Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
Toggle notes
Chapter 1
Ezek UrduGeoR 1:1  Jab maiṅ yānī imām Hizqiyel bin Būzī tīs sāl kā thā to maiṅ Yahūdāh ke jilāwatanoṅ ke sāth Mulk-e-Bābal ke dariyā Kibār ke kināre ṭhahrā huā thā. Yahūyākīn Bādshāh ko jilāwatan hue pāṅch sāl ho gae the. Chauthe mahīne ke pāṅchweṅ din āsmān khul gayā aur Allāh ne mujh par muḳhtalif royāeṅ zāhir kīṅ. Us waqt Rab mujh se hamkalām huā, aur us kā hāth mujh par ā ṭhahrā.
Ezek UrduGeoR 1:2  Jab maiṅ yānī imām Hizqiyel bin Būzī tīs sāl kā thā to maiṅ Yahūdāh ke jilāwatanoṅ ke sāth Mulk-e-Bābal ke dariyā Kibār ke kināre ṭhahrā huā thā. Yahūyākīn Bādshāh ko jilāwatan hue pāṅch sāl ho gae the. Chauthe mahīne ke pāṅchweṅ din āsmān khul gayā aur Allāh ne mujh par muḳhtalif royāeṅ zāhir kīṅ. Us waqt Rab mujh se hamkalām huā, aur us kā hāth mujh par ā ṭhahrā.
Ezek UrduGeoR 1:3  Jab maiṅ yānī imām Hizqiyel bin Būzī tīs sāl kā thā to maiṅ Yahūdāh ke jilāwatanoṅ ke sāth Mulk-e-Bābal ke dariyā Kibār ke kināre ṭhahrā huā thā. Yahūyākīn Bādshāh ko jilāwatan hue pāṅch sāl ho gae the. Chauthe mahīne ke pāṅchweṅ din āsmān khul gayā aur Allāh ne mujh par muḳhtalif royāeṅ zāhir kīṅ. Us waqt Rab mujh se hamkalām huā, aur us kā hāth mujh par ā ṭhahrā.
Ezek UrduGeoR 1:4  Royā meṅ maiṅ ne zabardast āṅdhī dekhī jis ne shimāl se ā kar baṛā bādal mere pās pahuṅchāyā. Bādal meṅ chamaktī-damaktī āg nazar āī, aur wuh tez raushnī se ghirā huā thā. Āg kā markaz chamakdār dhāt kī tarah tamtamā rahā thā.
Ezek UrduGeoR 1:5  Āg meṅ chār jāndāroṅ jaise chal rahe the jin kī shakl-o-sūrat insān kī-sī thī.
Ezek UrduGeoR 1:7  Un kī ṭāṅgeṅ insānoṅ jaisī sīdhī thīṅ, lekin pāṅwoṅ ke talwe bachhṛoṅ ke-se khur the. Wuh pālish kie hue pītal kī tarah jagmagā rahe the.
Ezek UrduGeoR 1:8  Chāroṅ ke chehre aur par the, aur chāroṅ paroṅ ke nīche insānī hāth dikhāī die.
Ezek UrduGeoR 1:9  Jāndār apne paroṅ se ek dūsre ko chhū rahe the. Chalte waqt muṛne kī zarūrat nahīṅ thī, kyoṅki har ek ke chār chehre chāroṅ taraf deḳhte the. Jab kabhī kisī simt jānā hotā to usī simt kā chehrā chal paṛtā.
Ezek UrduGeoR 1:10  Chāroṅ ke chehre ek jaise the. Sāmne kā chehrā insān kā, dāīṅ taraf kā chehrā sherbabar kā, bāīṅ taraf kā chehrā bail kā aur pīchhe kā chehrā uqāb kā thā.
Ezek UrduGeoR 1:11  Un ke par ūpar kī taraf phaile hue the. Do par bāeṅ aur dāeṅ hāth ke jāndāroṅ se lagte the, aur do par un ke jismoṅ ko ḍhāṅpe rakhte the.
Ezek UrduGeoR 1:12  Jahāṅ bhī Allāh kā Rūh jānā chāhtā thā wahāṅ yih jāndār chal paṛte. Unheṅ muṛne kī zarūrat nahīṅ thī, kyoṅki wuh hameshā apne chāroṅ chehroṅ meṅ se ek kā ruḳh iḳhtiyār karte the.
Ezek UrduGeoR 1:13  Jāndāroṅ ke bīch meṅ aisā lag rahā thā jaise koele dahak rahe hoṅ, ki un ke darmiyān mashāleṅ idhar-udhar chal rahī hoṅ. Jhilmilātī āg meṅ se bijlī bhī chamak kar nikaltī thī.
Ezek UrduGeoR 1:14  Jāndār ḳhud itnī tezī se idhar-udhar ghūm rahe the ki bādal kī bijlī jaise nazar ā rahe the.
Ezek UrduGeoR 1:15  Jab maiṅ ne ġhaur se un par nazar ḍālī to dekhā ki har ek jāndār ke pās pahiyā hai jo zamīn ko chhū rahā hai.
Ezek UrduGeoR 1:16  Lagtā thā ki chāroṅ pahie pukhrāj se bane hue haiṅ. Chāroṅ ek jaise the. Har pahie ke andar ek aur pahiyā zāwiyā-e-qāymā meṅ ghūm rahā thā,
Ezek UrduGeoR 1:17  is lie wuh muṛe baġhair har ruḳh iḳhtiyār kar sakte the.
Ezek UrduGeoR 1:18  Un ke lambe chakkar ḳhaufnāk the, aur chakkaroṅ kī har jagah par āṅkheṅ hī āṅkheṅ thīṅ.
Ezek UrduGeoR 1:19  Jab chār jāndār chalte to chāroṅ pahie bhī sāth chalte, jab jāndār zamīn se uṛte to pahie bhī sāth uṛte the.
Ezek UrduGeoR 1:20  Jahāṅ bhī Allāh kā Rūh jātā wahāṅ jāndār bhī jāte the. Pahie bhī uṛ kar sāth sāth chalte the, kyoṅki jāndāroṅ kī rūh pahiyoṅ meṅ thī.
Ezek UrduGeoR 1:21  Jab kabhī jāndār chalte to yih bhī chalte, jab ruk jāte to yih bhī ruk jāte, jab uṛte to yih bhī uṛte. Kyoṅki jāndāroṅ kī rūh pahiyoṅ meṅ thī.
Ezek UrduGeoR 1:22  Jāndāroṅ ke saroṅ ke ūpar gumbad-sā phailā huā thā jo sāf-shaffāf billaur jaisā lag rahā thā. Use dekh kar insān ghabrā jātā thā.
Ezek UrduGeoR 1:23  Chāroṅ jāndār is gumbad ke nīche the, aur har ek apne paroṅ ko phailā kar ek se bāīṅ taraf ke sāthī aur dūsre se dāīṅ taraf ke sāthī ko chhū rahā thā. Bāqī do paroṅ se wuh apne jism ko ḍhāṅpe rakhtā thā.
Ezek UrduGeoR 1:24  Chalte waqt un ke paroṅ kā shor mujh tak pahuṅchā. Yoṅ lag rahā thā jaise qarīb hī zabardast ābshār bah rahī ho, ki Qādir-e-mutlaq koī bāt farmā rahā ho, yā ki koī lashkar harkat meṅ ā gayā ho. Rukte waqt wuh apne paroṅ ko nīche laṭakne dete the.
Ezek UrduGeoR 1:25  Phir gumbad ke ūpar se āwāz sunāī dī, aur jāndāroṅ ne ruk kar apne paroṅ ko laṭakne diyā.
Ezek UrduGeoR 1:26  Maiṅ ne dekhā ki un ke saroṅ ke ūpar ke gumbad par sang-e-lājaward kā taḳht-sā nazar ā rahā hai jis par koī baiṭhā thā jis kī shakl-o-sūrat insān kī mānind hai.
Ezek UrduGeoR 1:27  Lekin kamr se le kar sar tak wuh chamakdār dhāt kī tarah tamtamā rahā thā, jabki kamr se le kar pāṅwoṅ tak āg kī mānind bhaṛak rahā thā. Tez raushnī us ke irdgird jhilmilā rahī thī.
Ezek UrduGeoR 1:28  Use dekh kar qaus-e-quzah kī wuh āb-o-tāb yād ātī thī jo bārish hote waqt bādal meṅ dikhāī detī hai. Yoṅ Rab kā jalāl nazar āyā. Yih deḳhte hī maiṅ aundhe muṅh gir gayā. Isī hālat meṅ koī mujh se bāt karne lagā.
Chapter 2
Ezek UrduGeoR 2:1  Wuh bolā, “Ai ādamzād, khaṛā ho jā! Maiṅ tujh se bāt karnā chāhtā hūṅ.”
Ezek UrduGeoR 2:2  Jyoṅ hī wuh mujh se hamkalām huā to Rūh ne mujh meṅ ā kar mujhe khaṛā kar diyā. Phir maiṅ ne āwāz ko yih kahte hue sunā,
Ezek UrduGeoR 2:3  “Ai ādamzād, maiṅ tujhe Isrāīliyoṅ ke pās bhej rahā hūṅ, ek aisī sarkash qaum ke pās jis ne mujh se baġhāwat kī hai. Shurū se le kar āj tak wuh apne bāpdādā samet mujh se bewafā rahe haiṅ.
Ezek UrduGeoR 2:4  Jin logoṅ ke pās maiṅ tujhe bhej rahā hūṅ wuh besharm aur ziddī haiṅ. Unheṅ wuh kuchh sunā de jo Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai.
Ezek UrduGeoR 2:5  Ḳhāh yih bāġhī suneṅ yā na suneṅ, wuh zarūr jān leṅge ki hamāre darmiyān nabī barpā huā hai.
Ezek UrduGeoR 2:6  Ai ādamzād, un se yā un kī bātoṅ se mat ḍarnā. Go tū kāṅṭedār jhāṛiyoṅ se ghirā rahegā aur tujhe bichchhuoṅ ke darmiyān basnā paṛegā to bhī ḳhaufzadā na ho. Na un kī bātoṅ se ḳhauf khānā, na un ke rawaiye se dahshat khānā. Kyoṅki yih qaum sarkash hai.
Ezek UrduGeoR 2:7  Ḳhāh yih suneṅ yā na suneṅ lāzim hai ki tū mere paiġhāmāt unheṅ sunāe. Kyoṅki wuh bāġhī hī haiṅ.
Ezek UrduGeoR 2:8  Ai ādamzād, jab maiṅ tujh se hamkalām hūṅgā to dhyān de aur is sarkash qaum kī tarah baġhāwat mat karnā. Apne muṅh ko khol kar wuh kuchh khā jo maiṅ tujhe khilātā hūṅ.”
Ezek UrduGeoR 2:9  Tab ek hāth merī taraf baṛhā huā nazar āyā jis meṅ tūmār thā.
Ezek UrduGeoR 2:10  Tūmār ko kholā gayā to maiṅ ne dekhā ki us meṅ āge bhī aur pīchhe bhī mātam aur āh-o-zārī qalamband huī hai.
Chapter 3
Ezek UrduGeoR 3:1  Us ne farmāyā, “Ai ādamzād, jo kuchh tujhe diyā jā rahā hai use khā le! Tūmār ko khā, phir jā kar Isrāīlī qaum se muḳhātib ho jā.”
Ezek UrduGeoR 3:2  Maiṅ ne apnā muṅh kholā to us ne mujhe tūmār khilāyā.
Ezek UrduGeoR 3:3  Sāth sāth us ne farmāyā, “Ādamzād, jo tūmār maiṅ tujhe khilātā hūṅ use khā, peṭ bhar kar khā!” Jab maiṅ ne use khāyā to shahd kī tarah mīṭhā lagā.
Ezek UrduGeoR 3:4  Tab Allāh mujh se hamkalām huā, “Ai ādamzād, ab jā kar Isrāīlī gharāne ko mere paiġhāmāt sunā de.
Ezek UrduGeoR 3:5  Maiṅ tujhe aisī qaum ke pās nahīṅ bhej rahā jis kī ajnabī zabān tujhe samajh na āe balki tujhe Isrāīlī qaum ke pās bhej rahā hūṅ.
Ezek UrduGeoR 3:6  Beshak aisī bahut-sī qaumeṅ haiṅ jin kī ajnabī zabāneṅ tujhe nahīṅ ātīṅ, lekin un ke pās maiṅ tujhe nahīṅ bhej rahā. Agar maiṅ tujhe unhīṅ ke pās bhejtā to wuh zarūr terī suntīṅ.
Ezek UrduGeoR 3:7  Lekin Isrāīlī gharānā terī sunane ke lie taiyār nahīṅ hogā, kyoṅki wuh merī sunane ke lie taiyār hī nahīṅ. Kyoṅki pūrī qaum kā māthā saḳht aur dil aṛā huā hai.
Ezek UrduGeoR 3:8  Lekin maiṅ ne terā chehrā bhī un ke chehre jaisā saḳht kar diyā, terā māthā bhī un ke māthe jaisā mazbūt kar diyā hai.
Ezek UrduGeoR 3:9  Tū un kā muqābalā kar sakegā, kyoṅki maiṅ ne tere māthe ko hīre jaisā mazbūt, chaqmāq jaisā pāedār kar diyā hai. Go yih qaum bāġhī hai to bhī un se ḳhauf na khā, na un ke sulūk se dahshatzadā ho.”
Ezek UrduGeoR 3:10  Allāh ne mazīd farmāyā, “Ai ādamzād, merī har bāt par dhyān de kar use zahan meṅ biṭhā.
Ezek UrduGeoR 3:11  Ab rawānā ho kar apnī qaum ke un afrād ke pās jā jo Bābal meṅ jilāwatan hue haiṅ. Unheṅ wuh kuchh sunā de jo Rab Qādir-e-mutlaq unheṅ batānā chāhtā hai, ḳhāh wuh suneṅ yā na suneṅ.”
Ezek UrduGeoR 3:12  Phir Allāh ke Rūh ne mujhe wahāṅ se uṭhāyā. Jab Rab kā jalāl apnī jagah se uṭhā to maiṅ ne apne pīchhe ek gaṛgaṛātī āwāz sunī.
Ezek UrduGeoR 3:13  Fizā chāroṅ jāndāroṅ ke shor se gūṅj uṭhī jab un ke par ek dūsre se lagne aur un ke pahie ghūmne lage.
Ezek UrduGeoR 3:14  Allāh kā Rūh mujhe uṭhā kar wahāṅ se le gayā, aur maiṅ talḳhmizājī aur baṛī sargarmī se rawānā huā. Kyoṅki Rab kā hāth zor se mujh par ṭhahrā huā thā.
Ezek UrduGeoR 3:15  Chalte chalte maiṅ Dariyā-e-Kibār kī ābādī tal-abīb meṅ rahne wāle jilāwatanoṅ ke pās pahuṅch gayā. Maiṅ un ke darmiyān baiṭh gayā. Sāt din tak merī hālat gumsum rahī.
Ezek UrduGeoR 3:17  “Ai ādamzād, maiṅ ne tujhe Isrāīlī qaum par pahredār banāyā, is lie jab bhī tujhe mujh se kalām mile to unheṅ merī taraf se āgāh kar!
Ezek UrduGeoR 3:18  Maiṅ tere zariye bedīn ko ittalā dūṅgā ki use marnā hī hai tāki wuh apnī burī rāh se haṭ kar bach jāe. Agar tū use yih paiġhām na pahuṅchāe, na use tambīh kare aur wuh apne qusūr ke bāis mar jāe to maiṅ tujhe hī us kī maut kā zimmedār ṭhahrāūṅgā.
Ezek UrduGeoR 3:19  Lekin agar wuh terī tambīh par apnī bedīnī aur burī rāh se na haṭe to yih alag bāt hai. Beshak wuh maregā, lekin tū zimmedār nahīṅ ṭhahregā balki apnī jān ko chhuṛāegā.
Ezek UrduGeoR 3:20  Jab rāstbāz apnī rāstbāzī ko chhoṛ kar burī rāh par ā jāegā to maiṅ tujhe use āgāh karne kī zimmedārī dūṅgā. Agar tū yih karne se bāz rahā to tū hī zimmedār ṭhahregā jab maiṅ use ṭhokar khilā kar mār ḍālūṅgā. Us waqt us ke rāst kām yād nahīṅ raheṅge balki wuh apne gunāh ke sabab se maregā. Lekin tū hī us kī maut kā zimmedār ṭhahregā.
Ezek UrduGeoR 3:21  Lekin agar tū use tambīh kare aur wuh apne gunāh se bāz āe to wuh merī tambīh ko qabūl karne ke bāis bachegā, aur tū bhī apnī jān ko chhuṛāegā.”
Ezek UrduGeoR 3:22  Wahīṅ Rab kā hāth dubārā mujh par ā ṭhahrā. Us ne farmāyā, “Uṭh, yahāṅ se nikal kar wādī ke khule maidān meṅ chalā jā! Wahāṅ maiṅ tujh se hamkalām hūṅgā.”
Ezek UrduGeoR 3:23  Maiṅ uṭhā aur nikal kar wādī ke khule maidān meṅ chalā gayā. Jab pahuṅchā to kyā deḳhtā hūṅ ki Rab kā jalāl wahāṅ yoṅ maujūd hai jis tarah pahlī royā meṅ Dariyā-e-Kibār ke kināre par thā. Maiṅ muṅh ke bal gir gayā.
Ezek UrduGeoR 3:24  Tab Allāh ke Rūh ne ā kar mujhe dubārā khaṛā kiyā aur farmāyā, “Apne ghar meṅ jā kar apne pīchhe kunḍī lagā.
Ezek UrduGeoR 3:25  Ai ādamzād, log tujhe rassiyoṅ meṅ jakaṛ kar band rakheṅge tāki tū nikal kar dūsroṅ meṅ na phir sake.
Ezek UrduGeoR 3:26  Maiṅ hone dūṅgā ki terī zabān tālū se chipak jāe aur tū ḳhāmosh rah kar unheṅ ḍāṅṭ na sake. Kyoṅki yih qaum sarkash hai.
Ezek UrduGeoR 3:27  Lekin jab bhī maiṅ tujh se hamkalām hūṅgā to tere muṅh ko kholūṅgā. Tab tū merā kalām sunā kar kahegā, ‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai!’ Tab jo sunane ke lie taiyār ho wuh sune, aur jo taiyār na ho wuh na sune. Kyoṅki yih qaum sarkash hai.
Chapter 4
Ezek UrduGeoR 4:1  Ai ādamzād, ab ek kachchī īṅṭ le aur use apne sāmne rakh kar us par Yarūshalam Shahr kā naqshā kandā kar.
Ezek UrduGeoR 4:2  Phir yih naqshā shahr kā muhāsarā dikhāne ke lie istemāl kar. Burj aur pushte banā kar gherā ḍāl. Yarūshalam ke bāhar lashkargāh lagā kar shahr ke irdgird qilāshikan mashīneṅ taiyār rakh.
Ezek UrduGeoR 4:3  Phir lohe kī pleṭ le kar apne aur shahr ke darmiyān rakh. Is se murād lohe kī dīwār hai. Shahr ko ghūr ghūr kar zāhir kar ki tū us kā muhāsarā kar rahā hai. Is nishān se tū dikhāegā ki Isrāīliyoṅ ke sāth kyā kuchh hone wālā hai.
Ezek UrduGeoR 4:4  Is ke bād apne bāeṅ pahlū par leṭ kar alāmatī taur par Mulk-e-Isrāīl kī sazā pā. Jitne bhī sāl wuh gunāh karte āe haiṅ utne hī din tujhe isī hālat meṅ leṭe rahnā hai. Wuh 390 sāl gunāh karte rahe haiṅ, is lie tū 390 din un ke gunāhoṅ kī sazā pāegā.
Ezek UrduGeoR 4:5  Is ke bād apne bāeṅ pahlū par leṭ kar alāmatī taur par Mulk-e-Isrāīl kī sazā pā. Jitne bhī sāl wuh gunāh karte āe haiṅ utne hī din tujhe isī hālat meṅ leṭe rahnā hai. Wuh 390 sāl gunāh karte rahe haiṅ, is lie tū 390 din un ke gunāhoṅ kī sazā pāegā.
Ezek UrduGeoR 4:6  Is ke bād apne dāeṅ pahlū par leṭ jā aur Mulk-e-Yahūdāh kī sazā pā. Maiṅ ne muqarrar kiyā hai ki tū 40 din yih kare, kyoṅki Yahūdāh 40 sāl gunāh kartā rahā hai.
Ezek UrduGeoR 4:7  Ghere hue shahr Yarūshalam ko ghūr ghūr kar apne nange bāzū se use dhamkī de aur us ke ḳhilāf peshgoī kar.
Ezek UrduGeoR 4:8  Sāth sāth maiṅ tujhe rassiyoṅ meṅ jakaṛ lūṅgā tāki tū utne din karwaṭeṅ badal na sake jitne din terā muhāsarā kiyā jāegā.
Ezek UrduGeoR 4:9  Ab kuchh gandum, jau, lobiyā, masūr, bājrā aur yahāṅ mustāmal ghaṭiyā qism kā gandum jamā karke ek hī bartan meṅ ḍāl. Bāeṅ pahlū par leṭte waqt yānī pūre 390 din inhīṅ se roṭī banā kar khā.
Ezek UrduGeoR 4:10  Fī din tujhe roṭī kā ek pāw khāne aur pānī kā paunā liṭar pīne kī ijāzat hai. Yih chīzeṅ ehtiyāt se tol kar muqarrarā auqāt par khā aur pī.
Ezek UrduGeoR 4:11  Fī din tujhe roṭī kā ek pāw khāne aur pānī kā paunā liṭar pīne kī ijāzat hai. Yih chīzeṅ ehtiyāt se tol kar muqarrarā auqāt par khā aur pī.
Ezek UrduGeoR 4:12  Roṭī ko jau kī roṭī kī tarah taiyār karke khā. Īṅdhan ke lie insān kā fuzlā istemāl kar. Dhyān de ki sab is ke gawāh hoṅ.”
Ezek UrduGeoR 4:13  Rab ne farmāyā, “Jab maiṅ Isrāīliyoṅ ko dīgar aqwām meṅ muntashir karūṅga to unheṅ nāpāk roṭī khānī paṛegī.”
Ezek UrduGeoR 4:14  Yih sun kar maiṅ bol uṭhā, “Hāy, hāy! Ai Rab Qādir-e-mutlaq, maiṅ kabhī bhī nāpāk nahīṅ huā. Jawānī se le kar āj tak maiṅ ne kabhī aise jānwar kā gosht nahīṅ khāyā jise zabah nahīṅ kiyā gayā thā yā jise janglī jānwaroṅ ne phāṛā thā. Nāpāk gosht kabhī mere muṅh meṅ nahīṅ āyā.”
Ezek UrduGeoR 4:15  Tab Rab ne jawāb diyā, “Ṭhīk hai, roṭī ko banāne ke lie tū insān ke fuzle ke bajāe gobar istemāl kar saktā hai. Maiṅ tujhe is kī ijāzat detā hūṅ.”
Ezek UrduGeoR 4:16  Us ne mazīd farmāyā, “Ai ādamzād, maiṅ Yarūshalam meṅ roṭī kā band-o-bast ḳhatm ho jāne dūṅgā. Tab log apnā khānā baṛī ehtiyāt se aur pareshānī meṅ tol tol kar khāeṅge. Wuh pānī kā qatrā qatrā gin kar use larazte hue pieṅge.
Ezek UrduGeoR 4:17  Kyoṅki khāne aur pānī kī qillat hogī. Sab mil kar tabāh ho jāeṅge, sab apne gunāhoṅ ke sabab se saṛ jāeṅge.
Chapter 5
Ezek UrduGeoR 5:1  Ai ādamzād, tez talwār le kar apne sar ke bāl aur dāṛhī munḍwā. Phir tarāzū meṅ bāloṅ ko tol kar tīn hissoṅ meṅ taqsīm kar.
Ezek UrduGeoR 5:2  Kachchī īṅṭ par kandā Yarūshalam ke naqshe ke zariye zāhir kar ki shahr kā muhāsarā ḳhatm ho gayā hai. Phir bāloṅ kī ek tihāī shahr ke naqshe ke bīch meṅ jalā de, ek tihāī talwār se mār mār kar shahr ke irdgird zamīn par girne de, aur ek tihāī hawā meṅ uṛā kar muntashir kar. Kyoṅki maiṅ isī tarah apnī talwār ko miyān se khīṅch kar logoṅ ke pīchhe paṛ jāūṅgā.
Ezek UrduGeoR 5:3  Lekin bāloṅ meṅ se thoṛe thoṛe bachā le aur apnī jholī meṅ lapeṭ kar mahfūz rakh.
Ezek UrduGeoR 5:4  Phir in meṅ se kuchh le aur āg meṅ phaiṅk kar bhasm kar. Yihī āg Isrāīl ke pūre gharāne meṅ phail jāegī.”
Ezek UrduGeoR 5:5  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai, “Yihī Yarūshalam kī hālat hai! Go maiṅ ne use dīgar aqwām ke darmiyān rakh kar dīgar mamālik kā markaz banā diyā
Ezek UrduGeoR 5:6  to bhī wuh mere ahkām aur hidāyāt se sarkash ho gayā hai. Gird-o-nawāh kī aqwām-o-mamālik kī nisbat us kī harkateṅ kahīṅ zyādā burī haiṅ. Kyoṅki us ke bāshindoṅ ne mere ahkām ko radd karke merī hidāyāt ke mutābiq zindagī guzārne se inkār kar diyā hai.”
Ezek UrduGeoR 5:7  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai, “Tumhārī harkateṅ irdgird kī qaumoṅ kī nisbat kahīṅ zyādā burī haiṅ. Na tum ne merī hidāyāt ke mutābiq zindagī guzārī, na mere ahkām par amal kiyā. Balki tum itne sharāratī the ki gird-o-nawāh kī aqwām ke rasm-o-riwāj se bhī badtar zindagī guzārne lage.”
Ezek UrduGeoR 5:8  Is lie Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai, “Ai Yarūshalam, ab maiṅ ḳhud tujh se nipaṭ lūṅgā. Dīgar aqwām ke deḳhte deḳhte maiṅ terī adālat karūṅga.
Ezek UrduGeoR 5:9  Terī ghinaunī butparastī ke sabab se maiṅ tere sāth aisā sulūk karūṅga jaisā maiṅ ne pahle kabhī nahīṅ kiyā hai aur āindā bhī kabhī nahīṅ karūṅga.
Ezek UrduGeoR 5:10  Tab tere darmiyān bāp apne beṭoṅ ko aur beṭe apne bāp ko khāeṅge. Maiṅ terī adālat yoṅ karūṅga ki jitne bacheṅge wuh sab hawā meṅ uṛ kar chāroṅ taraf muntashir ho jāeṅge.”
Ezek UrduGeoR 5:11  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai, “Merī hayāt kī qasam, tū ne apne ghinaune butoṅ aur rasm-o-riwāj se mere maqdis kī behurmatī kī hai, is lie maiṅ tujhe munḍwā kar tabāh kar dūṅgā. Na maiṅ tujh par tars khāūṅgā, na rahm karūṅga.
Ezek UrduGeoR 5:12  Tere bāshindoṅ kī ek tihāī mohlak bīmāriyoṅ aur kāl se shahr meṅ halāk ho jāegī. Dūsrī tihāī talwār kī zad meṅ ā kar shahr ke irdgird mar jāegī. Tīsrī tihāī ko maiṅ hawā meṅ uṛā kar muntashir kar dūṅgā aur phir talwār ko miyān se khīṅch kar un kā pīchhā karūṅga.
Ezek UrduGeoR 5:13  Yoṅ merā qahr ṭhanḍā ho jāegā aur maiṅ intaqām le kar apnā ġhussā utārūṅga. Tab wuh jān leṅge ki maiṅ, Rab ġhairat meṅ un se hamkalām huā hūṅ.
Ezek UrduGeoR 5:14  Maiṅ tujhe malbe kā ḍher aur irdgird kī aqwām kī lān-tān kā nishānā banā dūṅgā. Har guzarne wālā terī hālat dekh kar ‘Taubā taubā’ kahegā.
Ezek UrduGeoR 5:15  Jab merā ġhazab tujh par ṭūṭ paṛegā aur maiṅ terī saḳht adālat aur sarzanish karūṅga to us waqt tū paṛos kī aqwām ke lie mazāq aur lānat-malāmat kā nishānā ban jāegā. Terī hālat ko dekh kar un ke roṅgṭe khaṛe ho jāeṅge aur wuh muhtāt rahne kā sabaq sīkheṅge. Yih merā, Rab kā farmān hai.
Ezek UrduGeoR 5:16  Ai Yarūshalam ke bāshindo, maiṅ kāl ke mohlak aur tabāhkun tīr tum par barsāūṅgā tāki tum halāk ho jāo. Kāl yahāṅ tak zor pakaṛegā ki khāne kā band-o-bast ḳhatm ho jāegā.
Ezek UrduGeoR 5:17  Maiṅ tumhāre ḳhilāf kāl aur wahshī jānwar bhejūṅgā tāki tū beaulād ho jāe. Mohlak bīmāriyāṅ aur qatl-o-ġhārat tere bīch meṅ se guzaregī, aur maiṅ tere ḳhilāf talwār chalāūṅgā. Yih merā, Rab kā farmān hai.”
Chapter 6
Ezek UrduGeoR 6:2  “Ai ādamzād, Isrāīl ke pahāṛoṅ kī taraf ruḳh karke un ke ḳhilāf nabuwwat kar.
Ezek UrduGeoR 6:3  Un se kah, ‘Ai Isrāīl ke pahāṛo, Rab Qādir-e-mutlaq kā kalām suno! Wuh pahāṛoṅ, pahāṛiyoṅ, ghāṭiyoṅ aur wādiyoṅ ke bāre meṅ farmātā hai ki maiṅ tumhāre ḳhilāf talwār chalā kar tumhārī ūṅchī jaghoṅ ke mandiroṅ ko tabāh kar dūṅgā.
Ezek UrduGeoR 6:4  Jin qurbāngāhoṅ par tum apne jānwar aur baḳhūr jalāte ho wuh ḍhā dūṅgā. Maiṅ tere maqtūloṅ ko tere butoṅ ke sāmne hī phaiṅk chhoṛūṅgā.
Ezek UrduGeoR 6:5  Maiṅ Isrāīliyoṅ kī lāshoṅ ko un ke butoṅ ke sāmne ḍāl kar tumhārī haḍḍiyoṅ ko tumhārī qurbāngāhoṅ ke irdgird bikher dūṅgā.
Ezek UrduGeoR 6:6  Jahāṅ bhī tum ābād ho wahāṅ tumhāre shahr khanḍarāt ban jāeṅge aur ūṅchī jaghoṅ ke mandir mismār ho jāeṅge. Kyoṅki lāzim hai ki jin qurbāngāhoṅ par tum apne jānwar aur baḳhūr jalāte ho wuh ḳhāk meṅ milāī jāeṅ, ki tumhāre butoṅ ko pāsh pāsh kiyā jāe, ki tumhārī butparastī kī chīzeṅ nest-o-nābūd ho jāeṅ.
Ezek UrduGeoR 6:7  Maqtūl tumhāre darmiyān gir kar paṛe raheṅge. Tab tum jān loge ki maiṅ hī Rab hūṅ.
Ezek UrduGeoR 6:8  Lekin maiṅ chand ek ko zindā chhoṛūṅgā. Kyoṅki jab tumheṅ dīgar mamālik aur aqwām meṅ muntashir kiyā jāegā to kuchh talwār se bache raheṅge.
Ezek UrduGeoR 6:9  Jab yih log qaidī ban kar muḳhtalif mamālik meṅ lāe jāeṅge to unheṅ merā ḳhayāl āegā. Unheṅ yād āegā ki mujhe kitnā ġham khānā paṛā jab un ke zinākār dil mujh se dūr hue aur un kī āṅkheṅ apne butoṅ se zinā kartī rahīṅ. Tab wuh yih soch kar ki ham ne kitnā burā kām kiyā aur kitnī makrūh harkateṅ kī haiṅ apne āp se ghin khāeṅge.
Ezek UrduGeoR 6:10  Us waqt wuh jān leṅge ki maiṅ Rab hūṅ, ki un par yih āfat lāne kā elān karte waqt maiṅ ḳhālī bāteṅ nahīṅ kar rahā thā.’”
Ezek UrduGeoR 6:11  Phir Rab Qādir-e-mutlaq ne mujh se farmāyā, “Tāliyāṅ bajā kar pāṅw zor se zamīn par mār! Sāth sāth yih kah, ‘Isrāīlī qaum kī ghinaunī harkatoṅ par afsos! Wuh talwār, kāl aur mohlak bīmāriyoṅ kī zad meṅ ā kar halāk ho jāeṅge.
Ezek UrduGeoR 6:12  Jo dūr hai wuh mohlak wabā se mar jāegā, jo qarīb hai wuh talwār se qatl ho jāegā, aur jo bach jāe wuh bhūke maregā. Yoṅ maiṅ apnā ġhazab un par nāzil karūṅga.
Ezek UrduGeoR 6:13  Wuh jān leṅge ki maiṅ Rab hūṅ jab un ke maqtūl un ke butoṅ ke darmiyān, un kī qurbāngāhoṅ ke irdgird, har pahāṛ aur pahāṛ kī choṭī par aur har hare daraḳht aur balūt ke ghane daraḳht ke sāy meṅ nazar āeṅge. Jahāṅ bhī wuh apne butoṅ ko ḳhush karne ke lie koshāṅ rahe wahāṅ un kī lāsheṅ pāī jāeṅgī.
Ezek UrduGeoR 6:14  Maiṅ apnā hāth un ke ḳhilāf uṭhā kar mulk ko Yahūdāh ke registān se le kar Diblā tak tabāh kar dūṅgā. Un kī tamām ābādiyāṅ wīrān-o-sunsān ho jāeṅgī. Tab wuh jān leṅge ki maiṅ hī Rab hūṅ.’”
Chapter 7
Ezek UrduGeoR 7:2  “Ai ādamzād, Rab Qādir-e-mutlaq Mulk-e-Isrāīl se farmātā hai ki terā anjām qarīb hī hai! Jahāṅ bhī dekho, pūrā mulk tabāh ho jāegā.
Ezek UrduGeoR 7:3  Ab terā satyānās hone wālā hai, maiṅ ḳhud apnā ġhazab tujh par nāzil karūṅga. Maiṅ tere chāl-chalan ko parakh parakh kar terī adālat karūṅga, terī makrūh harkatoṅ kā pūrā ajr dūṅgā.
Ezek UrduGeoR 7:4  Na maiṅ tujh par tars khāūṅgā, na rahm karūṅga balki tujhe tere chāl-chalan kā munāsib ajr dūṅgā. Kyoṅki terī makrūh harkatoṅ kā bīj tere darmiyān hī ug kar phal lāegā. Tab tum jān loge ki maiṅ hī Rab hūṅ.”
Ezek UrduGeoR 7:5  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai, “Āfat par āfat hī ā rahī hai.
Ezek UrduGeoR 7:6  Terā anjām, hāṅ, terā anjām ā rahā hai. Ab wuh uṭh kar tujh par lapak rahā hai.
Ezek UrduGeoR 7:7  Ai mulk ke bāshinde, terī fanā pahuṅch rahī hai. Ab wuh waqt qarīb hī hai, wuh din jab tere pahāṛoṅ par ḳhushī ke nāroṅ ke bajāe afrā-tafrī kā shor machegā.
Ezek UrduGeoR 7:8  Ab maiṅ jald hī apnā ġhazab tujh par nāzil karūṅga, jald hī apnā ġhussā tujh par utārūṅga. Maiṅ tere chāl-chalan ko parakh parakh kar terī adālat karūṅga, terī ghinaunī harkatoṅ kā pūrā ajr dūṅgā.
Ezek UrduGeoR 7:9  Na maiṅ tujh par tars khāūṅgā, na rahm karūṅga balki tujhe tere chāl-chalan kā munāsib ajr dūṅgā. Kyoṅki terī makrūh harkatoṅ kā bīj tere darmiyān hī ug kar phal lāegā. Tab tum jān loge ki maiṅ yānī Rab hī zarb lagā rahā hūṅ.
Ezek UrduGeoR 7:10  Dekho, mazkūrā din qarīb hī hai! Terī halākat pahuṅch rahī hai. Nāinsāfī ke phūl aur shoḳhī kī koṅpleṅ phūṭ niklī haiṅ.
Ezek UrduGeoR 7:11  Logoṅ kā zulm baṛh baṛh kar lāṭhī ban gayā hai jo unheṅ un kī bedīnī kī sazā degī. Kuchh nahīṅ rahegā, na wuh ḳhud, na un kī daulat, na un kā shor-sharābā, aur na un kī shān-o-shaukat.
Ezek UrduGeoR 7:12  Adālat kā din qarīb hī hai. Us waqt jo kuchh ḳharīde wuh ḳhush na ho, aur jo kuchh faroḳht kare wuh ġham na khāe. Kyoṅki ab in chīzoṅ kā koī fāydā nahīṅ, ilāhī ġhazab sab par nāzil ho rahā hai.
Ezek UrduGeoR 7:13  Bechne wāle bach bhī jāeṅ to wuh apnā kārobār nahīṅ kar sakeṅge. Kyoṅki sab par ilāhī ġhazab kā faislā aṭal hai aur mansūḳh nahīṅ ho saktā. Logoṅ ke gunāhoṅ ke bāis ek jān bhī nahīṅ chhūṭegī.
Ezek UrduGeoR 7:14  Beshak log bigul bajā kar jang kī taiyāriyāṅ kareṅ, lekin kyā fāydā? Laṛne ke lie koī nahīṅ niklegā, kyoṅki sab ke sab mere qahr kā nishānā ban jāeṅge.
Ezek UrduGeoR 7:15  Bāhar talwār, andar mohlak wabā aur bhūk. Kyoṅki dehāt meṅ log talwār kī zad meṅ ā jāeṅge, shahr meṅ kāl aur mohlak wabā se halāk ho jāeṅge.
Ezek UrduGeoR 7:16  Jitne bhī bacheṅge wuh pahāṛoṅ meṅ panāh leṅge, ghāṭiyoṅ meṅ fāḳhtāoṅ kī tarah ġhūṅ ġhūṅ karke apne gunāhoṅ par āh-o-zārī kareṅge.
Ezek UrduGeoR 7:17  Har hāth se tāqat jātī rahegī, har ghuṭnā ḍāṅwāṅḍol ho jāegā.
Ezek UrduGeoR 7:18  Wuh ṭāṭ ke mātamī kapṛe oṛh leṅge, un par kapkapī tārī ho jāegī. Har chehre par sharmindagī nazar āegī, har sar munḍwāyā gayā hogā.
Ezek UrduGeoR 7:19  Apnī chāṅdī ko wuh galiyoṅ meṅ phaiṅk deṅge, apne sone ko ġhilāzat samjheṅge. Kyoṅki jab Rab kā ġhazab un par nāzil hogā to na un kī chāṅdī unheṅ bachā sakegī, na sonā. Un se na wuh apnī bhūk miṭā sakeṅge, na apne peṭ ko bhar sakeṅge, kyoṅki yihī chīzeṅ un ke lie gunāh kā bāis ban gaī thīṅ.
Ezek UrduGeoR 7:20  Unhoṅ ne apne ḳhūbsūrat zewarāt par faḳhr karke un se apne ghinaune but aur makrūh mujassame banāe, is lie maiṅ hone dūṅgā ki wuh apnī daulat se ghin khāeṅge.
Ezek UrduGeoR 7:21  Maiṅ yih sab kuchh pardesiyoṅ ke hawāle kar dūṅgā, aur wuh use lūṭ leṅge. Duniyā ke bedīn use chhīn kar us kī behurmatī kareṅge.
Ezek UrduGeoR 7:22  Maiṅ apnā muṅh Isrāīliyoṅ se pher lūṅgā to ajnabī mere qīmtī maqām kī behurmatī kareṅge. Ḍākū us meṅ ghus kar use nāpāk kareṅge.
Ezek UrduGeoR 7:23  Zanjīreṅ taiyār kar! Kyoṅki mulk meṅ qatl-o-ġhārat ām ho gaī hai, shahr zulm-o-tashaddud se bhar gayā hai.
Ezek UrduGeoR 7:24  Maiṅ dīgar aqwām ke sab se sharīr logoṅ ko bulāūṅgā tāki Isrāīliyoṅ ke gharoṅ par qabzā kareṅ, maiṅ zorāwaroṅ kā takabbur ḳhāk meṅ milā dūṅgā. Jo bhī maqām unheṅ muqaddas ho us kī behurmatī kī jāegī.
Ezek UrduGeoR 7:25  Jab dahshat un par tārī hogī to wuh amn-o-amān talāsh kareṅge, lekin befāydā. Amn-o-amān kahīṅ bhī pāyā nahīṅ jāegā.
Ezek UrduGeoR 7:26  Āfat par āfat hī un par āegī, yake bād dīgare burī ḳhabreṅ un tak pahuṅcheṅgī. Wuh nabī se royā milne kī ummīd kareṅge, lekin befāydā. Na imām unheṅ sharīat kī tālīm, na buzurg unheṅ mashwarā de sakeṅge.
Ezek UrduGeoR 7:27  Bādshāh mātam karegā, ra'īs haibatzadā hogā, aur awām ke hāth thartharāeṅge. Maiṅ un ke chāl-chalan ke mutābiq un se nipṭūṅgā, un ke apne hī usūloṅ ke mutābiq un kī adālat karūṅga. Tab wuh jān leṅge ki maiṅ hī Rab hūṅ.”
Chapter 8
Ezek UrduGeoR 8:1  Jilāwatanī ke chhaṭe sāl ke chhaṭe mahīne ke pāṅchweṅ din maiṅ apne ghar meṅ baiṭhā thā. Yahūdāh ke buzurg pās hī baiṭhe the. Tab Rab Qādir-e-mutlaq kā hāth mujh par ā ṭhahrā.
Ezek UrduGeoR 8:2  Royā meṅ maiṅ ne kisī ko dekhā jis kī shakl-o-sūrat insān kī mānind thī. Lekin kamr se le kar pāṅwoṅ tak wuh āg kī mānind bhaṛak rahā thā jabki kamr se le kar sar tak chamakdār dhāt kī tarah tamtamā rahā thā.
Ezek UrduGeoR 8:3  Us ne kuchh āge baṛhā diyā jo hāth-sā lag rahā thā aur mere bāloṅ ko pakaṛ liyā. Phir Rūh ne mujhe uṭhāyā aur zamīn aur āsmān ke darmiyān chalte chalte Yarūshalam tak pahuṅchāyā. Abhī tak maiṅ Allāh kī royā dekh rahā thā. Maiṅ Rab ke ghar ke andarūnī sahan ke us darwāze ke pās pahuṅch gayā jis kā ruḳh shimāl kī taraf hai. Darwāze ke qarīb ek but paṛā thā jo Rab ko mushta'il karke ġhairat dilātā hai.
Ezek UrduGeoR 8:4  Wahāṅ Isrāīl ke Ḳhudā kā jalāl mujh par usī tarah zāhir huā jis tarah pahle maidān kī royā meṅ mujh par zāhir huā thā.
Ezek UrduGeoR 8:5  Wuh mujh se hamkalām huā, “Ai ādamzād, shimāl kī taraf nazar uṭhā.” Maiṅ ne apnī nazar shimāl kī taraf uṭhāī to darwāze ke bāhar qurbāngāh dekhī. Sāth sāth darwāze ke qarīb hī wuh but khaṛā thā jo Rab ko ġhairat dilātā hai.
Ezek UrduGeoR 8:6  Phir Rab bolā, “Ai ādamzād, kyā tujhe wuh kuchh nazar ātā hai jo Isrāīlī qaum yahāṅ kartī hai? Yih log yahāṅ baṛī makrūh harkateṅ kar rahe haiṅ tāki maiṅ apne maqdis se dūr ho jāūṅ. Lekin tū in se bhī zyādā makrūh chīzeṅ dekhegā.”
Ezek UrduGeoR 8:7  Wuh mujhe Rab ke ghar ke bairūnī sahan ke darwāze ke pās le gayā to maiṅ ne dīwār meṅ sūrāḳh dekhā.
Ezek UrduGeoR 8:8  Allāh ne farmāyā, “Ādamzād, is sūrāḳh ko baṛā banā.” Maiṅ ne aisā kiyā to dīwār ke pīchhe darwāzā nazar āyā.
Ezek UrduGeoR 8:9  Tab us ne farmāyā, “Andar jā kar wuh sharīr aur ghinaunī harkateṅ dekh jo log yahāṅ kar rahe haiṅ.”
Ezek UrduGeoR 8:10  Maiṅ darwāze meṅ dāḳhil huā to kyā deḳhtā hūṅ ki dīwāroṅ par chāroṅ taraf butparastī kī taswīreṅ kandā huī haiṅ. Har qism ke reṅgne wāle aur dīgar makrūh jānwar balki Isrāīlī qaum ke tamām but un par nazar āe.
Ezek UrduGeoR 8:11  Isrāīlī qaum ke 70 buzurg baḳhūrdān pakaṛe un ke sāmne khaṛe the. Baḳhūrdānoṅ meṅ se baḳhūr kā ḳhushbūdār dhuāṅ uṭh rahā thā. Yāzaniyāh bin Sāfan bhī buzurgoṅ meṅ shāmil thā.
Ezek UrduGeoR 8:12  Rab mujh se hamkalām huā, “Ai ādamzād, kyā tū ne dekhā ki Isrāīlī qaum ke buzurg andhere meṅ kyā kuchh kar rahe haiṅ? Har ek ne apne ghar meṅ apne butoṅ ke lie kamrā maḳhsūs kar rakhā hai. Kyoṅki wuh samajhte haiṅ, ‘Ham Rab ko nazar nahīṅ āte, us ne hamāre mulk ko tark kar diyā hai.’
Ezek UrduGeoR 8:13  Lekin ā, maiṅ tujhe is se bhī zyādā qābil-e-ghin harkateṅ dikhātā hūṅ.”
Ezek UrduGeoR 8:14  Wuh mujhe Rab ke ghar ke andarūnī sahan ke shimālī darwāze ke pās le gayā. Wahāṅ aurateṅ baiṭhī thīṅ jo ro ro kar Tammūz Dewatā kā mātam kar rahī thīṅ.
Ezek UrduGeoR 8:15  Rab ne sawāl kiyā, “Ādamzād, kyā tujhe yih nazar ātā hai? Lekin ā, maiṅ tujhe is se bhī zyādā qābil-e-ghin harkateṅ dikhātā hūṅ.”
Ezek UrduGeoR 8:16  Wuh mujhe Rab ke ghar ke andarūnī sahan meṅ le gayā. Rab ke ghar ke darwāze par yānī sāmne wāle barāmde aur qurbāngāh ke darmiyān hī 25 ādmī khaṛe the. Un kā ruḳh Rab ke ghar kī taraf nahīṅ balki mashriq kī taraf thā, aur wuh sūraj ko sijdā kar rahe the.
Ezek UrduGeoR 8:17  Rab ne farmāyā, “Ai ādamzād, kyā tujhe yih nazar ātā hai? Aur yih makrūh harkateṅ bhī Yahūdāh ke bāshindoṅ ke lie kāfī nahīṅ haiṅ balki wuh pūre mulk ko zulm-o-tashaddud se bhar kar mujhe mushta'il karne ke lie koshāṅ rahte haiṅ. Dekh, ab wuh apnī nākoṅ ke sāmne angūr kī bel lahrā kar butparastī kī ek aur rasm adā kar rahe haiṅ!
Ezek UrduGeoR 8:18  Chunāṅche maiṅ apnā ġhazab un par nāzil karūṅga. Na maiṅ un par tars khāūṅgā, na rahm karūṅga. Ḳhāh wuh madad ke lie kitne zor se kyoṅ na chīḳheṅ maiṅ un kī nahīṅ sunūṅgā.”
Chapter 9
Ezek UrduGeoR 9:1  Phir maiṅ ne Allāh kī buland āwāz sunī, “Yarūshalam kī adālat qarīb ā gaī hai! Āo, har ek apnā tabāhkun hathiyār pakaṛ kar khaṛā ho jāe!”
Ezek UrduGeoR 9:2  Tab chhih ādmī Rab ke ghar ke shimālī darwāze meṅ dāḳhil hue. Har ek apnā tabāhkun hathiyār thāme chal rahā thā. Un ke sāth ek aur ādmī thā jis kā libās katān kā thā. Us ke paṭke se kātib kā sāmān laṭkā huā thā. Yih ādmī qarīb ā kar pītal kī qurbāngāh ke pās khaṛe ho gae.
Ezek UrduGeoR 9:3  Isrāīl ke Ḳhudā kā jalāl ab tak karūbī farishtoṅ ke ūpar ṭhahrā huā thā. Ab wuh wahāṅ se uṛ kar Rab ke ghar kī dahlīz ke pās ruk gayā. Phir Rab katān se mulabbas us mard se hamkalām huā jis ke paṭke se kātib kā sāmān laṭkā huā thā.
Ezek UrduGeoR 9:4  Us ne farmāyā, “Jā, Yarūshalam Shahr meṅ se guzar kar har ek ke māthe par nishān lagā de jo bāshindoṅ kī tamām makrūh harkatoṅ ko dekh kar āh-o-zārī kartā hai.”
Ezek UrduGeoR 9:5  Mere sunte sunte Rab ne dīgar ādmiyoṅ se kahā, “Pahle ādmī ke pīchhe pīchhe chal kar logoṅ ko mār ḍālo! Na kisī par tars khāo, na rahm karo
Ezek UrduGeoR 9:6  balki buzurgoṅ ko kuṅwāre-kuṅwāriyoṅ aur bāl-bachchoṅ samet maut ke ghāṭ utāro. Sirf unheṅ chhoṛnā jin ke māthe par nishān hai. Mere maqdis se shurū karo!” Chunāṅche ādmiyoṅ ne un buzurgoṅ se shurū kiyā jo Rab ke ghar ke sāmne khaṛe the.
Ezek UrduGeoR 9:7  Phir Rab un se dubārā hamkalām huā, “Rab ke ghar ke sahnoṅ ko maqtūloṅ se bhar kar us kī behurmatī karo, phir wahāṅ se nikal jāo!” Wuh nikal gae aur shahr meṅ se guzar kar logoṅ ko mār ḍālne lage.
Ezek UrduGeoR 9:8  Rab ke ghar ke sahan meṅ sirf mujhe hī zindā chhoṛā gayā thā. Maiṅ aundhe muṅh gir kar chīḳh uṭhā, “Ai Rab Qādir-e-mutlaq, kyā tū Yarūshalam par apnā ġhazab nāzil karke Isrāīl ke tamām bache huoṅ ko maut ke ghāṭ utāregā?”
Ezek UrduGeoR 9:9  Rab ne jawāb diyā, “Isrāīl aur Yahūdāh ke logoṅ kā qusūr nihāyat hī sangīn hai. Mulk meṅ qatl-o-ġhārat ām hai, aur shahr nāinsāfī se bhar gayā hai. Kyoṅki log kahte haiṅ, ‘Rab ne mulk ko tark kiyā hai, ham use nazar hī nahīṅ āte.’
Ezek UrduGeoR 9:10  Is lie na maiṅ un par tars khāūṅgā, na rahm karūṅga balki un kī harkatoṅ kī munāsib sazā un ke saroṅ par lāūṅgā.”
Ezek UrduGeoR 9:11  Phir katān se mulabbas wuh ādmī lauṭ āyā jis ke paṭke se kātib kā sāmān laṭkā huā thā. Us ne ittalā dī, “Jo kuchh tū ne farmāyā wuh maiṅ ne pūrā kiyā hai.”
Chapter 10
Ezek UrduGeoR 10:1  Maiṅ ne us gumbad par nazar ḍālī jo karūbī farishtoṅ ke saroṅ ke ūpar phailī huī thī. Us par sang-e-lājaward kā taḳht-sā nazar āyā.
Ezek UrduGeoR 10:2  Rab ne katān se mulabbas mard se farmāyā, “Karūbī farishtoṅ ke nīche lage pahiyoṅ ke bīch meṅ jā. Wahāṅ se do muṭṭhī-bhar koele le kar shahr par bikher de.” Ādmī mere deḳhte deḳhte farishtoṅ ke bīch meṅ chalā gayā.
Ezek UrduGeoR 10:3  Us waqt karūbī farishte Rab ke ghar ke junūb meṅ khaṛe the, aur andarūnī sahan bādal se bharā huā thā.
Ezek UrduGeoR 10:4  Phir Rab kā jalāl jo karūbī farishtoṅ ke ūpar ṭhahrā huā thā wahāṅ se uṭh kar Rab ke ghar kī dahlīz par ruk gayā. Pūrā makān bādal se bhar gayā balki sahan bhī Rab ke jalāl kī āb-o-tāb se bhar gayā.
Ezek UrduGeoR 10:5  Karūbī farishte apne paroṅ ko itne zor se phaṛphaṛā rahe the ki us kā shor bairūnī sahan tak sunāī de rahā thā. Yoṅ lag rahā thā ki Qādir-e-mutlaq Ḳhudā bol rahā hai.
Ezek UrduGeoR 10:6  Jab Rab ne katān se mulabbas ādmī ko hukm diyā ki karūbī farishtoṅ ke pahiyoṅ ke bīch meṅ se jalte hue koele le to wuh un ke darmiyān chal kar ek pahie ke pās khaṛā huā.
Ezek UrduGeoR 10:7  Phir karūbī farishtoṅ meṅ se ek ne apnā hāth baṛhā kar bīch meṅ jalne wāle koeloṅ meṅ se kuchh le liyā aur ādmī ke hāthoṅ meṅ ḍāl diyā. Katān se mulabbas yih ādmī koele le kar chalā gayā.
Ezek UrduGeoR 10:8  Maiṅ ne dekhā ki karūbī farishtoṅ ke paroṅ ke nīche kuchh hai jo insānī hāth jaisā lag rahā hai.
Ezek UrduGeoR 10:9  Har farishte ke pās ek pahiyā thā. Pukhrāj se bane yih chār pahie
Ezek UrduGeoR 10:10  ek jaise the. Har pahie ke andar ek aur pahiyā zāwiyā-e-qāymā meṅ ghūm rahā thā,
Ezek UrduGeoR 10:11  is lie yih muṛe baġhair har ruḳh iḳhtiyār kar sakte the. Jis taraf ek chal paṛtā us taraf bāqī bhī muṛe baġhair chalne lagte.
Ezek UrduGeoR 10:12  Farishtoṅ ke jismoṅ kī har jagah par āṅkheṅ hī āṅkheṅ thīṅ. Āṅkheṅ na sirf sāmne nazar āīṅ balki un kī pīṭh, hāthoṅ aur paroṅ par bhī balki chāroṅ pahiyoṅ par bhī.
Ezek UrduGeoR 10:13  To bhī yih pahie hī the, kyoṅki maiṅ ne ḳhud sunā ki un ke lie yihī nām istemāl huā.
Ezek UrduGeoR 10:14  Har farishte ke chār chehre the. Pahlā chehrā karūbī kā, dūsrā ādmī kā, tīsrā sherbabar kā aur chauthā uqāb kā chehrā thā.
Ezek UrduGeoR 10:15  Phir karūbī farishte uṛ gae. Wuhī jāndār the jinheṅ maiṅ Dariyā-e-Kibār ke kināre dekh chukā thā.
Ezek UrduGeoR 10:16  Jab farishte harkat meṅ ā jāte to pahie bhī chalne lagte, aur jab farishte phaṛphaṛā kar uṛne lagte to pahie bhī un ke sāth uṛne lagte.
Ezek UrduGeoR 10:17  Farishtoṅ ke rukne par pahie ruk jāte, aur un ke uṛne par yih bhī uṛ jāte, kyoṅki jāndāroṅ kī rūh un meṅ thī.
Ezek UrduGeoR 10:18  Phir Rab kā jalāl apne ghar kī dahlīz se haṭ gayā aur dubārā karūbī farishtoṅ ke ūpar ā kar ṭhahar gayā.
Ezek UrduGeoR 10:19  Mere deḳhte deḳhte farishte apne paroṅ ko phailā kar chal paṛe. Chalte chalte wuh Rab ke ghar ke mashriqī darwāze ke pās ruk gae. Ḳhudā-e-Isrāīl kā jalāl un ke ūpar ṭhahrā rahā.
Ezek UrduGeoR 10:20  Wuhī jāndār the jinheṅ maiṅ ne Dariyā-e-Kibār ke kināre Ḳhudā-e-Isrāīl ke nīche dekhā thā. Maiṅ ne jān liyā ki yih karūbī farishte haiṅ.
Ezek UrduGeoR 10:21  Har ek ke chār chehre aur chār par the, aur paroṅ ke nīche kuchh nazar āyā jo insānī hāthoṅ kī mānind thā.
Ezek UrduGeoR 10:22  Un ke chehroṅ kī shakl-o-sūrat un chehroṅ kī mānind thī jo maiṅ ne Dariyā-e-Kibār ke kināre dekhe the. Chalte waqt har jāndār sīdhā apne kisī ek chehre kā ruḳh iḳhtiyār kartā thā.
Chapter 11
Ezek UrduGeoR 11:1  Tab Rūh mujhe uṭhā kar Rab ke ghar ke mashriqī darwāze ke pās le gayā. Wahāṅ darwāze par 25 mard khaṛe the. Maiṅ ne dekhā ki qaum ke do buzurg Yāzaniyāh bin Azzūr aur Falatiyāh bin Bināyāh bhī un meṅ shāmil haiṅ.
Ezek UrduGeoR 11:2  Rab ne farmāyā, “Ai ādamzād, yih wuhī mard haiṅ jo sharīr mansūbe bāndh rahe aur Yarūshalam meṅ bure mashware de rahe haiṅ.
Ezek UrduGeoR 11:3  Yih kahte haiṅ, ‘Āne wāle dinoṅ meṅ ghar tāmīr karne kī zarūrat nahīṅ. Hamārā shahr to deg hai jabki ham us meṅ pakne wālā behtarīn gosht haiṅ.’
Ezek UrduGeoR 11:4  Ādamzād, chūṅki wuh aisī bāteṅ karte haiṅ is lie nabuwwat kar! Un ke ḳhilāf nabuwwat kar!”
Ezek UrduGeoR 11:5  Tab Rab kā Rūh mujh par ā ṭhahrā, aur us ne mujhe yih pesh karne ko kahā, “Rab farmātā hai, ‘Ai Isrāīlī qaum, tum is qism kī bāteṅ karte ho. Maiṅ to un ḳhayālāt se ḳhūb wāqif hūṅ jo tumhāre diloṅ se ubharte rahte haiṅ.
Ezek UrduGeoR 11:6  Tum ne is shahr meṅ muta'addid logoṅ ko qatl karke us kī galiyoṅ ko lāshoṅ se bhar diyā hai.’
Ezek UrduGeoR 11:7  Chunāṅche Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai, ‘Beshak shahr deg hai, lekin tum us meṅ pakne wālā achchhā gosht nahīṅ hoge balki wuhī jin ko tum ne us ke darmiyān qatl kiyā hai. Tumheṅ maiṅ is shahr se nikāl dūṅgā.
Ezek UrduGeoR 11:8  Jis talwār se tum ḍarte ho, usī ko maiṅ tum par nāzil karūṅga.’ Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.
Ezek UrduGeoR 11:9  ‘Maiṅ tumheṅ shahr se nikālūṅgā aur pardesiyoṅ ke hawāle karke tumhārī adālat karūṅga.
Ezek UrduGeoR 11:10  Tum talwār kī zad meṅ ā kar mar jāoge. Isrāīl kī hudūd par hī maiṅ tumhārī adālat karūṅga. Tab tum jān loge ki maiṅ hī Rab hūṅ.
Ezek UrduGeoR 11:11  Chunāṅche na Yarūshalam Shahr tumhāre lie deg hogā, na tum us meṅ behtarīn gosht hoge balki maiṅ Isrāīl kī hudūd hī par tumhārī adālat karūṅga.
Ezek UrduGeoR 11:12  Tab tum jān loge ki maiṅ hī Rab hūṅ, jis ke ahkām ke mutābiq tum ne zindagī nahīṅ guzārī. Kyoṅki tum ne mere usūloṅ kī pairawī nahīṅ kī balki apnī paṛosī qaumoṅ ke usūloṅ kī.’”
Ezek UrduGeoR 11:13  Maiṅ abhī is peshgoī kā elān kar rahā thā ki Falatiyāh bin Bināyāh faut huā. Yih dekh kar maiṅ muṅh ke bal gir gayā aur buland āwāz se chīḳh uṭhā, “Hāy, hāy! Ai Rab Qādir-e-mutlaq, kyā tū Isrāīl ke bache-khuche hisse ko sarāsar miṭānā chāhtā hai?”
Ezek UrduGeoR 11:15  “Ai ādamzād, Yarūshalam ke bāshinde tere bhāiyoṅ, tere rishtedāroṅ aur Bābal meṅ jilāwatan hue tamām Isrāīliyoṅ ke bāre meṅ kah rahe haiṅ, ‘Yih log Rab se kahīṅ dūr ho gae haiṅ, ab Isrāīl hamāre hī qabze meṅ hai.’
Ezek UrduGeoR 11:16  Jo is qism kī bāteṅ karte haiṅ unheṅ jawāb de, ‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki jī hāṅ, maiṅ ne unheṅ dūr dūr bhagā diyā, aur ab wuh dīgar qaumoṅ ke darmiyān hī rahte haiṅ. Maiṅ ne ḳhud unheṅ muḳhtalif mamālik meṅ muntashir kar diyā, aise ilāqoṅ meṅ jahāṅ unheṅ maqdis meṅ mere huzūr āne kā mauqā thoṛā hī miltā hai.
Ezek UrduGeoR 11:17  Lekin Rab Qādir-e-mutlaq yih bhī farmātā hai, maiṅ tumheṅ dīgar qaumoṅ meṅ se nikāl lūṅgā, tumheṅ un mulkoṅ se jamā karūṅga jahāṅ maiṅ ne tumheṅ muntashir kar diyā thā. Tab maiṅ tumheṅ Mulk-e-Isrāīl dubārā atā karūṅga.
Ezek UrduGeoR 11:18  Phir wuh yahāṅ ā kar tamām makrūh but aur ghinaunī chīzeṅ dūr kareṅge.
Ezek UrduGeoR 11:19  Us waqt maiṅ unheṅ nayā dil baḳhsh kar un meṅ naī rūh ḍālūṅgā. Maiṅ un kā sangīn dil nikāl kar unheṅ gosht-post kā narm dil atā karūṅga.
Ezek UrduGeoR 11:20  Tab wuh mere ahkām ke mutābiq zindagī guzāreṅge aur dhyān se merī hidāyāt par amal kareṅge. Wuh merī qaum hoṅge, aur maiṅ un kā Ḳhudā hūṅgā.
Ezek UrduGeoR 11:21  Lekin jin logoṅ ke dil un ke ghinaune butoṅ se lipṭe rahte haiṅ un ke sar par maiṅ un ke ġhalat kām kā munāsib ajr lāūṅgā. Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.’”
Ezek UrduGeoR 11:22  Phir karūbī farishtoṅ ne apne paroṅ ko phailāyā, un ke pahie harkat meṅ ā gae aur Ḳhudā-e-Isrāīl kā jalāl jo un ke ūpar thā
Ezek UrduGeoR 11:23  uṭh kar shahr se nikal gayā. Chalte chalte wuh Yarūshalam ke mashriq meṅ wāqe pahāṛ par ṭhahar gayā.
Ezek UrduGeoR 11:24  Allāh ke Rūh kī atākardā is royā meṅ Rūh mujhe uṭhā kar Mulk-e-Bābal ke jilāwatanoṅ ke pās wāpas le gayā. Phir royā ḳhatm huī,
Ezek UrduGeoR 11:25  aur maiṅ ne jilāwatanoṅ ko sab kuchh sunāyā jo Rab ne mujhe dikhāyā thā.
Chapter 12
Ezek UrduGeoR 12:2  “Ai ādamzād, tū ek sarkash qaum ke darmiyān rahtā hai. Go un kī āṅkheṅ haiṅ to bhī kuchh nahīṅ deḳhte, go un ke kān haiṅ to bhī kuchh nahīṅ sunte. Kyoṅki yih qaum haṭdharm hai.
Ezek UrduGeoR 12:3  Ai ādamzād, ab apnā sāmān yoṅ lapeṭ le jis tarah tujhe jilāwatan kiyā jā rahā ho. Phir din ke waqt aur un ke deḳhte deḳhte ghar se rawānā ho kar kisī aur jagah chalā jā. Shāyad unheṅ samajh āe ki unheṅ jilāwatan honā hai, hālāṅki yih qaum sarkash hai.
Ezek UrduGeoR 12:4  Din ke waqt un ke deḳhte deḳhte apnā sāmān ghar se nikāl le, yoṅ jaise tū jilāwatanī ke lie taiyāriyāṅ kar rahā ho. Phir shām ke waqt un kī maujūdagī meṅ jilāwatan kā-sā kirdār adā karke rawānā ho jā.
Ezek UrduGeoR 12:5  Ghar se nikalne ke lie dīwār meṅ sūrāḳh banā, phir apnā sārā sāmān us meṅ se bāhar le jā. Sab is ke gawāh hoṅ.
Ezek UrduGeoR 12:6  Un ke deḳhte deḳhte andhere meṅ apnā sāmān kandhe par rakh kar wahāṅ se nikal jā. Lekin apnā muṅh ḍhāṅp le tāki tū mulk ko dekh na sake. Lāzim hai ki tū yih sab kuchh kare, kyoṅki maiṅ ne muqarrar kiyā hai ki tū Isrāīlī qaum ko āgāh karne kā nishān ban jāe.”
Ezek UrduGeoR 12:7  Maiṅ ne waisā hī kiyā jaisā Rab ne mujhe hukm diyā thā. Maiṅ ne apnā sāmān yoṅ lapeṭ liyā jaise mujhe jilāwatan kiyā jā rahā ho. Din ke waqt maiṅ use ghar se bāhar le gayā, shām ko maiṅ ne apne hāthoṅ se dīwār meṅ sūrāḳh banā liyā. Logoṅ ke deḳhte deḳhte maiṅ sāmān ko apne kandhe par uṭhā kar wahāṅ se nikal āyā. Utne meṅ andherā ho gayā thā.
Ezek UrduGeoR 12:8  Subah ke waqt Rab kā kalām mujh par nāzil huā,
Ezek UrduGeoR 12:9  “Ai ādamzād, is haṭdharm qaum Isrāīl ne tujh se pūchhā ki tū kyā kar rahā hai?
Ezek UrduGeoR 12:10  Unheṅ jawāb de, ‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki is paiġhām kā tālluq Yarūshalam ke ra'īs aur shahr meṅ basne wāle tamām Isrāīliyoṅ se hai.’
Ezek UrduGeoR 12:11  Unheṅ batā, ‘Maiṅ tumheṅ āgāh karne kā nishān hūṅ. Jo kuchh maiṅ ne kiyā wuh tumhāre sāth ho jāegā. Tum qaidī ban kar jilāwatan ho jāoge.
Ezek UrduGeoR 12:12  Jo ra'īs tumhāre darmiyān hai wuh andhere meṅ apnā sāmān kandhe par uṭhā kar chalā jāegā. Dīwār meṅ sūrāḳh banāyā jāegā tāki wuh nikal sake. Wuh apnā muṅh ḍhāṅp legā tāki mulk ko na dekh sake.
Ezek UrduGeoR 12:13  Lekin maiṅ apnā jāl us par ḍāl dūṅgā, aur wuh mere phande meṅ phaṅs jāegā. Maiṅ use Bābal lāūṅgā jo Bābliyoṅ ke mulk meṅ hai, agarche wuh use apnī āṅkhoṅ se nahīṅ dekhegā. Wahīṅ wuh wafāt pāegā.
Ezek UrduGeoR 12:14  Jitne bhī mulāzim aur daste us ke irdgird hoṅge un sab ko maiṅ hawā meṅ uṛā kar chāroṅ taraf muntashir kar dūṅgā. Apnī talwār ko miyān se khīṅch kar maiṅ un ke pīchhe paṛā rahūṅgā.
Ezek UrduGeoR 12:15  Jab maiṅ unheṅ dīgar aqwām aur muḳhtalif mamālik meṅ muntashir karūṅga to wuh jān leṅge ki maiṅ hī Rab hūṅ.
Ezek UrduGeoR 12:16  Lekin maiṅ un meṅ se chand ek ko bachā kar talwār, kāl aur mohlak wabā kī zad meṅ nahīṅ āne dūṅgā. Kyoṅki lāzim hai ki jin aqwām meṅ bhī wuh jā baseṅ wahāṅ wuh apnī makrūh harkateṅ bayān kareṅ. Tab yih aqwām bhī jān leṅgī ki maiṅ hī Rab hūṅ.’”
Ezek UrduGeoR 12:18  “Ai ādamzād, khānā khāte waqt apnī roṭī ko larazte hue khā aur apne pānī ko pareshānī ke māre thartharāte hue pī.
Ezek UrduGeoR 12:19  Sāth sāth ummat ko batā, ‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki Mulk-e-Isrāīl ke shahr Yarūshalam ke bāshinde pareshānī meṅ apnā khānā khāeṅge aur dahshatzadā hālat meṅ apnā pānī pieṅge, kyoṅki un kā mulk tabāh aur har barkat se ḳhālī ho jāegā. Aur sabab us ke bāshindoṅ kā zulm-o-tashaddud hogā.
Ezek UrduGeoR 12:20  Jin shahroṅ meṅ log ab tak ābād haiṅ wuh barbād ho jāeṅge, mulk wīrān-o-sunsān ho jāegā. Tab tum jān loge ki maiṅ hī Rab hūṅ.’”
Ezek UrduGeoR 12:22  “Ai ādamzād, yih kaisī kahāwat hai jo Mulk-e-Isrāīl meṅ ām ho gaī hai? Log kahte haiṅ, ‘Jyoṅ jyoṅ din guzarte jāte haiṅ tyoṅ tyoṅ har royā ġhalat sābit hotī jātī hai.’
Ezek UrduGeoR 12:23  Jawāb meṅ unheṅ batā, ‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki maiṅ is kahāwat ko ḳhatm karūṅga, āindā yih Isrāīl meṅ istemāl nahīṅ hogī.’ Unheṅ yih bhī batā, ‘Wuh waqt qarīb hī hai jab har royā pūrī ho jāegī.
Ezek UrduGeoR 12:24  Kyoṅki āindā Isrāīlī qaum meṅ na farebdeh royā, na chāplūsī kī peshgoiyāṅ pāī jāeṅgī.
Ezek UrduGeoR 12:25  Kyoṅki maiṅ Rab hūṅ. Jo kuchh maiṅ farmātā hūṅ wuh wujūd meṅ ātā hai. Ai sarkash qaum, der nahīṅ hogī balki tumhāre hī aiyām meṅ maiṅ bāt bhī karūṅga aur use pūrā bhī karūṅga.’ Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.”
Ezek UrduGeoR 12:27  “Ai ādamzād, Isrāīlī qaum tere bāre meṅ kahtī hai, ‘Jo royā yih ādmī deḳhtā hai wuh baṛī der ke bād hī pūrī hogī, us kī peshgoiyāṅ dūr ke mustaqbil ke bāre meṅ haiṅ.’
Ezek UrduGeoR 12:28  Lekin unheṅ jawāb de, ‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki jo kuchh bhī maiṅ farmātā hūṅ us meṅ mazīd der nahīṅ hogī balki wuh jald hī pūrā hogā.’ Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.”
Chapter 13
Ezek UrduGeoR 13:2  “Ai ādamzād, Isrāīl ke nām-nihād nabiyoṅ ke ḳhilāf nabuwwat kar! Jo nabuwwat karte waqt apne diloṅ se ubharne wālī bāteṅ hī pesh karte haiṅ, un se kah, ‘Rab kā farmān suno!
Ezek UrduGeoR 13:3  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki un ahmaq nabiyoṅ par afsos jinheṅ apnī hī rūh se tahrīk miltī hai aur jo haqīqat meṅ royā nahīṅ deḳhte.
Ezek UrduGeoR 13:4  Ai Isrāīl, tere nabī khanḍarāt meṅ lomṛiyoṅ kī tarah āwārā phir rahe haiṅ.
Ezek UrduGeoR 13:5  Na koī dīwār ke raḳhnoṅ meṅ khaṛā huā, na kisī ne us kī marammat kī tāki Isrāīlī qaum Rab ke us din qāym rah sake jab jang chhiṛ jāegī.
Ezek UrduGeoR 13:6  Un kī royāeṅ dhokā hī dhokā, un kī peshgoiyāṅ jhūṭ hī jhūṭ haiṅ. Wuh kahte haiṅ, “Rab farmātā hai” go Rab ne unheṅ nahīṅ bhejā. Tājjub kī bāt hai ki to bhī wuh tawaqqo karte haiṅ ki maiṅ un kī peshgoiyāṅ pūrī hone dūṅ!
Ezek UrduGeoR 13:7  Haqīqat meṅ tumhārī royāeṅ dhokā hī dhokā aur tumhārī peshgoiyāṅ jhūṭ hī jhūṭ haiṅ. To bhī tum kahte ho, “Rab farmātā hai” hālāṅki maiṅ ne kuchh nahīṅ farmāyā.
Ezek UrduGeoR 13:8  Chunāṅche Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki maiṅ tumhārī farebdeh bātoṅ aur jhūṭī royāoṅ kī wajah se tum se nipaṭ lūṅgā. Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.
Ezek UrduGeoR 13:9  Maiṅ apnā hāth un nabiyoṅ ke ḳhilāf baṛhā dūṅgā jo dhoke kī royāeṅ deḳhte aur jhūṭī peshgoiyāṅ sunāte haiṅ. Na wuh merī qaum kī majlis meṅ sharīk hoṅge, na Isrāīlī qaum kī fahristoṅ meṅ darj hoṅge. Mulk-e-Isrāīl meṅ wuh kabhī dāḳhil nahīṅ hoṅge. Tab tum jān loge ki maiṅ Rab Qādir-e-mutlaq hūṅ.
Ezek UrduGeoR 13:10  Wuh merī qaum ko ġhalat rāh par lā kar amn-o-amān kā elān karte haiṅ agarche amn-o-amān hai nahīṅ. Jab qaum apne lie kachchī-sī dīwār banā letī hai to yih nabī us par safedī pher dete haiṅ.
Ezek UrduGeoR 13:11  Lekin ai safedī karne wālo, ḳhabardār! Yih dīwār gir jāegī. Mūslādhār bārish barsegī, ole paṛeṅge aur saḳht āṅdhī us par ṭūṭ paṛegī.
Ezek UrduGeoR 13:12  Tab dīwār gir jāegī, aur log tanzan tum se pūchheṅge ki ab wuh safedī kahāṅ hai jo tum ne dīwār par pherī thī?
Ezek UrduGeoR 13:13  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki maiṅ taish meṅ ā kar dīwār par zabardast āṅdhī āne dūṅgā, ġhusse meṅ us par mūslādhār bārish aur mohlak ole barsā dūṅgā.
Ezek UrduGeoR 13:14  Maiṅ us dīwār ko ḍhā dūṅgā jis par tum ne safedī pherī thī, use ḳhāk meṅ yoṅ milā dūṅgā ki us kī buniyād nazar āegī. Aur jab wuh gir jāegī to tum bhī us kī zad meṅ ā kar tabāh ho jāoge. Tab tum jān loge ki maiṅ hī Rab hūṅ.
Ezek UrduGeoR 13:15  Yoṅ maiṅ dīwār aur us kī safedī karne wāloṅ par apnā ġhussā utārūṅga. Tab maiṅ tum se kahūṅgā ki dīwār bhī ḳhatm hai aur us kī safedī karne wāle bhī,
Ezek UrduGeoR 13:16  yānī Isrāīl ke wuh nabī jinhoṅ ne Yarūshalam ko aisī peshgoiyāṅ aur royāeṅ sunāīṅ jin ke mutābiq amn-o-amān kā daur qarīb hī hai, hālāṅki amn-o-amān kā imkān hī nahīṅ. Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.’
Ezek UrduGeoR 13:17  Ai ādamzād, ab apnī qaum kī un beṭiyoṅ kā sāmnā kar jo nabuwwat karte waqt wuhī bāteṅ pesh kartī haiṅ jo un ke diloṅ se ubhar ātī haiṅ. Un ke ḳhilāf nabuwwat karke
Ezek UrduGeoR 13:18  kah, ‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki un auratoṅ par afsos jo tamām logoṅ ke lie kalāī se bāndhne wāle tāwīz sī letī haiṅ, jo logoṅ ko phaṅsāne ke lie chhoṭoṅ aur baṛoṅ ke saroṅ ke lie parde banā letī haiṅ. Ai aurato, kyā tum wāqaī samajhtī ho ki merī qaum meṅ se bāz ko phāṅs saktī aur bāz ko apne lie zindā chhoṛ saktī ho?
Ezek UrduGeoR 13:19  Merī qaum ke darmiyān hī tum ne merī behurmatī kī, aur yih sirf chand ek muṭṭhī-bhar jau aur roṭī ke do chār ṭukṛoṅ ke lie. Afsos, merī qaum jhūṭ sunanā pasand kartī hai. Is se fāydā uṭhā kar tum ne use jhūṭ pesh karke unheṅ mār ḍālā jinheṅ marnā nahīṅ thā aur unheṅ zindā chhoṛā jinheṅ zindā nahīṅ rahnā thā.
Ezek UrduGeoR 13:20  Is lie Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki maiṅ tumhāre tāwīzoṅ se nipaṭ lūṅgā jin ke zariye tum logoṅ ko parindoṅ kī tarah pakaṛ letī ho. Maiṅ jādūgarī kī yih chīzeṅ tumhāre bāzuoṅ se noch kar phāṛ ḍālūṅgā aur unheṅ rihā karūṅga jinheṅ tum ne parindoṅ kī tarah pakaṛ liyā hai.
Ezek UrduGeoR 13:21  Maiṅ tumhāre pardoṅ ko phāṛ kar haṭā lūṅgā aur apnī qaum ko tumhāre hāthoṅ se bachā lūṅgā. Āindā wuh tumhārā shikār nahīṅ rahegī. Tab tum jān logī ki maiṅ hī Rab hūṅ.
Ezek UrduGeoR 13:22  Tum ne apne jhūṭ se rāstbāzoṅ ko dukh pahuṅchāyā, hālāṅki yih dukh merī taraf se nahīṅ thā. Sāth sāth tum ne bedīnoṅ kī hauslā-afzāī kī ki wuh apnī burī rāhoṅ se bāz na āeṅ, hālāṅki wuh bāz āne se bach jāte.
Ezek UrduGeoR 13:23  Is lie āindā na tum farebdeh royā dekhogī, na dūsroṅ kī qismat kā hāl batāogī. Maiṅ apnī qaum ko tumhāre hāthoṅ se chhuṭkārā dūṅgā. Tab tum jān logī ki maiṅ hī Rab hūṅ.’”
Chapter 14
Ezek UrduGeoR 14:1  Isrāīl ke kuchh buzurg mujh se milne āe aur mere sāmne baiṭh gae.
Ezek UrduGeoR 14:3  “Ai ādamzād, in ādmiyoṅ ke dil apne butoṅ se lipṭe rahte haiṅ. Jo chīzeṅ un ke lie ṭhokar aur gunāh kā bāis haiṅ unheṅ unhoṅ ne apne muṅh ke sāmne hī rakhā hai. To phir kyā munāsib hai ki maiṅ unheṅ jawāb dūṅ jab wuh mujh se dariyāft karne āte haiṅ?
Ezek UrduGeoR 14:4  Unheṅ batā, ‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai, yih log apne butoṅ se lipṭe rahte aur wuh chīzeṅ apne muṅh ke sāmne rakhte haiṅ jo ṭhokar aur gunāh kā bāis haiṅ. Sāth sāth yih nabī ke pās bhī jāte haiṅ tāki mujh se mālūmāt hāsil kareṅ. Jo bhī Isrāīlī aisā kare use maiṅ ḳhud jo Rab hūṅ jawāb dūṅgā, aisā jawāb jo us ke muta'addid butoṅ ke ain mutābiq hogā.
Ezek UrduGeoR 14:5  Maiṅ un se aisā sulūk karūṅga tāki Isrāīlī qaum ke dil ko mazbūtī se pakaṛ lūṅ. Kyoṅki apne butoṅ kī ḳhātir sab ke sab mujh se dūr ho gae haiṅ.’
Ezek UrduGeoR 14:6  Chunāṅche Isrāīlī qaum ko batā, ‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki taubā karo! Apne butoṅ aur tamām makrūh rasm-o-riwāj se muṅh moṛ kar mere pās wāpas ā jāo.
Ezek UrduGeoR 14:7  Us ke anjām par dhyān do jo aisā nahīṅ karegā, ḳhāh wuh Isrāīlī yā Isrāīl meṅ rahne wālā pardesī ho. Agar wuh mujh se dūr ho kar apne butoṅ se lipaṭ jāe aur wuh chīzeṅ apne sāmne rakhe jo ṭhokar aur gunāh kā bāis haiṅ to jab wuh nabī kī mārifat mujh se mālūmāt hāsil karne kī koshish karegā to maiṅ, Rab use munāsib jawāb dūṅgā.
Ezek UrduGeoR 14:8  Maiṅ aise shaḳhs kā sāmnā karke us se yoṅ nipaṭ lūṅgā ki wuh dūsroṅ ke lie ibratangez misāl ban jāegā. Maiṅ use yoṅ miṭā dūṅgā ki merī qaum meṅ us kā nām-o-nishān tak nahīṅ rahegā. Tab tum jān loge ki maiṅ hī Rab hūṅ.
Ezek UrduGeoR 14:9  Agar kisī nabī ko kuchh sunāne par uksāyā gayā jo merī taraf se nahīṅ thā to yih is lie huā ki maiṅ, Rab ne ḳhud use uksāyā. Aise nabī ke ḳhilāf maiṅ apnā hāth uṭhā kar use yoṅ tabāh karūṅga ki merī qaum meṅ us kā nām-o-nishān tak nahīṅ rahegā.
Ezek UrduGeoR 14:10  Donoṅ ko un ke qusūr kī munāsib sazā milegī, nabī ko bhī aur use bhī jo hidāyat pāne ke lie us ke pās ātā hai.
Ezek UrduGeoR 14:11  Tab Isrāīlī qaum na mujh se dūr ho kar āwārā phiregī, na apne āp ko in tamām gunāhoṅ se ālūdā karegī. Wuh merī qaum hoṅge, aur maiṅ un kā Ḳhudā hūṅgā. Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.’”
Ezek UrduGeoR 14:13  “Ai ādamzād, farz kar ki koī mulk bewafā ho kar merā gunāh kare, aur maiṅ kāl ke zariye use sazā de kar us meṅ se insān-o-haiwān miṭā ḍālūṅ.
Ezek UrduGeoR 14:14  Ḳhāh mulk meṅ Nūh, Dānyāl aur Ayyūb kyoṅ na baste to bhī mulk na bachtā. Yih ādmī apnī rāstbāzī se sirf apnī hī jānoṅ ko bachā sakte. Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.
Ezek UrduGeoR 14:15  Yā farz kar ki maiṅ mazkūrā mulk meṅ wahshī darindoṅ ko bhej dūṅ jo idhar-udhar phir kar sab ko phāṛ khāeṅ. Mulk wīrān-o-sunsān ho jāe aur janglī darindoṅ kī wajah se koī us meṅ se guzarne kī jurrat na kare.
Ezek UrduGeoR 14:16  Merī hayāt kī qasam, ḳhāh mazkūrā tīn rāstbāz ādmī mulk meṅ kyoṅ na baste to bhī akele hī bachte. Wuh apne beṭe-beṭiyoṅ ko bhī bachā na sakte balki pūrā mulk wīrān-o-sunsān hotā. Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.
Ezek UrduGeoR 14:17  Yā farz kar ki maiṅ mazkūrā mulk ko jang se tabāh karūṅ, maiṅ talwār ko hukm dūṅ ki mulk meṅ se guzar kar insān-o-haiwān ko nest-o-nābūd kar de.
Ezek UrduGeoR 14:18  Merī hayāt kī qasam, ḳhāh mazkūrā tīn rāstbāz ādmī mulk meṅ kyoṅ na baste wuh akele hī bachte. Wuh apne beṭe-beṭiyoṅ ko bhī bachā na sakte. Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.
Ezek UrduGeoR 14:19  Yā farz kar ki maiṅ apnā ġhussā mulk par utār kar us meṅ mohlak wabā yoṅ phailā dūṅ ki insān-o-haiwān sab ke sab mar jāeṅ.
Chapter 15
Chapter 16
Ezek UrduGeoR 16:2  “Ai ādamzād, Yarūshalam ke zahan meṅ us kī makrūh harkatoṅ kī sanjīdagī biṭhā kar
Ezek UrduGeoR 16:3  elān kar ki Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai, ‘Ai Yarūshalam Beṭī, terī nasl Mulk-e-Kanān kī hai, aur wahīṅ tū paidā huī. Terā bāp Amorī, terī māṅ Hittī thī.
Ezek UrduGeoR 16:4  Paidā hote waqt nāf ke sāth lagī nāl ko kāṭ kar dūr nahīṅ kiyā gayā. Na tujhe pānī se nahlāyā gayā, na tere jism par namak malā gayā, aur na tujhe kapṛoṅ meṅ lapeṭā gayā.
Ezek UrduGeoR 16:5  Na kisī ko itnā tars āyā, na kisī ne tujh par itnā rahm kiyā ki in kāmoṅ meṅ se ek bhī kartā. Is ke bajāe tujhe khule maidān meṅ phaiṅk kar chhoṛ diyā gayā. Kyoṅki jab tū paidā huī to sab tujhe haqīr jānte the.
Ezek UrduGeoR 16:6  Tab maiṅ wahāṅ se guzarā. Us waqt tū apne ḳhūn meṅ taṛap rahī thī. Tujhe is hālat meṅ dekh kar maiṅ bolā, “Jītī rah!” Hāṅ, tū apne ḳhūn meṅ taṛap rahī thī jab maiṅ bolā, “Jītī rah!
Ezek UrduGeoR 16:7  Khet meṅ hariyālī kī tarah phaltī-phūltī jā!” Tab tū phaltī-phūltī huī parwān chaṛhī. Tū nihāyat ḳhūbsūrat ban gaī. Chhātiyāṅ aur bāl deḳhne meṅ pyāre lage. Lekin abhī tak tū nangī aur barahnā thī.
Ezek UrduGeoR 16:8  Maiṅ dubārā tere pās se guzarā to dekhā ki tū shādī ke qābil ho gaī hai. Maiṅ ne apne libās kā dāman tujh par bichhā kar terī barahnagī ko ḍhāṅp diyā. Maiṅ ne qasam khā kar tere sāth ahd bāndhā aur yoṅ terā mālik ban gayā. Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.
Ezek UrduGeoR 16:9  Maiṅ ne tujhe nahlā kar ḳhūn se sāf kiyā, phir tere jism par tel malā.
Ezek UrduGeoR 16:10  Maiṅ ne tujhe shāndār libās aur chamṛe ke nafīs jūte pahnāe, tujhe bārīk katān aur qīmtī kapṛe se mulabbas kiyā.
Ezek UrduGeoR 16:11  Phir maiṅ ne tujhe ḳhūbsūrat zewarāt, chūṛiyoṅ, hār,
Ezek UrduGeoR 16:13  Yoṅ tū sone-chāṅdī se ārāstā aur bārīk katān, resham aur shāndār kapṛe se mulabbas huī. Terī ḳhurāk behtarīn maide, shahd aur zaitūn ke tel par mushtamil thī. Tū nihāyat hī ḳhūbsūrat huī, aur hote hote malikā ban gaī.’
Ezek UrduGeoR 16:14  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai, ‘Tere husn kī shohrat dīgar aqwām meṅ phail gaī, kyoṅki maiṅ ne tujhe apnī shān-o-shaukat meṅ yoṅ sharīk kiyā thā ki terā husn kāmil thā.
Ezek UrduGeoR 16:15  Lekin tū ne kyā kiyā? Tū ne apne husn par bharosā rakhā. Apnī shohrat se fāydā uṭhā kar tū zinākār ban gaī. Har guzarne wāle ko tū ne apne āp ko pesh kiyā, har ek ko terā husn hāsil huā.
Ezek UrduGeoR 16:16  Tū ne apne kuchh shāndār kapṛe le kar apne lie rangdār bistar banāyā aur use ūṅchī jaghoṅ par bichhā kar zinā karne lagī. Aisā na māzī meṅ kabhī huā, na āindā kabhī hogā.
Ezek UrduGeoR 16:17  Tū ne wuhī nafīs zewarāt lie jo maiṅ ne tujhe die the aur merī hī sone-chāṅdī se apne lie mardoṅ ke but ḍhāl kar un se zinā karne lagī.
Ezek UrduGeoR 16:18  Unheṅ apne shāndār kapṛe pahnā kar tū ne merā hī tel aur baḳhūr unheṅ pesh kiyā.’
Ezek UrduGeoR 16:19  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai, ‘Jo ḳhurāk yānī behtarīn maidā, zaitūn kā tel aur shahd maiṅ ne tujhe diyā thā use tū ne unheṅ pesh kiyā tāki us kī ḳhushbū unheṅ pasand āe.
Ezek UrduGeoR 16:20  Jin beṭe-beṭiyoṅ ko tū ne mere hāṅ janm diyā thā unheṅ tū ne qurbān karke butoṅ ko khilāyā. Kyā tū apnī zinākārī par iktifā na kar sakī?
Ezek UrduGeoR 16:21  Kyā zarūrat thī ki mere bachchoṅ ko bhī qatl karke butoṅ ke lie jalā de?
Ezek UrduGeoR 16:22  Tājjub hai ki jab bhī tū aisī makrūh harkateṅ aur zinā kartī thī to tujhe ek bār bhī jawānī kā ḳhayāl na āyā, yānī wuh waqt jab tū nangī aur barahnā hālat meṅ apne ḳhūn meṅ taṛaptī rahī.’
Ezek UrduGeoR 16:23  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai, ‘Afsos, tujh par afsos! Apnī bāqī tamām sharāratoṅ ke alāwā
Ezek UrduGeoR 16:24  tū ne har chauk meṅ butoṅ ke lie qurbāngāh tāmīr karke har ek ke sāth zinā karne kī jagah bhī banāī.
Ezek UrduGeoR 16:25  Har galī ke kone meṅ tū ne zinā karne kā kamrā banāyā. Apne husn kī behurmatī karke tū apnī ismatfaroshī zoroṅ par lāī. Har guzarne wāle ko tū ne apnā badan pesh kiyā.
Ezek UrduGeoR 16:26  Pahle tū apne shahwatparast paṛosī Misr ke sāth zinā karne lagī. Jab tū ne apnī ismatfaroshī ko zoroṅ par lā kar mujhe mushta'il kiyā
Ezek UrduGeoR 16:27  to maiṅ ne apnā hāth tere ḳhilāf baṛhā kar tere ilāqe ko chhoṭā kar diyā. Maiṅ ne tujhe Filistī beṭiyoṅ ke lālach ke hawāle kar diyā, un ke hawāle jo tujh se nafrat kartī haiṅ aur jin ko tere zinākārānā chāl-chalan par sharm ātī hai.
Ezek UrduGeoR 16:28  Ab tak terī shahwat ko taskīn nahīṅ milī thī, is lie tū Asūriyoṅ se zinā karne lagī. Lekin yih bhī tere lie kāfī na thā.
Ezek UrduGeoR 16:29  Apnī zinākārī meṅ izāfā karke tū saudāgaroṅ ke mulk Bābal ke pīchhe paṛ gaī. Lekin yih bhī terī shahwat ke lie kāfī nahīṅ thā.’
Ezek UrduGeoR 16:30  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai, ‘Aisī harkateṅ karke tū kitnī sargarm huī! Sāf zāhir huā ki tū zabardast kasbī hai.
Ezek UrduGeoR 16:31  Jab tū ne har chauk meṅ butoṅ kī qurbāngāh banāī aur har galī ke kone meṅ zinā karne kā kamrā tāmīr kiyā to tū ām kasbī se muḳhtalif thī. Kyoṅki tū ne apne gāhakoṅ se paise lene se inkār kiyā.
Ezek UrduGeoR 16:32  Hāy, tū kaisī badkār bīwī hai! Apne shauhar par tū dīgar mardoṅ ko tarjīh detī hai.
Ezek UrduGeoR 16:33  Har kasbī ko fīs miltī hai, lekin tū to apne tamām āshiqoṅ ko tohfe detī hai tāki wuh har jagah se ā kar tere sāth zinā kareṅ.
Ezek UrduGeoR 16:34  Is meṅ tū dīgar kasbiyoṅ se farq hai. Kyoṅki na gāhak tere pīchhe bhāgte, na wuh terī muhabbat kā muāwazā dete haiṅ balki tū ḳhud un ke pīchhe bhāgtī aur unheṅ apne sāth zinā karne kā muāwazā detī hai.’
Ezek UrduGeoR 16:36  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai, ‘Tū ne apne āshiqoṅ ko apnī barahnagī dikhā kar apnī ismatfaroshī kī, tū ne makrūh but banā kar un kī pūjā kī, tū ne unheṅ apne bachchoṅ kā ḳhūn qurbān kiyā hai.
Ezek UrduGeoR 16:37  Is lie maiṅ tere tamām āshiqoṅ ko ikaṭṭhā karūṅga, un sab ko jinheṅ tū pasand āī, unheṅ bhī jo tujhe pyāre the aur unheṅ bhī jin se tū ne nafrat kī. Maiṅ unheṅ chāroṅ taraf se jamā karke tere ḳhilāf bhejūṅgā. Tab maiṅ un ke sāmne hī tere tamām kapṛe utārūṅga tāki wuh terī pūrī barahnagī dekheṅ.
Ezek UrduGeoR 16:38  Maiṅ terī adālat karke terī zinākārī aur qātilānā harkatoṅ kā faislā karūṅga. Merā ġhussā aur merī ġhairat tujhe ḳhūṅrezī kī sazā degī.
Ezek UrduGeoR 16:39  Maiṅ tujhe tere āshiqoṅ ke hawāle karūṅga, aur wuh tere butoṅ kī qurbāngāheṅ un kamroṅ samet ḍhā deṅge jahāṅ tū zinākārī kartī rahī hai. Wuh tere kapṛe aur shāndār zewarāt utār kar tujhe uriyāṅ aur barahnā chhoṛ deṅge.
Ezek UrduGeoR 16:40  Wuh tere ḳhilāf julūs nikāleṅge aur tujhe sangsār karke talwār se ṭukṛe ṭukṛe kar deṅge.
Ezek UrduGeoR 16:41  Tere gharoṅ ko jalā kar wuh muta'addid auratoṅ ke deḳhte deḳhte tujhe sazā deṅge. Yoṅ maiṅ terī zinākārī ko rok dūṅgā, aur āindā tū apne āshiqoṅ ko zinā karne ke paise nahīṅ de sakegī.
Ezek UrduGeoR 16:42  Tab merā ġhussā ṭhanḍā ho jāegā, aur tū merī ġhairat kā nishānā nahīṅ rahegī. Merī nārāzī ḳhatm ho jāegī, aur mujhe dubārā taskīn milegī.’
Ezek UrduGeoR 16:43  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai, ‘Maiṅ tere sar par terī harkatoṅ kā pūrā natījā lāūṅgā, kyoṅki tujhe jawānī meṅ merī madad kī yād na rahī balki tū mujhe in tamām bātoṅ se taish dilātī rahī. Bāqī tamām ghinaunī harkateṅ tere lie kāfī nahīṅ thīṅ balki tū zinā bhī karne lagī.
Ezek UrduGeoR 16:44  Tab log yih kahāwat kah kar terā mazāq uṛāeṅge, “Jaisī māṅ, waisī beṭī!”
Ezek UrduGeoR 16:45  Tū wāqaī apnī māṅ kī mānind hai, jo apne shauhar aur bachchoṅ se saḳht nafrat kartī thī. Tū apnī bahnoṅ kī mānind bhī hai, kyoṅki wuh bhī apne shauharoṅ aur bachchoṅ se saḳht nafrat kartī thīṅ. Terī māṅ Hittī aur terā bāp Amorī thā.
Ezek UrduGeoR 16:46  Terī baṛī bahan Sāmariya thī jo apnī beṭiyoṅ ke sāth tere shimāl meṅ ābād thī. Aur terī chhoṭī bahan Sadūm thī jo apnī beṭiyoṅ ke sāth tere junūb meṅ rahtī thī.
Ezek UrduGeoR 16:47  Tū na sirf un ke ġhalat namūne par chal paṛī aur un kī-sī makrūh harkateṅ karne lagī balki un se kahīṅ zyādā burā kām karne lagī.’
Ezek UrduGeoR 16:48  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai, ‘Merī hayāt kī qasam, terī bahan Sadūm aur us kī beṭiyoṅ se kabhī itnā ġhalat kām sarzad na huā jitnā ki tujh se aur terī beṭiyoṅ se huā hai.
Ezek UrduGeoR 16:49  Terī bahan Sadūm kā kyā qusūr thā? Wuh apnī beṭiyoṅ samet mutakabbir thī. Go unheṅ ḳhurāk kī kasrat aur ārām-o-sukūn hāsil thā to bhī wuh musībatzadoṅ aur ġharīboṅ kā sahārā nahīṅ bantī thīṅ.
Ezek UrduGeoR 16:50  Wuh maġhrūr thīṅ aur merī maujūdagī meṅ hī ghinaunā kām kartī thīṅ. Isī wajah se maiṅ ne unheṅ haṭā diyā. Tū ḳhud is kī gawāh hai.
Ezek UrduGeoR 16:51  Sāmariya par bhī ġhaur kar. Jitne gunāh tujh se sarzad hue un kā ādhā hissā bhī us se na huā. Apnī bahnoṅ kī nisbat tū ne kahīṅ zyādā ghinaunī harkateṅ kī haiṅ. Tere muqābale meṅ terī bahneṅ farishte haiṅ.
Ezek UrduGeoR 16:52  Chunāṅche ab apnī ḳhajālat ko bardāsht kar. Kyoṅki apne gunāhoṅ se tū apnī bahnoṅ kī jagah khaṛī ho gaī hai. Tū ne un se kahīṅ zyādā qābil-e-ghin kām kie haiṅ, aur ab wuh tere muqābale meṅ māsūm bachche lagtī haiṅ. Sharm khā khā kar apnī ruswāī ko bardāsht kar, kyoṅki tujh se aise sangīn gunāh sarzad hue haiṅ ki terī bahneṅ rāstbāz hī lagtī haiṅ.
Ezek UrduGeoR 16:53  Lekin ek din āegā jab maiṅ Sadūm, Sāmariya, tujhe aur tum sab kī beṭiyoṅ ko bahāl karūṅga.
Ezek UrduGeoR 16:54  Tab tū apnī ruswāī bardāsht kar sakegī aur apne sāre ġhalat kām par sharm khāegī. Sadūm aur Sāmariya yih dekh kar tasallī pāeṅgī.
Ezek UrduGeoR 16:55  Hāṅ, terī bahneṅ Sadūm aur Sāmariya apnī beṭiyoṅ samet dubārā qāym ho jāeṅgī. Tū bhī apnī beṭiyoṅ samet dubārā qāym ho jāegī.
Ezek UrduGeoR 16:56  Pahle tū itnī maġhrūr thī ki apnī bahan Sadūm kā zikr tak nahīṅ kartī thī.
Ezek UrduGeoR 16:57  Lekin phir terī apnī burāī par raushnī ḍālī gaī, aur ab terī tamām paṛosaneṅ terā hī mazāq uṛātī haiṅ, ḳhāh Adomī hoṅ, ḳhāh Filistī. Sab tujhe haqīr jāntī haiṅ.
Ezek UrduGeoR 16:58  Chunāṅche ab tujhe apnī zinākārī aur makrūh harkatoṅ kā natījā bhugatnā paṛegā. Yih Rab kā farmān hai.’
Ezek UrduGeoR 16:59  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai, ‘Maiṅ tujhe munāsib sazā dūṅgā, kyoṅki tū ne merā wuh ahd toṛ kar us qasam ko haqīr jānā hai jo maiṅ ne tere sāth ahd bāndhte waqt khāī thī.
Ezek UrduGeoR 16:60  To bhī maiṅ wuh ahd yād karūṅga jo maiṅ ne terī jawānī meṅ tere sāth bāndhā thā. Na sirf yih balki maiṅ tere sāth abadī ahd qāym karūṅga.
Ezek UrduGeoR 16:61  Tab tujhe wuh ġhalat kām yād āegā jo pahle tujh se sarzad huā thā, aur tujhe sharm āegī jab maiṅ terī baṛī aur chhoṭī bahnoṅ ko le kar tere hawāle karūṅga tāki wuh terī beṭiyāṅ ban jāeṅ. Lekin yih sab kuchh is wajah se nahīṅ hogā ki tū ahd ke mutābiq chaltī rahī hai.
Ezek UrduGeoR 16:62  Maiṅ ḳhud tere sāth apnā ahd qāym karūṅga, aur tū jān legī ki maiṅ hī Rab hūṅ.’
Ezek UrduGeoR 16:63  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai, ‘Jab maiṅ tere tamām gunāhoṅ ko muāf karūṅga tab tujhe un kā ḳhayāl ā kar sharmindagī mahsūs hogī, aur tū sharm ke māre gumsum rahegī.’”
Chapter 17
Ezek UrduGeoR 17:2  “Ai ādamzād, Isrāīlī qaum ko pahelī pesh kar, tamsīl sunā de.
Ezek UrduGeoR 17:3  Unheṅ batā, ‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki ek baṛā uqāb uṛ kar Mulk-e-Lubnān meṅ āyā. Us ke baṛe baṛe par aur lambe lambe pankh the, us ke ghane aur rangīn bāl-o-par chamak rahe the. Lubnān meṅ us ne ek deodār ke daraḳht kī choṭī pakaṛ lī
Ezek UrduGeoR 17:4  aur us kī sab se ūṅchī shāḳh ko toṛ kar tājiroṅ ke mulk meṅ le gayā. Wahāṅ us ne use saudāgaroṅ ke shahr meṅ lagā diyā.
Ezek UrduGeoR 17:5  Phir uqāb Isrāīl meṅ āyā aur wahāṅ se kuchh bīj le kar ek baṛe dariyā ke kināre par zarḳhez zamīn meṅ bo diyā.
Ezek UrduGeoR 17:6  Tab angūr kī bel phūṭ niklī jo zyādā ūṅchī na huī balki chāroṅ taraf phailtī gaī. Shāḳhoṅ kā ruḳh uqāb kī taraf rahā jabki us kī jaṛeṅ zamīn meṅ dhaṅstī gaīṅ. Chunāṅche achchhī bel ban gaī jo phūṭtī phūṭtī naī shāḳheṅ nikāltī gaī.
Ezek UrduGeoR 17:7  Lekin phir ek aur baṛā uqāb āyā. Us ke bhī baṛe baṛe par aur ghane ghane bāl-o-par the. Ab maiṅ kyā deḳhtā hūṅ, bel dūsre uqāb kī taraf ruḳh karne lagtī hai. Us kī jaṛeṅ aur shāḳheṅ us khet meṅ na rahīṅ jis meṅ use lagāyā gayā thā balki wuh dūsre uqāb se pānī milne kī ummīd rakh kar usī kī taraf phailne lagī.
Ezek UrduGeoR 17:8  Tājjub yih thā ki use achchhī zamīn meṅ lagāyā gayā thā, jahāṅ use kasrat kā pānī hāsil thā. Wahāṅ wuh ḳhūb phail kar phal lā saktī thī, wahāṅ wuh zabardast bel ban saktī thī.’
Ezek UrduGeoR 17:9  Ab Rab Qādir-e-mutlaq pūchhtā hai, ‘Kyā bel kī nasho-numā jārī rahegī? Hargiz nahīṅ! Kyā use jaṛ se ukhāṛ kar phaiṅkā nahīṅ jāegā? Zarūr! Kyā us kā phal chhīn nahīṅ liyā jāegā? Beshak balki āḳhirkār us kī tāzā tāzā koṅpleṅ bhī sab kī sab murjhā kar ḳhatm ho jāeṅgī. Tab use jaṛ se ukhāṛne ke lie na zyādā logoṅ, na tāqat kī zarūrat hogī.
Ezek UrduGeoR 17:10  Go use lagāyā gayā hai to bhī bel kī nasho-numā jārī nahīṅ rahegī. Jyoṅ hī mashriqī lū us par chalegī wuh mukammal taur par murjhā jāegī. Jis khet meṅ use lagāyā gayā wahīṅ wuh ḳhatm ho jāegī.’”
Ezek UrduGeoR 17:12  “Is sarkash qaum se pūchh, ‘Kyā tujhe is tamsīl kī samajh nahīṅ āī?’ Tab unheṅ is kā matlab samjhā de. ‘Bābal ke bādshāh ne Yarūshalam par hamlā kiyā. Wuh us ke bādshāh aur afsaroṅ ko giriftār karke apne mulk meṅ le gayā.
Ezek UrduGeoR 17:13  Us ne Yahūdāh ke shāhī ḳhāndān meṅ se ek ko chun liyā aur us ke sāth ahd bāndh kar use taḳht par biṭhā diyā. Nae bādshāh ne Bābal se wafādār rahne kī qasam khāī. Bābal ke bādshāh ne Yahūdāh ke rāhnumāoṅ ko bhī jilāwatan kar diyā
Ezek UrduGeoR 17:14  tāki Mulk-e-Yahūdāh aur us kā nayā bādshāh kamzor rah kar sarkash hone ke qābil na baneṅ balki us ke sāth ahd qāym rakh kar ḳhud qāym raheṅ.
Ezek UrduGeoR 17:15  To bhī Yahūdāh kā bādshāh bāġhī ho gayā aur apne qāsid Misr bheje tāki wahāṅ se ghoṛe aur faujī mangwāeṅ. Kyā use kāmyābī hāsil hogī? Kyā jis ne aisī harkateṅ kī haiṅ bach niklegā? Hargiz nahīṅ! Kyā jis ne ahd toṛ liyā hai wuh bachegā? Hargiz nahīṅ!
Ezek UrduGeoR 17:16  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki merī hayāt kī qasam, us shaḳhs ne qasam ke taht Shāh-e-Bābal se ahd bāndhā hai, lekin ab us ne yih qasam haqīr jān kar ahd ko toṛ ḍālā hai. Is lie wuh Bābal meṅ wafāt pāegā, us bādshāh ke mulk meṅ jis ne use taḳht par biṭhāyā thā.
Ezek UrduGeoR 17:17  Jab Bābal kī fauj Yarūshalam ke irdgird pushte aur burj banā kar us kā muhāsarā karegī tāki bahutoṅ ko mār ḍāle to Firaun apnī baṛī fauj aur muta'addid faujiyoṅ ko le kar us kī madad karne nahīṅ āegā.
Ezek UrduGeoR 17:18  Kyoṅki Yahūdāh ke bādshāh ne ahd ko toṛ kar wuh qasam haqīr jānī hai jis ke taht yih bāndhā gayā. Go us ne Shāh-e-Bābal se hāth milā kar ahd kī tasdīq kī thī to bhī bewafā ho gayā, is lie wuh nahīṅ bachegā.
Ezek UrduGeoR 17:19  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki merī hayāt kī qasam, us ne mere hī ahd ko toṛ ḍālā, merī hī qasam ko haqīr jānā hai. Is lie maiṅ ahd toṛne ke tamām natāyj us ke sar par lāūṅgā.
Ezek UrduGeoR 17:20  Maiṅ us par apnā jāl ḍāl dūṅgā, use apne phande meṅ pakaṛ lūṅgā. Chūṅki wuh mujh se bewafā ho gayā hai is lie maiṅ use Bābal le jā kar us kī adālat karūṅga.
Ezek UrduGeoR 17:21  Us ke behtarīn faujī sab mar jāeṅge, aur jitne bach jāeṅge wuh chāroṅ taraf muntashir ho jāeṅge. Tab tum jān loge ki maiṅ, Rab ne yih sab kuchh farmāyā hai.
Ezek UrduGeoR 17:22  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki ab maiṅ ḳhud deodār ke daraḳht kī choṭī se narm-o-nāzuk koṅpal toṛ kar use ek buland-o-bālā pahāṛ par lagā dūṅgā.
Ezek UrduGeoR 17:23  Aur jab maiṅ use Isrāīl kī bulandiyoṅ par lagā dūṅgā to us kī shāḳheṅ phūṭ nikleṅgī, aur wuh phal lā kar shāndār daraḳht banegā. Har qism ke parinde us meṅ baserā kareṅge, sab us kī shāḳhoṅ ke sāy meṅ panāh leṅge.
Ezek UrduGeoR 17:24  Tab mulk ke tamām daraḳht jān leṅge ki maiṅ Rab hūṅ. Maiṅ hī ūṅche daraḳht ko ḳhāk meṅ milā detā, aur maiṅ hī chhoṭe daraḳht ko baṛā banā detā hūṅ. Maiṅ hī sāyādār daraḳht ko sūkhne detā aur maiṅ hī sūkhe daraḳht ko phalne-phūlne detā hūṅ. Yih merā, Rab kā farmān hai, aur maiṅ yih karūṅga bhī.’”
Chapter 18
Ezek UrduGeoR 18:2  “Tum log Mulk-e-Isrāīl ke lie yih kahāwat kyoṅ istemāl karte ho, ‘Wālidain ne khaṭṭe angūr khāe, lekin un ke bachchoṅ hī ke dāṅt khaṭṭe ho gae haiṅ.’
Ezek UrduGeoR 18:3  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki merī hayāt kī qasam, āindā tum yih kahāwat Isrāīl meṅ istemāl nahīṅ karoge!
Ezek UrduGeoR 18:4  Har insān kī jān merī hī hai, ḳhāh bāp kī ho yā beṭe kī. Jis ne gunāh kiyā hai sirf usī ko sazā-e-maut milegī.
Ezek UrduGeoR 18:5  Lekin us rāstbāz kā muāmalā farq hai jo rāstī aur insāf kī rāh par chalte hue
Ezek UrduGeoR 18:6  na ūṅchī jaghoṅ kī nājāyz qurbāniyāṅ khātā, na Isrāīlī qaum ke butoṅ kī pūjā kartā hai. Na wuh apne paṛosī kī bīwī kī behurmatī kartā, na māhwārī ke daurān kisī aurat se hambistar hotā hai.
Ezek UrduGeoR 18:7  Wuh kisī par zulm nahīṅ kartā. Agar koī zamānat de kar us se qarzā le to paise wāpas milne par wuh zamānat wāpas kar detā hai. Wuh chorī nahīṅ kartā balki bhūkoṅ ko khānā khilātā aur nangoṅ ko kapṛe pahnātā hai.
Ezek UrduGeoR 18:8  Wuh kisī se bhī sūd nahīṅ letā. Wuh ġhalat kām karne se gurez kartā aur jhagaṛne wāloṅ kā munsifānā faislā kartā hai.
Ezek UrduGeoR 18:9  Wuh mere qawāyd ke mutābiq zindagī guzārtā aur wafādārī se mere ahkām par amal kartā hai. Aisā shaḳhs rāstbāz hai, aur wuh yaqīnan zindā rahegā. Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.
Ezek UrduGeoR 18:10  Ab farz karo ki us kā ek zālim beṭā hai jo qātil hai aur wuh kuchh kartā hai
Ezek UrduGeoR 18:11  jis se us kā bāp gurez kartā thā. Wuh ūṅchī jaghoṅ kī nājāyz qurbāniyāṅ khātā, apne paṛosī kī bīwī kī behurmatī kartā,
Ezek UrduGeoR 18:12  ġharīboṅ aur zarūratmandoṅ par zulm kartā aur chorī kartā hai. Jab qarzdār qarzā adā kare to wuh use zamānat wāpas nahīṅ detā. Wuh butoṅ kī pūjā balki kaī qism kī makrūh harkateṅ kartā hai.
Ezek UrduGeoR 18:13  Wuh sūd bhī letā hai. Kyā aisā ādmī zindā rahegā? Hargiz nahīṅ! In tamām makrūh harkatoṅ kī binā par use sazā-e-maut dī jāegī. Wuh ḳhud apne gunāhoṅ kā zimmedār ṭhahregā.
Ezek UrduGeoR 18:14  Lekin farz karo ki is beṭe ke hāṅ beṭā paidā ho jāe. Go beṭā sab kuchh deḳhtā hai jo us ke bāp se sarzad hotā hai to bhī wuh bāp ke ġhalat namūne par nahīṅ chaltā.
Ezek UrduGeoR 18:15  Na wuh ūṅchī jaghoṅ kī nājāyz qurbāniyāṅ khātā, na Isrāīlī qaum ke butoṅ kī pūjā kartā hai. Wuh apne paṛosī kī bīwī kī behurmatī nahīṅ kartā
Ezek UrduGeoR 18:16  aur kisī par bhī zulm nahīṅ kartā. Agar koī zamānat de kar us se qarzā le to paise wāpas milne par wuh zamānat lauṭā detā hai. Wuh chorī nahīṅ kartā balki bhūkoṅ ko khānā khilātā aur nangoṅ ko kapṛe pahnātā hai.
Ezek UrduGeoR 18:17  Wuh ġhalat kām karne se gurez karke sūd nahīṅ letā. Wuh mere qawāyd ke mutābiq zindagī guzārtā aur mere ahkām par amal kartā hai. Aise shaḳhs ko apne bāp kī sazā nahīṅ bhugatnī paṛegī. Use sazā-e-maut nahīṅ milegī, hālāṅki us ke bāp ne mazkūrā gunāh kie haiṅ. Nahīṅ, wuh yaqīnan zindā rahegā.
Ezek UrduGeoR 18:18  Lekin us ke bāp ko zarūr us ke gunāhoṅ kī sazā milegī, wuh yaqīnan maregā. Kyoṅki us ne logoṅ par zulm kiyā, apne bhāī se chorī kī aur apnī hī qaum ke darmiyān burā kām kiyā.
Ezek UrduGeoR 18:19  Lekin tum log etarāz karte ho, ‘Beṭā bāp ke qusūr meṅ kyoṅ na sharīk ho? Use bhī bāp kī sazā bhugatnī chāhie.’ Jawāb yih hai ki beṭā to rāstbāz aur insāf kī rāh par chaltā rahā hai, wuh ehtiyāt se mere tamām ahkām par amal kartā rahā hai. Is lie lāzim hai ki wuh zindā rahe.
Ezek UrduGeoR 18:20  Jis se gunāh sarzad huā hai sirf use hī marnā hai. Lihāzā na beṭe ko bāp kī sazā bhugatnī paṛegī, na bāp ko beṭe kī. Rāstbāz apnī rāstbāzī kā ajr pāegā, aur bedīn apnī bedīnī kā.
Ezek UrduGeoR 18:21  To bhī agar bedīn ādmī apne gunāhoṅ ko tark kare aur mere tamām qawāyd ke mutābiq zindagī guzār kar rāstbāzī aur insāf kī rāh par chal paṛe to wuh yaqīnan zindā rahegā, wuh maregā nahīṅ.
Ezek UrduGeoR 18:22  Jitne bhī ġhalat kām us se sarzad hue haiṅ un kā hisāb maiṅ nahīṅ lūṅgā balki us ke rāstbāz chāl-chalan kā lihāz karke use zindā rahne dūṅgā.
Ezek UrduGeoR 18:23  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki kyā maiṅ bedīn kī halākat dekh kar ḳhush hotā hūṅ? Hargiz nahīṅ, balki maiṅ chāhtā hūṅ ki wuh apnī burī rāhoṅ ko chhoṛ kar zindā rahe.
Ezek UrduGeoR 18:24  Is ke baraks kyā rāstbāz zindā rahegā agar wuh apnī rāstbāz zindagī tark kare aur gunāh karke wuhī qābil-e-ghin harkateṅ karne lage jo bedīn karte haiṅ? Hargiz nahīṅ! Jitnā bhī achchhā kām us ne kiyā us kā maiṅ ḳhayāl nahīṅ karūṅga balki us kī bewafāī aur gunāhoṅ kā. Unhīṅ kī wajah se use sazā-e-maut dī jāegī.
Ezek UrduGeoR 18:25  Lekin tum log dāwā karte ho ki jo kuchh Rab kartā hai wuh ṭhīk nahīṅ. Ai Isrāīlī qaum, suno! Yih kaisī bāt hai ki merā amal ṭhīk nahīṅ? Apne hī āmāl par ġhaur karo! Wuhī durust nahīṅ.
Ezek UrduGeoR 18:26  Agar rāstbāz apnī rāstbāz zindagī tark karke gunāh kare to wuh is binā par mar jāegā. Apnī nārāstī kī wajah se hī wuh mar jāegā.
Ezek UrduGeoR 18:27  Is ke baraks agar bedīn apnī bedīn zindagī tark karke rāstī aur insāf kī rāh par chalne lage to wuh apnī jān ko chhuṛāegā.
Ezek UrduGeoR 18:28  Kyoṅki agar wuh apnā qusūr taslīm karke apne gunāhoṅ se muṅh moṛ le to wuh maregā nahīṅ balki zindā rahegā.
Ezek UrduGeoR 18:29  Lekin Isrāīlī qaum dāwā kartī hai ki jo kuchh Rab kartā hai wuh ṭhīk nahīṅ. Ai Isrāīlī qaum, yih kaisī bāt hai ki merā amal ṭhīk nahīṅ? Apne hī āmāl par ġhaur karo! Wuhī durust nahīṅ.
Ezek UrduGeoR 18:30  Is lie Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki ai Isrāīl kī qaum, maiṅ terī adālat karūṅga, har ek kā us ke kāmoṅ ke muwāfiq faislā karūṅga. Chunāṅche ḳhabardār! Taubā karke apnī bewafā harkatoṅ se muṅh phero, warnā tum gunāh meṅ phaṅs kar gir jāoge.
Ezek UrduGeoR 18:31  Apne tamām ġhalat kām tark karke nayā dil aur naī rūh apnā lo. Ai Isrāīliyo, tum kyoṅ mar jāo?
Ezek UrduGeoR 18:32  Kyoṅki maiṅ kisī kī maut se ḳhush nahīṅ hotā. Chunāṅche taubā karo, tab hī tum zindā rahoge. Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.
Chapter 19
Ezek UrduGeoR 19:1  Ai nabī, Isrāīl ke ra'īsoṅ par mātamī gīt gā,
Ezek UrduGeoR 19:2  ‘Terī māṅ kitnī zabardast shernī thī. Jawān sherbabaroṅ ke darmiyān hī apnā ghar banā kar us ne apne bachchoṅ ko pāl liyā.
Ezek UrduGeoR 19:3  Ek bachche ko us ne ḳhās tarbiyat dī. Jab baṛā huā to jānwaroṅ ko phāṛnā sīkh liyā, balki insān bhī us kī ḳhurāk ban gae.
Ezek UrduGeoR 19:4  Is kī ḳhabar dīgar aqwām tak pahuṅchī to unhoṅ ne use apne gaṛhe meṅ pakaṛ liyā. Wuh us kī nāk meṅ kāṅṭe ḍāl kar use Misr meṅ ghasīṭ le gae.
Ezek UrduGeoR 19:5  Jab shernī ke is bachche par se ummīd jātī rahī to us ne dīgar bachchoṅ meṅ se ek ko chun kar use ḳhās tarbiyat dī.
Ezek UrduGeoR 19:6  Yih bhī tāqatwar ho kar dīgar sheroṅ meṅ ghūmne phirne lagā. Us ne jānwaroṅ ko phāṛnā sīkh liyā, balki insān bhī us kī ḳhurāk ban gae.
Ezek UrduGeoR 19:7  Un ke qiloṅ ko girā kar us ne un ke shahroṅ ko ḳhāk meṅ milā diyā. Us kī dahāṛtī āwāz se mulk bāshindoṅ samet ḳhaufzadā ho gayā.
Ezek UrduGeoR 19:8  Tab irdgird ke sūboṅ meṅ basne wālī aqwām us se laṛne āīṅ. Unhoṅ ne apnā jāl us par ḍāl diyā, use apne gaṛhe meṅ pakaṛ liyā.
Ezek UrduGeoR 19:9  Wuh us kī gardan meṅ paṭṭā aur nāk meṅ kāṅṭe ḍāl kar use Shāh-e-Bābal ke pās ghasīṭ le gae. Wahāṅ use qaid meṅ ḍālā gayā tāki āindā Isrāīl ke pahāṛoṅ par us kī garajtī āwāz sunāī na de.
Ezek UrduGeoR 19:10  Terī māṅ pānī ke kināre lagāī gaī angūr kī-sī bel thī. Bel kasrat ke pānī ke bāis phaldār aur shāḳhdār thī.
Ezek UrduGeoR 19:11  Us kī shāḳheṅ itnī mazbūt thīṅ ki un se shāhī asā ban sakte the. Wuh bāqī paudoṅ se kahīṅ zyādā ūṅchī thī balki us kī shāḳheṅ dūr dūr tak nazar ātī thīṅ.
Ezek UrduGeoR 19:12  Lekin āḳhirkār logoṅ ne taish meṅ ā kar use ukhāṛ kar phaiṅk diyā. Mashriqī lū ne us kā phal murjhāne diyā. Sab kuchh utārā gayā, lihāzā wuh sūkh gayā aur us kā mazbūt tanā nazar-e-ātish huā.
Ezek UrduGeoR 19:13  Ab bel ko registān meṅ lagāyā gayā hai, wahāṅ jahāṅ ḳhushk aur pyāsī zamīn hotī hai.
Ezek UrduGeoR 19:14  Us ke tane kī ek ṭahnī se āg ne nikal kar us kā phal bhasm kar diyā. Ab koī mazbūt shāḳh nahīṅ rahī jis se shāhī asā ban sake.’” Darj-e-bālā gīt mātamī hai aur āh-o-zārī karne ke lie istemāl huā hai.
Chapter 20
Ezek UrduGeoR 20:1  Yahūdāh ke bādshāh Yahūyākīn kī jilāwatanī ke sātweṅ sāl meṅ Isrāīlī qaum ke kuchh buzurg mere pās āe tāki Rab se kuchh dariyāft kareṅ. Pāṅchweṅ mahīne kā daswāṅ din thā. Wuh mere sāmne baiṭh gae.
Ezek UrduGeoR 20:3  “Ai ādamzād, Isrāīl ke buzurgoṅ ko batā, ‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki kyā tum mujh se dariyāft karne āe ho? Merī hayāt kī qasam, maiṅ tumheṅ koī jawāb nahīṅ dūṅgā! Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.’
Ezek UrduGeoR 20:4  Ai ādamzād, kyā tū un kī adālat karne ke lie taiyār hai? Phir un kī adālat kar! Unheṅ un ke bāpdādā kī qābil-e-ghin harkatoṅ kā ehsās dilā.
Ezek UrduGeoR 20:5  Unheṅ batā, ‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki Isrāīlī qaum ko chunte waqt maiṅ ne apnā hāth uṭhā kar us se qasam khāī. Mulk-e-Misr meṅ hī maiṅ ne apne āp ko un par zāhir kiyā aur qasam khā kar kahā ki maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ.
Ezek UrduGeoR 20:6  Yih merā aṭal wādā hai ki maiṅ tumheṅ Misr se nikāl kar ek mulk meṅ pahuṅchā dūṅgā jis kā jāyzā maiṅ tumhārī ḳhātir le chukā hūṅ. Yih mulk dīgar tamām mamālik se kahīṅ zyādā ḳhūbsūrat hai, aur is meṅ dūdh aur shahd kī kasrat hai.
Ezek UrduGeoR 20:7  Us waqt maiṅ ne Isrāīliyoṅ se kahā, “Har ek apne ghinaune butoṅ ko phaiṅk de! Misr ke dewatāoṅ se lipṭe na raho, kyoṅki un se tum apne āp ko nāpāk kar rahe ho. Maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ.”
Ezek UrduGeoR 20:8  Lekin wuh mujh se bāġhī hue aur merī sunane ke lie taiyār na the. Kisī ne bhī apne butoṅ ko na phaiṅkā balki wuh in ghinaunī chīzoṅ se lipṭe rahe aur Misrī dewatāoṅ ko tark na kiyā. Yih dekh kar maiṅ wahīṅ Misr meṅ apnā ġhazab un par nāzil karnā chāhtā thā. Usī waqt maiṅ apnā ġhussā un par utārnā chāhtā thā.
Ezek UrduGeoR 20:9  Lekin maiṅ bāz rahā, kyoṅki maiṅ nahīṅ chāhtā thā ki jin aqwām ke darmiyān Isrāīlī rahte the un ke sāmne mere nām kī behurmatī ho jāe. Kyoṅki un qaumoṅ kī maujūdagī meṅ hī maiṅ ne apne āp ko Isrāīliyoṅ par zāhir karke wādā kiyā thā ki maiṅ tumheṅ Misr se nikāl lāūṅgā.
Ezek UrduGeoR 20:10  Chunāṅche maiṅ unheṅ Misr se nikāl kar registān meṅ lāyā.
Ezek UrduGeoR 20:11  Wahāṅ maiṅ ne unheṅ apnī hidāyāt dīṅ, wuh ahkām jin kī pairawī karne se insān jītā rahtā hai.
Ezek UrduGeoR 20:12  Maiṅ ne unheṅ Sabat kā din bhī atā kiyā. Maiṅ chāhtā thā ki ārām kā yih din mere un ke sāth ahd kā nishān ho, ki is se log jān leṅ ki maiṅ Rab hī unheṅ muqaddas banātā hūṅ.
Ezek UrduGeoR 20:13  Lekin registān meṅ bhī Isrāīlī mujh se bāġhī hue. Unhoṅ ne merī hidāyāt ke mutābiq zindagī na guzārī balki mere ahkām ko mustarad kar diyā, hālāṅki insān un kī pairawī karne se hī jītā rahtā hai. Unhoṅ ne Sabat kī bhī baṛī behurmatī kī. Yih dekh kar maiṅ apnā ġhazab un par nāzil karke unheṅ wahīṅ registān meṅ halāk karnā chāhtā thā.
Ezek UrduGeoR 20:14  Tāham maiṅ bāz rahā, kyoṅki maiṅ nahīṅ chāhtā thā ki un aqwām ke sāmne mere nām kī behurmatī ho jāe jin ke deḳhte deḳhte maiṅ Isrāīliyoṅ ko Misr se nikāl lāyā thā.
Ezek UrduGeoR 20:15  Chunāṅche maiṅ ne yih karne ke bajāe apnā hāth uṭhā kar qasam khāī, “Maiṅ tumheṅ us mulk meṅ nahīṅ le jāūṅgā jo maiṅ ne tumhāre lie muqarrar kiyā thā, hālāṅki us meṅ dūdh aur shahd kī kasrat hai aur wuh dīgar tamām mamālik kī nisbat kahīṅ zyādā ḳhūbsūrat hai.
Ezek UrduGeoR 20:16  Kyoṅki tum ne merī hidāyāt ko radd karke mere ahkām ke mutābiq zindagī na guzārī balki Sabat ke din kī bhī behurmatī kī. Abhī tak tumhāre dil butoṅ se lipṭe rahte haiṅ.”
Ezek UrduGeoR 20:17  Lekin ek bār phir maiṅ ne un par tars khāyā. Na maiṅ ne unheṅ tabāh kiyā, na pūrī qaum ko registān meṅ miṭā diyā.
Ezek UrduGeoR 20:18  Registān meṅ hī maiṅ ne un ke beṭoṅ ko āgāh kiyā, “Apne bāpdādā ke qawāyd ke mutābiq zindagī mat guzārnā. Na un ke ahkām par amal karo, na un ke butoṅ kī pūjā se apne āp ko nāpāk karo.
Ezek UrduGeoR 20:19  Maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ. Merī hidāyāt ke mutābiq zindagī guzāro aur ehtiyāt se mere ahkām par amal karo.
Ezek UrduGeoR 20:20  Mere Sabat ke din ārām karke unheṅ muqaddas māno tāki wuh mere sāth bandhe hue ahd kā nishān raheṅ. Tab tum jān loge ki maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ.”
Ezek UrduGeoR 20:21  Lekin yih bachche bhī mujh se bāġhī hue. Na unhoṅ ne merī hidāyāt ke mutābiq zindagī guzārī, na ehtiyāt se mere ahkām par amal kiyā, hālāṅki insān un kī pairawī karne se hī jītā rahtā hai. Unhoṅ ne mere Sabat ke dinoṅ kī bhī behurmatī kī. Yih dekh kar maiṅ apnā ġhussā un par nāzil karke unheṅ wahīṅ registān meṅ tabāh karnā chāhtā thā.
Ezek UrduGeoR 20:22  Lekin ek bār phir maiṅ apne hāth ko rok kar bāz rahā, kyoṅki maiṅ nahīṅ chāhtā thā ki un aqwām ke sāmne mere nām kī behurmatī ho jāe jin ke deḳhte deḳhte maiṅ Isrāīliyoṅ ko Misr se nikāl lāyā thā.
Ezek UrduGeoR 20:23  Chunāṅche maiṅ ne yih karne ke bajāe apnā hāth uṭhā kar qasam khāī, “Maiṅ tumheṅ dīgar aqwām-o-mamālik meṅ muntashir karūṅga,
Ezek UrduGeoR 20:24  kyoṅki tum ne mere ahkām kī pairawī nahīṅ kī balki merī hidāyāt ko radd kar diyā. Go maiṅ ne Sabat kā din mānane kā hukm diyā thā to bhī tum ne ārām ke is din kī behurmatī kī. Aur yih bhī kāfī nahīṅ thā balki tum apne bāpdādā ke butoṅ ke bhī pīchhe lage rahe.”
Ezek UrduGeoR 20:25  Tab maiṅ ne unheṅ aise ahkām die jo achchhe nahīṅ the, aisī hidāyāt jo insān ko jīne nahīṅ detīṅ.
Ezek UrduGeoR 20:26  Nīz, maiṅ ne hone diyā ki wuh apne pahlauṭhoṅ ko qurbān karke apne āp ko nāpāk kareṅ. Maqsad yih thā ki un ke roṅgṭe khaṛe ho jāeṅ aur wuh jān leṅ ki maiṅ hī Rab hūṅ.’
Ezek UrduGeoR 20:27  Chunāṅche ai ādamzād, Isrāīlī qaum ko batā, ‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki tumhāre bāpdādā ne is meṅ bhī merī takfīr kī ki wuh mujh se bewafā hue.
Ezek UrduGeoR 20:28  Maiṅ ne to un se Mulk-e-Isrāīl dene kī qasam khā kar wādā kiyā thā. Lekin jyoṅ hī maiṅ unheṅ us meṅ lāyā to jahāṅ bhī koī ūṅchī jagah yā sāyādār daraḳht nazar āyā wahāṅ wuh apne jānwaroṅ ko zabah karne, taish dilāne wālī qurbāniyāṅ chaṛhāne, ḳhushbūdār baḳhūr jalāne aur mai kī nazareṅ pesh karne lage.
Ezek UrduGeoR 20:29  Maiṅ ne un kā sāmnā karke kahā, “Yih kis tarah kī ūṅchī jagheṅ haiṅ jahāṅ tum jāte ho?” Āj tak yih qurbāngāheṅ Ūṅchī Jagheṅ kahlātī haiṅ.’
Ezek UrduGeoR 20:30  Ai ādamzād, Isrāīlī qaum ko batā, ‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki kyā tum apne bāpdādā kī harkateṅ apnā kar apne āp ko nāpāk karnā chāhte ho? Kyā tum bhī un ke ghinaune butoṅ ke pīchhe lag kar zinā karnā chāhte ho?
Ezek UrduGeoR 20:31  Kyoṅki apne nazarāne pesh karne aur apne bachchoṅ ko qurbān karne se tum apne āp ko apne butoṅ se ālūdā karte ho. Ai Isrāīlī qaum, āj tak yihī tumhārā rawaiyā hai! To phir maiṅ kyā karūṅ? Kyā mujhe tumheṅ jawāb denā chāhie jab tum mujh se kuchh dariyāft karne ke lie āte ho? Hargiz nahīṅ! Merī hayāt kī qasam, maiṅ tumheṅ jawāb meṅ kuchh nahīṅ batāūṅgā. Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.
Ezek UrduGeoR 20:32  Tum kahte ho, “Ham dīgar qaumoṅ kī mānind honā chāhte, duniyā ke dūsre mamālik kī tarah lakaṛī aur patthar kī chīzoṅ kī ibādat karnā chāhte haiṅ.” Go yih ḳhayāl tumhāre zahnoṅ meṅ ubhar āyā hai, lekin aisā kabhī nahīṅ hogā.
Ezek UrduGeoR 20:33  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki merī hayāt kī qasam, maiṅ baṛe ġhusse aur zordār tarīqe se apnī qudrat kā izhār karke tum par hukūmat karūṅga.
Ezek UrduGeoR 20:34  Maiṅ baṛe ġhusse aur zordār tarīqe se apnī qudrat kā izhār karke tumheṅ un qaumoṅ aur mamālik se nikāl kar jamā karūṅga jahāṅ tum muntashir ho gae ho.
Ezek UrduGeoR 20:35  Tab maiṅ tumheṅ aqwām ke registān meṅ lā kar tumhāre rūbarū tumhārī adālat karūṅga.
Ezek UrduGeoR 20:36  Jis tarah maiṅ ne tumhāre bāpdādā kī adālat Misr ke registān meṅ kī usī tarah tumhārī bhī adālat karūṅga. Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.
Ezek UrduGeoR 20:37  Jis tarah gallābān bheṛ-bakriyoṅ ko apnī lāṭhī ke nīche se guzarne detā hai tāki unheṅ gin le usī tarah maiṅ tumheṅ apnī lāṭhī ke nīche se guzarne dūṅgā aur tumheṅ ahd ke bandhan meṅ sharīk karūṅga.
Ezek UrduGeoR 20:38  Jo bewafā ho kar mujh se bāġhī ho gae haiṅ unheṅ maiṅ tum se dūr kar dūṅgā tāki tum pāk ho jāo. Agarche maiṅ unheṅ bhī un dīgar mamālik se nikāl lāūṅgā jin meṅ wuh rah rahe haiṅ to bhī wuh Mulk-e-Isrāīl meṅ dāḳhil nahīṅ hoṅge. Tab tum jān loge ki maiṅ hī Rab hūṅ.
Ezek UrduGeoR 20:39  Ai Isrāīlī qaum, tumhāre bāre meṅ Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki jāo, har ek apne butoṅ kī ibādat kartā jāe! Lekin ek waqt āegā jab tum zarūr merī sunoge, jab tum apnī qurbāniyoṅ aur butoṅ kī pūjā se mere muqaddas nām kī behurmatī nahīṅ karoge.
Ezek UrduGeoR 20:40  Kyoṅki Rab farmātā hai ki āindā pūrī Isrāīlī qaum mere muqaddas pahāṛ yānī Isrāīl ke buland pahāṛ Siyyūn par merī ḳhidmat karegī. Wahāṅ maiṅ ḳhushī se unheṅ qabūl karūṅga, aur wahāṅ maiṅ tumhārī qurbāniyāṅ, tumhāre pahle phal aur tumhāre tamām muqaddas hadiye talab karūṅga.
Ezek UrduGeoR 20:41  Mere tumheṅ un aqwām aur mamālik se nikāl kar jamā karne ke bād jin meṅ tum muntashir ho gae ho tum Isrāīl meṅ mujhe qurbāniyāṅ pesh karoge, aur maiṅ un kī ḳhushbū sūṅgh kar ḳhushī se tumheṅ qabūl karūṅga. Yoṅ maiṅ tumhāre zariye dīgar aqwām par zāhir karūṅga ki maiṅ quddūs Ḳhudā hūṅ.
Ezek UrduGeoR 20:42  Tab jab maiṅ tumheṅ Mulk-e-Isrāīl yānī us mulk meṅ lāūṅgā jis kā wādā maiṅ ne qasam khā kar tumhāre bāpdādā se kiyā thā to tum jān loge ki maiṅ hī Rab hūṅ.
Ezek UrduGeoR 20:43  Wahāṅ tumheṅ apnā wuh chāl-chalan aur apnī wuh harkateṅ yād āeṅgī jin se tum ne apne āp ko nāpāk kar diyā thā, aur tum apne tamām bure āmāl ke bāis apne āp se ghin khāoge.
Ezek UrduGeoR 20:44  Ai Isrāīlī qaum, tum jān loge ki maiṅ Rab hūṅ jab maiṅ apne nām kī ḳhātir narmī se tum se pesh āūṅgā, hālāṅki tum apne bure sulūk aur tabāhkun harkatoṅ kī wajah se saḳht sazā ke lāyq the. Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.’”
Ezek UrduGeoR 20:46  “Ai ādamzād, junūb kī taraf ruḳh karke us ke ḳhilāf nabuwwat kar! Dasht-e-Najab ke jangal ke ḳhilāf nabuwwat karke
Ezek UrduGeoR 20:47  use batā, ‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki maiṅ tujh meṅ aisī āg lagāne wālā hūṅ jo tere tamām daraḳhtoṅ ko bhasm karegī, ḳhāh wuh hare-bhare yā sūkhe hue hoṅ. Is āg ke bhaṛakte shole nahīṅ bujheṅge balki junūb se le kar shimāl tak har chehre ko jhulsā deṅge.
Ezek UrduGeoR 20:48  Har ek ko nazar āegā ki yih āg mere, Rab ke hāth ne lagāī hai. Yih bujhegī nahīṅ.’”
Ezek UrduGeoR 20:49  Yih sun kar maiṅ bolā, “Ai Qādir-e-mutlaq, yih batāne kā kyā fāydā hai? Log pahle se mere bāre meṅ kahte haiṅ ki yih hameshā nāqābil-e-samajh tamsīleṅ pesh kartā hai.”
Chapter 21
Ezek UrduGeoR 21:2  “Ai ādamzād, Yarūshalam kī taraf ruḳh karke muqaddas jaghoṅ aur Mulk-e-Isrāīl ke ḳhilāf nabuwwat kar!
Ezek UrduGeoR 21:3  Mulk ko batā, ‘Rab farmātā hai ki ab maiṅ tujh se nipaṭ lūṅgā! Apnī talwār miyān se khīṅch kar maiṅ tere tamām bāshindoṅ ko miṭā dūṅgā, ḳhāh rāstbāz hoṅ yā bedīn.
Ezek UrduGeoR 21:4  Kyoṅki maiṅ rāstbāzoṅ ko bedīnoṅ samet mār ḍālūṅgā, is lie merī talwār miyān se nikal kar junūb se le kar shimāl tak har shaḳhs par ṭūṭ paṛegī.
Ezek UrduGeoR 21:5  Tab tamām logoṅ ko patā chalegā ki maiṅ, Rab ne apnī talwār ko miyān se khīṅch liyā hai. Talwār mārtī rahegī aur miyān meṅ wāpas nahīṅ āegī.’
Ezek UrduGeoR 21:6  Ai ādamzād, āheṅ bhar bhar kar yih paiġhām sunā! Logoṅ ke sāmne itnī talḳhī se āh-o-zārī kar ki kamr meṅ dard hone lage.
Ezek UrduGeoR 21:7  Jab wuh tujh se pūchheṅ, ‘Āp kyoṅ karāh rahe haiṅ?’ To unheṅ jawāb de, ‘Mujhe ek haulnāk ḳhabar kā ilm hai jo abhī āne wālī hai. Jab yahāṅ pahuṅchegī to har ek kī himmat ṭūṭ jāegī aur har hāth behis-o-harkat ho jāegā. Har jān hauslā hāregī aur har ghuṭnā ḍāṅwāṅḍol ho jāegā. Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki is ḳhabar kā waqt qarīb ā gayā hai, jo kuchh pesh ānā hai wuh jald hī pesh āegā.’”
Ezek UrduGeoR 21:9  “Ai ādamzād, nabuwwat karke logoṅ ko batā, ‘Talwār ko ragaṛ ragaṛ kar tez kar diyā gayā hai.
Ezek UrduGeoR 21:10  Ab wuh qatl-o-ġhārat ke lie taiyār hai, bijlī kī tarah chamakne lagī hai. Ham yih dekh kar kis tarah ḳhush ho sakte haiṅ? Ai mere beṭe, tū ne lāṭhī aur har tarbiyat ko haqīr jānā hai.
Ezek UrduGeoR 21:11  Chunāṅche talwār ko tez karwāne ke lie bhejā gayā tāki use ḳhūb istemāl kiyā jā sake. Ab wuh ragaṛ ragaṛ kar tez kī gaī hai, ab wuh qātil ke hāth ke lie taiyār hai.’
Ezek UrduGeoR 21:12  Ai ādamzād, chīḳh uṭh. Wāwailā kar! Afsos se apnā Sīnā pīṭ! Talwār merī qaum aur Isrāīl ke buzurgoṅ ke ḳhilāf chalne lagī hai, aur sab us kī zad meṅ ā jāeṅge.
Ezek UrduGeoR 21:13  Kyoṅki Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki jāṅch-paṛtāl kā waqt ā gayā hai, aur lāzim hai ki wuh āe, kyoṅki tū ne lāṭhī kī tarbiyat ko haqīr jānā hai.
Ezek UrduGeoR 21:14  Chunāṅche ai ādamzād, ab tālī bajā kar nabuwwat kar! Talwār ko do balki tīn bār un par ṭūṭne de! Kyoṅki qatl-o-ġhārat kī yih mohlak talwār qabze tak maqtūloṅ meṅ ghoṅpī jāegī.
Ezek UrduGeoR 21:15  Maiṅ ne talwār ko un ke shahroṅ ke har darwāze par khaṛā kar diyā hai tāki āne jāne wāloṅ ko mār ḍāle, har dil himmat hāre aur muta'addid afrād halāk ho jāeṅ. Afsos! Use bijlī kī tarah chamkāyā gayā hai, wuh qatl-o-ġhārat ke lie taiyār hai.
Ezek UrduGeoR 21:16  Ai talwār, dāīṅ aur bāīṅ taraf ghūmtī phir, jis taraf bhī tū muṛe us taraf mārtī jā!
Ezek UrduGeoR 21:17  Maiṅ bhī tāliyāṅ bajā kar apnā ġhussā Isrāīl par utārūṅga. Yih merā, Rab kā farmān hai.”
Ezek UrduGeoR 21:19  “Ai ādamzād, naqshā banā kar us par wuh do rāste dikhā jo Shāh-e-Bābal kī talwār iḳhtiyār kar saktī hai. Donoṅ rāste ek hī mulk se shurū ho jāeṅ. Jahāṅ yih ek dūsre se alag ho jāte haiṅ wahāṅ do sāyn-borḍ khaṛe kar jo do muḳhtalif shahroṅ ke rāste dikhāeṅ,
Ezek UrduGeoR 21:20  ek Ammoniyoṅ ke shahr Rabbā kā aur dūsrā Yahūdāh ke qilāband shahr Yarūshalam kā. Yih wuh do rāste haiṅ jo Shāh-e-Bābal kī talwār iḳhtiyār kar saktī hai.
Ezek UrduGeoR 21:21  Kyoṅki jahāṅ yih do rāste ek dūsre se alag ho jāte haiṅ wahāṅ Shāh-e-Bābal ruk kar mālūm karegā ki kaun-sā rāstā iḳhtiyār karnā hai. Wuh tīroṅ ke zariye qurā ḍālegā, apne butoṅ se ishārā milne kī koshish karegā aur kisī jānwar kī kalejī kā muāynā karegā.
Ezek UrduGeoR 21:22  Tab use Yarūshalam kā rāstā iḳhtiyār karne kī hidāyat milegī, chunāṅche wuh apne faujiyoṅ ke sāth Yarūshalam ke pās pahuṅch kar qatl-o-ġhārat kā hukm degā. Tab wuh zor se jang ke nāre lagā lagā kar shahr ko pushte se gher leṅge, muhāsare ke burj tāmīr kareṅge aur darwāzoṅ ko toṛne kī qilāshikan mashīneṅ khaṛī kareṅge.
Ezek UrduGeoR 21:23  Jinhoṅ ne Shāh-e-Bābal se wafādārī kī qasam khāī hai unheṅ yih peshgoī ġhalat lagegī, lekin wuh unheṅ un ke qusūr kī yād dilā kar unheṅ giriftār karegā.
Ezek UrduGeoR 21:24  Chunāṅche Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai, ‘Tum logoṅ ne ḳhud alāniyā taur par bewafā hone se apne qusūr kī yād dilāī hai. Tumhāre tamām āmāl meṅ tumhāre gunāh nazar āte haiṅ. Is lie tum se saḳhtī se nipṭā jāegā.
Ezek UrduGeoR 21:25  Ai Isrāīl ke bigaṛe hue aur bedīn ra'īs, ab wuh waqt ā gayā hai jab tujhe hatmī sazā dī jāegī.
Ezek UrduGeoR 21:26  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki pagaṛī ko utār, tāj ko dūr kar! Ab sab kuchh ulaṭ jāegā. Zalīl ko sarfarāz aur sarfarāz ko zalīl kiyā jāegā.
Ezek UrduGeoR 21:27  Maiṅ Yarūshalam ko malbe kā ḍher, malbe kā ḍher, malbe kā ḍher banā dūṅgā. Aur shahr us waqt tak nae sire se tāmīr nahīṅ kiyā jāegā jab tak wuh na āe jo haqdār hai. Usī ke hawāle maiṅ Yarūshalam karūṅga.’
Ezek UrduGeoR 21:28  Ai ādamzād, Ammoniyoṅ aur un kī lān-tān ke jawāb meṅ nabuwwat kar! Unheṅ batā, ‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki talwār qatl-o-ġhārat ke lie miyān se khīṅch lī gaī hai, use ragaṛ ragaṛ kar tez kiyā gayā hai tāki bijlī kī tarah chamakte hue mārtī jāe.
Ezek UrduGeoR 21:29  Tere nabiyoṅ ne tujhe farebdeh royāeṅ aur jhūṭe paiġhāmāt sunāe haiṅ. Lekin talwār bedīnoṅ kī gardan par nāzil hone wālī hai, kyoṅki wuh waqt ā gayā hai jab unheṅ hatmī sazā dī jāe.
Ezek UrduGeoR 21:30  Lekin is ke bād apnī talwār ko miyān meṅ wāpas ḍāl, kyoṅki maiṅ tujhe bhī sazā dūṅgā. Jahāṅ tū paidā huā, tere apne watan meṅ maiṅ terī adālat karūṅga.
Ezek UrduGeoR 21:31  Maiṅ apnā ġhazab tujh par nāzil karūṅga, apne qahr kī āg tere ḳhilāf bhaṛkāūṅgā. Maiṅ tujhe aise wahshī ādmiyoṅ ke hawāle karūṅga jo tabāh karne kā fan ḳhūb jānte haiṅ.
Ezek UrduGeoR 21:32  Tū āg kā īṅdhan ban jāegā, terā ḳhūn tere apne mulk meṅ bah jāegā. Āindā tujhe koī yād nahīṅ karegā. Kyoṅki yih merā, Rab kā farmān hai.’”
Chapter 22
Ezek UrduGeoR 22:2  “Ai ādamzād, kyā tū Yarūshalam kī adālat karne ke lie taiyār hai? Kyā tū is qātil shahr par faislā karne ke lie musta'id hai? Phir us par us kī makrūh harkateṅ zāhir kar.
Ezek UrduGeoR 22:3  Use batā, ‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki ai Yarūshalam Beṭī, terā anjām qarīb hī hai, aur yih terā apnā qusūr hai. Kyoṅki tū ne apne darmiyān māsūmoṅ kā ḳhūn bahāyā aur apne lie but banā kar apne āp ko nāpāk kar diyā hai.
Ezek UrduGeoR 22:4  Apnī ḳhūṅrezī se tū mujrim ban gaī hai, apnī butparastī se nāpāk ho gaī hai. Tū ḳhud apnī adālat kā din qarīb lāī hai. Isī wajah se terā anjām qarīb ā gayā hai, isī lie maiṅ tujhe dīgar aqwām kī lān-tān aur tamām mamālik ke mazāq kā nishānā banā dūṅgā.
Ezek UrduGeoR 22:5  Sab tujh par ṭhaṭṭhā māreṅge, ḳhāh wuh qarīb hoṅ yā dūr. Tere nām par dāġh lag gayā hai, tujh meṅ fasād had se zyādā baṛh gayā hai.
Ezek UrduGeoR 22:6  Isrāīl kā jo bhī buzurg tujh meṅ rahtā hai wuh apnī pūrī tāqat se ḳhūn bahāne kī koshish kartā hai.
Ezek UrduGeoR 22:7  Tere bāshinde apne māṅ-bāp ko haqīr jānte haiṅ. Wuh pardesī par saḳhtī karke yatīmoṅ aur bewāoṅ par zulm karte haiṅ.
Ezek UrduGeoR 22:8  Jo mujhe muqaddas hai use tū pāṅwoṅ tale kuchal detī hai. Tū mere Sabat ke dinoṅ kī behurmatī bhī kartī hai.
Ezek UrduGeoR 22:9  Tujh meṅ aise tohmat lagāne wāle haiṅ jo ḳhūṅrezī par tule hue haiṅ. Tere bāshinde pahāṛoṅ kī nājāyz qurbāngāhoṅ ke pās qurbāniyāṅ khāte aur tere darmiyān sharmnāk harkateṅ karte haiṅ.
Ezek UrduGeoR 22:10  Beṭā māṅ se hambistar ho kar bāp kī behurmatī kartā hai, shauhar māhwārī ke daurān bīwī se sohbat karke us se ziyādatī kartā hai.
Ezek UrduGeoR 22:11  Ek apne paṛosī kī bīwī se zinā kartā hai jabki dūsrā apnī bahū kī behurmatī aur tīsrā apnī sagī bahan kī ismatdarī kartā hai.
Ezek UrduGeoR 22:12  Tujh meṅ aise log haiṅ jo rishwat ke ewaz qatl karte haiṅ. Sūd qābil-e-qabūl hai, aur log ek dūsre par zulm karke nājāyz nafā kamāte haiṅ. Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki ai Yarūshalam, tū mujhe sarāsar bhūl gaī hai!
Ezek UrduGeoR 22:13  Terā nājāyz nafā aur tere bīch meṅ ḳhūṅrezī dekh kar maiṅ ġhusse meṅ tālī bajātā hūṅ.
Ezek UrduGeoR 22:14  Soch le! Jis din maiṅ tujh se nipṭūṅgā to kyā terā hauslā qāym aur tere hāth mazbūt raheṅge? Yih merā, Rab kā farmān hai, aur maiṅ yih karūṅga bhī.
Ezek UrduGeoR 22:15  Maiṅ tujhe dīgar aqwām-o-mamālik meṅ muntashir karke terī nāpākī dūr karūṅga.
Ezek UrduGeoR 22:16  Phir jab dīgar qaumoṅ ke deḳhte deḳhte terī behurmatī ho jāegī tab tū jān legī ki maiṅ hī Rab hūṅ.’”
Ezek UrduGeoR 22:18  “Ai ādamzād, Isrāīlī qaum mere nazdīk us mail kī mānind ban gaī hai jo chāṅdī ko ḳhālis karne ke bād bhaṭṭī meṅ bāqī rah jātā hai. Sab ke sab us tāṅbe, ṭīn, lohe aur sīse kī mānind haiṅ jo bhaṭṭī meṅ rah jātā hai. Wuh kachrā hī haiṅ.
Ezek UrduGeoR 22:19  Chunāṅche Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki chūṅki tum bhaṭṭī meṅ bachā huā mail ho is lie maiṅ tumheṅ Yarūshalam meṅ ikaṭṭhā karke
Ezek UrduGeoR 22:20  bhaṭṭī meṅ phaiṅk dūṅgā. Jis tarah chāṅdī, tāṅbe, lohe, sīse aur ṭīn kī āmezish ko taptī bhaṭṭī meṅ phaiṅkā jātā hai tāki pighal jāe usī tarah maiṅ tumheṅ ġhusse meṅ ikaṭṭhā karūṅga aur bhaṭṭī meṅ phaiṅk kar pighlā dūṅgā.
Ezek UrduGeoR 22:21  Maiṅ tumheṅ jamā karke āg meṅ phaiṅk dūṅgā aur baṛe ġhusse se hawā de kar tumheṅ pighlā dūṅgā.
Ezek UrduGeoR 22:22  Jis tarah chāṅdī bhaṭṭī meṅ pighal jātī hai usī tarah tum Yarūshalam meṅ pighal jāoge. Tab tum jān loge ki maiṅ Rab ne apnā ġhazab tum par nāzil kiyā hai.”
Ezek UrduGeoR 22:24  “Ai ādamzād, Mulk-e-Isrāīl ko batā, ‘Ġhazab ke din tujh par meṅh nahīṅ barsegā balki tū bārish se mahrūm rahegā.’
Ezek UrduGeoR 22:25  Mulk ke bīch meṅ sāzish karne wāle rāhnumā sherbabar kī mānind haiṅ jo dahāṛte dahāṛte apnā shikār phāṛ lete haiṅ. Wuh logoṅ ko haṛap karke un ke ḳhazāne aur qīmtī chīzeṅ chhīn lete aur mulk ke darmiyān hī muta'addid auratoṅ ko bewāeṅ banā dete haiṅ.
Ezek UrduGeoR 22:26  Mulk ke imām merī sharīat se ziyādatī karke un chīzoṅ kī behurmatī karte haiṅ jo mujhe muqaddas haiṅ. Na wuh muqaddas aur ām chīzoṅ meṅ imtiyāz karte, na pāk aur nāpāk ashyā kā farq sikhāte haiṅ. Nīz, wuh mere Sabat ke din apnī āṅkhoṅ ko band rakhte haiṅ tāki us kī behurmatī nazar na āe. Yoṅ un ke darmiyān hī merī behurmatī kī jātī hai.
Ezek UrduGeoR 22:27  Mulk ke darmiyān ke buzurg bheṛiyoṅ kī mānind haiṅ jo apne shikār ko phāṛ phāṛ kar ḳhūn bahāte aur logoṅ ko maut ke ghāṭ utārte haiṅ tāki nārawā nafā kamāeṅ.
Ezek UrduGeoR 22:28  Mulk ke nabī farebdeh royāeṅ aur jhūṭe paiġhāmāt sunā kar logoṅ ke bure kāmoṅ par safedī pher dete haiṅ tāki un kī ġhaltiyāṅ nazar na āeṅ. Wuh kahte haiṅ, ‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai’ hālāṅki Rab ne un par kuchh nāzil nahīṅ kiyā hotā.
Ezek UrduGeoR 22:29  Mulk ke ām log bhī ek dūsre kā istehsāl karte haiṅ. Wuh ḍakait ban kar ġharīboṅ aur zarūratmandoṅ par zulm karte aur pardesiyoṅ se badsulūkī karke un kā haq mārte haiṅ.
Ezek UrduGeoR 22:30  Isrāīl meṅ maiṅ aise ādmī kī talāsh meṅ rahā jo mulk ke lie hifāzatī chārdīwārī tāmīr kare, jo mere huzūr ā kar dīwār ke raḳhne meṅ khaṛā ho jāe tāki maiṅ mulk ko tabāh na karūṅ. Lekin mujhe ek bhī na milā jo is qābil ho.
Ezek UrduGeoR 22:31  Chunāṅche maiṅ apnā ġhazab un par nāzil karūṅga aur unheṅ apne saḳht qahr se bhasm karūṅga. Tab un ke ġhalat kāmoṅ kā natījā un ke apne saroṅ par āegā. Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.”
Chapter 23
Ezek UrduGeoR 23:2  “Ai ādamzād, do auratoṅ kī kahānī sun le. Donoṅ ek hī māṅ kī beṭiyāṅ thīṅ.
Ezek UrduGeoR 23:3  Wuh abhī jawān hī thīṅ jab Misr meṅ kasbī ban gaīṅ. Wahīṅ mard donoṅ kuṅwāriyoṅ kī chhātiyāṅ sahlā kar apnā dil bahlāte the.
Ezek UrduGeoR 23:4  Baṛī kā nām Aholā aur chhoṭī kā nām Aholībā thā. Aholā Sāmariya aur Aholībā Yarūshalam hai. Maiṅ donoṅ kā mālik ban gayā, aur donoṅ ke beṭe-beṭiyāṅ paidā hue.
Ezek UrduGeoR 23:5  Go maiṅ Aholā kā mālik thā to bhī wuh zinā karne lagī. Shahwat se bhar kar wuh jangjū Asūriyoṅ ke pīchhe paṛ gaī, aur yihī us ke āshiq ban gae.
Ezek UrduGeoR 23:6  Shāndār kapṛoṅ se mulabbas yih gawarnar aur faujī afsar use baṛe pyāre lage. Sab ḳhūbsūrat jawān aur achchhe ghuṛsawār the.
Ezek UrduGeoR 23:7  Asūr ke chīdā chīdā beṭoṅ se us ne zinā kiyā. Jis kī bhī use shahwat thī us se aur us ke butoṅ se wuh nāpāk huī.
Ezek UrduGeoR 23:8  Lekin us ne jawānī meṅ Misriyoṅ ke sāth jo zinākārī shurū huī wuh bhī na chhoṛī. Wuhī log the jo us ke sāth us waqt hambistar hue the jab wuh abhī kuṅwārī thī, jinhoṅ ne us kī chhātiyāṅ sahlā kar apnī gandī ḳhāhishāt us se pūrī kī thīṅ.
Ezek UrduGeoR 23:9  Yih dekh kar maiṅ ne use us ke Asūrī āshiqoṅ ke hawāle kar diyā, unhīṅ ke hawāle jin kī shadīd shahwat use thī.
Ezek UrduGeoR 23:10  Unhīṅ se Aholā kī adālat huī. Unhoṅ ne us ke kapṛe utār kar use barahnā kar diyā aur us ke beṭe-beṭiyoṅ ko us se chhīn liyā. Use ḳhud unhoṅ ne talwār se mār ḍālā. Yoṅ wuh dīgar auratoṅ ke lie ibratangez misāl ban gaī.
Ezek UrduGeoR 23:11  Go us kī bahan Aholībā ne yih sab kuchh dekhā to bhī wuh shahwat aur zinākārī ke lihāz se apnī bahan se kahīṅ zyādā āge baṛhaī.
Ezek UrduGeoR 23:12  Wuh bhī shahwat ke māre Asūriyoṅ ke pīchhe paṛ gaī. Yih ḳhūbsūrat jawān sab use pyāre the, ḳhāh Asūrī gawarnar yā afsar, ḳhāh shāndār kapṛoṅ se mulabbas faujī yā achchhe ghuṛsawār the.
Ezek UrduGeoR 23:13  Maiṅ ne dekhā ki us ne bhī apne āp ko nāpāk kar diyā. Is meṅ donoṅ beṭiyāṅ ek jaisī thīṅ.
Ezek UrduGeoR 23:14  Lekin Aholībā kī zinākārānā harkateṅ kahīṅ zyādā burī thīṅ. Ek din us ne dīwār par Bābal ke mardoṅ kī taswīr dekhī. Taswīr lāl rang se khīṅchī huī thī.
Ezek UrduGeoR 23:15  Mardoṅ kī kamr meṅ paṭkā aur sar par pagaṛī bandhī huī thī. Wuh Bābal ke un afsaroṅ kī mānind lagte the jo rathoṅ par sawār laṛte haiṅ.
Ezek UrduGeoR 23:16  Mardoṅ kī taswīr deḳhte hī Aholībā ke dil meṅ un ke lie shadīd ārzū paidā huī. Chunāṅche us ne apne qāsidoṅ ko Bābal bhej kar unheṅ āne kī dāwat dī.
Ezek UrduGeoR 23:17  Tab Bābal ke mard us ke pās āe aur us se hambistar hue. Apnī zinākārī se unhoṅ ne use nāpāk kar diyā. Lekin un se nāpāk hone ke bād us ne tang ā kar apnā muṅh un se pher liyā.
Ezek UrduGeoR 23:18  Jab us ne khule taur par un se zinā karke apnī barahnagī sab par zāhir kī to maiṅ ne tang ā kar apnā muṅh us se pher liyā, bilkul usī tarah jis tarah maiṅ ne apnā muṅh us kī bahan se bhī pher liyā thā.
Ezek UrduGeoR 23:19  Lekin yih bhī us ke lie kāfī na thā balki us ne apnī zinākārī meṅ mazīd izāfā kiyā. Use jawānī ke din yād āe jab wuh Misr meṅ kasbī thī.
Ezek UrduGeoR 23:20  Wuh shahwat ke māre pahle āshiqoṅ kī ārzū karne lagī, un se jo gadhoṅ aur ghoṛoṅ kī-sī jinsī tāqat rakhte the.
Ezek UrduGeoR 23:21  Kyoṅki tū apnī jawānī kī zinākārī dohrāne kī mutamannī thī. Tū ek bār phir un se hambistar honā chāhtī thī jo Misr meṅ terī chhātiyāṅ sahlā kar apnā dil bahlāte the.
Ezek UrduGeoR 23:22  Chunāṅche Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai, ‘Ai Aholībā, maiṅ tere āshiqoṅ ko tere ḳhilāf khaṛā karūṅga. Jin se tū ne tang ā kar apnā muṅh pher liyā thā unheṅ maiṅ chāroṅ taraf se tere ḳhilāf lāūṅgā.
Ezek UrduGeoR 23:23  Bābal, Kasdiyoṅ, Fiqod, Shoa aur Qoa ke faujī mil kar tujh par ṭūṭ paṛeṅge. Ghuṛsawār Asūrī bhī un meṅ shāmil hoṅge, aise ḳhūbsūrat jawān jo sab gawarnar, afsar, rathsawār faujī aur ūṅche tabqe ke afrād hoṅge.
Ezek UrduGeoR 23:24  Shimāl se wuh rathoṅ aur muḳhtalif qaumoṅ ke muta'addid faujiyoṅ samet tujh par hamlā kareṅge. Wuh tujhe yoṅ gher leṅge ki har taraf chhoṭī aur baṛī ḍhāleṅ, har taraf ḳhod nazar āeṅge. Maiṅ tujhe un ke hawāle kar dūṅgā tāki wuh tujhe sazā de kar apne qawānīn ke mutābiq terī adālat kareṅ.
Ezek UrduGeoR 23:25  Tū merī ġhairat kā tajrabā karegī, kyoṅki yih log ġhusse meṅ tujh se nipaṭ leṅge. Wuh terī nāk aur kānoṅ ko kāṭ ḍāleṅge aur bache huoṅ ko talwār se maut ke ghāṭ utāreṅge. Tere beṭe-beṭiyoṅ ko wuh le jāeṅge, aur jo kuchh un ke pīchhe rah jāe wuh bhasm ho jāegā.
Ezek UrduGeoR 23:26  Wuh tere libās aur tere zewarāt ko tujh par se utāreṅge.
Ezek UrduGeoR 23:27  Yoṅ maiṅ terī wuh fahhāshī aur zinākārī rok dūṅgā jis kā silsilā tū ne Misr meṅ shurū kiyā thā. Tab na tū ārzūmand nazaroṅ se in chīzoṅ kī taraf dekhegī, na Misr ko yād karegī.
Ezek UrduGeoR 23:28  Kyoṅki Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki maiṅ tujhe un ke hawāle karne ko hūṅ jo tujh se nafrat karte haiṅ, un ke hawāle jin se tū ne tang ā kar apnā muṅh pher liyā thā.
Ezek UrduGeoR 23:29  Wuh baṛī nafrat se tere sāth pesh āeṅge. Jo kuchh tū ne mehnat se kamāyā use wuh chhīn kar tujhe nangī aur barahnā chhoṛeṅge. Tab terī zinākārī kā sharmnāk anjām aur terī fahhāshī sab par zāhir ho jāegī.
Ezek UrduGeoR 23:30  Tab tujhe is kā ajr milegā ki tū qaumoṅ ke pīchhe paṛ kar zinā kartī rahī, ki tū ne un ke butoṅ kī pūjā karke apne āp ko nāpāk kar diyā hai.
Ezek UrduGeoR 23:31  Tū apnī bahan ke namūne par chal paṛī, is lie maiṅ tujhe wuhī pyālā pilāūṅgā jo use pīnā paṛā.
Ezek UrduGeoR 23:32  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki tujhe apnī bahan kā pyālā pīnā paṛegā jo baṛā aur gahrā hai. Aur tū us waqt tak use pītī rahegī jab tak mazāq aur lān-tān kā nishānā na ban gaī ho.
Ezek UrduGeoR 23:33  Dahshat aur tabāhī kā pyālā pī pī kar tū madhoshī aur dukh se bhar jāegī. Tū apnī bahan Sāmariya kā yih pyālā
Ezek UrduGeoR 23:34  āḳhirī qatre tak pī legī, phir pyāle ko pāsh pāsh karke us ke ṭukṛe chabā legī aur apne sīne ko phāṛ legī.’ Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.
Ezek UrduGeoR 23:35  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai, ‘Tū ne mujhe bhūl kar apnā muṅh mujh se pher liyā hai. Ab tujhe apnī fahhāshī aur zinākārī kā natījā bhugatnā paṛegā.’”
Ezek UrduGeoR 23:36  Rab mazīd mujh se hamkalām huā, “Ai ādamzād, kyā tū Aholā aur Aholībā kī adālat karne ke lie taiyār hai? Phir un par un kī makrūh harkateṅ zāhir kar.
Ezek UrduGeoR 23:37  Un se do jurm sarzad hue haiṅ, zinā aur qatl. Unhoṅ ne butoṅ se zinā kiyā aur apne bachchoṅ ko jalā kar unheṅ khilāyā, un bachchoṅ ko jo unhoṅ ne mere hāṅ janm die the.
Ezek UrduGeoR 23:38  Lekin yih un ke lie kāfī nahīṅ thā. Sāth sāth unhoṅ ne merā maqdis nāpāk aur mere Sabat ke dinoṅ kī behurmatī kī.
Ezek UrduGeoR 23:39  Kyoṅki jab kabhī wuh apne bachchoṅ ko apne butoṅ ke huzūr qurbān kartī thīṅ usī din wuh mere ghar meṅ ā kar us kī behurmatī kartī thīṅ. Mere hī ghar meṅ wuh aisī harkateṅ kartī thīṅ.
Ezek UrduGeoR 23:40  Yih bhī in do bahnoṅ ke lie kāfī nahīṅ thā balki ādmiyoṅ kī talāsh meṅ unhoṅ ne apne qāsidoṅ ko dūr dūr tak bhej diyā. Jab mard pahuṅche to tū ne un ke lie nahā kar apnī āṅkhoṅ meṅ surmā lagāyā aur apne zewarāt pahan lie.
Ezek UrduGeoR 23:41  Phir tū shāndār sofe par baiṭh gaī. Tere sāmne mez thī jis par tū ne mere lie maḳhsūs baḳhūr aur tel rakhā thā.
Ezek UrduGeoR 23:42  Registān se Sibā ke muta'addid ādmī lāe gae to shahr meṅ shor mach gayā, aur logoṅ ne sukūn kā sāṅs liyā. Ādmiyoṅ ne donoṅ bahnoṅ ke bāzuoṅ meṅ kaṛe pahnāe aur un ke saroṅ par shāndār tāj rakhe.
Ezek UrduGeoR 23:43  Tab maiṅ ne zinākārī se ghisī-phaṭī aurat ke bāre meṅ kahā, ‘Ab wuh us ke sāth zinā kareṅ, kyoṅki wuh zinākār hī hai.’
Ezek UrduGeoR 23:44  Aisā hī huā. Mard un behayā bahnoṅ Aholā aur Aholībā se yoṅ hambistar hue jis tarah kasbiyoṅ se.
Ezek UrduGeoR 23:45  Lekin rāstbāz ādmī un kī adālat karke unheṅ zinā aur qatl ke mujrim ṭhahrāeṅge. Kyoṅki donoṅ bahneṅ zinākār aur qātil hī haiṅ.
Ezek UrduGeoR 23:46  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki un ke ḳhilāf julūs nikāl kar unheṅ dahshat aur lūṭ-mār ke hawāle karo.
Ezek UrduGeoR 23:47  Log unheṅ sangsār karke talwār se ṭukṛe ṭukṛe kareṅ, wuh un ke beṭe-beṭiyoṅ ko mār ḍāleṅ aur un ke gharoṅ ko nazar-e-ātish kareṅ.
Ezek UrduGeoR 23:48  Yoṅ maiṅ mulk meṅ zinākārī ḳhatm karūṅga. Is se tamām auratoṅ ko tambīh milegī ki wuh tumhāre sharmnāk namūne par na chaleṅ.
Ezek UrduGeoR 23:49  Tumheṅ zinākārī aur butparastī kī munāsib sazā milegī. Tab tum jān logī ki maiṅ Rab Qādir-e-mutlaq hūṅ.”
Chapter 24
Ezek UrduGeoR 24:1  Yahūyākīn Bādshāh kī jilāwatanī ke naweṅ sāl meṅ Rab kā kalām mujh par nāzil huā. Dasweṅ mahīne kā daswāṅ din thā. Paiġhām yih thā,
Ezek UrduGeoR 24:2  “Ai ādamzād, isī din kī tārīḳh likh le, kyoṅki isī din Shāh-e-Bābal Yarūshalam kā muhāsarā karne lagā hai.
Ezek UrduGeoR 24:3  Phir is sarkash qaum Isrāīl ko tamsīl pesh karke batā, ‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki āg par deg rakh kar us meṅ pānī ḍāl de.
Ezek UrduGeoR 24:4  Phir use behtarīn gosht se bhar de. Rān aur shāne ke ṭukṛe, nīz behtarīn haḍḍiyāṅ us meṅ ḍāl de.
Ezek UrduGeoR 24:5  Sirf behtarīn bheṛoṅ kā gosht istemāl kar. Dhyān de ki deg ke nīche āg zor se bhaṛaktī rahe. Gosht ko haḍḍiyoṅ samet ḳhūb pakne de.
Ezek UrduGeoR 24:6  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki Yarūshalam par afsos jis meṅ itnā ḳhūn bahāyā gayā hai! Yih shahr deg hai jis meṅ zang lagā hai, aisā zang jo utartā nahīṅ. Ab gosht ke ṭukṛoṅ ko yake bād dīgare deg se nikāl de. Unheṅ kisī tartīb se mat nikālnā balki qurā ḍāle baġhair nikāl de.
Ezek UrduGeoR 24:7  Jo ḳhūn Yarūshalam ne bahāyā wuh ab tak us meṅ maujūd hai. Kyoṅki wuh miṭṭī par na girā jo use jazb kar saktī balki nangī chaṭān par.
Ezek UrduGeoR 24:8  Maiṅ ne ḳhud yih ḳhūn nangī chaṭān par bahne diyā tāki wuh chhup na jāe balki merā ġhazab Yarūshalam par nāzil ho jāe aur maiṅ badlā lūṅ.
Ezek UrduGeoR 24:9  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki Yarūshalam par afsos jis ne itnā ḳhūn bahāyā hai! Maiṅ bhī tere nīche lakaṛī kā baṛā ḍher lagāūṅgā.
Ezek UrduGeoR 24:10  Ā, lakaṛī kā baṛā ḍher karke āg lagā de. Gosht ko ḳhūb pakā, phir shorbā nikāl kar haḍḍiyoṅ ko bhasm hone de.
Ezek UrduGeoR 24:11  Is ke bād ḳhālī deg ko jalte koeloṅ par rakh de tāki pītal garm ho kar tamtamāne lage aur deg meṅ mail pighal jāe, us kā zang utar jāe.
Ezek UrduGeoR 24:12  Lekin befāydā! Itnā zang lagā hai ki wuh āg meṅ bhī nahīṅ utartā.
Ezek UrduGeoR 24:13  Ai Yarūshalam, apnī behayā harkatoṅ se tū ne apne āp ko nāpāk kar diyā hai. Agarche maiṅ ḳhud tujhe pāk-sāf karnā chāhtā thā to bhī tū pāk-sāf na huī. Ab tū us waqt tak pāk nahīṅ hogī jab tak maiṅ apnā pūrā ġhussā tujh par utār na lūṅ.
Ezek UrduGeoR 24:14  Mere Rab kā yih farmān pūrā hone wālā hai, aur maiṅ dhyān se use amal meṅ lāūṅgā. Na maiṅ tujh par tars khāūṅgā, na rahm karūṅga. Maiṅ tere chāl-chalan aur āmāl ke mutābiq terī adālat karūṅga.’ Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.”
Ezek UrduGeoR 24:16  “Ai ādamzād, maiṅ tujh se achānak terī āṅkh kā tārā chhīn lūṅgā. Lekin lāzim hai ki tū na āh-o-zārī kare, na āṅsū bahāe.
Ezek UrduGeoR 24:17  Beshak chupke se karāhtā rah, lekin apnī Azīzā ke lie alāniyā mātam na kar. Na sar se pagaṛī utār aur na pāṅwoṅ se jūte. Na dāṛhī ko ḍhāṅpnā, na janāze kā khānā khā.”
Ezek UrduGeoR 24:18  Subah ko maiṅ ne qaum ko yih paiġhām sunāyā, aur shām ko merī bīwī intaqāl kar gaī. Aglī subah maiṅ ne wuh kuchh kiyā jo Rab ne mujhe karne ko kahā thā.
Ezek UrduGeoR 24:19  Yih dekh kar logoṅ ne mujh se pūchhā, “Āp ke rawaiye kā hamāre sāth kyā tālluq hai? Zarā hameṅ batāeṅ.”
Ezek UrduGeoR 24:21  āp Isrāīliyoṅ ko yih paiġhām sunāne ko kahā, ‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki merā ghar tumhāre nazdīk panāhgāh hai jis par tum faḳhr karte ho. Lekin yih maqdis jo tumhārī āṅkh kā tārā aur jān kā pyārā hai tabāh hone wālā hai. Maiṅ us kī behurmatī karne ko hūṅ. Aur tumhāre jitne beṭe-beṭiyāṅ Yarūshalam meṅ pīchhe rah gae the wuh sab talwār kī zad meṅ ā kar mar jāeṅge.
Ezek UrduGeoR 24:22  Tab tum wuh kuchh karoge jo Hizqiyel is waqt kar rahā hai. Na tum apnī dāṛhiyoṅ ko ḍhāṅpoge, na janāze kā khānā khāoge.
Ezek UrduGeoR 24:23  Na tum sar se pagaṛī, na pāṅwoṅ se jūte utāroge. Tumhāre hāṅ na mātam kā shor, na rone kī āwāz sunāī degī balki tum apne gunāhoṅ ke sabab se zāe hote jāoge. Tum chupke se ek dūsre ke sāth baiṭh kar karāhte rahoge.
Ezek UrduGeoR 24:24  Hizqiyel tumhāre lie nishān hai. Jo kuchh wuh is waqt kar rahā hai wuh tum bhī karoge. Tab tum jān loge ki maiṅ Rab Qādir-e-mutlaq hūṅ.’”
Ezek UrduGeoR 24:25  Rab mazīd mujh se hamkalām huā, “Ai ādamzād, yih ghar Isrāīliyoṅ ke nazdīk panāhgāh hai jis ke bāre meṅ wuh ḳhās ḳhushī mahsūs karte haiṅ, jis par wuh faḳhr karte haiṅ. Lekin maiṅ yih maqdis jo un kī āṅkh kā tārā aur jān kā pyārā hai un se chhīn lūṅgā aur sāth sāth un ke beṭe-beṭiyoṅ ko bhī. Jis din yih pesh āegā
Ezek UrduGeoR 24:26  us din ek ādmī bach kar tujhe is kī ḳhabar pahuṅchāegā.
Ezek UrduGeoR 24:27  Usī waqt tū dubārā bol sakegā. Tū gūṅgā nahīṅ rahegā balki us se bāteṅ karne lagegā. Yoṅ tū Isrāīliyoṅ ke lie nishān hogā. Tab wuh jān leṅge ki maiṅ hī Rab hūṅ.”
Chapter 25
Ezek UrduGeoR 25:2  “Ai ādamzād, Ammoniyoṅ ke mulk kī taraf ruḳh karke un ke ḳhilāf nabuwwat kar.
Ezek UrduGeoR 25:3  Unheṅ batā, ‘Suno Rab Qādir-e-mutlaq kā kalām! Wuh farmātā hai ki ai Ammon Beṭī, tū ne ḳhush ho kar qahqahā lagāyā jab mere maqdis kī behurmatī huī, Mulk-e-Isrāīl tabāh huā aur Yahūdāh ke bāshinde jilāwatan hue.
Ezek UrduGeoR 25:4  Is lie maiṅ tujhe mashriqī qabīloṅ ke hawāle karūṅga jo apne ḍere tujh meṅ lagā kar pūrī bastiyāṅ qāym kareṅge. Wuh terā hī phal khāeṅge, terā hī dūdh pieṅge.
Ezek UrduGeoR 25:5  Rabbā shahr ko maiṅ ūṅṭoṅ kī charāgāh meṅ badal dūṅgā aur Mulk-e-Ammon ko bheṛ-bakriyoṅ kī ārāmgāh banā dūṅgā. Tab tum jān loge ki maiṅ hī Rab hūṅ.
Ezek UrduGeoR 25:6  Kyoṅki Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki tū ne tāliyāṅ bajā bajā kar aur pāṅw zamīn par mār mār kar Isrāīl ke anjām par apnī dilī ḳhushī kā izhār kiyā. Terī Isrāīl ke lie hiqārat sāf taur par nazar āī.
Ezek UrduGeoR 25:7  Is lie maiṅ apnā hāth tere ḳhilāf baṛhā kar tujhe dīgar aqwām ke hawāle kar dūṅgā tāki wuh tujhe lūṭ leṅ. Maiṅ tujhe yoṅ miṭā dūṅgā ki aqwām-o-mamālik meṅ terā nām-o-nishān tak nahīṅ rahegā. Tab tū jān legī ki maiṅ hī Rab hūṅ.’”
Ezek UrduGeoR 25:8  “Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki Moāb aur Saīr Isrāīl kā mazāq uṛā kar kahte haiṅ, ‘Lo, dekho Yahūdāh ke gharāne kā hāl! Ab wuh bhī bāqī qaumoṅ kī tarah ban gayā hai.’
Ezek UrduGeoR 25:9  Is lie maiṅ Moāb kī pahāṛī ḍhalānoṅ ko un ke shahroṅ se mahrūm karūṅga. Mulk ke ek sire se dūsre sire tak ek bhī ābādī nahīṅ rahegī. Go Moābī apne shahroṅ Bait-yasīmot, Bāl-maūn aur Qiriyatāym par ḳhās faḳhr karte haiṅ, lekin wuh bhī zamīnbos ho jāeṅge.
Ezek UrduGeoR 25:10  Ammon kī tarah maiṅ Moāb ko bhī mashriqī qabīloṅ ke hawāle karūṅga. Āḳhirkār aqwām meṅ Ammoniyoṅ kī yād tak nahīṅ rahegī,
Ezek UrduGeoR 25:11  aur Moāb ko bhī mujh se munāsib sazā milegī. Tab wuh jān leṅge ki maiṅ hī Rab hūṅ.”
Ezek UrduGeoR 25:12  “Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki Yahūdāh se intaqām lene se Adom ne sangīn gunāh kiyā hai.
Ezek UrduGeoR 25:13  Is lie maiṅ apnā hāth Adom ke ḳhilāf baṛhā kar us ke insān-o-haiwān ko mār ḍālūṅgā, aur wuh talwār se māre jāeṅge. Temān se le kar Dadān tak yih mulk wīrān-o-sunsān ho jāegā. Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.
Ezek UrduGeoR 25:14  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki apnī qaum ke hāthoṅ maiṅ Adom se badlā lūṅgā, aur Isrāīl mere ġhazab aur qahr ke mutābiq hī Adom se nipaṭ legā. Tab wuh merā intaqām jān leṅge.”
Ezek UrduGeoR 25:15  “Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki Filistiyoṅ ne baṛe zulm ke sāth Yahūdāh se badlā liyā hai. Unhoṅ ne us par apnī dilī hiqārat aur dāymī dushmanī kā izhār kiyā aur intaqām le kar use tabāh karne kī koshish kī.
Ezek UrduGeoR 25:16  Is lie Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki maiṅ apnā hāth Filistiyoṅ ke ḳhilāf baṛhāne ko hūṅ. Maiṅ in Karetiyoṅ aur sāhilī ilāqe ke bache huoṅ ko miṭā dūṅgā.
Ezek UrduGeoR 25:17  Maiṅ apnā ġhazab un par nāzil karke saḳhtī se un se badlā lūṅgā. Tab wuh jān leṅge ki maiṅ hī Rab hūṅ.”
Chapter 26
Ezek UrduGeoR 26:1  Yahūyākīn Bādshāh kī jilāwatanī ke 11weṅ sāl meṅ Rab mujh se hamkalām huā. Mahīne kā pahlā din thā.
Ezek UrduGeoR 26:2  “Ai ādamzād, Sūr Beṭī Yarūshalam kī tabāhī dekh kar ḳhush huī hai. Wuh kahtī hai, ‘Lo, aqwām kā darwāzā ṭūṭ gayā hai! Ab maiṅ hī is kī zimmedāriyāṅ nibhāūṅgī. Ab jab Yarūshalam wīrān hai to maiṅ hī faroġh pāūṅgī.’
Ezek UrduGeoR 26:3  Jawāb meṅ Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki ai Sūr, maiṅ tujh se nipaṭ lūṅgā! Maiṅ muta'addid qaumoṅ ko tere ḳhilāf bhejūṅgā. Samundar kī zabardast maujoṅ kī tarah wuh tujh par ṭūṭ paṛeṅgī.
Ezek UrduGeoR 26:4  Wuh Sūr Shahr kī fasīl ko ḍhā kar us ke burjoṅ ko ḳhāk meṅ milā deṅgī. Tab maiṅ use itne zor se jhāṛ dūṅgā ki miṭṭī tak nahīṅ rahegī. Ḳhālī chaṭān hī nazar āegī.
Ezek UrduGeoR 26:5  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki wuh samundar ke darmiyān aisī jagah rahegī jahāṅ machhere apne jāloṅ ko sukhāne ke lie bichhā deṅge. Dīgar aqwām use lūṭ leṅgī,
Ezek UrduGeoR 26:6  aur ḳhushkī par us kī ābādiyāṅ talwār kī zad meṅ ā jāeṅgī. Tab wuh jān leṅge ki maiṅ hī Rab hūṅ.
Ezek UrduGeoR 26:7  Kyoṅki Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki maiṅ Bābal ke bādshāh Nabūkadnazzar ko tere ḳhilāf bhejūṅgā jo ghoṛe, rath, ghuṛsawār aur baṛī fauj le kar shimāl se tujh par hamlā karegā.
Ezek UrduGeoR 26:8  Ḳhushkī par terī ābādiyoṅ ko wuh talwār se tabāh karegā, phir pushte aur burjoṅ se tujhe gher legā. Us ke faujī apnī ḍhāleṅ uṭhā kar tujh par hamlā kareṅge.
Ezek UrduGeoR 26:9  Bādshāh apnī qilāshikan mashīnoṅ se terī fasīl ko ḍhā degā aur apne ālāt se tere burjoṅ ko girā degā.
Ezek UrduGeoR 26:10  Jab us ke beshumār ghoṛe chal paṛeṅge to itnī gard uṛ jāegī ki tū us meṅ ḍūb jāegī. Jab bādshāh terī fasīl ko toṛ toṛ kar tere darwāzoṅ meṅ dāḳhil hogā to terī dīwāreṅ ghoṛoṅ aur rathoṅ ke shor se laraz uṭheṅgī.
Ezek UrduGeoR 26:11  Us ke ghoṛoṅ ke khur terī tamām galiyoṅ ko kuchal deṅge, aur tere bāshinde talwār se mar jāeṅge, tere mazbūt satūn zamīnbos ho jāeṅge.
Ezek UrduGeoR 26:12  Dushman terī daulat chhīn leṅge aur terī tijārat kā māl lūṭ leṅge. Wuh terī dīwāroṅ ko girā kar terī shāndār imāratoṅ ko mismār kareṅge, phir tere patthar, lakaṛī aur malbā samundar meṅ phaiṅk deṅge.
Ezek UrduGeoR 26:13  Maiṅ tere gītoṅ kā shor band karūṅga. Āindā tere sarodoṅ kī āwāz sunāī nahīṅ degī.
Ezek UrduGeoR 26:14  Maiṅ tujhe nangī chaṭān meṅ tabdīl karūṅga, aur machhere tujhe apne jāl bichhā kar sukhāne ke lie istemāl kareṅge. Āindā tujhe kabhī dubārā tāmīr nahīṅ kiyā jāegā. Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.
Ezek UrduGeoR 26:15  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki ai Sūr Beṭī, sāhilī ilāqe kāṅp uṭheṅge jab tū dhaṛām se gir jāegī, jab har taraf zaḳhmī logoṅ kī karāhtī āwāzeṅ sunāī deṅgī, har galī meṅ qatl-o-ġhārat kā shor machegā.
Ezek UrduGeoR 26:16  Tab sāhilī ilāqoṅ ke tamām hukmrān apne taḳhtoṅ se utar kar apne choġhe aur shāndār libās utāreṅge. Wuh mātamī kapṛe pahan kar zamīn par baiṭh jāeṅge aur bār bār laraz uṭheṅge, yahāṅ tak wuh tere anjām par pareshān hoṅge.
Ezek UrduGeoR 26:17  Tab wuh tujh par mātam karke gīt gāeṅge, ‘Hāy, tū kitne dhaṛām se gir kar tabāh huī hai! Ai sāhilī shahr, ai Sūr Beṭī, pahle tū apne bāshindoṅ samet samundar ke darmiyān rah kar kitnī mashhūr aur tāqatwar thī. Gird-o-nawāh ke tamām bāshinde tujh se dahshat khāte the.
Ezek UrduGeoR 26:18  Ab sāhilī ilāqe tere anjām ko dekh kar thartharā rahe haiṅ. Samundar ke jazīre tere ḳhātme kī ḳhabar sun kar dahshatzadā ho gae haiṅ.’
Ezek UrduGeoR 26:19  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki ai Sūr Beṭī, maiṅ tujhe wīrān-o-sunsān karūṅga. Tū un dīgar shahroṅ kī mānind ban jāegī jo nest-o-nābūd ho gae haiṅ. Maiṅ tujh par sailāb lāūṅgā, aur gahrā pānī tujhe ḍhāṅp degā.
Ezek UrduGeoR 26:20  Maiṅ tujhe Pātāl meṅ utarne dūṅgā, aur tū us qaum ke pās pahuṅchegī jo qadīm zamāne se hī wahāṅ bastī hai. Tab tujhe zamīn kī gahrāiyoṅ meṅ rahnā paṛegā, wahāṅ jahāṅ qadīm zamānoṅ ke khanḍarāt haiṅ. Tū murdoṅ ke mulk meṅ rahegī aur kabhī zindagī ke mulk meṅ wāpas nahīṅ āegī, na wahāṅ apnā maqām dubārā hāsil karegī.
Ezek UrduGeoR 26:21  Maiṅ hone dūṅgā ki terā anjām dahshatnāk hogā, aur tū sarāsar tabāh ho jāegī. Log terā khoj lagāeṅge lekin tujhe kabhī nahīṅ pāeṅge. Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.”
Chapter 27
Ezek UrduGeoR 27:2  “Ai ādamzād, Sūr Beṭī par mātamī gīt gā,
Ezek UrduGeoR 27:3  us shahr par jo samundar kī guzargāh par wāqe hai aur muta'addid sāhilī qaumoṅ se tijārat kartā hai. Us se kah, ‘Rab farmātā hai ki ai Sūr Beṭī, tū apne āp par bahut faḳhr karke kahtī hai ki wāh, merā husn kamāl kā hai.
Ezek UrduGeoR 27:4  Aur wāqaī, terā ilāqā samundar ke bīch meṅ hī hai, aur jinhoṅ ne tujhe tāmīr kiyā unhoṅ ne tere husn ko takmīl tak pahuṅchāyā,
Ezek UrduGeoR 27:5  tujhe shāndār bahrī jahāz kī mānind banāyā. Tere taḳhte Sanīr meṅ ugne wāle jūnīpar ke daraḳhtoṅ se banāe gae. Terā mastūl Lubnān kā deodār kā daraḳht thā.
Ezek UrduGeoR 27:6  Tere chappū Basan ke balūt ke daraḳhtoṅ se banāe gae. Jabki tere farsh ke lie Qubrus se saro kī lakaṛī lāī gaī, phir use hāthīdāṅt se ārāstā kiyā gayā.
Ezek UrduGeoR 27:7  Nafīs katān kā terā rangdār bādbān Misr kā thā. Wuh terā imtiyāzī nishān ban gayā. Tere tirpāloṅ kā qirmizī aur arġhawānī rang Ilīsā ke sāhilī ilāqe se lāyā gayā.
Ezek UrduGeoR 27:8  Saidā aur arwad ke mard tere chappū mārte the, Sūr ke apne hī dānā tere mallāh the.
Ezek UrduGeoR 27:9  Jabal ke buzurg aur dānishmand ādmī dhyān dete the ki terī darzeṅ band raheṅ. Tamām bahrī jahāz apne mallāhoṅ samet tere pās āyā karte the tāki tere sāth tijārat kareṅ.
Ezek UrduGeoR 27:10  Fāras, Ludiyā aur Libiyā ke afrād terī fauj meṅ ḳhidmat karte the. Terī dīwāroṅ se laṭkī un kī ḍhāloṅ aur ḳhodoṅ ne terī shān mazīd baṛhā dī.
Ezek UrduGeoR 27:11  Arwad aur Ḳhalak ke ādmī terī fasīl kā difā karte the, jammād ke faujī tere burjoṅ meṅ pahrādārī karte the. Terī dīwāroṅ se laṭkī huī un kī ḍhāloṅ ne tere husn ko kamāl tak pahuṅchā diyā.
Ezek UrduGeoR 27:12  Tū amīr thī, tujh meṅ māl-o-asbāb kī kasrat kī tijārat kī jātī thī. Is lie Tarsīs tujhe chāṅdī, lohā, ṭīn aur sīsā de kar tujh se saudā kartā thā.
Ezek UrduGeoR 27:13  Yūnān, Tūbal aur Masak tujh se tijārat karte, terā māl ḳharīd kar muāwaze meṅ ġhulām aur pītal kā sāmān dete the.
Ezek UrduGeoR 27:14  Bait-tujarmā ke tājir tere māl ke lie tujhe ām ghoṛe, faujī ghoṛe aur ḳhachchar pahuṅchāte the.
Ezek UrduGeoR 27:15  Dadān ke ādmī tere sāth tijārat karte the, hāṅ muta'addid sāhilī ilāqe tere gāhak the. Un ke sāth saudābāzī karke tujhe hāthīdāṅt aur ābnūs kī lakaṛī miltī thī.
Ezek UrduGeoR 27:16  Shām terī paidāwār kī kasrat kī wajah se tere sāth tijārat kartā thā. Muāwaze meṅ tujhe fīrozā, arġhawānī rang, rangdār kapṛe, bārīk katān, mūṅgā aur yāqūt miltā thā.
Ezek UrduGeoR 27:17  Yahūdāh aur Isrāīl tere gāhak the. Terā māl ḳharīd kar wuh tujhe Minnīt kā gandum, pannag kī ṭikkiyāṅ, shahd, zaitūn kā tel aur balsān dete the.
Ezek UrduGeoR 27:18  Damishq terī wāfir paidāwār aur māl kī kasrat kī wajah se tere sāth kārobār kartā thā. Us se tujhe Halbūn kī mai aur sāhar kī ūn miltī thī.
Ezek UrduGeoR 27:19  Widān aur Yūnān tere gāhak the. Wuh Ūzāl kā ḍhālā huā lohā, dārchīnī aur kalamas kā masālā pahuṅchāte the.
Ezek UrduGeoR 27:20  Dadān se tijārat karne se tujhe zīnposh miltī thī.
Ezek UrduGeoR 27:21  Arab aur Qīdār ke tamām hukmrān tere gāhak the. Tere māl ke ewaz wuh bheṛ ke bachche, menḍhe aur bakre dete the.
Ezek UrduGeoR 27:22  Sabā aur Rāmā ke tājir terā māl hāsil karne ke lie tujhe behtarīn balsān, har qism ke jawāhar aur sonā dete the.
Ezek UrduGeoR 27:23  Hārān, Kannā, Adan, Sabā, Asūr aur kul Mādī sab tere sāth tijārat karte the.
Ezek UrduGeoR 27:24  Wuh tere pās ā kar tujhe shāndār libās, qirmizī rang kī chādareṅ, rangdār kapṛe aur kambal, nīz mazbūt rasse pesh karte the.
Ezek UrduGeoR 27:25  Tarsīs ke umdā jahāz terā māl muḳhtalif mamālik meṅ pahuṅchāte the. Yoṅ tū jahāz kī mānind samundar ke bīch meṅ rah kar daulat aur shān se mālāmāl ho gaī.
Ezek UrduGeoR 27:26  Tere chappū chalāne wāle tujhe dūr dūr tak pahuṅchāte haiṅ. Lekin wuh waqt qarīb hai jab mashriq se tez āṅdhī ā kar tujhe samundar ke darmiyān hī ṭukṛe ṭukṛe kar degī.
Ezek UrduGeoR 27:27  Jis din tū gir jāegī us din terī tamām milkiyat samundar ke bīch meṅ hī ḍūb jāegī. Terī daulat, terā saudā, tere mallāh, tere bahrī musāfir, terī darzeṅ band rakhne wāle, tere tājir, tere tamām faujī aur bāqī jitne bhī tujh par sawār haiṅ sab ke sab ġharq ho jāeṅge.
Ezek UrduGeoR 27:28  Tere mallāhoṅ kī chīḳhtī-chillātī āwāzeṅ sun kar sāhilī ilāqe kāṅp uṭheṅge.
Ezek UrduGeoR 27:29  Tamām chappū chalāne wāle, mallāh aur bahrī musāfir apne jahāzoṅ se utar kar sāhil par khaṛe ho jāeṅge.
Ezek UrduGeoR 27:30  Wuh zor se ro paṛeṅge, baṛī talḳhī se giryā-o-zārī kareṅge. Apne saroṅ par ḳhāk ḍāl kar wuh rākh meṅ loṭ-poṭ ho jāeṅge.
Ezek UrduGeoR 27:31  Terī hī wajah se wuh apne saroṅ ko munḍwā kar ṭāṭ kā libās oṛh leṅge, wuh baṛī bechainī aur talḳhī se tujh par mātam kareṅge.
Ezek UrduGeoR 27:32  Tab wuh zār-o-qatār ro kar mātam kā gīt gāeṅge, “Hāy, kaun samundar se ghire hue Sūr kī tarah ḳhāmosh ho gayā hai?”
Ezek UrduGeoR 27:33  Jab tijārat kā māl samundar kī chāroṅ taraf se tujh tak pahuṅchtā thā to tū muta'addid qaumoṅ ko ser kartī thī. Duniyā ke bādshāh terī daulat aur tijāratī sāmān kī kasrat se amīr hue.
Ezek UrduGeoR 27:34  Afsos! Ab tū pāsh pāsh ho kar samundar kī gahrāiyoṅ meṅ ġhāyb ho gaī hai. Terā māl aur tere tamām afrād tere sāth ḍūb gae haiṅ.
Ezek UrduGeoR 27:35  Sāhilī ilāqoṅ meṅ basne wāle ghabrā gae haiṅ. Un ke bādshāhoṅ ke roṅgṭe khaṛe ho gae. Un ke chehre pareshān nazar āte haiṅ.
Ezek UrduGeoR 27:36  Dīgar aqwām ke tājir tujhe dekh kar “Taubā taubā” kahte haiṅ. Terā haulnāk anjām achānak hī ā gayā hai. Ab se tū kabhī nahīṅ uṭhegī.’”
Chapter 28
Ezek UrduGeoR 28:2  “Ai ādamzād, Sūr ke hukmrān ko batā, ‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki tū maġhrūr ho gayā hai. Tū kahtā hai ki maiṅ Ḳhudā hūṅ, maiṅ samundar ke darmiyān hī apne taḳht-e-ilāhī par baiṭhā hūṅ. Lekin tū Ḳhudā nahīṅ balki insān hai, go tū apne āp ko Ḳhudā-sā samajhtā hai.
Ezek UrduGeoR 28:3  Beshak tū apne āp ko Dānyāl se kahīṅ zyādā dānishmand samajh kar kahtā hai ki koī bhī bhed mujh se poshīdā nahīṅ rahtā.
Ezek UrduGeoR 28:4  Aur yih haqīqat bhī hai ki tū ne apnī hikmat aur samajh se bahut daulat hāsil kī hai, sone aur chāṅdī se apne ḳhazānoṅ ko bhar diyā hai.
Ezek UrduGeoR 28:5  Baṛī dānishmandī se tū ne tijārat ke zariye apnī daulat baṛhāī. Lekin jitnī terī daulat baṛhtī gaī utnā hī terā ġhurūr bhī baṛhtā gayā.
Ezek UrduGeoR 28:6  Chunāṅche Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki chūṅki tū apne āp ko Ḳhudā-sā samajhtā hai
Ezek UrduGeoR 28:7  is lie maiṅ sab se zālim qaumoṅ ko tere ḳhilāf bhejūṅgā jo apnī talwāroṅ ko terī ḳhūbsūratī aur hikmat ke ḳhilāf khīṅch kar terī shān-o-shaukat kī behurmatī kareṅgī.
Ezek UrduGeoR 28:8  Wuh tujhe Pātāl meṅ utāreṅgī. Samundar ke bīch meṅ hī tujhe mār ḍālā jāegā.
Ezek UrduGeoR 28:9  Kyā tū us waqt apne qātiloṅ se kahegā ki maiṅ Ḳhudā hūṅ? Hargiz nahīṅ! Apne qātiloṅ ke hāth meṅ hote waqt tū Ḳhudā nahīṅ balki insān sābit hogā.
Ezek UrduGeoR 28:10  Tū ajnabiyoṅ ke hāthoṅ nāmaḳhtūn kī-sī wafāt pāegā. Yih merā, Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.’”
Ezek UrduGeoR 28:12  “Ai ādamzād, Sūr ke bādshāh par mātamī gīt gā kar us se kah, ‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki tujh par kāmiliyat kā ṭhappā thā. Tū hikmat se bharpūr thā, terā husn kamāl kā thā.
Ezek UrduGeoR 28:13  Allāh ke Bāġh-e-Adan meṅ rah kar tū har qism ke jawāhar se sajā huā thā. Lāl, zabarjad, hajrul-qamar, pukhrāj, aqīq-e-ahmar aur yashab, sang-e-lājaward, fīrozā aur zumurrad sab tujhe ārāstā karte the. Sab kuchh sone ke kām se mazīd ḳhūbsūrat banāyā gayā thā. Jis din tujhe ḳhalaq kiyā gayā usī din yih chīzeṅ tere lie taiyār huīṅ.
Ezek UrduGeoR 28:14  Maiṅ ne tujhe Allāh ke muqaddas pahāṛ par khaṛā kiyā thā. Wahāṅ tū karūbī farishte kī haisiyat se apne par phailāe pahrādārī kartā thā, wahāṅ tū jalte hue pattharoṅ ke darmiyān hī ghūmtā-phirtā rahā.
Ezek UrduGeoR 28:15  Jis din tujhe ḳhalaq kiyā gayā terā chāl-chalan be'ilzām thā, lekin ab tujh meṅ nāinsāfī pāī gaī hai.
Ezek UrduGeoR 28:16  Tijārat meṅ kāmyābī kī wajah se tū zulm-o-tashaddud se bhar gayā aur gunāh karne lagā. Yih dekh kar maiṅ ne tujhe Allāh ke pahāṛ par se utār diyā. Maiṅ ne tujhe jo pahrādārī karne wālā farishtā thā tabāh karke jalte hue pattharoṅ ke darmiyān se nikāl diyā.
Ezek UrduGeoR 28:17  Terī ḳhūbsūratī tere lie ġhurūr kā bāis ban gaī, hāṅ terī shān-o-shaukat ne tujhe itnā phulā diyā ki terī hikmat jātī rahī. Isī lie maiṅ ne tujhe zamīn par paṭaḳh kar dīgar bādshāhoṅ ke sāmne tamāshā banā diyā.
Ezek UrduGeoR 28:18  Apne beshumār gunāhoṅ aur be'insāf tijārat se tū ne apne muqaddas maqāmoṅ kī behurmatī kī hai. Jawāb meṅ maiṅ ne hone diyā ki āg tere darmiyān se nikal kar tujhe bhasm kare. Maiṅ ne tujhe tamāshā deḳhne wāle tamām logoṅ ke sāmne hī rākh kar diyā.
Ezek UrduGeoR 28:19  Jitnī bhī qaumeṅ tujhe jāntī thīṅ un ke roṅgṭe khaṛe ho gae. Terā haulnāk anjām achānak hī ā gayā hai. Ab se tū kabhī nahīṅ uṭhegā.’”
Ezek UrduGeoR 28:21  “Ai ādamzād, Saidā kī taraf ruḳh karke us ke ḳhilāf nabuwwat kar!
Ezek UrduGeoR 28:22  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki ai Saidā, maiṅ tujh se nipaṭ lūṅgā. Tere darmiyān hī maiṅ apnā jalāl dikhāūṅgā. Tab wuh jān leṅge ki maiṅ hī Rab hūṅ, kyoṅki maiṅ shahr kī adālat karke apnā muqaddas kirdār un par zāhir karūṅga.
Ezek UrduGeoR 28:23  Maiṅ us meṅ mohlak wabā phailā kar us kī galiyoṅ meṅ ḳhūn bahā dūṅgā. Use chāroṅ taraf se talwār gher legī to us meṅ phaṅse hue log halāk ho jāeṅge. Tab wuh jān leṅge ki maiṅ hī Rab hūṅ.
Ezek UrduGeoR 28:24  Is waqt Isrāīl ke paṛosī use haqīr jānte haiṅ. Ab tak wuh use chubhne wāle ḳhār aur zaḳhmī karne wāle kāṅṭe haiṅ. Lekin āindā aisā nahīṅ hogā. Tab wuh jān leṅge ki maiṅ Rab Qādir-e-mutlaq hūṅ.
Ezek UrduGeoR 28:25  Kyoṅki Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki dīgar aqwām ke deḳhte deḳhte maiṅ zāhir karūṅga ki maiṅ muqaddas hūṅ. Kyoṅki maiṅ Isrāīliyoṅ ko un aqwām meṅ se nikāl kar jamā karūṅga jahāṅ maiṅ ne unheṅ muntashir kar diyā thā. Tab wuh apne watan meṅ jā baseṅge, us mulk meṅ jo maiṅ ne apne ḳhādim Yāqūb ko diyā thā.
Ezek UrduGeoR 28:26  Wuh hifāzat se us meṅ rah kar ghar tāmīr kareṅge aur angūr ke bāġh lagāeṅge. Lekin jo paṛosī unheṅ haqīr jānte the un kī maiṅ adālat karūṅga. Tab wuh jān leṅge ki maiṅ Rab un kā Ḳhudā hūṅ.”
Chapter 29
Ezek UrduGeoR 29:1  Yahūyākīn Bādshāh kī jilāwatanī ke dasweṅ sāl meṅ Rab mujh se hamkalām huā. Dasweṅ mahīne kā 11wāṅ din thā. Rab ne farmāyā,
Ezek UrduGeoR 29:2  “Ai ādamzād, Misr ke bādshāh Firaun kī taraf ruḳh karke us ke aur tamām Misr ke ḳhilāf nabuwwat kar!
Ezek UrduGeoR 29:3  Use batā, ‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki ai Shāh-e-Misr Firaun, maiṅ tujh se nipaṭne ko hūṅ. Beshak tū ek baṛā azhdahā hai jo Dariyā-e-Nīl kī muḳhtalif shāḳhoṅ ke bīch meṅ leṭā huā kahtā hai ki yih dariyā merā hī hai, maiṅ ne ḳhud use banāyā.
Ezek UrduGeoR 29:4  Lekin maiṅ tere muṅh meṅ kāṅṭe ḍāl kar tujhe dariyā se nikāl lāūṅgā. Mere kahne par terī nadiyoṅ kī tamām machhliyāṅ tere chhilkoṅ ke sāth lag kar tere sāth pakaṛī jāeṅgī.
Ezek UrduGeoR 29:5  Maiṅ tujhe in tamām machhliyoṅ samet registān meṅ phaiṅk chhoṛūṅgā. Tū khule maidān meṅ gir kar paṛā rahegā. Na koī tujhe ikaṭṭhā karegā, na jamā karegā balki maiṅ tujhe darindoṅ aur parindoṅ ko khilā dūṅgā.
Ezek UrduGeoR 29:6  Tab Misr ke tamām bāshinde jān leṅge ki maiṅ hī Rab hūṅ. Tū Isrāīl ke lie sarkanḍe kī kachchī chhaṛī sābit huā hai.
Ezek UrduGeoR 29:7  Jab unhoṅ ne tujhe pakaṛne kī koshish kī to tū ne ṭukṛe ṭukṛe ho kar un ke kandhe ko zaḳhmī kar diyā. Jab unhoṅ ne apnā pūrā wazn tujh par ḍālā to tū ṭūṭ gayā, aur un kī kamr ḍāṅwāṅḍol ho gaī.
Ezek UrduGeoR 29:8  Is lie Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki maiṅ tere ḳhilāf talwār bhejūṅgā jo mulk meṅ se insān-o-haiwān miṭā ḍālegī.
Ezek UrduGeoR 29:9  Mulk-e-Misr wīrān-o-sunsān ho jāegā. Tab wuh jān leṅge ki maiṅ hī Rab hūṅ. Chūṅki tū ne dāwā kiyā, “Dariyā-e-Nīl merā hī hai, maiṅ ne ḳhud use banāyā”
Ezek UrduGeoR 29:10  is lie maiṅ tujh se aur terī nadiyoṅ se nipaṭ lūṅgā. Misr meṅ har taraf khanḍarāt nazar āeṅge. Shimāl meṅ Mijdāl se le kar junūbī shahr Aswān balki Ethopiyā kī sarhad tak maiṅ Misr ko wīrān-o-sunsān kar dūṅgā.
Ezek UrduGeoR 29:11  Na insān aur na haiwān kā pāṅw us meṅ se guzaregā. Chālīs sāl tak us meṅ koī nahīṅ basegā.
Ezek UrduGeoR 29:12  Irdgird ke dīgar tamām mamālik kī tarah maiṅ Misr ko bhī ujāṛūṅgā, irdgird ke dīgar tamām shahroṅ kī tarah maiṅ Misr ke shahr bhī malbe ke ḍher banā dūṅgā. Chālīs sāl tak un kī yihī hālat rahegī. Sāth sāth maiṅ Misriyoṅ ko muḳhtalif aqwām-o-mamālik meṅ muntashir kar dūṅgā.
Ezek UrduGeoR 29:13  Lekin Rab Qādir-e-mutlaq yih bhī farmātā hai ki chālīs sāl ke bād maiṅ Misriyoṅ ko un mamālik se nikāl kar jamā karūṅga jahāṅ maiṅ ne unheṅ muntashir kar diyā thā.
Ezek UrduGeoR 29:14  Maiṅ Misr ko bahāl karke unheṅ un ke ābāī watan yānī junūbī Misr meṅ wāpas lāūṅgā. Wahāṅ wuh ek ġhairaham saltanat qāym kareṅge
Ezek UrduGeoR 29:15  jo bāqī mamālik kī nisbat chhoṭī hogī. Āindā wuh dīgar qaumoṅ par apnā rob nahīṅ ḍāleṅge. Maiṅ ḳhud dhyān dūṅgā ki wuh āindā itne kamzor raheṅ ki dīgar qaumoṅ par hukūmat na kar sakeṅ.
Ezek UrduGeoR 29:16  Āindā Isrāīl na Misr par bharosā karne aur na us se lipaṭ jāne kī āzmāish meṅ paṛegā. Tab wuh jān leṅge ki maiṅ hī Rab Qādir-e-mutlaq hūṅ.’”
Ezek UrduGeoR 29:17  Yahūyākīn Bādshāh kī jilāwatanī ke 27weṅ sāl meṅ Rab mujh se hamkalām huā. Pahle mahīne kā pahlā din thā. Us ne farmāyā,
Ezek UrduGeoR 29:18  “Ai ādamzād, jab Shāh-e-Bābal Nabūkadnazzar ne Sūr kā muhāsarā kiyā to us kī fauj ko saḳht mehnat karnī paṛī. Har sar ganjā huā, har kandhe kī jild chhil gaī. Lekin na use aur na us kī fauj ko mehnat kā munāsib ajr milā.
Ezek UrduGeoR 29:19  Is lie Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki maiṅ Shāh-e-Bābal Nabūkadnazzar ko Misr de dūṅgā. Us kī daulat ko wuh uṭhā kar le jāegā. Apnī fauj ko paise dene ke lie wuh Misr ko lūṭ legā.
Ezek UrduGeoR 29:20  Chūṅki Nabūkadnazzar aur us kī fauj ne mere lie ḳhūb mehnat-mashaqqat kī is lie maiṅ ne use muāwaze ke taur par Misr de diyā hai. Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.
Ezek UrduGeoR 29:21  Jab yih kuchh pesh āegā to maiṅ Isrāīl ko naī tāqat dūṅgā. Ai Hizqiyel, us waqt maiṅ terā muṅh khol dūṅgā, aur tū dubārā un ke darmiyān bolegā. Tab wuh jān leṅge ki maiṅ hī Rab hūṅ.”
Chapter 30
Ezek UrduGeoR 30:2  “Ai ādamzād, nabuwwat karke yih paiġhām sunā de, ‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki āh-o-zārī karo! Us din par afsos
Ezek UrduGeoR 30:3  jo āne wālā hai. Kyoṅki Rab kā din qarīb hī hai. Us din ghane bādal chhā jāeṅge, aur maiṅ aqwām kī adālat karūṅga.
Ezek UrduGeoR 30:4  Misr par talwār nāzil ho kar wahāṅ ke bāshindoṅ ko mār ḍālegī. Mulk kī daulat chhīn lī jāegī, aur us kī buniyādoṅ ko ḍhā diyā jāegā. Yih dekh kar Ethopiyā laraz uṭhegā,
Ezek UrduGeoR 30:5  kyoṅki us ke log bhī talwār kī zad meṅ ā jāeṅge. Kaī qaumoṅ ke afrād Misriyoṅ ke sāth halāk ho jāeṅge. Ethopiyā ke, Libiyā ke, Ludiyā ke, Misr meṅ basne wāle tamām ajnabī qaumoṅ ke, Kūb ke aur mere ahd kī qaum Isrāīl ke log halāk ho jāeṅge.
Ezek UrduGeoR 30:6  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki Misr ko sahārā dene wāle sab gir jāeṅge, aur jis tāqat par wuh faḳhr kartā hai wuh jātī rahegī. Shimāl meṅ Mijdāl se le kar junūbī shahr Aswān tak unheṅ talwār mār ḍālegī. Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.
Ezek UrduGeoR 30:7  Irdgird ke dīgar mamālik kī tarah Misr bhī wīrān-o-sunsān hogā, irdgird ke dīgar shahroṅ kī tarah us ke shahr bhī malbe ke ḍher hoṅge.
Ezek UrduGeoR 30:8  Jab maiṅ Misr meṅ yoṅ āg lagā kar us ke madadgāroṅ ko kuchal ḍālūṅgā to log jān leṅge ki maiṅ hī Rab hūṅ.
Ezek UrduGeoR 30:9  Ab tak Ethopiyā apne āp ko mahfūz samajhtā hai, lekin us din merī taraf se qāsid nikal kar us mulk ke bāshindoṅ ko aisī ḳhabar pahuṅchāeṅge jis se wuh thartharā uṭheṅge. Kyoṅki qāsid kashtiyoṅ meṅ baiṭh kar Dariyā-e-Nīl ke zariye un tak pahuṅcheṅge aur unheṅ ittalā deṅge ki Misr tabāh ho gayā hai. Yih sun kar wahāṅ ke log kāṅp uṭheṅge. Yaqīn karo, yih din jald hī āne wālā hai.
Ezek UrduGeoR 30:10  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki Shāh-e-Bābal Nabūkadnazzar ke zariye maiṅ Misr kī shān-o-shaukat chhīn lūṅgā.
Ezek UrduGeoR 30:11  Use fauj samet Misr meṅ lāyā jāegā tāki use tabāh kare. Tab aqwām meṅ se sab se zālim yih log apnī talwāroṅ ko chalā kar mulk ko maqtūloṅ se bhar deṅge.
Ezek UrduGeoR 30:12  Maiṅ Dariyā-e-Nīl kī shāḳhoṅ ko ḳhushk karūṅga aur Misr ko faroḳht karke sharīr ādmiyoṅ ke hawāle kar dūṅgā. Pardesiyoṅ ke zariye maiṅ mulk aur jo kuchh bhī us meṅ hai tabāh kar dūṅgā. Yih merā, Rab kā farmān hai.
Ezek UrduGeoR 30:13  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki maiṅ Misrī butoṅ ko barbād karūṅga aur Memfis ke mujassame haṭā dūṅgā. Misr meṅ hukmrān nahīṅ rahegā, aur maiṅ mulk par ḳhauf tārī karūṅga.
Ezek UrduGeoR 30:14  Mere hukm par junūbī Misr barbād aur Zuan nazar-e-ātish hogā. Maiṅ Thības kī adālat
Ezek UrduGeoR 30:15  aur Misrī qile Palūsiyam par apnā ġhazab nāzil karūṅga. Hāṅ, Thības kī shān-o-shaukat nest-o-nābūd ho jāegī.
Ezek UrduGeoR 30:16  Maiṅ Misr ko nazar-e-ātish karūṅga. Tab Palūsiyam dard-e-zah meṅ mubtalā aurat kī tarah pech-o-tāb khāegā, Thības dushman ke qabze meṅ āegā aur Memfis musalsal musībat meṅ phaṅsā rahegā.
Ezek UrduGeoR 30:17  Dushman kī talwār Hīliyopulis aur Būbastis ke jawānoṅ ko mār ḍālegī jabki bachī huī aurateṅ ġhulām ban kar jilāwatan ho jāeṅgī.
Ezek UrduGeoR 30:18  Tahfanhīs meṅ din tārīk ho jāegā jab maiṅ wahāṅ Misr ke jue ko toṛ dūṅgā. Wahīṅ us kī zabardast tāqat jātī rahegī. Ghanā bādal shahr par chhā jāegā, aur gird-o-nawāh kī ābādiyāṅ qaidī ban kar jilāwatan ho jāeṅgī.
Ezek UrduGeoR 30:19  Yoṅ maiṅ Misr kī adālat karūṅga aur wuh jān leṅge ki maiṅ hī Rab hūṅ.’”
Ezek UrduGeoR 30:20  Yahūyākīn Bādshāh kī jilāwatanī ke gyārhweṅ sāl meṅ Rab mujh se hamkalām huā. Pahle mahīne kā sātwāṅ din thā. Us ne farmāyā thā,
Ezek UrduGeoR 30:21  “Ai ādamzād, maiṅ ne Misrī bādshāh Firaun kā bāzū toṛ ḍālā hai. Shifā pāne ke lie lāzim thā ki bāzū par paṭṭī bāndhī jāe, ki ṭūṭī huī haḍḍī ke sāth khapachchī bāndhī jāe tāki bāzū mazbūt ho kar talwār chalāne ke qābil ho jāe. Lekin is qism kā ilāj huā nahīṅ.
Ezek UrduGeoR 30:22  Chunāṅche Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki maiṅ Misrī bādshāh Firaun se nipaṭ kar us ke donoṅ bāzuoṅ ko toṛ ḍālūṅgā, sehhatmand bāzū ko bhī aur ṭūṭe hue ko bhī. Tab talwār us ke hāth se gir jāegī
Ezek UrduGeoR 30:23  aur maiṅ Misriyoṅ ko muḳhtalif aqwām-o-mamālik meṅ muntashir kar dūṅgā.
Ezek UrduGeoR 30:24  Maiṅ Shāh-e-Bābal ke bāzuoṅ ko taqwiyat de kar use apnī hī talwār pakaṛā dūṅgā. Lekin Firaun ke bāzuoṅ ko maiṅ toṛ ḍālūṅgā, aur wuh Shāh-e-Bābal ke sāmne marne wāle zaḳhmī ādmī kī tarah karāh uṭhegā.
Ezek UrduGeoR 30:25  Shāh-e-Bābal ke bāzuoṅ ko maiṅ taqwiyat dūṅgā jabki Firaun ke bāzū behis-o-harkat ho jāeṅge. Jis waqt maiṅ apnī talwār ko Shāh-e-Bābal ko pakaṛā dūṅgā aur wuh use Misr ke ḳhilāf chalāegā us waqt log jān leṅge ki maiṅ hī Rab hūṅ.
Ezek UrduGeoR 30:26  Hāṅ, jis waqt maiṅ Misriyoṅ ko dīgar aqwām-o-mamālik meṅ muntashir kar dūṅgā us waqt wuh jān leṅge ki maiṅ hī Rab hūṅ.”
Chapter 31
Ezek UrduGeoR 31:1  Yahūyākīn Bādshāh kī jilāwatanī ke gyārhweṅ sāl meṅ Rab mujh se hamkalām huā. Tīsre mahīne kā pahlā din thā. Us ne farmāyā,
Ezek UrduGeoR 31:2  “Ai ādamzād, Misrī bādshāh Firaun aur us kī shān-o-shaukat se kah, ‘Kaun tujh jaisā azīm thā?
Ezek UrduGeoR 31:3  Tū saro kā daraḳht, Lubnān kā deodār kā daraḳht thā, jis kī ḳhūbsūrat aur ghanī shāḳheṅ jangal ko sāyā detī thīṅ. Wuh itnā baṛā thā ki us kī choṭī bādaloṅ meṅ ojhal thī.
Ezek UrduGeoR 31:4  Pānī kī kasrat ne use itnī taraqqī dī, gahre chashmoṅ ne use baṛā banā diyā. Us kī nadiyāṅ tane ke chāroṅ taraf bahtī thīṅ aur phir āge jā kar khet ke bāqī tamām daraḳhtoṅ ko bhī serāb kartī thīṅ.
Ezek UrduGeoR 31:5  Chunāṅche wuh dīgar daraḳhtoṅ se kahīṅ zyādā baṛā thā. Us kī shāḳheṅ baṛhtī aur us kī ṭahniyāṅ lambī hotī gaīṅ. Wāfir pānī ke bāis wuh ḳhūb phailtā gayā.
Ezek UrduGeoR 31:6  Tamām parinde apne ghoṅsle us kī shāḳhoṅ meṅ banāte the. Us kī shāḳhoṅ kī āṛ meṅ janglī jānwaroṅ ke bachche paidā hote, us ke sāy meṅ tamām azīm qaumeṅ bastī thīṅ.
Ezek UrduGeoR 31:7  Chūṅki daraḳht kī jaṛoṅ ko pānī kī kasrat miltī thī is lie us kī lambāī aur shāḳheṅ qābil-e-tārīf aur ḳhūbsūrat ban gaīṅ.
Ezek UrduGeoR 31:8  Bāġh-e-Ḳhudā ke deodār ke daraḳht us ke barābar nahīṅ the. Na jūnīpar kī ṭahniyāṅ, na chanār kī shāḳheṅ us kī shāḳhoṅ ke barābar thīṅ. Bāġh-e-Ḳhudā meṅ koī bhī daraḳht us kī ḳhūbsūratī kā muqābalā nahīṅ kar saktā thā.
Ezek UrduGeoR 31:9  Maiṅ ne ḳhud use muta'addid ḍāliyāṅ muhaiyā karke ḳhūbsūrat banāyā thā. Allāh ke Bāġh-e-Adan ke tamām dīgar daraḳht us se rashk khāte the.
Ezek UrduGeoR 31:10  Lekin ab Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki jab daraḳht itnā baṛā ho gayā ki us kī choṭī bādaloṅ meṅ ojhal ho gaī to wuh apne qad par faḳhr karke maġhrūr ho gayā.
Ezek UrduGeoR 31:11  Yih dekh kar maiṅ ne use aqwām ke sab se baṛe hukmrān ke hawāle kar diyā tāki wuh us kī bedīnī ke mutābiq us se nipaṭ le. Maiṅ ne use nikāl diyā,
Ezek UrduGeoR 31:12  to ajnabī aqwām ke sab se zālim logoṅ ne use ṭukṛe ṭukṛe karke zamīn par chhoṛ diyā. Tab us kī shāḳheṅ pahāṛoṅ par aur tamām wādiyoṅ meṅ gir gaīṅ, us kī ṭahniyāṅ ṭūṭ kar mulk kī tamām ghāṭiyoṅ meṅ paṛī rahīṅ. Duniyā kī tamām aqwām us ke sāy meṅ se nikal kar wahāṅ se chalī gaīṅ.
Ezek UrduGeoR 31:13  Tamām parinde us ke kaṭe hue tane par baiṭh gae. Tamām janglī jānwar us kī sūkhī huī shāḳhoṅ par leṭ gae.
Ezek UrduGeoR 31:14  Yih is lie huā ki āindā pānī ke kināre par lagā koī bhī daraḳht itnā baṛā na ho ki us kī choṭī bādaloṅ meṅ ojhal ho jāe aur natījatan wuh apne āp ko dūsroṅ se bartar samjhe. Kyoṅki sab ke lie maut aur zamīn kī gahrāiyāṅ muqarrar haiṅ, sab ko Pātāl meṅ utar kar murdoṅ ke darmiyān basnā hai.
Ezek UrduGeoR 31:15  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki jis waqt yih daraḳht Pātāl meṅ utar gayā us din maiṅ ne gahrāiyoṅ ke chashmoṅ ko us par mātam karne diyā aur un kī nadiyoṅ ko rok diyā tāki pānī itnī kasrat se na bahe. Us kī ḳhātir maiṅ ne Lubnān ko mātamī libās pahnāe. Tab khule maidān ke tamām daraḳht murjhā gae.
Ezek UrduGeoR 31:16  Wuh itne dhaṛām se gir gayā jab maiṅ ne use Pātāl meṅ un ke pās utār diyā jo gaṛhe meṅ utar chuke the ki dīgar aqwām ko dhachkā lagā. Lekin Bāġh-e-Adan ke bāqī tamām daraḳhtoṅ ko tasallī milī. Kyoṅki go Lubnān ke in chīdā aur behtarīn daraḳhtoṅ ko pānī kī kasrat miltī rahī thī tāham yih bhī Pātāl meṅ utar gae the.
Ezek UrduGeoR 31:17  Go yih baṛe daraḳht kī tāqat rahe the aur aqwām ke darmiyān rah kar us ke sāy meṅ apnā ghar banā liyā thā to bhī yih baṛe daraḳht ke sāth wahāṅ utar gae jahāṅ maqtūl un ke intazār meṅ the.
Ezek UrduGeoR 31:18  Ai Misr, azmat aur shān ke lihāz se Bāġh-e-Adan kā kaun-sā daraḳht terā muqābalā kar saktā hai? Lekin tujhe Bāġh-e-Adan ke dīgar daraḳhtoṅ ke sāth zamīn kī gahrāiyoṅ meṅ utārā jāegā. Wahāṅ tū nāmaḳhtūnoṅ aur maqtūloṅ ke darmiyān paṛā rahegā. Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki yihī Firaun aur us kī shān-o-shaukat kā anjām hogā.’”
Chapter 32
Ezek UrduGeoR 32:1  Yahūyākīn Bādshāh ke 12weṅ sāl meṅ Rab mujh se hamkalām huā. 12weṅ mahīne kā pahlā din thā. Mujhe yih paiġhām milā,
Ezek UrduGeoR 32:2  “Ai ādamzād, Misr ke bādshāh Firaun par mātamī gīt gā kar use batā, ‘Go aqwām ke darmiyān tujhe jawān sherbabar samjhā jātā hai, lekin darhaqīqat tū Dariyā-e-Nīl kī shāḳhoṅ meṅ rahne wālā azhdahā hai jo apnī nadiyoṅ ko ubalne detā aur pāṅwoṅ se pānī ko zor se harkat meṅ lā kar gadlā kar detā hai.
Ezek UrduGeoR 32:3  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki maiṅ muta'addid qaumoṅ ko jamā karke tere pās bhejūṅgā tāki tujh par jāl ḍāl kar tujhe pānī se khīṅch nikāleṅ.
Ezek UrduGeoR 32:4  Tab maiṅ tujhe zor se ḳhushkī par paṭaḳh dūṅgā, khule maidān par hī tujhe phaiṅk chhoṛūṅgā. Tamām parinde tujh par baiṭh jāeṅge, tamām janglī jānwar tujhe khā khā kar ser ho jāeṅge.
Ezek UrduGeoR 32:5  Terā gosht maiṅ pahāṛoṅ par phaiṅk dūṅgā, terī lāsh se wādiyoṅ ko bhar dūṅgā.
Ezek UrduGeoR 32:6  Tere bahte ḳhūn se maiṅ zamīn ko pahāṛoṅ tak serāb karūṅga, ghāṭiyāṅ tujh se bhar jāeṅgī.
Ezek UrduGeoR 32:7  Jis waqt maiṅ terī zindagī kī battī bujhā dūṅgā us waqt maiṅ āsmān ko ḍhāṅp dūṅgā. Sitāre tārīk ho jāeṅge, sūraj bādaloṅ meṅ chhup jāegā aur chāṅd kī raushnī nazar nahīṅ āegī.
Ezek UrduGeoR 32:8  Jo kuchh bhī āsmān par chamaktā-damaktā hai use maiṅ tere bāis tārīk kar dūṅgā. Tere pūre mulk par tārīkī chhā jāegī. Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.
Ezek UrduGeoR 32:9  Bahut qaumoṅ ke dil ghabrā jāeṅge jab maiṅ tere anjām kī ḳhabar dīgar aqwām tak pahuṅchāūṅgā, aise mamālik tak jin se tū nāwāqif hai.
Ezek UrduGeoR 32:10  Muta'addid qaumoṅ ke sāmne hī maiṅ tujh par talwār chalā dūṅgā. Yih dekh kar un par dahshat tārī ho jāegī, aur un ke bādshāhoṅ ke roṅgṭe khaṛe ho jāeṅge. Jis din tū dhaṛām se gir jāegā us din un par marne kā itnā ḳhauf chhā jāegā ki wuh bār bār kāṅp uṭheṅge.
Ezek UrduGeoR 32:11  Kyoṅki Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki Shāh-e-Bābal kī talwār tujh par hamlā karegī.
Ezek UrduGeoR 32:12  Terī shāndār fauj us ke sūrmāoṅ kī talwār se gir kar halāk ho jāegī. Duniyā ke sab se zālim ādmī Misr kā ġhurūr aur us kī tamām shān-o-shaukat ḳhāk meṅ milā deṅge.
Ezek UrduGeoR 32:13  Maiṅ wāfir pānī ke pās khaṛe us ke maweshī ko bhī barbād karūṅga. Āindā yih pānī na insān, na haiwān ke pāṅwoṅ se gadlā hogā.
Ezek UrduGeoR 32:14  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki us waqt maiṅ hone dūṅgā ki un kā pānī sāf-shaffāf ho jāe aur nadiyāṅ tel kī tarah bahne lageṅ.
Ezek UrduGeoR 32:15  Maiṅ Misr ko wīrān-o-sunsān karke har chīz se mahrūm karūṅga, maiṅ us ke tamām bāshindoṅ ko mār ḍālūṅgā. Tab wuh jān leṅge ki maiṅ hī Rab hūṅ.’”
Ezek UrduGeoR 32:16  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai, “Lāzim hai ki darj-e-bālā mātamī gīt ko gāyā jāe. Dīgar aqwām use gāeṅ, wuh Misr aur us kī shān-o-shaukat par mātam kā yih gīt zarūr gāeṅ.”
Ezek UrduGeoR 32:17  Yahūyākīn Bādshāh ke 12weṅ sāl meṅ Rab mujh se hamkalām huā. Mahīne kā 15wāṅ din thā. Us ne farmāyā,
Ezek UrduGeoR 32:18  “Ai ādamzād, Misr kī shān-o-shaukat par wāwailā kar. Use dīgar azīm aqwām ke sāth Pātāl meṅ utār de. Use un ke pās pahuṅchā de jo pahle gaṛhe meṅ pahuṅch chuke haiṅ.
Ezek UrduGeoR 32:19  Misr ko batā, ‘Ab terī ḳhūbsūratī kahāṅ gaī? Ab tū is meṅ kis kā muqābalā kar saktā hai? Utar jā! Pātāl meṅ nāmaḳhtūnoṅ ke pās hī paṛā rah.’
Ezek UrduGeoR 32:20  Kyoṅki lāzim hai ki Misrī maqtūloṅ ke bīch meṅ hī gir kar halāk ho jāeṅ. Talwār un par hamlā karne ke lie khīṅchī jā chukī hai. Ab Misr ko us kī tamām shān-o-shaukat ke sāth ghasīṭ kar Pātāl meṅ le jāo!
Ezek UrduGeoR 32:21  Tab Pātāl meṅ baṛe sūrme Misr aur us ke madadgāroṅ kā istiqbāl karke kaheṅge, ‘Lo, ab yih bhī utar āe haiṅ, yih bhī yahāṅ paṛe nāmaḳhtūnoṅ aur maqtūloṅ meṅ shāmil ho gae haiṅ.’
Ezek UrduGeoR 32:22  Wahāṅ Asūr pahle se apnī pūrī fauj samet paṛā hai, aur us ke irdgird talwār ke maqtūloṅ kī qabreṅ haiṅ.
Ezek UrduGeoR 32:23  Asūr ko Pātāl ke sab se gahre gaṛhe meṅ qabreṅ mil gaīṅ, aur irdgird us kī fauj dafn huī hai. Pahle yih zindoṅ ke mulk meṅ chāroṅ taraf dahshat phailāte the, lekin ab ḳhud talwār se halāk ho gae haiṅ.
Ezek UrduGeoR 32:24  Wahāṅ Ailām bhī apnī tamām shān-o-shaukat samet paṛā hai. Us ke irdgird dafn hue faujī talwār kī zad meṅ ā gae the. Ab sab utar kar nāmaḳhtūnoṅ meṅ shāmil ho gae haiṅ, go zindoṅ ke mulk meṅ log un se shadīd dahshat khāte the. Ab wuh bhī Pātāl meṅ utre hue dīgar logoṅ kī tarah apnī ruswāī bhugat rahe haiṅ.
Ezek UrduGeoR 32:25  Ailām kā bistar maqtūloṅ ke darmiyān hī bichhāyā gayā hai, aur us ke irdgird us kī tamām shāndār fauj ko qabreṅ mil gaī haiṅ. Sab nāmaḳhtūn, sab maqtūl haiṅ, go zindoṅ ke mulk meṅ log un se saḳht dahshat khāte the. Ab wuh bhī Pātāl meṅ utre hue dīgar logoṅ kī tarah apnī ruswāī bhugat rahe haiṅ. Unheṅ maqtūloṅ ke darmiyān hī jagah mil gaī hai.
Ezek UrduGeoR 32:26  Wahāṅ Masak-tūbal bhī apnī tamām shān-o-shaukat samet paṛā hai. Us ke irdgird dafn hue faujī talwār kī zad meṅ ā gae the. Ab sab nāmaḳhtūnoṅ meṅ shāmil ho gae haiṅ, go zindoṅ ke mulk meṅ log un se shadīd dahshat khāte the.
Ezek UrduGeoR 32:27  Aur unheṅ un sūrmāoṅ ke pās jagah nahīṅ milī jo qadīm zamāne meṅ nāmaḳhtūnoṅ ke darmiyān faut ho kar apne hathiyāroṅ ke sāth Pātāl meṅ utar āe the aur jin ke saroṅ ke nīche talwār rakhī gaī. Un kā qusūr un kī haḍḍiyoṅ par paṛā rahtā hai, go zindoṅ ke mulk meṅ log in jangjuoṅ se dahshat khāte the.
Ezek UrduGeoR 32:28  Ai Firaun, tū bhī pāsh pāsh ho kar nāmaḳhtūnoṅ aur maqtūloṅ ke darmiyān paṛā rahegā.
Ezek UrduGeoR 32:29  Adom pahle se apne bādshāhoṅ aur ra'īsoṅ samet wahāṅ pahuṅch chukā hogā. Go wuh pahle itne tāqatwar the, lekin ab maqtūloṅ meṅ shāmil haiṅ, un nāmaḳhtūnoṅ meṅ jo Pātāl meṅ utar gae haiṅ.
Ezek UrduGeoR 32:30  Is tarah shimāl ke tamām hukmrān aur Saidā ke tamām bāshinde bhī wahāṅ ā maujūd hoṅge. Wuh bhī maqtūloṅ ke sāth Pātāl meṅ utar gae haiṅ. Go un kī zabardast tāqat logoṅ meṅ dahshat phailātī thī, lekin ab wuh sharmindā ho gae haiṅ, ab wuh nāmaḳhtūn hālat meṅ maqtūloṅ ke sāth paṛe haiṅ. Wuh bhī Pātāl meṅ utre hue bāqī logoṅ ke sāth apnī ruswāī bhugat rahe haiṅ.
Ezek UrduGeoR 32:31  Tab Firaun in sab ko dekh kar tasallī pāegā, go us kī tamām shān-o-shaukat Pātāl meṅ utar gaī hogī. Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki Firaun aur us kī pūrī fauj talwār kī zad meṅ ā jāeṅge.
Ezek UrduGeoR 32:32  Pahle merī marzī thī ki Firaun zindoṅ ke mulk meṅ ḳhauf-o-hirās phailāe, lekin ab use us kī tamām shān-o-shaukat ke sāth nāmaḳhtūnoṅ aur maqtūloṅ ke darmiyān rakhā jāegā. Yih merā Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.”
Chapter 33
Ezek UrduGeoR 33:2  “Ai ādamzād, apne hamwatanoṅ ko yih paiġhām pahuṅchā de, ‘Jab kabhī maiṅ kisī mulk meṅ jang chheṛtā hūṅ to us mulk ke bāshinde apne mardoṅ meṅ se ek ko chun kar apnā pahredār banā lete haiṅ.
Ezek UrduGeoR 33:3  Pahredār kī zimmedārī yih hai ki jyoṅ hī dushman nazar āe tyoṅ hī narsingā bajā kar logoṅ ko āgāh kare.
Ezek UrduGeoR 33:4  Us waqt jo narsinge kī āwāz sun kar parwā na kare wuh ḳhud zimmedār ṭhahregā agar dushman us par hamlā karke use qatl kare.
Ezek UrduGeoR 33:5  Yih us kā apnā qusūr hogā, kyoṅki us ne narsinge kī āwāz sunane ke bāwujūd parwā na kī. Lekin agar wuh pahredār kī ḳhabar mān le to apnī jān ko bachāegā.
Ezek UrduGeoR 33:6  Ab farz karo ki pahredār dushman ko dekhe lekin na narsingā bajāe, na logoṅ ko āgāh kare. Agar natīje meṅ koī qatl ho jāe to wuh apne gunāhoṅ ke bāis hī mar jāegā. Lekin maiṅ pahredār ko us kī maut kā zimmedār ṭhahrāūṅgā.’
Ezek UrduGeoR 33:7  Ai ādamzād, maiṅ ne tujhe Isrāīlī qaum kī pahrādārī karne kī zimmedārī dī hai. Is lie lāzim hai ki jab bhī maiṅ kuchh farmāūṅ to tū merī sun kar Isrāīliyoṅ ko merī taraf se āgāh kare.
Ezek UrduGeoR 33:8  Agar maiṅ kisī bedīn ko batānā chāhūṅ, ‘Tū yaqīnan maregā’ to lāzim hai ki tū use yih sunā kar us kī ġhalat rāh se āgāh kare. Agar tū aisā na kare to go bedīn apne gunāhoṅ ke bāis hī maregā tāham maiṅ tujhe hī us kī maut kā zimmedār ṭhahrāūṅgā.
Ezek UrduGeoR 33:9  Lekin agar tū use us kī ġhalat rāh se āgāh kare aur wuh na māne to wuh apne gunāhoṅ ke bāis maregā, lekin tū ne apnī jān ko bachāyā hogā.
Ezek UrduGeoR 33:10  Ai ādamzād, Isrāīliyoṅ ko batā, tum āheṅ bhar bhar kar kahte ho, ‘Hāy ham apne jarāym aur gunāhoṅ ke bāis gal saṛ kar tabāh ho rahe haiṅ. Ham kis tarah jīte raheṅ?’
Ezek UrduGeoR 33:11  Lekin Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai, ‘Merī hayāt kī qasam, maiṅ bedīn kī maut se ḳhush nahīṅ hotā balki maiṅ chāhtā hūṅ ki wuh apnī ġhalat rāh se haṭ kar zindā rahe. Chunāṅche taubā karo! Apnī ġhalat rāhoṅ ko tark karke wāpas āo! Ai Isrāīlī qaum, kyā zarūrat hai ki tū mar jāe?’
Ezek UrduGeoR 33:12  Ai ādamzād, apne hamwatanoṅ ko batā, ‘Agar rāstbāz ġhalat kām kare to yih bāt use nahīṅ bachāegī ki pahle rāstbāz thā. Agar wuh gunāh kare to use zindā nahīṅ chhoṛā jāegā. Is ke muqābale meṅ agar bedīn apnī bedīnī se taubā karke wāpas āe to yih bāt us kī tabāhī kā bāis nahīṅ banegī ki pahle bedīn thā.’
Ezek UrduGeoR 33:13  Ho saktā hai maiṅ rāstbāz ko batāūṅ, ‘Tū zindā rahegā.’ Agar wuh yih sun kar samajhne lage, ‘Merī rāstbāzī mujhe har sūrat meṅ bachāegī’ aur natīje meṅ ġhalat kām kare to maiṅ us ke tamām rāst kāmoṅ kā lihāz nahīṅ karūṅga balki us ke ġhalat kām ke bāis use sazā-e-maut dūṅgā.
Ezek UrduGeoR 33:14  Lekin farz karo maiṅ kisī bedīn ādmī ko batāūṅ, ‘Tū yaqīnan maregā.’ Ho saktā hai wuh yih sun kar apne gunāh se taubā karke insāf aur rāstbāzī karne lage.
Ezek UrduGeoR 33:15  Wuh apne qarzdār ko wuh kuchh wāpas kare jo zamānat ke taur par milā thā, wuh chorī huī chīzeṅ wāpas kar de, wuh zindagībaḳhsh hidāyāt ke mutābiq zindagī guzāre, ġharz wuh har bure kām se gurez kare. Is sūrat meṅ wuh maregā nahīṅ balki zindā hī rahegā.
Ezek UrduGeoR 33:16  Jo bhī gunāh us se sarzad hue the wuh maiṅ yād nahīṅ karūṅga. Chūṅki us ne bād meṅ wuh kuchh kiyā jo munsifānā aur rāst thā is lie wuh yaqīnan zindā rahegā.
Ezek UrduGeoR 33:17  Tere hamwatan etarāz karte haiṅ ki Rab kā sulūk sahīh nahīṅ hai jabki un kā apnā sulūk sahīh nahīṅ hai.
Ezek UrduGeoR 33:18  Agar rāstbāz apnā rāst chāl-chalan chhoṛ kar badī karne lage to use sazā-e-maut dī jāegī.
Ezek UrduGeoR 33:19  Is ke muqābale meṅ agar bedīn apnā bedīn chāl-chalan chhoṛ kar wuh kuchh karne lage jo munsifānā aur rāst hai to wuh is binā par zindā rahegā.
Ezek UrduGeoR 33:20  Ai Isrāīliyo, tum dāwā karte ho ki Rab kā sulūk sahīh nahīṅ hai. Lekin aisā hargiz nahīṅ hai! Tumhārī adālat karte waqt maiṅ har ek ke chāl-chalan kā ḳhayāl karūṅga.”
Ezek UrduGeoR 33:21  Yahūyākīn Bādshāh kī jilāwatanī ke 12weṅ sāl meṅ ek ādmī mere pās āyā. 10weṅ mahīne kā pāṅchwāṅ din thā. Yih ādmī Yarūshalam se bhāg niklā thā. Us ne kahā, “Yarūshalam dushman ke qabze meṅ ā gayā hai!”
Ezek UrduGeoR 33:22  Ek din pahle Rab kā hāth shām ke waqt mujh par āyā thā, aur agle din jab yih ādmī subah ke waqt pahuṅchā to Rab ne mere muṅh ko khol diyā, aur maiṅ dubārā bol sakā.
Ezek UrduGeoR 33:24  “Ai ādamzād, Mulk-e-Isrāīl ke khanḍarāt meṅ rahne wāle log kah rahe haiṅ, ‘Go Ibrāhīm sirf ek ādmī thā to bhī us ne pūre mulk par qabzā kiyā. Us kī nisbat ham bahut haiṅ, is lie lāzim hai ki hameṅ yih mulk hāsil ho.’
Ezek UrduGeoR 33:25  Unheṅ batā, ‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki tum gosht khāte ho jis meṅ ḳhūn hai, tumhāre hāṅ butparastī aur ḳhūṅrezī ām hai. To phir mulk kis tarah tumheṅ hāsil ho saktā hai?
Ezek UrduGeoR 33:26  Tum apnī talwār par bharosā rakh kar qābil-e-ghin harkateṅ karte ho, hattā ki har ek apne paṛosī kī bīwī se zinā kartā hai. To phir mulk kis tarah tumheṅ hāsil ho saktā hai?’
Ezek UrduGeoR 33:27  Unheṅ batā, ‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki merī hayāt kī qasam, jo Isrāīl ke khanḍarāt meṅ rahte haiṅ wuh talwār kī zad meṅ ā kar halāk ho jāeṅge, jo bach kar khule maidān meṅ jā base haiṅ unheṅ maiṅ darindoṅ ko khilā dūṅgā, aur jinhoṅ ne pahāṛī qiloṅ aur ġhāroṅ meṅ panāh lī hai wuh mohlak bīmāriyoṅ kā shikār ho jāeṅge.
Ezek UrduGeoR 33:28  Maiṅ mulk ko wīrān-o-sunsān kar dūṅgā. Jis tāqat par wuh faḳhr karte haiṅ wuh jātī rahegī. Isrāīl kā pahāṛī ilāqā bhī itnā tabāh ho jāegā ki log us meṅ se guzarne se gurez kareṅge.
Ezek UrduGeoR 33:29  Phir jab maiṅ mulk ko un kī makrūh harkatoṅ ke bāis wīrān-o-sunsān kar dūṅgā tab wuh jān leṅge ki maiṅ hī Rab hūṅ.’
Ezek UrduGeoR 33:30  Ai ādamzād, tere hamwatan apne gharoṅ kī dīwāroṅ aur darwāzoṅ ke pās khaṛe ho kar terā zikr karte haiṅ. Wuh kahte haiṅ, ‘Āo, ham nabī ke pās jā kar wuh paiġhām suneṅ jo Rab kī taraf se āyā hai.’
Ezek UrduGeoR 33:31  Lekin go in logoṅ ke hujūm ā kar tere paiġhāmāt sunane ke lie tere sāmne baiṭh jāte haiṅ to bhī wuh un par amal nahīṅ karte. Kyoṅki un kī zabān par ishq ke hī gīt haiṅ. Unhīṅ par wuh amal karte haiṅ, jabki un kā dil nārawā nafā ke pīchhe paṛā rahtā hai.
Ezek UrduGeoR 33:32  Asal meṅ wuh terī bāteṅ yoṅ sunte haiṅ jis tarah kisī gulūkār ke gīt jo mahārat se sāz bajā kar surīlī āwāz se ishq ke gīt gāe. Go wuh terī bāteṅ sun kar ḳhush ho jāte haiṅ to bhī un par amal nahīṅ karte.
Ezek UrduGeoR 33:33  Lekin yaqīnan ek din āne wālā hai jab wuh jān leṅge ki hamāre darmiyān nabī rahā hai.”
Chapter 34
Ezek UrduGeoR 34:2  “Ai ādamzād, Isrāīl ke gallābānoṅ ke ḳhilāf nabuwwat kar! Unheṅ batā, ‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki Isrāīl ke gallābānoṅ par afsos jo sirf apnī hī fikr karte haiṅ. Kyā gallābān ko rewaṛ kī fikr nahīṅ karnī chāhie?
Ezek UrduGeoR 34:3  Tum bheṛ-bakriyoṅ kā dūdh pīte, un kī ūn ke kapṛe pahante aur behtarīn jānwaroṅ kā gosht khāte ho. To bhī tum rewaṛ kī dekh-bhāl nahīṅ karte!
Ezek UrduGeoR 34:4  Na tum ne kamzoroṅ ko taqwiyat, na bīmāroṅ ko shifā dī yā zaḳhmiyoṅ kī marham-paṭṭī kī. Na tum āwārā phirne wāloṅ ko wāpas lāe, na gumshudā jānwaroṅ ko talāsh kiyā balki saḳhtī aur zālimānā tarīqe se un par hukūmat karte rahe.
Ezek UrduGeoR 34:5  Gallābān na hone kī wajah se bheṛ-bakriyāṅ titar-bitar ho kar darindoṅ kā shikār ho gaīṅ.
Ezek UrduGeoR 34:6  Merī bheṛ-bakriyāṅ tamām pahāṛoṅ aur buland jaghoṅ par āwārā phirtī rahīṅ. Sārī zamīn par wuh muntashir ho gaīṅ, aur koī nahīṅ thā jo unheṅ ḍhūnḍ kar wāpas lātā.
Ezek UrduGeoR 34:7  Chunāṅche ai gallābāno, Rab kā jawāb suno!
Ezek UrduGeoR 34:8  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki merī hayāt kī qasam, merī bheṛ-bakriyāṅ luṭeroṅ kā shikār aur tamām darindoṅ kī ġhizā ban gaī haiṅ. Un kī dekh-bhāl karne wālā koī nahīṅ hai. Mere gallābān mere rewaṛ ko ḍhūnḍ kar wāpas nahīṅ lāte balki sirf apnā hī ḳhayāl karte haiṅ.
Ezek UrduGeoR 34:9  Chunāṅche ai gallābāno, Rab kā jawāb suno!
Ezek UrduGeoR 34:10  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki maiṅ gallābānoṅ se nipaṭ kar unheṅ apnī bheṛ-bakriyoṅ ke lie zimmedār ṭhahrāūṅgā. Tab maiṅ unheṅ gallābānī kī zimmedārī se fāriġh karūṅga tāki sirf apnā hī ḳhayāl karne kā silsilā ḳhatm ho jāe. Maiṅ apnī bheṛ-bakriyoṅ ko un ke muṅh se nikāl kar bachāūṅgā tāki āindā wuh unheṅ na khāeṅ.
Ezek UrduGeoR 34:11  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki āindā maiṅ ḳhud apnī bheṛ-bakriyoṅ ko ḍhūnḍ kar wāpas lāūṅgā, ḳhud un kī dekh-bhāl karūṅga.
Ezek UrduGeoR 34:12  Jis tarah charwāhā chāroṅ taraf bikhrī huī apnī bheṛ-bakriyoṅ ko ikaṭṭhā karke un kī dekh-bhāl kartā hai usī tarah maiṅ apnī bheṛ-bakriyoṅ kī dekh-bhāl karūṅga. Maiṅ unheṅ un tamām maqāmoṅ se nikāl kar bachāūṅgā jahāṅ unheṅ ghane bādaloṅ aur tārīkī ke din muntashir kar diyā gayā thā.
Ezek UrduGeoR 34:13  Maiṅ unheṅ dīgar aqwām aur mamālik meṅ se nikāl kar jamā karūṅga aur unheṅ un ke apne mulk meṅ wāpas lā kar Isrāīl ke pahāṛoṅ, ghāṭiyoṅ aur tamām ābādiyoṅ meṅ charāūṅgā.
Ezek UrduGeoR 34:14  Tab maiṅ achchhī charāgāhoṅ meṅ un kī dekh-bhāl karūṅga, aur wuh Isrāīl kī bulandiyoṅ par hī chareṅgī. Wahāṅ wuh sarsabz maidānoṅ meṅ ārām karke Isrāīl ke pahāṛoṅ par behtarīn ghās chareṅgī.
Ezek UrduGeoR 34:15  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki maiṅ ḳhud apnī bheṛ-bakriyoṅ kī dekh-bhāl karūṅga, ḳhud unheṅ biṭhāūṅgā.
Ezek UrduGeoR 34:16  Maiṅ gumshudā bheṛ-bakriyoṅ kā khoj lagāūṅgā aur āwārā phirne wāloṅ ko wāpas lāūṅgā. Maiṅ zaḳhmiyoṅ kī marham-paṭṭī karūṅga aur kamzoroṅ ko taqwiyat dūṅgā. Lekin moṭe-tāze aur tāqatwar jānwaroṅ ko maiṅ ḳhatm karūṅga. Maiṅ insāf se rewaṛ kī gallābānī karūṅga.
Ezek UrduGeoR 34:17  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki ai mere rewaṛ, jahāṅ bheṛoṅ, menḍhoṅ aur bakroṅ ke darmiyān nāinsāfī hai wahāṅ maiṅ un kī adālat karūṅga.
Ezek UrduGeoR 34:18  Kyā yih tumhāre lie kāfī nahīṅ ki tumheṅ khāne ke lie charāgāh kā behtarīn hissā aur pīne ke lie sāf-shaffāf pānī mil gayā hai? Tum bāqī charāgāh ko kyoṅ raundte aur bāqī pānī ko pāṅwoṅ se gadlā karte ho?
Ezek UrduGeoR 34:19  Merā rewaṛ kyoṅ tum se kuchlī huī ghās khāe aur tumhārā gadlā kiyā huā pānī pie?
Ezek UrduGeoR 34:20  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki jahāṅ moṭī aur dublī bheṛ-bakriyoṅ ke darmiyān nāinsāfī hai wahāṅ maiṅ ḳhud faislā karūṅga.
Ezek UrduGeoR 34:21  Kyoṅki tum moṭī bheṛoṅ ne kamzoroṅ ko kandhoṅ se dhakkā de kar aur sīṅgoṅ se mār mār kar achchhī ghās se bhagā diyā hai.
Ezek UrduGeoR 34:22  Lekin maiṅ apnī bheṛ-bakriyoṅ ko tum se bachā lūṅgā. Āindā unheṅ lūṭā nahīṅ jāegā balki maiṅ ḳhud un meṅ insāf qāym rakhūṅgā.
Ezek UrduGeoR 34:23  Maiṅ un par ek hī gallābān yānī apne ḳhādim Dāūd ko muqarrar karūṅga jo unheṅ charā kar un kī dekh-bhāl karegā. Wuhī un kā sahīh charwāhā rahegā.
Ezek UrduGeoR 34:24  Maiṅ, Rab un kā Ḳhudā hūṅgā aur merā ḳhādim Dāūd un ke darmiyān un kā hukmrān hogā. Yih merā, Rab kā farmān hai.
Ezek UrduGeoR 34:25  Maiṅ Isrāīliyoṅ ke sāth salāmatī kā ahd bāndh kar darindoṅ ko mulk se nikāl dūṅgā. Phir wuh hifāzat se so sakeṅge, ḳhāh registān meṅ hoṅ yā jangal meṅ.
Ezek UrduGeoR 34:26  Maiṅ unheṅ aur apne pahāṛ ke irdgird ke ilāqe ko barkat dūṅgā. Maiṅ mulk meṅ waqt par bārish barsātā rahūṅgā. Aisī mubārak bārisheṅ hoṅgī
Ezek UrduGeoR 34:27  ki mulk ke bāġhoṅ aur khetoṅ meṅ zabardast fasleṅ pakeṅgī. Log apne mulk meṅ mahfūz hoṅge. Phir jab maiṅ un ke jue ko toṛ kar unheṅ un se rihāī dūṅgā jinhoṅ ne unheṅ ġhulām banāyā thā tab wuh jān leṅge ki maiṅ hī Rab hūṅ.
Ezek UrduGeoR 34:28  Āindā na dīgar aqwām unheṅ lūṭeṅgī, na wuh darindoṅ kī ḳhurāk baneṅge balki wuh hifāzat se apne gharoṅ meṅ baseṅge. Ḍarāne wālā koī nahīṅ hogā.
Ezek UrduGeoR 34:29  Mere hukm par zamīn aisī fasleṅ paidā karegī jin kī shohrat dūr dūr tak phailegī. Āindā na wuh bhūke mareṅge, na unheṅ dīgar aqwām kī lān-tān sunanī paṛegī.
Ezek UrduGeoR 34:30  Rab Qādir-e-mutlaq Ḳhudā farmātā hai ki us waqt wuh jān leṅge ki maiṅ jo Rab un kā Ḳhudā hūṅ un ke sāth hūṅ, ki Isrāīlī merī qaum haiṅ.
Ezek UrduGeoR 34:31  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki tum merā rewaṛ, merī charāgāh kī bheṛ-bakriyāṅ ho. Tum mere log, aur maiṅ tumhārā Ḳhudā hūṅ.’”
Chapter 35
Ezek UrduGeoR 35:2  “Ai ādamzād, Saīr ke pahāṛī ilāqe kī taraf ruḳh karke us ke ḳhilāf nabuwwat kar!
Ezek UrduGeoR 35:3  Use batā, ‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki ai Saīr ke pahāṛī ilāqe, ab maiṅ tujh se nipaṭ lūṅgā. Maiṅ apnā hāth tere ḳhilāf uṭhā kar tujhe wīrān-o-sunsān kar dūṅgā.
Ezek UrduGeoR 35:4  Maiṅ tere shahroṅ ko malbe ke ḍher banā dūṅgā, aur tū sarāsar ujaṛ jāegā. Tab tū jān legā ki maiṅ hī Rab hūṅ.
Ezek UrduGeoR 35:5  Tū hameshā Isrāīliyoṅ kā saḳht dushman rahā hai, aur jab un par āfat āī aur un kī sazā urūj tak pahuṅchī to tū bhī talwār le kar un par ṭūṭ paṛā.
Ezek UrduGeoR 35:6  Is lie Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki merī hayāt kī qasam, maiṅ tujhe qatl-o-ġhārat ke hawāle karūṅga, aur qatl-o-ġhārat terā tāqqub kartī rahegī. Chūṅki tū ne qatl-o-ġhārat karne se nafrat na kī, is lie qatl-o-ġhārat tere pīchhe paṛī rahegī.
Ezek UrduGeoR 35:7  Maiṅ Saīr ke pahāṛī ilāqe ko wīrān-o-sunsān karke wahāṅ ke tamām āne jāne wāloṅ ko miṭā ḍālūṅgā.
Ezek UrduGeoR 35:8  Tere pahāṛī ilāqe ko maiṅ maqtūloṅ se bhar dūṅgā. Talwār kī zad meṅ āne wāle har taraf paṛe raheṅge. Terī pahāṛiyoṅ, wādiyoṅ aur tamām ghāṭiyoṅ meṅ lāsheṅ nazar āeṅgī.
Ezek UrduGeoR 35:9  Mere hukm par tū abad tak wīrān rahegā, aur tere shahr ġhairābād raheṅge. Tab tū jān legā ki maiṅ hī Rab hūṅ.
Ezek UrduGeoR 35:10  Tū bolā, “Isrāīl aur Yahūdāh kī donoṅ qaumeṅ apne ilāqoṅ samet merī hī haiṅ! Āo ham un par qabzā kareṅ.” Tujhe ḳhayāl tak nahīṅ āyā ki Rab wahāṅ maujūd hai.
Ezek UrduGeoR 35:11  Is lie Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki merī hayāt kī qasam, maiṅ tujh se wuhī sulūk karūṅga jo tū ne un se kiyā jab tū ne ġhusse aur hasad ke ālam meṅ un par apnī pūrī nafrat kā izhār kiyā. Lekin unhīṅ par maiṅ apne āp ko zāhir karūṅga jab maiṅ terī adālat karūṅga.
Ezek UrduGeoR 35:12  Us waqt tū jān legā ki maiṅ, Rab ne wuh tamām kufr sun liyā hai jo tū ne Isrāīl ke pahāṛoṅ ke ḳhilāf bakā hai. Kyoṅki tū ne kahā, “Yih ujaṛ gae haiṅ, ab yih hamāre qabze meṅ ā gae haiṅ aur ham unheṅ khā sakte haiṅ.”
Ezek UrduGeoR 35:13  Tū ne sheḳhī mār mār kar mere ḳhilāf kufr bakā hai, lekin ḳhabardār! Maiṅ ne in tamām bātoṅ par tawajjuh dī hai.
Ezek UrduGeoR 35:14  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki tū ne ḳhushī manāī ki pūrā mulk wīrān-o-sunsān hai, lekin maiṅ tujhe bhī utnā hī wīrān kar dūṅgā.
Ezek UrduGeoR 35:15  Tū kitnā ḳhush huā jab Isrāīl kī maurūsī zamīn ujaṛ gaī! Ab maiṅ tere sāth bhī aisā hī karūṅga. Ai Saīr ke pahāṛī ilāqe, tū pūre Adom samet wīrān-o-sunsān ho jāegā. Tab wuh jān leṅge ki maiṅ hī Rab hūṅ.’
Chapter 36
Ezek UrduGeoR 36:1  Ai ādamzād, Isrāīl ke pahāṛoṅ ke bāre meṅ nabuwwat karke kah, ‘Ai Isrāīl ke pahāṛo, Rab kā kalām suno!
Ezek UrduGeoR 36:2  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki dushman baġhleṅ bajā kar kahtā hai ki kyā ḳhūb, Isrāīl kī qadīm bulandiyāṅ hamāre qabze meṅ ā gaī haiṅ!
Ezek UrduGeoR 36:3  Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki unhoṅ ne tumheṅ ujāṛ diyā, tumheṅ chāroṅ taraf se tang kiyā hai. Natīje meṅ tum dīgar aqwām ke qabze meṅ ā gaī ho aur log tum par kufr bakne lage haiṅ.
Ezek UrduGeoR 36:4  Chunāṅche ai Isrāīl ke pahāṛo, Rab Qādir-e-mutlaq kā kalām suno! Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki ai pahāṛo aur pahāṛiyo, ai ghāṭiyo aur wādiyo, ai khanḍarāt aur insān se ḳhālī shahro, tum gird-o-nawāh kī aqwām ke lie lūṭ-mār aur mazāq kā nishānā ban gae ho.
Ezek UrduGeoR 36:5  Is lie Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki maiṅ ne baṛī ġhairat se in bāqī aqwām kī sarzanish kī hai, ḳhāskar Adom kī. Kyoṅki wuh merī qaum kā nuqsān dekh kar shādiyānā bajāne lagīṅ aur apnī hiqārat kā izhār karke mere mulk par qabzā kiyā tāki us kī charāgāh ko lūṭ leṅ.
Ezek UrduGeoR 36:6  Ai pahāṛo aur pahāṛiyo, ai ghāṭiyo aur wādiyo, Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki chūṅki dīgar aqwām ne terī itnī ruswāī kī hai is lie maiṅ apnī ġhairat aur apnā ġhazab un par nāzil karūṅga.
Ezek UrduGeoR 36:7  Maiṅ Rab Qādir-e-mutlaq apnā hāth uṭhā kar qasam khātā hūṅ ki gird-o-nawāh kī in aqwām kī bhī ruswāī kī jāegī.
Ezek UrduGeoR 36:8  Lekin ai Isrāīl ke pahāṛo, tum par dubārā hariyālī phale phūlegī. Tum nae sire se merī qaum Isrāīl ke lie phal lāoge, kyoṅki wuh jald hī wāpas āne wālī hai.
Ezek UrduGeoR 36:9  Maiṅ dubārā tumhārī taraf rujū karūṅga, dubārā tum par mehrbānī karūṅga. Tab log nae sire se tum par hal chalā kar bīj boeṅge.
Ezek UrduGeoR 36:10  Maiṅ tum par kī ābādī baṛhā dūṅgā. Kyoṅki tamām Isrāīlī ā kar tumhārī ḍhalānoṅ par apne ghar banā leṅge. Tumhāre shahr dubārā ābād ho jāeṅge, aur khanḍarāt kī jagah nae ghar ban jāeṅge.
Ezek UrduGeoR 36:11  Maiṅ tum par basne wāle insān-o-haiwān kī tādād baṛhā dūṅgā, aur wuh baṛh kar phaleṅ-phūleṅge. Maiṅ hone dūṅgā ki tumhāre ilāqe meṅ māzī kī tarah ābādī hogī, pahle kī nisbat maiṅ tum par kahīṅ zyādā mehrbānī karūṅga. Tab tum jān loge ki maiṅ hī Rab hūṅ.
Ezek UrduGeoR 36:12  Maiṅ apnī qaum Isrāīl ko tumhāre pās pahuṅchā dūṅgā, aur wuh dubārā tumhārī ḍhalānoṅ par ghūmte phireṅge. Wuh tum par qabzā kareṅge, aur tum un kī maurūsī zamīn hoge. Āindā kabhī tum unheṅ un kī aulād se mahrūm nahīṅ karoge.
Ezek UrduGeoR 36:13  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki beshak log tumhāre bāre meṅ kahte haiṅ ki tum logoṅ ko haṛap karke apnī qaum ko us kī aulād se mahrūm kar dete ho.
Ezek UrduGeoR 36:14  Lekin āindā aisā nahīṅ hogā. Āindā tum na ādmiyoṅ ko haṛap karoge, na apnī qaum ko us kī aulād se mahrūm karoge. Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.
Ezek UrduGeoR 36:15  Maiṅ ḳhud hone dūṅgā ki āindā tumheṅ dīgar aqwām kī lān-tān nahīṅ sunanī paṛegī. Āindā tumheṅ un kā mazāq bardāsht nahīṅ karnā paṛegā, kyoṅki aisā kabhī hogā nahīṅ ki tum apnī qaum ke lie ṭhokar kā bāis ho. Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.’”
Ezek UrduGeoR 36:17  “Ai ādamzād, jab Isrāīlī apne mulk meṅ ābād the to mulk un ke chāl-chalan aur harkatoṅ se nāpāk huā. Wuh apne bure rawaiye ke bāis merī nazar meṅ māhwārī meṅ mubtalā aurat kī tarah nāpāk the.
Ezek UrduGeoR 36:18  Un ke hāthoṅ log qatl hue, un kī butparastī se mulk nāpāk ho gayā. Jawāb meṅ maiṅ ne un par apnā ġhazab nāzil kiyā.
Ezek UrduGeoR 36:19  Maiṅ ne unheṅ muḳhtalif aqwām-o-mamālik meṅ muntashir karke un ke chāl-chalan aur ġhalat kāmoṅ kī munāsib sazā dī.
Ezek UrduGeoR 36:20  Lekin jahāṅ bhī wuh pahuṅche wahāṅ unhīṅ ke sabab se mere muqaddas nām kī behurmatī huī. Kyoṅki jin se bhī un kī mulāqāt huī unhoṅ ne kahā, ‘Go yih Rab kī qaum haiṅ to bhī inheṅ us ke mulk ko chhoṛnā paṛā!’
Ezek UrduGeoR 36:21  Yih dekh kar ki jis qaum meṅ bhī Isrāīlī jā base wahāṅ unhoṅ ne mere muqaddas nām kī behurmatī kī maiṅ apne nām kī fikr karne lagā.
Ezek UrduGeoR 36:22  Is lie Isrāīlī qaum ko batā, ‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki jo kuchh maiṅ karne wālā hūṅ wuh maiṅ terī ḳhātir nahīṅ karūṅga balki apne muqaddas nām kī ḳhātir. Kyoṅki tum ne dīgar aqwām meṅ muntashir ho kar us kī behurmatī kī hai.
Ezek UrduGeoR 36:23  Maiṅ zāhir karūṅga ki merā azīm nām kitnā muqaddas hai. Tum ne dīgar aqwām ke darmiyān rah kar us kī behurmatī kī hai, lekin maiṅ un kī maujūdagī meṅ tumhārī madad karke apnā muqaddas kirdār un par zāhir karūṅga. Tab wuh jān leṅgī ki maiṅ hī Rab hūṅ. Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.
Ezek UrduGeoR 36:24  Maiṅ tumheṅ dīgar aqwām-o-mamālik se nikāl dūṅgā aur tumheṅ jamā karke tumhāre apne mulk meṅ wāpas lāūṅgā.
Ezek UrduGeoR 36:25  Maiṅ tum par sāf pānī chhiṛkūṅgā to tum pāk-sāf ho jāoge. Hāṅ, maiṅ tumheṅ tamām nāpākiyoṅ aur butoṅ se pāk-sāf kar dūṅgā.
Ezek UrduGeoR 36:26  Tab maiṅ tumheṅ nayā dil baḳhsh kar tum meṅ naī rūh ḍāl dūṅgā. Maiṅ tumhārā sangīn dil nikāl kar tumheṅ gosht-post kā narm dil atā karūṅga.
Ezek UrduGeoR 36:27  Kyoṅki maiṅ apnā hī Rūh tum meṅ ḍāl kar tumheṅ is qābil banā dūṅgā ki tum merī hidāyāt kī pairawī aur mere ahkām par dhyān se amal kar sako.
Ezek UrduGeoR 36:28  Tab tum dubārā us mulk meṅ sukūnat karoge jo maiṅ ne tumhāre bāpdādā ko diyā thā. Tum merī qaum hoge, aur maiṅ tumhārā Ḳhudā hūṅgā.
Ezek UrduGeoR 36:29  Maiṅ ḳhud tumheṅ tumhārī tamām nāpākī se chhuṛāūṅgā. Āindā maiṅ tumhāre mulk meṅ kāl paṛne nahīṅ dūṅgā balki anāj ko ugne aur baṛhne kā hukm dūṅgā.
Ezek UrduGeoR 36:30  Maiṅ bāġhoṅ aur khetoṅ kī paidāwār baṛhā dūṅgā tāki āindā tumheṅ mulk meṅ kāl paṛne ke bāis dīgar qaumoṅ ke tāne sunane na paṛeṅ.
Ezek UrduGeoR 36:31  Tab tumhārī burī rāheṅ aur ġhalat harkateṅ tumheṅ yād āeṅgī, aur tum apne gunāhoṅ aur butparastī ke bāis apne āp se ghin khāoge.
Ezek UrduGeoR 36:32  Lekin yād rahe ki maiṅ yih sab kuchh tumhārī ḳhātir nahīṅ kar rahā. Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki ai Isrāīlī qaum, sharm karo! Apne chāl-chalan par sharmsār ho!
Ezek UrduGeoR 36:33  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki jis din maiṅ tumheṅ tumhāre tamām gunāhoṅ se pāk-sāf karūṅga us din maiṅ tumheṅ dubārā tumhāre shahroṅ meṅ ābād karūṅga. Tab khanḍarāt par nae ghar baneṅge.
Ezek UrduGeoR 36:34  Go is waqt mulk meṅ se guzarne wāle har musāfir ko us kī tabāhshudā hālat nazar ātī hai, lekin us waqt aisā nahīṅ hogā balki zamīn kī khetībāṛī kī jāegī.
Ezek UrduGeoR 36:35  Log yih dekh kar kaheṅge, “Pahle sab kuchh wīrān-o-sunsān thā, lekin ab mulk Bāġh-e-Adan ban gayā hai! Pahle us ke shahr zamīnbos the aur un kī jagah malbe ke ḍher nazar āte the. Lekin ab un kī nae sire se qilābandī ho gaī hai aur log un meṅ ābād haiṅ.”
Ezek UrduGeoR 36:36  Phir irdgird kī jitnī qaumeṅ bach gaī hoṅgī wuh jān leṅgī ki maiṅ, Rab ne nae sire se wuh kuchh tāmīr kiyā hai jo pahle ḍhā diyā gayā thā, maiṅ ne wīrān zamīn meṅ dubārā paude lagāe haiṅ. Yih merā, Rab kā farmān hai, aur maiṅ yih karūṅga bhī.
Ezek UrduGeoR 36:37  Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki ek bār phir maiṅ Isrāīlī qaum kī iltijāeṅ sun kar bāshindoṅ kī tādād rewaṛ kī tarah baṛhā dūṅgā.
Ezek UrduGeoR 36:38  Jis tarah māzī meṅ īd ke din Yarūshalam meṅ har taraf qurbānī kī bheṛ-bakriyāṅ nazar ātī thīṅ usī tarah mulk ke shahroṅ meṅ dubārā hujūm ke hujūm nazar āeṅge. Tab wuh jān leṅge ki maiṅ hī Rab hūṅ.’”
Chapter 37
Ezek UrduGeoR 37:1  Ek din Rab kā hāth mujh par ā ṭhahrā. Rab ne mujhe apne Rūh se bāhar le jā kar ek khulī wādī ke bīch meṅ khaṛā kiyā. Wādī haḍḍiyoṅ se bharī thī.
Ezek UrduGeoR 37:2  Us ne mujhe un meṅ se guzarne diyā to maiṅ ne dekhā ki wādī kī zamīn par beshumār haḍḍiyāṅ bikhrī paṛī haiṅ. Yih haḍḍiyāṅ sarāsar sūkhī huī thīṅ.
Ezek UrduGeoR 37:3  Rab ne mujh se pūchhā, “Ai ādamzād, kyā yih haḍḍiyāṅ dubārā zindā ho saktī haiṅ?” Maiṅ ne jawāb diyā, “Ai Rab Qādir-e-mutlaq, tū hī jāntā hai.”
Ezek UrduGeoR 37:4  Tab us ne farmāyā, “Nabuwwat karke haḍḍiyoṅ ko batā, ‘Ai sūkhī huī haḍḍiyo, Rab kā kalām suno!
Ezek UrduGeoR 37:5  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki maiṅ tum meṅ dam ḍālūṅgā to tum dubārā zindā ho jāogī.
Ezek UrduGeoR 37:6  Maiṅ tum par naseṅ aur gosht chaṛhā kar sab kuchh jild se ḍhāṅp dūṅgā. Maiṅ tum meṅ dam ḍāl dūṅgā, aur tum zindā ho jāogī. Tab tum jān logī ki maiṅ hī Rab hūṅ.’”
Ezek UrduGeoR 37:7  Maiṅ ne aisā hī kiyā. Aur jyoṅ hī maiṅ nabuwwat karne lagā to shor mach gayā. Haḍḍiyāṅ khaṛkhaṛāte hue ek dūsrī ke sāth juṛ gaīṅ, aur hote hote pūre ḍhāṅche ban gae.
Ezek UrduGeoR 37:8  Mere deḳhte deḳhte naseṅ aur gosht ḍhāṅchoṅ par chaṛh gayā aur sab kuchh jild se ḍhāṅpā gayā. Lekin ab tak jismoṅ meṅ dam nahīṅ thā.
Ezek UrduGeoR 37:9  Phir Rab ne farmāyā, “Ai ādamzād, nabuwwat karke dam se muḳhātib ho jā, ‘Ai dam, Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki chāroṅ taraf se ā kar maqtūloṅ par phūṅk mār tāki dubārā zindā ho jāeṅ.’”
Ezek UrduGeoR 37:10  Maiṅ ne aisā hī kiyā to maqtūloṅ meṅ dam ā gayā, aur wuh zindā ho kar apne pāṅwoṅ par khaṛe ho gae. Ek nihāyat baṛī fauj wujūd meṅ ā gaī thī!
Ezek UrduGeoR 37:11  Tab Rab ne farmāyā, “Ai ādamzād, yih haḍḍiyāṅ Isrāīlī qaum ke tamām afrād haiṅ. Wuh kahte haiṅ, ‘Hamārī haḍḍiyāṅ sūkh gaī haiṅ, hamārī ummīd jātī rahī hai. Ham ḳhatm hī ho gae haiṅ!’
Ezek UrduGeoR 37:12  Chunāṅche nabuwwat karke unheṅ batā, ‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki ai merī qaum, maiṅ tumhārī qabroṅ ko khol dūṅgā aur tumheṅ un meṅ se nikāl kar Mulk-e-Isrāīl meṅ wāpas lāūṅgā.
Ezek UrduGeoR 37:13  Ai merī qaum, jab maiṅ tumhārī qabroṅ ko khol dūṅgā aur tumheṅ un meṅ se nikāl lāūṅgā tab tum jān loge ki maiṅ hī Rab hūṅ.
Ezek UrduGeoR 37:14  Maiṅ apnā Rūh tum meṅ ḍāl dūṅgā to tum zindā ho jāoge. Phir maiṅ tumheṅ tumhāre apne mulk meṅ basā dūṅgā. Tab tum jān loge ki yih merā, Rab kā farmān hai aur maiṅ yih karūṅga bhī.’”
Ezek UrduGeoR 37:16  “Ai ādamzād, lakaṛī kā ṭukṛā le kar us par likh de, ‘Junūbī qabīlā Yahūdāh aur jitne Isrāīlī qabīle us ke sāth muttahid haiṅ.’ Phir lakaṛī kā ek aur ṭukṛā le kar us par likh de, ‘Shimālī qabīlā Yūsuf yānī Ifrāīm aur jitne Isrāīlī qabīle us ke sāth muttahid haiṅ.’
Ezek UrduGeoR 37:17  Ab lakaṛī ke donoṅ ṭukṛe ek dūsre ke sāth yoṅ joṛ de ki tere hāth meṅ ek ho jāeṅ.
Ezek UrduGeoR 37:18  Tere hamwatan tujh se pūchheṅge, ‘Kyā āp hameṅ is kā matlab nahīṅ batāeṅge?’
Ezek UrduGeoR 37:19  Tab unheṅ batā, ‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki maiṅ Yūsuf yānī lakaṛī ke mālik Ifrāīm aur us ke sāth muttahid Isrāīlī qabīloṅ ko le kar Yahūdāh kī lakaṛī ke sāth joṛ dūṅgā. Mere hāth meṅ wuh lakaṛī kā ek hī ṭukṛā ban jāeṅge.’
Ezek UrduGeoR 37:20  Apne hamwatanoṅ kī maujūdagī meṅ lakaṛī ke mazkūrā ṭukṛe hāth meṅ thāme rakh
Ezek UrduGeoR 37:21  aur sāth sāth unheṅ batā, ‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki maiṅ Isrāīliyoṅ ko un qaumoṅ meṅ se nikāl lāūṅgā jahāṅ wuh jā base haiṅ. Maiṅ unheṅ jamā karke un ke apne mulk meṅ wāpas lāūṅgā.
Ezek UrduGeoR 37:22  Wahīṅ Isrāīl ke pahāṛoṅ par maiṅ unheṅ muttahid karke ek hī qaum banā dūṅgā. Un par ek hī bādshāh hukūmat karegā. Āindā wuh na kabhī do qaumoṅ meṅ taqsīm ho jāeṅge, na do saltanatoṅ meṅ.
Ezek UrduGeoR 37:23  Āindā wuh apne āp ko na apne butoṅ yā bāqī makrūh chīzoṅ se nāpāk kareṅge, na un gunāhoṅ se jo ab tak karte āe haiṅ. Maiṅ unheṅ un tamām maqāmoṅ se nikāl kar chhuṛāūṅgā jin meṅ unhoṅ ne gunāh kiyā hai. Maiṅ unheṅ pāk-sāf karūṅga. Yoṅ wuh merī qaum hoṅge aur maiṅ un kā Ḳhudā hūṅgā.
Ezek UrduGeoR 37:24  Merā ḳhādim Dāūd un kā bādshāh hogā, un kā ek hī gallābān hogā. Tab wuh merī hidāyāt ke mutābiq zindagī guzāreṅge aur dhyān se mere ahkām par amal kareṅge.
Ezek UrduGeoR 37:25  Jo mulk maiṅ ne apne ḳhādim Yāqūb ko diyā thā aur jis meṅ tumhāre bāpdādā rahte the us meṅ Isrāīlī dubārā baseṅge. Hāṅ, wuh aur un kī aulād hameshā tak us meṅ ābād raheṅge, aur merā ḳhādim Dāūd abad tak un par hukūmat karegā.
Ezek UrduGeoR 37:26  Tab maiṅ un ke sāth salāmatī kā ahd bāndhūṅgā, ek aisā ahd jo hameshā tak qāym rahegā. Maiṅ unheṅ qāym karke un kī tādād baṛhātā jāūṅgā, aur merā maqdis abad tak un ke darmiyān rahegā.
Ezek UrduGeoR 37:27  Wuh merī sukūnatgāh ke sāy meṅ baseṅge. Maiṅ un kā Ḳhudā hūṅgā, aur wuh merī qaum hoṅge.
Ezek UrduGeoR 37:28  Jab merā maqdis abad tak un ke darmiyān hogā to dīgar aqwām jān leṅgī ki maiṅ hī Rab hūṅ, ki Isrāīl ko muqaddas karne wālā maiṅ hī hūṅ.’”
Chapter 38
Ezek UrduGeoR 38:2  “Ai ādamzād, Mulk-e-Mājūj ke hukmrān Jūj kī taraf ruḳh kar jo Masak aur Tūbal kā ālā ra'īs hai. Us ke ḳhilāf nabuwwat karke
Ezek UrduGeoR 38:3  kah, ‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki ai Masak aur Tūbal ke ālā ra'īs Jūj, ab maiṅ tujh se nipaṭ lūṅgā.
Ezek UrduGeoR 38:4  Maiṅ tere muṅh ko pher dūṅgā, tere muṅh meṅ kāṅṭe ḍāl kar tujhe pūrī fauj samet nikāl dūṅgā. Shāndār wardiyoṅ se ārāstā tere tamām ghuṛsawār aur faujī apne ghoṛoṅ samet nikal āeṅge, go terī baṛī fauj ke mard chhoṭī aur baṛī ḍhāleṅ uṭhāe phireṅge, aur har ek talwār se lais hogā.
Ezek UrduGeoR 38:5  Fāras, Ethopiyā aur Libiyā ke mard bhī fauj meṅ shāmil hoṅge. Har ek baṛī ḍhāl aur ḳhod se musallah hogā.
Ezek UrduGeoR 38:6  Jumar aur shimāl ke dūr-darāz ilāqe Bait-tujarmā ke tamām daste bhī sāth hoṅge. Ġharz us waqt bahut-sī qaumeṅ tere sāth nikleṅgī.
Ezek UrduGeoR 38:7  Chunāṅche musta'id ho jā! Jitne lashkar tere irdgird jamā ho gae haiṅ un ke sāth mil kar ḳhūb taiyāriyāṅ kar! Un ke lie pahrādārī kar.
Ezek UrduGeoR 38:8  Muta'addid dinoṅ ke bād tujhe Mulk-e-Isrāīl par hamlā karne ke lie bulāyā jāegā jise abhī jang se chhuṭkārā milā hogā aur jis ke jilāwatan dīgar bahut-sī qaumoṅ meṅ se wāpas ā gae hoṅge. Go Isrāīl kā pahāṛī ilāqā baṛī der se barbād huā hogā, lekin us waqt us ke bāshinde jilāwatanī se wāpas ā kar amn-o-amān se us meṅ baseṅge.
Ezek UrduGeoR 38:9  Tab tū tūfān kī tarah āge baṛhegā, tere daste bādal kī tarah pūre mulk par chhā jāeṅge. Tere sāth bahut-sī qaumeṅ hoṅgī.
Ezek UrduGeoR 38:10  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki us waqt tere zahan meṅ bure ḳhayālāt ubhar āeṅge aur tū sharīr mansūbe bāndhegā.
Ezek UrduGeoR 38:11  Tū kahegā, “Yih mulk khulā hai, aur us ke bāshinde ārām aur sukūn ke sāth rah rahe haiṅ. Āo, maiṅ un par hamlā karūṅ, kyoṅki wuh apnī hifāzat nahīṅ kar sakte. Na un kī chārdīwārī hai, na darwāzā yā kunḍā.
Ezek UrduGeoR 38:12  Maiṅ Isrāīliyoṅ ko lūṭ lūṅgā. Jo shahr pahle khanḍarāt the lekin ab nae sire se ābād hue haiṅ un par maiṅ ṭūṭ paṛūṅgā. Jo jilāwatan dīgar aqwām se wāpas ā gae haiṅ un kī daulat maiṅ chhīn lūṅgā. Kyoṅki unheṅ kāfī māl-maweshī hāsil hue haiṅ, aur ab wuh duniyā ke markaz meṅ ā base haiṅ.”
Ezek UrduGeoR 38:13  Sabā, Dadān aur Tarsīs ke tājir aur buzurg pūchheṅge ki kyā tū ne wāqaī apne faujiyoṅ ko lūṭ-mār ke lie ikaṭṭhā kar liyā hai? Kyā tū wāqaī sonā-chāṅdī, māl-maweshī aur bāqī bahut-sī daulat chhīnanā chāhtā hai?’
Ezek UrduGeoR 38:14  Ai ādamzād, nabuwwat karke Jūj ko batā, ‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki us waqt tujhe patā chalegā ki merī qaum Isrāīl sukūn se zindagī guzār rahī hai,
Ezek UrduGeoR 38:15  aur tū dūr-darāz shimāl ke apne mulk se niklegā. Terī wasī aur tāqatwar fauj meṅ muta'addid qaumeṅ shāmil hoṅgī, aur sab ghoṛoṅ par sawār
Ezek UrduGeoR 38:16  merī qaum Isrāīl par dhāwā bol deṅge. Wuh us par bādal kī tarah chhā jāeṅge. Ai Jūj, un āḳhirī dinoṅ meṅ maiṅ ḳhud tujhe apne mulk par hamlā karne dūṅgā tāki dīgar aqwām mujhe jān leṅ. Kyoṅki jo kuchh maiṅ un ke deḳhte deḳhte tere sāth karūṅga us se merā muqaddas kirdār un par zāhir ho jāegā.
Ezek UrduGeoR 38:17  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki tū wuhī hai jis kā zikr maiṅ ne māzī meṅ kiyā thā. Kyoṅki māzī meṅ mere ḳhādim yānī Isrāīl ke nabī kāfī sāloṅ se peshgoī karte rahe ki maiṅ tujhe Isrāīl ke ḳhilāf bhejūṅgā.
Ezek UrduGeoR 38:18  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki jis din Jūj Mulk-e-Isrāīl par hamlā karegā us din maiṅ āg-bagūlā ho jāūṅgā.
Ezek UrduGeoR 38:19  Maiṅ farmātā hūṅ ki us din merī ġhairat aur shadīd qahr yoṅ bhaṛak uṭhegā ki yaqīnan Mulk-e-Isrāīl meṅ zabardast zalzalā āegā.
Ezek UrduGeoR 38:20  Sab mere sāmne thartharā uṭheṅge, ḳhāh machhliyāṅ hoṅ yā parinde, ḳhāh zamīn par chalne aur reṅgne wāle jānwar hoṅ yā insān. Pahāṛ un kī guzargāhoṅ samet ḳhāk meṅ milāe jāeṅge, aur har dīwār gir jāegī.
Ezek UrduGeoR 38:21  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki maiṅ apne tamām pahāṛī ilāqe meṅ Jūj ke ḳhilāf talwār bhejūṅgā. Tab sab āpas meṅ laṛne lageṅge.
Ezek UrduGeoR 38:22  Maiṅ un meṅ mohlak bīmāriyāṅ aur qatl-o-ġhārat phailā kar un kī adālat karūṅga. Sāth sāth maiṅ mūslādhār bārish, ole, āg aur gandhak Jūj aur us kī bainul-aqwāmī fauj par barsā dūṅgā.
Ezek UrduGeoR 38:23  Yoṅ maiṅ apnā azīm aur muqaddas kirdār muta'addid qaumoṅ par zāhir karūṅga, un ke deḳhte deḳhte apne āp kā izhār karūṅga. Tab wuh jān leṅgī ki maiṅ hī Rab hūṅ.’
Chapter 39
Ezek UrduGeoR 39:1  Ai ādamzād, Jūj ke ḳhilāf nabuwwat karke kah, ‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki ai Masak aur Tūbal ke ālā ra'īs Jūj, ab maiṅ tujh se nipaṭ lūṅgā.
Ezek UrduGeoR 39:2  Maiṅ terā muṅh pher dūṅgā aur tujhe shimāl ke dūr-darāz ilāqe se ghasīṭ kar Isrāīl ke pahāṛoṅ par lāūṅgā.
Ezek UrduGeoR 39:3  Wahāṅ maiṅ tere bāeṅ hāth se kamān haṭāūṅgā aur tere dāeṅ hāth se tīr girā dūṅgā.
Ezek UrduGeoR 39:4  Isrāīl ke pahāṛoṅ par hī tū apne tamām bainul-aqwāmī faujiyoṅ ke sāth halāk ho jāegā. Maiṅ tujhe har qism ke shikārī parindoṅ aur darindoṅ ko khilā dūṅgā.
Ezek UrduGeoR 39:5  Kyoṅki terī lāsh khule maidān meṅ gir kar paṛī rahegī. Yih merā, Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.
Ezek UrduGeoR 39:6  Maiṅ Mājūj par aur apne āp ko mahfūz samajhne wāle sāhilī ilāqoṅ par āg bhejūṅgā. Tab wuh jān leṅge ki maiṅ hī Rab hūṅ.
Ezek UrduGeoR 39:7  Apnī qaum Isrāīl ke darmiyān hī maiṅ apnā muqaddas nām zāhir karūṅga. Āindā maiṅ apne muqaddas nām kī behurmatī bardāsht nahīṅ karūṅga. Tab aqwām jān leṅgī ki maiṅ Rab aur Isrāīl kā Quddūs hūṅ.
Ezek UrduGeoR 39:8  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki yih sab kuchh hone wālā hai, yih zarūr pesh āegā! Wuhī din hai jis kā zikr maiṅ kar chukā hūṅ.
Ezek UrduGeoR 39:9  Phir Isrāīlī shahroṅ ke bāshinde maidān-e-jang meṅ jā kar dushman ke aslāh ko īṅdhan ke lie jamā kareṅge. Itnī chhoṭī aur baṛī ḍhāleṅ, kamān, tīr, lāṭhiyāṅ aur neze ikaṭṭhe ho jāeṅge ki sāt sāl tak kisī aur īṅdhan kī zarūrat nahīṅ hogī.
Ezek UrduGeoR 39:10  Isrāīliyoṅ ko khule maidān meṅ lakaṛī chunane yā jangal meṅ daraḳht kāṭne kī zarūrat nahīṅ hogī, kyoṅki wuh yih hathiyār īṅdhan ke taur par istemāl kareṅge. Ab wuh unheṅ lūṭeṅge jinhoṅ ne unheṅ lūṭ liyā thā, wuh un se māl-maweshī chhīn leṅge jinhoṅ ne un se sab kuchh chhīn liyā thā. Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.
Ezek UrduGeoR 39:11  Us din maiṅ Isrāīl meṅ Jūj ke lie qabristān muqarrar karūṅga. Yih qabristān Wādī-e-Abārīm meṅ hogā jo Bahīrā-e-Murdār ke mashriq meṅ hai. Jūj ke sāth us kī tamām fauj bhī dafn hogī, is lie musāfir āindā us meṅ se nahīṅ guzar sakeṅge. Tab wuh jagah Wādī-e-Hamūn-jūj bhī kahlāegī.
Ezek UrduGeoR 39:12  Jab Isrāīlī tamām lāsheṅ dafnā kar mulk ko pāk-sāf kareṅge to sāt mahīne lageṅge.
Ezek UrduGeoR 39:13  Tamām ummat is kām meṅ masrūf rahegī. Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki jis din maiṅ duniyā par apnā jalāl zāhir karūṅga us din yih un ke lie shohrat kā bāis hogā.
Ezek UrduGeoR 39:14  Sāt mahīnoṅ ke bād kuchh ādmiyoṅ ko alag karke kahā jāegā ki pūre mulk meṅ se guzar kar mālūm kareṅ ki abhī kahāṅ kahāṅ lāsheṅ paṛī haiṅ. Kyoṅki lāzim hai ki sab dafn ho jāeṅ tāki mulk dubārā pāk-sāf ho jāe.
Ezek UrduGeoR 39:15  Jahāṅ kahīṅ koī lāsh nazar āe us jagah kī wuh nishāndihī kareṅge tāki dafnāne wāle use Wādī-e-Hamūn-jūj meṅ le jā kar dafn kareṅ.
Ezek UrduGeoR 39:16  Yoṅ mulk ko pāk-sāf kiyā jāegā. Us waqt se Isrāīl ke ek shahr kā nām Hamūnā kahlāegā.’
Ezek UrduGeoR 39:17  Ai ādamzād, Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki har qism ke parinde aur darinde bulā kar kah, ‘Āo, idhar jamā ho jāo! Chāroṅ taraf se ā kar Isrāīl ke pahāṛī ilāqe meṅ jamā ho jāo! Kyoṅki yahāṅ maiṅ tumhāre lie qurbānī kī zabardast ziyāfat taiyār kar rahā hūṅ. Yahāṅ tumheṅ gosht khāne aur ḳhūn pīne kā sunahrā mauqā milegā.
Ezek UrduGeoR 39:18  Tum sūrmāoṅ kā gosht khāoge aur duniyā ke hukmrānoṅ kā ḳhūn piyoge. Sab Basan ke moṭe-tāze menḍhoṅ, bheṛ ke bachchoṅ, bakroṅ aur bailoṅ jaise mazedār hoṅge.
Ezek UrduGeoR 39:19  Kyoṅki jo qurbānī meṅ tumhāre lie taiyār kar rahā hūṅ us kī charbī tum jī bhar kar khāoge, us kā ḳhūn pī pī kar mast ho jāoge.
Ezek UrduGeoR 39:20  Rab farmātā hai ki tum merī mez par baiṭh kar ghoṛoṅ aur ghuṛsawāroṅ, sūrmāoṅ aur har qism ke faujiyoṅ se ser ho jāoge.’
Ezek UrduGeoR 39:21  Yoṅ maiṅ dīgar aqwām par apnā jalāl zāhir karūṅga. Kyoṅki jab maiṅ Jūj aur us kī fauj kī adālat karke un se nipaṭ lūṅgā to tamām aqwām is kī gawāh hoṅgī.
Ezek UrduGeoR 39:22  Tab Isrāīlī qaum hameshā ke lie jān legī ki maiṅ Rab us kā Ḳhudā hūṅ.
Ezek UrduGeoR 39:23  Aur dīgar aqwām jān leṅgī ki Isrāīlī apne gunāhoṅ ke sabab se jilāwatan hue. Wuh jān leṅgī ki chūṅki Isrāīlī mujh se bewafā hue, isī lie maiṅ ne apnā muṅh un se chhupā kar unheṅ un ke dushmanoṅ ke hawāle kar diyā, isī lie wuh sab talwār kī zad meṅ ā kar halāk hue.
Ezek UrduGeoR 39:24  Kyoṅki maiṅ ne unheṅ un kī nāpākī aur jarāym kā munāsib badlā de kar apnā chehrā un se chhupā liyā thā.
Ezek UrduGeoR 39:25  Chunāṅche Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki ab maiṅ Yāqūb kī aulād ko bahāl karke tamām Isrāīlī qaum par tars khāūṅgā. Ab maiṅ baṛī ġhairat se apne muqaddas nām kā difā karūṅga.
Ezek UrduGeoR 39:26  Jab Isrāīlī sukūn se aur ḳhauf khāe baġhair apne mulk meṅ raheṅge to wuh apnī ruswāī aur mere sāth bewafāī kā etarāf kareṅge.
Ezek UrduGeoR 39:27  Maiṅ unheṅ dīgar aqwām aur un ke dushmanoṅ ke mamālik meṅ se jamā karke unheṅ wāpas lāūṅgā aur yoṅ un ke zariye apnā muqaddas kirdār muta'addid aqwām par zāhir karūṅga.
Ezek UrduGeoR 39:28  Tab wuh jān leṅge ki maiṅ hī Rab hūṅ. Kyoṅki unheṅ aqwām meṅ jilāwatan karne ke bād maiṅ unheṅ un ke apne hī mulk meṅ dubārā jamā karūṅga. Ek bhī pīchhe nahīṅ chhoṛā jāegā.
Ezek UrduGeoR 39:29  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki āindā maiṅ apnā chehrā un se nahīṅ chhupāūṅgā. Kyoṅki maiṅ apnā Rūh Isrāīlī qaum par unḍel dūṅgā.”
Chapter 40
Ezek UrduGeoR 40:1  Hamārī jilāwatanī ke 25weṅ sāl meṅ Rab kā hāth mujh par ā ṭhahrā aur wuh mujhe Yarūshalam le gayā. Mahīne kā daswāṅ din thā. Us waqt Yarūshalam ko dushman ke qabze meṅ āe 14 sāl ho gae the.
Ezek UrduGeoR 40:2  Ilāhī royāoṅ meṅ Allāh ne mujhe Mulk-e-Isrāīl ke ek nihāyat buland pahāṛ par pahuṅchāyā. Pahāṛ ke junūb meṅ mujhe ek shahr-sā nazar āyā.
Ezek UrduGeoR 40:3  Allāh mujhe shahr ke qarīb le gayā to maiṅ ne shahr ke darwāze meṅ khaṛe ek ādmī ko dekhā jo pītal kā banā huā lag rahā thā. Us ke hāth meṅ katān kī rassī aur fītā thā.
Ezek UrduGeoR 40:4  Us ne mujh se kahā, “Ai ādamzād, dhyān se dekh, ġhaur se sun! Jo kuchh bhī maiṅ tujhe dikhāūṅgā, us par tawajjuh de. Kyoṅki tujhe isī lie yahāṅ lāyā gayā hai ki maiṅ tujhe yih dikhāūṅ. Jo kuchh bhī tū dekhe use Isrāīlī qaum ko sunā de!”
Ezek UrduGeoR 40:5  Maiṅ ne dekhā ki Rab ke ghar kā sahan chārdīwārī se ghirā huā hai. Jo fītā mere rāhnumā ke hāth meṅ thā us kī lambāī sāṛhe 10 fuṭ thī. Is ke zariye us ne chārdīwārī ko nāp liyā. Dīwār kī moṭāī aur ūṅchāī donoṅ sāṛhe das das fuṭ thī.
Ezek UrduGeoR 40:6  Phir merā rāhnumā mashriqī darwāze ke pās pahuṅchāne wālī sīṛhī par chaṛh kar darwāze kī dahlīz par ruk gayā. Jab us ne us kī paimāish kī to us kī gahrāī sāṛhe 10 fuṭ niklī.
Ezek UrduGeoR 40:7  Jab wuh darwāze meṅ khaṛā huā to dāīṅ aur bāīṅ taraf pahredāroṅ ke tīn tīn kamre nazar āe. Har kamre kī lambāī aur chauṛāī sāṛhe das das fuṭ thī. Kamroṅ ke darmiyān kī dīwār paune nau fuṭ moṭī thī. In kamroṅ ke bād ek aur dahlīz thī jo sāṛhe 10 fuṭ gahrī thī. Us par se guzar kar ham darwāze se mulhiq ek barāmde meṅ āe jis kā ruḳh Rab ke ghar kī taraf thā.
Ezek UrduGeoR 40:9  to patā chalā ki us kī lambāī 14 fuṭ hai. Darwāze ke satūn-numā bāzū sāṛhe tīn tīn fuṭ moṭe the. Barāmde kā ruḳh Rab ke ghar kī taraf thā.
Ezek UrduGeoR 40:10  Pahredāroṅ ke mazkūrā kamre sab ek jaise baṛe the, aur un ke darmiyān wālī dīwāreṅ sab ek jaisī moṭī thīṅ.
Ezek UrduGeoR 40:11  Is ke bād us ne darwāze kī guzargāh kī chauṛāī nāpī. Yih mil milā kar paune 23 fuṭ thī, albattā jab kiwāṛ khule the to un ke darmiyān kā fāsilā sāṛhe 17 fuṭ thā.
Ezek UrduGeoR 40:12  Pahredāroṅ ke har kamre ke sāmne ek chhoṭī-sī dīwār thī jis kī ūṅchāī 21 inch thī jabki har kamre kī lambāī aur ūṅchāī sāṛhe das das fuṭ thī.
Ezek UrduGeoR 40:13  Phir mere rāhnumā ne wuh fāsilā nāpā jo in kamroṅ meṅ se ek kī pichhlī dīwār se le kar us ke muqābil ke kamre kī pichhlī dīwār tak thā. Mālūm huā ki paune 44 fuṭ hai.
Ezek UrduGeoR 40:14  Sahan meṅ darwāze se mulhiq wuh barāmdā thā jis kā ruḳh Rab ke ghar kī taraf thā. Us kī chauṛāī 33 fuṭ thī.
Ezek UrduGeoR 40:15  Jo bāhar se darwāze meṅ dāḳhil hotā thā wuh sāṛhe 87 fuṭ ke bād hī sahan meṅ pahuṅchtā thā.
Ezek UrduGeoR 40:16  Pahredāroṅ ke tamām kamroṅ meṅ chhoṭī khiṛkiyāṅ thīṅ. Kuchh bairūnī dīwār meṅ thīṅ, kuchh kamroṅ ke darmiyān kī dīwāroṅ meṅ. Darwāze ke satūn-numā bāzuoṅ meṅ khajūr ke daraḳht munaqqash the.
Ezek UrduGeoR 40:17  Phir merā rāhnumā darwāze meṅ se guzar kar mujhe Rab ke ghar ke bairūnī sahan meṅ lāyā. Chārdīwārī ke sāth sāth 30 kamre banāe gae the jin ke sāmne patthar kā farsh thā.
Ezek UrduGeoR 40:18  Yih farsh chārdīwārī ke sāth sāth thā. Jahāṅ darwāzoṅ kī guzargāheṅ thīṅ wahāṅ farsh un kī dīwāroṅ se lagtā thā. Jitnā lambā in guzargāhoṅ kā wuh hissā thā jo sahan meṅ thā utnā hī chauṛā farsh bhī thā. Yih farsh andarūnī sahan kī nisbat nīchā thā.
Ezek UrduGeoR 40:19  Bairūnī aur andarūnī sahnoṅ ke darmiyān bhī darwāzā thā. Yih bairūnī darwāze ke muqābil thā. Jab mere rāhnumā ne donoṅ darwāzoṅ kā darmiyānī fāsilā nāpā to mālūm huā ki 175 fuṭ hai.
Ezek UrduGeoR 40:20  Is ke bād us ne chārdīwārī ke shimālī darwāze kī paimāish kī.
Ezek UrduGeoR 40:21  Is darwāze meṅ bhī dāīṅ aur bāīṅ taraf tīn tīn kamre the jo mashriqī darwāze ke kamroṅ jitne baṛe the. Us meṅ se guzar kar ham wahāṅ bhī darwāze se mulhiq barāmde meṅ āe jis kā ruḳh Rab ke ghar kī taraf thā. Us kī aur us ke satūn-numā bāzuoṅ kī lambāī aur chauṛāī utnī hī thī jitnī mashriqī darwāze ke barāmde aur us ke satūn-numā bāzuoṅ kī thī. Guzargāh kī pūrī lambāī sāṛhe 87 fuṭ thī. Jab mere rāhnumā ne wuh fāsilā nāpā jo pahredāroṅ ke kamroṅ meṅ se ek kī pichhlī dīwār se le kar us ke muqābil ke kamre kī pichhlī dīwār tak thā to mālūm huā ki paune 44 fuṭ hai.
Ezek UrduGeoR 40:22  Darwāze se mulhiq barāmdā, khiṛkiyāṅ aur kandā kie gae khajūr ke daraḳht usī tarah banāe gae the jis tarah mashriqī darwāze meṅ. Bāhar ek sīṛhī darwāze tak pahuṅchātī thī jis ke sāt qadamche the. Mashriqī darwāze kī tarah shimālī darwāze ke andarūnī sire ke sāth ek barāmdā mulhiq thā jis se ho kar insān sahan meṅ pahuṅchtā thā.
Ezek UrduGeoR 40:23  Mashriqī darwāze kī tarah is darwāze ke muqābil bhī andarūnī sahan meṅ pahuṅchāne wālā darwāzā thā. Donoṅ darwāzoṅ kā darmiyānī fāsilā 175 fuṭ thā.
Ezek UrduGeoR 40:24  Is ke bād merā rāhnumā mujhe bāhar le gayā. Chalte chalte ham junūbī chārdīwārī ke pās pahuṅche. Wahāṅ bhī darwāzā nazar āyā. Us meṅ se guzar kar ham wahāṅ bhī darwāze se mulhiq barāmde meṅ āe jis kā ruḳh Rab ke ghar kī taraf thā. Yih barāmdā darwāze ke satūn-numā bāzuoṅ samet dīgar darwāzoṅ ke barāmde jitnā baṛā thā.
Ezek UrduGeoR 40:25  Darwāze aur barāmde kī khiṛkiyāṅ bhī dīgar khiṛkiyoṅ kī mānind thīṅ. Guzargāh kī pūrī lambāī sāṛhe 87 fuṭ thī. Jab us ne wuh fāsilā nāpā jo pahredāroṅ ke kamroṅ meṅ se ek kī pichhlī dīwār se le kar us ke muqābil ke kamre kī pichhlī dīwār tak thā to mālūm huā ki paune 44 fuṭ hai.
Ezek UrduGeoR 40:26  Bāhar ek sīṛhī darwāze tak pahuṅchātī thī jis ke sāt qadamche the. Dīgar darwāzoṅ kī tarah junūbī darwāze ke andarūnī sire ke sāth barāmdā mulhiq thā jis se ho kar insān sahan meṅ pahuṅchtā thā. Barāmde ke donoṅ satūn-numā bāzuoṅ par khajūr ke daraḳht kandā kie gae the.
Ezek UrduGeoR 40:27  Is darwāze ke muqābil bhī andarūnī sahan meṅ pahuṅchāne wālā darwāzā thā. Donoṅ darwāzoṅ kā darmiyānī fāsilā 175 fuṭ thā.
Ezek UrduGeoR 40:28  Phir merā rāhnumā junūbī darwāze meṅ se guzar kar mujhe andarūnī sahan meṅ lāyā. Jab us ne wahāṅ kā darwāzā nāpā to mālūm huā ki wuh bairūnī darwāzoṅ kī mānind hai.
Ezek UrduGeoR 40:29  Pahredāroṅ ke kamre, barāmdā aur us ke satūn-numā bāzū sab paimāish ke hisāb se dīgar darwāzoṅ kī mānind the. Is darwāze aur is ke sāth mulhiq barāmde meṅ bhī khiṛkiyāṅ thīṅ. Guzargāh kī pūrī lambāī sāṛhe 87 fuṭ thī. Jab mere rāhnumā ne wuh fāsilā nāpā jo pahredāroṅ ke kamre meṅ se ek kī pichhlī dīwār se le kar us ke muqābil ke kamre kī pichhlī dīwār tak thā to mālūm huā ki paune 44 fuṭ hai.
Ezek UrduGeoR 40:30  Pahredāroṅ ke kamre, barāmdā aur us ke satūn-numā bāzū sab paimāish ke hisāb se dīgar darwāzoṅ kī mānind the. Is darwāze aur is ke sāth mulhiq barāmde meṅ bhī khiṛkiyāṅ thīṅ. Guzargāh kī pūrī lambāī sāṛhe 87 fuṭ thī. Jab mere rāhnumā ne wuh fāsilā nāpā jo pahredāroṅ ke kamre meṅ se ek kī pichhlī dīwār se le kar us ke muqābil ke kamre kī pichhlī dīwār tak thā to mālūm huā ki paune 44 fuṭ hai.
Ezek UrduGeoR 40:31  Lekin us ke barāmde kā ruḳh bairūnī sahan kī taraf thā. Us meṅ pahuṅchne ke lie ek sīṛhī banāī gaī thī jis ke āṭh qadamche the. Darwāze ke satūn-numā bāzuoṅ par khajūr ke daraḳht kandā kie gae the.
Ezek UrduGeoR 40:32  Is ke bād merā rāhnumā mujhe mashriqī darwāze se ho kar andarūnī sahan meṅ lāyā. Jab us ne yih darwāzā nāpā to mālūm huā ki yih bhī dīgar darwāzoṅ jitnā baṛā hai.
Ezek UrduGeoR 40:33  Pahredāroṅ ke kamre, darwāze ke satūn-numā bāzū aur barāmdā paimāish ke hisāb se dīgar darwāzoṅ kī mānind the. Yahāṅ bhī darwāze aur barāmde meṅ khiṛkiyāṅ lagī thīṅ. Guzargāh kī lambāī sāṛhe 87 fuṭ aur chauṛāī paune 44 fuṭ thī.
Ezek UrduGeoR 40:34  Is darwāze ke barāmde kā ruḳh bhī bairūnī sahan kī taraf thā. Darwāze ke satūn-numā bāzuoṅ par khajūr ke daraḳht kandā kie gae the. Barāmde meṅ pahuṅchne ke lie ek sīṛhī banāī gaī thī jis ke āṭh qadamche the.
Ezek UrduGeoR 40:35  Phir merā rāhnumā mujhe shimālī darwāze ke pās lāyā. Us kī paimāish karne par mālūm huā ki yih bhī dīgar darwāzoṅ jitnā baṛā hai.
Ezek UrduGeoR 40:36  Pahredāroṅ ke kamre, satūn-numā bāzū, barāmdā aur dīwāroṅ meṅ khiṛkiyāṅ bhī dūsre darwāzoṅ kī mānind thīṅ. Guzargāh kī lambāī sāṛhe 87 fuṭ aur chauṛāī paune 44 fuṭ thī.
Ezek UrduGeoR 40:37  Us ke barāmde kā ruḳh bhī bairūnī sahan kī taraf thā. Darwāze ke satūn-numā bāzuoṅ par khajūr ke daraḳht kandā kie gae the. Us meṅ pahuṅchne ke lie ek sīṛhī banāī gaī thī jis ke āṭh qadamche the.
Ezek UrduGeoR 40:38  Andarūnī shimālī darwāze ke barāmde meṅ darwāzā thā jis meṅ se guzar kar insān us kamre meṅ dāḳhil hotā thā jahāṅ un zabah kie hue jānwaroṅ ko dhoyā jātā thā jinheṅ bhasm karnā hotā thā.
Ezek UrduGeoR 40:39  Barāmde meṅ chār mezeṅ thīṅ, kamre ke donoṅ taraf do do mezeṅ. In mezoṅ par un jānwaroṅ ko zabah kiyā jātā thā jo bhasm hone wālī qurbāniyoṅ, gunāh kī qurbāniyoṅ aur qusūr kī qurbāniyoṅ ke lie maḳhsūs the.
Ezek UrduGeoR 40:40  Is barāmde se bāhar mazīd chār aisī mezeṅ thīṅ, do ek taraf aur do dūsrī taraf.
Ezek UrduGeoR 40:41  Mil milā kar āṭh mezeṅ thīṅ jin par qurbāniyoṅ ke jānwar zabah kie jāte the. Chār barāmde ke andar aur chār us se bāhar ke sahan meṅ thīṅ.
Ezek UrduGeoR 40:42  Barāmde kī chār mezeṅ tarāshe hue patthar se banāī gaī thīṅ. Har ek kī lambāī aur chauṛāī sāṛhe 31 inch aur ūṅchāī 21 inch thī. Un par wuh tamām ālāt paṛe the jo jānwaroṅ ko bhasm hone wālī qurbānī aur bāqī qurbāniyoṅ ke lie taiyār karne ke lie darkār the.
Ezek UrduGeoR 40:43  Jānwaroṅ kā gosht in mezoṅ par rakhā jātā thā. Irdgird kī dīwāroṅ meṅ tīn tīn inch lambī hukeṅ lagī thīṅ.
Ezek UrduGeoR 40:44  Phir ham andarūnī sahan meṅ dāḳhil hue. Wahāṅ shimālī darwāze ke sāth ek kamrā mulhiq thā jo andarūnī sahan kī taraf khulā thā aur jis kā ruḳh junūb kī taraf thā. Junūbī darwāze ke sāth bhī aisā kamrā thā. Us kā ruḳh shimāl kī taraf thā.
Ezek UrduGeoR 40:45  Mere rāhnumā ne mujh se kahā, “Jis kamre kā ruḳh junūb kī taraf hai wuh un imāmoṅ ke lie hai jo Rab ke ghar kī dekh-bhāl karte haiṅ,
Ezek UrduGeoR 40:46  jabki jis kamre kā ruḳh shimāl kī taraf hai wuh un imāmoṅ ke lie hai jo qurbāngāh kī dekh-bhāl karte haiṅ. Tamām imām Sadoq kī aulād haiṅ. Lāwī ke qabīle meṅ se sirf unhīṅ ko Rab ke huzūr ā kar us kī ḳhidmat karne kī ijāzat hai.”
Ezek UrduGeoR 40:47  Mere rāhnumā ne andarūnī sahan kī paimāish kī. Us kī lambāī aur chauṛāī paune do do sau fuṭ thī. Qurbāngāh is sahan meṅ Rab ke ghar ke sāmne hī thī.
Ezek UrduGeoR 40:48  Phir us ne mujhe Rab ke ghar ke barāmde meṅ le jā kar darwāze ke satūn-numā bāzuoṅ kī paimāish kī. Mālūm huā ki yih paune 9 fuṭ moṭe haiṅ. Darwāze kī chauṛāī sāṛhe 24 fuṭ thī jabki dāeṅ bāeṅ kī dīwāroṅ kī lambāī sawā pāṅch pāṅch fuṭ thī.
Ezek UrduGeoR 40:49  Chunāṅche barāmde kī pūrī chauṛāī 35 aur lambāī 21 fuṭ thī. Us meṅ dāḳhil hone ke lie das qadamchoṅ wālī sīṛhī banāī gaī thī. Darwāze ke donoṅ satūn-numā bāzuoṅ ke sāth sāth ek ek satūn khaṛā kiyā gayā thā.
Chapter 41
Ezek UrduGeoR 41:1  Is ke bād merā rāhnumā mujhe Rab ke ghar ke pahle kamre yānī ‘Muqaddas Kamrā’ meṅ le gayā. Us ne darwāze ke satūn-numā bāzū nāpe to mālūm huā ki sāṛhe das das fuṭ moṭe haiṅ.
Ezek UrduGeoR 41:2  Darwāze kī chauṛāī sāṛhe 17 fuṭ thī, aur dāeṅ bāeṅ kī dīwāreṅ paune nau nau fuṭ lambī thīṅ. Kamre kī pūrī lambāī 70 fuṭ aur chauṛāī 35 fuṭ thī.
Ezek UrduGeoR 41:3  Phir wuh āge baṛh kar sab se andarūnī kamre meṅ dāḳhil huā. Us ne darwāze ke satūn-numā bāzuoṅ kī paimāish kī to mālūm huā ki sāṛhe tīn tīn fuṭ moṭe haiṅ. Darwāze kī chauṛāī sāṛhe 10 fuṭ thī, aur dāeṅ bāeṅ kī dīwāreṅ sawā bārah bārah fuṭ lambī thīṅ.
Ezek UrduGeoR 41:4  Andarūnī kamre kī lambāī aur chauṛāī paintīs paintīs fuṭ thī. Wuh bolā, “Yih Muqaddastarīn Kamrā hai.”
Ezek UrduGeoR 41:5  Phir us ne Rab ke ghar kī bairūnī dīwār nāpī. Us kī moṭāī sāṛhe 10 fuṭ thī. Dīwār ke sāth sāth kamre tāmīr kie gae the. Har kamre kī chauṛāī 7 fuṭ thī.
Ezek UrduGeoR 41:6  Kamroṅ kī tīn manzileṅ thīṅ, kul 30 kamre the. Rab ke ghar kī bairūnī dīwār dūsrī manzil par pahlī manzil kī nisbat kam moṭī aur tīsrī manzil par dūsrī manzil kī nisbat kam moṭī thī. Natījatan har manzil kā wazn us kī bairūnī dīwār par thā aur zarūrat nahīṅ thī ki is dīwār meṅ shahtīr lagāeṅ.
Ezek UrduGeoR 41:7  Chunāṅche dūsrī manzil pahlī kī nisbat chauṛī aur tīsrī dūsrī kī nisbat chauṛī thī. Ek sīṛhī nichlī manzil se dūsrī aur tīsrī manzil tak pahuṅchātī thī.
Ezek UrduGeoR 41:8  In kamroṅ kī bairūnī dīwār paune 9 fuṭ moṭī thī. Jo kamre Rab ke ghar kī shimālī dīwār meṅ the un meṅ dāḳhil hone kā ek darwāzā thā, aur isī tarah junūbī kamroṅ meṅ dāḳhil hone kā ek darwāzā thā. Maiṅ ne dekhā ki Rab kā ghar ek chabūtare par tāmīr huā hai. Is kā jitnā hissā us ke irdgird nazar ātā thā wuh paune 9 fuṭ chauṛā aur sāṛhe 10 fuṭ ūṅchā thā. Rab ke ghar kī bairūnī dīwār se mulhiq kamre is par banāe gae the. Is chabūtare aur imāmoṅ se mustāmal makānoṅ ke darmiyān khulī jagah thī jis kā fāsilā 35 fuṭ thā. Yih khulī jagah Rab ke ghar ke chāroṅ taraf nazar ātī thī.
Ezek UrduGeoR 41:9  In kamroṅ kī bairūnī dīwār paune 9 fuṭ moṭī thī. Jo kamre Rab ke ghar kī shimālī dīwār meṅ the un meṅ dāḳhil hone kā ek darwāzā thā, aur isī tarah junūbī kamroṅ meṅ dāḳhil hone kā ek darwāzā thā. Maiṅ ne dekhā ki Rab kā ghar ek chabūtare par tāmīr huā hai. Is kā jitnā hissā us ke irdgird nazar ātā thā wuh paune 9 fuṭ chauṛā aur sāṛhe 10 fuṭ ūṅchā thā. Rab ke ghar kī bairūnī dīwār se mulhiq kamre is par banāe gae the. Is chabūtare aur imāmoṅ se mustāmal makānoṅ ke darmiyān khulī jagah thī jis kā fāsilā 35 fuṭ thā. Yih khulī jagah Rab ke ghar ke chāroṅ taraf nazar ātī thī.
Ezek UrduGeoR 41:10  In kamroṅ kī bairūnī dīwār paune 9 fuṭ moṭī thī. Jo kamre Rab ke ghar kī shimālī dīwār meṅ the un meṅ dāḳhil hone kā ek darwāzā thā, aur isī tarah junūbī kamroṅ meṅ dāḳhil hone kā ek darwāzā thā. Maiṅ ne dekhā ki Rab kā ghar ek chabūtare par tāmīr huā hai. Is kā jitnā hissā us ke irdgird nazar ātā thā wuh paune 9 fuṭ chauṛā aur sāṛhe 10 fuṭ ūṅchā thā. Rab ke ghar kī bairūnī dīwār se mulhiq kamre is par banāe gae the. Is chabūtare aur imāmoṅ se mustāmal makānoṅ ke darmiyān khulī jagah thī jis kā fāsilā 35 fuṭ thā. Yih khulī jagah Rab ke ghar ke chāroṅ taraf nazar ātī thī.
Ezek UrduGeoR 41:11  In kamroṅ kī bairūnī dīwār paune 9 fuṭ moṭī thī. Jo kamre Rab ke ghar kī shimālī dīwār meṅ the un meṅ dāḳhil hone kā ek darwāzā thā, aur isī tarah junūbī kamroṅ meṅ dāḳhil hone kā ek darwāzā thā. Maiṅ ne dekhā ki Rab kā ghar ek chabūtare par tāmīr huā hai. Is kā jitnā hissā us ke irdgird nazar ātā thā wuh paune 9 fuṭ chauṛā aur sāṛhe 10 fuṭ ūṅchā thā. Rab ke ghar kī bairūnī dīwār se mulhiq kamre is par banāe gae the. Is chabūtare aur imāmoṅ se mustāmal makānoṅ ke darmiyān khulī jagah thī jis kā fāsilā 35 fuṭ thā. Yih khulī jagah Rab ke ghar ke chāroṅ taraf nazar ātī thī.
Ezek UrduGeoR 41:12  Is khulī jagah ke maġhrib meṅ ek imārat thī jo sāṛhe 157 fuṭ lambī aur sāṛhe 122 fuṭ chauṛī thī. Us kī dīwāreṅ chāroṅ taraf paune nau nau fuṭ moṭī thīṅ.
Ezek UrduGeoR 41:13  Phir mere rāhnumā ne bāhar se Rab ke ghar kī paimāish kī. Us kī lambāī 175 fuṭ thī. Rab ke ghar kī pichhlī dīwār se maġhribī imārat tak kā fāsilā bhī 175 fuṭ thā.
Ezek UrduGeoR 41:14  Phir us ne Rab ke ghar ke sāmne wālī yānī mashriqī dīwār shimāl aur junūb meṅ khulī jagah samet kī paimāish kī. Mālūm huā ki us kā fāsilā bhī 175 fuṭ hai.
Ezek UrduGeoR 41:15  Us ne maġhrib meṅ us imārat kī lambāī nāpī jo Rab ke ghar ke pīchhe thī. Mālūm huā ki yih bhī donoṅ pahluoṅ kī guzargāhoṅ samet 175 fuṭ lambī hai. Rab ke ghar ke barāmde, Muqaddas Kamre aur Muqaddastarīn Kamre kī dīwāroṅ par
Ezek UrduGeoR 41:16  farsh se le kar khiṛkiyoṅ tak lakaṛī ke taḳhte lagāe gae the. In khiṛkiyoṅ ko band kiyā jā saktā thā.
Ezek UrduGeoR 41:17  Rab ke ghar kī andarūnī dīwāroṅ par darwāzoṅ ke ūpar tak taswīreṅ kandā kī gaī thīṅ.
Ezek UrduGeoR 41:18  Khajūr ke daraḳhtoṅ aur karūbī farishtoṅ kī taswīreṅ bārī bārī nazar ātī thīṅ. Har farishte ke do chehre the.
Ezek UrduGeoR 41:19  Insān kā chehrā ek taraf ke daraḳht kī taraf deḳhtā thā jabki sherbabar kā chehrā dūsrī taraf ke daraḳht kī taraf deḳhtā thā. Yih daraḳht aur karūbī pūrī dīwār par bārī bārī munaqqash kie gae the,
Ezek UrduGeoR 41:21  Muqaddas Kamre meṅ dāḳhil hone wāle darwāze ke donoṅ bāzū murabbā the. Muqaddastarīn Kamre ke darwāze ke Sāmne
Ezek UrduGeoR 41:22  lakaṛī kī qurbāngāh nazar āī. Us kī ūṅchāī sawā 5 fuṭ aur chauṛāī sāṛhe tīn fuṭ thī. Us ke kone, pāyā aur chāroṅ pahlū lakaṛī se bane the. Us ne mujh se kahā, “Yih wuhī mez hai jo Rab ke huzūr rahtī hai.”
Ezek UrduGeoR 41:23  Muqaddas Kamre meṅ dāḳhil hone kā ek darwāzā thā aur Muqaddastarīn Kamre kā ek.
Ezek UrduGeoR 41:24  Har darwāze ke do kiwāṛ the, wuh darmiyān meṅ se khulte the.
Ezek UrduGeoR 41:25  Dīwāroṅ kī tarah Muqaddas Kamre ke darwāze par bhī khajūr ke daraḳht aur karūbī farishte kandā kie gae the. Aur barāmde ke bāhar wāle darwāze ke ūpar lakaṛī kī chhoṭī-sī chhat banāī gaī thī.
Ezek UrduGeoR 41:26  Barāmde ke donoṅ taraf khiṛkiyāṅ thīṅ, aur dīwāroṅ par khajūr ke daraḳht kandā kie gae the.
Chapter 42
Ezek UrduGeoR 42:1  Is ke bād ham dubārā bairūnī sahan meṅ āe. Merā rāhnumā mujhe Rab ke ghar ke shimāl meṅ wāqe ek imārat ke pās le gayā jo Rab ke ghar ke pīchhe yānī maġhrib meṅ wāqe imārat ke muqābil thī.
Ezek UrduGeoR 42:2  Yih imārat 175 fuṭ lambī aur sāṛhe 87 fuṭ chauṛī thī.
Ezek UrduGeoR 42:3  Us kā ruḳh andarūnī sahan kī us khulī jagah kī taraf thā jo 35 fuṭ chauṛī thī. Dūsrā ruḳh bairūnī sahan ke pakke farsh kī taraf thā. Makān kī tīn manzileṅ thīṅ. Dūsrī manzil pahlī kī nisbat kam chauṛī aur tīsrī dūsrī kī nisbat kam chauṛī thī.
Ezek UrduGeoR 42:4  Makān ke shimālī pahlū meṅ ek guzargāh thī jo ek sire se dūsre sire tak le jātī thī. Us kī lambāī 175 fuṭ aur chauṛāī sāṛhe 17 fuṭ thī. Kamroṅ ke darwāze sab shimāl kī taraf khulte the.
Ezek UrduGeoR 42:5  Dūsrī manzil ke kamre pahlī manzil kī nisbat kam chauṛe the tāki un ke sāmne ṭairas ho. Isī tarah tīsrī manzil ke kamre dūsrī kī nisbat kam chauṛe the. Is imārat meṅ sahan kī dūsrī imāratoṅ kī tarah satūn nahīṅ the.
Ezek UrduGeoR 42:6  Dūsrī manzil ke kamre pahlī manzil kī nisbat kam chauṛe the tāki un ke sāmne ṭairas ho. Isī tarah tīsrī manzil ke kamre dūsrī kī nisbat kam chauṛe the. Is imārat meṅ sahan kī dūsrī imāratoṅ kī tarah satūn nahīṅ the.
Ezek UrduGeoR 42:7  Kamroṅ ke sāmne ek bairūnī dīwār thī jo unheṅ bairūnī sahan se alag kartī thī. Us kī lambāī sāṛhe 87 fuṭ thī,
Ezek UrduGeoR 42:8  kyoṅki bairūnī sahan kī taraf kamroṅ kī mil milā kar lambāī sāṛhe 87 fuṭ thī agarche pūrī dīwār kī lambāī 175 fuṭ thī.
Ezek UrduGeoR 42:9  Bairūnī sahan se is imārat meṅ dāḳhil hone ke lie mashriq kī taraf se ānā paṛtā thā. Wahāṅ ek darwāzā thā.
Ezek UrduGeoR 42:10  Rab ke ghar ke junūb meṅ us jaisī ek aur imārat thī jo Rab ke ghar ke pīchhe wālī yānī maġhribī imārat ke muqābil thī.
Ezek UrduGeoR 42:11  Us ke kamroṅ ke sāmne bhī mazkūrā shimālī imārat jaisī guzargāh thī. Us kī lambāī aur chauṛāī, ḍizāyn aur darwāze, ġharz sab kuchh shimālī makān kī mānind thā.
Ezek UrduGeoR 42:12  Kamroṅ ke darwāze junūb kī taraf the, aur un ke sāmne bhī ek hifāzatī dīwār thī. Bairūnī sahan se is imārat meṅ dāḳhil hone ke lie mashriq se ānā paṛtā thā. Us kā darwāzā bhī guzargāh ke shurū meṅ thā.
Ezek UrduGeoR 42:13  Us ādmī ne mujh se kahā, “Yih donoṅ imārateṅ muqaddas haiṅ. Jo imām Rab ke huzūr āte haiṅ wuh inhīṅ meṅ muqaddastarīn qurbāniyāṅ khāte haiṅ. Chūṅki yih kamre muqaddas haiṅ is lie imām in meṅ muqaddastarīn qurbāniyāṅ rakheṅge, ḳhāh ġhallā, gunāh yā qusūr kī qurbāniyāṅ kyoṅ na hoṅ.
Ezek UrduGeoR 42:14  Jo imām maqdis se nikal kar bairūnī sahan meṅ jānā chāheṅ unheṅ in kamroṅ meṅ wuh muqaddas libās utār kar chhoṛnā hai jo unhoṅ ne Rab kī ḳhidmat karte waqt pahne hue the. Lāzim hai ki wuh pahle apne kapṛe badleṅ, phir hī wahāṅ jāeṅ jahāṅ bāqī log jamā hote haiṅ.”
Ezek UrduGeoR 42:15  Rab ke ghar ke ihāte meṅ sab kuchh nāpne ke bād merā rāhnumā mujhe mashriqī darwāze se bāhar le gayā aur bāhar se chārdīwārī kī paimāish karne lagā.
Ezek UrduGeoR 42:16  Fīte se pahle mashriqī dīwār nāpī, phir shimālī, junūbī aur maġhribī dīwār. Har dīwār kī lambāī 875 fuṭ thī. Is chārdīwārī kā maqsad yih thā ki jo kuchh muqaddas hai wuh us se alag kiyā jāe jo muqaddas nahīṅ hai.
Ezek UrduGeoR 42:17  Fīte se pahle mashriqī dīwār nāpī, phir shimālī, junūbī aur maġhribī dīwār. Har dīwār kī lambāī 875 fuṭ thī. Is chārdīwārī kā maqsad yih thā ki jo kuchh muqaddas hai wuh us se alag kiyā jāe jo muqaddas nahīṅ hai.
Ezek UrduGeoR 42:18  Fīte se pahle mashriqī dīwār nāpī, phir shimālī, junūbī aur maġhribī dīwār. Har dīwār kī lambāī 875 fuṭ thī. Is chārdīwārī kā maqsad yih thā ki jo kuchh muqaddas hai wuh us se alag kiyā jāe jo muqaddas nahīṅ hai.
Ezek UrduGeoR 42:19  Fīte se pahle mashriqī dīwār nāpī, phir shimālī, junūbī aur maġhribī dīwār. Har dīwār kī lambāī 875 fuṭ thī. Is chārdīwārī kā maqsad yih thā ki jo kuchh muqaddas hai wuh us se alag kiyā jāe jo muqaddas nahīṅ hai.
Ezek UrduGeoR 42:20  Fīte se pahle mashriqī dīwār nāpī, phir shimālī, junūbī aur maġhribī dīwār. Har dīwār kī lambāī 875 fuṭ thī. Is chārdīwārī kā maqsad yih thā ki jo kuchh muqaddas hai wuh us se alag kiyā jāe jo muqaddas nahīṅ hai.
Chapter 43
Ezek UrduGeoR 43:1  Merā rāhnumā mujhe dubārā Rab ke ghar ke mashriqī darwāze ke pās le gayā.
Ezek UrduGeoR 43:2  Achānak Isrāīl ke Ḳhudā kā jalāl mashriq se ātā huā dikhāī diyā. Zabardast ābshār kā-sā shor sunāī diyā, aur zamīn us ke jalāl se chamak rahī thī.
Ezek UrduGeoR 43:3  Rab mujh par yoṅ zāhir huā jis tarah dīgar royāoṅ meṅ, pahle Dariyā-e-Kibār ke kināre aur phir us waqt jab wuh Yarūshalam ko tabāh karne āyā thā. Maiṅ muṅh ke bal gir gayā.
Ezek UrduGeoR 43:4  Rab kā jalāl mashriqī darwāze meṅ se Rab ke ghar meṅ dāḳhil huā.
Ezek UrduGeoR 43:5  Phir Allāh kā Rūh mujhe uṭhā kar andarūnī sahan meṅ le gayā. Wahāṅ maiṅ ne dekhā ki pūrā ghar Rab ke jalāl se māmūr hai.
Ezek UrduGeoR 43:6  Mere pās khaṛe ādmī kī maujūdagī meṅ koī Rab ke ghar meṅ se mujh se muḳhātib huā,
Ezek UrduGeoR 43:7  “Ai ādamzād, yih mere taḳht aur mere pāṅwoṅ ke talwoṅ kā maqām hai. Yihīṅ maiṅ hameshā tak Isrāīliyoṅ ke darmiyān sukūnat karūṅga. Āindā na kabhī Isrāīlī aur na un ke bādshāh mere muqaddas nām kī behurmatī kareṅge. Na wuh apnī zinākārānā butparastī se, na bādshāhoṅ kī lāshoṅ se mere nām kī behurmatī kareṅge.
Ezek UrduGeoR 43:8  Māzī meṅ Isrāīl ke bādshāhoṅ ne apne mahaloṅ ko mere ghar ke sāth hī tāmīr kiyā. Un kī dahlīz merī dahlīz ke sāth aur un ke darwāze kā bāzū mere darwāze ke bāzū ke sāth lagtā thā. Ek hī dīwār unheṅ mujh se alag rakhtī thī. Yoṅ unhoṅ ne apnī makrūh harkatoṅ se mere muqaddas nām kī behurmatī kī, aur jawāb meṅ maiṅ ne apne ġhazab meṅ unheṅ halāk kar diyā.
Ezek UrduGeoR 43:9  Lekin ab wuh apnī zinākārānā butparastī aur apne bādshāhoṅ kī lāsheṅ mujh se dūr rakheṅge. Tab maiṅ hameshā tak un ke darmiyān sukūnat karūṅga.
Ezek UrduGeoR 43:10  Ai ādamzād, Isrāīliyoṅ ko is ghar ke bāre meṅ batā de tāki unheṅ apne gunāhoṅ par sharm āe. Wuh dhyān se nae ghar ke naqshe kā mutāla'ā kareṅ.
Ezek UrduGeoR 43:11  Agar unheṅ apnī harkatoṅ par sharm āe to unheṅ ghar kī tafsīlāt bhī dikhā de, yānī us kī tartīb, us ke āne jāne ke rāste aur us kā pūrā intazām tamām qawāyd aur ahkām samet. Sab kuchh un ke sāmne hī likh de tāki wuh us ke pūre intazām ke pāband raheṅ aur us ke tamām qawāyd kī pairawī kareṅ.
Ezek UrduGeoR 43:12  Rab ke ghar ke lie merī hidāyat sun! Is pahāṛ kī choṭī gird-o-nawāh ke tamām ilāqe samet muqaddastarīn jagah hai. Yih ghar ke lie merī hidāyat hai.”
Ezek UrduGeoR 43:13  Qurbāngāh yoṅ banāī gaī thī ki us kā pāyā nālī se ghirā huā thā jo 21 inch gahrī aur utnī hī chauṛī thī. Bāhar kī taraf nālī ke kināre par chhoṭī-sī dīwār thī jis kī ūṅchāī 9 inch thī.
Ezek UrduGeoR 43:14  Qurbāngāh ke tīn hisse the. Sab se nichlā hissā sāṛhe tīn fuṭ ūṅchā thā. Is par banā huā hissā 7 fuṭ ūṅchā thā, lekin us kī chauṛāī kuchh kam thī, is lie chāroṅ taraf nichle hisse kā ūpar wālā kinārā nazar ātā thā. Is kināre kī chauṛāī 21 inch thī. Tīsrā aur sab se ūpar wālā hissā bhī isī tarah banāyā gayā thā. Wuh dūsre hisse kī nisbat kam chauṛā thā, is lie chāroṅ taraf dūsre hisse kā ūpar wālā kinārā nazar ātā thā. Is kināre kī chauṛāī bhī 21 inch thī.
Ezek UrduGeoR 43:15  Tīsre hisse par qurbāniyāṅ jalāī jātī thīṅ, aur chāroṅ konoṅ par sīṅg lage the. Yih hissā bhī 7 fuṭ ūṅchā thā.
Ezek UrduGeoR 43:16  Qurbāngāh kī ūpar wālī satah murabbā shakl kī thī. Us kī chauṛāī aur lambāī ikkīs ikkīs fuṭ thī.
Ezek UrduGeoR 43:17  Dūsrā hissā bhī murabbā shakl kā thā. Us kī chauṛāī aur lambāī sāṛhe chaubīs chaubīs fuṭ thī. Us kā ūpar wālā kinārā nazar ātā thā, aur us par 21 inch chauṛī nālī thī, yoṅ ki kināre par chhoṭī-sī dīwār thī jis kī ūṅchāī sāṛhe 10 inch thī. Qurbāngāh par chaṛhnī ke lie us ke mashriq meṅ sīṛhī thī.
Ezek UrduGeoR 43:18  Phir Rab mujh se hamkalām huā, “Ai ādamzād, Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki is qurbāngāh ko tāmīr karne ke bād tujhe is par qurbāniyāṅ jalā kar ise maḳhsūs karnā hai. Sāth sāth is par qurbāniyoṅ kā ḳhūn bhī chhiṛaknā hai. Is silsile meṅ merī hidāyāt sun!
Ezek UrduGeoR 43:19  Sirf Lāwī ke qabīle ke un imāmoṅ ko Rab ke ghar meṅ mere huzūr ḳhidmat karne kī ijāzat hai jo Sadoq kī aulād haiṅ. Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki unheṅ ek jawān bail de tāki wuh use gunāh kī qurbānī ke taur par pesh kareṅ.
Ezek UrduGeoR 43:20  Is bail kā kuchh ḳhūn le kar qurbāngāh ke chāroṅ sīṅgoṅ, nichle hisse ke chāroṅ konoṅ aur irdgird us ke kināre par lagā de. Yoṅ tū qurbāngāh kā kaffārā de kar use pāk-sāf karegā.
Ezek UrduGeoR 43:21  Is ke bād jawān bail ko maqdis se bāhar kisī muqarrarā jagah par le jā. Wahāṅ use jalā denā hai.
Ezek UrduGeoR 43:22  Agle din ek beaib bakre ko qurbān kar. Yih bhī gunāh kī qurbānī hai, aur is ke zariye qurbāngāh ko pahlī qurbānī kī tarah pāk-sāf karnā hai.
Ezek UrduGeoR 43:23  Pāk-sāf karne ke is silsile kī takmīl par ek beaib bail aur ek beaib menḍhe ko chun kar
Ezek UrduGeoR 43:24  Rab ko pesh kar. Imām in jānwaroṅ par namak chhiṛak kar inheṅ Rab ko bhasm hone wālī qurbānī ke taur par pesh kareṅ.
Ezek UrduGeoR 43:25  Lāzim hai ki tū sāt din tak rozānā ek bakrā, ek jawān bail aur ek menḍhā qurbān kare. Sab jānwar beaib hoṅ.
Ezek UrduGeoR 43:26  Sāt dinoṅ kī is kār-rawāī se tum qurbāngāh kā kaffārā de kar use pāk-sāf aur maḳhsūs karoge.
Ezek UrduGeoR 43:27  Āṭhweṅ din se imām bāqāydā qurbāniyāṅ shurū kar sakeṅge. Us waqt se wuh tumhāre lie bhasm hone wālī aur salāmatī kī qurbāniyāṅ chaṛhāeṅge. Tab tum mujhe manzūr hoge. Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.”
Chapter 44
Ezek UrduGeoR 44:1  Merā rāhnumā mujhe dubārā maqdis ke bairūnī mashriqī darwāze ke pās le gayā. Ab wuh band thā.
Ezek UrduGeoR 44:2  Rab ne farmāyā, “Ab se yih darwāzā hameshā tak band rahe. Ise kabhī nahīṅ kholnā hai. Kisī ko bhī is meṅ se dāḳhil hone kī ijāzat nahīṅ, kyoṅki Rab jo Isrāīl kā Ḳhudā hai is darwāze meṅ se ho kar Rab ke ghar meṅ dāḳhil huā hai.
Ezek UrduGeoR 44:3  Sirf Isrāīl ke hukmrān ko is darwāze meṅ baiṭhne aur mere huzūr qurbānī kā apnā hissā khāne kī ijāzat hai. Lekin is ke lie wuh darwāze meṅ se guzar nahīṅ sakegā balki bairūnī sahan kī taraf se us meṅ dāḳhil hogā. Wuh darwāze ke sāth mulhiq barāmde se ho kar wahāṅ pahuṅchegā aur isī rāste se wahāṅ se niklegā bhī.”
Ezek UrduGeoR 44:4  Phir merā rāhnumā mujhe shimālī darwāze meṅ se ho kar dubārā andarūnī sahan meṅ le gayā. Ham Rab ke ghar ke sāmne pahuṅche. Maiṅ ne dekhā ki Rab kā ghar Rab ke jalāl se māmūr ho rahā hai. Maiṅ muṅh ke bal gir gayā.
Ezek UrduGeoR 44:5  Rab ne farmāyā, “Ai ādamzād, dhyān se dekh, ġhaur se sun! Rab ke ghar ke bāre meṅ un tamām hidāyāt par tawajjuh de jo maiṅ tujhe batāne wālā hūṅ. Dhyān de ki kaun kaun us meṅ jā sakegā.
Ezek UrduGeoR 44:6  Is sarkash qaum Isrāīl ko batā, ‘Ai Isrāīlī qaum, Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki tumhārī makrūh harkateṅ bahut haiṅ, ab bas karo!
Ezek UrduGeoR 44:7  Tum pardesiyoṅ ko mere maqdis meṅ lāe ho, aise logoṅ ko jo bātin aur zāhir meṅ nāmaḳhtūn haiṅ. Aur yih tum ne us waqt kiyā jab tum mujhe merī ḳhurāk yānī charbī aur ḳhūn pesh kar rahe the. Yoṅ tum ne mere ghar kī behurmatī karke apnī ghinaunī harkatoṅ se wuh ahd toṛ ḍālā hai jo maiṅ ne tumhāre sāth bāndhā thā.
Ezek UrduGeoR 44:8  Tum ḳhud mere maqdis meṅ ḳhidmat nahīṅ karnā chāhte the balki tum ne pardesiyoṅ ko yih zimmedārī dī thī ki wuh tumhārī jagah yih ḳhidmat anjām deṅ.
Ezek UrduGeoR 44:9  Is lie Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki āindā jo bhī ġhairmulkī andarūnī aur bairūnī taur par nāmaḳhtūn hai use mere maqdis meṅ dāḳhil hone kī ijāzat nahīṅ. Is meṅ wuh ajnabī bhī shāmil haiṅ jo Isrāīliyoṅ ke darmiyān rahte haiṅ.
Ezek UrduGeoR 44:10  Jab Isrāīlī bhaṭak gae aur mujh se dūr ho kar butoṅ ke pīchhe lag gae to aksar Lāwī bhī mujh se dūr hue. Ab unheṅ apne gunāh kī sazā bhugatnī paṛegī.
Ezek UrduGeoR 44:11  Āindā wuh mere maqdis meṅ har qism kī ḳhidmat nahīṅ kareṅge. Unheṅ sirf darwāzoṅ kī pahrādārī karne aur jānwaroṅ ko zabah karne kī ijāzat hogī. In jānwaroṅ meṅ bhasm hone wālī qurbāniyāṅ bhī shāmil hoṅgī aur zabah kī qurbāniyāṅ bhī. Lāwī qaum kī ḳhidmat ke lie Rab ke ghar meṅ hāzir raheṅge,
Ezek UrduGeoR 44:12  lekin chūṅki wuh apne hamwatanoṅ ke butoṅ ke sāmne logoṅ kī ḳhidmat karke un ke lie gunāh kā bāis bane rahe is lie maiṅ ne apnā hāth uṭhā kar qasam khāī hai ki unheṅ is kī sazā bhugatnī paṛegī. Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.
Ezek UrduGeoR 44:13  Ab se wuh imām kī haisiyat se mere qarīb ā kar merī ḳhidmat nahīṅ kareṅge, ab se wuh un chīzoṅ ke qarīb nahīṅ āeṅge jin ko maiṅ ne muqaddastarīn qarār diyā hai.
Ezek UrduGeoR 44:14  Is ke bajāe maiṅ unheṅ Rab ke ghar ke nichle darje kī zimmedāriyāṅ dūṅgā.
Ezek UrduGeoR 44:15  Lekin Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki Lāwī kā ek ḳhāndān un meṅ shāmil nahīṅ hai. Sadoq kā ḳhāndān āindā bhī merī ḳhidmat karegā. Us ke imām us waqt bhī wafādārī se mere maqdis meṅ merī ḳhidmat karte rahe jab Isrāīl ke bāqī log mujh se dūr ho gae the. Is lie yih āindā bhī mere huzūr ā kar mujhe qurbāniyoṅ kī charbī aur ḳhūn pesh kareṅge.
Ezek UrduGeoR 44:16  Sirf yihī imām mere maqdis meṅ dāḳhil hoṅge aur merī mez par merī ḳhidmat karke mere tamām farāyz adā kareṅge.
Ezek UrduGeoR 44:17  Jab bhī imām andarūnī darwāze meṅ dāḳhil hote haiṅ to lāzim hai ki wuh katān ke kapṛe pahan leṅ. Andarūnī sahan aur Rab ke ghar meṅ ḳhidmat karte waqt ūn ke kapṛe pahnanā manā hai.
Ezek UrduGeoR 44:18  Wuh katān kī pagaṛī aur pājāmā pahneṅ, kyoṅki unheṅ pasīnā dilāne wāle kapṛoṅ se gurez karnā hai.
Ezek UrduGeoR 44:19  Jab bhī imām andarūnī sahan se dubārā bairūnī sahan meṅ jānā chāheṅ to lāzim hai ki wuh ḳhidmat ke lie mustāmal kapṛoṅ ko utāreṅ. Wuh in kapṛoṅ ko muqaddas kamroṅ meṅ chhoṛ āeṅ aur ām kapṛe pahan leṅ, aisā na ho ki muqaddas kapṛe chhūne se ām logoṅ kī jān ḳhatre meṅ paṛ jāe.
Ezek UrduGeoR 44:20  Na imām apnā sar munḍwāeṅ, na un ke bāl lambe hoṅ balki wuh unheṅ kaṭwāte raheṅ.
Ezek UrduGeoR 44:21  Imām ko andarūnī sahan meṅ dāḳhil hone se pahle mai pīnā manā hai.
Ezek UrduGeoR 44:22  Imām ko kisī talāqshudā aurat yā bewā se shādī karne kī ijāzat nahīṅ hai. Wuh sirf Isrāīlī kuṅwārī se shādī kare. Sirf us waqt bewā se shādī karne kī ijāzat hai jab marhūm shauhar imām thā.
Ezek UrduGeoR 44:23  Imām awām ko muqaddas aur ġhairmuqaddas chīzoṅ meṅ farq kī tālīm deṅ. Wuh unheṅ nāpāk aur pāk chīzoṅ meṅ imtiyāz karnā sikhāeṅ.
Ezek UrduGeoR 44:24  Agar tanāzā ho to imām mere ahkām ke mutābiq hī us par faislā kareṅ. Un kā farz hai ki wuh merī muqarrarā īdoṅ ko merī hidāyāt aur qawāyd ke mutābiq hī manāeṅ. Wuh merā Sabat kā din maḳhsūs-o-muqaddas rakheṅ.
Ezek UrduGeoR 44:25  Imām apne āp ko kisī lāsh ke pās jāne se nāpāk na kare. Is kī ijāzat sirf isī sūrat meṅ hai ki us ke māṅ-bāp, bachchoṅ, bhāiyoṅ yā ġhairshādīshudā bahnoṅ meṅ se koī intaqāl kar jāe.
Ezek UrduGeoR 44:26  Agar kabhī aisā ho to wuh apne āp ko pāk-sāf karne ke bād mazīd sāt din intazār kare,
Ezek UrduGeoR 44:27  phir maqdis ke andarūnī sahan meṅ jā kar apne lie gunāh kī qurbānī pesh kare. Tab hī wuh dubārā maqdis meṅ ḳhidmat kar saktā hai. Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.
Ezek UrduGeoR 44:28  Sirf maiṅ hī imāmoṅ kā maurūsī hissā hūṅ. Unheṅ Isrāīl meṅ maurūsī milkiyat mat denā, kyoṅki maiṅ ḳhud un kī maurūsī milkiyat hūṅ.
Ezek UrduGeoR 44:29  Khāne ke lie imāmoṅ ko ġhallā, gunāh aur qusūr kī qurbāniyāṅ mileṅgī, nīz Isrāīl meṅ wuh sab kuchh jo Rab ke lie maḳhsūs kiyā jātā hai.
Ezek UrduGeoR 44:30  Imāmoṅ ko fasal ke pahle phal kā behtarīn hissā aur tumhāre tamām hadiye mileṅge. Unheṅ apne gundhe hue āṭe se bhī hissā denā hai. Tab Allāh kī barkat tere gharāne par ṭhahregī.
Ezek UrduGeoR 44:31  Jo parindā yā dīgar jānwar fitrī taur par yā kisī dūsre jānwar ke hamle se mar jāe us kā gosht khānā imām ke lie manā hai.
Chapter 45
Ezek UrduGeoR 45:1  Jab tum mulk ko qurā ḍāl kar qabīloṅ meṅ taqsīm karoge to ek hisse ko Rab ke lie maḳhsūs karnā hai. Us zamīn kī lambāī sāṛhe 12 kilomīṭar aur chauṛāī 10 kilomīṭar hogī. Pūrī zamīn muqaddas hogī.
Ezek UrduGeoR 45:2  Is ḳhitte meṅ ek plāṭ Rab ke ghar ke lie maḳhsūs hogā. Us kī lambāī bhī 875 fuṭ hogī aur us kī chauṛāī bhī. Us ke irdgird khulī jagah hogī jis kī chauṛāī sāṛhe 87 fuṭ hogī.
Ezek UrduGeoR 45:3  Ḳhitte kā ādhā hissā alag kiyā jāe. Us kī lambāī sāṛhe 12 kilomīṭar aur chauṛāī 5 kilomīṭar hogī, aur us meṅ maqdis yānī muqaddastarīn jagah hogī.
Ezek UrduGeoR 45:4  Yih ḳhittā mulk kā muqaddas ilāqā hogā. Wuh un imāmoṅ ke lie maḳhsūs hogā jo maqdis meṅ us kī ḳhidmat karte haiṅ. Us meṅ un ke ghar aur maqdis kā maḳhsūs plāṭ hogā.
Ezek UrduGeoR 45:5  Ḳhitte kā dūsrā hissā un bāqī Lāwiyoṅ ko diyā jāegā jo Rab ke ghar meṅ ḳhidmat kareṅge. Yih un kī milkiyat hogī, aur us meṅ wuh apnī ābādiyāṅ banā sakeṅge. Us kī lambāī aur chauṛāī pahle hisse ke barābar hogī.
Ezek UrduGeoR 45:6  Muqaddas ḳhitte se mulhiq ek aur ḳhittā hogā jis kī lambāī sāṛhe 12 kilomīṭar aur chauṛāī ḍhāī kilomīṭar hogī. Yih ek aise shahr ke lie maḳhsūs hogā jis meṅ koī bhī Isrāīlī rah sakegā.
Ezek UrduGeoR 45:7  Hukmrān ke lie bhī zamīn alag karnī hai. Yih zamīn muqaddas ḳhitte kī mashriqī had se le kar mulk kī mashriqī sarhad tak aur muqaddas ḳhitte kī maġhribī had se le kar samundar tak hogī. Chunāṅche mashriq se maġhrib tak muqaddas ḳhitte aur hukmrān ke ilāqe kā mil milā kar fāsilā utnā hai jitnā qabāylī ilāqoṅ kā hai.
Ezek UrduGeoR 45:8  Yih ilāqā Mulk-e-Isrāīl meṅ hukmrān kā hissā hogā. Phir wuh āindā merī qaum par zulm nahīṅ karegā balki mulk ke bāqī hisse ko Isrāīl ke qabīloṅ par chhoṛegā.
Ezek UrduGeoR 45:9  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki ai Isrāīlī hukmrāno, ab bas karo! Apnī ġhalat harkatoṅ se bāz āo. Apnā zulm-o-tashaddud chhoṛ kar insāf aur rāstbāzī qāym karo. Merī qaum ko us kī maurūsī zamīn se bhagāne se bāz āo. Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.
Ezek UrduGeoR 45:10  Sahīh tarāzū istemāl karo, tumhāre bāṭ aur paimāish ke ālāt ġhalat na hoṅ.
Ezek UrduGeoR 45:11  Ġhallā nāpne kā bartan banām Aifā māe nāpne ke bartan banām bat jitnā baṛā ho. Donoṅ ke lie kasauṭī ḳhomar hai. Ek ḳhomar 10 Aifā aur 10 bat ke barābar hai.
Ezek UrduGeoR 45:12  Tumhāre bāṭ yoṅ hoṅ ki 20 jīrah 1 misqāl ke barābar aur 60 misqāl 1 mānā ke barābar hoṅ.
Ezek UrduGeoR 45:13  Darj-e-zail tumhāre bāqāydā hadiye haiṅ: anāj: tumhārī fasal kā 60wāṅ hissā, jau: tumhārī fasal kā 60wāṅ hissā,
Ezek UrduGeoR 45:14  zaitūn kā tel: tumhārī fasal kā 100wāṅ hissā (tel ko bat ke hisāb se nāpnā hai. 10 bat 1 ḳhomar aur 1 kor ke barābar hai.),
Ezek UrduGeoR 45:15  200 bheṛ-bakriyoṅ meṅ se ek. Yih chīzeṅ ġhallā kī nazaroṅ ke lie, bhasm hone wālī qurbāniyoṅ aur salāmatī kī qurbāniyoṅ ke lie muqarrar haiṅ. Un se qaum kā kaffārā diyā jāegā. Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.
Ezek UrduGeoR 45:16  Lāzim hai ki tamām Isrāīlī yih hadiye mulk ke hukmrān ke hawāle kareṅ.
Ezek UrduGeoR 45:17  Hukmrān kā farz hogā ki wuh Nae Chāṅd kī Īdoṅ, Sabat ke dinoṅ aur dīgar īdoṅ par tamām Isrāīlī qaum ke lie qurbāniyāṅ muhaiyā kare. In meṅ bhasm hone wālī qurbāniyāṅ, gunāh aur salāmatī kī qurbāniyāṅ aur ġhallā aur mai kī nazareṅ shāmil hoṅgī. Yoṅ wuh Isrāīl kā kaffārā degā.
Ezek UrduGeoR 45:18  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki pahle mahīne ke pahle din ko ek beaib bail ko qurbān karke maqdis ko pāk-sāf kar.
Ezek UrduGeoR 45:19  Imām bail kā ḳhūn le kar use Rab ke ghar ke darwāzoṅ ke bāzuoṅ, qurbāngāh ke darmiyānī hisse ke konoṅ aur andarūnī sahan meṅ pahuṅchāne wāle darwāzoṅ ke bāzuoṅ par lagā de.
Ezek UrduGeoR 45:20  Yihī amal pahle mahīne ke sātweṅ din bhī kar tāki un sab kā kaffārā diyā jāe jinhoṅ ne ġhairirādī taur par yā beḳhabrī se gunāh kiyā ho. Yoṅ tum Rab ke ghar kā kaffārā doge.
Ezek UrduGeoR 45:21  Pahle mahīne ke chaudhweṅ din Fasah kī Īd kā āġhāz ho. Use sāt din manāo, aur us ke daurān sirf beḳhamīrī roṭī khāo.
Ezek UrduGeoR 45:22  Pahle din mulk kā hukmrān apne aur tamām qaum ke lie gunāh kī qurbānī ke taur par ek bail pesh kare.
Ezek UrduGeoR 45:23  Nīz, wuh īd ke sāt din ke daurān rozānā sāt beaib bail aur sāt menḍhe bhasm hone wālī qurbānī ke taur par qurbān kare aur gunāh kī qurbānī ke taur par ek ek bakrā pesh kare.
Ezek UrduGeoR 45:24  Wuh har bail aur har menḍhe ke sāth sāth ġhallā kī nazar bhī pesh kare. Is ke lie wuh fī jānwar 16 kilogrām maidā aur 4 liṭar tel muhaiyā kare.
Ezek UrduGeoR 45:25  Sātweṅ mahīne ke pandrahweṅ din Jhoṅpṛiyoṅ kī Īd shurū hotī hai. Hukmrān is īd par bhī sāt din ke daurān wuhī qurbāniyāṅ pesh kare jo Fasah kī Īd ke lie darkār haiṅ yānī gunāh kī qurbāniyāṅ, bhasm hone wālī qurbāniyāṅ, ġhallā kī nazareṅ aur tel.
Chapter 46
Ezek UrduGeoR 46:1  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki lāzim hai ki andarūnī sahan meṅ pahuṅchāne wālā mashriqī darwāzā Itwār se le kar jume tak band rahe. Use sirf Sabat aur Nae Chāṅd ke Din kholnā hai.
Ezek UrduGeoR 46:2  Us waqt hukmrān bairūnī sahan se ho kar mashriqī darwāze ke barāmde meṅ dāḳhil ho jāe aur us meṅ se guzar kar darwāze ke bāzū ke pās khaṛā ho jāe. Wahāṅ se wuh imāmoṅ ko us kī bhasm hone wālī aur salāmatī kī qurbāniyāṅ pesh karte hue dekh sakegā. Darwāze kī dahlīz par wuh sijdā karegā, phir chalā jāegā. Yih darwāzā shām tak khulā rahe.
Ezek UrduGeoR 46:3  Lāzim hai ki bāqī Isrāīlī Sabat aur Nae Chāṅd ke Din bairūnī sahan meṅ ibādat kareṅ. Wuh isī mashriqī darwāze ke pās ā kar mere huzūr aundhe muṅh ho jāeṅ.
Ezek UrduGeoR 46:4  Sabat ke din hukmrān chhih beaib bheṛ ke bachche aur ek beaib menḍhā chun kar Rab ko bhasm hone wālī qurbānī ke taur par pesh kare.
Ezek UrduGeoR 46:5  Wuh har menḍhe ke sāth ġhallā kī nazar bhī pesh kare yānī 16 kilogrām maidā aur 4 liṭar zaitūn kā tel. Har bheṛ ke bachche ke sāth wuh utnā hī ġhallā de jitnā jī chāhe.
Ezek UrduGeoR 46:6  Nae chāṅd ke din wuh ek jawān bail, chhih bheṛ ke bachche aur ek menḍhā pesh kare. Sab beaib hoṅ.
Ezek UrduGeoR 46:7  Jawān bail aur menḍhe ke sāth ġhallā kī nazar bhī pesh kī jāe. Ġhallā kī yih nazar 16 kilogrām maide aur 4 liṭar zaitūn ke tel par mushtamil ho. Wuh har bheṛ ke bachche ke sāth utnā hī ġhallā de jitnā jī chāhe.
Ezek UrduGeoR 46:8  Hukmrān andarūnī mashriqī darwāze meṅ bairūnī sahan se ho kar dāḳhil ho, aur wuh isī rāste se nikle bhī.
Ezek UrduGeoR 46:9  Jab bāqī Isrāīlī kisī īd par Rab ko sijdā karne āeṅ to jo shimālī darwāze se bairūnī sahan meṅ dāḳhil hoṅ wuh ibādat ke bād junūbī darwāze se nikleṅ, aur jo junūbī darwāze se dāḳhil hoṅ wuh shimālī darwāze se nikleṅ. Koī us darwāze se na nikle jis meṅ se wuh dāḳhil huā balki muqābil ke darwāze se.
Ezek UrduGeoR 46:10  Hukmrān us waqt sahan meṅ dāḳhil ho jab bāqī Isrāīlī dāḳhil ho rahe hoṅ, aur wuh us waqt rawānā ho jab bāqī Isrāīlī rawānā ho jāeṅ.
Ezek UrduGeoR 46:11  Īdoṅ aur muqarrarā tahwāroṅ par bail aur menḍhe ke sāth ġhallā kī nazar pesh kī jāe. Ġhallā kī yih nazar 16 kilogrām maide aur 4 liṭar zaitūn ke tel par mushtamil ho. Hukmrān bheṛ ke bachchoṅ ke sāth utnā hī ġhallā de jitnā jī chāhe.
Ezek UrduGeoR 46:12  Jab hukmrān apnī ḳhushī se mujhe qurbānī pesh karnā chāhe ḳhāh bhasm hone wālī yā salāmatī kī qurbānī ho, to us ke lie andarūnī darwāze kā mashriqī darwāzā kholā jāe. Wahāṅ wuh apnī qurbānī yoṅ pesh kare jis tarah Sabat ke din kartā hai. Us ke nikalne par yih darwāzā band kar diyā jāe.
Ezek UrduGeoR 46:13  Isrāīl Rab ko har subah ek beaib yaksālā bheṛ kā bachchā pesh kare. Bhasm hone wālī yih qurbānī rozānā chaṛhāī jāe.
Ezek UrduGeoR 46:14  Sāth sāth ġhallā kī nazar pesh kī jāe. Is ke lie sawā liṭar zaitūn kā tel ḍhāī kilogrām maide ke sāth milāyā jāe. Ġhallā kī yih nazar hameshā hī mujhe pesh karnī hai.
Ezek UrduGeoR 46:15  Lāzim hai ki har subah bheṛ kā bachchā, maidā aur tel mere lie jalāyā jāe.
Ezek UrduGeoR 46:16  Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki agar Isrāīl kā hukmrān apne kisī beṭe ko kuchh maurūsī zamīn de to yih zamīn beṭe kī maurūsī zamīn ban kar us kī aulād kī milkiyat rahegī.
Ezek UrduGeoR 46:17  Lekin agar hukmrān kuchh maurūsī zamīn apne kisī mulāzim ko de to yih zamīn sirf agle bahālī ke sāl tak mulāzim ke hāth meṅ rahegī. Phir yih dubārā hukmrān ke qabze meṅ wāpas āegī. Kyoṅki yih maurūsī zamīn mustaqil taur par us kī aur us ke beṭoṅ kī milkiyat hai.
Ezek UrduGeoR 46:18  Hukmrān ko jabran dūsre Isrāīliyoṅ kī maurūsī zamīn apnāne kī ijāzat nahīṅ. Lāzim hai ki jo bhī zamīn wuh apne beṭoṅ meṅ taqsīm kare wuh us kī apnī hī maurūsī zamīn ho. Merī qaum meṅ se kisī ko nikāl kar us kī maurūsī zamīn se mahrūm karnā manā hai.’”
Ezek UrduGeoR 46:19  Is ke bād merā rāhnumā mujhe un kamroṅ ke darwāze ke pās le gayā jin kā ruḳh shimāl kī taraf thā aur jo andarūnī sahan ke junūbī darwāze ke qarīb the. Yih imāmoṅ ke Muqaddas Kamre haiṅ. Us ne mujhe kamroṅ ke maġhribī sire meṅ ek jagah dikhā kar
Ezek UrduGeoR 46:20  kahā, “Yahāṅ imām wuh gosht ubāleṅge jo gunāh aur qusūr kī qurbāniyoṅ meṅ se un kā hissā bantā hai. Yahāṅ wuh ġhallā kī nazar le kar roṭī bhī banāeṅge. Qurbāniyoṅ meṅ se koī bhī chīz bairūnī sahan meṅ nahīṅ lāī jā saktī, aisā na ho ki muqaddas chīzeṅ chhūne se ām logoṅ kī jān ḳhatre meṅ paṛ jāe.”
Ezek UrduGeoR 46:21  Phir merā rāhnumā dubārā mere sāth bairūnī sahan meṅ ā gayā. Wahāṅ us ne mujhe us ke chār kone dikhāe. Har kone meṅ ek sahan thā
Ezek UrduGeoR 46:22  jis kī lambāī 70 fuṭ aur chauṛāī sāṛhe 52 fuṭ thī. Har sahan itnā hī baṛā thā
Ezek UrduGeoR 46:23  aur ek dīwār se ghirā huā thā. Dīwār ke sāth sāth chūlhe the.
Ezek UrduGeoR 46:24  Mere rāhnumā ne mujhe batāyā, “Yih wuh kichan haiṅ jin meṅ Rab ke ghar ke ḳhādim logoṅ kī peshkardā qurbāniyāṅ ubāleṅge.”
Chapter 47
Ezek UrduGeoR 47:1  Is ke bād merā rāhnumā mujhe ek bār phir Rab ke ghar ke darwāze ke pās le gayā. Yih darwāzā mashriq meṅ thā, kyoṅki Rab ke ghar kā ruḳh hī mashriq kī taraf thā. Maiṅ ne dekhā ki dahlīz ke nīche se pānī nikal rahā hai. Darwāze se nikal kar wuh pahle Rab ke ghar kī junūbī dīwār ke sāth sāth bahtā thā, phir qurbāngāh ke junūb meṅ se guzar kar mashriq kī taraf bah niklā.
Ezek UrduGeoR 47:2  Merā rāhnumā mere sāth bairūnī sahan ke shimālī darwāze meṅ se niklā. Bāhar chārdīwārī ke sāth sāth chalte chalte ham bairūnī sahan ke mashriqī darwāze ke pās pahuṅch gae. Maiṅ ne dekhā ki pānī is darwāze ke junūbī hisse meṅ se nikal rahā hai.
Ezek UrduGeoR 47:3  Ham pānī ke kināre kināre chal paṛe. Mere rāhnumā ne apne fīte ke sāth ādhā kilomīṭar kā fāsilā nāpā. Phir us ne mujhe pānī meṅ se guzarne ko kahā. Yahāṅ pānī ṭaḳhnoṅ tak pahuṅchtā thā.
Ezek UrduGeoR 47:4  Us ne mazīd ādhe kilomīṭar kā fāsilā nāpā, phir mujhe dubārā pānī meṅ se guzarne ko kahā. Ab pānī ghuṭnoṅ tak pahuṅchā. Jab us ne tīsrī martabā ādhā kilomīṭar kā fāsilā nāp kar mujhe us meṅ se guzarne diyā to pānī kamr tak pahuṅchā.
Ezek UrduGeoR 47:5  Ek āḳhirī dafā us ne ādhe kilomīṭar kā fāsilā nāpā. Ab maiṅ pānī meṅ se guzar na sakā. Pānī itnā gahrā thā ki us meṅ se guzarne ke lie tairne kī zarūrat thī.
Ezek UrduGeoR 47:6  Us ne mujh se pūchhā, “Ai ādamzād, kyā tū ne ġhaur kiyā hai?” Phir wuh mujhe dariyā ke kināre tak wāpas lāyā.
Ezek UrduGeoR 47:7  Jab wāpas āyā to maiṅ ne dekhā ki dariyā ke donoṅ kināroṅ par muta'addid daraḳht lage haiṅ.
Ezek UrduGeoR 47:8  Wuh bolā, “Yih pānī mashriq kī taraf bah kar Wādī-e-Yardan meṅ pahuṅchtā hai. Use pār karke wuh Bahīrā-e-Murdār meṅ ā jātā hai. Us ke asar se Bahīrā-e-Murdār kā namkīn pānī pīne ke qābil ho jāegā.
Ezek UrduGeoR 47:9  Jahāṅ bhī dariyā bahegā wahāṅ ke beshumār jāndār jīte raheṅge. Bahut machhliyāṅ hoṅgī, aur dariyā Bahīrā-e-Murdār kā namkīn pānī pīne ke qābil banāegā. Jahāṅ se bhī guzaregā wahāṅ sab kuchh phaltā-phūltā rahegā.
Ezek UrduGeoR 47:10  Ain-jadī se le kar Ain-ajlaim tak us ke kināroṅ par machhere khaṛe hoṅge. Har taraf un ke jāl sūkhne ke lie phailāe hue nazar āeṅge. Dariyā meṅ har qism kī machhliyāṅ hoṅgī, utnī jitnī Bahīrā-e-Rūm meṅ pāī jātī haiṅ.
Ezek UrduGeoR 47:11  Sirf Bahīrā-e-Murdār ke irdgird kī daldalī jaghoṅ aur johaṛoṅ kā pānī namkīn rahegā, kyoṅki wuh namak hāsil karne ke lie istemāl hogā.
Ezek UrduGeoR 47:12  Dariyā ke donoṅ kināroṅ par har qism ke phaldār daraḳht ugeṅge. In daraḳhtoṅ ke patte na kabhī murjhāeṅge, na kabhī un kā phal ḳhatm hogā. Wuh har mahīne phal lāeṅge, is lie ki maqdis kā pānī un kī ābpāshī kartā rahegā. Un kā phal logoṅ kī ḳhurāk banegā, aur un ke patte shifā deṅge.”
Ezek UrduGeoR 47:13  Phir Rab Qādir-e-mutlaq ne farmāyā, “Maiṅ tujhe us mulk kī sarhaddeṅ batātā hūṅ jo bārah qabīloṅ meṅ taqsīm karnā hai. Yūsuf ko do hisse dene haiṅ, bāqī qabīloṅ ko ek ek hissā.
Ezek UrduGeoR 47:14  Maiṅ ne apnā hāth uṭhā kar qasam khāī thī ki maiṅ yih mulk tumhāre bāpdādā ko atā karūṅga, is lie tum yih mulk mīrās meṅ pāoge. Ab use āpas meṅ barābar taqsīm kar lo.
Ezek UrduGeoR 47:15  Shimālī sarhad Bahīrā-e-Rūm se shurū ho kar mashriq kī taraf Hatlūn, Labo-hamāt aur Sidād ke pās se guzartī hai.
Ezek UrduGeoR 47:16  Wahāṅ se wuh Berotā aur Sibraim ke pās pahuṅchtī hai. (Sibraim Mulk-e-Damishq aur Mulk-e-Hamāt ke darmiyān wāqe hai.) Phir sarhad Hasar-enān Shahr tak āge nikaltī hai jo Haurān kī sarhad par wāqe hai.
Ezek UrduGeoR 47:17  Ġharz shimālī sarhad Bahīrā-e-Rūm se le kar Hasar-enān tak pahuṅchtī hai. Damishq aur Hamāt kī sarhaddeṅ us ke shimāl meṅ haiṅ.
Ezek UrduGeoR 47:18  Mulk kī mashriqī sarhad wahāṅ shurū hotī hai jahāṅ Damishq kā ilāqā Haurān ke pahāṛī ilāqe se miltā hai. Wahāṅ se sarhad Dariyā-e-Yardan ke sāth sāth chaltī huī junūb meṅ Bahīrā-e-Rūm ke pās Tamr Shahr tak pahuṅchtī hai. Yoṅ Dariyā-e-Yardan Mulk-e-Isrāīl kī mashriqī sarhad aur Mulk-e-Jiliyād kī maġhribī sarhad hai.
Ezek UrduGeoR 47:19  Junūbī sarhad Tamr se shurū ho kar junūb-maġhrib kī taraf chaltī chaltī Marībā-qādis ke chashmoṅ tak pahuṅchtī hai. Phir wuh shimāl-maġhrib kī taraf ruḳh karke Misr kī sarhad yānī Wādī-e-Misr ke sāth sāth Bahīrā-e-Rūm tak pahuṅchtī hai.
Ezek UrduGeoR 47:20  Maġhribī sarhad Bahīrā-e-Rūm hai jo shimāl meṅ Labo-hamāt ke muqābil ḳhatm hotī hai.
Ezek UrduGeoR 47:22  Yih tumhārī maurūsī zamīn hogī. Jab tum qurā ḍāl kar use āpas meṅ taqsīm karo to un ġhairmulkiyoṅ ko bhī zamīn milnī hai jo tumhāre darmiyān rahte aur jin ke bachche yahāṅ paidā hue haiṅ. Tumhārā un ke sāth waisā sulūk ho jaisā Isrāīliyoṅ ke sāth. Qurā ḍālte waqt unheṅ Isrāīlī qabīloṅ ke sāth zamīn milnī hai.
Ezek UrduGeoR 47:23  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki jis qabīle meṅ bhī pardesī ābād hoṅ wahāṅ tumheṅ unheṅ maurūsī zamīn denī hai.
Chapter 48
Ezek UrduGeoR 48:1  Isrāīl kī shimālī sarhad Bahīrā-e-Rūm se shurū ho kar mashriq kī taraf Hatlūn, Labo-hamāt aur Hasar-enān ke pās se guzartī hai. Damishq aur Hamāt sarhad ke shimāl meṅ haiṅ. Har qabīle ko mulk kā ek hissā milegā. Har ḳhitte kā ek sirā mulk kī mashriqī sarhad aur dūsrā sirā maġhribī sarhad hogā. Shimāl se le kar junūb tak qabāylī ilāqoṅ kī yih tartīb hogī: Dān, Āshar, Naftālī, Manassī, Ifrāīm, Rūbin aur Yahūdāh.
Ezek UrduGeoR 48:2  Isrāīl kī shimālī sarhad Bahīrā-e-Rūm se shurū ho kar mashriq kī taraf Hatlūn, Labo-hamāt aur Hasar-enān ke pās se guzartī hai. Damishq aur Hamāt sarhad ke shimāl meṅ haiṅ. Har qabīle ko mulk kā ek hissā milegā. Har ḳhitte kā ek sirā mulk kī mashriqī sarhad aur dūsrā sirā maġhribī sarhad hogā. Shimāl se le kar junūb tak qabāylī ilāqoṅ kī yih tartīb hogī: Dān, Āshar, Naftālī, Manassī, Ifrāīm, Rūbin aur Yahūdāh.
Ezek UrduGeoR 48:3  Isrāīl kī shimālī sarhad Bahīrā-e-Rūm se shurū ho kar mashriq kī taraf Hatlūn, Labo-hamāt aur Hasar-enān ke pās se guzartī hai. Damishq aur Hamāt sarhad ke shimāl meṅ haiṅ. Har qabīle ko mulk kā ek hissā milegā. Har ḳhitte kā ek sirā mulk kī mashriqī sarhad aur dūsrā sirā maġhribī sarhad hogā. Shimāl se le kar junūb tak qabāylī ilāqoṅ kī yih tartīb hogī: Dān, Āshar, Naftālī, Manassī, Ifrāīm, Rūbin aur Yahūdāh.
Ezek UrduGeoR 48:4  Isrāīl kī shimālī sarhad Bahīrā-e-Rūm se shurū ho kar mashriq kī taraf Hatlūn, Labo-hamāt aur Hasar-enān ke pās se guzartī hai. Damishq aur Hamāt sarhad ke shimāl meṅ haiṅ. Har qabīle ko mulk kā ek hissā milegā. Har ḳhitte kā ek sirā mulk kī mashriqī sarhad aur dūsrā sirā maġhribī sarhad hogā. Shimāl se le kar junūb tak qabāylī ilāqoṅ kī yih tartīb hogī: Dān, Āshar, Naftālī, Manassī, Ifrāīm, Rūbin aur Yahūdāh.
Ezek UrduGeoR 48:5  Isrāīl kī shimālī sarhad Bahīrā-e-Rūm se shurū ho kar mashriq kī taraf Hatlūn, Labo-hamāt aur Hasar-enān ke pās se guzartī hai. Damishq aur Hamāt sarhad ke shimāl meṅ haiṅ. Har qabīle ko mulk kā ek hissā milegā. Har ḳhitte kā ek sirā mulk kī mashriqī sarhad aur dūsrā sirā maġhribī sarhad hogā. Shimāl se le kar junūb tak qabāylī ilāqoṅ kī yih tartīb hogī: Dān, Āshar, Naftālī, Manassī, Ifrāīm, Rūbin aur Yahūdāh.
Ezek UrduGeoR 48:6  Isrāīl kī shimālī sarhad Bahīrā-e-Rūm se shurū ho kar mashriq kī taraf Hatlūn, Labo-hamāt aur Hasar-enān ke pās se guzartī hai. Damishq aur Hamāt sarhad ke shimāl meṅ haiṅ. Har qabīle ko mulk kā ek hissā milegā. Har ḳhitte kā ek sirā mulk kī mashriqī sarhad aur dūsrā sirā maġhribī sarhad hogā. Shimāl se le kar junūb tak qabāylī ilāqoṅ kī yih tartīb hogī: Dān, Āshar, Naftālī, Manassī, Ifrāīm, Rūbin aur Yahūdāh.
Ezek UrduGeoR 48:7  Isrāīl kī shimālī sarhad Bahīrā-e-Rūm se shurū ho kar mashriq kī taraf Hatlūn, Labo-hamāt aur Hasar-enān ke pās se guzartī hai. Damishq aur Hamāt sarhad ke shimāl meṅ haiṅ. Har qabīle ko mulk kā ek hissā milegā. Har ḳhitte kā ek sirā mulk kī mashriqī sarhad aur dūsrā sirā maġhribī sarhad hogā. Shimāl se le kar junūb tak qabāylī ilāqoṅ kī yih tartīb hogī: Dān, Āshar, Naftālī, Manassī, Ifrāīm, Rūbin aur Yahūdāh.
Ezek UrduGeoR 48:8  Yahūdāh ke junūb meṅ wuh ilāqā hogā jo tumheṅ mere lie alag karnā hai. Qabāylī ilāqoṅ kī tarah us kā bhī ek sirā mulk kī mashriqī sarhad aur dūsrā sirā maġhribī sarhad hogā. Shimāl se junūb tak kā fāsilā sāṛhe 12 kilomīṭar hai. Us ke bīch meṅ maqdis hai.
Ezek UrduGeoR 48:9  Is ilāqe ke darmiyān ek ḳhās ḳhittā hogā. Mashriq se maġhrib tak us kā fāsilā sāṛhe 12 kilomīṭar hogā jabki shimāl se junūb tak fāsilā 10 kilomīṭar hogā. Rab ke lie maḳhsūs is ḳhitte
Ezek UrduGeoR 48:10  kā ek hissā imāmoṅ ke lie maḳhsūs hogā. Is hisse kā fāsilā mashriq se maġhrib tak sāṛhe 12 kilomīṭar aur shimāl se junūb tak 5 kilomīṭar hogā. Is ke bīch meṅ hī Rab kā maqdis hogā.
Ezek UrduGeoR 48:11  Yih muqaddas ilāqā Lāwī ke ḳhāndān Sadoq ke maḳhsūs-o-muqaddas kie gae imāmoṅ ko diyā jāegā. Kyoṅki jab Isrāīlī mujh se bargashtā hue to bāqī Lāwī un ke sāth bhaṭak gae. Lekin Sadoq kā ḳhāndān wafādārī se merī ḳhidmat kartā rahā.
Ezek UrduGeoR 48:12  Is lie unheṅ mere lie maḳhsūs ilāqe kā muqaddastarīn hissā milegā. Yih Lāwiyoṅ ke ḳhitte ke shimāl meṅ hogā.
Ezek UrduGeoR 48:13  Imāmoṅ ke junūb meṅ bāqī Lāwiyoṅ kā ḳhittā hogā. Mashriq se maġhrib tak us kā fāsilā sāṛhe 12 kilomīṭar aur shimāl se junūb tak 5 kilomīṭar hogā.
Ezek UrduGeoR 48:14  Rab ke lie maḳhsūs yih ilāqā pūre mulk kā behtarīn hissā hai. Us kā koī bhī plāṭ kisī dūsre ke hāth meṅ dene kī ijāzat nahīṅ. Use na bechā jāe, na kisī dūsre ko kisī plāṭ ke ewaz meṅ diyā jāe. Kyoṅki yih ilāqā Rab ke lie maḳhsūs-o-muqaddas hai.
Ezek UrduGeoR 48:15  Rab ke maqdis ke is ḳhās ilāqe ke junūb meṅ ek aur ḳhittā hogā jis kī lambāī sāṛhe 12 kilomīṭar aur chauṛāī aṛhāī kilomīṭar hai. Wuh muqaddas nahīṅ hai balki ām logoṅ kī rihāish ke lie hogā. Is ke bīch meṅ shahr hogā, jis ke irdgird charāgāheṅ hoṅgī.
Ezek UrduGeoR 48:16  Yih shahr murabbā shakl kā hogā. Lambāī aur chauṛāī donoṅ sawā do do kilomīṭar hogī.
Ezek UrduGeoR 48:17  Shahr ke chāroṅ taraf jānwaroṅ ko charāne kī khulī jagah hogī jis kī chauṛāī 133 mīṭar hogī.
Ezek UrduGeoR 48:18  Chūṅki shahr apne ḳhitte ke bīch meṅ hogā is lie mazkūrā khulī jagah ke mashriq meṅ ek ḳhittā bāqī rah jāegā jis kā mashriq se shahr tak fāsilā 5 kilomīṭar aur shimāl se junūb tak fāsilā aṛhāī kilomīṭar hogā. Shahr ke maġhrib meṅ bhī itnā hī baṛā ḳhittā hogā. In do ḳhittoṅ meṅ khetībāṛī kī jāegī jis kī paidāwār shahr meṅ kām karne wāloṅ kī ḳhurāk hogī.
Ezek UrduGeoR 48:19  Shahr meṅ kām karne wāle tamām qabīloṅ ke hoṅge. Wuhī in khetoṅ kī khetībāṛī kareṅge.
Ezek UrduGeoR 48:20  Chunāṅche mere lie alag kiyā gayā yih pūrā ilāqā murabbā shakl kā hai. Us kī lambāī aur chauṛāī sāṛhe bārah bārah kilomīṭar hai. Is meṅ shahr bhī shāmil hai.
Ezek UrduGeoR 48:21  Mazkūrā muqaddas ḳhitte meṅ maqdis, imāmoṅ aur bāqī Lāwiyoṅ kī zamīneṅ haiṅ. Us ke mashriq aur maġhrib meṅ bāqīmāndā zamīn hukmrān kī milkiyat hai. Muqaddas ḳhitte ke mashriq meṅ hukmrān kī zamīn mulk kī mashriqī sarhad tak hogī aur muqaddas ḳhitte ke maġhrib meṅ wuh samundar tak hogī. Shimāl se junūb tak wuh muqaddas ḳhitte jitnī chauṛī yānī sāṛhe 12 kilomīṭar hogī. Shimāl meṅ Yahūdāh kā qabāylī ilāqā hogā aur junūb meṅ Binyamīn kā.
Ezek UrduGeoR 48:22  Mazkūrā muqaddas ḳhitte meṅ maqdis, imāmoṅ aur bāqī Lāwiyoṅ kī zamīneṅ haiṅ. Us ke mashriq aur maġhrib meṅ bāqīmāndā zamīn hukmrān kī milkiyat hai. Muqaddas ḳhitte ke mashriq meṅ hukmrān kī zamīn mulk kī mashriqī sarhad tak hogī aur muqaddas ḳhitte ke maġhrib meṅ wuh samundar tak hogī. Shimāl se junūb tak wuh muqaddas ḳhitte jitnī chauṛī yānī sāṛhe 12 kilomīṭar hogī. Shimāl meṅ Yahūdāh kā qabāylī ilāqā hogā aur junūb meṅ Binyamīn kā.
Ezek UrduGeoR 48:23  Mulk ke is ḳhās darmiyānī hisse ke junūb meṅ bāqī qabīloṅ ko ek ek ilāqā milegā. Har ilāqe kā ek sirā mulk kī mashriqī sarhad aur dūsrā sirā Bahīrā-e-Rūm hogā. Shimāl se le kar junūb tak qabāylī ilāqoṅ kī yih tartīb hogī: Binyamīn, Shamāūn, Ishkār, Zabūlūn aur Jad.
Ezek UrduGeoR 48:24  Mulk ke is ḳhās darmiyānī hisse ke junūb meṅ bāqī qabīloṅ ko ek ek ilāqā milegā. Har ilāqe kā ek sirā mulk kī mashriqī sarhad aur dūsrā sirā Bahīrā-e-Rūm hogā. Shimāl se le kar junūb tak qabāylī ilāqoṅ kī yih tartīb hogī: Binyamīn, Shamāūn, Ishkār, Zabūlūn aur Jad.
Ezek UrduGeoR 48:25  Mulk ke is ḳhās darmiyānī hisse ke junūb meṅ bāqī qabīloṅ ko ek ek ilāqā milegā. Har ilāqe kā ek sirā mulk kī mashriqī sarhad aur dūsrā sirā Bahīrā-e-Rūm hogā. Shimāl se le kar junūb tak qabāylī ilāqoṅ kī yih tartīb hogī: Binyamīn, Shamāūn, Ishkār, Zabūlūn aur Jad.
Ezek UrduGeoR 48:26  Mulk ke is ḳhās darmiyānī hisse ke junūb meṅ bāqī qabīloṅ ko ek ek ilāqā milegā. Har ilāqe kā ek sirā mulk kī mashriqī sarhad aur dūsrā sirā Bahīrā-e-Rūm hogā. Shimāl se le kar junūb tak qabāylī ilāqoṅ kī yih tartīb hogī: Binyamīn, Shamāūn, Ishkār, Zabūlūn aur Jad.
Ezek UrduGeoR 48:27  Mulk ke is ḳhās darmiyānī hisse ke junūb meṅ bāqī qabīloṅ ko ek ek ilāqā milegā. Har ilāqe kā ek sirā mulk kī mashriqī sarhad aur dūsrā sirā Bahīrā-e-Rūm hogā. Shimāl se le kar junūb tak qabāylī ilāqoṅ kī yih tartīb hogī: Binyamīn, Shamāūn, Ishkār, Zabūlūn aur Jad.
Ezek UrduGeoR 48:28  Jad ke qabīle kī junūbī sarhad mulk kī sarhad bhī hai. Wuh Tamr se junūb-maġhrib meṅ Marībā-qādis ke chashmoṅ tak chaltī hai, phir Misr kī sarhad yānī Wādī-e-Misr ke sāth sāth shimāl-maġhrib kā ruḳh karke Bahīrā-e-Rūm tak pahuṅchtī hai.
Ezek UrduGeoR 48:29  Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki yihī tumhārā mulk hogā! Use Isrāīlī qabīloṅ meṅ taqsīm karo. Jo kuchh bhī unheṅ qurā ḍāl kar mile wuh un kī maurūsī zamīn hogī.
Ezek UrduGeoR 48:30  Yarūshalam Shahr ke 12 darwāze hoṅge. Fasīl kī chāroṅ dīwāreṅ sawā do do kilomīṭar lambī hoṅgī. Har dīwār ke tīn darwāze hoṅge, ġharz kul bārah darwāze hoṅge. Har ek kā nām kisī qabīle kā nām hogā. Chunāṅche shimāl meṅ Rūbin kā darwāzā, Yahūdāh kā darwāzā aur Lāwī kā darwāzā hogā, mashriq meṅ Yūsuf kā darwāzā, Binyamīn kā darwāzā aur Dān kā darwāzā hogā, junūb meṅ Shamāūn kā darwāzā, Ishkār kā darwāzā aur Zabūlūn kā darwāzā hogā, aur maġhrib meṅ Jad kā darwāzā, Āshar kā darwāzā aur Naftālī kā darwāzā hogā.
Ezek UrduGeoR 48:31  Yarūshalam Shahr ke 12 darwāze hoṅge. Fasīl kī chāroṅ dīwāreṅ sawā do do kilomīṭar lambī hoṅgī. Har dīwār ke tīn darwāze hoṅge, ġharz kul bārah darwāze hoṅge. Har ek kā nām kisī qabīle kā nām hogā. Chunāṅche shimāl meṅ Rūbin kā darwāzā, Yahūdāh kā darwāzā aur Lāwī kā darwāzā hogā, mashriq meṅ Yūsuf kā darwāzā, Binyamīn kā darwāzā aur Dān kā darwāzā hogā, junūb meṅ Shamāūn kā darwāzā, Ishkār kā darwāzā aur Zabūlūn kā darwāzā hogā, aur maġhrib meṅ Jad kā darwāzā, Āshar kā darwāzā aur Naftālī kā darwāzā hogā.
Ezek UrduGeoR 48:32  Yarūshalam Shahr ke 12 darwāze hoṅge. Fasīl kī chāroṅ dīwāreṅ sawā do do kilomīṭar lambī hoṅgī. Har dīwār ke tīn darwāze hoṅge, ġharz kul bārah darwāze hoṅge. Har ek kā nām kisī qabīle kā nām hogā. Chunāṅche shimāl meṅ Rūbin kā darwāzā, Yahūdāh kā darwāzā aur Lāwī kā darwāzā hogā, mashriq meṅ Yūsuf kā darwāzā, Binyamīn kā darwāzā aur Dān kā darwāzā hogā, junūb meṅ Shamāūn kā darwāzā, Ishkār kā darwāzā aur Zabūlūn kā darwāzā hogā, aur maġhrib meṅ Jad kā darwāzā, Āshar kā darwāzā aur Naftālī kā darwāzā hogā.
Ezek UrduGeoR 48:33  Yarūshalam Shahr ke 12 darwāze hoṅge. Fasīl kī chāroṅ dīwāreṅ sawā do do kilomīṭar lambī hoṅgī. Har dīwār ke tīn darwāze hoṅge, ġharz kul bārah darwāze hoṅge. Har ek kā nām kisī qabīle kā nām hogā. Chunāṅche shimāl meṅ Rūbin kā darwāzā, Yahūdāh kā darwāzā aur Lāwī kā darwāzā hogā, mashriq meṅ Yūsuf kā darwāzā, Binyamīn kā darwāzā aur Dān kā darwāzā hogā, junūb meṅ Shamāūn kā darwāzā, Ishkār kā darwāzā aur Zabūlūn kā darwāzā hogā, aur maġhrib meṅ Jad kā darwāzā, Āshar kā darwāzā aur Naftālī kā darwāzā hogā.
Ezek UrduGeoR 48:34  Yarūshalam Shahr ke 12 darwāze hoṅge. Fasīl kī chāroṅ dīwāreṅ sawā do do kilomīṭar lambī hoṅgī. Har dīwār ke tīn darwāze hoṅge, ġharz kul bārah darwāze hoṅge. Har ek kā nām kisī qabīle kā nām hogā. Chunāṅche shimāl meṅ Rūbin kā darwāzā, Yahūdāh kā darwāzā aur Lāwī kā darwāzā hogā, mashriq meṅ Yūsuf kā darwāzā, Binyamīn kā darwāzā aur Dān kā darwāzā hogā, junūb meṅ Shamāūn kā darwāzā, Ishkār kā darwāzā aur Zabūlūn kā darwāzā hogā, aur maġhrib meṅ Jad kā darwāzā, Āshar kā darwāzā aur Naftālī kā darwāzā hogā.
Ezek UrduGeoR 48:35  Fasīl kī pūrī lambāī 9 kilomīṭar hai. Tab shahr ‘Yahāṅ Rab Hai’ kahlāegā!”