Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
Toggle notes
Chapter 1
Job UrduGeoR 1:1  Mulk-e-Ūz meṅ ek be'ilzām ādmī rahtā thā jis kā nām Ayyūb thā. Wuh sīdhī rāh par chaltā, Allāh kā ḳhauf māntā aur har burāī se dūr rahtā thā.
Job UrduGeoR 1:2  Us ke sāt beṭe aur tīn beṭiyāṅ paidā huīṅ.
Job UrduGeoR 1:3  Sāth sāth us ke bahut māl-maweshī the: 7,000 bheṛ-bakriyāṅ, 3,000 ūṅṭ, bailoṅ kī 500 joṛiyāṅ aur 500 gadhiyāṅ. Us ke beshumār naukar-naukarāniyāṅ bhī the. Ġharz mashriq ke tamām bāshindoṅ meṅ is ādmī kī haisiyat sab se baṛī thī.
Job UrduGeoR 1:4  Us ke beṭoṅ kā dastūr thā ki bārī bārī apne gharoṅ meṅ ziyāfat kareṅ. Is ke lie wuh apnī tīn bahnoṅ ko bhī apne sāth khāne aur pīne kī dāwat dete the.
Job UrduGeoR 1:5  Har dafā jab ziyāfat ke din iḳhtitām tak pahuṅchte to Ayyūb apne bachchoṅ ko bulā kar unheṅ pāk-sāf kar detā aur subah-sawere uṭh kar har ek ke lie bhasm hone wālī ek ek qurbānī pesh kartā. Kyoṅki wuh kahtā thā, “Ho saktā hai mere bachchoṅ ne gunāh karke dil meṅ Allāh par lānat kī ho.” Chunāṅche Ayyūb har ziyāfat ke bād aisā hī kartā thā.
Job UrduGeoR 1:6  Ek din farishte apne āp ko Rab ke huzūr pesh karne āe. Iblīs bhī un ke darmiyān maujūd thā.
Job UrduGeoR 1:7  Rab ne Iblīs se pūchhā, “Tū kahāṅ se āyā hai?” Iblīs ne jawāb diyā, “Maiṅ duniyā meṅ idhar-udhar ghūmtā-phirtā rahā.”
Job UrduGeoR 1:8  Rab bolā, “Kyā tū ne mere bande Ayyūb par tawajjuh dī? Duniyā meṅ us jaisā koī aur nahīṅ. Kyoṅki wuh be'ilzām hai, wuh sīdhī rāh par chaltā, Allāh kā ḳhauf māntā aur har burāī se dūr rahtā hai.”
Job UrduGeoR 1:9  Iblīs ne Rab ko jawāb diyā, “Beshak, lekin kyā Ayyūb yoṅ hī Allāh kā ḳhauf māntā hai?
Job UrduGeoR 1:10  Tū ne to us ke, us ke gharāne ke aur us kī tamām milkiyat ke irdgird hifāzatī bāṛ lagāī hai. Aur jo kuchh us ke hāth ne kiyā us par tū ne barkat dī, natīje meṅ us kī bheṛ-bakriyāṅ aur gāy-bail pūre mulk meṅ phail gae haiṅ.
Job UrduGeoR 1:11  Lekin wuh kyā karegā agar tū apnā hāth zarā baṛhā kar sab kuchh tabāh kare jo use hāsil hai. Tab wuh tere muṅh par hī tujh par lānat karegā.”
Job UrduGeoR 1:12  Rab ne Iblīs se kahā, “Ṭhīk hai, jo kuchh bhī us kā hai wuh tere hāth meṅ hai. Lekin us ke badan ko hāth na lagānā.” Iblīs Rab ke huzūr se chalā gayā.
Job UrduGeoR 1:13  Ek din Ayyūb ke beṭe-beṭiyāṅ māmūl ke mutābiq ziyāfat kar rahe the. Wuh baṛe bhāī ke ghar meṅ khānā khā rahe aur mai pī rahe the.
Job UrduGeoR 1:14  Achānak ek qāsid Ayyūb ke pās pahuṅch kar kahne lagā, “Bail khet meṅ hal chalā rahe the aur gadhiyāṅ sāth wālī zamīn par char rahī thīṅ
Job UrduGeoR 1:15  ki Sabā ke logoṅ ne ham par hamlā karke sab kuchh chhīn liyā. Unhoṅ ne tamām mulāzimoṅ ko talwār se mār ḍālā, sirf maiṅ hī āp ko yih batāne ke lie bach niklā hūṅ.”
Job UrduGeoR 1:16  Wuh abhī bāt kar hī rahā thā ki ek aur qāsid pahuṅchā jis ne ittalā dī, “Allāh kī āg ne āsmān se gir kar āp kī tamām bheṛ-bakriyoṅ aur mulāzimoṅ ko bhasm kar diyā. Sirf maiṅ hī āp ko yih batāne ke lie bach niklā hūṅ.”
Job UrduGeoR 1:17  Wuh abhī bāt kar hī rahā thā ki tīsrā qāsid pahuṅchā. Wuh bolā, “Bābal ke Kasdiyoṅ ne tīn gurohoṅ meṅ taqsīm ho kar hamāre ūṅṭoṅ par hamlā kiyā aur sab kuchh chhīn liyā. Tamām mulāzimoṅ ko unhoṅ ne talwār se mār ḍālā, sirf maiṅ hī āp ko yih batāne ke lie bach niklā hūṅ.”
Job UrduGeoR 1:18  Wuh abhī bāt kar hī rahā thā ki chauthā qāsid pahuṅchā. Us ne kahā, “Āp ke beṭe-beṭiyāṅ apne baṛe bhāī ke ghar meṅ khānā khā rahe aur mai pī rahe the
Job UrduGeoR 1:19  ki achānak registān kī jānib se ek zordār āṅdhī āī jo ghar ke chāroṅ konoṅ se yoṅ ṭakrāī ki wuh jawānoṅ par gir paṛā. Sab ke sab halāk ho gae. Sirf maiṅ hī āp ko yih batāne ke lie bach niklā hūṅ.”
Job UrduGeoR 1:20  Yih sab kuchh sun kar Ayyūb uṭhā. Apnā libās phāṛ kar us ne apne sar ke bāl munḍwāe. Phir us ne zamīn par gir kar aundhe muṅh Rab ko sijdā kiyā.
Job UrduGeoR 1:21  Wuh bolā, “Maiṅ nangī hālat meṅ māṅ ke peṭ se niklā aur nangī hālat meṅ kūch kar jāūṅgā. Rab ne diyā, Rab ne liyā, Rab kā nām mubārak ho!”
Job UrduGeoR 1:22  Is sāre muāmale meṅ Ayyūb ne na gunāh kiyā, na Allāh ke bāre meṅ kufr bakā.
Chapter 2
Job UrduGeoR 2:1  Ek din farishte dubārā apne āp ko Rab ke huzūr pesh karne āe. Iblīs bhī un ke darmiyān maujūd thā.
Job UrduGeoR 2:2  Rab ne Iblīs se pūchhā, “Tū kahāṅ se āyā hai?” Iblīs ne jawāb diyā, “Maiṅ duniyā meṅ idhar-udhar ghūmtā-phirtā rahā.”
Job UrduGeoR 2:3  Rab bolā, “Kyā tū ne mere bande Ayyūb par tawajjuh dī? Zamīn par us jaisā koī aur nahīṅ. Wuh be'ilzām hai, wuh sīdhī rāh par chaltā, Allāh kā ḳhauf māntā aur har burāī se dūr rahtā hai. Abhī tak wuh apne be'ilzām kirdār par qāym hai hālāṅki tū ne mujhe use bilāwajah tabāh karne par uksāyā.”
Job UrduGeoR 2:4  Iblīs ne jawāb diyā, “Khāl kā badlā khāl hī hotā hai! Insān apnī jān ko bachāne ke lie apnā sab kuchh de detā hai.
Job UrduGeoR 2:5  Lekin wuh kyā karegā agar tū apnā hāth zarā baṛhā kar us kā jism chhū de? Tab wuh tere muṅh par hī tujh par lānat karegā.”
Job UrduGeoR 2:6  Rab ne Iblīs se kahā, “Ṭhīk hai, wuh tere hāth meṅ hai. Lekin us kī jān ko mat chheṛnā.”
Job UrduGeoR 2:7  Iblīs Rab ke huzūr se chalā gayā aur Ayyūb ko satāne lagā. Chāṅd se le kar talwe tak Ayyūb ke pūre jism par badtarīn qism ke phoṛe nikal āe.
Job UrduGeoR 2:8  Tab Ayyūb rākh meṅ baiṭh gayā aur ṭhīkre se apnī jild ko khurachne lagā.
Job UrduGeoR 2:9  Us kī bīwī bolī, “Kyā tū ab tak apne be'ilzām kirdār par qāym hai? Allāh par lānat karke dam chhoṛ de!”
Job UrduGeoR 2:10  Lekin us ne jawāb diyā, “Tū ahmaq aurat kī-sī bāteṅ kar rahī hai. Allāh kī taraf se bhalāī to ham qabūl karte haiṅ, to kyā munāsib nahīṅ ki us ke hāth se musībat bhī qabūl kareṅ?” Is sāre muāmale meṅ Ayyūb ne apne muṅh se gunāh na kiyā.
Job UrduGeoR 2:11  Ayyūb ke tīn dost the. Un ke nām Ilīfaz Temānī, Bildad Sūḳhī aur Zūfar Nāmātī the. Jab unheṅ ittalā milī ki Ayyūb par yih tamām āfat ā gaī hai to har ek apne ghar se rawānā huā. Unhoṅ ne mil kar faislā kiyā ki ikaṭṭhe afsos karne aur Ayyūb ko tasallī dene jāeṅge.
Job UrduGeoR 2:12  Jab unhoṅ ne dūr se apnī nazar uṭhā kar Ayyūb ko dekhā to us kī itnī burī hālat thī ki wuh pahchānā nahīṅ jātā thā. Tab wuh zār-o-qatār rone lage. Apne kapṛe phāṛ kar unhoṅ ne apne saroṅ par ḳhāk ḍālī.
Job UrduGeoR 2:13  Phir wuh us ke sāth zamīn par baiṭh gae. Sāt din aur sāt rāt wuh isī hālat meṅ rahe. Is pūre arse meṅ unhoṅ ne Ayyūb se ek bhī bāt na kī, kyoṅki unhoṅ ne dekhā ki wuh shadīd dard kā shikār hai.
Chapter 3
Job UrduGeoR 3:1  Tab Ayyūb bol uṭhā aur apne janm din par lānat karne lagā.
Job UrduGeoR 3:3  “Wuh din miṭ jāe jab maiṅ ne janm liyā, wuh rāt jis ne kahā, ‘Peṭ meṅ laṛkā paidā huā hai!’
Job UrduGeoR 3:4  Wuh din andherā hī andherā ho jāe, ek kiran bhī use raushan na kare. Allāh bhī jo bulandiyoṅ par hai us kā ḳhayāl na kare.
Job UrduGeoR 3:5  Tārīkī aur ghanā andherā us par qabzā kare, kāle kāle bādal us par chhāe raheṅ, hāṅ wuh raushnī se mahrūm ho kar saḳht dahshatzadā ho jāe.
Job UrduGeoR 3:6  Ghanā andherā us rāt ko chhīn le jab maiṅ māṅ ke peṭ meṅ paidā huā. Use na sāl, na kisī mahīne ke dinoṅ meṅ shumār kiyā jāe.
Job UrduGeoR 3:7  Wuh rāt bāṅjh rahe, us meṅ ḳhushī kā nārā na lagāyā jāe.
Job UrduGeoR 3:8  Jo dinoṅ par lānat bhejte aur Liwiyātān azhdahe ko tahrīk meṅ lāne ke qābil hote haiṅ wuhī us rāt par lānat kareṅ.
Job UrduGeoR 3:9  Us rāt ke dhundalke meṅ ṭimṭimāne wāle sitāre bujh jāeṅ, fajr kā intazār karnā befāydā hī rahe balki wuh rāt tulū-e-subah kī palakeṅ bhī na dekhe.
Job UrduGeoR 3:10  Kyoṅki us ne merī māṅ ko mujhe janm dene se na rokā, warnā yih tamām musībat merī āṅkhoṅ se chhupī rahtī.
Job UrduGeoR 3:11  Maiṅ paidāish ke waqt kyoṅ mar na gayā, māṅ ke peṭ se nikalte waqt jān kyoṅ na de dī?
Job UrduGeoR 3:12  Māṅ ke ghuṭnoṅ ne mujhe ḳhushāmdīd kyoṅ kahā, us kī chhātiyoṅ ne mujhe dūdh kyoṅ pilāyā?
Job UrduGeoR 3:13  Agar yih na hotā to is waqt maiṅ sukūn se leṭā rahtā, ārām se soyā hotā.
Job UrduGeoR 3:14  Maiṅ unhīṅ ke sāth hotā jo pahle bādshāh aur duniyā ke mushīr the, jinhoṅ ne khanḍarāt az sar-e-nau tāmīr kie.
Job UrduGeoR 3:15  Maiṅ un ke sāth hotā jo pahle hukmrān the aur apne gharoṅ ko sone-chāṅdī se bhar lete the.
Job UrduGeoR 3:16  Mujhe zāe ho jāne wāle bachche kī tarah kyoṅ na zamīn meṅ dabā diyā gayā? Mujhe us bachche kī tarah kyoṅ na dafnāyā gayā jis ne kabhī raushnī na dekhī?
Job UrduGeoR 3:17  Us jagah bedīn apnī belagām harkatoṅ se bāz āte aur wuh ārām karte haiṅ jo tag-o-dau karte karte thak gae the.
Job UrduGeoR 3:18  Wahāṅ qaidī itmīnān se rahte haiṅ, unheṅ us zālim kī āwāz nahīṅ sunanī paṛtī jo unheṅ jīte-jī hāṅktā rahā.
Job UrduGeoR 3:19  Us jagah chhoṭe aur baṛe sab barābar hote haiṅ, ġhulām apne mālik se āzād rahtā hai.
Job UrduGeoR 3:20  Allāh musībatzadoṅ ko raushnī aur shikastādiloṅ ko zindagī kyoṅ atā kartā hai?
Job UrduGeoR 3:21  Wuh to maut ke intazār meṅ rahte haiṅ lekin befāydā. Wuh khod khod kar use yoṅ talāsh karte haiṅ jis tarah kisī poshīdā ḳhazāne ko.
Job UrduGeoR 3:22  Agar unheṅ qabr nasīb ho to wuh bāġh bāġh ho kar jashn manāte haiṅ.
Job UrduGeoR 3:23  Allāh us ko zindā kyoṅ rakhtā jis kī nazaroṅ se rāstā ojhal ho gayā hai aur jis ke chāroṅ taraf us ne bāṛ lagāī hai.
Job UrduGeoR 3:24  Kyoṅki jab mujhe roṭī khānī hai to hāy hāy kartā hūṅ, merī āheṅ pānī kī tarah muṅh se phūṭ nikaltī haiṅ.
Job UrduGeoR 3:25  Jis chīz se maiṅ ḍartā thā wuh mujh par āī, jis se maiṅ ḳhauf khātā thā us se merā wāstā paṛā.
Job UrduGeoR 3:26  Na mujhe itmīnān huā, na sukūn yā ārām balki mujh par bechainī ġhālib āī.”
Chapter 4
Job UrduGeoR 4:1  Yih kuchh sun kar Ilīfaz Temānī ne jawāb diyā,
Job UrduGeoR 4:2  “Kyā tujh se bāt karne kā koī fāydā hai? Tū to yih bardāsht nahīṅ kar saktā. Lekin dūsrī taraf kaun apne alfāz rok saktā hai?
Job UrduGeoR 4:3  Zarā soch le, tū ne ḳhud bahutoṅ ko tarbiyat dī, kaī logoṅ ke thakemānde hāthoṅ ko taqwiyat dī hai.
Job UrduGeoR 4:4  Tere alfāz ne ṭhokar khāne wāle ko dubārā khaṛā kiyā, ḍagmagāte hue ghuṭne tū ne mazbūt kie.
Job UrduGeoR 4:5  Lekin ab jab musībat tujh par ā gaī to tū use bardāsht nahīṅ kar saktā, ab jab ḳhud us kī zad meṅ ā gayā to tere roṅgṭe khaṛe ho gae haiṅ.
Job UrduGeoR 4:6  Kyā terā etamād is par munhasir nahīṅ hai ki tū Allāh kā ḳhauf māne, terī ummīd is par nahīṅ ki tū be'ilzām rāhoṅ par chale?
Job UrduGeoR 4:7  Soch le, kyā kabhī koī begunāh halāk huā hai? Hargiz nahīṅ! Jo sīdhī rāh par chalte haiṅ wuh kabhī rū-e-zamīn par se miṭ nahīṅ gae.
Job UrduGeoR 4:8  Jahāṅ tak maiṅ ne dekhā, jo nāinsāfī kā hal chalāe aur nuqsān kā bīj boe wuh is kī fasal kāṭtā hai.
Job UrduGeoR 4:9  Aise log Allāh kī ek phūṅk se tabāh, us ke qahr ke ek jhoṅke se halāk ho jāte haiṅ.
Job UrduGeoR 4:10  Sherbabar kī dahāṛeṅ ḳhāmosh ho gaīṅ, jawān sher ke dāṅt jhaṛ gae haiṅ.
Job UrduGeoR 4:11  Shikār na milne kī wajah se sher halāk ho jātā aur shernī ke bachche parāgandā ho jāte haiṅ.
Job UrduGeoR 4:12  Ek bār ek bāt chorī-chhupe mere pās pahuṅchī, us ke chand alfāz mere kān tak pahuṅch gae.
Job UrduGeoR 4:13  Rāt ko aisī royāeṅ pesh āīṅ jo us waqt dekhī jātī haiṅ jab insān gahrī nīnd soyā hotā hai. In se maiṅ pareshānkun ḳhayālāt meṅ mubtalā huā.
Job UrduGeoR 4:14  Mujh par dahshat aur thartharāhaṭ ġhālib āī, merī tamām haḍḍiyāṅ laraz uṭhīṅ.
Job UrduGeoR 4:15  Phir mere chehre ke sāmne se hawā kā jhoṅkā guzar gayā aur mere tamām roṅgṭe khaṛe ho gae.
Job UrduGeoR 4:16  Ek hastī mere sāmne khaṛī huī jise maiṅ pahchān na sakā, ek shakl merī āṅkhoṅ ke sāmne dikhāī dī. Ḳhāmoshī thī, phir ek āwāz ne farmāyā,
Job UrduGeoR 4:17  ‘Kyā insān Allāh ke huzūr rāstbāz ṭhahar saktā hai, kyā insān apne Ḳhāliq ke sāmne pāk-sāf ṭhahar saktā hai?’
Job UrduGeoR 4:18  Dekh, Allāh apne ḳhādimoṅ par bharosā nahīṅ kartā, apne farishtoṅ ko wuh ahmaq ṭhahrātā hai.
Job UrduGeoR 4:19  To phir wuh insān par kyoṅ bharosā rakhe jo miṭṭī ke ghar meṅ rahtā, aise makān meṅ jis kī buniyād ḳhāk par hī rakhī gaī hai. Use patange kī tarah kuchlā jātā hai.
Job UrduGeoR 4:20  Subah ko wuh zindā hai lekin shām tak pāsh pāsh ho jātā, abad tak halāk ho jātā hai, aur koī bhī dhyān nahīṅ detā.
Job UrduGeoR 4:21  Us ke ḳhaime ke rasse ḍhīle karo to wuh hikmat hāsil kie baġhair intaqāl kar jātā hai.
Chapter 5
Job UrduGeoR 5:1  Beshak āwāz de, lekin kaun jawāb degā? Koī nahīṅ! Muqaddasīn meṅ se tū kis kī taraf rujū kar saktā hai?
Job UrduGeoR 5:2  Kyoṅki ahmaq kī ranjīdagī use mār ḍāltī, sādālauh kī sargarmī use maut ke ghāṭ utār detī hai.
Job UrduGeoR 5:3  Maiṅ ne ḳhud ek ahmaq ko jaṛ pakaṛte dekhā, lekin maiṅ ne fauran hī us ke ghar par lānat bhejī.
Job UrduGeoR 5:4  Us ke farzand najāt se dūr rahte. Unheṅ shahr ke darwāze meṅ raundā jātā hai, aur bachāne wālā koī nahīṅ.
Job UrduGeoR 5:5  Bhūke us kī fasal khā jāte, kāṅṭedār bāṛoṅ meṅ mahfūz māl bhī chhīn lete haiṅ. Pyāse afrād hāṅpte hue us kī daulat ke pīchhe paṛ jāte haiṅ.
Job UrduGeoR 5:6  Kyoṅki burāī ḳhāk se nahīṅ nikaltī aur dukh-dard miṭṭī se nahīṅ phūṭtā
Job UrduGeoR 5:7  balki insān ḳhud is kā bāis hai, dukh-dard us kī wirāsat meṅ hī pāyā jātā hai. Yih itnā yaqīnī hai jitnā yih ki āg kī chingāriyāṅ ūpar kī taraf uṛtī haiṅ.
Job UrduGeoR 5:8  Lekin agar maiṅ terī jagah hotā to Allāh se dariyāft kartā, use hī apnā muāmalā pesh kartā.
Job UrduGeoR 5:9  Wuhī itne azīm kām kartā hai ki koī un kī tah tak nahīṅ pahuṅch saktā, itne mojize ki koī unheṅ gin nahīṅ saktā.
Job UrduGeoR 5:10  Wuhī rū-e-zamīn ko bārish atā kartā, khule maidān par pānī barsā detā hai.
Job UrduGeoR 5:11  Pasthāloṅ ko wuh sarfarāz kartā aur mātam karne wāloṅ ko uṭhā kar mahfūz maqām par rakh detā hai.
Job UrduGeoR 5:12  Wuh chālākoṅ ke mansūbe toṛ detā hai tāki un ke hāth nākām raheṅ.
Job UrduGeoR 5:13  Wuh dānishmandoṅ ko un kī apnī chālākī ke phande meṅ phaṅsā detā hai to hoshyāroṅ kī sāzisheṅ achānak hī ḳhatm ho jātī haiṅ.
Job UrduGeoR 5:14  Din ke waqt un par andherā chhā jātā, aur dopahar ke waqt bhī wuh ṭaṭol ṭaṭol kar phirte haiṅ.
Job UrduGeoR 5:15  Allāh zarūratmandoṅ ko un ke muṅh kī talwār aur zabardast ke qabze se bachā letā hai.
Job UrduGeoR 5:16  Yoṅ pasthāloṅ ko ummīd dī jātī aur nāinsāfī kā muṅh band kiyā jātā hai.
Job UrduGeoR 5:17  Mubārak hai wuh insān jis kī malāmat Allāh kartā hai! Chunāṅche Qādir-e-mutlaq kī tādīb ko haqīr na jān.
Job UrduGeoR 5:18  Kyoṅki wuh zaḳhmī kartā lekin marham-paṭṭī bhī lagā detā hai, wuh zarb lagātā lekin apne hāthoṅ se shifā bhī baḳhshtā hai.
Job UrduGeoR 5:19  Wuh tujhe chhih musībatoṅ se chhuṛāegā, aur agar is ke bād bhī koī āe to tujhe nuqsān nahīṅ pahuṅchegā.
Job UrduGeoR 5:20  Agar kāl paṛe to wuh fidyā de kar tujhe maut se bachāegā, jang meṅ tujhe talwār kī zad meṅ āne nahīṅ degā.
Job UrduGeoR 5:21  Tū zabān ke koṛoṅ se mahfūz rahegā, aur jab tabāhī āe to ḍarne kī zarūrat nahīṅ hogī.
Job UrduGeoR 5:22  Tū tabāhī aur kāl kī haṅsī uṛāegā, zamīn ke wahshī jānwaroṅ se ḳhauf nahīṅ khāegā.
Job UrduGeoR 5:23  Kyoṅki terā khule maidān ke pattharoṅ ke sāth ahd hogā, is lie us ke janglī jānwar tere sāth salāmatī se zindagī guzāreṅge.
Job UrduGeoR 5:24  Tū jān legā ki terā ḳhaimā mahfūz hai. Jab tū apne ghar kā muāynā kare to mālūm hogā ki kuchh gum nahīṅ huā.
Job UrduGeoR 5:25  Tū dekhegā ki terī aulād baṛhtī jāegī, tere farzand zamīn par ghās kī tarah phailte jāeṅge.
Job UrduGeoR 5:26  Tū waqt par jamāshudā pūloṅ kī tarah umrrasīdā ho kar qabr meṅ utregā.
Job UrduGeoR 5:27  Ham ne tahqīq karke mālūm kiyā hai ki aisā hī hai. Chunāṅche hamārī bāt sun kar use apnā le!”
Chapter 6
Job UrduGeoR 6:2  “Kāsh merī ranjīdagī kā wazn kiyā jā sake aur merī musībat tarāzū meṅ tolī jā sake!
Job UrduGeoR 6:3  Kyoṅki wuh samundar kī ret se zyādā bhārī ho gaī hai. Isī lie merī bāteṅ betukī-sī lag rahī haiṅ.
Job UrduGeoR 6:4  Kyoṅki Qādir-e-mutlaq ke tīr mujh meṅ gaṛ gae haiṅ, merī rūh un kā zahr pī rahī hai. Hāṅ, Allāh ke haulnāk hamle mere ḳhilāf saf-ārā haiṅ.
Job UrduGeoR 6:5  Kyā janglī gadhā ḍhīnchūṅ ḍhīnchūṅ kartā hai jab use ghās dastyāb ho? Yā kyā bail ḍakrātā hai jab use chārā hāsil ho?
Job UrduGeoR 6:6  Kyā phīkā khānā namak ke baġhair khāyā jātā, yā anḍe kī safedī meṅ zāyqā hai?
Job UrduGeoR 6:7  Aisī chīz ko maiṅ chhūtā bhī nahīṅ, aisī ḳhurāk se mujhe ghin hī ātī hai.
Job UrduGeoR 6:8  Kāsh merī guzārish pūrī ho jāe, Allāh merī ārzū pūrī kare!
Job UrduGeoR 6:9  Kāsh wuh mujhe kuchal dene ke lie taiyār ho jāe, wuh apnā hāth baṛhā kar mujhe halāk kare.
Job UrduGeoR 6:10  Phir mujhe kam az kam tasallī hotī balki maiṅ mustaqil dard ke māre pech-o-tāb khāne ke bāwujūd ḳhushī manātā ki maiṅ ne quddūs Ḳhudā ke farmānoṅ kā inkār nahīṅ kiyā.
Job UrduGeoR 6:11  Merī itnī tāqat nahīṅ ki mazīd intazār karūṅ, merā kyā achchhā anjām hai ki sabar karūṅ?
Job UrduGeoR 6:12  Kyā maiṅ pattharoṅ jaisā tāqatwar hūṅ? Kyā merā jism pītal jaisā mazbūt hai?
Job UrduGeoR 6:13  Nahīṅ, mujh se har sahārā chhīn liyā gayā hai, mere sāth aisā sulūk huā hai ki kāmyābī kā imkān hī nahīṅ rahā.
Job UrduGeoR 6:14  Jo apne dost par mehrbānī karne se inkār kare wuh Allāh kā ḳhauf tark kartā hai.
Job UrduGeoR 6:15  Mere bhāiyoṅ ne wādī kī un nadiyoṅ jaisī bewafāī kī hai jo barsāt ke mausam meṅ apne kināroṅ se bāhar ā jātī haiṅ.
Job UrduGeoR 6:16  Us waqt wuh barf se bhar kar gadlī ho jātī haiṅ,
Job UrduGeoR 6:17  lekin urūj tak pahuṅchte hī wuh sūkh jātī, taptī garmī meṅ ojhal ho jātī haiṅ.
Job UrduGeoR 6:18  Tab qāfile apnī rāhoṅ se haṭ jāte haiṅ tāki pānī mil jāe, lekin befāydā. Wuh registān meṅ pahuṅch kar tabāh ho jāte haiṅ.
Job UrduGeoR 6:19  Taimā ke qāfile is pānī kī talāsh meṅ rahte, Sabā ke safr karne wāle tājir us par ummīd rakhte haiṅ,
Job UrduGeoR 6:20  lekin besūd. Jis par unhoṅ ne etamād kiyā wuh unheṅ māyūs kar detā hai. Jab wahāṅ pahuṅchte haiṅ to sharmindā ho jāte haiṅ.
Job UrduGeoR 6:21  Tum bhī itne hī bekār sābit hue ho. Tum haulnāk bāt dekh kar dahshatzadā ho gae ho.
Job UrduGeoR 6:22  Kyā maiṅ ne kahā, ‘Mujhe tohfā de do, apnī daulat meṅ se merī ḳhātir rishwat do,
Job UrduGeoR 6:23  mujhe dushman ke hāth se chhuṛāo, fidyā de kar zālim ke qabze se bachāo’?
Job UrduGeoR 6:24  Mujhe sāf hidāyat do to maiṅ mān kar ḳhāmosh ho jāūṅgā. Mujhe batāo ki kis bāt meṅ mujh se ġhaltī huī hai.
Job UrduGeoR 6:25  Sīdhī rāh kī bāteṅ kitnī taklīfdeh ho saktī haiṅ! Lekin tumhārī malāmat se mujhe kis qism kī tarbiyat hāsil hogī?
Job UrduGeoR 6:26  Kyā tum samajhte ho ki ḳhālī alfāz muāmale ko hal kareṅge, go tum māyūsī meṅ mubtalā ādmī kī bāt nazarandāz karte ho?
Job UrduGeoR 6:27  Kyā tum yatīm ke lie bhī qurā ḍālte, apne dost ke lie bhī saudābāzī karte ho?
Job UrduGeoR 6:28  Lekin ab ḳhud faislā karo, mujh par nazar ḍāl kar soch lo. Allāh kī qasam, maiṅ tumhāre rūbarū jhūṭ nahīṅ boltā.
Job UrduGeoR 6:29  Apnī ġhaltī taslīm karo tāki nāinsāfī na ho. Apnī ġhaltī mān lo, kyoṅki ab tak maiṅ haq par hūṅ.
Job UrduGeoR 6:30  Kyā merī zabān jhūṭ boltī hai? Kyā maiṅ farebdeh bāteṅ pahchān nahīṅ saktā?
Chapter 7
Job UrduGeoR 7:1  Insān duniyā meṅ saḳht ḳhidmat karne par majbūr hotā hai, jīte-jī wuh mazdūr kī-sī zindagī guzārtā hai.
Job UrduGeoR 7:2  Ġhulām kī tarah wuh shām ke sāy kā ārzūmand hotā, mazdūr kī tarah mazdūrī ke intazār meṅ rahtā hai.
Job UrduGeoR 7:3  Mujhe bhī bemānī mahīne aur musībat kī rāteṅ nasīb huī haiṅ.
Job UrduGeoR 7:4  Jab bistar par leṭ jātā to sochtā hūṅ ki kab uṭh saktā hūṅ? Lekin lagtā hai ki rāt kabhī ḳhatm nahīṅ hogī, aur maiṅ fajr tak bechainī se karwaṭeṅ badaltā rahtā hūṅ.
Job UrduGeoR 7:5  Mere jism kī har jagah kīṛe aur khuranḍ phail gae haiṅ, merī sukaṛī huī jild meṅ pīp paṛ gaī hai.
Job UrduGeoR 7:6  Mere din jūlāhe kī nāl se kahīṅ zyādā tezī se guzar gae haiṅ. Wuh apne anjām tak pahuṅch gae haiṅ, dhāgā ḳhatm ho gayā hai.
Job UrduGeoR 7:7  Ai Allāh, ḳhayāl rakh ki merī zindagī dam-bhar kī hī hai! Merī āṅkheṅ āindā kabhī ḳhushhālī nahīṅ dekheṅgī.
Job UrduGeoR 7:8  Jo mujhe is waqt dekhe wuh āindā mujhe nahīṅ dekhegā. Tū merī taraf dekhegā, lekin maiṅ hūṅgā nahīṅ.
Job UrduGeoR 7:9  Jis tarah bādal ojhal ho kar ḳhatm ho jātā hai usī tarah Pātāl meṅ utarne wālā wāpas nahīṅ ātā.
Job UrduGeoR 7:10  Wuh dubārā apne ghar wāpas nahīṅ āegā, aur us kā maqām use nahīṅ jāntā.
Job UrduGeoR 7:11  Chunāṅche maiṅ wuh kuchh rok nahīṅ saktā jo mere muṅh se nikalnā chāhtā hai. Maiṅ ranjīdā hālat meṅ bāt karūṅga, apne dil kī talḳhī kā izhār karke āh-o-zārī karūṅga.
Job UrduGeoR 7:12  Ai Allāh, kyā maiṅ samundar yā samundarī azhdahā hūṅ ki tū ne mujhe nazarband kar rakhā hai?
Job UrduGeoR 7:13  Jab maiṅ kahtā hūṅ, ‘Merā bistar mujhe tasallī de, sone se merā ġham halkā ho jāe’
Job UrduGeoR 7:14  to tū mujhe haulnāk ḳhāboṅ se himmat hārne detā, royāoṅ se mujhe dahshat khilātā hai.
Job UrduGeoR 7:15  Merī itnī burī hālat ho gaī hai ki sochtā hūṅ, kāsh koī merā galā ghūṅṭ kar mujhe mār ḍāle, kāsh maiṅ zindā na rahūṅ balki dam chhoṛūṅ.
Job UrduGeoR 7:16  Maiṅ ne zindagī ko radd kar diyā hai, ab maiṅ zyādā der tak zindā nahīṅ rahūṅgā. Mujhe chhoṛ, kyoṅki mere din dam-bhar ke hī haiṅ.
Job UrduGeoR 7:17  Insān kyā hai ki tū us kī itnī qadar kare, us par itnā dhyān de?
Job UrduGeoR 7:18  Wuh itnā aham to nahīṅ hai ki tū har subah us kā muāynā kare, har lamhā us kī jāṅch-paṛtāl kare.
Job UrduGeoR 7:19  Kyā tū mujhe takne se kabhī nahīṅ bāz āegā? Kyā tū mujhe itnā sukūn bhī nahīṅ degā ki pal-bhar ke lie thūk niglūṅ?
Job UrduGeoR 7:20  Ai insān ke pahredār, agar mujh se ġhaltī huī bhī to is se maiṅ ne terā kyā nuqsān kiyā? Tū ne mujhe apne ġhazab kā nishānā kyoṅ banāyā? Maiṅ tere lie bojh kyoṅ ban gayā hūṅ?
Job UrduGeoR 7:21  Tū merā jurm muāf kyoṅ nahīṅ kartā, merā qusūr darguzar kyoṅ nahīṅ kartā? Kyoṅki jald hī maiṅ ḳhāk ho jāūṅgā. Agar tū mujhe talāsh bhī kare to nahīṅ milūṅgā, kyoṅki maiṅ hūṅgā nahīṅ.”
Chapter 8
Job UrduGeoR 8:2  “Tū kab tak is qism kī bāteṅ karegā? Kab tak tere muṅh se āṅdhī ke jhoṅke nikleṅge?
Job UrduGeoR 8:3  Kyā Allāh insāf kā ḳhūn kar saktā, kyā Qādir-e-mutlaq rāstī ko āge pīchhe kar saktā hai?
Job UrduGeoR 8:4  Tere beṭoṅ ne us kā gunāh kiyā hai, is lie us ne unheṅ un ke jurm ke qabze meṅ chhoṛ diyā.
Job UrduGeoR 8:5  Ab tere lie lāzim hai ki tū Allāh kā tālib ho aur Qādir-e-mutlaq se iltijā kare,
Job UrduGeoR 8:6  ki tū pāk ho aur sīdhī rāh par chale. Phir wuh ab bhī terī ḳhātir josh meṅ ā kar terī rāstbāzī kī sukūnatgāh ko bahāl karegā.
Job UrduGeoR 8:7  Tab terā mustaqbil nihāyat azīm hogā, ḳhāh terī ibtidāī hālat kitnī past kyoṅ na ho.
Job UrduGeoR 8:8  Guzashtā nasl se zarā pūchh le, us par dhyān de jo un ke bāpdādā ne tahqīqāt ke bād mālūm kiyā.
Job UrduGeoR 8:9  Kyoṅki ham ḳhud kal hī paidā hue aur kuchh nahīṅ jānte, zamīn par hamāre din sāy jaise ārizī haiṅ.
Job UrduGeoR 8:10  Lekin yih tujhe tālīm de kar bāt batā sakte haiṅ, yih tujhe apne dil meṅ jamāshudā ilm pesh kar sakte haiṅ.
Job UrduGeoR 8:11  Kyā ābī narsal wahāṅ ugtā hai jahāṅ daldal nahīṅ? Kyā sarkanḍā wahāṅ phaltā-phūltā hai jahāṅ pānī nahīṅ?
Job UrduGeoR 8:12  Us kī koṅpleṅ abhī nikal rahī haiṅ aur use toṛā nahīṅ gayā ki agar pānī na mile to bāqī hariyālī se pahle hī sūkh jātā hai.
Job UrduGeoR 8:13  Yih hai un kā anjām jo Allāh ko bhūl jāte haiṅ, isī tarah bedīn kī ummīd jātī rahtī hai.
Job UrduGeoR 8:14  Jis par wuh etamād kartā hai wuh nihāyat hī nāzuk hai, jis par us kā bharosā hai wuh makaṛī ke jāle jaisā kamzor hai.
Job UrduGeoR 8:15  Jab wuh jāle par ṭek lagāe to khaṛā nahīṅ rahtā, jab use pakaṛ le to qāym nahīṅ rahtā.
Job UrduGeoR 8:16  Bedīn dhūp meṅ shādāb bel kī mānind hai. Us kī koṅpleṅ chāroṅ taraf phail jātī,
Job UrduGeoR 8:17  us kī jaṛeṅ patthar ke ḍher par chhā kar un meṅ ṭik jātī haiṅ.
Job UrduGeoR 8:18  Lekin agar use ukhāṛā jāe to jis jagah pahle ug rahī thī wuh us kā inkār karke kahegī, ‘Maiṅ ne tujhe kabhī dekhā bhī nahīṅ.’
Job UrduGeoR 8:19  Yih hai us kī rāh kī nām-nihād ḳhushī! Jahāṅ pahle thā wahāṅ dīgar paude zamīn se phūṭ nikleṅge.
Job UrduGeoR 8:20  Yaqīnan Allāh be'ilzām ādmī ko mustarad nahīṅ kartā, yaqīnan wuh sharīr ādmī ke hāth mazbūt nahīṅ kartā.
Job UrduGeoR 8:21  Wuh ek bār phir tujhe aisī ḳhushī baḳhshegā ki tū haṅs uṭhegā aur shādmānī ke nāre lagāegā.
Job UrduGeoR 8:22  Jo tujh se nafrat karte haiṅ wuh sharm se mulabbas ho jāeṅge, aur bedīnoṅ ke ḳhaime nest-o-nābūd hoṅge.”
Chapter 9
Job UrduGeoR 9:2  “Maiṅ ḳhūb jāntā hūṅ ki terī bāt durust hai. Lekin Allāh ke huzūr insān kis tarah rāstbāz ṭhahar saktā hai?
Job UrduGeoR 9:3  Agar wuh adālat meṅ Allāh ke sāth laṛnā chāhe to us ke hazār sawālāt par ek kā bhī jawāb nahīṅ de sakegā.
Job UrduGeoR 9:4  Allāh kā dil dānishmand aur us kī qudrat azīm hai. Kaun kabhī us se bahs-mubāhasā karke kāmyāb rahā hai?
Job UrduGeoR 9:5  Allāh pahāṛoṅ ko khiskā detā hai, aur unheṅ patā hī nahīṅ chaltā. Wuh ġhusse meṅ ā kar unheṅ ulṭā detā hai.
Job UrduGeoR 9:6  Wuh zamīn ko hilā detā hai to wuh laraz kar apnī jagah se haṭ jātī hai, us ke buniyādī satūn kāṅp uṭhte haiṅ.
Job UrduGeoR 9:7  Wuh sūraj ko hukm detā hai to tulū nahīṅ hotā, sitāroṅ par muhr lagātā hai to un kī chamak-damak band ho jātī hai.
Job UrduGeoR 9:8  Allāh hī āsmān ko ḳhaime kī tarah tān detā, wuhī samundarī azhdahe kī pīṭh ko pāṅwoṅ tale kuchal detā hai.
Job UrduGeoR 9:9  Wuhī Dubb-e-Akbar, Jauze, Ḳhoshā-e-Parwīn aur junūbī sitāroṅ ke jhurmaṭoṅ kā Ḳhāliq hai.
Job UrduGeoR 9:10  Wuh itne azīm kām kartā hai ki koī un kī tah tak nahīṅ pahuṅch saktā, itne mojize kartā hai ki koī unheṅ gin nahīṅ saktā.
Job UrduGeoR 9:11  Jab wuh mere sāmne se guzare to maiṅ use nahīṅ deḳhtā, jab wuh mere qarīb se phire to mujhe mālūm nahīṅ hotā.
Job UrduGeoR 9:12  Agar wuh kuchh chhīn le to kaun use rokegā? Kaun us se kahegā, ‘Tū kyā kar rahā hai?’
Job UrduGeoR 9:13  Allāh to apnā ġhazab nāzil karne se bāz nahīṅ ātā. Us ke rob tale Rahab azhdahe ke madadgār bhī dabak gae.
Job UrduGeoR 9:14  To phir maiṅ kis tarah use jawāb dūṅ, kis tarah us se bāt karne ke munāsib alfāz chun lūṅ?
Job UrduGeoR 9:15  Agar maiṅ haq par hotā bhī to apnā difā na kar saktā. Is muḳhālif se maiṅ iltijā karne ke alāwā aur kuchh nahīṅ kar saktā.
Job UrduGeoR 9:16  Agar wuh merī chīḳhoṅ kā jawāb detā bhī to mujhe yaqīn na ātā ki wuh merī bāt par dhyān degā.
Job UrduGeoR 9:17  Thoṛī-sī ġhaltī ke jawāb meṅ wuh mujhe pāsh pāsh kartā, bilāwajah mujhe bār bār zaḳhmī kartā hai.
Job UrduGeoR 9:18  Wuh mujhe sāṅs bhī nahīṅ lene detā balki kaṛwe zahr se ser kar detā hai.
Job UrduGeoR 9:19  Jahāṅ tāqat kī bāt hai to wuhī qawī hai, jahāṅ insāf kī bāt hai to kaun use peshī ke lie bulā saktā hai?
Job UrduGeoR 9:20  Go maiṅ begunāh hūṅ to bhī merā apnā muṅh mujhe qusūrwār ṭhahrāegā, go be'ilzām hūṅ to bhī wuh mujhe mujrim qarār degā.
Job UrduGeoR 9:21  Jo kuchh bhī ho, maiṅ be'ilzām hūṅ! Maiṅ apnī jān kī parwā hī nahīṅ kartā, apnī zindagī haqīr jāntā hūṅ.
Job UrduGeoR 9:22  Ḳhair, ek hī bāt hai, is lie maiṅ kahtā hūṅ, ‘Allāh be'ilzām aur bedīn donoṅ ko hī halāk kar detā hai.’
Job UrduGeoR 9:23  Jab kabhī achānak koī āfat insān ko maut ke ghāṭ utāre to Allāh begunāh kī pareshānī par haṅstā hai.
Job UrduGeoR 9:24  Agar koī mulk bedīn ke hawāle kiyā jāe to Allāh us ke qāziyoṅ kī āṅkheṅ band kar detā hai. Agar yih us kī taraf se nahīṅ to phir kis kī taraf se hai?
Job UrduGeoR 9:25  Mere din dauṛne wāle ādmī se kahīṅ zyādā tezī se bīt gae. Ḳhushī dekhe baġhair bhāg nikle haiṅ.
Job UrduGeoR 9:26  Wuh sarkanḍe ke bahrī jahāzoṅ kī tarah guzar gae haiṅ, us uqāb kī tarah jo apne shikār par jhapaṭṭā mārtā hai.
Job UrduGeoR 9:27  Agar maiṅ kahūṅ, ‘Āo maiṅ apnī āheṅ bhūl jāūṅ, apne chehre kī udāsī dūr karke ḳhushī kā izhār karūṅ’
Job UrduGeoR 9:28  to phir bhī maiṅ un tamām takālīf se ḍartā hūṅ jo mujhe bardāsht karnī haiṅ. Kyoṅki maiṅ jāntā hūṅ ki tū mujhe begunāh nahīṅ ṭhahrātā.
Job UrduGeoR 9:29  Jo kuchh bhī ho mujhe qusūrwār hī qarār diyā gayā hai, chunāṅche is kā kyā fāydā ki maiṅ bemānī tag-o-dau meṅ masrūf rahūṅ?
Job UrduGeoR 9:30  Go maiṅ sābun se nahā lūṅ aur apne hāth soḍe se dho lūṅ
Job UrduGeoR 9:31  tāham tū mujhe gaṛhe kī kīchaṛ meṅ yoṅ dhaṅsne detā hai ki mujhe apne kapṛoṅ se ghin ātī hai.
Job UrduGeoR 9:32  Allāh to mujh jaisā insān nahīṅ ki maiṅ jawāb meṅ us se kahūṅ, ‘Āo ham adālat meṅ jā kar ek dūsre kā muqābalā kareṅ.’
Job UrduGeoR 9:33  Kāsh hamāre darmiyān sālis ho jo ham donoṅ par hāth rakhe,
Job UrduGeoR 9:34  jo merī pīṭh par se Allāh kā ḍanḍā haṭāe tāki us kā ḳhauf mujhe dahshatzadā na kare.
Job UrduGeoR 9:35  Tab maiṅ Allāh se ḳhauf khāe baġhair boltā, kyoṅki fitrī taur par maiṅ aisā nahīṅ hūṅ.
Chapter 10
Job UrduGeoR 10:1  Mujhe apnī jān se ghin ātī hai. Maiṅ āzādī se āh-o-zārī karūṅga, khule taur par apnā dilī ġham bayān karūṅga.
Job UrduGeoR 10:2  Maiṅ Allāh se kahūṅgā ki mujhe mujrim na ṭhahrā balki batā ki terā mujh par kyā ilzām hai.
Job UrduGeoR 10:3  Kyā tū zulm karke mujhe radd karne meṅ ḳhushī mahsūs kartā hai hālāṅki tere apne hī hāthoṅ ne mujhe banāyā? Sāth sāth tū bedīnoṅ ke mansūboṅ par apnī manzūrī kā nūr chamkātā hai. Kyā yih tujhe achchhā lagtā hai?
Job UrduGeoR 10:4  Kyā terī āṅkheṅ insānī haiṅ? Kyā tū sirf insān kī-sī nazar se deḳhtā hai?
Job UrduGeoR 10:5  Kyā tere din aur sāl fānī insān jaise mahdūd haiṅ? Hargiz nahīṅ!
Job UrduGeoR 10:6  To phir kyā zarūrat hai ki tū mere qusūr kī talāsh aur mere gunāh kī tahqīq kartā rahe?
Job UrduGeoR 10:7  Tū to jāntā hai ki maiṅ bequsūr hūṅ aur ki tere hāth se koī bachā nahīṅ saktā.
Job UrduGeoR 10:8  Tere apne hāthoṅ ne mujhe tashkīl de kar banāyā. Aur ab tū ne muṛ kar mujhe tabāh kar diyā hai.
Job UrduGeoR 10:9  Zarā is kā ḳhayāl rakh ki tū ne mujhe miṭṭī se banāyā. Ab tū mujhe dubārā ḳhāk meṅ tabdīl kar rahā hai.
Job UrduGeoR 10:10  Tū ne ḳhud mujhe dūdh kī tarah unḍel kar panīr kī tarah jamne diyā.
Job UrduGeoR 10:11  Tū hī ne mujhe jild aur gosht-post se mulabbas kiyā, haḍḍiyoṅ aur nasoṅ se taiyār kiyā.
Job UrduGeoR 10:12  Tū hī ne mujhe zindagī aur apnī mehrbānī se nawāzā, aur terī dekh-bhāl ne merī rūh ko mahfūz rakhā.
Job UrduGeoR 10:13  Lekin ek bāt tū ne apne dil meṅ chhupāe rakhī, hāṅ mujhe terā irādā mālūm ho gayā hai.
Job UrduGeoR 10:14  Wuh yih hai ki ‘Agar Ayyūb gunāh kare to maiṅ us kī pahrādārī karūṅga. Maiṅ use us ke qusūr se barī nahīṅ karūṅga.’
Job UrduGeoR 10:15  Agar maiṅ qusūrwār hūṅ to mujh par afsos! Aur agar maiṅ begunāh bhī hūṅ tāham maiṅ apnā sar uṭhāne kī jurrat nahīṅ kartā, kyoṅki maiṅ sharm khā khā kar ser ho gayā hūṅ. Mujhe ḳhūb musībat pilāī gaī hai.
Job UrduGeoR 10:16  Aur agar maiṅ khaṛā bhī ho jāūṅ to tū sherbabar kī tarah merā shikār kartā aur mujh par dubārā apnī mojizānā qudrat kā izhār kartā hai.
Job UrduGeoR 10:17  Tū mere ḳhilāf nae gawāhoṅ ko khaṛā kartā aur mujh par apne ġhazab meṅ izāfā kartā hai, tere lashkar saf-dar-saf mujh par hamlā karte haiṅ.
Job UrduGeoR 10:18  Tū mujhe merī māṅ ke peṭ se kyoṅ nikāl lāyā? Behtar hotā ki maiṅ usī waqt mar jātā aur kisī ko nazar na ātā.
Job UrduGeoR 10:19  Yoṅ hotā jaisā maiṅ kabhī zindā hī na thā, mujhe sīdhā māṅ ke peṭ se qabr meṅ pahuṅchāyā jātā.
Job UrduGeoR 10:20  Kyā mere din thoṛe nahīṅ haiṅ? Mujhe tanhā chhoṛ! Mujh se apnā muṅh pher le tāki maiṅ chand ek lamhoṅ ke lie ḳhush ho sakūṅ,
Job UrduGeoR 10:21  kyoṅki jald hī mujhe kūch karke wahāṅ jānā hai jahāṅ se koī wāpas nahīṅ ātā, us mulk meṅ jis meṅ tārīkī aur ghane sāy rahte haiṅ.
Job UrduGeoR 10:22  Wuh mulk andherā hī andherā aur kālā hī kālā hai, us meṅ ghane sāy aur betartībī hai. Wahāṅ raushnī bhī andherā hī hai.”
Chapter 11
Job UrduGeoR 11:2  “Kyā in tamām bātoṅ kā jawāb nahīṅ denā chāhie? Kyā yih ādmī apnī ḳhālī bātoṅ kī binā par hī rāstbāz ṭhahregā?
Job UrduGeoR 11:3  Kyā terī bemānī bāteṅ logoṅ ke muṅh yoṅ band kareṅgī ki tū āzādī se lān-tān kartā jāe aur koī tujhe sharmindā na kar sake?
Job UrduGeoR 11:4  Allāh se tū kahtā hai, ‘Merī tālīm pāk hai, aur terī nazar meṅ maiṅ pāk-sāf hūṅ.’
Job UrduGeoR 11:5  Kāsh Allāh ḳhud tere sāth hamkalām ho, wuh apne hoṅṭoṅ ko khol kar tujh se bāt kare!
Job UrduGeoR 11:6  Kāsh wuh tere lie hikmat ke bhed khole, kyoṅki wuh insān kī samajh ke nazdīk mojize se haiṅ. Tab tū jān letā ki Allāh tere gunāh kā kāfī hissā darguzar kar rahā hai.
Job UrduGeoR 11:7  Kyā tū Allāh kā rāz khol saktā hai? Kyā tū Qādir-e-mutlaq ke kāmil ilm tak pahuṅch saktā hai?
Job UrduGeoR 11:8  Wuh to āsmān se buland hai, chunāṅche tū kyā kar saktā hai? Wuh Pātāl se gahrā hai, chunāṅche tū kyā jān saktā hai?
Job UrduGeoR 11:9  Us kī lambāī zamīn se baṛī aur chauṛāī samundar se zyādā hai.
Job UrduGeoR 11:10  Agar wuh kahīṅ se guzar kar kisī ko giriftār kare yā adālat meṅ us kā hisāb kare to kaun use rokegā?
Job UrduGeoR 11:11  Kyoṅki wuh farebdeh ādmiyoṅ ko jān letā hai, jab bhī use burāī nazar āe to wuh us par ḳhūb dhyān detā hai.
Job UrduGeoR 11:12  Aql se ḳhālī ādmī kis tarah samajh pā saktā hai? Yih utnā hī nāmumkin hai jitnā yih ki janglī gadhe se insān paidā ho.
Job UrduGeoR 11:13  Ai Ayyūb, apnā dil pūre dhyān se Allāh kī taraf māyl kar aur apne hāth us kī taraf uṭhā!
Job UrduGeoR 11:14  Agar tere hāth gunāh meṅ mulawwas hoṅ to use dūr kar aur apne ḳhaime meṅ burāī basne na de!
Job UrduGeoR 11:15  Tab tū be'ilzām hālat meṅ apnā chehrā uṭhā sakegā, tū mazbūtī se khaṛā rahegā aur ḍaregā nahīṅ.
Job UrduGeoR 11:16  Tū apnā dukh-dard bhūl jāegā, aur wuh sirf guzare sailāb kī tarah yād rahegā.
Job UrduGeoR 11:17  Terī zindagī dopahar kī tarah chamakdār, terī tārīkī subah kī mānind raushan ho jāegī.
Job UrduGeoR 11:18  Chūṅki ummīd hogī is lie tū mahfūz hogā aur salāmatī se leṭ jāegā.
Job UrduGeoR 11:19  Tū ārām karegā, aur koī tujhe dahshatzadā nahīṅ karegā balki bahut log terī nazar-e-ināyat hāsil karne kī koshish kareṅge.
Job UrduGeoR 11:20  Lekin bedīnoṅ kī āṅkheṅ nākām ho jāeṅgī, aur wuh bach nahīṅ sakeṅge. Un kī ummīd māyūskun hogī.”
Chapter 12
Job UrduGeoR 12:2  “Lagtā hai ki tum hī wāhid dānishmand ho, ki hikmat tumhāre sāth hī mar jāegī.
Job UrduGeoR 12:3  Lekin mujhe samajh hai, is nāte se maiṅ tum se adnā nahīṅ hūṅ. Waise bhī kaun aisī bāteṅ nahīṅ jāntā?
Job UrduGeoR 12:4  Maiṅ to apne dostoṅ ke lie mazāq kā nishānā ban gayā hūṅ, maiṅ jis kī duāeṅ Allāh suntā thā. Hāṅ, maiṅ jo begunāh aur be'ilzām hūṅ dūsroṅ ke lie mazāq kā nishānā ban gayā hūṅ!
Job UrduGeoR 12:5  Jo sukūn se zindagī guzārtā hai wuh musībatzadā ko haqīr jāntā hai. Wuh kahtā hai, ‘Āo, ham use ṭhokar māreṅ jis ke pāṅw ḍagmagāne lage haiṅ.’
Job UrduGeoR 12:6  Ġhāratgaroṅ ke ḳhaimoṅ meṅ ārām-o-sukūn hai, aur Allāh ko taish dilāne wāle hifāzat se rahte haiṅ, go wuh Allāh ke hāth meṅ haiṅ.
Job UrduGeoR 12:7  Tāham tum kahte ho ki jānwaroṅ se pūchh le to wuh tujhe sahīh bāt sikhāeṅge. Parindoṅ se patā kar to wuh tujhe durust jawāb deṅge.
Job UrduGeoR 12:8  Zamīn se bāt kar to wuh tujhe tālīm degī, balki samundar kī machhliyāṅ bhī tujhe is kā mafhūm sunāeṅgī.
Job UrduGeoR 12:9  In meṅ se ek bhī nahīṅ jo na jāntā ho ki Rab ke hāth ne yih sab kuchh kiyā hai.
Job UrduGeoR 12:10  Usī ke hāth meṅ har jāndār kī jān, tamām insānoṅ kā dam hai.
Job UrduGeoR 12:11  Kān to alfāz kī yoṅ jāṅch-paṛtāl kartā hai jis tarah zabān khānoṅ meṅ imtiyāz kartī hai.
Job UrduGeoR 12:12  Aur hikmat un meṅ pāī jātī hai jo umrrasīdā haiṅ, samajh muta'addid din guzarne ke bād hī ātī hai.
Job UrduGeoR 12:13  Hikmat aur qudrat Allāh kī hai, wuhī maslahat aur samajh kā mālik hai.
Job UrduGeoR 12:14  Jo kuchh wuh ḍhā de wuh dubārā tāmīr nahīṅ hogā, jise wuh giriftār kare use āzād nahīṅ kiyā jāegā.
Job UrduGeoR 12:15  Jab wuh pānī roke to kāl paṛtā hai, jab use khulā chhoṛe to wuh mulk meṅ tabāhī machā detā hai.
Job UrduGeoR 12:16  Us ke pās quwwat aur dānāī hai. Bhaṭakne aur bhaṭkāne wālā donoṅ hī us ke hāth meṅ haiṅ.
Job UrduGeoR 12:17  Mushīroṅ ko wuh nange pāṅw apne sāth le jātā hai, qāziyoṅ ko ahmaq sābit kartā hai.
Job UrduGeoR 12:18  Wuh bādshāhoṅ kā paṭkā khol kar un kī kamroṅ meṅ rassā bāndhtā hai.
Job UrduGeoR 12:19  Imāmoṅ ko wuh nange pāṅw apne sāth le jātā hai, mazbūtī se khaṛe ādmiyoṅ ko tabāh kartā hai.
Job UrduGeoR 12:20  Qābil-e-etamād afrād se wuh bolne kī qābiliyat aur buzurgoṅ se imtiyāz karne kī liyāqat chhīn letā hai.
Job UrduGeoR 12:21  Wuh shurafā par apnī hiqārat kā izhār karke zorāwaroṅ kā paṭkā khol detā hai.
Job UrduGeoR 12:22  Wuh andhere ke poshīdā bhed khol detā aur gahrī tārīkī ko raushnī meṅ lātā hai.
Job UrduGeoR 12:23  Wuh qaumoṅ ko baṛā bhī banātā aur tabāh bhī kartā hai, ummatoṅ ko muntashir bhī kartā aur un kī qiyādat bhī kartā hai.
Job UrduGeoR 12:24  Wuh mulk ke rāhnumāoṅ ko aql se mahrūm karke unheṅ aise bayābān meṅ āwārā phirne detā hai jahāṅ rāstā hī nahīṅ.
Job UrduGeoR 12:25  Tab wuh andhere meṅ raushnī ke baġhair ṭaṭol ṭaṭol kar ghūmte haiṅ. Allāh hī unheṅ nashe meṅ dhut sharābiyoṅ kī tarah bhaṭakne detā hai.
Chapter 13
Job UrduGeoR 13:1  Yih sab kuchh maiṅ ne apnī āṅkhoṅ se dekhā, apne kānoṅ se sun kar samajh liyā hai.
Job UrduGeoR 13:2  Ilm ke lihāz se maiṅ tumhāre barābar hūṅ. Is nāte se maiṅ tum se kam nahīṅ hūṅ.
Job UrduGeoR 13:3  Lekin maiṅ Qādir-e-mutlaq se hī bāt karnā chāhtā hūṅ, Allāh ke sāth hī mubāhasā karne kī ārzū rakhtā hūṅ.
Job UrduGeoR 13:4  Jahāṅ tak tumhārā tālluq hai, tum sab farebdeh lep lagāne wāle aur bekār ḍākṭar ho.
Job UrduGeoR 13:5  Kāsh tum sarāsar ḳhāmosh rahte! Aisā karne se tumhārī hikmat kahīṅ zyādā zāhir hotī.
Job UrduGeoR 13:6  Mubāhase meṅ zarā merā mauqif suno, adālat meṅ mere bayānāt par ġhaur karo!
Job UrduGeoR 13:7  Kyā tum Allāh kī ḳhātir kajrau bāteṅ pesh karte ho, kyā usī kī ḳhātir jhūṭ bolte ho?
Job UrduGeoR 13:8  Kyā tum us kī jānibdārī karnā chāhte ho, Allāh ke haq meṅ laṛnā chāhte ho?
Job UrduGeoR 13:9  Soch lo, agar wuh tumhārī jāṅch kare to kyā tumhārī bāt banegī? Kyā tum use yoṅ dhokā de sakte ho jis tarah insān ko dhokā diyā jātā hai?
Job UrduGeoR 13:10  Agar tum ḳhufiyā taur par bhī jānibdārī dikhāo to wuh tumheṅ zarūr saḳht sazā degā.
Job UrduGeoR 13:11  Kyā us kā rob tumheṅ ḳhaufzadā nahīṅ karegā? Kyā tum us se saḳht dahshat nahīṅ khāoge?
Job UrduGeoR 13:12  Phir jin kahāwatoṅ kī yād tum dilāte rahte ho wuh rākh kī amsāl sābit hoṅgī, patā chalegā ki tumhārī bāteṅ miṭṭī ke alfāz haiṅ.
Job UrduGeoR 13:13  Ḳhāmosh ho kar mujh se bāz āo! Jo kuchh bhī mere sāth ho jāe, maiṅ bāt karnā chāhtā hūṅ.
Job UrduGeoR 13:14  Maiṅ apne āp ko ḳhatre meṅ ḍālne ke lie taiyār hūṅ, maiṅ apnī jān par khelūṅgā.
Job UrduGeoR 13:15  Shāyad wuh mujhe mār ḍāle. Koī bāt nahīṅ, kyoṅki merī ummīd jātī rahī hai. Jo kuchh bhī ho meṅ usī ke sāmne apnī rāhoṅ kā difā karūṅga.
Job UrduGeoR 13:16  Aur is meṅ maiṅ panāh letā hūṅ ki bedīn us ke huzūr āne kī jurrat nahīṅ kartā.
Job UrduGeoR 13:17  Dhyān se mere alfāz suno, apne kān mere bayānāt par dharo.
Job UrduGeoR 13:18  Tumheṅ patā chalegā ki maiṅ ne ehtiyāt aur tartīb se apnā muāmalā taiyār kiyā hai. Mujhe sāf mālūm hai ki maiṅ haq par hūṅ!
Job UrduGeoR 13:19  Agar koī mujhe mujrim sābit kar sake to maiṅ chup ho jāūṅgā, dam chhoṛne tak ḳhāmosh rahūṅgā.
Job UrduGeoR 13:20  Ai Allāh, merī sirf do darḳhāsteṅ manzūr kar tāki mujhe tujh se chhup jāne kī zarūrat na ho.
Job UrduGeoR 13:21  Pahle, apnā hāth mujh se dūr kar tāki terā ḳhauf mujhe dahshatzadā na kare.
Job UrduGeoR 13:22  Dūsre, is ke bād mujhe bulā tāki maiṅ jawāb dūṅ, yā mujhe pahle bolne de aur tū hī is kā jawāb de.
Job UrduGeoR 13:23  Mujh se kitne gunāh aur ġhaltiyāṅ huī haiṅ? Mujh par merā jurm aur merā gunāh zāhir kar!
Job UrduGeoR 13:24  Tū apnā chehrā mujh se chhupāe kyoṅ rakhtā hai? Tū mujhe kyoṅ apnā dushman samajhtā hai?
Job UrduGeoR 13:25  Kyā tū hawā ke jhoṅkoṅ ke uṛāe hue patte ko dahshat khilānā chāhtā, ḳhushk bhūse kā tāqqub karnā chāhtā hai?
Job UrduGeoR 13:26  Yih terā hī faislā hai ki maiṅ talḳh tajraboṅ se guzarūṅ, terī hī marzī hai ki maiṅ apnī jawānī ke gunāhoṅ kī sazā pāūṅ.
Job UrduGeoR 13:27  Tū mere pāṅwoṅ ko kāṭh meṅ ṭhoṅk kar merī tamām rāhoṅ kī pahrādārī kartā hai. Tū mere har ek naqsh-e-qadam par dhyān detā hai,
Job UrduGeoR 13:28  go maiṅ mai kī ghisī-phaṭī mashk aur kīṛoṅ kā ḳharāb kiyā huā libās hūṅ.
Chapter 14
Job UrduGeoR 14:1  Aurat se paidā huā insān chand ek din zindā rahtā hai, aur us kī zindagī bechainī se bharī rahtī hai.
Job UrduGeoR 14:2  Phūl kī tarah wuh chand lamhoṅ ke lie phūṭ nikaltā, phir murjhā jātā hai. Sāy kī tarah wuh thoṛī der ke bād ojhal ho jātā aur qāym nahīṅ rahtā.
Job UrduGeoR 14:3  Kyā tū wāqaī ek aisī maḳhlūq kā itne ġhaur se muāynā karnā chāhtā hai? Maiṅ kaun hūṅ ki tū mujhe peshī ke lie apne huzūr lāe?
Job UrduGeoR 14:4  Kaun nāpāk chīz ko pāk-sāf kar saktā hai? Koī nahīṅ!
Job UrduGeoR 14:5  Insān kī umr to muqarrar huī hai, us ke mahīnoṅ kī tādād tujhe mālūm hai, kyoṅki tū hī ne us ke dinoṅ kī wuh had bāndhī hai jis se āge wuh baṛh nahīṅ saktā.
Job UrduGeoR 14:6  Chunāṅche apnī nigāh us se pher le aur use chhoṛ de tāki wuh mazdūr kī tarah apne thoṛe dinoṅ se kuchh mazā le sake.
Job UrduGeoR 14:7  Agar daraḳht ko kāṭā jāe to use thoṛī-bahut ummīd bāqī rahtī hai, kyoṅki ain mumkin hai ki muḍh se koṅpleṅ phūṭ nikleṅ aur us kī naī shāḳheṅ ugtī jāeṅ.
Job UrduGeoR 14:8  Beshak us kī jaṛeṅ purānī ho jāeṅ aur us kā muḍh miṭṭī meṅ ḳhatm hone lage,
Job UrduGeoR 14:9  lekin pānī kī ḳhushbū sūṅghte hī wuh koṅpleṅ nikālne lagegā, aur panīrī kī-sī ṭahniyāṅ us se phūṭne lageṅgī.
Job UrduGeoR 14:10  Lekin insān farq hai. Marte waqt us kī har tarah kī tāqat jātī rahtī hai, dam chhoṛte waqt us kā nām-o-nishān tak nahīṅ rahtā.
Job UrduGeoR 14:11  Wuh us jhīl kī mānind hai jis kā pānī ojhal ho jāe, us nadī kī mānind jo sukaṛ kar ḳhushk ho jāe.
Job UrduGeoR 14:12  Wafāt pāne wāle kā yihī hāl hai. Wuh leṭ jātā aur kabhī nahīṅ uṭhegā. Jab tak āsmān qāym hai na wuh jāg uṭhegā, na use jagāyā jāegā.
Job UrduGeoR 14:13  Kāsh tū mujhe Pātāl meṅ chhupā detā, mujhe wahāṅ us waqt tak poshīdā rakhtā jab tak terā qahr ṭhanḍā na ho jātā! Kāsh tū ek waqt muqarrar kare jab tū merā dubārā ḳhayāl karegā.
Job UrduGeoR 14:14  (Kyoṅki agar insān mar jāe to kyā wuh dubārā zindā ho jāegā?) Phir maiṅ apnī saḳht ḳhidmat ke tamām din bardāsht kartā, us waqt tak intazār kartā jab tak merī sabukdoshī na ho jātī.
Job UrduGeoR 14:15  Tab tū mujhe āwāz detā aur maiṅ jawāb detā, tū apne hāthoṅ ke kām kā ārzūmand hotā.
Job UrduGeoR 14:16  Us waqt bhī tū mere har qadam kā shumār kartā, lekin na sirf is maqsad se ki mere gunāhoṅ par dhyān de.
Job UrduGeoR 14:17  Tū mere jarāym thaile meṅ bāndh kar us par muhr lagā detā, merī har ġhaltī ko ḍhāṅk detā.
Job UrduGeoR 14:18  Lekin afsos! Jis tarah pahāṛ gir kar chūr chūr ho jātā aur chaṭān khisak jātī hai,
Job UrduGeoR 14:19  jis tarah bahtā pānī patthar ko ragaṛ ragaṛ kar ḳhatm kartā aur sailāb miṭṭī ko bahā le jātā hai usī tarah tū insān kī ummīd ḳhāk meṅ milā detā hai.
Job UrduGeoR 14:20  Tū mukammal taur par us par ġhālib ā jātā to wuh kūch kar jātā hai, tū us kā chehrā bigāṛ kar use fāriġh kar detā hai.
Job UrduGeoR 14:21  Agar us ke bachchoṅ ko sarfarāz kiyā jāe to use patā nahīṅ chaltā, agar unheṅ past kiyā jāe to yih bhī us ke ilm meṅ nahīṅ ātā.
Job UrduGeoR 14:22  Wuh sirf apne hī jism kā dard mahsūs kartā aur apne lie hī mātam kartā hai.”
Chapter 15
Job UrduGeoR 15:2  “Kyā dānishmand ko jawāb meṅ behūdā ḳhayālāt pesh karne chāhieṅ? Kyā use apnā peṭ taptī mashriqī hawā se bharnā chāhie?
Job UrduGeoR 15:3  Kyā munāsib hai ki wuh fuzūl bahs-mubāhasā kare, aisī bāteṅ kare jo befāydā haiṅ? Hargiz nahīṅ!
Job UrduGeoR 15:4  Lekin terā rawaiyā is se kahīṅ burā hai. Tū Allāh kā ḳhauf chhoṛ kar us ke huzūr ġhaur-o-ḳhauz karne kā farz haqīr jāntā hai.
Job UrduGeoR 15:5  Terā qusūr hī tere muṅh ko aisī bāteṅ karne kī tahrīk de rahā hai, isī lie tū ne chālākoṅ kī zabān apnā lī hai.
Job UrduGeoR 15:6  Mujhe tujhe qusūrwār ṭhahrāne kī zarūrat hī nahīṅ, kyoṅki terā apnā hī muṅh tujhe mujrim ṭhahrātā hai, tere apne hī hoṅṭ tere ḳhilāf gawāhī dete haiṅ.
Job UrduGeoR 15:7  Kyā tū sab se pahle paidā huā insān hai? Kyā tū ne pahāṛoṅ se pahle hī janm liyā?
Job UrduGeoR 15:8  Jab Allāh kī majlis mun'aqid ho jāe to kyā tū bhī un kī bāteṅ suntā hai? Kyā sirf tujhe hī hikmat hāsil hai?
Job UrduGeoR 15:9  Tū kyā jāntā hai jo ham nahīṅ jānte? Tujhe kis bāt kī samajh āī hai jis kā ilm ham nahīṅ rakhte?
Job UrduGeoR 15:10  Hamāre darmiyān bhī umrrasīdā buzurg haiṅ, aise ādmī jo tere wālid se bhī būṛhe haiṅ.
Job UrduGeoR 15:11  Ai Ayyūb, kyā terī nazar meṅ Allāh kī tasallī dene wālī bātoṅ kī koī ahmiyat nahīṅ? Kyā tū is kī qadar nahīṅ kar saktā ki narmī se tujh se bāt kī jā rahī hai?
Job UrduGeoR 15:12  Tere dil ke jazbāt tujhe yoṅ uṛā kar kyoṅ le jāeṅ, terī āṅkheṅ kyoṅ itnī chamak uṭheṅ
Job UrduGeoR 15:13  ki āḳhirkār tū apnā ġhussā Allāh par utār kar aisī bāteṅ apne muṅh se ugal de?
Job UrduGeoR 15:14  Bhalā insān kyā hai ki pāk-sāf ṭhahre? Aurat se paidā huī maḳhlūq kyā hai ki rāstbāz sābit ho? Kuchh bhī nahīṅ!
Job UrduGeoR 15:15  Allāh to apne muqaddas ḳhādimoṅ par bhī bharosā nahīṅ rakhtā, balki āsmān bhī us kī nazar meṅ pāk nahīṅ hai.
Job UrduGeoR 15:16  To phir wuh insān par bharosā kyoṅ rakhe jo qābil-e-ghin aur bigaṛā huā hai, jo burāī ko pānī kī tarah pī letā hai.
Job UrduGeoR 15:17  Merī bāt sun, maiṅ tujhe kuchh sunānā chāhtā hūṅ. Maiṅ tujhe wuh kuchh bayān karūṅga jo mujh par zāhir huā hai,
Job UrduGeoR 15:18  wuh kuchh jo dānishmandoṅ ne pesh kiyā aur jo unheṅ apne bāpdādā se milā thā. Un se kuchh chhupāyā nahīṅ gayā thā.
Job UrduGeoR 15:19  (Bāpdādā se murād wuh wāhid log haiṅ jinheṅ us waqt mulk diyā gayā jab koī bhī pardesī un meṅ nahīṅ phirtā thā.)
Job UrduGeoR 15:20  Wuh kahte the, bedīn apne tamām din ḍar ke māre taṛaptā rahtā, aur jitne bhī sāl zālim ke lie mahfūz rakhe gae haiṅ utne hī sāl wuh pech-o-tāb khātā rahtā hai.
Job UrduGeoR 15:21  Dahshatnāk āwāzeṅ us ke kānoṅ meṅ gūṅjtī rahtī haiṅ, aur amn-o-amān ke waqt hī tabāhī machāne wālā us par ṭūṭ paṛtā hai.
Job UrduGeoR 15:22  Use andhere se bachne kī ummīd hī nahīṅ, kyoṅki use talwār ke lie taiyār rakhā gayā hai.
Job UrduGeoR 15:23  Wuh mārā mārā phirtā hai, āḳhirkār wuh giddhoṅ kī ḳhorāk banegā. Use ḳhud ilm hai ki tārīkī kā din qarīb hī hai.
Job UrduGeoR 15:24  Tangī aur musībat use dahshat khilātī, hamlā-āwar bādshāh kī tarah us par ġhālib ātī haiṅ.
Job UrduGeoR 15:25  Aur wajah kyā hai? Yih ki us ne apnā hāth Allāh ke ḳhilāf uṭhāyā, Qādir-e-mutlaq ke sāmne takabbur dikhāyā hai.
Job UrduGeoR 15:26  Apnī moṭī aur mazbūt ḍhāl kī panāh meṅ akaṛ kar wuh tezī se Allāh par hamlā kartā hai.
Job UrduGeoR 15:27  Go is waqt us kā chehrā charbī se chamaktā aur us kī kamr moṭī hai,
Job UrduGeoR 15:28  lekin āindā wuh tabāhshudā shahroṅ meṅ basegā, aise makānoṅ meṅ jo sab ke chhoṛe hue haiṅ aur jo jald hī patthar ke ḍher ban jāeṅge.
Job UrduGeoR 15:29  Wuh amīr nahīṅ hogā, us kī daulat qāym nahīṅ rahegī, us kī jāydād mulk meṅ phailī nahīṅ rahegī.
Job UrduGeoR 15:30  Wuh tārīkī se nahīṅ bachegā. Sholā us kī koṅploṅ ko murjhāne degā, aur Allāh use apne muṅh kī ek phūṅk se uṛā kar tabāh kar degā.
Job UrduGeoR 15:31  Wuh dhoke par bharosā na kare, warnā wuh bhaṭak jāegā aur us kā ajr dhokā hī hogā.
Job UrduGeoR 15:32  Waqt se pahle hī use is kā pūrā muāwazā milegā, us kī koṅpal kabhī nahīṅ phale phūlegī.
Job UrduGeoR 15:33  Wuh angūr kī us bel kī mānind hogā jis kā phal kachchī hālat meṅ hī gir jāe, zaitūn ke us daraḳht kī mānind jis ke tamām phūl jhaṛ jāeṅ.
Job UrduGeoR 15:34  Kyoṅki bedīnoṅ kā jatthā banjar rahegā, aur āg rishwatḳhoroṅ ke ḳhaimoṅ ko bhasm karegī.
Job UrduGeoR 15:35  Un ke pāṅw dukh-dard se bhārī ho jāte, aur wuh burāī ko janm dete haiṅ. Un kā peṭ dhokā hī paidā kartā hai.”
Chapter 16
Job UrduGeoR 16:2  “Is tarah kī maiṅ ne bahut-sī bāteṅ sunī haiṅ, tumhārī tasallī sirf dukh-dard kā bāis hai.
Job UrduGeoR 16:3  Kyā tumhārī laffāzī kabhī ḳhatm nahīṅ hogī? Tujhe kyā chīz bechain kar rahī hai ki tū mujhe jawāb dene par majbūr hai?
Job UrduGeoR 16:4  Agar maiṅ tumhārī jagah hotā to maiṅ bhī tumhārī jaisī bāteṅ kar saktā. Phir maiṅ bhī tumhāre ḳhilāf puralfāz taqrīreṅ pesh karke taubā taubā kah saktā.
Job UrduGeoR 16:5  Lekin maiṅ aisā na kartā. Maiṅ tumheṅ apnī bātoṅ se taqwiyat detā, afsos ke izhār se tumheṅ taskīn detā.
Job UrduGeoR 16:6  Lekin mere sāth aisā sulūk nahīṅ ho rahā. Agar maiṅ bolūṅ to mujhe sukūn nahīṅ miltā, agar chup rahūṅ to merā dard dūr nahīṅ hotā.
Job UrduGeoR 16:7  Lekin ab Allāh ne mujhe thakā diyā hai, us ne mere pūre gharāne ko tabāh kar diyā hai.
Job UrduGeoR 16:8  Us ne mujhe sukaṛne diyā hai, aur yih bāt mere ḳhilāf gawāh ban gaī hai. Merī dublī-patlī hālat khaṛī ho kar mere ḳhilāf gawāhī detī hai.
Job UrduGeoR 16:9  Allāh kā ġhazab mujhe phāṛ rahā hai, wuh merā dushman aur merā muḳhālif ban gayā hai jo mere ḳhilāf dāṅt pīs pīs kar mujhe apnī āṅkhoṅ se chhed rahā hai.
Job UrduGeoR 16:10  Log galā phāṛ kar merā mazāq uṛāte, mere gāl par thappaṛ mār kar merī be'izzatī karte haiṅ. Sab ke sab mere ḳhilāf muttahid ho gae haiṅ.
Job UrduGeoR 16:11  Allāh ne mujhe sharīroṅ ke hawāle kar diyā, mujhe bedīnoṅ ke changul meṅ phaṅsā diyā hai.
Job UrduGeoR 16:12  Maiṅ sukūn se zindagī guzār rahā thā ki us ne mujhe pāsh pāsh kar diyā, mujhe gale se pakaṛ kar zamīn par paṭaḳh diyā. Us ne mujhe apnā nishānā banā liyā,
Job UrduGeoR 16:13  phir us ke tīrandāzoṅ ne mujhe gher liyā. Us ne berahmī se mere gurdoṅ ko chīr ḍālā, merā pit zamīn par unḍel diyā.
Job UrduGeoR 16:14  Bār bār wuh merī qilābandī meṅ raḳhnā ḍāltā rahā, pahalwān kī tarah mujh par hamlā kartā rahā.
Job UrduGeoR 16:15  Maiṅ ne ṭāṅke lagā kar apnī jild ke sāth ṭāṭ kā libās joṛ liyā hai, apnī shān-o-shaukat ḳhāk meṅ milāī hai.
Job UrduGeoR 16:16  Ro ro kar merā chehrā sūj gayā hai, merī palakoṅ par ghanā andherā chhā gayā hai.
Job UrduGeoR 16:17  Lekin wajah kyā hai? Mere hāth to zulm se barī rahe, merī duā pāk-sāf rahī hai.
Job UrduGeoR 16:18  Ai zamīn, mere ḳhūn ko mat ḍhāṅpnā! Merī āh-o-zārī kabhī ārām kī jagah na pāe balki gūṅjtī rahe.
Job UrduGeoR 16:19  Ab bhī merā gawāh āsmān par hai, mere haq meṅ gawāhī dene wālā bulandiyoṅ par hai.
Job UrduGeoR 16:20  Merī āh-o-zārī merā tarjumān hai, maiṅ beḳhābī se Allāh ke intazār meṅ rahtā hūṅ.
Job UrduGeoR 16:21  Merī āheṅ Allāh ke sāmne fānī insān ke haq meṅ bāt kareṅgī, us tarah jis tarah koī apne dost ke haq meṅ bāt kare.
Job UrduGeoR 16:22  Kyoṅki thoṛe hī sāloṅ ke bād maiṅ us rāste par rawānā ho jāūṅgā jis se wāpas nahīṅ āūṅgā.
Chapter 17
Job UrduGeoR 17:1  Merī rūh shikastā ho gaī, mere din bujh gae haiṅ. Qabristān hī mere intazār meṅ hai.
Job UrduGeoR 17:2  Mere chāroṅ taraf mazāq hī mazāq sunāī detā, merī āṅkheṅ logoṅ kā haṭdharm rawaiyā deḳhte deḳhte thak gaī haiṅ.
Job UrduGeoR 17:3  Ai Allāh, merī zamānat mere apne hāthoṅ se qabūl farmā, kyoṅki aur koī nahīṅ jo use de.
Job UrduGeoR 17:4  Un ke zahnoṅ ko tū ne band kar diyā, is lie to un se izzat nahīṅ pāegā.
Job UrduGeoR 17:5  Wuh us ādmī kī mānind haiṅ jo apne dostoṅ ko ziyāfat kī dāwat de, hālāṅki us ke apne bachche bhūke mar rahe hoṅ.
Job UrduGeoR 17:6  Allāh ne mujhe mazāq kā yoṅ nishānā banāyā hai ki maiṅ qaumoṅ meṅ ibratangez misāl ban gayā hūṅ. Mujhe deḳhte hī log mere muṅh par thūkte haiṅ.
Job UrduGeoR 17:7  Merī āṅkheṅ ġham khā khā kar dhundlā gaī haiṅ, mere āzā yahāṅ tak sūkh gae ki sāyā hī rah gayā hai.
Job UrduGeoR 17:8  Yih dekh kar sīdhī rāh par chalne wāloṅ ke roṅgṭe khaṛe ho jāte aur begunāh bedīnoṅ ke ḳhilāf mushta'il ho jāte haiṅ.
Job UrduGeoR 17:9  Rāstbāz apnī rāh par qāym rahte, aur jin ke hāth pāk haiṅ wuh taqwiyat pāte haiṅ.
Job UrduGeoR 17:10  Lekin jahāṅ tak tum sab kā tālluq hai, āo dubārā mujh par hamlā karo! Mujhe tum meṅ ek bhī dānā ādmī nahīṅ milegā.
Job UrduGeoR 17:11  Mere din guzar gae haiṅ. Mere wuh mansūbe aur dil kī ārzueṅ ḳhāk meṅ mil gaī haiṅ
Job UrduGeoR 17:12  jin se rāt din meṅ badal gaī aur raushnī andhere ko dūr karke qarīb āī thī.
Job UrduGeoR 17:13  Agar maiṅ sirf itnī hī ummīd rakhūṅ ki Pātāl merā ghar hogā to yih kaisī ummīd hogī? Agar maiṅ apnā bistar tārīkī meṅ bichhā kar
Job UrduGeoR 17:14  qabr se kahūṅ, ‘Tū merā bāp hai’ aur kīṛe se, ‘Ai merī ammī, ai merī bahan’
Job UrduGeoR 17:15  to phir yih kaisī ummīd hogī? Kaun kahegā, ‘Mujhe tere lie ummīd nazar ātī hai’?
Job UrduGeoR 17:16  Tab merī ummīd mere sāth Pātāl meṅ utregī, aur ham mil kar ḳhāk meṅ dhaṅs jāeṅge.”
Chapter 18
Job UrduGeoR 18:2  “Tū kab tak aisī bāteṅ karegā? In se bāz ā kar hosh meṅ ā! Tab hī ham sahīh bāt kar sakeṅge.
Job UrduGeoR 18:3  Tū hameṅ ḍangar jaise ahmaq kyoṅ samajhtā hai?
Job UrduGeoR 18:4  Go tū āg-bagūlā ho kar apne āp ko phāṛ rahā hai, lekin kyā tere bāis zamīn ko wīrān honā chāhie aur chaṭānoṅ ko apnī jagah se khisaknā chāhie? Hargiz nahīṅ!
Job UrduGeoR 18:5  Yaqīnan bedīn kā charāġh bujh jāegā, us kī āg kā sholā āindā nahīṅ chamkegā.
Job UrduGeoR 18:6  Us ke ḳhaime meṅ raushnī andherā ho jāegī, us ke ūpar kī shamā bujh jāegī.
Job UrduGeoR 18:7  Us ke lambe qadam ruk ruk kar āge baṛheṅge, aur us kā apnā mansūbā use paṭaḳh degā.
Job UrduGeoR 18:8  Us ke apne pāṅw use jāl meṅ phaṅsā dete haiṅ, wuh dām par hī chaltā phirtā hai.
Job UrduGeoR 18:9  Phandā us kī eṛī pakaṛ letā, kamand use jakaṛ letī hai.
Job UrduGeoR 18:10  Use phaṅsāne kā rassā zamīn meṅ chhupā huā hai, rāste meṅ phandā bichhā hai.
Job UrduGeoR 18:11  Wuh aisī chīzoṅ se ghirā rahtā hai jo use qadam baqadam dahshat khilātī aur us kī nāk meṅ dam kartī haiṅ.
Job UrduGeoR 18:12  Āfat use haṛap kar lenā chāhtī hai, tabāhī taiyār khaṛī hai tāki use girte waqt hī pakaṛ le.
Job UrduGeoR 18:13  Bīmārī us kī jild ko khā jātī, maut kā pahlauṭhā us ke āzā ko nigal letā hai.
Job UrduGeoR 18:14  Use us ke ḳhaime kī hifāzat se chhīn liyā jātā aur ghasīṭ kar dahshatoṅ ke bādshāh ke sāmne lāyā jātā hai.
Job UrduGeoR 18:15  Us ke ḳhaime meṅ āg bastī, us ke ghar par gandhak bikhar jātī hai.
Job UrduGeoR 18:16  Nīche us kī jaṛeṅ sūkh jātī, ūpar us kī shāḳheṅ murjhā jātī haiṅ.
Job UrduGeoR 18:17  Zamīn par se us kī yād miṭ jātī hai, kahīṅ bhī us kā nām-o-nishān nahīṅ rahtā.
Job UrduGeoR 18:18  Use raushnī se tārīkī meṅ dhakelā jātā, duniyā se bhagā kar ḳhārij kiyā jātā hai.
Job UrduGeoR 18:19  Qaum meṅ us kī na aulād na nasl rahegī, jahāṅ pahle rahtā thā wahāṅ koī nahīṅ bachegā.
Job UrduGeoR 18:20  Us kā anjām dekh kar maġhrib ke bāshindoṅ ke roṅgṭe khaṛe ho jāte aur mashriq ke bāshinde dahshatzadā ho jāte haiṅ.
Job UrduGeoR 18:21  Yihī hai bedīn ke ghar kā anjām, usī ke maqām kā jo Allāh ko nahīṅ jāntā.”
Chapter 19
Job UrduGeoR 19:2  “Tum kab tak mujh par tashaddud karnā chāhte ho, kab tak mujhe alfāz se ṭukṛe ṭukṛe karnā chāhte ho?
Job UrduGeoR 19:3  Ab tum ne das bār mujhe malāmat kī hai, tum ne sharm kie baġhair mere sāth badsulūkī kī hai.
Job UrduGeoR 19:4  Agar yih bāt sahīh bhī ho ki maiṅ ġhalat rāh par ā gayā hūṅ to mujhe hī is kā natījā bhugatnā hai.
Job UrduGeoR 19:5  Lekin chūṅki tum mujh par apnī sabqat dikhānā chāhte aur merī ruswāī mujhe ḍānṭne ke lie istemāl kar rahe ho
Job UrduGeoR 19:6  to phir jān lo, Allāh ne ḳhud mujhe ġhalat rāh par lā kar apne dām se gher liyā hai.
Job UrduGeoR 19:7  Go maiṅ chīḳh kar kahūṅ, ‘Mujh par zulm ho rahā hai,’ lekin jawāb koī nahīṅ miltā. Go maiṅ madad ke lie pukārūṅ, lekin insāf nahīṅ pātā.
Job UrduGeoR 19:8  Us ne mere rāste meṅ aisī dīwār khaṛī kar dī ki maiṅ guzar nahīṅ saktā, us ne merī rāhoṅ par andherā hī chhā jāne diyā hai.
Job UrduGeoR 19:9  Us ne merī izzat mujh se chhīn kar mere sar se tāj utār diyā hai.
Job UrduGeoR 19:10  Chāroṅ taraf se us ne mujhe ḍhā diyā to maiṅ tabāh huā. Us ne merī ummīd ko daraḳht kī tarah jaṛ se ukhāṛ diyā hai.
Job UrduGeoR 19:11  Us kā qahr mere ḳhilāf bhaṛak uṭhā hai, aur wuh mujhe apne dushmanoṅ meṅ shumār kartā hai.
Job UrduGeoR 19:12  Us ke daste mil kar mujh par hamlā karne āe haiṅ. Unhoṅ ne merī fasīl ke sāth miṭṭī kā ḍher lagāyā hai tāki us meṅ raḳhnā ḍāleṅ. Unhoṅ ne chāroṅ taraf se mere ḳhaime kā muhāsarā kiyā hai.
Job UrduGeoR 19:13  Mere bhāiyoṅ ko us ne mujh se dūr kar diyā, aur mere jānane wāloṅ ne merā huqqā-pānī band kar diyā hai.
Job UrduGeoR 19:14  Mere rishtedāroṅ ne mujhe tark kar diyā, mere qarībī dost mujhe bhūl gae haiṅ.
Job UrduGeoR 19:15  Mere dāmangīr aur naukarāniyāṅ mujhe ajnabī samajhte haiṅ. Un kī nazar meṅ maiṅ ajnabī hūṅ.
Job UrduGeoR 19:16  Maiṅ apne naukar ko bulātā hūṅ to wuh jawāb nahīṅ detā. Go maiṅ apne muṅh se us se iltijā karūṅ to bhī wuh nahīṅ ātā.
Job UrduGeoR 19:17  Merī bīwī merī jān se ghin khātī hai, mere sage bhāī mujhe makrūh samajhte haiṅ.
Job UrduGeoR 19:18  Yahāṅ tak ki chhoṭe bachche bhī mujhe haqīr jānte haiṅ. Agar maiṅ uṭhne kī koshish karūṅ to wuh apnā muṅh dūsrī taraf pher lete haiṅ.
Job UrduGeoR 19:19  Mere dilī dost mujhe karāhiyat kī nigāh se deḳhte haiṅ, jo mujhe pyāre the wuh mere muḳhālif ho gae haiṅ.
Job UrduGeoR 19:20  Merī jild sukaṛ kar merī haḍḍiyoṅ ke sāth jā lagī hai. Maiṅ maut se bāl bāl bach gayā hūṅ.
Job UrduGeoR 19:21  Mere dosto, mujh par tars khāo, mujh par tars khāo. Kyoṅki Allāh hī ke hāth ne mujhe mārā hai.
Job UrduGeoR 19:22  Tum kyoṅ Allāh kī tarah mere pīchhe paṛ gae ho, kyoṅ merā gosht khā khā kar ser nahīṅ hote?
Job UrduGeoR 19:23  Kāsh merī bāteṅ qalamband ho jāeṅ! Kāsh wuh yādgār par kandā kī jāeṅ,
Job UrduGeoR 19:24  lohe kī chhainī aur sīse se hameshā ke lie patthar meṅ naqsh kī jāeṅ!
Job UrduGeoR 19:25  Lekin maiṅ jāntā hūṅ ki merā Chhuṛāne Wālā zindā hai aur āḳhirkār mere haq meṅ zamīn par khaṛā ho jāegā,
Job UrduGeoR 19:26  go merī jild yoṅ utārī bhī gaī ho. Lekin merī ārzū hai ki jism meṅ hote hue Allāh ko dekhūṅ,
Job UrduGeoR 19:27  ki maiṅ ḳhud hī use dekhūṅ, na ki ajnabī balki apnī hī āṅkhoṅ se us par nigāh karūṅ. Is ārzū kī shiddat se merā dil tabāh ho rahā hai.
Job UrduGeoR 19:28  Tum kahte ho, ‘Ham kitnī saḳhtī se Ayyūb kā tāqqub kareṅge’ aur ‘Masle kī jaṛ to usī meṅ pinhāṅ hai.’
Job UrduGeoR 19:29  Lekin tumheṅ ḳhud talwār se ḍarnā chāhie, kyoṅki tumhārā ġhussā talwār kī sazā ke lāyq hai, tumheṅ jānanā chāhie ki adālat āne wālī hai.”
Chapter 20
Job UrduGeoR 20:2  “Yaqīnan mere muztarib ḳhayālāt aur wuh ehsāsāt jo mere andar se ubhar rahe haiṅ mujhe jawāb dene par majbūr kar rahe haiṅ.
Job UrduGeoR 20:3  Mujhe aisī nasīhat sunanī paṛī jo merī be'izzatī kā bāis thī, lekin merī samajh mujhe jawāb dene kī tahrīk de rahī hai.
Job UrduGeoR 20:4  Kyā tujhe mālūm nahīṅ ki qadīm zamāne se yānī jab se insān ko zamīn par rakhā gayā
Job UrduGeoR 20:5  sharīr kā fathmand nārā ārizī aur bedīn kī ḳhushī pal-bhar kī sābit huī hai?
Job UrduGeoR 20:6  Go us kā qad-o-qāmat āsmān tak pahuṅche aur us kā sar bādaloṅ ko chhue
Job UrduGeoR 20:7  tāham wuh apne fuzle kī tarah abad tak tabāh ho jāegā. Jinhoṅ ne use pahle dekhā thā wuh pūchheṅge, ‘Ab wuh kahāṅ hai?’
Job UrduGeoR 20:8  Wuh ḳhāb kī tarah uṛ jātā aur āindā kahīṅ nahīṅ pāyā jāegā, use rāt kī royā kī tarah bhulā diyā jātā hai.
Job UrduGeoR 20:9  Jis āṅkh ne use dekhā wuh use āindā kabhī nahīṅ dekhegī. Us kā ghar dubārā us kā mushāhadā nahīṅ karegā.
Job UrduGeoR 20:10  Us kī aulād ko ġharīboṅ se bhīk māṅgnī paṛegī, us ke apne hāthoṅ ko daulat wāpas denī paṛegī.
Job UrduGeoR 20:11  Jawānī kī jis tāqat se us kī haḍḍiyāṅ bharī haiṅ wuh us ke sāth hī ḳhāk meṅ mil jāegī.
Job UrduGeoR 20:12  Burāī bedīn ke muṅh meṅ mīṭhī hai. Wuh use apnī zabān tale chhupāe rakhtā,
Job UrduGeoR 20:14  Lekin us kī ḳhurāk peṭ meṅ ā kar ḳharāb ho jātī balki sāṅp kā zahr ban jātī hai.
Job UrduGeoR 20:15  Jo daulat us ne nigal lī use wuh ugal degā, Allāh hī yih chīzeṅ us ke peṭ se ḳhārij karegā.
Job UrduGeoR 20:16  Us ne sāṅp kā zahr chūs liyā, aur sāṅp hī kī zabān use mār ḍālegī.
Job UrduGeoR 20:17  Wuh nadiyoṅ se lutfandoz nahīṅ hogā, shahd aur bālāī kī nahroṅ se mazā nahīṅ legā.
Job UrduGeoR 20:18  Jo kuchh us ne hāsil kiyā use wuh hazm nahīṅ karegā balki sab kuchh wāpas karegā. Jo daulat us ne apne kārobār se kamāī us se wuh lutf nahīṅ uṭhāegā.
Job UrduGeoR 20:19  Kyoṅki us ne pasthāloṅ par zulm karke unheṅ tark kiyā hai, us ne aise gharoṅ ko chhīn liyā hai jinheṅ us ne tāmīr nahīṅ kiyā thā.
Job UrduGeoR 20:20  Us ne peṭ meṅ kabhī sukūn mahsūs nahīṅ kiyā balki jo kuchh bhī chāhtā thā use bachne nahīṅ diyā.
Job UrduGeoR 20:21  Jab wuh khānā khātā hai to kuchh nahīṅ bachtā, is lie us kī ḳhushhālī qāym nahīṅ rahegī.
Job UrduGeoR 20:22  Jyoṅ hī use kasrat kī chīzeṅ hāsil hoṅgī wuh musībat meṅ phaṅs jāegā. Tab dukh-dard kā pūrā zor us par āegā.
Job UrduGeoR 20:23  Kāsh Allāh bedīn kā peṭ bhar kar apnā bhaṛaktā qahr us par nāzil kare, kāsh wuh apnā ġhazab us par barsāe.
Job UrduGeoR 20:24  Go wuh lohe ke hathiyār se bhāg jāe, lekin pītal kā tīr use chīr ḍālegā.
Job UrduGeoR 20:25  Jab wuh use apnī pīṭh se nikāle to tīr kī nok us ke kaleje meṅ se niklegī. Use dahshatnāk wāqiyāt pesh āeṅge.
Job UrduGeoR 20:26  Gahrī tārīkī us ke ḳhazānoṅ kī tāk meṅ baiṭhī rahegī. Aisī āg jo insānoṅ ne nahīṅ lagāī use bhasm karegī. Us ke ḳhaime ke jitne log bach nikle unheṅ wuh khā jāegī.
Job UrduGeoR 20:27  Āsmān use mujrim ṭhahrāegā, zamīn us ke ḳhilāf gawāhī dene ke lie khaṛī ho jāegī.
Job UrduGeoR 20:28  Sailāb us kā ghar uṛā le jāegā, ġhazab ke din shiddat se bahtā huā pānī us par se guzaregā.
Job UrduGeoR 20:29  Yih hai wuh ajr jo Allāh bedīnoṅ ko degā, wuh wirāsat jise Allāh ne un ke lie muqarrar kī hai.”
Chapter 21
Job UrduGeoR 21:2  “Dhyān se mere alfāz suno! Yihī karne se mujhe tasallī do!
Job UrduGeoR 21:3  Jab tak maiṅ apnī bāt pesh na karūṅ mujhe bardāsht karo, is ke bād agar chāho to merā mazāq uṛāo.
Job UrduGeoR 21:4  Kyā maiṅ kisī insān se ehtijāj kar rahā hūṅ? Hargiz nahīṅ! To phir kyā ajab ki merī rūh itnī tang ā gaī hai.
Job UrduGeoR 21:5  Mujh par nazar ḍālo to tumhāre roṅgṭe khaṛe ho jāeṅge aur tum hairānī se apnā hāth muṅh par rakhoge.
Job UrduGeoR 21:6  Jab kabhī mujhe wuh ḳhayāl yād ātā hai jo maiṅ pesh karnā chāhtā hūṅ to maiṅ dahshatzadā ho jātā hūṅ, mere jism par thartharāhaṭ tārī ho jātī hai.
Job UrduGeoR 21:7  Ḳhayāl yih hai ki bedīn kyoṅ jīte rahte haiṅ? Na sirf wuh umrrasīdā ho jāte balki un kī tāqat baṛhtī rahtī hai.
Job UrduGeoR 21:8  Un ke bachche un ke sāmne qāym ho jāte, un kī aulād un kī āṅkhoṅ ke sāmne mazbūt ho jātī hai.
Job UrduGeoR 21:9  Un ke ghar mahfūz haiṅ. Na koī chīz unheṅ ḍarātī, na Allāh kī sazā un par nāzil hotī hai.
Job UrduGeoR 21:10  Un kā sānḍ nasl baṛhāne meṅ kabhī nākām nahīṅ hotā, un kī gāy waqt par janm detī, aur us ke bachche kabhī zāe nahīṅ hote.
Job UrduGeoR 21:11  Wuh apne bachchoṅ ko bāhar khelne ke lie bhejte haiṅ to wuh bheṛ-bakriyoṅ ke rewaṛ kī tarah ghar se nikalte haiṅ. Un ke laṛke kūdte phāṅdte nazar āte haiṅ.
Job UrduGeoR 21:12  Wuh daf aur sarod bajā kar gīt gāte aur bāṅsrī kī surīlī āwāz nikāl kar apnā dil bahlāte haiṅ.
Job UrduGeoR 21:13  Un kī zindagī ḳhushhāl rahtī hai, wuh har din se pūrā lutf uṭhāte aur āḳhirkār baṛe sukūn se Pātāl meṅ utar jāte haiṅ.
Job UrduGeoR 21:14  Aur yih wuh log haiṅ jo Allāh se kahte haiṅ, ‘Ham se dūr ho jā, ham terī rāhoṅ ko jānanā nahīṅ chāhte.
Job UrduGeoR 21:15  Qādir-e-mutlaq kaun hai ki ham us kī ḳhidmat kareṅ? Us se duā karne se hameṅ kyā fāydā hogā?’
Job UrduGeoR 21:16  Kyā un kī ḳhushhālī un ke apne hāth meṅ nahīṅ hotī? Kyā bedīnoṅ ke mansūbe Allāh se dūr nahīṅ rahte?
Job UrduGeoR 21:17  Aisā lagtā hai ki bedīnoṅ kā charāġh kabhī nahīṅ bujhtā. Kyā un par kabhī musībat ātī hai? Kyā Allāh kabhī qahr meṅ ā kar un par wuh tabāhī nāzil kartā hai jo un kā munāsib hissā hai?
Job UrduGeoR 21:18  Kyā hawā ke jhoṅke kabhī unheṅ bhūse kī tarah aur āṅdhī kabhī unheṅ tūṛī kī tarah uṛā le jātī hai? Afsos, aisā nahīṅ hotā.
Job UrduGeoR 21:19  Shāyad tum kaho, ‘Allāh unheṅ sazā dene ke bajāe un ke bachchoṅ ko sazā degā.’ Lekin maiṅ kahtā hūṅ ki use bāp ko hī sazā denī chāhie tāki wuh apne gunāhoṅ kā natījā ḳhūb jān le.
Job UrduGeoR 21:20  Us kī apnī hī āṅkheṅ us kī tabāhī dekheṅ, wuh ḳhud Qādir-e-mutlaq ke ġhazab kā pyālā pī le.
Job UrduGeoR 21:21  Kyoṅki jab us kī zindagī ke muqarrarā din iḳhtitām tak pahuṅcheṅ to use kyā parwā hogī ki mere bād ghar wāloṅ ke sāth kyā hogā.
Job UrduGeoR 21:22  Lekin kaun Allāh ko ilm sikhā saktā hai? Wuh to bulandiyoṅ par rahne wāloṅ kī bhī adālat kartā hai.
Job UrduGeoR 21:23  Ek shaḳhs wafāt pāte waqt ḳhūb tandurust hotā hai. Jīte-jī wuh baṛe sukūn aur itmīnān se zindagī guzār sakā.
Job UrduGeoR 21:24  Us ke bartan dūdh se bhare rahe, us kī haḍḍiyoṅ kā gūdā tar-o-tāzā rahā.
Job UrduGeoR 21:25  Dūsrā shaḳhs shikastā hālat meṅ mar jātā hai aur use kabhī ḳhushhālī kā lutf nasīb nahīṅ huā.
Job UrduGeoR 21:26  Ab donoṅ mil kar ḳhāk meṅ paṛe rahte haiṅ, donoṅ kīṛe-makoṛoṅ se ḍhāṅpe rahte haiṅ.
Job UrduGeoR 21:27  Suno, maiṅ tumhāre ḳhayālāt aur un sāzishoṅ se wāqif hūṅ jin se tum mujh par zulm karnā chāhte ho.
Job UrduGeoR 21:28  Kyoṅki tum kahte ho, ‘Raīs kā ghar kahāṅ hai? Wuh ḳhaimā kidhar gayā jis meṅ bedīn baste the? Wuh apne gunāhoṅ ke sabab se hī tabāh ho gae haiṅ.’
Job UrduGeoR 21:29  Lekin un se pūchh lo jo idhar-udhar safr karte rahte haiṅ. Tumheṅ un kī gawāhī taslīm karnī chāhie
Job UrduGeoR 21:30  ki āfat ke din sharīr ko sahīh-salāmat chhoṛā jātā hai, ki ġhazab ke din use rihāī miltī hai.
Job UrduGeoR 21:31  Kaun us ke rūbarū us ke chāl-chalan kī malāmat kartā, kaun use us ke ġhalat kām kā munāsib ajr detā hai?
Job UrduGeoR 21:32  Log us ke janāze meṅ sharīk ho kar use qabr tak le jāte haiṅ. Us kī qabr par chaukīdār lagāyā jātā hai.
Job UrduGeoR 21:33  Wādī kī miṭṭī ke ḍhele use mīṭhe lagte haiṅ. Janāze ke pīchhe pīchhe tamām duniyā, us ke āge āge anginat hujūm chaltā hai.
Job UrduGeoR 21:34  Chunāṅche tum mujhe abas bātoṅ se kyoṅ tasallī de rahe ho? Tumhāre jawāboṅ meṅ tumhārī bewafāī hī nazar ātī hai.”
Chapter 22
Job UrduGeoR 22:2  “Kyā Allāh insān se fāydā uṭhā saktā hai? Hargiz nahīṅ! Us ke lie dānishmand bhī fāyde kā bāis nahīṅ.
Job UrduGeoR 22:3  Agar tū rāstbāz ho bhī to kyā wuh is se apne lie nafā uṭhā saktā hai? Hargiz nahīṅ! Agar tū be'ilzām zindagī guzāre to kyā use kuchh hāsil hotā hai?
Job UrduGeoR 22:4  Allāh tujhe terī ḳhudātars zindagī ke sabab se malāmat nahīṅ kar rahā. Yih na soch ki wuh isī lie adālat meṅ tujh se jawāb talab kar rahā hai.
Job UrduGeoR 22:5  Nahīṅ, wajah terī baṛī badkārī, tere lā-mahdūd gunāh haiṅ.
Job UrduGeoR 22:6  Jab tere bhāiyoṅ ne tujh se qarz liyā to tū ne bilāwajah wuh chīzeṅ apnā lī hoṅgī jo unhoṅ ne tujhe zamānat ke taur par dī thīṅ, tū ne unheṅ un ke kapṛoṅ se mahrūm kar diyā hogā.
Job UrduGeoR 22:7  Tū ne thakemāndoṅ ko pānī pilāne se aur bhūke marne wāloṅ ko khānā khilāne se inkār kiyā hogā.
Job UrduGeoR 22:8  Beshak terā rawaiyā is ḳhayāl par mabnī thā ki pūrā mulk tāqatwaroṅ kī milkiyat hai, ki sirf baṛe log us meṅ rah sakte haiṅ.
Job UrduGeoR 22:9  Tū ne bewāoṅ ko ḳhālī hāth moṛ diyā hogā, yatīmoṅ kī tāqat pāsh pāsh kī hogī.
Job UrduGeoR 22:10  Isī lie tū phandoṅ se ghirā rahtā hai, achānak hī tujhe dahshatnāk wāqiyāt ḍarāte haiṅ.
Job UrduGeoR 22:11  Yihī wajah hai ki tujh par aisā andherā chhā gayā hai ki tū dekh nahīṅ saktā, ki sailāb ne tujhe ḍubo diyā hai.
Job UrduGeoR 22:12  Kyā Allāh āsmān kī bulandiyoṅ par nahīṅ hotā? Wuh to sitāroṅ par nazar ḍāltā hai, ḳhāh wuh kitne hī ūṅche kyoṅ na hoṅ.
Job UrduGeoR 22:13  To bhī tū kahtā hai, ‘Allāh kyā jāntā hai? Kyā wuh kāle bādaloṅ meṅ se dekh kar adālat kar saktā hai?
Job UrduGeoR 22:14  Wuh ghane bādaloṅ meṅ chhupā rahtā hai, is lie jab wuh āsmān ke gumbad par chaltā hai to use kuchh nazar nahīṅ ātā.’
Job UrduGeoR 22:15  Kyā tū us qadīm rāh se bāz nahīṅ āegā jis par badkār chalte rahe haiṅ?
Job UrduGeoR 22:16  Wuh to apne muqarrarā waqt se pahle hī sukaṛ gae. Un kī buniyādeṅ sailāb se hī uṛā lī gaīṅ.
Job UrduGeoR 22:17  Unhoṅ ne Allāh se kahā, ‘Ham se dūr ho jā,’ aur ‘Qādir-e-mutlaq hamāre lie kyā kuchh kar saktā hai?’
Job UrduGeoR 22:18  Lekin Allāh hī ne un ke gharoṅ ko bharpūr ḳhushhālī se nawāzā, go bedīnoṅ ke bure mansūbe us se dūr hī dūr rahte haiṅ.
Job UrduGeoR 22:19  Rāstbāz un kī tabāhī dekh kar ḳhush hue, bequsūroṅ ne un kī haṅsī uṛā kar kahā,
Job UrduGeoR 22:20  ‘Lo, yih dekho, un kī jāydād kis tarah miṭ gaī, un kī daulat kis tarah bhasm ho gaī hai!’
Job UrduGeoR 22:21  Ai Ayyūb, Allāh se sulah karke salāmatī hāsil kar, tab hī tū ḳhushhālī pāegā.
Job UrduGeoR 22:22  Allāh ke muṅh kī hidāyat apnā le, us ke farmān apne dil meṅ mahfūz rakh.
Job UrduGeoR 22:23  Agar tū Qādir-e-mutlaq ke pās wāpas āe to bahāl ho jāegā, aur tere ḳhaime se badī dūr hī rahegī.
Job UrduGeoR 22:24  Sone ko ḳhāk ke barābar, Ofīr kā ḳhālis sonā wādī ke patthar ke barābar samajh le
Job UrduGeoR 22:25  to Qādir-e-mutlaq ḳhud terā sonā hogā, wuhī tere lie chāṅdī kā ḍher hogā.
Job UrduGeoR 22:26  Tab tū Qādir-e-mutlaq se lutfandoz hogā aur Allāh ke huzūr apnā sar uṭhā sakegā.
Job UrduGeoR 22:27  Tū us se iltijā karegā to wuh terī sunegā aur tū apnī mannateṅ baṛhā sakegā.
Job UrduGeoR 22:28  Jo kuchh bhī tū karne kā irādā rakhe us meṅ tujhe kāmyābī hogī, terī rāhoṅ par raushnī chamkegī.
Job UrduGeoR 22:29  Kyoṅki jo sheḳhī baghārtā hai use Allāh past kartā jabki jo pasthāl hai use wuh najāt detā hai.
Job UrduGeoR 22:30  Wuh bequsūr ko chhuṛātā hai, chunāṅche agar tere hāth pāk hoṅ to wuh tujhe chhuṛāegā.”
Chapter 23
Job UrduGeoR 23:2  “Beshak āj merī shikāyat sarkashī kā izhār hai, hālāṅki maiṅ apnī āhoṅ par qābū pāne kī koshish kar rahā hūṅ.
Job UrduGeoR 23:3  Kāsh maiṅ use pāne kā ilm rakhūṅ tāki us kī sukūnatgāh tak pahuṅch sakūṅ.
Job UrduGeoR 23:4  Phir maiṅ apnā muāmalā tartībwār us ke sāmne pesh kartā, maiṅ apnā muṅh dalāyl se bhar letā.
Job UrduGeoR 23:5  Tab mujhe us ke jawāboṅ kā patā chaltā, maiṅ us ke bayānāt par ġhaur kar saktā.
Job UrduGeoR 23:6  Kyā wuh apnī azīm quwwat mujh se laṛne par sarf kartā? Hargiz nahīṅ! Wuh yaqīnan mujh par tawajjuh detā.
Job UrduGeoR 23:7  Agar maiṅ wahāṅ us ke huzūr ā saktā to diyānatdār ādmī kī tarah us ke sāth muqaddamā laṛtā. Tab maiṅ hameshā ke lie apne munsif se bach nikaltā!
Job UrduGeoR 23:8  Lekin afsos, agar maiṅ mashriq kī taraf jāūṅ to wuh wahāṅ nahīṅ hotā, maġhrib kī jānib baṛhūṅ to wahāṅ bhī nahīṅ miltā.
Job UrduGeoR 23:9  Shimāl maiṅ use ḍhūnḍūṅ to wuh dikhāī nahīṅ detā, junūb kī taraf ruḳh karūṅ to wahāṅ bhī poshīdā rahtā hai.
Job UrduGeoR 23:10  Kyoṅki wuh merī rāh ko jāntā hai. Agar wuh merī jāṅch-paṛtāl kartā to maiṅ ḳhālis sonā sābit hotā.
Job UrduGeoR 23:11  Mere qadam us kī rāh meṅ rahe haiṅ, maiṅ rāh se na bāīṅ, na dāīṅ taraf haṭā balki sīdhā us par chaltā rahā.
Job UrduGeoR 23:12  Maiṅ us ke hoṅṭoṅ ke farmān se bāz nahīṅ āyā balki apne dil meṅ hī us ke muṅh kī bāteṅ mahfūz rakhī haiṅ.
Job UrduGeoR 23:13  Agar wuh faislā kare to kaun use rok saktā hai? Jo kuchh bhī wuh karnā chāhe use amal meṅ lātā hai.
Job UrduGeoR 23:14  Jo bhī mansūbā us ne mere lie bāndhā use wuh zarūr pūrā karegā. Aur us ke zahan meṅ mazīd bahut-se aise mansūbe haiṅ.
Job UrduGeoR 23:15  Isī lie maiṅ us ke huzūr dahshatzadā hūṅ. Jab bhī maiṅ in bātoṅ par dhyān dūṅ to us se ḍartā hūṅ.
Job UrduGeoR 23:16  Allāh ne ḳhud mujhe shikastādil kiyā, Qādir-e-mutlaq hī ne mujhe dahshat khilāī hai.
Job UrduGeoR 23:17  Kyoṅki na maiṅ tārīkī se tabāh ho rahā hūṅ, na is lie ki ghane andhere ne mere chehre ko ḍhāṅp diyā hai.
Chapter 24
Job UrduGeoR 24:1  Qādir-e-mutlaq adālat ke auqāt kyoṅ nahīṅ muqarrar kartā? Jo use jānte haiṅ wuh aise din kyoṅ nahīṅ deḳhte?
Job UrduGeoR 24:2  Bedīn apnī zamīnoṅ kī hudūd ko āge pīchhe karte aur dūsroṅ ke rewaṛ lūṭ kar apnī charāgāhoṅ meṅ le jāte haiṅ.
Job UrduGeoR 24:3  Wuh yatīmoṅ kā gadhā hāṅk kar le jāte aur is shart par bewā ko qarz dete haiṅ ki wuh unheṅ zamānat ke taur par apnā bail de.
Job UrduGeoR 24:4  Wuh zarūratmandoṅ ko rāste se haṭāte haiṅ, chunāṅche mulk ke ġharīboṅ ko sarāsar chhup jānā paṛtā hai.
Job UrduGeoR 24:5  Zarūratmand bayābān meṅ janglī gadhoṅ kī tarah kām karne ke lie nikalte haiṅ. Ḳhurāk kā khoj lagā lagā kar wuh idhar-udhar ghūmte-phirte haiṅ balki registān hī unheṅ un ke bachchoṅ ke lie khānā muhaiyā kartā hai.
Job UrduGeoR 24:6  Jo khet un ke apne nahīṅ haiṅ un meṅ wuh fasal kāṭte haiṅ, aur bedīnoṅ ke angūr ke bāġhoṅ meṅ jā kar wuh do chār angūr chun lete haiṅ jo fasal chunane ke bād bāqī rah gae the.
Job UrduGeoR 24:7  Kapṛoṅ se mahrūm rah kar wuh rāt ko barahnā hālat meṅ guzārte haiṅ. Sardī meṅ un ke pās kambal tak nahīṅ hotā.
Job UrduGeoR 24:8  Pahāṛoṅ kī bārish se wuh bhīg jāte aur panāhgāh na hone ke bāis pattharoṅ ke sāth lipaṭ jāte haiṅ.
Job UrduGeoR 24:9  Bedīn bāp se mahrūm bachche ko māṅ kī god se chhīn lete haiṅ balki is shart par musībatzadā ko qarz dete haiṅ ki wuh unheṅ zamānat ke taur par apnā shīrḳhār bachchā de.
Job UrduGeoR 24:10  Ġharīb barahnā hālat meṅ aur kapṛe pahne baġhair phirte haiṅ, wuh bhūke hote hue pūle uṭhāe chalte haiṅ.
Job UrduGeoR 24:11  Zaitūn ke jo daraḳht bedīnoṅ ne saf-dar-saf lagāe the un ke darmiyān ġharīb zaitūn kā tel nikālte haiṅ. Pyāsī hālat meṅ wuh sharīroṅ ke hauzoṅ meṅ angūr ko pāṅwoṅ tale kuchal kar us kā ras nikālte haiṅ.
Job UrduGeoR 24:12  Shahr se marne wāloṅ kī āheṅ nikaltī haiṅ aur zaḳhmī log madad ke lie chīḳhte-chillāte haiṅ. Is ke bāwujūd Allāh kisī ko bhī mujrim nahīṅ ṭhahrātā.
Job UrduGeoR 24:13  Yih bedīn un meṅ se haiṅ jo nūr se sarkash ho gae haiṅ. Na wuh us kī rāhoṅ se wāqif haiṅ, na un meṅ rahte haiṅ.
Job UrduGeoR 24:14  Subah-sawere qātil uṭhtā hai tāki musībatzadā aur zarūratmand ko qatl kare. Rāt ko chor chakkar kāṭtā hai.
Job UrduGeoR 24:15  Zinākār kī āṅkheṅ shām ke dhundalke ke intazār meṅ rahtī haiṅ, yih soch kar ki us waqt maiṅ kisī ko nazar nahīṅ āūṅgā. Nikalte waqt wuh apne muṅh ko ḍhāṅp letā hai.
Job UrduGeoR 24:16  Ḍākū andhere meṅ gharoṅ meṅ naqb lagāte jabki din ke waqt wuh chhup kar apne pīchhe kunḍī lagā lete haiṅ. Nūr ko wuh jānte hī nahīṅ.
Job UrduGeoR 24:17  Gahrī tārīkī hī un kī subah hotī hai, kyoṅki un kī ghane andhere kī dahshatoṅ se dostī ho gaī hai.
Job UrduGeoR 24:18  Lekin bedīn pānī kī satah par jhāg haiṅ, mulk meṅ un kā hissā malaūn hai aur un ke angūr ke bāġhoṅ kī taraf koī rujū nahīṅ kartā.
Job UrduGeoR 24:19  Jis tarah kāl aur jhulastī garmī barf kā pānī chhīn letī haiṅ usī tarah Pātāl gunāhgāroṅ ko chhīn letā hai.
Job UrduGeoR 24:20  Māṅ kā rahm unheṅ bhūl jātā, kīṛā unheṅ chūs letā aur un kī yād jātī rahtī hai. Yaqīnan bedīnī lakaṛī kī tarah ṭūṭ jātī hai.
Job UrduGeoR 24:21  Bedīn bāṅjh aurat par zulm aur bewāoṅ se badsulūkī karte haiṅ,
Job UrduGeoR 24:22  lekin Allāh zabardastoṅ ko apnī qudrat se ghasīṭ kar le jātā hai. Wuh mazbūtī se khaṛe bhī hoṅ to bhī koī yaqīn nahīṅ ki zindā raheṅge.
Job UrduGeoR 24:23  Allāh unheṅ hifāzat se ārām karne detā hai, lekin us kī āṅkheṅ un kī rāhoṅ kī pahrādārī kartī rahtī haiṅ.
Job UrduGeoR 24:24  Lamhā-bhar ke lie wuh sarfarāz hote, lekin phir nest-o-nābūd ho jāte haiṅ. Unheṅ ḳhāk meṅ milā kar sab kī tarah jamā kiyā jātā hai, wuh gandum kī kaṭī huī bāloṅ kī tarah murjhā jāte haiṅ.
Job UrduGeoR 24:25  Kyā aisā nahīṅ hai? Agar koī muttafiq nahīṅ to wuh sābit kare ki maiṅ ġhaltī par hūṅ, wuh dikhāe ki mere dalāyl bātil haiṅ.”
Chapter 25
Job UrduGeoR 25:2  “Allāh kī hukūmat dahshatnāk hai. Wuhī apnī bulandiyoṅ par salāmatī qāym rakhtā hai.
Job UrduGeoR 25:3  Kyā koī us ke dastoṅ kī tādād gin saktā hai? Us kā nūr kis par nahīṅ chamaktā?
Job UrduGeoR 25:4  To phir insān Allāh ke sāmne kis tarah rāstbāz ṭhahar saktā hai? Jo aurat se paidā huā wuh kis tarah pāk-sāf sābit ho saktā hai?
Job UrduGeoR 25:5  Us kī nazar meṅ na chāṅd purnūr hai, na sitāre pāk haiṅ.
Job UrduGeoR 25:6  To phir insān kis tarah pāk ṭhahar saktā hai jo kīṛā hī hai? Ādamzād to makoṛā hī hai.”
Chapter 26
Job UrduGeoR 26:2  “Wāh jī wāh! Tū ne kyā ḳhūb use sahārā diyā jo bebas hai, kyā ḳhūb us bāzū ko mazbūt kar diyā jo betāqat hai!
Job UrduGeoR 26:3  Tū ne use kitne achchhe mashware die jo hikmat se mahrūm hai, apnī samajh kī kitnī gahrī bāteṅ us par zāhir kī haiṅ.
Job UrduGeoR 26:4  Tū ne kis kī madad se yih kuchh pesh kiyā hai? Kis ne terī rūh meṅ wuh bāteṅ ḍālīṅ jo tere muṅh se nikal āī haiṅ?
Job UrduGeoR 26:5  Allāh ke sāmne wuh tamām murdā arwāh jo pānī aur us meṅ rahne wāloṅ ke nīche bastī haiṅ ḍar ke māre taṛap uṭhtī haiṅ.
Job UrduGeoR 26:6  Hāṅ, us ke sāmne Pātāl barahnā aur us kī gahrāiyāṅ beniqāb haiṅ.
Job UrduGeoR 26:7  Allāh hī ne shimāl ko wīrān-o-sunsān jagah ke ūpar tān liyā, usī ne zamīn ko yoṅ lagā diyā ki wuh kisī chīz se laṭkī huī nahīṅ hai.
Job UrduGeoR 26:8  Us ne apne bādaloṅ meṅ pānī lapeṭ liyā, lekin wuh bojh tale na phaṭe.
Job UrduGeoR 26:9  Us ne apnā taḳht nazaroṅ se chhupā kar apnā bādal us par chhā jāne diyā.
Job UrduGeoR 26:10  Us ne pānī kī satah par dāyrā banāyā jo raushnī aur andhere ke darmiyān had ban gayā.
Job UrduGeoR 26:11  Āsmān ke satūn laraz uṭhe. Us kī dhamkī par wuh dahshatzadā hue.
Job UrduGeoR 26:12  Apnī qudrat se Allāh ne samundar ko thamā diyā, apnī hikmat se Rahab azhdahe ko ṭukṛe ṭukṛe kar diyā.
Job UrduGeoR 26:13  Us ke Rūh ne āsmān ko sāf kiyā, us ke hāth ne farār hone wāle sāṅp ko chhed ḍālā.
Job UrduGeoR 26:14  Lekin aise kām us kī rāhoṅ ke kināre par hī kie jāte haiṅ. Jo kuchh ham us ke bāre meṅ sunte haiṅ wuh dhīmī dhīmī āwāz se hamāre kān tak pahuṅchtā hai. To phir kaun us kī qudrat kī kaṛaktī āwāz samajh saktā hai?”
Chapter 27
Job UrduGeoR 27:2  “Allāh kī hayāt kī qasam jis ne merā insāf karne se inkār kiyā, Qādir-e-mutlaq kī qasam jis ne merī zindagī talḳh kar dī hai,
Job UrduGeoR 27:3  mere jīte-jī, hāṅ jab tak Allāh kā dam merī nāk meṅ hai
Job UrduGeoR 27:4  mere hoṅṭ jhūṭ nahīṅ boleṅge, merī zabān dhokā bayān nahīṅ karegī.
Job UrduGeoR 27:5  Maiṅ kabhī taslīm nahīṅ karūṅga ki tumhārī bāt durust hai. Maiṅ be'ilzām hūṅ aur marte dam tak is ke ulaṭ nahīṅ kahūṅgā.
Job UrduGeoR 27:6  Maiṅ isrār kartā hūṅ ki rāstbāz hūṅ aur is se kabhī bāz nahīṅ āūṅgā. Merā dil mere kisī bhī din ke bāre meṅ mujhe malāmat nahīṅ kartā.
Job UrduGeoR 27:7  Allāh kare ki mere dushman ke sāth wuhī sulūk kiyā jāe jo bedīnoṅ ke sāth kiyā jāegā, ki mere muḳhālif kā wuh anjām ho jo badkāroṅ ko pesh āegā.
Job UrduGeoR 27:8  Kyoṅki us waqt sharīr kī kyā ummīd rahegī jab use is zindagī se munqate kiyā jāegā, jab Allāh us kī jān us se talab karegā?
Job UrduGeoR 27:9  Kyā Allāh us kī chīḳheṅ sunegā jab wuh musībat meṅ phaṅs kar madad ke lie pukāregā?
Job UrduGeoR 27:10  Yā kyā wuh Qādir-e-mutlaq se lutfandoz hogā aur har waqt Allāh ko pukāregā?
Job UrduGeoR 27:11  Ab maiṅ tumheṅ Allāh kī qudrat ke bāre meṅ tālīm dūṅgā, Qādir-e-mutlaq kā irādā tum se nahīṅ chhupāūṅgā.
Job UrduGeoR 27:12  Dekho, tum sab ne is kā mushāhadā kiyā hai. To phir is qism kī bātil bāteṅ kyoṅ karte ho?
Job UrduGeoR 27:13  Bedīn Allāh se kyā ajr pāegā, zālim ko Qādir-e-mutlaq se mīrās meṅ kyā milegā?
Job UrduGeoR 27:14  Go us ke bachche muta'addid hoṅ, lekin āḳhirkār wuh talwār kī zad meṅ āeṅge. Us kī aulād bhūkī rahegī.
Job UrduGeoR 27:15  Jo bach jāeṅ unheṅ mohlak bīmārī se qabr meṅ pahuṅchāyā jāegā, aur un kī bewāeṅ mātam nahīṅ kar pāeṅgī.
Job UrduGeoR 27:16  Beshak wuh ḳhāk kī tarah chāṅdī kā ḍher lagāe aur miṭṭī kī tarah nafīs kapṛoṅ kā todā ikaṭṭhā kare,
Job UrduGeoR 27:17  lekin jo kapṛe wuh jamā kare unheṅ rāstbāz pahan legā, aur jo chāṅdī wuh ikaṭṭhī kare use bequsūr taqsīm karegā.
Job UrduGeoR 27:18  Jo ghar bedīn banā le wuh ghoṅsle kī mānind hai, us ārizī jhoṅpṛī kī mānind jo chaukīdār apne lie banā letā hai.
Job UrduGeoR 27:19  Wuh amīr hālat meṅ so jātā hai, lekin āḳhirī dafā. Jab apnī āṅkheṅ khol letā to tamām daulat jātī rahī hai.
Job UrduGeoR 27:20  Us par haulnāk wāqiyāt kā sailāb ṭūṭ paṛtā, use rāt ke waqt āṅdhī chhīn letī hai.
Job UrduGeoR 27:21  Mashriqī lū use uṛā le jātī, use uṭhā kar us ke maqām se dūr phaiṅk detī hai.
Job UrduGeoR 27:22  Berahmī se wuh us par yoṅ jhapaṭṭā mārtī rahtī hai ki use bār bār bhāgnā paṛtā hai.
Job UrduGeoR 27:23  Wuh tāliyāṅ bajā kar apnī hiqārat kā izhār kartī, apnī jagah se āwāze kastī hai.
Chapter 28
Job UrduGeoR 28:1  Yaqīnan chāṅdī kī kāneṅ hotī haiṅ aur aisī jagheṅ jahāṅ sonā ḳhālis kiyā jātā hai.
Job UrduGeoR 28:2  Lohā zamīn se nikālā jātā aur log patthar pighlā kar tāṅbā banā lete haiṅ.
Job UrduGeoR 28:3  Insān andhere ko ḳhatm karke zamīn kī gahrī gahrī jaghoṅ tak kachchī dhāt kā khoj lagātā hai, ḳhāh wuh kitne andhere meṅ kyoṅ na ho.
Job UrduGeoR 28:4  Ek ajnabī qaum surang lagātī hai. Jab rassoṅ se laṭke hue kām karte aur insānoṅ se dūr kān meṅ jhūmte haiṅ to zamīn par guzarne wāloṅ ko un kī yād hī nahīṅ rahtī.
Job UrduGeoR 28:5  Zamīn kī satah par ḳhurāk paidā hotī hai jabki us kī gahrāiyāṅ yoṅ tabdīl ho jātī haiṅ jaise us meṅ āg lagī ho.
Job UrduGeoR 28:6  Pattharoṅ se sang-e-lājaward nikālā jātā hai jis meṅ sone ke zarre bhī pāe jāte haiṅ.
Job UrduGeoR 28:7  Yih aise rāste haiṅ jo koī bhī shikārī parindā nahīṅ jāntā, jo kisī bhī bāz ne nahīṅ dekhā.
Job UrduGeoR 28:8  Jangal ke robdār jānwaroṅ meṅ se koī bhī in rāhoṅ par nahīṅ chalā, kisī bhī sherbabar ne in par qadam nahīṅ rakhā.
Job UrduGeoR 28:9  Insān sang-e-chaqmāq par hāth lagā kar pahāṛoṅ ko jaṛ se ulṭā detā hai.
Job UrduGeoR 28:10  Wuh patthar meṅ surang lagā kar har qism kī qīmtī chīz dekh letā
Job UrduGeoR 28:11  aur zamīndoz nadiyoṅ ko band karke poshīdā chīzeṅ raushnī meṅ lātā hai.
Job UrduGeoR 28:12  Lekin hikmat kahāṅ pāī jātī hai, samajh kahāṅ se miltī hai?
Job UrduGeoR 28:13  Insān us tak jāne wālī rāh nahīṅ jāntā, kyoṅki use Mulk-e-hayāt meṅ pāyā nahīṅ jātā.
Job UrduGeoR 28:14  Samundar kahtā hai, ‘Hikmat mere pās nahīṅ hai,’ aur us kī gahrāiyāṅ bayān kartī haiṅ, ‘Yahāṅ bhī nahīṅ hai.’
Job UrduGeoR 28:15  Hikmat ko na ḳhālis sone, na chāṅdī se ḳharīdā jā saktā hai.
Job UrduGeoR 28:16  Use pāne ke lie na Ofīr kā sonā, na beshqīmat aqīq-e-ahmar yā sang-e-lājaward kāfī haiṅ.
Job UrduGeoR 28:17  Sonā aur shīshā us kā muqābalā nahīṅ kar sakte, na wuh sone ke zewarāt ke ewaz mil saktī hai.
Job UrduGeoR 28:18  Us kī nisbat mūṅgā aur billaur kī kyā qadar hai? Hikmat se bharī thailī motiyoṅ se kahīṅ zyādā qīmtī hai.
Job UrduGeoR 28:19  Ethopiyā kā zabarjad us kā muqābalā nahīṅ kar saktā, use ḳhālis sone ke lie ḳharīdā nahīṅ jā saktā.
Job UrduGeoR 28:20  Hikmat kahāṅ se ātī, samajh kahāṅ se mil saktī hai?
Job UrduGeoR 28:21  Wuh tamām jāndāroṅ se poshīdā rahtī balki parindoṅ se bhī chhupī rahtī hai.
Job UrduGeoR 28:22  Pātāl aur Maut us ke bāre meṅ kahte haiṅ, ‘Ham ne us ke bāre meṅ sirf afwāheṅ sunī haiṅ.’
Job UrduGeoR 28:23  Lekin Allāh us tak jāne wālī rāh ko jāntā hai, use mālūm hai ki kahāṅ mil saktī hai.
Job UrduGeoR 28:24  Kyoṅki usī ne zamīn kī hudūd tak dekhā, āsmān tale sab kuchh par nazar ḍālī
Job UrduGeoR 28:25  tāki hawā kā wazn muqarrar kare aur pānī kī paimāish karke us kī hudūd muta'ayyin kare.
Job UrduGeoR 28:26  Usī ne bārish ke lie farmān jārī kiyā aur bādal kī kaṛaktī bijlī ke lie rāstā taiyār kiyā.
Job UrduGeoR 28:27  Usī waqt us ne hikmat ko dekh kar us kī jāṅch-paṛtāl kī. Us ne use qāym bhī kiyā aur us kī tah tak tahqīq bhī kī.
Job UrduGeoR 28:28  Insān se us ne kahā, ‘Suno, Allāh kā ḳhauf mānanā hī hikmat aur burāī se dūr rahnā hī samajh hai.’”
Chapter 29
Job UrduGeoR 29:2  “Kāsh maiṅ dubārā māzī ke wuh din guzār sakūṅ jab Allāh merī dekh-bhāl kartā thā,
Job UrduGeoR 29:3  jab us kī shamā mere sar ke ūpar chamaktī rahī aur maiṅ us kī raushnī kī madad se andhere meṅ chaltā thā.
Job UrduGeoR 29:4  Us waqt merī jawānī urūj par thī aur merā ḳhaimā Allāh ke sāy meṅ rahtā thā.
Job UrduGeoR 29:5  Qādir-e-mutlaq mere sāth thā, aur maiṅ apne beṭoṅ se ghirā rahtā thā.
Job UrduGeoR 29:6  Kasrat ke bāis mere qadam dahī se dhoe rahte aur chaṭān se tel kī nadiyāṅ phūṭ kar nikaltī thīṅ.
Job UrduGeoR 29:7  Jab kabhī maiṅ shahr ke darwāze se nikal kar chauk meṅ apnī kursī par baiṭh jātā
Job UrduGeoR 29:8  to jawān ādmī mujhe dekh kar pīchhe haṭ kar chhup jāte, buzurg uṭh kar khaṛe rahte,
Job UrduGeoR 29:9  ra'īs bolne se bāz ā kar muṅh par hāth rakhte,
Job UrduGeoR 29:10  shurafā kī āwāz dab jātī aur un kī zabān tālū se chipak jātī thī.
Job UrduGeoR 29:11  Jis kān ne merī bāteṅ sunīṅ us ne mujhe mubārak kahā, jis āṅkh ne mujhe dekhā us ne mere haq meṅ gawāhī dī.
Job UrduGeoR 29:12  Kyoṅki jo musībat meṅ ā kar āwāz detā use maiṅ bachātā, besahārā yatīm ko chhuṭkārā detā thā.
Job UrduGeoR 29:13  Tabāh hone wāle mujhe barkat dete the. Mere bāis bewāoṅ ke diloṅ se ḳhushī ke nāre ubhar āte the.
Job UrduGeoR 29:14  Maiṅ rāstbāzī se mulabbas aur rāstbāzī mujh se mulabbas rahtī thī, insāf merā choġhā aur pagaṛī thā.
Job UrduGeoR 29:15  Andhoṅ ke lie maiṅ āṅkheṅ, langaṛoṅ ke lie pāṅw banā rahtā thā.
Job UrduGeoR 29:16  Maiṅ ġharīboṅ kā bāp thā, aur jab kabhī ajnabī ko muqaddamā laṛnā paṛā to maiṅ ġhaur se us ke muāmale kā muāynā kartā thā tāki us kā haq mārā na jāe.
Job UrduGeoR 29:17  Maiṅ ne bedīn kā jabṛā toṛ kar us ke dāṅtoṅ meṅ se shikār chhuṛāyā.
Job UrduGeoR 29:18  Us waqt merā ḳhayāl thā, ‘Maiṅ apne hī ghar meṅ wafāt pāūṅgā, sīmurġh kī tarah apnī zindagī ke dinoṅ meṅ izāfā karūṅga.
Job UrduGeoR 29:19  Merī jaṛeṅ pānī tak phailī aur merī shāḳheṅ os se tar raheṅgī.
Job UrduGeoR 29:20  Merī izzat har waqt tāzā rahegī, aur mere hāth kī kamān ko naī taqwiyat miltī rahegī.’
Job UrduGeoR 29:21  Log merī sun kar ḳhāmoshī se mere mashwaroṅ ke intazār meṅ rahte the.
Job UrduGeoR 29:22  Mere bāt karne par wuh jawāb meṅ kuchh na kahte balki mere alfāz halkī-sī būṅdā-bāṅdī kī tarah un par ṭapakte rahte.
Job UrduGeoR 29:23  Jis tarah insān shiddat se bārish ke intazār meṅ rahtā hai usī tarah wuh mere intazār meṅ rahte the. Wuh muṅh pasār kar bahār kī bārish kī tarah mere alfāz ko jazb kar lete the.
Job UrduGeoR 29:24  Jab maiṅ un se bāt karte waqt muskurātā to unheṅ yaqīn nahīṅ ātā thā, merī un par mehrbānī un ke nazdīk nihāyat qīmtī thī.
Job UrduGeoR 29:25  Maiṅ un kī rāh un ke lie chun kar un kī qiyādat kartā, un ke darmiyān yoṅ bastā thā jis tarah bādshāh apne dastoṅ ke darmiyān. Maiṅ us kī mānind thā jo mātam karne wāloṅ ko tasallī detā hai.
Chapter 30
Job UrduGeoR 30:1  Lekin ab wuh merā mazāq uṛāte haiṅ, hālāṅki un kī umr mujh se kam hai aur maiṅ un ke bāpoṅ ko apnī bheṛ-bakriyoṅ kī dekh-bhāl karne wāle kuttoṅ ke sāth kām par lagāne ke bhī lāyq nahīṅ samajhtā thā.
Job UrduGeoR 30:2  Mere lie un ke hāthoṅ kī madad kā kyā fāydā thā? Un kī pūrī tāqat to jātī rahī thī.
Job UrduGeoR 30:3  Ḳhurāk kī kamī aur shadīd bhūk ke māre wuh ḳhushk zamīn kī thoṛī-bahut paidāwār katar katar kar khāte haiṅ. Har waqt wuh tabāhī aur wīrānī ke dāman meṅ rahte haiṅ.
Job UrduGeoR 30:4  Wuh jhāṛiyoṅ se ḳhatmī kā phal toṛ kar khāte, jhāṛiyoṅ kī jaṛeṅ āg tāpne ke lie ikaṭṭhī karte haiṅ.
Job UrduGeoR 30:5  Unheṅ ābādiyoṅ se ḳhārij kiyā gayā hai, aur log ‘Chor chor’ chillā kar unheṅ bhagā dete haiṅ.
Job UrduGeoR 30:6  Unheṅ ghāṭiyoṅ kī ḍhalānoṅ par basnā paṛtā, wuh zamīn ke ġhāroṅ meṅ aur pattharoṅ ke darmiyān hī rahte haiṅ.
Job UrduGeoR 30:7  Jhāṛiyoṅ ke darmiyān wuh āwāzeṅ dete aur mil kar ūṅṭkaṭāroṅ tale dabak jāte haiṅ.
Job UrduGeoR 30:8  In kamīne aur benām logoṅ ko mār mār kar mulk se bhagā diyā gayā hai.
Job UrduGeoR 30:9  Aur ab maiṅ inhīṅ kā nishānā ban gayā hūṅ. Apne gītoṅ meṅ wuh merā mazāq uṛāte haiṅ, merī burī hālat un ke lie mazhakāḳhez misāl ban gaī hai.
Job UrduGeoR 30:10  Wuh ghin khā kar mujh se dūr rahte aur mere muṅh par thūkne se nahīṅ rukte.
Job UrduGeoR 30:11  Chūṅki Allāh ne merī kamān kī tāṅt khol kar merī ruswāī kī hai, is lie wuh merī maujūdagī meṅ belagām ho gae haiṅ.
Job UrduGeoR 30:12  Mere dahne hāth hujūm khaṛe ho kar mujhe ṭhokar khilāte aur merī fasīl ke sāth miṭṭī ke ḍher lagāte haiṅ tāki us meṅ raḳhnā ḍāl kar mujhe tabāh kareṅ.
Job UrduGeoR 30:13  Wuh merī qilābandiyāṅ ḍhā kar mujhe ḳhāk meṅ milāne meṅ kāmyāb ho jāte haiṅ. Kisī aur kī madad darkār hī nahīṅ.
Job UrduGeoR 30:14  Wuh raḳhne meṅ dāḳhil hote aur jauq-dar-jauq tabāhshudā fasīl meṅ se guzar kar āge baṛhte haiṅ.
Job UrduGeoR 30:15  Haulnāk wāqiyāt mere ḳhilāf khaṛe ho gae haiṅ, aur wuh tez hawā kī tarah mere waqār ko uṛā le jā rahe haiṅ. Merī salāmatī bādal kī tarah ojhal ho gaī hai.
Job UrduGeoR 30:16  Aur ab merī jān nikal rahī hai, maiṅ musībat ke dinoṅ ke qābū meṅ ā gayā hūṅ.
Job UrduGeoR 30:17  Rāt ko merī haḍḍiyoṅ ko chhedā jātā hai, katarne wālā dard mujhe kabhī nahīṅ chhoṛtā.
Job UrduGeoR 30:18  Allāh baṛe zor se merā kapṛā pakaṛ kar garebān kī tarah mujhe apnī saḳht girift meṅ rakhtā hai.
Job UrduGeoR 30:19  Us ne mujhe kīchaṛ meṅ phaiṅk diyā hai, aur deḳhne meṅ maiṅ ḳhāk aur miṭṭī hī ban gayā hūṅ.
Job UrduGeoR 30:20  Maiṅ tujhe pukārtā, lekin tū jawāb nahīṅ detā. Maiṅ khaṛā ho jātā, lekin tū mujhe ghūrtā hī rahtā hai.
Job UrduGeoR 30:21  Tū mere sāth apnā sulūk badal kar mujh par zulm karne lagā, apne hāth ke pūre zor se mujhe satāne lagā hai.
Job UrduGeoR 30:22  Tū mujhe uṛā kar hawā par sawār hone detā, garajte tūfān meṅ ghulne detā hai.
Job UrduGeoR 30:23  Hāṅ, ab maiṅ jāntā hūṅ ki tū mujhe maut ke hawāle karegā, us ghar meṅ pahuṅchāegā jahāṅ ek din tamām jāndār jamā ho jāte haiṅ.
Job UrduGeoR 30:24  Yaqīnan maiṅ ne kabhī bhī apnā hāth kisī zarūratmand ke ḳhilāf nahīṅ uṭhāyā jab us ne apnī musībat meṅ āwāz dī.
Job UrduGeoR 30:25  Balki jab kisī kā burā hāl thā to maiṅ hamdardī se rone lagā, ġharīboṅ kī hālat dekh kar merā dil ġham khāne lagā.
Job UrduGeoR 30:26  Tāham mujh par musībat āī, agarche maiṅ bhalāī kī ummīd rakh saktā thā. Mujh par ghanā andherā chhā gayā, hālāṅki maiṅ raushnī kī tawaqqo kar saktā thā.
Job UrduGeoR 30:27  Mere andar sab kuchh muztarib hai aur kabhī ārām nahīṅ kar saktā, merā wāstā taklīfdeh dinoṅ se paṛtā hai.
Job UrduGeoR 30:28  Maiṅ mātamī libās meṅ phirtā hūṅ aur koī mujhe tasallī nahīṅ detā, hālāṅki maiṅ jamāt meṅ khaṛe ho kar madad ke lie āwāz detā hūṅ.
Job UrduGeoR 30:29  Maiṅ gīdaṛoṅ kā bhāī aur uqābī ulluoṅ kā sāthī ban gayā hūṅ.
Job UrduGeoR 30:30  Merī jild kālī ho gaī, merī haḍḍiyāṅ taptī garmī ke sabab se jhulas gaī haiṅ.
Job UrduGeoR 30:31  Ab merā sarod sirf mātam karne aur merī bāṅsrī sirf rone wāloṅ ke lie istemāl hotī hai.
Chapter 31
Job UrduGeoR 31:1  Maiṅ ne apnī āṅkhoṅ se ahd bāndhā hai. To phir maiṅ kis tarah kisī kuṅwārī par nazar ḍāl saktā hūṅ?
Job UrduGeoR 31:2  Kyoṅki insān ko āsmān par rahne wāle Ḳhudā kī taraf se kyā nasīb hai, use bulandiyoṅ par basne wāle Qādir-e-mutlaq se kyā wirāsat pānā hai?
Job UrduGeoR 31:3  Kyā aisā nahīṅ hai ki nārāst shaḳhs ke lie āfat aur badkār ke lie tabāhī muqarrar hai?
Job UrduGeoR 31:4  Merī rāheṅ to Allāh ko nazar ātī haiṅ, wuh merā har qadam gin letā hai.
Job UrduGeoR 31:5  Na maiṅ kabhī dhoke se chalā, na mere pāṅwoṅ ne kabhī fareb dene ke lie phurtī kī. Agar is meṅ zarā bhī shak ho
Job UrduGeoR 31:6  to Allāh mujhe insāf ke tarāzū meṅ tol le, Allāh merī be'ilzām hālat mālūm kare.
Job UrduGeoR 31:7  Agar mere qadam sahīh rāh se haṭ gae. Merī āṅkheṅ mere dil ko ġhalat rāh par le gaīṅ yā mere hāth dāġhdār hue
Job UrduGeoR 31:8  to phir jo bīj maiṅ ne boyā us kī paidāwār koī aur khāe, jo fasleṅ maiṅ ne lagāīṅ unheṅ ukhāṛā jāe.
Job UrduGeoR 31:9  Agar merā dil kisī aurat se nājāyz tālluqāt rakhne par uksāyā gayā aur maiṅ is maqsad se apne paṛosī ke darwāze par tāk lagāe baiṭhā
Job UrduGeoR 31:10  to phir Allāh kare ki merī bīwī kisī aur ādmī kī gandum pīse, ki koī aur us par jhuk jāe.
Job UrduGeoR 31:11  Kyoṅki aisī harkat sharmnāk hotī, aisā jurm sazā ke lāyq hotā hai.
Job UrduGeoR 31:12  Aise gunāh kī āg Pātāl tak sab kuchh bhasm kar detī hai. Agar wuh mujh se sarzad hotā to merī tamām fasal jaṛoṅ tak rākh kar detā.
Job UrduGeoR 31:13  Agar merā naukar-naukarāniyoṅ ke sāth jhagaṛā thā aur maiṅ ne un kā haq mārā
Job UrduGeoR 31:14  to maiṅ kyā karūṅ jab Allāh adālat meṅ khaṛā ho jāe? Jab wuh merī pūchh-gachh kare to maiṅ use kyā jawāb dūṅ?
Job UrduGeoR 31:15  Kyoṅki jis ne mujhe merī māṅ ke peṭ meṅ banāyā us ne unheṅ bhī banāyā. Ek hī ne unheṅ bhī aur mujhe bhī rahm meṅ tashkīl diyā.
Job UrduGeoR 31:16  Kyā maiṅ ne pasthāloṅ kī zarūriyāt pūrī karne se inkār kiyā yā bewā kī āṅkhoṅ ko bujhne diyā? Hargiz nahīṅ!
Job UrduGeoR 31:17  Kyā maiṅ ne apnī roṭī akele hī khāī aur yatīm ko us meṅ sharīk na kiyā?
Job UrduGeoR 31:18  Hargiz nahīṅ, balki apnī jawānī se le kar maiṅ ne us kā bāp ban kar us kī parwarish kī, apnī paidāish se hī bewā kī rāhnumāī kī.
Job UrduGeoR 31:19  Jab kabhī maiṅ ne dekhā ki koī kapṛoṅ kī kamī ke bāis halāk ho rahā hai, ki kisī ġharīb ke pās kambal tak nahīṅ
Job UrduGeoR 31:20  to maiṅ ne use apnī bheṛoṅ kī kuchh ūn dī tāki wuh garm ho sake. Aise log mujhe duā dete the.
Job UrduGeoR 31:21  Maiṅ ne kabhī bhī yatīmoṅ ke ḳhilāf hāth nahīṅ uṭhāyā, us waqt bhī nahīṅ jab shahr ke darwāze meṅ baiṭhe buzurg mere haq meṅ the.
Job UrduGeoR 31:22  Agar aisā na thā to Allāh kare ki merā shānā kandhe se nikal kar gir jāe, ki merā bāzū joṛ se phāṛā jāe!
Job UrduGeoR 31:23  Aisī harkateṅ mere lie nāmumkin thīṅ, kyoṅki agar maiṅ aisā kartā to maiṅ Allāh se dahshat khātā rahtā, maiṅ us se ḍar ke māre qāym na rah saktā.
Job UrduGeoR 31:24  Kyā maiṅ ne sone par apnā pūrā bharosā rakhā yā ḳhālis sone se kahā, ‘Tujh par hī merā etamād hai’? Hargiz nahīṅ!
Job UrduGeoR 31:25  Kyā maiṅ is lie ḳhush thā ki merī daulat zyādā hai aur mere hāth ne bahut kuchh hāsil kiyā hai? Hargiz nahīṅ!
Job UrduGeoR 31:26  Kyā sūraj kī chamak-damak aur chāṅd kī purwaqār rawish dekh kar
Job UrduGeoR 31:27  mere dil ko kabhī chupke se ġhalat rāh par lāyā gayā? Kyā maiṅ ne kabhī un kā ehtirām kiyā?
Job UrduGeoR 31:28  Hargiz nahīṅ, kyoṅki yih bhī sazā ke lāyq jurm hai. Agar maiṅ aisā kartā to bulandiyoṅ par rahne wāle Ḳhudā kā inkār kartā.
Job UrduGeoR 31:29  Kyā maiṅ kabhī ḳhush huā jab mujh se nafrat karne wālā tabāh huā? Kyā maiṅ bāġh bāġh huā jab us par musībat āī? Hargiz nahīṅ!
Job UrduGeoR 31:30  Maiṅ ne apne muṅh ko ijāzat na dī ki gunāh karke us kī jān par lānat bheje.
Job UrduGeoR 31:31  Balki mere ḳhaime ke ādmiyoṅ ko taslīm karnā paṛā, ‘Koī nahīṅ hai jo Ayyūb ke gosht se ser na huā.’
Job UrduGeoR 31:32  Ajnabī ko bāhar galī meṅ rāt guzārnī nahīṅ paṛtī thī balki merā darwāzā musāfiroṅ ke lie khulā rahtā thā.
Job UrduGeoR 31:33  Kyā maiṅ ne kabhī Ādam kī tarah apnā gunāh chhupā kar apnā qusūr dil meṅ poshīdā rakhā,
Job UrduGeoR 31:34  is lie ki hujūm se ḍartā aur apne rishtedāroṅ se dahshat khātā thā? Hargiz nahīṅ! Maiṅ ne kabhī bhī aisā kām na kiyā jis ke bāis mujhe ḍar ke māre chup rahnā paṛtā aur ghar se nikal nahīṅ saktā thā.
Job UrduGeoR 31:35  Kāsh koī merī sune! Dekho, yahāṅ merī bāt par mere dastḳhat haiṅ, ab Qādir-e-mutlaq mujhe jawāb de. Kāsh mere muḳhālif likh kar mujhe wuh ilzāmāt batāeṅ jo unhoṅ ne mujh par lagāe haiṅ!
Job UrduGeoR 31:36  Agar ilzāmāt kā kāġhaz miltā to maiṅ use uṭhā kar apne kandhe par rakhtā, use pagaṛī kī tarah apne sar par bāndh letā.
Job UrduGeoR 31:37  Maiṅ Allāh ko apne qadmoṅ kā pūrā hisāb-kitāb de kar ra'īs kī tarah us ke qarīb pahuṅchtā.
Job UrduGeoR 31:38  Kyā merī zamīn ne madad ke lie pukār kar mujh par ilzām lagāyā hai? Kyā us kī reghāriyāṅ mere sabab se mil kar ro paṛī haiṅ?
Job UrduGeoR 31:39  Kyā maiṅ ne us kī paidāwār ajr die baġhair khāī, us par mehnat-mashaqqat karne wāloṅ ke lie āheṅ bharne kā bāis ban gayā? Hargiz nahīṅ!
Job UrduGeoR 31:40  Agar maiṅ is meṅ qusūrwār ṭhahrūṅ to gandum ke bajāe ḳhārdār jhāṛiyāṅ aur jau ke bajāe dhatūrā uge.” Yoṅ Ayyūb kī bāteṅ iḳhtitām ko pahuṅch gaīṅ.
Chapter 32
Job UrduGeoR 32:1  Tab mazkūrā tīnoṅ ādmī Ayyūb ko jawāb dene se bāz āe, kyoṅki wuh ab tak samajhtā thā ki maiṅ rāstbāz hūṅ.
Job UrduGeoR 32:2  Yih dekh kar Ilīhū bin Barakel ġhusse ho gayā. Būz Shahr ke rahne wāle is ādmī kā ḳhāndān Rām thā. Ek taraf to wuh Ayyūb se ḳhafā thā, kyoṅki yih apne āp ko Allāh ke sāmne rāstbāz ṭhahrātā thā.
Job UrduGeoR 32:3  Dūsrī taraf wuh tīnoṅ dostoṅ se bhī nārāz thā, kyoṅki na wuh Ayyūb ko sahīh jawāb de sake, na sābit kar sake ki mujrim hai.
Job UrduGeoR 32:4  Ilīhū ne ab tak Ayyūb se bāt nahīṅ kī thī. Jab tak dūsroṅ ne bāt pūrī nahīṅ kī thī wuh ḳhāmosh rahā, kyoṅki wuh buzurg the.
Job UrduGeoR 32:5  Lekin ab jab us ne dekhā ki tīnoṅ ādmī mazīd koī jawāb nahīṅ de sakte to wuh bhaṛak uṭhā
Job UrduGeoR 32:6  aur jawāb meṅ kahā, “Maiṅ kamumr hūṅ jabki āp sab umrrasīdā haiṅ, is lie maiṅ kuchh sharmīlā thā, maiṅ āp ko apnī rāy batāne se ḍartā thā.
Job UrduGeoR 32:7  Maiṅ ne sochā, chalo wuh boleṅ jin ke zyādā din guzare haiṅ, wuh tālīm deṅ jinheṅ muta'addid sāloṅ kā tajrabā hāsil hai.
Job UrduGeoR 32:8  Lekin jo rūh insān meṅ hai yānī jo dam Qādir-e-mutlaq ne us meṅ phūṅk diyā wuhī insān ko samajh atā kartā hai.
Job UrduGeoR 32:9  Na sirf būṛhe log dānishmand haiṅ, na sirf wuh insāf samajhte haiṅ jin ke bāl safed haiṅ.
Job UrduGeoR 32:10  Chunāṅche maiṅ guzārish kartā hūṅ ki zarā merī bāt suneṅ, mujhe bhī apnī rāy pesh karne dījie.
Job UrduGeoR 32:11  Maiṅ āp ke alfāz ke intazār meṅ rahā. Jab āp mauzūṅ jawāb talāsh kar rahe the to maiṅ āp kī dānishmand bātoṅ par ġhaur kartā rahā.
Job UrduGeoR 32:12  Maiṅ ne āp par pūrī tawajjuh dī, lekin āp meṅ se koī Ayyūb ko ġhalat sābit na kar sakā, koī us ke dalāyl kā munāsib jawāb na de pāyā.
Job UrduGeoR 32:13  Ab aisā na ho ki āp kaheṅ, ‘Ham ne Ayyūb meṅ hikmat pāī hai, insān use shikast de kar bhagā nahīṅ saktā balki sirf Allāh hī.’
Job UrduGeoR 32:14  Kyoṅki Ayyūb ne apne dalāyl kī tartīb se merā muqābalā nahīṅ kiyā, aur jab maiṅ jawāb dūṅgā to āp kī bāteṅ nahīṅ dohrāūṅgā.
Job UrduGeoR 32:15  Āp ghabrā kar jawāb dene se bāz āe haiṅ, ab āp kuchh nahīṅ kah sakte.
Job UrduGeoR 32:16  Kyā maiṅ mazīd intazār karūṅ, go āp ḳhāmosh ho gae haiṅ, āp ruk kar mazīd jawāb nahīṅ de sakte?
Job UrduGeoR 32:17  Maiṅ bhī jawāb dene meṅ hissā lenā chāhtā hūṅ, maiṅ bhī apnī rāy pesh karūṅga.
Job UrduGeoR 32:18  Kyoṅki mere andar se alfāz chhalak rahe haiṅ, merī rūh mere andar mujhe majbūr kar rahī hai.
Job UrduGeoR 32:19  Haqīqat meṅ maiṅ andar se us naī mai kī mānind hūṅ jo band rakhī gaī ho, maiṅ naī mai se bharī huī naī mashkoṅ kī tarah phaṭne ko hūṅ.
Job UrduGeoR 32:20  Mujhe bolnā hai tāki ārām pāūṅ, lāzim hī hai ki maiṅ apne hoṅṭoṅ ko khol kar jawāb dūṅ.
Job UrduGeoR 32:21  Yaqīnan na maiṅ kisī kī jānibdārī, na kisī kī chāplūsī karūṅga.
Job UrduGeoR 32:22  Kyoṅki maiṅ ḳhushāmad kar hī nahīṅ saktā, warnā merā Ḳhāliq mujhe jald hī uṛā le jāegā.
Chapter 33
Job UrduGeoR 33:1  Ai Ayyūb, merī taqrīr suneṅ, merī tamām bātoṅ par kān dhareṅ!
Job UrduGeoR 33:2  Ab maiṅ apnā muṅh khol detā hūṅ, merī zabān boltī hai.
Job UrduGeoR 33:3  Mere alfāz sīdhī rāh par chalne wāle dil se ubhar āte haiṅ, mere hoṅṭ diyānatdārī se wuh kuchh bayān karte haiṅ jo maiṅ jāntā hūṅ.
Job UrduGeoR 33:4  Allāh ke Rūh ne mujhe banāyā, Qādir-e-mutlaq ke dam ne mujhe zindagī baḳhshī.
Job UrduGeoR 33:5  Agar āp is qābil hoṅ to mujhe jawāb deṅ aur apnī bāteṅ tartīb se pesh karke merā muqābalā kareṅ.
Job UrduGeoR 33:6  Allāh kī nazar meṅ maiṅ to āp ke barābar hūṅ, mujhe bhī miṭṭī se le kar tashkīl diyā gayā hai.
Job UrduGeoR 33:7  Chunāṅche mujhe āp ke lie dahshat kā bāis nahīṅ honā chāhie, merī taraf se āp par bhārī bojh nahīṅ āegā.
Job UrduGeoR 33:8  Āp ne mere sunte hī kahā balki āp ke alfāz abhī tak mere kānoṅ meṅ gūṅj rahe haiṅ,
Job UrduGeoR 33:9  ‘Maiṅ pāk hūṅ, mujh se jurm sarzad nahīṅ huā, maiṅ begunāh hūṅ, merā koī qusūr nahīṅ.
Job UrduGeoR 33:10  To bhī Allāh mujh se jhagaṛne ke mawāqe ḍhūṅḍtā aur mujhe apnā dushman samajhtā hai.
Job UrduGeoR 33:11  Wuh mere pāṅwoṅ ko kāṭh meṅ ḍāl kar merī tamām rāhoṅ kī pahrādārī kartā hai.’
Job UrduGeoR 33:12  Lekin āp kī yih bāt durust nahīṅ, kyoṅki Allāh insān se ālā hai.
Job UrduGeoR 33:13  Āp us se jhagaṛ kar kyoṅ kahte haiṅ, ‘Wuh merī kisī bhī bāt kā jawāb nahīṅ detā’?
Job UrduGeoR 33:14  Shāyad insān ko Allāh nazar na āe, lekin wuh zarūr kabhī is tarīqe, kabhī us tarīqe se us se hamkalām hotā hai.
Job UrduGeoR 33:15  Kabhī wuh ḳhāb yā rāt kī royā meṅ us se bāt kartā hai. Jab log bistar par leṭ kar gahrī nīnd so jāte haiṅ
Job UrduGeoR 33:16  to Allāh un ke kān khol kar apnī nasīhatoṅ se unheṅ dahshatzadā kar detā hai.
Job UrduGeoR 33:17  Yoṅ wuh insān ko ġhalat kām karne aur maġhrūr hone se bāz rakh kar
Job UrduGeoR 33:18  us kī jān gaṛhe meṅ utarne aur Dariyā-e-maut ko ubūr karne se rok detā hai.
Job UrduGeoR 33:19  Kabhī Allāh insān kī bistar par dard ke zariye tarbiyat kartā hai. Tab us kī haḍḍiyoṅ meṅ lagātār jang hotī hai.
Job UrduGeoR 33:20  Us kī jān ko ḳhurāk se ghin ātī balki use lazīztarīn khāne se bhī nafrat hotī hai.
Job UrduGeoR 33:21  Us kā gosht-post sukaṛ kar ġhāyb ho jātā hai jabki jo haḍḍiyāṅ pahle chhupī huī thīṅ wuh numāyāṅ taur par nazar ātī haiṅ.
Job UrduGeoR 33:22  Us kī jān gaṛhe ke qarīb, us kī zindagī halāk karne wāloṅ ke nazdīk pahuṅchtī hai.
Job UrduGeoR 33:23  Lekin agar koī farishtā, hazāroṅ meṅ se koī sālis us ke pās ho jo insān ko sīdhī rāh dikhāe
Job UrduGeoR 33:24  aur us par tars khā kar kahe, ‘Use gaṛhe meṅ utarne se chhuṛā, mujhe fidyā mil gayā hai,
Job UrduGeoR 33:25  ab us kā jism jawānī kī nisbat zyādā tar-o-tāzā ho jāe aur wuh dubārā jawānī kī-sī tāqat pāe’
Job UrduGeoR 33:26  to phir wuh shaḳhs Allāh se iltijā karegā, aur Allāh us par mehrbān hogā. Tab wuh baṛī ḳhushī se Allāh kā chehrā taktā rahegā. Isī tarah Allāh insān kī rāstbāzī bahāl kartā hai.
Job UrduGeoR 33:27  Aisā shaḳhs logoṅ ke sāmne gāegā aur kahegā, ‘Maiṅ ne gunāh karke sīdhī rāh ṭeṛhī-meṛhī kar dī, aur mujhe koī fāydā na huā.
Job UrduGeoR 33:28  Lekin us ne fidyā de kar merī jān ko maut ke gaṛhe meṅ utarne se chhuṛāyā. Ab merī zindagī nūr se lutfandoz hogī.’
Job UrduGeoR 33:29  Allāh insān ke sāth yih sab kuchh do chār martabā kartā hai
Job UrduGeoR 33:30  tāki us kī jān gaṛhe se wāpas āe aur wuh zindagī ke nūr se raushan ho jāe.
Job UrduGeoR 33:31  Ai Ayyūb, dhyān se merī bāt suneṅ, ḳhāmosh ho jāeṅ tāki maiṅ bāt karūṅ.
Job UrduGeoR 33:32  Agar āp jawāb meṅ kuchh batānā chāheṅ to batāeṅ. Boleṅ, kyoṅki maiṅ āp ko rāstbāz ṭhahrāne kī ārzū rakhtā hūṅ.
Job UrduGeoR 33:33  Lekin agar āp kuchh bayān nahīṅ kar sakte to merī suneṅ, chup raheṅ tāki maiṅ āp ko hikmat kī tālīm dūṅ.”
Chapter 34
Job UrduGeoR 34:2  “Ai dānishmando, mere alfāz suneṅ! Ai ālimo, mujh par kān dhareṅ!
Job UrduGeoR 34:3  Kyoṅki kān yoṅ alfāz kī jāṅch-paṛtāl kartā hai jis tarah zabān ḳhurāk ko chakh letī hai.
Job UrduGeoR 34:4  Āeṅ, ham apne lie wuh kuchh chun leṅ jo durust hai, āpas meṅ jān leṅ ki kyā kuchh achchhā hai.
Job UrduGeoR 34:5  Ayyūb ne kahā hai, ‘Go maiṅ begunāh hūṅ to bhī Allāh ne mujhe mere huqūq se mahrūm kar rakhā hai.
Job UrduGeoR 34:6  Jo faislā mere bāre meṅ kiyā gayā hai use maiṅ jhūṭ qarār detā hūṅ. Go maiṅ bequsūr hūṅ to bhī tīr ne mujhe yoṅ zaḳhmī kar diyā ki us kā ilāj mumkin hī nahīṅ.’
Job UrduGeoR 34:7  Ab mujhe batāeṅ, kyā koī Ayyūb jaisā burā hai? Wuh to kufr kī bāteṅ pānī kī tarah pīte,
Job UrduGeoR 34:8  badkāroṅ kī sohbat meṅ chalte aur bedīnoṅ ke sāth apnā waqt guzārte haiṅ.
Job UrduGeoR 34:9  Kyoṅki wuh dāwā karte haiṅ ki Allāh se lutfandoz honā insān ke lie befāydā hai.
Job UrduGeoR 34:10  Chunāṅche ai samajhdār mardo, merī bāt suneṅ! Yih kaise ho saktā hai ki Allāh sharīr kām kare? Yih to mumkin hī nahīṅ ki Qādir-e-mutlaq nāinsāfī kare.
Job UrduGeoR 34:11  Yaqīnan wuh insān ko us ke āmāl kā munāsib ajr de kar us par wuh kuchh lātā hai jis kā taqāzā us kā chāl-chalan kartā hai.
Job UrduGeoR 34:12  Yaqīnan Allāh bedīn harkateṅ nahīṅ kartā, Qādir-e-mutlaq insāf kā ḳhūn nahīṅ kartā.
Job UrduGeoR 34:13  Kis ne zamīn ko Allāh ke hawāle kiyā? Kis ne use pūrī duniyā par iḳhtiyār diyā? Koī nahīṅ!
Job UrduGeoR 34:14  Agar wuh kabhī irādā kare ki apnī rūh aur apnā dam insān se wāpas le
Job UrduGeoR 34:15  to tamām log dam chhoṛ kar dubārā ḳhāk ho jāeṅge.
Job UrduGeoR 34:16  Ai Ayyūb, agar āp ko samajh hai to suneṅ, merī bātoṅ par dhyān deṅ.
Job UrduGeoR 34:17  Jo insāf se nafrat kare kyā wuh hukūmat kar saktā hai? Kyā āp use mujrim ṭhahrānā chāhte haiṅ jo rāstbāz aur Qādir-e-mutlaq hai,
Job UrduGeoR 34:18  jo bādshāh se kah saktā hai, ‘Ai badmāsh!’ Aur shurafā se, ‘Ai bedīno!’?
Job UrduGeoR 34:19  Wuh to na ra'īsoṅ kī jānibdārī kartā, na ohdedāroṅ ko pasthāloṅ par tarjīh detā hai, kyoṅki sab hī ko us ke hāthoṅ ne banāyā hai.
Job UrduGeoR 34:20  Wuh pal-bhar meṅ, ādhī rāt hī mar jāte haiṅ. Shurafā ko hilāyā jātā hai to wuh kūch kar jāte haiṅ, tāqatwaroṅ ko baġhair kisī tag-o-dau ke haṭāyā jātā hai.
Job UrduGeoR 34:21  Kyoṅki Allāh kī āṅkheṅ insān kī rāhoṅ par lagī rahtī haiṅ, ādamzād kā har qadam use nazar ātā hai.
Job UrduGeoR 34:22  Kahīṅ itnī tārīkī yā ghanā andherā nahīṅ hotā ki badkār us meṅ chhup sake.
Job UrduGeoR 34:23  Aur Allāh kisī bhī insān ko us waqt se āgāh nahīṅ kartā jab use ilāhī taḳht-e-adālat ke sāmne ānā hai.
Job UrduGeoR 34:24  Use tahqīqāt kī zarūrat hī nahīṅ balki wuh zorāwaroṅ ko pāsh pāsh karke dūsroṅ ko un kī jagah khaṛā kar detā hai.
Job UrduGeoR 34:25  Wuh to un kī harkatoṅ se wāqif hai aur unheṅ rāt ke waqt yoṅ tah-o-bālā kar saktā hai ki chūr chūr ho jāeṅ.
Job UrduGeoR 34:26  Un kī bedīnī ke jawāb meṅ wuh unheṅ sab kī nazaroṅ ke sāmne paṭaḳh detā hai.
Job UrduGeoR 34:27  Us kī pairawī se haṭne aur us kī rāhoṅ kā lihāz na karne kā yihī natījā hai.
Job UrduGeoR 34:28  Kyoṅki un kī harkatoṅ ke bāis pasthāloṅ kī chīḳheṅ Allāh ke sāmne aur musībatzadoṅ kī iltijāeṅ us ke kān tak pahuṅchīṅ.
Job UrduGeoR 34:29  Lekin agar wuh ḳhāmosh bhī rahe to kaun use mujrim qarār de saktā hai? Agar wuh apne chehre ko chhupāe rakhe to kaun use dekh saktā hai? Wuh to qaum par balki har fard par hukūmat kartā hai
Job UrduGeoR 34:30  tāki sharīr hukūmat na kareṅ aur qaum phaṅs na jāe.
Job UrduGeoR 34:31  Behtar hai ki āp Allāh se kaheṅ, ‘Mujhe ġhalat rāh par lāyā gayā hai, āindā maiṅ dubārā burā kām nahīṅ karūṅga.
Job UrduGeoR 34:32  Jo kuchh mujhe nazar nahīṅ ātā wuh mujhe sikhā, agar mujh se nāinsāfī huī hai to āindā aisā nahīṅ karūṅga.’
Job UrduGeoR 34:33  Kyā Allāh ko āp ko wuh ajr denā chāhie jo āp kī nazar meṅ munāsib hai, go āp ne use radd kar diyā hai? Lāzim hai ki āp ḳhud hī faislā kareṅ, na ki maiṅ. Lekin zarā wuh kuchh pesh kareṅ jo kuchh āp sahīh samajhte haiṅ.
Job UrduGeoR 34:34  Samajhdār log balki har dānishmand jo merī bāt sune farmāegā,
Job UrduGeoR 34:35  ‘Ayyūb ilm ke sāth bāt nahīṅ kar rahā, us ke alfāz fahm se ḳhālī haiṅ.
Job UrduGeoR 34:36  Kāsh Ayyūb kī pūrī jāṅch-paṛtāl kī jāe, kyoṅki wuh sharīroṅ ke-se jawāb pesh kartā,
Job UrduGeoR 34:37  wuh apne gunāh meṅ izāfā karke hamāre rūbarū apne jurm par shak ḍāltā aur Allāh par muta'addid ilzāmāt lagātā hai.’”
Chapter 35
Job UrduGeoR 35:2  “Āp kahte haiṅ, ‘Maiṅ Allāh se zyādā rāstbāz hūṅ.’ Kyā āp yih bāt durust samajhte haiṅ
Job UrduGeoR 35:3  yā yih ki ‘Mujhe kyā fāydā hai, gunāh na karne se mujhe kyā nafā hotā hai?’
Job UrduGeoR 35:4  Maiṅ āp ko aur sāthī dostoṅ ko is kā jawāb batātā hūṅ.
Job UrduGeoR 35:5  Apnī nigāh āsmān kī taraf uṭhāeṅ, bulandiyoṅ ke bādaloṅ par ġhaur kareṅ.
Job UrduGeoR 35:6  Agar āp ne gunāh kiyā to Allāh ko kyā nuqsān pahuṅchā hai? Go āp se muta'addid jarāym bhī sarzad hue hoṅ tāham wuh muta'assir nahīṅ hogā.
Job UrduGeoR 35:7  Rāstbāz zindagī guzārne se āp use kyā de sakte haiṅ? Āp ke hāthoṅ se Allāh ko kyā hāsil ho saktā hai? Kuchh bhī nahīṅ!
Job UrduGeoR 35:8  Āp ke hamjins insān hī āp kī bedīnī se muta'assir hote haiṅ, aur ādamzād hī āp kī rāstbāzī se fāydā uṭhāte haiṅ.
Job UrduGeoR 35:9  Jab logoṅ par saḳht zulm hotā hai to wuh chīḳhte-chillāte aur baṛoṅ kī ziyādatī ke bāis madad ke lie āwāz dete haiṅ.
Job UrduGeoR 35:10  Lekin koī nahīṅ kahtā, ‘Allāh, merā Ḳhāliq kahāṅ hai? Wuh kahāṅ hai jo rāt ke daurān naġhme atā kartā,
Job UrduGeoR 35:11  jo hameṅ zamīn par chalne wāle jānwaroṅ kī nisbat zyādā tālīm detā, hameṅ parindoṅ se zyādā dānishmand banātā hai?’
Job UrduGeoR 35:12  Un kī chīḳhoṅ ke bāwujūd Allāh jawāb nahīṅ detā, kyoṅki wuh ghamanḍī aur bure haiṅ.
Job UrduGeoR 35:13  Yaqīnan Allāh aisī bātil fariyād nahīṅ suntā, Qādir-e-mutlaq us par dhyān hī nahīṅ detā.
Job UrduGeoR 35:14  To phir wuh āp par kyoṅ tawajjuh de jab āp dāwā karte haiṅ, ‘Maiṅ use nahīṅ dekh saktā,’ aur ‘Merā muāmalā us ke sāmne hī hai, maiṅ ab tak us kā intazār kar rahā hūṅ’?
Job UrduGeoR 35:15  Wuh āp kī kyoṅ sune jab āp kahte haiṅ, ‘Allāh kā ġhazab kabhī sazā nahīṅ detā, use burāī kī parwā hī nahīṅ’?
Job UrduGeoR 35:16  Jab Ayyūb muṅh kholtā hai to bemānī bāteṅ nikaltī haiṅ. Jo muta'addid alfāz wuh pesh kartā hai wuh ilm se ḳhālī haiṅ.”
Chapter 36
Job UrduGeoR 36:2  “Thoṛī der ke lie sabar karke mujhe is kī tashrīh karne deṅ, kyoṅki mazīd bahut kuchh hai jo Allāh ke haq meṅ kahnā hai.
Job UrduGeoR 36:3  Maiṅ dūr dūr tak phirūṅga tāki wuh ilm hāsil karūṅ jis se mere Ḳhāliq kī rāstī sābit ho jāe.
Job UrduGeoR 36:4  Yaqīnan jo kuchh maiṅ kahūṅgā wuh farebdeh nahīṅ hogā. Ek aisā ādmī āp ke sāmne khaṛā hai jis ne ḳhulūsdilī se apnā ilm hāsil kiyā hai.
Job UrduGeoR 36:5  Go Allāh azīm qudrat kā mālik hai tāham wuh ḳhulūsdiloṅ ko radd nahīṅ kartā.
Job UrduGeoR 36:6  Wuh bedīn ko zyādā der tak jīne nahīṅ detā, lekin musībatzadoṅ kā insāf kartā hai.
Job UrduGeoR 36:7  Wuh apnī āṅkhoṅ ko rāstbāzoṅ se nahīṅ phertā balki unheṅ bādshāhoṅ ke sāth taḳhtnashīn karke bulandiyoṅ par sarfarāz kartā hai.
Job UrduGeoR 36:8  Phir agar unheṅ zanjīroṅ meṅ jakaṛā jāe, unheṅ musībat ke rassoṅ meṅ giriftār kiyā jāe
Job UrduGeoR 36:9  to wuh un par zāhir kartā hai ki un se kyā kuchh sarzad huā hai, wuh unheṅ un ke jarāym pesh karke unheṅ dikhātā hai ki un kā takabbur kā rawaiyā hai.
Job UrduGeoR 36:10  Wuh un ke kānoṅ ko tarbiyat ke lie khol kar unheṅ hukm detā hai ki apnī nāinsāfī se bāz ā kar wāpas āo.
Job UrduGeoR 36:11  Agar wuh mān kar us kī ḳhidmat karne lageṅ to phir wuh jīte-jī apne din ḳhushhālī meṅ aur apne sāl sukūn se guzāreṅge.
Job UrduGeoR 36:12  Lekin agar na māneṅ to unheṅ Dariyā-e-maut ko ubūr karnā paṛegā, wuh ilm se mahrūm rah kar mar jāeṅge.
Job UrduGeoR 36:13  Bedīn apnī harkatoṅ se apne āp par ilāhī ġhazab lāte haiṅ. Allāh unheṅ bāndh bhī le, lekin wuh madad ke lie nahīṅ pukārte.
Job UrduGeoR 36:14  Jawānī meṅ hī un kī jān nikal jātī, un kī zindagī muqaddas farishtoṅ ke hāthoṅ ḳhatm ho jātī hai.
Job UrduGeoR 36:15  Lekin Allāh musībatzadā ko us kī musībat ke zariye najāt detā, us par hone wāle zulm kī mārifat us kā kān khol detā hai.
Job UrduGeoR 36:16  Wuh āp ko bhī musībat ke muṅh se nikalne kī tarġhīb dilā kar ek aisī khulī jagah par lānā chāhtā hai jahāṅ rukāwaṭ nahīṅ hai, jahāṅ āp kī mez umdā khānoṅ se bharī rahegī.
Job UrduGeoR 36:17  Lekin is waqt āp adālat kā wuh pyālā pī kar ser ho gae haiṅ jo bedīnoṅ ke nasīb meṅ hai, is waqt adālat aur insāf ne āp ko apnī saḳht girift meṅ le liyā hai.
Job UrduGeoR 36:18  Ḳhabardār ki yih bāt āp ko kufr bakne par na uksāe, aisā na ho ki tāwān kī baṛī raqam āp ko ġhalat rāh par le jāe.
Job UrduGeoR 36:19  Kyā āp kī daulat āp kā difā karke āp ko musībat se bachāegī? Yā kyā āp kī sirtoṛ koshisheṅ yih saranjām de saktī haiṅ? Hargiz nahīṅ!
Job UrduGeoR 36:20  Rāt kī ārzū na kareṅ, us waqt kī jab qaumeṅ jahāṅ bhī hoṅ nest-o-nābūd ho jātī haiṅ.
Job UrduGeoR 36:21  Ḳhabardār raheṅ ki nāinsāfī kī taraf rujū na kareṅ, kyoṅki āp ko isī lie musībat se āzmāyā jā rahā hai.
Job UrduGeoR 36:22  Allāh apnī qudrat meṅ sarfarāz hai. Kaun us jaisā ustād hai?
Job UrduGeoR 36:23  Kis ne muqarrar kiyā ki use kis rāh par chalnā hai? Kaun kah saktā hai, ‘Tū ne ġhalat kām kiyā’? Koī nahīṅ!
Job UrduGeoR 36:24  Us ke kām kī tamjīd karnā na bhūleṅ, us sāre kām kī jis kī logoṅ ne apne gītoṅ meṅ hamd-o-sanā kī hai.
Job UrduGeoR 36:25  Har shaḳhs ne yih kām dekh liyā, insān ne dūr dūr se us kā mullāhazā kiyā hai.
Job UrduGeoR 36:26  Allāh azīm hai aur ham use nahīṅ jānte, us ke sāloṅ kī tādād mālūm nahīṅ kar sakte.
Job UrduGeoR 36:27  Kyoṅki wuh pānī ke qatre ūpar khīṅch kar dhund se bārish nikāl letā hai,
Job UrduGeoR 36:28  wuh bārish jo bādal zamīn par barsā dete aur jis kī bauchhāṛeṅ insān par paṛtī haiṅ.
Job UrduGeoR 36:29  Kaun samajh saktā hai ki bādal kis tarah chhā jāte, ki Allāh ke maskan se bijliyāṅ kis tarah kaṛaktī haiṅ?
Job UrduGeoR 36:30  Wuh apne irdgird raushnī phailā kar samundar kī jaṛoṅ tak sab kuchh raushan kartā hai.
Job UrduGeoR 36:31  Yoṅ wuh bādaloṅ se qaumoṅ kī parwarish kartā, unheṅ kasrat kī ḳhurāk muhaiyā kartā hai.
Job UrduGeoR 36:32  Wuh apnī muṭṭhiyoṅ ko bādal kī bijliyoṅ se bhar kar hukm detā hai ki kyā chīz apnā nishānā banāeṅ.
Job UrduGeoR 36:33  Us ke bādaloṅ kī garajtī āwāz us ke ġhazab kā elān kartī, nāinsāfī par us ke shadīd qahr ko zāhir kartī hai.
Chapter 37
Job UrduGeoR 37:1  Yih soch kar merā dil laraz kar apnī jagah se uchhal paṛtā hai.
Job UrduGeoR 37:2  Suneṅ aur us kī ġhazabnāk āwāz par ġhaur kareṅ, us ġhurrātī āwāz par jo us ke muṅh se nikaltī hai.
Job UrduGeoR 37:3  Āsmān tale har maqām par balki zamīn kī intahā tak wuh apnī bijlī chamakne detā hai.
Job UrduGeoR 37:4  Is ke bād kaṛaktī āwāz sunāī detī, Allāh kī robdār āwāz garaj uṭhtī hai. Aur jab us kī āwāz sunāī detī hai to wuh bijliyoṅ ko nahīṅ roktā.
Job UrduGeoR 37:5  Allāh anokhe tarīqe se apnī āwāz garajne detā hai. Sāth sāth wuh aise azīm kām kartā hai jo hamārī samajh se bāhar haiṅ.
Job UrduGeoR 37:6  Kyoṅki wuh barf ko farmātā hai, ‘Zamīn par paṛ jā’ aur mūslādhār bārish ko, ‘Apnā pūrā zor dikhā.’
Job UrduGeoR 37:7  Yoṅ wuh har insān ko us ke ghar meṅ rahne par majbūr kartā hai tāki sab jān leṅ ki Allāh kām meṅ masrūf hai.
Job UrduGeoR 37:8  Tab janglī jānwar bhī apne bhaṭoṅ meṅ chhup jāte, apne gharoṅ meṅ panāh lete haiṅ.
Job UrduGeoR 37:9  Tūfān apne kamre se nikal ātā, shimālī hawā mulk meṅ ṭhanḍ phailā detī hai.
Job UrduGeoR 37:10  Allāh phūṅk mārtā to pānī jam jātā, us kī satah dūr dūr tak munjamid ho jātī hai.
Job UrduGeoR 37:11  Allāh bādaloṅ ko namī se bojhal karke un ke zariye dūr tak apnī bijlī chamkātā hai.
Job UrduGeoR 37:12  Us kī hidāyat par wuh manḍlāte hue us kā har hukm takmīl tak pahuṅchāte haiṅ.
Job UrduGeoR 37:13  Yoṅ wuh unheṅ logoṅ kī tarbiyat karne, apnī zamīn ko barkat dene yā apnī shafqat dikhāne ke lie bhej detā hai.
Job UrduGeoR 37:14  Ai Ayyūb, merī is bāt par dhyān deṅ, ruk kar Allāh ke azīm kāmoṅ par ġhaur kareṅ.
Job UrduGeoR 37:15  Kyā āp ko mālūm hai ki Allāh apne kāmoṅ ko kaise tartīb detā hai, ki wuh apne bādaloṅ se bijlī kis tarah chamakne detā hai?
Job UrduGeoR 37:16  Kyā āp bādaloṅ kī naql-o-harkat jānte haiṅ? Kyā āp ko us ke anokhe kāmoṅ kī samajh ātī hai jo kāmil ilm rakhtā hai?
Job UrduGeoR 37:17  Jab zamīn junūbī lū kī zad meṅ ā kar chup ho jātī aur āp ke kapṛe tapne lagte haiṅ
Job UrduGeoR 37:18  to kyā āp Allāh ke sāth mil kar āsmān ko ṭhoṅk ṭhoṅk kar pītal ke āīne kī mānind saḳht banā sakte haiṅ? Hargiz nahīṅ!
Job UrduGeoR 37:19  Hameṅ batāeṅ ki Allāh se kyā kaheṅ! Afsos, andhere ke bāis ham apne ḳhayālāt ko tartīb nahīṅ de sakte.
Job UrduGeoR 37:20  Agar maiṅ apnī bāt pesh karūṅ to kyā use kuchh mālūm ho jāegā jis kā pahle ilm na thā? Kyā koī bhī kuchh bayān kar saktā hai jo use pahle mālūm na ho? Kabhī nahīṅ!
Job UrduGeoR 37:21  Ek waqt dhūp nazar nahīṅ ātī aur bādal zamīn par sāyā ḍālte haiṅ, phir hawā chalne lagtī aur mausam sāf ho jātā hai.
Job UrduGeoR 37:22  Shimāl se sunahrī chamak qarīb ātī aur Allāh robdār shān-o-shaukat se ghirā huā ā pahuṅchtā hai.
Job UrduGeoR 37:23  Ham to Qādir-e-mutlaq tak nahīṅ pahuṅch sakte. Us kī qudrat ālā aur rāstī zorāwar hai, wuh kabhī insāf kā ḳhūn nahīṅ kartā.
Job UrduGeoR 37:24  Is lie ādamzād us se ḍarte aur dil ke dānishmand us kā ḳhauf mānte haiṅ.”
Chapter 38
Job UrduGeoR 38:1  Phir Allāh ḳhud Ayyūb se hamkalām huā. Tūfān meṅ se us ne use jawāb diyā,
Job UrduGeoR 38:2  “Yih kaun hai jo samajh se ḳhālī bāteṅ karne se mere mansūbe ke sahīh matlab par pardā ḍāltā hai?
Job UrduGeoR 38:3  Mard kī tarah kamarbastā ho jā! Maiṅ tujh se sawāl kartā hūṅ, aur tū mujhe tālīm de.
Job UrduGeoR 38:4  Tū kahāṅ thā jab maiṅ ne zamīn kī buniyād rakhī? Agar tujhe is kā ilm ho to mujhe batā!
Job UrduGeoR 38:5  Kis ne us kī lambāī aur chauṛāī muqarrar kī? Kyā tujhe mālūm hai? Kis ne nāp kar us kī paimāish kī?
Job UrduGeoR 38:6  Us ke satūn kis chīz par lagāe gae. Kis ne us ke kone kā buniyādī patthar rakhā,
Job UrduGeoR 38:7  us waqt jab subah ke sitāre mil kar shādiyānā bajā rahe, tamām farishte ḳhushī ke nāre lagā rahe the?
Job UrduGeoR 38:8  Jab samundar rahm se phūṭ niklā to kis ne darwāze band karke us par qābū pāyā?
Job UrduGeoR 38:9  Us waqt maiṅ ne bādaloṅ ko us kā libās banāyā aur use ghane andhere meṅ yoṅ lapeṭā jis tarah nauzād ko potaṛoṅ meṅ lapeṭā jātā hai.
Job UrduGeoR 38:10  Us kī hudūd muqarrar karke maiṅ ne use rokne ke darwāze aur kunḍe lagāe.
Job UrduGeoR 38:11  Maiṅ bolā, ‘Tujhe yahāṅ tak ānā hai, is se āge na baṛhnā, terī robdār lahroṅ ko yihīṅ ruknā hai.’
Job UrduGeoR 38:12  Kyā tū ne kabhī subah ko hukm diyā yā use tulū hone kī jagah dikhāī
Job UrduGeoR 38:13  tāki wuh zamīn ke kināroṅ ko pakaṛ kar bedīnoṅ ko us se jhāṛ de?
Job UrduGeoR 38:14  Us kī raushnī meṅ zamīn yoṅ tashkīl pātī hai jis tarah miṭṭī jis par muhr lagāī jāe. Sab kuchh rangdār libās pahne nazar ātā hai.
Job UrduGeoR 38:15  Tab bedīnoṅ kī raushnī rokī jātī, un kā uṭhāyā huā bāzū toṛā jātā hai.
Job UrduGeoR 38:16  Kyā tū samundar ke sarchashmoṅ tak pahuṅch kar us kī gahrāiyoṅ meṅ se guzarā hai?
Job UrduGeoR 38:17  Kyā maut ke darwāze tujh par zāhir hue, tujhe ghane andhere ke darwāze nazar āe haiṅ?
Job UrduGeoR 38:18  Kyā tujhe zamīn ke wasī maidānoṅ kī pūrī samajh āī hai? Mujhe batā agar yih sab kuchh jāntā hai!
Job UrduGeoR 38:19  Raushnī ke mambā tak le jāne wālā rāstā kahāṅ hai? Andhere kī rihāishgāh kahāṅ hai?
Job UrduGeoR 38:20  Kyā tū unheṅ un ke maqāmoṅ tak pahuṅchā saktā hai? Kyā tū un ke gharoṅ tak le jāne wālī rāhoṅ se wāqif hai?
Job UrduGeoR 38:21  Beshak tū is kā ilm rakhtā hai, kyoṅki tū us waqt janm le chukā thā jab yih paidā hue. Tū to qadīm zamāne se hī zindā hai!
Job UrduGeoR 38:22  Kyā tū wahāṅ tak pahuṅch gayā hai jahāṅ barf ke zaḳhīre jamā hote haiṅ? Kyā tū ne oloṅ ke godāmoṅ ko dekh liyā hai?
Job UrduGeoR 38:23  Maiṅ unheṅ musībat ke waqt ke lie mahfūz rakhtā hūṅ, aise dinoṅ ke lie jab laṛāī aur jang chhiṛ jāe.
Job UrduGeoR 38:24  Mujhe batā, us jagah tak kis tarah pahuṅchnā hai jahāṅ raushnī taqsīm hotī hai, yā us jagah jahāṅ se mashriqī hawā nikal kar zamīn par bikhar jātī hai?
Job UrduGeoR 38:25  Kis ne mūslādhār bārish ke lie rāstā aur garajte tūfān ke lie rāh banāī
Job UrduGeoR 38:26  tāki insān se ḳhālī zamīn aur ġhairābād registān kī ābpāshī ho jāe,
Job UrduGeoR 38:27  tāki wīrān-o-sunsān bayābān kī pyās bujh jāe aur us se hariyālī phūṭ nikle?
Job UrduGeoR 38:28  Kyā bārish kā bāp hai? Kaun shabnam ke qatroṅ kā wālid hai?
Job UrduGeoR 38:29  Barf kis māṅ ke peṭ se paidā huī? Jo pālā āsmān se ā kar zamīn par paṛtā hai kis ne use janm diyā?
Job UrduGeoR 38:30  Jab pānī patthar kī tarah saḳht ho jāe balki gahre samundar kī satah bhī jam jāe to kaun yih saranjām detā hai?
Job UrduGeoR 38:31  Kyā tū Ḳhoshā-e-Parwīn ko bāndh saktā yā Jauze kī zanjīroṅ ko khol saktā hai?
Job UrduGeoR 38:32  Kyā tū karwā saktā hai ki sitāroṅ ke muḳhtalif jhurmaṭ un ke muqarrarā auqāt ke mutābiq nikal āeṅ? Kyā tū Dubb-e-Akbar kī us ke bachchoṅ samet qiyādat karne ke qābil hai?
Job UrduGeoR 38:33  Kyā tū āsmān ke qawānīn jāntā yā us kī zamīn par hukūmat muta'ayyin kartā hai?
Job UrduGeoR 38:34  Kyā jab tū buland āwāz se bādaloṅ ko hukm de to wuh tujh par mūslādhār bārish barsāte haiṅ?
Job UrduGeoR 38:35  Kyā tū bādal kī bijlī zamīn par bhej saktā hai? Kyā wuh tere pās ā kar kahtī hai, ‘Maiṅ ḳhidmat ke lie hāzir hūṅ’?
Job UrduGeoR 38:36  Kis ne Misr ke laqlaq ko hikmat dī, murġh ko samajh atā kī?
Job UrduGeoR 38:37  Kis ko itnī dānāī hāsil hai ki wuh bādaloṅ ko gin sake? Kaun āsmān ke in ghaṛoṅ ko us waqt unḍel saktā hai
Job UrduGeoR 38:38  jab miṭṭī ḍhāle hue lohe kī tarah saḳht ho jāe aur ḍhele ek dūsre ke sāth chipak jāeṅ? Koī nahīṅ!
Job UrduGeoR 38:39  Kyā tū hī shernī ke lie shikār kartā yā sheroṅ ko ser kartā hai
Job UrduGeoR 38:40  jab wuh apnī chhupne kī jaghoṅ meṅ dabak jāeṅ yā gunjān jangal meṅ kahīṅ tāk lagāe baiṭhe hoṅ?
Job UrduGeoR 38:41  Kaun kawwe ko ḳhurāk muhaiyā kartā hai jab us ke bachche bhūk ke bāis Allāh ko āwāz deṅ aur māre māre phireṅ?
Chapter 39
Job UrduGeoR 39:1  Kyā tujhe mālūm hai ki pahāṛī bakriyoṅ ke bachche kab paidā hote haiṅ? Jab hirnī apnā bachchā janm detī hai to kyā tū is ko mullāhazā kartā hai?
Job UrduGeoR 39:2  Kyā tū wuh mahīne gintā rahtā hai jab bachche hirniyoṅ ke peṭ meṅ hoṅ? Kyā tū jāntā hai ki kis waqt bachche janm detī haiṅ?
Job UrduGeoR 39:3  Us din wuh dabak jātī, bachche nikal āte aur dard-e-zah ḳhatm ho jātā hai.
Job UrduGeoR 39:4  Un ke bachche tāqatwar ho kar khule maidān meṅ phalte-phūlte, phir ek din chale jāte haiṅ aur apnī māṅ ke pās wāpas nahīṅ āte.
Job UrduGeoR 39:5  Kis ne janglī gadhe ko khulā chhoṛ diyā? Kis ne us ke rasse khol die?
Job UrduGeoR 39:6  Maiṅ hī ne bayābān us kā ghar banā diyā, maiṅ hī ne muqarrar kiyā ki banjar zamīn us kī rihāishgāh ho.
Job UrduGeoR 39:7  Wuh shahr kā shor-sharābā dekh kar haṅs uṭhtā, aur use hāṅkne wāle kī āwāz sunanī nahīṅ paṛtī.
Job UrduGeoR 39:8  Wuh charne ke lie pahāṛī ilāqe meṅ idhar-udhar ghūmtā aur hariyālī kā khoj lagātā rahtā hai.
Job UrduGeoR 39:9  Kyā janglī bail terī ḳhidmat karne ke lie taiyār hogā? Kyā wuh kabhī rāt ko terī charnī ke pās guzāregā?
Job UrduGeoR 39:10  Kyā tū use bāndh kar hal chalā saktā hai? Kyā wuh wādī meṅ tere pīchhe chal kar suhāgā pheregā?
Job UrduGeoR 39:11  Kyā tū us kī baṛī tāqat dekh kar us par etamād karegā? Kyā tū apnā saḳht kām us ke sapurd karegā?
Job UrduGeoR 39:12  Kyā tū bharosā kar saktā hai ki wuh terā anāj jamā karke gāhne kī jagah par le āe? Hargiz nahīṅ!
Job UrduGeoR 39:13  Shuturmurġh ḳhushī se apne paroṅ ko phaṛphaṛātā hai. Lekin kyā us kā shāhpar laqlaq yā bāz ke shāhpar kī mānind hai?
Job UrduGeoR 39:14  Wuh to apne anḍe zamīn par akele chhoṛtā hai, aur wuh miṭṭī hī par pakte haiṅ.
Job UrduGeoR 39:15  Shuturmurġh ko ḳhayāl tak nahīṅ ātā ki koī unheṅ pāṅwoṅ tale kuchal saktā yā koī janglī jānwar unheṅ raund saktā hai.
Job UrduGeoR 39:16  Lagtā nahīṅ ki us ke apne bachche haiṅ, kyoṅki us kā un ke sāth sulūk itnā saḳht hai. Agar us kī mehnat nākām nikle to use parwā hī nahīṅ,
Job UrduGeoR 39:17  kyoṅki Allāh ne use hikmat se mahrūm rakh kar use samajh se na nawāzā.
Job UrduGeoR 39:18  To bhī wuh itnī tezī se uchhal kar bhāg jātā hai ki ghoṛe aur ghuṛsawār kī dauṛ dekh kar haṅsne lagtā hai.
Job UrduGeoR 39:19  Kyā tū ghoṛe ko us kī tāqat de kar us kī gardan ko ayāl se ārāstā kartā hai?
Job UrduGeoR 39:20  Kyā tū hī use ṭiḍḍī kī tarah phalāṅgne detā hai? Jab wuh zor se apne nathnoṅ ko phulā kar āwāz nikāltā hai to kitnā robdār lagtā hai!
Job UrduGeoR 39:21  Wuh wādī meṅ sum mār mār kar apnī tāqat kī ḳhushī manātā, phir bhāg kar maidān-e-jang meṅ ā jātā hai.
Job UrduGeoR 39:22  Wuh ḳhauf kā mazāq uṛātā aur kisī se bhī nahīṅ ḍartā, talwār ke rūbarū bhī pīchhe nahīṅ haṭtā.
Job UrduGeoR 39:23  Us ke ūpar tarkash ḳhaṛkhaṛātā, nezā aur shamshīr chamaktī hai.
Job UrduGeoR 39:24  Wuh baṛā shor machā kar itnī tezī aur josh-o-ḳhurosh se dushman par hamlā kartā hai ki bigul bajte waqt bhī rokā nahīṅ jātā.
Job UrduGeoR 39:25  Jab bhī bigul baje wuh zor se hinhinātā aur dūr hī se maidān-e-jang, kamānḍaroṅ kā shor aur jang ke nāre sūṅgh letā hai.
Job UrduGeoR 39:26  Kyā bāz terī hī hikmat ke zariye hawā meṅ uṛ kar apne paroṅ ko junūb kī jānib phailā detā hai?
Job UrduGeoR 39:27  Kyā uqāb tere hī hukm par bulandiyoṅ par manḍlātā aur ūṅchī ūṅchī jaghoṅ par apnā ghoṅslā banā letā hai?
Job UrduGeoR 39:28  Wuh chaṭān par rahtā, us ke ṭūṭe-phūṭe kināroṅ aur qilāband jaghoṅ par baserā kartā hai.
Job UrduGeoR 39:29  Wahāṅ se wuh apne shikār kā khoj lagātā hai, us kī āṅkheṅ dūr dūr tak deḳhtī haiṅ.
Job UrduGeoR 39:30  Us ke bachche ḳhūn ke lālach meṅ rahte, aur jahāṅ bhī lāsh ho wahāṅ wuh hāzir hotā hai.”
Chapter 40
Job UrduGeoR 40:2  “Kyā malāmat karne wālā adālat meṅ Qādir-e-mutlaq se jhagaṛnā chāhtā hai? Allāh kī sarzanish karne wālā use jawāb de!”
Job UrduGeoR 40:4  “Maiṅ to nālāyq hūṅ, maiṅ kis tarah tujhe jawāb dūṅ? Maiṅ apne muṅh par hāth rakh kar ḳhāmosh rahūṅgā.
Job UrduGeoR 40:5  Ek bār maiṅ ne bāt kī aur is ke bād mazīd ek dafā, lekin ab se maiṅ jawāb meṅ kuchh nahīṅ kahūṅgā.”
Job UrduGeoR 40:6  Tab Allāh tūfān meṅ se Ayyūb se hamkalām huā,
Job UrduGeoR 40:7  “Mard kī tarah kamarbastā ho jā! Maiṅ tujh se sawāl karūṅ aur tū mujhe tālīm de.
Job UrduGeoR 40:8  Kyā tū wāqaī merā insāf mansūḳh karke mujhe mujrim ṭhahrānā chāhtā hai tāki ḳhud rāstbāz ṭhahre?
Job UrduGeoR 40:9  Kyā terā bāzū Allāh ke bāzū jaisā zorāwar hai? Kyā terī āwāz us kī āwāz kī tarah kaṛaktī hai.
Job UrduGeoR 40:10  Ā, apne āp ko shān-o-shaukat se ārāstā kar, izzat-o-jalāl se mulabbas ho jā!
Job UrduGeoR 40:11  Ba-yak-waqt apnā shadīd qahr muḳhtalif jaghoṅ par nāzil kar, har maġhrūr ko apnā nishānā banā kar use ḳhāk meṅ milā de.
Job UrduGeoR 40:12  Har mutakabbir par ġhaur karke use past kar. Jahāṅ bhī bedīn ho wahīṅ use kuchal de.
Job UrduGeoR 40:13  Un sab ko miṭṭī meṅ chhupā de, unheṅ rassoṅ meṅ jakaṛ kar kisī ḳhufiyā jagah giriftār kar.
Job UrduGeoR 40:14  Tab hī maiṅ terī tārīf karke mān jāūṅgā ki terā dahnā hāth tujhe najāt de saktā hai.
Job UrduGeoR 40:15  Bahemot par ġhaur kar jise maiṅ ne tujhe ḳhalaq karte waqt banāyā aur jo bail kī tarah ghās khātā hai.
Job UrduGeoR 40:16  Us kī kamr meṅ kitnī tāqat, us ke peṭ ke paṭṭhoṅ meṅ kitnī quwwat hai.
Job UrduGeoR 40:17  Wuh apnī dum ko deodār ke daraḳht kī tarah laṭakne detā hai, us kī rānoṅ kī naseṅ mazbūtī se ek dūsrī se juṛī huī haiṅ.
Job UrduGeoR 40:18  Us kī haḍḍiyāṅ pītal ke-se pāyp, lohe ke-se sarī'e haiṅ.
Job UrduGeoR 40:19  Wuh Allāh ke kāmoṅ meṅ se awwal hai, us ke Ḳhāliq hī ne use us kī talwār dī.
Job UrduGeoR 40:20  Pahāṛiyāṅ use apnī paidāwār pesh kartī, khule maidān ke tamām jānwar wahāṅ khelte kūdte haiṅ.
Job UrduGeoR 40:21  Wuh kāṅṭedār jhāṛiyoṅ ke nīche ārām kartā, sarkanḍoṅ aur daldal meṅ chhupā rahtā hai.
Job UrduGeoR 40:22  Ḳhārdār jhāṛiyāṅ us par sāyā ḍāltī aur nadī ke safedā ke daraḳht use ghere rakhte haiṅ.
Job UrduGeoR 40:23  Jab dariyā sailāb kī sūrat iḳhtiyār kare to wuh nahīṅ bhāgtā. Go Dariyā-e-Yardan us ke muṅh par phūṭ paṛe to bhī wuh apne āp ko mahfūz samajhtā hai.
Job UrduGeoR 40:24  Kyā koī us kī āṅkhoṅ meṅ ungliyāṅ ḍāl kar use pakaṛ saktā hai? Agar use phande meṅ pakaṛā bhī jāe to kyā koī us kī nāk ko chhed saktā hai? Hargiz nahīṅ!
Chapter 41
Job UrduGeoR 41:1  Kyā tū Liwiyātān azhdahe ko machhlī ke kāṅṭe se pakaṛ saktā yā us kī zabān ko rasse se bāndh saktā hai?
Job UrduGeoR 41:2  Kyā tū us kī nāk chhed kar us meṅ se rassā guzār saktā yā us ke jabṛe ko kāṅṭe se chīr saktā hai?
Job UrduGeoR 41:3  Kyā wuh kabhī tujh se bār bār rahm māṅgegā yā narm narm alfāz se terī ḳhushāmad karegā?
Job UrduGeoR 41:4  Kyā wuh kabhī tere sāth ahd karegā ki tū use apnā ġhulām banāe rakhe? Hargiz nahīṅ!
Job UrduGeoR 41:5  Kyā tū parinde kī tarah us ke sāth khel saktā yā use bāndh kar apnī laṛkiyoṅ ko de saktā hai tāki wuh us ke sāth kheleṅ?
Job UrduGeoR 41:6  Kyā saudāgar kabhī us kā saudā kareṅge yā use tājiroṅ meṅ taqsīm kareṅge? Kabhī nahīṅ!
Job UrduGeoR 41:7  Kyā tū us kī khāl ko bhāloṅ se yā us ke sar ko hārpūnoṅ se bhar saktā hai?
Job UrduGeoR 41:8  Ek dafā use hāth lagāyā to yih laṛāī tujhe hameshā yād rahegī, aur tū āindā aisī harkat kabhī nahīṅ karegā!
Job UrduGeoR 41:9  Yaqīnan us par qābū pāne kī har ummīd farebdeh sābit hogī, kyoṅki use deḳhte hī insān gir jātā hai.
Job UrduGeoR 41:10  Koī itnā bedhaṛak nahīṅ hai ki use mushta'il kare. To phir kaun merā sāmnā kar saktā hai?
Job UrduGeoR 41:11  Kis ne mujhe kuchh diyā hai ki maiṅ us kā muāwazā dūṅ. Āsmān tale har chīz merī hī hai!
Job UrduGeoR 41:12  Maiṅ tujhe us ke āzā ke bayān se mahrūm nahīṅ rakhūṅgā, ki wuh kitnā baṛā, tāqatwar aur ḳhūbsūrat hai.
Job UrduGeoR 41:13  Kaun us kī khāl utār saktā, kaun us ke zirābaktar kī do tahoṅ ke andar tak pahuṅch saktā hai?
Job UrduGeoR 41:14  Kaun us ke muṅh kā darwāzā kholne kī jurrat kare? Us ke haulnāk dāṅt dekh kar insān ke roṅgṭe khaṛe ho jāte haiṅ.
Job UrduGeoR 41:15  Us kī pīṭh par ek dūsrī se ḳhūb juṛī huī ḍhāloṅ kī qatāreṅ hotī haiṅ.
Job UrduGeoR 41:16  Wuh itnī mazbūtī se ek dūsrī se lagī hotī haiṅ ki un ke darmiyān se hawā bhī nahīṅ guzar saktī,
Job UrduGeoR 41:17  balki yoṅ ek dūsrī se chimṭī aur lipṭī rahtī haiṅ ki unheṅ ek dūsrī se alag nahīṅ kiyā jā saktā.
Job UrduGeoR 41:18  Jab chhīṅkeṅ māre to bijlī chamak uṭhtī hai. Us kī āṅkheṅ tulū-e-subah kī palakoṅ kī mānind haiṅ.
Job UrduGeoR 41:19  Us ke muṅh se mashāleṅ aur chingāriyāṅ ḳhārij hotī haiṅ,
Job UrduGeoR 41:20  us ke nathnoṅ se dhuāṅ yoṅ nikaltā hai jis tarah bhaṛaktī aur dahaktī āg par rakhī gaī deg se.
Job UrduGeoR 41:21  Jab phūṅk māre to koele dahak uṭhte aur us ke muṅh se shole nikalte haiṅ.
Job UrduGeoR 41:22  Us kī gardan meṅ itnī tāqat hai ki jahāṅ bhī jāe wahāṅ us ke āge āge māyūsī phail jātī hai.
Job UrduGeoR 41:23  Us ke gosht-post kī taheṅ ek dūsrī se ḳhūb juṛī huī haiṅ, wuh ḍhāle hue lohe kī tarah mazbūt aur belachak haiṅ.
Job UrduGeoR 41:24  Us kā dil patthar jaisā saḳht, chakkī ke nichle pāṭ jaisā mustahkam hai.
Job UrduGeoR 41:25  Jab uṭhe to zorāwar ḍar jāte aur dahshat khā kar pīchhe haṭ jāte haiṅ.
Job UrduGeoR 41:26  Hathiyāroṅ kā us par koī asar nahīṅ hotā, ḳhāh koī talwār, neze, barchhī yā tīr se us par hamlā kyoṅ na kare.
Job UrduGeoR 41:27  Wuh lohe ko bhūsā aur pītal ko galī saṛī lakaṛī samajhtā hai.
Job UrduGeoR 41:28  Tīr use nahīṅ bhagā sakte, aur agar falāḳhan ke patthar us par chalāo to un kā asar bhūse ke barābar hai.
Job UrduGeoR 41:29  Ḍanḍā use tinkā-sā lagtā hai, aur wuh shamshīr kā shor-sharābā sun kar haṅs uṭhtā hai.
Job UrduGeoR 41:30  Us ke peṭ par tez ṭhīkre se lage haiṅ, aur jis tarah anāj par gāhne kā ālā chalāyā jātā hai usī tarah wuh kīchaṛ par chaltā hai.
Job UrduGeoR 41:31  Jab samundar kī gahrāiyoṅ meṅ se guzare to pānī ubaltī deg kī tarah khaulne lagtā hai. Wuh marham ke muḳhtalif ajzā ko milā milā kar taiyār karne wāle attār kī tarah samundar ko harkat meṅ lātā hai.
Job UrduGeoR 41:32  Apne pīchhe wuh chamaktā-damaktā rāstā chhoṛtā hai. Tab lagtā hai ki samundar kī gahrāiyoṅ ke safed bāl haiṅ.
Job UrduGeoR 41:33  Duniyā meṅ us jaisā koī maḳhlūq nahīṅ, aisā banāyā gayā hai ki kabhī na ḍare.
Job UrduGeoR 41:34  Jo bhī ālā ho us par wuh hiqārat kī nigāh se deḳhtā hai, wuh tamām robdār jānwaroṅ kā bādshāh hai.”
Chapter 42
Job UrduGeoR 42:2  “Maiṅ ne jān liyā hai ki tū sab kuchh kar pātā hai, ki terā koī bhī mansūbā rokā nahīṅ jā saktā.
Job UrduGeoR 42:3  Tū ne farmāyā, ‘Yih kaun hai jo samajh se ḳhālī bāteṅ karne se mere mansūbe ke sahīh matlab par pardā ḍāltā hai?’ Yaqīnan maiṅ ne aisī bāteṅ bayān kīṅ jo merī samajh se bāhar haiṅ, aisī bāteṅ jo itnī anokhī haiṅ ki maiṅ un kā ilm rakh hī nahīṅ saktā.
Job UrduGeoR 42:4  Tū ne farmāyā, ‘Sun merī bāt to maiṅ bolūṅgā. Maiṅ tujh se sawāl kartā hūṅ, aur tū mujhe tālīm de.’
Job UrduGeoR 42:5  Pahle maiṅ ne tere bāre meṅ sirf sunā thā, lekin ab merī apnī āṅkhoṅ ne tujhe dekhā hai.
Job UrduGeoR 42:6  Is lie maiṅ apnī bāteṅ mustarad kartā, apne āp par ḳhāk aur rākh ḍāl kar taubā kartā hūṅ.”
Job UrduGeoR 42:7  Ayyūb se yih tamām bāteṅ kahne ke bād Rab Ilīfaz Temānī se hamkalām huā, “Maiṅ tujh se aur tere do dostoṅ se ġhusse hūṅ, kyoṅki go mere bande Ayyūb ne mere bāre meṅ durust bāteṅ kīṅ magar tum ne aisā nahīṅ kiyā.
Job UrduGeoR 42:8  Chunāṅche ab sāt jawān bail aur sāt menḍhe le kar mere bande Ayyūb ke pās jāo aur apnī ḳhātir bhasm hone wālī qurbānī pesh karo. Lāzim hai ki Ayyūb tumhārī shafā'at kare, warnā maiṅ tumheṅ tumhārī hamāqat kā pūrā ajr dūṅgā. Lekin us kī shafā'at par maiṅ tumheṅ muāf karūṅga, kyoṅki mere bande Ayyūb ne mere bāre meṅ wuh kuchh bayān kiyā jo sahīh hai jabki tum ne aisā nahīṅ kiyā.”
Job UrduGeoR 42:9  Ilīfaz Temānī, Bildad Sūḳhī aur Zūfar Nāmātī ne wuh kuchh kiyā jo Rab ne unheṅ karne ko kahā thā to Rab ne Ayyūb kī sunī.
Job UrduGeoR 42:10  Aur jab Ayyūb ne dostoṅ kī shafā'at kī to Rab ne use itnī barkat dī ki āḳhirkār use pahle kī nisbat dugnī daulat hāsil huī.
Job UrduGeoR 42:11  Tab us ke tamām bhāī-bahneṅ aur purāne jānane wāle us ke pās āe aur ghar meṅ us ke sāth khānā khā kar us āfat par afsos kiyā jo Rab Ayyūb par lāyā thā. Har ek ne use tasallī de kar use ek sikkā aur sone kā ek chhallā de diyā.
Job UrduGeoR 42:12  Ab se Rab ne Ayyūb ko pahle kī nisbat kahīṅ zyādā barkat dī. Use 14,000 bakriyāṅ, 6,000 ūṅṭ, bailoṅ kī 1,000 joṛiyāṅ aur 1,000 gadhiyāṅ hāsil huīṅ.
Job UrduGeoR 42:13  Nīz, us ke mazīd sāt beṭe aur tīn beṭiyāṅ paidā huīṅ.
Job UrduGeoR 42:14  Us ne beṭiyoṅ ke yih nām rakhe: pahlī kā nām Yamīmā, dūsrī kā Qasiyah aur tīsrī kā Qaran-happūk.
Job UrduGeoR 42:15  Tamām mulk meṅ Ayyūb kī beṭiyoṅ jaisī ḳhūbsūrat ḳhawātīn pāī nahīṅ jātī thīṅ. Ayyūb ne unheṅ bhī mīrās meṅ milkiyat dī, aisī milkiyat jo un ke bhāiyoṅ ke darmiyān hī thī.
Job UrduGeoR 42:16  Ayyūb mazīd 140 sāl zindā rahā, is lie wuh apnī aulād ko chauthī pusht tak dekh sakā.
Job UrduGeoR 42:17  Phir wuh darāz zindagī se āsūdā ho kar intaqāl kar gayā.