Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
ACTS
Up
Toggle notes
Chapter 1
Acts UrduGeoR 1:1  Muazzaz Thiyufilus, pahlī kitāb meṅ maiṅ ne sab kuchh bayān kiyā jo Īsā ne shurū se le kar
Acts UrduGeoR 1:2  us din tak kiyā aur sikhāyā, jab use āsmān par uṭhāyā gayā. Jāne se pahle us ne apne chune hue rasūloṅ ko Rūhul-quds kī mārifat mazīd hidāyāt dīṅ.
Acts UrduGeoR 1:3  Apne dukh uṭhāne aur maut sahne ke bād us ne apne āp ko zāhir karke unheṅ bahut-sī dalīloṅ se qāyl kiyā ki wuh wāqaī zindā hai. Wuh chālīs din ke daurān un par zāhir hotā aur unheṅ Allāh kī bādshāhī ke bāre meṅ batātā rahā.
Acts UrduGeoR 1:4  Jab wuh abhī un ke sāth thā us ne unheṅ hukm diyā, “Yarūshalam ko na chhoṛnā balki is intazār meṅ yihīṅ ṭhahro ki Bāp kā wādā pūrā ho jāe, wuh wādā jis ke bāre meṅ maiṅ ne tum ko āgāh kiyā hai.
Acts UrduGeoR 1:5  Kyoṅki Yahyā ne to pānī se baptismā diyā, lekin tum ko thoṛe dinoṅ ke bād Rūhul-quds se baptismā diyā jāegā.”
Acts UrduGeoR 1:6  Jo wahāṅ jamā the unhoṅ ne us se pūchhā, “Ḳhudāwand, kyā āp isī waqt Isrāīl ke lie us kī bādshāhī dubārā qāym kareṅge?”
Acts UrduGeoR 1:7  Īsā ne jawāb diyā, “Yih jānanā tumhārā kām nahīṅ hai balki sirf Bāp kā jo aise auqāt aur tārīkheṅ muqarrar karne kā iḳhtiyār rakhtā hai.
Acts UrduGeoR 1:8  Lekin tumheṅ Rūhul-quds kī quwwat milegī jo tum par nāzil hogā. Phir tum Yarūshalam, pūre Yahūdiyā aur Sāmariya balki duniyā kī intahā tak mere gawāh hoge.”
Acts UrduGeoR 1:9  Yih kah kar wuh un ke deḳhte deḳhte uṭhā liyā gayā. Aur ek bādal ne use un kī nazaroṅ se ojhal kar diyā.
Acts UrduGeoR 1:10  Wuh abhī āsmān kī taraf dekh hī rahe the ki achānak do ādmī un ke pās ā khaṛe hue. Donoṅ safed libās pahne hue the.
Acts UrduGeoR 1:11  Unhoṅ ne kahā, “Galīl ke mardo, āp kyoṅ khaṛe āsmān kī taraf dekh rahe haiṅ? Yihī Īsā jise āp ke pās se āsmān par uṭhāyā gayā hai usī tarah wāpas āegā jis tarah āp ne use ūpar jāte hue dekhā hai.”
Acts UrduGeoR 1:12  Phir wuh Zaitūn ke pahāṛ se Yarūshalam Shahr wāpas chale gae. (Yih pahāṛ shahr se taqrīban ek kilomīṭar dūr hai.)
Acts UrduGeoR 1:13  Wahāṅ pahuṅch kar wuh us bālāḳhāne meṅ dāḳhil hue jis meṅ wuh ṭhahre hue the, yānī Patras, Yūhannā, Yāqūb aur Andriyās, Filippus aur Tomā, Bartulmāī aur Mattī, Yāqūb bin Halfaī, Shamāūn Mujāhid aur Yahūdāh bin Yāqūb.
Acts UrduGeoR 1:14  Yih sab yakdil ho kar duā meṅ lage rahe. Kuchh aurateṅ, Īsā kī māṅ Mariyam aur us ke bhāī bhī sāth the.
Acts UrduGeoR 1:15  Un dinoṅ meṅ Patras bhāiyoṅ meṅ khaṛā huā. Us waqt taqrīban 120 log jamā the. Us ne kahā,
Acts UrduGeoR 1:16  “Bhāiyo, lāzim thā ki kalām-e-muqaddas kī wuh peshgoī pūrī ho jo Rūhul-quds ne Dāūd kī mārifat Yahūdāh ke bāre meṅ kī. Yahūdāh un kā rāhnumā ban gayā jinhoṅ ne Īsā ko giriftār kiyā,
Acts UrduGeoR 1:17  go use ham meṅ shumār kiyā jātā thā aur wuh isī ḳhidmat meṅ hamāre sāth sharīk thā.”
Acts UrduGeoR 1:18  (Jo paise Yahūdāh ko us ke ġhalat kām ke lie mil gae the un se us ne ek khet ḳharīd liyā thā. Wahāṅ wuh sar ke bal gir gayā, us kā peṭ phaṭ gayā aur us kī tamām antaṛiyāṅ bāhar nikal paṛīṅ.
Acts UrduGeoR 1:19  Is kā charchā Yarūshalam ke tamām bāshindoṅ meṅ phail gayā, is lie yih khet un kī mādarī zabān meṅ Haqaldamā ke nām se mashhūr huā jis kā matlab hai Ḳhūn kā Khet.)
Acts UrduGeoR 1:20  Patras ne apnī bāt jārī rakhī, “Yihī bāt zabūr kī kitāb meṅ likhī hai, ‘Us kī rihāishgāh sunsān ho jāe, koī us meṅ ābād na ho.’ Yih bhī likhā hai, ‘Koī aur us kī zimmedārī uṭhāe.’
Acts UrduGeoR 1:21  Chunāṅche ab zarūrī hai ki ham Yahūdāh kī jagah kisī aur ko chun leṅ. Yih shaḳhs un mardoṅ meṅ se ek ho jo us pūre waqt ke daurān hamāre sāth safr karte rahe jab Ḳhudāwand Īsā hamāre sāth thā,
Acts UrduGeoR 1:22  yānī us ke Yahyā ke hāth se baptismā lene se le kar us waqt tak jab use hamāre pās se uṭhāyā gayā. Lāzim hai ki un meṅ se ek hamāre sāth Īsā ke jī uṭhne kā gawāh ho.”
Acts UrduGeoR 1:23  Chunāṅche unhoṅ ne do ādmī pesh kie, Yūsuf jo Barsabbā kahlātā thā (us kā dūsrā nām Yūstus thā) aur Mattiyāh.
Acts UrduGeoR 1:24  Phir unhoṅ ne duā kī, “Ai Ḳhudāwand, tū har ek ke dil se wāqif hai. Ham par zāhir kar ki tū ne in donoṅ meṅ se kis ko chunā hai
Acts UrduGeoR 1:25  tāki wuh us ḳhidmat kī zimmedārī uṭhāe jo Yahūdāh chhoṛ kar wahāṅ chalā gayā jahāṅ use jānā hī thā.”
Acts UrduGeoR 1:26  Yih kah kar unhoṅ ne donoṅ kā nām le kar qurā ḍālā to Mattiyāh kā nām niklā. Lihāzā use bhī gyārah rasūloṅ meṅ shāmil kar liyā gayā.
Chapter 2
Acts UrduGeoR 2:1  Phir Īd-e-Pantikust kā din āyā. Sab ek jagah jamā the
Acts UrduGeoR 2:2  ki achānak āsmān se aisī āwāz āī jaise shadīd āṅdhī chal rahī ho. Pūrā makān jis meṅ wuh baiṭhe the is āwāz se gūṅj uṭhā.
Acts UrduGeoR 2:3  Aur unheṅ shole kī laueṅ jaisī nazar āīṅ jo alag alag ho kar un meṅ se har ek par utar kar ṭhahar gaīṅ.
Acts UrduGeoR 2:4  Sab Rūhul-quds se bhar gae aur muḳhtalif ġhairmulkī zabānoṅ meṅ bolne lage, har ek us zabān meṅ jo bolne kī Rūhul-quds ne use taufīq dī.
Acts UrduGeoR 2:5  Us waqt Yarūshalam meṅ aise ḳhudātars Yahūdī ṭhahre hue the jo āsmān tale kī har qaum meṅ se the.
Acts UrduGeoR 2:6  Jab yih āwāz sunāī dī to ek baṛā hujūm jamā huā. Sab ghabrā gae kyoṅki har ek ne īmāndāroṅ ko apnī mādarī zabān meṅ bolte sunā.
Acts UrduGeoR 2:7  Saḳht hairatzadā ho kar wuh kahne lage, “Kyā yih sab Galīl ke rahne wāle nahīṅ haiṅ?
Acts UrduGeoR 2:8  To phir yih kis tarah ho saktā hai ki ham meṅ se har ek unheṅ apnī mādarī zabān meṅ bāteṅ karte sun rahā hai
Acts UrduGeoR 2:9  jabki hamāre mamālik yih haiṅ: Pārthiyā, Mādiyā, Ailām, Masoputāmiyā, Yahūdiyā, Kappadukiyā, Puntus, Āsiyā,
Acts UrduGeoR 2:10  Farūgiyā, Pamfīliyā, Misr aur Libiyā kā wuh ilāqā jo Kuren ke irdgird hai. Rom se bhī log maujūd haiṅ.
Acts UrduGeoR 2:11  Yahāṅ Yahūdī bhī haiṅ aur Ġhairyahūdī naumurīd bhī, Krete ke log aur Arab ke bāshinde bhī. Aur ab ham sab ke sab in ko apnī apnī zabān meṅ Allāh ke azīm kāmoṅ kā zikr karte sun rahe haiṅ.”
Acts UrduGeoR 2:12  Sab dang rah gae. Uljhan meṅ paṛ kar wuh ek dūsre se pūchhne lage, “Is kā kyā matlab hai?”
Acts UrduGeoR 2:13  Lekin kuchh log un kā mazāq uṛā kar kahne lage, “Yih bas naī mai pī kar nashe meṅ dhut ho gae haiṅ.”
Acts UrduGeoR 2:14  Phir Patras bāqī gyārah rasūloṅ samet khaṛā ho kar ūṅchī āwāz se un se muḳhātib huā, “Suneṅ, Yahūdī bhāiyo aur Yarūshalam ke tamām rahne wālo! Jān leṅ aur ġhaur se merī bāt sun leṅ!
Acts UrduGeoR 2:15  Āp kā ḳhayāl hai ki yih log nashe meṅ haiṅ. Lekin aisā nahīṅ hai. Dekheṅ, abhī to subah ke nau baje kā waqt hai.
Acts UrduGeoR 2:16  Ab wuh kuchh ho rahā hai jis kī peshgoī Yoel nabī ne kī thī,
Acts UrduGeoR 2:17  ‘Allāh farmātā hai ki āḳhirī dinoṅ meṅ maiṅ apne Rūh ko tamām insānoṅ par unḍel dūṅgā. Tumhāre beṭe-beṭiyāṅ nabuwwat kareṅge, tumhāre naujawān royāeṅ aur tumhāre buzurg ḳhāb dekheṅge.
Acts UrduGeoR 2:18  Un dinoṅ meṅ maiṅ apne Rūh ko apne ḳhādimoṅ aur ḳhādimāoṅ par bhī unḍel dūṅgā, aur wuh nabuwwat kareṅge.
Acts UrduGeoR 2:19  Maiṅ ūpar āsmān par mojize dikhāūṅgā aur nīche zamīn par ilāhī nishān zāhir karūṅga, ḳhūn, āg aur dhueṅ ke bādal.
Acts UrduGeoR 2:20  Sūraj tārīk ho jāegā, chāṅd kā rang ḳhūn-sā ho jāegā, aur phir Rab kā azīm aur jalālī din āegā.
Acts UrduGeoR 2:21  Us waqt jo bhī Rab kā nām legā najāt pāegā.’
Acts UrduGeoR 2:22  Isrāīl ke mardo, merī bāt suneṅ! Allāh ne āp ke sāmne hī Īsā Nāsarī kī tasdīq kī, kyoṅki us ne us ke wasīle se āp ke darmiyān ajūbe, mojize aur ilāhī nishān dikhāe. Āp ḳhud is bāt se wāqif haiṅ.
Acts UrduGeoR 2:23  Lekin Allāh ko pahle hī ilm thā ki kyā honā hai, kyoṅki us ne ḳhud apnī marzī se muqarrar kiyā thā ki Īsā ko dushman ke hawāle kar diyā jāe. Chunāṅche āp ne bedīn logoṅ ke zariye use salīb par chaṛhwā kar qatl kiyā.
Acts UrduGeoR 2:24  Lekin Allāh ne use maut kī aziyatnāk girift se āzād karke zindā kar diyā, kyoṅki mumkin hī nahīṅ thā ki maut use apne qabze meṅ rakhe.
Acts UrduGeoR 2:25  Chunāṅche Dāūd ne us ke bāre meṅ kahā, ‘Rab har waqt merī āṅkhoṅ ke sāmne rahā. Wuh mere dahne hāth rahtā hai tāki maiṅ na ḍagmagāūṅ.
Acts UrduGeoR 2:26  Is lie merā dil shādmān hai, aur merī zabān ḳhushī ke nāre lagātī hai. Hāṅ, merā badan purummīd zindagī guzāregā.
Acts UrduGeoR 2:27  Kyoṅki tū merī jān ko Pātāl meṅ nahīṅ chhoṛegā, aur na apne muqaddas ko galne-saṛne kī naubat tak pahuṅchne degā.
Acts UrduGeoR 2:28  Tū ne mujhe zindagī kī rāhoṅ se āgāh kar diyā hai, aur tū apne huzūr mujhe ḳhushī se sarshār karegā.’
Acts UrduGeoR 2:29  Mere bhāiyo, agar ijāzat ho to maiṅ āp ko dilerī se apne buzurg Dāūd ke bāre meṅ kuchh batāūṅ. Wuh to faut ho kar dafnāyā gayā aur us kī qabr āj tak hamāre darmiyān maujūd hai.
Acts UrduGeoR 2:30  Lekin wuh nabī thā aur jāntā thā ki Allāh ne qasam khā kar mujh se wādā kiyā hai ki wuh merī aulād meṅ se ek ko mere taḳht par biṭhāegā.
Acts UrduGeoR 2:31  Mazkūrā āyāt meṅ Dāūd mustaqbil meṅ dekh kar Masīh ke jī uṭhne kā zikr kar rahā hai, yānī ki na use Pātāl meṅ chhoṛā gayā, na us kā badan galne-saṛne kī naubat tak pahuṅchā.
Acts UrduGeoR 2:32  Allāh ne isī Īsā ko zindā kar diyā hai aur ham sab is ke gawāh haiṅ.
Acts UrduGeoR 2:33  Ab use sarfarāz karke Ḳhudā ke dahne hāth biṭhāyā gayā aur Bāp kī taraf se use mau'ūdā Rūhul-quds mil gayā hai. Isī ko us ne ham par unḍel diyā, jis tarah āp dekh aur sun rahe haiṅ.
Acts UrduGeoR 2:34  Dāūd ḳhud to āsmān par nahīṅ chaṛhā, to bhī us ne farmāyā, ‘Rab ne mere Rab se kahā, mere dahne hāth baiṭh
Acts UrduGeoR 2:35  jab tak maiṅ tere dushmanoṅ ko tere pāṅwoṅ kī chaukī na banā dūṅ.’
Acts UrduGeoR 2:36  Chunāṅche pūrā Isrāīl yaqīn jāne ki jis Īsā ko āp ne maslūb kiyā hai use hī Allāh ne Ḳhudāwand aur Masīh banā diyā hai.”
Acts UrduGeoR 2:37  Patras kī yih bāteṅ sun kar logoṅ ke dil chhid gae. Unhoṅ ne Patras aur bāqī rasūloṅ se pūchhā, “Bhāiyo, phir ham kyā kareṅ?”
Acts UrduGeoR 2:38  Patras ne jawāb diyā, “Āp meṅ se har ek taubā karke Īsā ke nām par baptismā le tāki āp ke gunāh muāf kar die jāeṅ. Phir āp ko Rūhul-quds kī nemat mil jāegī.
Acts UrduGeoR 2:39  Kyoṅki yih dene kā wādā āp se aur āp ke bachchoṅ se kiyā gayā hai, balki un se bhī jo dūr ke haiṅ, un sab se jinheṅ Rab hamārā Ḳhudā apne pās bulāegā.”
Acts UrduGeoR 2:40  Patras ne mazīd bahut-sī bātoṅ se unheṅ nasīhat kī aur samjhāyā ki “Is ṭeṛhī nasl se nikal kar najāt pāeṅ.”
Acts UrduGeoR 2:41  Jinhoṅ ne Patras kī bāt qabūl kī un kā baptismā huā. Yoṅ us din jamāt meṅ taqrīban 3,000 afrād kā izāfā huā.
Acts UrduGeoR 2:42  Yih īmāndār rasūloṅ se tālīm pāne, rifāqat rakhne aur rifāqatī khānoṅ aur duāoṅ meṅ sharīk hote rahe.
Acts UrduGeoR 2:43  Sab par ḳhauf chhā gayā aur rasūloṅ kī taraf se bahut-se mojize aur ilāhī nishān dikhāe gae.
Acts UrduGeoR 2:44  Jo bhī īmān lāte the wuh ek jagah jamā hote the. Un kī har chīz mushtarakā hotī thī.
Acts UrduGeoR 2:45  Apnī milkiyat aur māl faroḳht karke unhoṅ ne har ek ko us kī zarūrat ke mutābiq diyā.
Acts UrduGeoR 2:46  Rozānā wuh yakdilī se Baitul-muqaddas meṅ jamā hote rahe. Sāth sāth wuh Masīh kī yād meṅ apne gharoṅ meṅ roṭī toṛte, baṛī ḳhushī aur sādagī se rifāqatī khānā khāte
Acts UrduGeoR 2:47  aur Allāh kī tamjīd karte rahe. Us waqt wuh tamām logoṅ ke manzūr-e-nazar the. Aur Ḳhudāwand roz baroz jamāt meṅ najātyāftā logoṅ kā izāfā kartā rahā.
Chapter 3
Acts UrduGeoR 3:1  Ek dopahar Patras aur Yūhannā duā karne ke lie Baitul-muqaddas kī taraf chal paṛe. Tīn baj gae the.
Acts UrduGeoR 3:2  Us waqt log ek paidāishī langaṛe ko uṭhā kar wahāṅ lā rahe the. Rozānā use sahan ke us darwāze ke pās lāyā jātā thā jo ‘Ḳhūbsūrat Darwāzā’ kahlātā thā tāki wuh Baitul-muqaddas ke sahnoṅ meṅ dāḳhil hone wāloṅ se bhīk māṅg sake.
Acts UrduGeoR 3:3  Patras aur Yūhannā Baitul-muqaddas meṅ dāḳhil hone wāle the to langaṛā un se bhīk māṅgne lagā.
Acts UrduGeoR 3:4  Patras aur Yūhannā ġhaur se us kī taraf deḳhne lage. Phir Patras ne kahā, “Hamārī taraf dekheṅ.”
Acts UrduGeoR 3:5  Is tawaqqo se ki use kuchh milegā langaṛā un kī taraf mutawajjih huā.
Acts UrduGeoR 3:6  Lekin Patras ne kahā, “Mere pās na to chāṅdī hai, na sonā, lekin jo kuchh hai wuh āp ko de detā hūṅ. Nāsarat ke Īsā Masīh ke nām se uṭheṅ aur chaleṅ-phireṅ!”
Acts UrduGeoR 3:7  Us ne us kā dahnā hāth pakaṛ kar use khaṛā kiyā. Usī waqt langaṛe ke pāṅw aur ṭaḳhne mazbūt ho gae.
Acts UrduGeoR 3:8  Wuh uchhal kar khaṛā huā aur chalne-phirne lagā. Phir wuh chalte, kūdte aur Allāh kī tamjīd karte hue un ke sāth Baitul-muqaddas meṅ dāḳhil huā.
Acts UrduGeoR 3:9  Aur tamām logoṅ ne use chalte phirte aur Allāh kī tamjīd karte hue dekhā.
Acts UrduGeoR 3:10  Jab unhoṅ ne jān liyā ki yih wuhī ādmī hai jo Ḳhūbsūrat nāmī darwāze par baiṭhā bhīk māṅgā kartā thā to wuh us kī tabdīlī dekh kar dang rah gae.
Acts UrduGeoR 3:11  Wuh sab dauṛ kar Sulemān ke barāmde meṅ āe jahāṅ bhīk māṅgne wālā ab tak Patras aur Yūhannā se lipṭā huā thā.
Acts UrduGeoR 3:12  Yih dekh kar Patras un se muḳhātib huā, “Isrāīl ke hazarāt, āp yih dekh kar kyoṅ hairān haiṅ? Āp kyoṅ ghūr ghūr kar hamārī taraf dekh rahe haiṅ goyā ham ne apnī zātī tāqat yā dīndārī ke bāis yih kiyā hai ki yih ādmī chal-phir sake?
Acts UrduGeoR 3:13  Yih hamāre bāpdādā ke Ḳhudā, Ibrāhīm, Is'hāq aur Yāqūb ke Ḳhudā kī taraf se hai jis ne apne bande Īsā ko jalāl diyā hai. Yih wuhī Īsā hai jise āp ne dushman ke hawāle karke Pīlātus ke sāmne radd kiyā, agarche wuh use rihā karne kā faislā kar chukā thā.
Acts UrduGeoR 3:14  Āp ne us Quddūs aur Rāstbāz ko radd karke taqāzā kiyā ki Pīlātus us ke ewaz ek qātil ko rihā karke āp ko de de.
Acts UrduGeoR 3:15  Āp ne zindagī ke sardār ko qatl kiyā, lekin Allāh ne use murdoṅ meṅ se zindā kar diyā. Ham is bāt ke gawāh haiṅ.
Acts UrduGeoR 3:16  Āp to is ādmī se wāqif haiṅ jise dekh rahe haiṅ. Ab wuh Īsā ke nām par īmān lāne se bahāl ho gayā hai, kyoṅki jo īmān Īsā ke zariye miltā hai usī ne is ādmī ko āp ke sāmne pūrī sehhatmandī atā kī.
Acts UrduGeoR 3:17  Mere bhāiyo, maiṅ jāntā hūṅ ki āp aur āp ke rāhnumāoṅ ko sahīh ilm nahīṅ thā, is lie āp ne aisā kiyā.
Acts UrduGeoR 3:18  Lekin Allāh ne wuh kuchh pūrā kiyā jis kī peshgoī us ne tamām nabiyoṅ kī mārifat kī thī, yānī yih ki us kā Masīh dukh uṭhāegā.
Acts UrduGeoR 3:19  Ab taubā kareṅ aur Allāh kī taraf rujū lāeṅ tāki āp ke gunāhoṅ ko miṭāyā jāe.
Acts UrduGeoR 3:20  Phir āp ko Rab ke huzūr se tāzagī ke din muyassar āeṅge aur wuh dubārā Īsā yānī Masīh ko bhej degā jise āp ke lie muqarrar kiyā gayā hai.
Acts UrduGeoR 3:21  Lāzim hai ki wuh us waqt tak āsmān par rahe jab tak Allāh sab kuchh bahāl na kar de, jis tarah wuh ibtidā se apne muqaddas nabiyoṅ kī zabānī farmātā āyā hai.
Acts UrduGeoR 3:22  Kyoṅki Mūsā ne kahā, ‘Rab tumhārā Ḳhudā tumhāre wāste tumhāre bhāiyoṅ meṅ se mujh jaise nabī ko barpā karegā. Jo bhī bāt wuh kahe us kī sunanā.
Acts UrduGeoR 3:23  Jo nahīṅ sunegā use miṭā kar qaum se nikāl diyā jāegā.’
Acts UrduGeoR 3:24  Aur Samuel se le kar har nabī ne in dinoṅ kī peshgoī kī hai.
Acts UrduGeoR 3:25  Āp to in nabiyoṅ kī aulād aur us ahd ke wāris haiṅ jo Allāh ne āp ke bāpdādā se qāym kiyā thā, kyoṅki us ne Ibrāhīm se kahā thā, ‘Terī aulād se duniyā kī tamām qaumeṅ barkat pāeṅgī.’
Acts UrduGeoR 3:26  Jab Allāh ne apne bande Īsā ko barpā kiyā to pahle use āp ke pās bhej diyā tāki wuh āp meṅ se har ek ko us kī burī rāhoṅ se pher kar barkat de.”
Chapter 4
Acts UrduGeoR 4:1  Patras aur Yūhannā logoṅ se bāt kar hī rahe the ki imām, Baitul-muqaddas ke pahredāroṅ kā kaptān aur Sadūqī un ke pās pahuṅche.
Acts UrduGeoR 4:2  Wuh nārāz the ki rasūl Īsā ke jī uṭhne kī munādī karke logoṅ ko murdoṅ meṅ se jī uṭhne kī tālīm de rahe haiṅ.
Acts UrduGeoR 4:3  Unhoṅ ne unheṅ giriftār karke agle din tak jel meṅ ḍāl diyā, kyoṅki shām ho chukī thī.
Acts UrduGeoR 4:4  Lekin jinhoṅ ne un kā paiġhām sun liyā thā un meṅ se bahut-se log īmān lāe. Yoṅ īmāndāroṅ meṅ mardoṅ kī tādād baṛh kar taqrīban 5,000 tak pahuṅch gaī.
Acts UrduGeoR 4:5  Agle din Yarūshalam meṅ Yahūdī adālat-e-āliyā ke sardāroṅ, buzurgoṅ aur sharīat ke ulamā kā ijlās mun'aqid huā.
Acts UrduGeoR 4:6  Imām-e-āzam Hannā aur isī tarah Kāyfā, Yūhannā, Sikandar aur imām-e-āzam ke ḳhāndān ke dīgar mard bhī shāmil the.
Acts UrduGeoR 4:7  Unhoṅ ne donoṅ ko apne darmiyān khaṛā karke pūchhā, “Tum ne yih kām kis quwwat aur nām se kiyā?”
Acts UrduGeoR 4:8  Patras ne Rūhul-quds se māmūr ho kar un se kahā, “Qaum ke rāhnumāo aur buzurgo,
Acts UrduGeoR 4:9  āj hamārī pūchh-gachh kī jā rahī hai ki ham ne māzūr ādmī par rahm kā izhār kis ke wasīle se kiyā ki use shifā mil gaī hai.
Acts UrduGeoR 4:10  To phir āp sab aur pūrī qaum Isrāīl jān le ki yih Nāsarat ke Īsā Masīh ke nām se huā hai, jise āp ne maslūb kiyā aur jise Allāh ne murdoṅ meṅ se zindā kar diyā. Yih ādmī usī ke wasīle se sehhat pā kar yahāṅ āp ke sāmne khaṛā hai.
Acts UrduGeoR 4:11  Īsā wuh patthar hai jis ke bāre meṅ kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai, ‘Jis patthar ko makān banāne wāloṅ ne radd kiyā wuh kone kā buniyādī patthar ban gayā.’ Aur āp hī ne use radd kar diyā hai.
Acts UrduGeoR 4:12  Kisī dūsre ke wasīle se najāt hāsil nahīṅ hotī, kyoṅki āsmān ke tale ham insānoṅ ko koī aur nām nahīṅ baḳhshā gayā jis ke wasīle se ham najāt pā sakeṅ.”
Acts UrduGeoR 4:13  Patras aur Yūhannā kī bāteṅ sun kar log hairān hue kyoṅki wuh dilerī se bāt kar rahe the agarche wuh na to ālim the, na unhoṅ ne sharīat kī ḳhās tālīm pāī thī. Sāth sāth sunane wāloṅ ne yih bhī jān liyā ki donoṅ Īsā ke sāthī haiṅ.
Acts UrduGeoR 4:14  Lekin chūṅki wuh apnī āṅkhoṅ se us ādmī ko dekh rahe the jo shifā pā kar un ke sāth khaṛā thā is lie wuh is ke ḳhilāf koī bāt na kar sake.
Acts UrduGeoR 4:15  Chunāṅche unhoṅ ne un donoṅ ko ijlās meṅ se bāhar jāne ko kahā aur āpas meṅ salāh-mashwarā karne lage,
Acts UrduGeoR 4:16  “Ham in logoṅ ke sāth kyā sulūk kareṅ? Bāt wāzih hai ki un ke zariye ek ilāhī nishān dikhāyā gayā hai. Is kā Yarūshalam ke tamām bāshindoṅ ko ilm huā hai. Ham is kā inkār nahīṅ kar sakte.
Acts UrduGeoR 4:17  Lekin lāzim hai ki unheṅ dhamkī de kar hukm deṅ ki wuh kisī bhī shaḳhs se yih nām le kar bāt na kareṅ, warnā yih muāmalā qaum meṅ mazīd phail jāegā.”
Acts UrduGeoR 4:18  Chunāṅche unhoṅ ne donoṅ ko bulā kar hukm diyā ki wuh āindā Īsā ke nām se na kabhī boleṅ aur na tālīm deṅ.
Acts UrduGeoR 4:19  Lekin Patras aur Yūhannā ne jawāb meṅ kahā, “Āp ḳhud faislā kar leṅ, kyā yih Allāh ke nazdīk ṭhīk hai ki ham us kī nisbat āp kī bāt māneṅ?
Acts UrduGeoR 4:20  Mumkin hī nahīṅ ki jo kuchh ham ne dekh aur sun liyā hai use dūsroṅ ko sunāne se bāz raheṅ.”
Acts UrduGeoR 4:21  Tab ijlās ke membarān ne donoṅ ko mazīd dhamkiyāṅ de kar chhoṛ diyā. Wuh faislā na kar sake ki kyā sazā deṅ, kyoṅki tamām log Patras aur Yūhannā ke is kām kī wajah se Allāh kī tamjīd kar rahe the.
Acts UrduGeoR 4:22  Kyoṅki jis ādmī ko mojizānā taur par shifā milī thī wuh chālīs sāl se zyādā langaṛā rahā thā.
Acts UrduGeoR 4:23  Un kī rihāī ke bād Patras aur Yūhannā apne sāthiyoṅ ke pās wāpas gae aur sab kuchh sunāyā jo rāhnumā imāmoṅ aur buzurgoṅ ne unheṅ batāyā thā.
Acts UrduGeoR 4:24  Yih sun kar tamām īmāndāroṅ ne mil kar ūṅchī āwāz se duā kī, “Ai āqā, tū ne āsmān-o-zamīn aur samundar ko aur jo kuchh un meṅ hai ḳhalaq kiyā hai.
Acts UrduGeoR 4:25  Aur tū ne apne ḳhādim hamāre bāp Dāūd ke muṅh se Rūhul-quds kī mārifat kahā, ‘Aqwām kyoṅ taish meṅ ā gaī haiṅ? Ummateṅ kyoṅ bekār sāzisheṅ kar rahī haiṅ?
Acts UrduGeoR 4:26  Duniyā ke bādshāh uṭh khaṛe hue, hukmrān Rab aur us ke Masīh ke ḳhilāf jamā ho gae haiṅ.’
Acts UrduGeoR 4:27  Aur wāqaī yihī kuchh is shahr meṅ huā. Herodes Antipās, Puntiyus Pīlātus, Ġhairyahūdī aur Yahūdī sab tere muqaddas ḳhādim Īsā ke ḳhilāf jamā hue jise tū ne masah kiyā thā.
Acts UrduGeoR 4:28  Lekin jo kuchh unhoṅ ne kiyā wuh tū ne apnī qudrat aur marzī se pahle hī se muqarrar kiyā thā.
Acts UrduGeoR 4:29  Ai Rab, ab un kī dhamkiyoṅ par ġhaur kar. Apne ḳhādimoṅ ko apnā kalām sunāne kī baṛī dilerī atā farmā.
Acts UrduGeoR 4:30  Apnī qudrat kā izhār kar tāki ham tere muqaddas ḳhādim Īsā ke nām se shifā, ilāhī nishān aur mojize dikhā sakeṅ.”
Acts UrduGeoR 4:31  Duā ke iḳhtitām par wuh jagah hil gaī jahāṅ wuh jamā the. Sab Rūhul-quds se māmūr ho gae aur dilerī se Allāh kā kalām sunāne lage.
Acts UrduGeoR 4:32  Īmāndāroṅ kī pūrī jamāt yakdil thī. Kisī ne bhī apnī milkiyat kī kisī chīz ke bāre meṅ nahīṅ kahā ki yih merī hai balki un kī har chīz mushtarakā thī.
Acts UrduGeoR 4:33  Aur rasūl baṛe iḳhtiyār ke sāth Ḳhudāwand Īsā ke jī uṭhne kī gawāhī dete rahe. Allāh kī baṛī mehrbānī un sab par thī.
Acts UrduGeoR 4:34  Un meṅ se koī bhī zarūratmand nahīṅ thā, kyoṅki jis ke pās bhī zamīneṅ yā makān the us ne unheṅ faroḳht karke raqam
Acts UrduGeoR 4:35  rasūloṅ ke pāṅwoṅ meṅ rakh dī. Yoṅ jamāshudā paisoṅ meṅ se har ek ko utne die jāte jitnoṅ kī use zarūrat hotī thī.
Acts UrduGeoR 4:36  Masalan Yūsuf nāmī ek ādmī thā jis kā nām rasūloṅ ne Barnabās (Hauslā-afzāī kā Beṭā) rakhā thā. Wuh Lāwī qabīle se aur Jazīrā-e-Qubrus kā rahne wālā thā.
Acts UrduGeoR 4:37  Us ne apnā ek khet faroḳht karke paise rasūloṅ ke pāṅwoṅ meṅ rakh die.
Chapter 5
Acts UrduGeoR 5:1  Ek aur ādmī thā jis ne apnī bīwī ke sāth mil kar apnī koī zamīn bech dī. Un ke nām Hananiyāh aur Safīrā the.
Acts UrduGeoR 5:2  Lekin Hananiyāh pūrī raqam rasūloṅ ke pās na lāyā balki us meṅ se kuchh apne lie rakh chhoṛā aur bāqī rasūloṅ ke pāṅwoṅ meṅ rakh diyā. Us kī bīwī bhī is bāt se wāqif thī.
Acts UrduGeoR 5:3  Lekin Patras ne kahā, “Hananiyāh, Iblīs ne āp ke dil ko yoṅ kyoṅ bhar diyā hai ki āp ne Rūhul-quds se jhūṭ bolā hai? Kyoṅki āp ne zamīn kī raqam ke kuchh paise apne pās rakh lie haiṅ.
Acts UrduGeoR 5:4  Kyā yih zamīn faroḳht karne se pahle āp kī nahīṅ thī? Aur use bech kar kyā āp paise jaise chāhte istemāl nahīṅ kar sakte the? Āp ne kyoṅ apne dil meṅ yih ṭhān liyā? Āp ne hameṅ nahīṅ balki Allāh ko dhokā diyā hai.”
Acts UrduGeoR 5:5  Yih sunte hī Hananiyāh farsh par gir kar mar gayā. Aur tamām sunane wāloṅ par baṛī dahshat tārī ho gaī.
Acts UrduGeoR 5:6  Jamāt ke naujawānoṅ ne uṭh kar lāsh ko kafan meṅ lapeṭ diyā aur use bāhar le jā kar dafn kar diyā.
Acts UrduGeoR 5:7  Taqrīban tīn ghanṭe guzar gae to us kī bīwī andar āī. Use mālūm na thā ki shauhar ko kyā huā hai.
Acts UrduGeoR 5:8  Patras ne us se pūchhā, “Mujhe batāeṅ, kyā āp ko apnī zamīn ke lie itnī hī raqam milī thī?” Safīrā ne jawāb diyā, “Jī, itnī hī raqam thī.”
Acts UrduGeoR 5:9  Patras ne kahā, “Kyoṅ āp donoṅ Rab ke Rūh ko āzmāne par muttafiq hue? Dekho, jinhoṅ ne āp ke ḳhāwind ko dafnāyā hai wuh darwāze par khaṛe haiṅ aur āp ko bhī uṭhā kar bāhar le jāeṅge.”
Acts UrduGeoR 5:10  Usī lamhe Safīrā Patras ke pāṅwoṅ meṅ gir kar mar gaī. Naujawān andar āe to us kī lāsh dekh kar use bhī bāhar le gae aur us ke shauhar ke pās dafn kar diyā.
Acts UrduGeoR 5:11  Pūrī jamāt balki har sunane wāle par baṛā ḳhauf tārī ho gayā.
Acts UrduGeoR 5:12  Rasūloṅ kī mārifat awām meṅ bahut-se ilāhī nishān aur mojize zāhir hue. Us waqt tamām īmāndār yakdilī se Baitul-muqaddas meṅ Sulemān ke barāmde meṅ jamā huā karte the.
Acts UrduGeoR 5:13  Bāqī log un se qarībī tālluq rakhne kī jurrat nahīṅ karte the, agarche awām un kī bahut izzat karte the.
Acts UrduGeoR 5:14  To bhī Ḳhudāwand par īmān rakhne wāle mard-o-ḳhawātīn kī tādād baṛhtī gaī.
Acts UrduGeoR 5:15  Log apne marīzoṅ ko chārpāiyoṅ aur chaṭāiyoṅ par rakh kar saṛakoṅ par lāte the tāki jab Patras wahāṅ se guzare to kam az kam us kā sāyā kisī na kisī par paṛ jāe.
Acts UrduGeoR 5:16  Bahut-se log Yarūshalam ke irdgird kī ābādiyoṅ se bhī apne marīzoṅ aur badrūh-giriftā azīzoṅ ko lāte, aur sab shifā pāte the.
Acts UrduGeoR 5:17  Phir imām-e-āzam Sadūqī firqe ke tamām sāthiyoṅ ke sāth harkat meṅ āyā. Hasad se jal kar
Acts UrduGeoR 5:18  unhoṅ ne rasūloṅ ko giriftār karke awāmī jel meṅ ḍāl diyā.
Acts UrduGeoR 5:19  Lekin rāt ko Rab kā ek farishtā qaidḳhāne ke darwāzoṅ ko khol kar unheṅ bāhar lāyā. Us ne kahā,
Acts UrduGeoR 5:20  “Jāo, Baitul-muqaddas meṅ khaṛe ho kar logoṅ ko is naī zindagī se mutālliq sab bāteṅ sunāo.”
Acts UrduGeoR 5:21  Farishte kī sun kar rasūl subah-sawere Baitul-muqaddas meṅ jā kar tālīm dene lage. Ab aisā huā ki imām-e-āzam apne sāthiyoṅ samet pahuṅchā aur Yahūdī adālat-e-āliyā kā ijlās mun'aqid kiyā. Is meṅ Isrāīl ke tamām buzurg sharīk hue. Phir unhoṅ ne apne mulāzimoṅ ko qaidḳhāne meṅ bhej diyā tāki rasūloṅ ko lā kar un ke sāmne pesh kiyā jāe.
Acts UrduGeoR 5:22  Lekin jab wuh wahāṅ pahuṅche to patā chalā ki rasūl jel meṅ nahīṅ haiṅ. Wuh wāpas āe aur kahne lage,
Acts UrduGeoR 5:23  “Jab ham pahuṅche to jel baṛī ehtiyāt se band thī aur darwāzoṅ par pahredār khaṛe the. Lekin jab ham darwāzoṅ ko khol kar andar gae to wahāṅ koī nahīṅ thā!”
Acts UrduGeoR 5:24  Yih sun kar Baitul-muqaddas ke pahredāroṅ kā kaptān aur rāhnumā imām baṛī uljhan meṅ paṛ gae aur sochne lage ki ab kyā hogā?
Acts UrduGeoR 5:25  Itne meṅ koī ā kar kahne lagā, “Bāt suneṅ, jin ādmiyoṅ ko āp ne jel meṅ ḍālā thā wuh Baitul-muqaddas meṅ khaṛe logoṅ ko tālīm de rahe haiṅ.”
Acts UrduGeoR 5:26  Tab Baitul-muqaddas ke pahredāroṅ kā kaptān apne mulāzimoṅ ke sāth rasūloṅ ke pās gayā aur unheṅ lāyā, lekin zabardastī nahīṅ, kyoṅki wuh ḍarte the ki jamāshudā log unheṅ sangsār na kar deṅ.
Acts UrduGeoR 5:27  Chunāṅche unhoṅ ne rasūloṅ ko lā kar ijlās ke sāmne khaṛā kiyā. Imām-e-āzam un se muḳhātib huā,
Acts UrduGeoR 5:28  “Ham ne to tum ko saḳhtī se manā kiyā thā ki is ādmī kā nām le kar tālīm na do. Is ke baraks tum ne na sirf apnī tālīm Yarūshalam kī har jagah tak pahuṅchā dī hai balki hameṅ is ādmī kī maut ke zimmedār bhī ṭhahrānā chāhte ho.”
Acts UrduGeoR 5:29  Patras aur bāqī rasūloṅ ne jawāb diyā, “Lāzim hai ki ham pahle Allāh kī suneṅ, phir insān kī.
Acts UrduGeoR 5:30  Hamāre bāpdādā ke Ḳhudā ne Īsā ko zindā kar diyā, usī shaḳhs ko jise āp ne salīb par chaṛhwā kar mār ḍālā thā.
Acts UrduGeoR 5:31  Allāh ne usī ko Hukmrān aur Najātdahindā kī haisiyat se sarfarāz karke apne dahne hāth biṭhā liyā tāki wuh Isrāīl ko taubā aur gunāhoṅ kī muāfī kā mauqā farāham kare.
Acts UrduGeoR 5:32  Ham ḳhud in bātoṅ ke gawāh haiṅ aur Rūhul-quds bhī, jise Allāh ne apne farmāṅbardāroṅ ko de diyā hai.”
Acts UrduGeoR 5:33  Yih sun kar adālat ke log taish meṅ ā kar unheṅ qatl karnā chāhte the.
Acts UrduGeoR 5:34  Lekin ek Farīsī ālim ijlās meṅ khaṛā huā jis kā nām Jamliyel thā. Pūrī qaum meṅ wuh izzatdār thā. Us ne hukm diyā ki rasūloṅ ko thoṛī der ke lie ijlās se nikāl diyā jāe.
Acts UrduGeoR 5:35  Phir us ne kahā, “Mere Isrāīlī bhāiyo, ġhaur se socheṅ ki āp in ādmiyoṅ ke sāth kyā kareṅge.
Acts UrduGeoR 5:36  Kyoṅki kuchh der huī Thiyūdās uṭh kar kahne lagā ki maiṅ koī ḳhās shaḳhs hūṅ. Taqrīban 400 ādmī us ke pīchhe lag gae. Lekin use qatl kiyā gayā aur us ke pairokār bikhar gae. Un kī sargarmiyoṅ se kuchh na huā.
Acts UrduGeoR 5:37  Is ke bād mardumshumārī ke dinoṅ meṅ Yahūdāh Galīlī uṭhā. Us ne bhī kāfī logoṅ ko apne pairokār banā kar baġhāwat karne par uksāyā. Lekin use bhī mār diyā gayā aur us ke pairokār muntashir hue.
Acts UrduGeoR 5:38  Yih pesh-e-nazar rakh kar merā mashwarā yih hai ki in logoṅ ko chhoṛ deṅ, inheṅ jāne deṅ. Agar in kā irādā yā sargarmiyāṅ insānī haiṅ to sab kuchh ḳhud baḳhud ḳhatm ho jāegā.
Acts UrduGeoR 5:39  Lekin agar yih Allāh kī taraf se hai to āp inheṅ ḳhatm nahīṅ kar sakeṅge. Aisā na ho ki āḳhirkār āp Allāh hī ke ḳhilāf laṛ rahe hoṅ.” Hāzirīn ne us kī bāt mān lī.
Acts UrduGeoR 5:40  Unhoṅ ne rasūloṅ ko bulā kar un ko koṛe lagwāe. Phir unhoṅ ne unheṅ Īsā kā nām le kar bolne se manā kiyā aur phir jāne diyā.
Acts UrduGeoR 5:41  Rasūl Yahūdī adālat-e-āliyā se nikal kar chale gae. Yih bāt un ke lie baṛī ḳhushī kā bāis thī ki Allāh ne hameṅ is lāyq samjhā hai ki Īsā ke nām kī ḳhātir be'izzat ho jāeṅ.
Acts UrduGeoR 5:42  Is ke bād bhī wuh rozānā Baitul-muqaddas aur muḳhtalif gharoṅ meṅ jā jā kar sikhāte aur is ḳhushḳhabrī kī munādī karte rahe ki Īsā hī Masīh hai.
Chapter 6
Acts UrduGeoR 6:1  Un dinoṅ meṅ jab Īsā ke shāgirdoṅ kī tādād baṛhtī gaī to Yūnānī zabān bolne wāle īmāndār Ibrānī bolne wāle īmāndāroṅ ke bāre meṅ buṛbuṛāne lage. Unhoṅ ne kahā, “Jab rozmarrā kā khānā taqsīm hotā hai to hamārī bewāoṅ ko nazarandāz kiyā jātā hai.”
Acts UrduGeoR 6:2  Tab bārah rasūloṅ ne shāgirdoṅ kī pūrī jamāt ko ikaṭṭhā karke kahā, “Yih ṭhīk nahīṅ ki ham Allāh kā kalām sikhāne kī ḳhidmat ko chhoṛ kar khānā taqsīm karne meṅ masrūf raheṅ.
Acts UrduGeoR 6:3  Bhāiyo, yih bāt pesh-e-nazar rakh kar apne meṅ se sāt ādmī chun leṅ, jin ke nek kirdār kī āp tasdīq kar sakte haiṅ aur jo Rūhul-quds aur hikmat se māmūr haiṅ. Phir ham unheṅ khānā taqsīm karne kī yih zimmedārī de kar
Acts UrduGeoR 6:4  apnā pūrā waqt duā aur kalām kī ḳhidmat meṅ sarf kar sakeṅge.”
Acts UrduGeoR 6:5  Yih bāt pūrī jamāt ko pasand āī aur unhoṅ ne sāt ādmī chun lie: Stifanus (jo īmān aur Rūhul-quds se māmūr thā), Filippus, Pruḳhurus, Nīkānor, Tīmon, Parminās aur Antākiyā kā Nīkulāus. (Nīkulāos Ġhairyahūdī thā jis ne Īsā par īmān lāne se pahle Yahūdī mazhab ko apnā liyā thā.)
Acts UrduGeoR 6:6  In sāt ādmiyoṅ ko rasūloṅ ke sāmne pesh kiyā gayā to unhoṅ ne in par hāth rakh kar duā kī.
Acts UrduGeoR 6:7  Yoṅ Allāh kā paiġhām phailtā gayā. Yarūshalam meṅ īmāndāroṅ kī tādād nihāyat baṛhtī gaī aur Baitul-muqaddas ke bahut-se imām bhī īmān le āe.
Acts UrduGeoR 6:8  Stifanus Allāh ke fazl aur quwwat se māmūr thā aur logoṅ ke darmiyān baṛe baṛe mojize aur ilāhī nishān dikhātā thā.
Acts UrduGeoR 6:9  Ek din kuchh Yahūdī Stifanus se bahs karne lage. (Wuh Kuren, Iskandariyā, Kilikiyā aur sūbā Āsiyā ke rahne wāle the aur un ke ibādatḳhāne kā nām Libartīniyoṅ yānī Āzād Kie Gae Ġhulāmoṅ kā Ibādatḳhānā thā.)
Acts UrduGeoR 6:10  Lekin wuh na us kī hikmat kā sāmnā kar sake, na us Rūh kā jo kalām karte waqt us kī madad kartā thā.
Acts UrduGeoR 6:11  Is lie unhoṅ ne bāz ādmiyoṅ ko yih kahne ko uksāyā ki “Is ne Mūsā aur Allāh ke bāre meṅ kufr bakā hai. Ham ḳhud is ke gawāh haiṅ.”
Acts UrduGeoR 6:12  Yoṅ ām logoṅ, buzurgoṅ aur sharīat ke ulamā meṅ halchal mach gaī. Wuh Stifanus par chaṛh āe aur use ghasīṭ kar Yahūdī adālat-e-āliyā ke pās lāe.
Acts UrduGeoR 6:13  Wahāṅ unhoṅ ne jhūṭe gawāh khaṛe kie jinhoṅ ne kahā, “Yih ādmī Baitul-muqaddas aur sharīat ke ḳhilāf bāteṅ karne se bāz nahīṅ ātā.
Acts UrduGeoR 6:14  Ham ne is ke muṅh se sunā hai ki Īsā Nāsarī yih maqām tabāh karegā aur wuh rasm-o-riwāj badal degā jo Mūsā ne hamāre sapurd kie haiṅ.”
Acts UrduGeoR 6:15  Jab ijlās meṅ baiṭhe tamām log ghūr ghūr kar Stifanus kī taraf deḳhne lage to us kā chehrā farishte kā-sā nazar āyā.
Chapter 7
Acts UrduGeoR 7:1  Imām-e-āzam ne pūchhā, “Kyā yih sach hai?”
Acts UrduGeoR 7:2  Stifanus ne jawāb diyā, “Bhāiyo aur buzurgo, merī bāt suneṅ. Jalāl kā Ḳhudā hamāre bāp Ibrāhīm par zāhir huā jab wuh abhī Masoputāmiyā meṅ ābād thā. Us waqt wuh Hārān meṅ muntaqil nahīṅ huā thā.
Acts UrduGeoR 7:3  Allāh ne us se kahā, ‘Apne watan aur apnī qaum ko chhoṛ kar is mulk meṅ chalā jā jo maiṅ tujhe dikhāūṅgā.’
Acts UrduGeoR 7:4  Chunāṅche wuh Kasdiyoṅ ke mulk ko chhoṛ kar Hārān meṅ rahne lagā. Wahāṅ us kā bāp faut huā to Allāh ne use is mulk meṅ muntaqil kiyā jis meṅ āp āj tak ābād haiṅ.
Acts UrduGeoR 7:5  Us waqt Allāh ne use is mulk meṅ koī bhī maurūsī zamīn na dī thī, ek murabbā fuṭ tak bhī nahīṅ. Lekin us ne us se wādā kiyā, ‘Maiṅ is mulk ko tere aur terī aulād ke qabze meṅ kar dūṅgā,’ agarche us waqt Ibrāhīm ke hāṅ koī bachchā paidā nahīṅ huā thā.
Acts UrduGeoR 7:6  Allāh ne use yih bhī batāyā, ‘Terī aulād aise mulk meṅ rahegī jo us kā nahīṅ hogā. Wahāṅ wuh ajnabī aur ġhulām hogī, aur us par 400 sāl tak bahut zulm kiyā jāegā.
Acts UrduGeoR 7:7  Lekin maiṅ us qaum kī adālat karūṅga jis ne use ġhulām banāyā hogā. Is ke bād wuh us mulk meṅ se nikal kar is maqām par merī ibādat kareṅge.’
Acts UrduGeoR 7:8  Phir Allāh ne Ibrāhīm ko ḳhatnā kā ahd diyā. Chunāṅche jab Ibrāhīm kā beṭā Is'hāq paidā huā to bāp ne āṭhweṅ din us kā ḳhatnā kiyā. Yih silsilā jārī rahā jab Is'hāq kā beṭā Yāqūb paidā huā aur Yāqūb ke bārah beṭe, hamāre bārah qabīloṅ ke sardār.
Acts UrduGeoR 7:9  Yih sardār apne bhāī Yūsuf se hasad karne lage aur is lie use bech diyā. Yoṅ wuh ġhulām ban kar Misr pahuṅchā. Lekin Allāh us ke sāth rahā
Acts UrduGeoR 7:10  aur use us kī tamām musībatoṅ se rihāī dī. Us ne use dānāī atā karke is qābil banā diyā ki wuh Misr ke bādshāh Firaun kā manzūr-e-nazar ho jāe. Yoṅ Firaun ne use Misr aur apne pūre gharāne par hukmrān muqarrar kiyā.
Acts UrduGeoR 7:11  Phir tamām Misr aur Kanān meṅ kāl paṛā. Log baṛī musībat meṅ paṛ gae aur hamāre bāpdādā ke pās bhī ḳhurāk ḳhatm ho gaī.
Acts UrduGeoR 7:12  Yāqūb ko patā chalā ki Misr meṅ ab tak anāj hai, is lie us ne apne beṭoṅ ko anāj ḳharīdne ko wahāṅ bhej diyā.
Acts UrduGeoR 7:13  Jab unheṅ dūsrī bār wahāṅ jānā paṛā to Yūsuf ne apne āp ko apne bhāiyoṅ par zāhir kiyā, aur Firaun ko Yūsuf ke ḳhāndān ke bāre meṅ āgāh kiyā gayā.
Acts UrduGeoR 7:14  Is ke bād Yūsuf ne apne bāp Yāqūb aur tamām rishtedāroṅ ko bulā liyā. Kul 75 afrād āe.
Acts UrduGeoR 7:15  Yoṅ Yāqūb Misr pahuṅchā. Wahāṅ wuh aur hamāre bāpdādā mar gae.
Acts UrduGeoR 7:16  Unheṅ Sikam meṅ lā kar us qabr meṅ dafnāyā gayā jo Ibrāhīm ne Hamor kī aulād se paise de kar ḳharīdī thī.
Acts UrduGeoR 7:17  Phir wuh waqt qarīb ā gayā jis kā wādā Allāh ne Ibrāhīm se kiyā thā. Misr meṅ hamārī qaum kī tādād bahut baṛh chukī thī.
Acts UrduGeoR 7:18  Lekin hote hote ek nayā bādshāh taḳhtnashīn huā jo Yūsuf se nāwāqif thā.
Acts UrduGeoR 7:19  Us ne hamārī qaum kā istehsāl karke un se badsulūkī kī aur unheṅ apne shīrḳhār bachchoṅ ko zāe karne par majbūr kiyā.
Acts UrduGeoR 7:20  Us waqt Mūsā paidā huā. Wuh Allāh ke nazdīk ḳhūbsūrat bachchā thā aur tīn māh tak apne bāp ke ghar meṅ pālā gayā.
Acts UrduGeoR 7:21  Is ke bād wālidain ko use chhoṛnā paṛā, lekin Firaun kī beṭī ne use lepālak banā kar apne beṭe ke taur par pālā.
Acts UrduGeoR 7:22  Aur Mūsā ko Misriyoṅ kī hikmat ke har shobe meṅ tarbiyat milī. Use bolne aur amal karne kī zabardast qābiliyat hāsil thī.
Acts UrduGeoR 7:23  Jab wuh chālīs sāl kā thā to use apnī qaum Isrāīl ke logoṅ se milne kā ḳhayāl āyā.
Acts UrduGeoR 7:24  Jab us ne un ke pās jā kar dekhā ki ek Misrī kisī Isrāīlī par tashaddud kar rahā hai to us ne Isrāīlī kī himāyat karke mazlūm kā badlā liyā aur Misrī ko mār ḍālā.
Acts UrduGeoR 7:25  Us kā ḳhayāl to yih thā ki mere bhāiyoṅ ko samajh āegī ki Allāh mere wasīle se unheṅ rihāī degā, lekin aisā nahīṅ thā.
Acts UrduGeoR 7:26  Agle din wuh do Isrāīliyoṅ ke pās se guzarā jo āpas meṅ laṛ rahe the. Us ne sulah karāne kī koshish meṅ kahā, ‘Mardo, āp to bhāī haiṅ. Āp kyoṅ ek dūsre se ġhalat sulūk kar rahe haiṅ?’
Acts UrduGeoR 7:27  Lekin jo ādmī dūsre se badsulūkī kar rahā thā us ne Mūsā ko ek taraf dhakel kar kahā, ‘Kis ne āp ko ham par hukmrān aur qāzī muqarrar kiyā hai?
Acts UrduGeoR 7:28  Kyā āp mujhe bhī qatl karnā chāhte haiṅ jis tarah kal Misrī ko mār ḍālā thā?’
Acts UrduGeoR 7:29  Yih sun kar Mūsā farār ho kar Mulk-e-Midiyān meṅ ajnabī ke taur par rahne lagā. Wahāṅ us ke do beṭe paidā hue.
Acts UrduGeoR 7:30  Chālīs sāl ke bād ek farishtā jaltī huī kāṅṭedār jhāṛī ke shole meṅ us par zāhir huā. Us waqt Mūsā Sīnā Pahāṛ ke qarīb registān meṅ thā.
Acts UrduGeoR 7:31  Yih manzar dekh kar Mūsā hairān huā. Jab wuh us kā muāynā karne ke lie qarīb pahuṅchā to Rab kī āwāz sunāī dī,
Acts UrduGeoR 7:32  ‘Maiṅ tere bāpdādā kā Ḳhudā, Ibrāhīm, Is'hāq aur Yāqūb kā Ḳhudā hūṅ.’ Mūsā thartharāne lagā aur us taraf deḳhne kī jurrat na kī.
Acts UrduGeoR 7:33  Phir Rab ne us se kahā, ‘Apnī jūtiyāṅ utār, kyoṅki tū muqaddas zamīn par khaṛā hai.
Acts UrduGeoR 7:34  Maiṅ ne Misr meṅ apnī qaum kī burī hālat dekhī aur un kī āheṅ sunī haiṅ, is lie unheṅ bachāne ke lie utar āyā hūṅ. Ab jā, maiṅ tujhe Misr bhejtā hūṅ.’
Acts UrduGeoR 7:35  Yoṅ Allāh ne us shaḳhs ko un ke pās bhej diyā jise wuh yih kah kar radd kar chuke the ki ‘Kis ne āp ko ham par hukmrān aur qāzī muqarrar kiyā hai?’ Jaltī huī kāṅṭedār jhāṛī meṅ maujūd farishte kī mārifat Allāh ne Mūsā ko un ke pās bhej diyā tāki wuh un kā hukmrān aur najātdahindā ban jāe.
Acts UrduGeoR 7:36  Aur wuh mojize aur ilāhī nishān dikhā kar unheṅ Misr se nikāl lāyā, phir Bahr-e-Qulzum se guzar kar 40 sāl ke daurān registān meṅ un kī rāhnumāī kī.
Acts UrduGeoR 7:37  Mūsā ne ḳhud Isrāīliyoṅ ko batāyā, ‘Allāh tumhāre wāste tumhāre bhāiyoṅ meṅ se mujh jaise nabī ko barpā karegā.’
Acts UrduGeoR 7:38  Mūsā registān meṅ qaum kī jamāt meṅ sharīk thā. Ek taraf wuh us farishte ke sāth thā jo Sīnā Pahāṛ par us se bāteṅ kartā thā, dūsrī taraf hamāre bāpdādā ke sāth. Farishte se use zindagībaḳhsh bāteṅ mil gaīṅ jo use hamāre sapurd karnī thīṅ.
Acts UrduGeoR 7:39  Lekin hamāre bāpdādā ne us kī sunane se inkār karke use radd kar diyā. Dil hī dil meṅ wuh Misr kī taraf rujū kar chuke the.
Acts UrduGeoR 7:40  Wuh Hārūn se kahne lage, ‘Āeṅ, hamāre lie dewatā banā deṅ jo hamāre āge āge chalte hue hamārī rāhnumāī kareṅ. Kyoṅki kyā mālūm ki us bande Mūsā ko kyā huā hai jo hameṅ Misr se nikāl lāyā.’
Acts UrduGeoR 7:41  Usī waqt unhoṅ ne bachhṛe kā but banā kar use qurbāniyāṅ pesh kīṅ aur apne hāthoṅ ke kām kī ḳhushī manāī.
Acts UrduGeoR 7:42  Is par Allāh ne apnā muṅh pher liyā aur unheṅ sitāroṅ kī pūjā kī girift meṅ chhoṛ diyā, bilkul usī tarah jis tarah nabiyoṅ ke sahīfe meṅ likhā hai, ‘Ai Isrāīl ke gharāne, jab tum registān meṅ ghūmte-phirte the to kyā tum ne un 40 sāloṅ ke daurān kabhī mujhe zabah aur ġhallā kī qurbāniyāṅ pesh kīṅ?
Acts UrduGeoR 7:43  Nahīṅ, us waqt bhī tum Malik Dewatā kā tābūt aur Rifān Dewatā kā sitārā uṭhāe phirte the, go tum ne apne hāthoṅ se yih but pūjā karne ke lie banā lie the. Is lie maiṅ tumheṅ jilāwatan karke Bābal ke pār basā dūṅgā.’
Acts UrduGeoR 7:44  Registān meṅ hamāre bāpdādā ke pās mulāqāt kā ḳhaimā thā. Use us namūne ke mutābiq banāyā gayā thā jo Allāh ne Mūsā ko dikhāyā thā.
Acts UrduGeoR 7:45  Mūsā kī maut ke bād hamāre bāpdādā ne use wirse meṅ pā kar apne sāth le liyā jab unhoṅ ne Yashua kī rāhnumāī meṅ is mulk meṅ dāḳhil ho kar us par qabzā kar liyā. Us waqt Allāh us meṅ ābād qaumoṅ ko un ke āge āge nikāltā gayā. Yoṅ mulāqāt kā ḳhaimā Dāūd Bādshāh ke zamāne tak mulk meṅ rahā.
Acts UrduGeoR 7:46  Dāūd Allāh kā manzūr-e-nazar thā. Us ne Yāqūb ke Ḳhudā ko ek sukūnatgāh muhaiyā karne kī ijāzat māṅgī.
Acts UrduGeoR 7:47  Lekin Sulemān ko us ke lie makān banāne kā ezāz hāsil huā.
Acts UrduGeoR 7:48  Haqīqat meṅ Allāh T'ālā insān ke hāth ke banāe hue makānoṅ meṅ nahīṅ rahtā. Nabī Rab kā farmān yoṅ bayān kartā hai,
Acts UrduGeoR 7:49  ‘Āsmān merā taḳht hai aur zamīn mere pāṅwoṅ kī chaukī, to phir tum mere lie kis qism kā ghar banāoge? Wuh jagah kahāṅ hai jahāṅ maiṅ ārām karūṅga?
Acts UrduGeoR 7:50  Kyā mere hāth ne yih sab kuchh nahīṅ banāyā?’
Acts UrduGeoR 7:51  Ai gardankash logo! Beshak āp kā ḳhatnā huā hai jo Allāh kī qaum kā zāhirī nishān hai. Lekin us kā āp ke diloṅ aur kānoṅ par kuchh bhī asar nahīṅ huā. Āp apne bāpdādā kī tarah hameshā Rūhul-quds kī muḳhālafat karte rahte haiṅ.
Acts UrduGeoR 7:52  Kyā kabhī koī nabī thā jise āp ke bāpdādā ne na satāyā? Unhoṅ ne unheṅ bhī qatl kiyā jinhoṅ ne rāstbāz Masīh kī peshgoī kī, us shaḳhs kī jise āp ne dushmanoṅ ke hawāle karke mār ḍālā.
Acts UrduGeoR 7:53  Āp hī ko farishtoṅ ke hāth se Allāh kī sharīat hāsil huī magar us par amal nahīṅ kiyā.”
Acts UrduGeoR 7:54  Stifanus kī yih bāteṅ sun kar ijlās ke log taish meṅ ā kar dāṅt pīsne lage.
Acts UrduGeoR 7:55  Lekin Stifanus Rūhul-quds se māmūr apnī nazar uṭhā kar āsmān kī taraf takne lagā. Wahāṅ use Allāh kā jalāl nazar āyā, aur Īsā Allāh ke dahne hāth khaṛā thā.
Acts UrduGeoR 7:56  Us ne kahā, “Dekho, mujhe āsmān khulā huā dikhāī de rahā hai aur Ibn-e-Ādam Allāh ke dahne hāth khaṛā hai!”
Acts UrduGeoR 7:57  Yih sunte hī unhoṅ ne chīḳh chīḳh kar hāthoṅ se apne kānoṅ ko band kar liyā aur mil kar us par jhapaṭ paṛe.
Acts UrduGeoR 7:58  Phir wuh use shahr se nikāl kar sangsār karne lage. Aur jin logoṅ ne us ke ḳhilāf gawāhī dī thī unhoṅ ne apnī chādareṅ utār kar ek jawān ādmī ke pāṅwoṅ meṅ rakh dīṅ. Us ādmī kā nām Sāūl thā.
Acts UrduGeoR 7:59  Jab wuh Stifanus ko sangsār kar rahe the to us ne duā karke kahā, “Ai Ḳhudāwand Īsā, merī rūh ko qabūl kar.”
Acts UrduGeoR 7:60  Phir ghuṭne ṭek kar us ne ūṅchī āwāz se kahā, “Ai Ḳhudāwand, unheṅ is gunāh ke zimmedār na ṭhahrā.” Yih kah kar wuh intaqāl kar gayā.
Chapter 8
Acts UrduGeoR 8:1  Aur Sāūl ko bhī Stifanus kā qatl manzūr thā. Us din Yarūshalam meṅ maujūd jamāt saḳht īzārasānī kī zad meṅ ā gaī. Is lie siwāe rasūloṅ ke tamām īmāndār Yahūdiyā aur Sāmariya ke ilāqoṅ meṅ titar-bitar ho gae.
Acts UrduGeoR 8:2  Kuchh ḳhudātars ādmiyoṅ ne Stifanus ko dafn karke ro ro kar us kā mātam kiyā.
Acts UrduGeoR 8:3  Lekin Sāūl Īsā kī jamāt ko tabāh karne par tulā huā thā. Us ne ghar ghar jā kar īmāndār mard-o-ḳhawātīn ko nikāl diyā aur unheṅ ghasīṭ kar qaidḳhāne meṅ ḍalwā diyā.
Acts UrduGeoR 8:4  Jo īmāndār bikhar gae the wuh jagah jagah jā kar Allāh kī ḳhushḳhabrī sunāte phire.
Acts UrduGeoR 8:5  Is tarah Filippus Sāmariya ke kisī shahr ko gayā aur wahāṅ ke logoṅ ko Masīh ke bāre meṅ batāyā.
Acts UrduGeoR 8:6  Jo kuchh bhī Filippus ne kahā aur jo bhī ilāhī nishān us ne dikhāe, us par sunane wāle hujūm ne yakdil ho kar tawajjuh dī.
Acts UrduGeoR 8:7  Bahut-se logoṅ meṅ se badrūheṅ zordār chīḳheṅ mār mār kar nikal gaīṅ, aur bahut-se maflūjoṅ aur langaṛoṅ ko shifā mil gaī.
Acts UrduGeoR 8:8  Yoṅ us shahr meṅ baṛī shādmānī phail gaī.
Acts UrduGeoR 8:9  Wahāṅ kāfī arse se ek ādmī rahtā thā jis kā nām Shamāūn thā. Wuh jādūgar thā aur us ke hairatangez kām se Sāmariya ke log bahut muta'assir the. Us kā apnā dāwā thā ki maiṅ koī ḳhās shaḳhs hūṅ.
Acts UrduGeoR 8:10  Is lie sab log chhoṭe se le kar baṛe tak us par ḳhās tawajjuh dete the. Un kā kahnā thā, ‘Yih ādmī wuh ilāhī quwwat hai jo Azīm kahlātī hai.’
Acts UrduGeoR 8:11  Wuh is lie us ke pīchhe lag gae the ki us ne unheṅ baṛī der se apne hairatangez kāmoṅ se muta'assir kar rakhā thā.
Acts UrduGeoR 8:12  Lekin ab log Filippus kī Allāh kī bādshāhī aur Īsā ke nām ke bāre meṅ ḳhushḳhabrī par īmān le āe, aur mard-o-ḳhawātīn ne baptismā liyā.
Acts UrduGeoR 8:13  Ḳhud Shamāūn ne bhī īmān lā kar baptismā liyā aur Filippus ke sāth rahā. Jab us ne wuh baṛe ilāhī nishān aur mojize dekhe jo Filippus ke hāth se zāhir hue to wuh hakkā-bakkā rah gayā.
Acts UrduGeoR 8:14  Jab Yarūshalam meṅ rasūloṅ ne sunā ki Sāmariya ne Allāh kā kalām qabūl kar liyā hai to unhoṅ ne Patras aur Yūhannā ko un ke pās bhej diyā.
Acts UrduGeoR 8:15  Wahāṅ pahuṅch kar unhoṅ ne un ke lie duā kī ki unheṅ Rūhul-quds mil jāe,
Acts UrduGeoR 8:16  kyoṅki abhī Rūhul-quds un par nāzil nahīṅ huā thā balki unheṅ sirf Ḳhudāwand Īsā ke nām meṅ baptismā diyā gayā thā.
Acts UrduGeoR 8:17  Ab jab Patras aur Yūhannā ne apne hāth un par rakhe to unheṅ Rūhul-quds mil gayā.
Acts UrduGeoR 8:18  Shamāūn ne dekhā ki jab rasūl logoṅ par hāth rakhte haiṅ to un ko Rūhul-quds miltā hai. Is lie us ne unheṅ paise pesh karke
Acts UrduGeoR 8:19  kahā, “Mujhe bhī yih iḳhtiyār de deṅ ki jis par maiṅ hāth rakhūṅ use Rūhul-quds mil jāe.”
Acts UrduGeoR 8:20  Lekin Patras ne jawāb diyā, “Āp ke paise āp ke sāth ġhārat ho jāeṅ, kyoṅki āp ne sochā ki Allāh kī nemat paisoṅ se ḳharīdī jā saktī hai.
Acts UrduGeoR 8:21  Is ḳhidmat meṅ āp kā koī hissā nahīṅ hai, kyoṅki āp kā dil Allāh ke sāmne ḳhālis nahīṅ hai.
Acts UrduGeoR 8:22  Apnī is sharārat se taubā karke Ḳhudāwand se duā kareṅ. Shāyad wuh āp ko is irāde kī muāfī de jo āp ne dil meṅ rakhā hai.
Acts UrduGeoR 8:23  Kyoṅki maiṅ deḳhtā hūṅ ki āp kaṛwe pit se bhare aur nārāstī ke bandhan meṅ jakaṛe hue haiṅ.”
Acts UrduGeoR 8:24  Shamāūn ne kahā, “Phir Ḳhudāwand se mere lie duā kareṅ ki āp kī mazkūrā musībatoṅ meṅ se mujh par koī na āe.”
Acts UrduGeoR 8:25  Ḳhudāwand ke kalām kī gawāhī dene aur us kī munādī karne ke bād Patras aur Yūhannā wāpas Yarūshalam ke lie rawānā hue. Rāste meṅ unhoṅ ne Sāmariya ke bahut-se dehātoṅ meṅ Allāh kī ḳhushḳhabrī sunāī.
Acts UrduGeoR 8:26  Ek din Rab ke farishte ne Filippus se kahā, “Uṭh kar junūb kī taraf us rāh par jā jo registān meṅ se guzar kar Yarūshalam se Ġhazzā ko jātī hai.”
Acts UrduGeoR 8:27  Filippus uṭh kar rawānā huā. Chalte chalte us kī mulāqāt Ethopiyā kī malikā Kandāke ke ek ḳhwājāsarā se huī. Malikā ke pūre ḳhazāne par muqarrar yih darbārī ibādat karne ke lie Yarūshalam gayā thā
Acts UrduGeoR 8:28  aur ab apne mulk meṅ wāpas jā rahā thā. Us waqt wuh rath meṅ sawār Yasāyāh Nabī kī kitāb kī tilāwat kar rahā thā.
Acts UrduGeoR 8:29  Rūhul-quds ne Filippus se kahā, “Us ke pās jā kar rath ke sāth ho le.”
Acts UrduGeoR 8:30  Filippus dauṛ kar rath ke pās pahuṅchā to sunā ki wuh Yasāyāh Nabī kī kitāb kī tilāwat kar rahā hai. Us ne pūchhā, “Kyā āp ko us sab kī samajh ātī hai jo āp paṛh rahe haiṅ?”
Acts UrduGeoR 8:31  Darbārī ne jawāb diyā, “Maiṅ kyoṅkar samjhūṅ jab tak koī merī rāhnumāī na kare?” Aur us ne Filippus ko rath meṅ sawār hone kī dāwat dī.
Acts UrduGeoR 8:32  Kalām-e-muqaddas kā jo hawālā wuh paṛh rahā thā yih thā, ‘Use bheṛ kī tarah zabah karne ke lie le gae. Jis tarah lelā bāl katarne wāle ke sāmne ḳhāmosh rahtā hai, usī tarah us ne apnā muṅh na kholā.
Acts UrduGeoR 8:33  Us kī tazlīl kī gaī aur use insāf na milā. Kaun us kī nasl bayān kar saktā hai? Kyoṅki us kī jān duniyā se chhīn lī gaī.’
Acts UrduGeoR 8:34  Darbārī ne Filippus se pūchhā, “Mehrbānī karke mujhe batā dījie ki nabī yahāṅ kis kā zikr kar rahā hai, apnā yā kisī aur kā?”
Acts UrduGeoR 8:35  Jawāb meṅ Filippus ne kalām-e-muqaddas ke isī hawāle se shurū karke use Īsā ke bāre meṅ ḳhushḳhabrī sunāī.
Acts UrduGeoR 8:36  Saṛak par safr karte karte wuh ek jagah se guzare jahāṅ pānī thā. Ḳhwājāsarā ne kahā, “Dekheṅ, yahāṅ pānī hai. Ab mujhe baptismā lene se kaun-sī chīz rok saktī hai?”
Acts UrduGeoR 8:37  [Filippus ne kahā, “Agar āp pūre dil se īmān lāeṅ to le sakte haiṅ.” Us ne jawāb diyā, “Maiṅ īmān rakhtā hūṅ ki Īsā Masīh Allāh kā Farzand hai.”]
Acts UrduGeoR 8:38  Us ne rath ko rokne kā hukm diyā. Donoṅ pānī meṅ utar gae aur Filippus ne use baptismā diyā.
Acts UrduGeoR 8:39  Jab wuh pānī se nikal āe to Ḳhudāwand kā Rūh Filippus ko uṭhā le gayā. Is ke bād ḳhwājāsarā ne use phir kabhī na dekhā, lekin us ne ḳhushī manāte hue apnā safr jārī rakhā.
Acts UrduGeoR 8:40  Itne meṅ Filippus ko Ashdūd Shahr meṅ pāyā gayā. Wuh wahāṅ aur Qaisariyā tak ke tamām shahroṅ meṅ se guzar kar Allāh kī ḳhushḳhabrī sunātā gayā.
Chapter 9
Acts UrduGeoR 9:1  Ab tak Sāūl Ḳhudāwand ke shāgirdoṅ ko dhamkāne aur qatl karne ke darpai thā. Us ne imām-e-āzam ke pās jā kar
Acts UrduGeoR 9:2  us se guzārish kī ki “Mujhe Damishq meṅ Yahūdī ibādatḳhānoṅ ke lie sifārishī ḳhat likh kar deṅ tāki wuh mere sāth tāwun kareṅ. Kyoṅki maiṅ wahāṅ Masīh kī rāh par chalne wāloṅ ko ḳhāh wuh mard hoṅ yā ḳhawātīn ḍhūnḍ kar aur bāndh kar Yarūshalam lānā chāhtā hūṅ.”
Acts UrduGeoR 9:3  Wuh is maqsad se safr karke Damishq ke qarīb pahuṅchā hī thā ki achānak āsmān kī taraf se ek tez raushnī us ke gird chamkī.
Acts UrduGeoR 9:4  Wuh zamīn par gir paṛā to ek āwāz sunāī dī, “Sāūl, Sāūl, tū mujhe kyoṅ satātā hai?”
Acts UrduGeoR 9:5  Us ne pūchhā, “Ḳhudāwand, āp kaun haiṅ?” Āwāz ne jawāb diyā, “Maiṅ Īsā hūṅ jise tū satātā hai.
Acts UrduGeoR 9:6  Ab uṭh kar shahr meṅ jā. Wahāṅ tujhe batāyā jāegā ki tujhe kyā karnā hai.”
Acts UrduGeoR 9:7  Sāūl ke pās khaṛe hamsafr dam baḳhud rah gae. Āwāz to wuh sun rahe the, lekin unheṅ koī nazar na āyā.
Acts UrduGeoR 9:8  Sāūl zamīn par se uṭhā, lekin jab us ne apnī āṅkheṅ kholīṅ to mālūm huā ki wuh andhā hai. Chunāṅche us ke sāthī us kā hāth pakaṛ kar use Damishq le gae.
Acts UrduGeoR 9:9  Wahāṅ tīn din ke daurān wuh andhā rahā. Itne meṅ us ne na kuchh khāyā, na piyā.
Acts UrduGeoR 9:10  Us waqt Damishq meṅ Īsā kā ek shāgird rahtā thā jis kā nām Hananiyāh thā. Ab Ḳhudāwand royā meṅ us se hamkalām huā, “Hananiyāh!” Us ne jawāb diyā, “Jī Ḳhudāwand, maiṅ hāzir hūṅ.”
Acts UrduGeoR 9:11  Ḳhudāwand ne farmāyā, “Uṭh, us galī meṅ jā jo ‘Sīdhī’ kahlātī hai. Wahāṅ Yahūdāh ke ghar meṅ Tarsus ke ek ādmī kā patā karnā jis kā nām Sāūl hai. Kyoṅki dekh, wuh duā kar rahā hai.
Acts UrduGeoR 9:12  Aur royā meṅ us ne dekh liyā hai ki ek ādmī banām Hananiyāh mere pās ā kar apne hāth mujh par rakhegā. Is se merī āṅkheṅ bahāl ho jāeṅgī.”
Acts UrduGeoR 9:13  Hananiyāh ne etarāz kiyā, “Ai Ḳhudāwand, maiṅ ne bahut-se logoṅ se us shaḳhs kī sharīr harkatoṅ ke bāre meṅ sunā hai. Yarūshalam meṅ us ne tere muqaddasoṅ ke sāth bahut ziyādatī kī hai.
Acts UrduGeoR 9:14  Ab use rāhnumā imāmoṅ se iḳhtiyār mil gayā hai ki yahāṅ bhī har ek ko giriftār kare jo terī ibādat kartā hai.”
Acts UrduGeoR 9:15  Lekin Ḳhudāwand ne kahā, “Jā, yih ādmī merā chunā huā wasīlā hai jo merā nām Ġhairyahūdiyoṅ, bādshāhoṅ aur Isrāīliyoṅ tak pahuṅchāegā.
Acts UrduGeoR 9:16  Aur maiṅ use dikhā dūṅgā ki use mere nām kī ḳhātir kitnā dukh uṭhānā paṛegā.”
Acts UrduGeoR 9:17  Chunāṅche Hananiyāh mazkūrā ghar ke pās gayā, us meṅ dāḳhil huā aur apne hāth Sāūl par rakh die. Us ne kahā, “Sāūl bhāī, Ḳhudāwand Īsā jo āp par zāhir huā jab āp yahāṅ ā rahe the usī ne mujhe bhejā hai tāki āp dubārā dekh pāeṅ aur Rūhul-quds se māmūr ho jāeṅ.”
Acts UrduGeoR 9:18  Yih kahte hī chhilkoṅ jaisī koī chīz Sāūl kī āṅkhoṅ par se girī aur wuh dubārā deḳhne lagā. Us ne uṭh kar baptismā liyā,
Acts UrduGeoR 9:19  phir kuchh khānā khā kar nae sire se taqwiyat pāī. Sāūl kaī din shāgirdoṅ ke sāth Damishq meṅ rahā.
Acts UrduGeoR 9:20  Usī waqt wuh sīdhā Yahūdī ibādatḳhānoṅ meṅ jā kar elān karne lagā ki Īsā Allāh kā Farzand hai.
Acts UrduGeoR 9:21  Aur jis ne bhī use sunā wuh hairān rah gayā aur pūchhā, “Kyā yih wuh ādmī nahīṅ jo Yarūshalam meṅ Īsā kī ibādat karne wāloṅ ko halāk kar rahā thā? Aur kyā wuh is maqsad se yahāṅ nahīṅ āyā ki aise logoṅ ko bāndh kar rāhnumā imāmoṅ ke pās le jāe?”
Acts UrduGeoR 9:22  Lekin Sāūl roz baroz zor pakaṛtā gayā, aur chūṅki us ne sābit kiyā ki Īsā wādā kiyā huā Masīh hai is lie Damishq meṅ ābād Yahūdī uljhan meṅ paṛ gae.
Acts UrduGeoR 9:23  Chunāṅche kāfī dinoṅ ke bād unhoṅ ne mil kar use qatl karne kā mansūbā banāyā.
Acts UrduGeoR 9:24  Lekin Sāūl ko patā chal gayā. Yahūdī din rāt shahr ke darwāzoṅ kī pahrādārī karte rahe tāki use qatl kareṅ,
Acts UrduGeoR 9:25  is lie us ke shāgirdoṅ ne use rāt ke waqt ṭokre meṅ biṭhā kar shahr kī chārdīwārī ke ek sūrāḳh meṅ se utār diyā.
Acts UrduGeoR 9:26  Sāūl Yarūshalam wāpas chalā gayā. Wahāṅ us ne shāgirdoṅ se rābitā karne kī koshish kī, lekin sab us se ḍarte the, kyoṅki unheṅ yaqīn nahīṅ āyā thā ki wuh wāqaī Īsā kā shāgird ban gayā hai.
Acts UrduGeoR 9:27  Phir Barnabās use rasūloṅ ke pās le āyā. Us ne unheṅ Sāūl ke bāre meṅ sab kuchh batāyā, ki us ne Damishq kī taraf safr karte waqt rāste meṅ Ḳhudāwand ko dekhā, ki Ḳhudāwand us se hamkalām huā thā aur us ne Damishq meṅ dilerī se Īsā ke nām se bāt kī thī.
Acts UrduGeoR 9:28  Chunāṅche Sāūl un ke sāth rah kar āzādī se Yarūshalam meṅ phirne aur dilerī se Ḳhudāwand Īsā ke nām se kalām karne lagā.
Acts UrduGeoR 9:29  Us ne Yūnānī zabān bolne wāle Yahūdiyoṅ se bhī muḳhātib ho kar bahs kī, lekin jawāb meṅ wuh use qatl karne kī koshish karne lage.
Acts UrduGeoR 9:30  Jab bhāiyoṅ ko mālūm huā to unhoṅ ne use Qaisariyā pahuṅchā diyā aur jahāz meṅ biṭhā kar Tarsus ke lie rawānā kar diyā.
Acts UrduGeoR 9:31  Is par Yahūdiyā, Galīl aur Sāmariya ke pūre ilāqe meṅ phailī huī jamāt ko amn-o-amān hāsil huā. Rūhul-quds kī himāyat se us kī tāmīr-o-taqwiyat huī, wuh Ḳhudā kā ḳhauf mān kar chaltī rahī aur tādād meṅ bhī baṛhtī gaī.
Acts UrduGeoR 9:32  Ek din jab Patras jagah jagah safr kar rahā thā to wuh Luddā meṅ ābād muqaddasoṅ ke pās bhī āyā.
Acts UrduGeoR 9:33  Wahāṅ us kī mulāqāt ek ādmī banām Ainiyās se huī. Ainiyās maflūj thā. Wuh āṭh sāl se bistar se uṭh na sakā thā.
Acts UrduGeoR 9:34  Patras ne us se kahā, “Ainiyās, Īsā Masīh āp ko shifā detā hai. Uṭh kar apnā bistar sameṭ leṅ.” Ainiyās fauran uṭh khaṛā huā.
Acts UrduGeoR 9:35  Jab Luddā aur maidānī ilāqe Shārūn ke tamām rahne wāloṅ ne use dekhā to unhoṅ ne Ḳhudāwand kī taraf rujū kiyā.
Acts UrduGeoR 9:36  Yāfā meṅ ek aurat thī jo shāgird thī aur nek kām karne aur ḳhairāt dene meṅ bahut āge thī. Us kā nām Tabītā (Ġhazālā) thā.
Acts UrduGeoR 9:37  Unhīṅ dinoṅ meṅ wuh bīmār ho kar faut ho gaī. Logoṅ ne use ġhusl de kar bālāḳhāne meṅ rakh diyā.
Acts UrduGeoR 9:38  Luddā Yāfā ke qarīb hai, is lie jab shāgirdoṅ ne sunā ki Patras Luddā meṅ hai to unhoṅ ne us ke pās do ādmiyoṅ ko bhej kar iltamās kī, “Sīdhe hamāre pās āeṅ aur der na kareṅ.”
Acts UrduGeoR 9:39  Patras uṭh kar un ke sāth chalā gayā. Wahāṅ pahuṅch kar log use bālāḳhāne meṅ le gae. Tamām bewāoṅ ne use gher liyā aur rote chillāte wuh sārī qamīseṅ aur bāqī libās dikhāne lagīṅ jo Tabītā ne un ke lie banāe the jab wuh abhī zindā thī.
Acts UrduGeoR 9:40  Lekin Patras ne un sab ko kamre se nikāl diyā aur ghuṭne ṭek kar duā kī. Phir lāsh kī taraf muṛ kar us ne kahā, “Tabītā, uṭheṅ!” Aurat ne apnī āṅkheṅ khol dīṅ. Patras ko dekh kar wuh baiṭh gaī.
Acts UrduGeoR 9:41  Patras ne us kā hāth pakaṛ liyā aur uṭhne meṅ us kī madad kī. Phir us ne muqaddasoṅ aur bewāoṅ ko bulā kar Tabītā ko zindā un ke sapurd kiyā.
Acts UrduGeoR 9:42  Yih wāqiyā pūre Yāfā meṅ mashhūr huā, aur bahut-se log Ḳhudāwand Īsā par īmān lāe.
Acts UrduGeoR 9:43  Patras kāfī dinoṅ tak Yāfā meṅ rahā. Wahāṅ wuh chamṛā rangne wāle ek ādmī ke ghar ṭhahrā jis kā nām Shamāūn thā.
Chapter 10
Acts UrduGeoR 10:1  Qaisariyā meṅ ek Romī afsar rahtā thā jis kā nām Kurneliyus thā. Wuh us palṭan ke sau faujiyoṅ par muqarrar thā jo Itālwī kahlātī thī.
Acts UrduGeoR 10:2  Kurneliyus apne pūre gharāne samet dīndār aur ḳhudātars thā. Wuh faiyāzī se ḳhairāt detā aur mutawātir duā meṅ lagā rahtā thā.
Acts UrduGeoR 10:3  Ek din us ne tīn baje dopahar ke waqt royā dekhī. Us meṅ us ne sāf taur par Allāh kā ek farishtā dekhā jo us ke pās āyā aur kahā, “Kurneliyus!”
Acts UrduGeoR 10:4  Wuh ghabrā gayā aur use ġhaur se deḳhte hue kahā, “Mere āqā, farmāeṅ.” Farishte ne kahā, “Tumhārī duāoṅ aur ḳhairāt kī qurbānī Allāh ke huzūr pahuṅch gaī hai aur manzūr hai.
Acts UrduGeoR 10:5  Ab kuchh ādmī Yāfā bhej do. Wahāṅ ek ādmī banām Shamāūn hai jo Patras kahlātā hai. Use bulā kar le āo.
Acts UrduGeoR 10:6  Patras ek chamṛā rangne wāle kā mehmān hai jis kā nām Shamāūn hai. Us kā ghar samundar ke qarīb wāqe hai.”
Acts UrduGeoR 10:7  Jyoṅ hī farishtā chalā gayā Kurneliyus ne do naukaroṅ aur apne ḳhidmatgār faujiyoṅ meṅ se ek ḳhudātars ādmī ko bulāyā.
Acts UrduGeoR 10:8  Sab kuchh sunā kar us ne unheṅ Yāfā bhej diyā.
Acts UrduGeoR 10:9  Agle din Patras dopahar taqrīban bārah baje duā karne ke lie chhat par chaṛh gayā. Us waqt Kurneliyus ke bheje hue ādmī Yāfā Shahr ke qarīb pahuṅch gae the.
Acts UrduGeoR 10:10  Patras ko bhūk lagī aur wuh kuchh khānā chāhtā thā. Jab us ke lie khānā taiyār kiyā jā rahā thā to wuh wajd kī hālat meṅ ā gayā.
Acts UrduGeoR 10:11  Us ne dekhā ki āsmān khul gayā hai aur ek chīz zamīn par utar rahī hai, katān kī baṛī chādar jaisī jo apne chār konoṅ se nīche utārī jā rahī hai.
Acts UrduGeoR 10:12  Chādar meṅ tamām qism ke jānwar haiṅ: chār pāṅw rakhne wāle, reṅgne wāle aur parinde.
Acts UrduGeoR 10:13  Phir ek āwāz us se muḳhātib huī, “Uṭh, Patras. Kuchh zabah karke khā!”
Acts UrduGeoR 10:14  Patras ne etarāz kiyā, “Hargiz nahīṅ Ḳhudāwand, maiṅ ne kabhī bhī harām yā nāpāk khānā nahīṅ khāyā.”
Acts UrduGeoR 10:15  Lekin yih āwāz dubārā us se hamkalām huī, “Jo kuchh Allāh ne pāk kar diyā hai use nāpāk qarār na de.”
Acts UrduGeoR 10:16  Yihī kuchh tīn martabā huā, phir chādar ko achānak āsmān par wāpas uṭhā liyā gayā.
Acts UrduGeoR 10:17  Patras baṛī uljhan meṅ paṛ gayā. Wuh abhī soch rahā thā ki is royā kā kyā matlab hai to Kurneliyus ke bheje hue ādmī Shamāūn ke ghar kā patā karke us ke geṭ par pahuṅch gae.
Acts UrduGeoR 10:18  Āwāz de kar unhoṅ ne pūchhā, “Kyā Shamāūn jo Patras kahlātā hai āp ke mehmān haiṅ?”
Acts UrduGeoR 10:19  Patras abhī royā par ġhaur kar hī rahā thā ki Rūhul-quds us se hamkalām huā, “Shamāūn, tīn mard terī talāsh meṅ haiṅ.
Acts UrduGeoR 10:20  Uṭh aur chhat se utar kar un ke sāth chalā jā. Mat jhijaknā, kyoṅki maiṅ hī ne unheṅ tere pās bhejā hai.”
Acts UrduGeoR 10:21  Chunāṅche Patras un ādmiyoṅ ke pās gayā aur un se kahā, “Maiṅ wuhī hūṅ jise āp ḍhūnḍ rahe haiṅ. Āp kyoṅ mere pās āe haiṅ?”
Acts UrduGeoR 10:22  Unhoṅ ne jawāb diyā, “Ham sau faujiyoṅ par muqarrar afsar Kurneliyus ke ghar se āe haiṅ. Wuh insāfparwar aur ḳhudātars ādmī haiṅ. Pūrī Yahūdī qaum is kī tasdīq kar saktī hai. Ek muqaddas farishte ne unheṅ hidāyat dī ki wuh āp ko apne ghar bulā kar āp kā paiġhām suneṅ.”
Acts UrduGeoR 10:23  Yih sun kar Patras unheṅ andar le gayā aur un kī mehmān-nawāzī kī. Agle din wuh uṭh kar un ke sāth rawānā huā. Yāfā ke kuchh bhāī bhī sāth gae.
Acts UrduGeoR 10:24  Ek din ke bād wuh Qaisariyā pahuṅch gayā. Kurneliyus un ke intazār meṅ thā. Us ne apne rishtedāroṅ aur qarībī dostoṅ ko bhī apne ghar jamā kar rakhā thā.
Acts UrduGeoR 10:25  Jab Patras ghar meṅ dāḳhil huā to Kurneliyus ne us ke sāmne gir kar use sijdā kiyā.
Acts UrduGeoR 10:26  Lekin Patras ne use uṭhā kar kahā, “Uṭheṅ. Maiṅ bhī insān hī hūṅ.”
Acts UrduGeoR 10:27  Aur us se bāteṅ karte karte wuh andar gayā aur dekhā ki bahut-se log jamā ho gae haiṅ.
Acts UrduGeoR 10:28  Us ne un se kahā, “Āp jānte haiṅ ki kisī Yahūdī ke lie kisī Ġhairyahūdī se rifāqat rakhnā yā us ke ghar meṅ jānā manā hai. Lekin Allāh ne mujhe dikhāyā hai ki maiṅ kisī ko bhī harām yā nāpāk qarār na dūṅ.
Acts UrduGeoR 10:29  Is wajah se jab mujhe bulāyā gayā to maiṅ etarāz kie baġhair chalā āyā. Ab mujhe batā dījie ki āp ne mujhe kyoṅ bulāyā hai?”
Acts UrduGeoR 10:30  Kurneliyus ne jawāb diyā, “Chār din kī bāt hai ki maiṅ isī waqt dopahar tīn baje duā kar rahā thā. Achānak ek ādmī mere sāmne ā khaṛā huā. Us ke kapṛe chamak rahe the.
Acts UrduGeoR 10:31  Us ne kahā, ‘Kurneliyus, Allāh ne tumhārī duā sun lī aur tumhārī ḳhairāt kā ḳhayāl kiyā hai.
Acts UrduGeoR 10:32  Ab kisī ko Yāfā bhej kar Shamāūn ko bulā lo jo Patras kahlātā hai. Wuh chamṛā rangne wāle Shamāūn kā mehmān hai. Shamāūn kā ghar samundar ke qarīb wāqe hai.’
Acts UrduGeoR 10:33  Yih sunte hī maiṅ ne apne logoṅ ko āp ko bulāne ke lie bhej diyā. Achchhā huā ki āp ā gae haiṅ. Ab ham sab Allāh ke huzūr hāzir haiṅ tāki wuh kuchh suneṅ jo Rab ne āp ko hameṅ batāne ko kahā hai.”
Acts UrduGeoR 10:34  Phir Patras bol uṭhā, “Ab maiṅ samajh gayā hūṅ ki Allāh wāqaī jānibdār nahīṅ,
Acts UrduGeoR 10:35  balki har kisī ko qabūl kartā hai jo us kā ḳhauf māntā aur rāst kām kartā hai.
Acts UrduGeoR 10:36  Āp Allāh kī us ḳhushḳhabrī se wāqif haiṅ jo us ne Isrāīliyoṅ ko bhejī, yih ḳhushḳhabrī ki Īsā Masīh ke wasīle se salāmatī āī hai. Īsā Masīh sab kā Ḳhudāwand hai.
Acts UrduGeoR 10:37  Āp ko wuh kuchh mālūm hai jo Galīl se shurū ho kar Yahūdiyā ke pūre ilāqe meṅ huā yānī us baptisme ke bād jis kī munādī Yahyā ne kī.
Acts UrduGeoR 10:38  Aur āp jānte haiṅ ki Allāh ne Īsā Nāsarī ko Rūhul-quds aur quwwat se masah kiyā aur ki is par us ne jagah jagah jā kar nek kām kiyā aur Iblīs ke dabe hue tamām logoṅ ko shifā dī, kyoṅki Allāh us ke sāth thā.
Acts UrduGeoR 10:39  Jo kuchh bhī us ne Mulk-e-Yahūd aur Yarūshalam meṅ kiyā, us ke gawāh ham ḳhud haiṅ. Go logoṅ ne use lakaṛī par laṭkā kar qatl kar diyā
Acts UrduGeoR 10:40  lekin Allāh ne tīsre din use murdoṅ meṅ se zindā kiyā aur use logoṅ par zāhir kiyā.
Acts UrduGeoR 10:41  Wuh pūrī qaum par to zāhir nahīṅ huā balki ham par jin ko Allāh ne pahle se chun liyā thā tāki ham us ke gawāh hoṅ. Ham ne us ke jī uṭhne ke bād us ke sāth khāne-pīne kī rifāqat bhī rakhī.
Acts UrduGeoR 10:42  Us waqt us ne hameṅ hukm diyā ki munādī karke qaum ko gawāhī do ki Īsā wuhī hai jise Allāh ne zindoṅ aur murdoṅ par munsif muqarrar kiyā hai.
Acts UrduGeoR 10:43  Tamām nabī us kī gawāhī dete haiṅ ki jo bhī us par īmān lāe use us ke nām ke wasīle se gunāhoṅ kī muāfī mil jāegī.”
Acts UrduGeoR 10:44  Patras abhī yih bāt kar hī rahā thā ki tamām sunane wāloṅ par Rūhul-quds nāzil huā.
Acts UrduGeoR 10:45  Jo Yahūdī īmāndār Patras ke sāth āe the wuh hakkā-bakkā rah gae ki Rūhul-quds kī nemat Ġhairyahūdiyoṅ par bhī unḍelī gaī hai,
Acts UrduGeoR 10:46  kyoṅki unhoṅ ne dekhā ki wuh ġhairzabāneṅ bol rahe aur Allāh kī tamjīd kar rahe haiṅ. Tab Patras ne kahā,
Acts UrduGeoR 10:47  “Ab kaun in ko baptismā lene se rok saktā hai? Inheṅ to hamārī tarah Rūhul-quds hāsil huā hai.”
Acts UrduGeoR 10:48  Aur us ne hukm diyā ki unheṅ Īsā Masīh ke nām se baptismā diyā jāe. Is ke bād unhoṅ ne Patras se guzārish kī ki kuchh din hamāre pās ṭhahreṅ.
Chapter 11
Acts UrduGeoR 11:1  Yih ḳhabar rasūloṅ aur Yahūdiyā ke bāqī bhāiyoṅ tak pahuṅchī ki Ġhairyahūdiyoṅ ne bhī Allāh kā kalām qabūl kiyā hai.
Acts UrduGeoR 11:2  Chunāṅche jab Patras Yarūshalam wāpas āyā to Yahūdī īmāndār us par etarāz karne lage,
Acts UrduGeoR 11:3  “Āp Ġhairyahūdiyoṅ ke ghar meṅ gae aur un ke sāth khānā bhī khāyā.”
Acts UrduGeoR 11:4  Phir Patras ne un ke sāmne tartīb se sab kuchh bayān kiyā jo huā thā.
Acts UrduGeoR 11:5  “Maiṅ Yāfā Shahr meṅ duā kar rahā thā ki wajd kī hālat meṅ ā kar royā dekhī. Āsmān se ek chīz zamīn par utar rahī hai, katān kī baṛī chādar jaisī jo apne chāroṅ konoṅ se utārī jā rahī hai. Utartī utartī wuh mujh tak pahuṅch gaī.
Acts UrduGeoR 11:6  Jab maiṅ ne ġhaur se dekhā to patā chalā ki us meṅ tamām qism ke jānwar haiṅ: chār pāṅw wāle, reṅgne wāle aur parinde.
Acts UrduGeoR 11:7  Phir ek āwāz mujh se muḳhātib huī, ‘Patras, uṭh. Kuchh zabah karke khā!’
Acts UrduGeoR 11:8  Maiṅ ne etarāz kiyā, ‘Hargiz nahīṅ, Ḳhudāwand, maiṅ ne kabhī bhī harām yā nāpāk khānā nahīṅ khāyā.’
Acts UrduGeoR 11:9  Lekin yih āwāz dubārā mujh se hamkalām huī, ‘Jo kuchh Allāh ne pāk kar diyā hai use nāpāk qarār na de.’
Acts UrduGeoR 11:10  Tīn martabā aisā huā, phir chādar ko jānwaroṅ samet wāpas āsmān par uṭhā liyā gayā.
Acts UrduGeoR 11:11  Usī waqt tīn ādmī us ghar ke sāmne ruk gae jahāṅ maiṅ ṭhahrā huā thā. Unheṅ Qaisariyā se mere pās bhejā gayā thā.
Acts UrduGeoR 11:12  Rūhul-quds ne mujhe batāyā ki maiṅ baġhair jhijke un ke sāth chalā jāūṅ. Yih mere chhih bhāī bhī mere sāth gae. Ham rawānā ho kar us ādmī ke ghar meṅ dāḳhil hue jis ne mujhe bulāyā thā.
Acts UrduGeoR 11:13  Us ne hameṅ batāyā ki ek farishtā ghar meṅ us par zāhir huā thā jis ne use kahā thā, ‘Kisī ko Yāfā bhej kar Shamāūn ko bulā lo jo Patras kahlātā hai.
Acts UrduGeoR 11:14  Us ke pās wuh paiġhām hai jis ke zariye tum apne pūre gharāne samet najāt pāoge.’
Acts UrduGeoR 11:15  Jab maiṅ wahāṅ bolne lagā to Rūhul-quds un par nāzil huā, bilkul usī tarah jis tarah wuh shurū meṅ ham par huā thā.
Acts UrduGeoR 11:16  Phir mujhe wuh bāt yād āī jo Ḳhudāwand ne kahī thī, ‘Yahyā ne tum ko pānī se baptismā diyā, lekin tumheṅ Rūhul-quds se baptismā diyā jāegā.’
Acts UrduGeoR 11:17  Allāh ne unheṅ wuhī nemat dī jo us ne hameṅ bhī dī thī jo Ḳhudāwand Īsā Masīh par īmān lāe the. To phir maiṅ kaun thā ki Allāh ko roktā?”
Acts UrduGeoR 11:18  Patras kī yih bāteṅ sun kar Yarūshalam ke īmāndār etarāz karne se bāz āe aur Allāh kī tamjīd karne lage. Unhoṅ ne kahā, “To is kā matlab hai ki Allāh ne Ġhairyahūdiyoṅ ko bhī taubā karne aur abadī zindagī pāne kā mauqā diyā hai.”
Acts UrduGeoR 11:19  Jo īmāndār Stifanus kī maut ke bād kī īzārasānī se bikhar gae the wuh Fenīke, Qubrus aur Antākiyā tak pahuṅch gae. Jahāṅ bhī wuh jāte wahāṅ Allāh kā paiġhām sunāte albattā sirf Yahūdiyoṅ ko.
Acts UrduGeoR 11:20  Lekin un meṅ se Kuren aur Qubrus ke kuchh ādmī Antākiyā Shahr jā kar Yūnāniyoṅ ko bhī Ḳhudāwand Īsā ke bāre meṅ ḳhushḳhabrī sunāne lage.
Acts UrduGeoR 11:21  Ḳhudāwand kī qudrat un ke sāth thī, aur bahut-se logoṅ ne īmān lā kar Ḳhudāwand kī taraf rujū kiyā.
Acts UrduGeoR 11:22  Is kī ḳhabar Yarūshalam kī jamāt tak pahuṅch gaī to unhoṅ ne Barnabās ko Antākiyā bhej diyā.
Acts UrduGeoR 11:23  Jab wuh wahāṅ pahuṅchā aur dekhā ki Allāh ke fazl se kyā kuchh huā hai to wuh ḳhush huā. Us ne un sab kī hauslā-afzāī kī ki wuh pūrī lagan se Ḳhudāwand ke sāth lipṭe raheṅ.
Acts UrduGeoR 11:24  Barnabās nek ādmī thā jo Rūhul-quds aur īmān se māmūr thā. Chunāṅche us waqt bahut-se log Ḳhudāwand kī jamāt meṅ shāmil hue.
Acts UrduGeoR 11:25  Is ke bād wuh Sāūl kī talāsh meṅ Tarsus chalā gayā.
Acts UrduGeoR 11:26  Jab use milā to wuh use Antākiyā le āyā. Wahāṅ wuh donoṅ ek pūre sāl tak jamāt meṅ shāmil hote aur bahut-se logoṅ ko sikhāte rahe. Antākiyā pahlā maqām thā jahāṅ īmāndār Masīhī kahlāne lage.
Acts UrduGeoR 11:27  Un dinoṅ kuchh nabī Yarūshalam se ā kar Antākiyā pahuṅch gae.
Acts UrduGeoR 11:28  Ek kā nām Agabus thā. Wuh khaṛā huā aur Rūhul-quds kī mārifat peshgoī kī ki Rom kī pūrī mamlakat meṅ saḳht kāl paṛegā. (Yih bāt us waqt pūrī huī jab shahanshāh Klaudiyus kī hukūmat thī.)
Acts UrduGeoR 11:29  Agabus kī bāt sun kar Antākiyā ke shāgirdoṅ ne faislā kiyā ki ham meṅ se har ek apnī mālī gunjāish ke mutābiq kuchh de tāki use Yahūdiyā meṅ rahne wāle bhāiyoṅ kī imdād ke lie bhejā jā sake.
Acts UrduGeoR 11:30  Unhoṅ ne apne is hadiye ko Barnabās aur Sāūl ke sapurd karke wahāṅ ke buzurgoṅ ko bhej diyā.
Chapter 12
Acts UrduGeoR 12:1  Un dinoṅ meṅ bādshāh Herodes Agrippā jamāt ke kuchh īmāndāroṅ ko giriftār karke un se badsulūkī karne lagā.
Acts UrduGeoR 12:2  Is silsile meṅ us ne Yāqūb rasūl (Yūhannā ke bhāī) ko talwār se qatl karwāyā.
Acts UrduGeoR 12:3  Jab us ne dekhā ki yih harkat Yahūdiyoṅ ko pasand āī hai to us ne Patras ko bhī giriftār kar liyā. Us waqt Beḳhamīrī Roṭī kī Īd manāī jā rahī thī.
Acts UrduGeoR 12:4  Us ne use jel meṅ ḍāl kar chār dastoṅ ke hawāle kar diyā ki us kī pahrādārī kareṅ. (Har daste meṅ chār faujī the.) Ḳhayāl thā ki īd ke bād hī Patras ko awām ke sāmne khaṛā karke us kī adālat kī jāe.
Acts UrduGeoR 12:5  Yoṅ Patras qaidḳhāne meṅ rahā. Lekin īmāndāroṅ kī jamāt lagātār us ke lie duā kartī rahī.
Acts UrduGeoR 12:6  Phir adālat kā din qarīb ā gayā. Patras rāt ke waqt so rahā thā. Agle din Herodes use pesh karnā chāhtā thā. Patras do faujiyoṅ ke darmiyān leṭā huā thā jo do zanjīroṅ se us ke sāth bandhe hue the. Dīgar faujī darwāze ke sāmne pahrā de rahe the.
Acts UrduGeoR 12:7  Achānak ek tez raushnī koṭhaṛī meṅ chamak uṭhī aur Rab kā ek farishtā Patras ke sāmne ā khaṛā huā. Us ne us ke pahlū ko jhaṭkā de kar use jagā diyā aur kahā, “Jaldī karo! Uṭho!” Tab Patras kī kalāiyoṅ par kī zanjīreṅ gir gaīṅ.
Acts UrduGeoR 12:8  Phir farishte ne use batāyā, “Apne kapṛe aur jūte pahan lo.” Patras ne aisā hī kiyā. Farishte ne kahā, “Ab apnī chādar oṛh kar mere pīchhe ho lo.”
Acts UrduGeoR 12:9  Chunāṅche Patras koṭhaṛī se nikal kar farishte ke pīchhe ho liyā agarche use ab tak samajh nahīṅ āī thī ki jo kuchh ho rahā hai haqīqī hai. Us kā ḳhayāl thā ki maiṅ royā dekh rahā hūṅ.
Acts UrduGeoR 12:10  Donoṅ pahle pahre se guzar gae. Phir dūsre se aur yoṅ shahr meṅ pahuṅchāne wāle lohe ke geṭ ke pās āe. Yih ḳhud baḳhud khul gayā aur wuh donoṅ nikal kar ek galī meṅ chalne lage. Chalte chalte farishte ne achānak Patras ko chhoṛ diyā.
Acts UrduGeoR 12:11  Phir Patras hosh meṅ ā gayā. Us ne kahā, “Wāqaī, Ḳhudāwand ne apne farishte ko mere pās bhej kar mujhe Herodes ke hāth se bachāyā hai. Ab Yahūdī qaum kī tawaqqo pūrī nahīṅ hogī.”
Acts UrduGeoR 12:12  Jab yih bāt use samajh āī to wuh Yūhannā Marqus kī māṅ Mariyam ke ghar chalā gayā. Wahāṅ bahut-se afrād jamā ho kar duā kar rahe the.
Acts UrduGeoR 12:13  Patras ne geṭ khaṭkhaṭāyā to ek naukarānī deḳhne ke lie āī. Us kā nām rudī thā.
Acts UrduGeoR 12:14  Jab us ne Patras kī āwāz pahchān lī to wuh ḳhushī ke māre geṭ ko kholne ke bajāe dauṛ kar andar chalī gaī aur batāyā, “Patras geṭ par khaṛe haiṅ!”
Acts UrduGeoR 12:15  Hāzirīn ne kahā, “Hosh meṅ āo!” Lekin wuh apnī bāt par aṛī rahī. Phir unhoṅ ne kahā, “Yih us kā farishtā hogā.”
Acts UrduGeoR 12:16  Ab tak Patras bāhar khaṛā khaṭkhaṭā rahā thā. Chunāṅche unhoṅ ne geṭ ko khol diyā. Patras ko dekh kar wuh hairān rah gae.
Acts UrduGeoR 12:17  Lekin us ne apne hāth se ḳhāmosh rahne kā ishārā kiyā aur unheṅ sārā wāqiyā sunāyā ki Ḳhudāwand mujhe kis tarah jel se nikāl lāyā hai. “Yāqūb aur bāqī bhāiyoṅ ko bhī yih batānā,” yih kah kar wuh kahīṅ aur chalā gayā.
Acts UrduGeoR 12:18  Aglī subah jel ke faujiyoṅ meṅ baṛī halchal mach gaī ki Patras kā kyā huā hai.
Acts UrduGeoR 12:19  Jab Herodes ne use ḍhūnḍā aur na pāyā to us ne pahredāroṅ kā bayān le kar unheṅ sazā-e-maut de dī. Is ke bād wuh Yahūdiyā se chalā gayā aur Qaisariyā meṅ rahne lagā.
Acts UrduGeoR 12:20  Us waqt wuh Sūr aur Saidā ke bāshindoṅ se nihāyat nārāz thā. Is lie donoṅ shahroṅ ke numāinde mil kar sulah kī darḳhāst karne ke lie us ke pās āe. Wajah yih thī ki un kī ḳhurāk Herodes ke mulk se hāsil hotī thī. Unhoṅ ne bādshāh ke mahal ke inchārj blastus ko is par āmādā kiyā ki wuh un kī madad kare
Acts UrduGeoR 12:21  aur bādshāh se milne kā din muqarrar kiyā. Jab wuh din āyā to Herodes apnā shāhī libās pahan kar taḳht par baiṭh gayā aur ek alāniyā taqrīr kī.
Acts UrduGeoR 12:22  Awām ne nāre lagā lagā kar pukārā, “Yih Allāh kī āwāz hai, insān kī nahīṅ.”
Acts UrduGeoR 12:23  Wuh abhī yih kah rahe the ki Rab ke farishte ne Herodes ko mārā, kyoṅki us ne logoṅ kī parastish qabūl karke Allāh ko jalāl nahīṅ diyā thā. Wuh bīmār huā aur kīṛoṅ ne us ke jism ko khā khā kar ḳhatm kar diyā. Isī hālat meṅ wuh mar gayā.
Acts UrduGeoR 12:24  Lekin Allāh kā kalām baṛhtā aur phailtā gayā.
Acts UrduGeoR 12:25  Itne meṅ Barnabās aur Sāūl Antākiyā kā hadiyā le kar Yarūshalam pahuṅch chuke the. Unhoṅ ne paise wahāṅ ke buzurgoṅ ke sapurd kar die aur phir Yūhannā Marqus ko sāth le kar wāpas chale gae.
Chapter 13
Acts UrduGeoR 13:1  Antākiyā kī jamāt meṅ kaī nabī aur ustād the: Barnabās, Shamāūn jo Kālā kahlātā thā, Lūkiyus Kurenī, Manāhem jis ne bādshāh Herodes Antipās ke sāth parwarish pāī thī aur Sāūl.
Acts UrduGeoR 13:2  Ek din jab wuh rozā rakh kar Ḳhudāwand kī parastish kar rahe the to Rūhul-quds un se hamkalām huā, “Barnabās aur Sāūl ko us ḳhās kām ke lie alag karo jis ke lie maiṅ ne unheṅ bulāyā hai.”
Acts UrduGeoR 13:3  Is par unhoṅ ne mazīd roze rakhe aur duā kī, phir un par apne hāth rakh kar unheṅ ruḳhsat kar diyā.
Acts UrduGeoR 13:4  Yoṅ Barnabās aur Sāūl ko Rūhul-quds kī taraf se bhejā gayā. Pahle wuh sāhilī shahr Salūkiyā gae aur wahāṅ jahāz meṅ baiṭh kar Jazīrā-e-Qubrus ke lie rawānā hue.
Acts UrduGeoR 13:5  Jab wuh Salamīs Shahr pahuṅche to unhoṅ ne Yahūdiyoṅ ke ibādatḳhānoṅ meṅ jā kar Allāh kā kalām sunāyā. Yūhannā Marqus madadgār ke taur par un ke sāth thā.
Acts UrduGeoR 13:6  Pūre jazīre meṅ se safr karte karte wuh Pāfus Shahr tak pahuṅch gae. Wahāṅ un kī mulāqāt ek Yahūdī jādūgar se huī jis kā nām Bar-īsā thā. Wuh jhūṭā nabī thā
Acts UrduGeoR 13:7  aur jazīre ke gawarnar Sirgiyus Paulus kī ḳhidmat ke lie hāzir rahtā thā. Sirgiyus ek samajhdār ādmī thā. Us ne Barnabās aur Sāūl ko apne pās bulā liyā kyoṅki wuh Allāh kā kalām sunane kā ḳhāhishmand thā.
Acts UrduGeoR 13:8  Lekin jādūgar Ilīmās (Bar-īsā kā dūsrā nām) ne un kī muḳhālafat karke gawarnar ko īmān se bāz rakhne kī koshish kī.
Acts UrduGeoR 13:9  Phir Sāūl jo Paulus bhī kahlātā hai Rūhul-quds se māmūr huā aur ġhaur se us kī taraf deḳhne lagā.
Acts UrduGeoR 13:10  Us ne kahā, “Iblīs ke farzand! Tū har qism ke dhoke aur badī se bharā huā hai aur har insāf kā dushman hai. Kyā tū Ḳhudāwand kī sīdhī rāhoṅ ko bigāṛne kī koshish se bāz na āegā?
Acts UrduGeoR 13:11  Ab Ḳhudāwand tujhe sazā degā. Tū andhā ho kar kuchh der ke lie sūraj kī raushnī nahīṅ dekhegā.” Usī lamhe dhund aur tārīkī jādūgar par chhā gaī aur wuh ṭaṭol ṭaṭol kar kisī ko talāsh karne lagā jo us kī rāhnumāī kare.
Acts UrduGeoR 13:12  Yih mājarā dekh kar gawarnar īmān lāyā, kyoṅki Ḳhudāwand kī tālīm ne use hairatzadā kar diyā thā.
Acts UrduGeoR 13:13  Phir Paulus aur us ke sāthī jahāz par sawār hue aur Pāfus se rawānā ho kar Pirgā Shahr pahuṅch gae jo Pamfīliyā meṅ hai. Wahāṅ Yūhannā Marqus unheṅ chhoṛ kar Yarūshalam wāpas chalā gayā.
Acts UrduGeoR 13:14  Lekin Paulus aur Barnabās āge nikal kar Pisidiyā meṅ wāqe shahr Antākiyā pahuṅche jahāṅ wuh Sabat ke din Yahūdī ibādatḳhāne meṅ jā kar baiṭh gae.
Acts UrduGeoR 13:15  Tauret aur nabiyoṅ ke sahīfoṅ kī tilāwat ke bād ibādatḳhāne ke rāhnumāoṅ ne unheṅ kahlā bhejā, “Bhāiyo, agar āp ke pās logoṅ ke lie koī nasīhat kī bāt hai to use pesh kareṅ.”
Acts UrduGeoR 13:16  Paulus khaṛā huā aur hāth kā ishārā karke bolne lagā, “Isrāīl ke mardo aur ḳhudātars Ġhairyahūdiyo, merī bāt suneṅ!
Acts UrduGeoR 13:17  Is qaum Isrāīl ke Ḳhudā ne hamāre bāpdādā ko chun kar unheṅ Misr meṅ hī tāqatwar banā diyā jahāṅ wuh ajnabī the. Phir wuh unheṅ baṛī qudrat ke sāth wahāṅ se nikāl lāyā.
Acts UrduGeoR 13:18  Jab wuh registān meṅ phir rahe the to wuh chālīs sāl tak unheṅ bardāsht kartā rahā.
Acts UrduGeoR 13:19  Is ke bād us ne Mulk-e-Kanān meṅ sāt qaumoṅ ko tabāh karke un kī zamīn Isrāīl ko wirse meṅ dī.
Acts UrduGeoR 13:20  Itne meṅ taqrīban 450 sāl guzar gae. Yashua kī maut par Allāh ne unheṅ Samuel Nabī ke daur tak qāzī die tāki un kī rāhnumāī kareṅ.
Acts UrduGeoR 13:21  Phir in se tang ā kar unhoṅ ne bādshāh māṅgā, is lie us ne unheṅ Sāūl bin Qīs de diyā jo Binyamīn ke qabīle kā thā. Sāūl chālīs sāl tak un kā bādshāh rahā,
Acts UrduGeoR 13:22  phir Allāh ne use haṭā kar Dāūd ko taḳht par biṭhā diyā. Dāūd wuhī ādmī hai jis ke bāre meṅ Allāh ne gawāhī dī, ‘Maiṅ ne Dāūd bin Yassī meṅ ek aisā ādmī pāyā hai jo merī soch rakhtā hai. Jo kuchh bhī maiṅ chāhtā hūṅ use wuh karegā.’
Acts UrduGeoR 13:23  Isī bādshāh kī aulād meṅ se Īsā niklā jis kā wādā Allāh kar chukā thā aur jise us ne Isrāīl ko najāt dene ke lie bhej diyā.
Acts UrduGeoR 13:24  Us ke āne se peshtar Yahyā baptismā dene wāle ne elān kiyā ki Isrāīl kī pūrī qaum ko taubā karke baptismā lene kī zarūrat hai.
Acts UrduGeoR 13:25  Apnī ḳhidmat ke iḳhtitām par us ne kahā, ‘Tumhāre nazdīk maiṅ kaun hūṅ? Maiṅ wuh nahīṅ hūṅ jo tum samajhte ho. Lekin mere bād wuh ā rahā hai jis ke jūtoṅ ke tasme maiṅ kholne ke lāyq bhī nahīṅ hūṅ.’
Acts UrduGeoR 13:26  Bhāiyo, Ibrāhīm ke farzando aur Ḳhudā kā ḳhauf mānane wāle Ġhairyahūdiyo! Najāt kā paiġhām hameṅ hī bhej diyā gayā hai.
Acts UrduGeoR 13:27  Yarūshalam ke rahne wāloṅ aur un ke rāhnumāoṅ ne Īsā ko na pahchānā balki use mujrim ṭhahrāyā. Yoṅ un kī mārifat nabiyoṅ kī wuh peshgoiyāṅ pūrī huīṅ jin kī tilāwat har Sabat ko kī jātī hai.
Acts UrduGeoR 13:28  Aur agarche unheṅ sazā-e-maut dene kī wajah na milī to bhī unhoṅ ne Pīlātus se guzārish kī ki wuh use sazā-e-maut de.
Acts UrduGeoR 13:29  Jab un kī mārifat Īsā ke bāre meṅ tamām peshgoiyāṅ pūrī huīṅ to unhoṅ ne use salīb se utār kar qabr meṅ rakh diyā.
Acts UrduGeoR 13:30  Lekin Allāh ne use murdoṅ meṅ se zindā kar diyā
Acts UrduGeoR 13:31  aur wuh bahut dinoṅ tak apne un pairokāroṅ par zāhir hotā rahā jo us ke sāth Galīl se Yarūshalam āe the. Yih ab hamārī qaum ke sāmne us ke gawāh haiṅ.
Acts UrduGeoR 13:32  Aur ab ham āp ko yih ḳhushḳhabrī sunāne āe haiṅ ki jo wādā Allāh ne hamāre bāpdādā ke sāth kiyā,
Acts UrduGeoR 13:33  use us ne Īsā ko zindā karke hamāre lie jo un kī aulād haiṅ pūrā kar diyā hai. Yoṅ dūsre zabūr meṅ likhā hai, ‘Tū merā Farzand hai, āj maiṅ terā Bāp ban gayā hūṅ.’
Acts UrduGeoR 13:34  Is haqīqat kā zikr bhī kalām-e-muqaddas meṅ kiyā gayā hai ki Allāh use murdoṅ meṅ se zindā karke kabhī galne-saṛne nahīṅ degā: ‘Maiṅ tumheṅ un muqaddas aur anmiṭ mehrbāniyoṅ se nawāzūṅgā jin kā wādā Dāūd se kiyā thā.’
Acts UrduGeoR 13:35  Yih bāt ek aur hawāle meṅ pesh kī gaī hai, ‘Tū apne muqaddas ko galne-saṛne kī naubat tak pahuṅchne nahīṅ degā.’
Acts UrduGeoR 13:36  Is hawāle kā tālluq Dāūd ke sāth nahīṅ hai, kyoṅki Dāūd apne zamāne meṅ Allāh kī marzī kī ḳhidmat karne ke bād faut ho kar apne bāpdādā se jā milā. Us kī lāsh gal kar ḳhatm ho gaī.
Acts UrduGeoR 13:37  Balki yih hawālā kisī aur kā zikr kartā hai, us kā jise Allāh ne zindā kar diyā aur jis kā jism galne-saṛne se dochār na huā.
Acts UrduGeoR 13:38  Bhāiyo, ab merī yih bāt jān leṅ, ham is kī munādī karne āe haiṅ ki āp ko is shaḳhs Īsā ke wasīle se apne gunāhoṅ kī muāfī miltī hai. Mūsā kī sharīat āp ko kisī tarah bhī rāstbāz qarār nahīṅ de saktī thī,
Acts UrduGeoR 13:39  lekin ab jo bhī Īsā par īmān lāe use har lihāz se rāstbāz qarār diyā jātā hai.
Acts UrduGeoR 13:40  Is lie ḳhabardār! Aisā na ho ki wuh bāt āp par pūrī utre jo nabiyoṅ ke sahīfoṅ meṅ likhī hai,
Acts UrduGeoR 13:41  ‘Ġhaur karo, mazāq uṛāne wālo! Hairatzadā ho kar halāk ho jāo. Kyoṅki maiṅ tumhāre jīte-jī ek aisā kām karūṅga jis kī jab ḳhabar sunoge to tumheṅ yaqīn nahīṅ āegā.’”
Acts UrduGeoR 13:42  Jab Paulus aur Barnabās ibādatḳhāne se nikalne lage to logoṅ ne un se guzārish kī, “Agle Sabat hameṅ in bātoṅ ke bāre meṅ mazīd kuchh batāeṅ.”
Acts UrduGeoR 13:43  Ibādat ke bād bahut-se Yahūdī aur Yahūdī īmān ke naumurīd Paulus aur Barnabās ke pīchhe ho lie, aur donoṅ ne un se bāt karke un kī hauslā-afzāī kī ki Allāh ke fazl par qāym raheṅ.
Acts UrduGeoR 13:44  Agle Sabat ke din taqrīban tamām shahr Ḳhudāwand kā kalām sunane ko jamā huā.
Acts UrduGeoR 13:45  Lekin jab Yahūdiyoṅ ne hujūm ko dekhā to wuh hasad se jal gae aur Paulus kī bātoṅ kī tardīd karke kufr bakne lage.
Acts UrduGeoR 13:46  Is par Paulus aur Barnabās ne un se sāf sāf kah diyā, “Lāzim thā ki Allāh kā kalām pahle āp ko sunāyā jāe. Lekin chūṅki āp use mustarad karke apne āp ko abadī zindagī ke lāyq nahīṅ samajhte is lie ham ab Ġhairyahūdiyoṅ kī taraf ruḳh karte haiṅ.
Acts UrduGeoR 13:47  Kyoṅki Ḳhudāwand ne hameṅ yihī hukm diyā jab us ne farmāyā, ‘Maiṅ ne tujhe dīgar aqwām kī raushnī banā dī hai tāki tū merī najāt ko duniyā kī intahā tak pahuṅchāe.’”
Acts UrduGeoR 13:48  Yih sun kar Ġhairyahūdī ḳhush hue aur Ḳhudāwand ke kalām kī tamjīd karne lage. Aur jitne abadī zindagī ke lie muqarrar kie gae the wuh īmān lāe.
Acts UrduGeoR 13:49  Yoṅ Ḳhudāwand kā kalām pūre ilāqe meṅ phail gayā.
Acts UrduGeoR 13:50  Phir Yahūdiyoṅ ne shahr ke līḍaroṅ aur Yahūdī īmān rakhne wālī kuchh bārasūḳh Ġhairyahūdī ḳhawātīn ko uksā kar logoṅ ko Paulus aur Barnabās ko satāne par ubhārā. Āḳhirkār unheṅ shahr kī sarhaddoṅ se nikāl diyā gayā.
Acts UrduGeoR 13:51  Is par wuh un ke ḳhilāf gawāhī ke taur par apne jūtoṅ se gard jhāṛ kar āge baṛhe aur Ikuniyum Shahr pahuṅch gae.
Acts UrduGeoR 13:52  Aur Antākiyā ke shāgird ḳhushī aur Rūhul-quds se bhare rahe.
Chapter 14
Acts UrduGeoR 14:1  Ikuniyum meṅ Paulus aur Barnabās Yahūdī ibādatḳhāne meṅ jā kar itne iḳhtiyār se bole ki Yahūdiyoṅ aur Ġhairyahūdiyoṅ kī baṛī tādād īmān le āī.
Acts UrduGeoR 14:2  Lekin jin Yahūdiyoṅ ne īmān lāne se inkār kiyā unhoṅ ne Ġhairyahūdiyoṅ ko uksā kar bhāiyoṅ ke bāre meṅ un ke ḳhayālāt ḳharāb kar die.
Acts UrduGeoR 14:3  To bhī rasūl kāfī der tak wahāṅ ṭhahre. Unhoṅ ne dilerī se Ḳhudāwand ke bāre meṅ tālīm dī aur Ḳhudāwand ne apne fazl ke paiġhām kī tasdīq kī. Us ne un ke hāthoṅ ilāhī nishān aur mojize rūnumā hone die.
Acts UrduGeoR 14:4  Lekin shahr meṅ ābād log do gurohoṅ meṅ baṭ gae. Kuchh Yahūdiyoṅ ke haq meṅ the aur kuchh rasūloṅ ke haq meṅ.
Acts UrduGeoR 14:5  Phir kuchh Ġhairyahūdiyoṅ aur Yahūdiyoṅ meṅ josh ā gayā. Unhoṅ ne apne līḍaroṅ samet faislā kiyā ki ham Paulus aur Barnabās kī tazlīl karke unheṅ sangsār kareṅge.
Acts UrduGeoR 14:6  Lekin jab rasūloṅ ko patā chalā to wuh hijrat karke lukāuniyā ke shahroṅ Lustrā, Dirbe aur irdgird ke ilāqe meṅ
Acts UrduGeoR 14:8  Lustrā meṅ Paulus aur Barnabās kī mulāqāt ek ādmī se huī jis ke pāṅwoṅ meṅ tāqat nahīṅ thī. Wuh paidāish hī se langaṛā thā aur kabhī bhī chal-phir na sakā thā. Wuh wahāṅ baiṭhā
Acts UrduGeoR 14:9  un kī bāteṅ sun rahā thā ki Paulus ne ġhaur se us kī taraf dekhā. Us ne jān liyā ki us ādmī meṅ rihāī pāne ke lāyq īmān hai.
Acts UrduGeoR 14:10  Is lie wuh ūṅchī āwāz se bolā, “Apne pāṅwoṅ par khaṛe ho jāeṅ!” Wuh uchhal kar khaṛā huā aur chalne-phirne lagā.
Acts UrduGeoR 14:11  Paulus kā yih kām dekh kar hujūm apnī maqāmī zabān meṅ chillā uṭhā, “In ādmiyoṅ kī shakl meṅ dewatā hamāre pās utar āe haiṅ.”
Acts UrduGeoR 14:12  Unhoṅ ne Barnabās ko Yūnānī dewatā Ziyūs qarār diyā aur Paulus ko dewatā Hirmes, kyoṅki kalām sunāne kī ḳhidmat zyādātar wuh anjām detā thā.
Acts UrduGeoR 14:13  Is par shahr se bāhar wāqe Ziyūs ke mandir kā pujārī shahr ke darwāze par bail aur phūloṅ ke hār le āyā aur hujūm ke sāth qurbāniyāṅ chaṛhāne kī taiyāriyāṅ karne lagā.
Acts UrduGeoR 14:14  Yih sun kar Barnabās aur Sāūl rasūl apne kapṛoṅ ko phāṛ kar hujūm meṅ jā ghuse aur chillāne lage,
Acts UrduGeoR 14:15  “Mardo, yih āp kyā kar rahe haiṅ? Ham bhī āp jaise insān haiṅ. Ham to āp ko Allāh kī yih ḳhushḳhabrī sunāne āe haiṅ ki āp in bekār chīzoṅ ko chhoṛ kar zindā Ḳhudā kī taraf rujū farmāeṅ jis ne āsmān-o-zamīn, samundar aur jo kuchh un meṅ hai paidā kiyā hai.
Acts UrduGeoR 14:16  Māzī meṅ us ne tamām Ġhairyahūdī qaumoṅ ko khulā chhoṛ diyā thā ki wuh apnī apnī rāh par chaleṅ.
Acts UrduGeoR 14:17  To bhī us ne aisī chīzeṅ āp ke pās rahne dī haiṅ jo us kī gawāhī detī haiṅ. Us kī mehrbānī is se zāhir hotī hai ki wuh āp ko bārish bhej kar har mausam kī fasleṅ muhaiyā kartā hai aur āp ser ho kar ḳhushī se bhar jāte haiṅ.”
Acts UrduGeoR 14:18  In alfāz ke bāwujūd Paulus aur Barnabās ne baṛī mushkil se hujūm ko unheṅ qurbāniyāṅ chaṛhāne se rokā.
Acts UrduGeoR 14:19  Phir kuchh Yahūdī Pisidiyā ke Antākiyā aur Ikuniyum se wahāṅ āe aur hujūm ko apnī taraf māyl kiyā. Unhoṅ ne Paulus ko sangsār kiyā aur shahr se bāhar ghasīṭ kar le gae. Un kā ḳhayāl thā ki wuh mar gayā hai,
Acts UrduGeoR 14:20  lekin jab shāgird us ke gird jamā hue to wuh uṭh kar shahr kī taraf wāpas chal paṛā. Agle din wuh Barnabās samet Dirbe chalā gayā.
Acts UrduGeoR 14:21  Dirbe meṅ unhoṅ ne Allāh kī ḳhushḳhabrī sunā kar bahut-se shāgird banāe. Phir wuh muṛ kar Lustrā, Ikuniyum aur Pisidiyā ke Antākiyā wāpas āe.
Acts UrduGeoR 14:22  Har jagah unhoṅ ne shāgirdoṅ ke dil mazbūt karke un kī hauslā-afzāī kī ki wuh īmān meṅ sābitqadam raheṅ. Unhoṅ ne kahā, “Lāzim hai ki ham bahut-sī musībatoṅ meṅ se guzar kar Allāh kī bādshāhī meṅ dāḳhil hoṅ.”
Acts UrduGeoR 14:23  Paulus aur Barnabās ne har jamāt meṅ buzurg bhī muqarrar kie. Unhoṅ ne roze rakh kar duā kī aur unheṅ us Ḳhudāwand ke sapurd kiyā jis par wuh īmān lāe the.
Acts UrduGeoR 14:24  Yoṅ Pisidiyā ke ilāqe meṅ se safr karte karte wuh Pamfīliyā pahuṅche.
Acts UrduGeoR 14:25  Unhoṅ ne Pirgā meṅ kalām-e-muqaddas sunāyā aur phir utar kar Attaliyā pahuṅche.
Acts UrduGeoR 14:26  Wahāṅ se wuh jahāz meṅ baiṭh kar Shām ke shahr Antākiyā ke lie rawānā hue, us shahr ke lie jahāṅ īmāndāroṅ ne unheṅ is tablīġhī safr ke lie Allāh ke fazl ke sapurd kiyā thā. Yoṅ unhoṅ ne apnī is ḳhidmat ko pūrā kiyā.
Acts UrduGeoR 14:27  Antākiyā pahuṅch kar unhoṅ ne īmāndāroṅ ko jamā karke un tamām kāmoṅ kā bayān kiyā jo Allāh ne un ke wasīle se kie the. Sāth sāth unhoṅ ne yih bhī batāyā ki Allāh ne kis tarah Ġhairyahūdiyoṅ ke lie bhī īmān kā darwāzā khol diyā hai.
Acts UrduGeoR 14:28  Aur wuh kāfī der tak wahāṅ ke shāgirdoṅ ke pās ṭhahre rahe.
Chapter 15
Acts UrduGeoR 15:1  Us waqt kuchh ādmī Yahūdiyā se ā kar Shām ke Antākiyā meṅ bhāiyoṅ ko yih tālīm dene lage, “Lāzim hai ki āp kā Mūsā kī sharīat ke mutābiq ḳhatnā kiyā jāe, warnā āp najāt nahīṅ pā sakeṅge.”
Acts UrduGeoR 15:2  Is se un ke aur Barnabās aur Paulus ke darmiyān nā-ittafāqī paidā ho gaī aur donoṅ un ke sāth ḳhūb bahs-mubāhasā karne lage. Āḳhirkār jamāt ne Paulus aur Barnabās ko muqarrar kiyā ki wuh chand ek aur maqāmī īmāndāroṅ ke sāth Yarūshalam jāeṅ aur wahāṅ ke rasūloṅ aur buzurgoṅ ko yih muāmalā pesh kareṅ.
Acts UrduGeoR 15:3  Chunāṅche jamāt ne unheṅ rawānā kiyā aur wuh Fenīke aur Sāmariya meṅ se guzare. Rāste meṅ unhoṅ ne maqāmī īmāndāroṅ ko tafsīl se batāyā ki Ġhairyahūdī kis tarah Ḳhudāwand kī taraf rujū lā rahe haiṅ. Yih sun kar tamām bhāī nihāyat ḳhush hue.
Acts UrduGeoR 15:4  Jab wuh Yarūshalam pahuṅch gae to jamāt ne apne rasūloṅ aur buzurgoṅ samet un kā istiqbāl kiyā. Phir Paulus aur Barnabās ne sab kuchh bayān kiyā jo un kī mārifat huā thā.
Acts UrduGeoR 15:5  Yih sun kar kuchh īmāndār khaṛe hue jo Farīsī firqe meṅ se the. Unhoṅ ne kahā, “Lāzim hai ki Ġhairyahūdiyoṅ kā ḳhatnā kiyā jāe aur unheṅ hukm diyā jāe ki wuh Mūsā kī sharīat ke mutābiq zindagī guzāreṅ.”
Acts UrduGeoR 15:6  Rasūl aur buzurg is muāmale par ġhaur karne ke lie jamā hue.
Acts UrduGeoR 15:7  Bahut bahs-mubāhasā ke bād Patras khaṛā huā aur kahā, “Bhāiyo, āp jānte haiṅ ki Allāh ne bahut der huī āp meṅ se mujhe chun liyā ki Ġhairyahūdiyoṅ ko Allāh kī ḳhushḳhabrī sunāūṅ tāki wuh īmān lāeṅ.
Acts UrduGeoR 15:8  Aur Allāh ne jo diloṅ ko jāntā hai is bāt kī tasdīq kī hai, kyoṅki us ne unheṅ wuhī Rūhul-quds baḳhshā hai jo us ne hameṅ bhī diyā thā.
Acts UrduGeoR 15:9  Us ne ham meṅ aur un meṅ koī bhī farq na rakhā balki īmān se un ke diloṅ ko bhī pāk kar diyā.
Acts UrduGeoR 15:10  Chunāṅche āp Allāh ko is meṅ kyoṅ āzmā rahe haiṅ ki āp Ġhairyahūdī shāgirdoṅ kī gardan par ek aisā juā rakhnā chāhte haiṅ jo na ham aur na hamāre bāpdādā uṭhā sakte the?
Acts UrduGeoR 15:11  Dekheṅ, ham to īmān rakhte haiṅ ki ham sab ek hī tarīqe yānī Ḳhudāwand Īsā ke fazl hī se najāt pāte haiṅ.”
Acts UrduGeoR 15:12  Tamām log chup rahe to Paulus aur Barnabās unheṅ un ilāhī nishānoṅ aur mojizoṅ ke bāre meṅ batāne lage jo Allāh ne un kī mārifat Ġhairyahūdiyoṅ ke darmiyān kie the.
Acts UrduGeoR 15:13  Jab un kī bāt ḳhatm huī to Yāqūb ne kahā, “Bhāiyo, merī bāt suneṅ!
Acts UrduGeoR 15:14  Shamāūn ne bayān kiyā hai ki Allāh ne kis tarah pahlā qadam uṭhā kar Ġhairyahūdiyoṅ par apnī fikrmandī kā izhār kiyā aur un meṅ se apne lie ek qaum chun lī.
Acts UrduGeoR 15:15  Aur yih bāt nabiyoṅ kī peshgoiyoṅ ke bhī mutābiq hai. Chunāṅche likhā hai,
Acts UrduGeoR 15:16  ‘Is ke bād maiṅ wāpas ā kar Dāūd ke tabāhshudā ghar ko nae sire se tāmīr karūṅga, maiṅ us ke khanḍarāt dubārā tāmīr karke bahāl karūṅga
Acts UrduGeoR 15:17  tāki logoṅ kā bachā-khuchā hissā aur wuh tamām qaumeṅ mujhe ḍhūnḍeṅ jin par mere nām kā ṭhappā lagā hai. Yih Rab kā farmān hai, aur wuh yih karegā bhī’
Acts UrduGeoR 15:19  Yihī pesh-e-nazar rakh kar merī rāy yih hai ki ham un Ġhairyahūdiyoṅ ko jo Allāh kī taraf rujū kar rahe haiṅ ġhairzarūrī taklīf na deṅ.
Acts UrduGeoR 15:20  Is ke bajāe behtar yih hai ki ham unheṅ likh kar hidāyat deṅ ki wuh in chīzoṅ se parhez kareṅ: aise khānoṅ se jo butoṅ ko pesh kie jāne se nāpāk haiṅ, zinākārī se, aise jānwaroṅ kā gosht khāne se jinheṅ galā ghūṅṭ kar mār diyā gayā ho aur ḳhūn khāne se.
Acts UrduGeoR 15:21  Kyoṅki Mūswī sharīat kī munādī karne wāle kaī nasloṅ se har shahr meṅ rah rahe haiṅ. Jis shahr meṅ bhī jāeṅ har Sabat ke din sharīat kī tilāwat kī jātī hai.”
Acts UrduGeoR 15:22  Phir rasūloṅ aur buzurgoṅ ne pūrī jamāt samet faislā kiyā ki ham apne meṅ se kuchh ādmī chun kar Paulus aur Barnabās ke hamrāh Shām ke shahr Antākiyā bhej deṅ. Do ko chunā gayā jo bhāiyoṅ meṅ rāhnumā the, Yahūdāh Barsabbā aur Sīlās.
Acts UrduGeoR 15:23  Un ke hāth unhoṅ ne yih ḳhat bhejā, “Yarūshalam ke rasūloṅ aur buzurgoṅ kī taraf se jo āp ke bhāī haiṅ. Azīz Ġhairyahūdī bhāiyo jo Antākiyā, Shām aur Kilikiyā meṅ rahte haiṅ, assalāmu alaikum!
Acts UrduGeoR 15:24  Sunā hai ki ham meṅ se kuchh logoṅ ne āp ke pās ā kar āp ko pareshān karke bechain kar diyā hai, hālāṅki ham ne unheṅ nahīṅ bhejā thā.
Acts UrduGeoR 15:25  Is lie ham sab is par muttafiq hue ki kuchh ādmiyoṅ ko chun kar apne pyāre bhāiyoṅ Barnabās aur Paulus ke hamrāh āp ke pās bhejeṅ.
Acts UrduGeoR 15:26  Barnabās aur Paulus aise log haiṅ jinhoṅ ne hamāre Ḳhudāwand Īsā Masīh kī ḳhātir apnī jān ḳhatre meṅ ḍāl dī hai.
Acts UrduGeoR 15:27  Un ke sāthī Yahūdāh aur Sīlās haiṅ jin ko ham ne is lie bhejā ki wuh zabānī bhī un bātoṅ kī tasdīq kareṅ jo ham ne likhī haiṅ.
Acts UrduGeoR 15:28  Ham aur Rūhul-quds is par muttafiq hue haiṅ ki āp par siwāe in zarūrī bātoṅ ke koī bojh na ḍāleṅ:
Acts UrduGeoR 15:29  Butoṅ ko pesh kiyā gayā khānā mat khānā, ḳhūn mat khānā, aise jānwaroṅ kā gosht mat khānā jo galā ghūṅṭ kar mār die gae hoṅ. Is ke alāwā zinākārī na kareṅ. In chīzoṅ se bāz raheṅge to achchhā kareṅge. Ḳhudā hāfiz.”
Acts UrduGeoR 15:30  Paulus, Barnabās aur un ke sāthī ruḳhsat ho kar Antākiyā chale gae. Wahāṅ pahuṅch kar unhoṅ ne jamāt ikaṭṭhī karke use ḳhat de diyā.
Acts UrduGeoR 15:31  Use paṛh kar īmāndār us ke hauslā-afzā paiġhām par ḳhush hue.
Acts UrduGeoR 15:32  Yahūdāh aur Sīlās ne bhī jo ḳhud nabī the bhāiyoṅ kī hauslā-afzāī aur mazbūtī ke lie kāfī bāteṅ kīṅ.
Acts UrduGeoR 15:33  Wuh kuchh der ke lie wahāṅ ṭhahre, phir maqāmī bhāiyoṅ ne unheṅ salāmatī se alwidā kahā tāki wuh bhejne wāloṅ ke pās wāpas jā sakeṅ.
Acts UrduGeoR 15:34  [Lekin Sīlās ko wahāṅ ṭhaharnā achchhā lagā.]
Acts UrduGeoR 15:35  Paulus aur Barnabās ḳhud kuchh aur der Antākiyā meṅ rahe. Wahāṅ wuh bahut-se aur logoṅ ke sāth Ḳhudāwand ke kalām kī tālīm dete aur us kī munādī karte rahe.
Acts UrduGeoR 15:36  Kuchh dinoṅ ke bād Paulus ne Barnabās se kahā, “Āo, ham muṛ kar un tamām shahroṅ meṅ jāeṅ jahāṅ ham ne Ḳhudāwand ke kalām kī munādī kī hai aur wahāṅ ke bhāiyoṅ se mulāqāt karke un kā hāl mālūm kareṅ.”
Acts UrduGeoR 15:37  Barnabās muttafiq ho kar Yūhannā Marqus ko sāth le jānā chāhtā thā,
Acts UrduGeoR 15:38  lekin Paulus ne isrār kiyā ki wuh sāth na jāe, kyoṅki Yūhannā Marqus pahle daure ke daurān hī Pamfīliyā meṅ unheṅ chhoṛ kar un ke sāth ḳhidmat karne se bāz āyā thā.
Acts UrduGeoR 15:39  Is se un meṅ itnā saḳht iḳhtilāf paidā huā ki wuh ek dūsre se judā ho gae. Barnabās Yūhannā Marqus ko sāth le kar jahāz meṅ baiṭh gayā aur Qubrus chalā gayā,
Acts UrduGeoR 15:40  jabki Paulus ne Sīlās ko ḳhidmat ke lie chun liyā. Maqāmī bhāiyoṅ ne unheṅ Ḳhudāwand ke fazl ke sapurd kiyā aur wuh rawānā hue.
Acts UrduGeoR 15:41  Yoṅ Paulus jamātoṅ ko mazbūt karte karte Shām aur Kilikiyā meṅ se guzarā.
Chapter 16
Acts UrduGeoR 16:1  Chalte chalte wuh Dirbe pahuṅchā, phir Lustrā. Wahāṅ ek shāgird banām Tīmuthiyus rahtā thā. Us kī Yahūdī māṅ īmān lāī thī jabki bāp Yūnānī thā.
Acts UrduGeoR 16:2  Lustrā aur Ikuniyum ke bhāiyoṅ ne us kī achchhī riporṭ dī,
Acts UrduGeoR 16:3  is lie Paulus use safr par apne sāth le jānā chāhtā thā. Us ilāqe ke Yahūdiyoṅ kā lihāz karke us ne Tīmuthiyus kā ḳhatnā karwāyā, kyoṅki sab log is se wāqif the ki us kā bāp Yūnānī hai.
Acts UrduGeoR 16:4  Phir shahr bashahr jā kar unhoṅ ne maqāmī jamātoṅ ko Yarūshalam ke rasūloṅ aur buzurgoṅ ke wuh faisle pahuṅchāe jin ke mutābiq zindagī guzārnī thī.
Acts UrduGeoR 16:5  Yoṅ jamāteṅ īmān meṅ mazbūt huīṅ aur tādād meṅ roz baroz baṛhtī gaīṅ.
Acts UrduGeoR 16:6  Rūhul-quds ne unheṅ sūbā Āsiyā meṅ kalām-e-muqaddas kī munādī karne se rok liyā, is lie wuh Farūgiyā aur Galatiyā ke ilāqe meṅ se guzare.
Acts UrduGeoR 16:7  Mūsiyā ke qarīb ā kar unhoṅ ne shimāl kī taraf sūbā Bithuniyā meṅ dāḳhil hone kī koshish kī. Lekin Īsā ke Rūh ne unheṅ wahāṅ bhī jāne na diyā,
Acts UrduGeoR 16:8  is lie wuh Mūsiyā meṅ se guzar kar bandargāh Troās pahuṅche.
Acts UrduGeoR 16:9  Wahāṅ Paulus ne rāt ke waqt royā dekhī jis meṅ shimālī Yūnān meṅ wāqe sūbā Makiduniyā kā ek ādmī khaṛā us se iltamās kar rahā thā, “Samundar ko pār karke Makiduniyā āeṅ aur hamārī madad kareṅ!”
Acts UrduGeoR 16:10  Jyoṅ hī us ne yih royā dekhī ham Makiduniyā jāne kī taiyāriyāṅ karne lage. Kyoṅki ham ne royā se yih natījā nikālā ki Allāh ne hameṅ us ilāqe ke logoṅ ko ḳhushḳhabrī sunāne ke lie bulāyā hai.
Acts UrduGeoR 16:11  Ham Troās meṅ jahāz par sawār ho kar sīdhe Jazīrā-e-Samutrāke ke lie rawānā hue. Phir agle din āge nikal kar Nayāpulis pahuṅche.
Acts UrduGeoR 16:12  Wahāṅ jahāz se utar kar ham Filippī chale gae. Jo sūbā Makiduniyā ke us zile kā sadr shahr thā aur Romī nauābādī thā. Is shahr meṅ ham kuchh din ṭhahre.
Acts UrduGeoR 16:13  Sabat ke din ham shahr se nikal kar dariyā ke kināre gae. Jahāṅ hamārī tawaqqo thī ki Yahūdī duā ke lie jamā hoṅge. Wahāṅ ham baiṭh kar kuchh ḳhawātīn se bāt karne lage jo ikaṭṭhī huī thīṅ.
Acts UrduGeoR 16:14  Un meṅ se Thuātīrā Shahr kī ek aurat thī jis kā nām Ludiyā thā. Us kā peshā qīmtī arġhawānī rang ke kapṛe kī tijārat thā aur wuh Allāh kī parastish karne wālī Ġhairyahūdī thī. Ḳhudāwand ne us ke dil ko khol diyā, aur us ne Paulus kī bātoṅ par tawajjuh dī.
Acts UrduGeoR 16:15  Us ke aur us ke ghar wāloṅ ke baptismā lene ke bād us ne hameṅ apne ghar meṅ ṭhaharne kī dāwat dī. Us ne kahā, “Agar āp samajhte haiṅ ki maiṅ wāqaī Ḳhudāwand par īmān lāī hūṅ to mere ghar ā kar ṭhahreṅ.” Yoṅ us ne hameṅ majbūr kiyā.
Acts UrduGeoR 16:16  Ek din ham duā kī jagah kī taraf jā rahe the ki hamārī mulāqāt ek launḍī se huī jo ek badrūh ke zariye logoṅ kī qismat kā hāl batātī thī. Is se wuh apne mālikoṅ ke lie bahut-se paise kamātī thī.
Acts UrduGeoR 16:17  Wuh Paulus aur hamāre pīchhe paṛ kar chīḳh chīḳh kar kahne lagī, “Yih ādmī Allāh T'ālā ke ḳhādim haiṅ jo āp ko najāt kī rāh batāne āe haiṅ.”
Acts UrduGeoR 16:18  Yih silsilā roz baroz jārī rahā. Āḳhirkār Paulus tang ā kar muṛā aur badrūh se kahā, “Maiṅ tujhe Īsā Masīh ke nām se hukm detā hūṅ ki laṛkī meṅ se nikal jā!” Usī lamhe wuh nikal gaī.
Acts UrduGeoR 16:19  Us ke mālikoṅ ko mālūm huā ki paise kamāne kī ummīd jātī rahī to wuh Paulus aur Sīlās ko pakaṛ kar chauk meṅ baiṭhe iqtidār rakhne wāloṅ ke sāmne ghasīṭ le gae.
Acts UrduGeoR 16:20  Unheṅ majisṭreṭoṅ ke sāmne pesh karke wuh chillāne lage, “Yih ādmī hamāre shahr meṅ halchal paidā kar rahe haiṅ. Yih Yahūdī haiṅ
Acts UrduGeoR 16:21  aur aise rasm-o-riwāj kā prachār kar rahe haiṅ jinheṅ qabūl karnā aur adā karnā ham Romiyoṅ ke lie jāyz nahīṅ.”
Acts UrduGeoR 16:22  Hujūm bhī ā milā aur Paulus aur Sīlās ke ḳhilāf bāteṅ karne lagā. Is par majisṭreṭoṅ ne hukm diyā ki un ke kapṛe utāre aur unheṅ lāṭhī se mārā jāe.
Acts UrduGeoR 16:23  Unhoṅ ne un kī ḳhūb piṭāī karwā kar unheṅ qaidḳhāne meṅ ḍāl diyā aur dāroġhe se kahā ki ehtiyāt se un kī pahrādārī karo.
Acts UrduGeoR 16:24  Chunāṅche us ne unheṅ jel ke sab se andarūnī hisse meṅ le jā kar un ke pāṅw kāṭh meṅ ḍāl die.
Acts UrduGeoR 16:25  Ab aisā huā ki Paulus aur Sīlās ādhī rāt ke qarīb duā kar rahe aur Allāh kī tamjīd ke gīt gā rahe the aur bāqī qaidī sun rahe the.
Acts UrduGeoR 16:26  Achānak baṛā zalzalā āyā aur qaidḳhāne kī pūrī imārat buniyādoṅ tak hil gaī. Fauran tamām darwāze khul gae aur tamām qaidiyoṅ kī zanjīreṅ khul gaīṅ.
Acts UrduGeoR 16:27  Dāroġhā jāg uṭhā. Jab us ne dekhā ki jel ke darwāze khule haiṅ to wuh apnī talwār nikāl kar ḳhudkushī karne lagā, kyoṅki aisā lag rahā thā ki qaidī farār ho gae haiṅ.
Acts UrduGeoR 16:28  Lekin Paulus chillā uṭhā, “Mat kareṅ! Apne āp ko nuqsān na pahuṅchāeṅ. Ham sab yihīṅ haiṅ.”
Acts UrduGeoR 16:29  Dāroġhe ne charāġh mangwā liyā aur bhāg kar andar āyā. Larazte larazte wuh Paulus aur Sīlās ke sāmne gir gayā.
Acts UrduGeoR 16:30  Phir unheṅ bāhar le jā kar us ne pūchhā, “Sāhibo, mujhe najāt pāne ke lie kyā karnā hai?”
Acts UrduGeoR 16:31  Unhoṅ ne jawāb diyā, “Ḳhudāwand Īsā par īmān lāeṅ to āp aur āp ke gharāne ko najāt milegī.”
Acts UrduGeoR 16:32  Phir unhoṅ ne use aur us ke tamām ghar wāloṅ ko Ḳhudāwand kā kalām sunāyā.
Acts UrduGeoR 16:33  Aur rāt kī usī ghaṛī dāroġhe ne unheṅ le jā kar un ke zaḳhmoṅ ko dhoyā. Is ke bād us kā aur us ke sāre ghar wāloṅ kā baptismā huā.
Acts UrduGeoR 16:34  Phir us ne unheṅ apne ghar meṅ lā kar khānā khilāyā. Allāh par īmān lāne ke bāis us ne aur us ke tamām ghar wāloṅ ne baṛī ḳhushī manāī.
Acts UrduGeoR 16:35  Jab din chaṛhā to majisṭreṭoṅ ne apne afsaroṅ ko dāroġhe ke pās bhijwā diyā ki wuh Paulus aur Sīlās ko rihā kare.
Acts UrduGeoR 16:36  Chunāṅche dāroġhe ne Paulus ko un kā paiġhām pahuṅchā diyā, “Majisṭreṭoṅ ne hukm diyā hai ki āp aur Sīlās ko rihā kar diyā jāe. Ab nikal kar salāmatī se chale jāeṅ.”
Acts UrduGeoR 16:37  Lekin Paulus ne etarāz kiyā. Us ne un se kahā, “Unhoṅ ne hameṅ awām ke sāmne hī aur adālat meṅ pesh kie baġhair mār kar jel meṅ ḍāl diyā hai hālāṅki ham Romī shahrī haiṅ. Aur ab wuh hameṅ chupke se nikālnā chāhte haiṅ? Hargiz nahīṅ! Ab wuh ḳhud āeṅ aur hameṅ bāhar le jāeṅ.”
Acts UrduGeoR 16:38  Afsaroṅ ne majisṭreṭoṅ ko yih ḳhabar pahuṅchāī. Jab unheṅ mālūm huā ki Paulus aur Sīlās Romī shahrī haiṅ to wuh ghabrā gae.
Acts UrduGeoR 16:39  Wuh ḳhud unheṅ samjhāne ke lie āe aur jel se bāhar lā kar guzārish kī ki shahr ko chhoṛ deṅ.
Acts UrduGeoR 16:40  Chunāṅche Paulus aur Sīlās jel se nikal āe. Lekin pahle wuh Ludiyā ke ghar gae jahāṅ wuh bhāiyoṅ se mile aur un kī hauslā-afzāī kī. Phir wuh chale gae.
Chapter 17
Acts UrduGeoR 17:1  Amfipulis aur Apulloniyā se ho kar Paulus aur Sīlās Thissalunīke Shahr pahuṅch gae jahāṅ Yahūdī ibādatḳhānā thā.
Acts UrduGeoR 17:2  Apnī ādat ke mutābiq Paulus us meṅ gayā aur lagātār tīn Sabatoṅ ke daurān kalām-e-muqaddas se dalāyl de de kar Yahūdiyoṅ ko qāyl karne kī koshish kartā rahā.
Acts UrduGeoR 17:3  Us ne kalām-e-muqaddas kī tashrīh karke sābit kiyā ki Masīh kā dukh uṭhānā aur murdoṅ meṅ se jī uṭhnā lāzim thā. Us ne kahā, “Jis Īsā kī maiṅ ḳhabar de rahā hūṅ, wuhī Masīh hai.”
Acts UrduGeoR 17:4  Yahūdiyoṅ meṅ se kuchh qāyl ho kar Paulus aur Sīlās se wābastā ho gae. Jin meṅ ḳhudātars Yūnāniyoṅ kī baṛī tādād aur bārasūḳh ḳhawātīn bhī sharīk thīṅ.
Acts UrduGeoR 17:5  Yih dekh kar bāqī Yahūdī hasad karne lage. Unhoṅ ne galiyoṅ meṅ āwārā phirne wāle kuchh sharīr ādmī ikaṭṭhe karke julūs nikālā aur shahr meṅ halchal machā dī. Phir Yāson ke ghar par hamlā karke unhoṅ ne Paulus aur Sīlās ko ḍhūnḍā tāki unheṅ awāmī ijlās ke sāmne pesh kareṅ.
Acts UrduGeoR 17:6  Lekin wuh wahāṅ nahīṅ the, is lie wuh Yāson aur chand ek aur īmāndār bhāiyoṅ ko shahr ke majisṭreṭoṅ ke sāmne lāe. Unhoṅ ne chīḳh kar kahā, “Yih log pūrī duniyā meṅ gaṛbaṛ paidā kar rahe haiṅ aur ab yahāṅ bhī ā gae haiṅ.
Acts UrduGeoR 17:7  Yāson ne unheṅ apne ghar meṅ ṭhahrāyā hai. Yih sab shahanshāh ke ahkām kī ḳhilāfwarzī kar rahe haiṅ, kyoṅki yih kisī aur ko bādshāh mānte haiṅ jis kā nām Īsā hai.”
Acts UrduGeoR 17:8  Is tarah kī bātoṅ se unhoṅ ne hujūm aur majisṭreṭoṅ meṅ baṛā hangāmā paidā kiyā.
Acts UrduGeoR 17:9  Chunāṅche majisṭreṭoṅ ne Yāson aur dūsroṅ se zamānat lī aur phir unheṅ chhoṛ diyā.
Acts UrduGeoR 17:10  Usī rāt bhāiyoṅ ne Paulus aur Sīlās ko Beriyā bhej diyā. Wahāṅ pahuṅch kar wuh Yahūdī ibādatḳhāne meṅ gae.
Acts UrduGeoR 17:11  Yih log Thissalunīke ke Yahūdiyoṅ kī nisbat zyādā khule zahan ke the. Yih baṛe shauq se Paulus aur Sīlās kī bāteṅ sunte aur roz baroz kalām-e-muqaddas kī taftīsh karte rahe ki kyā wāqaī aisā hai jaisā hameṅ batāyā jā rahā hai?
Acts UrduGeoR 17:12  Natīje meṅ in meṅ se bahut-se Yahūdī īmān lāe aur sāth sāth bahut-sī bārasūḳh Yūnānī ḳhawātīn aur mard bhī.
Acts UrduGeoR 17:13  Lekin phir Thissalunīke ke Yahūdiyoṅ ko yih ḳhabar milī ki Paulus Beriyā meṅ Allāh kā kalām sunā rahā hai. Wuh wahāṅ bhī pahuṅche aur logoṅ ko uksā kar halchal machā dī.
Acts UrduGeoR 17:14  Is par bhāiyoṅ ne Paulus ko fauran sāhil par bhej diyā, lekin Sīlās aur Tīmuthiyus Beriyā meṅ pīchhe rah gae.
Acts UrduGeoR 17:15  Jo ādmī Paulus ko sāhil tak pahuṅchāne āe the wuh us ke sāth Athene tak gae. Wahāṅ wuh use chhoṛ kar wāpas chale gae. Un ke hāth Paulus ne Sīlās aur Tīmuthiyus ko ḳhabar bhejī ki jitnī jaldī ho sake Beriyā ko chhoṛ kar mere pās ā jāeṅ.
Acts UrduGeoR 17:16  Athene Shahr meṅ Sīlās aur Tīmuthiyus kā intazār karte karte Paulus baṛe josh meṅ ā gayā, kyoṅki us ne dekhā ki pūrā shahr butoṅ se bharā huā hai.
Acts UrduGeoR 17:17  Wuh Yahūdī ibādatḳhāne meṅ jā kar Yahūdiyoṅ aur ḳhudātars Ġhairyahūdiyoṅ se bahs karne lagā. Sāth sāth wuh rozānā chauk meṅ bhī jā kar wahāṅ par maujūd logoṅ se guftgū kartā rahā.
Acts UrduGeoR 17:18  Ipikūrī aur Stoikī falsafī bhī us se bahs karne lage. Jab Paulus ne unheṅ Īsā aur us ke jī uṭhne kī ḳhushḳhabrī sunāī to bāz ne pūchhā, “Yih bakwāsī in bātoṅ se kyā kahnā chāhtā hai jo is ne idhar-udhar se chun kar joṛ dī haiṅ?” Dūsroṅ ne kahā, “Lagtā hai ki wuh ajnabī dewatāoṅ kī ḳhabar de rahā hai.”
Acts UrduGeoR 17:19  Wuh use sāth le kar shahr kī majlis-e-shūrā meṅ gae jo Ariyopagus nāmī pahāṛī par mun'aqid hotī thī. Unhoṅ ne darḳhāst kī, “Kyā hameṅ mālūm ho saktā hai ki āp kaun-sī naī tālīm pesh kar rahe haiṅ?
Acts UrduGeoR 17:20  Āp to hameṅ ajīb-o-ġharīb bāteṅ sunā rahe haiṅ. Ab ham un kā sahīh matlab jānanā chāhte haiṅ.”
Acts UrduGeoR 17:21  (Bāt yih thī ki Athene ke tamām bāshinde shahr meṅ rahne wāle pardesiyoṅ samet apnā pūrā waqt is meṅ sarf karte the ki tāzā tāzā ḳhayālāt suneṅ yā sunāeṅ.)
Acts UrduGeoR 17:22  Paulus majlis meṅ khaṛā huā aur kahā, “Athene ke hazarāt, maiṅ deḳhtā hūṅ ki āp har lihāz se bahut mazhabī log haiṅ.
Acts UrduGeoR 17:23  Kyoṅki jab maiṅ shahr meṅ se guzar rahā thā to un chīzoṅ par ġhaur kiyā jin kī pūjā āp karte haiṅ. Chalte chalte maiṅ ne ek aisī qurbāngāh bhī dekhī jis par likhā thā, ‘Nāmālūm Ḳhudā kī qurbāngāh.’ Ab maiṅ āp ko us Ḳhudā kī ḳhabar detā hūṅ jis kī pūjā āp karte to haiṅ magar āp use jānte nahīṅ.
Acts UrduGeoR 17:24  Yih wuh Ḳhudā hai jis ne duniyā aur us meṅ maujūd har chīz kī taḳhlīq kī. Wuh āsmān-o-zamīn kā mālik hai, is lie wuh insānī hāthoṅ ke banāe hue mandiroṅ meṅ sukūnat nahīṅ kartā.
Acts UrduGeoR 17:25  Aur insānī hāth us kī ḳhidmat nahīṅ kar sakte, kyoṅki use koī bhī chīz darkār nahīṅ hotī. Is ke bajāe wuhī sab ko zindagī aur sāṅs muhaiyā karke un kī tamām zarūriyāt pūrī kartā hai.
Acts UrduGeoR 17:26  Usī ne ek shaḳhs ko ḳhalaq kiyā tāki duniyā kī tamām qaumeṅ us se nikal kar pūrī duniyā meṅ phail jāeṅ. Us ne har qaum ke auqāt aur sarhaddeṅ bhī muqarrar kīṅ.
Acts UrduGeoR 17:27  Maqsad yih thā ki wuh Ḳhudā ko talāsh kareṅ. Ummīd yih thī ki wuh ṭaṭol ṭaṭol kar use pāeṅ, agarche wuh ham meṅ se kisī se dūr nahīṅ hotā.
Acts UrduGeoR 17:28  Kyoṅki us meṅ ham jīte, harkat karte aur wujūd rakhte haiṅ. Āp ke apne kuchh shāyroṅ ne bhī farmāyā hai, ‘Ham bhī us ke farzand haiṅ.’
Acts UrduGeoR 17:29  Ab chūṅki ham Allāh ke farzand haiṅ is lie hamārā us ke bāre meṅ tasawwur yih nahīṅ honā chāhie ki wuh sone, chāṅdī yā patthar kā koī mujassamā ho jo insān kī mahārat aur ḍizāyn se banāyā gayā ho.
Acts UrduGeoR 17:30  Māzī meṅ Ḳhudā ne is qism kī jahālat ko nazarandāz kiyā, lekin ab wuh har jagah ke logoṅ ko taubā kā hukm detā hai.
Acts UrduGeoR 17:31  Kyoṅki us ne ek din muqarrar kiyā hai jab wuh insāf se duniyā kī adālat karegā. Aur wuh yih adālat ek shaḳhs kī mārifat karegā jis ko wuh muta'ayyin kar chukā hai aur jis kī tasdīq us ne is se kī hai ki us ne use murdoṅ meṅ se zindā kar diyā hai.”
Acts UrduGeoR 17:32  Murdoṅ kī qiyāmat kā zikr sun kar bāz ne Paulus kā mazāq uṛāyā. Lekin bāz ne kahā, “Ham kisī aur waqt is ke bāre meṅ āp se mazīd sunanā chāhte haiṅ.”
Acts UrduGeoR 17:34  Kuchh log us se wābastā ho kar īmān le āe. Un meṅ se majlis-e-shūrā kā membar Diyonīsiyus thā aur ek aurat banām Damaris. Kuchh aur bhī the.
Chapter 18
Acts UrduGeoR 18:1  Is ke bād Paulus Athene ko chhoṛ kar Kurinthus Shahr āyā.
Acts UrduGeoR 18:2  Wahāṅ us kī mulāqāt ek Yahūdī se huī jis kā nām Akwilā thā. Wuh Puntus kā rahne wālā thā aur thoṛī der pahle apnī bīwī Priskillā samet Iṭalī se āyā thā. Wajah yih thī ki shahanshāh Klaudiyus ne hukm sādir kiyā thā ki tamām Yahūdī Rom ko chhoṛ kar chale jāeṅ. Un logoṅ ke pās Paulus gayā
Acts UrduGeoR 18:3  aur chūṅki un kā peshā bhī ḳhaime silāī karnā thā is lie wuh un ke ghar ṭhahar kar rozī kamāne lagā.
Acts UrduGeoR 18:4  Sāth sāth us ne har Sabat ko Yahūdī ibādatḳhāne meṅ tālīm de kar Yahūdiyoṅ aur Yūnāniyoṅ ko qāyl karne kī koshish kī.
Acts UrduGeoR 18:5  Jab Sīlās aur Tīmuthiyus Makiduniyā se āe to Paulus apnā pūrā waqt kalām sunāne meṅ sarf karne lagā. Us ne Yahūdiyoṅ ko gawāhī dī ki Īsā kalām-e-muqaddas meṅ bayān kiyā gayā Masīh hai.
Acts UrduGeoR 18:6  Lekin jab wuh us kī muḳhālafat karke us kī tazlīl karne lage to us ne ehtijāj meṅ apne kapṛoṅ se gard jhāṛ kar kahā, “Āp ḳhud apnī halākat ke zimmedār haiṅ, maiṅ bequsūr hūṅ. Ab se maiṅ Ġhairyahūdiyoṅ ke pās jāyā karūṅga.”
Acts UrduGeoR 18:7  Phir wuh wahāṅ se nikal kar ibādatḳhāne ke sāth wāle ghar meṅ gayā. Wahāṅ Titus Yūstus rahtā thā jo Yahūdī nahīṅ thā, lekin Ḳhudā kā ḳhauf māntā thā.
Acts UrduGeoR 18:8  Aur Krispus jo ibādatḳhāne kā rāhnumā thā apne gharāne samet Ḳhudāwand par īmān lāyā. Kurinthus ke bahut sāre aur logoṅ ne bhī jab Paulus kī bāteṅ sunīṅ to īmān lāe aur baptismā liyā.
Acts UrduGeoR 18:9  Ek rāt Ḳhudāwand royā meṅ Paulus se hamkalām huā, “Mat ḍar! Kalām kartā jā aur ḳhāmosh na ho,
Acts UrduGeoR 18:10  kyoṅki maiṅ tere sāth hūṅ. Koī hamlā karke tujhe nuqsān nahīṅ pahuṅchāegā, kyoṅki is shahr meṅ mere bahut-se log haiṅ.”
Acts UrduGeoR 18:11  Phir Paulus mazīd ḍeṛh sāl wahāṅ ṭhahar kar logoṅ ko Allāh kā kalām sikhātā rahā.
Acts UrduGeoR 18:12  Un dinoṅ meṅ jab Galliyo sūbā Aḳhayā kā gawarnar thā to Yahūdī muttahid ho kar Paulus ke ḳhilāf jamā hue aur use adālat meṅ Galliyo ke sāmne lāe.
Acts UrduGeoR 18:13  Unhoṅ ne kahā, “Yih ādmī logoṅ ko aise tarīqe se Allāh kī ibādat karne par uksā rahā hai jo hamārī sharīat ke ḳhilāf hai.”
Acts UrduGeoR 18:14  Paulus jawāb meṅ kuchh kahne ko thā ki Galliyo ḳhud Yahūdiyoṅ se muḳhātib huā, “Suneṅ, Yahūdī mardo! Agar āp kā ilzām koī nāinsāfī yā sangīn jurm hotā to āp kī bāt qābil-e-bardāsht hotī.
Acts UrduGeoR 18:15  Lekin āp kā jhagaṛā mazhabī tālīm, nāmoṅ aur āp kī Yahūdī sharīat se tālluq rakhtā hai, is lie use ḳhud hal kareṅ. Maiṅ is muāmale meṅ faislā karne ke lie taiyār nahīṅ hūṅ.”
Acts UrduGeoR 18:16  Yih kah kar us ne unheṅ adālat se bhagā diyā.
Acts UrduGeoR 18:17  Is par hujūm ne Yahūdī ibādatḳhāne ke rāhnumā Sosthines ko pakaṛ kar adālat ke sāmne us kī piṭāī kī. Lekin Galliyo ne parwā na kī.
Acts UrduGeoR 18:18  Is ke bād bhī Paulus bahut din Kurinthus meṅ rahā. Phir bhāiyoṅ ko ḳhairbād kah kar wuh qarīb ke shahr Kinḳhriyā gayā jahāṅ us ne kisī mannat ke pūre hone par apne sar ke bāl munḍwā die. Is ke bād wuh Priskillā aur Akwilā ke sāth jahāz par sawār ho kar Mulk-e-Shām ke lie rawānā huā.
Acts UrduGeoR 18:19  Pahle wuh Ifisus pahuṅche jahāṅ Paulus ne Priskillā aur Akwilā ko chhoṛ diyā. Wahāṅ bhī us ne Yahūdī ibādatḳhāne meṅ jā kar Yahūdiyoṅ se bahs kī.
Acts UrduGeoR 18:20  Unhoṅ ne us se darḳhāst kī ki mazīd waqt un ke sāth guzāre, lekin us ne inkār kiyā
Acts UrduGeoR 18:21  aur unheṅ ḳhairbād kah kar kahā, “Agar Allāh kī marzī ho to maiṅ āp ke pās wāpas āūṅgā.” Phir wuh jahāz par sawār ho kar Ifisus se rawānā huā.
Acts UrduGeoR 18:22  Safr karte karte wuh Qaisariyā pahuṅch gayā, jahāṅ se wuh Yarūshalam jā kar maqāmī jamāt se milā. Is ke bād wuh Antākiyā wāpas chalā gayā
Acts UrduGeoR 18:23  jahāṅ wuh kuchh der ṭhahrā. Phir āge nikal kar wuh Galatiyā aur Farūgiyā ke ilāqe meṅ se guzarte hue wahāṅ ke tamām īmāndāroṅ ko mazbūt kartā gayā.
Acts UrduGeoR 18:24  Itne meṅ ek fasīh Yahūdī jise kalām-e-muqaddas kā zabardast ilm thā Ifisus pahuṅch gayā thā. Us kā nām Apullos thā. Wuh Misr ke shahr Iskandariyā kā rahne wālā thā.
Acts UrduGeoR 18:25  Use Ḳhudāwand kī rāh ke bāre meṅ tālīm dī gaī thī aur wuh baṛī sargarmī se logoṅ ko Īsā ke bāre meṅ sikhātā rahā. Us kī yih tālīm sahīh thī agarche wuh abhī tak sirf Yahyā kā baptismā jāntā thā.
Acts UrduGeoR 18:26  Ifisus ke Yahūdī ibādatḳhāne meṅ wuh baṛī dilerī se kalām karne lagā. Yih sun kar Priskillā aur Akwilā ne use ek taraf le jā kar us ke sāmne Allāh kī rāh ko mazīd tafsīl se bayān kiyā.
Acts UrduGeoR 18:27  Apullos sūbā Aḳhayā jāne kā ḳhayāl rakhtā thā to Ifisus ke bhāiyoṅ ne us kī hauslā-afzāī kī. Unhoṅ ne wahāṅ ke shāgirdoṅ ko ḳhat likhā ki wuh us kā istiqbāl kareṅ. Jab wuh wahāṅ pahuṅchā to un ke lie baṛī madad kā bāis banā jo Allāh ke fazl se īmān lāe the,
Acts UrduGeoR 18:28  kyoṅki wuh alāniyā mubāhasoṅ meṅ zabardast dalāyl se Yahūdiyoṅ par ġhālib āyā aur kalām-e-muqaddas se sābit kiyā ki Īsā Masīh hai.
Chapter 19
Acts UrduGeoR 19:1  Jab Apullos Kurinthus meṅ ṭhahrā huā thā to Paulus Eshiyā-e-Kūchak ke andarūnī ilāqe meṅ se safr karte karte sāhilī shahr Ifisus meṅ āyā. Wahāṅ use kuchh shāgird mile
Acts UrduGeoR 19:2  jin se us ne pūchhā, “Kyā āp ko īmān lāte waqt Rūhul-quds milā?” Unhoṅ ne jawāb diyā, “Nahīṅ, ham ne to Rūhul-quds kā zikr tak nahīṅ sunā.”
Acts UrduGeoR 19:3  Us ne pūchhā, “To āp ko kaun-sā baptismā diyā gayā?” Unhoṅ ne jawāb diyā, “Yahyā kā.”
Acts UrduGeoR 19:4  Paulus ne kahā, “Yahyā ne baptismā diyā jab logoṅ ne taubā kī. Lekin us ne ḳhud unheṅ batāyā, ‘Mere bād āne wāle par īmān lāo, yānī Īsā par.’”
Acts UrduGeoR 19:5  Yih sun kar unhoṅ ne Ḳhudāwand Īsā ke nām par baptismā liyā.
Acts UrduGeoR 19:6  Aur jab Paulus ne apne hāth un par rakhe to un par Rūhul-quds nāzil huā, aur wuh ġhairzabāneṅ bolne aur nabuwwat karne lage.
Acts UrduGeoR 19:7  In ādmiyoṅ kī kul tādād taqrīban bārah thī.
Acts UrduGeoR 19:8  Paulus Yahūdī ibādatḳhāne meṅ gayā aur tīn mahīne ke daurān Yahūdiyoṅ se dilerī se bāt kartā rahā. Un ke sāth bahs karke us ne unheṅ Allāh kī bādshāhī ke bāre meṅ qāyl karne kī koshish kī.
Acts UrduGeoR 19:9  Lekin kuchh aṛ gae. Wuh Allāh ke tābe na hue balki awām ke sāmne hī Allāh kī rāh ko burā-bhalā kahne lage. Is par Paulus ne unheṅ chhoṛ diyā. Shāgirdoṅ ko bhī alag karke wuh un ke sāth Turannus ke laikchar hāl meṅ jamā huā kartā thā jahāṅ wuh rozānā unheṅ tālīm detā rahā.
Acts UrduGeoR 19:10  Yih silsilā do sāl tak jārī rahā. Yoṅ sūbā Āsiyā ke tamām logoṅ ko Ḳhudāwand kā kalām sunane kā mauqā milā, ḳhāh wuh Yahūdī the yā Yūnānī.
Acts UrduGeoR 19:11  Allāh ne Paulus kī mārifat ġhairmāmūlī mojize kie,
Acts UrduGeoR 19:12  yahāṅ tak ki jab rūmāl yā epran us ke badan se lagāne ke bād marīzoṅ par rakhe jāte to un kī bīmāriyāṅ jātī rahtīṅ aur badrūheṅ nikal jātīṅ.
Acts UrduGeoR 19:13  Wahāṅ kuchh aise Yahūdī bhī the jo jagah jagah jā kar badrūheṅ nikālte the. Ab wuh badrūhoṅ ke bandhan meṅ phaṅse logoṅ par Ḳhudāwand Īsā kā nām istemāl karne kī koshish karke kahne lage, “Maiṅ tujhe us Īsā ke nām se nikalne kā hukm detā hūṅ jis kī munādī Paulus kartā hai.”
Acts UrduGeoR 19:14  Ek Yahūdī rāhnumā imām banām Skiwā ke sāt beṭe aisā karte the.
Acts UrduGeoR 19:15  Lekin ek dafā jab yihī koshish kar rahe the to badrūh ne jawāb diyā, “Īsā ko to maiṅ jāntī hūṅ aur Paulus ko bhī, lekin tum kaun ho?”
Acts UrduGeoR 19:16  Phir wuh ādmī jis meṅ badrūh thī un par jhapaṭ kar sab par ġhālib ā gayā. Us kā un par itnā saḳht hamlā huā ki wuh nange aur zaḳhmī hālat meṅ bhāg kar us ghar se nikal gae.
Acts UrduGeoR 19:17  Is wāqiye kī ḳhabar Ifisus ke tamām rahne wāle Yahūdiyoṅ aur Yūnāniyoṅ meṅ phail gaī. Un par ḳhauf tārī huā aur Ḳhudāwand Īsā ke nām kī tāzīm huī.
Acts UrduGeoR 19:18  Jo īmān lāe the un meṅ se bahuteroṅ ne ā kar alāniyā apne gunāhoṅ kā iqrār kiyā.
Acts UrduGeoR 19:19  Jādūgarī karne wāloṅ kī baṛī tādād ne apnī jādūmantar kī kitābeṅ ikaṭṭhī karke awām ke sāmne jalā dīṅ. Pūrī kitāboṅ kā hisāb kiyā gayā to un kī kul raqam chāṅdī ke pachās hazār sikke thī.
Acts UrduGeoR 19:20  Yoṅ Ḳhudāwand kā kalām zabardast tarīqe se baṛhtā aur zor pakaṛtā gayā.
Acts UrduGeoR 19:21  In wāqiyāt ke bād Paulus ne Makiduniyā aur Aḳhayā meṅ se guzar kar Yarūshalam jāne kā faislā kiyā. Us ne kahā, “Is ke bād lāzim hai ki maiṅ Rom bhī jāūṅ.”
Acts UrduGeoR 19:22  Us ne apne do madadgāroṅ Tīmuthiyus aur Irāstus ko āge Makiduniyā bhej diyā jabki wuh ḳhud mazīd kuchh der ke lie sūbā Āsiyā meṅ ṭhahrā rahā.
Acts UrduGeoR 19:23  Taqrīban us waqt Allāh kī rāh ek shadīd hangāme kā bāis ho gaī.
Acts UrduGeoR 19:24  Yih yoṅ huā, Ifisus meṅ ek chāṅdī kī ashyā banāne wālā rahtā thā jis kā nām Demetriyus thā. Wuh chāṅdī se Artamis dewī ke mandir banwātā thā, aur us ke kām se dastkāroṅ kā kārobār ḳhūb chaltā thā.
Acts UrduGeoR 19:25  Ab us ne is kām se tālluq rakhne wāle dīgar dastkāroṅ ko jamā karke un se kahā, “Hazarāt, āp ko mālūm hai ki hamārī daulat is kārobār par munhasir hai.
Acts UrduGeoR 19:26  Āp ne yih bhī dekh aur sun liyā hai ki is ādmī Paulus ne na sirf Ifisus balki taqrīban pūre sūbā Āsiyā meṅ bahut-se logoṅ ko bhaṭkā kar qāyl kar liyā hai ki hāthoṅ ke bane dewatā haqīqat meṅ dewatā nahīṅ hote.
Acts UrduGeoR 19:27  Na sirf yih ḳhatrā hai ki hamāre kārobār kī badnāmī ho balki yih bhī ki azīm dewī Artamis ke mandir kā asar-o-rasūḳh jātā rahegā, ki Artamis ḳhud jis kī pūjā sūbā Āsiyā aur pūrī duniyā meṅ kī jātī hai apnī azmat kho baiṭhe.”
Acts UrduGeoR 19:28  Yih sun kar wuh taish meṅ ā kar chīḳhne-chillāne lage, “Ifisiyoṅ kī Artamis dewī azīm hai!”
Acts UrduGeoR 19:29  Pūre shahr meṅ halchal mach gaī. Logoṅ ne Paulus ke Makidunī hamsafr Gayus aur Aristarḳhus ko pakaṛ liyā aur mil kar tamāshāgāh meṅ dauṛe āe.
Acts UrduGeoR 19:30  Yih dekh kar Paulus bhī awām ke is ijlās meṅ jānā chāhtā thā, lekin shāgirdoṅ ne use rok liyā.
Acts UrduGeoR 19:31  Isī tarah us ke kuchh dostoṅ ne bhī jo sūbā Āsiyā ke afsar the use ḳhabar bhej kar minnat kī ki wuh na jāe.
Acts UrduGeoR 19:32  Ijlās meṅ baṛī afrā-tafrī thī. Kuchh yih chīḳh rahe the, kuchh wuh. Zyādātar log jamā hone kī wajah jānte bhī na the.
Acts UrduGeoR 19:33  Yahūdiyoṅ ne Sikandar ko āge kar diyā. Sāth sāth hujūm ke kuchh log use hidāyāt dete rahe. Us ne hāth se ḳhāmosh ho jāne kā ishārā kiyā tāki wuh ijlās ke sāmne apnā difā kare.
Acts UrduGeoR 19:34  Lekin jab unhoṅ ne jān liyā ki wuh Yahūdī hai to wuh taqrīban do ghanṭoṅ tak chillā kar nārā lagāte rahe, “Ifisus kī Artamis dewī azīm hai!”
Acts UrduGeoR 19:35  Āḳhirkār baldiyā kā chīf saikraṭarī unheṅ ḳhāmosh karāne meṅ kāmyāb huā. Phir us ne kahā, “Ifisus ke hazarāt, kis ko mālūm nahīṅ ki Ifisus azīm Artamis dewī ke mandir kā muhāfiz hai! Pūrī duniyā jāntī hai ki ham us ke us mujassame ke nigarān haiṅ jo āsmān se gir kar hamāre pās pahuṅch gayā.
Acts UrduGeoR 19:36  Yih haqīqat to nāqābil-e-inkār hai. Chunāṅche lāzim hai ki āp chup-chāp raheṅ aur jaldbāzī na kareṅ.
Acts UrduGeoR 19:37  Āp yih ādmī yahāṅ lāe haiṅ hālāṅki na to wuh mandiroṅ ko lūṭne wāle haiṅ, na unhoṅ ne dewī kī behurmatī kī hai.
Acts UrduGeoR 19:38  Agar Demetriyus aur us ke sāth wāle dastkāroṅ kā kisī par ilzām hai to is ke lie kachahriyāṅ aur gawarnar hote haiṅ. Wahāṅ jā kar wuh ek dūsre se muqaddamā laṛeṅ.
Acts UrduGeoR 19:39  Agar āp mazīd koī muāmalā pesh karnā chāhte haiṅ to use hal karne ke lie qānūnī majlis hotī hai.
Acts UrduGeoR 19:40  Ab ham is ḳhatre meṅ haiṅ ki āj ke wāqiyāt ke bāis ham par fasād kā ilzām lagāyā jāegā. Kyoṅki jab ham se pūchhā jāegā to ham is qism ke betartīb aur nājāyz ijtimā kā koī jawāz pesh nahīṅ kar sakeṅge.”
Acts UrduGeoR 19:41  Yih kah kar us ne ijlās ko barḳhāst kar diyā.
Chapter 20
Acts UrduGeoR 20:1  Jab shahr meṅ afrā-tafrī ḳhatm huī to Paulus ne shāgirdoṅ ko bulā kar un kī hauslā-afzāī kī. Phir wuh unheṅ ḳhairbād kah kar Makiduniyā ke lie rawānā huā.
Acts UrduGeoR 20:2  Wahāṅ pahuṅch kar us ne jagah bajagah jā kar bahut-sī bātoṅ se īmāndāroṅ kī hauslā-afzāī kī. Yoṅ chalte chalte wuh Yūnān pahuṅch gayā
Acts UrduGeoR 20:3  jahāṅ wuh tīn māh tak ṭhahrā. Wuh Mulk-e-Shām ke lie jahāz par sawār hone wālā thā ki patā chalā ki Yahūdiyoṅ ne us ke ḳhilāf sāzish kī hai. Is par us ne Makiduniyā se ho kar wāpas jāne kā faislā kiyā.
Acts UrduGeoR 20:4  Us ke kaī hamsafr the: Beriyā se Purus kā beṭā Sopatrus, Thissalunīke se Aristarḳhus aur Sikundus, Dirbe se Gayus, Tīmuthiyus aur sūbā Āsiyā se Tuḳhikus aur Trufimus.
Acts UrduGeoR 20:5  Yih ādmī āge nikal kar Troās chale gae jahāṅ unhoṅ ne hamārā intazār kiyā.
Acts UrduGeoR 20:6  Beḳhamīrī Roṭī kī Īd ke bād ham Filippī ke qarīb jahāz par sawār hue aur pāṅch din ke bād un ke pās Troās pahuṅch gae. Wahāṅ ham sāt din rahe.
Acts UrduGeoR 20:7  Itwār ko ham Ashā-e-Rabbānī manāne ke lie jamā hue. Paulus logoṅ se bāt karne lagā aur chūṅki wuh agle din rawānā hone wālā thā is lie wuh ādhī rāt tak boltā rahā.
Acts UrduGeoR 20:8  Ūpar kī manzil meṅ jis kamre meṅ ham jamā the wahāṅ bahut-se charāġh jal rahe the.
Acts UrduGeoR 20:9  Ek jawān khiṛkī kī dahlīz par baiṭhā thā. Us kā nām Yūtiḳhus thā. Jyoṅ jyoṅ Paulus kī bāteṅ lambī hotī jā rahī thīṅ us par nīnd ġhālib ātī jā rahī thī. Āḳhirkār wuh gahrī nīnd meṅ tīsrī manzil se zamīn par gir gayā. Jab logoṅ ne nīche pahuṅch kar use zamīn par se uṭhāyā to wuh jāṅ bahaq ho chukā thā.
Acts UrduGeoR 20:10  Lekin Paulus utar kar us par jhuk gayā aur use apne bāzuoṅ meṅ le liyā. Us ne kahā, “Mat ghabrāeṅ, wuh zindā hai.”
Acts UrduGeoR 20:11  Phir wuh wāpas ūpar ā gayā, Ashā-e-Rabbānī manāī aur khānā khāyā. Us ne apnī bāteṅ pau phaṭne tak jārī rakhīṅ, phir rawānā huā.
Acts UrduGeoR 20:12  Aur unhoṅ ne jawān ko zindā hālat meṅ wahāṅ se le kar bahut tasallī pāī.
Acts UrduGeoR 20:13  Ham āge nikal kar Assus ke lie jahāz par sawār hue. Ḳhud Paulus ne intazām karwāyā thā ki wuh paidal jā kar Assus meṅ hamāre jahāz par āegā.
Acts UrduGeoR 20:14  Wahāṅ wuh ham se milā aur ham use jahāz par lā kar Matulene pahuṅche.
Acts UrduGeoR 20:15  Agle din ham ḳhiyus ke jazīre se guzare. Us se agle din ham Sāmus ke jazīre ke qarīb āe. Is ke bād ke din ham Mīletus pahuṅch gae.
Acts UrduGeoR 20:16  Paulus pahle se faislā kar chukā thā ki maiṅ Ifisus meṅ nahīṅ ṭhahrūṅga balki āge niklūṅgā, kyoṅki wuh jaldī meṅ thā. Wuh jahāṅ tak mumkin thā Pantikust kī Īd se pahle pahle Yarūshalam pahuṅchnā chāhtā thā.
Acts UrduGeoR 20:17  Mīletus se Paulus ne Ifisus kī jamāt ke buzurgoṅ ko bulā liyā.
Acts UrduGeoR 20:18  Jab wuh pahuṅche to us ne un se kahā, “Āp jānte haiṅ ki maiṅ sūbā Āsiyā meṅ pahlā qadam uṭhāne se le kar pūrā waqt āp ke sāth kis tarah rahā.
Acts UrduGeoR 20:19  Maiṅ ne baṛī inkisārī se Ḳhudāwand kī ḳhidmat kī hai. Mujhe bahut āṅsū bahāne paṛe aur Yahūdiyoṅ kī sāzishoṅ se mujh par bahut āzmāisheṅ āīṅ.
Acts UrduGeoR 20:20  Maiṅ ne āp ke fāyde kī koī bhī bāt āp se chhupāe na rakhī balki āp ko alāniyā aur ghar ghar jā kar tālīm detā rahā.
Acts UrduGeoR 20:21  Maiṅ ne Yahūdiyoṅ ko Yūnāniyoṅ samet gawāhī dī ki unheṅ taubā karke Allāh kī taraf rujū karne aur hamāre Ḳhudāwand Īsā par īmān lāne kī zarūrat hai.
Acts UrduGeoR 20:22  Aur ab maiṅ Rūhul-quds se bandhā huā Yarūshalam jā rahā hūṅ. Maiṅ nahīṅ jāntā ki mere sāth kyā kuchh hogā,
Acts UrduGeoR 20:23  lekin itnā mujhe mālūm hai ki Rūhul-quds mujhe shahr bashahr is bāt se āgāh kar rahā hai ki mujhe qaid aur musībatoṅ kā sāmnā karnā paṛegā.
Acts UrduGeoR 20:24  Ḳhair, maiṅ apnī zindagī ko kisī tarah bhī aham nahīṅ samajhtā. Aham bāt sirf yih hai ki maiṅ apnā wuh mishan aur zimmedārī pūrī karūṅ jo Ḳhudāwand Īsā ne mere sapurd kī hai. Aur wuh zimmedārī yih hai ki maiṅ logoṅ ko gawāhī de kar yih ḳhushḳhabrī sunāūṅ ki Allāh ne apne fazl se un ke lie kyā kuchh kiyā hai.
Acts UrduGeoR 20:25  Aur ab maiṅ jāntā hūṅ ki āp sab jinheṅ maiṅ ne Allāh kī bādshāhī kā paiġhām sunā diyā hai mujhe is ke bād kabhī nahīṅ dekheṅge.
Acts UrduGeoR 20:26  Is lie maiṅ āj hī āp ko batātā hūṅ ki agar āp meṅ se koī bhī halāk ho jāe to maiṅ bequsūr hūṅ,
Acts UrduGeoR 20:27  kyoṅki maiṅ āp ko Allāh kī pūrī marzī batāne se na jhijkā.
Acts UrduGeoR 20:28  Chunāṅche ḳhabardār rah kar apnā aur us pūre galle kā ḳhayāl rakhnā jis par Rūhul-quds ne āp ko muqarrar kiyā hai. Nigarānoṅ aur charwāhoṅ kī haisiyat se Allāh kī jamāt kī ḳhidmat kareṅ, us jamāt kī jise us ne apne hī Farzand ke ḳhūn se hāsil kiyā hai.
Acts UrduGeoR 20:29  Mujhe mālūm hai ki mere jāne ke bād wahshī bheṛie āp meṅ ghus āeṅge jo galle ko nahīṅ chhoṛeṅge.
Acts UrduGeoR 20:30  Āp ke darmiyān se bhī ādmī uṭh kar sachchāī ko toṛ-maroṛ kar bayān kareṅge tāki shāgirdoṅ ko apne pīchhe lagā leṅ.
Acts UrduGeoR 20:31  Is lie jāgte raheṅ! Yih bāt zahan meṅ rakheṅ ki maiṅ tīn sāl ke daurān din rāt har ek ko samjhāne se bāz na āyā. Mere āṅsuoṅ ko yād rakheṅ jo maiṅ ne āp ke lie bahāe haiṅ.
Acts UrduGeoR 20:32  Aur ab maiṅ āp ko Allāh aur us ke fazl ke kalām ke sapurd kartā hūṅ. Yihī kalām āp kī tāmīr karke āp ko wuh mīrās muhaiyā karne ke qābil hai jo Allāh tamām muqaddas kie gae logoṅ ko detā hai.
Acts UrduGeoR 20:33  Maiṅ ne kisī ke bhī sone, chāṅdī yā kapṛoṅ kā lālach na kiyā.
Acts UrduGeoR 20:34  Āp ḳhud jānte haiṅ ki maiṅ ne apne in hāthoṅ se kām karke na sirf apnī balki apne sāthiyoṅ kī zarūriyāt bhī pūrī kīṅ.
Acts UrduGeoR 20:35  Apne har kām meṅ maiṅ āp ko dikhātā rahā ki lāzim hai ki ham is qism kī mehnat karke kamzoroṅ kī madad kareṅ. Kyoṅki hamāre sāmne Ḳhudāwand Īsā ke yih alfāz hone chāhieṅ ki denā lene se mubārak hai.”
Acts UrduGeoR 20:36  Yih sab kuchh kah kar Paulus ne ghuṭne ṭek kar un sab ke sāth duā kī.
Acts UrduGeoR 20:37  Sab ḳhūb roe aur us ko gale lagā lagā kar bose die.
Acts UrduGeoR 20:38  Unheṅ ḳhāskar Paulus kī is bāt se taklīf huī ki ‘Āp is ke bād mujhe kabhī nahīṅ dekheṅge.’ Phir wuh us ke sāth jahāz tak gae.
Chapter 21
Acts UrduGeoR 21:1  Mushkil se Ifisus ke buzurgoṅ se alag ho kar ham rawānā hue aur sīdhe Jazīrā-e-Kos pahuṅch gae. Agle din ham rudus āe aur wahāṅ se Patarā pahuṅche.
Acts UrduGeoR 21:2  Patarā meṅ Fenīke ke lie jahāz mil gayā to ham us par sawār ho kar rawānā hue.
Acts UrduGeoR 21:3  Jab Qubrus dūr se nazar āyā to ham us ke junūb meṅ se guzar kar Shām ke shahr Sūr pahuṅch gae jahāṅ jahāz ko apnā sāmān utārnā thā.
Acts UrduGeoR 21:4  Jahāz se utar kar ham ne maqāmī shāgirdoṅ ko talāsh kiyā aur sāt din un ke sāth ṭhahre. Un īmāndāroṅ ne Rūhul-quds kī hidāyat se Paulus ko samjhāne kī koshish kī ki wuh Yarūshalam na jāe.
Acts UrduGeoR 21:5  Jab ham ek hafte ke bād jahāz par wāpas chale gae to pūrī jamāt bāl-bachchoṅ samet hamāre sāth shahr se nikal kar sāhil tak āī. Wahīṅ ham ne ghuṭne ṭek kar duā kī
Acts UrduGeoR 21:6  aur ek dūsre ko alwidā kahā. Phir ham dubārā jahāz par sawār hue jabki wuh apne gharoṅ ko lauṭ gae.
Acts UrduGeoR 21:7  Sūr se apnā safr jārī rakh kar ham Patulimayis pahuṅche jahāṅ ham ne maqāmī īmāndāroṅ ko salām kiyā aur ek din un ke sāth guzārā.
Acts UrduGeoR 21:8  Agle din ham rawānā ho kar Qaisariyā pahuṅch gae. Wahāṅ ham Filippus ke ghar ṭhahre. Yih wuhī Filippus thā jo Allāh kī ḳhushḳhabrī kā munād thā aur jise ibtidāī dinoṅ meṅ Yarūshalam meṅ khānā taqsīm karne ke lie chhih aur ādmiyoṅ ke sāth muqarrar kiyā gayā thā.
Acts UrduGeoR 21:9  Us kī chār ġhairshādīshudā beṭiyāṅ thīṅ jo nabuwwat kī nemat rakhtī thīṅ.
Acts UrduGeoR 21:10  Kaī din guzar gae to Yahūdiyā se ek nabī āyā jis kā nām Agabus thā.
Acts UrduGeoR 21:11  Jab wuh ham se milne āyā to us ne Paulus kī peṭī le kar apne pāṅwoṅ aur hāthoṅ ko bāndh liyā aur kahā, “Rūhul-quds farmātā hai ki Yarūshalam meṅ Yahūdī is peṭī ke mālik ko yoṅ bāndh kar Ġhairyahūdiyoṅ ke hawāle kareṅge.”
Acts UrduGeoR 21:12  Yih sun kar ham ne maqāmī īmāndāroṅ samet Paulus ko samjhāne kī ḳhūb koshish kī ki wuh Yarūshalam na jāe.
Acts UrduGeoR 21:13  Lekin us ne jawāb diyā, “Āp kyoṅ rote aur merā dil toṛte haiṅ? Dekheṅ, maiṅ Ḳhudāwand Īsā ke nām kī ḳhātir Yarūshalam meṅ na sirf bāndhe jāne balki us ke lie apnī jān tak dene ko taiyār hūṅ.”
Acts UrduGeoR 21:14  Ham use qāyl na kar sake, is lie ham yih kahte hue ḳhāmosh ho gae ki “Ḳhudāwand kī marzī pūrī ho.”
Acts UrduGeoR 21:15  Is ke bād ham taiyāriyāṅ karke Yarūshalam chale gae.
Acts UrduGeoR 21:16  Qaisariyā ke kuchh shāgird bhī hamāre sāth chale aur hameṅ Manāson ke ghar pahuṅchā diyā jahāṅ hameṅ ṭhaharnā thā. Manāson Qubrus kā thā aur jamāt ke ibtidāī dinoṅ meṅ īmān lāyā thā.
Acts UrduGeoR 21:17  Jab ham Yarūshalam pahuṅche to maqāmī bhāiyoṅ ne garmjoshī se hamārā istiqbāl kiyā.
Acts UrduGeoR 21:18  Agle din Paulus hamāre sāth Yāqūb se milne gayā. Tamām maqāmī buzurg bhī hāzir hue.
Acts UrduGeoR 21:19  Unheṅ salām karke Paulus ne tafsīl se bayān kiyā ki Allāh ne us kī ḳhidmat kī mārifat Ġhairyahūdiyoṅ meṅ kyā kiyā thā.
Acts UrduGeoR 21:20  Yih sun kar unhoṅ ne Allāh kī tamjīd kī. Phir unhoṅ ne kahā, “Bhāī, āp ko mālūm hai ki hazāroṅ Yahūdī īmān lāe haiṅ. Aur sab baṛī sargarmī se sharīat par amal karte haiṅ.
Acts UrduGeoR 21:21  Unheṅ āp ke bāre meṅ ḳhabar dī gaī hai ki āp Ġhairyahūdiyoṅ ke darmiyān rahne wāle Yahūdiyoṅ ko tālīm dete haiṅ ki wuh Mūsā kī sharīat ko chhoṛ kar na apne bachchoṅ kā ḳhatnā karwāeṅ aur na hamāre rasm-o-riwāj ke mutābiq zindagī guzāreṅ.
Acts UrduGeoR 21:22  Ab ham kyā kareṅ? Wuh to zarūr suneṅge ki āp yahāṅ ā gae haiṅ.
Acts UrduGeoR 21:23  Is lie ham chāhte haiṅ ki āp yih kareṅ: Hamāre pās chār mard haiṅ jinhoṅ ne mannat mān kar use pūrā kar liyā hai.
Acts UrduGeoR 21:24  Ab unheṅ sāth le kar un kī tahārat kī rusūmāt meṅ sharīk ho jāeṅ. Un ke aḳhrājāt bhī āp bardāsht kareṅ tāki wuh apne saroṅ ko munḍwā sakeṅ. Phir sab jān leṅge ki jo kuchh āp ke bāre meṅ kahā jātā hai wuh jhūṭ hai aur ki āp bhī sharīat ke mutābiq zindagī guzār rahe haiṅ.
Acts UrduGeoR 21:25  Jahāṅ tak Ġhairyahūdī īmāndāroṅ kī bāt hai ham unheṅ apnā faislā ḳhat ke zariye bhej chuke haiṅ ki wuh in chīzoṅ se parhez kareṅ: butoṅ ko pesh kiyā gayā khānā, ḳhūn, aise jānwaroṅ kā gosht jinheṅ galā ghūṅṭ kar mār diyā gayā ho aur zinākārī.”
Acts UrduGeoR 21:26  Chunāṅche agle din Paulus un ādmiyoṅ ko sāth le kar un kī tahārat kī rusūmāt meṅ sharīk huā. Phir wuh Baitul-muqaddas meṅ us din kā elān karne gayā jab tahārat ke din pūre ho jāeṅge aur un sab ke lie qurbānī pesh kī jāegī.
Acts UrduGeoR 21:27  Is rasm ke lie muqarrarā sāt din ḳhatm hone ko the ki sūbā Āsiyā ke kuchh Yahūdiyoṅ ne Paulus ko Baitul-muqaddas meṅ dekhā. Unhoṅ ne pūre hujūm meṅ halchal machā kar use pakaṛ liyā
Acts UrduGeoR 21:28  aur chīḳhne lage, “Isrāīl ke hazarāt, hamārī madad kareṅ! Yih wuhī ādmī hai jo har jagah tamām logoṅ ko hamārī qaum, hamārī sharīat aur is maqām ke ḳhilāf tālīm detā hai. Na sirf yih balki is ne Baitul-muqaddas meṅ Ġhairyahūdiyoṅ ko lā kar is muqaddas jagah kī behurmatī bhī kī hai.”
Acts UrduGeoR 21:29  (Yih āḳhirī bāt unhoṅ ne is lie kī kyoṅki unhoṅ ne shahr meṅ Ifisus ke Ġhairyahūdī Trufimus ko Paulus ke sāth dekhā aur ḳhayāl kiyā thā ki wuh use Baitul-muqaddas meṅ lāyā hai.)
Acts UrduGeoR 21:30  Pūre shahr meṅ hangāmā barpā huā aur log chāroṅ taraf se dauṛ kar āe. Paulus ko pakaṛ kar unhoṅ ne use Baitul-muqaddas se bāhar ghasīṭ liyā. Jyoṅ hī wuh nikal gae Baitul-muqaddas ke sahan ke darwāzoṅ ko band kar diyā gayā.
Acts UrduGeoR 21:31  Wuh use mār ḍālne kī koshish kar rahe the ki Romī palṭan ke kamānḍar ko ḳhabar mil gaī, “Pūre Yarūshalam meṅ halchal mach gaī hai.”
Acts UrduGeoR 21:32  Yih sunte hī us ne apne faujiyoṅ aur afsaroṅ ko ikaṭṭhā kiyā aur dauṛ kar un ke sāth hujūm ke pās utar gayā. Jab hujūm ne kamānḍar aur us ke faujiyoṅ ko dekhā to wuh Paulus kī piṭāī karne se ruk gayā.
Acts UrduGeoR 21:33  Kamānḍar ne nazdīk ā kar use giriftār kiyā aur do zanjīroṅ se bāndhne kā hukm diyā. Phir us ne pūchhā, “Yih kaun hai? Is ne kyā kiyā hai?”
Acts UrduGeoR 21:34  Hujūm meṅ se bāz kuchh chillāe aur bāz kuchh. Kamānḍar koī yaqīnī bāt mālūm na kar sakā, kyoṅki afrā-tafrī aur shor-sharābā bahut thā. Is lie us ne hukm diyā ki Paulus ko qile meṅ le jāyā jāe.
Acts UrduGeoR 21:35  Wuh qile kī sīṛhī tak pahuṅch to gae. Lekin phir hujūm itnā beqābū ho gayā ki faujiyoṅ ko use apne kandhoṅ par uṭhā kar chalnā paṛā.
Acts UrduGeoR 21:36  Log un ke pīchhe pīchhe chalte aur chīḳhte-chillāte rahe, “Use mār ḍālo! Use mār ḍālo!”
Acts UrduGeoR 21:37  Wuh Paulus ko qile meṅ le jā rahe the ki us ne kamānḍar se pūchhā, “Kyā āp se ek bāt karne kī ijāzat hai?” Kamānḍar ne kahā, “Achchhā, āp Yūnānī bol lete haiṅ?
Acts UrduGeoR 21:38  To kyā āp wuhī Misrī nahīṅ haiṅ jo kuchh der pahle hukūmat ke ḳhilāf uṭh kar chār hazār dahshatgardoṅ ko registān meṅ lāyā thā?”
Acts UrduGeoR 21:39  Paulus ne jawāb diyā, “Maiṅ Yahūdī aur Kilikiyā ke markazī shahr Tarsus kā shahrī hūṅ. Mehrbānī karke mujhe logoṅ se bāt karne deṅ.”
Acts UrduGeoR 21:40  Kamānḍar mān gayā aur Paulus ne sīṛhī par khaṛe ho kar hāth se ishārā kiyā. Jab sab ḳhāmosh ho gae to Paulus Arāmī zabān meṅ un se muḳhātib huā,
Chapter 22
Acts UrduGeoR 22:1  “Bhāiyo aur buzurgo, merī bāt suneṅ ki maiṅ apne difā meṅ kuchh batāūṅ.”
Acts UrduGeoR 22:2  Jab unhoṅ ne sunā ki wuh Arāmī zabān meṅ bol rahā hai to wuh mazīd ḳhāmosh ho gae. Paulus ne apnī bāt jārī rakhī.
Acts UrduGeoR 22:3  “Maiṅ Yahūdī hūṅ aur Kilikiyā ke shahr Tarsus meṅ paidā huā. Lekin maiṅ ne isī shahr Yarūshalam meṅ parwarish pāī aur Jamliyel ke zer-e-nigarānī tālīm hāsil kī. Unhoṅ ne mujhe tafsīl aur ehtiyāt se hamāre bāpdādā kī sharīat sikhāī. Us waqt maiṅ bhī āp kī tarah Allāh ke lie sargarm thā.
Acts UrduGeoR 22:4  Is lie maiṅ ne is naī rāh ke pairokāroṅ kā pīchhā kiyā aur mardoṅ aur ḳhawātīn ko giriftār karke jel meṅ ḍalwā diyā yahāṅ tak ki marwā bhī diyā.
Acts UrduGeoR 22:5  Imām-e-āzam aur Yahūdī adālat-e-āliyā ke membarān is bāt kī tasdīq kar sakte haiṅ. Unhīṅ se mujhe Damishq meṅ rahne wāle Yahūdī bhāiyoṅ ke lie sifārishī ḳhat mil gae tāki maiṅ wahāṅ bhī jā kar is nae firqe ke logoṅ ko giriftār karke sazā dene ke lie Yarūshalam lāūṅ.
Acts UrduGeoR 22:6  Maiṅ is maqsad ke lie Damishq ke qarīb pahuṅch gayā thā ki achānak āsmān kī taraf se ek tez raushnī mere gird chamkī.
Acts UrduGeoR 22:7  Maiṅ zamīn par gir paṛā to ek āwāz sunāī dī, ‘Sāūl, Sāūl, tū mujhe kyoṅ satātā hai?’
Acts UrduGeoR 22:8  Maiṅ ne pūchhā, ‘Ḳhudāwand, āp kaun haiṅ?’ Āwāz ne jawāb diyā, ‘Maiṅ Īsā Nāsarī hūṅ jise tū satātā hai.’
Acts UrduGeoR 22:9  Mere hamsafroṅ ne raushnī ko to dekhā, lekin mujh se muḳhātib hone wāle kī āwāz na sunī.
Acts UrduGeoR 22:10  Maiṅ ne pūchhā, ‘Ḳhudāwand, maiṅ kyā karūṅ?’ Ḳhudāwand ne jawāb diyā, ‘Uṭh kar Damishq meṅ jā. Wahāṅ tujhe wuh sārā kām batāyā jāegā jo Allāh tere zimme lagāne kā irādā rakhtā hai.’
Acts UrduGeoR 22:11  Raushnī kī tezī ne mujhe andhā kar diyā thā, is lie mere sāthī merā hāth pakaṛ kar mujhe Damishq le gae.
Acts UrduGeoR 22:12  Wahāṅ ek ādmī rahtā thā jis kā nām Hananiyāh thā. Wuh sharīat kā kaṭar pairokār thā aur wahāṅ ke rahne wāle Yahūdiyoṅ meṅ neknām.
Acts UrduGeoR 22:13  Wuh āyā aur mere pās khaṛe ho kar kahā, ‘Sāūl bhāī, dubārā bīnā ho jāeṅ!’ Usī lamhe maiṅ use dekh sakā.
Acts UrduGeoR 22:14  Phir us ne kahā, ‘Hamāre bāpdādā ke Ḳhudā ne āp ko is maqsad ke lie chun liyā hai ki āp us kī marzī jān kar us ke rāst ḳhādim ko dekheṅ aur us ke apne muṅh se us kī āwāz suneṅ.
Acts UrduGeoR 22:15  Jo kuchh āp ne dekh aur sun liyā hai us kī gawāhī āp tamām logoṅ ko deṅge.
Acts UrduGeoR 22:16  Chunāṅche āp kyoṅ der kar rahe haiṅ? Uṭheṅ aur us ke nām meṅ baptismā leṅ tāki āp ke gunāh dhul jāeṅ.’
Acts UrduGeoR 22:17  Jab maiṅ Yarūshalam wāpas āyā to maiṅ ek din Baitul-muqaddas meṅ gayā. Wahāṅ duā karte karte maiṅ wajd kī hālat meṅ ā gayā
Acts UrduGeoR 22:18  aur Ḳhudāwand ko dekhā. Us ne farmāyā, ‘Jaldī kar! Yarūshalam ko fauran chhoṛ de kyoṅki log mere bāre meṅ terī gawāhī ko qabūl nahīṅ kareṅge.’
Acts UrduGeoR 22:19  Maiṅ ne etarāz kiyā, ‘Ai Ḳhudāwand, wuh to jānte haiṅ ki maiṅ ne jagah bajagah ibādatḳhāne meṅ jā kar tujh par īmān rakhne wāloṅ ko giriftār kiyā aur un kī piṭāī karwāī.
Acts UrduGeoR 22:20  Aur us waqt bhī jab tere shahīd Stifanus ko qatl kiyā jā rahā thā maiṅ sāth khaṛā thā. Maiṅ rāzī thā aur un logoṅ ke kapṛoṅ kī nigarānī kar rahā thā jo use sangsār kar rahe the.’
Acts UrduGeoR 22:21  Lekin Ḳhudāwand ne kahā, ‘Jā, kyoṅki maiṅ tujhe dūr-darāz ilāqoṅ meṅ Ġhairyahūdiyoṅ ke pās bhej dūṅgā.’”
Acts UrduGeoR 22:22  Yahāṅ tak hujūm Paulus kī bāteṅ suntā rahā. Lekin ab wuh chillā uṭhe, “Ise haṭā do! Ise jān se mār do! Yih zindā rahne ke lāyq nahīṅ!”
Acts UrduGeoR 22:23  Wuh chīḳheṅ mār mār kar apnī chādareṅ utārne aur hawā meṅ gard uṛāne lage.
Acts UrduGeoR 22:24  Is par kamānḍar ne hukm diyā ki Paulus ko qile meṅ le jāyā jāe aur koṛe lagā kar us kī pūchh-gachh kī jāe. Kyoṅki wuh mālūm karnā chāhtā thā ki log kis wajah se Paulus ke ḳhilāf yoṅ chīḳheṅ mār rahe haiṅ.
Acts UrduGeoR 22:25  Jab wuh use koṛe lagāne ke lie le kar jā rahe the to Paulus ne sāth khaṛe afsar se kahā, “Kyā āp ke lie jāyz hai ki ek Romī shahrī ke koṛe lagwāeṅ aur wuh bhī adālat meṅ pesh kie baġhair?”
Acts UrduGeoR 22:26  Afsar ne jab yih sunā to kamānḍar ke pās jā kar use ittalā dī, “Āp kyā karne ko haiṅ? Yih ādmī to Romī shahrī hai!”
Acts UrduGeoR 22:27  Kamānḍar Paulus ke pās āyā aur pūchhā, “Mujhe sahīh batāeṅ, kyā āp Romī shahrī haiṅ?” Paulus ne jawāb diyā, “Jī hāṅ.”
Acts UrduGeoR 22:28  Kamānḍar ne kahā, “Maiṅ to baṛī raqam de kar shahrī banā hūṅ.” Paulus ne jawāb diyā, “Lekin maiṅ to paidāishī shahrī hūṅ.”
Acts UrduGeoR 22:29  Yih sunte hī wuh faujī jo us kī pūchh-gachh karne ko the pīchhe haṭ gae. Kamānḍar ḳhud ghabrā gayā ki maiṅ ne ek Romī shahrī ko zanjīroṅ meṅ jakaṛ rakhā hai.
Acts UrduGeoR 22:30  Agle din kamānḍar sāf mālūm karnā chāhtā thā ki Yahūdī Paulus par kyoṅ ilzām lagā rahe haiṅ. Is lie us ne rāhnumā imāmoṅ aur Yahūdī adālat-e-āliyā ke tamām membarān kā ijlās mun'aqid karne kā hukm diyā. Phir Paulus ko āzād karke qile se nīche lāyā aur un ke sāmne khaṛā kiyā.
Chapter 23
Acts UrduGeoR 23:1  Paulus ne ġhaur se adālat-e-āliyā ke membarān kī taraf dekh kar kahā, “Bhāiyo, āj tak maiṅ ne sāf zamīr ke sāth Allāh ke sāmne zindagī guzārī hai.”
Acts UrduGeoR 23:2  Is par imām-e-āzam Hananiyāh ne Paulus ke qarīb khaṛe logoṅ se kahā ki wuh us ke muṅh par thappaṛ māreṅ.
Acts UrduGeoR 23:3  Paulus ne us se kahā, “Makkār! Allāh tum ko hī māregā, kyoṅki tum yahāṅ baiṭhe sharīat ke mutābiq merā faislā karnā chāhte ho jabki mujhe mārne kā hukm de kar ḳhud sharīat kī ḳhilāfwarzī kar rahe ho!”
Acts UrduGeoR 23:4  Paulus ke qarīb khaṛe ādmiyoṅ ne kahā, “Tum Allāh ke imām-e-āzam ko burā kahne kī jurrat kyoṅkar karte ho?”
Acts UrduGeoR 23:5  Paulus ne jawāb diyā, “Bhāiyo, mujhe mālūm na thā ki wuh imām-e-āzam haiṅ, warnā aise alfāz istemāl na kartā. Kyoṅki kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai ki apnī qaum ke hākimoṅ ko burā-bhalā mat kahnā.”
Acts UrduGeoR 23:6  Paulus ko ilm thā ki adālat-e-āliyā ke kuchh log Sadūqī haiṅ jabki dīgar Farīsī haiṅ. Is lie wuh ijlās meṅ pukār uṭhā, “Bhāiyo, maiṅ Farīsī balki Farīsī kā beṭā bhī hūṅ. Mujhe is lie adālat meṅ pesh kiyā gayā hai ki maiṅ murdoṅ meṅ se jī uṭhne kī ummīd rakhtā hūṅ.”
Acts UrduGeoR 23:7  Is bāt se Farīsī aur Sadūqī ek dūsre se jhagaṛne lage aur ijlās ke afrād do gurohoṅ meṅ baṭ gae.
Acts UrduGeoR 23:8  Wajah yih thī ki Sadūqī nahīṅ mānte ki ham jī uṭheṅge. Wuh farishtoṅ aur rūhoṅ kā bhī inkār karte haiṅ. Is ke muqābale meṅ Farīsī yih sab kuchh mānte haiṅ.
Acts UrduGeoR 23:9  Hote hote baṛā shor mach gayā. Farīsī firqe ke kuchh ālim khaṛe ho kar josh se bahs karne lage, “Hameṅ is ādmī meṅ koī ġhaltī nazar nahīṅ ātī, shāyad koī rūh yā farishtā is se hamkalām huā ho.”
Acts UrduGeoR 23:10  Jhagaṛe ne itnā zor pakaṛā ki kamānḍar ḍar gayā, kyoṅki ḳhatrā thā ki wuh Paulus ke ṭukṛe kar ḍāleṅ. Is lie us ne apne faujiyoṅ ko hukm diyā ki wuh utreṅ aur Paulus ko Yahūdiyoṅ ke bīch meṅ se chhīn kar qile meṅ wāpas lāeṅ.
Acts UrduGeoR 23:11  Usī rāt Ḳhudāwand Paulus ke pās ā khaṛā huā aur kahā, “Hauslā rakh, kyoṅki jis tarah tū ne Yarūshalam meṅ mere bāre meṅ gawāhī dī hai lāzim hai ki isī tarah Rom Shahr meṅ bhī gawāhī de.”
Acts UrduGeoR 23:12  Agle din kuchh Yahūdiyoṅ ne sāzish karke qasam khāī, “Ham na to kuchh khāeṅge, na pieṅge jab tak Paulus ko qatl na kar leṅ.”
Acts UrduGeoR 23:13  Chālīs se zyādā mardoṅ ne is sāzish meṅ hissā liyā.
Acts UrduGeoR 23:14  Wuh rāhnumā imāmoṅ aur buzurgoṅ ke pās gae aur kahā, “Ham ne pakkī qasam khāī hai ki kuchh nahīṅ khāeṅge jab tak Paulus ko qatl na kar leṅ.
Acts UrduGeoR 23:15  Ab zarā Yahūdī adālat-e-āliyā ke sāth mil kar kamānḍar se guzārish kareṅ ki wuh use dubārā āp ke pās lāeṅ. Bahānā yih pesh kareṅ ki āp mazīd tafsīl se us ke muāmale kā jāyzā lenā chāhte haiṅ. Jab use lāyā jāegā to ham us ke yahāṅ pahuṅchne se pahle pahle use mār ḍālne ke lie taiyār hoṅge.”
Acts UrduGeoR 23:16  Lekin Paulus ke bhānje ko is bāt kā patā chal gayā. Us ne qile meṅ jā kar Paulus ko ittalā dī.
Acts UrduGeoR 23:17  Is par Paulus ne Romī afsaroṅ meṅ se ek ko bulā kar kahā, “Is jawān ko kamānḍar ke pās le jāeṅ. Is ke pās un ke lie ḳhabar hai.”
Acts UrduGeoR 23:18  Afsar bhānje ko kamānḍar ke pās le gayā aur kahā, “Qaidī Paulus ne mujhe bulā kar mujh se guzārish kī ki is naujawān ko āp ke pās le āūṅ. Us ke pās āp ke lie ḳhabar hai.”
Acts UrduGeoR 23:19  Kamānḍar naujawān kā hāth pakaṛ kar dūsroṅ se alag ho gayā. Phir us ne pūchhā, “Kyā ḳhabar hai jo āp mujhe batānā chāhte haiṅ?”
Acts UrduGeoR 23:20  Us ne jawāb diyā, “Yahūdī āp se darḳhāst karne par muttafiq ho gae haiṅ ki āp kal Paulus ko dubārā Yahūdī adālat-e-āliyā ke sāmne lāeṅ. Bahānā yih hogā ki wuh aur zyādā tafsīl se us ke bāre meṅ mālūmāt hāsil karnā chāhte haiṅ.
Acts UrduGeoR 23:21  Lekin un kī bāt na māneṅ, kyoṅki un meṅ se chālīs se zyādā ādmī us kī tāk meṅ baiṭhe haiṅ. Unhoṅ ne qasam khāī hai ki ham na kuchh khāeṅge na pieṅge jab tak use qatl na kar leṅ. Wuh abhī taiyār baiṭhe haiṅ aur sirf is intazār meṅ haiṅ ki āp un kī bāt māneṅ.”
Acts UrduGeoR 23:22  Kamānḍar ne naujawān ko ruḳhsat karke kahā, “Jo kuchh āp ne mujhe batā diyā hai us kā kisī se zikr na karnā.”
Acts UrduGeoR 23:23  Phir kamānḍar ne apne afsaroṅ meṅ se do ko bulāyā jo sau sau faujiyoṅ par muqarrar the. Us ne hukm diyā, “Do sau faujī, sattar ghuṛsawār aur do sau nezābāz taiyār kareṅ. Unheṅ āj rāt ko nau baje Qaisariyā jānā hai.
Acts UrduGeoR 23:24  Paulus ke lie bhī ghoṛe taiyār rakhnā tāki wuh sahīh-salāmat gawarnar ke pās pahuṅche.”
Acts UrduGeoR 23:26  “Az: Klaudiyus Lūsiyās Muazzaz Gawarnar Feliks ko salām.
Acts UrduGeoR 23:27  Yahūdī is ādmī ko pakaṛ kar qatl karne ko the. Mujhe patā chalā ki yih Romī shahrī hai, is lie maiṅ ne apne dastoṅ ke sāth ā kar ise nikāl kar bachā liyā.
Acts UrduGeoR 23:28  Maiṅ mālūm karnā chāhtā thā ki wuh kyoṅ is par ilzām lagā rahe haiṅ, is lie maiṅ utar kar ise un kī adālat-e-āliyā ke sāmne lāyā.
Acts UrduGeoR 23:29  Mujhe mālūm huā ki un kā ilzām un kī sharīat se tālluq rakhtā hai. Lekin is ne aisā kuchh nahīṅ kiyā jis kī binā par yih jel meṅ ḍālne yā sazā-e-maut ke lāyq ho.
Acts UrduGeoR 23:30  Phir mujhe ittalā dī gaī ki is ādmī ko qatl karne kī sāzish kī gaī hai, is lie maiṅ ne ise fauran āp ke pās bhej diyā. Maiṅ ne ilzām lagāne wāloṅ ko bhī hukm diyā ki wuh is par apnā ilzām āp ko hī pesh kareṅ.”
Acts UrduGeoR 23:31  Faujiyoṅ ne usī rāt kamānḍar kā hukm pūrā kiyā. Paulus ko sāth le kar wuh Antīpatris tak pahuṅch gae.
Acts UrduGeoR 23:32  Agle din piyāde qile ko wāpas chale jabki ghuṛsawāroṅ ne Paulus ko le kar safr jārī rakhā.
Acts UrduGeoR 23:33  Qaisariyā pahuṅch kar unhoṅ ne Paulus ko ḳhat samet Gawarnar Feliks ke sāmne pesh kiyā.
Acts UrduGeoR 23:34  Us ne ḳhat paṛh liyā aur phir Paulus se pūchhā, “Āp kis sūbe ke haiṅ?” Paulus ne kahā, “Kilikiyā kā.”
Acts UrduGeoR 23:35  Is par gawarnar ne kahā, “Maiṅ āp kī samā'at us waqt karūṅga jab āp par ilzām lagāne wāle pahuṅcheṅge.” Aur us ne hukm diyā ki Herodes ke mahal meṅ Paulus kī pahrādārī kī jāe.
Chapter 24
Acts UrduGeoR 24:1  Pāṅch din ke bād imām-e-āzam Hananiyāh, kuchh Yahūdī buzurg aur ek wakīl banām Tirtullus Qaisariyā āe tāki gawarnar ke sāmne Paulus par apnā ilzām pesh kareṅ.
Acts UrduGeoR 24:2  Paulus ko bulāyā gayā to Tirtullus ne Feliks ko Yahūdiyoṅ kā ilzām pesh kiyā, “Āp ke zer-e-hukūmat hameṅ baṛā amn-o-amān hāsil hai, aur āp kī dūrandeshī se is mulk meṅ bahut taraqqī huī hai.
Acts UrduGeoR 24:3  Muazzaz Feliks, in tamām bātoṅ ke lie ham āp ke ḳhās mamnūn haiṅ.
Acts UrduGeoR 24:4  Lekin maiṅ nahīṅ chāhtā ki āp merī bātoṅ se had se zyādā thak jāeṅ. Arz sirf yih hai ki āp ham par mehrbānī kā izhār karke ek lamhe ke lie hamāre muāmale par tawajjuh deṅ.
Acts UrduGeoR 24:5  Ham ne is ādmī ko awām dushman pāyā hai jo pūrī duniyā ke Yahūdiyoṅ meṅ fasād paidā kartā rahtā hai. Yih Nāsarī firqe kā ek sarġhanā hai
Acts UrduGeoR 24:6  aur hamāre Baitul-muqaddas kī behurmatī karne kī koshish kar rahā thā jab ham ne ise pakaṛā [tāki apnī sharīat ke mutābiq is par muqaddamā chalāeṅ.
Acts UrduGeoR 24:7  Magar Lūsiyās Kamānḍar ā kar ise zabardastī ham se chhīn kar le gayā aur hukm diyā ki is ke muddaī āp ke pās hāzir hoṅ.]
Acts UrduGeoR 24:8  Is kī pūchh-gachh karke āp ḳhud hamāre ilzāmāt kī tasdīq karā sakte haiṅ.”
Acts UrduGeoR 24:9  Phir bāqī Yahūdiyoṅ ne us kī hāṅ meṅ hāṅ milā kar kahā ki yih wāqaī aisā hī hai.
Acts UrduGeoR 24:10  Gawarnar ne ishārā kiyā ki Paulus apnī bāt pesh kare. Us ne jawāb meṅ kahā, “Maiṅ jāntā hūṅ ki āp kaī sāloṅ se is qaum ke jaj muqarrar haiṅ, is lie ḳhushī se āp ko apnā difā pesh kartā hūṅ.
Acts UrduGeoR 24:11  Āp ḳhud mālūm kar sakte haiṅ ki mujhe Yarūshalam gae sirf bārah din hue haiṅ. Jāne kā maqsad ibādat meṅ sharīk honā thā.
Acts UrduGeoR 24:12  Wahāṅ na maiṅ ne Baitul-muqaddas meṅ kisī se bahs-mubāhasā kiyā, na shahr ke kisī ibādatḳhāne meṅ yā kisī aur jagah halchal machāī. In logoṅ ne bhī merī koī aisī harkat nahīṅ dekhī.
Acts UrduGeoR 24:13  Jo ilzām yih mujh par lagā rahe haiṅ us kā koī bhī sabūt pesh nahīṅ kar sakte.
Acts UrduGeoR 24:14  Beshak maiṅ taslīm kartā hūṅ ki maiṅ usī rāh par chaltā hūṅ jise yih bid'at qarār dete haiṅ. Lekin maiṅ apne bāpdādā ke Ḳhudā kī parastish kartā hūṅ. Jo kuchh bhī sharīat aur nabiyoṅ ke sahīfoṅ meṅ likhā hai use maiṅ māntā hūṅ.
Acts UrduGeoR 24:15  Aur maiṅ Allāh par wuhī ummīd rakhtā hūṅ jo yih bhī rakhte haiṅ, ki qiyāmat kā ek din hogā jab wuh rāstbāzoṅ aur nārāstoṅ ko murdoṅ meṅ se zindā kar degā.
Acts UrduGeoR 24:16  Is lie merī pūrī koshish yihī hotī hai ki har waqt merā zamīr Allāh aur insān ke sāmne sāf ho.
Acts UrduGeoR 24:17  Kaī sāloṅ ke bād maiṅ Yarūshalam wāpas āyā. Mere pās qaum ke ġharīboṅ ke lie ḳhairāt thī aur maiṅ Baitul-muqaddas meṅ qurbāniyāṅ bhī pesh karnā chāhtā thā.
Acts UrduGeoR 24:18  Mujh par ilzām lagāne wāloṅ ne mujhe Baitul-muqaddas meṅ dekhā jab maiṅ tahārat kī rusūmāt adā kar rahā thā. Us waqt na koī hujūm thā, na fasād.
Acts UrduGeoR 24:19  Lekin sūbā Āsiyā ke kuchh Yahūdī wahāṅ the. Agar unheṅ mere ḳhilāf koī shikāyat hai to unheṅ hī yahāṅ hāzir ho kar mujh par ilzām lagānā chāhie.
Acts UrduGeoR 24:20  Yā yih log ḳhud batāeṅ ki jab maiṅ Yahūdī adālat-e-āliyā ke sāmne khaṛā thā to unhoṅ ne merā kyā jurm mālūm kiyā.
Acts UrduGeoR 24:21  Sirf yih ek jurm ho saktā hai ki maiṅ ne us waqt un ke huzūr pukār kar yih bāt bayān kī, ‘Āj mujh par is lie ilzām lagāyā jā rahā hai ki maiṅ īmān rakhtā hūṅ ki murde jī uṭheṅge.’”
Acts UrduGeoR 24:22  Feliks ne jo Īsā kī rāh se ḳhūb wāqif thā muqaddamā multawī kar diyā. Us ne kahā, “Jab Kamānḍar Lūsiyās āeṅge phir maiṅ faislā dūṅgā.”
Acts UrduGeoR 24:23  Us ne Paulus par muqarrar afsar ko hukm diyā ki wuh us kī pahrādārī to kare lekin use kuchh sahūliyāt bhī de aur us ke azīzoṅ ko us se milne aur us kī ḳhidmat karne se na roke.
Acts UrduGeoR 24:24  Kuchh dinoṅ ke bād Feliks apnī ahliyā Drūsillā ke hamrāh wāpas āyā. Drūsillā Yahūdī thī. Paulus ko bulā kar unhoṅ ne Īsā par īmān ke bāre meṅ us kī bāteṅ sunīṅ.
Acts UrduGeoR 24:25  Lekin jab rāstbāzī, zabt-e-nafs aur āne wālī adālat ke mazāmīn chhiṛ gae to Feliks ne ghabrā kar us kī bāt kāṭī, “Filhāl kāfī hai. Ab ijāzat hai, jab mere pās waqt hogā maiṅ āp ko bulā lūṅgā.”
Acts UrduGeoR 24:26  Sāth sāth wuh yih ummīd bhī rakhtā thā ki Paulus rishwat degā, is lie wuh kaī bār use bulā kar us se bāt kartā rahā.
Acts UrduGeoR 24:27  Do sāl guzar gae to Feliks kī jagah Purkiyus Festus ā gayā. Tāham us ne Paulus ko qaidḳhāne meṅ chhoṛ diyā, kyoṅki wuh Yahūdiyoṅ ke sāth riāyat baratnā chāhtā thā.
Chapter 25
Acts UrduGeoR 25:1  Qaisariyā pahuṅchne ke tīn din bād Festus Yarūshalam chalā gayā.
Acts UrduGeoR 25:2  Wahāṅ rāhnumā imāmoṅ aur bāqī Yahūdī rāhnumāoṅ ne us ke sāmne Paulus par apne ilzāmāt pesh kie. Unhoṅ ne baṛe zor se
Acts UrduGeoR 25:3  minnat kī ki wuh un kī riāyat karke Paulus ko Yarūshalam muntaqil kare. Wajah yih thī ki wuh ghāt meṅ baiṭh kar rāste meṅ Paulus ko qatl karnā chāhte the.
Acts UrduGeoR 25:4  Lekin Festus ne jawāb diyā, “Paulus ko Qaisariyā meṅ rakhā gayā hai aur maiṅ ḳhud wahāṅ jāne ko hūṅ.
Acts UrduGeoR 25:5  Agar us se koī jurm sarzad huā hai to āp ke kuchh rāhnumā mere sāth wahāṅ jā kar us par ilzām lagāeṅ.”
Acts UrduGeoR 25:6  Festus ne mazīd āṭh das din un ke sāth guzāre, phir Qaisariyā chalā gayā. Agle din wuh adālat karne ke lie baiṭhā aur Paulus ko lāne kā hukm diyā.
Acts UrduGeoR 25:7  Jab Paulus pahuṅchā to Yarūshalam se āe hue Yahūdī us ke irdgird khaṛe hue aur us par kaī sanjīdā ilzāmāt lagāe, lekin wuh koī bhī bāt sābit na kar sake.
Acts UrduGeoR 25:8  Paulus ne apnā difā karke kahā, “Mujh se na Yahūdī sharīat, na Baitul-muqaddas aur na shahanshāh ke ḳhilāf jurm sarzad huā hai.”
Acts UrduGeoR 25:9  Lekin Festus Yahūdiyoṅ ke sāth riāyat baratnā chāhtā thā, is lie us ne pūchhā, “Kyā āp Yarūshalam jā kar wahāṅ kī adālat meṅ mere sāmne pesh kie jāne ke lie taiyār haiṅ?”
Acts UrduGeoR 25:10  Paulus ne jawāb diyā, “Maiṅ shahanshāh kī Romī adālat meṅ khaṛā hūṅ aur lāzim hai ki yihīṅ merā faislā kiyā jāe. Āp bhī is se ḳhūb wāqif haiṅ ki maiṅ ne Yahūdiyoṅ se koī nāinsāfī nahīṅ kī.
Acts UrduGeoR 25:11  Agar mujh se koī aisā kām sarzad huā ho jo sazā-e-maut ke lāyq ho to maiṅ marne se inkār nahīṅ karūṅga. Lekin agar bequsūr hūṅ to kisī ko bhī mujhe in ādmiyoṅ ke hawāle karne kā haq nahīṅ hai. Maiṅ shahanshāh se apīl kartā hūṅ!”
Acts UrduGeoR 25:12  Yih sun kar Festus ne apnī kaunsal se mashwarā karke kahā, “Āp ne shahanshāh se apīl kī hai, is lie āp shahanshāh hī ke pās jāeṅge.”
Acts UrduGeoR 25:13  Kuchh din guzar gae to Agrippā Bādshāh apnī bahan Birnīke ke sāth Festus se milne āyā.
Acts UrduGeoR 25:14  Wuh kaī din wahāṅ ṭhahre rahe. Itne meṅ Festus ne Paulus ke muāmale par bādshāh ke sāth bāt kī. Us ne kahā, “Yahāṅ ek qaidī hai jise Feliks chhoṛ kar chalā gayā hai.
Acts UrduGeoR 25:15  Jab maiṅ Yarūshalam gayā to rāhnumā imāmoṅ aur Yahūdī buzurgoṅ ne us par ilzāmāt lagā kar use mujrim qarār dene kā taqāzā kiyā.
Acts UrduGeoR 25:16  Maiṅ ne unheṅ jawāb diyā, ‘Romī qānūn kisī ko adālat meṅ pesh kie baġhair mujrim qarār nahīṅ detā. Lāzim hai ki use pahle ilzām lagāne wāloṅ kā sāmnā karne kā mauqā diyā jāe tāki apnā difā kar sake.’
Acts UrduGeoR 25:17  Jab us par ilzām lagāne wāle yahāṅ pahuṅche to maiṅ ne tāḳhīr na kī. Maiṅ ne agle hī din adālat mun'aqid karke Paulus ko pesh karne kā hukm diyā.
Acts UrduGeoR 25:18  Lekin jab us ke muḳhālif ilzām lagāne ke lie khaṛe hue to wuh aise jurm nahīṅ the jin kī tawaqqo maiṅ kar rahā thā.
Acts UrduGeoR 25:19  Un kā us ke sāth koī aur jhagaṛā thā jo un ke apne mazhab aur ek murdā ādmī banām Īsā se tālluq rakhtā hai. Is Īsā ke bāre meṅ Paulus dāwā kartā hai ki wuh zindā hai.
Acts UrduGeoR 25:20  Maiṅ uljhan meṅ paṛ gayā kyoṅki mujhe mālūm nahīṅ thā ki kis tarah is muāmale kā sahīh jāyzā lūṅ. Chunāṅche maiṅ ne pūchhā, ‘Kyā āp Yarūshalam jā kar wahāṅ adālat meṅ pesh kie jāne ke lie taiyār haiṅ?’
Acts UrduGeoR 25:21  Lekin Paulus ne apīl kī, ‘Shahanshāh hī merā faislā kare.’ Phir maiṅ ne hukm diyā ki use us waqt tak qaid meṅ rakhā jāe jab tak use shahanshāh ke pās bhejne kā intazām na karwā sakūṅ.”
Acts UrduGeoR 25:22  Agrippā ne Festus se kahā, “Maiṅ bhī us shaḳhs ko sunanā chāhtā hūṅ.” Us ne jawāb diyā, “Kal hī āp us ko sun leṅge.”
Acts UrduGeoR 25:23  Agle din Agrippā aur Birnīke baṛī dhūmdhām ke sāth āe aur baṛe faujī afsaroṅ aur shahr ke nāmwar ādmiyoṅ ke sāth dīwān-e-ām meṅ dāḳhil hue. Festus ke hukm par Paulus ko andar lāyā gayā.
Acts UrduGeoR 25:24  Festus ne kahā, “Agrippā Bādshāh aur tamām ḳhawātīn-o-hazarāt! Āp yahāṅ ek ādmī ko deḳhte haiṅ jis ke bāre meṅ tamām Yahūdī ḳhāh wuh Yarūshalam ke rahne wāle hoṅ, ḳhāh yahāṅ ke, shor machā kar sazā-e-maut kā taqāzā kar rahe haiṅ.
Acts UrduGeoR 25:25  Merī dānist meṅ to is ne koī aisā kām nahīṅ kiyā jo sazā-e-maut ke lāyq ho. Lekin is ne shahanshāh se apīl kī hai, is lie maiṅ ne ise Rom bhejne kā faislā kiyā hai.
Acts UrduGeoR 25:26  Lekin maiṅ shahanshāh ko kyā likh dūṅ? Kyoṅki is par koī sāf ilzām nahīṅ lagāyā gayā. Is lie maiṅ ise āp sab ke sāmne lāyā hūṅ, ḳhāskar Agrippā Bādshāh āp ke sāmne, tāki āp is kī taftīsh kareṅ aur maiṅ kuchh likh sakūṅ.
Acts UrduGeoR 25:27  Kyoṅki mujhe betukī-sī bāt lag rahī hai ki ham ek qaidī ko Rom bhejeṅ jis par ab tak sāf ilzāmāt nahīṅ lagāe gae haiṅ.”
Chapter 26
Acts UrduGeoR 26:1  Agrippā ne Paulus se kahā, “Āp ko apne difā meṅ bolne kī ijāzat hai.” Paulus ne hāth se ishārā karke apne difā meṅ bolne kā āġhāz kiyā,
Acts UrduGeoR 26:2  “Agrippā Bādshāh, maiṅ apne āp ko ḳhushnasīb samajhtā hūṅ ki āj āp hī merā yih difāī bayān sun rahe haiṅ jo mujhe Yahūdiyoṅ ke tamām ilzāmāt ke jawāb meṅ denā paṛ rahā hai.
Acts UrduGeoR 26:3  Ḳhāskar is lie ki āp Yahūdiyoṅ ke rasm-o-riwāj aur tanāzoṅ se wāqif haiṅ. Merī arz hai ki āp sabar se merī bāt suneṅ.
Acts UrduGeoR 26:4  Tamām Yahūdī jānte haiṅ ki maiṅ ne jawānī se le kar ab tak apnī qaum balki Yarūshalam meṅ kis tarah zindagī guzārī.
Acts UrduGeoR 26:5  Wuh mujhe baṛī der se jānte haiṅ aur agar chāheṅ to is kī gawāhī bhī de sakte haiṅ ki maiṅ Farīsī kī zindagī guzārtā thā, hamāre mazhab ke usī firqe kī jo sab se kaṭar hai.
Acts UrduGeoR 26:6  Aur āj merī adālat is wajah se kī jā rahī hai ki maiṅ us wāde par ummīd rakhtā hūṅ jo Allāh ne hamāre bāpdādā se kiyā.
Acts UrduGeoR 26:7  Haqīqat meṅ yih wuhī ummīd hai jis kī wajah se hamāre bārah qabīle din rāt aur baṛī lagan se Allāh kī ibādat karte rahte haiṅ aur jis kī takmīl ke lie wuh taṛapte haiṅ. To bhī ai bādshāh, yih log mujh par yih ummīd rakhne kā ilzām lagā rahe haiṅ.
Acts UrduGeoR 26:8  Lekin āp sab ko yih ḳhayāl kyoṅ nāqābil-e-yaqīn lagtā hai ki Allāh murdoṅ ko zindā kar detā hai?
Acts UrduGeoR 26:9  Pahle maiṅ bhī samajhtā thā ki har mumkin tarīqe se Īsā Nāsarī kī muḳhālafat karnā merā farz hai.
Acts UrduGeoR 26:10  Aur yih maiṅ ne Yarūshalam meṅ kiyā bhī. Rāhnumā imāmoṅ se iḳhtiyār le kar maiṅ ne wahāṅ ke bahut-se muqaddasoṅ ko jel meṅ ḍalwā diyā. Aur jab kabhī unheṅ sazā-e-maut dene kā faislā karnā thā to maiṅ ne bhī is haq meṅ woṭ diyā.
Acts UrduGeoR 26:11  Maiṅ tamām ibādatḳhānoṅ meṅ gayā aur bahut dafā unheṅ sazā dilā kar Īsā ke bāre meṅ kufr bakne par majbūr karne kī koshish kartā rahā. Maiṅ itne taish meṅ ā gayā thā ki un kī īzārasānī kī ġharz se bairūn-e-mulk bhī gayā.
Acts UrduGeoR 26:12  Ek din maiṅ rāhnumā imāmoṅ se iḳhtiyār aur ijāzatnāmā le kar Damishq jā rahā thā.
Acts UrduGeoR 26:13  Dopahar taqrīban bārah baje maiṅ saṛak par chal rahā thā ki ek raushnī dekhī jo sūraj se zyādā tez thī. Wuh āsmān se ā kar mere aur mere hamsafroṅ ke girdāgird chamkī.
Acts UrduGeoR 26:14  Ham sab zamīn par gir gae aur maiṅ ne Arāmī zabān meṅ ek āwāz sunī, ‘Sāūl, Sāūl, tū mujhe kyoṅ satātā hai? Yoṅ mere āṅkus ke ḳhilāf pāṅw mārnā tere lie hī dushwārī kā bāis hai.’
Acts UrduGeoR 26:15  Maiṅ ne pūchhā, ‘Ḳhudāwand, āp kaun haiṅ?’ Ḳhudāwand ne jawāb diyā, ‘Maiṅ Īsā hūṅ, wuhī jise tū satātā hai.
Acts UrduGeoR 26:16  Lekin ab uṭh kar khaṛā ho jā, kyoṅki maiṅ tujhe apnā ḳhādim aur gawāh muqarrar karne ke lie tujh par zāhir huā hūṅ. Jo kuchh tū ne dekhā hai us kī tujhe gawāhī denī hai aur us kī bhī jo maiṅ āindā tujh par zāhir karūṅga.
Acts UrduGeoR 26:17  Maiṅ tujhe terī apnī qaum se bachāe rakhūṅgā aur un Ġhairyahūdī qaumoṅ se bhī jin ke pās tujhe bhejūṅgā.
Acts UrduGeoR 26:18  Tū un kī āṅkhoṅ ko khol degā tāki wuh tārīkī aur Iblīs ke iḳhtiyār se nūr aur Allāh kī taraf rujū kareṅ. Phir un ke gunāhoṅ ko muāf kar diyā jāegā aur wuh un ke sāth āsmānī mīrās meṅ sharīk hoṅge jo mujh par īmān lāne se muqaddas kie gae haiṅ.’
Acts UrduGeoR 26:19  Ai Agrippā Bādshāh, jab maiṅ ne yih sunā to maiṅ ne is āsmānī royā kī nāfarmānī na kī
Acts UrduGeoR 26:20  balki is bāt kī munādī kī ki log taubā karke Allāh kī taraf rujū kareṅ aur apne amal se apnī tabdīlī kā izhār bhī kareṅ. Maiṅ ne is kī tablīġh pahle Damishq meṅ kī, phir Yarūshalam aur pūre Yahūdiyā meṅ aur is ke bād Ġhairyahūdī qaumoṅ meṅ bhī.
Acts UrduGeoR 26:21  Isī wajah se Yahūdiyoṅ ne mujhe Baitul-muqaddas meṅ pakaṛ kar qatl karne kī koshish kī.
Acts UrduGeoR 26:22  Lekin Allāh ne āj tak merī madad kī hai, is lie maiṅ yahāṅ khaṛā ho kar chhoṭoṅ aur baṛoṅ ko apnī gawāhī de saktā hūṅ. Jo kuchh maiṅ sunātā hūṅ wuh wuhī kuchh hai jo Mūsā aur nabiyoṅ ne kahā hai,
Acts UrduGeoR 26:23  ki Masīh dukh uṭhā kar pahlā shaḳhs hogā jo murdoṅ meṅ se jī uṭhegā aur ki wuh yoṅ apnī qaum aur Ġhairyahūdiyoṅ ke sāmne Allāh ke nūr kā prachār karegā.”
Acts UrduGeoR 26:24  Achānak Festus Paulus kī bāt kāṭ kar chillā uṭhā, “Paulus, hosh meṅ āo! Ilm kī ziyādatī ne tumheṅ dīwānā kar diyā hai.”
Acts UrduGeoR 26:25  Paulus ne jawāb diyā, “Muazzaz Festus, maiṅ dīwānā nahīṅ hūṅ. Merī yih bāteṅ haqīqī aur māqūl haiṅ.
Acts UrduGeoR 26:26  Bādshāh salāmat in se wāqif haiṅ, is lie maiṅ un se khul kar bāt kar saktā hūṅ. Mujhe yaqīn hai ki yih sab kuchh un se chhupā nahīṅ rahā, kyoṅki yih poshīdagī meṅ yā kisī kone meṅ nahīṅ huā.
Acts UrduGeoR 26:27  Ai Agrippā Bādshāh, kyā āp nabiyoṅ par īmān rakhte haiṅ? Balki maiṅ jāntā hūṅ ki āp un par īmān rakhte haiṅ.”
Acts UrduGeoR 26:28  Agrippā ne kahā, “Āp to baṛī jaldī se mujhe qāyl karke Masīhī banānā chāhte haiṅ.”
Acts UrduGeoR 26:29  Paulus ne jawāb diyā, “Jald yā bader maiṅ Allāh se duā kartā hūṅ ki na sirf āp balki tamām hāzirīn merī mānind ban jāeṅ, siwāe merī zanjīroṅ ke.”
Acts UrduGeoR 26:30  Phir bādshāh, gawarnar, Birnīke aur bāqī sab uṭh kar chale gae.
Acts UrduGeoR 26:31  Wahāṅ se nikal kar wuh ek dūsre se bāt karne lage. Sab is par muttafiq the ki “Is ādmī ne kuchh nahīṅ kiyā jo sazā-e-maut yā qaid ke lāyq ho.”
Acts UrduGeoR 26:32  Aur Agrippā ne Festus se kahā, “Agar is ne shahanshāh se apīl na kī hotī to ise rihā kiyā jā saktā thā.”
Chapter 27
Acts UrduGeoR 27:1  Jab hamārā Iṭalī ke lie safr muta'ayyin kiyā gayā to Paulus ko chand ek aur qaidiyoṅ samet ek Romī afsar ke hawāle kiyā gayā jis kā nām Yūliyus thā jo shāhī palṭan par muqarrar thā.
Acts UrduGeoR 27:2  Aristarḳhus bhī hamāre sāth thā. Wuh Thissalunīke Shahr kā Makidunī ādmī thā. Ham Adramittiyum Shahr ke ek jahāz par sawār hue jise sūbā Āsiyā kī chand bandargāhoṅ ko jānā thā.
Acts UrduGeoR 27:3  Agle din ham Saidā pahuṅche to Yūliyus ne mehrbānī karke Paulus ko shahr meṅ us ke dostoṅ ke pās jāne kī ijāzat dī tāki wuh us kī zarūriyāt pūrī kar sakeṅ.
Acts UrduGeoR 27:4  Jab ham wahāṅ se rawānā hue to muḳhālif hawāoṅ kī wajah se Jazīrā-e-Qubrus aur sūbā Āsiyā ke darmiyān se guzare.
Acts UrduGeoR 27:5  Phir khule samundar par chalte chalte ham Kilikiyā aur Pamfīliyā ke samundar se guzar kar sūbā Lūkiyā ke shahr Mūrā pahuṅche.
Acts UrduGeoR 27:6  Wahāṅ qaidiyoṅ par muqarrar afsar ko patā chalā ki Iskandariyā kā ek Misrī jahāz Iṭalī jā rahā hai. Us par us ne hameṅ sawār kiyā.
Acts UrduGeoR 27:7  Kaī din ham āhistā āhistā chale aur baṛī mushkil se Kanidus ke qarīb pahuṅche. Lekin muḳhālif hawā kī wajah se ham ne Jazīrā-e-Krete kī taraf ruḳh kiyā aur Salmone Shahr ke qarīb se guzar kar Krete kī āṛ meṅ safr kiyā.
Acts UrduGeoR 27:8  Lekin wahāṅ ham sāhil ke sāth sāth chalte hue baṛī mushkil se ek jagah pahuṅche jis kā nām ‘Hasīn-bandar’ thā. Shahr Lasayā us ke qarīb wāqe thā.
Acts UrduGeoR 27:9  Bahut waqt zāe ho gayā thā aur ab bahrī safr ḳhatarnāk bhī ho chukā thā, kyoṅki Kaffārā kā din (taqrīban Nawambar ke shurū meṅ) guzar chukā thā. Is lie Paulus ne unheṅ āgāh kiyā,
Acts UrduGeoR 27:10  “Hazarāt, mujhe patā hai ki āge jā kar ham par baṛī musībat āegī. Hameṅ jahāz, māl-o-asbāb aur jānoṅ kā nuqsān uṭhānā paṛegā.”
Acts UrduGeoR 27:11  Lekin qaidiyoṅ par muqarrar Romī afsar ne us kī bāt nazarandāz karke jahāz ke nāḳhudā aur mālik kī bāt mānī.
Acts UrduGeoR 27:12  Chūṅki ‘Hasīn-bandar’ meṅ jahāz ko sardiyoṅ ke mausam ke lie rakhnā mushkil thā is lie aksar log āge Feniks tak pahuṅch kar sardiyoṅ kā mausam guzārnā chāhte the. Kyoṅki Feniks Jazīrā-e-Krete kī achchhī bandargāh thī jo sirf junūb-maġhrib aur shimāl-maġhrib kī taraf khulī thī.
Acts UrduGeoR 27:13  Chunāṅche ek din jab junūb kī simt se halkī-sī hawā chalne lagī to mallāhoṅ ne sochā ki hamārā irādā pūrā ho gayā hai. Wuh langar uṭhā kar Krete ke sāhil ke sāth sāth chalne lage.
Acts UrduGeoR 27:14  Lekin thoṛī hī der ke bād mausam badal gayā aur un par jazīre kī taraf se ek tūfānī hawā ṭūṭ paṛī jo bād-e-shimāl-mashriqī kahlātī hai.
Acts UrduGeoR 27:15  Jahāz hawā ke qābū meṅ ā gayā aur hawā kī taraf ruḳh na kar sakā, is lie ham ne hār mān kar jahāz ko hawā ke sāth sāth chalne diyā.
Acts UrduGeoR 27:16  Jab ham ek chhoṭe jazīrā banām Kaudā kī āṛ meṅ se guzarne lage to ham ne baṛī mushkil se bachāo-kashtī ko jahāz par uṭhā kar mahfūz rakhā. (Ab tak wuh rasse se jahāz ke sāth khīṅchī jā rahī thī.)
Acts UrduGeoR 27:17  Phir mallāhoṅ ne jahāz ke ḍhāṅche ko zyādā mazbūt banāne kī ḳhātir us ke irdgird rasse bāndhe. Ḳhauf yih thā ki jahāz shimālī Afrīqā ke qarīb paṛe chorbālū meṅ dhaṅs jāe. (In retoṅ kā nām sūrtis thā.) Is se bachne ke lie unhoṅ ne langar ḍāl diyā tāki jahāz kuchh āhistā chale. Yoṅ jahāz hawā ke sāth chalte chalte āge baṛhā.
Acts UrduGeoR 27:18  Agle din bhī tūfān jahāz ko itnī shiddat se jhanjhoṛ rahā thā ki mallāh māl-o-asbāb ko samundar meṅ phaiṅkne lage.
Acts UrduGeoR 27:19  Tīsre din unhoṅ ne apne hī hāthoṅ se jahāz chalāne kā kuchh sāmān samundar meṅ phaiṅk diyā.
Acts UrduGeoR 27:20  Tūfān kī shiddat bahut dinoṅ ke bād bhī ḳhatm na huī. Na sūraj aur na sitāre nazar āe yahāṅ tak ki āḳhirkār hamāre bachne kī har ummīd jātī rahī.
Acts UrduGeoR 27:21  Kāfī der se dil nahīṅ chāhtā thā ki khānā khāyā jāe. Āḳhirkār Paulus ne logoṅ ke bīch meṅ khaṛe ho kar kahā, “Hazarāt, behtar hotā ki āp merī bāt mān kar Krete se rawānā na hote. Phir āp is musībat aur ḳhasāre se bach jāte.
Acts UrduGeoR 27:22  Lekin ab maiṅ āp ko nasīhat kartā hūṅ ki hauslā rakheṅ. Āp meṅ se ek bhī nahīṅ maregā. Sirf jahāz tabāh ho jāegā.
Acts UrduGeoR 27:23  Kyoṅki pichhlī rāt ek farishtā mere pās ā khaṛā huā, usī Ḳhudā kā farishtā jis kā maiṅ bandā hūṅ aur jis kī ibādat maiṅ kartā hūṅ.
Acts UrduGeoR 27:24  Us ne kahā, ‘Paulus, mat ḍar. Lāzim hai ki tujhe shahanshāh ke sāmne pesh kiyā jāe. Aur Allāh apnī mehrbānī se tere wāste tamām hamsafroṅ kī jāneṅ bhī bachāe rakhegā.’
Acts UrduGeoR 27:25  Is lie hauslā rakheṅ, kyoṅki merā Allāh par īmān hai ki aisā hī hogā jis tarah us ne farmāyā hai.
Acts UrduGeoR 27:26  Lekin jahāz ko kisī jazīre ke sāhil par chaṛh jānā hai.”
Acts UrduGeoR 27:27  Tūfān kī chaudhwīṅ rāt jahāz Bahīrā-e-Adriyā par bahe chalā jā rahā thā ki taqrīban ādhī rāt ko mallāhoṅ ne mahsūs kiyā ki sāhil nazdīk ā rahā hai.
Acts UrduGeoR 27:28  Pānī kī gahrāī kī paimāish karke unheṅ mālūm huā ki wuh 120 fuṭ thī. Thoṛī der ke bād us kī gahrāī 90 fuṭ ho chukī thī.
Acts UrduGeoR 27:29  Wuh ḍar gae. Kyoṅki unhoṅ ne andāzā lagāyā ki ḳhatrā hai ki ham sāhil par paṛī chaṭānoṅ se ṭakrā jāeṅ. Is lie unhoṅ ne jahāz ke pichhle hisse se chār langar ḍāl kar duā kī ki din jaldī se chaṛh jāe.
Acts UrduGeoR 27:30  Us waqt mallāhoṅ ne jahāz se farār hone kī koshish kī. Unhoṅ ne yih bahānā banā kar ki ham jahāz ke sāmne se bhī langar ḍālnā chāhte haiṅ bachāo-kashtī pānī meṅ utarne dī.
Acts UrduGeoR 27:31  Is par Paulus ne qaidiyoṅ par muqarrar afsar aur faujiyoṅ se kahā, “Agar yih ādmī jahāz par na raheṅ to āp sab mar jāeṅge.”
Acts UrduGeoR 27:32  Chunāṅche unhoṅ ne bachāo kashtī ke rasse ko kāṭ kar use khulā chhoṛ diyā.
Acts UrduGeoR 27:33  Pau phaṭne wālī thī ki Paulus ne sab ko samjhāyā ki wuh kuchh khā leṅ. Us ne kahā, “Āp ne chaudah din se iztirāb kī hālat meṅ rah kar kuchh nahīṅ khāyā.
Acts UrduGeoR 27:34  Ab mehrbānī karke kuchh khā leṅ. Yih āp ke bachāo ke lie zarūrī hai, kyoṅki āp na sirf bach jāeṅge balki āp kā ek bāl bhī bīkā nahīṅ hogā.”
Acts UrduGeoR 27:35  Yih kah kar us ne kuchh roṭī lī aur un sab ke sāmne Allāh se shukrguzārī kī duā kī. Phir use toṛ kar khāne lagā.
Acts UrduGeoR 27:36  Is se dūsroṅ kī hauslā-afzāī huī aur unhoṅ ne bhī kuchh khānā khāyā.
Acts UrduGeoR 27:38  Jab sab ser ho gae to gandum ko bhī samundar meṅ phaiṅkā gayā tāki jahāz aur halkā ho jāe.
Acts UrduGeoR 27:39  Jab din chaṛh gayā to mallāhoṅ ne sāhilī ilāqe ko na pahchānā. Lekin ek ḳhalīj nazar āī jis kā sāhil achchhā thā. Unheṅ ḳhayāl āyā ki shāyad ham jahāz ko wahāṅ ḳhushkī par chaṛhā sakeṅ.
Acts UrduGeoR 27:40  Chunāṅche unhoṅ ne langaroṅ ke rasse kāṭ kar unheṅ samundar meṅ chhoṛ diyā. Phir unhoṅ ne wuh rasse khol die jin se patwār bandhe hote the aur sāmne wāle bādbān ko chaṛhā kar hawā ke zor se sāhil kī taraf ruḳh kiyā.
Acts UrduGeoR 27:41  Lekin chalte chalte jahāz ek chorbālū se ṭakrā kar us par chaṛh gayā. Jahāz kā māthā dhaṅs gayā yahāṅ tak ki wuh hil bhī na sakā jabki us kā pichhlā hissā maujoṅ kī ṭakkaroṅ se ṭukṛe ṭukṛe hone lagā.
Acts UrduGeoR 27:42  Faujī qaidiyoṅ ko qatl karnā chāhte the tāki wuh jahāz se tair kar farār na ho sakeṅ.
Acts UrduGeoR 27:43  Lekin un par muqarrar afsar Paulus ko bachānā chāhtā thā, is lie us ne unheṅ aisā karne na diyā. Us ne hukm diyā ki pahle wuh sab jo tair sakte haiṅ pānī meṅ chhalāṅg lagā kar kināre tak pahuṅcheṅ.
Acts UrduGeoR 27:44  Bāqiyoṅ ko taḳhtoṅ yā jahāz ke kisī ṭukṛe ko pakaṛ kar pahuṅchnā thā. Yoṅ sab sahīh-salāmat sāhil tak pahuṅche.
Chapter 28
Acts UrduGeoR 28:1  Tūfān se bachne par hameṅ mālūm huā ki jazīre kā nām Milite hai.
Acts UrduGeoR 28:2  Maqāmī logoṅ ne hameṅ ġhairmāmūlī mehrbānī dikhāī. Unhoṅ ne āg jalā kar hamārā istiqbāl kiyā, kyoṅki bārish shurū ho chukī thī aur ṭhanḍ thī.
Acts UrduGeoR 28:3  Paulus ne bhī lakaṛī kā ḍher jamā kiyā. Lekin jyoṅ hī us ne use āg meṅ phaiṅkā ek zahrīlā sāṅp āg kī tapish se bhāg kar nikal āyā aur Paulus ke hāth se chimaṭ kar use ḍas liyā.
Acts UrduGeoR 28:4  Maqāmī logoṅ ne sāṅp ko Paulus ke hāth se lage dekhā to ek dūsre se kahne lage, “Yih ādmī zarūr qātil hogā. Go yih samundar se bach gayā, lekin insāf kī dewī ise jīne nahīṅ detī.”
Acts UrduGeoR 28:5  Lekin Paulus ne sāṅp ko jhaṭak kar āg meṅ phaiṅk diyā, aur sāṅp kā koī burā asar us par na huā.
Acts UrduGeoR 28:6  Log is intazār meṅ rahe ki wuh sūj jāe yā achānak gir paṛe, lekin kāfī der ke bād bhī kuchh na huā. Is par unhoṅ ne apnā ḳhayāl badal kar use dewatā qarār diyā.
Acts UrduGeoR 28:7  Qarīb hī jazīre ke sab se baṛe ādmī kī zamīneṅ thīṅ. Us kā nām Publiyus thā. Us ne apne ghar meṅ hamārā istiqbāl kiyā aur tīn din tak hamārī ḳhūb mehmān-nawāzī kī.
Acts UrduGeoR 28:8  Us kā bāp bīmār paṛā thā, wuh buḳhār aur pechish ke marz meṅ mubtalā thā. Paulus us ke kamre meṅ gayā, us ke lie duā kī aur apne hāth us par rakh die. Is par marīz ko shifā milī.
Acts UrduGeoR 28:9  Jab yih huā to jazīre ke bāqī tamām marīzoṅ ne Paulus ke pās ā kar shifā pāī.
Acts UrduGeoR 28:10  Natīje meṅ unhoṅ ne kaī tarah se hamārī izzat kī. Aur jab rawānā hone kā waqt ā gayā to unhoṅ ne hameṅ wuh sab kuchh muhaiyā kiyā jo safr ke lie darkār thā.
Acts UrduGeoR 28:11  Jazīre par tīn māh guzar gae. Phir ham ek jahāz par sawār hue jo sardiyoṅ ke mausam ke lie wahāṅ ṭhahar gayā thā. Yih jahāz Iskandariyā kā thā aur us ke māthe par juṛwāṅ dewatāoṅ ‘Kāsṭar’ aur ‘Polluks’ kī mūrat nasab thī. Ham wahāṅ se ruḳhsat ho kar
Acts UrduGeoR 28:13  ham wahāṅ se Regiyum Shahr gae jahāṅ ham sirf ek din ṭhahre. Phir junūb se hawā uṭhī, is lie ham agle din Putiyolī pahuṅche.
Acts UrduGeoR 28:14  Is shahr meṅ hamārī mulāqāt kuchh bhāiyoṅ se huī. Unhoṅ ne hameṅ apne pās ek haftā rahne kī dāwat dī. Yoṅ ham Rom pahuṅch gae.
Acts UrduGeoR 28:15  Rom ke bhāiyoṅ ne hamāre bāre meṅ sun rakhā thā, aur kuchh hamārā istiqbāl karne ke lie qasbā banām appiyus ke chauk tak āe jabki kuchh sirf ‘Tīn-sarāy’ tak ā sake. Unheṅ dekh kar Paulus ne Allāh kā shukr kiyā aur nayā hauslā pāyā.
Acts UrduGeoR 28:16  Hamāre Rom meṅ pahuṅchne par Paulus ko apne kirāe ke makān meṅ rahne kī ijāzat milī, go ek faujī us kī pahrādārī karne ke lie us ke sāth rahā.
Acts UrduGeoR 28:17  Tīn din guzar gae to Paulus ne Yahūdī rāhnumāoṅ ko bulāyā. Jab wuh jamā hue to us ne un se kahā, “Bhāiyo, mujhe Yarūshalam meṅ giriftār karke Romiyoṅ ke hawāle kar diyā gayā hālāṅki maiṅ ne apnī qaum yā apne bāpdādā ke rasm-o-riwāj ke ḳhilāf kuchh nahīṅ kiyā thā.
Acts UrduGeoR 28:18  Romī merā jāyzā le kar mujhe rihā karnā chāhte the, kyoṅki unheṅ mujhe sazā-e-maut dene kā koī sabab na milā thā.
Acts UrduGeoR 28:19  Lekin Yahūdiyoṅ ne etarāz kiyā aur yoṅ mujhe shahanshāh se apīl karne par majbūr kar diyā gayā, go merā yih irādā nahīṅ hai ki maiṅ apnī qaum par koī ilzām lagāūṅ.
Acts UrduGeoR 28:20  Maiṅ ne is lie āp ko bulāyā tāki āp se milūṅ aur guftgū karūṅ. Maiṅ us shaḳhs kī ḳhātir in zanjīroṅ se jakaṛā huā hūṅ jis ke āne kī ummīd Isrāīl rakhtā hai.”
Acts UrduGeoR 28:21  Yahūdiyoṅ ne use jawāb diyā, “Hameṅ Yahūdiyā se āp ke bāre meṅ koī bhī ḳhat nahīṅ milā. Aur jitne bhāī wahāṅ se āe haiṅ un meṅ se ek ne bhī āp ke bāre meṅ na to koī manfī riporṭ dī na koī burī bāt batāī.
Acts UrduGeoR 28:22  Lekin ham āp se sunanā chāhte haiṅ ki āp ke ḳhayālāt kyā haiṅ, kyoṅki ham itnā jānte haiṅ ki har jagah log is firqe ke ḳhilāf bāteṅ kar rahe haiṅ.”
Acts UrduGeoR 28:23  Chunāṅche unhoṅ ne milne kā ek din muqarrar kiyā. Jab Yahūdī dubārā us jagah āe jahāṅ Paulus rahtā thā to un kī tādād bahut zyādā thī. Subah se le kar shām tak us ne Allāh kī bādshāhī bayān kī aur us kī gawāhī dī. Us ne unheṅ Mūsā kī sharīat aur nabiyoṅ ke hawālājāt pesh kar karke Īsā ke bāre meṅ qāyl karne kī koshish kī.
Acts UrduGeoR 28:24  Kuchh to qāyl ho gae. Lekin bāqī īmān na lāe.
Acts UrduGeoR 28:25  Un meṅ nā-ittafāqī paidā huī to wuh chale gae. Jab wuh jāne lage to Paulus ne un se kahā, “Rūhul-quds ne Yasāyāh Nabī kī mārifat āp ke bāpdādā se ṭhīk kahā ki
Acts UrduGeoR 28:26  Jā, is qaum ko batā, ‘Tum apne kānoṅ se sunoge magar kuchh nahīṅ samjhoge, tum apnī āṅkhoṅ se dekhoge magar kuchh nahīṅ jānoge.
Acts UrduGeoR 28:27  Kyoṅki is qaum kā dil behis ho gayā hai. Wuh mushkil se apne kānoṅ se sunte haiṅ, unhoṅ ne apnī āṅkhoṅ ko band kar rakhā hai, aisā na ho ki wuh apnī āṅkhoṅ se dekheṅ, apne kānoṅ se suneṅ, apne dil se samjheṅ, merī taraf rujū kareṅ aur maiṅ unheṅ shifā dūṅ.’”
Acts UrduGeoR 28:28  Paulus ne apnī bāt in alfāz se ḳhatm kī, “Ab jān leṅ ki Allāh kī taraf se yih najāt Ġhairyahūdiyoṅ ko bhī pesh kī gaī hai aur wuh suneṅge bhī!”
Acts UrduGeoR 28:29  [Jab us ne yih kahā to Yahūdī āpas meṅ bahs-mubāhasā karte hue chale gae.]
Acts UrduGeoR 28:30  Paulus pūre do sāl apne kirāe ke ghar meṅ rahā. Jo bhī us ke pās āyā us kā us ne istiqbāl karke
Acts UrduGeoR 28:31  dilerī se Allāh kī bādshāhī kī munādī kī aur Ḳhudāwand Īsā Masīh kī tālīm dī. Aur kisī ne mudāḳhalat na kī.