Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
MATTHEW
Up
Toggle notes
Chapter 1
Matt UrduGeoR 1:1  Īsā Masīh bin Dāūd bin Ibrāhīm kā nasabnāmā:
Matt UrduGeoR 1:2  Ibrāhīm Is'hāq kā bāp thā, Is'hāq Yāqūb kā bāp aur Yāqūb Yahūdāh aur us ke bhāiyoṅ kā bāp.
Matt UrduGeoR 1:3  Yahūdāh ke do beṭe Fāras aur Zārah the. (Un kī māṅ Tamr thī.) Fāras Hasron kā bāp aur Hasron Rām kā bāp thā.
Matt UrduGeoR 1:4  Rām Ammīnadāb kā bāp, Ammīnadāb Nahson kā bāp aur Nahson Salmon kā bāp thā.
Matt UrduGeoR 1:5  Salmon Boaz kā bāp thā. (Boaz kī māṅ Rāhab thī.) Boaz Obed kā bāp thā. (Obed kī māṅ Rūt thī.) Obed Yassī kā bāp aur
Matt UrduGeoR 1:6  Yassī Dāūd Bādshāh kā bāp thā. Dāūd Sulemān kā bāp thā. (Sulemān kī māṅ pahle Ūriyyāh kī bīwī thī.)
Matt UrduGeoR 1:7  Sulemān Rahubiyām kā bāp, Rahubiyām Abiyāh kā bāp aur Abiyāh Āsā kā bāp thā.
Matt UrduGeoR 1:8  Āsā Yahūsafat kā bāp, Yahūsafat Yūrām kā bāp aur Yūrām Uzziyāh kā bāp thā.
Matt UrduGeoR 1:9  Uzziyāh Yūtām kā bāp, Yūtām Āḳhaz kā bāp aur Āḳhaz Hizqiyāh kā bāp thā.
Matt UrduGeoR 1:10  Hizqiyāh Manassī kā bāp, Manassī Amūn kā bāp aur Amūn Yūsiyāh kā bāp thā.
Matt UrduGeoR 1:11  Yūsiyāh Yahūyākīn aur us ke bhāiyoṅ kā bāp thā. (Yih Bābal kī jilāwatanī ke daurān paidā hue.)
Matt UrduGeoR 1:12  Bābal kī jilāwatanī ke bād Yahūyākīn Siyāltiyel kā bāp aur Siyāltiyel Zarubbābal kā bāp thā.
Matt UrduGeoR 1:13  Zarubbābal Abīhūd kā bāp, Abīhūd Iliyāqīm kā bāp aur Iliyāqīm Āzor kā bāp thā.
Matt UrduGeoR 1:14  Āzor Sadoq kā bāp, Sadoq Aḳhīm kā bāp aur Aḳhīm Ilīhūd kā bāp thā.
Matt UrduGeoR 1:15  Ilīhūd Iliyazar kā bāp, alīazar Mattān kā bāp aur Mattān kā bāp Yāqūb thā.
Matt UrduGeoR 1:16  Yāqūb Mariyam ke shauhar Yūsuf kā bāp thā. Is Mariyam se Īsā paidā huā, jo Masīh kahlātā hai.
Matt UrduGeoR 1:17  Yoṅ Ibrāhīm se Dāūd tak 14 nasleṅ haiṅ, Dāūd se Bābal kī jilāwatanī tak 14 nasleṅ haiṅ aur jilāwatanī se Masīh tak 14 nasleṅ haiṅ
Matt UrduGeoR 1:18  Īsā Masīh kī paidāish yoṅ huī: Us waqt us kī māṅ Mariyam kī mangnī Yūsuf ke sāth ho chukī thī ki wuh Rūhul-quds se hāmilā pāī gaī. Abhī un kī shādī nahīṅ huī thī.
Matt UrduGeoR 1:19  Us kā mangetar Yūsuf rāstbāz thā, wuh alāniyā Mariyam ko badnām nahīṅ karnā chāhtā thā. Is lie us ne ḳhāmoshī se yih rishtā toṛne kā irādā kar liyā.
Matt UrduGeoR 1:20  Wuh is bāt par abhī ġhaur-o-fikr kar hī rahā thā ki Rab kā farishtā ḳhāb meṅ us par zāhir huā aur farmāyā, “Yūsuf bin Dāūd, Mariyam se shādī karke use apne ghar le āne se mat ḍar, kyoṅki paidā hone wālā bachchā Rūhul-quds se hai.
Matt UrduGeoR 1:21  Us ke beṭā hogā aur us kā nām Īsā rakhnā, kyoṅki wuh apnī qaum ko us ke gunāhoṅ se rihāī degā.”
Matt UrduGeoR 1:22  Yih sab kuchh is lie huā tāki Rab kī wuh bāt pūrī ho jāe jo us ne apne nabī kī mārifat farmāī thī,
Matt UrduGeoR 1:23  “Dekho ek kuṅwārī hāmilā hogī. Us se beṭā paidā hogā aur wuh us kā nām Immānuel rakheṅge.” (Immānuel kā matlab ‘Ḳhudā Hamāre Sāth’ hai).
Matt UrduGeoR 1:24  Jab Yūsuf jāg uṭhā to us ne Rab ke farishte ke farmān ke mutābiq Mariyam se shādī kar lī aur use apne ghar le gayā.
Matt UrduGeoR 1:25  Lekin jab tak us ke beṭā paidā na huā wuh Mariyam se hambistar na huā. Aur Yūsuf ne bachche kā nām Īsā rakhā.
Chapter 2
Matt UrduGeoR 2:1  Īsā Herodes Bādshāh ke zamāne meṅ sūbā Yahūdiyā ke shahr Bait-laham meṅ paidā huā. Un dinoṅ meṅ kuchh majūsī ālim mashriq se ā kar Yarūshalam pahuṅch gae.
Matt UrduGeoR 2:2  Unhoṅ ne pūchhā, “Yahūdiyoṅ kā wuh bādshāh kahāṅ hai jo hāl hī meṅ paidā huā hai? Kyoṅki ham ne mashriq meṅ us kā sitārā dekhā hai aur ham use sijdā karne āe haiṅ.”
Matt UrduGeoR 2:3  Yih sun kar Herodes Bādshāh pūre Yarūshalam samet ghabrā gayā.
Matt UrduGeoR 2:4  Tamām rāhnumā imāmoṅ aur sharīat ke ulamā ko jamā karke us ne un se dariyāft kiyā ki Masīh kahāṅ paidā hogā.
Matt UrduGeoR 2:5  Unhoṅ ne jawāb diyā, “Yahūdiyā ke shahr Bait-laham meṅ, kyoṅki nabī kī mārifat yoṅ likhā hai,
Matt UrduGeoR 2:6  ‘Ai Mulk-e-Yahūdiyā meṅ wāqe Bait-laham, tū Yahūdiyā ke hukmrānoṅ meṅ hargiz sab se chhoṭā nahīṅ. Kyoṅki tujh meṅ se ek hukmrān niklegā jo merī qaum Isrāīl kī gallābānī karegā.’”
Matt UrduGeoR 2:7  Is par Herodes ne ḳhufiyā taur par majūsī ālimoṅ ko bulā kar tafsīl se pūchhā ki wuh sitārā kis waqt dikhāī diyā thā.
Matt UrduGeoR 2:8  Phir us ne unheṅ batāyā, “Bait-laham jāeṅ aur tafsīl se bachche kā patā lagāeṅ. Jab āp use pā leṅ to mujhe ittalā deṅ tāki maiṅ bhī jā kar use sijdā karūṅ.”
Matt UrduGeoR 2:9  Bādshāh ke in alfāz ke bād wuh chale gae. Aur dekho jo sitārā unhoṅ ne mashriq meṅ dekhā thā wuh un ke āge āge chaltā gayā aur chalte chalte us maqām ke ūpar ṭhahar gayā jahāṅ bachchā thā.
Matt UrduGeoR 2:11  Wuh ghar meṅ dāḳhil hue aur bachche ko māṅ ke sāth dekh kar unhoṅ ne aundhe muṅh gir kar use sijdā kiyā. Phir apne ḍibbe khol kar use sone, lubān aur mur ke tohfe pesh kie.
Matt UrduGeoR 2:12  Jab rawānagī kā waqt āyā to wuh Yarūshalam se ho kar na gae balki ek aur rāste se apne mulk chale gae. Kyoṅki unheṅ ḳhāb meṅ āgāh kiyā gayā thā ki Herodes ke pās wāpas na jāo.
Matt UrduGeoR 2:13  Un ke chale jāne ke bād Rab kā farishtā ḳhāb meṅ Yūsuf par zāhir huā aur kahā, “Uṭh, bachche ko us kī māṅ samet le kar Misr ko hijrat kar jā. Jab tak maiṅ tujhe ittalā na dūṅ wahīṅ ṭhahrā rah, kyoṅki Herodes bachche ko talāsh karegā tāki use qatl kare.”
Matt UrduGeoR 2:14  Yūsuf uṭhā aur usī rāt bachche ko us kī māṅ samet le kar Misr ke lie rawānā huā.
Matt UrduGeoR 2:15  Wahāṅ wuh Herodes ke intaqāl tak rahā. Yoṅ wuh bāt pūrī huī jo Rab ne nabī kī mārifat farmāī thī, “Maiṅ ne apne farzand ko Misr se bulāyā.”
Matt UrduGeoR 2:16  Jab Herodes ko mālūm huā ki majūsī ālimoṅ ne mujhe fareb diyā hai to use baṛā taish āyā. Us ne apne faujiyoṅ ko Bait-laham bhej kar unheṅ hukm diyā ki Bait-laham aur irdgird ke ilāqe ke un tamām laṛkoṅ ko qatl kareṅ jin kī umr do sāl tak ho. Kyoṅki us ne majūsiyoṅ se bachche kī umr ke bāre meṅ yih mālūm kar liyā thā.
Matt UrduGeoR 2:18  “Rāmā meṅ shor mach gayā hai, rone pīṭne aur shadīd mātam kī āwāzeṅ. Rāḳhil apne bachchoṅ ke lie ro rahī hai aur tasallī qabūl nahīṅ kar rahī, kyoṅki wuh halāk ho gae haiṅ.”
Matt UrduGeoR 2:19  Jab Herodes intaqāl kar gayā to Rab kā farishtā ḳhāb meṅ Yūsuf par zāhir huā jo abhī Misr hī meṅ thā.
Matt UrduGeoR 2:20  Farishte ne use batāyā, “Uṭh, bachche ko us kī māṅ samet le kar Mulk-e-Isrāīl wāpas chalā jā, kyoṅki jo bachche ko jān se mārne ke darpai the wuh mar gae haiṅ.”
Matt UrduGeoR 2:21  Chunāṅche Yūsuf uṭhā aur bachche aur us kī māṅ ko le kar Mulk-e-Isrāīl meṅ lauṭ āyā.
Matt UrduGeoR 2:22  Lekin jab us ne sunā ki Arḳhilāus apne bāp Herodes kī jagah Yahūdiyā meṅ taḳhtnashīn ho gayā hai to wuh wahāṅ jāne se ḍar gayā. Phir ḳhāb meṅ hidāyat pā kar wuh Galīl ke ilāqe ke lie rawānā huā.
Matt UrduGeoR 2:23  Wahāṅ wuh ek shahr meṅ jā basā jis kā nām Nāsarat thā. Yoṅ nabiyoṅ kī bāt pūrī huī ki ‘Wuh Nāsarī kahlāegā.’
Chapter 3
Matt UrduGeoR 3:1  Un dinoṅ meṅ Yahyā baptismā dene wālā āyā aur Yahūdiyā ke registān meṅ elān karne lagā,
Matt UrduGeoR 3:2  “Taubā karo, kyoṅki āsmān kī bādshāhī qarīb ā gaī hai.”
Matt UrduGeoR 3:3  Yahyā wuhī hai jis ke bāre meṅ Yasāyāh Nabī ne farmāyā, ‘Registān meṅ ek āwāz pukār rahī hai, Rab kī rāh taiyār karo! Us ke rāste sīdhe banāo.’
Matt UrduGeoR 3:4  Yahyā ūṅṭoṅ ke bāloṅ kā libās pahne aur kamr par chamṛe kā paṭkā bāndhe rahtā thā. Ḳhurāk ke taur par wuh ṭiḍḍiyāṅ aur janglī shahd khātā thā.
Matt UrduGeoR 3:5  Log Yarūshalam, pūre Yahūdiyā aur Dariyā-e-Yardan ke pūre ilāqe se nikal kar us ke pās āe.
Matt UrduGeoR 3:6  Aur apne gunāhoṅ ko taslīm karke unhoṅ ne Dariyā-e-Yardan meṅ Yahyā se baptismā liyā.
Matt UrduGeoR 3:7  Bahut-se Farīsī aur Sadūqī bhī wahāṅ āe jahāṅ wuh baptismā de rahā thā. Unheṅ dekh kar us ne kahā, “Ai zahrīle sāṅp ke bachcho! Kis ne tumheṅ āne wāle ġhazab se bachne kī hidāyat kī?
Matt UrduGeoR 3:8  Apnī zindagī se zāhir karo ki tum ne wāqaī taubā kī hai.
Matt UrduGeoR 3:9  Yih ḳhayāl mat karo ki ham to bach jāeṅge kyoṅki Ibrāhīm hamārā bāp hai. Maiṅ tum ko batātā hūṅ ki Allāh in pattharoṅ se bhī Ibrāhīm ke lie aulād paidā kar saktā hai.
Matt UrduGeoR 3:10  Ab to adālat kī kulhāṛī daraḳhtoṅ kī jaṛoṅ par rakhī huī hai. Har daraḳht jo achchhā phal na lāe kāṭā aur āg meṅ jhoṅkā jāegā.
Matt UrduGeoR 3:11  Maiṅ to tum taubā karne wāloṅ ko pānī se baptismā detā hūṅ, lekin ek āne wālā hai jo mujh se baṛā hai. Maiṅ us ke jūtoṅ ko uṭhāne ke bhī lāyq nahīṅ. Wuh tumheṅ Rūhul-quds aur āg se baptismā degā.
Matt UrduGeoR 3:12  Wuh hāth meṅ chhāj pakaṛe hue anāj ko bhūse se alag karne ke lie taiyār khaṛā hai. Wuh gāhne kī jagah bilkul sāf karke anāj ko apne godām meṅ jamā karegā. Lekin bhūse ko wuh aisī āg meṅ jhoṅkegā jo bujhne kī nahīṅ.”
Matt UrduGeoR 3:13  Phir Īsā Galīl se Dariyā-e-Yardan ke kināre āyā tāki Yahyā se baptismā le.
Matt UrduGeoR 3:14  Lekin Yahyā ne use rokne kī koshish karke kahā, “Mujhe to āp se baptismā lene kī zarūrat hai, to phir āp mere pās kyoṅ āe haiṅ?”
Matt UrduGeoR 3:15  Īsā ne jawāb diyā, “Ab hone hī de, kyoṅki munāsib hai ki ham yih karte hue Allāh kī rāst marzī pūrī kareṅ.” Is par Yahyā mān gayā.
Matt UrduGeoR 3:16  Baptismā lene par Īsā fauran pānī se niklā. Usī lamhe āsmān khul gayā aur us ne Allāh ke Rūh ko dekhā jo kabūtar kī tarah utar kar us par ṭhahar gayā.
Matt UrduGeoR 3:17  Sāth sāth āsmān se ek āwāz sunāī dī, “Yih merā pyārā Farzand hai, is se maiṅ ḳhush hūṅ.”
Chapter 4
Matt UrduGeoR 4:1  Phir Rūhul-quds Īsā ko registān meṅ le gayā tāki use Iblīs se āzmāyā jāe.
Matt UrduGeoR 4:2  Chālīs din aur chālīs rāt rozā rakhne ke bād use āḳhirkār bhūk lagī.
Matt UrduGeoR 4:3  Phir āzmāne wālā us ke pās ā kar kahne lagā, “Agar tū Allāh kā Farzand hai to in pattharoṅ ko hukm de ki roṭī ban jāeṅ.”
Matt UrduGeoR 4:4  Lekin Īsā ne inkār karke kahā, “Hargiz nahīṅ, kyoṅki kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai ki insān kī zindagī sirf roṭī par munhasir nahīṅ hotī balki har us bāt par jo Rab ke muṅh se nikaltī hai.”
Matt UrduGeoR 4:5  Is par Iblīs ne use muqaddas shahr Yarūshalam le jā kar Baitul-muqaddas kī sab se ūṅchī jagah par khaṛā kiyā aur kahā,
Matt UrduGeoR 4:6  “Agar tū Allāh kā Farzand hai to yahāṅ se chhalāṅg lagā de. Kyoṅki kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai, ‘Wuh terī ḳhātir apne farishtoṅ ko hukm degā, aur wuh tujhe apne hāthoṅ par uṭhā leṅge tāki tere pāṅwoṅ ko patthar se ṭhes na lage.’”
Matt UrduGeoR 4:7  Lekin Īsā ne jawāb diyā, “Kalām-e-muqaddas yih bhī farmātā hai, ‘Rab apne Ḳhudā ko na āzmānā.’”
Matt UrduGeoR 4:8  Phir Iblīs ne use ek nihāyat ūṅche pahāṛ par le jā kar use duniyā ke tamām mamālik aur un kī shān-o-shaukat dikhāī.
Matt UrduGeoR 4:9  Wuh bolā, “Yih sab kuchh maiṅ tujhe de dūṅgā, shart yih hai ki tū gir kar mujhe sijdā kare.”
Matt UrduGeoR 4:10  Lekin Īsā ne tīsrī bār inkār kiyā aur kahā, “Iblīs, dafā ho jā! Kyoṅki kalām-e-muqaddas meṅ yoṅ likhā hai, ‘Rab apne Ḳhudā ko sijdā kar aur sirf usī kī ibādat kar.’”
Matt UrduGeoR 4:11  Is par Iblīs use chhoṛ kar chalā gayā aur farishte ā kar us kī ḳhidmat karne lage.
Matt UrduGeoR 4:12  Jab Īsā ko ḳhabar milī ki Yahyā ko jel meṅ ḍāl diyā gayā hai to wuh wahāṅ se chalā gayā aur Galīl meṅ āyā.
Matt UrduGeoR 4:13  Nāsarat ko chhoṛ kar wuh jhīl ke kināre par wāqe shahr Kafarnahūm meṅ rahne lagā, yānī Zabūlūn aur Naftālī ke ilāqe meṅ.
Matt UrduGeoR 4:15  “Zabūlūn kā ilāqā, Naftālī kā ilāqā, jhīl ke sāth kā rāstā, Dariyā-e-Yardan ke pār, Ġhairyahūdiyoṅ kā Galīl:
Matt UrduGeoR 4:16  Andhere meṅ baiṭhī qaum ne ek tez raushnī dekhī, maut ke sāy meṅ ḍūbe hue mulk ke bāshindoṅ par raushnī chamkī.”
Matt UrduGeoR 4:17  Us waqt se Īsā is paiġhām kī munādī karne lagā, “Taubā karo, kyoṅki āsmān kī bādshāhī qarīb ā gaī hai.”
Matt UrduGeoR 4:18  Ek din jab Īsā Galīl kī Jhīl ke kināre kināre chal rahā thā to us ne do bhāiyoṅ ko dekhā—Shamāūn jo Patras bhī kahlātā thā aur Andriyās ko. Wuh pānī meṅ jāl ḍāl rahe the, kyoṅki wuh māhīgīr the.
Matt UrduGeoR 4:19  Us ne kahā, “Āo, mere pīchhe ho lo, maiṅ tum ko ādamgīr banāūṅgā.”
Matt UrduGeoR 4:20  Yih sunte hī wuh apne jāloṅ ko chhoṛ kar us ke pīchhe ho lie.
Matt UrduGeoR 4:21  Āge jā kar Īsā ne do aur bhāiyoṅ ko dekhā, Yāqūb bin Zabdī aur us ke bhāī Yūhannā ko. Wuh kashtī meṅ baiṭhe apne bāp Zabdī ke sāth apne jāloṅ kī marammat kar rahe the. Īsā ne unheṅ bulāyā
Matt UrduGeoR 4:22  to wuh fauran kashtī aur apne bāp ko chhoṛ kar us ke pīchhe ho lie.
Matt UrduGeoR 4:23  Aur Īsā Galīl ke pūre ilāqe meṅ phirtā rahā. Jahāṅ bhī wuh jātā wuh Yahūdī ibādatḳhānoṅ meṅ tālīm detā, bādshāhī kī ḳhushḳhabrī sunātā aur har qism kī bīmārī aur alālat se shifā detā thā.
Matt UrduGeoR 4:24  Us kī ḳhabar Mulk-e-Shām ke kone kone tak pahuṅch gaī, aur log apne tamām marīzoṅ ko us ke pās lāne lage. Qism qism kī bīmāriyoṅ tale dabe log, aise jo shadīd dard kā shikār the, badrūhoṅ kī girift meṅ mubtalā, mirgī wāle aur fālijzadā, ġharz jo bhī āyā Īsā ne use shifā baḳhshī.
Matt UrduGeoR 4:25  Galīl, Dikapulis, Yarūshalam, Yahūdiyā aur Dariyā-e-Yardan ke pār ke ilāqe se baṛe baṛe hujūm us ke pīchhe chalte rahe.
Chapter 5
Matt UrduGeoR 5:1  Bhīṛ ko dekh kar Īsā pahāṛ par chaṛh kar baiṭh gayā. Us ke shāgird us ke pās āe
Matt UrduGeoR 5:3  “Mubārak haiṅ wuh jin kī rūh zarūratmand hai, kyoṅki āsmān kī bādshāhī unhīṅ kī hai.
Matt UrduGeoR 5:4  Mubārak haiṅ wuh jo mātam karte haiṅ, kyoṅki unheṅ tasallī dī jāegī.
Matt UrduGeoR 5:5  Mubārak haiṅ wuh jo halīm haiṅ, kyoṅki wuh zamīn wirse meṅ pāeṅge.
Matt UrduGeoR 5:6  Mubārak haiṅ wuh jinheṅ rāstbāzī kī bhūk aur pyās hai, kyoṅki wuh ser ho jāeṅge.
Matt UrduGeoR 5:7  Mubārak haiṅ wuh jo rahm dil haiṅ, kyoṅki un par rahm kiyā jāegā.
Matt UrduGeoR 5:8  Mubārak haiṅ wuh jo ḳhālis dil haiṅ, kyoṅki wuh Allāh ko dekheṅge.
Matt UrduGeoR 5:9  Mubārak haiṅ wuh jo sulah karāte haiṅ, kyoṅki wuh Allāh ke farzand kahlāeṅge.
Matt UrduGeoR 5:10  Mubārak haiṅ wuh jin ko rāstbāz hone ke sabab se satāyā jātā hai, kyoṅki unheṅ āsmān kī bādshāhī wirse meṅ milegī.
Matt UrduGeoR 5:11  Mubārak ho tum jab log merī wajah se tumheṅ lān-tān karte, tumheṅ satāte aur tumhāre bāre meṅ har qism kī burī aur jhūṭī bāt karte haiṅ.
Matt UrduGeoR 5:12  Ḳhushī manāo aur bāġh bāġh ho jāo, tum ko āsmān par baṛā ajr milegā. Kyoṅki isī tarah unhoṅ ne tum se pahle nabiyoṅ ko bhī īzā pahuṅchāī thī.
Matt UrduGeoR 5:13  Tum duniyā kā namak ho. Lekin agar namak kā zāyqā jātā rahe to phir use kyoṅkar dubārā namkīn kiyā jā saktā hai? Wuh kisī bhī kām kā nahīṅ rahā balki bāhar phaiṅkā jāegā jahāṅ wuh logoṅ ke pāṅwoṅ tale raundā jāegā.
Matt UrduGeoR 5:14  Tum duniyā kī raushnī ho. Pahāṛ par wāqe shahr kī tarah tum ko chhupāyā nahīṅ jā saktā.
Matt UrduGeoR 5:15  Jab koī charāġh jalātā hai to wuh use bartan ke nīche nahīṅ rakhtā balki shamādān par rakh detā hai jahāṅ se wuh ghar ke tamām afrād ko raushnī detā hai.
Matt UrduGeoR 5:16  Isī tarah tumhārī raushnī bhī logoṅ ke sāmne chamke tāki wuh tumhāre nek kām dekh kar tumhāre āsmānī Bāp ko jalāl deṅ.
Matt UrduGeoR 5:17  Yih na samjho ki maiṅ Mūswī sharīat aur nabiyoṅ kī bātoṅ ko mansūḳh karne āyā hūṅ. Mansūḳh karne nahīṅ balki un kī takmīl karne āyā hūṅ.
Matt UrduGeoR 5:18  Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ, jab tak āsmān-o-zamīn qāym raheṅge tab tak sharīat bhī qāym rahegī—na us kā koī harf, na us kā koī zer yā zabar mansūḳh hogā jab tak sab kuchh pūrā na ho jāe.
Matt UrduGeoR 5:19  Jo in sab se chhoṭe ahkām meṅ se ek ko bhī mansūḳh kare aur logoṅ ko aisā karnā sikhāe use āsmān kī bādshāhī meṅ sab se chhoṭā qarār diyā jāegā. Is ke muqābale meṅ jo in ahkām par amal karke inheṅ sikhātā hai use āsmān kī bādshāhī meṅ baṛā qarār diyā jāegā.
Matt UrduGeoR 5:20  Kyoṅki maiṅ tum ko batātā hūṅ ki agar tumhārī rāstbāzī sharīat ke ulamā aur Farīsiyoṅ kī rāstbāzī se zyādā nahīṅ to tum āsmān kī bādshāhī meṅ dāḳhil hone ke lāyq nahīṅ.
Matt UrduGeoR 5:21  Tum ne sunā hai ki bāpdādā ko farmāyā gayā, ‘Qatl na karnā. Aur jo qatl kare use adālat meṅ jawāb denā hogā.’
Matt UrduGeoR 5:22  Lekin maiṅ tum ko batātā hūṅ ki jo bhī apne bhāī par ġhussā kare use adālat meṅ jawāb denā hogā. Isī tarah jo apne bhāī ko ‘ahmaq’ kahe use Yahūdī adālat-e-āliyā meṅ jawāb denā hogā. Aur jo us ko ‘bewuqūf!’ Kahe wuh jahannum kī āg meṅ phaiṅke jāne ke lāyq ṭhahregā.
Matt UrduGeoR 5:23  Lihāzā agar tujhe Baitul-muqaddas meṅ qurbānī pesh karte waqt yād āe ki tere bhāī ko tujh se koī shikāyat hai
Matt UrduGeoR 5:24  to apnī qurbānī ko wahīṅ qurbāngāh ke sāmne hī chhoṛ kar apne bhāī ke pās chalā jā. Pahle us se sulah kar aur phir wāpas ā kar Allāh ko apnī qurbānī pesh kar.
Matt UrduGeoR 5:25  Farz karo ki kisī ne tujh par muqaddamā chalāyā hai. Agar aisā ho to kachahrī meṅ dāḳhil hone se pahle pahle jaldī se jhagaṛā ḳhatm kar. Aisā na ho ki wuh tujhe jaj ke hawāle kare, jaj tujhe pulis afsar ke hawāle kare aur natīje meṅ tujh ko jel meṅ ḍālā jāe.
Matt UrduGeoR 5:26  Maiṅ tujhe sach batātā hūṅ, wahāṅ se tū us waqt tak nahīṅ nikal pāegā jab tak jurmāne kī pūrī pūrī raqam adā na kar de.
Matt UrduGeoR 5:27  Tum ne yih hukm sun liyā hai ki ‘Zinā na karnā.’
Matt UrduGeoR 5:28  Lekin maiṅ tumheṅ batātā hūṅ, jo kisī aurat ko burī ḳhāhish se deḳhtā hai wuh apne dil meṅ us ke sāth zinā kar chukā hai.
Matt UrduGeoR 5:29  Agar terī dāīṅ āṅkh tujhe gunāh karne par uksāe to use nikāl kar phaiṅk de. Is se pahle ki tere pūre jism ko jahannum meṅ ḍālā jāe behtar yih hai ki terā ek hī azu jātā rahe.
Matt UrduGeoR 5:30  Aur agar terā dahnā hāth tujhe gunāh karne par uksāe to use kāṭ kar phaiṅk de. Is se pahle ki terā pūrā jism jahannum meṅ jāe behtar yih hai ki terā ek hī azu jātā rahe.
Matt UrduGeoR 5:31  Yih bhī farmāyā gayā hai, ‘Jo bhī apnī bīwī ko talāq de wuh use talāqnāmā likh de.’
Matt UrduGeoR 5:32  Lekin maiṅ tum ko batātā hūṅ ki agar kisī kī bīwī ne zinā na kiyā ho to bhī shauhar use talāq de to wuh us se zinā karātā hai. Aur jo talāqshudā aurat se shādī kare wuh zinā kartā hai.
Matt UrduGeoR 5:33  Tum ne yih bhī sunā hai ki bāpdādā ko farmāyā gayā, ‘Jhūṭī qasam mat khānā balki jo wāde tū ne Rab se qasam khā kar kie hoṅ unheṅ pūrā karnā.’
Matt UrduGeoR 5:34  Lekin maiṅ tumheṅ batātā hūṅ, qasam bilkul na khānā. Na ‘Āsmān kī qasam’ kyoṅki āsmān Allāh kā taḳht hai,
Matt UrduGeoR 5:35  na ‘Zamīn kī’ kyoṅki zamīn us ke pāṅwoṅ kī chaukī hai. ‘Yarūshalam kī qasam’ bhī na khānā kyoṅki Yarūshalam azīm Bādshāh kā shahr hai.
Matt UrduGeoR 5:36  Yahāṅ tak ki apne sar kī qasam bhī na khānā, kyoṅki tū apnā ek bāl bhī kālā yā safed nahīṅ kar saktā.
Matt UrduGeoR 5:37  Sirf itnā hī kahnā, ‘Jī hāṅ’ yā ‘Jī nahīṅ.’ Agar is se zyādā kaho to yih Iblīs kī taraf se hai.
Matt UrduGeoR 5:38  Tum ne sunā hai ki yih farmāyā gayā hai, ‘Āṅkh ke badle āṅkh, dāṅt ke badle dāṅt.’
Matt UrduGeoR 5:39  Lekin maiṅ tum ko batātā hūṅ ki badkār kā muqābalā mat karnā. Agar koī tere dahne gāl par thappaṛ māre to use dūsrā gāl bhī pesh kar de.
Matt UrduGeoR 5:40  Agar koī terī qamīs lene ke lie tujh par muqaddamā karnā chāhe to use apnī chādar bhī de denā.
Matt UrduGeoR 5:41  Agar koī tujh ko us kā sāmān uṭhā kar ek kilomīṭar jāne par majbūr kare to us ke sāth do kilomīṭar chalā jānā.
Matt UrduGeoR 5:42  Jo tujh se kuchh māṅge use de denā aur jo tujh se qarz lenā chāhe us se inkār na karnā.
Matt UrduGeoR 5:43  Tum ne sunā hai ki farmāyā gayā hai, ‘Apne paṛosī se muhabbat rakhnā aur apne dushman se nafrat karnā.’
Matt UrduGeoR 5:44  Lekin maiṅ tum ko batātā hūṅ, apne dushmanoṅ se muhabbat rakho aur un ke lie duā karo jo tum ko satāte haiṅ.
Matt UrduGeoR 5:45  Phir tum apne āsmānī Bāp ke farzand ṭhahroge, kyoṅki wuh apnā sūraj sab par tulū hone detā hai, ḳhāh wuh achchhe hoṅ yā bure. Aur wuh sab par bārish barasne detā hai, ḳhāh wuh rāstbāz hoṅ yā nārāst.
Matt UrduGeoR 5:46  Agar tum sirf unhīṅ se muhabbat karo jo tum se karte haiṅ to tum ko kyā ajr milegā? Ṭaiks lene wāle bhī to aisā hī karte haiṅ.
Matt UrduGeoR 5:47  Aur agar tum sirf apne bhāiyoṅ ke lie salāmatī kī duā karo to kaun-sī ḳhās bāt karte ho? Ġhairyahūdī bhī to aisā hī karte haiṅ.
Matt UrduGeoR 5:48  Chunāṅche waise hī kāmil ho jaisā tumhārā āsmānī Bāp kāmil hai.
Chapter 6
Matt UrduGeoR 6:1  Ḳhabardār! Apne nek kām logoṅ ke sāmne dikhāwe ke lie na karo, warnā tum ko apne āsmānī Bāp se koī ajr nahīṅ milegā.
Matt UrduGeoR 6:2  Chunāṅche ḳhairāt dete waqt riyākāroṅ kī tarah na kar jo ibādatḳhānoṅ aur galiyoṅ meṅ bigul bajā kar is kā elān karte haiṅ tāki log un kī izzat kareṅ. Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ, jitnā ajr unheṅ milnā thā unheṅ mil chukā hai.
Matt UrduGeoR 6:3  Is ke bajāe jab tū ḳhairāt de to tere dāeṅ hāth ko patā na chale ki bāyāṅ hāth kyā kar rahā hai.
Matt UrduGeoR 6:4  Terī ḳhairāt yoṅ poshīdagī meṅ dī jāe to terā Bāp jo poshīdā bāteṅ deḳhtā hai tujhe is kā muāwazā degā.
Matt UrduGeoR 6:5  Duā karte waqt riyākāroṅ kī tarah na karnā jo ibādatḳhānoṅ aur chaukoṅ meṅ jā kar duā karnā pasand karte haiṅ, jahāṅ sab unheṅ dekh sakeṅ. Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ, jitnā ajr unheṅ milnā thā unheṅ mil chukā hai.
Matt UrduGeoR 6:6  Is ke bajāe jab tū duā kartā hai to andar ke kamre meṅ jā kar darwāzā band kar aur phir apne Bāp se duā kar jo poshīdagī meṅ hai. Phir terā Bāp jo poshīdā bāteṅ deḳhtā hai tujhe is kā muāwazā degā.
Matt UrduGeoR 6:7  Duā karte waqt Ġhairyahūdiyoṅ kī tarah tawīl aur bemānī bāteṅ na dohrāte raho. Wuh samajhte haiṅ ki hamārī bahut-sī bātoṅ ke sabab se hamārī sunī jāegī.
Matt UrduGeoR 6:8  Un kī mānind na bano, kyoṅki tumhārā Bāp pahle se tumhārī zarūriyāt se wāqif hai,
Matt UrduGeoR 6:9  balki yoṅ duā kiyā karo, Ai hamāre āsmānī Bāp, terā nām muqaddas mānā jāe.
Matt UrduGeoR 6:10  Terī bādshāhī āe. Terī marzī jis tarah āsmān meṅ pūrī hotī hai zamīn par bhī pūrī ho.
Matt UrduGeoR 6:12  Hamāre gunāhoṅ ko muāf kar jis tarah ham ne unheṅ muāf kiyā jinhoṅ ne hamārā gunāh kiyā hai.
Matt UrduGeoR 6:13  Aur hameṅ āzmāish meṅ na paṛne de balki hameṅ Iblīs se bachāe rakh. [Kyoṅki bādshāhī, qudrat aur jalāl abad tak tere hī haiṅ.]
Matt UrduGeoR 6:14  Kyoṅki jab tum logoṅ ke gunāh muāf karoge to tumhārā āsmānī Bāp bhī tum ko muāf karegā.
Matt UrduGeoR 6:15  Lekin agar tum unheṅ muāf na karo to tumhārā Bāp bhī tumhāre gunāh muāf nahīṅ karegā.
Matt UrduGeoR 6:16  Rozā rakhte waqt riyākāroṅ kī tarah muṅh laṭkāe na phiro, kyoṅki wuh aisā rūp bharte haiṅ tāki logoṅ ko mālūm ho jāe ki wuh rozā se haiṅ. Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ, jitnā ajr unheṅ milnā thā unheṅ mil chukā hai.
Matt UrduGeoR 6:17  Aisā mat karnā balki roze ke waqt apne bāloṅ meṅ tel ḍāl aur apnā muṅh dho.
Matt UrduGeoR 6:18  Phir logoṅ ko mālūm nahīṅ hogā ki tū rozā se hai balki sirf tere Bāp ko jo poshīdagī meṅ hai. Aur terā Bāp jo poshīdā bāteṅ deḳhtā hai tujhe is kā muāwazā degā.
Matt UrduGeoR 6:19  Is duniyā meṅ apne lie ḳhazāne jamā na karo, jahāṅ kīṛā aur zang unheṅ khā jāte aur chor naqb lagā kar churā lete haiṅ.
Matt UrduGeoR 6:20  Is ke bajāe apne ḳhazāne āsmān par jamā karo jahāṅ kīṛā aur zang unheṅ tabāh nahīṅ kar sakte, na chor naqb lagā kar churā sakte haiṅ.
Matt UrduGeoR 6:21  Kyoṅki jahāṅ terā ḳhazānā hai wahīṅ terā dil bhī lagā rahegā.
Matt UrduGeoR 6:22  Badan kā charāġh āṅkh hai. Agar terī āṅkh ṭhīk ho to phir terā pūrā badan raushan hogā.
Matt UrduGeoR 6:23  Lekin agar terī āṅkh ḳharāb ho to terā pūrā badan andherā hī andherā hogā. Aur agar tere andar kī raushnī tārīkī ho to yih tārīkī kitnī shadīd hogī!
Matt UrduGeoR 6:24  Koī bhī do mālikoṅ kī ḳhidmat nahīṅ kar saktā. Yā to wuh ek se nafrat karke dūsre se muhabbat rakhegā yā ek se lipaṭ kar dūsre ko haqīr jānegā. Tum ek hī waqt meṅ Allāh aur daulat kī ḳhidmat nahīṅ kar sakte.
Matt UrduGeoR 6:25  Is lie maiṅ tumheṅ batātā hūṅ, apnī zindagī kī zarūriyāt pūrī karne ke lie pareshān na raho ki hāy, maiṅ kyā khāūṅ aur kyā piyūṅ. Aur jism ke lie fikrmand na raho ki hāy, maiṅ kyā pahnūṅ. Kyā zindagī khāne-pīne se aham nahīṅ hai? Aur kyā jism poshāk se zyādā ahmiyat nahīṅ rakhtā?
Matt UrduGeoR 6:26  Parindoṅ par ġhaur karo. Na wuh bīj bote, na fasleṅ kāṭ kar unheṅ godām meṅ jamā karte haiṅ. Tumhārā āsmānī Bāp ḳhud unheṅ khānā khilātā hai. Kyā tumhārī un kī nisbat zyādā qadar-o-qīmat nahīṅ hai?
Matt UrduGeoR 6:27  Kyā tum meṅ se koī fikr karte karte apnī zindagī meṅ ek lamhe kā bhī izāfā kar saktā hai?
Matt UrduGeoR 6:28  Aur tum apne kapṛoṅ ke lie kyoṅ fikrmand hote ho? Ġhaur karo ki sosan ke phūl kis tarah ugte haiṅ. Na wuh mehnat karte, na kātte haiṅ.
Matt UrduGeoR 6:29  Lekin maiṅ tumheṅ batātā hūṅ ki Sulemān Bādshāh apnī pūrī shān-o-shaukat ke bāwujūd aise shāndār kapṛoṅ se mulabbas nahīṅ thā jaise un meṅ se ek.
Matt UrduGeoR 6:30  Agar Allāh us ghās ko jo āj maidān meṅ hai aur kal āg meṅ jhoṅkī jāegī aisā shāndār libās pahnātā hai to ai kam-etaqādo, wuh tum ko pahnāne ke lie kyā kuchh nahīṅ karegā?
Matt UrduGeoR 6:31  Chunāṅche pareshānī ke ālam meṅ fikr karte karte yih na kahte raho, ‘Ham kyā khāeṅ? Ham kyā pieṅ? Ham kyā pahneṅ?’
Matt UrduGeoR 6:32  Kyoṅki jo īmān nahīṅ rakhte wuhī in tamām chīzoṅ ke pīchhe bhāgte rahte haiṅ jabki tumhāre āsmānī Bāp ko pahle se mālūm hai ki tum ko in tamām chīzoṅ kī zarūrat hai.
Matt UrduGeoR 6:33  Pahle Allāh kī bādshāhī aur us kī rāstbāzī kī talāsh meṅ raho. Phir yih tamām chīzeṅ bhī tum ko mil jāeṅgī.
Matt UrduGeoR 6:34  Is lie kal ke bāre meṅ fikr karte karte pareshān na ho kyoṅki kal kā din apne lie āp fikr kar legā. Har din kī apnī musībateṅ kāfī haiṅ.
Chapter 7
Matt UrduGeoR 7:1  Dūsroṅ kī adālat mat karnā, warnā tumhārī adālat bhī kī jāegī.
Matt UrduGeoR 7:2  Kyoṅki jitnī saḳhtī se tum dūsroṅ kā faislā karte ho utnī saḳhtī se tumhārā bhī faislā kiyā jāegā. Aur jis paimāne se tum nāpte ho usī paimāne se tum bhī nāpe jāoge.
Matt UrduGeoR 7:3  Tū kyoṅ ġhaur se apne bhāī kī āṅkh meṅ paṛe tinke par nazar kartā hai jabki tujhe wuh shahtīr nazar nahīṅ ātā jo terī apnī āṅkh meṅ hai?
Matt UrduGeoR 7:4  Tū kyoṅkar apne bhāī se kah saktā hai, ‘Ṭhahro, mujhe tumhārī āṅkh meṅ paṛā tinkā nikālne do,’ jabki terī apnī āṅkh meṅ shahtīr hai.
Matt UrduGeoR 7:5  Riyākār! Pahle apnī āṅkh ke shahtīr ko nikāl. Tab hī tujhe bhāī kā tinkā sāf nazar āegā aur tū use achchhī tarah se dekh kar nikāl sakegā.
Matt UrduGeoR 7:6  Kuttoṅ ko muqaddas ḳhurāk mat khilānā aur suaroṅ ke āge apne motī na phaiṅknā. Aisā na ho ki wuh unheṅ pāṅwoṅ tale raundeṅ aur muṛ kar tum ko phāṛ ḍāleṅ.
Matt UrduGeoR 7:7  Māṅgte raho to tum ko diyā jāegā. Ḍhūṅḍte raho to tum ko mil jāegā. Khaṭkhaṭāte raho to tumhāre lie darwāzā khol diyā jāegā.
Matt UrduGeoR 7:8  Kyoṅki jo bhī māṅgtā hai wuh pātā hai, jo ḍhūṅḍtā hai use miltā hai, aur jo khaṭkhaṭātā hai us ke lie darwāzā khol diyā jātā hai.
Matt UrduGeoR 7:9  Tum meṅ se kaun apne beṭe ko patthar degā agar wuh roṭī māṅge?
Matt UrduGeoR 7:10  Yā kaun use sāṅp degā agar wuh machhlī māṅge? Koī nahīṅ!
Matt UrduGeoR 7:11  Jab tum bure hone ke bāwujūd itne samajhdār ho ki apne bachchoṅ ko achchhī chīzeṅ de sakte ho to phir kitnī zyādā yaqīnī bāt hai ki tumhārā āsmānī Bāp māṅgne wāloṅ ko achchhī chīzeṅ degā.
Matt UrduGeoR 7:12  Har bāt meṅ dūsroṅ ke sāth wuhī sulūk karo jo tum chāhte ho ki wuh tumhāre sāth kareṅ. Kyoṅki yihī sharīat aur nabiyoṅ kī tālīmāt kā lubb-e-lubāb hai.
Matt UrduGeoR 7:13  Tang darwāze se dāḳhil ho, kyoṅki halākat kī taraf le jāne wālā rāstā kushādā aur us kā darwāzā chauṛā hai. Bahut-se log us meṅ dāḳhil ho jāte haiṅ.
Matt UrduGeoR 7:14  Lekin zindagī kī taraf le jāne wālā rāstā tang hai aur us kā darwāzā chhoṭā. Kam hī log use pāte haiṅ.
Matt UrduGeoR 7:15  Jhūṭe nabiyoṅ se ḳhabardār raho! Go wuh bheṛoṅ kā bhes badal kar tumhāre pās āte haiṅ, lekin andar se wuh ġhāratgar bheṛie hote haiṅ.
Matt UrduGeoR 7:16  Un kā phal dekh kar tum unheṅ pahchān loge. Kyā ḳhārdār jhāṛiyoṅ se angūr toṛe jāte haiṅ yā ūṅṭkaṭāroṅ se anjīr? Hargiz nahīṅ.
Matt UrduGeoR 7:17  Isī tarah achchhā daraḳht achchhā phal lātā hai aur ḳharāb daraḳht ḳharāb phal.
Matt UrduGeoR 7:18  Na achchhā daraḳht ḳharāb phal lā saktā hai, na ḳharāb daraḳht achchhā phal.
Matt UrduGeoR 7:19  Jo bhī daraḳht achchhā phal nahīṅ lātā use kāṭ kar āg meṅ jhoṅkā jātā hai.
Matt UrduGeoR 7:20  Yoṅ tum un kā phal dekh kar unheṅ pahchān loge.
Matt UrduGeoR 7:21  Jo mujhe ‘Ḳhudāwand, Ḳhudāwand’ kahte haiṅ un meṅ se sab āsmān kī bādshāhī meṅ dāḳhil na hoṅge balki sirf wuh jo mere āsmānī Bāp kī marzī par aml karte haiṅ.
Matt UrduGeoR 7:22  Adālat ke din bahut-se log mujh se kaheṅge, ‘Ai Ḳhudāwand, Ḳhudāwand! Kyā ham ne tere hī nām meṅ nabuwwat nahīṅ kī, tere hī nām se badrūheṅ nahīṅ nikālīṅ, tere hī nām se mojize nahīṅ kie?’
Matt UrduGeoR 7:23  Us waqt maiṅ un se sāf sāf kah dūṅgā, ‘Merī kabhī tum se jān pahchān na thī. Ai badkāro! Mere sāmne se chale jāo.’
Matt UrduGeoR 7:24  Lihāzā jo bhī merī yih bāteṅ sun kar un par amal kartā hai wuh us samajhdār ādmī kī mānind hai jis ne apne makān kī buniyād chaṭān par rakhī.
Matt UrduGeoR 7:25  Bārish hone lagī, sailāb āyā aur āṅdhī makān ko jhanjhoṛne lagī. Lekin wuh na girā, kyoṅki us kī buniyād chaṭān par rakhī gaī thī.
Matt UrduGeoR 7:26  Lekin jo bhī merī yih bāteṅ sun kar un par amal nahīṅ kartā wuh us ahmaq kī mānind hai jis ne apnā makān sahīh buniyād ḍāle baġhair ret par tāmīr kiyā.
Matt UrduGeoR 7:27  Jab bārish hone lagī, sailāb āyā aur āṅdhī makān ko jhanjhoṛne lagī to yih makān dhaṛām se gir gayā.”
Matt UrduGeoR 7:28  Jab Īsā ne yih bāteṅ ḳhatm kar līṅ to log us kī tālīm sun kar hakkā-bakkā rah gae.
Matt UrduGeoR 7:29  Kyoṅki wuh un ke ulamā kī tarah nahīṅ balki iḳhtiyār ke sāth sikhātā thā.
Chapter 8
Matt UrduGeoR 8:1  Īsā pahāṛ se utrā to baṛī bhīṛ us ke pīchhe chalne lagī.
Matt UrduGeoR 8:2  Phir ek ādmī us ke pās āyā jo koṛh kā marīz thā. Muṅh ke bal gir kar us ne kahā, “Ḳhudāwand, agar āp chāheṅ to mujhe pāk-sāf kar sakte haiṅ.”
Matt UrduGeoR 8:3  Īsā ne apnā hāth baṛhā kar use chhuā aur kahā, “Maiṅ chāhtā hūṅ, pāk-sāf ho jā.” Is par wuh fauran us bīmārī se pāk-sāf ho gayā.
Matt UrduGeoR 8:4  Īsā ne us se kahā, “Ḳhabardār! Yih bāt kisī ko na batānā balki Baitul-muqaddas meṅ imām ke pās jā tāki wuh terā muāynā kare. Apne sāth wuh qurbānī le jā jis kā taqāzā Mūsā kī sharīat un se kartī hai jinheṅ koṛh se shifā milī hai. Yoṅ alāniyā tasdīq ho jāegī ki tū wāqaī pāk-sāf ho gayā hai.”
Matt UrduGeoR 8:5  Jab Īsā Kafarnahūm meṅ dāḳhil huā to sau faujiyoṅ par muqarrar ek afsar us ke pās ā kar us kī minnat karne lagā,
Matt UrduGeoR 8:6  “Ḳhudāwand, merā ġhulām maflūj hālat meṅ ghar meṅ paṛā hai, aur use shadīd dard ho rahā hai.”
Matt UrduGeoR 8:7  Īsā ne us se kahā, “Maiṅ ā kar use shifā dūṅgā.”
Matt UrduGeoR 8:8  Afsar ne jawāb diyā, “Nahīṅ Ḳhudāwand, maiṅ is lāyq nahīṅ ki āp mere ghar jāeṅ. Bas yihīṅ se hukm kareṅ to merā ġhulām shifā pā jāegā.
Matt UrduGeoR 8:9  Kyoṅki mujhe ḳhud ālā afsaroṅ ke hukm par chalnā paṛtā hai aur mere mātaht bhī faujī haiṅ. Ek ko kahtā hūṅ, ‘Jā!’ To wuh jātā hai aur dūsre ko ‘Ā!’ To wuh ātā hai. Isī tarah maiṅ apne naukar ko hukm detā hūṅ, ‘Yih kar’ to wuh kartā hai.”
Matt UrduGeoR 8:10  Yih sun kar Īsā nihāyat hairān huā. Us ne muṛ kar apne pīchhe āne wāloṅ se kahā, “Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ, maiṅ ne Isrāīl meṅ bhī is qism kā īmān nahīṅ pāyā.
Matt UrduGeoR 8:11  Maiṅ tumheṅ batātā hūṅ, bahut-se log mashriq aur maġhrib se ā kar Ibrāhīm, Is'hāq aur Yāqūb ke sāth āsmān kī bādshāhī kī ziyāfat meṅ sharīk hoṅge.
Matt UrduGeoR 8:12  Lekin bādshāhī ke asal wārisoṅ ko nikāl kar andhere meṅ ḍāl diyā jāegā, us jagah jahāṅ log rote aur dāṅt pīste raheṅge.”
Matt UrduGeoR 8:13  Phir Īsā afsar se muḳhātib huā, “Jā, tere sāth waisā hī ho jaisā terā īmān hai.” Aur afsar ke ġhulām ko usī ghaṛī shifā mil gaī.
Matt UrduGeoR 8:14  Īsā Patras ke ghar meṅ āyā. Wahāṅ us ne Patras kī sās ko bistar par paṛe dekhā. Use buḳhār thā.
Matt UrduGeoR 8:15  Us ne us kā hāth chhū liyā to buḳhār utar gayā aur wuh uṭh kar us kī ḳhidmat karne lagī.
Matt UrduGeoR 8:16  Shām huī to badrūhoṅ kī girift meṅ paṛe bahut-se logoṅ ko Īsā ke pās lāyā gayā. Us ne badrūhoṅ ko hukm de kar nikāl diyā aur tamām marīzoṅ ko shifā dī.
Matt UrduGeoR 8:17  Yoṅ Yasāyāh Nabī kī yih peshgoī pūrī huī ki “Us ne hamārī kamzoriyāṅ le līṅ aur hamārī bīmāriyāṅ uṭhā līṅ.”
Matt UrduGeoR 8:18  Jab Īsā ne apne gird baṛā hujūm dekhā to us ne shāgirdoṅ ko jhīl pār karne kā hukm diyā.
Matt UrduGeoR 8:19  Rawānā hone se pahle sharīat kā ek ālim us ke pās ā kar kahne lagā, “Ustād, jahāṅ bhī āp jāeṅge maiṅ āp ke pīchhe chaltā rahūṅgā.”
Matt UrduGeoR 8:20  Īsā ne jawāb diyā, “Lomṛiyāṅ apne bhaṭoṅ meṅ aur parinde apne ghoṅsloṅ meṅ ārām kar sakte haiṅ, lekin Ibn-e-Ādam ke pās sar rakh kar ārām karne kī koī jagah nahīṅ.”
Matt UrduGeoR 8:21  Kisī aur shāgird ne us se kahā, “Ḳhudāwand, mujhe pahle jā kar apne bāp ko dafn karne kī ijāzat deṅ.”
Matt UrduGeoR 8:22  Lekin Īsā ne use batāyā, “Mere pīchhe ho le aur murdoṅ ko apne murde dafn karne de.”
Matt UrduGeoR 8:23  Phir wuh kashtī par sawār huā aur us ke pīchhe us ke shāgird bhī.
Matt UrduGeoR 8:24  Achānak jhīl par saḳht āṅdhī chalne lagī aur kashtī lahroṅ meṅ ḍūbne lagī. Lekin Īsā so rahā thā.
Matt UrduGeoR 8:25  Shāgird us ke pās gae aur use jagā kar kahne lage, “Ḳhudāwand, hameṅ bachā, ham tabāh ho rahe haiṅ!”
Matt UrduGeoR 8:26  Us ne jawāb diyā, “Ai kam-etaqādo! Ghabrāte kyoṅ ho?” Khaṛe ho kar us ne āṅdhī aur maujoṅ ko ḍānṭā to lahreṅ bilkul sākit ho gaīṅ.
Matt UrduGeoR 8:27  Shāgird hairān ho kar kahne lage, “Yih kis qism kā shaḳhs hai? Hawā aur jhīl bhī us kā hukm māntī haiṅ.”
Matt UrduGeoR 8:28  Wuh jhīl ke pār Gadarīniyoṅ ke ilāqe meṅ pahuṅche to badrūh-giriftā do ādmī qabroṅ meṅ se nikal kar Īsā ko mile. Wuh itne ḳhatarnāk the ki wahāṅ se koī guzar nahīṅ saktā thā.
Matt UrduGeoR 8:29  Chīḳheṅ mār mār kar unhoṅ ne kahā, “Allāh ke Farzand, hamārā āp ke sāth kyā wāstā? Kyā āp hameṅ muqarrarā waqt se pahle azāb meṅ ḍālne āe haiṅ?”
Matt UrduGeoR 8:30  Kuchh fāsile par suaroṅ kā baṛā ġhol char rahā thā.
Matt UrduGeoR 8:31  Badrūhoṅ ne Īsā se iltijā kī, “Agar āp hameṅ nikālte haiṅ to suaroṅ ke us ġhol meṅ bhej deṅ.”
Matt UrduGeoR 8:32  Īsā ne unheṅ hukm diyā, “Jāo.” Badrūheṅ nikal kar suaroṅ meṅ jā ghusīṅ. Is par pūre kā pūrā ġhol bhāg bhāg kar pahāṛī kī ḍhalān par se utrā aur jhīl meṅ jhapaṭ kar ḍūb marā.
Matt UrduGeoR 8:33  Yih dekh kar suaroṅ ke gallābān bhāg gae. Shahr meṅ jā kar unhoṅ ne logoṅ ko sab kuchh sunāyā aur wuh bhī jo badrūh-giriftā ādmiyoṅ ke sāth huā thā.
Matt UrduGeoR 8:34  Phir pūrā shahr nikal kar Īsā ko milne āyā. Use dekh kar unhoṅ ne us kī minnat kī ki hamāre ilāqe se chale jāeṅ.
Chapter 9
Matt UrduGeoR 9:1  Kashtī meṅ baiṭh kar Īsā ne jhīl ko pār kiyā aur apne shahr pahuṅch gayā.
Matt UrduGeoR 9:2  Wahāṅ ek maflūj ādmī ko chārpāī par ḍāl kar us ke pās lāyā gayā. Un kā īmān dekh kar Īsā ne kahā, “Beṭā, hauslā rakh. Tere gunāh muāf kar die gae haiṅ.”
Matt UrduGeoR 9:3  Yih sun kar sharīat ke kuchh ulamā dil meṅ kahne lage, “Yih kufr bak rahā hai!”
Matt UrduGeoR 9:4  Īsā ne jān liyā ki yih kyā soch rahe haiṅ, is lie us ne un se pūchhā,
Matt UrduGeoR 9:5  “Tum dil meṅ burī bāteṅ kyoṅ soch rahe ho? Kyā maflūj se yih kahnā zyādā āsān hai ki ‘Tere gunāh muāf kar die gae haiṅ’ yā yih ki ‘Uṭh aur chal-phir?’
Matt UrduGeoR 9:6  Lekin maiṅ tum ko dikhātā hūṅ ki Ibn-e-Ādam ko wāqaī duniyā meṅ gunāh muāf karne kā iḳhtiyār hai.” Yih kah kar wuh maflūj se muḳhātib huā, “Uṭh, apnī chārpāī uṭhā kar ghar chalā jā.”
Matt UrduGeoR 9:7  Wuh ādmī khaṛā huā aur apne ghar chalā gayā.
Matt UrduGeoR 9:8  Yih dekh kar hujūm par Allāh kā ḳhauf tārī ho gayā aur wuh Allāh kī tamjīd karne lage ki us ne insān ko is qism kā iḳhtiyār diyā hai.
Matt UrduGeoR 9:9  Āge jā kar Īsā ne ek ādmī ko dekhā jo ṭaiks lene wāloṅ kī chaukī par baiṭhā thā. Us kā nām Mattī thā. Īsā ne us se kahā, “Mere pīchhe ho le.” Aur Mattī uṭh kar us ke pīchhe ho liyā.
Matt UrduGeoR 9:10  Bād meṅ Īsā Mattī ke ghar meṅ khānā khā rahā thā. Bahut-se ṭaiks lene wāle aur gunāhgār bhī ā kar Īsā aur us ke shāgirdoṅ ke sāth khāne meṅ sharīk hue.
Matt UrduGeoR 9:11  Yih dekh kar Farīsiyoṅ ne us ke shāgirdoṅ se pūchhā, “Āp kā ustād ṭaiks lene wāloṅ aur gunāhgāroṅ ke sāth kyoṅ khātā hai?”
Matt UrduGeoR 9:12  Yih sun kar Īsā ne kahā, “Sehhatmandoṅ ko ḍākṭar kī zarūrat nahīṅ hotī balki marīzoṅ ko.
Matt UrduGeoR 9:13  Pahle jāo aur kalām-e-muqaddas kī is bāt kā matlab jān lo ki ‘Maiṅ qurbānī nahīṅ balki rahm pasand kartā hūṅ.’ Kyoṅki maiṅ rāstbāzoṅ ko nahīṅ balki gunāhgāroṅ ko bulāne āyā hūṅ.”
Matt UrduGeoR 9:14  Phir Yahyā ke shāgird us ke pās āe aur pūchhā, “Āp ke shāgird rozā kyoṅ nahīṅ rakhte jabki ham aur Farīsī rozā rakhte haiṅ?”
Matt UrduGeoR 9:15  Īsā ne jawāb diyā, “Shādī ke mehmān kis tarah mātam kar sakte haiṅ jab tak dūlhā un ke darmiyān hai? Lekin ek din āegā jab dūlhā un se le liyā jāegā. Us waqt wuh zarūr rozā rakheṅge.
Matt UrduGeoR 9:16  Koī bhī nae kapṛe kā ṭukṛā kisī purāne libās meṅ nahīṅ lagātā. Agar wuh aisā kare to nayā ṭukṛā bād meṅ sukaṛ kar purāne libās se alag ho jāegā. Yoṅ purāne libās kī phaṭī huī jagah pahle kī nisbat zyādā ḳharāb ho jāegī.
Matt UrduGeoR 9:17  Isī tarah angūr kā tāzā ras purānī aur belachak mashkoṅ meṅ nahīṅ ḍālā jātā. Agar aisā kiyā jāe to purānī mashkeṅ paidā hone wālī gais ke bāis phaṭ jāeṅgī. Natīje meṅ mai aur mashkeṅ donoṅ zāe ho jāeṅgī. Is lie angūr kā tāzā ras naī mashkoṅ meṅ ḍālā jātā hai jo lachakdār hotī haiṅ. Yoṅ ras aur mashkeṅ donoṅ hī mahfūz rahte haiṅ.”
Matt UrduGeoR 9:18  Īsā abhī yih bayān kar rahā thā ki ek Yahūdī rāhnumā ne gir kar use sijdā kiyā aur kahā, “Merī beṭī abhī abhī marī hai. Lekin ā kar apnā hāth us par rakheṅ to wuh dubārā zindā ho jāegī.”
Matt UrduGeoR 9:19  Īsā uṭh kar apne shāgirdoṅ samet us ke sāth ho liyā.
Matt UrduGeoR 9:20  Chalte chalte ek aurat ne pīchhe se ā kar Īsā ke libās kā kinārā chhuā. Yih aurat bārah sāl se ḳhūn bahne kī marīzā thī
Matt UrduGeoR 9:21  aur wuh soch rahī thī, “Agar maiṅ sirf us ke libās ko hī chhū lūṅ to shifā pā lūṅgī.”
Matt UrduGeoR 9:22  Īsā ne muṛ kar use dekhā aur kahā, “Beṭī, hauslā raḳh! Tere īmān ne tujhe bachā liyā hai.” Aur aurat ko usī waqt shifā mil gaī.
Matt UrduGeoR 9:23  Phir Īsā rāhnumā ke ghar meṅ dāḳhil huā. Bāṅsrī bajāne wāle aur bahut-se log pahuṅch chuke the aur bahut shor-sharābā thā. Yih dekh kar
Matt UrduGeoR 9:24  Īsā ne kahā, “Nikal jāo! Laṛkī mar nahīṅ gaī balki so rahī hai.” Log haṅs kar us kā mazāq uṛāne lage.
Matt UrduGeoR 9:25  Lekin jab sab ko nikāl diyā gayā to wuh andar gayā. Us ne laṛkī kā hāth pakaṛā to wuh uṭh khaṛī huī.
Matt UrduGeoR 9:26  Is mojize kī ḳhabar us pūre ilāqe meṅ phail gaī.
Matt UrduGeoR 9:27  Jab Īsā wahāṅ se rawānā huā to do andhe us ke pīchhe chal kar chillāne lage, “Ibn-e-Dāūd, ham par rahm kareṅ.”
Matt UrduGeoR 9:28  Jab Īsā kisī ke ghar meṅ dāḳhil huā to wuh us ke pās āe. Īsā ne un se pūchhā, “Kyā tumhārā īmān hai ki maiṅ yih kar saktā hūṅ?” Unhoṅ ne jawāb diyā, “Jī, Ḳhudāwand.”
Matt UrduGeoR 9:29  Phir us ne un kī āṅkheṅ chhū kar kahā, “Tumhāre sāth tumhāre īmān ke mutābiq ho jāe.”
Matt UrduGeoR 9:30  Un kī āṅkheṅ bahāl ho gaīṅ aur Īsā ne saḳhtī se unheṅ kahā, “Ḳhabardār, kisī ko bhī is kā patā na chale!”
Matt UrduGeoR 9:31  Lekin wuh nikal kar pūre ilāqe meṅ us kī ḳhabar phailāne lage.
Matt UrduGeoR 9:32  Jab wuh nikal rahe the to ek gūṅgā ādmī Īsā ke pās lāyā gayā jo kisī badrūh ke qabze meṅ thā.
Matt UrduGeoR 9:33  Jab badrūh ko nikālā gayā to gūṅgā bolne lagā. Hujūm hairān rah gayā. Unhoṅ ne kahā, “Aisā kām Isrāīl meṅ kabhī nahīṅ dekhā gayā.”
Matt UrduGeoR 9:34  Lekin Farīsiyoṅ ne kahā, “Wuh badrūhoṅ ke sardār hī kī madad se badrūhoṅ ko nikāltā hai.”
Matt UrduGeoR 9:35  Aur Īsā safr karte karte tamām shahroṅ aur gāṅwoṅ meṅ se guzarā. Jahāṅ bhī wuh pahuṅchā wahāṅ us ne un ke ibādatḳhānoṅ meṅ tālīm dī, bādshāhī kī ḳhushḳhabrī sunāī aur har qism ke marz aur alālat se shifā dī.
Matt UrduGeoR 9:36  Hujūm ko dekh kar use un par baṛā tars āyā, kyoṅki wuh pise hue aur bebas the, aisī bheṛoṅ kī tarah jin kā charwāhā na ho.
Matt UrduGeoR 9:37  Us ne apne shāgirdoṅ se kahā, “Fasal bahut hai, lekin mazdūr kam.
Matt UrduGeoR 9:38  Is lie fasal ke mālik se guzārish karo ki wuh apnī fasal kāṭne ke lie mazīd mazdūr bhej de.”
Chapter 10
Matt UrduGeoR 10:1  Phir Īsā ne apne bārah rasūloṅ ko bulā kar unheṅ nāpāk rūh nikālne aur har qism ke marz aur alālat se shifā dene kā iḳhtiyār diyā.
Matt UrduGeoR 10:2  Bārah rasūloṅ ke nām yih haiṅ: pahlā Shamāūn jo Patras bhī kahlātā hai, phir us kā bhāī Andriyās, Yāqūb bin Zabdī aur us kā bhāī Yūhannā,
Matt UrduGeoR 10:3  Filippus, Bartulmāī, Tomā, Mattī (jo ṭaiks lene wālā thā), Yāqūb bin Halfaī, Taddī,
Matt UrduGeoR 10:4  Shamāūn Mujāhid aur Yahūdāh Iskariyotī jis ne bād meṅ use dushmanoṅ ke hawāle kar diyā.
Matt UrduGeoR 10:5  In bārah mardoṅ ko Īsā ne bhej diyā. Sāth sāth us ne unheṅ hidāyat dī, “Ġhairyahūdī ābādiyoṅ meṅ na jānā, na kisī Sāmarī shahr meṅ,
Matt UrduGeoR 10:6  balki sirf Isrāīl kī khoī huī bheṛoṅ ke pās.
Matt UrduGeoR 10:7  Aur chalte chalte munādī karte jāo ki ‘Āsmān kī bādshāhī qarīb ā chukī hai.’
Matt UrduGeoR 10:8  Bīmāroṅ ko shifā do, murdoṅ ko zindā karo, koṛhiyoṅ ko pāk-sāf karo, badrūhoṅ ko nikālo. Tum ko muft meṅ milā hai, muft meṅ hī bāṅṭnā.
Matt UrduGeoR 10:9  Apne kamarband meṅ paise na rakhnā—na sone, na chāṅdī aur na tāṅbe ke sikke.
Matt UrduGeoR 10:10  Na safr ke lie baig ho, na ek se zyādā sūṭ, na jūte, na lāṭhī. Kyoṅki mazdūr apnī rozī kā haqdār hai.
Matt UrduGeoR 10:11  Jis shahr yā gāṅw meṅ dāḳhil hote ho us meṅ kisī lāyq shaḳhs kā patā karo aur rawānā hote waqt tak usī ke ghar meṅ ṭhahro.
Matt UrduGeoR 10:12  Ghar meṅ dāḳhil hote waqt use duā-e-ḳhair do.
Matt UrduGeoR 10:13  Agar wuh ghar is lāyq hogā to jo salāmatī tum ne us ke lie māṅgī hai wuh us par ā kar ṭhahrī rahegī. Agar nahīṅ to yih salāmatī tumhāre pās lauṭ āegī.
Matt UrduGeoR 10:14  Agar koī gharānā yā shahr tum ko qabūl na kare, na tumhārī sune to rawānā hote waqt us jagah kī gard apne pāṅwoṅ se jhāṛ denā.
Matt UrduGeoR 10:15  Maiṅ tumheṅ sach batātā hūṅ, adālat ke din us shahr kī nisbat Sadūm aur Amūrā ke ilāqe kā hāl zyādā qābil-e-bardāsht hogā.
Matt UrduGeoR 10:16  Dekho, maiṅ tum bheṛoṅ ko bheṛiyoṅ meṅ bhej rahā hūṅ. Is lie sāṅpoṅ kī tarah hoshyār aur kabūtaroṅ kī tarah māsūm bano.
Matt UrduGeoR 10:17  Logoṅ se ḳhabardār raho, kyoṅki wuh tum ko maqāmī adālatoṅ ke hawāle karke apne ibādatḳhānoṅ meṅ koṛe lagwāeṅge.
Matt UrduGeoR 10:18  Merī ḳhātir tumheṅ hukmrānoṅ aur bādshāhoṅ ke sāmne pesh kiyā jāegā aur yoṅ tum ko unheṅ aur Ġhairyahūdiyoṅ ko gawāhī dene kā mauqā milegā.
Matt UrduGeoR 10:19  Jab wuh tumheṅ giriftār kareṅge to yih sochte sochte pareshān na ho jānā ki maiṅ kyā kahūṅ yā kis tarah bāt karūṅ. Us waqt tum ko batāyā jāegā ki kyā kahnā hai,
Matt UrduGeoR 10:20  kyoṅki tum ḳhud bāt nahīṅ karoge balki tumhāre Bāp kā Rūh tumhārī mārifat bolegā.
Matt UrduGeoR 10:21  Bhāī apne bhāī ko aur bāp apne bachche ko maut ke hawāle karegā. Bachche apne wālidain ke ḳhilāf khaṛe ho kar unheṅ qatl karwāeṅge.
Matt UrduGeoR 10:22  Sab tum se nafrat kareṅge, is lie ki tum mere pairokār ho. Lekin jo āḳhir tak qāym rahegā use najāt milegī.
Matt UrduGeoR 10:23  Jab wuh ek shahr meṅ tumheṅ satāeṅge to kisī dūsre shahr ko hijrat kar jānā. Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki Ibn-e-Ādam kī āmad tak tum Isrāīl ke tamām shahroṅ tak nahīṅ pahuṅch pāoge.
Matt UrduGeoR 10:24  Shāgird apne ustād se baṛā nahīṅ hotā, na ġhulām apne mālik se.
Matt UrduGeoR 10:25  Shāgird ko is par iktifā karnā hai ki wuh apne ustād kī mānind ho, aur isī tarah ġhulām ko ki wuh apne mālik kī mānind ho. Gharāne ke sarparast ko agar badrūhoṅ kā sardār Bāl-zabūl qarār diyā gayā hai to us ke ghar wāloṅ ko kyā kuchh na kahā jāegā.
Matt UrduGeoR 10:26  Un se mat ḍarnā, kyoṅki jo kuchh abhī chhupā huā hai use āḳhir meṅ zāhir kiyā jāegā, aur jo kuchh bhī is waqt poshīdā hai us kā rāz āḳhir meṅ khul jāegā.
Matt UrduGeoR 10:27  Jo kuchh maiṅ tumheṅ andhere meṅ sunā rahā hūṅ use roz-e-raushan meṅ sunā denā. Aur jo kuchh āhistā āhistā tumhāre kān meṅ batāyā gayā hai us kā chhatoṅ se elān karo.
Matt UrduGeoR 10:28  Un se ḳhauf mat khānā jo tumhārī rūh ko nahīṅ balki sirf tumhāre jism ko qatl kar sakte haiṅ. Allāh se ḍaro jo rūh aur jism donoṅ ko jahannum meṅ ḍāl kar halāk kar saktā hai.
Matt UrduGeoR 10:29  Kyā chiṛiyoṅ kā joṛā kam paisoṅ meṅ nahīṅ biktā? Tāham un meṅ se ek bhī tumhāre Bāp kī ijāzat ke baġhair zamīn par nahīṅ gir saktī.
Matt UrduGeoR 10:30  Na sirf yih balki tumhāre sar ke sab bāl bhī gine hue haiṅ.
Matt UrduGeoR 10:31  Lihāzā mat ḍaro. Tumhārī qadar-o-qīmat bahut-sī chiṛiyoṅ se kahīṅ zyādā hai.
Matt UrduGeoR 10:32  Jo bhī logoṅ ke sāmne merā iqrār kare us kā iqrār maiṅ ḳhud bhī apne āsmānī Bāp ke sāmne karūṅga.
Matt UrduGeoR 10:33  Lekin jo bhī logoṅ ke sāmne merā inkār kare us kā maiṅ bhī apne āsmānī Bāp ke sāmne inkār karūṅga.
Matt UrduGeoR 10:34  Yih mat samjho ki maiṅ duniyā meṅ sulah-salāmatī qāym karne āyā hūṅ. Maiṅ sulah-salāmatī nahīṅ balki talwār chalwāne āyā hūṅ.
Matt UrduGeoR 10:35  Maiṅ beṭe ko us ke bāp ke ḳhilāf khaṛā karne āyā hūṅ, beṭī ko us kī māṅ ke ḳhilāf aur bahū ko us kī sās ke ḳhilāf.
Matt UrduGeoR 10:37  Jo apne bāp yā māṅ ko mujh se zyādā pyār kare wuh mere lāyq nahīṅ. Jo apne beṭe yā beṭī ko mujh se zyādā pyār kare wuh mere lāyq nahīṅ.
Matt UrduGeoR 10:38  Jo apnī salīb uṭhā kar mere pīchhe na ho le wuh mere lāyq nahīṅ.
Matt UrduGeoR 10:39  Jo bhī apnī jān ko bachāe wuh use kho degā, lekin jo apnī jān ko merī ḳhātir kho de wuh use pāegā.
Matt UrduGeoR 10:40  Jo tumheṅ qabūl kare wuh mujhe qabūl kartā hai, aur jo mujhe qabūl kartā hai wuh us ko qabūl kartā hai jis ne mujhe bhejā hai.
Matt UrduGeoR 10:41  Jo kisī nabī ko qabūl kare use nabī kā-sā ajr milegā. Aur jo kisī rāstbāz shaḳhs ko us kī rāstbāzī ke sabab se qabūl kare use rāstbāz shaḳhs kā-sā ajr milegā.
Matt UrduGeoR 10:42  Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki jo in chhoṭoṅ meṅ se kisī ek ko merā shāgird hone ke bāis ṭhanḍe pānī kā glās bhī pilāe us kā ajr qāym rahegā.”
Chapter 11
Matt UrduGeoR 11:1  Apne shāgirdoṅ ko yih hidāyāt dene ke bād Īsā un ke shahroṅ meṅ tālīm dene aur munādī karne ke lie rawānā huā.
Matt UrduGeoR 11:2  Yahyā ne jo us waqt jel meṅ thā sunā ki Īsā kyā kyā kar rahā hai. Is par us ne apne shāgirdoṅ ko us ke pās bhej diyā
Matt UrduGeoR 11:3  tāki wuh us se pūchheṅ, “Kyā āp wuhī haiṅ jise ānā hai yā ham kisī aur ke intazār meṅ raheṅ?”
Matt UrduGeoR 11:4  Īsā ne jawāb diyā, “Yahyā ke pās wāpas jā kar use sab kuchh batā denā jo tum ne dekhā aur sunā hai.
Matt UrduGeoR 11:5  ‘Andhe deḳhte, langaṛe chalte phirte haiṅ, koṛhiyoṅ ko pāk-sāf kiyā jātā hai, bahre sunte haiṅ, murdoṅ ko zindā kiyā jātā hai aur ġharīboṅ ko Allāh kī ḳhushḳhabrī sunāī jātī hai.’
Matt UrduGeoR 11:6  Mubārak hai wuh jo mere sabab se ṭhokar khā kar bargashtā nahīṅ hotā.”
Matt UrduGeoR 11:7  Yahyā ke yih shāgird chale gae to Īsā hujūm se Yahyā ke bāre meṅ bāt karne lagā, “Tum registān meṅ kyā deḳhne gae the? Ek sarkanḍā jo hawā ke har jhoṅke se hiltā hai? Beshak nahīṅ.
Matt UrduGeoR 11:8  Yā kyā wahāṅ jā kar aise ādmī kī tawaqqo kar rahe the jo nafīs aur mulāym libās pahne hue hai? Nahīṅ, jo shāndār kapṛe pahante haiṅ wuh shāhī mahaloṅ meṅ pāe jāte haiṅ.
Matt UrduGeoR 11:9  To phir tum kyā deḳhne gae the? Ek nabī ko? Bilkul sahīh, balki meṅ tum ko batātā hūṅ ki wuh nabī se bhī baṛā hai.
Matt UrduGeoR 11:10  Usī ke bāre meṅ kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai, ‘Dekh, maiṅ apne paiġhambar ko tere āge āge bhej detā hūṅ jo tere sāmne rāstā taiyār karegā.’
Matt UrduGeoR 11:11  Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki is duniyā meṅ paidā hone wālā koī bhī shaḳhs Yahyā se baṛā nahīṅ hai. To bhī āsmān kī bādshāhī meṅ dāḳhil hone wālā sab se chhoṭā shaḳhs us se baṛā hai.
Matt UrduGeoR 11:12  Yahyā baptismā dene wāle kī ḳhidmat se le kar āj tak āsmān kī bādshāhī par zabardastī kī jā rahī hai, aur zabardast use chhīn rahe haiṅ.
Matt UrduGeoR 11:13  Kyoṅki tamām nabī aur Tauret ne Yahyā ke daur tak is ke bāre meṅ peshgoī kī hai.
Matt UrduGeoR 11:14  Aur agar tum yih mānane ke lie taiyār ho to māno ki wuh Iliyās Nabī hai jise ānā thā.
Matt UrduGeoR 11:16  Maiṅ is nasl ko kis se tashbīh dūṅ? Wuh un bachchoṅ kī mānind haiṅ jo bāzār meṅ baiṭhe khel rahe haiṅ. Un meṅ se kuchh ūṅchī āwāz se dūsre bachchoṅ se shikāyat kar rahe haiṅ,
Matt UrduGeoR 11:17  ‘Ham ne bāṅsrī bajāī to tum na nāche. Phir ham ne nohā ke gīt gāe, lekin tum ne chhātī pīṭ kar mātam na kiyā.’
Matt UrduGeoR 11:18  Dekho, Yahyā āyā aur na khāyā, na piyā. Yih dekh kar log kahte haiṅ ki us meṅ badrūh hai.
Matt UrduGeoR 11:19  Phir Ibn-e-Ādam khātā aur pītā huā āyā. Ab kahte haiṅ, ‘Dekho yih kaisā peṭū aur sharābī hai. Aur wuh ṭaiks lene wāloṅ aur gunāhgāroṅ kā dost bhī hai.’ Lekin hikmat apne āmāl se hī sahīh sābit huī hai.”
Matt UrduGeoR 11:20  Phir Īsā un shahroṅ ko ḍānṭne lagā jin meṅ us ne zyādā mojize kie the, kyoṅki unhoṅ ne taubā nahīṅ kī thī.
Matt UrduGeoR 11:21  “Ai Ḳhurāzīn, tujh par afsos! Bait-saidā, tujh par afsos! Agar Sūr aur Saidā meṅ wuh mojize kie gae hote jo tum meṅ hue to wahāṅ ke log kab ke ṭāṭ oṛh kar aur sar par rākh ḍāl kar taubā kar chuke hote.
Matt UrduGeoR 11:22  Jī hāṅ, adālat ke din tumhārī nisbat Sūr aur Saidā kā hāl zyādā qābil-e-bardāsht hogā.
Matt UrduGeoR 11:23  Aur ai Kafarnahūm, kyā tujhe āsmān tak sarfarāz kiyā jāegā? Hargiz nahīṅ, balki tū utartā utartā Pātāl tak pahuṅchegā. Agar Sadūm meṅ wuh mojize kie gae hote jo tujh meṅ hue haiṅ to wuh āj tak qāym rahtā.
Matt UrduGeoR 11:24  Hāṅ, adālat ke din terī nisbat Sadūm kā hāl zyādā qābil-e-bardāsht hogā.”
Matt UrduGeoR 11:25  Us waqt Īsā ne kahā, “Ai Bāp, āsmān-o-zamīn ke Mālik! Maiṅ terī tamjīd kartā hūṅ ki tū ne yih bāteṅ dānāoṅ aur aqalmandoṅ se chhupā kar chhoṭe bachchoṅ par zāhir kar dī haiṅ.
Matt UrduGeoR 11:27  Mere Bāp ne sab kuchh mere sapurd kar diyā hai. Koī bhī Farzand ko nahīṅ jāntā siwāe Bāp ke. Aur koī Bāp ko nahīṅ jāntā siwāe Farzand ke aur un logoṅ ke jin par Farzand Bāp ko zāhir karnā chāhtā hai.
Matt UrduGeoR 11:28  Ai thakemānde aur bojh tale dabe hue logo, sab mere pās āo! Maiṅ tum ko ārām dūṅgā.
Matt UrduGeoR 11:29  Merā juā apne ūpar uṭhā kar mujh se sīkho, kyoṅki maiṅ halīm aur narmdil hūṅ. Yoṅ karne se tumhārī jāneṅ ārām pāeṅgī,
Matt UrduGeoR 11:30  kyoṅki merā juā mulāym aur merā bojh halkā hai.”
Chapter 12
Matt UrduGeoR 12:1  Un dinoṅ meṅ Īsā anāj ke khetoṅ meṅ se guzar rahā thā. Sabat kā din thā. Chalte chalte us ke shāgirdoṅ ko bhūk lagī aur wuh anāj kī bāleṅ toṛ toṛ kar khāne lage.
Matt UrduGeoR 12:2  Yih dekh kar Farīsiyoṅ ne Īsā se shikāyat kī, “Dekho, āp ke shāgird aisā kām kar rahe haiṅ jo Sabat ke din manā hai.”
Matt UrduGeoR 12:3  Īsā ne jawāb diyā, “Kyā tum ne nahīṅ paṛhā ki Dāūd ne kyā kiyā jab use aur us ke sāthiyoṅ ko bhūk lagī?
Matt UrduGeoR 12:4  Wuh Allāh ke ghar meṅ dāḳhil huā aur apne sāthiyoṅ samet Rab ke lie maḳhsūsshudā roṭiyāṅ khāīṅ, agarche unheṅ is kī ijāzat nahīṅ thī balki sirf imāmoṅ ko?
Matt UrduGeoR 12:5  Yā kyā tum ne Tauret meṅ nahīṅ paṛhā ki go imām Sabat ke din Baitul-muqaddas meṅ ḳhidmat karte hue ārām karne kā hukm toṛte haiṅ to bhī wuh be'ilzām ṭhaharte haiṅ?
Matt UrduGeoR 12:6  Maiṅ tumheṅ batātā hūṅ ki yahāṅ wuh hai jo Baitul-muqaddas se afzal hai.
Matt UrduGeoR 12:7  Kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai, ‘Maiṅ qurbānī nahīṅ balki rahm pasand kartā hūṅ.’ Agar tum is kā matlab samajhte to bequsūroṅ ko mujrim na ṭhahrāte.
Matt UrduGeoR 12:9  Wahāṅ se chalte chalte wuh un ke ibādatḳhāne meṅ dāḳhil huā.
Matt UrduGeoR 12:10  Us meṅ ek ādmī thā jis kā hāth sūkhā huā thā. Log Īsā par ilzām lagāne kā koī bahānā talāsh kar rahe the, is lie unhoṅ ne us se pūchhā, “Kyā sharīat Sabat ke din shifā dene kī ijāzat detī hai?”
Matt UrduGeoR 12:11  Īsā ne jawāb diyā, “Agar tum meṅ se kisī kī bheṛ Sabat ke din gaṛhe meṅ gir jāe to kyā use nahīṅ nikāloge?
Matt UrduGeoR 12:12  Aur bheṛ kī nisbat insān kī kitnī zyādā qadar-o-qīmat hai! Ġharz sharīat nek kām karne kī ijāzat detī hai.”
Matt UrduGeoR 12:13  Phir us ne us ādmī se jis kā hāth sūkhā huā thā kahā, “Apnā hāth āge baṛhā.” Us ne aisā kiyā to us kā hāth dūsre hāth kī mānind tandurust ho gayā.
Matt UrduGeoR 12:14  Is par Farīsī nikal kar āpas meṅ Īsā ko qatl karne kī sāzisheṅ karne lage.
Matt UrduGeoR 12:15  Jab Īsā ne yih jān liyā to wuh wahāṅ se chalā gayā. Bahut-se log us ke pīchhe chal rahe the. Us ne un ke tamām marīzoṅ ko shifā de kar
Matt UrduGeoR 12:16  unheṅ tākīd kī, “Kisī ko mere bāre meṅ na batāo.”
Matt UrduGeoR 12:17  Yoṅ Yasāyāh Nabī kī yih peshgoī pūrī huī,
Matt UrduGeoR 12:18  ‘Dekho, merā ḳhādim jise maiṅ ne chun liyā hai, merā pyārā jo mujhe pasand hai. Maiṅ apne Rūh ko us par ḍālūṅgā, aur wuh aqwām meṅ insāf kā elān karegā.
Matt UrduGeoR 12:19  Wuh na to jhagaṛegā, na chillāegā. Galiyoṅ meṅ us kī āwāz sunāī nahīṅ degī.
Matt UrduGeoR 12:20  Na wuh kuchle hue sarkanḍe ko toṛegā, na bujhtī huī battī ko bujhāegā jab tak wuh insāf ko ġhalbā na baḳhshe.
Matt UrduGeoR 12:22  Phir ek ādmī ko Īsā ke pās lāyā gayā jo badrūh kī girift meṅ thā. Wuh andhā aur gūṅgā thā. Īsā ne use shifā dī to gūṅgā bolne aur deḳhne lagā.
Matt UrduGeoR 12:23  Hujūm ke tamām log hakkā-bakkā rah gae aur pūchhne lage, “Kyā yih Ibn-e-Dāūd nahīṅ?”
Matt UrduGeoR 12:24  Lekin jab Farīsiyoṅ ne yih sunā to unhoṅ ne kahā, “Yih sirf badrūhoṅ ke sardār Bāl-zabūl kī mārifat badrūhoṅ ko nikāltā hai.”
Matt UrduGeoR 12:25  Un ke yih ḳhayālāt jān kar Īsā ne un se kahā, “Jis bādshāhī meṅ phūṭ paṛ jāe wuh tabāh ho jāegī. Aur jis shahr yā gharāne kī aisī hālat ho wuh bhī qāym nahīṅ rah saktā.
Matt UrduGeoR 12:26  Isī tarah agar Iblīs apne āp ko nikāle to phir us meṅ phūṭ paṛ gaī hai. Is sūrat meṅ us kī bādshāhī kis tarah qāym rah saktī hai?
Matt UrduGeoR 12:27  Aur agar maiṅ badrūhoṅ ko Bāl-zabūl kī madad se nikāltā hūṅ to tumhāre beṭe unheṅ kis ke zariye nikālte haiṅ? Chunāṅche wuhī is bāt meṅ tumhāre munsif hoṅge.
Matt UrduGeoR 12:28  Lekin agar maiṅ Allāh ke Rūh kī mārifat badrūhoṅ ko nikāl detā hūṅ to phir Allāh kī bādshāhī tumhāre pās pahuṅch chukī hai.
Matt UrduGeoR 12:29  Kisī zorāwar ādmī ke ghar meṅ ghus kar us kā māl-o-asbāb lūṭnā kis tarah mumkin hai jab tak ki use bāndhā na jāe? Phir hī use lūṭā jā saktā hai.
Matt UrduGeoR 12:30  Jo mere sāth nahīṅ wuh mere ḳhilāf hai aur jo mere sāth jamā nahīṅ kartā wuh bikhertā hai.
Matt UrduGeoR 12:31  Ġharz maiṅ tum ko batātā hūṅ ki insān kā har gunāh aur kufr muāf kiyā jā sakegā siwāe Rūhul-quds ke ḳhilāf kufr bakne ke. Ise muāf nahīṅ kiyā jāegā.
Matt UrduGeoR 12:32  Jo Ibn-e-Ādam ke ḳhilāf bāt kare use muāf kiyā jā sakegā, lekin jo Rūhul-quds ke ḳhilāf bāt kare use na is jahān meṅ aur na āne wāle jahān meṅ muāf kiyā jāegā.
Matt UrduGeoR 12:33  Achchhe phal ke lie achchhe daraḳht kī zarūrat hotī hai. Ḳharāb daraḳht se ḳharāb phal miltā hai. Daraḳht us ke phal se hī pahchānā jātā hai.
Matt UrduGeoR 12:34  Ai sāṅp ke bachcho! Tum jo bure ho kis tarah achchhī bāteṅ kar sakte ho? Kyoṅki jis chīz se dil labrez hotā hai wuh chhalak kar zabān par ā jātī hai.
Matt UrduGeoR 12:35  Achchhā shaḳhs apne dil ke achchhe ḳhazāne se achchhī chīzeṅ nikāltā hai jabki burā shaḳhs apne bure ḳhazāne se burī chīzeṅ.
Matt UrduGeoR 12:36  Maiṅ tum ko batātā hūṅ ki qiyāmat ke din logoṅ ko beparwāī se kī gaī har bāt kā hisāb denā paṛegā.
Matt UrduGeoR 12:37  Tumhārī apnī bātoṅ kī binā par tum ko rāst yā nārāst ṭhahrāyā jāegā.”
Matt UrduGeoR 12:38  Phir sharīat ke kuchh ulamā aur Farīsiyoṅ ne Īsā se bāt kī, “Ustād, ham āp kī taraf se ilāhī nishān deḳhnā chāhte haiṅ.”
Matt UrduGeoR 12:39  Us ne jawāb diyā, “Sirf sharīr aur zinākār nasl ilāhī nishān kā taqāzā kartī hai. Lekin use koī bhī ilāhī nishān pesh nahīṅ kiyā jāegā siwāe Yūnus nabī ke nishān ke.
Matt UrduGeoR 12:40  Kyoṅki jis tarah Yūnus tīn din aur tīn rāt machhlī ke peṭ meṅ rahā usī tarah Ibn-e-Ādam bhī tīn din aur tīn rāt zamīn kī god meṅ paṛā rahegā.
Matt UrduGeoR 12:41  Qiyāmat ke din Nīnwā ke bāshinde is nasl ke sāth khaṛe ho kar ise mujrim ṭhahrāeṅge. Kyoṅki Yūnus ke elān par unhoṅ ne taubā kī thī jabki yahāṅ wuh hai jo Yūnus se bhī baṛā hai.
Matt UrduGeoR 12:42  Us din junūbī mulk Sabā kī malikā bhī is nasl ke sāth khaṛī ho kar ise mujrim qarār degī. Kyoṅki wuh dūr-darāz mulk se Sulemān kī hikmat sunane ke lie āī thī jabki yahāṅ wuh hai jo Sulemān se bhī baṛā hai.
Matt UrduGeoR 12:43  Jab koī badrūh kisī shaḳhs se nikaltī hai to wuh wīrān ilāqoṅ meṅ se guzartī huī ārām kī jagah talāsh kartī hai. Lekin jab use koī aisā maqām nahīṅ miltā
Matt UrduGeoR 12:44  to wuh kahtī hai, ‘Maiṅ apne us ghar meṅ wāpas chalī jāūṅgī jis meṅ se niklī thī.’ Wuh wāpas ā kar deḳhtī hai ki ghar ḳhālī hai aur kisī ne jhāṛū de kar sab kuchh salīqe se rakh diyā hai.
Matt UrduGeoR 12:45  Phir wuh jā kar sāt aur badrūheṅ ḍhūnḍ lātī hai jo us se badtar hotī haiṅ, aur wuh sab us shaḳhs meṅ ghus kar rahne lagtī haiṅ. Chunāṅche ab us ādmī kī hālat pahle kī nisbat zyādā burī ho jātī hai. Is sharīr nasl kā bhī yihī hāl hogā.”
Matt UrduGeoR 12:46  Īsā abhī hujūm se bāt kar hī rahā thā ki us kī māṅ aur bhāī bāhar khaṛe us se bāt karne kī koshish karne lage.
Matt UrduGeoR 12:47  Kisī ne Īsā se kahā, “Āp kī māṅ aur bhāī bāhar khaṛe haiṅ aur āp se bāt karnā chāhte haiṅ.”
Matt UrduGeoR 12:48  Īsā ne pūchhā, “Kaun hai merī māṅ aur kaun haiṅ mere bhāī?”
Matt UrduGeoR 12:49  Phir apne hāth se shāgirdoṅ kī taraf ishārā karke us ne kahā, “Dekho, yih merī māṅ aur mere bhāī haiṅ.
Matt UrduGeoR 12:50  Kyoṅki jo bhī mere āsmānī Bāp kī marzī pūrī kartā hai wuh merā bhāī, merī bahan aur merī māṅ hai.”
Chapter 13
Matt UrduGeoR 13:1  Usī din Īsā ghar se nikal kar jhīl ke kināre baiṭh gayā.
Matt UrduGeoR 13:2  Itnā baṛā hujūm us ke gird jamā ho gayā ki āḳhirkār wuh ek kashtī meṅ baiṭh gayā jabki log kināre par khaṛe rahe.
Matt UrduGeoR 13:3  Phir us ne unheṅ bahut-sī bāteṅ tamsīloṅ meṅ sunāīṅ. “Ek kisān bīj bone ke lie niklā.
Matt UrduGeoR 13:4  Jab bīj idhar-udhar bikhar gayā to kuchh dāne rāste par gire aur parindoṅ ne ā kar unheṅ chug liyā.
Matt UrduGeoR 13:5  Kuchh pathrīlī zamīn par gire jahāṅ miṭṭī kī kamī thī. Wuh jald ug āe kyoṅki miṭṭī gahrī nahīṅ thī.
Matt UrduGeoR 13:6  Lekin jab sūraj niklā to paude jhulas gae aur chūṅki wuh jaṛ na pakaṛ sake is lie sūkh gae.
Matt UrduGeoR 13:7  Kuchh ḳhudrau kāṅṭedār paudoṅ ke darmiyān bhī gire. Wahāṅ wuh ugne to lage, lekin ḳhudrau paudoṅ ne sāth sāth baṛh kar unheṅ phalne-phūlne na diyā. Chunāṅche wuh bhī ḳhatm ho gae.
Matt UrduGeoR 13:8  Lekin aise dāne bhī the jo zarḳhez zamīn meṅ gire aur baṛhte baṛhte tīs gunā, sāṭh gunā balki sau gunā tak zyādā phal lāe.
Matt UrduGeoR 13:10  Shāgird us ke pās ā kar pūchhne lage, “Āp logoṅ se tamsīloṅ meṅ bāt kyoṅ karte haiṅ?”
Matt UrduGeoR 13:11  Us ne jawāb diyā, “Tum ko to āsmān kī bādshāhī ke bhed samajhne kī liyāqat dī gaī hai, lekin unheṅ yih liyāqat nahīṅ dī gaī.
Matt UrduGeoR 13:12  Jis ke pās kuchh hai use aur diyā jāegā aur us ke pās kasrat kī chīzeṅ hoṅgī. Lekin jis ke pās kuchh nahīṅ hai us se wuh bhī chhīn liyā jāegā jo us ke pās hai.
Matt UrduGeoR 13:13  Is lie maiṅ tamsīloṅ meṅ un se bāt kartā hūṅ. Kyoṅki wuh deḳhte hue kuchh nahīṅ deḳhte, wuh sunte hue kuchh nahīṅ sunte aur kuchh nahīṅ samajhte.
Matt UrduGeoR 13:14  Un meṅ Yasāyāh Nabī kī yih peshgoī pūrī ho rahī hai: ‘Tum apne kānoṅ se sunoge magar kuchh nahīṅ samjhoge, tum apnī āṅkhoṅ se dekhoge magar kuchh nahīṅ jānoge.
Matt UrduGeoR 13:15  Kyoṅki is qaum kā dil behis ho gayā hai. Wuh mushkil se apne kānoṅ se sunte haiṅ, unhoṅ ne apnī āṅkhoṅ ko band kar rakhā hai, aisā na ho ki wuh apnī āṅkhoṅ se dekheṅ, apne kānoṅ se suneṅ, apne dil se samjheṅ, merī taraf rujū kareṅ aur maiṅ unheṅ shifā dūṅ.’
Matt UrduGeoR 13:16  Lekin tumhārī āṅkheṅ mubārak haiṅ kyoṅki wuh dekh saktī haiṅ aur tumhāre kān mubārak haiṅ kyoṅki wuh sun sakte haiṅ.
Matt UrduGeoR 13:17  Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki jo kuchh tum dekh rahe ho bahut-se nabī aur rāstbāz ise dekh na pāe agarche wuh is ke ārzūmand the. Aur jo kuchh tum sun rahe ho ise wuh sunane na pāe, agarche wuh is ke ḳhāhishmand the.
Matt UrduGeoR 13:18  Ab suno ki bīj bone wāle kī tamsīl kā matlab kyā hai.
Matt UrduGeoR 13:19  Rāste par gire hue dāne wuh log haiṅ jo bādshāhī kā kalām sunte to haiṅ, lekin use samajhte nahīṅ. Phir Iblīs ā kar wuh kalām chhīn letā hai jo un ke diloṅ meṅ boyā gayā hai.
Matt UrduGeoR 13:20  Pathrīlī zamīn par gire hue dāne wuh log haiṅ jo kalām sunte hī use ḳhushī se qabūl to kar lete haiṅ,
Matt UrduGeoR 13:21  lekin wuh jaṛ nahīṅ pakaṛte aur is lie zyādā der tak qāym nahīṅ rahte. Jyoṅ hī wuh kalām par īmān lāne ke bāis kisī musībat yā īzārasānī se dochār ho jāeṅ to wuh bargashtā ho jāte haiṅ.
Matt UrduGeoR 13:22  Ḳhudrau kāṅṭedār paudoṅ ke darmiyān gire hue dāne wuh log haiṅ jo kalām sunte to haiṅ, lekin phir rozmarrā kī pareshāniyāṅ aur daulat kā fareb kalām ko phalne-phūlne nahīṅ detā. Natīje meṅ wuh phal lāne tak nahīṅ pahuṅchtā.
Matt UrduGeoR 13:23  Is ke muqābale meṅ zarḳhez zamīn meṅ gire hue dāne wuh log haiṅ jo kalām ko sun kar use samajh lete aur baṛhte baṛhte tīs gunā, sāṭh gunā balki sau gunā tak phal lāte haiṅ.”
Matt UrduGeoR 13:24  Īsā ne unheṅ ek aur tamsīl sunāī. “Āsmān kī bādshāhī us kisān se mutābiqat rakhtī hai jis ne apne khet meṅ achchhā bīj bo diyā.
Matt UrduGeoR 13:25  Lekin jab log so rahe the to us ke dushman ne ā kar anāj ke paudoṅ ke darmiyān ḳhudrau paudoṅ kā bīj bo diyā. Phir wuh chalā gayā.
Matt UrduGeoR 13:26  Jab anāj phūṭ niklā aur fasal pakne lagī to ḳhudrau paude bhī nazar āe.
Matt UrduGeoR 13:27  Naukar mālik ke pās āe aur kahne lage, ‘Janāb, kyā āp ne apne khet meṅ achchhā bīj nahīṅ boyā thā? To phir yih ḳhudrau paude kahāṅ se ā gae haiṅ?’
Matt UrduGeoR 13:28  Us ne jawāb diyā, ‘Kisī dushman ne yih kar diyā hai.’ Naukaroṅ ne pūchhā, ‘Kyā ham jā kar unheṅ ukhāṛeṅ?’
Matt UrduGeoR 13:29  ‘Nahīṅ,’ us ne kahā. ‘Aisā na ho ki ḳhudrau paudoṅ ke sāth sāth tum anāj ke paude bhī ukhāṛ ḍālo.
Matt UrduGeoR 13:30  Unheṅ fasal kī kaṭāī tak mil kar baṛhne do. Us waqt maiṅ fasal kī kaṭāī karne wāloṅ se kahūṅgā ki pahle ḳhudrau paudoṅ ko chun lo aur unheṅ jalāne ke lie gaṭhoṅ meṅ bāndh lo. Phir hī anāj ko jamā karke godām meṅ lāo.’”
Matt UrduGeoR 13:31  Īsā ne unheṅ ek aur tamsīl sunāī. “Āsmān kī bādshāhī rāī ke dāne kī mānind hai jo kisī ne le kar apne khet meṅ bo diyā.
Matt UrduGeoR 13:32  Go yih bījoṅ meṅ sab se chhoṭā dānā hai, lekin baṛhte baṛhte yih sabziyoṅ meṅ sab se baṛā ho jātā hai. Balki yih daraḳht-sā ban jātā hai aur parinde ā kar us kī shāḳhoṅ meṅ ghoṅsle banā lete haiṅ.”
Matt UrduGeoR 13:33  Us ne unheṅ ek aur tamsīl bhī sunāī. “Āsmān kī bādshāhī ḳhamīr kī mānind hai jo kisī aurat ne le kar taqrīban 27 kilogrām āṭe meṅ milā diyā. Go wuh us meṅ chhup gayā to bhī hote hote pūre gundhe hue āṭe ko ḳhamīr banā diyā.”
Matt UrduGeoR 13:34  Īsā ne yih tamām bāteṅ hujūm ke sāmne tamsīloṅ kī sūrat meṅ kīṅ. Tamsīl ke baġhair us ne un se bāt hī nahīṅ kī.
Matt UrduGeoR 13:35  Yoṅ nabī kī yih peshgoī pūrī huī ki “Maiṅ tamsīloṅ meṅ bāt karūṅga, maiṅ duniyā kī taḳhlīq se le kar āj tak chhupī huī bāteṅ bayān karūṅga.”
Matt UrduGeoR 13:36  Phir Īsā hujūm ko ruḳhsat karke ghar ke andar chalā gayā. Us ke shāgird us ke pās ā kar kahne lage, “Khet meṅ ḳhudrau paudoṅ kī tamsīl kā matlab hameṅ samjhāeṅ.”
Matt UrduGeoR 13:37  Us ne jawāb diyā, “Achchhā bīj bone wālā Ibn-e-Ādam hai.
Matt UrduGeoR 13:38  Khet duniyā hai jabki achchhe bīj se murād bādshāhī ke farzand haiṅ. Ḳhudrau paude Iblīs ke farzand haiṅ
Matt UrduGeoR 13:39  aur unheṅ bone wālā dushman Iblīs hai. Fasal kī kaṭāī kā matlab duniyā kā iḳhtitām hai jabki fasal kī kaṭāī karne wāle farishte haiṅ.
Matt UrduGeoR 13:40  Jis tarah tamsīl meṅ ḳhudrau paude ukhāṛe jāte aur āg meṅ jalāe jāte haiṅ usī tarah duniyā ke iḳhtitām par bhī kiyā jāegā.
Matt UrduGeoR 13:41  Ibn-e-Ādam apne farishtoṅ ko bhej degā, aur wuh us kī bādshāhī se bargashtagī kā har sabab aur sharīat kī ḳhilāfwarzī karne wāle har shaḳhs ko nikālte jāeṅge.
Matt UrduGeoR 13:42  Wuh unheṅ bhaṛaktī bhaṭṭī meṅ phaiṅk deṅge jahāṅ log rote aur dāṅt pīste raheṅge.
Matt UrduGeoR 13:43  Phir rāstbāz apne Bāp kī bādshāhī meṅ sūraj kī tarah chamkeṅge. Jo sun saktā hai wuh sun le!
Matt UrduGeoR 13:44  Āsmān kī bādshāhī khet meṅ chhupe ḳhazāne kī mānind hai. Jab kisī ādmī ko us ke bāre meṅ mālūm huā to us ne use dubārā chhupā diyā. Phir wuh ḳhushī ke māre chalā gayā, apnī tamām milkiyat faroḳht kar dī aur us khet ko ḳharīd liyā.
Matt UrduGeoR 13:45  Nīz, āsmān kī bādshāhī aise saudāgar kī mānind hai jo achchhe motiyoṅ kī talāsh meṅ thā.
Matt UrduGeoR 13:46  Jab use ek nihāyat qīmtī motī ke bāre meṅ mālūm huā to wuh chalā gayā, apnī tamām milkiyat faroḳht kar dī aur us motī ko ḳharīd liyā.
Matt UrduGeoR 13:47  Āsmān kī bādshāhī jāl kī mānind bhī hai. Use jhīl meṅ ḍālā gayā to har qism kī machhliyāṅ pakaṛī gaīṅ.
Matt UrduGeoR 13:48  Jab wuh bhar gayā to machheroṅ ne use kināre par khīṅch liyā. Phir unhoṅ ne baiṭh kar qābil-e-istemāl machhliyāṅ chun kar ṭokriyoṅ meṅ ḍāl dīṅ aur nāqābil-e-istemāl machhliyāṅ phaiṅk dīṅ.
Matt UrduGeoR 13:49  Duniyā ke iḳhtitām par aisā hī hogā. Farishte āeṅge aur bure logoṅ ko rāstbāzoṅ se alag karke
Matt UrduGeoR 13:50  unheṅ bhaṛaktī bhaṭṭī meṅ phaiṅk deṅge jahāṅ log rote aur dāṅt pīste raheṅge.”
Matt UrduGeoR 13:51  Īsā ne pūchhā, “Kyā tum ko in tamām bātoṅ kī samajh ā gaī hai?” “Jī,” shāgirdoṅ ne jawāb diyā.
Matt UrduGeoR 13:52  Us ne un se kahā, “Is lie sharīat kā har ālim jo āsmān kī bādshāhī meṅ shāgird ban gayā hai aise mālik-e-makān kī mānind hai jo apne ḳhazāne se nae aur purāne jawāhar nikāltā hai.”
Matt UrduGeoR 13:53  Yih tamsīleṅ sunāne ke bād Īsā wahāṅ se chalā gayā.
Matt UrduGeoR 13:54  Apne watanī shahr Nāsarat pahuṅch kar wuh ibādatḳhāne meṅ logoṅ ko tālīm dene lagā. Us kī bāteṅ sun kar wuh hairatzadā hue. Unhoṅ ne pūchhā, “Use yih hikmat aur mojize karne kī yih qudrat kahāṅ se hāsil huī hai?
Matt UrduGeoR 13:55  Kyā yih baṛhaī kā beṭā nahīṅ hai? Kyā us kī māṅ kā nām Mariyam nahīṅ hai, aur kyā us ke bhāī Yāqūb, Yūsuf, Shamāūn aur Yahūdāh nahīṅ haiṅ?
Matt UrduGeoR 13:56  Kyā us kī bahneṅ hamāre sāth nahīṅ rahtīṅ? To phir use yih sab kuchh kahāṅ se mil gayā?”
Matt UrduGeoR 13:57  Yoṅ wuh us se ṭhokar khā kar use qabūl karne se qāsir rahe. Īsā ne un se kahā, “Nabī kī izzat har jagah kī jātī hai siwāe us ke watanī shahr aur us ke apne ḳhāndān ke.”
Matt UrduGeoR 13:58  Aur un ke īmān kī kamī ke bāis us ne wahāṅ zyādā mojize na kie
Chapter 14
Matt UrduGeoR 14:1  Us waqt Galīl ke hukmrān Herodes Antipās ko Īsā ke bāre meṅ ittalā milī.
Matt UrduGeoR 14:2  Is par us ne apne darbāriyoṅ se kahā, “Yih Yahyā baptismā dene wālā hai jo murdoṅ meṅ se jī uṭhā hai, is lie us kī mojizānā tāqateṅ is meṅ nazar ātī haiṅ.”
Matt UrduGeoR 14:3  Wajah yih thī ki Herodes ne Yahyā ko giriftār karke jel meṅ ḍālā thā. Yih Herodiyās kī ḳhātir huā thā jo pahle Herodes ke bhāī Filippus kī bīwī thī.
Matt UrduGeoR 14:4  Yahyā ne Herodes ko batāyā thā, “Herodiyās se terī shādī nājāyz hai.”
Matt UrduGeoR 14:5  Herodes Yahyā ko qatl karnā chāhtā thā, lekin awām se ḍartā thā kyoṅki wuh use nabī samajhte the.
Matt UrduGeoR 14:6  Herodes kī sālgirah ke mauqe par Herodiyās kī beṭī un ke sāmne nāchī. Herodes ko us kā nāchnā itnā pasand āyā
Matt UrduGeoR 14:7  ki us ne qasam khā kar us se wādā kiyā, “Jo bhī tū māṅgegī maiṅ tujhe dūṅgā.”
Matt UrduGeoR 14:8  Apnī māṅ ke sikhāne par beṭī ne kahā, “Mujhe Yahyā baptismā dene wāle kā sar ṭre meṅ mangwā deṅ.”
Matt UrduGeoR 14:9  Yih sun kar bādshāh ko dukh huā. Lekin apnī qasmoṅ aur mehmānoṅ kī maujūdagī kī wajah se us ne use dene kā hukm de diyā.
Matt UrduGeoR 14:10  Chunāṅche Yahyā kā sar qalam kar diyā gayā.
Matt UrduGeoR 14:11  Phir ṭre meṅ rakh kar andar lāyā gayā aur laṛkī ko de diyā gayā. Laṛkī use apnī māṅ ke pās le gaī.
Matt UrduGeoR 14:12  Bād meṅ Yahyā ke shāgird āe aur us kī lāsh le kar use dafnāyā. Phir wuh Īsā ke pās gae aur use ittalā dī.
Matt UrduGeoR 14:13  Yih ḳhabar sun kar Īsā logoṅ se alag ho kar kashtī par sawār huā aur kisī wīrān jagah chalā gayā. Lekin hujūm ko us kī ḳhabar milī. Log paidal chal kar shahroṅ se nikal āe aur us ke pīchhe lag gae.
Matt UrduGeoR 14:14  Jab Īsā ne kashtī par se utar kar baṛe hujūm ko dekhā to use logoṅ par baṛā tars āyā. Wahīṅ us ne un ke marīzoṅ ko shifā dī.
Matt UrduGeoR 14:15  Jab din ḍhalne lagā to us ke shāgird us ke pās āe aur kahā, “Yih jagah wīrān hai aur din ḍhalne lagā hai. In ko ruḳhsat kar deṅ tāki yih irdgird ke dehātoṅ meṅ jā kar khāne ke lie kuchh ḳharīd leṅ.”
Matt UrduGeoR 14:16  Īsā ne jawāb diyā, “Inheṅ jāne kī zarūrat nahīṅ, tum ḳhud inheṅ khāne ko do.”
Matt UrduGeoR 14:17  Unhoṅ ne jawāb diyā, “Hamāre pās sirf pāṅch roṭiyāṅ aur do machhliyāṅ haiṅ.”
Matt UrduGeoR 14:18  Us ne kahā, “Unheṅ yahāṅ mere pās le āo,”
Matt UrduGeoR 14:19  aur logoṅ ko ghās par baiṭhne kā hukm diyā. Īsā ne un pāṅch roṭiyoṅ aur do machhliyoṅ ko le kar āsmān kī taraf dekhā aur shukrguzārī kī duā kī. Phir us ne roṭiyoṅ ko toṛ toṛ kar shāgirdoṅ ko diyā, aur shāgirdoṅ ne yih roṭiyāṅ logoṅ meṅ taqsīm kar dīṅ.
Matt UrduGeoR 14:20  Sab ne jī bhar kar khāyā. Jab shāgirdoṅ ne bache hue ṭukṛe jamā kie to bārah ṭokre bhar gae.
Matt UrduGeoR 14:21  Ḳhawātīn aur bachchoṅ ke alāwā khāne wāle taqrīban 5,000 mard the.
Matt UrduGeoR 14:22  Is ke ain bād Īsā ne shāgirdoṅ ko majbūr kiyā ki wuh kashtī par sawār ho kar āge nikleṅ aur jhīl ke pār chale jāeṅ. Itne meṅ wuh hujūm ko ruḳhsat karnā chāhtā thā.
Matt UrduGeoR 14:23  Unheṅ ḳhairbād kahne ke bād wuh duā karne ke lie akelā pahāṛ par chaṛh gayā. Shām ke waqt wuh wahāṅ akelā thā
Matt UrduGeoR 14:24  jabki kashtī kināre se kāfī dūr ho gaī thī. Lahreṅ kashtī ko bahut tang kar rahī thīṅ kyoṅki hawā us ke ḳhilāf chal rahī thī.
Matt UrduGeoR 14:25  Taqrīban tīn baje rāt ke waqt Īsā pānī par chalte hue un ke pās āyā.
Matt UrduGeoR 14:26  Jab shāgirdoṅ ne use jhīl kī satah par chalte hue dekhā to unhoṅ ne dahshat khāī. “Yih koī bhūt hai,” unhoṅ ne kahā aur ḍar ke māre chīḳheṅ mārne lage.
Matt UrduGeoR 14:27  Lekin Īsā fauran un se muḳhātib ho kar bolā, “Hauslā rakho! Maiṅ hī hūṅ. Mat ghabrāo.”
Matt UrduGeoR 14:28  Is par Patras bol uṭhā, “Ḳhudāwand, agar āp hī haiṅ to mujhe pānī par apne pās āne kā hukm deṅ.”
Matt UrduGeoR 14:29  Īsā ne jawāb diyā, “Ā.” Patras kashtī par se utar kar pānī par chalte chalte Īsā kī taraf baṛhne lagā.
Matt UrduGeoR 14:30  Lekin jab us ne tez hawā par ġhaur kiyā to wuh ghabrā gayā aur ḍūbne lagā. Wuh chillā uṭhā, “Ḳhudāwand, mujhe bachāeṅ!”
Matt UrduGeoR 14:31  Īsā ne fauran apnā hāth baṛhā kar use pakaṛ liyā. Us ne kahā, “Ai kam-etaqād! Tū shak meṅ kyoṅ paṛ gayā thā?”
Matt UrduGeoR 14:32  Donoṅ kashtī par sawār hue to hawā tham gaī.
Matt UrduGeoR 14:33  Phir kashtī meṅ maujūd shāgirdoṅ ne use sijdā karke kahā, “Yaqīnan āp Allāh ke Farzand haiṅ!”
Matt UrduGeoR 14:34  Jhīl ko pār karke wuh Gannesarat Shahr ke pās pahuṅch gae.
Matt UrduGeoR 14:35  Jab us jagah ke logoṅ ne Īsā ko pahchān liyā to unhoṅ ne irdgird ke pūre ilāqe meṅ is kī ḳhabar phailāī. Unhoṅ ne apne tamām marīzoṅ ko us ke pās lā kar
Matt UrduGeoR 14:36  us se minnat kī ki wuh unheṅ sirf apne libās ke dāman ko chhūne de. Aur jis ne bhī use chhuā use shifā milī.
Chapter 15
Matt UrduGeoR 15:1  Phir kuchh Farīsī aur sharīat ke ālim Yarūshalam se ā kar Īsā se pūchhne lage,
Matt UrduGeoR 15:2  “Āp ke shāgird bāpdādā kī riwāyat kyoṅ toṛte haiṅ? Kyoṅki wuh hāth dhoe baġhair roṭī khāte haiṅ.”
Matt UrduGeoR 15:3  Īsā ne jawāb diyā, “Aur tum apnī riwāyāt kī ḳhātir Allāh kā hukm kyoṅ toṛte ho?
Matt UrduGeoR 15:4  Kyoṅki Allāh ne farmāyā, ‘Apne bāp aur apnī māṅ kī izzat karnā’ aur ‘Jo apne bāp yā māṅ par lānat kare use sazā-e-maut dī jāe.’
Matt UrduGeoR 15:5  Lekin jab koī apne wālidain se kahe, ‘Maiṅ āp kī madad nahīṅ kar saktā, kyoṅki maiṅ ne mannat mānī hai ki jo kuchh mujhe āp ko denā thā wuh Allāh ke lie waqf hai’ to tum ise jāyz qarār dete ho.
Matt UrduGeoR 15:6  Yoṅ tum kahte ho ki use apne māṅ-bāp kī izzat karne kī zarūrat nahīṅ hai. Aur isī tarah tum Allāh ke kalām ko apnī riwāyat kī ḳhātir mansūḳh kar lete ho.
Matt UrduGeoR 15:7  Riyākāro! Yasāyāh Nabī ne tumhāre bāre meṅ kyā ḳhūb nabuwwat kī hai,
Matt UrduGeoR 15:8  ‘Yih qaum apne hoṅṭoṅ se to merā ehtirām kartī hai lekin us kā dil mujh se dūr hai.
Matt UrduGeoR 15:9  Wuh merī parastish karte to haiṅ, lekin befāydā. Kyoṅki wuh sirf insān hī ke ahkām sikhāte haiṅ.’”
Matt UrduGeoR 15:10  Phir Īsā ne hujūm ko apne pās bulā kar kahā, “Sab merī bāt suno aur ise samajhne kī koshish karo.
Matt UrduGeoR 15:11  Koī aisī chīz hai nahīṅ jo insān ke muṅh meṅ dāḳhil ho kar use nāpāk kar sake, balki jo kuchh insān ke muṅh se nikaltā hai wuhī use nāpāk kar detā hai.”
Matt UrduGeoR 15:12  Is par shāgirdoṅ ne us ke pās ā kar pūchhā, “Kyā āp ko mālūm hai ki Farīsī yih bāt sun kar nārāz hue haiṅ?”
Matt UrduGeoR 15:13  Us ne jawāb diyā, “Jo bhī paudā mere āsmānī Bāp ne nahīṅ lagāyā use jaṛ se ukhāṛā jāegā.
Matt UrduGeoR 15:14  Unheṅ chhoṛ do, wuh andhe rāh dikhāne wāle haiṅ. Agar ek andhā dūsre andhe kī rāhnumāī kare to donoṅ gaṛhe meṅ gir jāeṅge.”
Matt UrduGeoR 15:15  Patras bol uṭhā, “Is tamsīl kā matlab hameṅ batāeṅ.”
Matt UrduGeoR 15:16  Īsā ne kahā, “Kyā tum abhī tak itne nāsamajh ho?
Matt UrduGeoR 15:17  Kyā tum nahīṅ samajh sakte ki jo kuchh insān ke muṅh meṅ dāḳhil ho jātā hai wuh us ke mede meṅ jātā hai aur wahāṅ se nikal kar jā-e-zarūrat meṅ?
Matt UrduGeoR 15:18  Lekin jo kuchh insān ke muṅh se nikaltā hai wuh dil se ātā hai. Wuhī insān ko nāpāk kartā hai.
Matt UrduGeoR 15:19  Dil hī se bure ḳhayālāt, qatl-o-ġhārat, zinākārī, harāmkārī, chorī, jhūṭī gawāhī aur buhtān nikalte haiṅ.
Matt UrduGeoR 15:20  Yihī kuchh insān ko nāpāk kar detā hai, lekin hāth dhoe baġhair khānā khāne se wuh nāpāk nahīṅ hotā.”
Matt UrduGeoR 15:21  Phir Īsā Galīl se rawānā ho kar shimāl meṅ Sūr aur Saidā ke ilāqe meṅ āyā.
Matt UrduGeoR 15:22  Is ilāqe kī ek Kanānī ḳhātūn us ke pās ā kar chillāne lagī, “Ḳhudāwand, Ibn-e-Dāūd, mujh par rahm kareṅ. Ek badrūh merī beṭī ko bahut satātī hai.”
Matt UrduGeoR 15:23  Lekin Īsā ne jawāb meṅ ek lafz bhī na kahā. Is par us ke shāgird us ke pās ā kar us se guzārish karne lage, “Use fāriġh kar deṅ, kyoṅki wuh hamāre pīchhe pīchhe chīḳhtī-chillātī hai.”
Matt UrduGeoR 15:24  Īsā ne jawāb diyā, “Mujhe sirf Isrāīl kī khoī huī bheṛoṅ ke pās bhejā gayā hai.”
Matt UrduGeoR 15:25  Aurat us ke pās ā kar muṅh ke bal jhuk gaī aur kahā, “Ḳhudāwand, merī madad kareṅ!”
Matt UrduGeoR 15:26  Us ne use batāyā, “Yih munāsib nahīṅ ki bachchoṅ se khānā le kar kuttoṅ ke sāmne phaiṅk diyā jāe.”
Matt UrduGeoR 15:27  Us ne jawāb diyā, “Jī Ḳhudāwand, lekin kutte bhī wuh ṭukṛe khāte haiṅ jo un ke mālik kī mez par se farsh par gir jāte haiṅ.”
Matt UrduGeoR 15:28  Īsā ne kahā, “Ai aurat, terā īmān baṛā hai. Terī darḳhāst pūrī ho jāe.” Usī lamhe aurat kī beṭī ko shifā mil gaī.
Matt UrduGeoR 15:29  Phir Īsā wahāṅ se rawānā ho kar Galīl kī Jhīl ke kināre pahuṅch gayā. Wahāṅ wuh pahāṛ par chaṛh kar baiṭh gayā.
Matt UrduGeoR 15:30  Logoṅ kī baṛī tādād us ke pās āī. Wuh apne langaṛe, andhe, maflūj, gūṅge aur kaī aur qism ke marīz bhī sāth le āe. Unhoṅ ne unheṅ Īsā ke sāmne rakhā to us ne unheṅ shifā dī.
Matt UrduGeoR 15:31  Hujūm hairatzadā ho gayā. Kyoṅki gūṅge bol rahe the, apāhajoṅ ke āzā bahāl ho gae. Langaṛe chalne aur andhe deḳhne lage the. Yih dekh kar bhīṛ ne Isrāīl ke Ḳhudā kī tamjīd kī.
Matt UrduGeoR 15:32  Phir Īsā ne apne shāgirdoṅ ko bulā kar un se kahā, “Mujhe in logoṅ par tars ātā hai. Inheṅ mere sāth ṭhahre tīn din ho chuke haiṅ aur in ke pās khāne kī koī chīz nahīṅ hai. Lekin maiṅ inheṅ is bhūkī hālat meṅ ruḳhsat nahīṅ karnā chāhtā. Aisā na ho ki wuh rāste meṅ thak kar chūr ho jāeṅ.”
Matt UrduGeoR 15:33  Us ke shāgirdoṅ ne jawāb diyā, “Is wīrān ilāqe meṅ kahāṅ se itnā khānā mil sakegā ki yih log khā kar ser ho jāeṅ?”
Matt UrduGeoR 15:34  Īsā ne pūchhā, “Tumhāre pās kitnī roṭiyāṅ haiṅ?” Unhoṅ ne jawāb diyā, “Sāt, aur chand ek chhoṭī machhliyāṅ.”
Matt UrduGeoR 15:35  Īsā ne hujūm ko zamīn par baiṭhne ko kahā.
Matt UrduGeoR 15:36  Phir sāt roṭiyoṅ aur machhliyoṅ ko le kar us ne shukrguzārī kī duā kī aur unheṅ toṛ toṛ kar apne shāgirdoṅ ko taqsīm karne ke lie de diyā.
Matt UrduGeoR 15:37  Sab ne jī bhar kar khāyā. Bād meṅ jab khāne ke bache hue ṭukṛe jamā kie gae to sāt baṛe ṭokre bhar gae.
Matt UrduGeoR 15:38  Ḳhawātīn aur bachchoṅ ke alāwā khāne wāle 4,000 mard the.
Matt UrduGeoR 15:39  Phir Īsā logoṅ ko ruḳhsat karke kashtī par sawār huā aur magadan ke ilāqe meṅ chalā gayā.
Chapter 16
Matt UrduGeoR 16:1  Ek din Farīsī aur Sadūqī Īsā ke pās āe. Use parakhne ke lie unhoṅ ne mutālabā kiyā ki wuh unheṅ āsmān kī taraf se koī ilāhī nishān dikhāe tāki us kā iḳhtiyār sābit ho jāe.
Matt UrduGeoR 16:2  Lekin us ne jawāb diyā, “Shām ko tum kahte ho, ‘Kal mausam sāf hogā kyoṅki āsmān surḳh nazar ātā hai.’
Matt UrduGeoR 16:3  Aur subah ke waqt kahte ho, ‘Āj tūfān hogā kyoṅki āsmān surḳh hai aur bādal chhāe hue haiṅ.’ Ġharz tum āsmān kī hālat par ġhaur karke sahīh natījā nikāl lete ho, lekin zamānoṅ kī alāmatoṅ par ġhaur karke sahīh natīje tak pahuṅchnā tumhāre bas kī bāt nahīṅ hai.
Matt UrduGeoR 16:4  Sirf sharīr aur zinākār nasl ilāhī nishān kā taqāzā kartī hai. Lekin use koī bhī ilāhī nishān pesh nahīṅ kiyā jāegā siwāe Yūnus nabī ke nishān ke.” Yih kah kar Īsā unheṅ chhoṛ kar chalā gayā.
Matt UrduGeoR 16:5  Jhīl ko pār karte waqt shāgird apne sāth khānā lānā bhūl gae the.
Matt UrduGeoR 16:6  Īsā ne un se kahā, “Ḳhabardār, Farīsiyoṅ aur Sadūqiyoṅ ke ḳhamīr se hoshyār rahnā.”
Matt UrduGeoR 16:7  Shāgird āpas meṅ bahs karne lage, “Wuh is lie kah rahe hoṅge ki ham khānā sāth nahīṅ lāe.”
Matt UrduGeoR 16:8  Īsā ko mālūm huā ki wuh kyā soch rahe haiṅ. Us ne kahā, “Tum āpas meṅ kyoṅ bahs kar rahe ho ki hamāre pās roṭī nahīṅ hai?
Matt UrduGeoR 16:9  Kyā tum abhī tak nahīṅ samajhte? Kyā tumheṅ yād nahīṅ ki maiṅ ne pāṅch roṭiyāṅ le kar 5,000 ādmiyoṅ ko khānā khilā diyā aur ki tum ne bache hue ṭukṛoṅ ke kitne ṭokre uṭhāe the?
Matt UrduGeoR 16:10  Yā kyā tum bhūl gae ho ki maiṅ ne sāt roṭiyāṅ le kar 4,000 ādmiyoṅ ko khānā khilāyā aur ki tum ne bache hue ṭukṛoṅ ke kitne ṭokre uṭhāe the?
Matt UrduGeoR 16:11  Tum kyoṅ nahīṅ samajhte ki maiṅ tum se khāne kī bāt nahīṅ kar rahā? Suno merī bāt! Farīsiyoṅ aur Sadūqiyoṅ ke ḳhamīr se hoshyār raho!”
Matt UrduGeoR 16:12  Phir unheṅ samajh āī ki Īsā unheṅ roṭī ke ḳhamīr se āgāh nahīṅ kar rahā thā balki Farīsiyoṅ aur Sadūqiyoṅ kī tālīm se.
Matt UrduGeoR 16:13  Jab Īsā Qaisariyā-filippī ke ilāqe meṅ pahuṅchā to us ne shāgirdoṅ se pūchhā, “Ibn-e-Ādam logoṅ ke nazdīk kaun hai?”
Matt UrduGeoR 16:14  Unhoṅ ne jawāb diyā, “Kuchh kahte haiṅ Yahyā baptismā dene wālā, kuchh yih ki āp Iliyās Nabī haiṅ. Kuchh yih bhī kahte haiṅ ki Yarmiyāh yā nabiyoṅ meṅ se ek.”
Matt UrduGeoR 16:15  Us ne pūchhā, “Lekin tumhāre nazdīk maiṅ kaun hūṅ?”
Matt UrduGeoR 16:16  Patras ne jawāb diyā, “Āp zindā Ḳhudā ke Farzand Masīh haiṅ.”
Matt UrduGeoR 16:17  Īsā ne kahā, “Shamāūn bin Yūnus, tū mubārak hai, kyoṅki kisī insān ne tujh par yih zāhir nahīṅ kiyā balki mere āsmānī Bāp ne.
Matt UrduGeoR 16:18  Maiṅ tujhe yih bhī batātā hūṅ ki tū Patras yānī Patthar hai, aur isī patthar par maiṅ apnī jamāt ko tāmīr karūṅga, aisī jamāt jis par Pātāl ke darwāze bhī ġhālib nahīṅ āeṅge.
Matt UrduGeoR 16:19  Maiṅ tujhe āsmān kī bādshāhī kī kunjiyāṅ de dūṅgā. Jo kuchh tū zamīn par bāndhegā wuh āsmān par bhī bandhegā. Aur jo kuchh tū zamīn par kholegā wuh āsmān par bhī khulegā.”
Matt UrduGeoR 16:20  Phir Īsā ne apne shāgirdoṅ ko hukm diyā, “Kisī ko bhī na batāo ki maiṅ Masīh hūṅ.”
Matt UrduGeoR 16:21  Us waqt se Īsā apne shāgirdoṅ par wāzih karne lagā, “Lāzim hai ki maiṅ Yarūshalam jā kar qaum ke buzurgoṅ, rāhnumā imāmoṅ aur sharīat ke ulamā ke hāthoṅ bahut dukh uṭhāūṅ. Mujhe qatl kiyā jāegā, lekin tīsre din maiṅ jī uṭhūṅgā.”
Matt UrduGeoR 16:22  Is par Patras use ek taraf le jā kar samjhāne lagā. “Ai Ḳhudāwand, Allāh na kare ki yih kabhī bhī āp ke sāth ho.”
Matt UrduGeoR 16:23  Īsā ne muṛ kar Patras se kahā, “Shaitān, mere sāmne se haṭ jā! Tū mere lie ṭhokar kā bāis hai, kyoṅki tū Allāh kī soch nahīṅ rakhtā balki insān kī.”
Matt UrduGeoR 16:24  Phir Īsā ne apne shāgirdoṅ se kahā, “Jo mere pīchhe ānā chāhe wuh apne āp kā inkār kare aur apnī salīb uṭhā kar mere pīchhe ho le.
Matt UrduGeoR 16:25  Kyoṅki jo apnī jān ko bachāe rakhnā chāhe wuh use kho degā. Lekin jo merī ḳhātir apnī jān kho de wuhī use pā legā.
Matt UrduGeoR 16:26  Kyā fāydā hai agar kisī ko pūrī duniyā hāsil ho jāe, lekin wuh apnī jān se mahrūm ho jāe? Insān apnī jān ke badle kyā de saktā hai?
Matt UrduGeoR 16:27  Kyoṅki Ibn-e-Ādam apne Bāp ke jalāl meṅ apne farishtoṅ ke sāth āegā, aur us waqt wuh har ek ko us ke kām kā badlā degā.
Matt UrduGeoR 16:28  Maiṅ tumheṅ sach batātā hūṅ, yahāṅ kuchh aise log khaṛe haiṅ jo marne se pahle hī Ibn-e-Ādam ko us kī bādshāhī meṅ āte hue dekheṅge.”
Chapter 17
Matt UrduGeoR 17:1  Chhih din ke bād Īsā sirf Patras, Yāqūb aur Yūhannā ko apne sāth le kar ūṅche pahāṛ par chaṛh gayā.
Matt UrduGeoR 17:2  Wahāṅ us kī shakl-o-sūrat un ke sāmne badal gaī. Us kā chehrā sūraj kī tarah chamakne lagā, aur us ke kapṛe nūr kī mānind safed ho gae.
Matt UrduGeoR 17:3  Achānak Iliyās aur Mūsā zāhir hue aur Īsā se bāteṅ karne lage.
Matt UrduGeoR 17:4  Patras bol uṭhā, “Ḳhudāwand, kitnī achchhī bāt hai ki ham yahāṅ haiṅ. Agar āp chāheṅ to maiṅ tīn jhoṅpṛiyāṅ banāūṅgā, ek āp ke lie, ek Mūsā ke lie aur ek Iliyās ke lie.”
Matt UrduGeoR 17:5  Wuh abhī bāt kar hī rahā thā ki ek chamakdār bādal ā kar un par chhā gayā aur bādal meṅ se ek āwāz sunāī dī, “Yih merā pyārā Farzand hai, jis se maiṅ ḳhush hūṅ. Is kī suno.”
Matt UrduGeoR 17:6  Yih sun kar shāgird dahshat khā kar aundhe muṅh gir gae.
Matt UrduGeoR 17:7  Lekin Īsā ne ā kar unheṅ chhuā. Us ne kahā, “Uṭho, mat ḍaro.”
Matt UrduGeoR 17:8  Jab unhoṅ ne nazar uṭhāī to Īsā ke siwā kisī ko na dekhā.
Matt UrduGeoR 17:9  Wuh pahāṛ se utarne lage to Īsā ne unheṅ hukm diyā, “Jo kuchh tum ne dekhā hai use us waqt tak kisī ko na batānā jab tak ki Ibn-e-Ādam murdoṅ meṅ se jī na uṭhe.”
Matt UrduGeoR 17:10  Shāgirdoṅ ne us se pūchhā, “Sharīat ke ulamā kyoṅ kahte haiṅ ki Masīh kī āmad se pahle Iliyās kā ānā zarūrī hai?”
Matt UrduGeoR 17:11  Īsā ne jawāb diyā, “Iliyās to zarūr sab kuchh bahāl karne ke lie āegā.
Matt UrduGeoR 17:12  Lekin maiṅ tum ko batātā hūṅ ki Iliyās to ā chukā hai aur unhoṅ ne use nahīṅ pahchānā balki us ke sāth jo chāhā kiyā. Isī tarah Ibn-e-Ādam bhī un ke hāthoṅ dukh uṭhāegā.”
Matt UrduGeoR 17:13  Phir shāgirdoṅ ko samajh āī ki wuh un ke sāth Yahyā baptismā dene wāle kī bāt kar rahā thā.
Matt UrduGeoR 17:14  Jab wuh nīche hujūm ke pās pahuṅche to ek ādmī ne Īsā ke sāmne ā kar ghuṭne ṭeke
Matt UrduGeoR 17:15  aur kahā, “Ḳhudāwand, mere beṭe par rahm kareṅ, use mirgī ke daure paṛte haiṅ aur use shadīd taklīf uṭhānī paṛtī hai. Kaī bār wuh āg yā pānī meṅ gir jātā hai.
Matt UrduGeoR 17:16  Maiṅ use āp ke shāgirdoṅ ke pās lāyā thā, lekin wuh use shifā na de sake.”
Matt UrduGeoR 17:17  Īsā ne jawāb diyā, “Īmān se ḳhālī aur ṭeṛhī nasl! Maiṅ kab tak tumhāre sāth rahūṅ, kab tak tumheṅ bardāsht karūṅ? Laṛke ko mere pās le āo.”
Matt UrduGeoR 17:18  Īsā ne badrūh ko ḍānṭā, to wuh laṛke meṅ se nikal gaī. Usī lamhe use shifā mil gaī.
Matt UrduGeoR 17:19  Bād meṅ shāgirdoṅ ne alahdagī meṅ Īsā ke pās ā kar pūchhā, “Ham badrūh ko kyoṅ na nikāl sake?”
Matt UrduGeoR 17:20  Us ne jawāb diyā, “Apne īmān kī kamī ke sabab se. Maiṅ tumheṅ sach batātā hūṅ, agar tumhārā īmān rāī ke dāne ke barābar bhī ho to phir tum is pahāṛ ko kah sakoge, ‘Idhar se udhar khisak jā,’ to wuh khisak jāegā. Aur tumhāre lie kuchh bhī nāmumkin nahīṅ hogā.
Matt UrduGeoR 17:21  [Lekin is qism kī badrūh duā aur roze ke baġhair nahīṅ nikaltī.]”
Matt UrduGeoR 17:22  Jab wuh Galīl meṅ jamā hue to Īsā ne unheṅ batāyā, “Ibn-e-Ādam ko ādmiyoṅ ke hawāle kar diyā jāegā.
Matt UrduGeoR 17:23  Wuh use qatl kareṅge, lekin tīn din ke bād wuh jī uṭhegā.” Yih sun kar shāgird nihāyat ġhamgīn hue.
Matt UrduGeoR 17:24  Wuh Kafarnahūm pahuṅche to Baitul-muqaddas kā ṭaiks jamā karne wāle Patras ke pās ā kar pūchhne lage, “Kyā āp kā ustād Baitul-muqaddas kā ṭaiks adā nahīṅ kartā?”
Matt UrduGeoR 17:25  “Jī, wuh kartā hai,” Patras ne jawāb diyā. Wuh ghar meṅ āyā to Īsā pahle hī bolne lagā, “Kyā ḳhayāl hai Shamāūn, duniyā ke bādshāh kin se ḍyūṭī aur ṭaiks lete haiṅ, apne farzandoṅ se yā ajnabiyoṅ se?”
Matt UrduGeoR 17:26  Patras ne jawāb diyā, “Ajnabiyoṅ se.” Īsā bolā “To phir un ke farzand ṭaiks dene se barī hue.
Matt UrduGeoR 17:27  Lekin ham unheṅ nārāz nahīṅ karnā chāhte. Is lie jhīl par jā kar us meṅ ḍorī ḍāl denā. Jo machhlī tū pahle pakaṛegā us kā muṅh kholnā to us meṅ se chāṅdī kā sikkā niklegā. Use le kar unheṅ mere aur apne lie adā kar de.”
Chapter 18
Matt UrduGeoR 18:1  Us waqt shāgird Īsā ke pās ā kar pūchhne lage, “Āsmān kī bādshāhī meṅ kaun sab se baṛā hai?”
Matt UrduGeoR 18:2  Jawāb meṅ Īsā ne ek chhoṭe bachche ko bulā kar un ke darmiyān khaṛā kiyā
Matt UrduGeoR 18:3  aur kahā, “Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ agar tum badal kar chhoṭe bachchoṅ kī mānind na bano to tum kabhī āsmān kī bādshāhī meṅ dāḳhil nahīṅ hoge.
Matt UrduGeoR 18:4  Is lie jo bhī apne āp ko is bachche kī tarah chhoṭā banāegā wuh āsmān meṅ sab se baṛā hogā.
Matt UrduGeoR 18:5  Aur jo bhī mere nām meṅ is jaise chhoṭe bachche ko qabūl kare wuh mujhe qabūl kartā hai.
Matt UrduGeoR 18:6  Lekin jo koī in chhoṭoṅ meṅ se kisī ko gunāh karne par uksāe us ke lie behtar hai ki us ke gale meṅ baṛī chakkī kā pāṭ bāndh kar use samundar kī gahrāiyoṅ meṅ ḍubo diyā jāe.
Matt UrduGeoR 18:7  Duniyā par un chīzoṅ kī wajah se afsos jo gunāh karne par uksātī haiṅ. Lāzim hai ki aisī āzmāisheṅ āeṅ, lekin us shaḳhs par afsos jis kī mārifat wuh āeṅ.
Matt UrduGeoR 18:8  Agar terā hāth yā pāṅw tujhe gunāh karne par uksāe to use kāṭ kar phaiṅk denā. Is se pahle ki tujhe do hāthoṅ yā do pāṅwoṅ samet jahannum kī abadī āg meṅ phaiṅkā jāe, behtar yih hai ki ek hāth yā pāṅw se mahrūm ho kar abadī zindagī meṅ dāḳhil ho.
Matt UrduGeoR 18:9  Aur agar terī āṅkh tujhe gunāh karne par uksāe to use nikāl kar phaiṅk denā. Is se pahle ki tujhe do āṅkhoṅ samet jahannum kī āg meṅ phaiṅkā jāe behtar yih hai ki ek āṅkh se mahrūm ho kar abadī zindagī meṅ dāḳhil ho.
Matt UrduGeoR 18:10  Ḳhabardār! Tum in chhoṭoṅ meṅ se kisī ko bhī haqīr na jānanā. Kyoṅki maiṅ tum ko batātā hūṅ ki āsmān par in ke farishte har waqt mere Bāp ke chehre ko deḳhte rahte haiṅ.
Matt UrduGeoR 18:11  [Kyoṅki Ibn-e-Ādam khoe huoṅ ko ḍhūṅḍne aur najāt dene āyā hai.]
Matt UrduGeoR 18:12  Tumhārā kyā ḳhayāl hai? Agar kisī ādmī kī 100 bheṛeṅ hoṅ aur ek bhaṭak kar gum ho jāe to wuh kyā karegā? Kyā wuh bāqī 99 bheṛeṅ pahāṛī ilāqe meṅ chhoṛ kar bhaṭkī huī bheṛ ko ḍhūṅḍne nahīṅ jāegā?
Matt UrduGeoR 18:13  Aur maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki bhaṭkī huī bheṛ ke milne par wuh us ke bāre meṅ un bāqī 99 bheṛoṅ kī nisbat kahīṅ zyādā ḳhushī manāegā jo bhaṭkī nahīṅ.
Matt UrduGeoR 18:14  Bilkul isī tarah āsmān par tumhārā Bāp nahīṅ chāhtā ki in chhoṭoṅ meṅ se ek bhī halāk ho jāe.
Matt UrduGeoR 18:15  Agar tere bhāī ne terā gunāh kiyā ho to akele us ke pās jā kar us par us kā gunāh zāhir kar. Agar wuh terī bāt māne to tū ne apne bhāī ko jīt liyā.
Matt UrduGeoR 18:16  Lekin agar wuh na māne to ek yā do aur logoṅ ko apne sāth le jā tāki tumhārī har bāt kī do yā tīn gawāhoṅ se tasdīq ho jāe.
Matt UrduGeoR 18:17  Agar wuh un kī bāt bhī na māne to jamāt ko batā denā. Aur agar wuh jamāt kī bhī na māne to us ke sāth ġhairīmāndār yā ṭaiks lene wāle kā-sā sulūk kar.
Matt UrduGeoR 18:18  Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki jo kuchh bhī tum zamīn par bāndhoge āsmān par bhī bandhegā, aur jo kuchh zamīn par khologe āsmān par bhī khulegā.
Matt UrduGeoR 18:19  Maiṅ tum ko yih bhī batātā hūṅ ki agar tum meṅ se do shaḳhs kisī bāt ko māṅgne par muttafiq ho jāeṅ to merā āsmānī Bāp tum ko baḳhshegā.
Matt UrduGeoR 18:20  Kyoṅki jahāṅ bhī do yā tīn afrād mere nām meṅ jamā ho jāeṅ wahāṅ maiṅ un ke darmiyān hūṅgā.”
Matt UrduGeoR 18:21  Phir Patras ne Īsā ke pās ā kar pūchhā, “Ḳhudāwand, jab merā bhāī merā gunāh kare to maiṅ kitnī bār use muāf karūṅ? Sāt bār tak?”
Matt UrduGeoR 18:22  Īsā ne jawāb diyā, “Maiṅ tujhe batātā hūṅ, sāt bār nahīṅ balki 77 bār.
Matt UrduGeoR 18:23  Is lie āsmān kī bādshāhī ek bādshāh kī mānind hai jo apne naukaroṅ ke karzoṅ kā hisāb-kitāb karnā chāhtā thā.
Matt UrduGeoR 18:24  Hisāb-kitāb shurū karte waqt ek ādmī us ke sāmne pesh kiyā gayā jo Araboṅ ke hisāb se us kā qarzdār thā.
Matt UrduGeoR 18:25  Wuh yih raqam adā na kar sakā, is lie us ke mālik ne yih qarz wasūl karne ke lie hukm diyā ki use bāl-bachchoṅ aur tamām milkiyat samet faroḳht kar diyā jāe.
Matt UrduGeoR 18:26  Yih sun kar naukar muṅh ke bal girā aur minnat karne lagā, ‘Mujhe muhlat deṅ, maiṅ pūrī raqam adā kar dūṅgā.’
Matt UrduGeoR 18:27  Bādshāh ko us par tars āyā. Us ne us kā qarz muāf karke use jāne diyā.
Matt UrduGeoR 18:28  Lekin jab yihī naukar bāhar niklā to ek hamḳhidmat milā jo us kā chand hazār rūpoṅ kā qarzdār thā. Use pakaṛ kar wuh us kā galā dabā kar kahne lagā, ‘Apnā qarz adā kar!’
Matt UrduGeoR 18:29  Dūsrā naukar gir kar minnat karne lagā, ‘Mujhe muhlat deṅ, maiṅ āp ko sārī raqam adā kar dūṅgā.’
Matt UrduGeoR 18:30  Lekin wuh is ke lie taiyār na huā, balki jā kar use us waqt tak jel meṅ ḍalwāyā jab tak wuh pūrī raqam adā na kar de.
Matt UrduGeoR 18:31  Jab bāqī naukaroṅ ne yih dekhā to unheṅ shadīd dukh huā aur unhoṅ ne apne mālik ke pās jā kar sab kuchh batā diyā jo huā thā.
Matt UrduGeoR 18:32  Is par mālik ne us naukar ko apne pās bulā liyā aur kahā, ‘Sharīr naukar! Jab tū ne merī minnat kī to maiṅ ne terā pūrā qarz muāf kar diyā.
Matt UrduGeoR 18:33  Kyā lāzim na thā ki tū bhī apne sāthī naukar par utnā rahm kartā jitnā maiṅ ne tujh par kiyā thā?’
Matt UrduGeoR 18:34  Ġhusse meṅ mālik ne use jel ke afsaroṅ ke hawāle kar diyā tāki us par us waqt tak tashaddud kiyā jāe jab tak wuh qarz kī pūrī raqam adā na kar de.
Matt UrduGeoR 18:35  Merā āsmānī Bāp tum meṅ se har ek ke sāth bhī aisā hī karegā agar tum ne apne bhāī ko pūre dil se muāf na kiyā.”
Chapter 19
Matt UrduGeoR 19:1  Yih kahne ke bād Īsā Galīl ko chhoṛ kar Yahūdiyā meṅ Dariyā-e-Yardan ke pār chalā gayā.
Matt UrduGeoR 19:2  Baṛā hujūm us ke pīchhe ho liyā aur us ne unheṅ wahāṅ shifā dī.
Matt UrduGeoR 19:3  Kuchh Farīsī āe aur use phaṅsāne kī ġharz se sawāl kiyā, “Kyā jāyz hai ki mard apnī bīwī ko kisī bhī wajah se talāq de?”
Matt UrduGeoR 19:4  Īsā ne jawāb diyā, “Kyā tum ne kalām-e-muqaddas meṅ nahīṅ paṛhā ki ibtidā meṅ Ḳhāliq ne unheṅ mard aur aurat banāyā?
Matt UrduGeoR 19:5  Aur us ne farmāyā, ‘Is lie mard apne māṅ-bāp ko chhoṛ kar apnī bīwī ke sāth paiwast ho jātā hai. Wuh donoṅ ek ho jāte haiṅ.’
Matt UrduGeoR 19:6  Yoṅ wuh kalām-e-muqaddas ke mutābiq do nahīṅ rahte balki ek ho jāte haiṅ. Jise Allāh ne joṛā hai use insān judā na kare.”
Matt UrduGeoR 19:7  Unhoṅ ne etarāz kiyā, “To phir Mūsā ne yih kyoṅ farmāyā ki ādmī talāqnāmā likh kar bīwī ko ruḳhsat kar de?”
Matt UrduGeoR 19:8  Īsā ne jawāb diyā, “Mūsā ne tumhārī saḳhtdilī kī wajah se tum ko apnī bīwī ko talāq dene kī ijāzat dī. Lekin ibtidā meṅ aisā na thā.
Matt UrduGeoR 19:9  Maiṅ tumheṅ batātā hūṅ, jo apnī bīwī ko jis ne zinā na kiyā ho talāq de aur kisī aur se shādī kare, wuh zinā kartā hai.”
Matt UrduGeoR 19:10  Shāgirdoṅ ne us se kahā, “Agar shauhar aur bīwī kā āpas kā tālluq aisā hai to shādī na karnā behtar hai.”
Matt UrduGeoR 19:11  Īsā ne jawāb diyā, “Har koī yih bāt samajh nahīṅ saktā balki sirf wuh jise is qābil banā diyā gayā ho.
Matt UrduGeoR 19:12  Kyoṅki kuchh paidāish hī se shādī karne ke qābil nahīṅ hote, bāz ko dūsroṅ ne yoṅ banāyā hai aur bāz ne āsmān kī bādshāhī kī ḳhātir shādī karne se inkār kiyā hai. Lihāzā jo yih samajh sake wuh samajh le.”
Matt UrduGeoR 19:13  Ek din chhoṭe bachchoṅ ko Īsā ke pās lāyā gayā tāki wuh un par apne hāth rakh kar duā kare. Lekin shāgirdoṅ ne lāne wāloṅ ko malāmat kī.
Matt UrduGeoR 19:14  Yih dekh kar Īsā ne kahā, “Bachchoṅ ko mere pās āne do aur unheṅ na roko, kyoṅki āsmān kī bādshāhī in jaise logoṅ ko hāsil hai.”
Matt UrduGeoR 19:15  Us ne un par apne hāth rakhe aur phir wahāṅ se chalā gayā.
Matt UrduGeoR 19:16  Phir ek ādmī Īsā ke pās āyā. Us ne kahā, “Ustād, meṅ kaun-sā nek kām karūṅ tāki abadī zindagī mil jāe?”
Matt UrduGeoR 19:17  Īsā ne jawāb diyā, “Tū mujhe nekī ke bāre meṅ kyoṅ pūchh rahā hai? Sirf ek hī nek hai. Lekin agar tū abadī zindagī meṅ dāḳhil honā chāhtā hai to ahkām ke mutābiq zindagī guzār.”
Matt UrduGeoR 19:18  Ādmī ne pūchhā, “Kaun-se ahkām?” Īsā ne jawāb diyā, “Qatl na karnā, zinā na karnā, chorī na karnā, jhūṭī gawāhī na denā,
Matt UrduGeoR 19:19  apne bāp aur apnī māṅ kī izzat karnā aur apne paṛosī se waisī muhabbat rakhnā jaisī tū apne āp se rakhtā hai.”
Matt UrduGeoR 19:20  Jawān ādmī ne jawāb diyā, “Maiṅ ne in tamām ahkām kī pairawī kī hai, ab kyā rah gayā hai?”
Matt UrduGeoR 19:21  Īsā ne use batāyā, “Agar tū kāmil honā chāhtā hai to jā aur apnī pūrī jāydād faroḳht karke paise ġharīboṅ meṅ taqsīm kar de. Phir tere lie āsmān par ḳhazānā jamā ho jāegā. Is ke bād ā kar mere pīchhe ho le.”
Matt UrduGeoR 19:22  Yih sun kar naujawān māyūs ho kar chalā gayā, kyoṅki wuh nihāyat daulatmand thā.
Matt UrduGeoR 19:23  Is par Īsā ne apne shāgirdoṅ se kahā, “Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki daulatmand ke lie āsmān kī bādshāhī meṅ dāḳhil honā mushkil hai.
Matt UrduGeoR 19:24  Maiṅ yih dubārā kahtā hūṅ, amīr ke āsmān kī bādshāhī meṅ dāḳhil hone kī nisbat zyādā āsān yih hai ki ūṅṭ sūī ke nāke meṅ se guzar jāe.”
Matt UrduGeoR 19:25  Yih sun kar shāgird nihāyat hairatzadā hue aur pūchhne lage, “Phir kis ko najāt hāsil ho saktī hai?”
Matt UrduGeoR 19:26  Īsā ne ġhaur se un kī taraf dekh kar jawāb diyā, “Yih insān ke lie to nāmumkin hai, lekin Allāh ke lie sab kuchh mumkin hai.”
Matt UrduGeoR 19:27  Phir Patras bol uṭhā, “Ham to apnā sab kuchh chhoṛ kar āp ke pīchhe ho lie haiṅ. Hameṅ kyā milegā?”
Matt UrduGeoR 19:28  Īsā ne un se kahā, “Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ, duniyā kī naī taḳhlīq par jab Ibn-e-Ādam apne jalālī taḳht par baiṭhegā to tum bhī jinhoṅ ne merī pairawī kī hai bārah taḳhtoṅ par baiṭh kar Isrāīl ke bārah qabīloṅ kī adālat karoge.
Matt UrduGeoR 19:29  Aur jis ne bhī merī ḳhātir apne gharoṅ, bhāiyoṅ, bahnoṅ, bāp, māṅ, bachchoṅ yā khetoṅ ko chhoṛ diyā hai use sau gunā zyādā mil jāegā aur mīrās meṅ abadī zindagī pāegā.
Matt UrduGeoR 19:30  Lekin bahut-se log jo ab awwal haiṅ us waqt āḳhir hoṅge aur jo ab āḳhir haiṅ wuh awwal hoṅge.
Chapter 20
Matt UrduGeoR 20:1  Kyoṅki āsmān kī bādshāhī us zamīndār se mutābiqat rakhtī hai jo ek din subah-sawere niklā tāki apne angūr ke bāġh ke lie mazdūr ḍhūnḍe.
Matt UrduGeoR 20:2  Wuh un se dihāṛī ke lie chāṅdī kā ek sikkā dene par muttafiq huā aur unheṅ apne angūr ke bāġh meṅ bhej diyā.
Matt UrduGeoR 20:3  Nau baje wuh dubārā niklā to dekhā ki kuchh log abhī tak manḍī meṅ fāriġh baiṭhe haiṅ.
Matt UrduGeoR 20:4  Us ne un se kahā, ‘Tum bhī jā kar mere angūr ke bāġh meṅ kām karo. Maiṅ tumheṅ munāsib ujrat dūṅgā.’
Matt UrduGeoR 20:5  Chunāṅche wuh kām karne ke lie chale gae. Bārah baje aur tīn baje dopahar ke waqt bhī wuh niklā aur is tarah ke fāriġh mazdūroṅ ko kām par lagāyā.
Matt UrduGeoR 20:6  Phir shām ke pāṅch baj gae. Wuh niklā to dekhā ki abhī tak kuchh log fāriġh baiṭhe haiṅ. Us ne un se pūchhā, ‘Tum kyoṅ pūrā din fāriġh baiṭhe rahe ho?’
Matt UrduGeoR 20:7  Unhoṅ ne jawāb diyā, ‘Is lie ki kisī ne hameṅ kām par nahīṅ lagāyā.’ Us ne un se kahā, ‘Tum bhī jā kar mere angūr ke bāġh meṅ kām karo.’
Matt UrduGeoR 20:8  Din ḍhal gayā to zamīndār ne apne afsar ko batāyā, ‘Mazdūroṅ ko bulā kar unheṅ mazdūrī de de, āḳhir meṅ āne wāloṅ se shurū karke pahle āne wāloṅ tak.’
Matt UrduGeoR 20:9  Jo mazdūr pāṅch baje āe the unheṅ chāṅdī kā ek ek sikkā mil gayā.
Matt UrduGeoR 20:10  Is lie jab wuh āe jo pahle kām par lagāe gae the to unhoṅ ne zyādā milne kī tawaqqo kī. Lekin unheṅ bhī chāṅdī kā ek ek sikkā milā.
Matt UrduGeoR 20:11  Is par wuh zamīndār ke ḳhilāf buṛbuṛāne lage,
Matt UrduGeoR 20:12  ‘Yih ādmī jinheṅ āḳhir meṅ lagāyā gayā unhoṅ ne sirf ek ghanṭā kām kiyā. To bhī āp ne unheṅ hamāre barābar kī mazdūrī dī hālāṅki hameṅ din kā pūrā bojh aur dhūp kī shiddat bardāsht karnī paṛī.’
Matt UrduGeoR 20:13  Lekin zamīndār ne un meṅ se ek se bāt kī, ‘Yār, maiṅ ne ġhalat kām nahīṅ kiyā. Kyā tū chāṅdī ke ek sikke ke lie mazdūrī karne par muttafiq na huā thā?
Matt UrduGeoR 20:14  Apne paise le kar chalā jā. Maiṅ āḳhir meṅ kām par lagne wāloṅ ko utnā hī denā chāhtā hūṅ jitnā tujhe.
Matt UrduGeoR 20:15  Kyā merā haq nahīṅ ki maiṅ jaisā chāhūṅ apne paise ḳharch karūṅ? Yā kyā tū is lie hasad kartā hai ki maiṅ faiyāzdil hūṅ?’
Matt UrduGeoR 20:16  Yoṅ awwal āḳhir meṅ āeṅge aur jo āḳhirī haiṅ wuh awwal ho jāeṅge.”
Matt UrduGeoR 20:17  Ab jab Īsā Yarūshalam kī taraf baṛh rahā thā to bārah shāgirdoṅ ko ek taraf le jā kar us ne un se kahā,
Matt UrduGeoR 20:18  “Ham Yarūshalam kī taraf baṛh rahe haiṅ. Wahāṅ Ibn-e-Ādam ko rāhnumā imāmoṅ aur sharīat ke ulamā ke hawāle kar diyā jāegā. Wuh us par sazā-e-maut kā fatwā de kar
Matt UrduGeoR 20:19  use Ġhairyahūdiyoṅ ke hawāle kar deṅge tāki wuh us kā mazāq uṛāeṅ, us ko koṛe māreṅ aur use maslūb kareṅ. Lekin tīsre din wuh jī uṭhegā.”
Matt UrduGeoR 20:20  Phir Zabdī ke beṭoṅ Yāqūb aur Yūhannā kī māṅ apne beṭoṅ ko sāth le kar Īsā ke pās āī aur sijdā karke kahā, “Āp se ek guzārish hai.”
Matt UrduGeoR 20:21  Īsā ne pūchhā, “Tū kyā chāhtī hai?” Us ne jawāb diyā, “Apnī bādshāhī meṅ mere in beṭoṅ meṅ se ek ko apne dāeṅ hāth baiṭhne deṅ aur dūsre ko bāeṅ hāth.”
Matt UrduGeoR 20:22  Īsā ne kahā, “Tum ko nahīṅ mālūm ki kyā māṅg rahe ho. Kyā tum wuh pyālā pī sakte ho jo maiṅ pīne ko hūṅ?” “Jī, ham pī sakte haiṅ,” unhoṅ ne jawāb diyā.
Matt UrduGeoR 20:23  Phir Īsā ne un se kahā, “Tum merā pyālā to zarūr piyoge, lekin yih faislā karnā merā kām nahīṅ ki kaun mere dāeṅ hāth baiṭhegā aur kaun bāeṅ hāth. Mere Bāp ne yih maqām unhīṅ ke lie taiyār kiyā hai jin ko us ne ḳhud muqarrar kiyā hai.”
Matt UrduGeoR 20:24  Jab bāqī das shāgirdoṅ ne yih sunā to unheṅ Yāqūb aur Yūhannā par ġhussā āyā.
Matt UrduGeoR 20:25  Is par Īsā ne un sab ko bulā kar kahā, “Tum jānte ho ki qaumoṅ ke hukmrān apnī riāyā par rob ḍālte haiṅ aur un ke baṛe afsar un par apne iḳhtiyār kā ġhalat istemāl karte haiṅ.
Matt UrduGeoR 20:26  Lekin tumhāre darmiyān aisā nahīṅ hai. Jo tum meṅ baṛā honā chāhe wuh tumhārā ḳhādim bane
Matt UrduGeoR 20:27  aur jo tum meṅ awwal honā chāhe wuh tumhārā ġhulām bane.
Matt UrduGeoR 20:28  Kyoṅki Ibn-e-Ādam bhī is lie nahīṅ āyā ki ḳhidmat le balki is lie ki ḳhidmat kare aur apnī jān fidyā ke taur par de kar bahutoṅ ko chhuṛāe.”
Matt UrduGeoR 20:29  Jab wuh Yarīhū Shahr se nikalne lage to ek baṛā hujūm un ke pīchhe chal rahā thā.
Matt UrduGeoR 20:30  Do andhe rāste ke kināre baiṭhe the. Jab unhoṅ ne sunā ki Īsā guzar rahā hai to wuh chillāne lage, “Ḳhudāwand, Ibn-e-Dāūd, ham par rahm kareṅ.”
Matt UrduGeoR 20:31  Hujūm ne unheṅ ḍāṅṭ kar kahā, “Ḳhāmosh!” Lekin wuh aur bhī ūṅchī āwāz se pukārte rahe, “Ḳhudāwand, Ibn-e-Dāūd, ham par rahm kareṅ.”
Matt UrduGeoR 20:32  Īsā ruk gayā. Us ne unheṅ apne pās bulāyā aur pūchhā, “Tum kyā chāhte ho ki maiṅ tumhāre lie karūṅ?”
Matt UrduGeoR 20:33  Unhoṅ ne jawāb diyā, “Ḳhudāwand, yih ki ham dekh sakeṅ.”
Matt UrduGeoR 20:34  Īsā ko un par tars āyā. Us ne un kī āṅkhoṅ ko chhuā to wuh fauran bahāl ho gaīṅ. Phir wuh us ke pīchhe chalne lage.
Chapter 21
Matt UrduGeoR 21:1  Wuh Yarūshalam ke qarīb Bait-fage pahuṅche. Yih gāṅw Zaitūn ke pahāṛ par wāqe thā. Īsā ne do shāgirdoṅ ko bhejā
Matt UrduGeoR 21:2  aur kahā, “Sāmne wāle gāṅw meṅ jāo. Wahāṅ tum ko fauran ek gadhī nazar āegī jo apne bachche ke sāth bandhī huī hogī. Unheṅ khol kar yahāṅ le āo.
Matt UrduGeoR 21:3  Agar koī yih dekh kar tum se kuchh kahe to use batā denā, ‘Ḳhudāwand ko in kī zarūrat hai.’ Yih sun kar wuh fauran inheṅ bhej degā.”
Matt UrduGeoR 21:5  ‘Siyyūn Beṭī ko batā denā, dekh, terā bādshāh tere pās ā rahā hai. Wuh halīm hai aur gadhe par, hāṅ gadhī ke bachche par sawār hai.’
Matt UrduGeoR 21:6  Donoṅ shāgird chale gae. Unhoṅ ne waisā hī kiyā jaisā Īsā ne unheṅ batāyā thā.
Matt UrduGeoR 21:7  Wuh gadhī ko bachche samet le āe aur apne kapṛe un par rakh die. Phir Īsā un par baiṭh gayā.
Matt UrduGeoR 21:8  Jab wuh chal paṛā to bahut zyādā logoṅ ne us ke āge āge rāste meṅ apne kapṛe bichhā die. Bāz ne shāḳheṅ bhī us ke āge āge rāste meṅ bichhā dīṅ jo unhoṅ ne daraḳhtoṅ se kāṭ lī thīṅ.
Matt UrduGeoR 21:9  Log Īsā ke āge aur pīchhe chal rahe the aur chillā kar yih nāre lagā rahe the, “Ibn-e-Dāūd ko hoshānā! Mubārak hai wuh jo Rab ke nām se ātā hai. Āsmān kī bulandiyoṅ par hoshānā.”
Matt UrduGeoR 21:10  Jab Īsā Yarūshalam meṅ dāḳhil huā to pūrā shahr hil gayā. Sab ne pūchhā, “Yih kaun hai?”
Matt UrduGeoR 21:11  Hujūm ne jawāb diyā, “Yih Īsā hai, wuh nabī jo Galīl ke Nāsarat se hai.”
Matt UrduGeoR 21:12  Aur Īsā Baitul-muqaddas meṅ jā kar un sab ko nikālne lagā jo wahāṅ qurbāniyoṅ ke lie darkār chīzoṅ kī ḳharīd-o-faroḳht kar rahe the. Us ne sikkoṅ kā tabādalā karne wāloṅ kī mezeṅ aur kabūtar bechne wāloṅ kī kursiyāṅ ulaṭ dīṅ
Matt UrduGeoR 21:13  aur un se kahā, “Kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai, ‘Merā ghar duā kā ghar kahlāegā.’ Lekin tum ne use ḍākuoṅ ke aḍḍe meṅ badal diyā hai.”
Matt UrduGeoR 21:14  Andhe aur langaṛe Baitul-muqaddas meṅ us ke pās āe aur us ne unheṅ shifā dī.
Matt UrduGeoR 21:15  Lekin rāhnumā imām aur sharīat ke ulamā nārāz hue jab unhoṅ ne us ke hairatangez kām dekhe aur yih ki bachche Baitul-muqaddas meṅ “Ibn-e-Dāūd ko hoshānā” chillā rahe haiṅ.
Matt UrduGeoR 21:16  Unhoṅ ne us se pūchhā, “Kyā āp sun rahe haiṅ ki yih bachche kyā kah rahe haiṅ?” “Jī,” Īsā ne jawāb diyā, “Kyā tum ne kalām-e-muqaddas meṅ kabhī nahīṅ paṛhā ki ‘Tū ne chhoṭe bachchoṅ aur shīrḳhāroṅ kī zabān ko taiyār kiyā hai tāki wuh terī tamjīd kareṅ’?”
Matt UrduGeoR 21:17  Phir wuh unheṅ chhoṛ kar shahr se niklā aur Bait-aniyāh pahuṅchā jahāṅ us ne rāt guzārī.
Matt UrduGeoR 21:18  Agle din subah-sawere jab wuh Yarūshalam lauṭ rahā thā to Īsā ko bhūk lagī.
Matt UrduGeoR 21:19  Rāste ke qarīb anjīr kā ek daraḳht dekh kar wuh us ke pās gayā. Lekin jab wuh wahāṅ pahuṅchā to dekhā ki phal nahīṅ lagā balki sirf patte hī patte haiṅ. Is par us ne daraḳht se kahā, “Ab se kabhī bhī tujh meṅ phal na lage!” Daraḳht fauran sūkh gayā.
Matt UrduGeoR 21:20  Yih dekh kar shāgird hairān hue aur kahā, “Anjīr kā daraḳht itnī jaldī se kis tarah sūkh gayā?”
Matt UrduGeoR 21:21  Īsā ne jawāb diyā, “Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ, agar tum shak na karo balki īmān rakho to phir tum na sirf aisā kām kar sakoge balki is se bhī baṛā. Tum is pahāṛ se kahoge, ‘Uṭh, apne āp ko samundar meṅ girā de’ to yih ho jāegā.
Matt UrduGeoR 21:22  Agar tum īmān rakho to jo kuchh bhī tum duā meṅ māṅgoge wuh tum ko mil jāegā.”
Matt UrduGeoR 21:23  Īsā Baitul-muqaddas meṅ dāḳhil ho kar tālīm dene lagā. Itne meṅ rāhnumā imām aur qaum ke buzurg us ke pās āe aur pūchhā, “Āp yih sab kuchh kis iḳhtiyār se kar rahe haiṅ? Kis ne āp ko yih iḳhtiyār diyā hai?”
Matt UrduGeoR 21:24  Īsā ne jawāb diyā, “Merā bhī tum se ek sawāl hai. Is kā jawāb do to phir tum ko batā dūṅgā ki maiṅ yih kis iḳhtiyār se kar rahā hūṅ.
Matt UrduGeoR 21:25  Mujhe batāo ki Yahyā kā baptismā kahāṅ se thā—kyā wuh āsmānī thā yā insānī?” Wuh āpas meṅ bahs karne lage, “Agar ham kaheṅ ‘Āsmānī’ to wuh pūchhegā, ‘To phir tum us par īmān kyoṅ na lāe?’
Matt UrduGeoR 21:26  Lekin ham kaise kah sakte haiṅ ki wuh insānī thā? Ham to ām logoṅ se ḍarte haiṅ, kyoṅki wuh sab mānte haiṅ ki Yahyā nabī thā.”
Matt UrduGeoR 21:27  Chunāṅche unhoṅ ne jawāb diyā, “Ham nahīṅ jānte.” Īsā ne kahā, “Phir maiṅ bhī tum ko nahīṅ batātā ki maiṅ yih sab kuchh kis iḳhtiyār se kar rahā hūṅ.
Matt UrduGeoR 21:28  Tumhārā kyā ḳhayāl hai? Ek ādmī ke do beṭe the. Bāp baṛe beṭe ke pās gayā aur kahā, ‘Beṭā, āj angūr ke bāġh meṅ jā kar kām kar.’
Matt UrduGeoR 21:29  Beṭe ne jawāb diyā, ‘Maiṅ jānā nahīṅ chāhtā,’ lekin bād meṅ us ne apnā ḳhayāl badal liyā aur bāġh meṅ chalā gayā.
Matt UrduGeoR 21:30  Itne meṅ bāp chhoṭe beṭe ke pās bhī gayā aur use bāġh meṅ jāne ko kahā. ‘Jī janāb, maiṅ jāūṅgā,’ chhoṭe beṭe ne kahā. Lekin wuh na gayā.
Matt UrduGeoR 21:31  Ab mujhe batāo ki kis beṭe ne apne bāp kī marzī pūrī kī?” “Pahle beṭe ne,” unhoṅ ne jawāb diyā. Īsā ne kahā, “Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki ṭaiks lene wāle aur kasbiyāṅ tum se pahle Allāh kī bādshāhī meṅ dāḳhil ho rahe haiṅ.
Matt UrduGeoR 21:32  Kyoṅki Yahyā tum ko rāstbāzī kī rāh dikhāne āyā aur tum us par īmān na lāe. Lekin ṭaiks lene wāle aur kasbiyāṅ us par īmān lāe. Aur yih dekh kar bhī tum ne apnā ḳhayāl na badlā aur us par īmān na lāe.
Matt UrduGeoR 21:33  Ek aur tamsīl suno. Ek zamīndār thā jis ne angūr kā bāġh lagāyā. Us ne us kī chārdīwārī banāī, angūroṅ kā ras nikālne ke lie ek gaṛhe kī khudāī kī aur pahredāroṅ ke lie burj tāmīr kiyā. Phir wuh use muzāreoṅ ke sapurd karke bairūn-e-mulk chalā gayā.
Matt UrduGeoR 21:34  Jab angūr ko toṛne kā waqt qarīb ā gayā to us ne apne naukaroṅ ko muzāreoṅ ke pās bhej diyā tāki wuh un se mālik kā hissā wasūl kareṅ.
Matt UrduGeoR 21:35  Lekin muzāreoṅ ne us ke naukaroṅ ko pakaṛ liyā. Unhoṅ ne ek kī piṭāī kī, dūsre ko qatl kiyā aur tīsre ko sangsār kiyā.
Matt UrduGeoR 21:36  Phir mālik ne mazīd naukaroṅ ko un ke pās bhej diyā jo pahle kī nisbat zyādā the. Lekin muzāreoṅ ne un ke sāth bhī wuhī sulūk kiyā.
Matt UrduGeoR 21:37  Āḳhirkār zamīndār ne apne beṭe ko un ke pās bhejā. Us ne kahā, ‘Āḳhir mere beṭe kā to lihāz kareṅge.’
Matt UrduGeoR 21:38  Lekin beṭe ko dekh kar muzāre ek dūsre se kahne lage, ‘Yih zamīn kā wāris hai. Āo, ham ise qatl karke us kī mīrās par qabzā kar leṅ.’
Matt UrduGeoR 21:39  Unhoṅ ne use pakaṛ kar bāġh se bāhar phaiṅk diyā aur qatl kiyā.”
Matt UrduGeoR 21:40  Īsā ne pūchhā, “Ab batāo, bāġh kā mālik jab āegā to un muzāreoṅ ke sāth kyā karegā?”
Matt UrduGeoR 21:41  Unhoṅ ne jawāb diyā, “Wuh unheṅ burī tarah tabāh karegā aur bāġh ko dūsroṅ ke sapurd kar degā, aise muzāreoṅ ke sapurd jo waqt par use fasal kā us kā hissā deṅge.”
Matt UrduGeoR 21:42  Īsā ne un se kahā, “Kyā tum ne kabhī kalām kā yih hawālā nahīṅ paṛhā, ‘Jis patthar ko makān banāne wāloṅ ne radd kiyā, wuh kone kā buniyādī patthar ban gayā. Yih Rab ne kiyā aur deḳhne meṅ kitnā hairatangez hai’?
Matt UrduGeoR 21:43  Is lie maiṅ tumheṅ batātā hūṅ ki Allāh kī bādshāhī tum se le lī jāegī aur ek aisī qaum ko dī jāegī jo is ke mutābiq phal lāegī.
Matt UrduGeoR 21:44  Jo is patthar par giregā wuh ṭukṛe ṭukṛe ho jāegā, jabki jis par wuh ḳhud giregā use wuh pīs ḍālegā.”
Matt UrduGeoR 21:45  Īsā kī tamsīleṅ sun kar rāhnumā imām aur Farīsī samajh gae ki wuh hamāre bāre meṅ bāt kar rahā hai.
Matt UrduGeoR 21:46  Unhoṅ ne Īsā ko giriftār karne kī koshish kī, lekin wuh awām se ḍarte the kyoṅki wuh samajhte the ki Īsā nabī hai.
Chapter 22
Matt UrduGeoR 22:1  Īsā ne ek bār phir tamsīloṅ meṅ un se bāt kī.
Matt UrduGeoR 22:2  “Āsmān kī bādshāhī ek bādshāh se mutābiqat rakhtī hai jis ne apne beṭe kī shādī kī ziyāfat kī taiyāriyāṅ karwāīṅ.
Matt UrduGeoR 22:3  Jab ziyāfat kā waqt ā gayā to us ne apne naukaroṅ ko mehmānoṅ ke pās yih ittalā dene ke lie bhejā ki wuh āeṅ, lekin wuh ānā nahīṅ chāhte the.
Matt UrduGeoR 22:4  Phir us ne mazīd kuchh naukaroṅ ko bhej kar kahā, ‘Mehmānoṅ ko batānā ki maiṅ ne apnā khānā taiyār kar rakhā hai. Bailoṅ aur moṭe-tāze bachhṛoṅ ko zabah kiyā gayā hai,
Matt UrduGeoR 22:5  sab kuchh taiyār hai. Āeṅ, ziyāfat meṅ sharīk ho jāeṅ.’ Lekin mehmānoṅ ne parwā na kī balki apne muḳhtalif kāmoṅ meṅ lag gae. Ek apne khet ko chalā gayā, dūsrā apne kārobār meṅ masrūf ho gayā.
Matt UrduGeoR 22:6  Bāqiyoṅ ne bādshāh ke naukaroṅ ko pakaṛ liyā aur un se burā sulūk karke unheṅ qatl kiyā.
Matt UrduGeoR 22:7  Bādshāh baṛe taish meṅ ā gayā. Us ne apnī fauj ko bhej kar qātiloṅ ko tabāh kar diyā aur un kā shahr jalā diyā.
Matt UrduGeoR 22:8  Phir us ne apne naukaroṅ se kahā, ‘Shādī kī ziyāfat to taiyār hai, lekin jin mehmānoṅ ko maiṅ ne dāwat dī thī wuh āne ke lāyq nahīṅ the.
Matt UrduGeoR 22:9  Ab wahāṅ jāo jahāṅ saṛakeṅ shahr se nikaltī haiṅ aur jis se bhī mulāqāt ho jāe use ziyāfat ke lie dāwat de denā.’
Matt UrduGeoR 22:10  Chunāṅche naukar saṛakoṅ par nikle aur jis se bhī mulāqāt huī use lāe, ḳhāh wuh achchhā thā yā burā. Yoṅ shādī hāl mehmānoṅ se bhar gayā.
Matt UrduGeoR 22:11  Lekin jab bādshāh mehmānoṅ se milne ke lie andar āyā to use ek ādmī nazar āyā jis ne shādī ke lie munāsib kapṛe nahīṅ pahne the.
Matt UrduGeoR 22:12  Bādshāh ne pūchhā, ‘Dost, tum shādī kā libās pahne baġhair andar kis tarah āe?’ Wuh ādmī koī jawāb na de sakā.
Matt UrduGeoR 22:13  Phir bādshāh ne apne darbāriyoṅ ko hukm diyā, ‘Is ke hāth aur pāṅw bāndh kar ise bāhar tārīkī meṅ phaiṅk do, wahāṅ jahāṅ log rote aur dāṅt pīste raheṅge.’
Matt UrduGeoR 22:14  Kyoṅki bulāe hue to bahut haiṅ, lekin chune hue kam.”
Matt UrduGeoR 22:15  Phir Farīsiyoṅ ne jā kar āpas meṅ mashwarā kiyā ki ham Īsā ko kis tarah aisī bāt karne ke lie ubhāreṅ jis se use pakaṛā jā sake.
Matt UrduGeoR 22:16  Is maqsad ke taht unhoṅ ne apne shāgirdoṅ ko Herodes ke pairokāroṅ samet Īsā ke pās bhejā. Unhoṅ ne kahā, “Ustād, ham jānte haiṅ ki āp sachche haiṅ aur diyānatdārī se Allāh kī rāh kī tālīm dete haiṅ. Āp kisī kī parwā nahīṅ karte kyoṅki āp ġhairjānibdār haiṅ.
Matt UrduGeoR 22:17  Ab hameṅ apnī rāy batāeṅ. Kyā Romī shahanshāh ko ṭaiks denā jāyz hai yā nājāyz?”
Matt UrduGeoR 22:18  Lekin Īsā ne un kī burī nīyat pahchān lī. Us ne kahā, “Riyākāro, tum mujhe kyoṅ phaṅsānā chāhte ho?
Matt UrduGeoR 22:19  Mujhe wuh sikkā dikhāo jo ṭaiks adā karne ke lie istemāl hotā hai.” Wuh us ke pās chāṅdī kā ek Romī sikkā le āe
Matt UrduGeoR 22:20  to us ne pūchhā, “Kis kī sūrat aur nām is par kandā hai?”
Matt UrduGeoR 22:21  Unhoṅ ne jawāb diyā, “Shahanshāh kā.” Us ne kahā, “To jo shahanshāh kā hai shahanshāh ko do aur jo Allāh kā hai Allāh ko.”
Matt UrduGeoR 22:22  Us kā yih jawāb sun kar wuh hakkā-bakkā rah gae aur use chhoṛ kar chale gae.
Matt UrduGeoR 22:23  Us din Sadūqī Īsā ke pās āe. Sadūqī nahīṅ mānte ki roz-e-qiyāmat murde jī uṭheṅge. Unhoṅ ne Īsā se ek sawāl kiyā.
Matt UrduGeoR 22:24  “Ustād, Mūsā ne hameṅ hukm diyā ki agar koī shādīshudā ādmī beaulād mar jāe aur us kā bhāī ho to bhāī kā farz hai ki wuh bewā se shādī karke apne bhāī ke lie aulād paidā kare.
Matt UrduGeoR 22:25  Ab farz kareṅ ki hamāre darmiyān sāt bhāī the. Pahle ne shādī kī, lekin beaulād faut huā. Is lie dūsre bhāī ne bewā se shādī kī.
Matt UrduGeoR 22:26  Lekin wuh bhī beaulād mar gayā. Phir tīsre bhāī ne us se shādī kī. Yih silsilā sātweṅ bhāī tak jārī rahā. Yake bād dīgare har bhāī bewā se shādī karne ke bād mar gayā.
Matt UrduGeoR 22:28  Ab batāeṅ ki qiyāmat ke din wuh kis kī bīwī hogī? Kyoṅki sāt ke sāt bhāiyoṅ ne us se shādī kī thī.”
Matt UrduGeoR 22:29  Īsā ne jawāb diyā, “Tum is lie ġhaltī par ho ki na tum kalām-e-muqaddas se wāqif ho, na Allāh kī qudrat se.
Matt UrduGeoR 22:30  Kyoṅki qiyāmat ke din log na shādī kareṅge na un kī shādī karāī jāegī balki wuh āsmān par farishtoṅ kī mānind hoṅge.
Matt UrduGeoR 22:31  Rahī yih bāt ki murde jī uṭheṅge, kyā tum ne wuh bāt nahīṅ paṛhī jo Allāh ne tum se kahī?
Matt UrduGeoR 22:32  Us ne farmāyā, ‘Maiṅ Ibrāhīm kā Ḳhudā, Is'hāq kā Ḳhudā aur Yāqūb kā Ḳhudā hūṅ,’ hālāṅki us waqt tīnoṅ kāfī arse se mar chuke the. Is kā matlab hai ki yih haqīqat meṅ zindā haiṅ. Kyoṅki Allāh murdoṅ kā nahīṅ balki zindoṅ kā Ḳhudā hai.”
Matt UrduGeoR 22:33  Yih sun kar hujūm us kī tālīm ke bāis hairān rah gayā.
Matt UrduGeoR 22:34  Jab Farīsiyoṅ ne sunā ki Īsā ne Sadūqiyoṅ ko lājawāb kar diyā hai to wuh jamā hue.
Matt UrduGeoR 22:35  Un meṅ se ek ne jo sharīat kā ālim thā use phaṅsāne ke lie sawāl kiyā,
Matt UrduGeoR 22:36  “Ustād, sharīat meṅ sab se baṛā hukm kaun-sā hai?”
Matt UrduGeoR 22:37  Īsā ne jawāb diyā, “‘Rab apne Ḳhudā se apne pūre dil, apnī pūrī jān aur apne pūre zahan se pyār karnā.’
Matt UrduGeoR 22:39  Aur dūsrā hukm is ke barābar yih hai, ‘Apne paṛosī se waisī muhabbat rakhnā jaisī tū apne āp se rakhtā hai.’
Matt UrduGeoR 22:40  Tamām sharīat aur nabiyoṅ kī tālīmāt in do ahkām par mabnī haiṅ.”
Matt UrduGeoR 22:41  Jab Farīsī ikaṭṭhe the to Īsā ne un se pūchhā,
Matt UrduGeoR 22:42  “Tumhārā Masīh ke bāre meṅ kyā ḳhayāl hai? Wuh kis kā farzand hai?” Unhoṅ ne jawāb diyā, “Wuh Dāūd kā farzand hai.”
Matt UrduGeoR 22:43  Īsā ne kahā, “To phir Dāūd Rūhul-quds kī mārifat use kis tarah ‘Rab’ kahtā hai? Kyoṅki wuh farmātā hai,
Matt UrduGeoR 22:44  ‘Rab ne mere Rab se kahā, mere dahne hāth baiṭh, jab tak maiṅ tere dushmanoṅ ko tere pāṅwoṅ ke nīche na kar dūṅ.’
Matt UrduGeoR 22:45  Dāūd to ḳhud Masīh ko Rab kahtā hai. To phir wuh kis tarah us kā farzand ho saktā hai?”
Matt UrduGeoR 22:46  Koī bhī jawāb na de sakā, aur us din se kisī ne bhī us se mazīd kuchh pūchhne kī jurrat na kī.
Chapter 23
Matt UrduGeoR 23:1  Phir Īsā hujūm aur apne shāgirdoṅ se muḳhātib huā,
Matt UrduGeoR 23:2  “Sharīat ke ulamā aur Farīsī Mūsā kī kursī par baiṭhe haiṅ.
Matt UrduGeoR 23:3  Chunāṅche jo kuchh wuh tum ko batāte haiṅ wuh karo aur us ke mutābiq zindagī guzāro. Lekin jo kuchh wuh karte haiṅ wuh na karo, kyoṅki wuh ḳhud apnī tālīm ke mutābiq zindagī nahīṅ guzārte.
Matt UrduGeoR 23:4  Wuh bhārī gaṭhaṛiyāṅ bāndh bāndh kar logoṅ ke kandhoṅ par rakh dete haiṅ, lekin ḳhud unheṅ uṭhāne ke lie ek unglī tak hilāne ko taiyār nahīṅ hote.
Matt UrduGeoR 23:5  Jo bhī karte haiṅ dikhāwe ke lie karte haiṅ. Jo tāwīz wuh apne bāzuoṅ aur peshāniyoṅ par bāndhte aur jo phundne apne libās se lagāte haiṅ wuh ḳhās baṛe hote haiṅ.
Matt UrduGeoR 23:6  Un kī bas ek hī ḳhāhish hotī hai ki ziyāfatoṅ aur ibādatḳhānoṅ meṅ izzat kī kursiyoṅ par baiṭh jāeṅ.
Matt UrduGeoR 23:7  Jab log bāzāroṅ meṅ salām karke un kī izzat karte aur ‘ustād’ kah kar un se bāt karte haiṅ to phir wuh ḳhush ho jāte haiṅ.
Matt UrduGeoR 23:8  Lekin tum ko ustād nahīṅ kahlānā chāhie, kyoṅki tumhārā sirf ek hī ustād hai jabki tum sab bhāī ho.
Matt UrduGeoR 23:9  Aur duniyā meṅ kisī ko ‘bāp’ kah kar us se bāt na karo, kyoṅki tumhārā ek hī Bāp hai aur wuh āsmān par hai.
Matt UrduGeoR 23:10  Hādī na kahlānā kyoṅki tumhārā sirf ek hī hādī hai yānī al-Masīh.
Matt UrduGeoR 23:11  Tum meṅ se sab se baṛā shaḳhs tumhārā ḳhādim hogā.
Matt UrduGeoR 23:12  Kyoṅki jo bhī apne āp ko sarfarāz karegā use past kiyā jāegā aur jo apne āp ko past karegā use sarfarāz kiyā jāegā.
Matt UrduGeoR 23:13  Sharīat ke ālimo aur Farīsiyo, tum par afsos! Riyākāro! Tum logoṅ ke sāmne āsmān kī bādshāhī par tālā lagāte ho. Na tum ḳhud dāḳhil hote ho, na unheṅ dāḳhil hone dete ho jo andar jānā chāhte haiṅ.
Matt UrduGeoR 23:14  [Sharīat ke ālimo aur Farīsiyo, tum par afsos! Riyākāro! Tum bewāoṅ ke gharoṅ par qabzā kar lete aur dikhāwe ke lie lambī lambī namāz paṛhte ho. Is lie tumheṅ zyādā sazā milegī.]
Matt UrduGeoR 23:15  Sharīat ke ālimo aur Farīsiyo, tum par afsos! Riyākāro! Tum ek naumurīd banāne kī ḳhātir ḳhushkī aur tarī ke lambe safr karte ho. Aur jab is meṅ kāmyāb ho jāte ho to tum us shaḳhs ko apnī nisbat jahannum kā dugnā sharīr farzand banā dete ho.
Matt UrduGeoR 23:16  Andhe rāhnumāo, tum par afsos! Tum kahte ho, ‘Agar koī Baitul-muqaddas kī qasam khāe to zarūrī nahīṅ ki wuh use pūrā kare. Lekin agar wuh Baitul-muqaddas ke sone kī qasam khāe to lāzim hai ki use pūrā kare.’
Matt UrduGeoR 23:17  Andhe ahmaqo! Zyādā aham kiyā hai, sonā yā Baitul-muqaddas jo sone ko maḳhsūs-o-muqaddas banātā hai?
Matt UrduGeoR 23:18  Tum yih bhī kahte ho, ‘Agar koī qurbāngāh kī qasam khāe to zarūrī nahīṅ ki wuh use pūrā kare. Lekin agar wuh qurbāngāh par paṛe hadiye kī qasam khāe to lāzim hai ki wuh use pūrā kare.’
Matt UrduGeoR 23:19  Andho! Zyādā aham kiyā hai, hadiyā yā qurbāngāh jo hadiye ko maḳhsūs-o-muqaddas banātī hai?
Matt UrduGeoR 23:20  Ġharz, jo qurbāngāh kī qasam khātā hai wuh un tamām chīzoṅ kī qasam bhī khātā hai jo us par paṛī haiṅ.
Matt UrduGeoR 23:21  Aur jo Baitul-muqaddas kī qasam khātā hai wuh us kī bhī qasam khātā hai jo us meṅ sukūnat kartā hai.
Matt UrduGeoR 23:22  Aur jo āsmān kī qasam khātā hai wuh Allāh ke taḳht kī aur us par baiṭhne wāle kī qasam bhī khātā hai.
Matt UrduGeoR 23:23  Sharīat ke ālimo aur Farīsiyo, tum par afsos! Riyākāro! Go tum baṛī ehtiyāt se paudīne, ajwāyn aur zīre kā daswāṅ hissā hadiye ke lie maḳhsūs karte ho, lekin tum ne sharīat kī zyādā aham bātoṅ ko nazarandāz kar diyā hai yānī insāf, rahm aur wafādārī ko. Lāzim hai ki tum yih kām bhī karo aur pahlā bhī na chhoṛo.
Matt UrduGeoR 23:24  Andhe rāhnumāo! Tum apne mashrūb chhānte ho tāki ġhaltī se machchhar na pī liyā jāe, lekin sāth sāth ūṅṭ ko nigal lete ho.
Matt UrduGeoR 23:25  Sharīat ke ālimo aur Farīsiyo, tum par afsos! Riyākāro! Tum bāhar se har pyāle aur bartan kī safāī karte ho, lekin andar se wuh lūṭ-mār aur aishparastī se bhare hote haiṅ.
Matt UrduGeoR 23:26  Andhe Farīsiyo, pahle andar se pyāle aur bartan kī safāī karo, aur phir wuh bāhar se bhī pāk-sāf ho jāeṅge.
Matt UrduGeoR 23:27  Sharīat ke ālimo aur Farīsiyo, tum par afsos! Riyākāro! Tum aisī qabroṅ se mutābiqat rakhte ho jin par safedī kī gaī ho. Go wuh bāhar se dilkash nazar ātī haiṅ, lekin andar se wuh murdoṅ kī haḍḍiyoṅ aur har qism kī nāpākī se bharī hotī haiṅ.
Matt UrduGeoR 23:28  Tum bhī bāhar se rāstbāz dikhāī dete ho jabki andar se tum riyākārī aur bedīnī se māmūr hote ho.
Matt UrduGeoR 23:29  Sharīat ke ālimo aur Farīsiyo, tum par afsos! Riyākāro! Tum nabiyoṅ ke lie qabreṅ tāmīr karte aur rāstbāzoṅ ke mazār sajāte ho.
Matt UrduGeoR 23:30  Aur tum kahte ho, ‘Agar ham apne bāpdādā ke zamāne meṅ zindā hote to nabiyoṅ ko qatl karne meṅ sharīk na hote.’
Matt UrduGeoR 23:31  Lekin yih kahne se tum apne ḳhilāf gawāhī dete ho ki tum nabiyoṅ ke qātiloṅ kī aulād ho.
Matt UrduGeoR 23:32  Ab jāo, wuh kām mukammal karo jo tumhāre bāpdādā ne adhūrā chhoṛ diyā thā.
Matt UrduGeoR 23:33  Sāṅpo, zahrīle sāṅpoṅ ke bachcho! Tum kis tarah jahannum kī sazā se bach pāoge?
Matt UrduGeoR 23:34  Is lie maiṅ nabiyoṅ, dānishmandoṅ aur sharīat ke ālimoṅ ko tumhāre pās bhej detā hūṅ. Un meṅ se bāz ko tum qatl aur maslūb karoge aur bāz ko apne ibādatḳhānoṅ meṅ le jā kar koṛe lagwāoge aur shahr bashahr un kā tāqqub karoge.
Matt UrduGeoR 23:35  Natīje meṅ tum tamām rāstbāzoṅ ke qatl ke zimmedār ṭhahroge—rāstbāz Hābīl ke qatl se le kar Zakariyāh bin Barakiyāh ke qatl tak jise tum ne Baitul-muqaddas ke darwāze aur us ke sahan meṅ maujūd qurbāngāh ke darmiyān mār ḍālā.
Matt UrduGeoR 23:36  Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki yih sab kuchh isī nasl par āegā.
Matt UrduGeoR 23:37  Hāy Yarūshalam, Yarūshalam! Tū jo nabiyoṅ ko qatl kartī aur apne pās bheje hue paiġhambaroṅ ko sangsār kartī hai. Maiṅ ne kitnī hī bār terī aulād ko jamā karnā chāhā, bilkul usī tarah jis tarah murġhī apne bachchoṅ ko apne paroṅ tale jamā karke mahfūz kar letī hai. Lekin tum ne na chāhā.
Matt UrduGeoR 23:38  Ab tumhāre ghar ko wīrān-o-sunsān chhoṛā jāegā.
Matt UrduGeoR 23:39  Kyoṅki maiṅ tum ko batātā hūṅ, tum mujhe us waqt tak dubārā nahīṅ dekhoge jab tak tum na kaho ki mubārak hai wuh jo Rab ke nām se ātā hai.”
Chapter 24
Matt UrduGeoR 24:1  Īsā Baitul-muqaddas ko chhoṛ kar nikal rahā thā ki us ke shāgird us ke pās āe aur Baitul-muqaddas kī muḳhtalif imāratoṅ kī taraf us kī tawajjuh dilāne lage.
Matt UrduGeoR 24:2  Lekin Īsā ne jawāb meṅ kahā, “Kyā tum ko yih sab kuchh nazar ātā hai? Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki yahāṅ patthar par patthar nahīṅ rahegā balki sab kuchh ḍhā diyā jāegā.”
Matt UrduGeoR 24:3  Bād meṅ Īsā Zaitūn ke pahāṛ par baiṭh gayā. Shāgird akele us ke pās āe. Unhoṅ ne kahā, “Hameṅ zarā batāeṅ, yih kab hogā? Kyā kyā nazar āegā jis se patā chalegā ki āp āne wāle haiṅ aur yih duniyā ḳhatm hone wālī hai?”
Matt UrduGeoR 24:4  Īsā ne jawāb diyā, “Ḳhabardār raho ki koī tumheṅ gumrāh na kar de.
Matt UrduGeoR 24:5  Kyoṅki bahut-se log merā nām le kar āeṅge aur kaheṅge, ‘Maiṅ hī Masīh hūṅ.’ Yoṅ wuh bahutoṅ ko gumrāh kar deṅge.
Matt UrduGeoR 24:6  Jangoṅ kī ḳhabreṅ aur afwāheṅ tum tak pahuṅcheṅgī, lekin muhtāt raho tāki tum ghabrā na jāo. Kyoṅki lāzim hai ki yih sab kuchh pesh āe. To bhī abhī āḳhirat nahīṅ hogī.
Matt UrduGeoR 24:7  Ek qaum dūsrī ke ḳhilāf uṭh khaṛī hogī, aur ek bādshāhī dūsrī ke ḳhilāf. Kāl paṛeṅge aur jagah jagah zalzale āeṅge.
Matt UrduGeoR 24:9  Phir wuh tum ko baṛī musībat meṅ ḍāl deṅge aur tum ko qatl kareṅge. Tamām qaumeṅ tum se is lie nafrat kareṅgī ki tum mere pairokār ho.
Matt UrduGeoR 24:10  Us waqt bahut-se log īmān se bargashtā ho kar ek dūsre ko dushman ke hawāle kareṅge aur ek dūsre se nafrat kareṅge.
Matt UrduGeoR 24:11  Bahut-se jhūṭe nabī khaṛe ho kar bahut-se logoṅ ko gumrāh kar deṅge.
Matt UrduGeoR 24:12  Bedīnī ke baṛh jāne kī wajah se beshtar logoṅ kī muhabbat ṭhanḍī paṛ jāegī.
Matt UrduGeoR 24:13  Lekin jo āḳhir tak qāym rahegā use najāt milegī.
Matt UrduGeoR 24:14  Aur bādshāhī kī is ḳhushḳhabrī ke paiġhām kā elān pūrī duniyā meṅ kiyā jāegā tāki tamām qaumoṅ ke sāmne us kī gawāhī dī jāe. Phir hī āḳhirat āegī.
Matt UrduGeoR 24:15  Ek din āegā jab tum muqaddas maqām meṅ wuh kuchh khaṛā dekhoge jis kā zikr Dānyāl nabī ne kiyā aur jo behurmatī aur tabāhī kā bāis hai.” (Qārī is par dhyān de!)
Matt UrduGeoR 24:16  “Us waqt Yahūdiyā ke rahne wāle bhāg kar pahāṛī ilāqe meṅ panāh leṅ.
Matt UrduGeoR 24:17  Jo apne ghar kī chhat par ho wuh ghar meṅ se kuchh sāth le jāne ke lie na utre.
Matt UrduGeoR 24:18  Jo khet meṅ ho wuh apnī chādar sāth le jāne ke lie wāpas na jāe.
Matt UrduGeoR 24:19  Un ḳhawātīn par afsos jo un dinoṅ meṅ hāmilā hoṅ yā apne bachchoṅ ko dūdh pilātī hoṅ.
Matt UrduGeoR 24:20  Duā karo ki tum ko sardiyoṅ ke mausam meṅ yā Sabat ke din hijrat na karnī paṛe.
Matt UrduGeoR 24:21  Kyoṅki us waqt aisī shadīd musībat hogī ki duniyā kī taḳhlīq se āj tak deḳhne meṅ na āī hogī. Is qism kī musībat bād meṅ bhī kabhī nahīṅ āegī.
Matt UrduGeoR 24:22  Aur agar is musībat kā daurāniyā muḳhtasar na kiyā jātā to koī na bachtā. Lekin Allāh ke chune huoṅ kī ḳhātir is kā daurāniyā muḳhtasar kar diyā jāegā.
Matt UrduGeoR 24:23  Us waqt agar koī tum ko batāe, ‘Dekho, Masīh yahāṅ hai’ yā ‘Wuh wahāṅ hai’ to us kī bāt na mānanā.
Matt UrduGeoR 24:24  Kyoṅki jhūṭe Masīh aur jhūṭe nabī uṭh khaṛe hoṅge jo baṛe ajīb-o-ġharīb nishān aur mojize dikhāeṅge tāki Allāh ke chune hue logoṅ ko bhī ġhalat rāste par ḍāl deṅ—agar yih mumkin hotā.
Matt UrduGeoR 24:25  Dekho, maiṅ ne tumheṅ pahle se is se āgāh kar diyā hai.
Matt UrduGeoR 24:26  Chunāṅche agar koī tum ko batāe, ‘Dekho, wuh registān meṅ hai’ to wahāṅ jāne ke lie na nikalnā. Aur agar koī kahe, ‘Dekho, wuh andarūnī kamroṅ meṅ hai’ to us kā yaqīn na karnā.
Matt UrduGeoR 24:27  Kyoṅki jis tarah bādal kī bijlī mashriq meṅ kaṛak kar maġhrib tak chamaktī hai usī tarah Ibn-e-Ādam kī āmad bhī hogī.
Matt UrduGeoR 24:28  Jahāṅ bhī lāsh paṛī ho wahāṅ giddh jamā ho jāeṅge.
Matt UrduGeoR 24:29  Musībat ke un dinoṅ ke ain bād sūraj tārīk ho jāegā aur chāṅd kī raushnī ḳhatm ho jāegī. Sitāre āsmān par se gir paṛeṅge aur āsmān kī quwwateṅ hilāī jāeṅgī.
Matt UrduGeoR 24:30  Us waqt Ibn-e-Ādam kā nishān āsmān par nazar āegā. Tab duniyā kī tamām qaumeṅ mātam kareṅgī. Wuh Ibn-e-Ādam ko baṛī qudrat aur jalāl ke sāth āsmān ke bādaloṅ par āte hue dekheṅgī.
Matt UrduGeoR 24:31  Aur wuh apne farishtoṅ ko bigul kī ūṅchī āwāz ke sāth bhej degā tāki us ke chune huoṅ ko chāroṅ taraf se jamā kareṅ, āsmān ke ek sire se dūsre sire tak ikaṭṭhā kareṅ.
Matt UrduGeoR 24:32  Anjīr ke daraḳht se sabaq sīkho. Jyoṅ hī us kī shāḳheṅ narm aur lachakdār ho jātī haiṅ aur un se koṅpleṅ phūṭ nikaltī haiṅ to tum ko mālūm ho jātā hai ki garmiyoṅ kā mausam qarīb ā gayā hai.
Matt UrduGeoR 24:33  Isī tarah jab tum yih wāqiyāt dekhoge to jān loge ki Ibn-e-Ādam kī āmad qarīb balki darwāze par hai.
Matt UrduGeoR 24:34  Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki is nasl ke ḳhatm hone se pahle pahle yih sab kuchh wāqe hogā.
Matt UrduGeoR 24:35  Āsmān-o-zamīn to jāte raheṅge, lekin merī bāteṅ hameshā tak qāym raheṅgī.
Matt UrduGeoR 24:36  Lekin kisī ko bhī ilm nahīṅ ki yih kis din yā kaun-sī ghaṛī rūnumā hogā. Āsmān ke farishtoṅ aur Farzand ko bhī ilm nahīṅ balki sirf Bāp ko.
Matt UrduGeoR 24:37  Jab Ibn-e-Ādam āegā to hālāt Nūh ke dinoṅ jaise hoṅge.
Matt UrduGeoR 24:38  Kyoṅki sailāb se pahle ke dinoṅ meṅ log us waqt tak khāte-pīte aur shādiyāṅ karte karāte rahe jab tak Nūh kashtī meṅ dāḳhil na ho gayā.
Matt UrduGeoR 24:39  Wuh us waqt tak āne wālī musībat ke bāre meṅ lā'ilm rahe jab tak sailāb ā kar un sab ko bahā na le gayā. Jab Ibn-e-Ādam āegā to isī qism ke hālāt hoṅge.
Matt UrduGeoR 24:40  Us waqt do afrād khet meṅ hoṅge, ek ko sāth le liyā jāegā jabki dūsre ko pīchhe chhoṛ diyā jāegā.
Matt UrduGeoR 24:41  Do ḳhawātīn chakkī par gandum pīs rahī hoṅgī, ek ko sāth le liyā jāegā jabki dūsrī ko pīchhe chhoṛ diyā jāegā.
Matt UrduGeoR 24:42  Is lie chaukas raho, kyoṅki tum nahīṅ jānte ki tumhārā Ḳhudāwand kis din ā jāegā.
Matt UrduGeoR 24:43  Yaqīn jāno, agar kisī ghar ke mālik ko mālūm hotā ki chor kab āegā to wuh zarūr chaukas rahtā aur use apne ghar meṅ naqb lagāne na detā.
Matt UrduGeoR 24:44  Tum bhī taiyār raho, kyoṅki Ibn-e-Ādam aise waqt āegā jab tum us kī tawaqqo nahīṅ karoge.
Matt UrduGeoR 24:45  Chunāṅche kaun-sā naukar wafādār aur samajhdār hai? Farz karo ki ghar ke mālik ne kisī naukar ko bāqī naukaroṅ par muqarrar kiyā ho. Us kī ek zimmedārī yih bhī hai ki unheṅ waqt par khānā khilāe.
Matt UrduGeoR 24:46  Wuh naukar mubārak hogā jo mālik kī wāpasī par yih sab kuchh kar rahā hogā.
Matt UrduGeoR 24:47  Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki yih dekh kar mālik use apnī pūrī jāydād par muqarrar karegā.
Matt UrduGeoR 24:48  Lekin farz karo ki naukar apne dil meṅ soche, ‘Mālik kī wāpasī meṅ abhī der hai.’
Matt UrduGeoR 24:49  Wuh apne sāthī naukaroṅ ko pīṭne aur sharābiyoṅ ke sāth khāne-pīne lage.
Matt UrduGeoR 24:50  Agar wuh aisā kare to mālik aise din aur waqt āegā jis kī tawaqqo naukar ko nahīṅ hogī.
Matt UrduGeoR 24:51  In hālāt ko dekh kar wuh naukar ko ṭukṛe ṭukṛe kar ḍālegā aur use riyākāroṅ meṅ shāmil karegā, wahāṅ jahāṅ log rote aur dāṅt pīste raheṅge.
Chapter 25
Matt UrduGeoR 25:1  Us waqt āsmān kī bādshāhī das kuṅwāriyoṅ se mutābiqat rakhegī jo apne charāġh le kar dūlhe ko milne ke lie nikleṅ.
Matt UrduGeoR 25:2  Un meṅ se pāṅch nāsamajh thīṅ aur pāṅch samajhdār.
Matt UrduGeoR 25:3  Nāsamajh kuṅwāriyoṅ ne apne pās charāġhoṅ ke lie fāltū tel na rakhā.
Matt UrduGeoR 25:4  Lekin samajhdār kuṅwāriyoṅ ne kuppī meṅ tel ḍāl kar apne sāth le liyā.
Matt UrduGeoR 25:5  Dūlhe ko āne meṅ baṛī der lagī, is lie wuh sab ūṅgh ūṅgh kar so gaīṅ.
Matt UrduGeoR 25:6  Ādhī rāt ko shor mach gayā, ‘Dekho, dūlhā pahuṅch rahā hai, use milne ke lie niklo!’
Matt UrduGeoR 25:7  Is par tamām kuṅwāriyāṅ jāg uṭhīṅ aur apne charāġhoṅ ko durust karne lagīṅ.
Matt UrduGeoR 25:8  Nāsamajh kuṅwāriyoṅ ne samajhdār kuṅwāriyoṅ se kahā, ‘Apne tel meṅ se hameṅ bhī kuchh de do. Hamāre charāġh bujhne wāle haiṅ.’
Matt UrduGeoR 25:9  Dūsrī kuṅwāriyoṅ ne jawāb diyā, ‘Nahīṅ, aisā na ho ki na sirf tumhāre lie balki hamāre lie bhī tel kāfī na ho. Dukān par jā kar apne lie ḳharīd lo.’
Matt UrduGeoR 25:10  Chunāṅche nāsamajh kuṅwāriyāṅ chalī gaīṅ. Lekin is daurān dūlhā pahuṅch gayā. Jo kuṅwāriyāṅ taiyār thīṅ wuh us ke sāth shādī hāl meṅ dāḳhil huīṅ. Phir darwāze ko band kar diyā gayā.
Matt UrduGeoR 25:11  Kuchh der ke bād bāqī kuṅwāriyāṅ āīṅ aur chillāne lagīṅ, ‘Janāb! Hamāre lie darwāzā khol deṅ.’
Matt UrduGeoR 25:12  Lekin us ne jawāb diyā, ‘Yaqīn jāno, maiṅ tum ko nahīṅ jāntā.’
Matt UrduGeoR 25:13  Is lie chaukas raho, kyoṅki tum Ibn-e-Ādam ke āne kā din yā waqt nahīṅ jānte.
Matt UrduGeoR 25:14  Us waqt āsmān kī bādshāhī yoṅ hogī: Ek ādmī ko bairūn-e-mulk jānā thā. Us ne apne naukaroṅ ko bulā kar apnī milkiyat un ke sapurd kar dī.
Matt UrduGeoR 25:15  Pahle ko us ne sone ke 5,000 sikke die, dūsre ko 2,000 aur tīsre ko 1,000. Har ek ko us ne us kī qābiliyat ke mutābiq paise die. Phir wuh rawānā huā.
Matt UrduGeoR 25:16  Jis naukar ko 5,000 sikke mile the us ne sīdhā jā kar unheṅ kisī kārobār meṅ lagāyā. Is se use mazīd 5,000 sikke hāsil hue.
Matt UrduGeoR 25:17  Isī tarah dūsre ko bhī jise 2,000 sikke mile the mazīd 2,000 sikke hāsil hue.
Matt UrduGeoR 25:18  Lekin jis ādmī ko 1,000 sikke mile the wuh chalā gayā aur kahīṅ zamīn meṅ gaṛhā khod kar apne mālik ke paise us meṅ chhupā die.
Matt UrduGeoR 25:19  Baṛī der ke bād un kā mālik lauṭ āyā. Jab us ne un ke sāth hisāb-kitāb kiyā
Matt UrduGeoR 25:20  to pahlā naukar jise 5,000 sikke mile the mazīd 5,000 sikke le kar āyā. Us ne kahā, ‘Janāb, āp ne 5,000 sikke mere sapurd kie the. Yih dekheṅ, maiṅ ne mazīd 5,000 sikke hāsil kie haiṅ.’
Matt UrduGeoR 25:21  Us ke mālik ne jawāb diyā, ‘Shābāsh, mere achchhe aur wafādār naukar. Tum thoṛe meṅ wafādār rahe, is lie maiṅ tumheṅ bahut kuchh par muqarrar karūṅga. Andar āo aur apne mālik kī ḳhushī meṅ sharīk ho jāo.’
Matt UrduGeoR 25:22  Phir dūsrā naukar āyā jise 2,000 sikke mile the. Us ne kahā, ‘Janāb, āp ne 2,000 sikke mere sapurd kie the. Yih dekheṅ, maiṅ ne mazīd 2,000 sikke hāsil kie haiṅ.’
Matt UrduGeoR 25:23  Us ke mālik ne jawāb diyā, ‘Shābāsh, mere achchhe aur wafādār naukar. Tum thoṛe meṅ wafādār rahe, is lie maiṅ tumheṅ bahut kuchh par muqarrar karūṅga. Andar āo aur apne mālik kī ḳhushī meṅ sharīk ho jāo.’
Matt UrduGeoR 25:24  Phir tīsrā naukar āyā jise 1,000 sikke mile the. Us ne kahā, ‘Janāb, maiṅ jāntā thā ki āp saḳht ādmī haiṅ. Jo bīj āp ne nahīṅ boyā us kī fasal āp kāṭte haiṅ aur jo kuchh āp ne nahīṅ lagāyā us kī paidāwār jamā karte haiṅ.
Matt UrduGeoR 25:25  Is lie maiṅ ḍar gayā aur jā kar āp ke paise zamīn meṅ chhupā die. Ab āp apne paise wāpas le sakte haiṅ.’
Matt UrduGeoR 25:26  Us ke mālik ne jawāb diyā, ‘Sharīr aur sust naukar! Kyā tū jāntā thā ki jo bīj maiṅ ne nahīṅ boyā us kī fasal kāṭtā hūṅ aur jo kuchh maiṅ ne nahīṅ lagāyā us kī paidāwār jamā kartā hūṅ?
Matt UrduGeoR 25:27  To phir tū ne mere paise baink meṅ kyoṅ na jamā karā die? Agar aisā kartā to wāpasī par mujhe kam az kam wuh paise sūd samet mil jāte.’
Matt UrduGeoR 25:28  Yih kah kar mālik dūsroṅ se muḳhātib huā, ‘Yih paise is se le kar us naukar ko de do jis ke pās 10,000 sikke haiṅ.
Matt UrduGeoR 25:29  Kyoṅki jis ke pās kuchh hai use aur diyā jāegā aur us ke pās kasrat kī chīzeṅ hoṅgī. Lekin jis ke pās kuchh nahīṅ hai us se wuh bhī chhīn liyā jāegā jo us ke pās hai.
Matt UrduGeoR 25:30  Ab is bekār naukar ko nikāl kar bāhar kī tārīkī meṅ phaiṅk do, wahāṅ jahāṅ log rote aur dāṅt pīste raheṅge.’
Matt UrduGeoR 25:31  Jab Ibn-e-Ādam apne jalāl ke sāth āegā aur tamām farishte us ke sāth hoṅge to wuh apne jalālī taḳht par baiṭh jāegā.
Matt UrduGeoR 25:32  Tab tamām qaumeṅ us ke sāmne jamā kī jāeṅgī. Aur jis tarah charwāhā bheṛoṅ ko bakriyoṅ se alag kartā hai usī tarah wuh logoṅ ko ek dūsre se alag karegā.
Matt UrduGeoR 25:33  Wuh bheṛoṅ ko apne dahne hāth khaṛā karegā aur bakriyoṅ ko apne bāeṅ hāth.
Matt UrduGeoR 25:34  Phir Bādshāh dahne hāth wāloṅ se kahegā, ‘Āo, mere Bāp ke mubārak logo! Jo bādshāhī duniyā kī taḳhlīq se tumhāre lie taiyār hai use mīrās meṅ le lo.
Matt UrduGeoR 25:35  Kyoṅki maiṅ bhūkā thā aur tum ne mujhe khānā khilāyā, maiṅ pyāsā thā aur tum ne mujhe pānī pilāyā, maiṅ ajnabī thā aur tum ne merī mehmān-nawāzī kī,
Matt UrduGeoR 25:36  maiṅ nangā thā aur tum ne mujhe kapṛe pahnāe, maiṅ bīmār thā aur tum ne merī dekh-bhāl kī, maiṅ jel meṅ thā aur tum mujh se milne āe.’
Matt UrduGeoR 25:37  Phir yih rāstbāz log jawāb meṅ kaheṅge, ‘Ḳhudāwand, ham ne āp ko kab bhūkā dekh kar khānā khilāyā, āp ko kab pyāsā dekh kar pānī pilāyā?
Matt UrduGeoR 25:38  Ham ne āp ko kab ajnabī kī haisiyat se dekh kar āp kī mehmān-nawāzī kī, āp ko kab nangā dekh kar kapṛe pahnāe?
Matt UrduGeoR 25:39  Ham āp ko kab bīmār hālat meṅ yā jel meṅ paṛā dekh kar āp se milne gae.’
Matt UrduGeoR 25:40  Bādshāh jawāb degā, ‘Maiṅ tumheṅ sach batātā hūṅ ki jo kuchh tum ne mere in sab se chhoṭe bhāiyoṅ meṅ se ek ke lie kiyā wuh tum ne mere hī lie kiyā.’
Matt UrduGeoR 25:41  Phir wuh bāeṅ hāth wāloṅ se kahegā, ‘Lānatī logo, mujh se dūr ho jāo aur us abadī āg meṅ chale jāo jo Iblīs aur us ke farishtoṅ ke lie taiyār hai.
Matt UrduGeoR 25:42  Kyoṅki maiṅ bhūkā thā aur tum ne mujhe kuchh na khilāyā, maiṅ pyāsā thā aur tum ne mujhe pānī na pilāyā,
Matt UrduGeoR 25:43  maiṅ ajnabī thā aur tum ne merī mehmān-nawāzī na kī, maiṅ nangā thā aur tum ne mujhe kapṛe na pahnāe, maiṅ bīmār aur jel meṅ thā aur tum mujh se milne na āe.’
Matt UrduGeoR 25:44  Phir wuh jawāb meṅ pūchheṅge, ‘Ḳhudāwand, ham ne āp ko kab bhūkā, pyāsā, ajnabī, nangā, bīmār yā jel meṅ paṛā dekhā aur āp kī ḳhidmat na kī?’
Matt UrduGeoR 25:45  Wuh jawāb degā, ‘Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki jab kabhī tum ne in sab se chhoṭoṅ meṅ se ek kī madad karne se inkār kiyā to tum ne merī ḳhidmat karne se inkār kiyā.’
Matt UrduGeoR 25:46  Phir yih abadī sazā bhugatne ke lie jāeṅge jabki rāstbāz abadī zindagī meṅ dāḳhil hoṅge.”
Chapter 26
Matt UrduGeoR 26:1  Yih bāteṅ ḳhatm karne par Īsā shāgirdoṅ se muḳhātib huā,
Matt UrduGeoR 26:2  “Tum jānte ho ki do din ke bād Fasah kī Īd shurū hogī. Us waqt Ibn-e-Ādam ko dushman ke hawāle kiyā jāegā tāki use maslūb kiyā jāe.”
Matt UrduGeoR 26:3  Phir rāhnumā imām aur qaum ke buzurg Kāyfā nāmī imām-e-āzam ke mahal meṅ jamā hue
Matt UrduGeoR 26:4  aur Īsā ko kisī chālākī se giriftār karke qatl karne kī sāzisheṅ karne lage.
Matt UrduGeoR 26:5  Unhoṅ ne kahā, “Lekin yih īd ke daurān nahīṅ honā chāhie, aisā na ho ki awām meṅ halchal mach jāe.”
Matt UrduGeoR 26:6  Itne meṅ Īsā Bait-aniyāh ā kar ek ādmī ke ghar meṅ dāḳhil huā jo kisī waqt koṛh kā marīz thā. Us kā nām Shamāūn thā.
Matt UrduGeoR 26:7  Īsā khānā khāne ke lie baiṭh gayā to ek aurat āī jis ke pās nihāyat qīmtī itr kā itrdān thā. Us ne use Īsā ke sar par unḍel diyā.
Matt UrduGeoR 26:8  Shāgird yih dekh kar nārāz hue. Unhoṅ ne kahā, “Itnā qīmtī itr zāe karne kī kyā zarūrat thī?
Matt UrduGeoR 26:9  Yih bahut mahangī chīz hai. Agar ise bechā jātā to is ke paise ġharīboṅ ko die jā sakte the.”
Matt UrduGeoR 26:10  Lekin un ke ḳhayāl pahchān kar Īsā ne un se kahā, “Tum ise kyoṅ tang kar rahe ho? Is ne to mere lie ek nek kām kiyā hai.
Matt UrduGeoR 26:11  Ġharīb to hameshā tumhāre pās raheṅge, lekin maiṅ hameshā tak tumhāre pās nahīṅ rahūṅgā.
Matt UrduGeoR 26:12  Mujh par itr unḍelne se us ne mere badan ko dafn hone ke lie taiyār kiyā hai.
Matt UrduGeoR 26:13  Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki tamām duniyā meṅ jahāṅ bhī Allāh kī ḳhushḳhabrī kā elān kiyā jāegā wahāṅ log is ḳhātūn ko yād karke wuh kuchh sunāeṅge jo is ne kiyā hai.”
Matt UrduGeoR 26:14  Phir Yahūdāh Iskariyotī jo bārah shāgirdoṅ meṅ se ek thā rāhnumā imāmoṅ ke pās gayā.
Matt UrduGeoR 26:15  Us ne pūchhā, “Āp mujhe Īsā ko āp ke hawāle karne ke ewaz kitne paise dene ke lie taiyār haiṅ?” Unhoṅ ne us ke lie chāṅdī ke 30 sikke muta'ayyin kie.
Matt UrduGeoR 26:16  Us waqt se Yahūdāh Īsā ko un ke hawāle karne kā mauqā ḍhūṅḍne lagā.
Matt UrduGeoR 26:17  Beḳhamīrī Roṭī kī Īd āī. Pahle din Īsā ke shāgirdoṅ ne us ke pās ā kar pūchhā, “Ham kahāṅ āp ke lie Fasah kā khānā taiyār kareṅ?”
Matt UrduGeoR 26:18  Us ne jawāb diyā, “Yarūshalam Shahr meṅ fulāṅ ādmī ke pās jāo aur use batāo, ‘Ustād ne kahā hai ki merā muqarrarā waqt qarīb ā gayā hai. Maiṅ apne shāgirdoṅ ke sāth Fasah kī Īd kā khānā āp ke ghar meṅ khāūṅgā.’”
Matt UrduGeoR 26:19  Shāgirdoṅ ne wuh kuchh kiyā jo Īsā ne unheṅ batāyā thā aur Fasah kī Īd kā khānā taiyār kiyā.
Matt UrduGeoR 26:20  Shām ke waqt Īsā bārah shāgirdoṅ ke sāth khānā khāne ke lie baiṭh gayā.
Matt UrduGeoR 26:21  Jab wuh khānā khā rahe the to us ne kahā, “Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki tum meṅ se ek mujhe dushman ke hawāle kar degā.”
Matt UrduGeoR 26:22  Shāgird yih sun kar nihāyat ġhamgīn hue. Bārī bārī wuh us se pūchhne lage, “Ḳhudāwand, maiṅ to nahīṅ hūṅ?”
Matt UrduGeoR 26:23  Īsā ne jawāb diyā, “Jis ne mere sāth apnā hāth sālan ke bartan meṅ ḍālā hai wuhī mujhe dushman ke hawāle karegā.
Matt UrduGeoR 26:24  Ibn-e-Ādam to kūch kar jāegā jis tarah kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai, lekin us shaḳhs par afsos jis ke wasīle se use dushman ke hawāle kar diyā jāegā. Us ke lie behtar yih hotā ki wuh kabhī paidā hī na hotā.”
Matt UrduGeoR 26:25  Phir Yahūdāh ne jo use dushman ke hawāle karne ko thā pūchhā, “Ustād, maiṅ to nahīṅ hūṅ?” Īsā ne jawāb diyā, “Jī, tum ne ḳhud kahā hai.”
Matt UrduGeoR 26:26  Khāne ke daurān Īsā ne roṭī le kar shukrguzārī kī duā kī aur use ṭukṛe karke shāgirdoṅ ko de diyā. Us ne kahā, “Yih lo aur khāo. Yih merā badan hai.”
Matt UrduGeoR 26:27  Phir us ne mai kā pyālā le kar shukrguzārī kī duā kī aur use unheṅ de kar kahā, “Tum sab is meṅ se piyo.
Matt UrduGeoR 26:28  Yih merā ḳhūn hai, nae ahd kā wuh ḳhūn jo bahutoṅ ke lie bahāyā jātā hai tāki un ke gunāhoṅ ko muāf kar diyā jāe.
Matt UrduGeoR 26:29  Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki ab se maiṅ angūr kā yih ras nahīṅ piyūṅgā, kyoṅki aglī dafā ise tumhāre sāth apne Bāp kī bādshāhī meṅ hī piyūṅgā.”
Matt UrduGeoR 26:30  Phir ek zabūr gā kar wuh nikle aur Zaitūn ke pahāṛ ke pās pahuṅche.
Matt UrduGeoR 26:31  Īsā ne unheṅ batāyā, “Āj rāt tum sab merī bābat bargashtā ho jāoge, kyoṅki kalām-e-muqaddas meṅ Allāh farmātā hai, ‘Maiṅ charwāhe ko mār ḍālūṅgā aur rewaṛ kī bheṛeṅ titar-bitar ho jāeṅgī.’
Matt UrduGeoR 26:32  Lekin apne jī uṭhne ke bād maiṅ tumhāre āge āge Galīl pahuṅchūṅgā.”
Matt UrduGeoR 26:33  Patras ne etarāz kiyā, “Dūsre beshak sab āp kī bābat bargashtā ho jāeṅ, lekin maiṅ kabhī nahīṅ hūṅgā.”
Matt UrduGeoR 26:34  Īsā ne jawāb diyā, “Maiṅ tujhe sach batātā hūṅ, isī rāt murġh ke bāṅg dene se pahle pahle tū tīn bār mujhe jānane se inkār kar chukā hogā.”
Matt UrduGeoR 26:35  Patras ne kahā, “Hargiz nahīṅ! Maiṅ āp ko jānane se kabhī inkār nahīṅ karūṅga, chāhe mujhe āp ke sāth marnā bhī paṛe.” Dūsroṅ ne bhī yihī kuchh kahā.
Matt UrduGeoR 26:36  Īsā apne shāgirdoṅ ke sāth ek bāġh meṅ pahuṅchā jis kā nām gatsamanī thā. Us ne un se kahā, “Yahāṅ baiṭh kar merā intazār karo. Maiṅ duā karne ke lie āge jātā hūṅ.”
Matt UrduGeoR 26:37  Us ne Patras aur Zabdī ke do beṭoṅ Yāqūb aur Yūhannā ko sāth liyā. Wahāṅ wuh ġhamgīn aur beqarār hone lagā.
Matt UrduGeoR 26:38  Us ne un se kahā, “Maiṅ dukh se itnā dabā huā hūṅ ki marne ko hūṅ. Yahāṅ ṭhahar kar mere sāth jāgte raho.”
Matt UrduGeoR 26:39  Kuchh āge jā kar wuh aundhe muṅh zamīn par gir kar yoṅ duā karne lagā, “Ai mere Bāp, agar mumkin ho to dukh kā yih pyālā mujh se haṭ jāe. Lekin merī nahīṅ balki terī marzī pūrī ho.”
Matt UrduGeoR 26:40  Wuh apne shāgirdoṅ ke pās wāpas āyā to dekhā ki wuh so rahe haiṅ. Us ne Patras se pūchhā, “Kyā tum log ek ghanṭā bhī mere sāth nahīṅ jāg sake?
Matt UrduGeoR 26:41  Jāgte aur duā karte raho tāki āzmāish meṅ na paṛo. Kyoṅki rūh to taiyār hai lekin jism kamzor.”
Matt UrduGeoR 26:42  Ek bār phir us ne jā kar duā kī, “Mere Bāp, agar yih pyālā mere pie baġhair haṭ nahīṅ saktā to phir terī marzī pūrī ho.”
Matt UrduGeoR 26:43  Jab wuh wāpas āyā to dubārā dekhā ki wuh so rahe haiṅ, kyoṅki nīnd kī badaulat un kī āṅkheṅ bojhal thīṅ.
Matt UrduGeoR 26:44  Chunāṅche wuh unheṅ dubārā chhoṛ kar chalā gayā aur tīsrī bār yihī duā karne lagā.
Matt UrduGeoR 26:45  Phir Īsā shāgirdoṅ ke pās wāpas āyā aur un se kahā, “Abhī tak so aur ārām kar rahe ho? Dekho, waqt ā gayā hai ki Ibn-e-Ādam gunāhgāroṅ ke hawāle kiyā jāe.
Matt UrduGeoR 26:46  Uṭho! Āo, chaleṅ. Dekho, mujhe dushman ke hawāle karne wālā qarīb ā chukā hai.”
Matt UrduGeoR 26:47  Wuh abhī yih bāt kar hī rahā thā ki Yahūdāh pahuṅch gayā, jo bārah shāgirdoṅ meṅ se ek thā. Us ke sāth talwāroṅ aur lāṭhiyoṅ se lais ādmiyoṅ kā baṛā hujūm thā. Unheṅ rāhnumā imāmoṅ aur qaum ke buzurgoṅ ne bhejā thā.
Matt UrduGeoR 26:48  Is ġhaddār Yahūdāh ne unheṅ ek imtiyāzī nishān diyā thā ki jis ko maiṅ bosā dūṅ wuhī Īsā hai. Use giriftār kar lenā.
Matt UrduGeoR 26:49  Jyoṅ hī wuh pahuṅche Yahūdāh Īsā ke pās gayā aur “Ustād, assalāmu alaikum!” Kah kar use bosā diyā.
Matt UrduGeoR 26:50  Īsā ne kahā, “Dost, kyā tū isī maqsad se āyā hai?” Phir unhoṅ ne use pakaṛ kar giriftār kar liyā.
Matt UrduGeoR 26:51  Is par Īsā ke ek sāthī ne apnī talwār miyān se nikālī aur imām-e-āzam ke ġhulām ko mār kar us kā kān uṛā diyā.
Matt UrduGeoR 26:52  Lekin Īsā ne kahā, “Apnī talwār ko miyān meṅ rakh, kyoṅki jo bhī talwār chalātā hai use talwār se mārā jāegā.
Matt UrduGeoR 26:53  Yā kyā tū nahīṅ samajhtā ki merā Bāp mujhe hazāroṅ farishte fauran bhej degā agar maiṅ unheṅ talab karūṅ?
Matt UrduGeoR 26:54  Lekin agar maiṅ aisā kartā to phir kalām-e-muqaddas kī peshgoiyāṅ kis tarah pūrī hotīṅ jin ke mutābiq yih aisā hī honā hai?”
Matt UrduGeoR 26:55  Us waqt Īsā ne hujūm se kahā, “Kyā maiṅ ḍākū hūṅ ki tum talwāreṅ aur lāṭhiyāṅ lie mujhe giriftār karne nikle ho? Maiṅ to rozānā Baitul-muqaddas meṅ baiṭh kar tālīm detā rahā, magar tum ne mujhe giriftār nahīṅ kiyā.
Matt UrduGeoR 26:56  Lekin yih sab kuchh is lie ho rahā hai tāki nabiyoṅ ke sahīfoṅ meṅ darj peshgoiyāṅ pūrī ho jāeṅ.” Phir tamām shāgird use chhoṛ kar bhāg gae.
Matt UrduGeoR 26:57  Jinhoṅ ne Īsā ko giriftār kiyā thā wuh use Kāyfā Imām-e-Āzam ke ghar le gae jahāṅ sharīat ke tamām ulamā aur qaum ke buzurg jamā the.
Matt UrduGeoR 26:58  Itne meṅ Patras kuchh fāsile par Īsā ke pīchhe pīchhe imām-e-āzam ke sahan tak pahuṅch gayā. Us meṅ dāḳhil ho kar wuh mulāzimoṅ ke sāth āg ke pās baiṭh gayā tāki is silsile kā anjām dekh sake.
Matt UrduGeoR 26:59  Makān ke andar rāhnumā imām aur Yahūdī adālat-e-āliyā ke tamām afrād Īsā ke ḳhilāf jhūṭī gawāhiyāṅ ḍhūnḍ rahe the tāki use sazā-e-maut dilwā sakeṅ.
Matt UrduGeoR 26:60  Bahut-se jhūṭe gawāh sāmne āe, lekin koī aisī gawāhī na milī. Āḳhirkār do ādmiyoṅ ne sāmne ā kar
Matt UrduGeoR 26:61  yih bāt pesh kī, “Is ne kahā hai ki maiṅ Allāh ke Baitul-muqaddas ko ḍhā kar use tīn din ke andar andar dubārā tāmīr kar saktā hūṅ.”
Matt UrduGeoR 26:62  Phir imām-e-āzam ne khaṛe ho kar Īsā se kahā, “Kyā tū koī jawāb nahīṅ degā? Yih kyā gawāhiyāṅ haiṅ jo yih log tere ḳhilāf de rahe haiṅ?”
Matt UrduGeoR 26:63  Lekin Īsā ḳhāmosh rahā. Imām-e-āzam ne us se ek aur sawāl kiyā, “Maiṅ tujhe zindā Ḳhudā kī qasam de kar pūchhtā hūṅ ki kyā tū Allāh kā Farzand Masīh hai?”
Matt UrduGeoR 26:64  Īsā ne kahā, “Jī, tū ne ḳhud kah diyā hai. Aur maiṅ tum sab ko batātā hūṅ ki āindā tum Ibn-e-Ādam ko Qādir-e-mutlaq ke dahne hāth baiṭhe aur āsmān ke bādaloṅ par āte hue dekhoge.”
Matt UrduGeoR 26:65  Imām-e-āzam ne ranjish kā izhār karke apne kapṛe phāṛ lie aur kahā, “Is ne kufr bakā hai! Hameṅ mazīd gawāhoṅ kī kyā zarūrat rahī! Āp ne ḳhud sun liyā hai ki is ne kufr bakā hai.
Matt UrduGeoR 26:66  Āp kā kyā faislā hai?” Unhoṅ ne jawāb diyā, “Yih sazā-e-maut ke lāyq hai.”
Matt UrduGeoR 26:67  Phir wuh us par thūkne aur us ke mukke mārne lage. Bāz ne us ke thappaṛ mār mār kar
Matt UrduGeoR 26:68  kahā, “Ai Masīh, nabuwwat karke hameṅ batā ki tujhe kis ne mārā.”
Matt UrduGeoR 26:69  Is daurān Patras bāhar sahan meṅ baiṭhā thā. Ek naukarānī us ke pās āī. Us ne kahā, “Tum bhī Galīl ke us ādmī Īsā ke sāth the.”
Matt UrduGeoR 26:70  Lekin Patras ne un sab ke sāmne inkār kiyā, “Maiṅ nahīṅ jāntā ki tū kyā bāt kar rahī hai.” Yih kah kar
Matt UrduGeoR 26:71  wuh bāhar geṭ tak gayā. Wahāṅ ek aur naukarānī ne use dekhā aur pās khaṛe logoṅ se kahā, “Yih ādmī Īsā Nāsarī ke sāth thā.”
Matt UrduGeoR 26:72  Dubārā Patras ne inkār kiyā. Is dafā us ne qasam khā kar kahā, “Maiṅ is ādmī ko nahīṅ jāntā.”
Matt UrduGeoR 26:73  Thoṛī der ke bād wahāṅ khaṛe kuchh logoṅ ne Patras ke pās ā kar kahā, “Tum zarūr un meṅ se ho kyoṅki tumhārī bolī se sāf patā chaltā hai.”
Matt UrduGeoR 26:74  Is par Patras ne qasam khā kar kahā, “Mujh par lānat agar maiṅ jhūṭ bol rahā hūṅ. Maiṅ is ādmī ko nahīṅ jāntā!” Fauran murġh kī bāṅg sunāī dī.
Matt UrduGeoR 26:75  Phir Patras ko wuh bāt yād āī jo Īsā ne kahī thī, “Murġh ke bāṅg dene se pahle pahle tū tīn bār mujhe jānane se inkār kar chukā hogā.” Is par wuh bāhar niklā aur ṭūṭe dil se ḳhūb royā.
Chapter 27
Matt UrduGeoR 27:1  Subah-sawere tamām rāhnumā imām aur qaum ke tamām buzurg is faisle tak pahuṅch gae ki Īsā ko sazā-e-maut dī jāe.
Matt UrduGeoR 27:2  Wuh use bāndh kar wahāṅ se le gae aur Romī gawarnar Pīlātus ke hawāle kar diyā.
Matt UrduGeoR 27:3  Jab Yahūdāh ne jis ne use dushman ke hawāle kar diyā thā dekhā ki us par sazā-e-maut kā fatwā de diyā gayā hai to us ne pachhtā kar chāṅdī ke 30 sikke rāhnumā imāmoṅ aur qaum ke buzurgoṅ ko wāpas kar die.
Matt UrduGeoR 27:4  Us ne kahā, “Maiṅ ne gunāh kiyā hai, kyoṅki ek bequsūr ādmī ko sazā-e-maut dī gaī hai aur maiṅ hī ne use āp ke hawāle kiyā hai.” Unhoṅ ne jawāb diyā, “Hameṅ kyā! Yih terā maslā hai.”
Matt UrduGeoR 27:5  Yahūdāh chāṅdī ke sikke Baitul-muqaddas meṅ phaiṅk kar chalā gayā. Phir us ne jā kar phāṅsī le lī.
Matt UrduGeoR 27:6  Rāhnumā imāmoṅ ne sikkoṅ ko jamā karke kahā, “Sharīat yih paise Baitul-muqaddas ke ḳhazāne meṅ ḍālne kī ijāzat nahīṅ detī, kyoṅki yih ḳhūṅrezī kā muāwazā hai.”
Matt UrduGeoR 27:7  Āpas meṅ mashwarā karne ke bād unhoṅ ne kumhār kā khet ḳharīdne kā faislā kiyā tāki pardesiyoṅ ko dafnāne ke lie jagah ho.
Matt UrduGeoR 27:8  Is lie yih khet āj tak Ḳhūn kā Khet kahlātā hai.
Matt UrduGeoR 27:9  Yoṅ Yarmiyāh Nabī kī yih peshgoī pūrī huī ki “Unhoṅ ne chāṅdī ke 30 sikke lie yānī wuh raqam jo Isrāīliyoṅ ne us ke lie lagāī thī.
Matt UrduGeoR 27:10  In se unhoṅ ne kumhār kā khet ḳharīd liyā, bilkul aisā jis tarah Rab ne mujhe hukm diyā thā.”
Matt UrduGeoR 27:11  Itne meṅ Īsā ko Romī gawarnar Pīlātus ke sāmne pesh kiyā gayā. Us ne us se pūchhā, “Kyā tum Yahūdiyoṅ ke Bādshāh ho?” Īsā ne jawāb diyā, “Jī, āp ḳhud kahte haiṅ.”
Matt UrduGeoR 27:12  Lekin jab rāhnumā imāmoṅ aur qaum ke buzurgoṅ ne us par ilzām lagāe to Īsā ḳhāmosh rahā.
Matt UrduGeoR 27:13  Chunāṅche Pīlātus ne dubārā us se sawāl kiyā, “Kyā tum yih tamām ilzāmāt nahīṅ sun rahe jo tum par lagāe jā rahe haiṅ?”
Matt UrduGeoR 27:14  Lekin Īsā ne ek ilzām kā bhī jawāb na diyā, is lie gawarnar nihāyat hairān huā.
Matt UrduGeoR 27:15  Un dinoṅ yih riwāj thā ki gawarnar har sāl Fasah kī Īd par ek qaidī ko āzād kar detā thā. Yih qaidī hujūm se muntaḳhab kiyā jātā thā.
Matt UrduGeoR 27:16  Us waqt jel meṅ ek badnām qaidī thā. Us kā nām Bar-abbā thā.
Matt UrduGeoR 27:17  Chunāṅche jab hujūm jamā huā to Pīlātus ne us se pūchhā, “Tum kyā chāhte ho? Maiṅ Bar-abbā ko āzād karūṅ yā Īsā ko jo Masīh kahlātā hai?”
Matt UrduGeoR 27:18  Wuh to jāntā thā ki unhoṅ ne Īsā ko sirf hasad kī binā par us ke hawāle kiyā hai.
Matt UrduGeoR 27:19  Jab Pīlātus yoṅ adālat ke taḳht par baiṭhā thā to us kī bīwī ne use paiġhām bhejā, “Is bequsūr ādmī ko hāth na lagāeṅ, kyoṅki mujhe pichhlī rāt is ke bāis ḳhāb meṅ shadīd taklīf huī.”
Matt UrduGeoR 27:20  Lekin rāhnumā imāmoṅ aur qaum ke buzurgoṅ ne hujūm ko uksāyā ki wuh Bar-abbā ko māṅgeṅ aur Īsā kī maut talab kareṅ. Gawarnar ne dubārā pūchhā,
Matt UrduGeoR 27:21  “Maiṅ in donoṅ meṅ se kis ko tumhāre lie āzād karūṅ?” Wuh chillāe, “Bar-abbā ko.”
Matt UrduGeoR 27:22  Pīlātus ne pūchhā, “Phir maiṅ Īsā ke sāth kyā karūṅ jo Masīh kahlātā hai?” Wuh chīḳhe, “Use maslūb kareṅ.”
Matt UrduGeoR 27:23  Pīlātus ne pūchhā, “Kyoṅ? Us ne kyā jurm kiyā hai?” Lekin log mazīd shor machā kar chīḳhte rahe, “Use maslūb kareṅ!”
Matt UrduGeoR 27:24  Pīlātus ne dekhā ki wuh kisī natīje tak nahīṅ pahuṅch rahā balki hangāmā barpā ho rahā hai. Is lie us ne pānī le kar hujūm ke sāmne apne hāth dhoe. Us ne kahā, “Agar is ādmī ko qatl kiyā jāe to maiṅ bequsūr hūṅ, tum hī us ke lie jawābdeh ṭhahro.”
Matt UrduGeoR 27:25  Tamām logoṅ ne jawāb diyā, “Ham aur hamārī aulād us ke ḳhūn ke jawābdeh haiṅ.”
Matt UrduGeoR 27:26  Phir us ne Bar-abbā ko āzād karke unheṅ de diyā. Lekin Īsā ko us ne koṛe lagāne kā hukm diyā, phir use maslūb karne ke lie faujiyoṅ ke hawāle kar diyā.
Matt UrduGeoR 27:27  Gawarnar ke faujī Īsā ko mahal banām Praiṭoriyum ke sahan meṅ le gae aur pūrī palṭan ko us ke irdgird ikaṭṭhā kiyā.
Matt UrduGeoR 27:28  Us ke kapṛe utār kar unhoṅ ne use arġhawānī rang kā libās pahnāyā,
Matt UrduGeoR 27:29  phir kāṅṭedār ṭahniyoṅ kā ek tāj banā kar us ke sar par rakh diyā. Us ke dahne hāth meṅ chhaṛī pakaṛā kar unhoṅ ne us ke sāmne ghuṭne ṭek kar us kā mazāq uṛāyā, “Ai Yahūdiyoṅ ke Bādshāh, ādāb!”
Matt UrduGeoR 27:30  Wuh us par thūkte rahe, chhaṛī le kar bār bār us ke sar ko mārā.
Matt UrduGeoR 27:31  Phir us kā mazāq uṛāne se thak kar unhoṅ ne arġhawānī libās utār kar use dubārā us ke apne kapṛe pahnāe aur use maslūb karne ke lie le gae.
Matt UrduGeoR 27:32  Shahr se nikalte waqt unhoṅ ne ek ādmī ko dekhā jo Libiyā ke shahr Kuren kā rahne wālā thā. Us kā nām Shamāūn thā. Use unhoṅ ne salīb uṭhā kar le jāne par majbūr kiyā.
Matt UrduGeoR 27:33  Yoṅ chalte chalte wuh ek maqām tak pahuṅch gae jis kā nām Gulgutā (yānī Khopaṛī kā Maqām) thā.
Matt UrduGeoR 27:34  Wahāṅ unhoṅ ne use mai pesh kī jis meṅ koī kaṛwī chīz milāī gaī thī. Lekin chakh kar Īsā ne use pīne se inkār kar diyā.
Matt UrduGeoR 27:35  Phir faujiyoṅ ne use maslūb kiyā aur us ke kapṛe āpas meṅ bāṅṭ lie. Yih faislā karne ke lie ki kis ko kyā kyā mile unhoṅ ne qurā ḍālā.
Matt UrduGeoR 27:36  Yoṅ wuh wahāṅ baiṭh kar us kī pahrādārī karte rahe.
Matt UrduGeoR 27:37  Salīb par Īsā ke sar ke ūpar ek taḳhtī lagā dī gaī jis par yih ilzām likhā thā, “Yih Yahūdiyoṅ kā Bādshāh Īsā hai.”
Matt UrduGeoR 27:38  Do ḍākuoṅ ko bhī Īsā ke sāth maslūb kiyā gayā, ek ko us ke dahne hāth aur dūsre ko us ke bāeṅ hāth.
Matt UrduGeoR 27:39  Jo wahāṅ se guzare unhoṅ ne kufr bak kar us kī tazlīl kī aur sar hilā hilā kar apnī hiqārat kā izhār kiyā.
Matt UrduGeoR 27:40  Unhoṅ ne kahā, “Tū ne to kahā thā ki maiṅ Baitul-muqaddas ko ḍhā kar use tīn din ke andar andar dubārā tāmīr kar dūṅgā. Ab apne āp ko bachā! Agar tū wāqaī Allāh kā Farzand hai to salīb par se utar ā.”
Matt UrduGeoR 27:41  Rāhnumā imāmoṅ, sharīat ke ulamā aur qaum ke buzurgoṅ ne bhī Īsā kā mazāq uṛāyā,
Matt UrduGeoR 27:42  “Is ne auroṅ ko bachāyā, lekin apne āp ko nahīṅ bachā saktā. Yih Isrāīl kā Bādshāh hai! Abhī yih salīb par se utar āe to ham is par īmān le āeṅge.
Matt UrduGeoR 27:43  Is ne Allāh par bharosā rakhā hai. Ab Allāh ise bachāe agar wuh ise chāhtā hai, kyoṅki is ne kahā, ‘Maiṅ Allāh kā Farzand hūṅ.’”
Matt UrduGeoR 27:44  Aur jin ḍākuoṅ ko us ke sāth maslūb kiyā gayā thā unhoṅ ne bhī use lān-tān kī.
Matt UrduGeoR 27:45  Dopahar bārah baje pūrā mulk andhere meṅ ḍūb gayā. Yih tārīkī tīn ghanṭoṅ tak rahī.
Matt UrduGeoR 27:46  Phir tīn baje Īsā ūṅchī āwāz se pukār uṭhā, “Elī, Elī, lamā shabaqtanī” jis kā matlab hai, “Ai mere Ḳhudā, ai mere Ḳhudā, tū ne mujhe kyoṅ tark kar diyā hai?”
Matt UrduGeoR 27:47  Yih sun kar pās khaṛe kuchh log kahne lage, “Wuh Iliyās Nabī ko bulā rahā hai.”
Matt UrduGeoR 27:48  Un meṅ se ek ne fauran dauṛ kar ek isfanj ko mai ke sirke meṅ ḍuboyā aur use ḍanḍe par lagā kar Īsā ko chusāne kī koshish kī.
Matt UrduGeoR 27:49  Dūsroṅ ne kahā, “Āo, ham dekheṅ, shāyad Iliyās ā kar use bachāe.”
Matt UrduGeoR 27:50  Lekin Īsā ne dubārā baṛe zor se chillā kar dam chhoṛ diyā.
Matt UrduGeoR 27:51  Usī waqt Baitul-muqaddas ke Muqaddastarīn Kamre ke sāmne laṭkā huā pardā ūpar se le kar nīche tak do hissoṅ meṅ phaṭ gayā. Zalzalā āyā, chaṭāneṅ phaṭ gaīṅ
Matt UrduGeoR 27:52  aur qabreṅ khul gaīṅ. Kaī marhūm muqaddasīn ke jismoṅ ko zindā kar diyā gayā.
Matt UrduGeoR 27:53  Wuh Īsā ke jī uṭhne ke bād qabroṅ meṅ se nikal kar muqaddas shahr meṅ dāḳhil hue aur bahutoṅ ko nazar āe.
Matt UrduGeoR 27:54  Jab pās khaṛe Romī afsar aur Īsā kī pahrādārī karne wāle faujiyoṅ ne zalzalā aur yih tamām wāqiyāt dekhe to wuh nihāyat dahshatzadā ho gae. Unhoṅ ne kahā, “Yih wāqaī Allāh kā Farzand thā.”
Matt UrduGeoR 27:55  Bahut-sī ḳhawātīn bhī wahāṅ thīṅ jo kuchh fāsile par is kā mushāhadā kar rahī thīṅ. Wuh Galīl meṅ Īsā ke pīchhe chal kar yahāṅ tak us kī ḳhidmat kartī āī thīṅ.
Matt UrduGeoR 27:56  Un meṅ Mariyam Magdalīnī, Yāqūb aur Yūsuf kī māṅ Mariyam aur Zabdī ke beṭoṅ Yāqūb aur Yūhannā kī māṅ bhī thīṅ.
Matt UrduGeoR 27:57  Jab shām hone ko thī to Arimatiyāh kā ek daulatmand ādmī banām Yūsuf āyā. Wuh bhī Īsā kā shāgird thā.
Matt UrduGeoR 27:58  Us ne Pīlātus ke pās jā kar Īsā kī lāsh māṅgī, aur Pīlātus ne hukm diyā ki wuh use de dī jāe.
Matt UrduGeoR 27:59  Yūsuf ne lāsh ko le kar use katān ke ek sāf kafan meṅ lapeṭā
Matt UrduGeoR 27:60  aur apnī zātī ġhairistemālshudā qabr meṅ rakh diyā jo chaṭān meṅ tarāshī gaī thī. Āḳhir meṅ us ne ek baṛā patthar luṛhkā kar qabr kā muṅh band kar diyā aur chalā gayā.
Matt UrduGeoR 27:61  Us waqt Mariyam Magdalīnī aur dūsrī Mariyam qabr ke muqābil baiṭhī thīṅ.
Matt UrduGeoR 27:62  Agle din, jo Sabat kā din thā, rāhnumā imām aur Farīsī Pīlātus ke pās āe.
Matt UrduGeoR 27:63  “Janāb,” unhoṅ ne kahā, “Hameṅ yād āyā ki jab wuh dhokebāz abhī zindā thā to us ne kahā thā, ‘Tīn din ke bād maiṅ jī uṭhūṅgā.’
Matt UrduGeoR 27:64  Is lie hukm deṅ ki qabr ko tīsre din tak mahfūz rakhā jāe. Aisā na ho ki us ke shāgird ā kar us kī lāsh ko churā le jāeṅ aur logoṅ ko batāeṅ ki wuh murdoṅ meṅ se jī uṭhā hai. Agar aisā huā to yih āḳhirī dhokā pahle dhoke se bhī zyādā baṛā hogā.”
Matt UrduGeoR 27:65  Pīlātus ne jawāb diyā, “Pahredāroṅ ko le kar qabr ko itnā mahfūz kar do jitnā tum kar sakte ho.”
Matt UrduGeoR 27:66  Chunāṅche unhoṅ ne jā kar qabr ko mahfūz kar liyā. Qabr ke muṅh par paṛe patthar par muhr lagā kar unhoṅ ne us par pahredār muqarrar kar die.
Chapter 28
Matt UrduGeoR 28:1  Itwār ko subah-sawere hī Mariyam Magdalīnī aur dūsrī Mariyam qabr ko deḳhne ke lie niklīṅ. Sūraj tulū ho rahā thā.
Matt UrduGeoR 28:2  Achānak ek shadīd zalzalā āyā, kyoṅki Rab kā ek farishtā āsmān se utar āyā aur qabr ke pās jā kar us par paṛe patthar ko ek taraf luṛhkā diyā. Phir wuh us par baiṭh gayā.
Matt UrduGeoR 28:3  Us kī shakl-o-sūrat bijlī kī tarah chamak rahī thī aur us kā libās barf kī mānind safed thā.
Matt UrduGeoR 28:4  Pahredār itne ḍar gae ki wuh larazte larazte murdā se ho gae.
Matt UrduGeoR 28:5  Farishte ne ḳhawātīn se kahā, “Mat ḍaro. Mujhe mālūm hai ki tum Īsā ko ḍhūnḍ rahī ho jo maslūb huā thā.
Matt UrduGeoR 28:6  Wuh yahāṅ nahīṅ hai. Wuh jī uṭhā hai, jis tarah us ne farmāyā thā. Āo, us jagah ko ḳhud dekh lo jahāṅ wuh paṛā thā.
Matt UrduGeoR 28:7  Aur ab jaldī se jā kar us ke shāgirdoṅ ko batā do ki wuh jī uṭhā hai aur tumhāre āge āge Galīl pahuṅch jāegā. Wahīṅ tum use dekhoge. Ab maiṅ ne tum ko is se āgāh kiyā hai.”
Matt UrduGeoR 28:8  Ḳhawātīn jaldī se qabr se chalī gaīṅ. Wuh sahmī huī lekin baṛī ḳhush thīṅ aur dauṛī dauṛī us ke shāgirdoṅ ko yih ḳhabar sunāne gaīṅ.
Matt UrduGeoR 28:9  Achānak Īsā un se milā. Us ne kahā, “Salām.” Wuh us ke pās āīṅ, us ke pāṅw pakaṛe aur use sijdā kiyā.
Matt UrduGeoR 28:10  Īsā ne un se kahā, “Mat ḍaro. Jāo, mere bhāiyoṅ ko batā do ki wuh Galīl ko chale jāeṅ. Wahāṅ wuh mujhe dekheṅge.”
Matt UrduGeoR 28:11  Ḳhawātīn abhī rāste meṅ thīṅ ki pahredāroṅ meṅ se kuchh shahr meṅ gae aur rāhnumā imāmoṅ ko sab kuchh batā diyā.
Matt UrduGeoR 28:12  Rāhnumā imāmoṅ ne qaum ke buzurgoṅ ke sāth ek mīṭing mun'aqid kī aur pahredāroṅ ko rishwat kī baṛī raqam dene kā faislā kiyā.
Matt UrduGeoR 28:13  Unhoṅ ne unheṅ batāyā, “Tum ko kahnā hai, ‘Jab ham rāt ke waqt so rahe the to us ke shāgird āe aur use churā le gae.’
Matt UrduGeoR 28:14  Agar yih ḳhabar gawarnar tak pahuṅche to ham use samjhā leṅge. Tum ko fikr karne kī zarūrat nahīṅ.”
Matt UrduGeoR 28:15  Chunāṅche pahredāroṅ ne rishwat le kar wuh kuchh kiyā jo unheṅ sikhāyā gayā thā. Un kī yih kahānī Yahūdiyoṅ ke darmiyān bahut phailāī gaī aur āj tak un meṅ rāyj hai.
Matt UrduGeoR 28:16  Phir gyārah shāgird Galīl ke us pahāṛ ke pās pahuṅche jahāṅ Īsā ne unheṅ jāne ko kahā thā.
Matt UrduGeoR 28:17  Wahāṅ use dekh kar unhoṅ ne use sijdā kiyā. Lekin kuchh shak meṅ paṛ gae.
Matt UrduGeoR 28:18  Phir Īsā ne un ke pās ā kar kahā, “Āsmān aur zamīn kā kul iḳhtiyār mujhe de diyā gayā hai.
Matt UrduGeoR 28:19  Is lie jāo, tamām qaumoṅ ko shāgird banā kar unheṅ Bāp, Farzand aur Rūhul-quds ke nām se baptismā do.
Matt UrduGeoR 28:20  Aur unheṅ yih sikhāo ki wuh un tamām ahkām ke mutābiq zindagī guzāreṅ jo maiṅ ne tumheṅ die haiṅ. Aur dekho, maiṅ duniyā ke iḳhtitām tak hameshā tumhāre sāth hūṅ.”