh leṭtī yā baiṭhtī hai wuh nāpāk hai.
Levi UrduGeoR 15:21  Jo bhī us ke leṭne kī jagah ko chhue yā us ke baiṭhne kī jagah par baiṭh jāe wuh apne kapṛe dho kar nahā le. Wuh shām tak nāpāk rahegā.
Levi UrduGeoR 15:22  Jo bhī us ke leṭne kī jagah ko chhue yā us ke baiṭhne kī jagah par baiṭh jāe wuh apne kapṛe dho kar nahā le. Wuh shām tak nāpāk rahegā.
Levi UrduGeoR 15:23  Jo bhī us ke leṭne kī jagah ko chhue yā us ke baiṭhne kī jagah par baiṭh jāe wuh apne kapṛe dho kar nahā le. Wuh shām tak nāpāk rahegā.
Levi UrduGeoR 15:24  Agar mard aurat se hambistar ho aur usī waqt māhwārī ke din shurū ho jāeṅ to mard ḳhūn lagne ke bāis sāt din tak nāpāk rahegā. Jis chīz par bhī wuh leṭtā hai wuh nāpāk ho jāegī.
Levi UrduGeoR 15:25  Agar kisī aurat ko māhwārī ke din chhoṛ kar kisī aur waqt kaī dinoṅ tak ḳhūn āe yā ḳhūn māhwārī ke dinoṅ ke bād bhī jārī rahe to wuh māhwārī ke dinoṅ kī tarah us waqt tak nāpāk rahegī jab tak ḳhūn ruk na jāe.
Levi UrduGeoR 15:26  Jis chīz par bhī wuh leṭtī yā baiṭhtī hai wuh nāpāk hai.
Levi UrduGeoR 15:27  Jo bhī aisī chīz ko chhue wuh apne kapṛe dho kar nahā le. Wuh shām tak nāpāk rahegā.
Levi UrduGeoR 15:28  Ḳhūn ke ruk jāne par aurat mazīd sāt din intazār kare. Phir wuh pāk hogī.
Levi UrduGeoR 15:29  Āṭhweṅ din wuh do qumriyāṅ yā do jawān kabūtar le kar mulāqāt ke ḳhaime ke darwāze par imām ke pās āe.
Levi UrduGeoR 15:30  Imām un meṅ se ek ko gunāh kī qurbānī ke lie aur dūsre ko bhasm hone wālī qurbānī ke lie chaṛhāe. Yoṅ wuh Rab ke sāmne us kī nāpākī kā kaffārā degā.
Levi UrduGeoR 15:31  Lāzim hai ki Isrāīliyoṅ ko aisī chīzoṅ se dūr rakhā jāe jin se wuh nāpāk ho jāeṅ. Warnā merā wuh maqdis jo un ke darmiyān hai un se nāpāk ho jāegā aur wuh halāk ho jāeṅge.
Levi UrduGeoR 15:32  Lāzim hai ki is qism ke muāmaloṅ se aise nipṭo jaise bayān kiyā gayā hai. Is meṅ wuh mard shāmil hai jo jaryān kā marīz hai aur wuh jo nutfā ḳhārij hone ke bāis nāpāk hai.
Levi UrduGeoR 15:33  Is meṅ wuh aurat bhī shāmil hai jis ke māhwārī ke aiyām haiṅ aur wuh mard jo nāpāk aurat se hambistar ho jātā hai.”
Chapter 16
Levi UrduGeoR 16:1  Jab Hārūn ke do beṭe Rab ke qarīb ā kar halāk hue to is ke bād Rab Mūsā se hamkalām huā.
Levi UrduGeoR 16:2  Us ne kahā, “Apne bhāī Hārūn ko batānā ki wuh sirf muqarrarā waqt par parde ke pīchhe Muqaddastarīn Kamre meṅ dāḳhil ho kar ahd ke sandūq ke ḍhakne ke sāmne khaṛā ho jāe, warnā wuh mar jāegā. Kyoṅki maiṅ ḳhud us ḍhakne ke ūpar bādal kī sūrat meṅ zāhir hotā hūṅ.
Levi UrduGeoR 16:3  Aur jab bhī wuh dāḳhil ho to gunāh kī qurbānī ke lie ek jawān bail aur bhasm hone wālī qurbānī ke lie ek menḍhā pesh kare.
Levi UrduGeoR 16:4  Pahle wuh nahā kar imām ke katān ke muqaddas kapṛe pahan le yānī zerjāmā, us ke nīche pājāmā, phir kamarband aur pagaṛī.
Levi UrduGeoR 16:5  Isrāīl kī jamāt Hārūn ko gunāh kī qurbānī ke lie do bakre aur bhasm hone wālī qurbānī ke lie ek menḍhā de.
Levi UrduGeoR 16:6  Pahle Hārūn apne aur apne gharāne ke lie jawān bail ko gunāh kī qurbānī ke taur par chaṛhāe.
Levi UrduGeoR 16:7  Phir wuh donoṅ bakroṅ ko mulāqāt ke ḳhaime ke darwāze par Rab ke sāmne le āe.
Levi UrduGeoR 16:8  Wahāṅ wuh qurā ḍāl kar ek ko Rab ke lie chune aur dūsre ko azāzel ke lie.
Levi UrduGeoR 16:9  Jo bakrā Rab ke lie hai use wuh gunāh kī qurbānī ke taur par pesh kare.
Levi UrduGeoR 16:10  Dūsrā bakrā jo qur'e ke zariye azāzel ke lie chunā gayā use zindā hālat meṅ Rab ke sāmne khaṛā kiyā jāe tāki wuh jamāt kā kaffārā de. Wahāṅ se use registān meṅ azāzel ke pās bhejā jāe.
Levi UrduGeoR 16:11  Lekin pahle Hārūn jawān bail ko gunāh kī qurbānī ke taur par chaṛhā kar apnā aur apne gharāne kā kaffārā de. Use zabah karne ke bād
Levi UrduGeoR 16:12  wuh baḳhūr kī qurbāngāh se jalte hue koeloṅ se bharā huā bartan le kar apnī donoṅ muṭṭhiyāṅ bārīk ḳhushbūdār baḳhūr se bhar le aur Muqaddastarīn Kamre meṅ dāḳhil ho jāe.
Levi UrduGeoR 16:13  Wahāṅ wuh Rab ke huzūr baḳhūr ko jalte hue koeloṅ par ḍāl de. Is se paidā hone wālā dhuāṅ ahd ke sandūq kā ḍhaknā chhupā degā tāki Hārūn mar na jāe.
Levi UrduGeoR 16:14  Ab wuh jawān bail ke ḳhūn meṅ se kuchh le kar apnī unglī se ḍhakne ke sāmne wāle hisse par chhiṛke, phir kuchh apnī unglī se sāt bār us ke sāmne zamīn par chhiṛke.
Levi UrduGeoR 16:15  Is ke bād wuh us bakre ko zabah kare jo qaum ke lie gunāh kī qurbānī hai. Wuh us kā ḳhūn Muqaddastarīn Kamre meṅ le āe aur use bail ke ḳhūn kī tarah ahd ke sandūq ke ḍhakne par aur sāt bār us ke sāmne zamīn par chhiṛke.
Levi UrduGeoR 16:16  Yoṅ wuh Muqaddastarīn Kamre kā kaffārā degā jo Isrāīliyoṅ kī nāpākiyoṅ aur tamām gunāhoṅ se muta'assir hotā rahtā hai. Is se wuh mulāqāt ke pūre ḳhaime kā bhī kaffārā degā jo ḳhaimāgāh ke darmiyān hone ke bāis Isrāīliyoṅ kī nāpākiyoṅ se muta'assir hotā rahtā hai.
Levi UrduGeoR 16:17  Jitnā waqt Hārūn apnā, apne gharāne kā aur Isrāīl kī pūrī jamāt kā kaffārā dene ke lie Muqaddastarīn Kamre meṅ rahegā is daurān kisī dūsre ko mulāqāt ke ḳhaime meṅ ṭhaharne kī ijāzat nahīṅ hai.
Levi UrduGeoR 16:18  Phir wuh Muqaddastarīn Kamre se nikal kar ḳhaime meṅ Rab ke sāmne paṛī qurbāngāh kā kaffārā de. Wuh bail aur bakre ke ḳhūn meṅ se kuchh le kar use qurbāngāh ke chāroṅ sīṅgoṅ par lagāe.
Levi UrduGeoR 16:19  Kuchh ḳhūn wuh apnī unglī se sāt bār us par chhiṛak de. Yoṅ wuh use Isrāīliyoṅ kī nāpākiyoṅ se pāk karke maḳhsūs-o-muqaddas karegā.
Levi UrduGeoR 16:20  Muqaddastarīn Kamre, mulāqāt ke ḳhaime aur qurbāngāh kā kaffārā dene ke bād Hārūn zindā bakre ko sāmne lāe.
Levi UrduGeoR 16:21  Wuh apne donoṅ hāth us ke sar par rakhe aur Isrāīliyoṅ ke tamām qusūr yānī un ke tamām jarāym aur gunāhoṅ kā iqrār karke unheṅ bakre ke sar par ḍāl de. Phir wuh use registān meṅ bhej de. Is ke lie wuh bakre ko ek ādmī ke sapurd kare jise yih zimmedārī dī gaī hai.
Levi UrduGeoR 16:22  Bakrā apne āp par un kā tamām qusūr uṭhā kar kisī wīrān jagah meṅ le jāegā. Wahāṅ sāth wālā ādmī use chhoṛ āe.
Levi UrduGeoR 16:23  Is ke bād Hārūn mulāqāt ke ḳhaime meṅ jāe aur katān ke wuh kapṛe jo us ne Muqaddastarīn Kamre meṅ dāḳhil hone se peshtar pahan lie the utār kar wahīṅ chhoṛ de.
Levi UrduGeoR 16:24  Wuh muqaddas jagah par nahā kar apnī ḳhidmat ke ām kapṛe pahan le. Phir wuh bāhar ā kar apne aur apnī qaum ke lie bhasm hone wālī qurbānī pesh kare tāki apnā aur apnī qaum kā kaffārā de.
Levi UrduGeoR 16:25  Is ke alāwā wuh gunāh kī qurbānī kī charbī qurbāngāh par jalā de.
Levi UrduGeoR 16:26  Jo ādmī azāzel ke lie bakre ko registān meṅ chhoṛ āyā hai wuh apne kapṛe dho kar nahā le. Is ke bād wuh ḳhaimāgāh meṅ ā saktā hai.
Levi UrduGeoR 16:27  Jis bail aur bakre ko gunāh kī qurbānī ke lie pesh kiyā gayā aur jin kā ḳhūn kaffārā dene ke lie Muqaddastarīn Kamre meṅ lāyā gayā, lāzim hai ki un kī khāleṅ, gosht aur gobar ḳhaimāgāh ke bāhar jalā diyā jāe.
Levi UrduGeoR 16:28  Yih chīzeṅ jalāne wālā bād meṅ apne kapṛe dho kar nahā le. Phir wuh ḳhaimāgāh meṅ ā saktā hai.
Levi UrduGeoR 16:29  Lāzim hai ki sātweṅ mahīne ke dasweṅ din Isrāīlī aur un ke darmiyān rahne wāle pardesī apnī jān ko dukh deṅ aur kām na kareṅ. Yih usūl tumhāre lie abad tak qāym rahe.
Levi UrduGeoR 16:30  Is din tumhārā kaffārā diyā jāegā tāki tumheṅ pāk kiyā jāe. Tab tum Rab ke sāmne apne tamām gunāhoṅ se pāk ṭhahroge.
Levi UrduGeoR 16:31  Pūrā din ārām karo aur apnī jān ko dukh do. Yih usūl abad tak qāym rahe.
Levi UrduGeoR 16:32  Is din imām-e-āzam tumhārā kaffārā de, wuh imām jise us ke bāp kī jagah masah kiyā gayā aur iḳhtiyār diyā gayā hai. Wuh katān ke muqaddas kapṛe pahan kar
Levi UrduGeoR 16:33  Muqaddastarīn Kamre, mulāqāt ke ḳhaime, qurbāngāh, imāmoṅ aur jamāt ke tamām logoṅ kā kaffārā de.
Levi UrduGeoR 16:34  Lāzim hai ki sāl meṅ ek dafā Isrāīliyoṅ ke tamām gunāhoṅ kā kaffārā diyā jāe. Yih usūl tumhāre lie abad tak qāym rahe.” Sab kuchh waise hī kiyā gayā jaisā Rab ne Mūsā ko hukm diyā thā.
Chapter 17
Levi UrduGeoR 17:2  “Hārūn, us ke beṭoṅ aur tamām Isrāīliyoṅ ko hidāyat denā
Levi UrduGeoR 17:3  ki jo bhī Isrāīlī apnī gāy yā bheṛ-bakrī mulāqāt ke ḳhaime ke darwāze par Rab ko qurbānī ke taur par pesh na kare balki ḳhaimāgāh ke andar yā bāhar kisī aur jagah par zabah kare wuh ḳhūn bahāne kā qusūrwār ṭhahregā. Us ne ḳhūn bahāyā hai, aur lāzim hai ki use us kī qaum meṅ se miṭāyā jāe.
Levi UrduGeoR 17:4  ki jo bhī Isrāīlī apnī gāy yā bheṛ-bakrī mulāqāt ke ḳhaime ke darwāze par Rab ko qurbānī ke taur par pesh na kare balki ḳhaimāgāh ke andar yā bāhar kisī aur jagah par zabah kare wuh ḳhūn bahāne kā qusūrwār ṭhahregā. Us ne ḳhūn bahāyā hai, aur lāzim hai ki use us kī qaum meṅ se miṭāyā jāe.
Levi UrduGeoR 17:5  Is hidāyat kā maqsad yih hai ki Isrāīlī ab se apnī qurbāniyāṅ khule maidān meṅ zabah na kareṅ balki Rab ko pesh kareṅ. Wuh apne jānwaroṅ ko mulāqāt ke ḳhaime ke darwāze par imām ke pās lā kar unheṅ Rab ko salāmatī kī qurbānī ke taur par pesh kareṅ.
Levi UrduGeoR 17:6  Imām un kā ḳhūn mulāqāt ke ḳhaime ke darwāze par kī qurbāngāh par chhiṛke aur un kī charbī us par jalā de. Aisī qurbānī kī ḳhushbū Rab ko pasand hai.
Levi UrduGeoR 17:7  Ab se Isrāīlī apnī qurbāniyāṅ un bakroṅ ke dewatāoṅ ko pesh na kareṅ jin kī pairawī karke unhoṅ ne zinā kiyā hai. Yih un ke lie aur un ke bād āne wālī nasloṅ ke lie ek dāymī usūl hai.
Levi UrduGeoR 17:8  Lāzim hai ki har Isrāīlī aur tumhāre darmiyān rahne wālā pardesī apnī bhasm hone wālī qurbānī yā koī aur qurbānī
Levi UrduGeoR 17:9  mulāqāt ke ḳhaime ke darwāze par lā kar Rab ko pesh kare. Warnā use us kī qaum meṅ se miṭāyā jāegā.
Levi UrduGeoR 17:10  Ḳhūn khānā bilkul manā hai. Jo bhī Isrāīlī yā tumhāre darmiyān rahne wālā pardesī ḳhūn khāe maiṅ us ke ḳhilāf ho jāūṅgā aur use us kī qaum meṅ se miṭā ḍālūṅgā.
Levi UrduGeoR 17:11  Kyoṅki har maḳhlūq ke ḳhūn meṅ us kī jān hai. Maiṅ ne use tumheṅ de diyā hai tāki wuh qurbāngāh par tumhārā kaffārā de. Kyoṅki ḳhūn hī us jān ke zariye jo us meṅ hai tumhārā kaffārā detā hai.
Levi UrduGeoR 17:12  Is lie maiṅ kahtā hūṅ ki na koī Isrāīlī na koī pardesī ḳhūn khāe.
Levi UrduGeoR 17:13  Agar koī bhī Isrāīlī yā pardesī kisī jānwar yā parinde kā shikār karke pakaṛe jise khāne kī ijāzat hai to wuh use zabah karne ke bād us kā pūrā ḳhūn zamīn par bahne de aur ḳhūn par miṭṭī ḍāle.
Levi UrduGeoR 17:14  Kyoṅki har maḳhlūq kā ḳhūn us kī jān hai. Is lie maiṅ ne Isrāīliyoṅ ko kahā hai ki kisī bhī maḳhlūq kā ḳhūn na khāo. Har maḳhlūq kā ḳhūn us kī jān hai, aur jo bhī use khāe use qaum meṅ se miṭā denā hai.
Levi UrduGeoR 17:15  Agar koī bhī Isrāīlī yā pardesī aise jānwar kā gosht khāe jo fitrī taur par mar gayā yā jise janglī jānwaroṅ ne phāṛ ḍālā ho to wuh apne kapṛe dho kar nahā le. Wuh shām tak nāpāk rahegā.
Levi UrduGeoR 17:16  Jo aisā nahīṅ kartā use apne qusūr kī sazā bhugatnī paṛegī.”
Chapter 18
Levi UrduGeoR 18:2  “Isrāīliyoṅ ko batānā ki maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ.
Levi UrduGeoR 18:3  Misriyoṅ kī tarah zindagī na guzārnā jin meṅ tum rahte the. Mulk-e-Kanān ke logoṅ kī tarah bhī zindagī na guzārnā jin ke pās maiṅ tumheṅ le jā rahā hūṅ. Un ke rasm-o-riwāj na apnānā.
Levi UrduGeoR 18:4  Mere hī ahkām par amal karo aur merī hidāyāt ke mutābiq chalo. Maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ.
Levi UrduGeoR 18:5  Merī hidāyāt aur ahkām ke mutābiq chalnā, kyoṅki jo yoṅ karegā wuh jītā rahegā. Maiṅ Rab hūṅ.
Levi UrduGeoR 18:6  Tum meṅ se koī bhī apnī qarībī rishtedār se hambistar na ho. Maiṅ Rab hūṅ.
Levi UrduGeoR 18:7  Apnī māṅ se hambistar na honā, warnā tere bāp kī behurmatī ho jāegī. Wuh terī māṅ hai, is lie us se hambistar na honā.
Levi UrduGeoR 18:8  Apne bāp kī kisī bhī bīwī se hambistar na honā, warnā tere bāp kī behurmatī ho jāegī.
Levi UrduGeoR 18:9  Apnī bahan se hambistar na honā, chāhe wuh tere bāp yā terī māṅ kī beṭī ho, chāhe wuh tere hī ghar meṅ yā kahīṅ aur paidā huī ho.
Levi UrduGeoR 18:10  Apnī potī yā nawāsī se hambistar na honā, warnā terī apnī behurmatī ho jāegī.
Levi UrduGeoR 18:11  Apne bāp kī bīwī kī beṭī se hambistar na honā. Wuh terī bahan hai.
Levi UrduGeoR 18:12  Apnī phūphī se hambistar na honā. Wuh tere bāp kī qarībī rishtedār hai.
Levi UrduGeoR 18:13  Apnī ḳhālā se hambistar na honā. Wuh terī māṅ kī qarībī rishtedār hai.
Levi UrduGeoR 18:14  Apne bāp ke bhāī kī bīwī se hambistar na honā, warnā tere bāp ke bhāī kī behurmatī ho jāegī. Us kī bīwī terī chachī hai.
Levi UrduGeoR 18:15  Apnī bahū se hambistar na honā. Wuh tere beṭe kī bīwī hai.
Levi UrduGeoR 18:16  Apnī bhābī se hambistar na honā, warnā tere bhāī kī behurmatī ho jāegī.
Levi UrduGeoR 18:17  Agar terā jinsī tālluq kisī aurat se ho to us kī beṭī, potī yā nawāsī se hambistar honā manā hai, kyoṅki wuh us kī qarībī rishtedār haiṅ. Aisā karnā baṛī sharmnāk harkat hai.
Levi UrduGeoR 18:18  Apnī bīwī ke jīte-jī us kī bahan se shādī na karnā.
Levi UrduGeoR 18:19  Kisī aurat se us kī māhwārī ke dinoṅ meṅ hambistar na honā. Is daurān wuh nāpāk hai.
Levi UrduGeoR 18:20  Kisī dūsre mard kī bīwī se hambistar na honā, warnā tū apne āp ko nāpāk karegā.
Levi UrduGeoR 18:21  Apne kisī bhī bachche ko Malik Dewatā ko qurbānī ke taur par pesh karke jalā denā manā hai. Aisī harkat se tū apne Ḳhudā ke nām ko dāġh lagāegā. Maiṅ Rab hūṅ.
Levi UrduGeoR 18:22  Mard dūsre mard ke sāth jinsī tālluqāt na rakhe. Aisī harkat qābil-e-ghin hai.
Levi UrduGeoR 18:23  Kisī jānwar se jinsī tālluqāt na rakhnā, warnā tū nāpāk ho jāegā. Auratoṅ ke lie bhī aisā karnā manā hai. Yih baṛī sharmnāk harkat hai.
Levi UrduGeoR 18:24  Aisī harkatoṅ se apne āp ko nāpāk na karnā. Kyoṅki jo qaumeṅ maiṅ tumhāre āge mulk se nikālūṅgā wuh isī tarah nāpāk hotī rahīṅ.
Levi UrduGeoR 18:25  Mulk ḳhud bhī nāpāk huā. Is lie maiṅ ne use us ke qusūr ke sabab se sazā dī, aur natīje meṅ us ne apne bāshindoṅ ko ugal diyā.
Levi UrduGeoR 18:26  Lekin tum merī hidāyāt aur ahkām ke mutābiq chalo. Na desī aur na pardesī aisī koī ghinaunī harkat kareṅ.
Levi UrduGeoR 18:27  Kyoṅki yih tamām qābil-e-ghin bāteṅ un se huīṅ jo tum se pahle is mulk meṅ rahte the. Yoṅ mulk nāpāk huā.
Levi UrduGeoR 18:28  Lihāzā agar tum bhī mulk ko nāpāk karoge to wuh tumheṅ isī tarah ugal degā jis tarah us ne tum se pahle maujūd qaumoṅ ko ugal diyā.
Levi UrduGeoR 18:29  Jo bhī mazkūrā ghinaunī harkatoṅ meṅ se ek kare use us kī qaum meṅ se miṭāyā jāe.
Levi UrduGeoR 18:30  Mere ahkām ke mutābiq chalte raho aur aise qābil-e-ghin rasm-o-riwāj na apnānā jo tumhāre āne se pahle rāyj the. In se apne āp ko nāpāk na karnā. Maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ.”
Chapter 19
Levi UrduGeoR 19:2  “Isrāīliyoṅ kī pūrī jamāt ko batānā ki muqaddas raho, kyoṅki maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā quddūs hūṅ.
Levi UrduGeoR 19:3  Tum meṅ se har ek apne māṅ-bāp kī izzat kare. Hafte ke din kām na karnā. Maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ.
Levi UrduGeoR 19:4  Na butoṅ kī taraf rujū karnā, na apne lie dewatā ḍhālnā. Maiṅ hī Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ.
Levi UrduGeoR 19:5  Jab tum Rab ko salāmatī kī qurbānī pesh karte ho to use yoṅ chaṛhāo ki tum manzūr ho jāo.
Levi UrduGeoR 19:6  Us kā gosht usī din yā agle din khāyā jāe. Jo bhī tīsre din tak bach jātā hai use jalānā hai.
Levi UrduGeoR 19:7  Agar koī use tīsre din khāe to use ilm honā chāhie ki yih qurbānī nāpāk hai aur Rab ko pasand nahīṅ hai.
Levi UrduGeoR 19:8  Aise shaḳhs ko apne qusūr kī sazā uṭhānī paṛegī, kyoṅki us ne us chīz kī muqaddas hālat ḳhatm kī hai jo Rab ke lie maḳhsūs kī gaī thī. Use us kī qaum meṅ se miṭāyā jāe.
Levi UrduGeoR 19:9  Kaṭāī ke waqt apnī fasal pūre taur par na kāṭnā balki khet ke kināroṅ par kuchh chhoṛ denā. Is tarah jo kuchh kaṭāī karte waqt khet meṅ bach jāe use chhoṛnā.
Levi UrduGeoR 19:10  Angūr ke bāġhoṅ meṅ bhī jo kuchh angūr toṛte waqt bach jāe use chhoṛ denā. Jo angūr zamīn par gir jāeṅ unheṅ uṭhā kar na le jānā. Unheṅ ġharīboṅ aur pardesiyoṅ ke lie chhoṛ denā. Maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ.
Levi UrduGeoR 19:11  Chorī na karnā, jhūṭ na bolnā, ek dūsre ko dhokā na denā.
Levi UrduGeoR 19:12  Mere nām kī qasam khā kar dhokā na denā, warnā tum mere nām ko dāġh lagāoge. Maiṅ Rab hūṅ.
Levi UrduGeoR 19:13  Ek dūsre ko na dabānā aur na lūṭnā. Kisī kī mazdūrī usī din kī shām tak de denā aur use aglī subah tak roke na rakhnā.
Levi UrduGeoR 19:14  Bahre ko na kosnā, na andhe ke rāste meṅ koī chīz rakhnā jis se wuh ṭhokar khāe. Is meṅ bhī apne Ḳhudā kā ḳhauf mānanā. Maiṅ Rab hūṅ.
Levi UrduGeoR 19:15  Adālat meṅ kisī kī haqtalfī na karnā. Faislā karte waqt kisī kī bhī jānibdārī na karnā, chāhe wuh ġharīb yā asar-o-rasūḳh wālā ho. Insāf se apne paṛosī kī adālat kar.
Levi UrduGeoR 19:16  Apnī qaum meṅ idhar-udhar phirte hue kisī par buhtān na lagānā. Koī bhī aisā kām na karnā jis se kisī kī jān ḳhatre meṅ paṛ jāe. Maiṅ Rab hūṅ.
Levi UrduGeoR 19:17  Dil meṅ apne bhāī se nafrat na karnā. Agar kisī kī sarzanish karnī hai to rūbarū karnā, warnā tū us ke sabab se qusūrwār ṭhahregā.
Levi UrduGeoR 19:18  Intaqām na lenā. Apnī qaum ke kisī shaḳhs par der tak terā ġhussā na rahe balki apne paṛosī se waisī muhabbat rakhnā jaisī tū apne āp se rakhtā hai. Maiṅ Rab hūṅ.
Levi UrduGeoR 19:19  Merī hidāyāt par amal karo. Do muḳhtalif qism ke jānwaroṅ ko milāp na karne denā. Apne khet meṅ do qism ke bīj na bonā. Aisā kapṛā na pahnanā jo do muḳhtalif qism ke dhāgoṅ kā bunā huā ho.
Levi UrduGeoR 19:20  Agar koī ādmī kisī launḍī se jis kī mangnī kisī aur se ho chukī ho hambistar ho jāe aur launḍī ko ab tak na paisoṅ se na waise hī āzād kiyā gayā ho to munāsib sazā dī jāe. Lekin unheṅ sazā-e-maut na dī jāe, kyoṅki use ab tak āzād nahīṅ kiyā gayā.
Levi UrduGeoR 19:21  Qusūrwār ādmī mulāqāt ke ḳhaime ke darwāze par ek menḍhā le āe tāki wuh Rab ko qusūr kī qurbānī ke taur par pesh kiyā jāe.
Levi UrduGeoR 19:22  Imām is qurbānī se Rab ke sāmne us ke gunāh kā kaffārā de. Yoṅ us kā gunāh muāf kiyā jāegā.
Levi UrduGeoR 19:23  Jab Mulk-e-Kanān meṅ dāḳhil hone ke bād tum phaldār daraḳht lagāoge to pahle tīn sāl un kā phal na khānā balki use mamnū samajhnā.
Levi UrduGeoR 19:24  Chauthe sāl un kā tamām phal ḳhushī ke muqaddas nazarāne ke taur par Rab ke lie maḳhsūs kiyā jāe.
Levi UrduGeoR 19:25  Pāṅchweṅ sāl tum un kā phal khā sakte ho. Yoṅ tumhārī fasal baṛhāī jāegī. Maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ.
Levi UrduGeoR 19:26  Aisā gosht na khānā jis meṅ ḳhūn ho. Fāl yā shugūn na nikālnā.
Levi UrduGeoR 19:27  Apne sar ke bāl gol shakl meṅ na kaṭwānā, na apnī dāṛhī ko tarāshnā.
Levi UrduGeoR 19:28  Apne āp ko murdoṅ ke sabab se kāṭ kar zaḳhmī na karnā, na apnī jild par nuqūsh gudwānā. Maiṅ Rab hūṅ.
Levi UrduGeoR 19:29  Apnī beṭī ko kasbī na banānā, warnā us kī muqaddas hālat jātī rahegī aur mulk zinākārī ke bāis harāmkārī se bhar jāegā.
Levi UrduGeoR 19:30  Hafte ke din ārām karnā aur mere maqdis kā ehtirām karnā. Maiṅ Rab hūṅ.
Levi UrduGeoR 19:31  Aise logoṅ ke pās na jānā jo murdoṅ se rābitā karte haiṅ, na ġhaibdānoṅ kī taraf rujū karnā, warnā tum un se nāpāk ho jāoge. Maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ.
Levi UrduGeoR 19:32  Būṛhe logoṅ ke sāmne uṭh kar khaṛā ho jānā, buzurgoṅ kī izzat karnā aur apne Ḳhudā kā ehtirām karnā. Maiṅ Rab hūṅ.
Levi UrduGeoR 19:33  Jo pardesī tumhāre mulk meṅ tumhāre darmiyān rahtā hai use na dabānā.
Levi UrduGeoR 19:34  Us ke sāth aisā sulūk kar jaisā apne hamwatanoṅ ke sāth kartā hai. Jis tarah tū apne āp se muhabbat rakhtā hai usī tarah us se bhī muhabbat rakhnā. Yād rahe ki tum ḳhud Misr meṅ pardesī the. Maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ.
Levi UrduGeoR 19:35  Nāinsāfī na karnā. Na adālat meṅ, na lambāī nāpte waqt, na tolte waqt aur na kisī chīz kī miqdār nāpte waqt.
Levi UrduGeoR 19:36  Sahīh tarāzū, sahīh bāṭ aur sahīh paimānā istemāl karnā. Maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ jo tumheṅ Misr se nikāl lāyā hūṅ.
Levi UrduGeoR 19:37  Merī tamām hidāyāt aur tamām ahkām māno aur un par amal karo. Maiṅ Rab hūṅ.”
Chapter 20
Levi UrduGeoR 20:2  “Isrāīliyoṅ ko batānā ki tum meṅ se jo bhī apne bachche ko Malik Dewatā ko qurbānī ke taur par pesh kare use sazā-e-maut denī hai. Is meṅ koī farq nahīṅ ki wuh Isrāīlī hai yā pardesī. Jamāt ke log use sangsār kareṅ.
Levi UrduGeoR 20:3  Maiṅ ḳhud aise shaḳhs ke ḳhilāf ho jāūṅgā aur use us kī qaum meṅ se miṭā ḍālūṅgā. Kyoṅki apne bachchoṅ ko Malik ko pesh karne se us ne mere maqdis ko nāpāk kiyā aur mere nām ko dāġh lagāyā hai.
Levi UrduGeoR 20:4  Agar jamāt ke log apnī āṅkheṅ band karke aise shaḳhs kī harkateṅ nazarandāz kareṅ aur use sazā-e-maut na deṅ
Levi UrduGeoR 20:5  to phir maiṅ ḳhud aise shaḳhs aur us ke gharāne ke ḳhilāf khaṛā ho jāūṅgā. Maiṅ use aur un tamām logoṅ ko qaum meṅ se miṭā ḍālūṅgā jinhoṅ ne us ke pīchhe lag kar Malik Dewatā ko sijdā karne se zinā kiyā hai.
Levi UrduGeoR 20:6  Jo shaḳhs murdoṅ se rābitā karne aur ġhaibdānī karne wāloṅ kī taraf rujū kartā hai maiṅ us ke ḳhilāf ho jāūṅgā. Un kī pairawī karne se wuh zinā kartā hai. Maiṅ use us kī qaum meṅ se miṭā ḍālūṅgā.
Levi UrduGeoR 20:7  Apne āp ko mere lie maḳhsūs-o-muqaddas rakho, kyoṅki maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ.
Levi UrduGeoR 20:8  Merī hidāyāt māno aur un par amal karo. Maiṅ Rab hūṅ jo tumheṅ maḳhsūs-o-muqaddas kartā hūṅ.
Levi UrduGeoR 20:9  Jis ne bhī apne bāp yā māṅ par lānat bhejī hai use sazā-e-maut dī jāe. Is harkat se wuh apnī maut kā ḳhud zimmedār hai.
Levi UrduGeoR 20:10  Agar kisī mard ne kisī kī bīwī ke sāth zinā kiyā hai to donoṅ ko sazā-e-maut denī hai.
Levi UrduGeoR 20:11  Jo mard apne bāp kī bīwī se hambistar huā hai us ne apne bāp kī behurmatī kī hai. Donoṅ ko sazā-e-maut denī hai. Wuh apnī maut ke ḳhud zimmedār haiṅ.
Levi UrduGeoR 20:12  Agar koī mard apnī bahū se hambistar huā hai to donoṅ ko sazā-e-maut denī hai. Jo kuchh unhoṅ ne kiyā hai wuh nihāyat sharmnāk hai. Wuh apnī maut ke ḳhud zimmedār haiṅ.
Levi UrduGeoR 20:13  Agar koī mard kisī dūsre mard se jinsī tālluqāt rakhe to donoṅ ko is ghinaunī harkat ke bāis sazā-e-maut denī hai. Wuh apnī maut ke ḳhud zimmedār haiṅ.
Levi UrduGeoR 20:14  Agar koī ādmī apnī bīwī ke alāwā us kī māṅ se bhī shādī kare to yih ek nihāyat sharmnāk bāt hai. Donoṅ ko jalā denā hai tāki tumhāre darmiyān koī aisī ḳhabīs bāt na rahe.
Levi UrduGeoR 20:15  Jo mard kisī jānwar se jinsī tālluqāt rakhe use sazā-e-maut denā hai. Us jānwar ko bhī mār diyā jāe.
Levi UrduGeoR 20:16  Jo aurat kisī jānwar se jinsī tālluqāt rakhe use sazā-e-maut denī hai. Us jānwar ko bhī mār diyā jāe. Wuh apnī maut ke ḳhud zimmedār haiṅ.
Levi UrduGeoR 20:17  Jis mard ne apnī bahan se shādī kī hai us ne sharmnāk harkat kī hai, chāhe wuh bāp kī beṭī ho yā māṅ kī. Unheṅ Isrāīlī qaum kī nazaroṅ se miṭāyā jāe. Aise shaḳhs ne apnī bahan kī behurmatī kī hai. Is lie use ḳhud apne qusūr ke natīje bardāsht karne paṛeṅge.
Levi UrduGeoR 20:18  Agar koī mard māhwārī ke aiyām meṅ kisī aurat se hambistar huā hai to donoṅ ko un kī qaum meṅ se miṭānā hai. Kyoṅki donoṅ ne aurat ke ḳhūn ke mambā se pardā uṭhāyā hai.
Levi UrduGeoR 20:19  Apnī ḳhālā yā phūphī se hambistar na honā. Kyoṅki jo aisā kartā hai wuh apnī qarībī rishtedār kī behurmatī kartā hai. Donoṅ ko apne qusūr ke natīje bardāsht karne paṛeṅge.
Levi UrduGeoR 20:20  Jo apnī chachī yā tāī se hambistar huā hai us ne apne chachā yā tāyā kī behurmatī kī hai. Donoṅ ko apne qusūr ke natīje bardāsht karne paṛeṅge. Wuh beaulād mareṅge.
Levi UrduGeoR 20:21  Jis ne apnī bhābī se shādī kī hai us ne ek najis harkat kī hai. Us ne apne bhāī kī behurmatī kī hai. Wuh beaulād raheṅge.
Levi UrduGeoR 20:22  Merī tamām hidāyāt aur ahkām ko māno aur un par amal karo. Warnā jis mulk meṅ maiṅ tumheṅ le jā rahā hūṅ wuh tumheṅ ugal degā.
Levi UrduGeoR 20:23  Un qaumoṅ ke rasm-o-riwāj ke mutābiq zindagī na guzārnā jinheṅ maiṅ tumhāre āge se nikāl dūṅgā. Mujhe is sabab se un se ghin āne lagī ki wuh yih sab kuchh karte the.
Levi UrduGeoR 20:24  Lekin tum se maiṅ ne kahā, ‘Tum hī un kī zamīn par qabzā karoge. Maiṅ hī use tumheṅ de dūṅgā, aisā mulk jis meṅ kasrat kā dūdh aur shahd hai.’ Maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ, jis ne tum ko dīgar qaumoṅ meṅ se chun kar alag kar diyā hai.
Levi UrduGeoR 20:25  Is lie lāzim hai ki tum zamīn par chalne wāle jānwaroṅ aur parindoṅ meṅ pāk aur nāpāk kā imtiyāz karo. Apne āp ko nāpāk jānwar khāne se qābil-e-ghin na banānā, chāhe wuh zamīn par chalte yā reṅgte haiṅ, chāhe hawā meṅ uṛte haiṅ. Maiṅ hī ne unheṅ tumhāre lie nāpāk qarār diyā hai.
Levi UrduGeoR 20:26  Tumheṅ mere lie maḳhsūs-o-muqaddas honā hai, kyoṅki maiṅ quddūs hūṅ, aur maiṅ ne tumheṅ dīgar qaumoṅ meṅ se chun kar apne lie alag kar liyā hai.
Levi UrduGeoR 20:27  Tum meṅ se jo murdoṅ se rābitā yā ġhaibdānī kartā hai use sazā-e-maut denī hai, ḳhāh aurat ho yā mard. Unheṅ sangsār karnā. Wuh apnī maut ke ḳhud zimmedār haiṅ.”
Chapter 21
Levi UrduGeoR 21:1  Rab ne Mūsā se kahā, “Hārūn ke beṭoṅ ko jo imām haiṅ batā denā ki imām apne āp ko kisī Isrāīlī kī lāsh ke qarīb jāne se nāpāk na kare
Levi UrduGeoR 21:2  siwāe apne qarībī rishtedāroṅ ke yānī māṅ, bāp, beṭā, beṭī, bhāī
Levi UrduGeoR 21:3  aur jo ġhairshādīshudā bahan us ke ghar meṅ rahtī hai.
Levi UrduGeoR 21:4  Wuh apnī qaum meṅ kisī aur ke bāis apne āp ko nāpāk na kare, warnā us kī muqaddas hālat jātī rahegī.
Levi UrduGeoR 21:5  Imām apne sar ko na munḍwāeṅ. Wuh na apnī dāṛhī ko tarāsheṅ aur na kāṭne se apne āp ko zaḳhmī kareṅ.
Levi UrduGeoR 21:6  Wuh apne Ḳhudā ke lie maḳhsūs-o-muqaddas raheṅ aur apne Ḳhudā ke nām ko dāġh na lagāeṅ. Chūṅki wuh Rab ko jalne wālī qurbāniyāṅ yānī apne Ḳhudā kī roṭī pesh karte haiṅ is lie lāzim hai ki wuh muqaddas raheṅ.
Levi UrduGeoR 21:7  Imām zinākār aurat, mandir kī kasbī yā talāqyāftā aurat se shādī na kareṅ, kyoṅki wuh apne Rab ke lie maḳhsūs-o-muqaddas haiṅ.
Levi UrduGeoR 21:8  Imām ko muqaddas samajhnā, kyoṅki wuh tere Ḳhudā kī roṭī ko qurbāngāh par chaṛhātā hai. Wuh tere lie muqaddas ṭhahre kyoṅki maiṅ Rab quddūs hūṅ. Maiṅ hī tumheṅ muqaddas kartā hūṅ.
Levi UrduGeoR 21:9  Kisī imām kī jo beṭī zinākārī se apnī muqaddas hālat ko ḳhatm kar detī hai wuh apne bāp kī muqaddas hālat ko bhī ḳhatm kar detī hai. Use jalā diyā jāe.
Levi UrduGeoR 21:10  Imām-e-āzam ke sar par masah kā tel unḍelā gayā hai aur use imām-e-āzam ke muqaddas kapṛe pahnane kā iḳhtiyār diyā gayā hai. Is lie wuh ranj ke ālam meṅ apne bāloṅ ko bikharne na de, na kabhī apne kapṛoṅ ko phāṛe.
Levi UrduGeoR 21:11  Wuh kisī lāsh ke qarīb na jāe, chāhe wuh us ke bāp yā māṅ kī lāsh kyoṅ na ho, warnā wuh nāpāk ho jāegā.
Levi UrduGeoR 21:12  Jab tak koī lāsh us ke ghar meṅ paṛī rahe wuh maqdis ko chhoṛ kar apne ghar na jāe, warnā wuh maqdis ko nāpāk karegā. Kyoṅki use us ke Ḳhudā ke tel se maḳhsūs kiyā gayā hai. Maiṅ Rab hūṅ.
Levi UrduGeoR 21:13  Imām-e-āzam ko sirf kuṅwārī se shādī kī ijāzat hai.
Levi UrduGeoR 21:14  Wuh bewā, talāqyāftā aurat, mandir kī kasbī yā zinākār aurat se shādī na kare balki sirf apne qabīle kī kuṅwārī se,
Levi UrduGeoR 21:15  warnā us kī aulād maḳhsūs-o-muqaddas nahīṅ hogī. Kyoṅki maiṅ Rab hūṅ jo use apne lie maḳhsūs-o-muqaddas kartā hūṅ.”
Levi UrduGeoR 21:17  “Hārūn ko batānā ki terī aulād meṅ se koī bhī jis ke jism meṅ nuqs ho mere huzūr ā kar apne Ḳhudā kī roṭī na chaṛhāe. Yih usūl āne wālī nasloṅ ke lie bhī aṭal hai.
Levi UrduGeoR 21:18  Kyoṅki koī bhī māzūr mere huzūr na āe, na andhā, na langaṛā, na wuh jis kī nāk chirī huī ho yā jis ke kisī azu meṅ kamī beshī ho,
Levi UrduGeoR 21:19  na wuh jis kā pāṅw yā hāth ṭūṭā huā ho,
Levi UrduGeoR 21:20  na kubaṛā, na baunā, na wuh jis kī āṅkh meṅ nuqs ho yā jise wabāī jildī bīmārī ho yā jis ke ḳhusye kuchle hue hoṅ.
Levi UrduGeoR 21:21  Hārūn Imām kī koī bhī aulād jis ke jism meṅ nuqs ho mere huzūr ā kar Rab ko jalne wālī qurbāniyāṅ pesh na kare. Chūṅki us meṅ nuqs hai is lie wuh mere huzūr ā kar apne Ḳhudā kī roṭī na chaṛhāe.
Levi UrduGeoR 21:22  Use Allāh kī muqaddas balki muqaddastarīn qurbāniyoṅ meṅ se bhī imāmoṅ kā hissā khāne kī ijāzat hai.
Levi UrduGeoR 21:23  Lekin chūṅki us meṅ nuqs hai is lie wuh Muqaddastarīn Kamre ke darwāze ke parde ke qarīb na jāe, na qurbāngāh ke pās āe. Warnā wuh merī muqaddas chīzoṅ ko nāpāk karegā. Kyoṅki maiṅ Rab hūṅ jo unheṅ apne lie maḳhsūs-o-muqaddas kartā hūṅ.”
Levi UrduGeoR 21:24  Mūsā ne yih hidāyāt Hārūn, us ke beṭoṅ aur tamām Isrāīliyoṅ ko dīṅ.
Chapter 22
Levi UrduGeoR 22:2  “Hārūn aur us ke beṭoṅ ko batānā ki Isrāīliyoṅ kī un qurbāniyoṅ kā ehtirām karo jo tum ne mere lie maḳhsūs-o-muqaddas kī haiṅ, warnā tum mere nām ko dāġh lagāoge. Maiṅ Rab hūṅ.
Levi UrduGeoR 22:3  Jo imām nāpāk hone ke bāwujūd un qurbāniyoṅ ke pās ā jāe jo Isrāīliyoṅ ne mere lie maḳhsūs-o-muqaddas kī haiṅ use mere sāmne se miṭānā hai. Yih usūl āne wālī nasloṅ ke lie bhī aṭal hai. Maiṅ Rab hūṅ.
Levi UrduGeoR 22:4  Hārūn kī aulād meṅ se jo bhī wabāī jildī bīmārī yā jaryān kā marīz ho use muqaddas qurbāniyoṅ meṅ se apnā hissā khāne kī ijāzat nahīṅ hai. Pahle wuh pāk ho jāe. Jo aisī koī bhī chīz chhue jo lāsh se nāpāk ho gaī ho yā aise ādmī ko chhue jis kā nutfā niklā ho wuh nāpāk ho jātā hai.
Levi UrduGeoR 22:5  Wuh nāpāk reṅgne wāle jānwar yā nāpāk shaḳhs ko chhūne se bhī nāpāk ho jātā hai, ḳhāh wuh kisī bhī sabab se nāpāk kyoṅ na huā ho.
Levi UrduGeoR 22:6  Jo aisī koī bhī chīz chhue wuh shām tak nāpāk rahegā. Is ke alāwā lāzim hai ki wuh muqaddas qurbāniyoṅ meṅ se apnā hissā khāne se pahle nahā le.
Levi UrduGeoR 22:7  Sūraj ke ġhurūb hone par wuh pāk hogā aur muqaddas qurbāniyoṅ meṅ se apnā hissā khā sakegā. Kyoṅki wuh us kī rozī haiṅ.
Levi UrduGeoR 22:8  Imām aise jānwaroṅ kā gosht na khāe jo fitrī taur par mar gae yā jinheṅ janglī jānwaroṅ ne phāṛ ḍālā ho, warnā wuh nāpāk ho jāegā. Maiṅ Rab hūṅ.
Levi UrduGeoR 22:9  Imām merī hidāyāt ke mutābiq chaleṅ, warnā wuh qusūrwār ban jāeṅge aur muqaddas chīzoṅ kī behurmatī karne ke sabab se mar jāeṅge. Maiṅ Rab hūṅ jo unheṅ apne lie maḳhsūs-o-muqaddas kartā hūṅ.
Levi UrduGeoR 22:10  Sirf imām ke ḳhāndān ke afrād muqaddas qurbāniyoṅ meṅ se khā sakte haiṅ. Ġhairshahrī yā mazdūr ko ijāzat nahīṅ hai.
Levi UrduGeoR 22:11  Lekin imām kā ġhulām yā launḍī us meṅ se khā sakte haiṅ, chāhe unheṅ ḳharīdā gayā ho yā wuh us ke ghar meṅ paidā hue hoṅ.
Levi UrduGeoR 22:12  Agar imām kī beṭī ne kisī aise shaḳhs se shādī kī hai jo imām nahīṅ hai to use muqaddas qurbāniyoṅ meṅ se khāne kī ijāzat nahīṅ hai.
Levi UrduGeoR 22:13  Lekin ho saktā hai ki wuh bewā yā talāqyāftā ho aur us ke bachche na hoṅ. Jab wuh apne bāp ke ghar lauṭ kar wahāṅ aise rahegī jaise apnī jawānī meṅ to wuh apne bāp ke us khāne meṅ se khā saktī hai jo qurbāniyoṅ meṅ se bāp kā hissā hai. Lekin jo imām ke ḳhāndān kā fard nahīṅ hai use khāne kī ijāzat nahīṅ hai.
Levi UrduGeoR 22:14  Jis shaḳhs ne nādānistā taur par muqaddas qurbāniyoṅ meṅ se imām ke hisse se kuchh khāyā hai wuh imām ko sab kuchh wāpas karne ke alāwā 20 fīsad zyādā de.
Levi UrduGeoR 22:15  Imām Rab ko pesh kī huī qurbāniyoṅ kī muqaddas hālat yoṅ ḳhatm na kareṅ
Levi UrduGeoR 22:16  ki wuh dūsre Isrāīliyoṅ ko yih muqaddas chīzeṅ khāne deṅ. Aisī harkat se wuh un ko baṛā qusūrwār banā deṅge. Maiṅ Rab hūṅ jo unheṅ apne lie maḳhsūs-o-muqaddas kartā hūṅ.”
Levi UrduGeoR 22:18  “Hārūn, us ke beṭoṅ aur Isrāīliyoṅ ko batānā ki agar tum meṅ se koī Isrāīlī yā pardesī Rab ko bhasm hone wālī qurbānī pesh karnā chāhe to tarīq-e-kār meṅ koī farq nahīṅ hai, chāhe wuh yih mannat mān kar yā waise hī dilī ḳhushī se kar rahā ho.
Levi UrduGeoR 22:19  Is ke lie lāzim hai ki tum ek beaib bail, menḍhā yā bakrā pesh karo. Phir hī use qabūl kiyā jāegā.
Levi UrduGeoR 22:20  Qurbānī ke lie kabhī bhī aisā jānwar pesh na karnā jis meṅ nuqs ho, warnā tum us ke bāis manzūr nahīṅ hoge.
Levi UrduGeoR 22:21  Agar koī Rab ko salāmatī kī qurbānī pesh karnā chāhe to tarīq-e-kār meṅ koī farq nahīṅ hai, chāhe wuh yih mannat mān kar yā waise hī dilī ḳhushī se kar rahā ho. Is ke lie lāzim hai ki wuh gāy-bailoṅ yā bheṛ-bakriyoṅ meṅ se beaib jānwar chune. Phir use qabūl kiyā jāegā.
Levi UrduGeoR 22:22  Rab ko aise jānwar pesh na karnā jo andhe hoṅ, jin ke āzā ṭūṭe yā kaṭe hue hoṅ, jin ko rasaulī ho yā jinheṅ wabāī jildī bīmārī lag gaī ho. Rab ko unheṅ jalne wālī qurbānī ke taur par qurbāngāh par pesh na karnā.
Levi UrduGeoR 22:23  Lekin jis gāy-bail yā bheṛ-bakrī ke kisī azu meṅ kamī beshī ho use pesh kiyā jā saktā hai. Shart yih hai ki pesh karne wālā use waise hī dilī ḳhushī se chaṛhāe. Agar wuh use apnī mannat mān kar pesh kare to wuh qabūl nahīṅ kiyā jāegā.
Levi UrduGeoR 22:24  Rab ko aisā jānwar pesh na karnā jis ke ḳhusye kuchle, toṛe yā kaṭe hue hoṅ. Apne mulk meṅ jānwaroṅ ko is tarah ḳhasī na banānā,
Levi UrduGeoR 22:25  na aise jānwar kisī ġhairmulkī se ḳharīd kar apne Ḳhudā kī roṭī ke taur par pesh karnā. Tum aise jānwaroṅ ke bāis manzūr nahīṅ hoge, kyoṅki un meṅ ḳharābī aur nuqs hai.”
Levi UrduGeoR 22:27  “Jab kisī gāy, bheṛ yā bakrī kā bachchā paidā hotā hai to lāzim hai ki wuh pahle sāt din apnī māṅ ke pās rahe. Āṭhweṅ din se pahle Rab use jalne wālī qurbānī ke taur par qabūl nahīṅ karegā.
Levi UrduGeoR 22:28  Kisī gāy, bheṛ yā bakrī ke bachche ko us kī māṅ samet ek hī din zabah na karnā.
Levi UrduGeoR 22:29  Jab tum Rab ko salāmatī kī koī qurbānī chaṛhānā chāhte ho to use yoṅ pesh karnā ki tum manzūr ho jāo.
Levi UrduGeoR 22:30  Aglī subah tak kuchh bachā na rahe balki use usī din khānā hai. Maiṅ Rab hūṅ.
Levi UrduGeoR 22:31  Mere ahkām māno aur un par amal karo. Maiṅ Rab hūṅ.
Levi UrduGeoR 22:32  Mere nām ko dāġh na lagānā. Lāzim hai ki mujhe Isrāīliyoṅ ke darmiyān quddūs mānā jāe. Maiṅ Rab hūṅ jo tumheṅ apne lie maḳhsūs-o-muqaddas kartā hūṅ.
Levi UrduGeoR 22:33  Maiṅ tumheṅ Misr se nikāl lāyā hūṅ tāki tumhārā Ḳhudā hūṅ. Maiṅ Rab hūṅ.”
Chapter 23
Levi UrduGeoR 23:2  “Isrāīliyoṅ ko batānā ki yih merī, Rab kī īdeṅ haiṅ jin par tumheṅ logoṅ ko muqaddas ijtimā ke lie jamā karnā hai.
Levi UrduGeoR 23:3  Hafte meṅ chhih din kām karnā, lekin sātwāṅ din har tarah se ārām kā din hai. Us din muqaddas ijtimā ho. Jahāṅ bhī tum rahte ho wahāṅ kām na karnā. Yih din Rab ke lie maḳhsūs Sabat hai.
Levi UrduGeoR 23:4  Yih Rab kī īdeṅ haiṅ jin par tumheṅ logoṅ ko muqaddas ijtimā ke lie jamā karnā hai.
Levi UrduGeoR 23:5  Fasah kī Īd pahle mahīne ke chaudhweṅ din shurū hotī hai. Us din sūraj ke ġhurūb hone par Rab kī ḳhushī manāī jāe.
Levi UrduGeoR 23:6  Agle din Rab kī yād meṅ Beḳhamīrī Roṭī kī Īd shurū hotī hai. Sāt din tak tumhārī roṭī meṅ ḳhamīr na ho.
Levi UrduGeoR 23:7  In sāt dinoṅ ke pahle din muqaddas ijtimā ho aur log apnā har kām chhoṛeṅ.
Levi UrduGeoR 23:8  In sāt dinoṅ meṅ rozānā Rab ko jalne wālī qurbānī pesh karo. Sātweṅ din bhī muqaddas ijtimā ho aur log apnā har kām chhoṛeṅ.”
Levi UrduGeoR 23:10  “Isrāīliyoṅ ko batānā ki jab tum us mulk meṅ dāḳhil hoge jo maiṅ tumheṅ dūṅgā aur wahāṅ anāj kī fasal kāṭoge to tumheṅ imām ko pahlā pūlā denā hai.
Levi UrduGeoR 23:11  Itwār ko imām yih pūlā Rab ke sāmne hilāe tāki tum manzūr ho jāo.
Levi UrduGeoR 23:12  Us din bheṛ kā ek yaksālā beaib bachchā bhī Rab ko pesh karnā. Use qurbāngāh par bhasm hone wālī qurbānī ke taur par chaṛhānā.
Levi UrduGeoR 23:13  Sāth hī ġhallā kī nazar ke lie tel se milāyā gayā 3 kilogrām behtarīn maidā bhī pesh karnā. Jalne wālī yih qurbānī Rab ko pasand hai. Is ke alāwā mai kī nazar ke lie ek liṭar mai bhī pesh karnā.
Levi UrduGeoR 23:14  Pahle yih sab kuchh karo, phir hī tumheṅ naī fasal ke anāj se khāne kī ijāzat hogī, ḳhāh wuh bhunā huā ho, ḳhāh kachchā yā roṭī kī sūrat meṅ pakāyā gayā ho. Jahāṅ bhī tum rahte ho wahāṅ aisā hī karnā hai. Yih usūl abad tak qāym rahe.
Levi UrduGeoR 23:15  Jis din tum ne anāj kā pūlā pesh kiyā us din se pūre sāt hafte gino.
Levi UrduGeoR 23:16  Pachāsweṅ din yānī sātweṅ Itwār ko Rab ko nae anāj kī qurbānī chaṛhānā.
Levi UrduGeoR 23:17  Har gharāne kī taraf se Rab ko hilāne wālī qurbānī ke taur par do roṭiyāṅ pesh kī jāeṅ. Har roṭī ke lie 3 kilogrām behtarīn maidā istemāl kiyā jāe. Un meṅ ḳhamīr ḍāl kar pakānā hai. Yih fasal kī pahlī paidāwār kī qurbānī haiṅ.
Levi UrduGeoR 23:18  In roṭiyoṅ ke sāth ek jawān bail, do menḍhe aur bheṛ ke sāt beaib aur yaksālā bachche pesh karo. Unheṅ Rab ke huzūr bhasm hone wālī qurbānī ke taur par chaṛhānā. Is ke alāwā ġhallā kī nazar aur mai kī nazar bhī pesh karnī hai. Jalne wālī is qurbānī kī ḳhushbū Rab ko pasand hai.
Levi UrduGeoR 23:19  Phir gunāh kī qurbānī ke lie ek bakrā aur salāmatī kī qurbānī ke lie do yaksālā bheṛ ke bachche chaṛhāo.
Levi UrduGeoR 23:20  Imām bheṛ ke yih do bachche mazkūrā roṭiyoṅ samet hilāne wālī qurbānī ke taur par Rab ke sāmne hilāe. Yih Rab ke lie maḳhsūs-o-muqaddas haiṅ aur qurbāniyoṅ meṅ se imām kā hissā haiṅ.
Levi UrduGeoR 23:21  Usī din logoṅ ko muqaddas ijtimā ke lie jamā karo. Koī bhī kām na karnā. Yih usūl abad tak qāym rahe, aur ise har jagah mānanā hai.
Levi UrduGeoR 23:22  Kaṭāī ke waqt apnī fasal pūre taur par na kāṭnā balki khet ke kināroṅ par kuchh chhoṛ denā. Is tarah jo kuchh kaṭāī karte waqt khet meṅ bach jāe use chhoṛnā. Bachā huā anāj ġharīboṅ aur pardesiyoṅ ke lie chhoṛ denā. Maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ.”
Levi UrduGeoR 23:24  “Isrāīliyoṅ ko batānā ki sātweṅ mahīne kā pahlā din ārām kā din hai. Us din muqaddas ijtimā ho jis par yād dilāne ke lie narsingā phūṅkā jāe.
Levi UrduGeoR 23:25  Koī bhī kām na karnā. Rab ko jalne wālī qurbānī pesh karnā.”
Levi UrduGeoR 23:27  “Sātweṅ mahīne kā daswāṅ din Kaffārā kā din hai. Us din muqaddas ijtimā ho. Apnī jān ko dukh denā aur Rab ko jalne wālī qurbānī pesh karnā.
Levi UrduGeoR 23:28  Us din kām na karnā, kyoṅki yih Kaffārā kā din hai, jab Rab tumhāre Ḳhudā ke sāmne tumhārā kaffārā diyā jātā hai.
Levi UrduGeoR 23:29  Jo us din apnī jān ko dukh nahīṅ detā use us kī qaum meṅ se miṭāyā jāe.
Levi UrduGeoR 23:30  Jo us din kām kartā hai use maiṅ us kī qaum meṅ se nikāl kar halāk karūṅga.
Levi UrduGeoR 23:31  Koī bhī kām na karnā. Yih usūl abad tak qāym rahe, aur ise har jagah mānanā hai.
Levi UrduGeoR 23:32  Yih din ārām kā ḳhās din hai jis meṅ tumheṅ apnī jān ko dukh denā hai. Ise mahīne ke naweṅ din kī shām se le kar aglī shām tak manānā.”
Levi UrduGeoR 23:34  “Isrāīliyoṅ ko batānā ki sātweṅ mahīne ke pandrahweṅ din Jhoṅpṛiyoṅ kī Īd shurū hotī hai. Is kā daurāniyā sāt din hai.
Levi UrduGeoR 23:35  Pahle din muqaddas ijtimā ho. Is din koī kām na karnā.
Levi UrduGeoR 23:36  In sāt dinoṅ ke daurān Rab ko jalne wālī qurbāniyāṅ pesh karnā. Āṭhweṅ din muqaddas ijtimā ho. Rab ko jalne wālī qurbānī pesh karo. Is ḳhās ijtimā ke din bhī kām nahīṅ karnā hai.
Levi UrduGeoR 23:37  Yih Rab kī īdeṅ haiṅ jin par tumheṅ muqaddas ijtimā karnā hai tāki Rab ko rozmarrā kī matlūbā jalne wālī qurbāniyāṅ aur mai kī nazareṅ pesh kī jāeṅ yānī bhasm hone wālī qurbāniyāṅ, ġhallā kī nazareṅ, zabah kī qurbāniyāṅ aur mai kī nazareṅ.
Levi UrduGeoR 23:38  Yih qurbāniyāṅ un qurbāniyoṅ ke alāwā haiṅ jo Sabat ke din chaṛhāī jātī haiṅ aur jo tum ne hadiye ke taur par yā mannat mān kar yā apnī dilī ḳhushī se pesh kī haiṅ.
Levi UrduGeoR 23:39  Chunāṅche sātweṅ mahīne ke pandrahweṅ din fasal kī kaṭāī ke iḳhtitām par Rab kī yih īd yānī Jhoṅpṛiyoṅ kī Īd manāo. Ise sāt din manānā. Pahlā aur āḳhirī din ārām ke din haiṅ.
Levi UrduGeoR 23:40  Pahle din apne lie daraḳhtoṅ ke behtarīn phal, khajūr kī ḍāliyāṅ aur ghane daraḳhtoṅ aur safedā kī shāḳheṅ toṛnā. Sāt din tak Rab apne Ḳhudā ke sāmne ḳhushī manāo.
Levi UrduGeoR 23:41  Har sāl sātweṅ mahīne meṅ Rab kī ḳhushī meṅ yih īd manānā. Yih usūl abad tak qāym rahe.
Levi UrduGeoR 23:42  Īd ke hafte ke daurān jhoṅpṛiyoṅ meṅ rahnā. Tamām mulk meṅ ābād Isrāīlī aisā kareṅ.
Levi UrduGeoR 23:43  Phir tumhārī aulād jānegī ki Isrāīliyoṅ ko Misr se nikālte waqt maiṅ ne unheṅ jhoṅpṛiyoṅ meṅ basāyā. Maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ.”
Levi UrduGeoR 23:44  Mūsā ne Isrāīliyoṅ ko Rab kī īdoṅ ke bāre meṅ yih bāteṅ batāīṅ.
Chapter 24
Levi UrduGeoR 24:2  “Isrāīliyoṅ ko hukm de ki wuh tere pās kūṭe hue zaitūnoṅ kā ḳhālis tel le āeṅ tāki Muqaddas Kamre ke shamādān ke charāġh mutawātir jalte raheṅ.
Levi UrduGeoR 24:3  Hārūn unheṅ musalsal, shām se le kar subah tak Rab ke huzūr saṅbhāle yānī wahāṅ jahāṅ wuh Muqaddastarīn Kamre ke parde ke sāmne paṛe haiṅ, us parde ke sāmne jis ke pīchhe ahd kā sandūq hai. Yih usūl abad tak qāym rahe.
Levi UrduGeoR 24:4  Wuh ḳhālis sone ke shamādān par lage charāġhoṅ kī dekh-bhāl yoṅ kare ki yih hameshā Rab ke sāmne jalte raheṅ.
Levi UrduGeoR 24:5  Bārah roṭiyāṅ pakānā. Har roṭī ke lie 3 kilogrām behtarīn maidā istemāl kiyā jāe.
Levi UrduGeoR 24:6  Unheṅ do qatāroṅ meṅ Rab ke sāmne ḳhālis sone kī mez par rakhnā.
Levi UrduGeoR 24:7  Har qatār par ḳhālis lubān ḍālnā. Yih lubān roṭī ke lie yādgārī kī qurbānī hai jise bād meṅ Rab ke lie jalānā hai.
Levi UrduGeoR 24:8  Har hafte ko Rab ke sāmne tāzā roṭiyāṅ isī tartīb se mez par rakhnī haiṅ. Yih Isrāīliyoṅ ke lie abadī ahd kī lāzimī shart hai.
Levi UrduGeoR 24:9  Mez kī roṭiyāṅ Hārūn aur us ke beṭoṅ kā hissā haiṅ, aur wuh unheṅ muqaddas jagah par khāeṅ, kyoṅki wuh jalne wālī qurbāniyoṅ kā muqaddastarīn hissā haiṅ. Yih abad tak un kā haq rahegā.”
Levi UrduGeoR 24:10  Ḳhaimāgāh meṅ ek ādmī thā jis kā bāp Misrī aur māṅ Isrāīlī thī. Māṅ kā nām Salūmīt thā. Wuh dibrī kī beṭī aur Dān ke qabīle kī thī. Ek din yih ādmī ḳhaimāgāh meṅ kisī Isrāīlī se jhagaṛne lagā. Laṛte laṛte us ne Rab ke nām par kufr bak kar us par lānat bhejī. Yih sun kar log use Mūsā ke pās le āe.
Levi UrduGeoR 24:11  Ḳhaimāgāh meṅ ek ādmī thā jis kā bāp Misrī aur māṅ Isrāīlī thī. Māṅ kā nām Salūmīt thā. Wuh dibrī kī beṭī aur Dān ke qabīle kī thī. Ek din yih ādmī ḳhaimāgāh meṅ kisī Isrāīlī se jhagaṛne lagā. Laṛte laṛte us ne Rab ke nām par kufr bak kar us par lānat bhejī. Yih sun kar log use Mūsā ke pās le āe.
Levi UrduGeoR 24:12  Wahāṅ unhoṅ ne use pahre meṅ biṭhā kar Rab kī hidāyat kā intazār kiyā.
Levi UrduGeoR 24:14  “Lānat karne wāle ko ḳhaimāgāh ke bāhar le jāo. Jinhoṅ ne us kī yih bāteṅ sunī haiṅ wuh sab apne hāth us ke sar par rakheṅ. Phir pūrī jamāt use sangsār kare.
Levi UrduGeoR 24:15  Isrāīliyoṅ se kahnā ki jo bhī apne Ḳhudā par lānat bheje use apne qusūr ke natīje bardāsht karne paṛeṅge.
Levi UrduGeoR 24:16  Jo bhī Rab ke nām par kufr bake use sazā-e-maut dī jāe. Pūrī jamāt use sangsār kare. Jis ne Rab ke nām par kufr bakā ho use zarūr sazā-e-maut denī hai, ḳhāh desī ho yā pardesī.
Levi UrduGeoR 24:17  Jis ne kisī ko mār ḍālā hai use sazā-e-maut dī jāe.
Levi UrduGeoR 24:18  Jis ne kisī ke jānwar ko mār ḍālā hai wuh us kā muāwazā de. Jān ke badle jān dī jāe.
Levi UrduGeoR 24:19  Agar kisī ne kisī ko zaḳhmī kar diyā hai to wuhī kuchh us ke sāth kiyā jāe jo us ne dūsre ke sāth kiyā hai.
Levi UrduGeoR 24:20  Agar dūsre kī koī haḍḍī ṭūṭ jāe to us kī wuhī haḍḍī toṛī jāe. Agar dūsre kī āṅkh zāe ho jāe to us kī āṅkh zāe kar dī jāe. Agar dūsre kā dāṅt ṭūṭ jāe to us kā wuhī dāṅt toṛā jāe. Jo bhī zaḳhm us ne dūsre ko pahuṅchāyā wuhī zaḳhm use pahuṅchāyā jāe.
Levi UrduGeoR 24:21  Jis ne kisī jānwar ko mār ḍālā hai wuh us kā muāwazā de, lekin jis ne kisī insān ko mār diyā hai use sazā-e-maut denī hai.
Levi UrduGeoR 24:22  Desī aur pardesī ke lie tumhārā ek hī qānūn ho. Maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ.”
Levi UrduGeoR 24:23  Phir Mūsā ne Isrāīliyoṅ se bāt kī, aur unhoṅ ne Rab par lānat bhejne wāle ko ḳhaimāgāh se bāhar le jā kar use sangsār kiyā. Unhoṅ ne waisā hī kiyā jaisā Rab ne Mūsā ko hukm diyā thā.
Chapter 25
Levi UrduGeoR 25:2  “Isrāīliyoṅ ko batānā ki jab tum us mulk meṅ dāḳhil hoge jo maiṅ tumheṅ dūṅgā to lāzim hai ki Rab kī tāzīm meṅ zamīn ek sāl ārām kare.
Levi UrduGeoR 25:3  Chhih sāl ke daurān apne khetoṅ meṅ bīj bonā, apne angūr ke bāġhoṅ kī kāṅṭ-chhāṅṭ karnā aur un kī fasleṅ jamā karnā.
Levi UrduGeoR 25:4  Lekin sātwāṅ sāl zamīn ke lie ārām kā sāl hai, Rab kī tāzīm meṅ Sabat kā sāl. Us sāl na apne khetoṅ meṅ bīj bonā, na apne angūr ke bāġhoṅ kī kāṅṭ-chhāṅṭ karnā.
Levi UrduGeoR 25:5  Jo anāj ḳhud baḳhud ugtā hai us kī kaṭāī na karnā aur jo angūr us sāl lagte haiṅ un ko toṛ kar jamā na karnā, kyoṅki zamīn ko ek sāl ke lie ārām karnā hai.
Levi UrduGeoR 25:6  Albattā jo bhī yih zamīn ārām ke sāl meṅ paidā karegī us se tum apnī rozānā kī zarūriyāt pūrī kar sakte ho yānī tū, tere ġhulām aur launḍiyāṅ, tere mazdūr, tere ġhairshahrī, tere sāth rahne wāle pardesī,
Levi UrduGeoR 25:7  tere maweshī aur terī zamīn par rahne wāle janglī jānwar. Jo kuchh bhī yih zamīn paidā kartī hai wuh khāyā jā saktā hai.
Levi UrduGeoR 25:8  Sāt Sabat ke sāl yānī 49 sāl ke bād ek aur kām karnā hai.
Levi UrduGeoR 25:9  Pachāsweṅ sāl ke sātweṅ mahīne ke dasweṅ din yānī Kaffārā ke din apne mulk kī har jagah narsingā bajānā.
Levi UrduGeoR 25:10  Pachāswāṅ sāl maḳhsūs-o-muqaddas karo aur pūre mulk meṅ elān karo ki tamām bāshindoṅ ko āzād kar diyā jāe. Yih bahālī kā sāl ho jis meṅ har shaḳhs ko us kī milkiyat wāpas kī jāe aur har ġhulām ko āzād kiyā jāe tāki wuh apne rishtedāroṅ ke pās wāpas jā sake.
Levi UrduGeoR 25:11  Yih pachāswāṅ sāl bahālī kā sāl ho, is lie na apne khetoṅ meṅ bīj bonā, na ḳhud baḳhud ugne wāle anāj kī kaṭāī karnā, aur na angūr toṛ kar jamā karnā.
Levi UrduGeoR 25:12  Kyoṅki yih bahālī kā sāl hai jo tumhāre lie maḳhsūs-o-muqaddas hai. Rozānā utnī hī paidāwār lenā ki ek din kī zarūriyāt pūrī ho jāeṅ.
Levi UrduGeoR 25:13  Bahālī ke sāl meṅ har shaḳhs ko us kī milkiyat wāpas kī jāe.
Levi UrduGeoR 25:14  Chunāṅche jab kabhī tum apne kisī hamwatan bhāī ko zamīn bechte yā us se ḳharīdte ho to us se nājāyz fāydā na uṭhānā.
Levi UrduGeoR 25:15  Zamīn kī qīmat is hisāb se muqarrar kī jāe ki wuh agle bahālī ke sāl tak kitne sāl fasleṅ paidā karegī.
Levi UrduGeoR 25:16  Agar bahut sāl rah gae hoṅ to us kī qīmat zyādā hogī, aur agar kam sāl rah gae hoṅ to us kī qīmat kam hogī. Kyoṅki un fasloṅ kī tādād bik rahī hai jo zamīn agle bahālī ke sāl tak paidā kar saktī hai.
Levi UrduGeoR 25:17  Apne hamwatan se nājāyz fāydā na uṭhānā balki Rab apne Ḳhudā kā ḳhauf mānanā, kyoṅki maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ.
Levi UrduGeoR 25:18  Merī hidāyāt par amal karnā aur mere ahkām ko mān kar un ke mutābiq chalnā. Tab tum apne mulk meṅ mahfūz rahoge.
Levi UrduGeoR 25:19  Zamīn apnī pūrī paidāwār degī, tum ser ho jāoge aur mahfūz rahoge.
Levi UrduGeoR 25:20  Ho saktā hai koī pūchhe, ‘Ham sātweṅ sāl meṅ kyā khāeṅge jabki ham bīj nahīṅ boeṅge aur fasal nahīṅ kāṭeṅge?’
Levi UrduGeoR 25:21  Jawāb yih hai ki maiṅ chhaṭe sāl meṅ zamīn ko itnī barkat dūṅgā ki us sāl kī paidāwār tīn sāl ke lie kāfī hogī.
Levi UrduGeoR 25:22  Jab tum āṭhweṅ sāl bīj bo'oge to tumhāre pās chhaṭe sāl kī itnī paidāwār bāqī hogī ki tum fasal kī kaṭāī tak guzārā kar sakoge.
Levi UrduGeoR 25:23  Koī zamīn bhī hameshā ke lie na bechī jāe, kyoṅki mulk kī tamām zamīn merī hī hai. Tum mere huzūr sirf pardesī aur ġhairshahrī ho.
Levi UrduGeoR 25:24  Mulk meṅ jahāṅ bhī zamīn bik jāe wahāṅ maurūsī mālik kā yih haq mānā jāe ki wuh apnī zamīn wāpas ḳharīd saktā hai.
Levi UrduGeoR 25:25  Agar terā koī hamwatan bhāī ġharīb ho kar apnī kuchh zamīn bechne par majbūr ho jāe to lāzim hai ki us kā sab se qarībī rishtedār use wāpas ḳharīd le.
Levi UrduGeoR 25:26  Ho saktā hai ki aise shaḳhs kā koī qarībī rishtedār na ho jo us kī zamīn wāpas ḳharīd sake, lekin wuh ḳhud kuchh der ke bād itne paise jamā kartā hai ki wuh apnī zamīn wāpas ḳharīd saktā hai.
Levi UrduGeoR 25:27  Is sūrat meṅ wuh hisāb kare ki ḳharīdne wāle ke lie agle bahālī ke sāl tak kitne sāl rah gae haiṅ. Jitnā nuqsān ḳharīdne wāle ko zamīn ko bahālī ke sāl se pahle wāpas dene se pahuṅchegā utne hī paise use dene haiṅ.
Levi UrduGeoR 25:28  Lekin agar us ke pās itne paise na hoṅ to zamīn agle bahālī ke sāl tak ḳharīdne wāle ke hāth meṅ rahegī. Phir use maurūsī mālik ko wāpas diyā jāegā.
Levi UrduGeoR 25:29  Agar kisī kā ghar fasīldār shahr meṅ hai to jab wuh use bechegā to apnā ghar wāpas ḳharīdne kā haq sirf ek sāl tak rahegā.
Levi UrduGeoR 25:30  Agar pahlā mālik use pahle sāl ke andar andar na ḳharīde to wuh hameshā ke lie ḳharīdne wāle kī maurūsī milkiyat ban jāegā. Wuh bahālī ke sāl meṅ bhī wāpas nahīṅ kiyā jāegā.
Levi UrduGeoR 25:31  Lekin jo ghar aisī ābādī meṅ hai jis kī fasīl na ho wuh dehāt meṅ shumār kiyā jātā hai. Us ke maurūsī mālik ko haq hāsil hai ki har waqt apnā ghar wāpas ḳharīd sake. Bahālī ke sāl meṅ is ghar ko lāziman wāpas kar denā hai.
Levi UrduGeoR 25:32  Lekin Lāwiyoṅ ko yih haq hāsil hai ki wuh apne wuh ghar har waqt ḳharīd sakte haiṅ jo un ke lie muqarrar kie hue shahroṅ meṅ haiṅ.
Levi UrduGeoR 25:33  Agar aisā ghar kisī Lāwī ke hāth faroḳht kiyā jāe aur wāpas na ḳharīdā jāe to use lāziman bahālī ke sāl meṅ wāpas karnā hai. Kyoṅki Lāwī ke jo ghar un ke muqarrarā shahroṅ meṅ hote haiṅ wuh Isrāīliyoṅ meṅ un kī maurūsī milkiyat haiṅ.
Levi UrduGeoR 25:34  Lekin jo zamīneṅ shahroṅ ke irdgird maweshī charāne ke lie muqarrar haiṅ unheṅ bechne kī ijāzat nahīṅ hai. Wuh un kī dāymī milkiyat haiṅ.
Levi UrduGeoR 25:35  Agar terā koī hamwatan bhāī ġharīb ho jāe aur guzārā na kar sake to us kī madad kar. Us tarah us kī madad karnā jis tarah pardesī yā ġhairshahrī kī madad karnī hotī hai tāki wuh tere sāth rahte hue zindagī guzār sake.
Levi UrduGeoR 25:36  Us se kisī tarah kā sūd na lenā balki apne Ḳhudā kā ḳhauf mānanā tāki terā bhāī tere sāth zindagī guzār sake.
Levi UrduGeoR 25:37  Agar wuh terā qarzdār ho to us se sūd na lenā. Isī tarah ḳhurāk bechte waqt us se nafā na lenā.
Levi UrduGeoR 25:38  Maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ. Maiṅ tumheṅ is lie Misr se nikāl lāyā ki tumheṅ Mulk-e-Kanān dūṅ aur tumhārā Ḳhudā hūṅ.
Levi UrduGeoR 25:39  Agar terā koī Isrāīlī bhāī ġharīb ho kar apne āp ko tere hāth bech ḍāle to us se ġhulām kā-sā kām na karānā.
Levi UrduGeoR 25:40  Us ke sāth mazdūr yā ġhairshahrī kā-sā sulūk karnā. Wuh tere lie bahālī ke sāl tak kām kare.
Levi UrduGeoR 25:41  Phir wuh aur us ke bāl-bachche āzād ho kar apne rishtedāroṅ aur maurūsī zamīn ke pās wāpas jāeṅ.
Levi UrduGeoR 25:42  Chūṅki Isrāīlī mere ḳhādim haiṅ jinheṅ maiṅ Misr se nikāl lāyā is lie unheṅ ġhulāmī meṅ na bechā jāe.
Levi UrduGeoR 25:43  Aise logoṅ par saḳhtī se hukmrānī na karnā balki apne Ḳhudā kā ḳhauf mānanā.
Levi UrduGeoR 25:44  Tum paṛosī mamālik se apne lie ġhulām aur launḍiyāṅ hāsil kar sakte ho.
Levi UrduGeoR 25:45  Jo pardesī ġhairshahrī ke taur par tumhāre mulk meṅ ābād haiṅ unheṅ bhī tum ḳharīd sakte ho. Un meṅ wuh bhī shāmil haiṅ jo tumhāre mulk meṅ paidā hue haiṅ. Wuhī tumhārī milkiyat ban kar
Levi UrduGeoR 25:46  tumhāre beṭoṅ kī mīrās meṅ ā jāeṅ aur wuhī hameshā tumhāre ġhulām raheṅ. Lekin apne hamwatan bhāiyoṅ par saḳht hukmrānī na karnā.
Levi UrduGeoR 25:47  Agar tere mulk meṅ rahne wālā koī pardesī yā ġhairshahrī amīr ho jāe jabki terā koī hamwatan bhāī ġharīb ho kar apne āp ko us pardesī yā ġhairshahrī yā us ke ḳhāndān ke kisī fard ko bech ḍāle
Levi UrduGeoR 25:48  to bik jāne ke bād use āzādī ḳharīdne kā haq hāsil hai. Koī bhāī,
Levi UrduGeoR 25:49  chachā, tāyā, chachā yā tāyā kā beṭā yā koī aur qarībī rishtedār use wāpas ḳharīd saktā hai. Wuh ḳhud bhī apnī āzādī ḳharīd saktā hai agar us ke pās paise kāfī hoṅ.
Levi UrduGeoR 25:50  Is sūrat meṅ wuh apne mālik se mil kar wuh sāl gine jo us ke ḳharīdne se le kar agle bahālī ke sāl tak bāqī haiṅ. Us kī āzādī ke paise us qīmat par mabnī hoṅ jo mazdūr ko itne sāloṅ ke lie die jāte haiṅ.
Levi UrduGeoR 25:51  Jitne sāl bāqī rah gae haiṅ un ke mutābiq us kī bik jāne kī qīmat meṅ se paise wāpas kar die jāeṅ.
Levi UrduGeoR 25:52  Jitne sāl bāqī rah gae haiṅ un ke mutābiq us kī bik jāne kī qīmat meṅ se paise wāpas kar die jāeṅ.
Levi UrduGeoR 25:53  Us ke sāth sāl basāl mazdūr kā-sā sulūk kiyā jāe. Us kā mālik us par saḳht hukmrānī na kare.
Levi UrduGeoR 25:54  Agar wuh is tarah ke kisī tarīqe se āzād na ho jāe to use aur us ke bachchoṅ ko har hālat meṅ agle bahālī ke sāl meṅ āzād kar denā hai,
Levi UrduGeoR 25:55  kyoṅki Isrāīlī mere hī ḳhādim haiṅ. Wuh mere hī ḳhādim haiṅ jinheṅ maiṅ Misr se nikāl lāyā. Maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ.
Chapter 26
Levi UrduGeoR 26:1  Apne lie but na banānā. Na apne lie dewatā ke mujassame yā patthar ke maḳhsūs kie hue satūn khaṛe karnā, na sijdā karne ke lie apne mulk meṅ aise patthar rakhnā jin meṅ dewatā kī taswīr kandā kī gaī ho. Maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ.
Levi UrduGeoR 26:2  Sabat kā din manānā aur mere maqdis kī tāzīm karnā. Maiṅ Rab hūṅ.
Levi UrduGeoR 26:3  Agar tum merī hidāyāt par chalo aur mere ahkām mān kar un par amal karo
Levi UrduGeoR 26:4  to maiṅ waqt par bārish bhejūṅgā, zamīn apnī paidāwār degī aur daraḳht apne apne phal lāeṅge.
Levi UrduGeoR 26:5  Kasrat ke bāis anāj kī fasal kī kaṭāī angūr toṛte waqt tak jārī rahegī aur angūr kī fasal us waqt tak toṛī jāegī jab tak bīj bone kā mausam āegā. Itnī ḳhurāk milegī ki tum kabhī bhūke nahīṅ hoge. Aur tum apne mulk meṅ mahfūz rahoge.
Levi UrduGeoR 26:6  Maiṅ mulk ko amn-o-amān baḳhshūṅgā. Tum ārām se leṭ jāoge, kyoṅki kisī ḳhatre se ḍarne kī zarūrat nahīṅ hogī. Maiṅ wahshī jānwar mulk se dūr kar dūṅgā, aur wuh talwār kī qatl-o-ġhārat se bachā rahegā.
Levi UrduGeoR 26:7  Tum apne dushmanoṅ par ġhālib ā kar un kā tāqqub karoge, aur wuh tumhārī talwār se māre jāeṅge.
Levi UrduGeoR 26:8  Tumhāre pāṅch ādmī sau dushmanoṅ kā pīchhā kareṅge, aur tumhāre sau ādmī un ke das hazār ādmiyoṅ ko bhagā deṅge. Tumhāre dushman tumhārī talwār se māre jāeṅge.
Levi UrduGeoR 26:9  Merī nazar-e-karm tum par hogī. Maiṅ tumhārī aulād kī tādād baṛhāūṅgā aur tumhāre sāth apnā ahd qāym rakhūṅgā.
Levi UrduGeoR 26:10  Ek sāl itnī fasal hogī ki jab aglī fasal kī kaṭāī hogī to nae anāj ke lie jagah banāne kī ḳhātir purāne anāj ko phaiṅk denā paṛegā.
Levi UrduGeoR 26:11  Maiṅ tumhāre darmiyān apnā maskan qāym karūṅga aur tum se ghin nahīṅ khāūṅgā.
Levi UrduGeoR 26:12  Maiṅ tum meṅ phirūṅga, aur tum merī qaum hoge.
Levi UrduGeoR 26:13  Maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ jo tumheṅ Misr se nikāl lāyā tāki tumhārī ġhulāmī kī hālat ḳhatm ho jāe. Maiṅ ne tumhāre jue ko toṛ ḍālā, aur ab tum āzād aur sīdhe ho kar chal sakte ho.
Levi UrduGeoR 26:14  Lekin agar tum merī nahīṅ sunoge aur in tamām ahkām par nahīṅ chaloge,
Levi UrduGeoR 26:15  agar tum merī hidāyāt ko radd karke mere ahkām se ghin khāoge aur un par amal na karke merā ahd toṛoge
Levi UrduGeoR 26:16  to maiṅ jawāb meṅ tum par achānak dahshat tārī kar dūṅgā. Jism ko ḳhatm karne wālī bīmāriyoṅ aur buḳhār se tumhārī āṅkheṅ zāe ho jāeṅgī aur tumhārī jān chhin jāegī. Jab tum bīj bo'oge to befāydā, kyoṅki dushman us kī fasal khā jāegā.
Levi UrduGeoR 26:17  Maiṅ tumhāre ḳhilāf ho jāūṅgā, is lie tum apne dushmanoṅ ke hāth se shikast khāoge. Tum se nafrat rakhne wāle tum par hukūmat kareṅge. Us waqt bhī jab koī tumhārā tāqqub nahīṅ karegā tum bhāg jāoge.
Levi UrduGeoR 26:18  Agar tum is ke bād bhī merī na suno to maiṅ tumhāre gunāhoṅ ke sabab se tumheṅ sāt gunā zyādā sazā dūṅgā.
Levi UrduGeoR 26:19  Maiṅ tumhārā saḳht ġhurūr ḳhāk meṅ milā dūṅgā. Tumhāre ūpar āsmān lohe jaisā aur tumhāre nīche zamīn pītal jaisī hogī.
Levi UrduGeoR 26:20  Jitnī bhī mehnat karoge wuh befāydā hogī, kyoṅki tumhāre khetoṅ meṅ fasleṅ nahīṅ pakeṅgī aur tumhāre daraḳht phal nahīṅ lāeṅge.
Levi UrduGeoR 26:21  Agar tum phir bhī merī muḳhālafat karoge aur merī nahīṅ sunoge to maiṅ in gunāhoṅ ke jawāb meṅ tumheṅ is se bhī sāt gunā zyādā sazā dūṅgā.
Levi UrduGeoR 26:22  Maiṅ tumhāre ḳhilāf janglī jānwar bhej dūṅgā jo tumhāre bachchoṅ ko phāṛ khāeṅge aur tumhāre maweshī barbād kar deṅge. Āḳhir meṅ tumhārī tādād itnī kam ho jāegī ki tumhārī saṛakeṅ wīrān ho jāeṅgī.
Levi UrduGeoR 26:23  Agar tum phir bhī merī tarbiyat qabūl na karo balki mere muḳhālif raho
Levi UrduGeoR 26:24  to maiṅ ḳhud tumhāre ḳhilāf ho jāūṅgā. In gunāhoṅ ke jawāb meṅ maiṅ tumheṅ sāt gunā zyādā sazā dūṅgā.
Levi UrduGeoR 26:25  Maiṅ tum par talwār chalā kar is kā badlā lūṅgā ki tum ne mere ahd ko toṛā hai. Jab tum apnī hifāzat ke lie shahroṅ meṅ bhāg kar jamā hoge to maiṅ tumhāre darmiyān wabāī bīmāriyāṅ phailāūṅgā aur tumheṅ dushmanoṅ ke hāth meṅ de dūṅgā.
Levi UrduGeoR 26:26  Anāj kī itnī kamī hogī ki das aurateṅ tumhārī pūrī roṭī ek hī tanūr meṅ pakā sakeṅgī, aur wuh use baṛī ehtiyāt se tol tol kar taqsīm kareṅgī. Tum khā kar bhī bhūke rahoge.
Levi UrduGeoR 26:27  Agar tum phir bhī merī nahīṅ sunoge balki mere muḳhālif rahoge
Levi UrduGeoR 26:28  to merā ġhussā bhaṛkegā aur maiṅ tumhāre ḳhilāf ho kar tumhāre gunāhoṅ ke jawāb meṅ tumheṅ sāt gunā zyādā sazā dūṅgā.
Levi UrduGeoR 26:29  Tum musībat ke bāis apne beṭe-beṭiyoṅ kā gosht khāoge.
Levi UrduGeoR 26:30  Maiṅ tumhārī ūṅchī jaghoṅ kī qurbāngāheṅ aur tumhārī baḳhūr kī qurbāngāheṅ barbād kar dūṅgā. Maiṅ tumhārī lāshoṅ ke ḍher tumhāre bejān butoṅ par lagāūṅgā aur tum se ghin khāūṅgā.
Levi UrduGeoR 26:31  Maiṅ tumhāre shahroṅ ko khanḍarāt meṅ badal kar tumhāre mandiroṅ ko barbād karūṅga. Tumhārī qurbāniyoṅ kī ḳhushbū mujhe pasand nahīṅ āegī.
Levi UrduGeoR 26:32  Maiṅ tumhāre mulk kā satyānās yoṅ karūṅga ki jo dushman us meṅ ābād ho jāeṅge un ke roṅgṭe khaṛe ho jāeṅge.
Levi UrduGeoR 26:33  Maiṅ tumheṅ muḳhtalif mamālik meṅ muntashir kar dūṅgā, lekin wahāṅ bhī apnī talwār ko hāth meṅ lie tumhārā pīchhā karūṅga. Tumhārī zamīn wīrān hogī aur tumhāre shahr khanḍarāt ban jāeṅge.
Levi UrduGeoR 26:34  Us waqt jab tum apne dushmanoṅ ke mulk meṅ rahoge tumhārī zamīn wīrān hālat meṅ ārām ke wuh sāl manā sakegī jin se wuh mahrūm rahī hai.
Levi UrduGeoR 26:35  Un tamām dinoṅ meṅ jab wuh barbād rahegī use wuh ārām milegā jo use na milā jab tum mulk meṅ rahte the.
Levi UrduGeoR 26:36  Tum meṅ se jo bach kar apne dushmanoṅ ke mamālik meṅ raheṅge un ke diloṅ par maiṅ dahshat tārī karūṅga. Wuh hawā ke jhoṅkoṅ se girne wāle patte kī āwāz se chaunk kar bhāg jāeṅge. Wuh farār hoṅge goyā koī hāth meṅ talwār lie un kā tāqqub kar rahā ho. Aur wuh gir kar mar jāeṅge hālāṅki koī un kā pīchhā nahīṅ kar rahā hogā.
Levi UrduGeoR 26:37  Wuh ek dūsre se ṭakrā kar laṛkhaṛāeṅge goyā koī talwār le kar un ke pīchhe chal rahā ho hālāṅki koī nahīṅ hai. Chunāṅche tum apne dushmanoṅ kā sāmnā nahīṅ kar sakoge.
Levi UrduGeoR 26:38  Tum dīgar qaumoṅ meṅ muntashir ho kar halāk ho jāoge, aur tumhāre dushmanoṅ kī zamīn tumheṅ haṛap kar legī.
Levi UrduGeoR 26:39  Tum meṅ se bāqī log apne aur apne bāpdādā ke qusūr ke bāis apne dushmanoṅ ke mamālik meṅ gal saṛ jāeṅge.
Levi UrduGeoR 26:40  Lekin ek waqt āegā ki wuh apne aur apne bāpdādā kā qusūr mān leṅge. Wuh mere sāth apnī bewafāī aur wuh muḳhālafat taslīm kareṅge
Levi UrduGeoR 26:41  jis ke sabab se maiṅ un ke ḳhilāf huā aur unheṅ un ke dushmanoṅ ke mulk meṅ dhakel diyā thā. Pahle un kā ḳhatnā sirf zāhirī taur par huā thā, lekin ab un kā dil ājiz ho jāegā aur wuh apne qusūr kī qīmat adā kareṅge.
Levi UrduGeoR 26:42  Phir maiṅ Ibrāhīm ke sāth apnā ahd, Is'hāq ke sāth apnā ahd aur Yāqūb ke sāth apnā ahd yād karūṅga. Maiṅ Mulk-e-Kanān bhī yād karūṅga.
Levi UrduGeoR 26:43  Lekin pahle wuh zamīn ko chhoṛeṅge tāki wuh un kī ġhairmaujūdagī meṅ wīrān ho kar ārām ke sāl manāe. Yoṅ Isrāīlī apne qusūr ke natīje bhugteṅge, is sabab se ki unhoṅ ne mere ahkām radd kie aur merī hidāyāt se ghin khāī.
Levi UrduGeoR 26:44  Is ke bāwujūd bhī maiṅ unheṅ dushmanoṅ ke mulk meṅ chhoṛ kar radd nahīṅ karūṅga, na yahāṅ tak un se ghin khāūṅgā ki wuh bilkul tabāh ho jāeṅ. Kyoṅki maiṅ un ke sāth apnā ahd nahīṅ toṛne kā. Maiṅ Rab un kā Ḳhudā hūṅ.
Levi UrduGeoR 26:45  Maiṅ un kī ḳhātir un ke bāpdādā ke sāth bandhā huā ahd yād karūṅga, un logoṅ ke sāth ahd jinheṅ maiṅ dūsrī qaumoṅ ke deḳhte deḳhte Misr se nikāl lāyā tāki un kā Ḳhudā hūṅ. Maiṅ Rab hūṅ.”
Levi UrduGeoR 26:46  Rab ne Mūsā ko Isrāīliyoṅ ke lie yih tamām hidāyāt aur ahkām Sīnā Pahāṛ par die.
Chapter 27
Levi UrduGeoR 27:2  “Isrāīliyoṅ ko batānā ki agar kisī ne mannat mān kar kisī ko Rab ke lie maḳhsūs kiyā ho to wuh use zail kī raqam de kar āzād kar saktā hai (mustāmal sikke maqdis ke sikkoṅ ke barābar hoṅ):
Levi UrduGeoR 27:3  us ādmī ke lie jis kī umr 20 aur 60 sāl ke darmiyān hai chāṅdī ke 50 sikke,
Levi UrduGeoR 27:4  isī umr kī aurat ke lie chāṅdī ke 30 sikke,
Levi UrduGeoR 27:5  us laṛke ke lie jis kī umr 5 aur 20 sāl ke darmiyān ho chāṅdī ke 20 sikke, isī umr kī laṛkī ke lie chāṅdī ke 10 sikke,
Levi UrduGeoR 27:6  ek māh se le kar 5 sāl tak ke laṛke ke lie chāṅdī ke 5 sikke, isī umr kī laṛkī ke lie chāṅdī ke 3 sikke,
Levi UrduGeoR 27:7  sāṭh sāl se baṛe ādmī ke lie chāṅdī ke 15 sikke aur isī umr kī aurat ke lie chāṅdī ke 10 sikke.
Levi UrduGeoR 27:8  Agar mannat mānane wālā muqarrarā raqam adā na kar sake to wuh maḳhsūs kie hue shaḳhs ko imām ke pās le āe. Phir imām aisī raqam muqarrar kare jo mannat mānane wālā adā kar sake.
Levi UrduGeoR 27:9  Agar kisī ne mannat mān kar aisā jānwar maḳhsūs kiyā jo Rab kī qurbāniyoṅ ke lie istemāl ho saktā hai to aisā jānwar maḳhsūs-o-muqaddas ho jātā hai.
Levi UrduGeoR 27:10  Wuh use badal nahīṅ saktā. Na wuh achchhe jānwar kī jagah nāqis, na nāqis jānwar kī jagah achchhā jānwar de. Agar wuh ek jānwar dūsre kī jagah de to donoṅ maḳhsūs-o-muqaddas ho jāte haiṅ.
Levi UrduGeoR 27:11  Agar kisī ne mannat mān kar koī nāpāk jānwar maḳhsūs kiyā jo Rab kī qurbāniyoṅ ke lie istemāl nahīṅ ho saktā to wuh us ko imām ke pās le āe.
Levi UrduGeoR 27:12  Imām us kī raqam us kī achchhī aur burī siftoṅ kā lihāz karke muqarrar kare. Is muqarrarā qīmat meṅ kamī beshī nahīṅ ho saktī.
Levi UrduGeoR 27:13  Agar mannat mānane wālā use wāpas ḳharīdnā chāhe to wuh muqarrarā qīmat jamā 20 fīsad adā kare.
Levi UrduGeoR 27:14  Agar koī apnā ghar Rab ke lie maḳhsūs-o-muqaddas kare to imām us kī achchhī aur burī siftoṅ kā lihāz karke us kī raqam muqarrar kare. Is muqarrarā qīmat meṅ kamī beshī nahīṅ ho saktī.
Levi UrduGeoR 27:15  Agar ghar ko maḳhsūs karne wālā use wāpas ḳharīdnā chāhe to wuh muqarrarā raqam jamā 20 fīsad adā kare.
Levi UrduGeoR 27:16  Agar koī apnī maurūsī zamīn meṅ se kuchh Rab ke lie maḳhsūs-o-muqaddas kare to us kī qīmat us bīj kī miqdār ke mutābiq muqarrar kī jāe jo us meṅ bonā hotā hai. Jis khet meṅ 135 kilogrām jau kā bīj boyā jāe us kī qīmat chāṅdī ke 50 sikke hogī.
Levi UrduGeoR 27:17  Shart yih hai ki wuh apnī zamīn bahālī ke sāl ke ain bād maḳhsūs kare. Phir us kī yihī qīmat muqarrar kī jāe.
Levi UrduGeoR 27:18  Agar zamīn kā mālik use bahālī ke sāl ke kuchh der bād maḳhsūs kare to imām agle bahālī ke sāl tak rahne wāle sāloṅ ke mutābiq zamīn kī qīmat muqarrar kare. Jitne kam sāl bāqī haiṅ utnī kam us kī qīmat hogī.
Levi UrduGeoR 27:19  Agar maḳhsūs karne wālā apnī zamīn wāpas ḳharīdnā chāhe to wuh muqarrarā qīmat jamā 20 fīsad adā kare.
Levi UrduGeoR 27:20  Agar maḳhsūs karne wālā apnī zamīn ko Rab se wāpas ḳharīde baġhair use kisī aur ko beche to use wāpas ḳharīdne kā haq ḳhatm ho jāegā.
Levi UrduGeoR 27:21  Agle bahālī ke sāl yih zamīn maḳhsūs-o-muqaddas rahegī aur Rab kī dāymī milkiyat ho jāegī. Chunāṅche wuh imām kī milkiyat hogī.
Levi UrduGeoR 27:22  Agar koī apnā maurūsī khet nahīṅ balki apnā ḳharīdā huā khet Rab ke lie maḳhsūs kare
Levi UrduGeoR 27:23  to imām agle bahālī ke sāl tak rahne wāle sāloṅ kā lihāz karke us kī qīmat muqarrar kare. Khet kā mālik usī din us ke paise adā kare. Yih paise Rab ke lie maḳhsūs-o-muqaddas hoṅge.
Levi UrduGeoR 27:24  Bahālī ke sāl meṅ yih khet us shaḳhs ke pās wāpas āegā jis ne use bechā thā.
Levi UrduGeoR 27:25  Wāpas ḳharīdne ke lie mustāmal sikke maqdis ke sikkoṅ ke barābar hoṅ. Us ke chāṅdī ke sikkoṅ kā wazn 11 grām hai.
Levi UrduGeoR 27:26  Lekin koī bhī kisī maweshī kā pahlauṭhā Rab ke lie maḳhsūs nahīṅ kar saktā. Wuh to pahle se Rab ke lie maḳhsūs hai. Is meṅ koī farq nahīṅ ki wuh gāy, bail yā bheṛ ho.
Levi UrduGeoR 27:27  Agar us ne koī nāpāk jānwar maḳhsūs kiyā ho to wuh use muqarrarā qīmat jamā 20 fīsad ke lie wāpas ḳharīd saktā hai. Agar wuh use wāpas na ḳharīde to wuh muqarrarā qīmat ke lie bechā jāe.
Levi UrduGeoR 27:28  Lekin agar kisī ne apnī milkiyat meṅ se kuchh ġhairmashrūt taur par Rab ke lie maḳhsūs kiyā hai to use bechā yā wāpas nahīṅ ḳharīdā jā saktā, ḳhāh wuh insān, jānwar yā zamīn ho. Jo is tarah maḳhsūs kiyā gayā ho wuh Rab ke lie nihāyat muqaddas hai.
Levi UrduGeoR 27:29  Isī tarah jis shaḳhs ko tabāhī ke lie maḳhsūs kiyā gayā hai us kā fidyā nahīṅ diyā jā saktā. Lāzim hai ki use sazā-e-maut dī jāe.
Levi UrduGeoR 27:30  Har fasal kā daswāṅ hissā Rab kā hai, chāhe wuh anāj ho yā phal. Wuh Rab ke lie maḳhsūs-o-muqaddas hai.
Levi UrduGeoR 27:31  Agar koī apnī fasal kā daswāṅ hissā chhuṛānā chāhtā hai to wuh is ke lie us kī muqarrarā qīmat jamā 20 fīsad de.
Levi UrduGeoR 27:32  Isī tarah gāy-bailoṅ aur bheṛ-bakriyoṅ kā daswāṅ hissā bhī Rab ke lie maḳhsūs-o-muqaddas hai, har daswāṅ jānwar jo gallābān ke ḍanḍe ke nīche se guzaregā.
Levi UrduGeoR 27:33  Yih jānwar chunane se pahle un kā muāynā na kiyā jāe ki kaun-se jānwar achchhe yā kamzor haiṅ. Yih bhī na karnā ki dasweṅ hisse ke kisī jānwar ke badle koī aur jānwar diyā jāe. Agar phir bhī use badlā jāe to donoṅ jānwar Rab ke lie maḳhsūs-o-muqaddas hoṅge. Aur unheṅ wāpas ḳharīdā nahīṅ jā saktā.”
Levi UrduGeoR 27:34  Yih wuh ahkām haiṅ jo Rab ne Sīnā Pahāṛ par Mūsā ko Isrāīliyoṅ ke lie die.