Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
EXODUS
Up
Toggle notes
Chapter 1
Exod UrduGeoR 1:1  Zail meṅ un beṭoṅ ke nām haiṅ jo apne bāp Yāqūb aur apne ḳhāndānoṅ samet Misr meṅ āe the:
Exod UrduGeoR 1:5  Us waqt Yāqūb kī aulād kī tādād 70 thī. Yūsuf to pahle hī Misr ā chukā thā.
Exod UrduGeoR 1:6  Misr meṅ rahte hue bahut din guzar gae. Itne meṅ Yūsuf, us ke tamām bhāī aur us nasl ke tamām log mar gae.
Exod UrduGeoR 1:7  Isrāīlī phale-phūle aur tādād meṅ bahut baṛh gae. Natīje meṅ wuh nihāyat hī tāqatwar ho gae. Pūrā mulk un se bhar gayā.
Exod UrduGeoR 1:8  Hote hote ek nayā bādshāh taḳhtnashīn huā jo Yūsuf se nāwāqif thā.
Exod UrduGeoR 1:9  Us ne apne logoṅ se kahā, “Isrāīliyoṅ ko dekho. Wuh tādād aur tāqat meṅ ham se baṛh gae haiṅ.
Exod UrduGeoR 1:10  Āo, ham hikmat se kām leṅ, warnā wuh mazīd baṛh jāeṅge. Aisā na ho ki wuh kisī jang ke mauqe par dushman kā sāth de kar ham se laṛeṅ aur mulk ko chhoṛ jāeṅ.”
Exod UrduGeoR 1:11  Chunāṅche Misriyoṅ ne Isrāīliyoṅ par nigarān muqarrar kie tāki begār meṅ un se kām karwā kar unheṅ dabāte raheṅ. Us waqt unhoṅ ne pitom aur Rāmsīs ke shahr tāmīr kie. In shahroṅ meṅ Firaun Bādshāh ke baṛe baṛe godām the.
Exod UrduGeoR 1:12  Lekin jitnā Isrāīliyoṅ ko dabāyā gayā utnā hī wuh tādād meṅ baṛhte aur phailte gae. Āḳhirkār Misrī un se dahshat khāne lage,
Exod UrduGeoR 1:13  aur wuh baṛī berahmī se un se kām karwāte rahe.
Exod UrduGeoR 1:14  Isrāīliyoṅ kā guzārā nihāyat mushkil ho gayā. Unheṅ gārā taiyār karke īṅṭeṅ banānā aur khetoṅ meṅ muḳhtalif qism ke kām karnā paṛe. Is meṅ Misrī un se baṛī berahmī se pesh āte rahe.
Exod UrduGeoR 1:15  Isrāīliyoṅ kī do dāiyāṅ thīṅ jin ke nām Sifrā aur Fuā the. Misr ke bādshāh ne un se kahā,
Exod UrduGeoR 1:16  “Jab Ibrānī aurateṅ tumheṅ madad ke lie bulāeṅ to ḳhabardār raho. Agar laṛkā paidā ho to use jān se mār do, agar laṛkī ho to use jītā chhoṛ do.”
Exod UrduGeoR 1:17  Lekin dāiyāṅ Allāh kā ḳhauf māntī thīṅ. Unhoṅ ne Misr ke bādshāh kā hukm na mānā balki laṛkoṅ ko bhī jīne diyā.
Exod UrduGeoR 1:18  Tab Misr ke bādshāh ne unheṅ dubārā bulā kar pūchhā, “Tum ne yih kyoṅ kiyā? Tum laṛkoṅ ko kyoṅ jītā chhoṛ detī ho?”
Exod UrduGeoR 1:19  Unhoṅ ne jawāb diyā, “Ibrānī aurateṅ Misrī auratoṅ se zyādā mazbūt haiṅ. Bachche hamāre pahuṅchne se pahle hī paidā ho jāte haiṅ.”
Exod UrduGeoR 1:20  Chunāṅche Allāh ne dāiyoṅ ko barkat dī, aur Isrāīlī qaum tādād meṅ baṛh kar bahut tāqatwar ho gaī.
Exod UrduGeoR 1:21  Aur chūṅki dāiyāṅ Allāh kā ḳhauf māntī thīṅ is lie us ne unheṅ aulād de kar un ke ḳhāndānoṅ ko qāym rakhā.
Exod UrduGeoR 1:22  Āḳhirkār bādshāh ne apne tamām hamwatanoṅ se bāt kī, “Jab bhī Ibrāniyoṅ ke laṛke paidā hoṅ to unheṅ Dariyā-e-Nīl meṅ phaiṅk denā. Sirf laṛkiyoṅ ko zindā rahne do.”
Chapter 2
Exod UrduGeoR 2:1  Un dinoṅ meṅ Lāwī ke ek ādmī ne apne hī qabīle kī ek aurat se shādī kī.
Exod UrduGeoR 2:2  Aurat hāmilā huī aur bachchā paidā huā. Māṅ ne dekhā ki laṛkā ḳhūbsūrat hai, is lie us ne use tīn māh tak chhupāe rakhā.
Exod UrduGeoR 2:3  Jab wuh use aur zyādā na chhupā sakī to us ne ābī narsal se ṭokrī banā kar us par tārkol chaṛhāyā. Phir us ne bachche ko ṭokrī meṅ rakh kar ṭokrī ko Dariyā-e-Nīl ke kināre par uge hue sarkanḍoṅ meṅ rakh diyā.
Exod UrduGeoR 2:4  Bachche kī bahan kuchh fāsile par khaṛī deḳhtī rahī ki us kā kyā banegā.
Exod UrduGeoR 2:5  Us waqt Firaun kī beṭī nahāne ke lie dariyā par āī. Us kī naukarāniyāṅ dariyā ke kināre ṭahalne lagīṅ. Tab us ne sarkanḍoṅ meṅ ṭokrī dekhī aur apnī launḍī ko use lāne bhejā.
Exod UrduGeoR 2:6  Use kholā to chhoṭā laṛkā dikhāī diyā jo ro rahā thā. Firaun kī beṭī ko us par tars āyā. Us ne kahā, “Yih koī Ibrānī bachchā hai.”
Exod UrduGeoR 2:7  Ab bachche kī bahan Firaun kī beṭī ke pās gaī aur pūchhā, “Kyā maiṅ bachche ko dūdh pilāne ke lie koī Ibrānī aurat ḍhūnḍ lāūṅ?”
Exod UrduGeoR 2:8  Firaun kī beṭī ne kahā, “Hāṅ, jāo.” Laṛkī chalī gaī aur bachche kī sagī māṅ ko le kar wāpas āī.
Exod UrduGeoR 2:9  Firaun kī beṭī ne māṅ se kahā, “Bachche ko le jāo aur use mere lie dūdh pilāyā karo. Maiṅ tumheṅ is kā muāwazā dūṅgī.” Chunāṅche bachche kī māṅ ne use dūdh pilāne ke lie le liyā.
Exod UrduGeoR 2:10  Jab bachchā baṛā huā to us kī māṅ use Firaun kī beṭī ke pās le gaī, aur wuh us kā beṭā ban gayā. Firaun kī beṭī ne us kā nām Mūsā yānī ‘Nikālā Gayā’ rakh kar kahā, “Maiṅ use pānī se nikāl lāī hūṅ.”
Exod UrduGeoR 2:11  Jab Mūsā jawān huā to ek din wuh ghar se nikal kar apne logoṅ ke pās gayā jo jabrī kām meṅ masrūf the. Mūsā ne dekhā ki ek Misrī mere ek Ibrānī bhāī ko mār rahā hai.
Exod UrduGeoR 2:12  Mūsā ne chāroṅ taraf nazar dauṛāī. Jab mālūm huā ki koī nahīṅ dekh rahā to us ne Misrī ko jān se mār diyā aur use ret meṅ chhupā diyā.
Exod UrduGeoR 2:13  Agle din bhī Mūsā ghar se niklā. Is dafā do Ibrānī mard āpas meṅ laṛ rahe the. Jo ġhaltī par thā us se Mūsā ne pūchhā, “Tum apne bhāī ko kyoṅ mār rahe ho?”
Exod UrduGeoR 2:14  Ādmī ne jawāb diyā, “Kis ne āp ko ham par hukmrān aur qāzī muqarrar kiyā hai? Kyā āp mujhe bhī qatl karnā chāhte haiṅ jis tarah Misrī ko mār ḍālā thā?” Tab Mūsā ḍar gayā. Us ne sochā, “Hāy, merā bhed khul gayā hai!”
Exod UrduGeoR 2:15  Bādshāh ko bhī patā lagā to us ne Mūsā ko marwāne kī koshish kī. Lekin Mūsā Midiyān ke mulk ko bhāg gayā. Wahāṅ wuh ek kueṅ ke pās baiṭh gayā.
Exod UrduGeoR 2:16  Midiyān meṅ ek imām thā jis kī sāt beṭiyāṅ thīṅ. Yih laṛkiyāṅ apnī bheṛ-bakriyoṅ ko pānī pilāne ke lie kueṅ par āīṅ aur pānī nikāl kar hauz bharne lagīṅ.
Exod UrduGeoR 2:17  Lekin kuchh charwāhoṅ ne ā kar unheṅ bhagā diyā. Yih dekh kar Mūsā uṭhā aur laṛkiyoṅ ko charwāhoṅ se bachā kar un ke rewaṛ ko pānī pilāyā.
Exod UrduGeoR 2:18  Jab laṛkiyāṅ apne bāp Raūel ke pās wāpas āīṅ to bāp ne pūchhā, “Āj tum itnī jaldī se kyoṅ wāpas ā gaī ho?”
Exod UrduGeoR 2:19  Laṛkiyoṅ ne jawāb diyā, “Ek Misrī ādmī ne hameṅ charwāhoṅ se bachāyā. Na sirf yih balki us ne hamāre lie pānī bhī nikāl kar rewaṛ ko pilā diyā.”
Exod UrduGeoR 2:20  Raūel ne kahā, “Wuh ādmī kahāṅ hai? Tum use kyoṅ chhoṛ kar āī ho? Use bulāo tāki wuh hamāre sāth khānā khāe.”
Exod UrduGeoR 2:21  Mūsā Raūel ke ghar meṅ ṭhaharne ke lie rāzī ho gayā. Bād meṅ us kī shādī Raūel kī beṭī Saffūrā se huī.
Exod UrduGeoR 2:22  Saffūrā ke beṭā paidā huā to Mūsā ne kahā, “Is kā nām Jairsom yānī ‘Ajnabī Mulk meṅ Pardesī’ ho, kyoṅki maiṅ ajnabī mulk meṅ pardesī hūṅ.”
Exod UrduGeoR 2:23  Kāfī arsā guzar gayā. Itne meṅ Misr kā bādshāh intaqāl kar gayā. Isrāīlī apnī ġhulāmī tale karāhte aur madad ke lie pukārte rahe, aur un kī chīḳheṅ Allāh tak pahuṅch gaīṅ.
Exod UrduGeoR 2:24  Allāh ne un kī āheṅ sunīṅ aur us ahd ko yād kiyā jo us ne Ibrāhīm, Is'hāq aur Yāqūb se bāndhā thā.
Exod UrduGeoR 2:25  Allāh Isrāīliyoṅ kī hālat dekh kar un kā ḳhayāl karne lagā.
Chapter 3
Exod UrduGeoR 3:1  Mūsā apne susar Yitro kī bheṛ-bakriyoṅ kī nigahbānī kartā thā. (Midiyān kā imām Raūel Yitro bhī kahlātā thā.) Ek din Mūsā rewaṛ ko registān kī parlī jānib le gayā aur chalte chalte Allāh ke pahāṛ Horib yānī Sīnā tak pahuṅch gayā.
Exod UrduGeoR 3:2  Wahāṅ Rab kā farishtā āg ke shole meṅ us par zāhir huā. Yih sholā ek jhāṛī meṅ bhaṛak rahā thā. Mūsā ne dekhā ki jhāṛī jal rahī hai lekin bhasm nahīṅ ho rahī.
Exod UrduGeoR 3:3  Mūsā ne sochā, “Yih to ajīb bāt hai. Kyā wajah hai ki jaltī huī jhāṛī bhasm nahīṅ ho rahī? Maiṅ zarā wahāṅ jā kar yih hairatangez manzar dekhūṅ.”
Exod UrduGeoR 3:4  Jab Rab ne dekhā ki Mūsā jhāṛī ko deḳhne ā rahā hai to us ne use jhāṛī meṅ se pukārā, “Mūsā, Mūsā!” Mūsā ne kahā, “Jī, maiṅ hāzir hūṅ.”
Exod UrduGeoR 3:5  Rab ne kahā, “Is se zyādā qarīb na ānā. Apnī jūtiyāṅ utār, kyoṅki tū muqaddas zamīn par khaṛā hai.
Exod UrduGeoR 3:6  Maiṅ tere bāp kā Ḳhudā, Ibrāhīm kā Ḳhudā, Is'hāq kā Ḳhudā aur Yāqūb kā Ḳhudā hūṅ.” Yih sun kar Mūsā ne apnā muṅh ḍhāṅk liyā, kyoṅki wuh Allāh ko deḳhne se ḍarā.
Exod UrduGeoR 3:7  Rab ne kahā, “Maiṅ ne Misr meṅ apnī qaum kī burī hālat dekhī aur ġhulāmī meṅ un kī chīḳheṅ sunī haiṅ, aur maiṅ un ke dukhoṅ ko ḳhūb jāntā hūṅ.
Exod UrduGeoR 3:8  Ab maiṅ unheṅ Misriyoṅ ke qābū se bachāne ke lie utar āyā hūṅ. Maiṅ unheṅ Misr se nikāl kar ek achchhe wasī mulk meṅ le jāūṅgā, ek aise mulk meṅ jahāṅ dūdh aur shahd kī kasrat hai, go is waqt Kanānī, Hittī, Amorī, Farizzī, Hiwwī aur Yabūsī us meṅ rahte haiṅ.
Exod UrduGeoR 3:9  Isrāīliyoṅ kī chīḳheṅ mujh tak pahuṅchī haiṅ. Maiṅ ne dekhā hai ki Misrī un par kis tarah kā zulm ḍhā rahe haiṅ.
Exod UrduGeoR 3:10  Chunāṅche ab jā. Maiṅ tujhe Firaun ke pās bhejtā hūṅ, kyoṅki tujhe merī qaum Isrāīl ko Misr se nikāl kar lānā hai.”
Exod UrduGeoR 3:11  Lekin Mūsā ne Allāh se kahā, “Maiṅ kaun hūṅ ki Firaun ke pās jā kar Isrāīliyoṅ ko Misr se nikāl lāūṅ?”
Exod UrduGeoR 3:12  Allāh ne kahā, “Maiṅ to tere sāth hūṅgā. Aur is kā sabūt ki maiṅ tujhe bhej rahā hūṅ yih hogā ki logoṅ ke Misr se nikalne ke bād tum yahāṅ ā kar is pahāṛ par merī ibādat karoge.”
Exod UrduGeoR 3:13  Lekin Mūsā ne etarāz kiyā, “Agar maiṅ Isrāīliyoṅ ke pās jā kar unheṅ batāūṅ ki tumhāre bāpdādā ke Ḳhudā ne mujhe tumhāre pās bhejā hai to wuh pūchheṅge, ‘Us kā nām kyā hai?’ Phir maiṅ un ko kyā jawāb dūṅ?”
Exod UrduGeoR 3:14  Allāh ne kahā, “Maiṅ jo hūṅ so maiṅ hūṅ. Un se kahnā, ‘Maiṅ hūṅ ne mujhe tumhāre pās bhejā hai.
Exod UrduGeoR 3:15  Rab jo tumhāre bāpdādā kā Ḳhudā, Ibrāhīm kā Ḳhudā, Is'hāq kā Ḳhudā aur Yāqūb kā Ḳhudā hai usī ne mujhe tumhāre pās bhejā hai.’ Yih abad tak merā nām rahegā. Log yihī nām le kar mujhe nasl-dar-nasl yād kareṅge.
Exod UrduGeoR 3:16  Ab jā aur Isrāīl ke buzurgoṅ ko jamā karke un ko batā de ki Rab tumhāre bāpdādā Ibrāhīm, Is'hāq aur Yāqūb kā Ḳhudā mujh par zāhir huā hai. Wuh farmātā hai, ‘Maiṅ ne ḳhūb dekh liyā hai ki Misr meṅ tumhāre sāth kyā sulūk ho rahā hai.
Exod UrduGeoR 3:17  Is lie maiṅ ne faislā kiyā hai ki tumheṅ Misr kī musībat se nikāl kar Kanāniyoṅ, Hittiyoṅ, Amoriyoṅ, Farizziyoṅ, Hiwwiyoṅ aur Yabūsiyoṅ ke mulk meṅ le jāūṅ, aise mulk meṅ jahāṅ dūdh aur shahd kī kasrat hai.’
Exod UrduGeoR 3:18  Buzurg terī suneṅge. Phir un ke sāth Misr ke bādshāh ke pās jā kar us se kahnā, ‘Rab Ibrāniyoṅ kā Ḳhudā ham par zāhir huā hai. Is lie hameṅ ijāzat deṅ ki ham tīn din kā safr karke registān meṅ Rab apne Ḳhudā ke lie qurbāniyāṅ chaṛhāeṅ.’
Exod UrduGeoR 3:19  Lekin mujhe mālūm hai ki Misr kā bādshāh sirf is sūrat meṅ tumheṅ jāne degā ki koī zabardastī tumheṅ le jāe.
Exod UrduGeoR 3:20  Is lie maiṅ apnī qudrat zāhir karke apne mojizoṅ kī mārifat Misriyoṅ ko mārūṅga. Phir wuh tumheṅ jāne degā.
Exod UrduGeoR 3:21  Us waqt maiṅ Misriyoṅ ke diloṅ ko tumhāre lie narm kar dūṅgā. Tumheṅ ḳhālī hāth nahīṅ jānā paṛegā.
Exod UrduGeoR 3:22  Tamām Ibrānī aurateṅ apnī Misrī paṛosanoṅ aur apne ghar meṅ rahne wālī Misrī auratoṅ se chāṅdī aur sone ke zewarāt aur nafīs kapṛe māṅg kar apne bachchoṅ ko pahnāeṅgī. Yoṅ Misriyoṅ ko lūṭ liyā jāegā.”
Chapter 4
Exod UrduGeoR 4:1  Mūsā ne etarāz kiyā, “Lekin Isrāīlī na merī bāt kā yaqīn kareṅge, na merī suneṅge. Wuh to kaheṅge, ‘Rab tum par zāhir nahīṅ huā.’”
Exod UrduGeoR 4:2  Jawāb meṅ Rab ne Mūsā se kahā, “Tū ne hāth meṅ kyā pakaṛā huā hai?” Mūsā ne kahā, “Lāṭhī.”
Exod UrduGeoR 4:3  Rab ne kahā, “Use zamīn par ḍāl de.” Mūsā ne aisā kiyā to lāṭhī sāṅp ban gaī, aur Mūsā ḍar kar bhāgā.
Exod UrduGeoR 4:4  Rab ne kahā, “Ab sāṅp kī dum ko pakaṛ le.” Mūsā ne aisā kiyā to sāṅp phir lāṭhī ban gayā.
Exod UrduGeoR 4:5  Rab ne kahā, “Yih dekh kar logoṅ ko yaqīn āegā ki Rab jo un ke bāpdādā kā Ḳhudā, Ibrāhīm kā Ḳhudā, Is'hāq kā Ḳhudā aur Yāqūb kā Ḳhudā hai tujh par zāhir huā hai.
Exod UrduGeoR 4:6  Ab apnā hāth apne libās meṅ ḍāl de.” Mūsā ne aisā kiyā. Jab us ne apnā hāth nikālā to wuh barf kī mānind safed ho gayā thā. Koṛh jaisī bīmārī lag gaī thī.
Exod UrduGeoR 4:7  Tab Rab ne kahā, “Ab apnā hāth dubārā apne libās meṅ ḍāl.” Mūsā ne aisā kiyā. Jab us ne apnā hāth dubārā nikālā to wuh phir sehhatmand thā.
Exod UrduGeoR 4:8  Rab ne kahā, “Agar logoṅ ko pahlā mojizā dekh kar yaqīn na āe aur wuh terī na suneṅ to shāyad unheṅ dūsrā mojizā dekh kar yaqīn āe.
Exod UrduGeoR 4:9  Agar unheṅ phir bhī yaqīn na āe aur wuh terī na suneṅ to Dariyā-e-Nīl se kuchh pānī nikāl kar use ḳhushk zamīn par unḍel de. Yih pānī zamīn par girte hī ḳhūn ban jāegā.”
Exod UrduGeoR 4:10  Lekin Mūsā ne kahā, “Mere āqā, maiṅ māzarat chāhtā hūṅ, maiṅ achchhī tarah bāt nahīṅ kar saktā balki maiṅ kabhī bhī yih liyāqat nahīṅ rakhtā thā. Is waqt bhī jab maiṅ tujh se bāt kar rahā hūṅ merī yihī hālat hai. Maiṅ ruk ruk kar boltā hūṅ.”
Exod UrduGeoR 4:11  Rab ne kahā, “Kis ne insān kā muṅh banāyā? Kaun ek ko gūṅgā aur dūsre ko bahrā banā detā hai? Kaun ek ko deḳhne kī qābiliyat detā hai aur dūsre ko is se mahrūm rakhtā hai? Kyā maiṅ jo Rab hūṅ yih sab kuchh nahīṅ kartā?
Exod UrduGeoR 4:12  Ab jā! Tere bolte waqt maiṅ ḳhud tere sāth hūṅgā aur tujhe wuh kuchh sikhāūṅgā jo tujhe kahnā hai.”
Exod UrduGeoR 4:13  Lekin Mūsā ne iltijā kī, “Mere āqā, mehrbānī karke kisī aur ko bhej de.”
Exod UrduGeoR 4:14  Tab Rab Mūsā se saḳht ḳhafā huā. Us ne kahā, “Kyā terā Lāwī bhāī Hārūn aise kām ke lie hāzir nahīṅ hai? Maiṅ jāntā hūṅ ki wuh achchhī tarah bol saktā hai. Dekh, wuh tujh se milne ke lie nikal chukā hai. Tujhe dekh kar wuh nihāyat ḳhush hogā.
Exod UrduGeoR 4:15  Use wuh kuchh batā jo use kahnā hai. Tumhāre bolte waqt maiṅ tere aur us ke sāth hūṅgā aur tumheṅ wuh kuchh sikhāūṅgā jo tumheṅ karnā hogā.
Exod UrduGeoR 4:16  Hārūn terī jagah qaum se bāt karegā jabki tū merī tarah use wuh kuchh batāegā jo use kahnā hai.
Exod UrduGeoR 4:17  Lekin yih lāṭhī bhī sāth le jānā, kyoṅki isī ke zariye tū yih mojize karegā.”
Exod UrduGeoR 4:18  Phir Mūsā apne susar Yitro ke ghar wāpas chalā gayā. Us ne kahā, “Mujhe zarā apne azīzoṅ ke pās wāpas jāne deṅ jo Misr meṅ haiṅ. Maiṅ mālūm karnā chāhtā hūṅ ki wuh abhī tak zindā haiṅ ki nahīṅ.” Yitro ne jawāb diyā, “Ṭhīk hai, salāmatī se jāeṅ.”
Exod UrduGeoR 4:19  Mūsā abhī Midiyān meṅ thā ki Rab ne us se kahā, “Misr ko wāpas chalā jā, kyoṅki jo ādmī tujhe qatl karnā chāhte the wuh mar gae haiṅ.”
Exod UrduGeoR 4:20  Chunāṅche Mūsā apnī bīwī aur beṭoṅ ko gadhe par sawār karke Misr ko lauṭne lagā. Allāh kī lāṭhī us ke hāth meṅ thī.
Exod UrduGeoR 4:21  Rab ne us se yih bhī kahā, “Misr jā kar Firaun ke sāmne wuh tamām mojize dikhā jin kā maiṅ ne tujhe iḳhtiyār diyā hai. Lekin mere kahne par wuh aṛā rahegā. Wuh Isrāīliyoṅ ko jāne kī ijāzat nahīṅ degā.
Exod UrduGeoR 4:22  Us waqt Firaun ko batā denā, ‘Rab farmātā hai ki Isrāīl merā pahlauṭhā hai.
Exod UrduGeoR 4:23  Maiṅ tujhe batā chukā hūṅ ki mere beṭe ko jāne de tāki wuh merī ibādat kare. Agar tū mere beṭe ko jāne se manā kare to maiṅ tere pahlauṭhe ko jān se mār dūṅgā.’”
Exod UrduGeoR 4:24  Ek din jab Mūsā apne ḳhāndān ke sāth rāste meṅ kisī sarāy meṅ ṭhahrā huā thā to Rab ne us par hamlā karke use mār dene kī koshish kī.
Exod UrduGeoR 4:25  Yih dekh kar Saffūrā ne ek tez patthar se apne beṭe kā ḳhatnā kiyā aur kāṭe hue hisse se Mūsā ke pair chhue. Us ne kahā, “Yaqīnan tum mere ḳhūnī dūlhā ho.”
Exod UrduGeoR 4:26  Tab Allāh ne Mūsā ko chhoṛ diyā. Saffūrā ne use ḳhatne ke bāis hī ‘Ḳhūnī Dūlhā’ kahā thā.
Exod UrduGeoR 4:27  Rab ne Hārūn se bhī bāt kī, “Registān meṅ Mūsā se milne jā.” Hārūn chal paṛā aur Allāh ke pahāṛ ke pās Mūsā se milā. Us ne use bosā diyā.
Exod UrduGeoR 4:28  Mūsā ne Hārūn ko sab kuchh sunā diyā jo Rab ne use kahne ke lie bhejā thā. Us ne use un mojizoṅ ke bāre meṅ bhī batāyā jo use dikhāne the.
Exod UrduGeoR 4:29  Phir donoṅ mil kar Misr gae. Wahāṅ pahuṅch kar unhoṅ ne Isrāīl ke tamām buzurgoṅ ko jamā kiyā.
Exod UrduGeoR 4:30  Hārūn ne unheṅ wuh tamām bāteṅ sunāīṅ jo Rab ne Mūsā ko batāī thīṅ. Us ne mazkūrā mojize bhī logoṅ ke sāmne dikhāe.
Exod UrduGeoR 4:31  Phir unheṅ yaqīn āyā. Aur jab unhoṅ ne sunā ki Rab ko tumhārā ḳhayāl hai aur wuh tumhārī musībat se āgāh hai to unhoṅ ne Rab ko sijdā kiyā.
Chapter 5
Exod UrduGeoR 5:1  Phir Mūsā aur Hārūn Firaun ke pās gae. Unhoṅ ne kahā, “Rab Isrāīl kā Ḳhudā farmātā hai, ‘Merī qaum ko registān meṅ jāne de tāki wuh mere lie īd manāeṅ.’”
Exod UrduGeoR 5:2  Firaun ne jawāb diyā, “Yih Rab kaun hai? Maiṅ kyoṅ us kā hukm mān kar Isrāīliyoṅ ko jāne dūṅ? Na maiṅ Rab ko jāntā hūṅ, na Isrāīliyoṅ ko jāne dūṅgā.”
Exod UrduGeoR 5:3  Hārūn aur Mūsā ne kahā, “Ibrāniyoṅ kā Ḳhudā ham par zāhir huā hai. Is lie mehrbānī karke hameṅ ijāzat deṅ ki registān meṅ tīn din kā safr karke Rab apne Ḳhudā ke huzūr qurbāniyāṅ pesh kareṅ. Kahīṅ wuh hameṅ kisī bīmārī yā talwār se na māre.”
Exod UrduGeoR 5:4  Lekin Misr ke bādshāh ne inkār kiyā, “Mūsā aur Hārūn, tum logoṅ ko kām se kyoṅ rok rahe ho? Jāo, jo kām ham ne tum ko diyā hai us par lag jāo!
Exod UrduGeoR 5:5  Isrāīlī waise bhī tādād meṅ bahut baṛh gae haiṅ, aur tum unheṅ kām karne se rok rahe ho.”
Exod UrduGeoR 5:6  Usī din Firaun ne Misrī nigarānoṅ aur un ke taht ke Isrāīlī nigarānoṅ ko hukm diyā,
Exod UrduGeoR 5:7  “Ab se Isrāīliyoṅ ko īṅṭeṅ banāne ke lie bhūsā mat denā, balki wuh ḳhud jā kar bhūsā jamā kareṅ.
Exod UrduGeoR 5:8  To bhī wuh utnī hī īṅṭeṅ banāeṅ jitnī pahle banāte the. Wuh sust ho gae haiṅ aur isī lie chīḳh rahe haiṅ ki hameṅ jāne deṅ tāki apne Ḳhudā ko qurbāniyāṅ pesh kareṅ.
Exod UrduGeoR 5:9  Un se aur zyādā saḳht kām karāo, unheṅ kām meṅ lagāe rakho. Un ke pās itnā waqt hī na ho ki wuh jhūṭī bātoṅ par dhyān deṅ.”
Exod UrduGeoR 5:10  Misrī nigarān aur un ke taht ke Isrāīlī nigarānoṅ ne logoṅ ke pās jā kar un se kahā, “Firaun kā hukm hai ki tumheṅ bhūsā na diyā jāe.
Exod UrduGeoR 5:11  Is lie ḳhud jāo aur bhūsā ḍhūnḍ kar jamā karo. Lekin ḳhabardār! Utnī hī īṅṭeṅ banāo jitnī pahle banāte the.”
Exod UrduGeoR 5:12  Yih sun kar Isrāīlī bhūsā jamā karne ke lie pūre mulk meṅ phail gae.
Exod UrduGeoR 5:13  Misrī nigarān yih kah kar un par dabāw ḍālte rahe ki utnī īṅṭeṅ banāo jitnī pahle banāte the.
Exod UrduGeoR 5:14  Jo Isrāīlī nigarān unhoṅ ne muqarrar kie the unheṅ wuh pīṭte aur kahte rahe, “Tum ne kal aur āj utnī īṅṭeṅ kyoṅ nahīṅ banwāīṅ jitnī pahle banwāte the?”
Exod UrduGeoR 5:15  Phir Isrāīlī nigarān Firaun ke pās gae. Unhoṅ ne shikāyat karke kahā, “Āp apne ḳhādimoṅ ke sāth aisā sulūk kyoṅ kar rahe haiṅ?
Exod UrduGeoR 5:16  Hameṅ bhūsā nahīṅ diyā jā rahā aur sāth sāth yih kahā gayā hai ki utnī īṅṭeṅ banāo jitnī pahle banāte the. Natīje meṅ hameṅ mārā-pīṭā bhī jā rahā hai hālāṅki aisā karne meṅ āp ke apne log ġhaltī par haiṅ.”
Exod UrduGeoR 5:17  Firaun ne jawāb diyā, “Tum log sust ho, tum kām karnā nahīṅ chāhte. Is lie tum yih jagah chhoṛnā aur Rab ko qurbāniyāṅ pesh karnā chāhte ho.
Exod UrduGeoR 5:18  Ab jāo, kām karo. Tumheṅ bhūsā nahīṅ diyā jāegā, lekin ḳhabardār! Utnī hī īṅṭeṅ banāo jitnī pahle banāte the.”
Exod UrduGeoR 5:19  Jab Isrāīlī nigarānoṅ ko batāyā gayā ki īṅṭoṅ kī matlūbā tādād kam na karo to wuh samajh gae ki ham phaṅs gae haiṅ.
Exod UrduGeoR 5:20  Firaun ke mahal se nikal kar un kī mulāqāt Mūsā aur Hārūn se huī jo un ke intazār meṅ the.
Exod UrduGeoR 5:21  Unhoṅ ne Mūsā aur Hārūn se kahā, “Rab ḳhud āp kī adālat kare. Kyoṅki āp ke sabab se Firaun aur us ke mulāzimoṅ ko ham se ghin ātī hai. Āp ne unheṅ hameṅ mār dene kā mauqā de diyā hai.”
Exod UrduGeoR 5:22  Yih sun kar Mūsā Rab ke pās wāpas āyā aur kahā, “Ai āqā, tū ne is qaum se aisā burā sulūk kyoṅ kiyā? Kyā tū ne isī maqsad se mujhe yahāṅ bhejā hai?
Exod UrduGeoR 5:23  Jab se maiṅ ne Firaun ke pās jā kar use terī marzī batāī hai wuh Isrāīlī qaum se burā sulūk kar rahā hai. Aur tū ne ab tak unheṅ bachāne kā koī qadam nahīṅ uṭhāyā.”
Chapter 6
Exod UrduGeoR 6:1  Rab ne jawāb diyā, “Ab tū dekhegā ki maiṅ Firaun ke sāth kyā kuchh kartā hūṅ. Merī azīm qudrat kā tajrabā karke wuh mere logoṅ ko jāne degā balki unheṅ jāne par majbūr karegā.”
Exod UrduGeoR 6:2  Allāh ne Mūsā se yih bhī kahā, “Maiṅ Rab hūṅ.
Exod UrduGeoR 6:3  Maiṅ Ibrāhīm, Is'hāq aur Yāqūb par zāhir huā. Wuh mere nām Allāh Qādir-e-mutlaq se wāqif hue, lekin maiṅ ne un par apne nām Rab kā inkishāf nahīṅ kiyā.
Exod UrduGeoR 6:4  Maiṅ ne un se ahd karke wādā kiyā ki unheṅ Mulk-e-Kanān dūṅgā jis meṅ wuh ajnabī ke taur par rahte the.
Exod UrduGeoR 6:5  Ab maiṅ ne sunā hai ki Isrāīlī kis tarah Misriyoṅ kī ġhulāmī meṅ karāh rahe haiṅ, aur maiṅ ne apnā ahd yād kiyā hai.
Exod UrduGeoR 6:6  Chunāṅche Isrāīliyoṅ ko batānā, ‘Maiṅ Rab hūṅ. Maiṅ tumheṅ Misriyoṅ ke jue se āzād karūṅga aur un kī ġhulāmī se bachāūṅgā. Maiṅ baṛī qudrat ke sāth tumheṅ chhuṛāūṅgā aur un kī adālat karūṅga.
Exod UrduGeoR 6:7  Maiṅ tumheṅ apnī qaum banāūṅgā aur tumhārā Ḳhudā hūṅgā. Tab tum jān loge ki maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ jis ne tumheṅ Misriyoṅ ke jue se āzād kar diyā hai.
Exod UrduGeoR 6:8  Maiṅ tumheṅ us mulk meṅ le jāūṅgā jis kā wādā maiṅ ne qasam khā kar Ibrāhīm, Is'hāq aur Yāqūb se kiyā hai. Wuh mulk tumhārī apnī milkiyat hogā. Maiṅ Rab hūṅ.’”
Exod UrduGeoR 6:9  Mūsā ne yih sab kuchh Isrāīliyoṅ ko batā diyā, lekin unhoṅ ne us kī bāt na mānī, kyoṅki wuh saḳht kām ke bāis himmat hār gae the.
Exod UrduGeoR 6:11  “Jā, Misr ke bādshāh Firaun ko batā denā ki Isrāīliyoṅ ko apne mulk se jāne de.”
Exod UrduGeoR 6:12  Lekin Mūsā ne etarāz kiyā, “Isrāīlī merī bāt sunanā nahīṅ chāhte to Firaun kyoṅ merī bāt māne jabki maiṅ ruk ruk kar boltā hūṅ?”
Exod UrduGeoR 6:13  Lekin Rab ne Mūsā aur Hārūn ko hukm diyā, “Isrāīliyoṅ aur Misr ke bādshāh Firaun se bāt karke Isrāīliyoṅ ko Misr se nikālo.”
Exod UrduGeoR 6:14  Isrāīl ke ābāī gharānoṅ ke sarbarāh yih the: Isrāīl ke pahlauṭhe Rūbin ke chār beṭe Hanūk, Fallū, Hasron aur Karmī the. In se Rūbin kī chār shāḳheṅ niklīṅ.
Exod UrduGeoR 6:15  Shamāūn ke pāṅch beṭe Yamuel, Yamīn, Uhad, Yakīn, Suhar aur Sāūl the. (Sāūl Kanānī aurat kā bachchā thā.) In se Shamāūn kī pāṅch shāḳheṅ niklīṅ.
Exod UrduGeoR 6:16  Lāwī ke tīn beṭe Jairson, Qihāt aur Mirārī the. (Lāwī 137 sāl kī umr meṅ faut huā.)
Exod UrduGeoR 6:17  Jairson ke do beṭe Libnī aur Simaī the. In se Jairson kī do shāḳheṅ niklīṅ.
Exod UrduGeoR 6:18  Qihāt ke chār beṭe Amrām, Izhār, Habrūn aur Uzziyel the. (Qihāt 133 sāl kī umr meṅ faut huā.)
Exod UrduGeoR 6:19  Mirārī ke do beṭe Mahlī aur Mūshī the. In sab se Lāwī kī muḳhtalif shāḳheṅ niklīṅ.
Exod UrduGeoR 6:20  Amrām ne apnī phūphī Yūkabid se shādī kī. Un ke do beṭe Hārūn aur Mūsā paidā hue. (Amrām 137 sāl kī umr meṅ faut huā.)
Exod UrduGeoR 6:21  Izhār ke tīn beṭe Qorah, Nafaj aur Zikrī the.
Exod UrduGeoR 6:22  Uzziyel ke tīn beṭe Mīsāel, Ilsafan aur Sitrī the.
Exod UrduGeoR 6:23  Hārūn ne Ilīsibā se shādī kī. (Ilīsibā Ammīnadāb kī beṭī aur Nahson kī bahan thī.) Un ke chār beṭe Nadab, Abīhū, Iliyazar aur Itamar the.
Exod UrduGeoR 6:24  Qorah ke tīn beṭe Assīr, Ilqānā aur Abiyāsaf the. Un se Qorahiyoṅ kī tīn shāḳheṅ niklīṅ.
Exod UrduGeoR 6:25  Hārūn ke beṭe Iliyazar ne Fūtiyel kī ek beṭī se shādī kī. Un kā ek beṭā Fīnhās thā. Yih sab Lāwī ke ābāī gharānoṅ ke sarbarāh the.
Exod UrduGeoR 6:26  Rab ne Amrām ke do beṭoṅ Hārūn aur Mūsā ko hukm diyā ki merī qaum ko us ke ḳhāndānoṅ kī tartīb ke mutābiq Misr se nikālo.
Exod UrduGeoR 6:27  Inhīṅ do ādmiyoṅ ne Misr ke bādshāh Firaun se bāt kī ki Isrāīliyoṅ ko Misr se jāne de.
Exod UrduGeoR 6:29  “Maiṅ Rab hūṅ. Misr ke bādshāh ko wuh sab kuchh batā denā jo maiṅ tujhe batātā hūṅ.”
Exod UrduGeoR 6:30  Mūsā ne etarāz kiyā, “Maiṅ to ruk ruk kar boltā hūṅ. Firaun kis tarah merī bāt mānegā.”
Chapter 7
Exod UrduGeoR 7:1  Lekin Rab ne kahā, “Dekh, mere kahne par tū Firaun ke lie Allāh kī haisiyat rakhegā aur terā bhāī Hārūn terā paiġhambar hogā.
Exod UrduGeoR 7:2  Jo bhī hukm maiṅ tujhe dūṅgā use tū Hārūn ko batā de. Phir wuh sab kuchh Firaun ko batāe tāki wuh Isrāīliyoṅ ko apne mulk se jāne de.
Exod UrduGeoR 7:3  Lekin maiṅ Firaun ko aṛ jāne dūṅgā. Agarche maiṅ Misr meṅ bahut-se nishānoṅ aur mojizoṅ se apnī qudrat kā muzāharā karūṅga
Exod UrduGeoR 7:4  to bhī Firaun tumhārī nahīṅ sunegā. Tab Misriyoṅ par merā hāth bhārī ho jāegā, aur maiṅ un ko saḳht sazā de kar apnī qaum Isrāīl ko ḳhāndānoṅ kī tartīb ke mutābiq Misr se nikāl lāūṅgā.
Exod UrduGeoR 7:5  Jab maiṅ Misr ke ḳhilāf apnī qudrat kā izhār karke Isrāīliyoṅ ko wahāṅ se nikālūṅgā to Misrī jān leṅge ki maiṅ Rab hūṅ.”
Exod UrduGeoR 7:6  Mūsā aur Hārūn ne sab kuchh waisā hī kiyā jaisā Rab ne unheṅ hukm diyā.
Exod UrduGeoR 7:7  Firaun se bāt karte waqt Mūsā 80 sāl kā aur Hārūn 83 sāl kā thā.
Exod UrduGeoR 7:9  “Jab Firaun tumheṅ mojizā dikhāne ko kahegā to Mūsā Hārūn se kahe ki apnī lāṭhī zamīn par ḍāl de. Is par wuh sāṅp ban jāegī.”
Exod UrduGeoR 7:10  Mūsā aur Hārūn ne Firaun ke pās jā kar aisā hī kiyā. Hārūn ne apnī lāṭhī Firaun aur us ke ohdedāroṅ ke sāmne ḍāl dī to wuh sāṅp ban gaī.
Exod UrduGeoR 7:11  Yih dekh kar Firaun ne apne ālimoṅ aur jādūgaroṅ ko bulāyā. Jādūgaroṅ ne bhī apne jādū se aisā hī kiyā.
Exod UrduGeoR 7:12  Har ek ne apnī lāṭhī zamīn par phaiṅkī to wuh sāṅp ban gaī. Lekin Hārūn kī lāṭhī ne un kī lāṭhiyoṅ ko nigal liyā.
Exod UrduGeoR 7:13  Tāham Firaun is se muta'assir na huā. Us ne Mūsā aur Hārūn kī bāt sunane se inkār kiyā. Waisā hī huā jaisā Rab ne kahā thā.
Exod UrduGeoR 7:14  Phir Rab ne Mūsā se kahā, “Firaun aṛ gayā hai. Wuh merī qaum ko Misr chhoṛne se roktā hai.
Exod UrduGeoR 7:15  Kal subah-sawere jab wuh Dariyā-e-Nīl par āegā to us se milne ke lie dariyā ke kināre par khaṛe ho jānā. Us lāṭhī ko thāme rakhnā jo sāṅp ban gaī thī.
Exod UrduGeoR 7:16  Jab wuh wahāṅ pahuṅche to us se kahnā, ‘Rab Ibrāniyoṅ ke Ḳhudā ne mujhe āp ko yih batāne ke lie bhejā hai ki merī qaum ko merī ibādat karne ke lie registān meṅ jāne de. Lekin āp ne abhī tak us kī nahīṅ sunī.
Exod UrduGeoR 7:17  Chunāṅche ab āp jān leṅge ki wuh Rab hai. Maiṅ is lāṭhī ko jo mere hāth meṅ hai le kar Dariyā-e-Nīl ke pānī ko mārūṅga. Phir wuh ḳhūn meṅ badal jāegā.
Exod UrduGeoR 7:18  Dariyā-e-Nīl kī machhliyāṅ mar jāeṅgī, dariyā se badbū uṭhegī aur Misrī dariyā kā pānī nahīṅ pī sakeṅge.’”
Exod UrduGeoR 7:19  Rab ne Mūsā se kahā, “Hārūn ko batā denā ki wuh apnī lāṭhī le kar apnā hāth un tamām jaghoṅ kī taraf baṛhāe jahāṅ pānī jamā hotā hai. Tab Misr kī tamām nadiyoṅ, nahroṅ, johaṛoṅ aur tālāboṅ kā pānī ḳhūn meṅ badal jāegā. Pūre mulk meṅ ḳhūn hī ḳhūn hogā, yahāṅ tak ki lakaṛī aur patthar ke bartanoṅ kā pānī bhī ḳhūn meṅ badal jāegā.”
Exod UrduGeoR 7:20  Chunāṅche Mūsā aur Hārūn ne Firaun aur us ke ohdedāroṅ ke sāmne apnī lāṭhī uṭhā kar Dariyā-e-Nīl ke pānī par mārī. Is par dariyā kā sārā pānī ḳhūn meṅ badal gayā.
Exod UrduGeoR 7:21  Dariyā kī machhliyāṅ mar gaīṅ, aur us se itnī badbū uṭhne lagī ki Misrī us kā pānī na pī sake. Misr meṅ chāroṅ taraf ḳhūn hī ḳhūn thā.
Exod UrduGeoR 7:22  Lekin jādūgaroṅ ne bhī apne jādū ke zariye aisā hī kiyā. Is lie Firaun aṛ gayā aur Mūsā aur Hārūn kī bāt na mānī. Waisā hī huā jaisā Rab ne kahā thā.
Exod UrduGeoR 7:23  Firaun palaṭ kar apne ghar wāpas chalā gayā. Use us kī parwā nahīṅ thī jo Mūsā aur Hārūn ne kiyā thā.
Exod UrduGeoR 7:24  Lekin Misrī dariyā se pānī na pī sake, aur unhoṅ ne pīne kā pānī hāsil karne ke lie dariyā ke kināre kināre gaṛhe khode.
Exod UrduGeoR 7:25  Pānī ke badal jāne ke bād sāt din guzar gae.
Chapter 8
Exod UrduGeoR 8:1  Phir Rab ne Mūsā se kahā, “Firaun ke pās jā kar use batā denā ki Rab farmātā hai, ‘Merī qaum ko merī ibādat karne ke lie jāne de,
Exod UrduGeoR 8:2  warnā maiṅ pūre Misr ko meṅḍakoṅ se sazā dūṅgā.
Exod UrduGeoR 8:3  Dariyā-e-Nīl meṅḍakoṅ se itnā bhar jāegā ki wuh dariyā se nikal kar tere mahal, tere sone ke kamre aur tere bistar meṅ jā ghuseṅge. Wuh tere ohdedāroṅ aur terī riāyā ke gharoṅ meṅ āeṅge balki tere tanūroṅ aur āṭā gūṅdhne ke bartanoṅ meṅ bhī phudakte phireṅge.
Exod UrduGeoR 8:4  Meṅḍak tujh par, terī qaum par aur tere ohdedāroṅ par chaṛh jāeṅge.’”
Exod UrduGeoR 8:5  Rab ne Mūsā se kahā, “Hārūn ko batā denā ki wuh apnī lāṭhī ko hāth meṅ le kar use dariyāoṅ, nahroṅ aur johaṛoṅ ke ūpar uṭhāe tāki meṅḍak bāhar nikal kar Misr ke mulk meṅ phail jāeṅ.”
Exod UrduGeoR 8:6  Hārūn ne Mulk-e-Misr ke pānī ke ūpar apnī lāṭhī uṭhāī to meṅḍakoṅ ke ġhol pānī se nikal kar pūre mulk par chhā gae.
Exod UrduGeoR 8:7  Lekin jādūgaroṅ ne bhī apne jādū se aisā hī kiyā. Wuh bhī dariyā se meṅḍak nikāl lāe.
Exod UrduGeoR 8:8  Firaun ne Mūsā aur Hārūn ko bulā kar kahā, “Rab se duā karo ki wuh mujh se aur merī qaum se meṅḍakoṅ ko dūr kare. Phir maiṅ tumhārī qaum ko jāne dūṅgā tāki wuh Rab ko qurbāniyāṅ pesh kareṅ.”
Exod UrduGeoR 8:9  Mūsā ne jawāb diyā, “Wuh waqt muqarrar kareṅ jab maiṅ āp ke ohdedāroṅ aur āp kī qaum ke lie duā karūṅ. Phir jo meṅḍak āp ke pās aur āp ke gharoṅ meṅ haiṅ usī waqt ḳhatm ho jāeṅge. Meṅḍak sirf dariyā meṅ pāe jāeṅge.”
Exod UrduGeoR 8:10  Firaun ne kahā, “Ṭhīk hai, kal unheṅ ḳhatm karo.” Mūsā ne kahā, “Jaisā āp kahte haiṅ waisā hī hogā. Is tarah āp ko mālūm hogā ki hamāre Ḳhudā kī mānind koī nahīṅ hai.
Exod UrduGeoR 8:11  Meṅḍak āp, āp ke gharoṅ, āp ke ohdedāroṅ aur āp kī qaum ko chhoṛ kar sirf dariyā meṅ rah jāeṅge.”
Exod UrduGeoR 8:12  Mūsā aur Hārūn Firaun ke pās se chale gae. Aur Mūsā ne Rab se minnat kī ki wuh meṅḍakoṅ ke wuh ġhol dūr kare jo us ne Firaun ke ḳhilāf bheje the.
Exod UrduGeoR 8:13  Rab ne us kī duā sunī. Gharoṅ, sahnoṅ aur khetoṅ meṅ meṅḍak mar gae.
Exod UrduGeoR 8:14  Logoṅ ne unheṅ jamā karke un ke ḍher lagā die. Un kī badbū pūre mulk meṅ phail gaī.
Exod UrduGeoR 8:15  Lekin jab Firaun ne dekhā ki maslā hal ho gayā hai to wuh phir akaṛ gayā aur un kī na sunī. Yoṅ Rab kī bāt durust niklī.
Exod UrduGeoR 8:16  Phir Rab ne Mūsā se kahā, “Hārūn se kahnā ki wuh apnī lāṭhī se zamīn kī gard ko māre. Jab wuh aisā karegā to pūre Misr kī gard juoṅ meṅ badal jāegī.”
Exod UrduGeoR 8:17  Unhoṅ ne aisā hī kiyā. Hārūn ne apnī lāṭhī se zamīn kī gard ko mārā to pūre mulk kī gard juoṅ meṅ badal gaī. Un ke ġhol jānwaroṅ aur ādmiyoṅ par chhā gae.
Exod UrduGeoR 8:18  Jādūgaroṅ ne bhī apne jādū se aisā karne kī koshish kī, lekin wuh gard se jueṅ na banā sake. Jueṅ ādmiyoṅ aur jānwaroṅ par chhā gaīṅ.
Exod UrduGeoR 8:19  Jādūgaroṅ ne Firaun se kahā, “Allāh kī qudrat ne yih kiyā hai.” Lekin Firaun ne un kī na sunī. Yoṅ Rab kī bāt durust niklī.
Exod UrduGeoR 8:20  Phir Rab ne Mūsā se kahā, “Jab Firaun subah-sawere dariyā par jāe to tū us ke rāste meṅ khaṛā ho jānā. Use kahnā ki Rab farmātā hai, ‘Merī qaum ko jāne de tāki wuh merī ibādat kar sakeṅ.
Exod UrduGeoR 8:21  Warnā maiṅ tere aur tere ohdedāroṅ ke pās, terī qaum ke pās aur tere gharoṅ meṅ kāṭne wālī makkhiyāṅ bhej dūṅgā. Misriyoṅ ke ghar makkhiyoṅ se bhar jāeṅge balki jis zamīn par wuh khaṛe haiṅ wuh bhī makkhiyoṅ se ḍhāṅkī jāegī.
Exod UrduGeoR 8:22  Lekin us waqt maiṅ apnī qaum ke sāth jo Jushan meṅ rahtī hai farq sulūk karūṅga. Wahāṅ ek bhī kāṭne wālī makkhī nahīṅ hogī. Is tarah tujhe patā lagegā ki is mulk meṅ maiṅ hī Rab hūṅ.
Exod UrduGeoR 8:23  Maiṅ apnī qaum aur terī qaum meṅ imtiyāz karūṅga. Kal hī merī qudrat kā izhār hogā.’”
Exod UrduGeoR 8:24  Rab ne aisā hī kiyā. Kāṭne wālī makkhiyoṅ ke ġhol Firaun ke mahal, us ke ohdedāroṅ ke gharoṅ aur pūre Misr meṅ phail gae. Mulk kā satyānās ho gayā.
Exod UrduGeoR 8:25  Phir Firaun ne Mūsā aur Hārūn ko bulā kar kahā, “Chalo, isī mulk meṅ apne Ḳhudā ko qurbāniyāṅ pesh karo.”
Exod UrduGeoR 8:26  Lekin Mūsā ne kahā, “Yih munāsib nahīṅ hai. Jo qurbāniyāṅ ham Rab apne Ḳhudā ko pesh kareṅge wuh Misriyoṅ kī nazar meṅ ghinaunī haiṅ. Agar ham yahāṅ aisā kareṅ to kyā wuh hameṅ sangsār nahīṅ kareṅge?
Exod UrduGeoR 8:27  Is lie lāzim hai ki ham tīn din kā safr karke registān meṅ hī Rab apne Ḳhudā ko qurbāniyāṅ pesh kareṅ jis tarah us ne hameṅ hukm bhī diyā hai.”
Exod UrduGeoR 8:28  Firaun ne jawāb diyā, “Ṭhīk hai, maiṅ tumheṅ jāne dūṅgā tāki tum registān meṅ Rab apne Ḳhudā ko qurbāniyāṅ pesh karo. Lekin tumheṅ zyādā dūr nahīṅ jānā hai. Aur mere lie bhī duā karnā.”
Exod UrduGeoR 8:29  Mūsā ne kahā, “Ṭhīk, maiṅ jāte hī Rab se duā karūṅga. Kal hī makkhiyāṅ Firaun, us ke ohdedāroṅ aur us kī qaum se dūr ho jāeṅgī. Lekin hameṅ dubārā fareb na denā balki hameṅ jāne denā tāki ham Rab ko qurbāniyāṅ pesh kar sakeṅ.”
Exod UrduGeoR 8:30  Phir Mūsā Firaun ke pās se chalā gayā aur Rab se duā kī.
Exod UrduGeoR 8:31  Rab ne Mūsā kī duā sunī. Kāṭne wālī makkhiyāṅ Firaun, us ke ohdedāroṅ aur us kī qaum se dūr ho gaīṅ. Ek bhī makkhī na rahī.
Exod UrduGeoR 8:32  Lekin Firaun phir akaṛ gayā. Us ne Isrāīliyoṅ ko jāne na diyā.
Chapter 9
Exod UrduGeoR 9:1  Phir Rab ne Mūsā se kahā, “Firaun ke pās jā kar use batā ki Rab Ibrāniyoṅ kā Ḳhudā farmātā hai, ‘Merī qaum ko jāne de tāki wuh merī ibādat kar sakeṅ.’
Exod UrduGeoR 9:2  Agar āp inkār kareṅ aur unheṅ rokte raheṅ
Exod UrduGeoR 9:3  to Rab apnī qudrat kā izhār karke āp ke maweshiyoṅ meṅ bhayānak wabā phailā degā jo āp ke ghoṛoṅ, gadhoṅ, ūṅṭoṅ, gāy-bailoṅ, bheṛ-bakriyoṅ aur menḍhoṅ meṅ phail jāegī.
Exod UrduGeoR 9:4  Lekin Rab Isrāīl aur Misr ke maweshiyoṅ meṅ imtiyāz karegā. Isrāīliyoṅ kā ek bhī jānwar nahīṅ maregā.
Exod UrduGeoR 9:5  Rab ne faislā kar liyā hai ki wuh kal hī aisā karegā.”
Exod UrduGeoR 9:6  Agle din Rab ne aisā hī kiyā. Misr ke tamām maweshī mar gae. Lekin Isrāīliyoṅ kā ek bhī jānwar na marā.
Exod UrduGeoR 9:7  Firaun ne kuchh logoṅ ko un ke pās bhej diyā to patā chalā ki ek bhī jānwar nahīṅ marā. Tāham Firaun aṛā rahā. Us ne Isrāīliyoṅ ko jāne na diyā.
Exod UrduGeoR 9:8  Phir Rab ne Mūsā aur Hārūn se kahā, “Apnī muṭṭhiyāṅ kisī bhaṭṭī kī rākh se bhar kar Firaun ke pās jāo. Phir Mūsā Firaun ke sāmne yih rākh hawā meṅ uṛā de.
Exod UrduGeoR 9:9  Yih rākh bārīk dhūl kā bādal ban jāegī jo pūre mulk par chhā jāegā. Us ke asar se logoṅ aur jānwaroṅ ke jismoṅ par phoṛe-phuṅsiyāṅ phūṭ nikleṅge.”
Exod UrduGeoR 9:10  Mūsā aur Hārūn ne aisā hī kiyā. Wuh kisī bhaṭṭī se rākh le kar Firaun ke sāmne khaṛe ho gae. Mūsā ne rākh ko hawā meṅ uṛā diyā to insānoṅ aur jānwaroṅ ke jismoṅ par phoṛe-phuṅsiyāṅ nikal āe.
Exod UrduGeoR 9:11  Is martabā jādūgar Mūsā ke sāmne khaṛe bhī na ho sake kyoṅki un ke jismoṅ par bhī phoṛe nikal āe the. Tamām Misriyoṅ kā yihī hāl thā.
Exod UrduGeoR 9:12  Lekin Rab ne Firaun ko ziddī banāe rakhā, is lie us ne Mūsā aur Hārūn kī na sunī. Yoṅ waisā hī huā jaisā Rab ne Mūsā ko batāyā thā.
Exod UrduGeoR 9:13  Is ke bād Rab ne Mūsā se kahā, “Subah-sawere uṭh aur Firaun ke sāmne khaṛe ho kar use batā ki Rab Ibrāniyoṅ kā Ḳhudā farmātā hai, ‘Merī qaum ko jāne de tāki wuh merī ibādat kar sakeṅ.
Exod UrduGeoR 9:14  Warnā maiṅ apnī tamām āfateṅ tujh par, tere ohdedāroṅ par aur terī qaum par āne dūṅgā. Phir tū jān legā ki tamām duniyā meṅ mujh jaisā koī nahīṅ hai.
Exod UrduGeoR 9:15  Agar maiṅ chāhtā to apnī qudrat se aisī wabā phailā saktā ki tujhe aur terī qaum ko duniyā se miṭā diyā jātā.
Exod UrduGeoR 9:16  Lekin maiṅ ne tujhe is lie barpā kiyā hai ki tujh par apnī qudrat kā izhār karūṅ aur yoṅ tamām duniyā meṅ mere nām kā prachār kiyā jāe.
Exod UrduGeoR 9:17  Tū abhī tak apne āp ko sarfarāz karke merī qaum ke ḳhilāf hai aur unheṅ jāne nahīṅ detā.
Exod UrduGeoR 9:18  Is lie kal maiṅ isī waqt bhayānak qism ke oloṅ kā tūfān bhej dūṅgā. Misrī qaum kī ibtidā se le kar āj tak Misr meṅ oloṅ kā aisā tūfān kabhī nahīṅ āyā hogā.
Exod UrduGeoR 9:19  Apne bandoṅ ko abhī bhejnā tāki wuh tere maweshiyoṅ ko aur khetoṅ meṅ paṛe tere māl ko lā kar mahfūz kar leṅ. Kyoṅki jo bhī khule maidān meṅ rahegā wuh oloṅ se mar jāegā, ḳhāh insān ho yā haiwān.’”
Exod UrduGeoR 9:20  Firaun ke kuchh ohdedār Rab kā paiġhām sun kar ḍar gae aur bhāg kar apne jānwaroṅ aur ġhulāmoṅ ko gharoṅ meṅ le āe.
Exod UrduGeoR 9:21  Lekin dūsroṅ ne Rab ke paiġhām kī parwā na kī. Un ke jānwar aur ġhulām bāhar khule maidān meṅ rahe.
Exod UrduGeoR 9:22  Rab ne Mūsā se kahā, “Apnā hāth āsmān kī taraf baṛhā de. Phir Misr ke tamām insānoṅ, jānwaroṅ aur khetoṅ ke paudoṅ par ole paṛeṅge.”
Exod UrduGeoR 9:23  Mūsā ne apnī lāṭhī āsmān kī taraf uṭhāī to Rab ne ek zabardast tūfān bhej diyā. Ole paṛe, bijlī girī aur bādal garajte rahe.
Exod UrduGeoR 9:24  Ole paṛte rahe aur bijlī chamaktī rahī. Misrī qaum kī ibtidā se le kar ab tak aise ḳhatarnāk ole kabhī nahīṅ paṛe the.
Exod UrduGeoR 9:25  Insānoṅ se le kar haiwānoṅ tak khetoṅ meṅ sab kuchh barbād ho gayā. Oloṅ ne khetoṅ meṅ tamām paude aur daraḳht bhī toṛ die.
Exod UrduGeoR 9:26  Wuh sirf Jushan ke ilāqe meṅ na paṛe jahāṅ Isrāīlī ābād the.
Exod UrduGeoR 9:27  Tab Firaun ne Mūsā aur Hārūn ko bulāyā. Us ne kahā, “Is martabā maiṅ ne gunāh kiyā hai. Rab haq par hai. Mujh se aur merī qaum se ġhaltī huī hai.
Exod UrduGeoR 9:28  Ole aur Allāh kī garajtī āwāzeṅ had se zyādā haiṅ. Rab se duā karo tāki ole ruk jāeṅ. Ab maiṅ tumheṅ jāne dūṅgā. Ab se tumheṅ yahāṅ rahnā nahīṅ paṛegā.”
Exod UrduGeoR 9:29  Mūsā ne Firaun se kahā, “Maiṅ shahr se nikal kar donoṅ hāth Rab kī taraf uṭhā kar duā karūṅga. Phir garaj aur ole ruk jāeṅge aur āp jān leṅge ki pūrī duniyā Rab kī hai.
Exod UrduGeoR 9:30  Lekin maiṅ jāntā hūṅ ki āp aur āp ke ohdedār abhī tak Rab Ḳhudā kā ḳhauf nahīṅ mānte.”
Exod UrduGeoR 9:31  Us waqt san ke phūl nikal chuke the aur jau kī bāleṅ lag gaī thīṅ. Is lie yih fasleṅ tabāh ho gaīṅ.
Exod UrduGeoR 9:32  Lekin gehūṅ aur ek aur qism kī gandum jo bād meṅ paktī hai barbād na huī.
Exod UrduGeoR 9:33  Mūsā Firaun ko chhoṛ kar shahr se niklā. Us ne Rab kī taraf apne hāth uṭhāe to garaj, ole aur bārish kā tūfān ruk gayā.
Exod UrduGeoR 9:34  Jab Firaun ne dekhā ki tūfān ḳhatm ho gayā hai to wuh aur us ke ohdedār dubārā gunāh karke akaṛ gae.
Exod UrduGeoR 9:35  Firaun aṛā rahā aur Isrāīliyoṅ ko jāne na diyā. Waisā hī huā jaisā Rab ne Mūsā se kahā thā.
Chapter 10
Exod UrduGeoR 10:1  Phir Rab ne Mūsā se kahā, “Firaun ke pās jā, kyoṅki maiṅ ne us kā aur us ke darbāriyoṅ kā dil saḳht kar diyā hai tāki un ke darmiyān apne mojizoṅ aur apnī qudrat kā izhār kar sakūṅ
Exod UrduGeoR 10:2  aur tum apne beṭe-beṭiyoṅ aur pote-potiyoṅ ko sunā sako ki maiṅ ne Misriyoṅ ke sāth kyā sulūk kiyā hai aur un ke darmiyān kis tarah ke mojize karke apnī qudrat kā izhār kiyā hai. Yoṅ tum jān loge ki maiṅ Rab hūṅ.”
Exod UrduGeoR 10:3  Mūsā aur Hārūn Firaun ke pās gae. Unhoṅ ne us se kahā, “Rab Ibrāniyoṅ ke Ḳhudā kā farmān hai, ‘Tū kab tak mere sāmne hathiyār ḍālne se inkār karegā? Merī qaum ko merī ibādat karne ke lie jāne de,
Exod UrduGeoR 10:4  warnā maiṅ kal tere mulk meṅ ṭiḍḍiyāṅ lāūṅgā.
Exod UrduGeoR 10:5  Un ke ġhol zamīn par yoṅ chhā jāeṅge ki zamīn nazar hī nahīṅ āegī. Jo kuchh oloṅ ne tabāh nahīṅ kiyā use wuh chaṭ kar jāeṅgī. Bache hue daraḳhtoṅ ke patte bhī ḳhatm ho jāeṅge.
Exod UrduGeoR 10:6  Tere mahal, tere ohdedāroṅ aur bāqī logoṅ ke ghar un se bhar jāeṅge. Jab se Misrī is mulk meṅ ābād hue haiṅ tum ne kabhī ṭiḍḍiyoṅ kā aisā saḳht hamlā nahīṅ dekhā hogā.’” Yih kah kar Mūsā palaṭ kar wahāṅ se chalā gayā.
Exod UrduGeoR 10:7  Is par darbāriyoṅ ne Firaun se bāt kī, “Ham kab tak is mard ke jāl meṅ phaṅse raheṅ? Isrāīliyoṅ ko Rab apne Ḳhudā kī ibādat karne ke lie jāne deṅ. Kyā āp ko abhī tak mālūm nahīṅ ki Misr barbād ho gayā hai?”
Exod UrduGeoR 10:8  Tab Mūsā aur Hārūn ko Firaun ke pās bulāyā gayā. Us ne un se kahā, “Jāo, apne Ḳhudā kī ibādat karo. Lekin yih batāo ki kaun kaun sāth jāegā?”
Exod UrduGeoR 10:9  Mūsā ne jawāb diyā, “Hamāre jawān aur būṛhe sāth jāeṅge. Ham apne beṭe-beṭiyoṅ, bheṛ-bakriyoṅ aur gāy-bailoṅ ko bhī sāth le kar jāeṅge. Ham sab ke sab jāeṅge, kyoṅki hameṅ Rab kī Īd manānī hai.”
Exod UrduGeoR 10:10  Firaun ne tanzan kahā, “Ṭhīk hai, jāo aur Rab tumhāre sāth ho. Nahīṅ, maiṅ kis tarah tum sab ko bāl-bachchoṅ samet jāne de saktā hūṅ? Tum ne koī burā mansūbā banāyā hai.
Exod UrduGeoR 10:11  Nahīṅ, sirf mard jā kar Rab kī ibādat kar sakte haiṅ. Tum ne to yihī darḳhāst kī thī.” Tab Mūsā aur Hārūn ko Firaun ke sāmne se nikāl diyā gayā.
Exod UrduGeoR 10:12  Phir Rab ne Mūsā se kahā, “Misr par apnā hāth uṭhā tāki ṭiḍḍiyāṅ ā kar Misr kī sarzamīn par phail jāeṅ. Jo kuchh bhī khetoṅ meṅ oloṅ se bach gayā hai use wuh khā jāeṅgī.”
Exod UrduGeoR 10:13  Mūsā ne apnī lāṭhī Misr par uṭhāī to Rab ne mashriq se āṅdhī chalāī jo sārā din aur sārī rāt chaltī rahī aur aglī subah tak Misr meṅ ṭiḍḍiyāṅ pahuṅchāīṅ.
Exod UrduGeoR 10:14  Beshumār ṭiḍḍiyāṅ pūre mulk par hamlā karke har jagah baiṭh gaīṅ. Is se pahle yā bād meṅ kabhī bhī ṭiḍḍiyoṅ kā itnā saḳht hamlā na huā thā.
Exod UrduGeoR 10:15  Unhoṅ ne zamīn ko yoṅ ḍhāṅk liyā ki wuh kālī nazar āne lagī. Jo kuchh bhī oloṅ se bach gayā thā chāhe khetoṅ ke paude yā daraḳhtoṅ ke phal the unhoṅ ne khā liyā. Misr meṅ ek bhī daraḳht yā paudā na rahā jis ke patte bach gae hoṅ.
Exod UrduGeoR 10:16  Tab Firaun ne Mūsā aur Hārūn ko jaldī se bulwāyā. Us ne kahā, “Maiṅ ne tumhāre Ḳhudā kā aur tumhārā gunāh kiyā hai.
Exod UrduGeoR 10:17  Ab ek aur martabā merā gunāh muāf karo aur Rab apne Ḳhudā se duā karo tāki maut kī yih hālat mujh se dūr ho jāe.”
Exod UrduGeoR 10:19  Jawāb meṅ Rab ne hawā kā ruḳh badal diyā. Us ne maġhrib se tez āṅdhī chalāī jis ne ṭiḍḍiyoṅ ko uṛā kar Bahr-e-Qulzum meṅ ḍāl diyā. Misr meṅ ek bhī ṭiḍḍī na rahī.
Exod UrduGeoR 10:20  Lekin Rab ne hone diyā ki Firaun phir aṛ gayā. Us ne Isrāīliyoṅ ko jāne na diyā.
Exod UrduGeoR 10:21  Is ke bād Rab ne Mūsā se kahā, “Apnā hāth āsmān kī taraf uṭhā to Misr par andherā chhā jāegā. Itnā andherā hogā ki bandā use chhū sakegā.”
Exod UrduGeoR 10:22  Mūsā ne apnā hāth āsmān kī taraf uṭhāyā to tīn din tak Misr par gahrā andherā chhāyā rahā.
Exod UrduGeoR 10:23  Tīn din tak log na ek dūsre ko dekh sake, na kahīṅ jā sake. Lekin jahāṅ Isrāīlī rahte the wahāṅ raushnī thī.
Exod UrduGeoR 10:24  Tab Firaun ne Mūsā ko phir bulwāyā aur kahā, “Jāo, Rab kī ibādat karo! Tum apne sāth bāl-bachchoṅ ko bhī le jā sakte ho. Sirf apnī bheṛ-bakriyāṅ aur gāy-bail pīchhe chhoṛ denā.”
Exod UrduGeoR 10:25  Mūsā ne jawāb diyā, “Kyā āp hī hameṅ qurbāniyoṅ ke lie jānwar deṅge tāki unheṅ Rab apne Ḳhudā ko pesh kareṅ?
Exod UrduGeoR 10:26  Yaqīnan nahīṅ. Is lie lāzim hai ki ham apne jānwaroṅ ko sāth le kar jāeṅ. Ek khur bhī pīchhe nahīṅ chhoṛā jāegā, kyoṅki abhī tak hameṅ mālūm nahīṅ ki Rab kī ibādat ke lie kin kin jānwaroṅ kī zarūrat hogī. Yih us waqt hī patā chalegā jab ham manzil-e-maqsūd par pahuṅcheṅge. Is lie zarūrī hai ki ham sab ko apne sāth le kar jāeṅ.”
Exod UrduGeoR 10:27  Lekin Rab kī marzī ke mutābiq Firaun aṛ gayā. Us ne unheṅ jāne na diyā.
Exod UrduGeoR 10:28  Us ne Mūsā se kahā, “Dafā ho jā. Ḳhabardār! Phir kabhī apnī shakl na dikhānā, warnā tujhe maut ke hawāle kar diyā jāegā.”
Exod UrduGeoR 10:29  Mūsā ne kahā, “Ṭhīk hai, āp kī marzī. Maiṅ phir kabhī āp ke sāmne nahīṅ āūṅgā.”
Chapter 11
Exod UrduGeoR 11:1  Tab Rab ne Mūsā se kahā, “Ab maiṅ Firaun aur Misr par āḳhirī āfat lāne ko hūṅ. Is ke bād wuh tumheṅ jāne degā balki tumheṅ zabardastī nikāl degā.
Exod UrduGeoR 11:2  Isrāīliyoṅ ko batā denā ki har mard apne paṛosī aur har aurat apnī paṛosan se sone-chāṅdī kī chīzeṅ māṅg le.”
Exod UrduGeoR 11:3  (Rab ne Misriyoṅ ke dil Isrāīliyoṅ kī taraf māyl kar die the. Wuh Firaun ke ohdedāroṅ samet ḳhāskar Mūsā kī baṛī izzat karte the.)
Exod UrduGeoR 11:4  Mūsā ne kahā, “Rab farmātā hai, ‘Āj ādhī rāt ke waqt maiṅ Misr meṅ se guzarūṅga.
Exod UrduGeoR 11:5  Tab bādshāh ke pahlauṭhe se le kar chakkī pīsne wālī naukarānī ke pahlauṭhe tak Misriyoṅ kā har pahlauṭhā mar jāegā. Chaupāiyoṅ ke pahlauṭhe bhī mar jāeṅge.
Exod UrduGeoR 11:6  Misr kī sarzamīn par aisā ronā pīṭnā hogā ki na māzī meṅ kabhī huā, na mustaqbil meṅ kabhī hogā.
Exod UrduGeoR 11:7  Lekin Isrāīlī aur un ke jānwar bache raheṅge. Kuttā bhī un par nahīṅ bhaunkegā. Is tarah tum jān loge ki Rab Isrāīliyoṅ kī nisbat Misriyoṅ se farq sulūk kartā hai.’”
Exod UrduGeoR 11:8  Mūsā ne yih kuchh Firaun ko batāyā phir kahā, “Us waqt āp ke tamām ohdedār ā kar mere sāmne jhuk jāeṅge aur minnat kareṅge, ‘Apne pairokāroṅ ke sāth chale jāeṅ.’ Tab maiṅ chalā hī jāūṅgā.” Yih kah kar Mūsā Firaun ke pās se chalā gayā. Wuh baṛe ġhusse meṅ thā.
Exod UrduGeoR 11:9  Rab ne Mūsā se kahā thā, “Firaun tumhārī nahīṅ sunegā. Kyoṅki lāzim hai ki maiṅ Misr meṅ apnī qudrat kā mazīd izhār karūṅ.”
Exod UrduGeoR 11:10  Go Mūsā aur Hārūn ne Firaun ke sāmne yih tamām mojize dikhāe, lekin Rab ne Firaun ko ziddī banāe rakhā, is lie us ne Isrāīliyoṅ ko mulk chhoṛne na diyā.
Chapter 12
Exod UrduGeoR 12:1  Phir Rab ne Misr meṅ Mūsā aur Hārūn se kahā,
Exod UrduGeoR 12:2  “Ab se yih mahīnā tumhāre lie sāl kā pahlā mahīnā ho.”
Exod UrduGeoR 12:3  Isrāīl kī pūrī jamāt ko batānā ki is mahīne ke dasweṅ din har ḳhāndān kā sarparast apne gharāne ke lie lelā yānī bheṛ yā bakrī kā bachchā hāsil kare.
Exod UrduGeoR 12:4  Agar gharāne ke afrād pūrā jānwar khāne ke lie kam hoṅ to wuh apne sab se qarībī paṛosī ke sāth mil kar lelā hāsil kareṅ. Itne log us meṅ se khāeṅ ki sab ke lie kāfī ho aur pūrā jānwar khāyā jāe.
Exod UrduGeoR 12:5  Is ke lie ek sāl kā nar bachchā chun lenā jis meṅ nuqs na ho. Wuh bheṛ yā bakrī kā bachchā ho saktā hai.
Exod UrduGeoR 12:6  Mahīne ke 14weṅ din tak us kī dekh-bhāl karo. Us din tamām Isrāīlī sūraj ke ġhurūb hote waqt apne lele zabah kareṅ.
Exod UrduGeoR 12:7  Har ḳhāndān apne jānwar kā kuchh ḳhūn jamā karke use us ghar ke darwāze kī chaukhaṭ par lagāe jahāṅ lelā khāyā jāegā. Yih ḳhūn chaukhaṭ ke ūpar wāle hisse aur dāeṅ bāeṅ ke bāzuoṅ par lagāyā jāe.
Exod UrduGeoR 12:8  Lāzim hai ki log jānwar ko bhūn kar usī rāt khāeṅ. Sāth hī wuh kaṛwā sāg-pāt aur beḳhamīrī roṭiyāṅ bhī khāeṅ.
Exod UrduGeoR 12:9  Lele kā gosht kachchā na khānā, na use pānī meṅ ubālnā balki pūre jānwar ko sar, pairoṅ aur andarūnī hissoṅ samet āg par bhūnanā.
Exod UrduGeoR 12:10  Lāzim hai ki pūrā gosht usī rāt khāyā jāe. Agar kuchh subah tak bach jāe to use jalānā hai.
Exod UrduGeoR 12:11  Khānā khāte waqt aisā libās pahnanā jaise tum safr par jā rahe ho. Apne jūte pahne rakhnā aur hāth meṅ safr ke lie lāṭhī lie hue tum use jaldī jaldī khānā. Rab ke Fasah kī Īd yoṅ manānā.
Exod UrduGeoR 12:12  Maiṅ āj rāt Misr meṅ se guzarūṅga aur har pahlauṭhe ko jān se mār dūṅgā, ḳhāh insān kā ho yā haiwān kā. Yoṅ maiṅ jo Rab hūṅ Misr ke tamām dewatāoṅ kī adālat karūṅga.
Exod UrduGeoR 12:13  Lekin tumhāre gharoṅ par lagā huā ḳhūn tumhārā ḳhās nishān hogā. Jis jis ghar ke darwāze par maiṅ wuh ḳhūn dekhūṅgā use chhoṛtā jāūṅgā. Jab maiṅ Misr par hamlā karūṅga to mohlak wabā tum tak nahīṅ pahuṅchegī.
Exod UrduGeoR 12:14  Āj kī rāt ko hameshā yād rakhnā. Ise nasl-dar-nasl aur har sāl Rab kī ḳhās īd ke taur par manānā.
Exod UrduGeoR 12:15  Sāt din tak beḳhamīrī roṭī khānā hai. Pahle din apne gharoṅ se tamām ḳhamīr nikāl denā. Agar koī in sāt dinoṅ ke daurān ḳhamīr khāe to use qaum meṅ se miṭāyā jāe.
Exod UrduGeoR 12:16  Is īd ke pahle aur āḳhirī din muqaddas ijtimā mun'aqid karnā. In tamām dinoṅ ke daurān kām na karnā. Sirf ek kām kī ijāzat hai aur wuh hai apnā khānā taiyār karnā.
Exod UrduGeoR 12:17  Beḳhamīrī Roṭī kī Īd manānā lāzim hai, kyoṅki us din maiṅ tumhāre muta'addid ḳhāndānoṅ ko Misr se nikāl lāyā. Is lie yih din nasl-dar-nasl har sāl yād rakhnā.
Exod UrduGeoR 12:18  Pahle mahīne ke 14weṅ din kī shām se le kar 21weṅ din kī shām tak sirf beḳhamīrī roṭī khānā.
Exod UrduGeoR 12:19  Sāt din tak tumhāre gharoṅ meṅ ḳhamīr na pāyā jāe. Jo bhī is daurān ḳhamīr khāe use Isrāīl kī jamāt meṅ se miṭāyā jāe, ḳhāh wuh Isrāīlī shahrī ho yā ajnabī.
Exod UrduGeoR 12:20  Ġharz, is īd ke daurān ḳhamīr na khānā. Jahāṅ bhī tum rahte ho wahāṅ beḳhamīrī roṭī hī khānā hai.
Exod UrduGeoR 12:21  Phir Mūsā ne tamām Isrāīlī buzurgoṅ ko bulā kar un se kahā, “Jāo, apne ḳhāndānoṅ ke lie bheṛ yā bakrī ke bachche chun kar unheṅ Fasah kī Īd ke lie zabah karo.
Exod UrduGeoR 12:22  Zūfe kā guchchhā le kar use ḳhūn se bhare hue bāsan meṅ ḍubo denā. Phir use le kar ḳhūn ko chaukhaṭ ke ūpar wāle hisse aur dāeṅ bāeṅ ke bāzuoṅ par lagā denā. Subah tak koī apne ghar se na nikle.
Exod UrduGeoR 12:23  Jab Rab Misriyoṅ ko mār ḍālne ke lie mulk meṅ se guzaregā to wuh chaukhaṭ ke ūpar wāle hisse aur dāeṅ bāeṅ ke bāzuoṅ par lagā huā ḳhūn dekh kar un gharoṅ ko chhoṛ degā. Wuh halāk karne wāle farishte ko ijāzat nahīṅ degā ki wuh tumhāre gharoṅ meṅ jā kar tumheṅ halāk kare.
Exod UrduGeoR 12:24  Tum apnī aulād samet hameshā in hidāyāt par amal karnā.
Exod UrduGeoR 12:25  Yih rasm us waqt bhī adā karnā jab tum us mulk meṅ pahuṅchoge jo Rab tumheṅ degā.
Exod UrduGeoR 12:26  Aur jab tumhāre bachche tum se pūchheṅ ki ham yih īd kyoṅ manāte haiṅ
Exod UrduGeoR 12:27  to un se kaho, ‘Yih Fasah kī qurbānī hai jo ham Rab ko pesh karte haiṅ. Kyoṅki jab Rab Misriyoṅ ko halāk kar rahā thā to us ne hamāre gharoṅ ko chhoṛ diyā thā.’” Yih sun kar Isrāīliyoṅ ne Allāh ko sijdā kiyā.
Exod UrduGeoR 12:28  Phir unhoṅ ne sab kuchh waisā hī kiyā jaisā Rab ne Mūsā aur Hārūn ko batāyā thā.
Exod UrduGeoR 12:29  Ādhī rāt ko Rab ne bādshāh ke pahlauṭhe se le kar jel ke qaidī ke pahlauṭhe tak Misriyoṅ ke tamām pahlauṭhoṅ ko jān se mār diyā. Chaupāiyoṅ ke pahlauṭhe bhī mar gae.
Exod UrduGeoR 12:30  Us rāt Misr ke har ghar meṅ koī na koī mar gayā. Firaun, us ke ohdedār aur Misr ke tamām log jāg uṭhe aur zor zor se rone aur chīḳhne lage.
Exod UrduGeoR 12:31  Abhī rāt thī ki Firaun ne Mūsā aur Hārūn ko bulā kar kahā, “Ab tum aur bāqī Isrāīlī merī qaum meṅ se nikal jāo. Apnī darḳhāst ke mutābiq Rab kī ibādat karo.
Exod UrduGeoR 12:32  Jis tarah tum chāhte ho apnī bheṛ-bakriyoṅ ko bhī apne sāth le jāo. Aur mujhe bhī barkat denā.”
Exod UrduGeoR 12:33  Bāqī Misriyoṅ ne bhī Isrāīliyoṅ par zor de kar kahā, “Jaldī jaldī mulk se nikal jāo, warnā ham sab mar jāeṅge.”
Exod UrduGeoR 12:34  Isrāīliyoṅ ke gūṅdhe hue āṭe meṅ ḳhamīr nahīṅ thā. Unhoṅ ne use gūṅdhne ke bartanoṅ meṅ rakh kar apne kapṛoṅ meṅ lapeṭ liyā aur safr karte waqt apne kandhoṅ par rakh liyā.
Exod UrduGeoR 12:35  Isrāīlī Mūsā kī hidāyat par amal karke apne Misrī paṛosiyoṅ ke pās gae aur un se kapṛe aur sone-chāṅdī kī chīzeṅ māṅgīṅ.
Exod UrduGeoR 12:36  Rab ne Misriyoṅ ke diloṅ ko Isrāīliyoṅ kī taraf māyl kar diyā thā, is lie unhoṅ ne un kī har darḳhāst pūrī kī. Yoṅ Isrāīliyoṅ ne Misriyoṅ ko lūṭ liyā.
Exod UrduGeoR 12:37  Isrāīlī Rāmsīs se rawānā ho kar Sukkāt pahuṅch gae. Auratoṅ aur bachchoṅ ko chhoṛ kar un ke 6 lākh mard the.
Exod UrduGeoR 12:38  Wuh apne bheṛ-bakriyoṅ aur gāy-bailoṅ ke baṛe baṛe rewaṛ bhī sāth le gae. Bahut-se aise log bhī un ke sāth nikle jo Isrāīlī nahīṅ the.
Exod UrduGeoR 12:39  Rāste meṅ unhoṅ ne us beḳhamīrī āṭe se roṭiyāṅ banāīṅ jo wuh sāth le kar nikle the. Āṭe meṅ is lie ḳhamīr nahīṅ thā ki unheṅ itnī jaldī se Misr se nikāl diyā gayā thā ki khānā taiyār karne kā waqt hī na milā thā.
Exod UrduGeoR 12:41  430 sāl ke ain bād, usī din Rab ke yih tamām ḳhāndān Misr se nikle.
Exod UrduGeoR 12:42  Us ḳhās rāt Rab ne ḳhud pahrā diyā tāki Isrāīlī Misr se nikal sakeṅ. Is lie tamām Isrāīliyoṅ ke lie lāzim hai ki wuh nasl-dar-nasl is rāt Rab kī tāzīm meṅ jāgte raheṅ, wuh bhī aur un ke bād kī aulād bhī.
Exod UrduGeoR 12:43  Rab ne Mūsā aur Hārūn se kahā, “Fasah kī Īd ke yih usūl haiṅ: Kisī bhī pardesī ko Fasah kī Īd kā khānā khāne kī ijāzat nahīṅ hai.
Exod UrduGeoR 12:44  Agar tum ne kisī ġhulām ko ḳharīd kar us kā ḳhatnā kiyā hai to wuh Fasah kā khānā khā saktā hai.
Exod UrduGeoR 12:45  Lekin ġhairshahrī yā mazdūr ko Fasah kā khānā khāne kī ijāzat nahīṅ hai.
Exod UrduGeoR 12:46  Yih khānā ek hī ghar ke andar khānā hai. Na gosht ghar se bāhar le jānā, na lele kī kisī haḍḍī ko toṛnā.
Exod UrduGeoR 12:47  Lāzim hai ki Isrāīl kī pūrī jamāt yih īd manāe.
Exod UrduGeoR 12:48  Agar koī pardesī tumhāre sāth rahtā hai jo Fasah kī Īd meṅ shirkat karnā chāhe to lāzim hai ki pahle us ke gharāne ke har mard kā ḳhatnā kiyā jāe. Tab wuh Isrāīlī kī tarah khāne meṅ sharīk ho saktā hai. Lekin jis kā ḳhatnā na huā use Fasah kā khānā khāne kī ijāzat nahīṅ hai.
Exod UrduGeoR 12:49  Yihī usūl har ek par lāgū hogā, ḳhāh wuh Isrāīlī ho yā pardesī.”
Exod UrduGeoR 12:50  Tamām Isrāīliyoṅ ne waisā hī kiyā jaisā Rab ne Mūsā aur Hārūn se kahā thā.
Exod UrduGeoR 12:51  Usī din Rab tamām Isrāīliyoṅ ko ḳhāndānoṅ kī tartīb ke mutābiq Misr se nikāl lāyā.
Chapter 13
Exod UrduGeoR 13:2  “Isrāīliyoṅ ke har pahlauṭhe ko mere lie maḳhsūs-o-muqaddas karnā hai. Har pahlā nar bachchā merā hī hai, ḳhāh insān kā ho yā haiwān kā.”
Exod UrduGeoR 13:3  Phir Mūsā ne logoṅ se kahā, “Is din ko yād rakho jab tum Rab kī azīm qudrat ke bāis Misr kī ġhulāmī se nikle. Is din koī chīz na khānā jis meṅ ḳhamīr ho.
Exod UrduGeoR 13:4  Āj hī abīb ke mahīne meṅ tum Misr se rawānā ho rahe ho.
Exod UrduGeoR 13:5  Rab ne tumhāre bāpdādā se qasam khā kar wādā kiyā hai ki wuh tum ko Kanānī, Hittī, Amorī, Hiwwī aur Yabūsī qaumoṅ kā mulk degā, ek aisā mulk jis meṅ dūdh aur shahd kī kasrat hai. Jab Rab tumheṅ us mulk meṅ pahuṅchā degā to lāzim hai ki tum isī mahīne meṅ yih rasm manāo.
Exod UrduGeoR 13:6  Sāt din beḳhamīrī roṭī khāo. Sātweṅ din Rab kī tāzīm meṅ īd manāo.
Exod UrduGeoR 13:7  Sāt din ḳhamīrī roṭī na khānā. Kahīṅ bhī ḳhamīr na pāyā jāe. Pūre mulk meṅ ḳhamīr kā nām-o-nishān tak na ho.
Exod UrduGeoR 13:8  Us din apne beṭe se yih kaho, ‘Maiṅ yih īd us kām kī ḳhushī meṅ manātā hūṅ jo Rab ne mere lie kiyā jab maiṅ Misr se niklā.’
Exod UrduGeoR 13:9  Yih īd tumhāre hāth yā peshānī par nishān kī mānind ho jo tumheṅ yād dilāe ki Rab kī sharīat ko tumhāre hoṅṭoṅ par rahnā hai. Kyoṅki Rab tumheṅ apnī azīm qudrat se Misr se nikāl lāyā.
Exod UrduGeoR 13:10  Is din kī yād har sāl ṭhīk waqt par manānā.
Exod UrduGeoR 13:11  Rab tumheṅ Kanāniyoṅ ke us mulk meṅ le jāegā jis kā wādā us ne qasam khā kar tum aur tumhāre bāpdādā se kiyā hai.
Exod UrduGeoR 13:12  Lāzim hai ki wahāṅ pahuṅch kar tum apne tamām pahlauṭhoṅ ko Rab ke lie maḳhsūs karo. Tumhāre maweshiyoṅ ke tamām pahlauṭhe bhī Rab kī milkiyat haiṅ.
Exod UrduGeoR 13:13  Agar tum apnā pahlauṭhā gadhā ḳhud rakhnā chāho to Rab ko us ke badle bheṛ yā bakrī kā bachchā pesh karo. Lekin agar tum use rakhnā nahīṅ chāhte to us kī gardan toṛ ḍālo. Lekin insān ke pahlauṭhoṅ ke lie har sūrat meṅ ewazī denā hai.
Exod UrduGeoR 13:14  Āne wāle dinoṅ meṅ jab tumhārā beṭā pūchhe ki is kā kyā matlab hai to use jawāb denā, ‘Rab apnī azīm qudrat se hameṅ Misr kī ġhulāmī se nikāl lāyā.
Exod UrduGeoR 13:15  Jab Firaun ne akaṛ kar hameṅ jāne na diyā to Rab ne Misr ke tamām insānoṅ aur haiwānoṅ ke pahlauṭhoṅ ko mār ḍālā. Is wajah se maiṅ apne jānwaroṅ kā har pahlā bachchā Rab ko qurbān kartā aur apne har pahlauṭhe ke lie ewazī detā hūṅ’.
Exod UrduGeoR 13:16  Yih dastūr tumhāre hāth aur peshānī par nishān kī mānind ho jo tumheṅ yād dilāe ki Rab hameṅ apnī qudrat se Misr se nikāl lāyā.”
Exod UrduGeoR 13:17  Jab Firaun ne Isrāīlī qaum ko jāne diyā to Allāh unheṅ Filistiyoṅ ke ilāqe meṅ se guzarne wāle rāste se le kar na gayā, agarche us par chalte hue wuh jald hī Mulk-e-Kanān pahuṅch jāte. Balki Rab ne kahā, “Agar us rāste par chaleṅge to unheṅ dūsroṅ se laṛnā paṛegā. Aisā na ho ki wuh is wajah se apnā irādā badal kar Misr lauṭ jāeṅ.”
Exod UrduGeoR 13:18  Is lie Allāh unheṅ dūsre rāste se le kar gayā, aur wuh registān ke rāste se Bahr-e-Qulzum kī taraf baṛhe. Misr se nikalte waqt mard musallah the.
Exod UrduGeoR 13:19  Mūsā Yūsuf kā tābūt bhī apne sāth le gayā, kyoṅki Yūsuf ne Isrāīliyoṅ ko qasam dilā kar kahā thā, “Allāh yaqīnan tumhārī dekh-bhāl karke wahāṅ le jāegā. Us waqt merī haḍḍiyoṅ ko bhī uṭhā kar sāth le jānā.”
Exod UrduGeoR 13:20  Isrāīliyoṅ ne Sukkāt ko chhoṛ kar Etām meṅ apne ḳhaime lagāe. Etām registān ke kināre par thā.
Exod UrduGeoR 13:21  Rab un ke āge āge chaltā gayā, din ke waqt bādal ke satūn meṅ tāki unheṅ rāste kā patā lage aur rāt ke waqt āg ke satūn meṅ tāki unheṅ raushnī mile. Yoṅ wuh din aur rāt safr kar sakte the.
Exod UrduGeoR 13:22  Din ke waqt bādal kā satūn aur rāt ke waqt āg kā satūn un ke sāmne rahā. Wuh kabhī bhī apnī jagah se na haṭā.
Chapter 14
Exod UrduGeoR 14:2  “Isrāīliyoṅ ko kah denā ki wuh pīchhe muṛ kar Mijdāl aur samundar ke bīch yānī Fī-haḳhīrot ke nazdīk ruk jāeṅ. Wuh Bāl-safon ke muqābil sāhil par apne ḳhaime lagāeṅ.
Exod UrduGeoR 14:3  Yih dekh kar Firaun samjhegā ki Isrāīlī rāstā bhūl kar āwārā phir rahe haiṅ aur ki registān ne chāroṅ taraf unheṅ gher rakhā hai.
Exod UrduGeoR 14:4  Phir maiṅ Firaun ko dubārā aṛ jāne dūṅgā, aur wuh Isrāīliyoṅ kā pīchhā karegā. Lekin maiṅ Firaun aur us kī pūrī fauj par apnā jalāl zāhir karūṅga. Misrī jān leṅge ki maiṅ hī Rab hūṅ.” Isrāīliyoṅ ne aisā hī kiyā.
Exod UrduGeoR 14:5  Jab Misr ke bādshāh ko ittalā dī gaī ki Isrāīlī hijrat kar gae haiṅ to us ne aur us ke darbāriyoṅ ne apnā ḳhayāl badal kar kahā, “Ham ne kyā kiyā hai? Ham ne unheṅ jāne diyā hai, aur ab ham un kī ḳhidmat se mahrūm ho gae haiṅ.”
Exod UrduGeoR 14:6  Chunāṅche bādshāh ne apnā jangī rath taiyār karwāyā aur apnī fauj ko le kar niklā.
Exod UrduGeoR 14:7  Wuh 600 behtarīn qism ke rath aur Misr ke bāqī tamām rathoṅ ko sāth le gayā. Tamām rathoṅ par afsarān muqarrar the.
Exod UrduGeoR 14:8  Rab ne Misr ke bādshāh Firaun ko dubārā aṛ jāne diyā thā, is lie jab Isrāīlī baṛe iḳhtiyār ke sāth nikal rahe the to wuh un kā tāqqub karne lagā.
Exod UrduGeoR 14:9  Isrāīliyoṅ kā pīchhā karte karte Firaun ke tamām ghoṛe, rath, sawār aur faujī un ke qarīb pahuṅche. Isrāīlī Bahr-e-Qulzum ke sāhil par Bāl-safon ke muqābil Fī-haḳhīrot ke nazdīk ḳhaime lagā chuke the.
Exod UrduGeoR 14:10  Jab Isrāīliyoṅ ne Firaun aur us kī fauj ko apnī taraf baṛhte dekhā to wuh saḳht ghabrā gae aur madad ke lie Rab ke sāmne chīḳhne-chillāne lage.
Exod UrduGeoR 14:11  Unhoṅ ne Mūsā se kahā, “Kyā Misr meṅ qabroṅ kī kamī thī ki āp hameṅ registān meṅ le āe haiṅ? Hameṅ Misr se nikāl kar āp ne hamāre sāth kyā kiyā hai?
Exod UrduGeoR 14:12  Kyā ham ne Misr meṅ āp se darḳhāst nahīṅ kī thī ki mehrbānī karke hameṅ chhoṛ deṅ, hameṅ Misriyoṅ kī ḳhidmat karne deṅ? Yahāṅ ā kar registān meṅ mar jāne kī nisbat behtar hotā ki ham Misriyoṅ ke ġhulām rahte.”
Exod UrduGeoR 14:13  Lekin Mūsā ne jawāb diyā, “Mat ghabrāo. Ārām se khaṛe raho aur dekho ki Rab tumheṅ āj kis tarah bachāegā. Āj ke bād tum in Misriyoṅ ko phir kabhī nahīṅ dekhoge.
Exod UrduGeoR 14:14  Rab tumhāre lie laṛegā. Tumheṅ bas, chup rahnā hai.”
Exod UrduGeoR 14:15  Phir Rab ne Mūsā se kahā, “Tū mere sāmne kyoṅ chīḳh rahā hai? Isrāīliyoṅ ko āge baṛhne kā hukm de.
Exod UrduGeoR 14:16  Apnī lāṭhī ko pakaṛ kar use samundar ke ūpar uṭhā to wuh do hissoṅ meṅ baṭ jāegā. Isrāīlī ḳhushk zamīn par samundar meṅ se guzareṅge.
Exod UrduGeoR 14:17  Maiṅ Misriyoṅ ko aṛe rahne dūṅgā tāki wuh Isrāīliyoṅ kā pīchhā kareṅ. Phir maiṅ Firaun, us kī sārī fauj, us ke rathoṅ aur us ke sawāroṅ par apnā jalāl zāhir karūṅga.
Exod UrduGeoR 14:18  Jab maiṅ Firaun, us ke rathoṅ aur us ke sawāroṅ par apnā jalāl zāhir karūṅga to Misrī jān leṅge ki maiṅ hī Rab hūṅ.”
Exod UrduGeoR 14:19  Allāh kā farishtā Isrāīlī lashkar ke āge āge chal rahā thā. Ab wuh wahāṅ se haṭ kar un ke pīchhe khaṛā ho gayā. Bādal kā satūn bhī logoṅ ke āge se haṭ kar un ke pīchhe jā khaṛā huā.
Exod UrduGeoR 14:20  Is tarah bādal Misriyoṅ aur Isrāīliyoṅ ke lashkaroṅ ke darmiyān ā gayā. Pūrī rāt Misriyoṅ kī taraf andherā hī andherā thā jabki Isrāīliyoṅ kī taraf raushnī thī. Is lie Misrī pūrī rāt ke daurān Isrāīliyoṅ ke qarīb na ā sake.
Exod UrduGeoR 14:21  Mūsā ne apnā hāth samundar ke ūpar uṭhāyā to Rab ne mashriq se tez āṅdhī chalāī. Āṅdhī tamām rāt chaltī rahī. Us ne samundar ko pīchhe haṭā kar us kī tah ḳhushk kar dī. Samundar do hissoṅ meṅ baṭ gayā
Exod UrduGeoR 14:22  to Isrāīlī samundar meṅ se ḳhushk zamīn par chalte hue guzar gae. Un ke dāīṅ aur bāīṅ taraf pānī dīwār kī tarah khaṛā rahā.
Exod UrduGeoR 14:23  Jab Misriyoṅ ko patā chalā to Firaun ke tamām ghoṛe, rath aur ghuṛsawār bhī un ke pīchhe pīchhe samundar meṅ chale gae.
Exod UrduGeoR 14:24  Subah-sawere hī Rab ne bādal aur āg ke satūn se Misr kī fauj par nigāh kī aur us meṅ abtarī paidā kar dī.
Exod UrduGeoR 14:25  Un ke rathoṅ ke pahie nikal gae to un par qābū pānā mushkil ho gayā. Misriyoṅ ne kahā, “Āo, ham Isrāīliyoṅ se bhāg jāeṅ, kyoṅki Rab un ke sāth hai. Wuhī Misr kā muqābalā kar rahā hai.”
Exod UrduGeoR 14:26  Tab Rab ne Mūsā se kahā, “Apnā hāth samundar ke ūpar uṭhā. Phir pānī wāpas ā kar Misriyoṅ, un ke rathoṅ aur ghuṛsawāroṅ ko ḍubo degā.”
Exod UrduGeoR 14:27  Mūsā ne apnā hāth samundar ke ūpar uṭhāyā to din nikalte waqt pānī māmūl ke mutābiq bahne lagā, aur jis taraf Misrī bhāg rahe the wahāṅ pānī hī pānī thā. Yoṅ Rab ne unheṅ samundar meṅ bahā kar ġharq kar diyā.
Exod UrduGeoR 14:28  Pānī wāpas ā gayā. Us ne rathoṅ aur ghuṛsawāroṅ ko ḍhāṅk liyā. Firaun kī pūrī fauj jo Isrāīliyoṅ kā tāqqub kar rahī thī ḍūb kar tabāh ho gaī. Un meṅ se ek bhī na bachā.
Exod UrduGeoR 14:29  Lekin Isrāīlī ḳhushk zamīn par samundar meṅ se guzare. Un ke dāīṅ aur bāīṅ taraf pānī dīwār kī tarah khaṛā rahā.
Exod UrduGeoR 14:30  Us din Rab ne Isrāīliyoṅ ko Misriyoṅ se bachāyā. Misriyoṅ kī lāsheṅ unheṅ sāhil par nazar āīṅ.
Exod UrduGeoR 14:31  Jab Isrāīliyoṅ ne Rab kī yih azīm qudrat dekhī jo us ne Misriyoṅ par zāhir kī thī to Rab kā ḳhauf un par chhā gayā. Wuh us par aur us ke ḳhādim Mūsā par etamād karne lage.
Chapter 15
Exod UrduGeoR 15:1  Tab Mūsā aur Isrāīliyoṅ ne Rab ke lie yih gīt gāyā, “Maiṅ Rab kī tamjīd meṅ gīt gāūṅgā, kyoṅki wuh nihāyat azīm hai. Ghoṛe aur us ke sawār ko us ne samundar meṅ paṭaḳh diyā hai.
Exod UrduGeoR 15:2  Rab merī quwwat aur merā gīt hai, wuh merī najāt ban gayā hai. Wuhī merā Ḳhudā hai, aur maiṅ us kī tārīf karūṅga. Wuhī mere bāp kā Ḳhudā hai, aur maiṅ us kī tāzīm karūṅga.
Exod UrduGeoR 15:4  Firaun ke rathoṅ aur fauj ko us ne samundar meṅ paṭaḳh diyā to bādshāh ke behtarīn afsarān Bahr-e-Qulzum meṅ ḍūb gae.
Exod UrduGeoR 15:5  Gahre pānī ne unheṅ ḍhāṅk liyā, aur wuh patthar kī tarah samundar kī tah tak utar gae.
Exod UrduGeoR 15:6  Ai Rab, tere dahne hāth kā jalāl baṛī qudrat se zāhir hotā hai. Ai Rab, terā dahnā hāth dushman ko chaknāchūr kar detā hai.
Exod UrduGeoR 15:7  Jo tere ḳhilāf uṭh khaṛe hote haiṅ unheṅ tū apnī azmat kā izhār karke zamīn par paṭaḳh detā hai. Terā ġhazab un par ān paṛtā hai to wuh āg meṅ bhūse kī tarah jal jāte haiṅ.
Exod UrduGeoR 15:8  Tū ne ġhusse meṅ ā kar phūṅk mārī to pānī ḍher kī sūrat meṅ jamā ho gayā. Bahtā pānī ṭhos dīwār ban gayā, samundar gahrāī tak jam gayā.
Exod UrduGeoR 15:9  Dushman ne ḍīṅg mār kar kahā, ‘Maiṅ un kā pīchhā karke unheṅ pakaṛ lūṅgā, maiṅ un kā lūṭā huā māl taqsīm karūṅga. Merī lālchī jān un se ser ho jāegī, maiṅ apnī talwār khīṅch kar unheṅ halāk karūṅga.’
Exod UrduGeoR 15:10  Lekin tū ne un par phūṅk mārī to samundar ne unheṅ ḍhāṅk liyā, aur wuh sīse kī tarah zordār maujoṅ meṅ ḍūb gae.
Exod UrduGeoR 15:11  Ai Rab, kaun-sā mābūd terī mānind hai? Kaun terī tarah jalālī aur quddūs hai? Kaun terī tarah hairatangez kām kartā aur azīm mojize dikhātā hai? Koī bhī nahīṅ.
Exod UrduGeoR 15:12  Tū ne apnā dahnā hāth uṭhāyā to zamīn hamāre dushmanoṅ ko nigal gaī.
Exod UrduGeoR 15:13  Apnī shafqat se tū ne ewazānā de kar apnī qaum ko chhuṭkārā diyā aur us kī rāhnumāī kī hai, apnī qudrat se tū ne use apnī muqaddas sukūnatgāh tak pahuṅchāyā hai.
Exod UrduGeoR 15:14  Yih sun kar dīgar qaumeṅ kāṅp uṭhīṅ, Filistī ḍar ke māre pech-o-tāb khāne lage.
Exod UrduGeoR 15:15  Adom ke ra'īs saham gae. Moāb ke rāhnumāoṅ par kapkapī tārī ho gaī, aur Kanān ke tamām bāshinde himmat hār gae.
Exod UrduGeoR 15:16  Dahshat aur ḳhauf un par chhā gayā. Terī azīm qudrat ke bāis wuh patthar kī tarah jam gae. Ai Rab, wuh na hile jab tak terī qaum guzar na gaī. Wuh behis-o-harkat rahe jab tak terī ḳharīdī huī qaum guzar na gaī.
Exod UrduGeoR 15:17  Ai Rab, tū apne logoṅ ko le kar paudoṅ kī tarah apne maurūsī pahāṛ par lagāegā, us jagah par jo tū ne apnī sukūnat ke lie chun lī hai, jahāṅ tū ne apne hāthoṅ se apnā maqdis taiyār kiyā hai.
Exod UrduGeoR 15:19  Jab Firaun ke ghoṛe, rath aur ghuṛsawār samundar meṅ chale gae to Rab ne unheṅ samundar ke pānī se ḍhāṅk liyā. Lekin Isrāīlī ḳhushk zamīn par samundar meṅ se guzar gae.
Exod UrduGeoR 15:20  Tab Hārūn kī bahan Mariyam jo nabiyā thī ne daf liyā, aur bāqī tamām aurateṅ bhī daf le kar us ke pīchhe ho līṅ. Sab gāne aur nāchne lagīṅ. Mariyam ne yih gā kar un kī rāhnumāī kī,
Exod UrduGeoR 15:21  “Rab kī tamjīd meṅ gīt gāo, kyoṅki wuh nihāyat azīm hai. Ghoṛe aur us ke sawār ko us ne samundar meṅ paṭaḳh diyā hai.”
Exod UrduGeoR 15:22  Mūsā ke kahne par Isrāīlī Bahr-e-Qulzum se rawānā ho kar Dasht-e-Shūr meṅ chale gae. Wahāṅ wuh tīn din tak safr karte rahe. Is daurān unheṅ pānī na milā.
Exod UrduGeoR 15:23  Āḳhirkār wuh Mārā pahuṅche jahāṅ pānī dastyāb thā. Lekin wuh kaṛwā thā, is lie maqām kā nām Mārā yānī Kaṛwāhaṭ paṛ gayā.
Exod UrduGeoR 15:24  Yih dekh kar log Mūsā ke ḳhilāf buṛbuṛā kar kahne lage, “Ham kyā pieṅ?”
Exod UrduGeoR 15:25  Mūsā ne madad ke lie Rab se iltijā kī to us ne use lakaṛī kā ek ṭukṛā dikhāyā. Jab Mūsā ne yih lakaṛī pānī meṅ ḍālī to pānī kī kaṛwāhaṭ ḳhatm ho gaī. Mārā meṅ Rab ne apnī qaum ko qawānīn die. Wahāṅ us ne unheṅ āzmāyā bhī.
Exod UrduGeoR 15:26  Us ne kahā, “Ġhaur se Rab apne Ḳhudā kī āwāz suno! Jo kuchh us kī nazar meṅ durust hai wuhī karo. Us ke ahkām par dhyān do aur us kī tamām hidāyāt par amal karo. Phir maiṅ tum par wuh bīmāriyāṅ nahīṅ lāūṅgā jo Misriyoṅ par lāyā thā, kyoṅki maiṅ Rab hūṅ jo tujhe shifā detā hūṅ.”
Exod UrduGeoR 15:27  Phir Isrāīlī rawānā ho kar Elīm pahuṅche jahāṅ 12 chashme aur khajūr ke 70 daraḳht the. Wahāṅ unhoṅ ne pānī ke qarīb apne ḳhaime lagāe.
Chapter 16
Exod UrduGeoR 16:1  Is ke bād Isrāīl kī pūrī jamāt Elīm se safr karke Sīn ke registān meṅ pahuṅchī jo Elīm aur Sīnā ke darmiyān hai. Wuh Misr se nikalne ke bād dūsre mahīne ke 15weṅ din pahuṅche.
Exod UrduGeoR 16:2  Registān meṅ tamām log phir Mūsā aur Hārūn ke ḳhilāf buṛbuṛāne lage.
Exod UrduGeoR 16:3  Unhoṅ ne kahā, “Kāsh Rab hameṅ Misr meṅ hī mār ḍāltā! Wahāṅ ham kam az kam jī bhar kar gosht aur roṭī to khā sakte the. Āp hameṅ sirf is lie registān meṅ le āe haiṅ ki ham sab bhūke mar jāeṅ.”
Exod UrduGeoR 16:4  Tab Rab ne Mūsā se kahā, “Maiṅ āsmān se tumhāre lie roṭī barsāūṅgā. Har roz log bāhar jā kar usī din kī zarūrat ke mutābiq khānā jamā kareṅ. Is se maiṅ unheṅ āzmā kar dekhūṅgā ki āyā wuh merī sunte haiṅ ki nahīṅ.
Exod UrduGeoR 16:5  Har roz wuh sirf utnā khānā jamā kareṅ jitnā ki ek din ke lie kāfī ho. Lekin chhaṭe din jab wuh khānā taiyār kareṅge to wuh agle din ke lie bhī kāfī hogā.”
Exod UrduGeoR 16:6  Mūsā aur Hārūn ne Isrāīliyoṅ se kahā, “Āj shām ko tum jān loge ki Rab hī tumheṅ Misr se nikāl lāyā hai.
Exod UrduGeoR 16:7  Aur kal subah tum Rab kā jalāl dekhoge. Us ne tumhārī shikāyateṅ sun lī haiṅ, kyoṅki asal meṅ tum hamāre ḳhilāf nahīṅ balki Rab ke ḳhilāf buṛbuṛā rahe ho.
Exod UrduGeoR 16:8  Phir bhī Rab tum ko shām ke waqt gosht aur subah ke waqt wāfir roṭī degā, kyoṅki us ne tumhārī shikāyateṅ sun lī haiṅ. Tumhārī shikāyateṅ hamāre ḳhilāf nahīṅ balki Rab ke ḳhilāf haiṅ.”
Exod UrduGeoR 16:9  Mūsā ne Hārūn se kahā, “Isrāīliyoṅ ko batānā, ‘Rab ke sāmne hāzir ho jāo, kyoṅki us ne tumhārī shikāyateṅ sun lī haiṅ.’”
Exod UrduGeoR 16:10  Jab Hārūn pūrī jamāt ke sāmne bāt karne lagā to logoṅ ne palaṭ kar registān kī taraf dekhā. Wahāṅ Rab kā jalāl bādal meṅ zāhir huā.
Exod UrduGeoR 16:12  “Maiṅ ne Isrāīliyoṅ kī shikāyat sun lī hai. Unheṅ batā, ‘Āj jab sūraj ġhurūb hone lagegā to tum gosht khāoge aur kal subah peṭ bhar kar roṭī. Phir tum jān loge ki maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ.’”
Exod UrduGeoR 16:13  Usī shām baṭeroṅ ke ġhol āe jo pūrī ḳhaimāgāh par chhā gae. Aur aglī subah ḳhaime ke chāroṅ taraf os paṛī thī.
Exod UrduGeoR 16:14  Jab os sūkh gaī to barf ke gāloṅ jaise patle dāne pāle kī tarah zamīn par paṛe the.
Exod UrduGeoR 16:15  Jab Isrāīliyoṅ ne use dekhā to ek dūsre se pūchhne lage, “Man hū?” Yānī “Yih kyā hai?” Kyoṅki wuh nahīṅ jānte the ki yih kyā chīz hai. Mūsā ne un ko samjhāyā, “Yih wuh roṭī hai jo Rab ne tumheṅ khāne ke lie dī hai.
Exod UrduGeoR 16:16  Rab kā hukm hai ki har ek utnā jamā kare jitnā us ke ḳhāndān ko zarūrat ho. Apne ḳhāndān ke har fard ke lie do liṭar jamā karo.”
Exod UrduGeoR 16:17  Isrāīliyoṅ ne aisā hī kiyā. Bāz ne zyādā aur bāz ne kam jamā kiyā.
Exod UrduGeoR 16:18  Lekin jab use nāpā gayā to har ek ādmī ke lie kāfī thā. Jis ne zyādā jamā kiyā thā us ke pās kuchh na bachā. Lekin jis ne kam jamā kiyā thā us ke pās bhī kāfī thā.
Exod UrduGeoR 16:19  Mūsā ne hukm diyā, “Agle din ke lie khānā na bachānā.”
Exod UrduGeoR 16:20  Lekin logoṅ ne Mūsā kī bāt na mānī balki bāz ne khānā bachā liyā. Lekin aglī subah mālūm huā ki bache hue khāne meṅ kīṛe paṛ gae haiṅ aur us se bahut badbū ā rahī hai. Yih sun kar Mūsā un se nārāz huā.
Exod UrduGeoR 16:21  Har subah har koī utnā jamā kar letā jitnī use zarūrat hotī thī. Jab dhūp tez hotī to jo kuchh zamīn par rah jātā wuh pighal kar ḳhatm ho jātā thā.
Exod UrduGeoR 16:22  Chhaṭe din jab log yih ḳhurāk jamā karte to wuh miqdār meṅ dugnī hotī thī yānī har fard ke lie chār liṭar. Jab jamāt ke buzurgoṅ ne Mūsā ke pās ā kar use ittalā dī
Exod UrduGeoR 16:23  to us ne un se kahā, “Rab kā farmān hai ki kal ārām kā din hai, muqaddas Sabat kā din jo Allāh kī tāzīm meṅ manānā hai. Āj tum jo tanūr meṅ pakānā chāhte ho pakā lo aur jo ubālnā chāhte ho ubāl lo. Jo bach jāe use kal ke lie mahfūz rakho.”
Exod UrduGeoR 16:24  Logoṅ ne Mūsā ke hukm ke mutābiq agle din ke lie khānā mahfūz kar liyā to na khāne se badbū āī, na us meṅ kīṛe paṛe.
Exod UrduGeoR 16:25  Mūsā ne kahā, “Āj yihī bachā huā khānā khāo, kyoṅki āj Sabat kā din hai, Rab kī tāzīm meṅ ārām kā din. Āj tumheṅ registān meṅ kuchh nahīṅ milegā.
Exod UrduGeoR 16:26  Chhih din ke daurān yih ḳhurāk jamā karnā hai, lekin sātwāṅ din ārām kā din hai. Us din zamīn par khāne ke lie kuchh nahīṅ hogā.”
Exod UrduGeoR 16:27  To bhī kuchh log hafte ko khānā jamā karne ke lie nikle, lekin unheṅ kuchh na milā.
Exod UrduGeoR 16:28  Tab Rab ne Mūsā se kahā, “Tum log kab tak mere ahkām aur hidāyāt par amal karne se inkār karoge?
Exod UrduGeoR 16:29  Dekho, Rab ne tumhāre lie muqarrar kiyā hai ki Sabat kā din ārām kā din hai. Is lie wuh tumheṅ jume ko do din ke lie ḳhurāk detā hai. Hafte ko sab ko apne ḳhaimoṅ meṅ rahnā hai. Koī bhī apne ghar se bāhar na nikle.”
Exod UrduGeoR 16:31  Isrāīliyoṅ ne is ḳhurāk kā nām ‘man’ rakhā. Us ke dāne dhanie kī mānind safed the, aur us kā zāyqā shahd se bane kek kī mānind thā.
Exod UrduGeoR 16:32  Mūsā ne kahā, “Rab farmātā hai, ‘Do liṭar man ek martabān meṅ rakh kar use āne wālī nasloṅ ke lie mahfūz rakhnā. Phir wuh dekh sakeṅge ki maiṅ tumheṅ kyā khānā khilātā rahā jab tumheṅ Misr se nikāl lāyā.’”
Exod UrduGeoR 16:33  Mūsā ne Hārūn se kahā, “Ek martabān lo aur use do liṭar man se bhar kar Rab ke sāmne rakho tāki wuh āne wālī nasloṅ ke lie mahfūz rahe.”
Exod UrduGeoR 16:34  Hārūn ne aisā hī kiyā. Us ne man ke is martabān ko ahd ke sandūq ke sāmne rakhā tāki wuh mahfūz rahe.
Exod UrduGeoR 16:35  Isrāīliyoṅ ko 40 sāl tak man miltā rahā. Wuh us waqt tak man khāte rahe jab tak registān se nikal kar Kanān kī sarhad par na pahuṅche.
Exod UrduGeoR 16:36  (Jo paimānā Isrāīlī man ke lie istemāl karte the wuh do liṭar kā ek bartan thā jis kā nām Omar thā.)
Chapter 17
Exod UrduGeoR 17:1  Phir Isrāīl kī pūrī jamāt Sīn ke registān se niklī. Rab jis tarah hukm detā rahā wuh ek jagah se dūsrī jagah safr karte rahe. Rafīdīm meṅ unhoṅ ne ḳhaime lagāe. Wahāṅ pīne ke lie pānī na milā.
Exod UrduGeoR 17:2  Is lie wuh Mūsā ke sāth yih kah kar jhagaṛne lage, “Hameṅ pīne ke lie pānī do.” Mūsā ne jawāb diyā, “Tum mujh se kyoṅ jhagaṛ rahe ho? Rab ko kyoṅ āzmā rahe ho?”
Exod UrduGeoR 17:3  Lekin log bahut pyāse the. Wuh Mūsā ke ḳhilāf buṛbuṛāne se bāz na āe balki kahā, “Āp hameṅ Misr se kyoṅ lāe haiṅ? Kyā is lie ki ham apne bachchoṅ aur rewaṛoṅ samet pyāse mar jāeṅ?”
Exod UrduGeoR 17:4  Tab Mūsā ne Rab ke huzūr fariyād kī, “Maiṅ in logoṅ ke sāth kyā karūṅ? Hālāt zarā bhī aur bigaṛ jāeṅ to wuh mujhe sangsār kar deṅge.”
Exod UrduGeoR 17:5  Rab ne Mūsā se kahā, “Kuchh buzurg sāth le kar logoṅ ke āge āge chal. Wuh lāṭhī bhī sāth le jā jis se tū ne Dariyā-e-Nīl ko mārā thā.
Exod UrduGeoR 17:6  Maiṅ Horib yānī Sīnā Pahāṛ kī ek chaṭān par tere sāmne khaṛā hūṅgā. Lāṭhī se chaṭān ko mārnā to us se pānī niklegā aur log pī sakeṅge.” Mūsā ne Isrāīl ke buzurgoṅ ke sāmne aisā hī kiyā.
Exod UrduGeoR 17:7  Us ne us jagah kā nām Massā aur Marībā yānī ‘Āzmānā aur Jhagaṛnā’ rakhā, kyoṅki wahāṅ Isrāīlī buṛbuṛāe aur yih pūchh kar Rab ko āzmāyā ki kyā Rab hamāre darmiyān hai ki nahīṅ?
Exod UrduGeoR 17:8  Rafīdīm wuh jagah bhī thī jahāṅ Amālīqī Isrāīliyoṅ se laṛne āe.
Exod UrduGeoR 17:9  Mūsā ne Yashua se kahā, “Laṛne ke qābil ādmiyoṅ ko chun lo aur nikal kar Amālīqiyoṅ kā muqābalā karo. Kal maiṅ Allāh kī lāṭhī pakaṛe hue pahāṛ kī choṭī par khaṛā ho jāūṅgā.”
Exod UrduGeoR 17:10  Yashua Mūsā kī hidāyat ke mutābiq Amālīqiyoṅ se laṛne gayā jabki Mūsā, Hārūn aur Hūr pahāṛ kī choṭī par chaṛh gae.
Exod UrduGeoR 17:11  Aur yoṅ huā ki jab Mūsā ke hāth uṭhāe hue the to Isrāīlī jītte rahe, aur jab wuh nīche the to Amālīqī jītte rahe.
Exod UrduGeoR 17:12  Kuchh der ke bād Mūsā ke bāzū thak gae. Is lie Hārūn aur Hūr ek chaṭān le āe tāki wuh us par baiṭh jāe. Phir unhoṅ ne us ke dāīṅ aur bāīṅ taraf khaṛe ho kar us ke bāzuoṅ ko ūpar uṭhāe rakhā. Sūraj ke ġhurūb hone tak unhoṅ ne yoṅ Mūsā kī madad kī.
Exod UrduGeoR 17:13  Is tarah Yashua ne Amālīqiyoṅ se laṛte laṛte unheṅ shikast dī.
Exod UrduGeoR 17:14  Tab Rab ne Mūsā se kahā, “Yih wāqiyā yādgārī ke lie kitāb meṅ likh le. Lāzim hai ki yih sab kuchh Yashua kī yād meṅ rahe, kyoṅki maiṅ duniyā se Amālīqiyoṅ kā nām-o-nishān miṭā dūṅgā.”
Exod UrduGeoR 17:15  Us waqt Mūsā ne qurbāngāh banā kar us kā nām ‘Rab Merā Jhanḍā Hai’ rakhā.
Exod UrduGeoR 17:16  Us ne kahā, “Rab ke taḳht ke ḳhilāf hāth uṭhāyā gayā hai, is lie Rab kī Amālīqiyoṅ se hameshā tak jang rahegī.”
Chapter 18
Exod UrduGeoR 18:1  Mūsā kā susar Yitro ab tak Midiyān meṅ imām thā. Jab us ne sab kuchh sunā jo Allāh ne Mūsā aur apnī qaum ke lie kiyā hai, ki wuh unheṅ Misr se nikāl lāyā hai
Exod UrduGeoR 18:2  to wuh Mūsā ke pās āyā. Wuh us kī bīwī Saffūrā ko apne sāth lāyā, kyoṅki Mūsā ne use apne beṭoṅ samet maike bhej diyā thā.
Exod UrduGeoR 18:3  Yitro Mūsā ke donoṅ beṭoṅ ko bhī sāth lāyā. Pahle beṭe kā nām Jairsom yānī ‘Ajnabī Mulk meṅ Pardesī’ thā, kyoṅki jab wuh paidā huā to Mūsā ne kahā thā, “Maiṅ ajnabī mulk meṅ pardesī hūṅ.”
Exod UrduGeoR 18:4  Dūsre beṭe kā nām Iliyazar yānī ‘Merā Ḳhudā Madadgār Hai’ thā, kyoṅki jab wuh paidā huā to Mūsā ne kahā thā, “Mere bāp ke Ḳhudā ne merī madad karke mujhe Firaun kī talwār se bachāyā hai.”
Exod UrduGeoR 18:5  Yitro Mūsā kī bīwī aur beṭe sāth le kar us waqt Mūsā ke pās pahuṅchā jab us ne registān meṅ Allāh ke pahāṛ yānī Sīnā ke qarīb ḳhaimā lagāyā huā thā.
Exod UrduGeoR 18:6  Us ne Mūsā ko paiġhām bhejā thā, “Maiṅ, āp kā susar Yitro āp kī bīwī aur do beṭoṅ ko sāth le kar āp ke pās ā rahā hūṅ.”
Exod UrduGeoR 18:7  Mūsā apne susar ke istiqbāl ke lie bāhar niklā, us ke sāmne jhukā aur use bosā diyā. Donoṅ ne ek dūsre kā hāl pūchhā, phir ḳhaime meṅ chale gae.
Exod UrduGeoR 18:8  Mūsā ne Yitro ko tafsīl se batāyā ki Rab ne Isrāīliyoṅ kī ḳhātir Firaun aur Misriyoṅ ke sāth kyā kuchh kiyā hai. Us ne rāste meṅ pesh āī tamām mushkilāt kā zikr bhī kiyā ki Rab ne hameṅ kis tarah un se bachāyā hai.
Exod UrduGeoR 18:9  Yitro un sāre achchhe kāmoṅ ke bāre meṅ sun kar ḳhush huā jo Rab ne Isrāīliyoṅ ke lie kie the jab us ne unheṅ Misriyoṅ ke hāth se bachāyā thā.
Exod UrduGeoR 18:10  Us ne kahā, “Rab kī tamjīd ho jis ne āp ko Misriyoṅ aur Firaun ke qabze se najāt dilāī hai. Usī ne qaum ko ġhulāmī se chhuṛāyā hai!
Exod UrduGeoR 18:11  Ab maiṅ ne jān liyā hai ki Rab tamām mābūdoṅ se azīm hai, kyoṅki us ne yih sab kuchh un logoṅ ke sāth kiyā jinhoṅ ne apne ġhurūr meṅ Isrāīliyoṅ ke sāth burā sulūk kiyā thā.”
Exod UrduGeoR 18:12  Phir Yitro ne Allāh ko bhasm hone wālī qurbānī aur dīgar kaī qurbāniyāṅ pesh kīṅ. Tab Hārūn aur tamām buzurg Mūsā ke susar Yitro ke sāth Allāh ke huzūr khānā khāne baiṭhe.
Exod UrduGeoR 18:13  Agle din Mūsā logoṅ kā insāf karne ke lie baiṭh gayā. Un kī tādād itnī zyādā thī ki wuh subah se le kar shām tak Mūsā ke sāmne khaṛe rahe.
Exod UrduGeoR 18:14  Jab Yitro ne yih sab kuchh dekhā to us ne pūchhā, “Yih kyā hai jo āp logoṅ ke sāth kar rahe haiṅ? Sārā din wuh āp ko ghere rahte aur āp un kī adālat karte rahte haiṅ. Āp yih sab kuchh akele hī kyoṅ kar rahe haiṅ?”
Exod UrduGeoR 18:15  Mūsā ne jawāb diyā, “Log mere pās ā kar Allāh kī marzī mālūm karte haiṅ.
Exod UrduGeoR 18:16  Jab kabhī koī tanāzā yā jhagaṛā hotā hai to donoṅ pārṭiyāṅ mere pās ātī haiṅ. Maiṅ faislā karke unheṅ Allāh ke ahkām aur hidāyāt batātā hūṅ.”
Exod UrduGeoR 18:17  Mūsā ke susar ne us se kahā, “Āp kā tarīqā achchhā nahīṅ hai.
Exod UrduGeoR 18:18  Kām itnā wasī hai ki āp use akele nahīṅ saṅbhāl sakte. Is se āp aur wuh log jo āp ke pās āte haiṅ burī tarah thak jāte haiṅ.
Exod UrduGeoR 18:19  Merī bāt suneṅ! Maiṅ āp ko ek mashwarā detā hūṅ. Allāh us meṅ āp kī madad kare. Lāzim hai ki āp Allāh ke sāmne qaum ke numāindā raheṅ aur un ke muāmalāt us ke sāmne pesh kareṅ.
Exod UrduGeoR 18:20  Yih bhī zarūrī hai ki āp unheṅ Allāh ke ahkām aur hidāyāt sikhāeṅ, ki wuh kis tarah zindagī guzāreṅ aur kyā kyā kareṅ.
Exod UrduGeoR 18:21  Lekin sāth sāth qaum meṅ se qābil-e-etamād ādmī chuneṅ. Wuh aise log hoṅ jo Allāh kā ḳhauf mānte hoṅ, rāstdil hoṅ aur rishwat se nafrat karte hoṅ. Unheṅ hazār hazār, sau sau, pachās pachās aur das das ādmiyoṅ par muqarrar kareṅ.
Exod UrduGeoR 18:22  Un ādmiyoṅ kī zimmedārī yih hogī ki wuh har waqt logoṅ kā insāf kareṅ. Agar koī bahut hī pechīdā muāmalā ho to wuh faisle ke lie āp ke pās āeṅ, lekin dīgar muāmaloṅ kā faislā wuh ḳhud kareṅ. Yoṅ wuh kām meṅ āp kā hāth baṭāeṅge aur āp kā bojh halkā ho jāegā.
Exod UrduGeoR 18:23  Agar merā yih mashwarā Allāh kī marzī ke mutābiq ho aur āp aisā kareṅ to āp apnī zimmedārī nibhā sakeṅge aur yih tamām log insāf ke milne par salāmatī ke sāth apne apne ghar jā sakeṅge.”
Exod UrduGeoR 18:24  Mūsā ne apne susar kā mashwarā mān liyā aur aisā hī kiyā.
Exod UrduGeoR 18:25  Us ne Isrāīliyoṅ meṅ se qābil-e-etamād ādmī chune aur unheṅ hazār hazār, sau sau, pachās pachās aur das das ādmiyoṅ par muqarrar kiyā.
Exod UrduGeoR 18:26  Yih mard qāzī ban kar mustaqil taur par logoṅ kā insāf karne lage. Āsān masloṅ kā faislā wuh ḳhud karte aur mushkil muāmaloṅ ko Mūsā ke pās le āte the.
Exod UrduGeoR 18:27  Kuchh arse bād Mūsā ne apne susar ko ruḳhsat kiyā to Yitro apne watan wāpas chalā gayā.
Chapter 19
Exod UrduGeoR 19:1  Isrāīliyoṅ ko Misr se safr karte hue do mahīne ho gae the. Tīsre mahīne ke pahle hī din wuh Sīnā ke registān meṅ pahuṅche.
Exod UrduGeoR 19:2  Us din wuh Rafīdīm ko chhoṛ kar Dasht-e-Sīnā meṅ ā pahuṅche. Wahāṅ unhoṅ ne registān meṅ pahāṛ ke qarīb ḍere ḍāle.
Exod UrduGeoR 19:3  Tab Mūsā pahāṛ par chaṛh kar Allāh ke pās gayā. Allāh ne pahāṛ par se Mūsā ko pukār kar kahā, “Yāqūb ke gharāne banī Isrāīl ko batā,
Exod UrduGeoR 19:4  ‘Tum ne dekhā hai ki maiṅ ne Misriyoṅ ke sāth kyā kuchh kiyā, aur ki maiṅ tum ko uqāb ke paroṅ par uṭhā kar yahāṅ apne pās lāyā hūṅ.
Exod UrduGeoR 19:5  Chunāṅche agar tum merī suno aur mere ahd ke mutābiq chalo to phir tamām qaumoṅ meṅ se merī ḳhās milkiyat hoge. Go pūrī duniyā merī hī hai,
Exod UrduGeoR 19:6  lekin tum mere lie maḳhsūs imāmoṅ kī bādshāhī aur muqaddas qaum hoge.’ Ab jā kar yih sārī bāteṅ Isrāīliyoṅ ko batā.”
Exod UrduGeoR 19:7  Mūsā ne pahāṛ se utar kar aur qaum ke buzurgoṅ ko bulā kar unheṅ wuh tamām bāteṅ batāīṅ jo kahne ke lie Rab ne use hukm diyā thā.
Exod UrduGeoR 19:8  Jawāb meṅ pūrī qaum ne mil kar kahā, “Ham Rab kī har bāt pūrī kareṅge jo us ne farmāī hai.” Mūsā ne pahāṛ par lauṭ kar Rab ko qaum kā jawāb batāyā.
Exod UrduGeoR 19:9  Jab wuh pahuṅchā to Rab ne Mūsā se kahā, “Maiṅ ghane bādal meṅ tere pās āūṅgā tāki log mujhe tujh se hamkalām hote hue suneṅ. Phir wuh hameshā tujh par bharosā rakheṅge.” Tab Mūsā ne Rab ko wuh tamām bāteṅ batāīṅ jo logoṅ ne kī thīṅ.
Exod UrduGeoR 19:10  Rab ne Mūsā se kahā, “Ab logoṅ ke pās lauṭ kar āj aur kal unheṅ mere lie maḳhsūs-o-muqaddas kar. Wuh apne libās dho kar
Exod UrduGeoR 19:11  tīsre din ke lie taiyār ho jāeṅ, kyoṅki us din Rab logoṅ ke deḳhte deḳhte Koh-e-Sīnā par utregā.
Exod UrduGeoR 19:12  Logoṅ kī hifāzat ke lie chāroṅ taraf pahāṛ kī haddeṅ muqarrar kar. Unheṅ ḳhabardār kar ki hudūd ko pār na karo. Na pahāṛ par chaṛho, na us ke dāman ko chhuo. Jo bhī use chhue wuh zarūr mārā jāe.
Exod UrduGeoR 19:13  Aur use hāth se chhū kar nahīṅ mārnā hai balki pattharoṅ yā tīroṅ se. Ḳhāh insān ho yā haiwān, wuh zindā nahīṅ rah saktā. Jab tak narsingā der tak phūṅkā na jāe us waqt tak logoṅ ko pahāṛ par chaṛhnī kī ijāzat nahīṅ hai.”
Exod UrduGeoR 19:14  Mūsā ne pahāṛ se utar kar logoṅ ko Allāh ke lie maḳhsūs-o-muqaddas kiyā. Unhoṅ ne apne libās bhī dhoe.
Exod UrduGeoR 19:15  Us ne un se kahā, “Tīsre din ke lie taiyār ho jāo. Mard auratoṅ se hambistar na hoṅ.”
Exod UrduGeoR 19:16  Tīsre din subah pahāṛ par ghanā bādal chhā gayā. Bijlī chamakne lagī, bādal garajne lagā aur narsinge kī nihāyat zordār āwāz sunāī dī. Ḳhaimāgāh meṅ log laraz uṭhe.
Exod UrduGeoR 19:17  Tab Mūsā logoṅ ko Allāh se milne ke lie ḳhaimāgāh se bāhar pahāṛ kī taraf le gayā, aur wuh pahāṛ ke dāman meṅ khaṛe hue.
Exod UrduGeoR 19:18  Sīnā Pahāṛ dhueṅ se ḍhakā huā thā, kyoṅki Rab āg meṅ us par utar āyā. Pahāṛ se dhuāṅ is tarah uṭh rahā thā jaise kisī bhaṭṭe se uṭhtā hai. Pūrā pahāṛ shiddat se larazne lagā.
Exod UrduGeoR 19:19  Narsinge kī āwāz tez se teztar hotī gaī. Mūsā bolne lagā aur Allāh use ūṅchī āwāz meṅ jawāb detā rahā.
Exod UrduGeoR 19:20  Rab Sīnā Pahāṛ kī choṭī par utrā aur Mūsā ko ūpar āne ke lie kahā. Mūsā ūpar chaṛhā.
Exod UrduGeoR 19:21  Rab ne Mūsā se kahā, “Fauran nīche utar kar logoṅ ko ḳhabardār kar ki wuh mujhe deḳhne ke lie pahāṛ kī hudūd meṅ zabardastī dāḳhil na hoṅ. Agar wuh aisā kareṅ to bahut-se halāk ho jāeṅge.
Exod UrduGeoR 19:22  Imām bhī jo Rab ke huzūr āte haiṅ apne āp ko maḳhsūs-o-muqaddas kareṅ, warnā merā ġhazab un par ṭūṭ paṛegā.”
Exod UrduGeoR 19:23  Lekin Mūsā ne Rab se kahā, “Log pahāṛ par nahīṅ ā sakte, kyoṅki tū ne ḳhud hī hameṅ ḳhabardār kiyā ki ham pahāṛ kī haddeṅ muqarrar karke use maḳhsūs-o-muqaddas kareṅ.”
Exod UrduGeoR 19:24  Rab ne jawāb diyā, “To bhī utar jā aur Hārūn ko sāth le kar wāpas ā. Lekin imāmoṅ aur logoṅ ko mat āne de. Agar wuh zabardastī mere pās āeṅ to merā ġhazab un par ṭūṭ paṛegā.”
Exod UrduGeoR 19:25  Mūsā ne logoṅ ke pās utar kar unheṅ yih bāteṅ batā dīṅ.
Chapter 20
Exod UrduGeoR 20:2  “Maiṅ Rab terā Ḳhudā hūṅ jo tujhe Mulk-e-Misr kī ġhulāmī se nikāl lāyā.
Exod UrduGeoR 20:3  Mere siwā kisī aur mābūd kī parastish na karnā.
Exod UrduGeoR 20:4  Apne lie but na banānā. Kisī bhī chīz kī mūrat na banānā, chāhe wuh āsmān meṅ, zamīn par yā samundar meṅ ho.
Exod UrduGeoR 20:5  Na butoṅ kī parastish, na un kī ḳhidmat karnā, kyoṅki maiṅ terā Rab ġhayūr Ḳhudā hūṅ. Jo mujh se nafrat karte haiṅ unheṅ maiṅ tīsrī aur chauthī pusht tak sazā dūṅgā.
Exod UrduGeoR 20:6  Lekin jo mujh se muhabbat rakhte aur mere ahkām pūre karte haiṅ un par maiṅ hazār pushtoṅ tak mehrbānī karūṅga.
Exod UrduGeoR 20:7  Rab apne Ḳhudā kā nām bemaqsad yā ġhalat maqsad ke lie istemāl na karnā. Jo bhī aisā kartā hai use Rab sazā die baġhair nahīṅ chhoṛegā.
Exod UrduGeoR 20:8  Sabat ke din kā ḳhayāl rakhnā. Use is tarah manānā ki wuh maḳhsūs-o-muqaddas ho.
Exod UrduGeoR 20:10  lekin sātwāṅ din Rab tere Ḳhudā kā ārām kā din hai. Us din kisī tarah kā kām na karnā. Na tū, na terā beṭā, na terī beṭī, na terā naukar, na terī naukarānī aur na tere maweshī. Jo pardesī tere darmiyān rahtā hai wuh bhī kām na kare.
Exod UrduGeoR 20:11  Kyoṅki Rab ne pahle chhih din meṅ āsmān-o-zamīn, samundar aur jo kuchh un meṅ hai banāyā lekin sātweṅ din ārām kiyā. Is lie Rab ne Sabat ke din ko barkat de kar muqarrar kiyā ki wuh maḳhsūs aur muqaddas ho.
Exod UrduGeoR 20:12  Apne bāp aur apnī māṅ kī izzat karnā. Phir tū us mulk meṅ jo Rab terā Ḳhudā tujhe dene wālā hai der tak jītā rahegā.
Exod UrduGeoR 20:16  Apne paṛosī ke bāre meṅ jhūṭī gawāhī na denā.
Exod UrduGeoR 20:17  Apne paṛosī ke ghar kā lālach na karnā. Na us kī bīwī kā, na us ke naukar kā, na us kī naukarānī kā, na us ke bail aur na us ke gadhe kā balki us kī kisī bhī chīz kā lālach na karnā.”
Exod UrduGeoR 20:18  Jab bāqī tamām logoṅ ne bādal kī garaj aur narsinge kī āwāz sunī aur bijlī kī chamak aur pahāṛ se uṭhte hue dhueṅ ko dekhā to wuh ḳhauf ke māre kāṅpne lage aur pahāṛ se dūr khaṛe ho gae.
Exod UrduGeoR 20:19  Unhoṅ ne Mūsā se kahā, “Āp hī ham se bāt kareṅ to ham suneṅge. Lekin Allāh ko ham se bāt na karne deṅ warnā ham mar jāeṅge.”
Exod UrduGeoR 20:20  Lekin Mūsā ne un se kahā, “Mat ḍaro, kyoṅki Rab tumheṅ jāṅchne ke lie āyā hai, tāki us kā ḳhauf tumhārī āṅkhoṅ ke sāmne rahe aur tum gunāh na karo.”
Exod UrduGeoR 20:21  Log dūr hī rahe jabki Mūsā us gahrī tārīkī ke qarīb gayā jahāṅ Allāh thā.
Exod UrduGeoR 20:22  Tab Rab ne Mūsā se kahā, “Isrāīliyoṅ ko batā, ‘Tum ne ḳhud dekhā ki maiṅ ne āsmān par se tumhāre sāth bāteṅ kī haiṅ.
Exod UrduGeoR 20:23  Chunāṅche merī parastish ke sāth sāth apne lie sone yā chāṅdī ke but na banāo.
Exod UrduGeoR 20:24  Mere lie miṭṭī kī qurbāngāh banā kar us par apnī bheṛ-bakriyoṅ aur gāy-bailoṅ kī bhasm hone wālī aur salāmatī kī qurbāniyāṅ chaṛhānā. Maiṅ tujhe wuh jagheṅ dikhāūṅgā jahāṅ mere nām kī tāzīm meṅ qurbāniyāṅ pesh karnī haiṅ. Aisī tamām jaghoṅ par maiṅ tere pās ā kar tujhe barkat dūṅgā.
Exod UrduGeoR 20:25  Agar tū mere lie qurbāngāh banāne kī ḳhātir patthar istemāl karnā chāhe to tarāshe hue patthar istemāl na karnā. Kyoṅki tū tarāshne ke lie istemāl hone wāle auzār se us kī behurmatī karegā.
Exod UrduGeoR 20:26  Qurbāngāh ko sīṛhiyoṅ ke baġhair banānā hai tāki us par chaṛhnī se tere libās ke nīche se terā nangāpan nazar na āe.’
Chapter 21
Exod UrduGeoR 21:2  ‘Agar tū Ibrānī ġhulām ḳharīde to wuh chhih sāl terā ġhulām rahe. Is ke bād lāzim hai ki use āzād kar diyā jāe. Āzād hone ke lie use paise dene kī zarūrat nahīṅ hogī.
Exod UrduGeoR 21:3  Agar ġhulām ġhairshādīshudā hālat meṅ mālik ke ghar āyā ho to wuh āzād ho kar akelā hī chalā jāe. Agar wuh shādīshudā hālat meṅ āyā ho to lāzim hai ki wuh apnī bīwī samet āzād ho kar jāe.
Exod UrduGeoR 21:4  Agar mālik ne ġhulām kī shādī karāī aur bachche paidā hue haiṅ to us kī bīwī aur bachche mālik kī milkiyat hoṅge. Chhih sāl ke bād jab ġhulām āzād ho kar jāe to us kī bīwī aur bachche mālik hī ke pās raheṅ.
Exod UrduGeoR 21:5  Agar ġhulām kahe, “Maiṅ apne mālik aur apne bīwī bachchoṅ se muhabbat rakhtā hūṅ, maiṅ āzād nahīṅ honā chāhtā”
Exod UrduGeoR 21:6  to ġhulām kā mālik use Allāh ke sāmne lāe. Wuh use darwāze yā us kī chaukhaṭ ke pās le jāe aur sutālī yānī tez auzār se us ke kān kī lau chhed de. Tab wuh zindagī-bhar us kā ġhulām banā rahegā.
Exod UrduGeoR 21:7  Agar koī apnī beṭī ko ġhulāmī meṅ bech ḍāle to us ke lie āzādī milne kī sharāyt mard se farq haiṅ.
Exod UrduGeoR 21:8  Agar us ke mālik ne use muntaḳhab kiyā ki wuh us kī bīwī ban jāe, lekin bād meṅ wuh use pasand na āe to lāzim hai ki wuh munāsib muāwazā le kar use us ke rishtedāroṅ ko wāpas kar de. Use aurat ko ġhairmulkiyoṅ ke hāth bechne kā iḳhtiyār nahīṅ hai, kyoṅki us ne us ke sāth bewafā sulūk kiyā hai.
Exod UrduGeoR 21:9  Agar launḍī kā mālik us kī apne beṭe ke sāth shādī karāe to aurat ko beṭī ke huqūq hāsil hoṅge.
Exod UrduGeoR 21:10  Agar mālik ne us se shādī karke bād meṅ dūsrī aurat se bhī shādī kī to lāzim hai ki wuh pahlī ko bhī khānā aur kapṛe detā rahe. Is ke alāwā us ke sāth hambistar hone kā farz bhī adā karnā hai.
Exod UrduGeoR 21:11  Agar wuh yih tīn farāyz adā na kare to use aurat ko āzād karnā paṛegā. Is sūrat meṅ use muft āzād karnā hogā.
Exod UrduGeoR 21:12  Jo kisī ko jān-būjh kar itnā saḳht mārtā ho ki wuh mar jāe to use zarūr sazā-e-maut denā hai.
Exod UrduGeoR 21:13  Lekin agar us ne use jān-būjh kar na mārā balki yih ittafāq se huā aur Allāh ne yih hone diyā, to mārne wālā ek aisī jagah panāh le saktā hai jo maiṅ muqarrar karūṅga. Wahāṅ use qatl kie jāne kī ijāzat nahīṅ hogī.
Exod UrduGeoR 21:14  Lekin jo dīdā-dānistā aur chālākī se kisī ko mār ḍāltā hai use merī qurbāngāh se bhī chhīn kar sazā-e-maut denā hai.
Exod UrduGeoR 21:15  Jo apne bāp yā apnī māṅ ko mārtā pīṭtā hai use sazā-e-maut dī jāe.
Exod UrduGeoR 21:16  Jis ne kisī ko aġhwā kar liyā hai use sazā-e-maut dī jāe, chāhe wuh use ġhulām banā kar bech chukā ho yā use ab tak apne pās rakhā huā ho.
Exod UrduGeoR 21:17  Jo apne bāp yā māṅ par lānat kare use sazā-e-maut dī jāe.
Exod UrduGeoR 21:18  Ho saktā hai ki ādmī jhagaṛeṅ aur ek shaḳhs dūsre ko patthar yā mukke se itnā zaḳhmī kar de ki go wuh bach jāe wuh bistar se uṭh na saktā ho.
Exod UrduGeoR 21:19  Agar bād meṅ marīz yahāṅ tak shifā pāe ki dubārā uṭh kar lāṭhī ke sahāre chal-phir sake to choṭ pahuṅchāne wāle ko sazā nahīṅ milegī. Use sirf us waqt ke lie muāwazā denā paṛegā jab tak marīz paise na kamā sake. Sāth hī use us kā pūrā ilāj karwānā hai.
Exod UrduGeoR 21:20  Jo apne ġhulām yā launḍī ko lāṭhī se yoṅ māre ki wuh mar jāe use sazā dī jāe.
Exod UrduGeoR 21:21  Lekin agar ġhulām yā launḍī piṭāī ke bād ek yā do din zindā rahe to mālik ko sazā na dī jāe. Kyoṅki jo raqam us ne us ke lie dī thī us kā nuqsān use ḳhud uṭhānā paṛegā.
Exod UrduGeoR 21:22  Ho saktā hai ki log āpas meṅ laṛ rahe hoṅ aur laṛte laṛte kisī hāmilā aurat se yoṅ ṭakrā jāeṅ ki us kā bachchā zāe ho jāe. Agar koī aur nuqsān na huā ho to zarb pahuṅchāne wāle ko jurmānā denā paṛegā. Aurat kā shauhar yih jurmānā muqarrar kare, aur adālat meṅ is kī tasdīq ho.
Exod UrduGeoR 21:23  Lekin agar us aurat ko aur nuqsān bhī pahuṅchā ho to phir zarb pahuṅchāne wāle ko is usūl ke mutābiq sazā dī jāe ki jān ke badle jān,
Exod UrduGeoR 21:24  āṅkh ke badle āṅkh, dāṅt ke badle dāṅt, hāth ke badle hāth, pāṅw ke badle pāṅw,
Exod UrduGeoR 21:25  jalne ke zaḳhm ke badle jalne kā zaḳhm, mār ke badle mār, kāṭ ke badle kāṭ.
Exod UrduGeoR 21:26  Agar koī mālik apne ġhulām kī āṅkh par yoṅ māre ki wuh zāe ho jāe to use ġhulām ko āṅkh ke badle āzād karnā paṛegā, chāhe ġhulām mard ho yā aurat.
Exod UrduGeoR 21:27  Agar mālik ke pīṭne se ġhulām kā dāṅt ṭūṭ jāe to use ġhulām ko dāṅt ke badle āzād karnā paṛegā, chāhe ġhulām mard ho yā aurat.
Exod UrduGeoR 21:28  Agar koī bail kisī mard yā aurat ko aisā māre ki wuh mar jāe to us bail ko sangsār kiyā jāe. Us kā gosht khāne kī ijāzat nahīṅ hai. Is sūrat meṅ bail ke mālik ko sazā na dī jāe.
Exod UrduGeoR 21:29  Lekin ho saktā hai ki mālik ko pahle āgāh kiyā gayā thā ki bail logoṅ ko mārtā hai, to bhī us ne bail ko khulā chhoṛā thā jis ke natīje meṅ us ne kisī ko mār ḍālā. Aisī sūrat meṅ na sirf bail ko balki us ke mālik ko bhī sangsār karnā hai.
Exod UrduGeoR 21:30  Lekin agar faislā kiyā jāe ki wuh apnī jān kā fidyā de to jitnā muāwazā bhī muqarrar kiyā jāe use denā paṛegā.
Exod UrduGeoR 21:31  Sazā meṅ koī farq nahīṅ hai, chāhe beṭe ko mārā jāe yā beṭī ko.
Exod UrduGeoR 21:32  Lekin agar bail kisī ġhulām yā launḍī ko mār de to us kā mālik ġhulām ke mālik ko chāṅdī ke 30 sikke de aur bail ko sangsār kiyā jāe.
Exod UrduGeoR 21:33  Ho saktā hai ki kisī ne apne hauz ko khulā rahne diyā yā hauz banāne ke lie gaṛhā khod kar use khulā rahne diyā aur koī bail yā gadhā us meṅ gir kar mar gayā.
Exod UrduGeoR 21:34  Aisī sūrat meṅ hauz kā mālik murdā jānwar ke lie paise de. Wuh jānwar ke mālik ko us kī pūrī qīmat adā kare aur murdā jānwar ḳhud le le.
Exod UrduGeoR 21:35  Agar kisī kā bail kisī dūsre ke bail ko aise māre ki wuh mar jāe to donoṅ mālik zindā bail ko bech kar us ke paise āpas meṅ barābar bāṅṭ leṅ. Isī tarah wuh murdā bail ko bhī barābar taqsīm kareṅ.
Exod UrduGeoR 21:36  Lekin ho saktā hai ki mālik ko mālūm thā ki merā bail dūsre jānwaroṅ par hamlā kartā hai, is ke bāwujūd us ne use āzād chhoṛ diyā thā. Aisī sūrat meṅ use murdā bail ke ewaz us ke mālik ko nayā bail denā paṛegā, aur wuh murdā bail ḳhud le le.
Chapter 22
Exod UrduGeoR 22:1  Jis ne koī bail yā bheṛ chorī karke use zabah kiyā yā bech ḍālā hai use har chorī ke bail ke ewaz pāṅch bail aur har chorī kī bheṛ ke ewaz chār bheṛeṅ wāpas karnā hai.
Exod UrduGeoR 22:2  Ho saktā hai ki koī chor naqb lagā rahā ho aur log use pakaṛ kar yahāṅ tak mārte pīṭte raheṅ ki wuh mar jāe. Agar rāt ke waqt aisā huā ho to wuh us ke ḳhūn ke zimmedār nahīṅ ṭhahar sakte.
Exod UrduGeoR 22:3  Lekin agar sūraj ke tulū hone ke bād aisā huā ho to jis ne use mārā wuh qātil ṭhahregā. Chor ko har churāī huī chīz kā ewazānā denā hai. Agar us ke pās dene ke lie kuchh na ho to use ġhulām banā kar bechnā hai. Jo paise use bechne ke ewaz mileṅ wuh churāī huī chīzoṅ ke badle meṅ die jāeṅ.
Exod UrduGeoR 22:4  Agar chorī kā jānwar chor ke pās zindā pāyā jāe to use har jānwar ke ewaz do dene paṛeṅge, chāhe wuh bail, bheṛ, bakrī yā gadhā ho.
Exod UrduGeoR 22:5  Ho saktā hai ki koī apne maweshī ko apne khet yā angūr ke bāġh meṅ chhoṛ kar charne de aur hote hote wuh kisī dūsre ke khet yā angūr ke bāġh meṅ jā kar charne lage. Aisī sūrat meṅ lāzim hai ki maweshī kā mālik nuqsān ke ewaz apne angūr ke bāġh aur khet kī behtarīn paidāwār meṅ se de.
Exod UrduGeoR 22:6  Ho saktā hai ki kisī ne āg jalāī ho aur wuh kāṅṭedār jhāṛiyoṅ ke zariye paṛosī ke khet tak phail kar us ke anāj ke pūloṅ ko, us kī pakī huī fasal ko yā khet kī kisī aur paidāwār ko barbād kar de. Aisī sūrat meṅ jis ne āg jalāī ho use us kī pūrī qīmat adā karnī hai.
Exod UrduGeoR 22:7  Ho saktā hai ki kisī ne kuchh paise yā koī aur māl apne kisī wāqifkār ke sapurd kar diyā ho tāki wuh use mahfūz rakhe. Agar yih chīzeṅ us ke ghar se chorī ho jāeṅ aur bād meṅ chor ko pakaṛā jāe to chor ko us kī dugnī qīmat adā karnī paṛegī.
Exod UrduGeoR 22:8  Lekin agar chor pakaṛā na jāe to lāzim hai ki us ghar kā mālik jis ke sapurd yih chīzeṅ kī gaī thīṅ Allāh ke huzūr khaṛā ho tāki mālūm kiyā jāe ki us ne ḳhud yih māl chorī kiyā hai yā nahīṅ.
Exod UrduGeoR 22:9  Ho saktā hai ki do logoṅ kā āpas meṅ jhagaṛā ho, aur donoṅ kisī chīz ke bāre meṅ dāwā karte hoṅ ki yih merī hai. Agar koī qīmtī chīz ho masalan bail, gadhā, bheṛ, bakrī, kapṛe yā koī khoī huī chīz to muāmalā Allāh ke huzūr lāyā jāe. Jise Allāh qusūrwār qarār de use dūsre ko zer-e-bahs chīz kī dugnī qīmat adā karnī hai.
Exod UrduGeoR 22:10  Ho saktā hai ki kisī ne apnā koī gadhā, bail, bheṛ, bakrī yā koī aur jānwar kisī wāqifkār ke sapurd kar diyā tāki wuh use mahfūz rakhe. Wahāṅ jānwar mar jāe yā zaḳhmī ho jāe, yā koī us par qabzā karke use us waqt le jāe jab koī na dekh rahā ho.
Exod UrduGeoR 22:11  Yih muāmalā yoṅ hal kiyā jāe ki jis ke sapurd jānwar kiyā gayā thā wuh Rab ke huzūr qasam khā kar kahe ki maiṅ ne apne wāqifkār ke jānwar ke lālach meṅ yih kām nahīṅ kiyā. Jānwar ke mālik ko yih qabūl karnā paṛegā, aur dūsre ko is ke badle kuchh nahīṅ denā hogā.
Exod UrduGeoR 22:12  Lekin agar wāqaī jānwar ko chorī kiyā gayā hai to jis ke sapurd jānwar kiyā gayā thā use us kī qīmat adā karnī paṛegī.
Exod UrduGeoR 22:13  Agar kisī janglī jānwar ne use phāṛ ḍālā ho to wuh sabūt ke taur par phāṛī huī lāsh ko le āe. Phir use us kī qīmat adā nahīṅ karnī paṛegī.
Exod UrduGeoR 22:14  Ho saktā hai ki koī apne wāqifkār se ijāzat le kar us kā jānwar istemāl kare. Agar jānwar ko mālik kī ġhairmaujūdagī meṅ choṭ lage yā wuh mar jāe to us shaḳhs ko jis ke pās jānwar us waqt thā us kā muāwazā denā paṛegā.
Exod UrduGeoR 22:15  Lekin agar jānwar kā mālik us waqt sāth thā to dūsre ko muāwazā dene kī zarūrat nahīṅ hogī. Agar us ne jānwar ko kirāe par liyā ho to us kā nuqsān kirāe se pūrā ho jāegā.
Exod UrduGeoR 22:16  Agar kisī kuṅwārī kī mangnī nahīṅ huī aur koī mard use warġhalā kar us se hambistar ho jāe to wuh mahr de kar us se shādī kare.
Exod UrduGeoR 22:17  Lekin agar laṛkī kā bāp us kī us mard ke sāth shādī karne se inkār kare, is sūrat meṅ bhī mard ko kuṅwārī ke lie muqarrarā raqam denī paṛegī.
Exod UrduGeoR 22:19  Jo shaḳhs kisī jānwar ke sāth jinsī tālluqāt rakhtā ho use sazā-e-maut dī jāe.
Exod UrduGeoR 22:20  Jo na sirf Rab ko qurbāniyāṅ pesh kare balki dīgar mābūdoṅ ko bhī use qaum se nikāl kar halāk kiyā jāe.
Exod UrduGeoR 22:21  Jo pardesī tere mulk meṅ mehmān hai use na dabānā aur na us se burā sulūk karnā, kyoṅki tum bhī Misr meṅ pardesī the.
Exod UrduGeoR 22:22  Kisī bewā yā yatīm se burā sulūk na karnā.
Exod UrduGeoR 22:23  Agar tū aisā kare aur wuh chillā kar mujh se fariyād kareṅ to maiṅ zarūr un kī sunūṅgā.
Exod UrduGeoR 22:24  Maiṅ baṛe ġhusse meṅ ā kar tumheṅ talwār se mār ḍālūṅgā. Phir tumhārī bīwiyāṅ ḳhud bewāeṅ aur tumhāre bachche ḳhud yatīm ban jāeṅge.
Exod UrduGeoR 22:25  Agar tū ne merī qaum ke kisī ġharīb ko qarz diyā hai to us se sūd na lenā.
Exod UrduGeoR 22:26  Agar tujhe kisī se us kī chādar girwī ke taur par milī ho to use sūraj ḍūbne se pahle hī wāpas kar denā hai,
Exod UrduGeoR 22:27  kyoṅki isī ko wuh sone ke lie istemāl kartā hai. Warnā wuh kyā chīz oṛh kar soegā? Agar tū chādar wāpas na kare aur wuh shaḳhs chillā kar mujh se fariyād kare to maiṅ us kī sunūṅgā, kyoṅki maiṅ mehrbān hūṅ.
Exod UrduGeoR 22:28  Allāh ko na kosnā, na apnī qaum ke kisī sardār par lānat karnā.
Exod UrduGeoR 22:29  Mujhe waqt par apne khet aur kolhuoṅ kī paidāwār meṅ se nazarāne pesh karnā. Apne pahlauṭhe mujhe denā.
Exod UrduGeoR 22:30  Apne bailoṅ, bheṛoṅ aur bakriyoṅ ke pahlauṭhoṅ ko bhī mujhe denā. Jānwar kā pahlauṭhā pahle sāt din apnī māṅ ke sāth rahe. Āṭhweṅ din wuh mujhe diyā jāe.
Exod UrduGeoR 22:31  Apne āp ko mere lie maḳhsūs-o-muqaddas rakhnā. Is lie aise jānwar kā gosht mat khānā jise kisī janglī jānwar ne phāṛ ḍālā hai. Aise gosht ko kuttoṅ ko khāne denā.
Chapter 23
Exod UrduGeoR 23:1  Ġhalat afwāheṅ na phailānā. Kisī sharīr ādmī kā sāth de kar jhūṭī gawāhī denā manā hai.
Exod UrduGeoR 23:2  Agar aksariyat ġhalat kām kar rahī ho to us ke pīchhe na ho lenā. Adālat meṅ gawāhī dete waqt aksariyat ke sāth mil kar aisī bāt na karnā jis se ġhalat faislā kiyā jāe.
Exod UrduGeoR 23:3  Lekin adālat meṅ kisī ġharīb kī tarafdārī bhī na karnā.
Exod UrduGeoR 23:4  Agar tujhe tere dushman kā bail yā gadhā āwārā phirtā huā nazar āe to use har sūrat meṅ wāpas kar denā.
Exod UrduGeoR 23:5  Agar tujh se nafrat karne wāle kā gadhā bojh tale gir gayā ho aur tujhe patā lage to use na chhoṛnā balki zarūr us kī madad karnā.
Exod UrduGeoR 23:7  Aise muāmale se dūr rahnā jis meṅ log jhūṭ bolte haiṅ. Jo begunāh aur haq par hai use sazā-e-maut na denā, kyoṅki maiṅ qusūrwār ko haq bajānib nahīṅ ṭhahrāūṅgā.
Exod UrduGeoR 23:8  Rishwat na lenā, kyoṅki rishwat deḳhne wāle ko andhā kar detī hai aur us kī bāt banane nahīṅ detī jo haq par hai.
Exod UrduGeoR 23:9  Jo pardesī tere mulk meṅ mehmān hai us par dabāw na ḍālnā. Tum aise logoṅ kī hālat se ḳhūb wāqif ho, kyoṅki tum ḳhud Misr meṅ pardesī rahe ho.
Exod UrduGeoR 23:10  Chhih sāl tak apnī zamīn meṅ bīj bo kar us kī paidāwār jamā karnā.
Exod UrduGeoR 23:11  Lekin sātweṅ sāl zamīn ko istemāl na karnā balki use paṛe rahne denā. Jo kuchh bhī uge wuh qaum ke ġharīb log khāeṅ. Jo un se bach jāe use janglī jānwar khāeṅ. Apne angūr aur zaitūn ke bāġhoṅ ke sāth bhī aisā hī karnā hai.
Exod UrduGeoR 23:12  Chhih din apnā kām-kāj karnā, lekin sātweṅ din ārām karnā. Phir terā bail aur terā gadhā bhī ārām kar sakeṅge, terī launḍī kā beṭā aur tere sāth rahne wālā pardesī bhī tāzādam ho jāeṅge.
Exod UrduGeoR 23:13  Jo bhī hidāyat maiṅ ne dī hai us par amal kar. Dīgar mābūdoṅ kī parastish na karnā. Maiṅ tere muṅh se un ke nāmoṅ tak kā zikr na sunūṅ.
Exod UrduGeoR 23:14  Sāl meṅ tīn dafā merī tāzīm meṅ īd manānā.
Exod UrduGeoR 23:15  Pahle, Beḳhamīrī Roṭī kī Īd manānā. Abīb ke mahīne meṅ sāt din tak terī roṭī meṅ ḳhamīr na ho jis tarah maiṅ ne hukm diyā hai, kyoṅki is mahīne meṅ tū Misr se niklā. In dinoṅ meṅ koī mere huzūr ḳhālī hāth na āe.
Exod UrduGeoR 23:16  Dūsre, Faslkaṭāī kī Īd us waqt manānā jab tū apne khet meṅ boī huī pahlī fasal kāṭegā. Tīsre, Jamā Karne kī Īd fasal kī kaṭāī ke iḳhtitām par manānā hai jab tū ne angūr aur bāqī bāġhoṅ ke phal jamā kie hoṅge.
Exod UrduGeoR 23:17  Yoṅ tere tamām mard tīn martabā Rab Qādir-e-mutlaq ke huzūr hāzir huā kareṅ.
Exod UrduGeoR 23:18  Jab tū kisī jānwar ko zabah karke qurbānī ke taur par pesh kare to us ke ḳhūn ke sāth aisī roṭī pesh na karnā jis meṅ ḳhamīr ho. Aur jo jānwar tū merī īdoṅ par chaṛhāe un kī charbī aglī subah tak bāqī na rahe.
Exod UrduGeoR 23:19  Apnī zamīn kī pahlī paidāwār kā behtarīn hissā Rab apne Ḳhudā ke ghar meṅ lānā. Bheṛ yā bakrī ke bachche ko us kī māṅ ke dūdh meṅ na pakānā.
Exod UrduGeoR 23:20  Maiṅ tere āge āge farishtā bhejtā hūṅ jo rāste meṅ terī hifāzat karegā aur tujhe us jagah tak le jāegā jo maiṅ ne tere lie taiyār kī hai.
Exod UrduGeoR 23:21  Us kī maujūdagī meṅ ehtiyāt baratnā. Us kī sunanā, aur us kī ḳhilāfwarzī na karnā. Agar tū sarkash ho jāe to wuh tujhe muāf nahīṅ karegā, kyoṅki merā nām us meṅ hāzir hogā.
Exod UrduGeoR 23:22  Lekin agar tū us kī sune aur sab kuchh kare jo maiṅ tujhe batātā hūṅ to maiṅ tere dushmanoṅ kā dushman aur tere muḳhālifoṅ kā muḳhālif hūṅgā.
Exod UrduGeoR 23:23  Kyoṅki merā farishtā tere āge āge chalegā aur tujhe Mulk-e-Kanān tak pahuṅchā degā jahāṅ Amorī, Hittī, Farizzī, Kanānī, Hiwwī aur Yabūsī ābād haiṅ. Tab maiṅ unheṅ rū-e-zamīn par se miṭā dūṅgā.
Exod UrduGeoR 23:24  Un ke mābūdoṅ ko sijdā na karnā, na un kī ḳhidmat karnā. Un ke rasm-o-riwāj bhī na apnānā balki un ke butoṅ ko tabāh kar denā. Jin satūnoṅ ke sāmne wuh ibādat karte haiṅ un ko bhī ṭukṛe ṭukṛe kar ḍālnā.
Exod UrduGeoR 23:25  Rab apne Ḳhudā kī ḳhidmat karnā. Phir maiṅ terī ḳhurāk aur pānī ko barkat de kar tamām bīmāriyāṅ tujh se dūr karūṅga.
Exod UrduGeoR 23:26  Phir tere mulk meṅ na kisī kā bachchā zāe hogā, na koī bāṅjh hogī. Sāth hī maiṅ tujhe tawīl zindagī atā karūṅga.
Exod UrduGeoR 23:27  Maiṅ tere āge āge dahshat phailāūṅgā. Jahāṅ bhī tū jāegā wahāṅ maiṅ tamām qaumoṅ meṅ abtarī paidā karūṅga. Mere sabab se tere sāre dushman palaṭ kar bhāg jāeṅge.
Exod UrduGeoR 23:28  Maiṅ tere āge zambūr bhej dūṅgā jo Hiwwī, Kanānī aur Hittī ko mulk chhoṛne par majbūr kareṅge.
Exod UrduGeoR 23:29  Lekin jab tū wahāṅ pahuṅchegā to maiṅ unheṅ ek hī sāl meṅ mulk se nahīṅ nikālūṅgā. Warnā pūrā mulk wīrān ho jāegā aur janglī jānwar phail kar tere lie nuqsān kā bāis ban jāeṅge.
Exod UrduGeoR 23:30  Is lie maiṅ tere pahuṅchne par mulk ke bāshindoṅ ko thoṛā thoṛā karke nikāltā jāūṅgā. Itne meṅ terī tādād baṛhegī aur tū raftā raftā mulk par qabzā kar sakegā.
Exod UrduGeoR 23:31  Maiṅ terī sarhaddeṅ muqarrar karūṅga. Bahr-e-Qulzum ek had hogī aur Filistiyoṅ kā samundar dūsrī, junūb kā registān ek hogī aur Dariyā-e-Furāt dūsrī. Maiṅ mulk ke bāshindoṅ ko tere qabze meṅ kar dūṅgā, aur tū unheṅ apne āge āge mulk se dūr kartā jāegā.
Exod UrduGeoR 23:32  Lāzim hai ki tū un ke sāth yā un ke mābūdoṅ ke sāth ahd na bāndhe.
Exod UrduGeoR 23:33  Un kā tere mulk meṅ rahnā manā hai, warnā tū un ke sabab se merā gunāh karegā. Agar tū un ke mābūdoṅ kī ibādat karegā to yih tere lie phandā ban jāegā.’”
Chapter 24
Exod UrduGeoR 24:1  Rab ne Mūsā se kahā, “Tū, Hārūn, Nadab, Abīhū aur Isrāīl ke 70 buzurg mere pās ūpar āeṅ. Kuchh fāsile par khaṛe ho kar mujhe sijdā karo.
Exod UrduGeoR 24:2  Sirf tū akelā hī mere qarīb ā, dūsre dūr raheṅ. Aur qaum ke bāqī log tere sāth pahāṛ par na chaṛheṅ.”
Exod UrduGeoR 24:3  Tab Mūsā ne qaum ke pās jā kar Rab kī tamām bāteṅ aur ahkām pesh kie. Jawāb meṅ sab ne mil kar kahā, “Ham Rab kī in tamām bātoṅ par amal kareṅge.”
Exod UrduGeoR 24:4  Tab Mūsā ne Rab kī tamām bāteṅ likh līṅ. Agle din wuh subah-sawere uṭhā aur pahāṛ ke pās gayā. Us ke dāman meṅ us ne qurbāngāh banāī. Sāth hī us ne Isrāīl ke har ek qabīle ke lie ek ek patthar kā satūn khaṛā kiyā.
Exod UrduGeoR 24:5  Phir us ne kuchh Isrāīlī naujawānoṅ ko qurbānī pesh karne ke lie bulāyā tāki wuh Rab kī tāzīm meṅ bhasm hone wālī qurbāniyāṅ chaṛhāeṅ aur jawān bailoṅ ko salāmatī kī qurbānī ke taur par pesh kareṅ.
Exod UrduGeoR 24:6  Mūsā ne qurbāniyoṅ kā ḳhūn jamā kiyā. Us kā ādhā hissā us ne bāsanoṅ meṅ ḍāl diyā aur ādhā hissā qurbāngāh par chhiṛak diyā.
Exod UrduGeoR 24:7  Phir us ne wuh kitāb lī jis meṅ Rab ke sāth ahd kī tamām sharāyt darj thīṅ aur use qaum ko paṛh kar sunāyā. Jawāb meṅ unhoṅ ne kahā, “Ham Rab kī in tamām bātoṅ par amal kareṅge. Ham us kī suneṅge.”
Exod UrduGeoR 24:8  Is par Mūsā ne bāsanoṅ meṅ se ḳhūn le kar use logoṅ par chhiṛkā aur kahā, “Yih ḳhūn us ahd kī tasdīq kartā hai jo Rab ne tumhāre sāth kiyā hai aur jo us kī tamām bātoṅ par mabnī hai.”
Exod UrduGeoR 24:9  Is ke bād Mūsā, Hārūn, Nadab, Abīhū aur Isrāīl ke 70 buzurg Sīnā Pahāṛ par chaṛhe.
Exod UrduGeoR 24:10  Wahāṅ unhoṅ ne Isrāīl ke Ḳhudā ko dekhā. Lagtā thā ki us ke pāṅwoṅ ke nīche sang-e-lājaward kā-sā taḳhtā thā. Wuh āsmān kī mānind sāf-o-shaffāf thā.
Exod UrduGeoR 24:11  Agarche Isrāīl ke rāhnumāoṅ ne yih sab kuchh dekhā to bhī Rab ne unheṅ halāk na kiyā, balki wuh Allāh ko deḳhte rahe aur us ke huzūr ahd kā khānā khāte aur pīte rahe.
Exod UrduGeoR 24:12  Pahāṛ se utarne ke bād Rab ne Mūsā se kahā, “Mere pās pahāṛ par ā kar kuchh der ke lie ṭhahre rahnā. Maiṅ tujhe patthar kī taḳhtiyāṅ dūṅgā jin par maiṅ ne apnī sharīat aur ahkām likhe haiṅ aur jo Isrāīl kī tālīm-o-tarbiyat ke lie zarūrī haiṅ.”
Exod UrduGeoR 24:13  Mūsā apne madadgār Yashua ke sāth chal paṛā aur Allāh ke pahāṛ par chaṛh gayā.
Exod UrduGeoR 24:14  Pahle us ne buzurgoṅ se kahā, “Hamārī wāpasī ke intazār meṅ yahāṅ ṭhahre raho. Hārūn aur Hūr tumhāre pās raheṅge. Koī bhī muāmalā ho to log unhīṅ ke pās jāeṅ.”
Exod UrduGeoR 24:15  Jab Mūsā chaṛhnī lagā to pahāṛ par bādal chhā gayā.
Exod UrduGeoR 24:16  Rab kā jalāl Koh-e-Sīnā par utar āyā. Chhih din tak bādal us par chhāyā rahā. Sātweṅ din Rab ne bādal meṅ se Mūsā ko bulāyā.
Exod UrduGeoR 24:17  Rab kā jalāl Isrāīliyoṅ ko bhī nazar ātā thā. Unheṅ yoṅ lagā jaisā ki pahāṛ kī choṭī par tez āg bhaṛak rahī ho.
Exod UrduGeoR 24:18  Chaṛhte chaṛhte Mūsā bādal meṅ dāḳhil huā. Wahāṅ wuh chālīs din aur chālīs rāt rahā.
Chapter 25
Exod UrduGeoR 25:2  “Isrāīliyoṅ ko batā ki wuh hadiye lā kar mujhe uṭhāne wālī qurbānī ke taur par pesh kareṅ. Lekin sirf un se hadiye qabūl karo jo dilī ḳhushī se deṅ.
Exod UrduGeoR 25:3  Un se yih chīzeṅ hadiye ke taur par qabūl karo: sonā, chāṅdī, pītal;
Exod UrduGeoR 25:4  nīle, arġhawānī aur qirmizī rang kā dhāgā, bārīk katān, bakrī ke bāl,
Exod UrduGeoR 25:5  menḍhoṅ kī surḳh rangī huī khāleṅ, taḳhas kī khāleṅ, kīkar kī lakaṛī,
Exod UrduGeoR 25:6  shamādān ke lie zaitūn kā tel, masah karne ke lie tel aur ḳhushbūdār baḳhūr ke lie masāle,
Exod UrduGeoR 25:7  aqīq-e-ahmar aur dīgar jawāhar jo imām-e-āzam ke bālāposh aur sīne ke kīse meṅ jaṛe jāeṅge.
Exod UrduGeoR 25:8  In chīzoṅ se log mere lie maqdis banāeṅ tāki maiṅ un ke darmiyān rahūṅ.
Exod UrduGeoR 25:9  Maiṅ tujhe maqdis aur us ke tamām sāmān kā namūnā dikhāūṅgā, kyoṅki tumheṅ sab kuchh ain usī ke mutābiq banānā hai.
Exod UrduGeoR 25:10  Log kīkar kī lakaṛī kā sandūq banāeṅ. Us kī lambāī paune chār fuṭ ho jabki us kī chauṛāī aur ūṅchāī sawā do do fuṭ ho. Pūre sandūq par andar aur bāhar se ḳhālis sonā chaṛhānā. Ūpar kī satah ke irdgird sone kī jhālar lagānā. Sandūq ko uṭhāne ke lie sone ke chār kaṛe ḍhāl kar unheṅ sandūq ke chārpāiyoṅ par lagānā. Donoṅ taraf do do kaṛe hoṅ.
Exod UrduGeoR 25:11  Log kīkar kī lakaṛī kā sandūq banāeṅ. Us kī lambāī paune chār fuṭ ho jabki us kī chauṛāī aur ūṅchāī sawā do do fuṭ ho. Pūre sandūq par andar aur bāhar se ḳhālis sonā chaṛhānā. Ūpar kī satah ke irdgird sone kī jhālar lagānā. Sandūq ko uṭhāne ke lie sone ke chār kaṛe ḍhāl kar unheṅ sandūq ke chārpāiyoṅ par lagānā. Donoṅ taraf do do kaṛe hoṅ.
Exod UrduGeoR 25:12  Log kīkar kī lakaṛī kā sandūq banāeṅ. Us kī lambāī paune chār fuṭ ho jabki us kī chauṛāī aur ūṅchāī sawā do do fuṭ ho. Pūre sandūq par andar aur bāhar se ḳhālis sonā chaṛhānā. Ūpar kī satah ke irdgird sone kī jhālar lagānā. Sandūq ko uṭhāne ke lie sone ke chār kaṛe ḍhāl kar unheṅ sandūq ke chārpāiyoṅ par lagānā. Donoṅ taraf do do kaṛe hoṅ.
Exod UrduGeoR 25:13  Phir kīkar kī do lakaṛiyāṅ sandūq ko uṭhāne ke lie taiyār karnā. Un par sonā chaṛhā kar
Exod UrduGeoR 25:14  un ko donoṅ taraf ke kaṛoṅ meṅ ḍālnā tāki un se sandūq ko uṭhāyā jāe.
Exod UrduGeoR 25:15  Yih lakaṛiyāṅ sandūq ke in kaṛoṅ meṅ paṛī raheṅ. Unheṅ kabhī bhī dūr na kiyā jāe.
Exod UrduGeoR 25:16  Sandūq meṅ sharīat kī wuh do taḳhtiyāṅ rakhnā jo maiṅ tujhe dūṅgā.
Exod UrduGeoR 25:17  Sandūq kā ḍhaknā ḳhālis sone kā banānā. Us kī lambāī paune chār fuṭ aur chauṛāī sawā do fuṭ ho. Us kā nām kaffāre kā ḍhaknā hai.
Exod UrduGeoR 25:18  Sone se ghaṛ kar do karūbī farishte banāe jāeṅ jo ḍhakne ke donoṅ siroṅ par khaṛe hoṅ. Yih do farishte aur ḍhaknā ek hī ṭukṛe se banāne haiṅ.
Exod UrduGeoR 25:19  Sone se ghaṛ kar do karūbī farishte banāe jāeṅ jo ḍhakne ke donoṅ siroṅ par khaṛe hoṅ. Yih do farishte aur ḍhaknā ek hī ṭukṛe se banāne haiṅ.
Exod UrduGeoR 25:20  Farishtoṅ ke par yoṅ ūpar kī taraf phaile hue hoṅ ki wuh ḍhakne ko panāh deṅ. Un ke muṅh ek dūsre kī taraf kie hue hoṅ, aur wuh ḍhakne kī taraf dekheṅ.
Exod UrduGeoR 25:21  Ḍhakne ko sandūq par lagā, aur sandūq meṅ sharīat kī wuh do taḳhtiyāṅ rakh jo maiṅ tujhe dūṅgā.
Exod UrduGeoR 25:22  Wahāṅ ḍhakne ke ūpar donoṅ farishtoṅ ke darmiyān se maiṅ apne āp ko tujh par zāhir karke tujh se hamkalām hūṅgā aur tujhe Isrāīliyoṅ ke lie tamām ahkām dūṅgā.
Exod UrduGeoR 25:23  Kīkar kī lakaṛī kī mez banānā. Us kī lambāī tīn fuṭ, chauṛāī ḍeṛh fuṭ aur ūṅchāī sawā do fuṭ ho.
Exod UrduGeoR 25:24  Us par ḳhālis sonā chaṛhānā, aur us ke irdgird sone kī jhālar lagānā.
Exod UrduGeoR 25:25  Mez kī ūpar kī satah par chaukhaṭā lagānā jis kī ūṅchāī tīn inch ho aur jis par sone kī jhālar lagī ho.
Exod UrduGeoR 25:26  Sone ke chār kaṛe ḍhāl kar unheṅ chāroṅ konoṅ par lagānā jahāṅ mez ke pāe lage haiṅ.
Exod UrduGeoR 25:27  Yih kaṛe mez kī satah par lage chaukhaṭe ke nīche lagāe jāeṅ. Un meṅ wuh lakaṛiyāṅ ḍālnī haiṅ jin se mez ko uṭhāyā jāegā.
Exod UrduGeoR 25:28  Yih lakaṛiyāṅ bhī kīkar kī hoṅ aur un par sonā chaṛhāyā jāe. Un se mez ko uṭhānā hai.
Exod UrduGeoR 25:29  Us ke thāl, pyāle, martabān aur mai kī nazareṅ pesh karne ke bartan ḳhālis sone se banānā hai.
Exod UrduGeoR 25:30  Mez par wuh roṭiyāṅ har waqt mere huzūr paṛī raheṅ jo mere lie maḳhsūs haiṅ.
Exod UrduGeoR 25:31  Ḳhālis sone kā shamādān bhī banānā. Us kā pāyā aur ḍanḍī ghaṛ kar banānā hai. Us kī pyāliyāṅ jo phūloṅ aur kaliyoṅ kī shakl kī hoṅgī pāe aur ḍanḍī ke sāth ek hī ṭukṛā hoṅ.
Exod UrduGeoR 25:32  Ḍanḍī se dāīṅ aur bāīṅ taraf tīn tīn shāḳheṅ nikleṅ.
Exod UrduGeoR 25:33  Har shāḳh par tīn pyāliyāṅ lagī hoṅ jo bādām kī kaliyoṅ aur phūloṅ kī shakl kī hoṅ.
Exod UrduGeoR 25:34  Shamādān kī ḍanḍī par bhī is qism kī pyāliyāṅ lagī hoṅ, lekin tādād meṅ chār.
Exod UrduGeoR 25:35  In meṅ se tīn pyāliyāṅ dāeṅ bāeṅ kī chhih shāḳhoṅ ke nīche lagī hoṅ. Wuh yoṅ lagī hoṅ ki har pyālī se do shāḳheṅ nikleṅ.
Exod UrduGeoR 25:36  Shāḳheṅ aur pyāliyāṅ balki pūrā shamādān ḳhālis sone ke ek hī ṭukṛe se ghaṛ kar banānā hai.
Exod UrduGeoR 25:37  Shamādān ke lie sāt charāġh banā kar unheṅ yoṅ shāḳhoṅ par rakhnā ki wuh sāmne kī jagah raushan kareṅ.
Exod UrduGeoR 25:38  Battī katarne kī qainchiyāṅ aur jalte koele ke lie chhoṭe bartan bhī ḳhālis sone se banāe jāeṅ.
Exod UrduGeoR 25:39  Shamādān aur us sāre sāmān ke lie pūre 34 kilogrām ḳhālis sonā istemāl kiyā jāe.
Exod UrduGeoR 25:40  Ġhaur kar ki sab kuchh ain us namūne ke mutābiq banāyā jāe jo maiṅ tujhe yahāṅ pahāṛ par dikhātā hūṅ.
Chapter 26
Exod UrduGeoR 26:1  Muqaddas ḳhaime ke lie das parde banānā. Un ke lie bārīk katān aur nīle, arġhawānī aur qirmizī rang kā dhāgā istemāl karnā. Pardoṅ meṅ kisī māhir kārīgar ke kaṛhāī ke kām se karūbī farishtoṅ kā ḍizāyn banwānā.
Exod UrduGeoR 26:2  Har parde kī lambāī 42 fuṭ aur chauṛāī 6 fuṭ ho.
Exod UrduGeoR 26:3  Pāṅch pardoṅ ke lambe hāshie ek dūsre ke sāth joṛe jāeṅ aur isī tarah bāqī pāṅch bhī. Yoṅ do baṛe ṭukṛe ban jāeṅge.
Exod UrduGeoR 26:4  Donoṅ ṭukṛoṅ ko ek dūsre ke sāth milāne ke lie nīle dhāge ke halqe banānā. Yih halqe har ṭukṛe ke 42 fuṭ wāle ek kināre par lagāe jāeṅ,
Exod UrduGeoR 26:5  ek ṭukṛe ke hāshie par 50 halqe aur dūsre par bhī utne hī halqe. In do hāshiyoṅ ke halqe ek dūsre ke āmne-sāmne hoṅ.
Exod UrduGeoR 26:6  Phir sone kī 50 hukeṅ banā kar un se āmne-sāmne ke halqe ek dūsre ke sāth milānā. Yoṅ donoṅ ṭukṛe juṛ kar ḳhaime kā kām deṅge.
Exod UrduGeoR 26:7  Bakrī ke bāloṅ se bhī 11 parde banānā jinheṅ kapṛe wāle ḳhaime ke ūpar rakhā jāe.
Exod UrduGeoR 26:8  Har parde kī lambāī 45 fuṭ aur chauṛāī 6 fuṭ ho.
Exod UrduGeoR 26:9  Pāṅch pardoṅ ke lambe hāshie ek dūsre ke sāth joṛe jāeṅ aur isī tarah bāqī chhih bhī. In chhih pardoṅ ke chhaṭe parde ko ek dafā tah karnā. Yih sāmne wāle hisse se laṭke.
Exod UrduGeoR 26:10  Bakrī ke bāl ke in donoṅ ṭukṛoṅ ko bhī milānā hai. Is ke lie har ṭukṛe ke 45 fuṭ wāle ek kināre par pachās pachās halqe lagānā.
Exod UrduGeoR 26:11  Phir pītal kī 50 hukeṅ banā kar un se donoṅ hisse milānā.
Exod UrduGeoR 26:12  Jab bakriyoṅ ke bāloṅ kā yih ḳhaimā kapṛe ke ḳhaime ke ūpar lagāyā jāegā to ādhā pardā bāqī rahegā. Wuh ḳhaime kī pichhlī taraf laṭkā rahe.
Exod UrduGeoR 26:13  Ḳhaime ke dāīṅ aur bāīṅ taraf bakrī ke bāloṅ kā ḳhaimā kapṛe ke ḳhaime kī nisbat ḍeṛh ḍeṛh fuṭ lambā hogā. Yoṅ wuh donoṅ taraf laṭke hue kapṛe ke ḳhaime ko mahfūz rakhegā.
Exod UrduGeoR 26:14  Ek dūsre ke ūpar ke in donoṅ ḳhaimoṅ kī hifāzat ke lie do ġhilāf banāne haiṅ. Bakrī ke bāloṅ ke ḳhaime par menḍhoṅ kī surḳh rangī huī khāleṅ joṛ kar rakhī jāeṅ aur un par taḳhas kī khāleṅ milā kar rakhī jāeṅ.
Exod UrduGeoR 26:15  Kīkar kī lakaṛī ke taḳhte banānā jo khaṛe kie jāeṅ tāki ḳhaime kī dīwāroṅ kā kām deṅ.
Exod UrduGeoR 26:16  Har taḳhte kī ūṅchāī 15 fuṭ ho aur chauṛāī sawā do fuṭ.
Exod UrduGeoR 26:17  Har taḳhte ke nīche do do chūleṅ hoṅ. Yih chūleṅ har taḳhte ko us ke pāiyoṅ ke sāth joṛeṅgī tāki taḳhtā khaṛā rahe.
Exod UrduGeoR 26:18  Ḳhaime kī junūbī dīwār ke lie 20 taḳhtoṅ kī zarūrat hai
Exod UrduGeoR 26:19  aur sāth hī chāṅdī ke 40 pāiyoṅ kī. Un par taḳhte khaṛe kie jāeṅge. Har taḳhte ke nīche do pāe hoṅge, aur har pāe meṅ ek chūl lagegī.
Exod UrduGeoR 26:20  Isī tarah ḳhaime kī shimālī dīwār ke lie bhī 20 taḳhtoṅ kī zarūrat hai
Exod UrduGeoR 26:21  aur sāth hī chāṅdī ke 40 pāiyoṅ kī. Wuh bhī taḳhtoṅ ko khaṛā karne ke lie haiṅ. Har taḳhte ke nīche do pāe hoṅge.
Exod UrduGeoR 26:22  Ḳhaime kī pichhlī yānī maġhribī dīwār ke lie chhih taḳhte banānā.
Exod UrduGeoR 26:23  Is dīwār ko shimālī aur junūbī dīwāroṅ ke sāth joṛne ke lie kone wāle do taḳhte banānā.
Exod UrduGeoR 26:24  In do taḳhtoṅ meṅ nīche se le kar ūpar tak konā ho tāki ek se shimālī dīwār maġhribī dīwār ke sāth juṛ jāe aur dūsre se junūbī dīwār maġhribī dīwār ke sāth. In ke ūpar ke sire kaṛoṅ se mazbūt kie jāeṅ.
Exod UrduGeoR 26:25  Yoṅ pichhle yānī maġhribī taḳhtoṅ kī pūrī tādād 8 hogī aur in ke lie chāṅdī ke pāiyoṅ kī tādād 16, har taḳhte ke nīche do do pāe hoṅge.
Exod UrduGeoR 26:26  Is ke alāwā kīkar kī lakaṛī ke shahtīr banānā, tīnoṅ dīwāroṅ ke lie pāṅch pāṅch shahtīr. Wuh har dīwār ke taḳhtoṅ par yoṅ lagāe jāeṅ ki wuh unheṅ ek dūsre ke sāth milāeṅ.
Exod UrduGeoR 26:27  Is ke alāwā kīkar kī lakaṛī ke shahtīr banānā, tīnoṅ dīwāroṅ ke lie pāṅch pāṅch shahtīr. Wuh har dīwār ke taḳhtoṅ par yoṅ lagāe jāeṅ ki wuh unheṅ ek dūsre ke sāth milāeṅ.
Exod UrduGeoR 26:28  Darmiyānī shahtīr dīwār kī ādhī ūṅchāī par dīwār ke ek sire se dūsre sire tak lagāyā jāe.
Exod UrduGeoR 26:29  Shahtīroṅ ko taḳhtoṅ ke sāth lagāne ke lie sone ke kaṛe banā kar taḳhtoṅ meṅ lagānā. Tamām taḳhtoṅ aur shahtīroṅ par sonā chaṛhānā.
Exod UrduGeoR 26:30  Pūre muqaddas ḳhaime ko usī namūne ke mutābiq banānā jo maiṅ tujhe pahāṛ par dikhātā hūṅ.
Exod UrduGeoR 26:31  Ab ek aur pardā banānā. Is ke lie bhī bārīk katān aur nīle, arġhawānī aur qirmizī rang kā dhāgā istemāl karnā. Us par bhī kisī māhir kārīgar ke kaṛhāī ke kām se karūbī farishtoṅ kā ḍizāyn banwānā.
Exod UrduGeoR 26:32  Ise sone kī hukoṅ se kīkar kī lakaṛī ke chār satūnoṅ se laṭkānā. In satūnoṅ par sonā chaṛhāyā jāe aur wuh chāṅdī ke pāiyoṅ par khaṛe hoṅ.
Exod UrduGeoR 26:33  Yih pardā Muqaddas Kamre ko Muqaddastarīn Kamre se alag karegā jis meṅ ahd kā sandūq paṛā rahegā. Parde ko laṭkāne ke bād us ke pīchhe Muqaddastarīn Kamre meṅ ahd kā sandūq rakhnā.
Exod UrduGeoR 26:34  Phir ahd ke sandūq par kaffāre kā ḍhaknā rakhnā.
Exod UrduGeoR 26:35  Jis mez par mere lie maḳhsūs kī gaī roṭiyāṅ paṛī rahtī haiṅ wuh parde ke bāhar Muqaddas Kamre meṅ shimāl kī taraf rakhī jāe. Us ke muqābil junūb kī taraf shamādān rakhā jāe.
Exod UrduGeoR 26:36  Phir ḳhaime ke darwāze ke lie bhī pardā banāyā jāe. Is ke lie bhī bārīk katān aur nīle, arġhawānī aur qirmizī rang kā dhāgā istemāl kiyā jāe. Is par kaṛhāī kā kām kiyā jāe.
Exod UrduGeoR 26:37  Is parde ko sone kī hukoṅ se kīkar kī lakaṛī ke pāṅch satūnoṅ se laṭkānā. In satūnoṅ par bhī sonā chaṛhāyā jāe, aur wuh pītal ke pāiyoṅ par khaṛe hoṅ.
Chapter 27
Exod UrduGeoR 27:1  Kīkar kī lakaṛī kī qurbāngāh banānā. Us kī ūṅchāī sāṛhe chār fuṭ ho jabki us kī lambāī aur chauṛāī sāṛhe sāt sāt fuṭ ho.
Exod UrduGeoR 27:2  Us ke ūpar chāroṅ konoṅ meṅ se ek ek sīṅg nikle. Sīṅg aur qurbāngāh ek hī ṭukṛe ke hoṅ. Sab par pītal chaṛhānā.
Exod UrduGeoR 27:3  Us kā tamām sāz-o-sāmān aur bartan bhī pītal ke hoṅ yānī rākh ko uṭhā kar le jāne kī bālṭiyāṅ, belche, kāṅṭe, jalte hue koele ke lie bartan aur chhiṛkāw ke kaṭore.
Exod UrduGeoR 27:4  Qurbāngāh ko uṭhāne ke lie pītal kā janglā banānā jo ūpar se khulā ho. Jangle ke chāroṅ konoṅ par kaṛe lagāe jāeṅ.
Exod UrduGeoR 27:5  Qurbāngāh kī ādhī ūṅchāī par kinārā lagānā, aur qurbāngāh ko jangle meṅ is kināre tak rakhā jāe.
Exod UrduGeoR 27:6  Use uṭhāne ke lie kīkar kī do lakaṛiyāṅ banānā jin par pītal chaṛhānā hai.
Exod UrduGeoR 27:7  Un ko qurbāngāh ke donoṅ taraf ke kaṛoṅ meṅ ḍāl denā.
Exod UrduGeoR 27:8  Pūrī qurbāngāh lakaṛī kī ho, lekin andar se khokhlī ho. Use ain us namūne ke mutābiq banānā jo maiṅ tujhe pahāṛ par dikhātā hūṅ.
Exod UrduGeoR 27:9  Muqaddas ḳhaime ke lie sahan banānā. Us kī chārdīwārī bārīk katān ke kapṛe se banāī jāe. Chārdīwārī kī lambāī junūb kī taraf 150 fuṭ ho.
Exod UrduGeoR 27:10  Kapṛe ko chāṅdī kī hukoṅ aur paṭṭiyoṅ se lakaṛī ke 20 khamboṅ ke sāth lagāyā jāe. Har khambā pītal ke pāe par khaṛā ho.
Exod UrduGeoR 27:11  Chārdīwārī shimāl kī taraf bhī isī kī mānind ho.
Exod UrduGeoR 27:12  Ḳhaime ke pīchhe maġhrib kī taraf chārdīwārī kī chauṛāī 75 fuṭ ho aur kapṛā lakaṛī ke 10 khamboṅ ke sāth lagāyā jāe. Yih khambe bhī pītal ke pāiyoṅ par khaṛe hoṅ.
Exod UrduGeoR 27:13  Sāmne, mashriq kī taraf jahāṅ se sūraj tulū hotā hai chārdīwārī kī chauṛāī bhī 75 fuṭ ho.
Exod UrduGeoR 27:14  Yahāṅ chārdīwārī kā darwāzā ho. Kapṛā darwāze ke dāīṅ taraf sāṛhe 22 fuṭ chauṛā ho aur us ke bāīṅ taraf bhī utnā hī chauṛā. Use donoṅ taraf tīn tīn lakaṛī ke khamboṅ ke sāth lagāyā jāe jo pītal ke pāiyoṅ par khaṛe hoṅ.
Exod UrduGeoR 27:15  Yahāṅ chārdīwārī kā darwāzā ho. Kapṛā darwāze ke dāīṅ taraf sāṛhe 22 fuṭ chauṛā ho aur us ke bāīṅ taraf bhī utnā hī chauṛā. Use donoṅ taraf tīn tīn lakaṛī ke khamboṅ ke sāth lagāyā jāe jo pītal ke pāiyoṅ par khaṛe hoṅ.
Exod UrduGeoR 27:16  Darwāze kā pardā 30 fuṭ chauṛā banānā. Wuh nīle, arġhawānī aur qirmizī rang ke dhāge aur bārīk katān se banāyā jāe, aur us par kaṛhāī kā kām ho. Yih kapṛā lakaṛī ke chār khamboṅ ke sāth lagāyā jāe. Wuh bhī pītal ke pāiyoṅ par khaṛe hoṅ.
Exod UrduGeoR 27:17  Tamām khambe pītal ke pāiyoṅ par khaṛe hoṅ aur kapṛā chāṅdī kī hukoṅ aur paṭṭiyoṅ se har khambe ke sāth lagāyā jāe.
Exod UrduGeoR 27:18  Chārdīwārī kī lambāī 150 fuṭ, chauṛāī 75 fuṭ aur ūṅchāī sāṛhe 7 fuṭ ho. Khamboṅ ke tamām pāe pītal ke hoṅ.
Exod UrduGeoR 27:19  Jo bhī sāz-o-sāmān muqaddas ḳhaime meṅ istemāl kiyā jātā hai wuh sab pītal kā ho. Ḳhaime aur chārdīwārī kī meḳheṅ bhī pītal kī hoṅ.
Exod UrduGeoR 27:20  Isrāīliyoṅ ko hukm denā ki wuh tere pās kūṭe hue zaitūnoṅ kā ḳhālis tel lāeṅ tāki Muqaddas Kamre ke shamādān ke charāġh mutawātir jalte raheṅ.
Exod UrduGeoR 27:21  Hārūn aur us ke beṭe shamādān ko mulāqāt ke ḳhaime ke Muqaddas Kamre meṅ rakheṅ, us parde ke sāmne jis ke pīchhe ahd kā sandūq hai. Us meṅ wuh tel ḍālte raheṅ tāki wuh Rab ke sāmne shām se le kar subah tak jaltā rahe. Isrāīliyoṅ kā yih usūl abad tak qāym rahe.
Chapter 28
Exod UrduGeoR 28:1  Apne bhāī Hārūn aur us ke beṭoṅ Nadab, Abīhū, Iliyazar aur Itamar ko bulā. Maiṅ ne unheṅ Isrāīliyoṅ meṅ se chun liyā hai tāki wuh imāmoṅ kī haisiyat se merī ḳhidmat kareṅ.
Exod UrduGeoR 28:2  Apne bhāī Hārūn ke lie muqaddas libās banwānā jo purwaqār aur shāndār hoṅ.
Exod UrduGeoR 28:3  Libās banāne kī zimmedārī un tamām logoṅ ko denā jo aise kāmoṅ meṅ māhir haiṅ aur jin ko maiṅ ne hikmat kī rūh se bhar diyā hai. Kyoṅki jab Hārūn ko maḳhsūs kiyā jāegā aur wuh muqaddas ḳhaime kī ḳhidmat saranjām degā to use in kapṛoṅ kī zarūrat hogī.
Exod UrduGeoR 28:4  Us ke lie yih libās banāne haiṅ: sīne kā kīsā, bālāposh, choġhā, bunā huā zerjāmā, pagaṛī aur kamarband. Yih kapṛe apne bhāī Hārūn aur us ke beṭoṅ ke lie banwāne haiṅ tāki wuh imām ke taur par ḳhidmat kar sakeṅ.
Exod UrduGeoR 28:5  In kapṛoṅ ke lie sonā aur nīle, arġhawānī aur qirmizī rang kā dhāgā aur bārīk katān istemāl kiyā jāe.
Exod UrduGeoR 28:6  Bālāposh ko bhī sone aur nīle, arġhawānī aur qirmizī rang ke dhāge aur bārīk katān se banānā hai. Us par kisī māhir kārīgar se kaṛhāī kā kām karwāyā jāe.
Exod UrduGeoR 28:7  Us kī do paṭṭiyāṅ hoṅ jo kandhoṅ par rakh kar sāmne aur pīchhe se bālāposh ke sāth lagī hoṅ.
Exod UrduGeoR 28:8  Is ke alāwā ek paṭkā bunanā hai jis se bālāposh ko bāndhā jāe aur jo bālāposh ke sāth ek ṭukṛā ho. Us ke lie bhī sonā, nīle, arġhawānī aur qirmizī rang kā dhāgā aur bārīk katān istemāl kiyā jāe.
Exod UrduGeoR 28:9  Phir aqīq-e-ahmar ke do patthar chun kar un par Isrāīl ke bārah beṭoṅ ke nām kandā karnā.
Exod UrduGeoR 28:10  Har jauhar par chhih chhih nām un kī paidāish kī tartīb ke mutābiq kandā kie jāeṅ.
Exod UrduGeoR 28:11  Yih nām us tarah jauharoṅ par kandā kie jāeṅ jis tarah muhr kandā kī jātī hai. Phir donoṅ jauhar sone ke ḳhānoṅ meṅ jaṛ kar
Exod UrduGeoR 28:12  bālāposh kī do paṭṭiyoṅ par aise lagānā ki kandhoṅ par ā jāeṅ. Jab Hārūn mere huzūr āegā to jauharoṅ par ke yih nām us ke kandhoṅ par hoṅge aur mujhe Isrāīliyoṅ kī yād dilāeṅge.
Exod UrduGeoR 28:14  aur ḳhālis sone kī do zanjīreṅ jo ḍorī kī tarah gundhī huī hoṅ. Phir in do zanjīroṅ ko sone ke ḳhānoṅ ke sāth lagānā.
Exod UrduGeoR 28:15  Sīne ke lie kīsā banānā. Us meṅ wuh qur'e paṛe raheṅ jin kī mārifat merī marzī mālūm kī jāegī. Māhir kārīgar use unhīṅ chīzoṅ se banāe jin se Hārūn kā bālāposh banāyā gayā hai yānī sone aur nīle, arġhawānī aur qirmizī rang ke dhāge aur bārīk katān se.
Exod UrduGeoR 28:16  Jab kapṛe ko ek dafā tah kiyā gayā ho to kīse kī lambāī aur chauṛāī nau nau inch ho.
Exod UrduGeoR 28:17  Us par chār qatāroṅ meṅ jawāhar jaṛnā. Har qatār meṅ tīn tīn jauhar hoṅ. Pahlī qatār meṅ lāl, zabarjad aur zumurrad.
Exod UrduGeoR 28:18  Dūsrī meṅ fīrozā, sang-e-lājaward aur hajrul-qamar.
Exod UrduGeoR 28:19  tīsrī meṅ zarqon, aqīq aur yāqūt-e-arġhawānī.
Exod UrduGeoR 28:20  chauthī meṅ pukhrāj, aqīq-e-ahmar aur yashab. har jauhar sone ke ḳhāne meṅ jaṛā huā ho.
Exod UrduGeoR 28:21  Yih bārah jawāhar Isrāīl ke bārah qabīloṅ kī numāindagī karte haiṅ. Ek ek jauhar par ek qabīle kā nām kandā kiyā jāe. Yih nām us tarah kandā kie jāeṅ jis tarah muhr kandā kī jātī hai.
Exod UrduGeoR 28:22  Sīne ke kīse par ḳhālis sone kī do zanjīreṅ lagānā jo ḍorī kī tarah gundhī huī hoṅ.
Exod UrduGeoR 28:23  Unheṅ lagāne ke lie do kaṛe banā kar kīse ke ūpar ke do konoṅ par lagānā.
Exod UrduGeoR 28:24  Ab donoṅ zanjīreṅ un do kaṛoṅ se lagānā.
Exod UrduGeoR 28:25  Un ke dūsre sire bālāposh kī kandhoṅ wālī paṭṭiyoṅ ke do ḳhānoṅ ke sāth joṛ denā, phir sāmne kī taraf lagānā.
Exod UrduGeoR 28:26  Kīse ke nichle do konoṅ par bhī sone ke do kaṛe lagānā. Wuh andar, bālāposh kī taraf lage hoṅ.
Exod UrduGeoR 28:27  Ab do aur kaṛe banā kar bālāposh kī kandhoṅ wālī paṭṭiyoṅ par lagānā. Yih bhī sāmne kī taraf lage hoṅ lekin nīche, bālāposh ke paṭke ke ūpar hī.
Exod UrduGeoR 28:28  Sīne ke kīse ke nichle kaṛe nīlī ḍorī se bālāposh ke in nichle kaṛoṅ ke sāth bāndhe jāeṅ. Yoṅ kīsā paṭke ke ūpar achchhī tarah sīne ke sāth lagā rahegā.
Exod UrduGeoR 28:29  Jab bhī Hārūn maqdis meṅ dāḳhil ho kar Rab ke huzūr āegā wuh Isrāīlī qabīloṅ ke nām apne dil par sīne ke kīse kī sūrat meṅ sāth le jāegā. Yoṅ wuh qaum kī yād dilātā rahegā.
Exod UrduGeoR 28:30  Sīne ke kīse meṅ donoṅ qur'e banām Ūrīm aur Tummīm rakhe jāeṅ. Wuh bhī maqdis meṅ Rab ke sāmne āte waqt Hārūn ke dil par hoṅ. Yoṅ jab Hārūn Rab ke huzūr hogā to Rab kī marzī pūchhne kā wasīlā hameshā us ke dil par hogā.
Exod UrduGeoR 28:31  Choġhā bhī bunanā. Wuh pūrī tarah nīle dhāge se banāyā jāe. Choġhe ko bālāposh se pahle pahnā jāe.
Exod UrduGeoR 28:32  Us ke garebān ko bune hue kālar se mazbūt kiyā jāe tāki wuh na phaṭe.
Exod UrduGeoR 28:33  Nīle, arġhawānī aur qirmizī rang ke dhāge se anār banā kar unheṅ choġhe ke dāman meṅ lagā denā. Un ke darmiyān sone kī ghanṭiyāṅ lagānā.
Exod UrduGeoR 28:34  Dāman meṅ anār aur ghanṭiyāṅ bārī bārī lagānā.
Exod UrduGeoR 28:35  Hārūn ḳhidmat karte waqt hameshā choġhā pahne. Jab wuh maqdis meṅ Rab ke huzūr āegā aur wahāṅ se niklegā to ghanṭiyāṅ sunāī deṅgī. Phir wuh nahīṅ maregā.
Exod UrduGeoR 28:36  Ḳhālis sone kī taḳhtī banā kar us par yih alfāz kandā karnā, ‘Rab ke lie Maḳhsūs-o-Muqaddas.’ Yih alfāz yoṅ kandā kie jāeṅ jis tarah muhr kandā kī jātī hai.
Exod UrduGeoR 28:37  Use nīlī ḍorī se pagaṛī ke sāmne wāle hisse se lagāyā jāe
Exod UrduGeoR 28:38  tāki wuh Hārūn ke māthe par paṛī rahe. Jab bhī wuh maqdis meṅ jāe to yih taḳhtī sāth ho. Jab Isrāīlī apne nazarāne lā kar Rab ke lie maḳhsūs kareṅ lekin kisī ġhaltī ke bāis qusūrwār hoṅ to un kā yih qusūr Hārūn par muntaqil hogā. Is lie yih taḳhtī har waqt us ke māthe par ho tāki Rab Isrāīliyoṅ ko qabūl kar le.
Exod UrduGeoR 28:39  Zerjāme ko bārīk katān se bunanā aur is tarah pagaṛī bhī. Phir kamarband banānā. Us par kaṛhāī kā kām kiyā jāe.
Exod UrduGeoR 28:40  Hārūn ke beṭoṅ ke lie bhī zerjāme, kamarband aur pagaṛiyāṅ banānā tāki wuh purwaqār aur shāndār nazar āeṅ.
Exod UrduGeoR 28:41  Yih sab apne bhāī Hārūn aur us ke beṭoṅ ko pahnānā. Un ke saroṅ par tel unḍel kar unheṅ masah karnā. Yoṅ unheṅ un ke ohde par muqarrar karke merī ḳhidmat ke lie maḳhsūs karnā.
Exod UrduGeoR 28:42  Un ke lie katān ke pājāme bhī banānā tāki wuh zerjāme ke nīche nange na hoṅ. Un kī lambāī kamr se rān tak ho.
Exod UrduGeoR 28:43  Jab bhī Hārūn aur us ke beṭe mulāqāt ke ḳhaime meṅ dāḳhil hoṅ to unheṅ yih pājāme pahnane haiṅ. Isī tarah jab unheṅ Muqaddas Kamre meṅ ḳhidmat karne ke lie qurbāngāh ke pās ānā hotā hai to wuh yih pahneṅ, warnā wuh qusūrwār ṭhahar kar mar jāeṅge. Yih Hārūn aur us kī aulād ke lie ek abadī usūl hai.
Chapter 29
Exod UrduGeoR 29:1  Imāmoṅ ko maqdis meṅ merī ḳhidmat ke lie maḳhsūs karne kā yih tarīqā hai: Ek jawān bail aur do beaib menḍhe chun lenā.
Exod UrduGeoR 29:2  Behtarīn maide se tīn qism kī chīzeṅ pakānā jin meṅ ḳhamīr na ho. Pahle, sādā roṭī. Dūsre, roṭī jis meṅ tel ḍālā gayā ho. Tīsre, roṭī jis par tel lagāyā gayā ho.
Exod UrduGeoR 29:3  Yih chīzeṅ ṭokrī meṅ rakh kar jawān bail aur do menḍhoṅ ke sāth Rab ko pesh karnā.
Exod UrduGeoR 29:4  Phir Hārūn aur us ke beṭoṅ ko mulāqāt ke ḳhaime ke darwāze par lā kar ġhusl karānā.
Exod UrduGeoR 29:5  Is ke bād zerjāmā, choġhā, bālāposh aur sīne kā kīsā le kar Hārūn ko pahnānā. Bālāposh ko us ke mahārat se bune hue paṭke ke zariye bāndhnā.
Exod UrduGeoR 29:6  Us ke sar par pagaṛī bāndh kar us par sone kī muqaddas taḳhtī lagānā.
Exod UrduGeoR 29:7  Hārūn ke sar par masah kā tel unḍel kar use masah karnā.
Exod UrduGeoR 29:8  Phir us ke beṭoṅ ko āge lā kar zerjāmā pahnānā.
Exod UrduGeoR 29:9  Un ke pagaṛiyāṅ aur kamarband bāndhnā. Yoṅ tū Hārūn aur us ke beṭoṅ ko un ke mansab par muqarrar karnā. Sirf wuh aur un kī aulād hameshā tak maqdis meṅ merī ḳhidmat karte raheṅ.
Exod UrduGeoR 29:10  Bail ko mulāqāt ke ḳhaime ke sāmne lānā. Hārūn aur us ke beṭe us ke sar par apne hāth rakheṅ.
Exod UrduGeoR 29:11  Use ḳhaime ke darwāze ke sāmne Rab ke huzūr zabah karnā.
Exod UrduGeoR 29:12  Bail ke ḳhūn meṅ se kuchh le kar apnī unglī se qurbāngāh ke sīṅgoṅ par lagānā aur bāqī ḳhūn qurbāngāh ke pāe par unḍel denā.
Exod UrduGeoR 29:13  Antaṛiyoṅ par kī tamām charbī, joṛkalejī aur donoṅ gurde un kī charbī samet le kar qurbāngāh par jalā denā.
Exod UrduGeoR 29:14  Lekin bail ke gosht, khāl aur antaṛiyoṅ ke gobar ko ḳhaimāgāh ke bāhar jalā denā. Yih gunāh kī qurbānī hai.
Exod UrduGeoR 29:15  Is ke bād pahle menḍhe ko le ānā. Hārūn aur us ke beṭe apne hāth menḍhe ke sar par rakheṅ.
Exod UrduGeoR 29:16  Use zabah karke us kā ḳhūn qurbāngāh ke chār pahluoṅ par chhiṛaknā.
Exod UrduGeoR 29:17  Menḍhe ko ṭukṛe ṭukṛe karke us kī antaṛiyoṅ aur pinḍliyoṅ ko dhonā. Phir unheṅ sar aur bāqī ṭukṛoṅ ke sāth milā kar
Exod UrduGeoR 29:18  pūre menḍhe ko qurbāngāh par jalā denā. Jalne wālī yih qurbānī Rab ke lie bhasm hone wālī qurbānī hai, aur us kī ḳhushbū Rab ko pasand hai.
Exod UrduGeoR 29:19  Ab dūsre menḍhe ko le ānā. Hārūn aur us ke beṭe apne hāth menḍhe ke sar par rakheṅ.
Exod UrduGeoR 29:20  Us ko zabah karnā. Us ke ḳhūn meṅ se kuchh le kar Hārūn aur us ke beṭoṅ ke dahne kān kī lau par lagānā. Isī tarah ḳhūn ko un ke dahne hāth aur dahne pāṅw ke angūṭhoṅ par bhī lagānā. Bāqī ḳhūn qurbāngāh ke chār pahluoṅ par chhiṛaknā.
Exod UrduGeoR 29:21  Jo ḳhūn qurbāngāh par paṛā hai us meṅ se kuchh le kar aur masah ke tel ke sāth milā kar Hārūn aur us ke kapṛoṅ par chhiṛaknā. Isī tarah us ke beṭoṅ aur un ke kapṛoṅ par bhī chhiṛaknā. Yoṅ wuh aur us ke beṭe ḳhidmat ke lie maḳhsūs-o-muqaddas ho jāeṅge.
Exod UrduGeoR 29:22  Is menḍhe kā ḳhās maqsad yih hai ki Hārūn aur us ke beṭoṅ ko maqdis meṅ ḳhidmat karne kā iḳhtiyār aur ohdā diyā jāe. Menḍhe kī charbī, dum, antaṛiyoṅ par kī sārī charbī, joṛkalejī, donoṅ gurde un kī charbī samet aur dahnī rān alag karnī hai.
Exod UrduGeoR 29:23  Us ṭokrī meṅ se jo Rab ke huzūr yānī ḳhaime ke darwāze par paṛī hai ek sādā roṭī, ek roṭī jis meṅ tel ḍālā gayā ho aur ek roṭī jis par tel lagāyā gayā ho nikālnā.
Exod UrduGeoR 29:24  Menḍhe se alag kī gaī chīzeṅ aur beḳhamīrī roṭī kī ṭokrī kī yih chīzeṅ le kar Hārūn aur us ke beṭoṅ ke hāthoṅ meṅ denā, aur wuh unheṅ hilāne wālī qurbānī ke taur par Rab ke sāmne hilāeṅ.
Exod UrduGeoR 29:25  Phir yih chīzeṅ un se wāpas le kar bhasm hone wālī qurbānī ke sāth qurbāngāh par jalā denā. Yih Rab ke lie jalne wālī qurbānī hai, aur us kī ḳhushbū Rab ko pasand hai.
Exod UrduGeoR 29:26  Ab us menḍhe kā Sīnā lenā jis kī mārifat Hārūn ko imām-e-āzam kā iḳhtiyār diyā jātā hai. Sīne ko bhī hilāne wālī qurbānī ke taur par Rab ke sāmne hilānā. Yih Sīnā qurbānī kā terā hissā hogā.
Exod UrduGeoR 29:27  Yoṅ tujhe Hārūn aur us ke beṭoṅ kī maḳhsūsiyat ke lie mustāmal menḍhe ke ṭukṛe maḳhsūs-o-muqaddas karne haiṅ. Us ke sīne ko Rab ke sāmne hilāne wālī qurbānī ke taur par hilāyā jāe aur us kī rān ko uṭhāne wālī qurbānī ke taur par uṭhāyā jāe.
Exod UrduGeoR 29:28  Hārūn aur us kī aulād ko Isrāīliyoṅ kī taraf se hameshā tak yih milne kā haq hai. Jab bhī Isrāīlī Rab ko apnī salāmatī kī qurbāniyāṅ pesh kareṅ to imāmoṅ ko yih do ṭukṛe mileṅge.
Exod UrduGeoR 29:29  Jab Hārūn faut ho jāegā to us ke muqaddas libās us kī aulād meṅ se us mard ko dene haiṅ jise masah karke Hārūn kī jagah muqarrar kiyā jāegā.
Exod UrduGeoR 29:30  Jo beṭā us kī jagah muqarrar kiyā jāegā aur maqdis meṅ ḳhidmat karne ke lie mulāqāt ke ḳhaime meṅ āegā wuh yih libās sāt din tak pahne rahe.
Exod UrduGeoR 29:31  Jo menḍhā Hārūn aur us ke beṭoṅ kī maḳhsūsiyat ke lie zabah kiyā gayā hai use muqaddas jagah par ubālnā hai.
Exod UrduGeoR 29:32  Phir Hārūn aur us ke beṭe mulāqāt ke ḳhaime ke darwāze par menḍhe kā gosht aur ṭokrī kī beḳhamīrī roṭiyāṅ khāeṅ.
Exod UrduGeoR 29:33  Wuh yih chīzeṅ khāeṅ jin se unheṅ gunāhoṅ kā kaffārā aur imām kā ohdā milā hai. Lekin koī aur yih na khāe, kyoṅki yih maḳhsūs-o-muqaddas haiṅ.
Exod UrduGeoR 29:34  Aur agar aglī subah tak is gosht yā roṭī meṅ se kuchh bach jāe to use jalāyā jāe. Use khānā manā hai, kyoṅki wuh muqaddas hai.
Exod UrduGeoR 29:35  Jab tū Hārūn aur us ke beṭoṅ ko imām muqarrar karegā to ain merī hidāyat par amal karnā. Yih taqrīb sāt din tak manāī jāe.
Exod UrduGeoR 29:36  Is ke daurān gunāh kī qurbānī ke taur par rozānā ek jawān bail zabah karnā. Is se tū qurbāngāh kā kaffārā de kar use har tarah kī nāpākī se pāk karegā. Is ke alāwā us par masah kā tel unḍelnā. Is se wuh mere lie maḳhsūs-o-muqaddas ho jāegā.
Exod UrduGeoR 29:37  Sāt din tak qurbāngāh kā kaffārā de kar use pāk-sāf karnā aur use tel se maḳhsūs-o-muqaddas karnā. Phir qurbāngāh nihāyat muqaddas hogī. Jo bhī use chhuegā wuh bhī maḳhsūs-o-muqaddas ho jāegā.
Exod UrduGeoR 29:38  Rozānā ek ek sāl ke do bheṛ ke nar bachche qurbāngāh par jalā denā,
Exod UrduGeoR 29:39  ek ko subah ke waqt, dūsre ko sūraj ke ġhurūb hone ke ain bād.
Exod UrduGeoR 29:40  Pahle jānwar ke sāth ḍeṛh kilogrām behtarīn maidā pesh kiyā jāe jo kūṭe hue zaitūnoṅ ke ek liṭar tel ke sāth milāyā gayā ho. Mai kī nazar ke taur par ek liṭar mai bhī qurbāngāh par unḍelnā.
Exod UrduGeoR 29:41  Dūsre jānwar ke sāth bhī ġhallā aur mai kī yih do nazareṅ pesh kī jāeṅ. Aisī qurbānī kī ḳhushbū Rab ko pasand hai.
Exod UrduGeoR 29:42  Lāzim hai ki āne wālī tamām nasleṅ bhasm hone wālī yih qurbānī bāqāydagī se muqaddas ḳhaime ke darwāze par Rab ke huzūr chaṛhāeṅ. Wahāṅ maiṅ tum se milā karūṅga aur tum se hamkalām hūṅgā.
Exod UrduGeoR 29:43  Wahāṅ maiṅ Isrāīliyoṅ se bhī milā karūṅga, aur wuh jagah mere jalāl se maḳhsūs-o-muqaddas ho jāegī.
Exod UrduGeoR 29:44  Yoṅ maiṅ mulāqāt ke ḳhaime aur qurbāngāh ko maḳhsūs karūṅga aur Hārūn aur us ke beṭoṅ ko maḳhsūs karūṅga tāki wuh imāmoṅ kī haisiyat se merī ḳhidmat kareṅ.
Exod UrduGeoR 29:45  Tab maiṅ Isrāīliyoṅ ke darmiyān rahūṅgā aur un kā Ḳhudā hūṅgā.
Exod UrduGeoR 29:46  Wuh jān leṅge ki maiṅ Rab un kā Ḳhudā hūṅ, ki maiṅ unheṅ Misr se nikāl lāyā tāki un ke darmiyān sukūnat karūṅ. Maiṅ Rab un kā Ḳhudā hūṅ.
Chapter 30
Exod UrduGeoR 30:1  Kīkar kī lakaṛī kī qurbāngāh banānā jis par baḳhūr jalāyā jāe.
Exod UrduGeoR 30:2  Wuh ḍeṛh fuṭ lambī, itnī hī chauṛī aur tīn fuṭ ūṅchī ho. Us ke chāroṅ konoṅ meṅ se sīṅg nikleṅ jo qurbāngāh ke sāth ek hī ṭukṛe se banāe gae hoṅ.
Exod UrduGeoR 30:3  Us kī ūpar kī satah, us ke chār pahluoṅ aur us ke sīṅgoṅ par ḳhālis sonā chaṛhānā. Ūpar kī satah ke irdgird sone kī jhālar ho.
Exod UrduGeoR 30:4  Sone ke do kaṛe banā kar inheṅ us jhālar ke nīche ek dūsre ke muqābil pahluoṅ par lagānā. In kaṛoṅ meṅ qurbāngāh ko uṭhāne kī lakaṛiyāṅ ḍālī jāeṅgī.
Exod UrduGeoR 30:5  Yih lakaṛiyāṅ kīkar kī hoṅ, aur un par bhī sonā chaṛhānā.
Exod UrduGeoR 30:6  Is qurbāngāh ko ḳhaime ke Muqaddas Kamre meṅ us parde ke sāmne rakhnā jis ke pīchhe ahd kā sandūq aur us kā ḍhaknā hoṅge, wuh ḍhaknā jahāṅ maiṅ tujh se milā karūṅga.
Exod UrduGeoR 30:7  Jab Hārūn har subah shamādān ke charāġh taiyār kare us waqt wuh us par ḳhushbūdār baḳhūr jalāe.
Exod UrduGeoR 30:8  Sūraj ke ġhurūb hone ke bād bhī jab wuh dubārā charāġhoṅ kī dekh-bhāl karegā to wuh sāth sāth baḳhūr jalāe. Yoṅ Rab ke sāmne baḳhūr mutawātir jaltā rahe. Lāzim hai ki bād kī nasleṅ bhī is usūl par qāym raheṅ.
Exod UrduGeoR 30:9  Is qurbāngāh par sirf jāyz baḳhūr istemāl kiyā jāe. Is par na to jānwaroṅ kī qurbāniyāṅ chaṛhāī jāeṅ, na ġhallā yā mai kī nazareṅ pesh kī jāeṅ.
Exod UrduGeoR 30:10  Hārūn sāl meṅ ek dafā us kā kaffārā de kar use pāk kare. Is ke lie wuh kaffāre ke din us qurbānī kā kuchh ḳhūn sīṅgoṅ par lagāe. Yih usūl bhī abad tak qāym rahe. Yih qurbāngāh Rab ke lie nihāyat muqaddas hai.”
Exod UrduGeoR 30:12  “Jab bhī tū Isrāīliyoṅ kī mardumshumārī kare to lāzim hai ki jin kā shumār kiyā gayā ho wuh Rab ko apnī jān kā fidyā deṅ tāki un meṅ wabā na phaile.
Exod UrduGeoR 30:13  Jis jis kā shumār kiyā gayā ho wuh chāṅdī ke ādhe sikke ke barābar raqam uṭhāne wālī qurbānī ke taur par de. Sikke kā wazn maqdis ke sikkoṅ ke barābar ho. Yānī chāṅdī ke sikke kā wazn 11 grām ho, is lie chhih grām chāṅdī denī hai.
Exod UrduGeoR 30:14  Jis kī bhī umr 20 sāl yā is se zāyd ho wuh Rab ko yih raqam uṭhāne wālī qurbānī ke taur par de.
Exod UrduGeoR 30:15  Amīr aur ġharīb donoṅ itnā hī deṅ, kyoṅki yihī nazarānā Rab ko pesh karne se tumhārī jān kā kaffārā diyā jātā hai.
Exod UrduGeoR 30:16  Kaffāre kī yih raqam mulāqāt ke ḳhaime kī ḳhidmat ke lie istemāl karnā. Phir yih nazarānā Rab ko yād dilātā rahegā ki tumhārī jānoṅ kā kaffārā diyā gayā hai.”
Exod UrduGeoR 30:18  “Pītal kā ḍhāṅchā banānā jis par pītal kā hauz banā kar rakhnā hai. Yih hauz dhone ke lie hai. Use sahan meṅ mulāqāt ke ḳhaime aur jānwaroṅ ko chaṛhāne kī qurbāngāh ke darmiyān rakh kar pānī se bhar denā.
Exod UrduGeoR 30:19  Hārūn aur us ke beṭe apne hāth-pāṅw dhone ke lie us kā pānī istemāl kareṅ.
Exod UrduGeoR 30:20  Mulāqāt ke ḳhaime meṅ dāḳhil hone se pahle hī wuh apne āp ko dhoeṅ warnā wuh mar jāeṅge. Isī tarah jab bhī wuh ḳhaime ke bāhar kī qurbāngāh par jānwaroṅ kī qurbāniyāṅ chaṛhāeṅ
Exod UrduGeoR 30:21  to lāzim hai ki pahle hāth-pāṅw dho leṅ, warnā wuh mar jāeṅge. Yih usūl Hārūn aur us kī aulād ke lie hameshā tak qāym rahe.”
Exod UrduGeoR 30:23  “Masah ke tel ke lie umdā qism ke masāle istemāl karnā. 6 kilogrām āb-e-mur, 3 kilogrām ḳhushbūdār dārchīnī, 3 kilogrām ḳhushbūdār bed
Exod UrduGeoR 30:24  aur 6 kilogrām tejpāt. Yih chīzeṅ maqdis ke bāṭoṅ ke hisāb se tol kar chār liṭar zaitūn ke tel meṅ ḍālnā.
Exod UrduGeoR 30:25  Sab kuchh milā kar ḳhushbūdār tel taiyār karnā. Wuh muqaddas hai aur sirf us waqt istemāl kiyā jāe jab koī chīz yā shaḳhs mere lie maḳhsūs-o-muqaddas kiyā jāe.
Exod UrduGeoR 30:26  Yihī tel le kar mulāqāt kā ḳhaimā aur us kā sārā sāmān masah karnā yānī ḳhaimā, ahd kā sandūq,
Exod UrduGeoR 30:27  mez aur us kā sāmān, shamādān aur us kā sāmān, baḳhūr jalāne kī qurbāngāh,
Exod UrduGeoR 30:28  jānwaroṅ ko chaṛhāne kī qurbāngāh aur us kā sāmān, dhone kā hauz aur us kā ḍhāṅchā.
Exod UrduGeoR 30:29  Yoṅ tū yih tamām chīzeṅ maḳhsūs-o-muqaddas karegā. Is se wuh nihāyat muqaddas ho jāeṅgī. Jo bhī unheṅ chhuegā wuh muqaddas ho jāegā.
Exod UrduGeoR 30:30  Hārūn aur us ke beṭoṅ ko bhī is tel se masah karnā tāki wuh muqaddas ho kar mere lie imām kā kām saranjām de sakeṅ.
Exod UrduGeoR 30:31  Isrāīliyoṅ ko kah de ki yih tel hameshā tak mere lie maḳhsūs-o-muqaddas hai.
Exod UrduGeoR 30:32  Is lie ise apne lie istemāl na karnā aur na is tarkīb se apne lie tel banānā. Yih tel maḳhsūs-o-muqaddas hai aur tumheṅ bhī ise yoṅ ṭhahrānā hai.
Exod UrduGeoR 30:33  Jo is tarkīb se ām istemāl ke lie tel banātā hai yā kisī ām shaḳhs par lagātā hai use us kī qaum meṅ se miṭā ḍālnā hai.”
Exod UrduGeoR 30:34  Rab ne Mūsā se kahā, “Baḳhūr is tarkīb se banānā hai: mastakī, onikā, birījā aur ḳhālis lubān barābar ke hissoṅ meṅ
Exod UrduGeoR 30:35  milā kar ḳhushbūdār baḳhūr banānā. Itarsāz kā yih kām namkīn, ḳhālis aur muqaddas ho.
Exod UrduGeoR 30:36  Is meṅ se kuchh pīs kar pauḍar banānā aur mulāqāt ke ḳhaime meṅ ahd ke sandūq ke sāmne ḍālnā jahāṅ maiṅ tujh se milā karūṅga. Is baḳhūr ko muqaddastarīn ṭhahrānā.
Exod UrduGeoR 30:37  Isī tarkīb ke mutābiq apne lie baḳhūr na banānā. Ise Rab ke lie maḳhsūs-o-muqaddas ṭhahrānā hai.
Exod UrduGeoR 30:38  Jo bhī apne zātī istemāl ke lie is qism kā baḳhūr banāe use us kī qaum meṅ se miṭā ḍālnā hai.”
Chapter 31
Exod UrduGeoR 31:2  “Maiṅ ne Yahūdāh ke qabīle ke Bazliyel bin Ūrī bin Hūr ko chun liyā hai tāki wuh muqaddas ḳhaime kī tāmīr meṅ rāhnumāī kare.
Exod UrduGeoR 31:3  Maiṅ ne use ilāhī Rūh se māmūr karke hikmat, samajh aur tāmīr ke har kām ke lie darkār ilm de diyā hai.
Exod UrduGeoR 31:4  Wuh naqshe banā kar un ke mutābiq sone, chāṅdī aur pītal kī chīzeṅ banā saktā hai.
Exod UrduGeoR 31:5  Wuh jawāhar ko kāṭ kar jaṛne kī qābiliyat rakhtā hai. Wuh lakaṛī ko tarāsh kar us se muḳhtalif chīzeṅ banā saktā hai. Wuh bahut sāre aur kāmoṅ meṅ bhī mahārat rakhtā hai.
Exod UrduGeoR 31:6  Sāth hī maiṅ ne Dān ke qabīle ke Uhliyāb bin Aḳhīsamak ko muqarrar kiyā hai tāki wuh har kām meṅ us kī madad kare. Is ke alāwā maiṅ ne tamām samajhdār kārīgaroṅ ko mahārat dī hai tāki wuh sab kuchh un hidāyāt ke mutābiq banā sakeṅ jo maiṅ ne tujhe dī haiṅ.
Exod UrduGeoR 31:7  Yānī mulāqāt kā ḳhaimā, kaffāre ke ḍhakne samet ahd kā sandūq aur ḳhaime kā sārā dūsrā sāmān,
Exod UrduGeoR 31:8  mez aur us kā sāmān, ḳhālis sone kā shamādān aur us kā sāmān, baḳhūr jalāne kī qurbāngāh,
Exod UrduGeoR 31:9  jānwaroṅ ko chaṛhāne kī qurbāngāh aur us kā sāmān, dhone kā hauz us ḍhāṅche samet jis par wuh rakhā jātā hai,
Exod UrduGeoR 31:10  wuh libās jo Hārūn aur us ke beṭe maqdis meṅ ḳhidmat karne ke lie pahante haiṅ,
Exod UrduGeoR 31:11  masah kā tel aur maqdis ke lie ḳhushbūdār baḳhūr. Yih sab kuchh wuh waise hī banāeṅ jaise maiṅ ne tujhe hukm diyā hai.”
Exod UrduGeoR 31:13  “Isrāīliyoṅ ko batā ki har Sabat kā din zarūr manāo. Kyoṅki Sabat kā din ek numāyāṅ nishān hai jis se jān liyā jāegā ki maiṅ Rab hūṅ jo tumheṅ maḳhsūs-o-muqaddas kartā hūṅ. Aur yih nishān mere aur tumhāre darmiyān nasl-dar-nasl qāym rahegā.
Exod UrduGeoR 31:14  Sabat kā din zarūr manānā, kyoṅki wuh tumhāre lie maḳhsūs-o-muqaddas hai. Jo bhī us kī behurmatī kare wuh zarūr jān se mārā jāe. Jo bhī is din kām kare use us kī qaum meṅ se miṭāyā jāe.
Exod UrduGeoR 31:15  Chhih din kām karnā, lekin sātwāṅ din ārām kā din hai. Wuh Rab ke lie maḳhsūs-o-muqaddas hai.
Exod UrduGeoR 31:16  Isrāīliyoṅ ko hāl meṅ aur mustaqbil meṅ Sabat kā din abadī ahd samajh kar manānā hai.
Exod UrduGeoR 31:17  Wuh mere aur Isrāīliyoṅ ke darmiyān abadī nishān hogā. Kyoṅki Rab ne chhih din ke daurān āsmān-o-zamīn ko banāyā jabki sātweṅ din us ne ārām kiyā aur tāzādam ho gayā.”
Exod UrduGeoR 31:18  Yih sab kuchh Mūsā ko batāne ke bād Rab ne use Sīnā Pahāṛ par sharīat kī do taḳhtiyāṅ dīṅ. Allāh ne ḳhud patthar kī in taḳhtiyoṅ par tamām bāteṅ likhī thīṅ.
Chapter 32
Exod UrduGeoR 32:1  Pahāṛ ke dāman meṅ log Mūsā ke intazār meṅ rahe, lekin bahut der ho gaī. Ek din wuh Hārūn ke gird jamā ho kar kahne lage, “Āeṅ, hamāre lie dewatā banā deṅ jo hamāre āge āge chalte hue hamārī rāhnumāī kareṅ. Kyoṅki kyā mālūm ki us bande Mūsā ko kyā huā hai jo hameṅ Misr se nikāl lāyā.”
Exod UrduGeoR 32:2  Jawāb meṅ Hārūn ne kahā, “Āp kī bīwiyāṅ, beṭe aur beṭiyāṅ apnī sone kī bāliyāṅ utār kar mere pās le āeṅ.”
Exod UrduGeoR 32:3  Sab log apnī bāliyāṅ utār utār kar Hārūn ke pās le āe
Exod UrduGeoR 32:4  to us ne yih zewarāt le kar bachhṛā ḍhāl diyā. Bachhṛe ko dekh kar log bol uṭhe, “Ai Isrāīl, yih tere dewatā haiṅ jo tujhe Misr se nikāl lāe.”
Exod UrduGeoR 32:5  Jab Hārūn ne yih dekhā to us ne bachhṛe ke sāmne qurbāngāh banā kar elān kiyā, “Kal ham Rab kī tāzīm meṅ īd manāeṅge.”
Exod UrduGeoR 32:6  Agle din log subah-sawere uṭhe aur bhasm hone wālī qurbāniyāṅ aur salāmatī kī qurbāniyāṅ chaṛhāīṅ. Wuh khāne-pīne ke lie baiṭh gae aur phir uṭh kar rangraliyoṅ meṅ apne dil bahlāne lage.
Exod UrduGeoR 32:7  Us waqt Rab ne Mūsā se kahā, “Pahāṛ se utar jā. Tere log jinheṅ tū Misr se nikāl lāyā baṛī sharārateṅ kar rahe haiṅ.
Exod UrduGeoR 32:8  Wuh kitnī jaldī se us rāste se haṭ gae haiṅ jis par chalne ke lie maiṅ ne unheṅ hukm diyā thā. Unhoṅ ne apne lie ḍhālā huā bachhṛā banā kar use sijdā kiyā hai. Unhoṅ ne use qurbāniyāṅ pesh karke kahā hai, ‘Ai Isrāīl, yih tere dewatā haiṅ. Yihī tujhe Misr se nikāl lāe haiṅ.’”
Exod UrduGeoR 32:9  Allāh ne Mūsā se kahā, “Maiṅ ne dekhā hai ki yih qaum baṛī haṭdharm hai.
Exod UrduGeoR 32:10  Ab mujhe rokne kī koshish na kar. Maiṅ un par apnā ġhazab unḍel kar un ko rū-e-zamīn par se miṭā dūṅgā. Un kī jagah maiṅ tujh se ek baṛī qaum banā dūṅgā.”
Exod UrduGeoR 32:11  Lekin Mūsā ne kahā, “Ai Rab, tū apnī qaum par apnā ġhussā kyoṅ utārnā chāhtā hai? Tū ḳhud apnī azīm qudrat se use Misr se nikāl lāyā hai.
Exod UrduGeoR 32:12  Misrī kyoṅ kaheṅ, ‘Rab Isrāīliyoṅ ko sirf is bure maqsad se hamāre mulk se nikāl le gayā hai ki unheṅ pahāṛī ilāqe meṅ mār ḍāle aur yoṅ unheṅ rū-e-zamīn par se miṭāe’? Apnā ġhussā ṭhanḍā hone de aur apnī qaum ke sāth burā sulūk karne se bāz rah.
Exod UrduGeoR 32:13  Yād rakh ki tū ne apne ḳhādimoṅ Ibrāhīm, Is'hāq aur Yāqūb se apnī hī qasam khā kar kahā thā, ‘Maiṅ tumhārī aulād kī tādād yoṅ baṛhāūṅgā ki wuh āsmān ke sitāroṅ ke barābar ho jāegī. Maiṅ unheṅ wuh mulk dūṅgā jis kā wādā maiṅ ne kiyā hai, aur wuh use hameshā ke lie mīrās meṅ pāeṅge.’”
Exod UrduGeoR 32:14  Mūsā ke kahne par Rab ne wuh nahīṅ kiyā jis kā elān us ne kar diyā thā balki wuh apnī qaum se burā sulūk karne se bāz rahā.
Exod UrduGeoR 32:15  Mūsā muṛ kar pahāṛ se utrā. Us ke hāthoṅ meṅ sharīat kī donoṅ taḳhtiyāṅ thīṅ. Un par āge pīchhe likhā gayā thā.
Exod UrduGeoR 32:16  Allāh ne ḳhud taḳhtiyoṅ ko banā kar un par apne ahkām kandā kie the.
Exod UrduGeoR 32:17  Utarte utarte Yashua ne logoṅ kā shor sunā aur Mūsā se kahā, “Ḳhaimāgāh meṅ jang kā shor mach rahā hai!”
Exod UrduGeoR 32:18  Mūsā ne jawāb diyā, “Na to yih fathmandoṅ ke nāre haiṅ, na shikast khāe huoṅ kī chīḳh-pukār. Mujhe gāne wāloṅ kī āwāz sunāī de rahī hai.”
Exod UrduGeoR 32:19  Jab wuh ḳhaimāgāh ke nazdīk pahuṅchā to us ne logoṅ ko sone ke bachhṛe ke sāmne nāchte hue dekhā. Baṛe ġhusse meṅ ā kar us ne taḳhtiyoṅ ko zamīn par paṭaḳh diyā, aur wuh ṭukṛe ṭukṛe ho kar pahāṛ ke dāman meṅ gir gaīṅ.
Exod UrduGeoR 32:20  Mūsā ne Isrāīliyoṅ ke banāe hue bachhṛe ko jalā diyā. Jo kuchh bach gayā use us ne pīs pīs kar pauḍar banā ḍālā aur pauḍar pānī par chhiṛak kar Isrāīliyoṅ ko pilā diyā.
Exod UrduGeoR 32:21  Us ne Hārūn se pūchhā, “In logoṅ ne tumhāre sāth kyā kiyā ki tum ne unheṅ aise baṛe gunāh meṅ phaṅsā diyā?”
Exod UrduGeoR 32:22  Hārūn ne kahā, “Mere āqā. Ġhusse na hoṅ. Āp ḳhud jānte haiṅ ki yih log badī par tule rahte haiṅ.
Exod UrduGeoR 32:23  Unhoṅ ne mujh se kahā, ‘Hamāre lie dewatā banā deṅ jo hamāre āge āge chalte hue hamārī rāhnumāī kareṅ. Kyoṅki kyā mālūm ki us bande Mūsā ko kyā huā hai jo hameṅ Misr se nikāl lāyā.’
Exod UrduGeoR 32:24  Is lie maiṅ ne un ko batāyā, ‘Jis ke pās sone ke zewarāt haiṅ wuh unheṅ utār lāe.’ Jo kuchh unhoṅ ne mujhe diyā use maiṅ ne āg meṅ phaiṅk diyā to hote hote sone kā yih bachhṛā nikal āyā.”
Exod UrduGeoR 32:25  Mūsā ne dekhā ki log beqābū ho gae haiṅ. Kyoṅki Hārūn ne unheṅ belagām chhoṛ diyā thā, aur yoṅ wuh Isrāīl ke dushmanoṅ ke lie mazāq kā nishānā ban gae the.
Exod UrduGeoR 32:26  Mūsā ḳhaimāgāh ke darwāze par khaṛe ho kar bolā, “Jo bhī Rab kā bandā hai wuh mere pās āe.” Jawāb meṅ Lāwī ke qabīle ke tamām log us ke pās jamā ho gae.
Exod UrduGeoR 32:27  Phir Mūsā ne un se kahā, “Rab Isrāīl kā Ḳhudā farmātā hai, ‘Har ek apnī talwār le kar ḳhaimāgāh meṅ se guzare. Ek sire ke darwāze se shurū karke dūsre sire ke darwāze tak chalte chalte har milne wāle ko jān se mār do, chāhe wuh tumhārā bhāī, dost yā rishtedār hī kyoṅ na ho. Phir muṛ kar mārte mārte pahle darwāze par wāpas ā jāo.’”
Exod UrduGeoR 32:28  Lāwiyoṅ ne Mūsā kī hidāyat par amal kiyā to us din taqrīban 3,000 mard halāk hue.
Exod UrduGeoR 32:29  Yih dekh kar Mūsā ne Lāwiyoṅ se kahā, “Āj apne āp ko maqdis meṅ Rab kī ḳhidmat karne ke lie maḳhsūs-o-muqaddas karo, kyoṅki tum apne beṭoṅ aur bhāiyoṅ ke ḳhilāf laṛne ke lie taiyār the. Is lie Rab tum ko āj barkat degā.”
Exod UrduGeoR 32:30  Agle din Mūsā ne Isrāīliyoṅ se bāt kī, “Tum ne nihāyat sangīn gunāh kiyā hai. To bhī maiṅ ab Rab ke pās pahāṛ par jā rahā hūṅ. Shāyad maiṅ tumhāre gunāh kā kaffārā de sakūṅ.”
Exod UrduGeoR 32:31  Chunāṅche Mūsā ne Rab ke pās wāpas jā kar kahā, “Hāy, is qaum ne nihāyat sangīn gunāh kiyā hai. Unhoṅ ne apne lie sone kā dewatā banā liyā.
Exod UrduGeoR 32:32  Mehrbānī karke unheṅ muāf kar. Lekin agar tū unheṅ muāf na kare to phir mujhe bhī apnī us kitāb meṅ se miṭā de jis meṅ tū ne apne logoṅ ke nām darj kie haiṅ.”
Exod UrduGeoR 32:33  Rab ne jawāb diyā, “Maiṅ sirf us ko apnī kitāb meṅ se miṭātā hūṅ jo merā gunāh kartā hai.
Exod UrduGeoR 32:34  Ab jā, logoṅ ko us jagah le chal jis kā zikr maiṅ ne kiyā hai. Merā farishtā tere āge āge chalegā. Lekin jab sazā kā muqarrarā din āegā tab maiṅ unheṅ sazā dūṅgā.”
Exod UrduGeoR 32:35  Phir Rab ne Isrāīliyoṅ ke darmiyān wabā phailne dī, is lie ki unhoṅ ne us bachhṛe kī pūjā kī thī jo Hārūn ne banāyā thā.
Chapter 33
Exod UrduGeoR 33:1  Rab ne Mūsā se kahā, “Is jagah se rawānā ho jā. Un logoṅ ko le kar jin ko tū Misr se nikāl lāyā hai us mulk ko jā jis kā wādā maiṅ ne Ibrāhīm, Is'hāq aur Yāqūb se kiyā hai. Unhīṅ se maiṅ ne qasam khā kar kahā thā, ‘Maiṅ yih mulk tumhārī aulād ko dūṅgā.’
Exod UrduGeoR 33:2  Maiṅ tere āge āge farishtā bhej kar Kanānī, Amorī, Hittī, Farizzī, Hiwwī aur Yabūsī aqwām ko us mulk se nikāl dūṅgā.
Exod UrduGeoR 33:3  Uṭh, us mulk ko jā jahāṅ dūdh aur shahd kī kasrat hai. Lekin maiṅ sāth nahīṅ jāūṅgā. Tum itne haṭdharm ho ki agar maiṅ sāth jāūṅ to ḳhatrā hai ki tumheṅ wahāṅ pahuṅchne se pahle hī barbād kar dūṅ.”
Exod UrduGeoR 33:4  Jab Isrāīliyoṅ ne yih saḳht alfāz sune to wuh mātam karne lage. Kisī ne bhī apne zewar na pahne,
Exod UrduGeoR 33:5  kyoṅki Rab ne Mūsā se kahā thā, “Isrāīliyoṅ ko batā ki tum haṭdharm ho. Agar maiṅ ek lamhā bhī tumhāre sāth chalūṅ to ḳhatrā hai ki maiṅ tumheṅ tabāh kar dūṅ. Ab apne zewarāt utār ḍālo. Phir maiṅ faislā karūṅga ki tumhāre sāth kyā kiyā jāe.”
Exod UrduGeoR 33:6  In alfāz par Isrāīliyoṅ ne Horib yānī Sīnā Pahāṛ par apne zewar utār die.
Exod UrduGeoR 33:7  Us waqt Mūsā ne ḳhaimā le kar use kuchh fāsile par ḳhaimāgāh ke bāhar lagā diyā. Us ne us kā nām ‘mulāqāt kā ḳhaimā’ rakhā. Jo bhī Rab kī marzī dariyāft karnā chāhtā wuh ḳhaimāgāh se nikal kar wahāṅ jātā.
Exod UrduGeoR 33:8  Jab bhī Mūsā ḳhaimāgāh se nikal kar wahāṅ jātā to tamām log apne ḳhaimoṅ ke darwāzoṅ par khaṛe ho kar Mūsā ke pīchhe deḳhne lagte. Us ke mulāqāt ke ḳhaime meṅ ojhal hone tak wuh use deḳhte rahte.
Exod UrduGeoR 33:9  Mūsā ke ḳhaime meṅ dāḳhil hone par bādal kā satūn utar kar ḳhaime ke darwāze par ṭhahar jātā. Jitnī der tak Rab Mūsā se bāteṅ kartā utnī der tak wuh wahāṅ ṭhahrā rahtā.
Exod UrduGeoR 33:10  Jab Isrāīlī mulāqāt ke ḳhaime ke darwāze par bādal kā satūn deḳhte to wuh apne apne ḳhaime ke darwāze par khaṛe ho kar sijdā karte.
Exod UrduGeoR 33:11  Rab Mūsā se rūbarū bāteṅ kartā thā, aise shaḳhs kī tarah jo apne dost se bāteṅ kartā hai. Is ke bād Mūsā nikal kar ḳhaimāgāh ko wāpas chalā jātā. Lekin us kā jawān madadgār Yashua bin Nūn ḳhaime ko nahīṅ chhoṛtā thā.
Exod UrduGeoR 33:12  Mūsā ne Rab se kahā, “Dekh, tū mujh se kahtā āyā hai ki is qaum ko Kanān le chal. Lekin tū mere sāth kis ko bhejegā? Tū ne ab tak yih bāt mujhe nahīṅ batāī hālāṅki tū ne kahā hai, ‘Maiṅ tujhe banām jāntā hūṅ, tujhe merā karm hāsil huā hai.’
Exod UrduGeoR 33:13  Agar mujhe wāqaī terā karm hāsil hai to mujhe apne rāste dikhā tāki maiṅ tujhe jān lūṅ aur terā karm mujhe hāsil hotā rahe. Is bāt kā ḳhayāl rakh ki yih qaum terī hī ummat hai.”
Exod UrduGeoR 33:14  Rab ne jawāb diyā, “Maiṅ ḳhud tere sāth chalūṅgā aur tujhe ārām dūṅgā.”
Exod UrduGeoR 33:15  Mūsā ne kahā, “Agar tū ḳhud sāth nahīṅ chalegā to phir hameṅ yahāṅ se rawānā na karnā.
Exod UrduGeoR 33:16  Agar tū hamāre sāth na jāe to kis tarah patā chalegā ki mujhe aur terī qaum ko terā karm hāsil huā hai? Ham sirf isī wajah se duniyā kī dīgar qaumoṅ se alag aur mumtāz haiṅ.”
Exod UrduGeoR 33:17  Rab ne Mūsā se kahā, “Maiṅ terī yih darḳhāst bhī pūrī karūṅga, kyoṅki tujhe merā karm hāsil huā hai aur maiṅ tujhe banām jāntā hūṅ.”
Exod UrduGeoR 33:18  Phir Mūsā bolā, “Barāh-e-karm mujhe apnā jalāl dikhā.”
Exod UrduGeoR 33:19  Rab ne jawāb diyā, “Maiṅ apnī pūrī bhalāī tere sāmne se guzarne dūṅgā aur tere sāmne hī apne nām Rab kā elān karūṅga. Maiṅ jis par mehrbān honā chāhūṅ us par mehrbān hotā hūṅ, aur jis par rahm karnā chāhūṅ us par rahm kartā hūṅ.
Exod UrduGeoR 33:20  Lekin tū merā chehrā nahīṅ dekh saktā, kyoṅki jo bhī merā chehrā dekhe wuh zindā nahīṅ rah saktā.”
Exod UrduGeoR 33:21  Phir Rab ne farmāyā, “Dekh, mere pās ek jagah hai. Wahāṅ kī chaṭān par khaṛā ho jā.
Exod UrduGeoR 33:22  Jab merā jalāl wahāṅ se guzaregā to maiṅ tujhe chaṭān ke ek shigāf meṅ rakhūṅgā aur apnā hāth tere ūpar phailāūṅgā tāki tū mere guzarne ke daurān mahfūz rahe.
Exod UrduGeoR 33:23  Is ke bād maiṅ apnā hāth haṭāūṅgā aur tū mere pīchhe dekh sakegā. Lekin merā chehrā dekhā nahīṅ jā saktā.”
Chapter 34
Exod UrduGeoR 34:1  Rab ne Mūsā se kahā, “Apne lie patthar kī do taḳhtiyāṅ tarāsh le jo pahlī do kī mānind hoṅ. Phir maiṅ un par wuh alfāz likhūṅgā jo pahlī taḳhtiyoṅ par likhe the jinheṅ tū ne paṭaḳh diyā thā.
Exod UrduGeoR 34:2  Subah tak taiyār ho kar Sīnā Pahāṛ par chaṛhnā. Choṭī par mere sāmne khaṛā ho jā.
Exod UrduGeoR 34:3  Tere sāth koī bhī na āe balki pūre pahāṛ par koī aur shaḳhs nazar na āe, yahāṅ tak ki bheṛ-bakriyāṅ aur gāy-bail bhī pahāṛ ke dāman meṅ na chareṅ.”
Exod UrduGeoR 34:4  Chunāṅche Mūsā ne do taḳhtiyāṅ tarāsh līṅ jo pahlī kī mānind thīṅ. Phir wuh subah-sawere uṭh kar Sīnā Pahāṛ par chaṛh gayā jis tarah Rab ne use hukm diyā thā. Us ke hāthoṅ meṅ patthar kī donoṅ taḳhtiyāṅ thīṅ.
Exod UrduGeoR 34:5  Jab wuh choṭī par pahuṅchā to Rab bādal meṅ utar āyā aur us ke pās khaṛe ho kar apne nām Rab kā elān kiyā.
Exod UrduGeoR 34:6  Mūsā ke sāmne se guzarte hue us ne pukārā, “Rab, Rab, rahīm aur mehrbān Ḳhudā. Tahammul, shafqat aur wafā se bharpūr.
Exod UrduGeoR 34:7  Wuh hazāroṅ par apnī shafqat qāym rakhtā aur logoṅ kā qusūr, nāfarmānī aur gunāh muāf kartā hai. Lekin wuh har ek ko us kī munāsib sazā bhī detā hai. Jab wālidain gunāh kareṅ to un kī aulād ko bhī tīsrī aur chauthī pusht tak sazā ke natāyj bhugatne paṛeṅge.”
Exod UrduGeoR 34:9  Us ne kahā, “Ai Rab, agar mujh par terā karm ho to hamāre sāth chal. Beshak yih qaum haṭdharm hai, to bhī hamārā qusūr aur gunāh muāf kar aur baḳhsh de ki ham dubārā tere hī ban jāeṅ.”
Exod UrduGeoR 34:10  Tab Rab ne kahā, “Maiṅ tumhāre sāth ahd bāndhūṅgā. Terī qaum ke sāmne hī maiṅ aise mojize karūṅga jo ab tak duniyā-bhar kī kisī bhī qaum meṅ nahīṅ kie gae. Pūrī qaum jis ke darmiyān tū rahtā hai Rab kā kām dekhegī aur us se ḍar jāegī jo maiṅ tere sāth karūṅga.
Exod UrduGeoR 34:11  Jo ahkām maiṅ āj detā hūṅ un par amal kartā rah. Maiṅ Amorī, Kanānī, Hittī, Farizzī, Hiwwī aur Yabūsī aqwām ko tere āge āge mulk se nikāl dūṅgā.
Exod UrduGeoR 34:12  Ḳhabardār, jo us mulk meṅ rahte haiṅ jahāṅ tū jā rahā hai un se ahd na bāndhnā. Warnā wuh tere darmiyān rahte hue tujhe gunāhoṅ meṅ phaṅsāte raheṅge.
Exod UrduGeoR 34:13  Un kī qurbāngāheṅ ḍhā denā, un ke butoṅ ke satūn ṭukṛe ṭukṛe kar denā aur un kī dewī Yasīrat ke khambe kāṭ ḍālnā.
Exod UrduGeoR 34:14  Kisī aur mābūd kī parastish na karnā, kyoṅki Rab kā nām ġhayūr hai, Allāh ġhairatmand hai.
Exod UrduGeoR 34:15  Ḳhabardār, us mulk ke bāshindoṅ se ahd na karnā, kyoṅki tere darmiyān rahte hue bhī wuh apne mābūdoṅ kī pairawī karke zinā kareṅge aur unheṅ qurbāniyāṅ chaṛhāeṅge. Āḳhirkār wuh tujhe bhī apnī qurbāniyoṅ meṅ shirkat kī dāwat deṅge.
Exod UrduGeoR 34:16  Ḳhatrā hai ki tū un kī beṭiyoṅ kā apne beṭoṅ ke sāth rishtā bāndhe. Phir jab yih apne mābūdoṅ kī pairawī karke zinā kareṅgī to un ke sabab se tere beṭe bhī un kī pairawī karne lageṅge.
Exod UrduGeoR 34:18  Beḳhamīrī Roṭī kī Īd manānā. Abīb ke mahīne meṅ sāt din tak terī roṭī meṅ ḳhamīr na ho jis tarah maiṅ ne hukm diyā hai. Kyoṅki is mahīne meṅ tū Misr se niklā.
Exod UrduGeoR 34:19  Har pahlauṭhā merā hai. Tere māl maweshiyoṅ kā har pahlauṭhā merā hai, chāhe bachhṛā ho yā lelā.
Exod UrduGeoR 34:20  Lekin pahlauṭhe gadhe ke ewaz bheṛ denā. Agar yih mumkin na ho to us kī gardan toṛ ḍālnā. Apne pahlauṭhe beṭoṅ ke lie bhī ewazī denā. Koī mere pās ḳhālī hāth na āe.
Exod UrduGeoR 34:21  Chhih din kām-kāj karnā, lekin sātweṅ din ārām karnā. Ḳhāh hal chalānā ho yā fasal kāṭnī ho to bhī sātweṅ din ārām karnā.
Exod UrduGeoR 34:22  Gandum kī Fasal kī Kaṭāī kī Īd us waqt manānā jab tū gehūṅ kī pahlī fasal kāṭegā. Angūr aur Phal Jamā Karne kī Īd Isrāīlī sāl ke iḳhtitām par manānī hai.
Exod UrduGeoR 34:23  Lāzim hai ki tere tamām mard sāl meṅ tīn martabā Rab Qādir-e-mutlaq ke sāmne jo Isrāīl kā Ḳhudā hai hāzir hoṅ.
Exod UrduGeoR 34:24  Maiṅ tere āge āge qaumoṅ ko mulk se nikāl dūṅgā aur terī sarhaddeṅ baṛhātā jāūṅgā. Phir jab tū sāl meṅ tīn martabā Rab apne Ḳhudā ke huzūr āegā to koī bhī tere mulk kā lālach nahīṅ karegā.
Exod UrduGeoR 34:25  Jab tū kisī jānwar ko zabah karke qurbānī ke taur par pesh kartā hai to us ke ḳhūn ke sāth aisī roṭī pesh na karnā jis meṅ ḳhamīr ho. Īd-e-Fasah kī qurbānī se aglī subah tak kuchh bāqī na rahe.
Exod UrduGeoR 34:26  Apnī zamīn kī pahlī paidāwār meṅ se behtarīn hissā Rab apne Ḳhudā ke ghar meṅ le ānā. Bakrī yā bheṛ ke bachche ko us kī māṅ ke dūdh meṅ na pakānā.”
Exod UrduGeoR 34:27  Rab ne Mūsā se kahā, “Yih tamām bāteṅ likh le, kyoṅki yih us ahd kī buniyād haiṅ jo maiṅ ne tere aur Isrāīl ke sāth bāndhā hai.”
Exod UrduGeoR 34:28  Mūsā chālīs din aur chālīs rāt wahīṅ Rab ke huzūr rahā. Is daurān na us ne kuchh khāyā na piyā. Us ne patthar kī taḳhtiyoṅ par ahd ke das ahkām likhe.
Exod UrduGeoR 34:29  Is ke bād Mūsā sharīat kī donoṅ taḳhtiyoṅ ko hāth meṅ lie hue Sīnā Pahāṛ se utrā. Us ke chehre kī jild chamak rahī thī, kyoṅki us ne Rab se bāt kī thī. Lekin use ḳhud is kā ilm nahīṅ thā.
Exod UrduGeoR 34:30  Jab Hārūn aur tamām Isrāīliyoṅ ne dekhā ki Mūsā kā chehrā chamak rahā hai to wuh us ke pās āne se ḍar gae.
Exod UrduGeoR 34:31  Lekin us ne unheṅ bulāyā to Hārūn aur jamāt ke tamām sardār us ke pās āe, aur us ne un se bāt kī.
Exod UrduGeoR 34:32  Bād meṅ bāqī Isrāīlī bhī āe, aur Mūsā ne unheṅ tamām ahkām sunāe jo Rab ne use Koh-e-Sīnā par die the.
Exod UrduGeoR 34:33  Yih sab kuchh kahne ke bād Mūsā ne apne chehre par niqāb ḍāl liyā.
Exod UrduGeoR 34:34  Jab bhī wuh Rab se bāt karne ke lie mulāqāt ke ḳhaime meṅ jātā to niqāb ko ḳhaime se nikalte waqt tak utār letā. Aur jab wuh nikal kar Isrāīliyoṅ ko Rab se mile hue ahkām sunātā
Exod UrduGeoR 34:35  to wuh deḳhte ki us ke chehre kī jild chamak rahī hai. Is ke bād Mūsā dubārā niqāb ko apne chehre par ḍāl letā, aur wuh us waqt tak chehre par rahtā jab tak Mūsā Rab se bāt karne ke lie mulāqāt ke ḳhaime meṅ na jātā thā.
Chapter 35
Exod UrduGeoR 35:1  Mūsā ne Isrāīl kī pūrī jamāt ko ikaṭṭhā karke kahā, “Rab ne tum ko yih hukm die haiṅ:
Exod UrduGeoR 35:2  Chhih din kām-kāj kiyā jāe, lekin sātwāṅ din maḳhsūs-o-muqaddas ho. Wuh Rab ke lie ārām kā Sabat hai. Jo bhī is din kām kare use sazā-e-maut dī jāe.
Exod UrduGeoR 35:3  Hafte ke din apne tamām gharoṅ meṅ āg tak na jalānā.”
Exod UrduGeoR 35:4  Mūsā ne Isrāīl kī pūrī jamāt se kahā, “Rab ne hidāyat dī hai
Exod UrduGeoR 35:5  ki jo kuchh tumhāre pās hai us meṅ se hadiye lā kar Rab ko uṭhāne wālī qurbānī ke taur par pesh karo. Jo bhī dilī ḳhushī se denā chāhe wuh in chīzoṅ meṅ se kuchh de: sonā, chāṅdī, pītal;
Exod UrduGeoR 35:6  nīle, arġhawānī aur qirmizī rang kā dhāgā, bārīk katān, bakrī ke bāl,
Exod UrduGeoR 35:7  menḍhoṅ kī surḳh rangī huī khāleṅ, taḳhas kī khāleṅ, kīkar kī lakaṛī,
Exod UrduGeoR 35:8  shamādān ke lie zaitūn kā tel, masah karne ke lie tel aur ḳhushbūdār baḳhūr ke lie masāle,
Exod UrduGeoR 35:9  aqīq-e-ahmar aur dīgar jawāhar jo imām-e-āzam ke bālāposh aur sīne ke kīse meṅ jaṛe jāeṅge.
Exod UrduGeoR 35:10  Tum meṅ se jitne māhir kārīgar haiṅ wuh ā kar wuh kuchh banāeṅ jo Rab ne farmāyā
Exod UrduGeoR 35:11  yānī ḳhaimā aur wuh ġhilāf jo us ke ūpar lagāe jāeṅge, hukeṅ, dīwāroṅ ke taḳhte, shahtīr, satūn aur pāe,
Exod UrduGeoR 35:12  ahd kā sandūq, use uṭhāne kī lakaṛiyāṅ, us ke kaffāre kā ḍhaknā, Muqaddastarīn Kamre ke darwāze kā pardā,
Exod UrduGeoR 35:13  maḳhsūs roṭiyoṅ kī mez, use uṭhāne kī lakaṛiyāṅ, us kā sārā sāmān aur roṭiyāṅ,
Exod UrduGeoR 35:14  shamādān aur us par rakhne ke charāġh us ke sāmān samet, shamādān ke lie tel,
Exod UrduGeoR 35:15  baḳhūr jalāne kī qurbāngāh, use uṭhāne kī lakaṛiyāṅ, masah kā tel, ḳhushbūdār baḳhūr, muqaddas ḳhaime ke darwāze kā pardā,
Exod UrduGeoR 35:16  jānwaroṅ ko chaṛhāne kī qurbāngāh, us kā pītal kā janglā, use uṭhāne kī lakaṛiyāṅ aur bāqī sārā sāmān, dhone kā hauz aur wuh ḍhāṅchā jis par hauz rakhā jātā hai,
Exod UrduGeoR 35:17  chārdīwārī ke parde un ke khamboṅ aur pāiyoṅ samet, sahan ke darwāze kā pardā,
Exod UrduGeoR 35:18  ḳhaime aur chārdīwārī kī meḳheṅ aur rasse,
Exod UrduGeoR 35:19  aur wuh muqaddas libās jo Hārūn aur us ke beṭe maqdis meṅ ḳhidmat karne ke lie pahante haiṅ.”
Exod UrduGeoR 35:20  Yih sun kar Isrāīl kī pūrī jamāt Mūsā ke pās se chalī gaī.
Exod UrduGeoR 35:21  Aur jo jo dilī ḳhushī se denā chāhtā thā wuh mulāqāt ke ḳhaime, us ke sāmān yā imāmoṅ ke kapṛoṅ ke lie koī hadiyā le kar wāpas āyā.
Exod UrduGeoR 35:22  Rab ke hadiye ke lie mard aur ḳhawātīn dilī ḳhushī se apne sone ke zewarāt masalan jaṛāū pineṅ, bāliyāṅ aur chhalle le āe.
Exod UrduGeoR 35:23  Jis jis ke pās darkār chīzoṅ meṅ se kuchh thā wuh use Mūsā ke pās le āyā yānī nīle, qirmizī aur arġhawānī rang kā dhāgā, bārīk katān, bakrī ke bāl, menḍhoṅ kī surḳh rangī huī khāleṅ aur taḳhas kī khāleṅ.
Exod UrduGeoR 35:24  Chāṅdī, pītal aur kīkar kī lakaṛī bhī hadiye ke taur par lāī gaī.
Exod UrduGeoR 35:25  Aur jitnī aurateṅ kātne meṅ māhir thīṅ wuh apnī kātī huī chīzeṅ le āīṅ yānī nīle, qirmizī aur arġhawānī rang kā dhāgā aur bārīk katān.
Exod UrduGeoR 35:26  Isī tarah jo jo aurat bakrī ke bāl kātne meṅ māhir thī aur dilī ḳhushī se maqdis ke lie kām karnā chāhtī thī wuh yih kāt kar le āī.
Exod UrduGeoR 35:27  Sardār aqīq-e-ahmar aur dīgar jawāhar le āe jo imām-e-āzam ke bālāposh aur sīne ke kīse ke lie darkār the.
Exod UrduGeoR 35:28  Wuh shamādān, masah ke tel aur ḳhushbūdār baḳhūr ke lie masāle aur zaitūn kā tel bhī le āe.
Exod UrduGeoR 35:29  Yoṅ Isrāīl ke tamām mard aur ḳhawātīn jo dilī ḳhushī se Rab ko kuchh denā chāhte the us sāre kām ke lie hadiye le āe jo Rab ne Mūsā kī mārifat karne ko kahā thā.
Exod UrduGeoR 35:30  Phir Mūsā ne Isrāīliyoṅ se kahā, “Rab ne Yahūdāh ke qabīle ke Bazliyel bin Ūrī bin Hūr ko chun liyā hai.
Exod UrduGeoR 35:31  Us ne use ilāhī Rūh se māmūr karke hikmat, samajh aur tāmīr ke har kām ke lie darkār ilm de diyā hai.
Exod UrduGeoR 35:32  Wuh naqshe banā kar un ke mutābiq sone, chāṅdī aur pītal kī chīzeṅ banā saktā hai.
Exod UrduGeoR 35:33  Wuh jawāhar ko kāṭ kar jaṛne kī qābiliyat rakhtā hai. Wuh lakaṛī ko tarāsh kar us se muḳhtalif chīzeṅ banā saktā hai. Wuh bahut sāre aur kāmoṅ meṅ bhī mahārat rakhtā hai.
Exod UrduGeoR 35:34  Sāth hī Rab ne use aur Dān ke qabīle ke Uhliyāb bin Aḳhīsamak ko dūsroṅ ko sikhāne kī qābiliyat bhī dī hai.
Exod UrduGeoR 35:35  Us ne unheṅ wuh mahārat aur hikmat dī hai jo har kām ke lie darkār hai yānī kārīgarī ke har kām ke lie, kaṛhāī ke kām ke lie, nīle, arġhawānī aur qirmizī rang ke dhāge aur bārīk katān se kapṛā banāne ke lie aur bunāī ke kām ke lie. Wuh māhir kārīgar haiṅ aur naqshe bhī banā sakte haiṅ.
Chapter 36
Exod UrduGeoR 36:1  Lāzim hai ki Bazliyel, Uhliyāb aur bāqī kārīgar jin ko Rab ne maqdis kī tāmīr ke lie hikmat aur samajh dī hai sab kuchh ain un hidāyāt ke mutābiq banāeṅ jo Rab ne dī haiṅ.”
Exod UrduGeoR 36:2  Mūsā ne Bazliyel aur Uhliyāb ko bulāyā. Sāth hī us ne har us kārīgar ko bhī bulāyā jise Rab ne maqdis kī tāmīr ke lie hikmat aur mahārat dī thī aur jo ḳhushī se ānā aur yih kām karnā chāhtā thā.
Exod UrduGeoR 36:3  Unheṅ Mūsā se tamām hadiye mile jo Isrāīlī maqdis kī tāmīr ke lie lāe the. Is ke bād bhī log roz baroz subah ke waqt hadiye lāte rahe.
Exod UrduGeoR 36:4  Āḳhirkār tamām kārīgar jo maqdis banāne ke kām meṅ lage the apnā kām chhoṛ kar Mūsā ke pās āe.
Exod UrduGeoR 36:5  Unhoṅ ne kahā, “Log had se zyādā lā rahe haiṅ. Jis kām kā hukm Rab ne diyā hai us ke lie itne sāmān kī zarūrat nahīṅ hai.”
Exod UrduGeoR 36:6  Tab Mūsā ne pūrī ḳhaimāgāh meṅ elān karwā diyā ki koī mard yā aurat maqdis kī tāmīr ke lie ab kuchh na lāe. Yoṅ unheṅ mazīd chīzeṅ lāne se rokā gayā,
Exod UrduGeoR 36:7  kyoṅki kām ke lie sāmān zarūrat se zyādā ho gayā thā.
Exod UrduGeoR 36:8  Jo kārīgar mahārat rakhte the unhoṅ ne ḳhaime ko banāyā. Unhoṅ ne bārīk katān aur nīle, arġhawānī aur qirmizī dhāge se das parde banāe. Pardoṅ par kisī māhir kārīgar ke kaṛhāī ke kām se karūbī farishtoṅ kā ḍizāyn banāyā gayā.
Exod UrduGeoR 36:9  Har parde kī lambāī 42 fuṭ aur chauṛāī 6 fuṭ thī.
Exod UrduGeoR 36:10  Pāṅch pardoṅ ke lambe hāshie ek dūsre ke sāth joṛe gae aur isī tarah bāqī pāṅch bhī. Yoṅ do baṛe ṭukṛe ban gae.
Exod UrduGeoR 36:11  Donoṅ ṭukṛoṅ ko ek dūsre ke sāth milāne ke lie unhoṅ ne nīle dhāge ke halqe banāe. Yih halqe har ṭukṛe ke 42 fuṭ wāle ek kināre par lagāe gae.
Exod UrduGeoR 36:12  Ek ṭukṛe ke hāshie par 50 halqe aur dūsre par bhī utne hī halqe. In do hāshiyoṅ ke halqe ek dūsre ke āmne-sāmne the.
Exod UrduGeoR 36:13  Phir Bazliyel ne sone kī 50 hukeṅ banā kar un se āmne-sāmne ke halqoṅ ko ek dūsre ke sāth milāyā. Yoṅ donoṅ ṭukṛoṅ ke joṛne se ḳhaimā ban gayā.
Exod UrduGeoR 36:14  Us ne bakrī ke bāloṅ se bhī 11 parde banāe jinheṅ kapṛe wāle ḳhaime ke ūpar rakhnā thā.
Exod UrduGeoR 36:15  Har parde kī lambāī 45 fuṭ aur chauṛāī 6 fuṭ thī.
Exod UrduGeoR 36:16  Pāṅch pardoṅ ke lambe hāshie ek dūsre ke sāth joṛe gae aur is tarah bāqī chhih bhī.
Exod UrduGeoR 36:17  In donoṅ ṭukṛoṅ ko milāne ke lie us ne har ṭukṛe ke 45 fuṭ wāle ek kināre par pachās pachās halqe lagāe.
Exod UrduGeoR 36:18  Phir pītal kī 50 hukeṅ banā kar us ne donoṅ hisse milāe.
Exod UrduGeoR 36:19  Ek dūsre ke ūpar ke donoṅ ḳhaimoṅ kī hifāzat ke lie Bazliyel ne do aur ġhilāf banāe. Bakrī ke bāloṅ ke ḳhaime par rakhne ke lie us ne menḍhoṅ kī surḳh rangī huī khāleṅ joṛ dīṅ aur us ke ūpar rakhne ke lie taḳhas kī khāleṅ milāīṅ.
Exod UrduGeoR 36:20  Is ke bād us ne kīkar kī lakaṛī ke taḳhte banāe jo ḳhaime kī dīwāroṅ kā kām dete the.
Exod UrduGeoR 36:21  Har taḳhte kī ūṅchāī 15 fuṭ thī aur chauṛāī sawā do fuṭ.
Exod UrduGeoR 36:22  Har taḳhte ke nīche do do chūleṅ thīṅ. In chūloṅ se har taḳhte ko us ke pāiyoṅ ke sāth joṛā jātā thā tāki taḳhtā khaṛā rahe.
Exod UrduGeoR 36:23  Ḳhaime kī junūbī dīwār ke lie 20 taḳhte banāe gae
Exod UrduGeoR 36:24  aur sāth hī chāṅdī ke 40 pāe bhī jin par taḳhte khaṛe kie jāte the. Har taḳhte ke nīche do pāe the, aur har pāe meṅ ek chūl lagtī thī.
Exod UrduGeoR 36:25  Isī tarah ḳhaime kī shimālī dīwār ke lie bhī 20 taḳhte banāe gae
Exod UrduGeoR 36:26  aur sāth hī chāṅdī ke 40 pāe jo taḳhtoṅ ko khaṛā karne ke lie the. Har taḳhte ke nīche do pāe the.
Exod UrduGeoR 36:27  Ḳhaime kī pichhlī yānī maġhribī dīwār ke lie chhih taḳhte banāe gae.
Exod UrduGeoR 36:28  Is dīwār ko shimālī aur junūbī dīwāroṅ ke sāth joṛne ke lie kone wāle do taḳhte banāe gae.
Exod UrduGeoR 36:29  In do taḳhtoṅ meṅ nīche se le kar ūpar tak konā thā tāki ek se shimālī dīwār maġhribī dīwār ke sāth juṛ jāe aur dūsre se junūbī dīwār maġhribī dīwār ke sāth. In ke ūpar ke sire kaṛoṅ se mazbūt kie gae.
Exod UrduGeoR 36:30  Yoṅ pichhle yānī maġhribī taḳhtoṅ kī pūrī tādād 8 thī aur in ke lie chāṅdī ke pāiyoṅ kī tādād 16, har taḳhte ke nīche do pāe.
Exod UrduGeoR 36:31  Phir Bazliyel ne kīkar kī lakaṛī ke shahtīr banāe, tīnoṅ dīwāroṅ ke lie pāṅch pāṅch shahtīr. Wuh har dīwār ke taḳhtoṅ par yoṅ lagāne ke lie the ki un se taḳhte ek dūsre ke sāth milāe jāeṅ.
Exod UrduGeoR 36:32  Phir Bazliyel ne kīkar kī lakaṛī ke shahtīr banāe, tīnoṅ dīwāroṅ ke lie pāṅch pāṅch shahtīr. Wuh har dīwār ke taḳhtoṅ par yoṅ lagāne ke lie the ki un se taḳhte ek dūsre ke sāth milāe jāeṅ.
Exod UrduGeoR 36:33  Darmiyānī shahtīr yoṅ banāyā gayā ki wuh dīwār kī ādhī ūṅchāī par dīwār ke ek sire se dūsre sire tak lag saktā thā.
Exod UrduGeoR 36:34  Us ne tamām taḳhtoṅ aur shahtīroṅ par sonā chaṛhāyā. Shahtīroṅ ko taḳhtoṅ ke sāth lagāne ke lie us ne sone ke kaṛe banāe jo taḳhtoṅ meṅ lagāne the.
Exod UrduGeoR 36:35  Ab Bazliyel ne ek aur pardā banāyā. Us ke lie bhī bārīk katān aur nīle, arġhawānī aur qirmizī rang kā dhāgā istemāl huā. Us par bhī kisī māhir kārīgar ke kaṛhāī ke kām se karūbī farishtoṅ kā ḍizāyn banāyā gayā.
Exod UrduGeoR 36:36  Phir us ne parde ko laṭkāne ke lie kīkar kī lakaṛī ke chār satūn, sone kī hukeṅ aur chāṅdī ke chār pāe banāe. Satūnoṅ par sonā chaṛhāyā gayā.
Exod UrduGeoR 36:37  Bazliyel ne ḳhaime ke darwāze ke lie bhī pardā banāyā. Wuh bhī bārīk katān aur nīle, arġhawānī aur qirmizī rang ke dhāge se banāyā gayā, aur us par kaṛhāī kā kām kiyā gayā.
Exod UrduGeoR 36:38  Is parde ko laṭkāne ke lie us ne sone kī hukeṅ aur kīkar kī lakaṛī ke pāṅch satūn banāe. Satūnoṅ ke ūpar ke siroṅ aur paṭṭiyoṅ par sonā chaṛhāyā gayā jabki un ke pāe pītal ke the.
Chapter 37
Exod UrduGeoR 37:1  Bazliyel ne kīkar kī lakaṛī kā sandūq banāyā. Us kī lambāī paune chār fuṭ thī jabki us kī chauṛāī aur ūṅchāī sawā do do fuṭ thī.
Exod UrduGeoR 37:2  Us ne pūre sandūq par andar aur bāhar se ḳhālis sonā chaṛhāyā. Ūpar kī satah ke irdgird us ne sone kī jhālar lagāī.
Exod UrduGeoR 37:3  Sandūq ko uṭhāne ke lie us ne sone ke chār kaṛe ḍhāl kar unheṅ sandūq ke chārpāiyoṅ par lagāyā. Donoṅ taraf do do kaṛe the.
Exod UrduGeoR 37:4  Phir us ne kīkar kī do lakaṛiyāṅ sandūq ko uṭhāne ke lie taiyār kīṅ aur un par sonā chaṛhāyā.
Exod UrduGeoR 37:5  Us ne in lakaṛiyoṅ ko donoṅ taraf ke kaṛoṅ meṅ ḍāl diyā tāki un se sandūq ko uṭhāyā jā sake.
Exod UrduGeoR 37:6  Bazliyel ne sandūq kā ḍhaknā ḳhālis sone kā banāyā. Us kī lambāī paune chār fuṭ aur chauṛāī sawā do fuṭ thī.
Exod UrduGeoR 37:7  Phir us ne do karūbī farishte sone se ghaṛ kar banāe jo ḍhakne ke donoṅ siroṅ par khaṛe the. Yih do farishte aur ḍhaknā ek hī ṭukṛe se banāe gae.
Exod UrduGeoR 37:8  Phir us ne do karūbī farishte sone se ghaṛ kar banāe jo ḍhakne ke donoṅ siroṅ par khaṛe the. Yih do farishte aur ḍhaknā ek hī ṭukṛe se banāe gae.
Exod UrduGeoR 37:9  Farishtoṅ ke par yoṅ ūpar kī taraf phaile hue the ki wuh ḍhakne ko panāh dete the. Un ke muṅh ek dūsre kī taraf kie hue the, aur wuh ḍhakne kī taraf deḳhte the.
Exod UrduGeoR 37:10  Is ke bād Bazliyel ne kīkar kī lakaṛī kī mez banāī. Us kī lambāī tīn fuṭ, chauṛāī ḍeṛh fuṭ aur ūṅchāī sawā do fuṭ thī.
Exod UrduGeoR 37:11  Us ne us par ḳhālis sonā chaṛhā kar us ke irdgird sone kī jhālar lagāī.
Exod UrduGeoR 37:12  Mez kī ūpar kī satah par us ne chaukhaṭā bhī lagāyā jis kī ūṅchāī tīn inch thī aur jis par sone kī jhālar lagī thī.
Exod UrduGeoR 37:13  Ab us ne sone ke chār kaṛe ḍhāl kar unheṅ chāroṅ konoṅ par lagāyā jahāṅ mez ke pāe lage the.
Exod UrduGeoR 37:14  Yih kaṛe mez kī satah par lage chaukhaṭe ke nīche lagāe gae. Un meṅ wuh lakaṛiyāṅ ḍālnī thīṅ jin se mez ko uṭhānā thā.
Exod UrduGeoR 37:15  Bazliyel ne yih lakaṛiyāṅ bhī kīkar se banāīṅ aur un par sonā chaṛhāyā.
Exod UrduGeoR 37:16  Āḳhirkār us ne ḳhālis sone ke wuh thāl, pyāle, mai kī nazareṅ pesh karne ke bartan aur martabān banāe jo us par rakhe jāte the.
Exod UrduGeoR 37:17  Phir Bazliyel ne ḳhālis sone kā shamādān banāyā. Us kā pāyā aur ḍanḍī ghaṛ kar banāe gae. Us kī pyāliyāṅ jo phūloṅ aur kaliyoṅ kī shakl kī thīṅ pāe aur ḍanḍī ke sāth ek hī ṭukṛā thīṅ.
Exod UrduGeoR 37:18  Ḍanḍī se dāīṅ aur bāīṅ taraf tīn tīn shāḳheṅ nikaltī thīṅ.
Exod UrduGeoR 37:19  Har shāḳh par tīn pyāliyāṅ lagī thīṅ jo bādām kī kaliyoṅ aur phūloṅ kī shakl kī thīṅ.
Exod UrduGeoR 37:20  Shamādān kī ḍanḍī par bhī is qism kī pyāliyāṅ lagī thīṅ, lekin tādād meṅ chār.
Exod UrduGeoR 37:21  In meṅ se tīn pyāliyāṅ dāeṅ bāeṅ kī chhih shāḳhoṅ ke nīche lagī thīṅ. Wuh yoṅ lagī thīṅ ki har pyālī se do shāḳheṅ nikaltī thīṅ.
Exod UrduGeoR 37:22  Shāḳheṅ aur pyāliyāṅ balki pūrā shamādān ḳhālis sone ke ek hī ṭukṛe se ghaṛ kar banāyā gayā.
Exod UrduGeoR 37:23  Bazliyel ne shamādān ke lie ḳhālis sone ke sāt charāġh banāe. Us ne battī katarne kī qainchiyāṅ aur jalte koele ke lie chhoṭe bartan bhī ḳhālis sone se banāe.
Exod UrduGeoR 37:24  Shamādān aur us ke tamām sāmān ke lie pūre 34 kilogrām ḳhālis sonā istemāl huā.
Exod UrduGeoR 37:25  Bazliyel ne kīkar kī lakaṛī kī qurbāngāh banāī jo baḳhūr jalāne ke lie thī. Wuh ḍeṛh fuṭ lambī, itnī hī chauṛī aur tīn fuṭ ūṅchī thī. Us ke chār konoṅ meṅ se sīṅg nikalte the jo qurbāngāh ke sāth ek hī ṭukṛe se banāe gae the.
Exod UrduGeoR 37:26  Us kī ūpar kī satah, us ke chār pahluoṅ aur us ke sīṅgoṅ par ḳhālis sonā chaṛhāyā gayā. Ūpar kī satah ke irdgird Bazliyel ne sone kī jhālar banāī.
Exod UrduGeoR 37:27  Sone ke do kaṛe banā kar us ne unheṅ is jhālar ke nīche ek dūsre ke muqābil pahluoṅ par lagāyā. In kaṛoṅ meṅ qurbāngāh ko uṭhāne kī lakaṛiyāṅ ḍālī gaīṅ.
Exod UrduGeoR 37:28  Yih lakaṛiyāṅ kīkar kī thīṅ, aur un par bhī sonā chaṛhāyā gayā.
Exod UrduGeoR 37:29  Bazliyel ne masah karne kā muqaddas tel aur ḳhushbūdār ḳhālis baḳhūr bhī banāyā. Yih itarsāz kā kām thā.
Chapter 38
Exod UrduGeoR 38:1  Bazliyel ne kīkar kī lakaṛī kī ek aur qurbāngāh banāī jo bhasm hone wālī qurbāniyoṅ ke lie thī. Us kī ūṅchāī sāṛhe chār fuṭ, us kī lambāī aur chauṛāī sāṛhe sāt sāt fuṭ thī.
Exod UrduGeoR 38:2  Us ke ūpar chāroṅ konoṅ meṅ se sīṅg nikalte the. Sīṅg aur qurbāngāh ek hī ṭukṛe ke the, aur us par pītal chaṛhāyā gayā.
Exod UrduGeoR 38:3  Us kā tamām sāz-o-sāmān aur bartan bhī pītal ke the yānī rākh ko uṭhā kar le jāne kī bālṭiyāṅ, belche, kāṅṭe, jalte hue koele ke lie bartan aur chhiṛkāw ke kaṭore.
Exod UrduGeoR 38:4  Qurbāngāh ko uṭhāne ke lie us ne pītal kā janglā banāyā. Wuh ūpar se khulā thā aur yoṅ banāyā gayā ki jab qurbāngāh us meṅ rakhī jāe to wuh us kināre tak pahuṅche jo qurbāngāh kī ādhī ūṅchāī par lagī thī.
Exod UrduGeoR 38:5  Us ne qurbāngāh ko uṭhāne ke lie chār kaṛe banā kar unheṅ jangle ke chār konoṅ par lagāyā.
Exod UrduGeoR 38:6  Phir us ne kīkar kī do lakaṛiyāṅ banā kar un par pītal chaṛhāyā
Exod UrduGeoR 38:7  aur qurbāngāh ke donoṅ taraf lage in kaṛoṅ meṅ ḍāl dīṅ. Yoṅ use uṭhāyā jā saktā thā. Qurbāngāh lakaṛī kī thī lekin khokhlī thī.
Exod UrduGeoR 38:8  Bazliyel ne dhone kā hauz aur us kā ḍhāṅchā bhī pītal se banāyā. Us kā pītal un auratoṅ ke āīnoṅ se milā thā jo mulāqāt ke ḳhaime ke darwāze par ḳhidmat kartī thīṅ.
Exod UrduGeoR 38:9  Phir Bazliyel ne sahan banāyā. Us kī chārdīwārī bārīk katān ke kapṛe se banāī gaī. Chārdīwārī kī lambāī junūb kī taraf 150 fuṭ thī.
Exod UrduGeoR 38:10  Kapṛe ko lagāne ke lie chāṅdī kī hukeṅ, paṭṭiyāṅ, lakaṛī ke khambe aur un ke pāe banāe gae.
Exod UrduGeoR 38:11  Chārdīwārī shimāl kī taraf bhī isī tarah banāī gaī.
Exod UrduGeoR 38:12  Ḳhaime ke pīchhe maġhrib kī taraf chārdīwārī kī chauṛāī 75 fuṭ thī. Kapṛe ke alāwā us ke lie 10 khambe, 10 pāe aur kapṛā lagāne ke lie chāṅdī kī hukeṅ aur paṭṭiyāṅ banāī gaīṅ.
Exod UrduGeoR 38:13  Sāmne, mashriq kī taraf jahāṅ se sūraj tulū hotā hai chārdīwārī kī chauṛāī bhī 75 fuṭ thī.
Exod UrduGeoR 38:14  Kapṛā darwāze ke dāīṅ taraf sāṛhe 22 fuṭ chauṛā thā aur us ke bāīṅ taraf bhī utnā hī chauṛā. Use donoṅ taraf tīn tīn khamboṅ ke sāth lagāyā gayā jo pītal ke pāiyoṅ par khaṛe the.
Exod UrduGeoR 38:15  Kapṛā darwāze ke dāīṅ taraf sāṛhe 22 fuṭ chauṛā thā aur us ke bāīṅ taraf bhī utnā hī chauṛā. Use donoṅ taraf tīn tīn khamboṅ ke sāth lagāyā gayā jo pītal ke pāiyoṅ par khaṛe the.
Exod UrduGeoR 38:16  Chārdīwārī ke tamām pardoṅ ke lie bārīk katān istemāl huā.
Exod UrduGeoR 38:17  Khambe pītal ke pāiyoṅ par khaṛe the, aur parde chāṅdī kī hukoṅ aur paṭṭiyoṅ se khamboṅ ke sāth lage the. Khamboṅ ke ūpar ke siroṅ par chāṅdī chaṛhāī gaī thī. Sahan ke tamām khamboṅ par chāṅdī kī paṭṭiyāṅ lagī thīṅ.
Exod UrduGeoR 38:18  Chārdīwārī ke darwāze kā pardā nīle, arġhawānī aur qirmizī rang ke dhāge aur bārīk katān se banāyā gayā, aur us par kaṛhāī kā kām kiyā gayā. Wuh 30 fuṭ chauṛā aur chārdīwārī ke dūsre pardoṅ kī tarah sāṛhe sāt fuṭ ūṅchā thā.
Exod UrduGeoR 38:19  Us ke chār khambe aur pītal ke chār pāe the. Us kī hukeṅ aur paṭṭiyāṅ chāṅdī kī thīṅ, aur khamboṅ ke ūpar ke siroṅ par chāṅdī chaṛhāī gaī thī.
Exod UrduGeoR 38:20  Ḳhaime aur chārdīwārī kī tamām meḳheṅ pītal kī thīṅ.
Exod UrduGeoR 38:21  Zail meṅ us sāmān kī fahrist hai jo maqdis kī tāmīr ke lie istemāl huā. Mūsā ke hukm par imām-e-āzam Hārūn ke beṭe Itamar ne Lāwiyoṅ kī mārifat yih fahrist taiyār kī.
Exod UrduGeoR 38:22  (Yahūdāh ke qabīle ke Bazliyel bin Ūrī bin Hūr ne wuh sab kuchh banāyā jo Rab ne Mūsā ko batāyā thā.
Exod UrduGeoR 38:23  Us ke sāth Dān ke qabīle kā Uhliyāb bin Aḳhīsamak thā jo kārīgarī ke har kām aur kaṛhāī ke kām meṅ māhir thā. Wuh nīle, arġhawānī aur qirmizī rang ke dhāge aur bārīk katān se kapṛā banāne meṅ bhī māhir thā.)
Exod UrduGeoR 38:24  Us sone kā wazn jo logoṅ ke hadiyoṅ se jamā huā aur maqdis kī tāmīr ke lie istemāl huā taqrīban 1,000 kilogrām thā. (Use maqdis ke bāṭoṅ ke hisāb se tolā gayā.)
Exod UrduGeoR 38:25  Tāmīr ke lie chāṅdī jo mardumshumārī ke hisāb se wasūl huī, us kā wazn taqrīban 3,430 kilogrām thā. (Use bhī maqdis ke bāṭoṅ ke hisāb se tolā gayā.)
Exod UrduGeoR 38:26  Jin mardoṅ kī umr 20 sāl yā is se zāyd thī unheṅ chāṅdī kā ādhā ādhā sikkā denā paṛā. Mardoṅ kī kul tādād 6,03,550 thī.
Exod UrduGeoR 38:27  Chūṅki dīwāroṅ ke taḳhtoṅ ke pāe aur Muqaddastarīn Kamre ke darwāze ke satūnoṅ ke pāe chāṅdī ke the is lie taqrīban pūrī chāṅdī in 100 pāiyoṅ ke lie sarf huī.
Exod UrduGeoR 38:28  Taqrīban 30 kilogrām chāṅdī bach gaī. Is se chārdīwārī ke khamboṅ kī hukeṅ aur paṭṭiyāṅ banāī gaīṅ, aur yih khamboṅ ke ūpar ke siroṅ par bhī chaṛhāī gaī.
Exod UrduGeoR 38:29  Jo pītal hadiyoṅ se jamā huā us kā wazn taqrīban 2,425 kilogrām thā.
Exod UrduGeoR 38:30  Ḳhaime ke darwāze ke pāe, jānwaroṅ ko chaṛhāne kī qurbāngāh, us kā janglā, bartan aur sāz-o-sāmān,
Exod UrduGeoR 38:31  chārdīwārī ke pāe, sahan ke darwāze ke pāe aur ḳhaime aur chārdīwārī kī tamām meḳheṅ isī se banāī gaīṅ.
Chapter 39
Exod UrduGeoR 39:1  Bazliyel kī hidāyat par kārīgaroṅ ne nīle, arġhawānī aur qirmizī rang kā dhāgā le kar maqdis meṅ ḳhidmat ke lie libās banāe. Unhoṅ ne Hārūn ke muqaddas kapṛe un hidāyāt ke ain mutābiq banāe jo Rab ne Mūsā ko dī thīṅ.
Exod UrduGeoR 39:2  Unhoṅ ne imām-e-āzam kā bālāposh banāne ke lie sonā, nīle, arġhawānī aur qirmizī rang kā dhāgā aur bārīk katān istemāl kiyā.
Exod UrduGeoR 39:3  Unhoṅ ne sone ko kūṭ kūṭ kar warq banāyā aur phir use kāṭ kar dhāge banāe. Jab nīle, arġhawānī aur qirmizī rang ke dhāge aur bārīk katān se kapṛā banāyā gayā to sone kā yih dhāgā mahārat se kaṛhāī ke kām meṅ istemāl huā.
Exod UrduGeoR 39:4  Unhoṅ ne bālāposh ke lie do paṭṭiyāṅ banāīṅ aur unheṅ bālāposh ke kandhoṅ par rakh kar sāmne aur pīchhe se bālāposh ke sāth lagāīṅ.
Exod UrduGeoR 39:5  Paṭkā bhī banāyā gayā jis se bālāposh ko bāndhā jātā thā. Is ke lie bhī sonā, nīle, arġhawānī aur qirmizī rang kā dhāgā aur bārīk katān istemāl huā. Yih un hidāyāt ke ain mutābiq huā jo Rab ne Mūsā ko dī thīṅ.
Exod UrduGeoR 39:6  Phir unhoṅ ne aqīq-e-ahmar ke do patthar chun lie aur unheṅ sone ke ḳhānoṅ meṅ jaṛ kar un par Isrāīl ke bārah beṭoṅ ke nām kandā kie. Yih nām jauharoṅ par us tarah kandā kie gae jis tarah muhr kandā kī jātī hai.
Exod UrduGeoR 39:7  Unhoṅ ne pattharoṅ ko bālāposh kī do paṭṭiyoṅ par yoṅ lagāyā ki wuh Hārūn ke kandhoṅ par Rab ko Isrāīliyoṅ kī yād dilāte raheṅ. Yih sab kuchh Rab kī dī gaī hidāyāt ke ain mutābiq huā.
Exod UrduGeoR 39:8  Is ke bād unhoṅ ne sīne kā kīsā banāyā. Yih māhir kārīgar kā kām thā aur unhīṅ chīzoṅ se banā jin se Hārūn kā bālāposh bhī banā thā yānī sone aur nīle, arġhawānī aur qirmizī rang ke dhāge aur bārīk katān se.
Exod UrduGeoR 39:9  Jab kapṛe ko ek dafā tah kiyā gayā to kīse kī lambāī aur chauṛāī nau nau inch thī.
Exod UrduGeoR 39:10  Unhoṅ ne us par chār qatāroṅ meṅ jawāhar jaṛe. Har qatār meṅ tīn tīn jauhar the. Pahlī qatār meṅ lāl, zabarjad aur zumurrad.
Exod UrduGeoR 39:11  Dūsrī meṅ fīrozā, sang-e-lājaward aur hajrul-qamar.
Exod UrduGeoR 39:12  Tīsrī meṅ zarqon, aqīq aur yāqūt-e-arġhawānī.
Exod UrduGeoR 39:13  Chauthī meṅ pukhrāj, aqīq-e-ahmar aur yashab. Har jauhar sone ke ḳhāne meṅ jaṛā huā thā.
Exod UrduGeoR 39:14  Yih bārah jawāhar Isrāīl ke bārah qabīloṅ kī numāindagī karte the. Ek ek jauhar par ek qabīle kā nām kandā kiyā gayā, aur yih nām us tarah kandā kie gae jis tarah muhr kandā kī jātī hai.
Exod UrduGeoR 39:15  Ab unhoṅ ne sīne ke kīse ke lie ḳhālis sone kī do zanjīreṅ banāīṅ jo ḍorī kī tarah gundhī huī thīṅ.
Exod UrduGeoR 39:16  Sāth sāth unhoṅ ne sone ke do ḳhāne aur do kaṛe bhī banāe. Unhoṅ ne yih kaṛe kīse ke ūpar ke do konoṅ par lagāe.
Exod UrduGeoR 39:17  Phir donoṅ zanjīreṅ un do kaṛoṅ ke sāth lagāī gaīṅ.
Exod UrduGeoR 39:18  Un ke dūsre sire bālāposh kī kandhoṅ wālī paṭṭiyoṅ ke do ḳhānoṅ ke sāth joṛ die gae. Phir sāmne kī taraf lagāe gae.
Exod UrduGeoR 39:19  Unhoṅ ne kīse ke nichle do konoṅ par bhī sone ke do kaṛe lagāe. Wuh andar, bālāposh kī taraf lage the.
Exod UrduGeoR 39:20  Ab unhoṅ ne do aur kaṛe banā kar bālāposh kī kandhoṅ wālī paṭṭiyoṅ par lagāe. Yih bhī sāmne kī taraf lage the lekin nīche, bālāposh ke paṭke ke ūpar hī.
Exod UrduGeoR 39:21  Unhoṅ ne sīne ke kīse ke nichle kaṛe nīlī ḍorī se bālāposh ke in nichle kaṛoṅ ke sāth bāndhe. Yoṅ kīsā paṭke ke ūpar achchhī tarah sīne ke sāth lagā rahā. Yih un hidāyāt ke ain mutābiq huā jo Rab ne Mūsā ko dī thīṅ.
Exod UrduGeoR 39:22  Phir kārīgaroṅ ne choġhā bunā. Wuh pūrī tarah nīle dhāge se banāyā gayā. Choġhe ko bālāposh se pahle pahnanā thā.
Exod UrduGeoR 39:23  Us ke garebān ko bune hue kālar se mazbūt kiyā gayā tāki wuh na phaṭe.
Exod UrduGeoR 39:24  Unhoṅ ne nīle, arġhawānī aur qirmizī rang ke dhāge se anār banā kar unheṅ choġhe ke dāman meṅ lagā diyā.
Exod UrduGeoR 39:25  Un ke darmiyān ḳhālis sone kī ghanṭiyāṅ lagāī gaīṅ.
Exod UrduGeoR 39:26  Dāman meṅ anār aur ghanṭiyāṅ bārī bārī lagāī gaīṅ. Lāzim thā ki Hārūn ḳhidmat karne ke lie hameshā yih choġhā pahne. Rab ne Mūsā ko yihī hukm diyā thā.
Exod UrduGeoR 39:27  Kārīgaroṅ ne Hārūn aur us ke beṭoṅ ke lie bārīk katān ke zerjāme banāe. Yih bunane wāle kā kām thā.
Exod UrduGeoR 39:28  Sāth sāth unhoṅ ne bārīk katān kī pagaṛiyāṅ aur bārīk katān ke pājāme banāe.
Exod UrduGeoR 39:29  Kamarband ko bārīk katān aur nīle, arġhawānī aur qirmizī rang ke dhāge se banāyā gayā. Kaṛhāī karne wāloṅ ne is par kām kiyā. Sab kuchh un hidāyāt ke mutābiq banāyā gayā jo Rab ne Mūsā ko dī thīṅ.
Exod UrduGeoR 39:30  Unhoṅ ne muqaddas tāj yānī ḳhālis sone kī taḳhtī banāī aur us par yih alfāz kandā kie, ‘Rab ke lie Maḳhsūs-o-Muqaddas.’
Exod UrduGeoR 39:31  Phir unhoṅ ne ise nīlī ḍorī se pagaṛī ke sāmne wāle hisse se lagā diyā. Yih bhī un hidāyāt ke mutābiq banāyā gayā jo Rab ne Mūsā ko dī thīṅ.
Exod UrduGeoR 39:32  Āḳhirkār maqdis kā kām mukammal huā. Isrāīliyoṅ ne sab kuchh un hidāyāt ke mutābiq banāyā thā jo Rab ne Mūsā ko dī thīṅ.
Exod UrduGeoR 39:33  Wuh maqdis kī tamām chīzeṅ Mūsā ke pās le āe yānī muqaddas ḳhaimā aur us kā sārā sāmān, us kī hukeṅ, dīwāroṅ ke taḳhte, shahtīr, satūn aur pāe,
Exod UrduGeoR 39:34  ḳhaime par menḍhoṅ kī surḳh rangī huī khāloṅ kā ġhilāf aur taḳhas kī khāloṅ kā ġhilāf, Muqaddastarīn Kamre ke darwāze kā pardā,
Exod UrduGeoR 39:35  ahd kā sandūq jis meṅ sharīat kī taḳhtiyāṅ rakhnī thīṅ, use uṭhāne kī lakaṛiyāṅ aur us kā ḍhaknā,
Exod UrduGeoR 39:36  maḳhsūs roṭiyoṅ kī mez, us kā sārā sāmān aur roṭiyāṅ,
Exod UrduGeoR 39:37  ḳhālis sone kā shamādān aur us par rakhne ke charāġh us ke sāre sāmān samet, shamādān ke lie tel,
Exod UrduGeoR 39:38  baḳhūr jalāne kī sone kī qurbāngāh, masah kā tel, ḳhushbūdār baḳhūr, muqaddas ḳhaime ke darwāze kā pardā,
Exod UrduGeoR 39:39  jānwaroṅ ko chaṛhāne kī pītal kī qurbāngāh, us kā pītal kā janglā, use uṭhāne kī lakaṛiyāṅ aur bāqī sārā sāmān, dhone kā hauz aur wuh ḍhāṅchā jis par hauz rakhnā thā,
Exod UrduGeoR 39:40  chārdīwārī ke parde un ke khamboṅ aur pāiyoṅ samet, sahan ke darwāze kā pardā, chārdīwārī ke rasse aur meḳheṅ, mulāqāt ke ḳhaime meṅ ḳhidmat karne kā bāqī sārā sāmān
Exod UrduGeoR 39:41  aur maqdis meṅ ḳhidmat karne ke wuh muqaddas libās jo Hārūn aur us ke beṭoṅ ko pahnane the.
Exod UrduGeoR 39:42  Sab kuchh un hidāyāt ke mutābiq banāyā gayā thā jo Rab ne Mūsā ko dī thīṅ.
Exod UrduGeoR 39:43  Mūsā ne tamām chīzoṅ kā muāynā kiyā aur mālūm kiyā ki unhoṅ ne sab kuchh Rab kī hidāyāt ke mutābiq banāyā thā. Tab us ne unheṅ barkat dī.
Chapter 40
Exod UrduGeoR 40:2  “Pahle mahīne kī pahlī tārīḳh ko mulāqāt kā ḳhaimā khaṛā karnā.
Exod UrduGeoR 40:3  Ahd kā sandūq jis meṅ sharīat kī taḳhtiyāṅ haiṅ Muqaddastarīn Kamre meṅ rakh kar us ke darwāze kā pardā lagānā.
Exod UrduGeoR 40:4  Is ke bād maḳhsūs roṭiyoṅ kī mez Muqaddas Kamre meṅ lā kar us par tamām zarūrī sāmān rakhnā. Us kamre meṅ shamādān bhī le ānā aur us par us ke charāġh rakhnā.
Exod UrduGeoR 40:5  Baḳhūr kī sone kī qurbāngāh us parde ke sāmne rakhnā jis ke pīchhe ahd kā sandūq hai. Phir ḳhaime meṅ dāḳhil hone ke darwāze par pardā lagānā.
Exod UrduGeoR 40:6  Jānwaroṅ ko chaṛhāne kī qurbāngāh sahan meṅ ḳhaime ke darwāze ke sāmne rakhī jāe.
Exod UrduGeoR 40:7  Ḳhaime aur is qurbāngāh ke darmiyān dhone kā hauz rakh kar us meṅ pānī ḍālnā.
Exod UrduGeoR 40:8  Sahan kī chārdīwārī khaṛī karke us ke darwāze kā pardā lagānā.
Exod UrduGeoR 40:9  Phir masah kā tel le kar use ḳhaime aur us ke sāre sāmān par chhiṛak denā. Yoṅ tū use mere lie maḳhsūs karegā aur wuh muqaddas hogā.
Exod UrduGeoR 40:10  Phir jānwaroṅ ko chaṛhāne kī qurbāngāh aur us ke sāmān par masah kā tel chhiṛaknā. Yoṅ tū use mere lie maḳhsūs karegā aur wuh nihāyat muqaddas hogā.
Exod UrduGeoR 40:11  Isī tarah hauz aur us ḍhāṅche ko bhī maḳhsūs karnā jis par hauz rakhā gayā hai.
Exod UrduGeoR 40:12  Hārūn aur us ke beṭoṅ ko mulāqāt ke ḳhaime ke darwāze par lā kar ġhusl karānā.
Exod UrduGeoR 40:13  Phir Hārūn ko muqaddas libās pahnānā aur use masah karke mere lie maḳhsūs-o-muqaddas karnā tāki imām ke taur par merī ḳhidmat kare.
Exod UrduGeoR 40:14  Us ke beṭoṅ ko lā kar unheṅ zerjāme pahnā denā.
Exod UrduGeoR 40:15  Unheṅ un ke wālid kī tarah masah karnā tāki wuh bhī imāmoṅ ke taur par merī ḳhidmat kareṅ. Jab unheṅ masah kiyā jāegā to wuh aur bād meṅ un kī aulād hameshā tak maqdis meṅ is ḳhidmat ke lie maḳhsūs hoṅge.”
Exod UrduGeoR 40:16  Mūsā ne sab kuchh Rab kī hidāyāt ke mutābiq kiyā.
Exod UrduGeoR 40:17  Pahle mahīne kī pahlī tārīḳh ko muqaddas ḳhaimā khaṛā kiyā gayā. Unheṅ Misr se nikle pūrā ek sāl ho gayā thā.
Exod UrduGeoR 40:18  Mūsā ne dīwār ke taḳhtoṅ ko un ke pāiyoṅ par khaṛā karke un ke sāth shahtīr lagāe. Isī tarah us ne satūnoṅ ko bhī khaṛā kiyā.
Exod UrduGeoR 40:19  Us ne Rab kī hidāyāt ke ain mutābiq dīwāroṅ par kapṛe kā ḳhaimā lagāyā aur us par dūsre ġhilāf rakhe.
Exod UrduGeoR 40:20  Us ne sharīat kī donoṅ taḳhtiyāṅ le kar ahd ke sandūq meṅ rakh dīṅ, uṭhāne ke lie lakaṛiyāṅ sandūq ke kaṛoṅ meṅ ḍāl dīṅ aur kaffāre kā ḍhaknā us par lagā diyā.
Exod UrduGeoR 40:21  Phir us ne Rab kī hidāyāt ke ain mutābiq sandūq ko Muqaddastarīn Kamre meṅ rakh kar us ke darwāze kā pardā lagā diyā. Yoṅ ahd ke sandūq par pardā paṛā rahā.
Exod UrduGeoR 40:22  Mūsā ne maḳhsūs roṭiyoṅ kī mez Muqaddas Kamre ke shimālī hisse meṅ us parde ke sāmne rakh dī jis ke pīchhe ahd kā sandūq thā.
Exod UrduGeoR 40:23  Us ne Rab kī hidāyat ke ain mutābiq Rab ke lie maḳhsūs kī huī roṭiyāṅ mez par rakhīṅ.
Exod UrduGeoR 40:24  Usī kamre ke junūbī hisse meṅ us ne shamādān ko mez ke muqābil rakh diyā.
Exod UrduGeoR 40:25  Us par us ne Rab kī hidāyat ke ain mutābiq Rab ke sāmne charāġh rakh die.
Exod UrduGeoR 40:26  Us ne baḳhūr kī sone kī qurbāngāh bhī usī kamre meṅ rakhī, us parde ke bilkul sāmne jis ke pīchhe ahd kā sandūq thā.
Exod UrduGeoR 40:27  Us ne us par Rab kī hidāyat ke ain mutābiq ḳhushbūdār baḳhūr jalāyā.
Exod UrduGeoR 40:29  Bāhar jā kar us ne jānwaroṅ ko chaṛhāne kī qurbāngāh ḳhaime ke darwāze ke sāmne rakh dī. Us par us ne Rab kī hidāyat ke ain mutābiq bhasm hone wālī qurbāniyāṅ aur ġhallā kī nazareṅ chaṛhāīṅ.
Exod UrduGeoR 40:30  Us ne dhone ke hauz ko ḳhaime aur us qurbāngāh ke darmiyān rakh kar us meṅ pānī ḍāl diyā.
Exod UrduGeoR 40:31  Mūsā, Hārūn aur us ke beṭe use apne hāth-pāṅw dhone ke lie istemāl karte the.
Exod UrduGeoR 40:32  Jab bhī wuh mulāqāt ke ḳhaime meṅ dāḳhil hote yā jānwaroṅ ko chaṛhāne kī qurbāngāh ke pās āte to Rab kī hidāyat ke ain mutābiq pahle ġhusl karte.
Exod UrduGeoR 40:33  Āḳhir meṅ Mūsā ne ḳhaimā, qurbāngāh aur chārdīwārī khaṛī karke sahan ke darwāze kā pardā lagā diyā. Yoṅ Mūsā ne maqdis kī tāmīr mukammal kī.
Exod UrduGeoR 40:34  Phir mulāqāt ke ḳhaime par bādal chhā gayā aur maqdis Rab ke jalāl se bhar gayā.
Exod UrduGeoR 40:35  Mūsā ḳhaime meṅ dāḳhil na ho sakā, kyoṅki bādal us par ṭhahrā huā thā aur maqdis Rab ke jalāl se bhar gayā thā.
Exod UrduGeoR 40:36  Tamām safr ke daurān jab bhī maqdis ke ūpar se bādal uṭhtā to Isrāīlī safr ke lie taiyār ho jāte.
Exod UrduGeoR 40:37  Agar wuh na uṭhtā to wuh us waqt tak ṭhahre rahte jab tak bādal uṭh na jātā.
Exod UrduGeoR 40:38  Din ke waqt bādal maqdis ke ūpar ṭhahrā rahtā aur rāt ke waqt wuh tamām Isrāīliyoṅ ko āg kī sūrat meṅ nazar ātā thā. Yih silsilā pūre safr ke daurān jārī rahā.