Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
Toggle notes
Chapter 1
Gene UrduGeoR 1:1  Ibtidā meṅ Allāh ne āsmān aur zamīn ko banāyā.
Gene UrduGeoR 1:2  Abhī tak zamīn wīrān aur ḳhālī thī. Wuh gahre pānī se ḍhakī huī thī jis ke ūpar andherā hī andherā thā. Allāh kā Rūh pānī ke ūpar manḍlā rahā thā.
Gene UrduGeoR 1:3  Phir Allāh ne kahā, “Raushnī ho jāe” to raushnī paidā ho gaī.
Gene UrduGeoR 1:4  Allāh ne dekhā ki raushnī achchhī hai, aur us ne raushnī ko tārīkī se alag kar diyā.
Gene UrduGeoR 1:5  Allāh ne raushnī ko din kā nām diyā aur tārīkī ko rāt kā. Shām huī, phir subah. Yoṅ pahlā din guzar gayā.
Gene UrduGeoR 1:6  Allāh ne kahā, “Pānī ke darmiyān ek aisā gumbad paidā ho jāe jis se nichlā pānī ūpar ke pānī se alag ho jāe.”
Gene UrduGeoR 1:7  Aisā hī huā. Allāh ne ek aisā gumbad banāyā jis se nichlā pānī ūpar ke pānī se alag ho gayā.
Gene UrduGeoR 1:8  Allāh ne gumbad ko āsmān kā nām diyā. Shām huī, phir subah. Yoṅ dūsrā din guzar gayā.
Gene UrduGeoR 1:9  Allāh ne kahā, “Jo pānī āsmān ke nīche hai wuh ek jagah jamā ho jāe tāki dūsrī taraf ḳhushk jagah nazar āe.” Aisā hī huā.
Gene UrduGeoR 1:10  Allāh ne ḳhushk jagah ko zamīn kā nām diyā aur jamāshudā pānī ko samundar kā. Aur Allāh ne dekhā ki yih achchhā hai.
Gene UrduGeoR 1:11  Phir us ne kahā, “Zamīn hariyāwal paidā kare, aise paude jo bīj rakhte hoṅ aur aise daraḳht jin ke phal apnī apnī qism ke bīj rakhte hoṅ.” Aisā hī huā.
Gene UrduGeoR 1:12  Zamīn ne hariyāwal paidā kī, aise paude jo apnī apnī qism ke bīj rakhte aur aise daraḳht jin ke phal apnī apnī qism ke bīj rakhte the. Allāh ne dekhā ki yih achchhā hai.
Gene UrduGeoR 1:13  Shām huī, phir subah. Yoṅ tīsrā din guzar gayā.
Gene UrduGeoR 1:14  Allāh ne kahā, “Āsmān par raushniyāṅ paidā ho jāeṅ tāki din aur rāt meṅ imtiyāz ho aur isī tarah muḳhtalif mausamoṅ, dinoṅ aur sāloṅ meṅ bhī.
Gene UrduGeoR 1:15  Āsmān kī yih raushniyāṅ duniyā ko raushan kareṅ.” Aisā hī huā.
Gene UrduGeoR 1:16  Allāh ne do baṛī raushniyāṅ banāīṅ, sūraj jo baṛā thā din par hukūmat karne ko aur chāṅd jo chhoṭā thā rāt par. In ke alāwā us ne sitāroṅ ko bhī banāyā.
Gene UrduGeoR 1:17  Us ne unheṅ āsmān par rakhā tāki wuh duniyā ko raushan kareṅ,
Gene UrduGeoR 1:18  din aur rāt par hukūmat kareṅ aur raushnī aur tārīkī meṅ imtiyāz paidā kareṅ. Allāh ne dekhā ki yih achchhā hai.
Gene UrduGeoR 1:19  Shām huī, phir subah. Yoṅ chauthā din guzar gayā.
Gene UrduGeoR 1:20  Allāh ne kahā, “Pānī ābī jāndāroṅ se bhar jāe aur fizā meṅ parinde uṛte phireṅ.”
Gene UrduGeoR 1:21  Allāh ne baṛe baṛe samundarī jānwar banāe, pānī kī tamām dīgar maḳhlūqāt aur har qism ke par rakhne wāle jāndār bhī banāe. Allāh ne dekhā ki yih achchhā hai.
Gene UrduGeoR 1:22  Us ne unheṅ barkat dī aur kahā, “Phalo-phūlo aur tādād meṅ baṛhte jāo. Samundar tum se bhar jāe. Isī tarah parinde zamīn par tādād meṅ baṛh jāeṅ.”
Gene UrduGeoR 1:23  Shām huī, phir subah. Yoṅ pāṅchwāṅ din guzar gayā.
Gene UrduGeoR 1:24  Allāh ne kahā, “Zamīn har qism ke jāndār paidā kare: maweshī, reṅgne wāle aur janglī jānwar.” Aisā hī huā.
Gene UrduGeoR 1:25  Allāh ne har qism ke maweshī, reṅgne wāle aur janglī jānwar banāe. Us ne dekhā ki yih achchhā hai.
Gene UrduGeoR 1:26  Allāh ne kahā, “Āo ab ham insān ko apnī sūrat par banāeṅ, wuh ham se mushābahat rakhe. Wuh tamām jānwaroṅ par hukūmat kare, samundar kī machhliyoṅ par, hawā ke parindoṅ par, maweshiyoṅ par, janglī jānwaroṅ par aur zamīn par ke tamām reṅgne wāle jāndāroṅ par.”
Gene UrduGeoR 1:27  Yoṅ Allāh ne insān ko apnī sūrat par banāyā, Allāh kī sūrat par. Us ne unheṅ mard aur aurat banāyā.
Gene UrduGeoR 1:28  Allāh ne unheṅ barkat dī aur kahā, “Phalo-phūlo aur tādād meṅ baṛhte jāo. Duniyā tum se bhar jāe aur tum us par iḳhtiyār rakho. Samundar kī machhliyoṅ, hawā ke parindoṅ aur zamīn par ke tamām reṅgne wāle jāndāroṅ par hukūmat karo.”
Gene UrduGeoR 1:29  Allāh ne un se mazīd kahā, “Tamām bījdār paude aur phaldār daraḳht tumhāre hī haiṅ. Maiṅ unheṅ tum ko khāne ke lie detā hūṅ.
Gene UrduGeoR 1:30  Is tarah maiṅ tamām jānwaroṅ ko khāne ke lie hariyālī detā hūṅ. Jis meṅ bhī jān hai wuh yih khā saktā hai, ḳhāh wuh zamīn par chalne-phirne wālā jānwar, hawā kā parindā yā zamīn par reṅgne wālā kyoṅ na ho.” Aisā hī huā.
Gene UrduGeoR 1:31  Allāh ne sab par nazar kī to dekhā ki wuh bahut achchhā ban gayā hai. Shām huī, phir subah. Chhaṭā din guzar gayā.
Chapter 2
Gene UrduGeoR 2:1  Yoṅ āsmān-o-zamīn aur un kī tamām chīzoṅ kī taḳhlīq mukammal huī.
Gene UrduGeoR 2:3  Allāh ne sātweṅ din ko barkat dī aur use maḳhsūs-o-muqaddas kiyā. Kyoṅki us din us ne apne tamām taḳhlīqī kām se fāriġh ho kar ārām kiyā.
Gene UrduGeoR 2:4  Yih āsmān-o-zamīn kī taḳhlīq kā bayān hai. Jab Rab Ḳhudā ne āsmān-o-zamīn ko banāyā
Gene UrduGeoR 2:5  to shurū meṅ jhāṛiyāṅ aur paude nahīṅ ugte the. Wajah yih thī ki Allāh ne bārish kā intazām nahīṅ kiyā thā. Aur abhī insān bhī paidā nahīṅ huā thā ki zamīn kī khetībāṛī kartā.
Gene UrduGeoR 2:6  Is kī bajāe zamīn meṅ se dhund uṭh kar us kī pūrī satah ko tar kartī thī.
Gene UrduGeoR 2:7  Phir Rab Ḳhudā ne zamīn se miṭṭī le kar insān ko tashkīl diyā aur us ke nathnoṅ meṅ zindagī kā dam phūṅkā to wuh jītī jān huā.
Gene UrduGeoR 2:8  Rab Ḳhudā ne mashriq meṅ Mulk-e-Adan meṅ ek bāġh lagāyā. Us meṅ us ne us ādmī ko rakhā jise us ne banāyā thā.
Gene UrduGeoR 2:9  Rab Ḳhudā ke hukm par zamīn meṅ se tarah tarah ke daraḳht phūṭ nikle, aise daraḳht jo deḳhne meṅ dilkash aur khāne ke lie achchhe the. Bāġh ke bīch meṅ do daraḳht the. Ek kā phal zindagī baḳhshtā thā jabki dūsre kā phal achchhe aur bure kī pahchān dilātā thā.
Gene UrduGeoR 2:10  Adan meṅ se ek dariyā nikal kar bāġh kī ābpāshī kartā thā. Wahāṅ se bah kar wuh chār shāḳhoṅ meṅ taqsīm huā.
Gene UrduGeoR 2:11  Pahlī shāḳh kā nām Fīsūn hai. Wuh Mulk-e-Hawīlā ko ghere hue bahtī hai jahāṅ ḳhālis sonā, gūgal kā gūṅd aur aqīq-e-ahmar pāe jāte haiṅ.
Gene UrduGeoR 2:12  Pahlī shāḳh kā nām Fīsūn hai. Wuh Mulk-e-Hawīlā ko ghere hue bahtī hai jahāṅ ḳhālis sonā, gūgal kā gūṅd aur aqīq-e-ahmar pāe jāte haiṅ.
Gene UrduGeoR 2:13  Dūsrī kā nām Jaihūn hai jo Kūsh ko ghere hue bahtī hai.
Gene UrduGeoR 2:14  Tīsrī kā nām Dijlā hai jo Asūr ke mashriq ko jātī hai aur chauthī kā nām Furāt hai.
Gene UrduGeoR 2:15  Rab Ḳhudā ne pahle ādmī ko Bāġh-e-Adan meṅ rakhā tāki wuh us kī bāġhbānī aur hifāzat kare.
Gene UrduGeoR 2:16  Lekin Rab Ḳhudā ne use āgāh kiyā, “Tujhe har daraḳht kā phal khāne kī ijāzat hai.
Gene UrduGeoR 2:17  Lekin jis daraḳht kā phal achchhe aur bure kī pahchān dilātā hai us kā phal khānā manā hai. Agar use khāe to yaqīnan maregā.”
Gene UrduGeoR 2:18  Rab Ḳhudā ne kahā, “Achchhā nahīṅ ki ādmī akelā rahe. Maiṅ us ke lie ek munāsib madadgār banātā hūṅ.”
Gene UrduGeoR 2:19  Rab Ḳhudā ne miṭṭī se zamīn par chalne-phirne wāle jānwar aur hawā ke parinde banāe the. Ab wuh unheṅ ādmī ke pās le āyā tāki mālūm ho jāe ki wuh un ke kyā kyā nām rakhegā. Yoṅ har jānwar ko Ādam kī taraf se nām mil gayā.
Gene UrduGeoR 2:20  Ādmī ne tamām maweshiyoṅ, parindoṅ aur zamīn par phirne wāle jāndāroṅ ke nām rakhe. Lekin use apne lie koī munāsib madadgār na milā.
Gene UrduGeoR 2:21  Tab Rab Ḳhudā ne use sulā diyā. Jab wuh gahrī nīnd so rahā thā to us ne us kī pasliyoṅ meṅ se ek nikāl kar us kī jagah gosht bhar diyā.
Gene UrduGeoR 2:22  Paslī se us ne aurat banāī aur use ādmī ke pās le āyā.
Gene UrduGeoR 2:23  Use dekh kar wuh pukār uṭhā, “Wāh! Yih to mujh jaisī hī hai, merī haḍḍiyoṅ meṅ se haḍḍī aur mere gosht meṅ se gosht hai. Is kā nām Nārī rakhā jāe kyoṅki wuh nar se nikālī gaī hai.”
Gene UrduGeoR 2:24  Is lie mard apne māṅ-bāp ko chhoṛ kar apnī bīwī ke sāth paiwast ho jātā hai, aur wuh donoṅ ek ho jāte haiṅ.
Gene UrduGeoR 2:25  Donoṅ, ādmī aur aurat nange the, lekin yih un ke lie sharm kā bāis nahīṅ thā.
Chapter 3
Gene UrduGeoR 3:1  Sāṅp zamīn par chalne-phirne wāle un tamām jānwaroṅ se zyādā chālāk thā jin ko Rab Ḳhudā ne banāyā thā. Us ne aurat se pūchhā, “Kyā Allāh ne wāqaī kahā ki bāġh ke kisī bhī daraḳht kā phal na khānā?”
Gene UrduGeoR 3:2  Aurat ne jawāb diyā, “Hargiz nahīṅ. Ham bāġh kā har phal khā sakte haiṅ,
Gene UrduGeoR 3:3  sirf us daraḳht ke phal se gurez karnā hai jo bāġh ke bīch meṅ hai. Allāh ne kahā ki us kā phal na khāo balki use chhūnā bhī nahīṅ, warnā tum yaqīnan mar jāoge.”
Gene UrduGeoR 3:4  Sāṅp ne aurat se kahā, “Tum hargiz na maroge,
Gene UrduGeoR 3:5  balki Allāh jāntā hai ki jab tum us kā phal khāoge to tumhārī āṅkheṅ khul jāeṅgī aur tum Allāh kī mānind ho jāoge, tum jo bhī achchhā aur burā hai use jān loge.”
Gene UrduGeoR 3:6  Aurat ne daraḳht par ġhaur kiyā ki khāne ke lie achchhā aur deḳhne meṅ bhī dilkash hai. Sab se dilfareb bāt yih ki us se samajh hāsil ho saktī hai! Yih soch kar us ne us kā phal le kar use khāyā. Phir us ne apne shauhar ko bhī de diyā, kyoṅki wuh us ke sāth thā. Us ne bhī khā liyā.
Gene UrduGeoR 3:7  Lekin khāte hī un kī āṅkheṅ khul gaīṅ aur un ko mālūm huā ki ham nange haiṅ. Chunāṅche unhoṅ ne anjīr ke patte sī kar lungiyāṅ banā līṅ.
Gene UrduGeoR 3:8  Shām ke waqt jab ṭhanḍī hawā chalne lagī to unhoṅ ne Rab Ḳhudā ko bāġh meṅ chalte phirte sunā. Wuh ḍar ke māre daraḳhtoṅ ke pīchhe chhup gae.
Gene UrduGeoR 3:9  Rab Ḳhudā ne pukār kar kahā, “Ādam, tū kahāṅ hai?”
Gene UrduGeoR 3:10  Ādam ne jawāb diyā, “Maiṅ ne tujhe bāġh meṅ chalte hue sunā to ḍar gayā, kyoṅki maiṅ nangā hūṅ. Is lie maiṅ chhup gayā.”
Gene UrduGeoR 3:11  Us ne pūchhā, “Kis ne tujhe batāyā ki tū nangā hai? Kyā tū ne us daraḳht kā phal khāyā hai jise khāne se maiṅ ne manā kiyā thā?”
Gene UrduGeoR 3:12  Ādam ne kahā, “Jo aurat tū ne mere sāth rahne ke lie dī hai us ne mujhe phal diyā. Is lie maiṅ ne khā liyā.”
Gene UrduGeoR 3:13  Ab Rab Ḳhudā aurat se muḳhātib huā, “Tū ne yih kyoṅ kiyā?” Aurat ne jawāb diyā, “Sāṅp ne mujhe bahkāyā to maiṅ ne khāyā.”
Gene UrduGeoR 3:14  Rab Ḳhudā ne sāṅp se kahā, “Chūṅki tū ne yih kiyā, is lie tū tamām maweshiyoṅ aur janglī jānwaroṅ meṅ lānatī hai. Tū umr-bhar peṭ ke bal reṅgegā aur ḳhāk chāṭegā.
Gene UrduGeoR 3:15  Maiṅ tere aur aurat ke darmiyān dushmanī paidā karūṅga. Us kī aulād terī aulād kī dushman hogī. Wuh tere sar ko kuchal ḍālegī jabki tū us kī eṛī par kāṭegā.”
Gene UrduGeoR 3:16  Phir Rab Ḳhudā aurat se muḳhātib huā aur kahā, “Jab tū ummīd se hogī to maiṅ terī taklīf ko bahut baṛhāūṅgā. Jab tere bachche hoṅge to tū shadīd dard kā shikār hogī. Tū apne shauhar kī tamannā karegī lekin wuh tujh par hukūmat karegā.”
Gene UrduGeoR 3:17  Ādam se us ne kahā, “Tū ne apnī bīwī kī bāt mānī aur us daraḳht kā phal khāyā jise khāne se maiṅ ne manā kiyā thā. Is lie tere sabab se zamīn par lānat hai. Us se ḳhurāk hāsil karne ke lie tujhe umr-bhar mehnat-mashaqqat karnī paṛegī.
Gene UrduGeoR 3:18  Tere lie wuh ḳhārdār paude aur ūṅṭkaṭāre paidā karegī, hālāṅki tū us se apnī ḳhurāk bhī hāsil karegā.
Gene UrduGeoR 3:19  Pasīnā bahā bahā kar tujhe roṭī kamāne ke lie bhāg-dauṛ karnī paṛegī. Aur yih silsilā maut tak jārī rahegā. Tū mehnat karte karte dubārā zamīn meṅ lauṭ jāegā, kyoṅki tū usī se liyā gayā hai. Tū ḳhāk hai aur dubārā ḳhāk meṅ mil jāegā.”
Gene UrduGeoR 3:20  Ādam ne apnī bīwī kā nām Hawwā yānī Zindagī rakhā, kyoṅki bād meṅ wuh tamām zindoṅ kī māṅ ban gaī.
Gene UrduGeoR 3:21  Rab Ḳhudā ne Ādam aur us kī bīwī ke lie khāloṅ se libās banā kar unheṅ pahnāyā.
Gene UrduGeoR 3:22  Us ne kahā, “Insān hamārī mānind ho gayā hai, wuh achchhe aur bure kā ilm rakhtā hai. Ab aisā na ho ki wuh hāth baṛhā kar zindagī baḳhshne wāle daraḳht ke phal se le aur us se khā kar hameshā tak zindā rahe.”
Gene UrduGeoR 3:23  Is lie Rab Ḳhudā ne use Bāġh-e-Adan se nikāl kar us zamīn kī khetībāṛī karne kī zimmedārī dī jis meṅ se use liyā gayā thā.
Gene UrduGeoR 3:24  Insān ko ḳhārij karne ke bād us ne Bāġh-e-Adan ke mashriq meṅ karūbī farishte khaṛe kie aur sāth sāth ek ātishī talwār rakhī jo idhar-udhar ghūmtī thī tāki us rāste kī hifāzat kare jo zindagī baḳhshne wāle daraḳht tak pahuṅchātā thā.
Chapter 4
Gene UrduGeoR 4:1  Ādam Hawwā se hambistar huā to un kā pahlā beṭā Qābīl paidā huā. Hawwā ne kahā, “Rab kī madad se maiṅ ne ek mard hāsil kiyā hai.”
Gene UrduGeoR 4:2  Bād meṅ Qābīl kā bhāī Hābīl paidā huā. Hābīl bheṛ-bakriyoṅ kā charwāhā ban gayā jabki Qābīl khetībāṛī karne lagā.
Gene UrduGeoR 4:3  Kuchh der ke bād Qābīl ne Rab ko apnī fasloṅ meṅ se kuchh pesh kiyā.
Gene UrduGeoR 4:4  Hābīl ne bhī nazarānā pesh kiyā, lekin us ne apnī bheṛ-bakriyoṅ ke kuchh pahlauṭhe un kī charbī samet chaṛhāe. Hābīl kā nazarānā Rab ko pasand āyā,
Gene UrduGeoR 4:5  magar Qābīl kā nazarānā manzūr na huā. Yih dekh kar Qābīl baṛe ġhusse meṅ ā gayā, aur us kā muṅh bigaṛ gayā.
Gene UrduGeoR 4:6  Rab ne pūchhā, “Tū ġhusse meṅ kyoṅ ā gayā hai? Terā muṅh kyoṅ laṭkā huā hai?
Gene UrduGeoR 4:7  Kyā agar tū achchhī nīyat rakhtā hai to apnī nazar uṭhā kar merī taraf nahīṅ dekh sakegā? Lekin agar achchhī nīyat nahīṅ rakhtā to ḳhabardār! Gunāh darwāze par dabkā baiṭhā hai aur tujhe chāhtā hai. Lekin terā farz hai ki us par ġhālib āe.”
Gene UrduGeoR 4:8  Ek din Qābīl ne apne bhāī se kahā, “Āo, ham bāhar khule maidān meṅ chaleṅ.” Aur jab wuh khule maidān meṅ the to Qābīl ne apne bhāī Hābīl par hamlā karke use mār ḍālā.
Gene UrduGeoR 4:9  Tab Rab ne Qābīl se pūchhā, “Terā bhāī Hābīl kahāṅ hai?” Qābīl ne jawāb diyā, “Mujhe kyā patā! Kyā apne bhāī kī dekh-bhāl karnā merī zimmedārī hai?”
Gene UrduGeoR 4:10  Rab ne kahā, “Tū ne kyā kiyā hai? Tere bhāī kā ḳhūn zamīn meṅ se pukār kar mujh se fariyād kar rahā hai.
Gene UrduGeoR 4:11  Is lie tujh par lānat hai aur zamīn ne tujhe radd kiyā hai, kyoṅki zamīn ko muṅh khol kar tere hāth se qatl kie hue bhāī kā ḳhūn pīnā paṛā.
Gene UrduGeoR 4:12  Ab se jab tū khetībāṛī karegā to zamīn apnī paidāwār dene se inkār karegī. Tū mafrūr ho kar mārā mārā phiregā.”
Gene UrduGeoR 4:13  Qābīl ne kahā, “Merī sazā nihāyat saḳht hai. Maiṅ ise bardāsht nahīṅ kar pāūṅgā.
Gene UrduGeoR 4:14  Āj tū mujhe zamīn kī satah se bhagā rahā hai aur mujhe tere huzūr se bhī chhup jānā hai. Maiṅ mafrūr kī haisiyat se mārā mārā phirtā rahūṅgā, is lie jis ko bhī patā chalegā ki maiṅ kahāṅ hūṅ wuh mujhe qatl kar ḍālegā.”
Gene UrduGeoR 4:15  Lekin Rab ne us se kahā, “Hargiz nahīṅ. Jo Qābīl ko qatl kare us se sāt gunā badlā liyā jāegā.” Phir Rab ne us par ek nishān lagāyā tāki jo bhī Qābīl ko dekhe wuh use qatl na kar de.
Gene UrduGeoR 4:16  Is ke bād Qābīl Rab ke huzūr se chalā gayā aur Adan ke mashriq kī taraf Nod ke ilāqe meṅ jā basā.
Gene UrduGeoR 4:17  Qābīl kī bīwī hāmilā huī. Beṭā paidā huā jis kā nām Hanūk rakhā gayā. Qābīl ne ek shahr tāmīr kiyā aur apne beṭe kī ḳhushī meṅ us kā nām Hanūk rakhā.
Gene UrduGeoR 4:18  Hanūk kā beṭā Īrād thā, Īrād kā beṭā Mahūyāel, Mahūyāel kā beṭā Matūsāel aur Matūsāel kā beṭā Lamak thā.
Gene UrduGeoR 4:19  Lamak kī do bīwiyāṅ thīṅ, Adā aur Zillā.
Gene UrduGeoR 4:20  Adā kā beṭā Yābal thā. Us kī nasl ke log ḳhaimoṅ meṅ rahte aur maweshī pālte the.
Gene UrduGeoR 4:21  Yābal kā bhāī Yūbal thā. Us kī nasl ke log sarod aur bāṅsrī bajāte the.
Gene UrduGeoR 4:22  Zillā ke bhī beṭā paidā huā jis kā nām Tūbal-qābīl thā. Wuh lohār thā. Us kī nasl ke log pītal aur lohe kī chīzeṅ banāte the. Tūbal-qābīl kī bahan kā nām Nāmā thā.
Gene UrduGeoR 4:23  Ek din Lamak ne apnī bīwiyoṅ se kahā, “Adā aur Zillā, merī bāt suno! Lamak kī bīwiyo, mere alfāz par ġhaur karo!
Gene UrduGeoR 4:24  Ek ādmī ne mujhe zaḳhmī kiyā to maiṅ ne use mār ḍālā. Ek laṛke ne mere choṭ lagāī to maiṅ ne use qatl kar diyā. Jo Qābīl ko qatl kare us se sāt gunā badlā liyā jāegā, lekin jo Lamak ko qatl kare us se satattar gunā badlā liyā jāegā.”
Gene UrduGeoR 4:25  Ādam aur Hawwā kā ek aur beṭā paidā huā. Hawwā ne us kā nām Set rakh kar kahā, “Allāh ne mujhe Hābīl kī jagah jise Qābīl ne qatl kiyā ek aur beṭā baḳhshā hai.”
Gene UrduGeoR 4:26  Set ke hāṅ bhī beṭā paidā huā. Us ne us kā nām Anūs rakhā. Un dinoṅ meṅ log Rab kā nām le kar ibādat karne lage.
Chapter 5
Gene UrduGeoR 5:1  Zail meṅ Ādam kā nasabnāmā darj hai. Jab Allāh ne insān ko ḳhalaq kiyā to us ne use apnī sūrat par banāyā.
Gene UrduGeoR 5:2  Us ne unheṅ mard aur aurat paidā kiyā. Aur jis din us ne unheṅ ḳhalaq kiyā us ne unheṅ barkat de kar un kā nām Ādam yānī Insān rakhā.
Gene UrduGeoR 5:3  Ādam kī umr 130 sāl thī jab us kā beṭā Set paidā huā. Set sūrat ke lihāz se apne bāp kī mānind thā, wuh us se mushābahat rakhtā thā.
Gene UrduGeoR 5:4  Set kī paidāish ke bād Ādam mazīd 800 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
Gene UrduGeoR 5:6  Set 105 sāl kā thā jab us kā beṭā Anūs paidā huā.
Gene UrduGeoR 5:7  Is ke bād wuh mazīd 807 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
Gene UrduGeoR 5:9  Anūs 90 baras kā thā jab us kā beṭā Qīnān paidā huā.
Gene UrduGeoR 5:10  Is ke bād wuh mazīd 815 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
Gene UrduGeoR 5:12  Qīnān 70 sāl kā thā jab us kā beṭā Mahalalel paidā huā.
Gene UrduGeoR 5:13  Is ke bād wuh mazīd 840 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
Gene UrduGeoR 5:15  Mahalalel 65 sāl kā thā jab us kā beṭā Yārid paidā huā.
Gene UrduGeoR 5:16  Is ke bād wuh mazīd 830 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
Gene UrduGeoR 5:18  Yārid 162 sāl kā thā jab us kā beṭā Hanūk paidā huā.
Gene UrduGeoR 5:19  Is ke bād wuh mazīd 800 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
Gene UrduGeoR 5:21  Hanūk 65 sāl kā thā jab us kā beṭā Matūsilah paidā huā.
Gene UrduGeoR 5:22  Is ke bād wuh mazīd 300 sāl Allāh ke sāth chaltā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
Gene UrduGeoR 5:24  Hanūk Allāh ke sāth sāth chaltā thā. 365 sāl kī umr meṅ wuh ġhāyb huā, kyoṅki Allāh ne use uṭhā liyā.
Gene UrduGeoR 5:25  Matūsilah 187 sāl kā thā jab us kā beṭā Lamak paidā huā.
Gene UrduGeoR 5:26  Wuh mazīd 782 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe aur beṭiyāṅ bhī paidā hue.
Gene UrduGeoR 5:28  Lamak 182 sāl kā thā jab us kā beṭā paidā huā.
Gene UrduGeoR 5:29  Us ne us kā nām Nūh yānī Tasallī rakhā, kyoṅki us ne us ke bāre meṅ kahā, “Hamārā khetībāṛī kā kām nihāyat taklīfdeh hai, is lie ki Allāh ne zamīn par lānat bhejī hai. Lekin ab ham beṭe kī mārifat tasallī pāeṅge.”
Gene UrduGeoR 5:30  Is ke bād wuh mazīd 595 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
Gene UrduGeoR 5:32  Nūh 500 sāl kā thā jab us ke beṭe Sim, Hām aur Yāfat paidā hue.
Chapter 6
Gene UrduGeoR 6:1  Duniyā meṅ logoṅ kī tādād baṛhne lagī. Un ke hāṅ beṭiyāṅ paidā huīṅ.
Gene UrduGeoR 6:2  Tab āsmānī hastiyoṅ ne dekhā ki banī nau insān kī beṭiyāṅ ḳhūbsūrat haiṅ, aur unhoṅ ne un meṅ se kuchh chun kar un se shādī kī.
Gene UrduGeoR 6:3  Phir Rab ne kahā, “Merī rūh hameshā ke lie insān meṅ na rahe kyoṅki wuh fānī maḳhlūq hai. Ab se wuh 120 sāl se zyādā zindā nahīṅ rahegā.”
Gene UrduGeoR 6:4  Un dinoṅ meṅ aur bād meṅ bhī duniyā meṅ dewqāmat afrād the jo insānī auratoṅ aur un āsmānī hastiyoṅ kī shādiyoṅ se paidā hue the. Yih dewqāmat afrād qadīm zamāne ke mashhūr sūrmā the.
Gene UrduGeoR 6:5  Rab ne dekhā ki insān nihāyat bigaṛ gayā hai, ki us ke tamām ḳhayālāt lagātār burāī kī taraf māyl rahte haiṅ.
Gene UrduGeoR 6:6  Wuh pachhtāyā ki maiṅ ne insān ko banā kar duniyā meṅ rakh diyā hai, aur use saḳht dukh huā.
Gene UrduGeoR 6:7  Us ne kahā, “Go maiṅ hī ne insān ko ḳhalaq kiyā maiṅ use rū-e-zamīn par se miṭā ḍālūṅgā. Maiṅ na sirf logoṅ ko balki zamīn par chalne-phirne aur reṅgne wāle jānwaroṅ aur hawā ke parindoṅ ko bhī halāk kar dūṅgā, kyoṅki maiṅ pachhtātā hūṅ ki maiṅ ne un ko banāyā.”
Gene UrduGeoR 6:9  Yih us kī zindagī kā bayān hai. Nūh rāstbāz thā. Us zamāne ke logoṅ meṅ sirf wuhī bequsūr thā. Wuh Allāh ke sāth sāth chaltā thā.
Gene UrduGeoR 6:11  Lekin duniyā Allāh kī nazar meṅ bigaṛī huī aur zulm-o-tashaddud se bharī huī thī.
Gene UrduGeoR 6:12  Jahāṅ bhī Allāh deḳhtā duniyā ḳharāb thī, kyoṅki tamām jāndāroṅ ne zamīn par apnī rawish ko bigāṛ diyā thā.
Gene UrduGeoR 6:13  Tab Allāh ne Nūh se kahā, “Maiṅ ne tamām jāndāroṅ ko ḳhatm karne kā faislā kiyā hai, kyoṅki un ke sabab se pūrī duniyā zulm-o-tashaddud se bhar gaī hai. Chunāṅche maiṅ un ko zamīn samet tabāh kar dūṅgā.
Gene UrduGeoR 6:14  Ab apne lie saro kī lakaṛī kī kashtī banā le. Us meṅ kamre hoṅ aur use andar aur bāhar tārkol lagā.
Gene UrduGeoR 6:15  Us kī lambāī 450 fuṭ, chauṛāī 75 fuṭ aur ūṅchāī 45 fuṭ ho.
Gene UrduGeoR 6:16  Kashtī kī chhat ko yoṅ banānā ki us ke nīche 18 inch khulā rahe. Ek taraf darwāzā ho, aur us kī tīn manzileṅ hoṅ.
Gene UrduGeoR 6:17  Maiṅ pānī kā itnā baṛā sailāb lāūṅgā ki wuh zamīn ke tamām jāndāroṅ ko halāk kar ḍālegā. Zamīn par sab kuchh fanā ho jāegā.
Gene UrduGeoR 6:18  Lekin tere sāth maiṅ ahd bāndhūṅgā jis ke taht tū apne beṭoṅ, apnī bīwī aur bahuoṅ ke sāth kashtī meṅ jāegā.
Gene UrduGeoR 6:19  Har qism ke jānwar kā ek nar aur ek mādā bhī apne sāth kashtī meṅ le jānā tāki wuh tere sāth jīte bacheṅ.
Gene UrduGeoR 6:20  Har qism ke par rakhne wāle jānwar aur har qism ke zamīn par phirne yā reṅgne wāle jānwar do do ho kar tere pās āeṅge tāki jīte bach jāeṅ.
Gene UrduGeoR 6:21  Jo bhī ḳhurāk darkār hai use apne aur un ke lie jamā karke kashtī meṅ mahfūz kar lenā.”
Gene UrduGeoR 6:22  Nūh ne sab kuchh waisā hī kiyā jaisā Allāh ne use batāyā.
Chapter 7
Gene UrduGeoR 7:1  Phir Rab ne Nūh se kahā, “Apne gharāne samet kashtī meṅ dāḳhil ho jā, kyoṅki is daur ke logoṅ meṅ se maiṅ ne sirf tujhe rāstbāz pāyā hai.
Gene UrduGeoR 7:2  Har qism ke pāk jānwaroṅ meṅ se sāt sāt nar-o-mādā ke joṛe jabki nāpāk jānwaroṅ meṅ se nar-o-mādā kā sirf ek ek joṛā sāth le jānā.
Gene UrduGeoR 7:3  Isī tarah har qism ke par rakhne wāloṅ meṅ se sāt sāt nar-o-mādā ke joṛe bhī sāth le jānā tāki un kī nasleṅ bachī raheṅ.
Gene UrduGeoR 7:4  Ek hafte ke bād maiṅ chālīs din aur chālīs rāt mutawātir bārish barsāūṅgā. Is se maiṅ tamām jāndāroṅ ko rū-e-zamīn par se miṭā ḍālūṅgā, agarche maiṅ hī ne unheṅ banāyā hai.”
Gene UrduGeoR 7:5  Nūh ne waisā hī kiyā jaisā Rab ne hukm diyā thā.
Gene UrduGeoR 7:6  Wuh 600 sāl kā thā jab yih tūfānī sailāb zamīn par āyā.
Gene UrduGeoR 7:7  Tūfānī sailāb se bachne ke lie Nūh apne beṭoṅ, apnī bīwī aur bahuoṅ ke sāth kashtī meṅ sawār huā.
Gene UrduGeoR 7:8  Zamīn par phirne wāle pāk aur nāpāk jānwar, par rakhne wāle aur tamām reṅgne wāle jānwar bhī āe.
Gene UrduGeoR 7:9  Nar-o-mādā kī sūrat meṅ do do ho kar wuh Nūh ke pās ā kar kashtī meṅ sawār hue. Sab kuchh waisā hī huā jaisā Allāh ne Nūh ko hukm diyā thā.
Gene UrduGeoR 7:10  Ek hafte ke bād tūfānī sailāb zamīn par ā gayā.
Gene UrduGeoR 7:11  Yih sab kuchh us waqt huā jab Nūh 600 sāl kā thā. Dūsre mahīne ke 17weṅ din zamīn kī gahrāiyoṅ meṅ se tamām chashme phūṭ nikle aur āsmān par pānī ke darīche khul gae.
Gene UrduGeoR 7:12  Chālīs din aur chālīs rāt tak mūslādhār bārish hotī rahī.
Gene UrduGeoR 7:13  Jab bārish shurū huī to Nūh, us ke beṭe Sim, Hām aur Yāfat, us kī bīwī aur bahueṅ kashtī meṅ sawār ho chuke the.
Gene UrduGeoR 7:14  Un ke sāth har qism ke janglī jānwar, maweshī, reṅgne aur par rakhne wāle jānwar the.
Gene UrduGeoR 7:15  Har qism ke jāndār do do ho kar Nūh ke pās ā kar kashtī meṅ sawār ho chuke the.
Gene UrduGeoR 7:16  Nar-o-mādā āe the. Sab kuchh waisā hī huā thā jaisā Allāh ne Nūh ko hukm diyā thā. Phir Rab ne darwāze ko band kar diyā.
Gene UrduGeoR 7:17  Chālīs din tak tūfānī sailāb jārī rahā. Pānī chaṛhā to us ne kashtī ko zamīn par se uṭhā liyā.
Gene UrduGeoR 7:18  Pānī zor pakaṛ kar bahut baṛh gayā, aur kashtī us par tairne lagī.
Gene UrduGeoR 7:19  Āḳhirkār pānī itnā zyādā ho gayā ki tamām ūṅche pahāṛ bhī us meṅ chhup gae.
Gene UrduGeoR 7:20  Balki sab se ūṅchī choṭī par pānī kī gahrāī 20 fuṭ thī.
Gene UrduGeoR 7:21  Zamīn par rahne wālī har maḳhlūq halāk huī. Parinde, maweshī, janglī jānwar, tamām jāndār jin se zamīn bharī huī thī aur insān, sab kuchh mar gayā.
Gene UrduGeoR 7:23  Yoṅ har maḳhlūq ko rū-e-zamīn par se miṭā diyā gayā. Insān, zamīn par phirne aur reṅgne wāle jānwar aur parinde, sab kuchh ḳhatm kar diyā gayā. Sirf Nūh aur kashtī meṅ sawār us ke sāthī bach gae.
Gene UrduGeoR 7:24  Sailāb ḍeṛh sau din tak zamīn par ġhālib rahā.
Chapter 8
Gene UrduGeoR 8:1  Lekin Allāh ko Nūh aur tamām jānwar yād rahe jo kashtī meṅ the. Us ne hawā chalā dī jis se pānī kam hone lagā.
Gene UrduGeoR 8:2  Zamīn ke chashme aur āsmān par ke pānī ke darīche band ho gae. Aur bārish ruk gaī.
Gene UrduGeoR 8:3  Pānī ghaṭtā gayā. 150 din ke bād wuh kāfī kam ho gayā thā.
Gene UrduGeoR 8:4  Sātweṅ mahīne ke 17weṅ din kashtī Arārāt ke ek pahāṛ par ṭik gaī.
Gene UrduGeoR 8:5  Dasweṅ mahīne ke pahle din pānī itnā kam ho gayā thā ki pahāṛoṅ kī choṭiyāṅ nazar āne lagī thīṅ.
Gene UrduGeoR 8:6  Chālīs din ke bād Nūh ne kashtī kī khiṛkī khol kar ek kawwā chhoṛ diyā, aur wuh uṛ kar chalā gayā. Lekin jab tak zamīn par pānī thā wuh ātā jātā rahā.
Gene UrduGeoR 8:7  Chālīs din ke bād Nūh ne kashtī kī khiṛkī khol kar ek kawwā chhoṛ diyā, aur wuh uṛ kar chalā gayā. Lekin jab tak zamīn par pānī thā wuh ātā jātā rahā.
Gene UrduGeoR 8:8  Phir Nūh ne ek kabūtar chhoṛ diyā tāki patā chale ki zamīn pānī se nikal āī hai yā nahīṅ.
Gene UrduGeoR 8:9  Lekin kabūtar ko kahīṅ bhī baiṭhne kī jagah na milī, kyoṅki ab tak pūrī zamīn par pānī hī pānī thā. Wuh kashtī aur Nūh ke pās wāpas ā gayā, aur Nūh ne apnā hāth baṛhāyā aur kabūtar ko pakaṛ kar apne pās kashtī meṅ rakh liyā.
Gene UrduGeoR 8:10  Us ne ek haftā aur intazār karke kabūtar ko dubārā chhoṛ diyā.
Gene UrduGeoR 8:11  Shām ke waqt wuh lauṭ āyā. Is dafā us kī choṅch meṅ zaitūn kā tāzā pattā thā. Tab Nūh ko mālūm huā ki zamīn pānī se nikal āī hai.
Gene UrduGeoR 8:12  Us ne mazīd ek hafte ke bād kabūtar ko chhoṛ diyā. Is dafā wuh wāpas na āyā.
Gene UrduGeoR 8:13  Jab Nūh 601 sāl kā thā to pahle mahīne ke pahle din zamīn kī satah par pānī ḳhatm ho gayā. Tab Nūh ne kashtī kī chhat khol dī aur dekhā ki zamīn kī satah par pānī nahīṅ hai.
Gene UrduGeoR 8:14  Dūsre mahīne ke 27weṅ din zamīn bilkul ḳhushk ho gaī.
Gene UrduGeoR 8:16  “Apnī bīwī, beṭoṅ aur bahuoṅ ke sāth kashtī se nikal ā.
Gene UrduGeoR 8:17  Jitne bhī jānwar sāth haiṅ unheṅ nikāl de, ḳhāh parinde hoṅ, ḳhāh zamīn par phirne yā reṅgne wāle jānwar. Wuh duniyā meṅ phail jāeṅ, nasl baṛhāeṅ aur tādād meṅ baṛhte jāeṅ.”
Gene UrduGeoR 8:18  Chunāṅche Nūh apne beṭoṅ, apnī bīwī aur bahuoṅ samet nikal āyā.
Gene UrduGeoR 8:19  Tamām jānwar aur parinde bhī apnī apnī qism ke gurohoṅ meṅ kashtī se nikle.
Gene UrduGeoR 8:20  Us waqt Nūh ne Rab ke lie qurbāngāh banāī. Us ne tamām phirne aur uṛne wāle pāk jānwaroṅ meṅ se kuchh chun kar unheṅ zabah kiyā aur qurbāngāh par pūrī tarah jalā diyā.
Gene UrduGeoR 8:21  Yih qurbāniyāṅ dekh kar Rab ḳhush huā aur apne dil meṅ kahā, “Ab se maiṅ kabhī zamīn par insān kī wajah se lānat nahīṅ bhejūṅgā, kyoṅki us kā dil bachpan hī se burāī kī taraf māyl hai. Ab se maiṅ kabhī is tarah tamām jān rakhne wālī maḳhlūqāt ko rū-e-zamīn par se nahīṅ miṭāūṅgā.
Gene UrduGeoR 8:22  Duniyā ke muqarrarā auqāt jārī raheṅge. Bīj bone aur fasal kāṭne kā waqt, ṭhanḍ aur tapish, garmiyoṅ aur sardiyoṅ kā mausam, din aur rāt, yih sab kuchh duniyā ke Aḳhīr tak qāym rahegā.”
Chapter 9
Gene UrduGeoR 9:1  Phir Allāh ne Nūh aur us ke beṭoṅ ko barkat de kar kahā, “Phalo-phūlo aur tādād meṅ baṛhte jāo. Duniyā tum se bhar jāe
Gene UrduGeoR 9:2  zamīn par phirne aur reṅgne wāle jānwar, parinde aur machhliyāṅ sab tum se ḍareṅge. Unheṅ tumhāre iḳhtiyār meṅ kar diyā gayā hai.
Gene UrduGeoR 9:3  Jis tarah maiṅ ne tumhāre khāne ke lie paudoṅ kī paidāwār muqarrar kī hai usī tarah ab se tumheṅ har qism ke jānwar khāne kī ijāzat bhī hai.
Gene UrduGeoR 9:4  Lekin ḳhabardār! Aisā gosht na khānā jis meṅ ḳhūn hai, kyoṅki ḳhūn meṅ us kī jān hai.
Gene UrduGeoR 9:5  Kisī kī jān lenā manā hai. Jo aisā karegā use apnī jān denī paṛegī, ḳhāh wuh insān ho yā haiwān. Maiṅ ḳhud is kā mutālabā karūṅga.
Gene UrduGeoR 9:6  Jo bhī kisī kā ḳhūn bahāe us kā ḳhūn bhī bahāyā jāegā. Kyoṅki Allāh ne insān ko apnī sūrat par banāyā hai.
Gene UrduGeoR 9:7  Ab phalo-phūlo aur tādād meṅ baṛhte jāo. Duniyā meṅ phail jāo.”
Gene UrduGeoR 9:8  Tab Allāh ne Nūh aur us ke beṭoṅ se kahā,
Gene UrduGeoR 9:9  “Ab maiṅ tumhāre aur tumhārī aulād ke sāth ahd qāym kartā hūṅ.
Gene UrduGeoR 9:10  Yih ahd un tamām jānwaroṅ ke sāth bhī hogā jo kashtī meṅ se nikle haiṅ yānī parindoṅ, maweshiyoṅ aur zamīn par ke tamām jānwaroṅ ke sāth.
Gene UrduGeoR 9:11  Maiṅ tumhāre sāth ahd bāndh kar wādā kartā hūṅ ki ab se aisā kabhī nahīṅ hogā ki zamīn kī tamām zindagī sailāb se ḳhatm kar dī jāegī. Ab se aisā sailāb kabhī nahīṅ āegā jo pūrī zamīn ko tabāh kar de.
Gene UrduGeoR 9:12  Is abadī ahd kā nishān jo maiṅ tumhāre aur tamām jāndāroṅ ke sāth qāym kar rahā hūṅ yih hai ki
Gene UrduGeoR 9:13  maiṅ apnī kamān bādaloṅ meṅ rakhtā hūṅ. Wuh mere duniyā ke sāth ahd kā nishān hogā.
Gene UrduGeoR 9:14  Jab kabhī mere kahne par āsmān par bādal chhā jāeṅge aur qaus-e-quzah un meṅ se nazar āegī
Gene UrduGeoR 9:15  to maiṅ yih ahd yād karūṅga jo tumhāre aur tamām jāndāroṅ ke sāth kiyā gayā hai. Ab kabhī bhī aisā sailāb nahīṅ āegā jo tamām zindagī ko halāk kar de.
Gene UrduGeoR 9:16  Qaus-e-quzah nazar āegī to maiṅ use dekh kar us dāymī ahd ko yād karūṅga jo mere aur duniyā kī tamām jāndār maḳhlūqāt ke darmiyān hai.
Gene UrduGeoR 9:17  Yih us ahd kā nishān hai jo maiṅ ne duniyā ke tamām jāndāroṅ ke sāth kiyā hai.”
Gene UrduGeoR 9:18  Nūh ke jo beṭe us ke sāth kashtī se nikle Sim, Hām aur Yāfat the. Hām Kanān kā bāp thā.
Gene UrduGeoR 9:19  Duniyā-bhar ke tamām log in tīnoṅ kī aulād haiṅ.
Gene UrduGeoR 9:20  Nūh kisān thā. Shurū meṅ us ne angūr kā bāġh lagāyā.
Gene UrduGeoR 9:21  Angūr se mai banā kar us ne itnī pī lī ki wuh nashe meṅ dhut apne ḍere meṅ nangā paṛā rahā.
Gene UrduGeoR 9:22  Kanān ke bāp Hām ne use yoṅ paṛā huā dekhā to bāhar jā kar apne donoṅ bhāiyoṅ ko us ke bāre meṅ batāyā.
Gene UrduGeoR 9:23  Yih sun kar Sim aur Yāfat ne apne kandhoṅ par kapṛā rakhā. Phir wuh ulṭe chalte hue ḍere meṅ dāḳhil hue aur kapṛā apne bāp par ḍāl diyā. Un ke muṅh dūsrī taraf muṛe rahe tāki bāp kī barahnagī nazar na āe.
Gene UrduGeoR 9:24  Jab Nūh hosh meṅ āyā to us ko patā chalā ki sab se chhoṭe beṭe ne kyā kiyā hai.
Gene UrduGeoR 9:25  Us ne kahā, “Kanān par lānat! Wuh apne bhāiyoṅ kā zalīltarīn ġhulām hogā.
Gene UrduGeoR 9:26  Mubārak ho Rab jo Sim kā Ḳhudā hai. Kanān Sim kā ġhulām ho.
Gene UrduGeoR 9:27  Allāh kare ki Yāfat kī hudūd baṛh jāeṅ. Yāfat Sim ke ḍeroṅ meṅ rahe aur Kanān us kā ġhulām ho.”
Gene UrduGeoR 9:28  Sailāb ke bād Nūh mazīd 350 sāl zindā rahā.
Chapter 10
Gene UrduGeoR 10:1  Yih Nūh ke beṭoṅ Sim, Hām aur Yāfat kā nasabnāmā hai. Un ke beṭe sailāb ke bād paidā hue.
Gene UrduGeoR 10:2  Yāfat ke beṭe Jumar, Mājūj, Mādī, Yāwān, Tūbal, Masak aur Tīrās the.
Gene UrduGeoR 10:3  Jumar ke beṭe Ashkanāz, Rīfat aur Tujarmā the.
Gene UrduGeoR 10:4  Yāwān ke beṭe Ilīsā aur Tarsīs the. Kittī aur Dodānī bhī us kī aulād haiṅ.
Gene UrduGeoR 10:5  Wuh un qaumoṅ ke ābā-o-ajdād haiṅ jo sāhilī ilāqoṅ aur jazīroṅ meṅ phail gaīṅ. Yih Yāfat kī aulād haiṅ jo apne apne qabīle aur mulk meṅ rahte hue apnī apnī zabān bolte haiṅ.
Gene UrduGeoR 10:7  Kūsh ke beṭe Sibā, Hawīlā, Sabtā, Rāmā aur Sabtakā the. Rāmā ke beṭe Sabā aur Dadān the.
Gene UrduGeoR 10:8  Kūsh kā ek aur beṭā banām Namrūd thā. Wuh duniyā meṅ pahlā zabardast hākim thā.
Gene UrduGeoR 10:9  Rab ke nazdīk wuh zabardast shikārī thā. Is lie āj bhī kisī achchhe shikārī ke bāre meṅ kahā jātā hai, “Wuh Namrūd kī mānind hai jo Rab ke nazdīk zabardast shikārī thā.”
Gene UrduGeoR 10:10  Us kī saltanat ke pahle markaz Mulk-e-Sinār meṅ Bābal, Arak, Akkād aur Kalnā ke shahr the.
Gene UrduGeoR 10:11  Us mulk se nikal kar wuh Asūr chalā gayā jahāṅ us ne Nīnwā, Rahobot-īr, Kalah
Gene UrduGeoR 10:12  aur Rasan ke shahr tāmīr kie. Baṛā shahr Rasan Nīnwā aur Kalah ke darmiyān wāqe hai.
Gene UrduGeoR 10:13  Misr in qaumoṅ kā bāp thā: Lūdī, Anāmī, Lihābī, Naftūhī,
Gene UrduGeoR 10:14  Fatrūsī, Kaslūhī (jin se Filistī nikle) aur Kaftūrī.
Gene UrduGeoR 10:15  Kanān kā pahlauṭhā Saidā thā. Kanān zail kī qaumoṅ kā bāp bhī thā: Hittī
Gene UrduGeoR 10:18  Arwādī, Samārī aur Hamātī. Bād meṅ Kanānī qabīle itne phail gae
Gene UrduGeoR 10:19  ki un kī hudūd shimāl meṅ Saidā se junūb kī taraf Jirār se ho kar Ġhazzā tak aur wahāṅ se mashriq kī taraf Sadūm, Amūrā, Admā aur Zaboīm se ho kar lasā tak thīṅ.
Gene UrduGeoR 10:20  Yih sab Hām kī aulād haiṅ, jo un ke apne apne qabīle, apnī apnī zabān, apne apne mulk aur apnī apnī qaum ke mutābiq darj haiṅ.
Gene UrduGeoR 10:21  Sim Yāfat kā baṛā bhāī thā. Us ke bhī beṭe paidā hue. Sim tamām banī Ibar kā bāp hai.
Gene UrduGeoR 10:22  Sim ke beṭe Ailām, Asūr, Arfaksad, Lūd aur Arām the.
Gene UrduGeoR 10:24  Arfaksad kā beṭā Silah aur Silah kā beṭā Ibar thā.
Gene UrduGeoR 10:25  Ibar ke hāṅ do beṭe paidā hue. Ek kā nām Falaj yānī Taqsīm thā, kyoṅki un aiyām meṅ duniyā taqsīm huī. Falaj ke bhāī kā nām Yuqtān thā.
Gene UrduGeoR 10:26  Yuqtān ke beṭe Almūdād, Salaf, Hasarmāwat, Irāḳh,
Gene UrduGeoR 10:29  Ofīr, Hawīlā aur Yūbāb the. Yih sab Yuqtān ke beṭe the.
Gene UrduGeoR 10:30  Wuh Mesā se le kar Safār aur mashriqī pahāṛī ilāqe tak ābād the.
Gene UrduGeoR 10:31  Yih sab Sim kī aulād haiṅ, jo apne apne qabīle, apnī apnī zabān, apne apne mulk aur apnī apnī qaum ke mutābiq darj haiṅ.
Gene UrduGeoR 10:32  Yih sab Nūh ke beṭoṅ ke qabīle haiṅ, jo apnī nasloṅ aur qaumoṅ ke mutābiq darj kie gae haiṅ. Sailāb ke bād tamām qaumeṅ inhīṅ se nikal kar rū-e-zamīn par phail gaīṅ.
Chapter 11
Gene UrduGeoR 11:1  Us waqt tak pūrī duniyā ke log ek hī zabān bolte the.
Gene UrduGeoR 11:2  Mashriq kī taraf baṛhte baṛhte wuh Sinār ke ek maidān meṅ pahuṅch kar wahāṅ ābād hue.
Gene UrduGeoR 11:3  Tab wuh ek dūsre se kahne lage, “Āo, ham miṭṭī se īṅṭeṅ banā kar unheṅ āg meṅ ḳhūb pakāeṅ.” Unhoṅ ne tāmīrī kām ke lie patthar kī jagah īṅṭeṅ aur masāle kī jagah tārkol istemāl kiyā.
Gene UrduGeoR 11:4  Phir wuh kahne lage, “Āo, ham apne lie shahr banā leṅ jis meṅ aisā burj ho jo āsmān tak pahuṅch jāe phir hamārā nām qāym rahegā aur ham rū-e-zamīn par bikhar jāne se bach jāeṅge.”
Gene UrduGeoR 11:5  Lekin Rab us shahr aur burj ko deḳhne ke lie utar āyā jise log banā rahe the.
Gene UrduGeoR 11:6  Rab ne kahā, “Yih log ek hī qaum haiṅ aur ek hī zabān bolte haiṅ. Aur yih sirf us kā āġhāz hai jo wuh karnā chāhte haiṅ. Ab se jo bhī wuh mil kar karnā chāheṅge us se unheṅ rokā nahīṅ jā sakegā.
Gene UrduGeoR 11:7  Is lie āo, ham duniyā meṅ utar kar un kī zabān ko darham-barham kar deṅ tāki wuh ek dūsre kī bāt samajh na pāeṅ.”
Gene UrduGeoR 11:8  Is tarīqe se Rab ne unheṅ tamām rū-e-zamīn par muntashir kar diyā, aur shahr kī tāmīr ruk gaī.
Gene UrduGeoR 11:9  Is lie shahr kā nām Bābal yānī Abtarī ṭhahrā, kyoṅki Rab ne wahāṅ tamām logoṅ kī zabān ko darham-barham karke unheṅ tamām rū-e-zamīn par muntashir kar diyā.
Gene UrduGeoR 11:10  Yih Sim kā nasabnāmā hai: Sim 100 sāl kā thā jab us kā beṭā Arfaksad paidā huā. Yih sailāb ke do sāl bād huā.
Gene UrduGeoR 11:11  Is ke bād wuh mazīd 500 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
Gene UrduGeoR 11:13  Is ke bād wuh mazīd 403 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
Gene UrduGeoR 11:15  Is ke bād wuh mazīd 403 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
Gene UrduGeoR 11:17  Is ke bād wuh mazīd 430 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
Gene UrduGeoR 11:19  Is ke bād wuh mazīd 209 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
Gene UrduGeoR 11:21  Is ke bād wuh mazīd 207 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
Gene UrduGeoR 11:23  Is ke bād wuh mazīd 200 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
Gene UrduGeoR 11:25  Is ke bād wuh mazīd 119 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
Gene UrduGeoR 11:26  Tārah 70 sāl kā thā jab us ke beṭe Abrām, Nahūr aur Hārān paidā hue.
Gene UrduGeoR 11:27  Yih Tārah kā nasabnāmā hai: Abrām, Nahūr aur Hārān Tārah ke beṭe the. Lūt Hārān kā beṭā thā.
Gene UrduGeoR 11:28  Apne bāp Tārah kī zindagī meṅ hī Hārān Kasdiyoṅ ke Ūr meṅ intaqāl kar gayā jahāṅ wuh paidā bhī huā thā.
Gene UrduGeoR 11:29  Bāqī donoṅ beṭoṅ kī shādī huī. Abrām kī bīwī kā nām Sāray thā aur Nahūr kī bīwī kā nām Milkāh. Milkāh Hārān kī beṭī thī, aur us kī ek bahan banām Iskā thī.
Gene UrduGeoR 11:30  Sāray bāṅjh thī, is lie us ke bachche nahīṅ the.
Gene UrduGeoR 11:31  Tārah Kasdiyoṅ ke Ūr se rawānā ho kar Mulk-e-Kanān kī taraf safr karne lagā. Us ke sāth us kā beṭā Abrām, us kā potā Lūt yānī Hārān kā beṭā aur us kī bahū Sāray the. Jab wuh Hārān pahuṅche to wahāṅ ābād ho gae.
Gene UrduGeoR 11:32  Tārah 205 sāl kā thā jab us ne Hārān meṅ wafāt pāī.
Chapter 12
Gene UrduGeoR 12:1  Rab ne Abrām se kahā, “Apne watan, apne rishtedāroṅ aur apne bāp ke ghar ko chhoṛ kar us mulk meṅ chalā jā jo maiṅ tujhe dikhāūṅgā.
Gene UrduGeoR 12:2  Maiṅ tujh se ek baṛī qaum banāūṅgā, tujhe barkat dūṅgā aur tere nām ko bahut baṛhāūṅgā. Tū dūsroṅ ke lie barkat kā bāis hogā.
Gene UrduGeoR 12:3  Jo tujhe barkat deṅge unheṅ maiṅ bhī barkat dūṅgā. Jo tujh par lānat karegā us par maiṅ bhī lānat karūṅga. Duniyā kī tamām qaumeṅ tujh se barkat pāeṅgī.”
Gene UrduGeoR 12:4  Abrām ne Rab kī sunī aur Hārān se rawānā huā. Lūt us ke sāth thā. Us waqt Abrām 75 sāl kā thā.
Gene UrduGeoR 12:5  Us ke sāth us kī bīwī Sāray aur us kā bhatījā Lūt the. Wuh apne naukar-chākaroṅ samet apnī pūrī milkiyat bhī sāth le gayā jo us ne Hārān meṅ hāsil kī thī. Chalte chalte wuh Kanān pahuṅche.
Gene UrduGeoR 12:6  Abrām us mulk meṅ se guzar kar Sikam ke maqām par ṭhahar gayā jahāṅ Morih ke balūt kā daraḳht thā. Us zamāne meṅ mulk meṅ Kanānī qaumeṅ ābād thīṅ.
Gene UrduGeoR 12:7  Wahāṅ Rab Abrām par zāhir huā aur us se kahā, “Maiṅ terī aulād ko yih mulk dūṅgā.” Is lie us ne wahāṅ Rab kī tāzīm meṅ qurbāngāh banāī jahāṅ wuh us par zāhir huā thā.
Gene UrduGeoR 12:8  Wahāṅ se wuh us pahāṛī ilāqe kī taraf gayā jo Baitel ke mashriq meṅ hai. Wahāṅ us ne apnā ḳhaimā lagāyā. Maġhrib meṅ Baitel thā aur mashriq meṅ Aī. Is jagah par bhī us ne Rab kī tāzīm meṅ qurbāngāh banāī aur Rab kā nām le kar ibādat kī.
Gene UrduGeoR 12:9  Phir Abrām dubārā rawānā ho kar junūb ke Dasht-e-Najab kī taraf chal paṛā.
Gene UrduGeoR 12:10  Un dinoṅ meṅ Mulk-e-Kanān meṅ kāl paṛā. Kāl itnā saḳht thā ki Abrām us se bachne kī ḳhātir kuchh der ke lie Misr meṅ jā basā, lekin pardesī kī haisiyat se.
Gene UrduGeoR 12:11  Jab wuh Misr kī sarhad ke qarīb āe to us ne apnī bīwī Sāray se kahā, “Maiṅ jāntā hūṅ ki tū kitnī ḳhūbsūrat hai.
Gene UrduGeoR 12:12  Misrī tujhe dekheṅge, phir kaheṅge, ‘Yih is kā shauhar hai.’ Natīje meṅ wuh mujhe mār ḍāleṅge aur tujhe zindā chhoṛeṅge.
Gene UrduGeoR 12:13  Is lie logoṅ se yih kahte rahnā ki maiṅ Abrām kī bahan hūṅ. Phir mere sāth achchhā sulūk kiyā jāegā aur merī jān tere sabab se bach jāegī.”
Gene UrduGeoR 12:14  Jab Abrām Misr pahuṅchā to wāqaī Misriyoṅ ne dekhā ki Sāray nihāyat hī ḳhūbsūrat hai.
Gene UrduGeoR 12:15  Aur jab Firaun ke afsarān ne use dekhā to unhoṅ ne Firaun ke sāmne Sāray kī tārīf kī. Āḳhirkār use mahal meṅ pahuṅchāyā gayā.
Gene UrduGeoR 12:16  Firaun ne Sāray kī ḳhātir Abrām par ehsān karke use bheṛ-bakriyāṅ, gāy-bail, gadhe-gadhiyāṅ, naukar-chākar aur ūṅṭ die.
Gene UrduGeoR 12:17  Lekin Rab ne Sāray ke sabab se Firaun aur us ke gharāne meṅ saḳht qism ke amrāz phailāe.
Gene UrduGeoR 12:18  Āḳhirkār Firaun ne Abrām ko bulā kar kahā, “Tū ne mere sāth kyā kiyā? Tū ne mujhe kyoṅ nahīṅ batāyā ki Sāray terī bīwī hai?
Gene UrduGeoR 12:19  Tū ne kyoṅ kahā ki wuh merī bahan hai? Is dhoke kī binā par maiṅ ne use ghar meṅ rakh liyā tāki us se shādī karūṅ. Dekh, terī bīwī hāzir hai. Ise le kar yahāṅ se nikal jā!”
Gene UrduGeoR 12:20  Phir Firaun ne apne sipāhiyoṅ ko hukm diyā, aur unhoṅ ne Abrām, us kī bīwī aur pūrī milkiyat ko ruḳhsat karke mulk se rawānā kar diyā.
Chapter 13
Gene UrduGeoR 13:1  Abrām apnī bīwī, Lūt aur tamām jāydād ko sāth le kar Misr se niklā aur Kanān ke junūbī ilāqe Dasht-e-Najab meṅ wāpas āyā.
Gene UrduGeoR 13:2  Abrām nihāyat daulatmand ho gayā thā. Us ke pās bahut-se maweshī aur sonā-chāṅdī thī.
Gene UrduGeoR 13:3  Wahāṅ se jagah bajagah chalte hue wuh āḳhirkār Baitel se ho kar us maqām tak pahuṅch gayā jahāṅ us ne shurū meṅ apnā ḍerā lagāyā thā aur jo Baitel aur Aī ke darmiyān thā.
Gene UrduGeoR 13:4  Wahāṅ jahāṅ us ne qurbāngāh banāī thī us ne Rab kā nām le kar us kī ibādat kī.
Gene UrduGeoR 13:5  Lūt ke pās bhī bahut-sī bheṛ-bakriyāṅ, gāy-bail aur ḳhaime the.
Gene UrduGeoR 13:6  Natījā yih niklā ki āḳhirkār wuh mil kar na rah sake, kyoṅki itnī jagah nahīṅ thī ki donoṅ ke rewaṛ ek hī jagah par char sakeṅ.
Gene UrduGeoR 13:7  Abrām aur Lūt ke charwāhe āpas meṅ jhagaṛne lage. (Us zamāne meṅ Kanānī aur Farizzī bhī mulk meṅ ābād the.)
Gene UrduGeoR 13:8  Tab Abrām ne Lūt se bāt kī, “Aisā nahīṅ honā chāhie ki tere aur mere darmiyān jhagaṛā ho yā tere charwāhoṅ aur mere charwāhoṅ ke darmiyān. Ham to bhāī haiṅ.
Gene UrduGeoR 13:9  Kyā zarūrat hai ki ham mil kar raheṅ jabki tū āsānī se is mulk kī kisī aur jagah rah saktā hai. Behtar hai ki tū mujh se alag ho kar kahīṅ aur rahe. Agar tū bāeṅ hāth jāe to maiṅ dāeṅ hāth jāūṅgā, aur agar tū dāeṅ hāth jāe to maiṅ bāeṅ hāth jāūṅgā.”
Gene UrduGeoR 13:10  Lūt ne apnī nazar uṭhā kar dekhā ki Dariyā-e-Yardan ke pūre ilāqe meṅ Zuġhar tak pānī kī kasrat hai. Wuh Rab ke bāġh yā Mulk-e-Misr kī mānind thā, kyoṅki us waqt Rab ne Sadūm aur Amūrā ko tabāh nahīṅ kiyā thā.
Gene UrduGeoR 13:11  Chunāṅche Lūt ne Dariyā-e-Yardan ke pūre ilāqe ko chun liyā aur mashriq kī taraf jā basā. Yoṅ donoṅ rishtedār ek dūsre se judā ho gae.
Gene UrduGeoR 13:12  Abrām Mulk-e-Kanān meṅ rahā jabki Lūt Yardan ke ilāqe ke shahroṅ ke darmiyān ābād ho gayā. Wahāṅ us ne apne ḳhaime Sadūm ke qarīb lagā die.
Gene UrduGeoR 13:13  Lekin Sadūm ke bāshinde nihāyat sharīr the, aur un ke Rab ke ḳhilāf gunāh nihāyat makrūh the.
Gene UrduGeoR 13:14  Lūt Abrām se judā huā to Rab ne Abrām se kahā, “Apnī nazar uṭhā kar chāroṅ taraf yānī shimāl, junūb, mashriq aur maġhrib kī taraf dekh.
Gene UrduGeoR 13:15  Jo bhī zamīn tujhe nazar āe use maiṅ tujhe aur terī aulād ko hameshā ke lie detā hūṅ.
Gene UrduGeoR 13:16  Maiṅ terī aulād ko ḳhāk kī tarah beshumār hone dūṅgā. Jis tarah ḳhāk ke zarre gine nahīṅ jā sakte usī tarah terī aulād bhī ginī nahīṅ jā sakegī.
Gene UrduGeoR 13:17  Chunāṅche uṭh kar is mulk kī har jagah chal-phir, kyoṅki maiṅ ise tujhe detā hūṅ.”
Gene UrduGeoR 13:18  Abrām rawānā huā. Chalte chalte us ne apne ḍere Habrūn ke qarīb Mamre ke daraḳhtoṅ ke pās lagāe. Wahāṅ us ne Rab kī tāzīm meṅ qurbāngāh banāī.
Chapter 14
Gene UrduGeoR 14:1  Kanān meṅ jang huī. Bairūn-e-mulk ke chār bādshāhoṅ ne Kanān ke pāṅch bādshāhoṅ se jang kī. Bairūn-e-mulk ke bādshāh yih the: Sinār se Amrāfil, Illāsar se Aryūk, Ailām se Kidarlāumar aur Joyim se Tidāl.
Gene UrduGeoR 14:2  Kanān ke bādshāh yih the: Sadūm se Birā, Amūrā se Birshā, Admā se Siniyāb, Zaboīm se Shimebar aur Bālā yānī Zuġhar kā bādshāh.
Gene UrduGeoR 14:3  Kanān ke in pāṅch bādshāhoṅ kā ittahād huā thā aur wuh Wādī-e-Siddīm meṅ jamā hue the. (Ab Siddīm nahīṅ hai, kyoṅki us kī jagah Bahīrā-e-Murdār ā gayā hai.)
Gene UrduGeoR 14:4  Kidarlāumar ne bārah sāl tak un par hukūmat kī thī, lekin terhweṅ sāl wuh bāġhī ho gae the.
Gene UrduGeoR 14:5  Ab ek sāl ke bād Kidarlāumar aur us ke ittahādī apnī faujoṅ ke sāth āe. Pahle unhoṅ ne Astārāt-qarnaim meṅ Rafāiyoṅ ko, Hām meṅ Zūziyoṅ ko, Sawī-qiriyatāym meṅ Aimiyoṅ ko
Gene UrduGeoR 14:6  aur Horiyoṅ ko un ke pahāṛī ilāqe Saīr meṅ shikast dī. Yoṅ wuh El-fārān tak pahuṅch gae jo registān ke kināre par hai.
Gene UrduGeoR 14:7  Phir wuh wāpas āe aur Ain-misfāt yānī Qādis pahuṅche. Unhoṅ ne Amālīqiyoṅ ke pūre ilāqe ko tabāh kar diyā aur Hassūn-tamr meṅ ābād Amoriyoṅ ko bhī shikast dī.
Gene UrduGeoR 14:8  Us waqt Sadūm, Amūrā, Admā, Zaboīm aur Bālā yānī Zuġhar ke bādshāh un se laṛne ke lie Siddīm kī Wādī meṅ jamā hue.
Gene UrduGeoR 14:9  In pāṅch bādshāhoṅ ne Ailām ke bādshāh Kidarlāumar, Joyim ke bādshāh Tidāl, Sinār ke bādshāh Amrāfil aur Illāsar ke bādshāh Aryūk kā muqābalā kiyā.
Gene UrduGeoR 14:10  Is wādī meṅ tārkol ke muta'addid gaṛhe the. Jab bāġhī bādshāh shikast khā kar bhāgne lage to Sadūm aur Amūrā ke bādshāh in gaṛhoṅ meṅ gir gae jabki bāqī tīn bādshāh bach kar pahāṛī ilāqe meṅ farār hue.
Gene UrduGeoR 14:11  Fathmand bādshāh Sadūm aur Amūrā kā tamām māl tamām khāne wālī chīzoṅ samet lūṭ kar wāpas chal die.
Gene UrduGeoR 14:12  Abrām kā bhatījā Lūt Sadūm meṅ rahtā thā, is lie wuh use bhī us kī milkiyat samet chhīn kar sāth le gae.
Gene UrduGeoR 14:13  Lekin ek ādmī ne jo bach niklā thā Ibrānī mard Abrām ke pās ā kar use sab kuchh batā diyā. Us waqt wuh Mamre ke daraḳhtoṅ ke pās ābād thā. Mamre Amorī thā. Wuh aur us ke bhāī Iskāl aur Āner Abrām ke ittahādī the.
Gene UrduGeoR 14:14  Jab Abrām ko patā chalā ki bhatīje ko giriftār kar liyā gayā hai to us ne apne ghar meṅ paidā hue tamām jangāzmūdā ġhulāmoṅ ko jamā karke Dān tak dushman kā tāqqub kiyā. Us ke sāth 318 afrād the.
Gene UrduGeoR 14:15  Wahāṅ us ne apne bandoṅ ko gurohoṅ meṅ taqsīm karke rāt ke waqt dushman par hamlā kiyā. Dushman shikast khā kar bhāg gayā aur Abrām ne Damishq ke shimāl meṅ wāqe Ḳhūbā tak us kā tāqqub kiyā.
Gene UrduGeoR 14:16  Wuh un se lūṭā huā tamām māl wāpas le āyā. Lūt, us kī jāydād, aurateṅ aur bāqī qaidī bhī dushman ke qabze se bach nikle.
Gene UrduGeoR 14:17  Jab Abrām Kidarlāumar aur us ke ittahādiyoṅ par fatah pāne ke bād wāpas pahuṅchā to Sadūm kā bādshāh us se milne ke lie Wādī-e-Sawī meṅ āyā. (Ise ājkal Bādshāh kī Wādī kahā jātā hai.)
Gene UrduGeoR 14:18  Sālim kā bādshāh Malik-e-sidq bhī wahāṅ pahuṅchā. Wuh apne sāth roṭī aur mai le āyā. Malik-e-sidq Allāh T'ālā kā imām thā.
Gene UrduGeoR 14:19  Us ne Abrām ko barkat de kar kahā, “Abrām par Allāh T'ālā kī barkat ho, jo āsmān-o-zamīn kā Ḳhāliq hai.
Gene UrduGeoR 14:20  Allāh T'ālā mubārak ho jis ne tere dushmanoṅ ko tere hāth meṅ kar diyā hai.” Abrām ne use tamām māl kā daswāṅ hissā diyā.
Gene UrduGeoR 14:21  Sadūm ke bādshāh ne Abrām se kahā, “Mujhe mere log wāpas kar deṅ aur bāqī chīzeṅ apne pās rakh leṅ.”
Gene UrduGeoR 14:22  Lekin Abrām ne us se kahā, “Maiṅ ne Rab se qasam khāī hai, Allāh T'ālā se jo āsmān-o-zamīn kā Ḳhāliq hai
Gene UrduGeoR 14:23  ki maiṅ us meṅ se kuchh nahīṅ lūṅgā jo āp kā hai, chāhe wuh dhāgā yā jūtī kā tasmā hī kyoṅ na ho. Aisā na ho ki āp kaheṅ, ‘Maiṅ ne Abrām ko daulatmand banā diyā hai.’
Gene UrduGeoR 14:24  Siwāe us khāne ke jo mere ādmiyoṅ ne rāste meṅ khāyā hai maiṅ kuchh qabūl nahīṅ karūṅga. Lekin mere ittahādī Āner, Iskāl aur Mamre zarūr apnā apnā hissā leṅ.”
Chapter 15
Gene UrduGeoR 15:1  Is ke bād Rab royā meṅ Abrām se hamkalām huā, “Abrām, mat ḍar. Maiṅ hī terī sipar hūṅ, maiṅ hī terā bahut baṛā ajr hūṅ.”
Gene UrduGeoR 15:2  Lekin Abrām ne etarāz kiyā, “Ai Rab Qādir-e-mutlaq, tū mujhe kyā degā jabki abhī tak mere hāṅ koī bachchā nahīṅ hai aur Iliyazar Damishqī merī mīrās pāegā.
Gene UrduGeoR 15:3  Tū ne mujhe aulād nahīṅ baḳhshī, is lie mere gharāne kā naukar merā wāris hogā.”
Gene UrduGeoR 15:4  Tab Abrām ko Allāh se ek aur kalām milā. “Yih ādmī Iliyazar terā wāris nahīṅ hogā balki terā apnā hī beṭā terā wāris hogā.”
Gene UrduGeoR 15:5  Rab ne use bāhar le jā kar kahā, “Āsmān kī taraf dekh aur sitāroṅ ko ginane kī koshish kar. Terī aulād itnī hī beshumār hogī.”
Gene UrduGeoR 15:6  Abrām ne Rab par bharosā rakhā. Is binā par Allāh ne use rāstbāz qarār diyā.
Gene UrduGeoR 15:7  Phir Rab ne us se kahā, “Maiṅ Rab hūṅ jo tujhe Kasdiyoṅ ke Ūr se yahāṅ le āyā tāki tujhe yih mulk mīrās meṅ de dūṅ.”
Gene UrduGeoR 15:8  Abrām ne pūchhā, “Ai Rab Qādir-e-mutlaq, maiṅ kis tarah jānūṅ ki is mulk par qabzā karūṅga?”
Gene UrduGeoR 15:9  Jawāb meṅ Rab ne kahā, “Mere huzūr ek tīnsālā gāy, ek tīnsālā bakrī aur ek tīnsālā menḍhā le ā. Ek qumrī aur ek kabūtar kā bachchā bhī le ānā.”
Gene UrduGeoR 15:10  Abrām ne aisā hī kiyā aur phir har ek jānwar ko do hissoṅ meṅ kāṭ kar un ko ek dūsre ke āmne-sāmne rakh diyā. Lekin parindoṅ ko us ne sālim rahne diyā.
Gene UrduGeoR 15:11  Shikārī parinde un par utarne lage, lekin Abrām unheṅ bhagātā rahā.
Gene UrduGeoR 15:12  Jab sūraj ḍūbne lagā to Abrām par gahrī nīnd tārī huī. Us par dahshat aur andherā hī andherā chhā gayā.
Gene UrduGeoR 15:13  Phir Rab ne us se kahā, “Jān le ki terī aulād aise mulk meṅ rahegī jo us kā nahīṅ hogā. Wahāṅ wuh ajnabī aur ġhulām hogī, aur us par 400 sāl tak bahut zulm kiyā jāegā.
Gene UrduGeoR 15:14  Lekin maiṅ us qaum kī adālat karūṅga jis ne use ġhulām banāyā hogā. Is ke bād wuh baṛī daulat pā kar us mulk se nikleṅge.
Gene UrduGeoR 15:15  Tū ḳhud umrrasīdā ho kar salāmatī ke sāth intaqāl karke apne bāpdādā se jā milegā aur dafnāyā jāegā.
Gene UrduGeoR 15:16  Terī aulād kī chauthī pusht ġhairwatan se wāpas āegī, kyoṅki us waqt tak maiṅ Amoriyoṅ ko bardāsht karūṅga. Lekin āḳhirkār un ke gunāh itne sangīn ho jāeṅge ki maiṅ unheṅ Mulk-e-Kanān se nikāl dūṅgā.”
Gene UrduGeoR 15:17  Sūraj ġhurūb huā. Andherā chhā gayā. Achānak ek dhuāṅdār tanūr aur ek bhaṛaktī huī mashāl nazar āī aur jānwaroṅ ke do do ṭukṛoṅ ke bīch meṅ se guzare.
Gene UrduGeoR 15:18  Us waqt Rab ne Abrām ke sāth ahd kiyā. Us ne kahā, “Maiṅ yih mulk Misr kī sarhad se Furāt tak terī aulād ko dūṅgā,
Gene UrduGeoR 15:19  agarche abhī tak is meṅ Qīnī, Qanizzī, Kadmūnī,
Gene UrduGeoR 15:21  Amorī, Kanānī, Jirjāsī aur Yabūsī ābād haiṅ.”
Chapter 16
Gene UrduGeoR 16:1  Ab tak Abrām kī bīwī Sāray ke koī bachchā nahīṅ huā thā. Lekin unhoṅ ne ek Misrī launḍī rakhī thī jis kā nām Hājirā thā,
Gene UrduGeoR 16:2  aur ek din Sāray ne Abrām se kahā, “Rab ne mujhe bachche paidā karne se mahrūm rakhā hai, is lie merī launḍī ke sāth hambistar hoṅ. Shāyad mujhe us kī mārifat bachchā mil jāe.” Abrām ne Sāray kī bāt mān lī.
Gene UrduGeoR 16:3  Chunāṅche Sāray ne apnī Misrī launḍī Hājirā ko apne shauhar Abrām ko de diyā tāki wuh us kī bīwī ban jāe us waqt Abrām ko Kanān meṅ baste hue das sāl ho gae the.
Gene UrduGeoR 16:4  Abrām Hājirā se hambistar huā to wuh ummīd se ho gaī. Jab Hājirā ko yih mālūm huā to wuh apnī mālikan ko haqīr jānane lagī.
Gene UrduGeoR 16:5  Tab Sāray ne Abrām se kahā, “Jo zulm mujh par kiyā jā rahā hai wuh āp hī par āe. Maiṅ ne ḳhud ise āp ke bāzuoṅ meṅ de diyā thā. Ab jab ise mālūm huā hai ki ummīd se hai to mujhe haqīr jānane lagī hai. Rab mere aur āp ke darmiyān faislā kare.”
Gene UrduGeoR 16:6  Abrām ne jawāb diyā, “Dekho, yih tumhārī launḍī hai aur tumhāre iḳhtiyār meṅ hai. Jo tumhārā jī chāhe us ke sāth karo.” Is par Sāray us se itnā burā sulūk karne lagī ki Hājirā farār ho gaī.
Gene UrduGeoR 16:7  Rab ke farishte ko Hājirā registān ke us chashme ke qarīb milī jo Shūr ke rāste par hai.
Gene UrduGeoR 16:8  Us ne kahā, “Sāray kī launḍī Hājirā, tū kahāṅ se ā rahī hai aur kahāṅ jā rahī hai?” Hājirā ne jawāb diyā, “Maiṅ apnī mālikan Sāray se farār ho rahī hūṅ.”
Gene UrduGeoR 16:9  Rab ke farishte ne us se kahā, “Apnī mālikan ke pās wāpas chalī jā aur us ke tābe rah.
Gene UrduGeoR 16:10  Maiṅ terī aulād itnī baṛhāūṅgā ki use ginā nahīṅ jā sakegā.”
Gene UrduGeoR 16:11  Rab ke farishte ne mazīd kahā, “Tū ummīd se hai. Ek beṭā paidā hogā. Us kā nām Ismāīl yānī ‘Allāh Suntā Hai’ rakh, kyoṅki Rab ne musībat meṅ terī āwāz sunī.
Gene UrduGeoR 16:12  Wuh janglī gadhe kī mānind hogā. Us kā hāth har ek ke ḳhilāf aur har ek kā hāth us ke ḳhilāf hogā. To bhī wuh apne tamām bhāiyoṅ ke sāmne ābād rahegā.”
Gene UrduGeoR 16:13  Rab ke us ke sāth bāt karne ke bād Hājirā ne us kā nām Attā-el-roī yānī ‘Tū Ek Mābūd Hai Jo Mujhe Deḳhtā Hai’ rakhā. Us ne kahā, “Kyā maiṅ ne wāqaī us ke pīchhe dekhā hai jis ne mujhe dekhā hai?”
Gene UrduGeoR 16:14  Is lie us jagah ke kueṅ kā nām ‘Bair-lahī-roī’ yānī ‘Us Zindā Hastī kā Kuāṅ Jo Mujhe Deḳhtā Hai’ paṛ gayā. Wuh Qādis aur Barad ke darmiyān wāqe hai.
Gene UrduGeoR 16:15  Hājirā wāpas gaī, aur us ke beṭā paidā huā. Abrām ne us kā nām Ismāīl rakhā.
Chapter 17
Gene UrduGeoR 17:1  Jab Abrām 99 sāl kā thā to Rab us par zāhir huā. Us ne kahā, “Maiṅ Allāh Qādir-e-mutlaq hūṅ. Mere huzūr chaltā rah aur be'ilzām ho.
Gene UrduGeoR 17:2  Maiṅ tere sāth apnā ahd bāndhūṅgā aur terī aulād ko bahut hī zyādā baṛhā dūṅgā.”
Gene UrduGeoR 17:3  Abrām muṅh ke bal gir gayā, aur Allāh ne us se kahā,
Gene UrduGeoR 17:4  “Merā tere sāth ahd hai ki tū bahut qaumoṅ kā bāp hogā.
Gene UrduGeoR 17:5  Ab se tū Abrām yānī ‘Azīm Bāp’ nahīṅ kahlāegā balki terā nām Ibrāhīm yānī ‘Bahut Qaumoṅ kā Bāp’ hogā. Kyoṅki maiṅ ne tujhe bahut qaumoṅ kā bāp banā diyā hai.
Gene UrduGeoR 17:6  Maiṅ tujhe bahut hī zyādā aulād baḳhsh dūṅgā, itnī ki qaumeṅ baneṅgī. Tujh se bādshāh bhī nikleṅge.
Gene UrduGeoR 17:7  Maiṅ apnā ahd tere aur terī aulād ke sāth nasl-dar-nasl qāym karūṅga, ek abadī ahd jis ke mutābiq maiṅ terā aur terī aulād kā Ḳhudā hūṅgā.
Gene UrduGeoR 17:8  Tū is waqt Mulk-e-Kanān meṅ pardesī hai, lekin maiṅ is pūre mulk ko tujhe aur terī aulād ko detā hūṅ. Yih hameshā tak un kā hī rahegā, aur maiṅ un kā Ḳhudā hūṅgā.”
Gene UrduGeoR 17:9  Allāh ne Ibrāhīm se yih bhī kahā, “Tujhe aur terī aulād ko nasl-dar-nasl mere ahd kī sharāyt pūrī karnī haiṅ.
Gene UrduGeoR 17:10  Is kī ek shart yih hai ki har ek mard kā ḳhatnā kiyā jāe
Gene UrduGeoR 17:11  apnā ḳhatnā karāo. Yih hamāre āpas ke ahd kā zāhirī nishān hogā.
Gene UrduGeoR 17:12  Lāzim hai ki tū aur terī aulād nasl-dar-nasl apne har ek beṭe kā āṭhweṅ din ḳhatnā karwāeṅ. Yih usūl us par bhī lāgū hai jo tere ghar meṅ rahtā hai lekin tujh se rishtā nahīṅ rakhtā, chāhe wuh ghar meṅ paidā huā ho yā kisī ajnabī se ḳharīdā gayā ho.
Gene UrduGeoR 17:13  Ghar ke har ek mard kā ḳhatnā karnā lāzim hai, ḳhāh wuh ghar meṅ paidā huā ho yā kisī ajnabī se ḳharīdā gayā ho. Yih is bāt kā nishān hogā ki merā tere sāth ahd hameshā tak qāym rahegā.
Gene UrduGeoR 17:14  Jis mard kā ḳhatnā na kiyā gayā use us kī qaum meṅ se miṭāyā jāegā, kyoṅki us ne mere ahd kī sharāyt pūrī na kīṅ.”
Gene UrduGeoR 17:15  Allāh ne Ibrāhīm se yih bhī kahā, “Apnī bīwī Sāray kā nām bhī badal denā. Ab se us kā nām Sāray nahīṅ balki Sārā yānī Shahzādī hogā.
Gene UrduGeoR 17:16  Maiṅ use barkat baḳhshūṅgā aur tujhe us kī mārifat beṭā dūṅgā. Maiṅ use yahāṅ tak barkat dūṅgā ki us se qaumeṅ balki qaumoṅ ke bādshāh nikleṅge.”
Gene UrduGeoR 17:17  Ibrāhīm muṅh ke bal gir gayā. Lekin dil hī dil meṅ wuh haṅs paṛā aur sochā, “Yih kis tarah ho saktā hai? Maiṅ to 100 sāl kā hūṅ. Aise ādmī ke hāṅ bachchā kis tarah paidā ho saktā hai? Aur Sārā jaisī umrrasīdā aurat ke bachchā kis tarah paidā ho saktā hai? Us kī umr to 90 sāl hai.”
Gene UrduGeoR 17:18  Us ne Allāh se kahā, “Hāṅ, Ismāīl hī tere sāmne jītā rahe.”
Gene UrduGeoR 17:19  Allāh ne kahā, “Nahīṅ, terī bīwī Sārā ke hāṅ beṭā paidā hogā. Tū us kā nām Is'hāq yānī ‘Wuh Haṅstā Hai’ rakhnā. Maiṅ us ke aur us kī aulād ke sāth abadī ahd bāndhūṅgā.
Gene UrduGeoR 17:20  Maiṅ Ismāīl ke silsile meṅ bhī terī darḳhāst pūrī karūṅga. Maiṅ use bhī barkat de kar phalne-phūlne dūṅgā aur us kī aulād bahut hī zyādā baṛhā dūṅgā. Wuh bārah ra'īsoṅ kā bāp hogā, aur maiṅ us kī mārifat ek baṛī qaum banāūṅgā.
Gene UrduGeoR 17:21  Lekin merā ahd Is'hāq ke sāth hogā, jo ain ek sāl ke bād Sārā ke hāṅ paidā hogā.”
Gene UrduGeoR 17:22  Allāh kī Ibrāhīm ke sāth bāt ḳhatm huī, aur wuh us ke pās se āsmān par chalā gayā.
Gene UrduGeoR 17:23  Usī din Ibrāhīm ne Allāh kā hukm pūrā kiyā. Us ne ghar ke har ek mard kā ḳhatnā karwāyā, apne beṭe Ismāīl kā bhī aur un kā bhī jo us ke ghar meṅ rahte lekin us se rishtā nahīṅ rakhte the, chāhe wuh us ke ghar meṅ paidā hue the yā ḳharīde gae the.
Gene UrduGeoR 17:24  Ibrāhīm 99 sāl kā thā jab us kā ḳhatnā huā,
Gene UrduGeoR 17:27  Sāth sāth gharāne ke tamām bāqī mardoṅ kā ḳhatnā bhī huā, bashamūl un ke jin kā Ibrāhīm ke sāth rishtā nahīṅ thā, chāhe wuh ghar meṅ paidā hue yā kisī ajnabī se ḳharīde gae the.
Chapter 18
Gene UrduGeoR 18:1  Ek din Rab Mamre ke daraḳhtoṅ ke pās Ibrāhīm par zāhir huā. Ibrāhīm apne ḳhaime ke darwāze par baiṭhā thā. Din kī garmī urūj par thī.
Gene UrduGeoR 18:2  Achānak us ne dekhā ki tīn mard mere sāmne khaṛe haiṅ. Unheṅ deḳhte hī wuh ḳhaime se un se milne ke lie dauṛā aur muṅh ke bal gir kar sijdā kiyā.
Gene UrduGeoR 18:3  Us ne kahā, “Mere āqā, agar mujh par āp ke karm kī nazar hai to āge na baṛheṅ balki kuchh der apne bande ke ghar ṭhahreṅ.
Gene UrduGeoR 18:4  Agar ijāzat ho to maiṅ kuchh pānī le āūṅ tāki āp apne pāṅw dho kar daraḳht ke sāy meṅ ārām kar sakeṅ.
Gene UrduGeoR 18:5  Sāth sāth maiṅ āp ke lie thoṛā-bahut khānā bhī le āūṅ tāki āp taqwiyat pā kar āge baṛh sakeṅ. Mujhe yih karne deṅ, kyoṅki āp apne ḳhādim ke ghar ā gae haiṅ.” Unhoṅ ne kahā, “Ṭhīk hai. Jo kuchh tū ne kahā hai wuh kar.”
Gene UrduGeoR 18:6  Ibrāhīm ḳhaime kī taraf dauṛ kar Sārā ke pās āyā aur kahā, “Jaldī karo! 16 kilogrām behtarīn maidā le aur use gūṅdh kar roṭiyāṅ banā.”
Gene UrduGeoR 18:7  Phir wuh bhāg kar bailoṅ ke pās pahuṅchā. Un meṅ se us ne ek moṭā-tāzā bachhṛā chun liyā jis kā gosht narm thā aur use apne naukar ko diyā jis ne jaldī se use taiyār kiyā.
Gene UrduGeoR 18:8  Jab khānā taiyār thā to Ibrāhīm ne use le kar lassī aur dūdh ke sāth apne mehmānoṅ ke āge rakh diyā. Wuh khāne lage aur Ibrāhīm un ke sāmne daraḳht ke sāy meṅ khaṛā rahā.
Gene UrduGeoR 18:9  Unhoṅ ne pūchhā, “Terī bīwī Sārā kahāṅ hai?” Us ne jawāb diyā, “Ḳhaime meṅ.”
Gene UrduGeoR 18:10  Rab ne kahā, “Ain ek sāl ke bād maiṅ wāpas āūṅgā to terī bīwī Sārā ke beṭā hogā.” Sārā yih bāteṅ sun rahī thī, kyoṅki wuh us ke pīchhe ḳhaime ke darwāze ke pās thī.
Gene UrduGeoR 18:11  Donoṅ miyāṅ-bīwī būṛhe ho chuke the aur Sārā us umr se guzar chukī thī jis meṅ auratoṅ ke bachche paidā hote haiṅ.
Gene UrduGeoR 18:12  Is lie Sārā andar hī andar haṅs paṛī aur sochā, “Yih kaise ho saktā hai? Kyā jab maiṅ buṛhāpe ke bāis ghise-phaṭe libās kī mānind hūṅ to jawānī ke joban kā lutf uṭhāūṅ? Aur merā shauhar bhī būṛhā hai.”
Gene UrduGeoR 18:13  Rab ne Ibrāhīm se pūchhā, “Sārā kyoṅ haṅs rahī hai? Wuh kyoṅ kah rahī hai, ‘Kyā wāqaī mere hāṅ bachchā paidā hogā jabki maiṅ itnī umrrasīdā hūṅ?’
Gene UrduGeoR 18:14  Kyā Rab ke lie koī kām nāmumkin hai? Ek sāl ke bād muqarrarā waqt par maiṅ wāpas āūṅgā to Sārā ke beṭā hogā.”
Gene UrduGeoR 18:15  Sārā ḍar gaī. Us ne jhūṭ bol kar inkār kiyā, “Maiṅ nahīṅ haṅs rahī thī.” Rab ne kahā, “Nahīṅ, tū zarūr haṅs rahī thī.”
Gene UrduGeoR 18:16  Phir mehmān uṭh kar rawānā hue aur nīche wādī meṅ Sadūm kī taraf deḳhne lage. Ibrāhīm unheṅ ruḳhsat karne ke lie sāth sāth chal rahā thā.
Gene UrduGeoR 18:17  Rab ne dil meṅ kahā, “Maiṅ Ibrāhīm se wuh kām kyoṅ chhupāe rakhūṅ jo maiṅ karne ke lie jā rahā hūṅ?
Gene UrduGeoR 18:18  Isī se to ek baṛī aur tāqatwar qaum niklegī aur isī se maiṅ duniyā kī tamām qaumoṅ ko barkat dūṅgā.
Gene UrduGeoR 18:19  Usī ko maiṅ ne chun liyā hai tāki wuh apnī aulād aur apne bād ke gharāne ko hukm de ki wuh Rab kī rāh par chal kar rāst aur munsifānā kām kareṅ. Kyoṅki agar wuh aisā kareṅ to Rab Ibrāhīm ke sāth apnā wādā pūrā karegā.”
Gene UrduGeoR 18:20  Phir Rab ne kahā, “Sadūm aur Amūrā kī badī ke bāis logoṅ kī āheṅ buland ho rahī haiṅ, kyoṅki un se bahut sangīn gunāh sarzad ho rahe haiṅ.
Gene UrduGeoR 18:21  Maiṅ utar kar un ke pās jā rahā hūṅ tāki dekhūṅ ki yih ilzām wāqaī sach haiṅ jo mujh tak pahuṅche haiṅ. Agar aisā nahīṅ hai to maiṅ yih jānanā chāhtā hūṅ.”
Gene UrduGeoR 18:22  Dūsre do ādmī Sadūm kī taraf āge nikle jabki Rab kuchh der ke lie wahāṅ ṭhahrā rahā aur Ibrāhīm us ke sāmne khaṛā rahā.
Gene UrduGeoR 18:23  Phir us ne qarīb ā kar us se bāt kī, “Kyā tū rāstbāzoṅ ko bhī sharīroṅ ke sāth tabāh kar degā?
Gene UrduGeoR 18:24  Ho saktā hai ki shahr meṅ 50 rāstbāz hoṅ. Kyā tū phir bhī shahr ko barbād kar degā aur use un 50 ke sabab se muāf nahīṅ karegā?
Gene UrduGeoR 18:25  Yih kaise ho saktā hai ki tū bequsūroṅ ko sharīroṅ ke sāth halāk kar de? Yih to nāmumkin hai ki tū nek aur sharīr logoṅ se ek jaisā sulūk kare. Kyā lāzim nahīṅ ki pūrī duniyā kā munsif insāf kare?”
Gene UrduGeoR 18:26  Rab ne jawāb diyā, “Agar mujhe shahr meṅ 50 rāstbāz mil jāeṅ to un ke sabab se tamām ko muāf kar dūṅgā.”
Gene UrduGeoR 18:27  Ibrāhīm ne kahā, “Maiṅ muāfī chāhtā hūṅ ki maiṅ ne Rab se bāt karne kī jurrat kī hai agarche maiṅ ḳhāk aur rākh hī hūṅ.
Gene UrduGeoR 18:28  Lekin ho saktā hai ki sirf 45 rāstbāz us meṅ hoṅ. Kyā tū phir bhī un pāṅch logoṅ kī kamī ke sabab se pūre shahr ko tabāh karegā?” Us ne kahā, “Agar mujhe 45 bhī mil jāeṅ to use barbād nahīṅ karūṅga.”
Gene UrduGeoR 18:29  Ibrāhīm ne apnī bāt jārī rakhī, “Aur agar sirf 40 nek log hoṅ to?” Rab ne kahā, “Maiṅ un 40 ke sabab se unheṅ chhoṛ dūṅgā.”
Gene UrduGeoR 18:30  Ibrāhīm ne kahā, “Rab ġhussā na kare ki maiṅ ek dafā aur bāt karūṅ. Shāyad wahāṅ sirf 30 hoṅ.” Us ne jawāb diyā, “Phir bhī unheṅ chhoṛ dūṅgā.”
Gene UrduGeoR 18:31  Ibrāhīm ne kahā, “Maiṅ muāfī chāhtā hūṅ ki maiṅ ne Rab se bāt karne kī jurrat kī hai. Agar sirf 20 pāe jāeṅ?” Rab ne kahā, “Maiṅ 20 ke sabab se shahr ko barbād karne se bāz rahūṅgā.”
Gene UrduGeoR 18:32  Ibrāhīm ne ek āḳhirī dafā bāt kī, “Rab ġhussā na kare agar maiṅ ek aur bār bāt karūṅ. Shāyad us meṅ sirf 10 pāe jāeṅ.” Rab ne kahā, “Maiṅ use un 10 logoṅ ke sabab se bhī barbād nahīṅ karūṅga.”
Gene UrduGeoR 18:33  In bātoṅ ke bād Rab chalā gayā aur Ibrāhīm apne ghar ko lauṭ āyā.
Chapter 19
Gene UrduGeoR 19:1  Shām ke waqt yih do farishte Sadūm pahuṅche. Lūt shahr ke darwāze par baiṭhā thā. Jab us ne unheṅ dekhā to khaṛe ho kar un se milne gayā aur muṅh ke bal gir kar sijdā kiyā.
Gene UrduGeoR 19:2  Us ne kahā, “Sāhibo, apne bande ke ghar tashrīf lāeṅ tāki apne pāṅw dho kar rāt ko ṭhahreṅ aur phir kal subah-sawere uṭh kar apnā safr jārī rakheṅ.” Unhoṅ ne kahā, “Koī bāt nahīṅ, ham chauk meṅ rāt guzāreṅge.”
Gene UrduGeoR 19:3  Lekin Lūt ne unheṅ bahut majbūr kiyā, aur āḳhirkār wuh us ke sāth us ke ghar āe. Us ne un ke lie khānā pakāyā aur beḳhamīrī roṭī banāī. Phir unhoṅ ne khānā khāyā.
Gene UrduGeoR 19:4  Wuh abhī sone ke lie leṭe nahīṅ the ki shahr ke jawānoṅ se le kar būṛhoṅ tak tamām mardoṅ ne Lūt ke ghar ko gher liyā.
Gene UrduGeoR 19:5  Unhoṅ ne āwāz de kar Lūt se kahā, “Wuh ādmī kahāṅ haiṅ jo rāt ke waqt tere pās āe? Un ko bāhar le ā tāki ham un ke sāth harāmkārī kareṅ.”
Gene UrduGeoR 19:6  Lūt un se milne bāhar gayā. Us ne apne pīchhe darwāzā band kar liyā
Gene UrduGeoR 19:7  aur kahā, “Mere bhāiyo, aisā mat karo, aisī badkārī na karo.
Gene UrduGeoR 19:8  Dekho, merī do kuṅwārī beṭiyāṅ haiṅ. Unheṅ maiṅ tumhāre pās bāhar le ātā hūṅ. Phir jo jī chāhe un ke sāth karo. Lekin in ādmiyoṅ ko chhoṛ do, kyoṅki wuh mere mehmān haiṅ.”
Gene UrduGeoR 19:9  Unhoṅ ne kahā, “Rāste se haṭ jā! Dekho, yih shaḳhs jab hamāre pās āyā thā to ajnabī thā, aur ab yih ham par hākim bananā chāhtā hai. Ab tere sāth un se zyādā burā sulūk kareṅge.” Wuh use majbūr karte karte darwāze ko toṛne ke lie āge baṛhe.
Gene UrduGeoR 19:10  Lekin ain waqt par andar ke ādmī Lūt ko pakaṛ kar andar le āe, phir darwāzā dubārā band kar diyā.
Gene UrduGeoR 19:11  Unhoṅ ne chhoṭoṅ se le kar baṛoṅ tak bāhar ke tamām ādmiyoṅ ko andhā kar diyā, aur wuh darwāze ko ḍhūṅḍte ḍhūṅḍte thak gae.
Gene UrduGeoR 19:12  Donoṅ ādmiyoṅ ne Lūt se kahā, “Kyā terā koī aur rishtedār is shahr meṅ rahtā hai, masalan koī dāmād yā beṭā-beṭī? Sab ko sāth le kar yahāṅ se chalā jā,
Gene UrduGeoR 19:13  kyoṅki ham yih maqām tabāh karne ko haiṅ. Is ke bāshindoṅ kī badī ke bāis logoṅ kī āheṅ buland ho kar Rab ke huzūr pahuṅch gaī haiṅ, is lie us ne hameṅ is ko tabāh karne ke lie bhejā hai.”
Gene UrduGeoR 19:14  Lūt ghar se niklā aur apne dāmādoṅ se bāt kī jin kā us kī beṭiyoṅ ke sāth rishtā ho chukā thā. Us ne kahā, “Jaldī karo, is jagah se niklo, kyoṅki Rab is shahr ko tabāh karne ko hai.” Lekin us ke dāmādoṅ ne ise mazāq hī samjhā.
Gene UrduGeoR 19:15  Jab pau phaṭne lagī to donoṅ ādmiyoṅ ne Lūt ko bahut samjhāyā aur kahā, “Jaldī kar! Apnī bīwī aur donoṅ beṭiyoṅ ko sāth le kar chalā jā, warnā jab shahr ko sazā dī jāegī to tū bhī halāk ho jāegā.”
Gene UrduGeoR 19:16  To bhī wuh jhijaktā rahā. Āḳhirkār donoṅ ne Lūt, us kī bīwī aur beṭiyoṅ ke hāth pakaṛ kar unheṅ shahr ke bāhar tak pahuṅchā diyā, kyoṅki Rab ko Lūt par tars ātā thā.
Gene UrduGeoR 19:17  Jyoṅ hī wuh unheṅ bāhar le āe un meṅ se ek ne kahā, “Apnī jān bachā kar chalā jā. Pīchhe muṛ kar na deḳhnā. Maidān meṅ kahīṅ na ṭhaharnā balki pahāṛoṅ meṅ panāh lenā, warnā tū halāk ho jāegā.”
Gene UrduGeoR 19:18  Lekin Lūt ne un se kahā, “Nahīṅ mere āqā, aisā na ho.
Gene UrduGeoR 19:19  Tere bande ko terī nazar-e-karm hāsil huī hai aur tū ne merī jān bachāne meṅ bahut mehrbānī kar dikhāī hai. Lekin maiṅ pahāṛoṅ meṅ panāh nahīṅ le saktā. Wahāṅ pahuṅchne se pahle yih musībat mujh par ān paṛegī aur maiṅ halāk ho jāūṅgā.
Gene UrduGeoR 19:20  Dekh, qarīb hī ek chhoṭā qasbā hai. Wuh itnā nazdīk hai ki maiṅ us taraf hijrat kar saktā hūṅ. Mujhe wahāṅ panāh lene de. Wuh chhoṭā hī hai, nā? Phir merī jān bachegī.”
Gene UrduGeoR 19:21  Us ne kahā, “Chalo, ṭhīk hai. Terī yih darḳhāst bhī manzūr hai. Maiṅ yih qasbā tabāh nahīṅ karūṅga.
Gene UrduGeoR 19:22  Lekin bhāg kar wahāṅ panāh le, kyoṅki jab tak tū wahāṅ pahuṅch na jāe maiṅ kuchh nahīṅ kar saktā.” Is lie qasbe kā nām Zuġhar yānī Chhoṭā hai.
Gene UrduGeoR 19:23  Jab Lūt Zuġhar pahuṅchā to sūraj niklā huā thā.
Gene UrduGeoR 19:24  Tab Rab ne āsmān se Sadūm aur Amūrā par gandhak aur āg barsāī.
Gene UrduGeoR 19:25  Yoṅ us ne us pūre maidān ko us ke shahroṅ, bāshindoṅ aur tamām hariyālī samet tabāh kar diyā.
Gene UrduGeoR 19:26  Lekin farār hote waqt Lūt kī bīwī ne pīchhe muṛ kar dekhā to wuh fauran namak kā satūn ban gaī.
Gene UrduGeoR 19:27  Ibrāhīm subah-sawere uṭh kar us jagah wāpas āyā jahāṅ wuh kal Rab ke sāmne khaṛā huā thā.
Gene UrduGeoR 19:28  Jab us ne nīche Sadūm, Amūrā aur pūrī wādī kī taraf nazar kī to wahāṅ se bhaṭṭe kā-sā dhuāṅ uṭh rahā thā.
Gene UrduGeoR 19:29  Yoṅ Allāh ne Ibrāhīm ko yād kiyā jab us ne us maidān ke shahr tabāh kie. Kyoṅki wuh unheṅ tabāh karne se pahle Lūt ko jo un meṅ ābād thā wahāṅ se nikāl lāyā.
Gene UrduGeoR 19:30  Lūt aur us kī beṭiyāṅ zyādā der tak Zuġhar meṅ na ṭhahre. Wuh rawānā ho kar pahāṛoṅ meṅ ābād hue, kyoṅki Lūt Zuġhar meṅ rahne se ḍartā thā. Wahāṅ unhoṅ ne ek ġhār ko apnā ghar banā liyā.
Gene UrduGeoR 19:31  Ek din baṛī beṭī ne chhoṭī se kahā, “Abbū būṛhā hai aur yahāṅ koī mard hai nahīṅ jis ke zariye hamāre bachche paidā ho sakeṅ.
Gene UrduGeoR 19:32  Āo, ham Abbū ko mai pilāeṅ. Jab wuh nashe meṅ dhut ho to ham us ke sāth hambistar ho kar apne lie aulād paidā kareṅ tāki hamārī nasl qāym rahe.”
Gene UrduGeoR 19:33  Us rāt unhoṅ ne apne bāp ko mai pilāī. Jab wuh nashe meṅ thā to baṛī beṭī andar jā kar us ke sāth hambistar huī. Chūṅki Lūt hosh meṅ nahīṅ thā is lie use kuchh bhī mālūm na huā.
Gene UrduGeoR 19:34  Agle din baṛī bahan ne chhoṭī bahan se kahā, “Pichhlī rāt maiṅ Abbū se hambistar huī. Āo, āj rāt ko ham use dubārā mai pilāeṅ. Jab wuh nashe meṅ dhut ho to tum us ke sāth hambistar ho kar apne lie aulād paidā karnā tāki hamārī nasl qāym rahe.”
Gene UrduGeoR 19:35  Chunāṅche unhoṅ ne us rāt bhī apne bāp ko mai pilāī. Jab wuh nashe meṅ thā to chhoṭī beṭī uṭh kar us ke sāth hambistar huī. Is bār bhī wuh hosh meṅ nahīṅ thā, is lie use kuchh bhī mālūm na huā.
Gene UrduGeoR 19:36  Yoṅ Lūt kī beṭiyāṅ apne bāp se ummīd se huīṅ.
Gene UrduGeoR 19:37  Baṛī beṭī ke hāṅ beṭā paidā huā. Us ne us kā nām Moāb rakhā. Us se Moābī nikle haiṅ.
Gene UrduGeoR 19:38  Chhoṭī beṭī ke hāṅ bhī beṭā paidā huā. Us ne us kā nām Bin-ammī rakhā. Us se Ammonī nikle haiṅ.
Chapter 20
Gene UrduGeoR 20:1  Ibrāhīm wahāṅ se junūb kī taraf Dasht-e-Najab meṅ chalā gayā aur Qādis aur Shūr ke darmiyān jā basā. Kuchh der ke lie wuh Jirār meṅ ṭhahrā, lekin ajnabī kī haisiyat se.
Gene UrduGeoR 20:2  Wahāṅ us ne logoṅ ko batāyā, “Sārā merī bahan hai.” Is lie Jirār ke bādshāh Abīmalik ne kisī ko bhijwā diyā ki use mahal meṅ le āe.
Gene UrduGeoR 20:3  Lekin rāt ke waqt Allāh ḳhāb meṅ Abīmalik par zāhir huā aur kahā, “Maut tere sar par khaṛī hai, kyoṅki jo aurat tū apne ghar le āyā hai wuh shādīshudā hai.”
Gene UrduGeoR 20:4  Asal meṅ Abīmalik abhī tak Sārā ke qarīb nahīṅ gayā thā. Us ne kahā, “Mere āqā, kyā tū ek bequsūr qaum ko bhī halāk karegā?
Gene UrduGeoR 20:5  Kyā Ibrāhīm ne mujh se nahīṅ kahā thā ki Sārā merī bahan hai? Aur Sārā ne us kī hāṅ meṅ hāṅ milāī. Merī nīyat achchhī thī aur maiṅ ne ġhalat kām nahīṅ kiyā.”
Gene UrduGeoR 20:6  Allāh ne kahā, “Hāṅ, maiṅ jāntā hūṅ ki is meṅ terī nīyat achchhī thī. Is lie maiṅ ne tujhe merā gunāh karne aur use chhūne se rok diyā.
Gene UrduGeoR 20:7  Ab us aurat ko us ke shauhar ko wāpas kar de, kyoṅki wuh nabī hai aur tere lie duā karegā. Phir tū nahīṅ maregā. Lekin agar tū use wāpas nahīṅ karegā to jān le ki terī aur tere logoṅ kī maut yaqīnī hai.”
Gene UrduGeoR 20:8  Abīmalik ne subah-sawere uṭh kar apne tamām kārindoṅ ko yih sab kuchh batāyā. Yih sun kar un par dahshat chhā gaī.
Gene UrduGeoR 20:9  Phir Abīmalik ne Ibrāhīm ko bulā kar kahā, “Āp ne hamāre sāth kyā kiyā hai? Maiṅ ne āp ke sāth kyā ġhalat kām kiyā ki āp ne mujhe aur merī saltanat ko itne sangīn jurm meṅ phaṅsā diyā hai? Jo sulūk āp ne hamāre sāth kar dikhāyā hai wuh kisī bhī shaḳhs ke sāth nahīṅ karnā chāhie.
Gene UrduGeoR 20:11  Ibrāhīm ne jawāb diyā, “Maiṅ ne apne dil meṅ kahā ki yahāṅ ke log Allāh kā ḳhauf nahīṅ rakhte hoṅge, is lie wuh merī bīwī ko hāsil karne ke lie mujhe qatl kar deṅge.
Gene UrduGeoR 20:12  Haqīqat meṅ wuh merī bahan bhī hai. Wuh mere bāp kī beṭī hai agarche us kī aur merī māṅ farq haiṅ. Yoṅ maiṅ us se shādī kar sakā.
Gene UrduGeoR 20:13  Phir jab Allāh ne hone diyā ki maiṅ apne bāp ke gharāne se nikal kar idhar-udhar phirūṅ to maiṅ ne apnī bīwī se kahā, ‘Mujh par yih mehrbānī kar ki jahāṅ bhī ham jāeṅ mere bāre meṅ kah denā ki wuh merā bhāī hai.’”
Gene UrduGeoR 20:14  Phir Abīmalik ne Ibrāhīm ko bheṛ-bakriyāṅ, gāy-bail, ġhulām aur launḍiyāṅ de kar us kī bīwī Sārā ko use wāpas kar diyā.
Gene UrduGeoR 20:15  Us ne kahā, “Merā mulk āp ke lie khulā hai. Jahāṅ jī chāhe us meṅ jā baseṅ.”
Gene UrduGeoR 20:16  Sārā se us ne kahā, “Maiṅ āp ke bhāī ko chāṅdī ke hazār sikke detā hūṅ. Is se āp aur āp ke logoṅ ke sāmne āp ke sāth kie gae nārawā sulūk kā izālā ho aur āp ko bequsūr qarār diyā jāe.”
Gene UrduGeoR 20:17  Tab Ibrāhīm ne Allāh se duā kī aur Allāh ne Abīmalik, us kī bīwī aur us kī launḍiyoṅ ko shifā dī, kyoṅki Rab ne Abīmalik ke gharāne kī tamām auratoṅ ko Sārā ke sabab se bāṅjh banā diyā thā. Lekin ab un ke hāṅ dubārā bachche paidā hone lage.
Gene UrduGeoR 20:18  Tab Ibrāhīm ne Allāh se duā kī aur Allāh ne Abīmalik, us kī bīwī aur us kī launḍiyoṅ ko shifā dī, kyoṅki Rab ne Abīmalik ke gharāne kī tamām auratoṅ ko Sārā ke sabab se bāṅjh banā diyā thā. Lekin ab un ke hāṅ dubārā bachche paidā hone lage.
Chapter 21
Gene UrduGeoR 21:1  Tab Rab ne Sārā ke sāth waisā hī kiyā jaisā us ne farmāyā thā. Jo wādā us ne Sārā ke bāre meṅ kiyā thā use us ne pūrā kiyā.
Gene UrduGeoR 21:2  Wuh hāmilā huī aur beṭā paidā huā. Ain us waqt būṛhe Ibrāhīm ke hāṅ beṭā paidā huā jo Allāh ne muqarrar karke use batāyā thā.
Gene UrduGeoR 21:3  Ibrāhīm ne apne is beṭe kā nām Is'hāq yānī ‘Wuh Haṅstā Hai’ rakhā.
Gene UrduGeoR 21:4  Jab Is'hāq āṭh din kā thā to Ibrāhīm ne us kā ḳhatnā karāyā, jis tarah Allāh ne use hukm diyā thā.
Gene UrduGeoR 21:5  Jab Is'hāq paidā huā us waqt Ibrāhīm 100 sāl kā thā.
Gene UrduGeoR 21:6  Sārā ne kahā, “Allāh ne mujhe haṅsāyā, aur har koī jo mere bāre meṅ yih sunegā haṅsegā.
Gene UrduGeoR 21:7  Is se pahle kaun Ibrāhīm se yih kahne kī jurrat kar saktā thā ki Sārā apne bachchoṅ ko dūdh pilāegī? Aur ab mere hāṅ beṭā paidā huā hai, agarche Ibrāhīm būṛhā ho gayā hai.”
Gene UrduGeoR 21:8  Is'hāq baṛā hotā gayā. Jab us kā dūdh chhuṛāyā gayā to Ibrāhīm ne us ke lie baṛī ziyāfat kī.
Gene UrduGeoR 21:9  Ek din Sārā ne dekhā ki Misrī launḍī Hājirā kā beṭā Ismāīl Is'hāq kā mazāq uṛā rahā hai.
Gene UrduGeoR 21:10  Us ne Ibrāhīm se kahā, “Is launḍī aur us ke beṭe ko ghar se nikāl deṅ, kyoṅki wuh mere beṭe Is'hāq ke sāth mīrās nahīṅ pāegā.”
Gene UrduGeoR 21:11  Ibrāhīm ko yih bāt bahut burī lagī. Āḳhir Ismāīl bhī us kā beṭā thā.
Gene UrduGeoR 21:12  Lekin Allāh ne us se kahā, “Jo bāt Sārā ne apnī launḍī aur us ke beṭe ke bāre meṅ kahī hai wuh tujhe burī na lage. Sārā kī bāt mān le, kyoṅki terī nasl Is'hāq hī se qāym rahegī.
Gene UrduGeoR 21:13  Lekin maiṅ Ismāīl se bhī ek qaum banāūṅgā, kyoṅki wuh terā beṭā hai.”
Gene UrduGeoR 21:14  Ibrāhīm subah-sawere uṭhā. Us ne roṭī aur pānī kī mashk Hājirā ke kandhoṅ par rakh kar use laṛke ke sāth ghar se nikāl diyā. Hājirā chalte chalte Bair-sabā ke registān meṅ idhar-udhar phirne lagī.
Gene UrduGeoR 21:15  Phir pānī ḳhatm ho gayā. Hājirā laṛke ko kisī jhāṛī ke nīche chhoṛ kar
Gene UrduGeoR 21:16  koī 300 fuṭ dūr baiṭh gaī. Kyoṅki us ne dil meṅ kahā, “Maiṅ use marte nahīṅ dekh saktī.” Wuh wahāṅ baiṭh kar rone lagī.
Gene UrduGeoR 21:17  Lekin Allāh ne beṭe kī rotī huī āwāz sun lī. Allāh ke farishte ne āsmān par se pukār kar Hājirā se bāt kī, “Hājirā, kyā bāt hai? Mat ḍar, kyoṅki Allāh ne laṛke kā jo wahāṅ paṛā hai ronā sun liyā hai.
Gene UrduGeoR 21:18  Uṭh, laṛke ko uṭhā kar us kā hāth thām le, kyoṅki maiṅ us se ek baṛī qaum banāūṅgā.”
Gene UrduGeoR 21:19  Phir Allāh ne Hājirā kī āṅkheṅ khol dīṅ, aur us kī nazar ek kueṅ par paṛī. Wuh wahāṅ gaī aur mashk ko pānī se bhar kar laṛke ko pilāyā.
Gene UrduGeoR 21:20  Allāh laṛke ke sāth thā. Wuh jawān huā aur tīrandāz ban kar bayābān meṅ rahne lagā.
Gene UrduGeoR 21:21  Jab wuh Fārān ke registān meṅ rahtā thā to us kī māṅ ne use ek Misrī aurat se byāh diyā.
Gene UrduGeoR 21:22  Un dinoṅ meṅ Abīmalik aur us ke sipāhsālār Fīkul ne Ibrāhīm se kahā, “Jo kuchh bhī āp karte haiṅ Allāh āp ke sāth hai.
Gene UrduGeoR 21:23  Ab mujh se Allāh kī qasam khāeṅ ki āp mujhe aur merī āl-o-aulād ko dhokā nahīṅ deṅge. Mujh par aur is mulk par jis meṅ āp pardesī haiṅ wuhī mehrbānī kareṅ jo maiṅ ne āp par kī hai.”
Gene UrduGeoR 21:24  Ibrāhīm ne jawāb diyā, “Maiṅ qasam khātā hūṅ.”
Gene UrduGeoR 21:25  Phir us ne Abīmalik se shikāyat karte hue kahā, “Āp ke bandoṅ ne hamāre ek kueṅ par qabzā kar liyā hai.”
Gene UrduGeoR 21:26  Abīmalik ne kahā, “Mujhe nahīṅ mālūm ki kis ne aisā kiyā hai. Āp ne bhī mujhe nahīṅ batāyā. Āj maiṅ pahlī dafā yih bāt sun rahā hūṅ.”
Gene UrduGeoR 21:27  Tab Ibrāhīm ne Abīmalik ko bheṛ-bakriyāṅ aur gāy-bail die, aur donoṅ ne ek dūsre ke sāth ahd bāndhā.
Gene UrduGeoR 21:28  Phir Ibrāhīm ne bheṛ ke sāt mādā bachchoṅ ko alag kar liyā.
Gene UrduGeoR 21:29  Abīmalik ne pūchhā, “Āp ne yih kyoṅ kiyā?”
Gene UrduGeoR 21:30  Ibrāhīm ne jawāb diyā, “Bheṛ ke in sāt bachchoṅ ko mujh se le leṅ. Yih is ke gawāh hoṅ ki maiṅ ne is kueṅ ko khodā hai.”
Gene UrduGeoR 21:31  Is lie us jagah kā nām Bair-sabā yānī ‘Qasam kā Kuāṅ’ rakhā gayā, kyoṅki wahāṅ un donoṅ mardoṅ ne qasam khāī.
Gene UrduGeoR 21:32  Yoṅ unhoṅ ne Bair-sabā meṅ ek dūsre se ahd bāndhā. Phir Abīmalik aur Fīkul Filistiyoṅ ke mulk wāpas chale gae.
Gene UrduGeoR 21:33  Is ke bād Ibrāhīm ne Bair-sabā meṅ jhāū kā daraḳht lagāyā. Wahāṅ us ne Rab kā nām le kar us kī ibādat kī jo abadī Ḳhudā hai.
Gene UrduGeoR 21:34  Ibrāhīm bahut arse tak Filistiyoṅ ke mulk meṅ ābād rahā, lekin ajnabī kī haisiyat se.
Chapter 22
Gene UrduGeoR 22:1  Kuchh arse ke bād Allāh ne Ibrāhīm ko āzmāyā. Us ne us se kahā, “Ibrāhīm!” Us ne jawāb diyā, “Jī, maiṅ hāzir hūṅ.”
Gene UrduGeoR 22:2  Allāh ne kahā, “Apne iklaute beṭe Is'hāq ko jise tū pyār kartā hai sāth le kar Moriyāh ke ilāqe meṅ chalā jā. Wahāṅ maiṅ tujhe ek pahāṛ dikhāūṅgā. Us par apne beṭe ko qurbān kar de. Use zabah karke qurbāngāh par jalā denā.”
Gene UrduGeoR 22:3  Subah-sawere Ibrāhīm uṭhā aur apne gadhe par zīn kasā. Us ne apne sāth do naukaroṅ aur apne beṭe Is'hāq ko liyā. Phir wuh qurbānī ko jalāne ke lie lakaṛī kāṭ kar us jagah kī taraf rawānā huā jo Allāh ne use batāī thī.
Gene UrduGeoR 22:4  Safr karte karte tīsre din qurbānī kī jagah Ibrāhīm ko dūr se nazar āī.
Gene UrduGeoR 22:5  Us ne naukaroṅ se kahā, “Yahāṅ gadhe ke pās ṭhahro. Maiṅ laṛke ke sāth wahāṅ jā kar parastish karūṅga. Phir ham tumhāre pās wāpas ā jāeṅge.”
Gene UrduGeoR 22:6  Ibrāhīm ne qurbānī ko jalāne ke lie lakaṛiyāṅ Is'hāq ke kandhoṅ par rakh dīṅ aur ḳhud chhurī aur āg jalāne ke lie angāroṅ kā bartan uṭhāyā. Donoṅ chal die.
Gene UrduGeoR 22:7  Is'hāq bolā, “Abbū!” Ibrāhīm ne kahā, “Jī beṭā.” “Abbū, āg aur lakaṛiyāṅ to hamāre pās haiṅ, lekin qurbānī ke lie bheṛ yā bakrī kahāṅ hai?”
Gene UrduGeoR 22:8  Ibrāhīm ne jawāb diyā, “Allāh ḳhud qurbānī ke lie jānwar muhaiyā karegā, beṭā.” Wuh āge baṛh gae.
Gene UrduGeoR 22:9  Chalte chalte wuh us maqām par pahuṅche jo Allāh ne us par zāhir kiyā thā. Ibrāhīm ne wahāṅ qurbāngāh banāī aur us par lakaṛiyāṅ tartīb se rakh dīṅ. Phir us ne Is'hāq ko bāndh kar lakaṛiyoṅ par rakh diyā
Gene UrduGeoR 22:10  aur chhurī pakaṛ lī tāki apne beṭe ko zabah kare.
Gene UrduGeoR 22:11  Ain usī waqt Rab ke farishte ne āsmān par se use āwāz dī, “Ibrāhīm, Ibrāhīm!” Ibrāhīm ne kahā, “Jī, maiṅ hāzir hūṅ.”
Gene UrduGeoR 22:12  Farishte ne kahā, “Apne beṭe par hāth na chalā, na us ke sāth kuchh kar. Ab maiṅ ne jān liyā hai ki tū Allāh kā ḳhauf rakhtā hai, kyoṅki tū apne iklaute beṭe ko bhī mujhe dene ke lie taiyār hai.”
Gene UrduGeoR 22:13  Achānak Ibrāhīm ko ek menḍhā nazar āyā jis ke sīṅg gunjān jhāṛiyoṅ meṅ phaṅse hue the. Ibrāhīm ne use zabah karke apne beṭe kī jagah qurbānī ke taur par jalā diyā.
Gene UrduGeoR 22:14  Us ne us maqām kā nām “Rab muhaiyā kartā hai” rakhā. Is lie āj tak kahā jātā hai, “Rab ke pahāṛ par muhaiyā kiyā jātā hai.”
Gene UrduGeoR 22:15  Rab ke farishte ne ek bār phir āsmān par se pukār kar us se bāt kī.
Gene UrduGeoR 22:16  “Rab kā farmān hai, merī zāt kī qasam, chūṅki tū ne yih kiyā aur apne iklaute beṭe ko mujhe pesh karne ke lie taiyār thā
Gene UrduGeoR 22:17  is lie maiṅ tujhe barkat dūṅgā aur terī aulād ko āsmān ke sitāroṅ aur sāhil kī ret kī tarah beshumār hone dūṅgā. Terī aulād apne dushmanoṅ ke shahroṅ ke darwāzoṅ par qabzā karegī.
Gene UrduGeoR 22:18  Chūṅki tū ne merī sunī is lie terī aulād se duniyā kī tamām qaumeṅ barkat pāeṅgī.”
Gene UrduGeoR 22:19  Is ke bād Ibrāhīm apne naukaroṅ ke pās wāpas āyā, aur wuh mil kar Bair-sabā lauṭe. Wahāṅ Ibrāhīm ābād rahā.
Gene UrduGeoR 22:20  In wāqiyāt ke bād Ibrāhīm ko ittalā milī, “Āp ke bhāī Nahūr kī bīwī Milkāh ke hāṅ bhī beṭe paidā hue haiṅ.
Gene UrduGeoR 22:21  Us ke pahlauṭhe Ūz ke bād Būz, Qamuel (Arām kā bāp),
Gene UrduGeoR 22:22  Kasad, Hazū, Fildās, Idlāf aur Batuel paidā hue haiṅ.”
Gene UrduGeoR 22:23  Milkāh aur Nahūr ke hāṅ yih āṭh beṭe paidā hue. (Batuel Ribqā kā bāp thā.)
Gene UrduGeoR 22:24  Nahūr kī haram kā nām Rūmā thā. Us ke hāṅ bhī beṭe paidā hue jin ke nām Tibaḳh, Jāham, Taḳhas aur Mākā haiṅ.
Chapter 23
Gene UrduGeoR 23:1  Sārā 127 sāl kī umr meṅ Habrūn meṅ intaqāl kar gaī.
Gene UrduGeoR 23:2  Us zamāne meṅ Habrūn kā nām Qiriyat-arbā thā, aur wuh Mulk-e-Kanān meṅ thā. Ibrāhīm ne us ke pās ā kar mātam kiyā.
Gene UrduGeoR 23:3  Phir wuh janāze ke pās se uṭhā aur Hittiyoṅ se bāt kī. Us ne kahā,
Gene UrduGeoR 23:4  “Maiṅ āp ke darmiyān pardesī aur ġhairshahrī kī haisiyat se rahtā hūṅ. Mujhe qabr ke lie zamīn becheṅ tāki apnī bīwī ko apne ghar se le jā kar dafn kar sakūṅ.”
Gene UrduGeoR 23:5  Hittiyoṅ ne jawāb diyā, “Hamāre āqā, hamārī bāt suneṅ! Āp hamāre darmiyān Allāh ke ra'īs haiṅ. Apnī bīwī ko hamārī behtarīn qabr meṅ dafn kareṅ. Ham meṅ se koī nahīṅ jo āp se apnī qabr kā inkār karegā.”
Gene UrduGeoR 23:6  Hittiyoṅ ne jawāb diyā, “Hamāre āqā, hamārī bāt suneṅ! Āp hamāre darmiyān Allāh ke ra'īs haiṅ. Apnī bīwī ko hamārī behtarīn qabr meṅ dafn kareṅ. Ham meṅ se koī nahīṅ jo āp se apnī qabr kā inkār karegā.”
Gene UrduGeoR 23:7  Ibrāhīm uṭhā aur mulk ke bāshindoṅ yānī Hittiyoṅ ke sāmne tāzīman jhuk gayā.
Gene UrduGeoR 23:8  Us ne kahā, “Agar āp is ke lie taiyār haiṅ ki maiṅ apnī bīwī ko apne ghar se le jā kar dafn karūṅ to Suhar ke beṭe Ifron se merī sifārish kareṅ
Gene UrduGeoR 23:9  ki wuh mujhe Makfīlā kā ġhār bech de. Wuh us kā hai aur us ke khet ke kināre par hai. Maiṅ us kī pūrī qīmat dene ke lie taiyār hūṅ tāki āp ke darmiyān rahte hue mere pās qabr bhī ho.”
Gene UrduGeoR 23:10  Ifron Hittiyoṅ kī jamāt meṅ maujūd thā. Ibrāhīm kī darḳhāst par us ne un tamām Hittiyoṅ ke sāmne jo shahr ke darwāze par jamā the jawāb diyā,
Gene UrduGeoR 23:11  “Nahīṅ, mere āqā! Merī bāt suneṅ. Maiṅ āp ko yih khet aur us meṅ maujūd ġhār de detā hūṅ. Sab jo hāzir haiṅ mere gawāh haiṅ, maiṅ yih āp ko detā hūṅ. Apnī bīwī ko wahāṅ dafn kar deṅ.”
Gene UrduGeoR 23:12  Ibrāhīm dubārā mulk ke bāshindoṅ ke sāmne adaban jhuk gayā.
Gene UrduGeoR 23:13  Us ne sab ke sāmne Ifron se kahā, “Mehrbānī karke merī bāt par ġhaur kareṅ. Maiṅ khet kī pūrī qīmat adā karūṅga. Use qabūl kareṅ tāki wahāṅ apnī bīwī ko dafn kar sakūṅ.”
Gene UrduGeoR 23:14  Ifron ne jawāb diyā, “Mere āqā, suneṅ. Is zamīn kī qīmat sirf 400 chāṅdī ke sikke hai. Āp ke aur mere darmiyān yih kyā hai? Apnī bīwī ko dafn kar deṅ.”
Gene UrduGeoR 23:15  Ifron ne jawāb diyā, “Mere āqā, suneṅ. Is zamīn kī qīmat sirf 400 chāṅdī ke sikke hai. Āp ke aur mere darmiyān yih kyā hai? Apnī bīwī ko dafn kar deṅ.”
Gene UrduGeoR 23:16  Ibrāhīm ne Ifron kī matlūbā qīmat mān lī aur sab ke sāmne chāṅdī ke 400 sikke tol kar Ifron ko de die. Is ke lie us ne us waqt ke rāyj bāṭ istemāl kie.
Gene UrduGeoR 23:17  Chunāṅche Makfīlā meṅ Ifron kī zamīn Ibrāhīm kī milkiyat ho gaī. Yih zamīn Mamre ke mashriq meṅ thī. Us meṅ khet, khet kā ġhār aur khet kī hudūd meṅ maujūd tamām daraḳht shāmil the.
Gene UrduGeoR 23:18  Hittiyoṅ kī pūrī jamāt ne jo shahr ke darwāze par jamā thī zamīn ke intaqāl kī tasdīq kī.
Gene UrduGeoR 23:19  Phir Ibrāhīm ne apnī bīwī Sārā ko Mulk-e-Kanān ke us ġhār meṅ dafn kiyā jo Mamre yānī Habrūn ke mashriq meṅ wāqe Makfīlā ke khet meṅ thā.
Gene UrduGeoR 23:20  Is tarīqe se yih khet aur us kā ġhār Hittiyoṅ se Ibrāhīm ke nām par muntaqil kar diyā gayā tāki us ke pās qabr ho.
Chapter 24
Gene UrduGeoR 24:1  Ibrāhīm ab bahut būṛhā ho gayā thā. Rab ne use har lihāz se barkat dī thī.
Gene UrduGeoR 24:2  Ek din us ne apne ghar ke sab se buzurg naukar se jo us kī jāydād kā pūrā intazām chalātā thā bāt kī. “Qasam ke lie apnā hāth merī rān ke nīche rakho.
Gene UrduGeoR 24:3  Rab kī qasam khāo jo āsmān-o-zamīn kā Ḳhudā hai ki tum in Kanāniyoṅ meṅ se jin ke darmiyān maiṅ rahtā hūṅ mere beṭe ke lie bīwī nahīṅ lāoge
Gene UrduGeoR 24:4  balki mere watan meṅ mere rishtedāroṅ ke pās jāoge aur unhīṅ meṅ se mere beṭe ke lie bīwī lāoge.”
Gene UrduGeoR 24:5  Us ke naukar ne kahā, “Shāyad wuh aurat mere sāth yahāṅ ānā na chāhe. Kyā maiṅ is sūrat meṅ āp ke beṭe ko us watan meṅ wāpas le jāūṅ jis se āp nikle haiṅ?”
Gene UrduGeoR 24:6  Ibrāhīm ne kahā, “Ḳhabardār! Use hargiz wāpas na le jānā.
Gene UrduGeoR 24:7  Rab jo āsmān kā Ḳhudā hai apnā farishtā tumhāre āge bhejegā, is lie tum wahāṅ mere beṭe ke lie bīwī chunane meṅ zarūr kāmyāb hoge. Kyoṅki wuhī mujhe mere bāp ke ghar aur mere watan se yahāṅ le āyā hai, aur usī ne qasam khā kar mujh se wādā kiyā hai ki maiṅ Kanān kā yih mulk terī aulād ko dūṅgā.
Gene UrduGeoR 24:8  Agar wahāṅ kī aurat yahāṅ ānā na chāhe to phir tum apnī qasam se āzād hoge. Lekin kisī sūrat meṅ bhī mere beṭe ko wahāṅ wāpas na le jānā.”
Gene UrduGeoR 24:9  Ibrāhīm ke naukar ne apnā hāth us kī rān ke nīche rakh kar qasam khāī ki maiṅ sab kuchh aisā hī karūṅga.
Gene UrduGeoR 24:10  Phir wuh apne āqā ke das ūṅṭoṅ par qīmtī tohfe lād kar Masoputāmiyā kī taraf rawānā huā. Chalte chalte wuh Nahūr ke shahr pahuṅch gayā.
Gene UrduGeoR 24:11  Us ne ūṅṭoṅ ko shahr ke bāhar kueṅ ke pās biṭhāyā. Shām kā waqt thā jab aurateṅ kueṅ ke pās ā kar pānī bhartī thīṅ.
Gene UrduGeoR 24:12  Phir us ne duā kī, “Ai Rab mere āqā Ibrāhīm ke Ḳhudā, mujhe āj kāmyābī baḳhsh aur mere āqā Ibrāhīm par mehrbānī kar.
Gene UrduGeoR 24:13  Ab maiṅ is chashme par khaṛā hūṅ, aur shahr kī beṭiyāṅ pānī bharne ke lie ā rahī haiṅ.
Gene UrduGeoR 24:14  Maiṅ un meṅ se kisī se kahūṅgā, ‘Zarā apnā ghaṛā nīche karke mujhe pānī pilāeṅ.’ Agar wuh jawāb de, ‘Pī leṅ, maiṅ āp ke ūṅṭoṅ ko bhī pānī pilā detī hūṅ,’ to wuh wuhī hogī jise tū ne apne ḳhādim Is'hāq ke lie chun rakhā hai. Agar aisā huā to maiṅ jān lūṅgā ki tū ne mere āqā par mehrbānī kī hai.”
Gene UrduGeoR 24:15  Wuh abhī duā kar hī rahā thā ki Ribqā shahr se nikal āī. Us ke kandhe par ghaṛā thā. Wuh Batuel kī beṭī thī. (Batuel Ibrāhīm ke bhāī Nahūr kī bīwī Milkāh kā beṭā thā.)
Gene UrduGeoR 24:16  Ribqā nihāyat ḳhūbsūrat jawān laṛkī thī, aur wuh kuṅwārī bhī thī. Wuh chashme tak utrī, apnā ghaṛā bharā aur phir wāpas ūpar āī.
Gene UrduGeoR 24:17  Ibrāhīm kā naukar dauṛ kar us se milā. Us ne kahā, “Zarā mujhe apne ghaṛe se thoṛā-sā pānī pilāeṅ.”
Gene UrduGeoR 24:18  Ribqā ne kahā, “Janāb, pī leṅ.” Jaldī se us ne apne ghaṛe ko kandhe par se utār kar hāth meṅ pakaṛā tāki wuh pī sake.
Gene UrduGeoR 24:19  Jab wuh pīne se fāriġh huā to Ribqā ne kahā, “Maiṅ āp ke ūṅṭoṅ ke lie bhī pānī le ātī hūṅ. Wuh bhī pūre taur par apnī pyās bujhāeṅ.”
Gene UrduGeoR 24:20  Jaldī se us ne apne ghaṛe kā pānī hauz meṅ unḍel diyā aur phir bhāg kar kueṅ se itnā pānī lātī rahī ki tamām ūṅṭoṅ kī pyās bujh gaī.
Gene UrduGeoR 24:21  Itne meṅ Ibrāhīm kā ādmī ḳhāmoshī se use deḳhtā rahā, kyoṅki wuh jānanā chāhtā thā ki kyā Rab mujhe safr kī kāmyābī baḳhshegā yā nahīṅ.
Gene UrduGeoR 24:22  Ūṅṭ pānī pīne se fāriġh hue to us ne Ribqā ko sone kī ek nath aur do kangan die. Nath kā taqrīban 6 grām thā aur kanganoṅ kā 120 grām.
Gene UrduGeoR 24:23  Us ne pūchhā, “Āp kis kī beṭī haiṅ? Kyā us ke hāṅ itnī jagah hai ki ham wahāṅ rāt guzār sakeṅ?”
Gene UrduGeoR 24:24  Ribqā ne jawāb diyā, “Merā bāp Batuel hai. Wuh Nahūr aur Milkāh kā beṭā hai.
Gene UrduGeoR 24:25  Hamāre pās bhūsā aur chārā hai. Rāt guzārne ke lie bhī kāfī jagah hai.”
Gene UrduGeoR 24:26  Yih sun kar Ibrāhīm ke naukar ne Rab ko sijdā kiyā.
Gene UrduGeoR 24:27  Us ne kahā, “Mere āqā Ibrāhīm ke Ḳhudā kī tamjīd ho jis ke karm aur wafādārī ne mere āqā ko nahīṅ chhoṛā. Rab ne mujhe sīdhā mere mālik ke rishtedāroṅ tak pahuṅchāyā hai.”
Gene UrduGeoR 24:28  Laṛkī bhāg kar apnī māṅ ke ghar chalī gaī. Wahāṅ us ne sab kuchh batā diyā jo huā thā.
Gene UrduGeoR 24:29  Jab Ribqā ke bhāī Lāban ne nath aur bahan kī kalāiyoṅ meṅ kanganoṅ ko dekhā aur wuh sab kuchh sunā jo Ibrāhīm ke naukar ne Ribqā ko batāyā thā to wuh fauran kueṅ kī taraf dauṛā. Ibrāhīm kā naukar ab tak ūṅṭoṅ samet wahāṅ khaṛā thā.
Gene UrduGeoR 24:30  Jab Ribqā ke bhāī Lāban ne nath aur bahan kī kalāiyoṅ meṅ kanganoṅ ko dekhā aur wuh sab kuchh sunā jo Ibrāhīm ke naukar ne Ribqā ko batāyā thā to wuh fauran kueṅ kī taraf dauṛā. Ibrāhīm kā naukar ab tak ūṅṭoṅ samet wahāṅ khaṛā thā.
Gene UrduGeoR 24:31  Lāban ne kahā, “Rab ke mubārak bande, mere sāth āeṅ. Āp yahāṅ shahr ke bāhar kyoṅ khaṛe haiṅ? Maiṅ ne apne ghar meṅ āp ke lie sab kuchh taiyār kiyā hai. Āp ke ūṅṭoṅ ke lie bhī kāfī jagah hai.”
Gene UrduGeoR 24:32  Wuh naukar ko le kar ghar pahuṅchā. Ūṅṭoṅ se sāmān utārā gayā, aur un ko bhūsā aur chārā diyā gayā. Pānī bhī lāyā gayā tāki Ibrāhīm kā naukar aur us ke ādmī apne pāṅw dhoeṅ.
Gene UrduGeoR 24:33  Lekin jab khānā ā gayā to Ibrāhīm ke naukar ne kahā, “Is se pahle ki maiṅ khānā khāūṅ lāzim hai ki apnā muāmalā pesh karūṅ.” Lāban ne kahā, “Batāeṅ apnī bāt.”
Gene UrduGeoR 24:34  Us ne kahā, “Maiṅ Ibrāhīm kā naukar hūṅ.
Gene UrduGeoR 24:35  Rab ne mere āqā ko bahut barkat dī hai. Wuh bahut amīr ban gayā hai. Rab ne use kasrat se bheṛ-bakriyāṅ, gāy-bail, sonā-chāṅdī, ġhulām aur launḍiyāṅ, ūṅṭ aur gadhe die haiṅ.
Gene UrduGeoR 24:36  Jab mere mālik kī bīwī būṛhī ho gaī thī to us ke beṭā paidā huā thā. Ibrāhīm ne use apnī pūrī milkiyat de dī hai.
Gene UrduGeoR 24:37  Lekin mere āqā ne mujh se kahā, ‘Qasam khāo ki tum in Kanāniyoṅ meṅ se jin ke darmiyān maiṅ rahtā hūṅ mere beṭe ke lie bīwī nahīṅ lāoge
Gene UrduGeoR 24:38  balki mere bāp ke gharāne aur mere rishtedāroṅ ke pās jā kar us ke lie bīwī lāoge.’
Gene UrduGeoR 24:39  Maiṅ ne apne mālik se kahā, ‘Shāyad wuh aurat mere sāth ānā na chāhe.’
Gene UrduGeoR 24:40  Us ne kahā, ‘Rab jis ke sāmne maiṅ chaltā rahā hūṅ apne farishte ko tumhāre sāth bhejegā aur tumheṅ kāmyābī baḳhshegā. Tumheṅ zarūr mere rishtedāroṅ aur mere bāp ke gharāne se mere beṭe ke lie bīwī milegī.
Gene UrduGeoR 24:41  Lekin agar tum mere rishtedāroṅ ke pās jāo aur wuh inkār kareṅ to phir tum apnī qasam se āzād hoge.’
Gene UrduGeoR 24:42  Āj jab maiṅ kueṅ ke pās āyā to maiṅ ne duā kī, ‘Ai Rab, mere āqā ke Ḳhudā, agar terī marzī ho to mujhe is mishan meṅ kāmyābī baḳhsh jis ke lie maiṅ yahāṅ āyā hūṅ.
Gene UrduGeoR 24:43  Ab maiṅ is kueṅ ke pās khaṛā hūṅ. Jab koī jawān aurat shahr se nikal kar yahāṅ āe to maiṅ us se kahūṅgā, “Zarā mujhe apne ghaṛe se thoṛā-sā pānī pilāeṅ.”
Gene UrduGeoR 24:44  Agar wuh kahe, “Pī leṅ, maiṅ āp ke ūṅṭoṅ ke lie bhī pānī le āūṅgī” to is kā matlab yih ho ki tū ne use mere āqā ke beṭe ke lie chun liyā hai ki us kī bīwī ban jāe.’
Gene UrduGeoR 24:45  Maiṅ abhī dil meṅ yih duā kar rahā thā ki Ribqā shahr se nikal āī. Us ke kandhe par ghaṛā thā. Wuh chashme tak utrī aur apnā ghaṛā bhar liyā. Maiṅ ne us se kahā, ‘Zarā mujhe pānī pilāeṅ.’
Gene UrduGeoR 24:46  Jawāb meṅ us ne jaldī se apne ghaṛe ko kandhe par se utār kar kahā, ‘Pī leṅ, maiṅ āp ke ūṅṭoṅ ko bhī pānī pilātī hūṅ.’ Maiṅ ne pānī piyā, aur us ne ūṅṭoṅ ko bhī pānī pilāyā.
Gene UrduGeoR 24:47  Phir maiṅ ne us se pūchhā, ‘Āp kis kī beṭī haiṅ?’ Us ne jawāb diyā, ‘Merā bāp Batuel hai. Wuh Nahūr aur Milkāh kā beṭā hai.’ Phir maiṅ ne us kī nāk meṅ nath aur us kī kalāiyoṅ meṅ kangan pahnā die.
Gene UrduGeoR 24:48  Tab maiṅ ne Rab ko sijdā karke apne āqā Ibrāhīm ke Ḳhudā kī tamjīd kī jis ne mujhe sīdhā mere mālik kī bhatījī tak pahuṅchāyā tāki wuh Is'hāq kī bīwī ban jāe.
Gene UrduGeoR 24:49  Ab mujhe batāeṅ, kyā āp mere āqā par apnī mehrbānī aur wafādārī kā izhār karnā chāhte haiṅ? Agar aisā hai to Ribqā kī Is'hāq ke sāth shādī qabūl kareṅ. Agar āp muttafiq nahīṅ haiṅ to mujhe batāeṅ tāki maiṅ koī aur qadam uṭhā sakūṅ.”
Gene UrduGeoR 24:50  Lāban aur Batuel ne jawāb diyā, “Yih bāt Rab kī taraf se hai, is lie ham kisī tarah bhī inkār nahīṅ kar sakte.
Gene UrduGeoR 24:51  Ribqā āp ke sāmne hai. Use le jāeṅ. Wuh āp ke mālik ke beṭe kī bīwī ban jāe jis tarah Rab ne farmāyā hai.”
Gene UrduGeoR 24:52  Yih sun kar Ibrāhīm ke naukar ne Rab ko sijdā kiyā.
Gene UrduGeoR 24:53  Phir us ne sone aur chāṅdī ke zewarāt aur mahange malbūsāt apne sāmān meṅ se nikāl kar Ribqā ko die. Ribqā ke bhāī aur māṅ ko bhī qīmtī tohfe mile.
Gene UrduGeoR 24:54  Is ke bād us ne apne hamsafroṅ ke sāth shām kā khānā khāyā. Wuh rāt ko wahīṅ ṭhahre. Agle din jab uṭhe to naukar ne kahā, “Ab hameṅ ijāzat deṅ tāki apne āqā ke pās lauṭ jāeṅ.”
Gene UrduGeoR 24:55  Ribqā ke bhāī aur māṅ ne kahā, “Ribqā kuchh din aur hamāre hāṅ ṭhahre. Phir āp jāeṅ.”
Gene UrduGeoR 24:56  Lekin us ne un se kahā, “Ab der na kareṅ, kyoṅki Rab ne mujhe mere mishan meṅ kāmyābī baḳhshī hai. Mujhe ijāzat deṅ tāki apne mālik ke pās wāpas jāūṅ.”
Gene UrduGeoR 24:57  Unhoṅ ne kahā, “Chaleṅ, ham laṛkī ko bulā kar usī se pūchh lete haiṅ.”
Gene UrduGeoR 24:58  Unhoṅ ne Ribqā ko bulā kar us se pūchhā, “Kyā tū abhī is ādmī ke sāth jānā chāhtī hai?” Us ne kahā, “Jī, maiṅ jānā chāhtī hūṅ.”
Gene UrduGeoR 24:59  Chunāṅche unhoṅ ne apnī bahan Ribqā, us kī dāyā, Ibrāhīm ke naukar aur us ke hamsafroṅ ko ruḳhsat kar diyā.
Gene UrduGeoR 24:60  Pahle unhoṅ ne Ribqā ko barkat de kar kahā, “Hamārī bahan, Allāh kare ki tū karoṛoṅ kī māṅ bane. Terī aulād apne dushmanoṅ ke shahroṅ ke darwāzoṅ par qabzā kare.”
Gene UrduGeoR 24:61  Phir Ribqā aur us kī naukarāniyāṅ uṭh kar ūṅṭoṅ par sawār huīṅ aur Ibrāhīm ke naukar ke pīchhe ho līṅ. Chunāṅche naukar unheṅ sāth le kar rawānā ho gayā.
Gene UrduGeoR 24:62  Us waqt Is'hāq mulk ke junūbī hisse, Dasht-e-Najab meṅ rahtā thā. Wuh Bair-lahī-roī se āyā thā.
Gene UrduGeoR 24:63  Ek shām wuh nikal kar khule maidān meṅ apnī sochoṅ meṅ magan ṭahal rahā thā ki achānak ūṅṭ us kī taraf āte hue nazar āe.
Gene UrduGeoR 24:64  Jab Ribqā ne apnī nazar uṭhā kar Is'hāq ko dekhā to us ne ūṅṭ se utar kar
Gene UrduGeoR 24:65  naukar se pūchhā, “Wuh ādmī kaun hai jo maidān meṅ ham se milne ā rahā hai?” Naukar ne kahā, “Merā mālik hai.” Yih sun kar Ribqā ne chādar le kar apne chehre ko ḍhāṅp liyā.
Gene UrduGeoR 24:66  Naukar ne Is'hāq ko sab kuchh batā diyā jo us ne kiyā thā.
Gene UrduGeoR 24:67  Phir Is'hāq Ribqā ko apnī māṅ Sārā ke ḍere meṅ le gayā. Us ne us se shādī kī, aur wuh us kī bīwī ban gaī. Is'hāq ke dil meṅ us ke lie bahut muhabbat paidā huī. Yoṅ use apnī māṅ kī maut ke bād sukūn milā.
Chapter 25
Gene UrduGeoR 25:1  Ibrāhīm ne ek aur shādī kī. Naī bīwī kā nām Qatūrā thā.
Gene UrduGeoR 25:2  Qatūrā ke chhih beṭe paidā hue, Zimrān, Yuqsān, Midān, Midiyān, Isbāq aur Sūḳh.
Gene UrduGeoR 25:3  Yuqsān ke do beṭe the, Sabā aur Dadān. Asūrī, Latūsī aur Lūmī Dadān kī aulād haiṅ.
Gene UrduGeoR 25:4  Midiyān ke beṭe Aifā, Ifar, Hanūk, Abīdā aur Ilda'ā the. Yih sab Qatūrā kī aulād the.
Gene UrduGeoR 25:5  Ibrāhīm ne apnī sārī milkiyat Is'hāq ko de dī.
Gene UrduGeoR 25:6  Apnī maut se pahle us ne apnī dūsrī bīwiyoṅ ke beṭoṅ ko tohfe de kar apne beṭe se dūr mashriq kī taraf bhej diyā.
Gene UrduGeoR 25:7  Ibrāhīm 175 sāl kī umr meṅ faut huā. Ġharz wuh bahut umrrasīdā aur zindagī se āsūdā ho kar intaqāl karke apne bāpdādā se jā milā.
Gene UrduGeoR 25:8  Ibrāhīm 175 sāl kī umr meṅ faut huā. Ġharz wuh bahut umrrasīdā aur zindagī se āsūdā ho kar intaqāl karke apne bāpdādā se jā milā.
Gene UrduGeoR 25:9  Us ke beṭoṅ Is'hāq aur Ismāīl ne use Makfīlā ke ġhār meṅ dafn kiyā jo Mamre ke mashriq meṅ hai. Yih wuhī ġhār thā jise khet samet Hittī ādmī Ifron bin Suhar se ḳharīdā gayā thā. Ibrāhīm aur us kī bīwī Sārā donoṅ ko us meṅ dafn kiyā gayā.
Gene UrduGeoR 25:10  Us ke beṭoṅ Is'hāq aur Ismāīl ne use Makfīlā ke ġhār meṅ dafn kiyā jo Mamre ke mashriq meṅ hai. Yih wuhī ġhār thā jise khet samet Hittī ādmī Ifron bin Suhar se ḳharīdā gayā thā. Ibrāhīm aur us kī bīwī Sārā donoṅ ko us meṅ dafn kiyā gayā.
Gene UrduGeoR 25:11  Ibrāhīm kī wafāt ke bād Allāh ne Is'hāq ko barkat dī. Us waqt Is'hāq Bair-lahī-roī ke qarīb ābād thā.
Gene UrduGeoR 25:12  Ibrāhīm kā beṭā Ismāīl jo Sārā kī Misrī launḍī Hājirā ke hāṅ paidā huā us kā nasabnāmā yih hai.
Gene UrduGeoR 25:13  Ismāīl ke beṭe baṛe se le kar chhoṭe tak yih haiṅ: Nabāyot, Qīdār, Adbiyel, Mibsām,
Gene UrduGeoR 25:16  Yih beṭe bārah qabīloṅ ke bānī ban gae. Aur jahāṅ jahāṅ wuh ābād hue un jaghoṅ kā wuhī nām paṛ gayā.
Gene UrduGeoR 25:17  Ismāīl 137 sāl kā thā jab wuh kūch karke apne bāpdādā se jā milā.
Gene UrduGeoR 25:18  Us kī aulād us ilāqe meṅ ābād thī jo Hawīlā aur Shūr ke darmiyān hai aur jo Misr ke mashriq meṅ Asūr kī taraf hai. Yoṅ Ismāīl apne tamām bhāiyoṅ ke sāmne hī ābād huā.
Gene UrduGeoR 25:20  Is'hāq 40 sāl kā thā jab us kī Ribqā se shādī huī. Ribqā Lāban kī bahan aur Arāmī mard Batuel kī beṭī thī. (Batuel Masoputāmiyā kā thā.)
Gene UrduGeoR 25:21  Ribqā ke bachche paidā na hue. Lekin Is'hāq ne apnī bīwī ke lie duā kī to Rab ne us kī sunī, aur Ribqā ummīd se huī.
Gene UrduGeoR 25:22  Us ke peṭ meṅ bachche ek dūsre se zorāzmāī karne lage to wuh Rab se pūchhne gaī, “Agar yih merī hālat rahegī to phir maiṅ yahāṅ tak kyoṅ pahuṅch gaī hūṅ?”
Gene UrduGeoR 25:23  Rab ne us se kahā, “Tere andar do qaumeṅ haiṅ. Wuh tujh se nikal kar ek dūsrī se alag alag ho jāeṅgī. Un meṅ se ek zyādā tāqatwar hogī, aur baṛā chhoṭe kī ḳhidmat karegā.”
Gene UrduGeoR 25:24  Paidāish kā waqt ā gayā to juṛwāṅ beṭe paidā hue.
Gene UrduGeoR 25:25  Pahlā bachchā niklā to surḳh-sā thā, aur aisā lag rahā thā ki wuh ghane bāloṅ kā koṭ hī pahne hue hai. Is lie us kā nām Esau yānī ‘Bāloṅ Wālā’ rakhā gayā.
Gene UrduGeoR 25:26  Is ke bād dūsrā bachchā paidā huā. Wuh Esau kī eṛī pakaṛe hue niklā, is lie us kā nām Yāqūb yānī ‘Eṛī Pakaṛne Wālā’ rakhā gayā. Us waqt Is'hāq 60 sāl kā thā.
Gene UrduGeoR 25:27  Laṛke jawān hue. Esau māhir shikārī ban gayā aur khule maidān meṅ ḳhush rahtā thā. Us ke muqābale meṅ Yāqūb shāystā thā aur ḍere meṅ rahnā pasand kartā thā.
Gene UrduGeoR 25:28  Is'hāq Esau ko pyār kartā thā, kyoṅki wuh shikār kā gosht pasand kartā thā. Lekin Ribqā Yāqūb ko pyār kartī thī.
Gene UrduGeoR 25:29  Ek din Yāqūb sālan pakā rahā thā ki Esau thakāhārā jangal se āyā.
Gene UrduGeoR 25:30  Us ne kahā, “Mujhe jaldī se lāl sālan, hāṅ isī lāl sālan se kuchh khāne ko do. Maiṅ to bedam ho rahā hūṅ.” (Isī lie bād meṅ us kā nām Adom yānī Surḳh paṛ gayā.)
Gene UrduGeoR 25:31  Yāqūb ne kahā, “Pahle mujhe pahlauṭhe kā haq bech do.”
Gene UrduGeoR 25:32  Esau ne kahā, “Maiṅ to bhūk se mar rahā hūṅ, pahlauṭhe kā haq mere kis kām kā?”
Gene UrduGeoR 25:33  Yāqūb ne kahā, “Pahle qasam khā kar mujhe yih haq bech do.” Esau ne qasam khā kar use pahlauṭhe kā haq muntaqil kar diyā.
Gene UrduGeoR 25:34  Tab Yāqūb ne use kuchh roṭī aur dāl de dī, aur Esau ne khāyā aur piyā. Phir wuh uṭh kar chalā gayā. Yoṅ us ne pahlauṭhe ke haq ko haqīr jānā.
Chapter 26
Gene UrduGeoR 26:1  Us mulk meṅ dubārā kāl paṛā, jis tarah Ibrāhīm ke dinoṅ meṅ bhī paṛ gayā thā. Is'hāq Jirār Shahr gayā jis par Filistiyoṅ ke bādshāh Abīmalik kī hukūmat thī.
Gene UrduGeoR 26:2  Rab ne Is'hāq par zāhir ho kar kahā, “Misr na jā balki us mulk meṅ bas jo maiṅ tujhe dikhātā hūṅ.
Gene UrduGeoR 26:3  Us mulk meṅ ajnabī rah to maiṅ tere sāth hūṅgā aur tujhe barkat dūṅgā. Kyoṅki maiṅ tujhe aur terī aulād ko yih tamām ilāqā dūṅgā aur wuh wādā pūrā karūṅga jo maiṅ ne qasam khā kar tere bāp Ibrāhīm se kiyā thā.
Gene UrduGeoR 26:4  Maiṅ tujhe itnī aulād dūṅgā jitne āsmān par sitāre haiṅ. Aur maiṅ yih tamām mulk unheṅ de dūṅgā. Terī aulād se duniyā kī tamām qaumeṅ barkat pāeṅgī.
Gene UrduGeoR 26:5  Maiṅ tujhe is lie barkat dūṅgā ki Ibrāhīm mere tābe rahā aur merī hidāyāt aur ahkām par chaltā rahā.”
Gene UrduGeoR 26:6  Chunāṅche Is'hāq Jirār meṅ ābād ho gayā.
Gene UrduGeoR 26:7  Jab wahāṅ ke mardoṅ ne Ribqā ke bāre meṅ pūchhā to Is'hāq ne kahā, “Yih merī bahan hai.” Wuh unheṅ yih batāne se ḍartā thā ki yih merī bīwī hai, kyoṅki us ne sochā, “Ribqā nihāyat ḳhūbsūrat hai. Agar unheṅ mālūm ho jāe ki Ribqā merī bīwī hai to wuh use hāsil karne kī ḳhātir mujhe qatl kar deṅge.”
Gene UrduGeoR 26:8  Kāfī waqt guzar gayā. Ek din Filistiyoṅ ke bādshāh ne apnī khiṛkī meṅ se jhāṅk kar dekhā ki Is'hāq apnī bīwī ko pyār kar rahā hai.
Gene UrduGeoR 26:9  Us ne Is'hāq ko bulā kar kahā, “Wuh to āp kī bīwī hai! Āp ne kyoṅ kahā ki merī bahan hai?” Is'hāq ne jawāb diyā, “Maiṅ ne sochā ki agar maiṅ batāūṅ ki yih merī bīwī hai to log mujhe qatl kar deṅge.”
Gene UrduGeoR 26:10  Abīmalik ne kahā, “Āp ne hamāre sāth kaisā sulūk kar dikhāyā! Kitnī āsānī se mere ādmiyoṅ meṅ se koī āp kī bīwī se hambistar ho jātā. Is tarah ham āp ke sabab se ek baṛe jurm ke qusūrwār ṭhaharte.”
Gene UrduGeoR 26:11  Phir Abīmalik ne tamām logoṅ ko hukm diyā, “Jo bhī is mard yā us kī bīwī ko chheṛe use sazā-e-maut dī jāegī.”
Gene UrduGeoR 26:12  Is'hāq ne us ilāqe meṅ kāshtkārī kī, aur usī sāl use sau gunā phal milā. Yoṅ Rab ne use barkat dī,
Gene UrduGeoR 26:13  aur wuh amīr ho gayā. Us kī daulat baṛhtī gaī, aur wuh nihāyat daulatmand ho gayā.
Gene UrduGeoR 26:14  Us ke pās itnī bheṛ-bakriyāṅ, gāy-bail aur ġhulām the ki Filistī us se hasad karne lage.
Gene UrduGeoR 26:15  Ab aisā huā ki unhoṅ ne un tamām kuoṅ ko miṭṭī se bhar kar band kar diyā jo us ke bāp ke naukaroṅ ne khode the.
Gene UrduGeoR 26:16  Āḳhirkār Abīmalik ne Is'hāq se kahā, “Kahīṅ aur jā kar raheṅ, kyoṅki āp ham se zyādā zorāwar ho gae haiṅ.”
Gene UrduGeoR 26:17  Chunāṅche Is'hāq ne wahāṅ se jā kar Jirār kī Wādī meṅ apne ḍere lagāe.
Gene UrduGeoR 26:18  Wahāṅ Filistiyoṅ ne Ibrāhīm kī maut ke bād tamām kuoṅ ko miṭṭī se bhar diyā thā. Is'hāq ne un ko dubārā khudwāyā. Us ne un ke wuhī nām rakhe jo us ke bāp ne rakhe the.
Gene UrduGeoR 26:19  Is'hāq ke naukaroṅ ko wādī meṅ khodte khodte tāzā pānī mil gayā.
Gene UrduGeoR 26:20  Lekin Jirār ke charwāhe ā kar Is'hāq ke charwāhoṅ se jhagaṛne lage. Unhoṅ ne kahā, “Yih hamārā kuāṅ hai!” Is lie us ne us kueṅ kā nām Isak yānī Jhagaṛā rakhā.
Gene UrduGeoR 26:21  Is'hāq ke naukaroṅ ne ek aur kuāṅ khod liyā. Lekin us par bhī jhagaṛā huā, is lie us ne us kā nām Sitnā yānī Muḳhālafat rakhā.
Gene UrduGeoR 26:22  Wahāṅ se jā kar us ne ek tīsrā kuāṅ khudwāyā. Is dafā koī jhagaṛā na huā, is lie us ne us kā nām Rahobot yānī ‘Khulī Jagah’ rakhā. Kyoṅki us ne kahā, “Rab ne hameṅ khulī jagah dī hai, aur ab ham mulk meṅ phaleṅ-phūleṅge.”
Gene UrduGeoR 26:24  Usī rāt Rab us par zāhir huā aur kahā, “Maiṅ tere bāp Ibrāhīm kā Ḳhudā hūṅ. Mat ḍar, kyoṅki maiṅ tere sāth hūṅ. Maiṅ tujhe barkat dūṅgā aur tujhe apne ḳhādim Ibrāhīm kī ḳhātir bahut aulād dūṅgā.”
Gene UrduGeoR 26:25  Wahāṅ Is'hāq ne qurbāngāh banāī aur Rab kā nām le kar ibādat kī. Wahāṅ us ne apne ḳhaime lagāe aur us ke naukaroṅ ne kuāṅ khod liyā.
Gene UrduGeoR 26:26  Ek din Abīmalik, us kā sāthī Aḳhūzat aur us kā sipahsālār Fīkul Jirār se us ke pās āe.
Gene UrduGeoR 26:27  Is'hāq ne pūchhā, “Āp kyoṅ mere pās āe haiṅ? Āp to mujh se nafrat rakhte haiṅ. Kyā āp ne mujhe apne darmiyān se ḳhārij nahīṅ kiyā thā?”
Gene UrduGeoR 26:28  Unhoṅ ne jawāb diyā, “Ham ne jān liyā hai ki Rab āp ke sāth hai. Is lie ham ne kahā ki hamārā āp ke sāth ahd honā chāhie. Āie ham qasam khā kar ek dūsre se ahd bāndheṅ
Gene UrduGeoR 26:29  ki āp hameṅ nuqsān nahīṅ pahuṅchāeṅge, kyoṅki ham ne bhī āp ko nahīṅ chheṛā balki āp se sirf achchhā sulūk kiyā aur āp ko salāmatī ke sāth ruḳhsat kiyā hai. Aur ab zāhir hai ki Rab ne āp ko barkat dī hai.”
Gene UrduGeoR 26:30  Is'hāq ne un kī ziyāfat kī, aur unhoṅ ne khāyā aur piyā.
Gene UrduGeoR 26:31  Phir subah-sawere uṭh kar unhoṅ ne ek dūsre ke sāmne qasam khāī. Is ke bād Is'hāq ne unheṅ ruḳhsat kiyā aur wuh salāmatī se rawānā hue.
Gene UrduGeoR 26:32  Usī din Is'hāq ke naukar āe aur use us kueṅ ke bāre meṅ ittalā dī jo unhoṅ ne khodā thā. Unhoṅ ne kahā, “Hameṅ pānī mil gayā hai.”
Gene UrduGeoR 26:33  Us ne kueṅ kā nām Sabā yānī ‘Qasam’ rakhā. Āj tak sāth wāle shahr kā nām Bair-sabā hai.
Gene UrduGeoR 26:34  Jab Esau 40 sāl kā thā to us ne do Hittī auratoṅ se shādī kī, Bairī kī beṭī Yahūdit se aur Ailon kī beṭī Bāsamat se.
Gene UrduGeoR 26:35  Yih aurateṅ Is'hāq aur Ribqā ke lie baṛe dukh kā bāis banīṅ.
Chapter 27
Gene UrduGeoR 27:1  Is'hāq būṛhā ho gayā to us kī nazar dhundlā gaī. Us ne apne baṛe beṭe ko bulā kar kahā, “Beṭā.” Esau ne jawāb diyā, “Jī, maiṅ hāzir hūṅ.”
Gene UrduGeoR 27:2  Is'hāq ne kahā, “Maiṅ būṛhā ho gayā hūṅ aur Ḳhudā jāne kab mar jāūṅ.
Gene UrduGeoR 27:3  Is lie apnā tīr kamān le kar jangal meṅ nikal jā aur mere lie kisī jānwar kā shikār kar.
Gene UrduGeoR 27:4  Use taiyār karke aisā lazīz khānā pakā jo mujhe pasand hai. Phir use mere pās le ā. Marne se pahle maiṅ wuh khānā khā kar tujhe barkat denā chāhtā hūṅ.”
Gene UrduGeoR 27:5  Ribqā ne Is'hāq kī Esau ke sāth bātchīt sun lī thī. Jab Esau shikār karne ke lie chalā gayā to us ne Yāqūb se kahā,
Gene UrduGeoR 27:6  “Abhī abhī maiṅ ne tumhāre abbū ko Esau se yih bāt karte hue sunā ki
Gene UrduGeoR 27:7  ‘Mere lie kisī jānwar kā shikār karke le ā. Use taiyār karke mere lie lazīz khānā pakā. Marne se pahle maiṅ yih khānā khā kar tujhe Rab ke sāmne barkat denā chāhtā hūṅ.’
Gene UrduGeoR 27:8  Ab suno, mere beṭe! Jo kuchh maiṅ batātī hūṅ wuh karo.
Gene UrduGeoR 27:9  Jā kar rewaṛ meṅ se bakriyoṅ ke do achchhe achchhe bachche chun lo. Phir maiṅ wuhī lazīz khānā pakāūṅgī jo tumhāre abbū ko pasand hai.
Gene UrduGeoR 27:10  Tum yih khānā us ke pās le jāoge to wuh use khā kar marne se pahle tumheṅ barkat degā.”
Gene UrduGeoR 27:11  Lekin Yāqūb ne etarāz kiyā, “Āp jāntī haiṅ ki Esau ke jism par ghane bāl haiṅ jabki mere bāl kam haiṅ.
Gene UrduGeoR 27:12  Kahīṅ mujhe chhūne se mere bāp ko patā na chal jāe ki maiṅ use fareb de rahā hūṅ. Phir mujh par barkat nahīṅ balki lānat āegī.”
Gene UrduGeoR 27:13  Us kī māṅ ne kahā, “Tum par āne wālī lānat mujh par āe, beṭā. Bas merī bāt mān lo. Jāo aur bakriyoṅ ke wuh bachche le āo.”
Gene UrduGeoR 27:14  Chunāṅche wuh gayā aur unheṅ apnī māṅ ke pās le āyā. Ribqā ne aisā lazīz khānā pakāyā jo Yāqūb ke bāp ko pasand thā.
Gene UrduGeoR 27:15  Esau ke ḳhās mauqoṅ ke lie achchhe libās Ribqā ke pās ghar meṅ the. Us ne un meṅ se behtarīn libās chun kar apne chhoṭe beṭe ko pahnā diyā.
Gene UrduGeoR 27:16  Sāth sāth us ne bakriyoṅ kī khāleṅ us ke hāthoṅ aur gardan par jahāṅ bāl na the lapeṭ dīṅ.
Gene UrduGeoR 27:17  Phir us ne apne beṭe Yāqūb ko roṭī aur wuh lazīz khānā diyā jo us ne pakāyā thā.
Gene UrduGeoR 27:18  Yāqūb ne apne bāp ke pās jā kar kahā, “Abbū jī.” Is'hāq ne kahā, “Jī, beṭā. Tū kaun hai?”
Gene UrduGeoR 27:19  Us ne kahā, “Maiṅ āp kā pahlauṭhā Esau hūṅ. Maiṅ ne wuh kiyā hai jo āp ne mujhe kahā thā. Ab zarā uṭheṅ aur baiṭh kar mere shikār kā khānā khāeṅ tāki āp bād meṅ mujhe barkat deṅ.”
Gene UrduGeoR 27:20  Is'hāq ne pūchhā, “Beṭā, tujhe yih shikār itnī jaldī kis tarah mil gayā?” Us ne jawāb diyā, “Rab āp ke Ḳhudā ne use mere sāmne se guzarne diyā.”
Gene UrduGeoR 27:21  Is'hāq ne kahā, “Beṭā, mere qarīb ā tāki maiṅ tujhe chhū lūṅ ki tū wāqaī merā beṭā Esau hai ki nahīṅ.”
Gene UrduGeoR 27:22  Yāqūb apne bāp ke nazdīk āyā. Is'hāq ne use chhū kar kahā, “Terī āwāz to Yāqūb kī hai lekin tere hāth Esau ke haiṅ.”
Gene UrduGeoR 27:23  Yoṅ us ne fareb khāyā. Chūṅki Yāqūb ke hāth Esau ke hāth kī mānind the is lie us ne use barkat dī.
Gene UrduGeoR 27:24  To bhī us ne dubārā pūchhā, “Kyā tū wāqaī merā beṭā Esau hai?” Yāqūb ne jawāb diyā, “Jī, maiṅ wuhī hūṅ.”
Gene UrduGeoR 27:25  Āḳhirkār Is'hāq ne kahā, “Shikār kā khānā mere pās le ā, beṭā. Use khāne ke bād maiṅ tujhe barkat dūṅgā.” Yāqūb khānā aur mai le āyā. Is'hāq ne khāyā aur piyā,
Gene UrduGeoR 27:26  phir kahā, “Beṭā, mere pās ā aur mujhe bosā de.”
Gene UrduGeoR 27:27  Yāqūb ne pās ā kar use bosā diyā. Is'hāq ne us ke libās ko sūṅgh kar use barkat dī. Us ne kahā, “Mere beṭe kī ḳhushbū us khule maidān kī ḳhushbū kī mānind hai jise Rab ne barkat dī hai.
Gene UrduGeoR 27:28  Allāh tujhe āsmān kī os aur zamīn kī zarḳhezī de. Wuh tujhe kasrat kā anāj aur angūr kā ras de.
Gene UrduGeoR 27:29  Qaumeṅ terī ḳhidmat kareṅ, aur ummateṅ tere sāmne jhuk jāeṅ. Apne bhāiyoṅ kā hukmrān ban, aur terī māṅ kī aulād tere sāmne ghuṭne ṭeke. Jo tujh par lānat kare wuh ḳhud lānatī ho aur jo tujhe barkat de wuh ḳhud barkat pāe.”
Gene UrduGeoR 27:30  Is'hāq kī barkat ke bād Yāqūb abhī ruḳhsat hī huā thā ki us kā bhāī Esau shikār karke wāpas āyā.
Gene UrduGeoR 27:31  Wuh bhī lazīz khānā pakā kar use apne bāp ke pās le āyā. Us ne kahā, “Abbū jī, uṭheṅ aur mere shikār kā khānā khāeṅ tāki āp mujhe barkat deṅ.”
Gene UrduGeoR 27:32  Is'hāq ne pūchhā, “Tū kaun hai?” Us ne jawāb diyā, “Maiṅ āp kā baṛā beṭā Esau hūṅ.”
Gene UrduGeoR 27:33  Is'hāq ghabrā kar shiddat se kāṅpne lagā. Us ne pūchhā, “Phir wuh kaun thā jo kisī jānwar kā shikār karke mere pās le āyā? Tere āne se zarā pahle maiṅ ne us shikār kā khānā khā kar us shaḳhs ko barkat dī. Ab wuh barkat usī par rahegī.”
Gene UrduGeoR 27:34  Yih sun kar Esau zordār aur talḳh chīḳheṅ mārne lagā. “Abbū, mujhe bhī barkat deṅ,” us ne kahā.
Gene UrduGeoR 27:35  Lekin Is'hāq ne jawāb diyā, “Tere bhāī ne ā kar mujhe fareb diyā. Us ne terī barkat tujh se chhīn lī hai.”
Gene UrduGeoR 27:36  Esau ne kahā, “Us kā nām Yāqūb ṭhīk hī rakhā gayā hai, kyoṅki ab us ne mujhe dūsrī bār dhokā diyā hai. Pahle us ne pahlauṭhe kā haq mujh se chhīn liyā aur ab merī barkat bhī zabardastī le lī. Kyā āp ne mere lie koī barkat mahfūz nahīṅ rakhī?”
Gene UrduGeoR 27:37  Lekin Is'hāq ne kahā, “Maiṅ ne use terā hukmrān aur us ke tamām bhāiyoṅ ko us ke ḳhādim banā diyā hai. Maiṅ ne use anāj aur angūr kā ras muhaiyā kiyā hai. Ab mujhe batā beṭā, kyā kuchh rah gayā hai jo maiṅ tujhe dūṅ?”
Gene UrduGeoR 27:38  Lekin Esau ḳhāmosh na huā balki kahā, “Abbū, kyā āp ke pās wāqaī sirf yihī barkat thī? Abbū, mujhe bhī barkat deṅ.” Wuh zār-o-qatār rone lagā.
Gene UrduGeoR 27:39  Phir Is'hāq ne kahā, “Tū zamīn kī zarḳhezī aur āsmān kī os se mahrūm rahegā.
Gene UrduGeoR 27:40  Tū sirf apnī talwār ke sahāre zindā rahegā aur apne bhāī kī ḳhidmat karegā. Lekin ek din tū bechain ho kar us kā juā apnī gardan par se utār phaiṅkegā.”
Gene UrduGeoR 27:41  Bāp kī barkat ke sabab se Esau Yāqūb kā dushman ban gayā. Us ne dil meṅ kahā, “Wuh din qarīb ā gae haiṅ ki Abbū intaqāl kar jāeṅge aur ham un kā mātam kareṅge. Phir maiṅ apne bhāī ko mār ḍālūṅgā.”
Gene UrduGeoR 27:42  Ribqā ko apne baṛe beṭe Esau kā yih irādā mālūm huā. Us ne Yāqūb ko bulā kar kahā, “Tumhārā bhāī badlā lenā chāhtā hai. Wuh tumheṅ qatl karne kā irādā rakhtā hai.
Gene UrduGeoR 27:43  Beṭā, ab merī suno, yahāṅ se hijrat kar jāo. Hārān Shahr meṅ mere bhāī Lāban ke pās chale jāo.
Gene UrduGeoR 27:44  Wahāṅ kuchh din ṭhahre rahnā jab tak tumhāre bhāī kā ġhussā ṭhanḍā na ho jāe.
Gene UrduGeoR 27:45  Jab us kā ġhussā ṭhanḍā ho jāegā aur wuh tumhāre us ke sāth kie gae sulūk ko bhūl jāegā, tab maiṅ ittalā dūṅgī ki tum wahāṅ se wāpas ā sakte ho. Maiṅ kyoṅ ek hī din meṅ tum donoṅ se mahrūm ho jāūṅ?”
Gene UrduGeoR 27:46  Phir Ribqā ne Is'hāq se bāt kī, “Maiṅ Esau kī bīwiyoṅ ke sabab se apnī zindagī se tang hūṅ. Agar Yāqūb bhī is mulk kī auratoṅ meṅ se kisī se shādī kare to behtar hai ki maiṅ pahle hī mar jāūṅ.”
Chapter 28
Gene UrduGeoR 28:1  Is'hāq ne Yāqūb ko bulā kar use barkat dī aur kahā, “Lāzim hai ki tū kisī Kanānī aurat se shādī na kare.
Gene UrduGeoR 28:2  Ab sīdhe Masoputāmiyā meṅ apne nānā Batuel ke ghar jā aur wahāṅ apne māmūṅ Lāban kī laṛkiyoṅ meṅ se kisī ek se shādī kar.
Gene UrduGeoR 28:3  Allāh Qādir-e-mutlaq tujhe barkat de kar phalne-phūlne de aur tujhe itnī aulād de ki tū bahut sārī qaumoṅ kā bāp bane.
Gene UrduGeoR 28:4  Wuh tujhe aur terī aulād ko Ibrāhīm kī barkat de jise us ne yih mulk diyā jis meṅ tū mehmān ke taur par rahtā hai. Yih mulk tumhāre qabze meṅ āe.”
Gene UrduGeoR 28:5  Yoṅ Is'hāq ne Yāqūb ko Masoputāmiyā meṅ Lāban ke ghar bhejā. Lāban Arāmī mard Batuel kā beṭā aur Ribqā kā bhāī thā.
Gene UrduGeoR 28:6  Esau ko patā chalā ki Is'hāq ne Yāqūb ko barkat de kar Masoputāmiyā bhej diyā hai tāki wahāṅ shādī kare. Use yih bhī mālūm huā ki Is'hāq ne use Kanānī aurat se shādī karne se manā kiyā hai
Gene UrduGeoR 28:7  aur ki Yāqūb apne māṅ-bāp kī sun kar Masoputāmiyā chalā gayā hai.
Gene UrduGeoR 28:8  Esau samajh gayā ki Kanānī aurateṅ mere bāp ko manzūr nahīṅ haiṅ.
Gene UrduGeoR 28:9  Is lie wuh Ibrāhīm ke beṭe Ismāīl ke pās gayā aur us kī beṭī Mahalat se shādī kī. Wuh Nabāyot kī bahan thī. Yoṅ us kī bīwiyoṅ meṅ izāfā huā.
Gene UrduGeoR 28:10  Yāqūb Bair-sabā se Hārān kī taraf rawānā huā.
Gene UrduGeoR 28:11  Jab sūraj ġhurūb huā to wuh rāt guzārne ke lie ruk gayā aur wahāṅ ke pattharoṅ meṅ se ek ko le kar use apne sirhāne rakhā aur so gayā.
Gene UrduGeoR 28:12  Jab wuh so rahā thā to ḳhāb meṅ ek sīṛhī dekhī jo zamīn se āsmān tak pahuṅchtī thī. Farishte us par chaṛhte aur utarte nazar āte the.
Gene UrduGeoR 28:13  Rab us ke ūpar khaṛā thā. Us ne kahā, “Maiṅ Rab Ibrāhīm aur Is'hāq kā Ḳhudā hūṅ. Maiṅ tujhe aur terī aulād ko yih zamīn dūṅgā jis par tū leṭā hai.
Gene UrduGeoR 28:14  Terī aulād zamīn par ḳhāk kī tarah beshumār hogī, aur tū chāroṅ taraf phail jāegā. Duniyā kī tamām qaumeṅ tere aur terī aulād ke wasīle se barkat pāeṅgī.
Gene UrduGeoR 28:15  Maiṅ tere sāth hūṅgā, tujhe mahfūz rakhūṅgā aur āḳhirkār tujhe is mulk meṅ wāpas lāūṅgā. Mumkin hī nahīṅ ki maiṅ tere sāth apnā wādā pūrā karne se pahle tujhe chhoṛ dūṅ.”
Gene UrduGeoR 28:16  Tab Yāqūb jāg uṭhā. Us ne kahā, “Yaqīnan Rab yahāṅ hāzir hai, aur mujhe mālūm nahīṅ thā.”
Gene UrduGeoR 28:17  Wuh ḍar gayā aur kahā, “Yih kitnā ḳhaufnāk maqām hai. Yih to Allāh hī kā ghar aur āsmān kā darwāzā hai.”
Gene UrduGeoR 28:18  Yāqūb subah-sawere uṭhā. Us ne wuh patthar liyā jo us ne apne sirhāne rakhā thā aur use satūn kī tarah khaṛā kiyā. Phir us ne us par zaitūn kā tel unḍel diyā.
Gene UrduGeoR 28:19  Us ne maqām kā nām Baitel yānī ‘Allāh kā Ghar’ rakhā. (Pahle sāth wāle shahr kā nām Lūz thā.)
Gene UrduGeoR 28:20  Us ne qasam khā kar kahā, “Agar Rab mere sāth ho, safr par merī hifāzat kare, mujhe khānā aur kapṛā muhaiyā kare
Gene UrduGeoR 28:21  aur maiṅ salāmatī se apne bāp ke ghar wāpas pahuṅchūṅ to phir wuh merā Ḳhudā hogā.
Gene UrduGeoR 28:22  Jahāṅ yih patthar satūn ke taur par khaṛā hai wahāṅ Allāh kā ghar hogā, aur jo bhī tū mujhe degā us kā daswāṅ hissā tujhe diyā karūṅga.”
Chapter 29
Gene UrduGeoR 29:1  Yāqūb ne apnā safr jārī rakhā aur chalte chalte mashriqī qaumoṅ ke mulk meṅ pahuṅch gayā.
Gene UrduGeoR 29:2  Wahāṅ us ne khet meṅ kuāṅ dekhā jis ke irdgird bheṛ-bakriyoṅ ke tīn rewaṛ jamā the. Rewaṛoṅ ko kueṅ kā pānī pilāyā jānā thā, lekin us ke muṅh par baṛā patthar paṛā thā.
Gene UrduGeoR 29:3  Wahāṅ pānī pilāne kā yih tarīqā thā ki pahle charwāhe tamām rewaṛoṅ kā intazār karte aur phir patthar ko luṛhkā kar muṅh se haṭā dete the. Pānī pilāne ke bād wuh patthar ko dubārā muṅh par rakh dete the.
Gene UrduGeoR 29:4  Yāqūb ne charwāhoṅ se pūchhā, “Mere bhāiyo, āp kahāṅ ke haiṅ?” Unhoṅ ne jawāb diyā, “Hārān ke.”
Gene UrduGeoR 29:5  Us ne pūchhā, “Kyā āp Nahūr ke pote Lāban ko jānte haiṅ?” Unhoṅ ne kahā, “Jī hāṅ.”
Gene UrduGeoR 29:6  Us ne pūchhā, “Kyā wuh ḳhairiyat se hai?” Unhoṅ ne kahā, “Jī, wuh ḳhairiyat se hai. Dekho, udhar us kī beṭī Rāḳhil rewaṛ le kar ā rahī hai.”
Gene UrduGeoR 29:7  Yāqūb ne kahā, “Abhī to shām tak bahut waqt bāqī hai. Rewaṛoṅ ko jamā karne kā waqt to nahīṅ hai. Āp kyoṅ unheṅ pānī pilā kar dubārā charne nahīṅ dete?”
Gene UrduGeoR 29:8  Unhoṅ ne jawāb diyā, “Pahle zarūrī hai ki tamām rewaṛ yahāṅ pahuṅcheṅ. Tab hī patthar ko luṛhkā kar ek taraf haṭāyā jāegā aur ham rewaṛoṅ ko pānī pilāeṅge.”
Gene UrduGeoR 29:9  Yāqūb abhī un se bāt kar hī rahā thā ki Rāḳhil apne bāp kā rewaṛ le kar ā pahuṅchī, kyoṅki bheṛ-bakriyoṅ ko charānā us kā kām thā.
Gene UrduGeoR 29:10  Jab Yāqūb ne Rāḳhil ko māmūṅ Lāban ke rewaṛ ke sāth āte dekhā to us ne kueṅ ke pās jā kar patthar ko luṛhkā kar muṅh se haṭā diyā aur bheṛ-bakriyoṅ ko pānī pilāyā.
Gene UrduGeoR 29:11  Phir us ne use bosā diyā aur ḳhūb rone lagā.
Gene UrduGeoR 29:12  Us ne kahā, “Maiṅ āp ke abbū kī bahan Ribqā kā beṭā hūṅ.” Yih sun kar Rāḳhil ne bhāg kar apne abbū ko ittalā dī.
Gene UrduGeoR 29:13  Jab Lāban ne sunā ki merā bhānjā Yāqūb āyā hai to wuh dauṛ kar us se milne gayā aur use gale lagā kar apne ghar le āyā. Yāqūb ne use sab kuchh batā diyā jo huā thā.
Gene UrduGeoR 29:14  Lāban ne kahā, “Āp wāqaī mere rishtedār haiṅ.” Yāqūb ne wahāṅ ek pūrā mahīnā guzārā.
Gene UrduGeoR 29:15  Phir Lāban Yāqūb se kahne lagā, “Beshak āp mere rishtedār haiṅ, lekin āp ko mere lie kām karne ke badle meṅ kuchh milnā chāhie. Maiṅ āp ko kitne paise dūṅ?”
Gene UrduGeoR 29:16  Lāban kī do beṭiyāṅ thīṅ. Baṛī kā nām Liyāh thā aur chhoṭī kā Rāḳhil.
Gene UrduGeoR 29:17  Liyāh kī āṅkheṅ chundhī thīṅ jabki Rāḳhil har tarah se ḳhūbsūrat thī.
Gene UrduGeoR 29:18  Yāqūb ko Rāḳhil se muhabbat thī, is lie us ne kahā, “Agar mujhe āp kī chhoṭī beṭī Rāḳhil mil jāe to āp ke lie sāt sāl kām karūṅga.”
Gene UrduGeoR 29:19  Lāban ne kahā, “Kisī aur ādmī kī nisbat mujhe yih zyādā pasand hai ki āp hī se us kī shādī karāūṅ.”
Gene UrduGeoR 29:20  Pas Yāqūb ne Rāḳhil ko pāne ke lie sāt sāl tak kām kiyā. Lekin use aisā lagā jaisā do ek din hī guzare hoṅ kyoṅki wuh Rāḳhil ko shiddat se pyār kartā thā.
Gene UrduGeoR 29:21  Is ke bād us ne Lāban se kahā, “Muddat pūrī ho gaī hai. Ab mujhe apnī beṭī se shādī karne deṅ.”
Gene UrduGeoR 29:22  Lāban ne us maqām ke tamām logoṅ ko dāwat de kar shādī kī ziyāfat kī.
Gene UrduGeoR 29:23  Lekin us rāt wuh Rāḳhil kī bajāe Liyāh ko Yāqūb ke pās le āyā, aur Yāqūb usī se hambistar huā.
Gene UrduGeoR 29:24  (Lāban ne Liyāh ko apnī launḍī Zilfā de dī thī tāki wuh us kī ḳhidmat kare.)
Gene UrduGeoR 29:25  Jab subah huī to Yāqūb ne dekhā ki Liyāh hī mere pās hai. Us ne Lāban ke pās jā kar kahā, “Yih āp ne mere sāth kyā kiyā hai? Kyā maiṅ ne Rāḳhil ke lie kām nahīṅ kiyā? Āp ne mujhe dhokā kyoṅ diyā?”
Gene UrduGeoR 29:26  Lāban ne jawāb diyā, “Yahāṅ dastūr nahīṅ hai ki chhoṭī beṭī kī shādī baṛī se pahle kar dī jāe.
Gene UrduGeoR 29:27  Ek hafte ke bād shādī kī rusūmāt pūrī ho jāeṅgī. Us waqt tak sabar kareṅ. Phir maiṅ āp ko Rāḳhil bhī de dūṅgā. Shart yih hai ki āp mazīd sāt sāl mere lie kām kareṅ.”
Gene UrduGeoR 29:28  Yāqūb mān gayā. Chunāṅche jab ek hafte ke bād shādī kī rusūmāt pūrī huīṅ to Lāban ne apnī beṭī Rāḳhil kī shādī bhī us ke sāth kar dī.
Gene UrduGeoR 29:29  (Lāban ne Rāḳhil ko apnī launḍī Bilhāh de dī tāki wuh us kī ḳhidmat kare.)
Gene UrduGeoR 29:30  Yāqūb Rāḳhil se bhī hambistar huā. Wuh Liyāh kī nisbat use zyādā pyār kartā thā. Phir us ne Rāḳhil ke ewaz sāt sāl aur Lāban kī ḳhidmat kī.
Gene UrduGeoR 29:31  Jab Rab ne dekhā ki Liyāh se nafrat kī jātī hai to us ne use aulād dī jabki Rāḳhil ke hāṅ bachche paidā na hue.
Gene UrduGeoR 29:32  Liyāh hāmilā huī aur us ke beṭā paidā huā. Us ne kahā, “Rab ne merī musībat dekhī hai aur ab merā shauhar mujhe pyār karegā.” Us ne us kā nām Rūbin yānī ‘Dekho Ek Beṭā’ rakhā.
Gene UrduGeoR 29:33  Wuh dubārā hāmilā huī. Ek aur beṭā paidā huā. Us ne kahā, “Rab ne sunā ki mujh se nafrat kī jātī hai, is lie us ne mujhe yih bhī diyā hai.” Us ne us kā nām Shamāūn yānī ‘Rab ne Sunā Hai’ rakhā.
Gene UrduGeoR 29:34  Wuh ek aur dafā hāmilā huī. Tīsrā beṭā paidā huā. Us ne kahā, “Ab āḳhirkār shauhar ke sāth merā bandhan mazbūt ho jāegā, kyoṅki maiṅ ne us ke lie tīn beṭoṅ ko janm diyā hai.” Us ne us kā nām Lāwī yānī Bandhan rakhā.
Gene UrduGeoR 29:35  Wuh ek bār phir hāmilā huī. Chauthā beṭā paidā huā. Us ne kahā, “Is dafā maiṅ Rab kī tamjīd karūṅgī.” Us ne us kā nām Yahūdāh yānī Tamjīd rakhā. Is ke bād us se aur bachche paidā na hue.
Chapter 30
Gene UrduGeoR 30:1  Lekin Rāḳhil beaulād hī rahī, is lie wuh apnī bahan se hasad karne lagī. Us ne Yāqūb se kahā, “Mujhe bhī aulād deṅ warnā maiṅ mar jāūṅgī.”
Gene UrduGeoR 30:2  Yāqūb ko ġhussā āyā. Us ne kahā, “Kyā maiṅ Allāh hūṅ jis ne tujhe aulād se mahrūm rakhā hai?”
Gene UrduGeoR 30:3  Rāḳhil ne kahā, “Yahāṅ merī launḍī Bilhāh hai. Us ke sāth hambistar hoṅ tāki wuh mere lie bachche ko janm de aur maiṅ us kī mārifat māṅ ban jāūṅ.”
Gene UrduGeoR 30:4  Yoṅ us ne apne shauhar ko Bilhāh dī, aur wuh us se hambistar huā.
Gene UrduGeoR 30:6  Rāḳhil ne kahā, “Allāh ne mere haq meṅ faislā diyā hai. Us ne merī duā sun kar mujhe beṭā de diyā hai.” Us ne us kā nām Dān yānī ‘Kisī ke Haq meṅ Faislā Karne Wālā’ rakhā.
Gene UrduGeoR 30:7  Bilhāh dubārā hāmilā huī aur ek aur beṭā paidā huā.
Gene UrduGeoR 30:8  Rāḳhil ne kahā, “Maiṅ ne apnī bahan se saḳht kushtī laṛī hai, lekin jīt gaī hūṅ.” Us ne us kā nām Naftālī yānī ‘Kushtī meṅ Mujh se Jītā Gayā’ rakhā.
Gene UrduGeoR 30:9  Jab Liyāh ne dekhā ki mere aur bachche paidā nahīṅ ho rahe to us ne Yāqūb ko apnī launḍī Zilfā de dī tāki wuh bhī us kī bīwī ho.
Gene UrduGeoR 30:11  Liyāh ne kahā, “Maiṅ kitnī ḳhushqismat hūṅ!” Chunāṅche us ne us kā nām Jad yānī Ḳhushqismatī rakhā.
Gene UrduGeoR 30:13  Liyāh ne kahā, “Maiṅ kitnī mubārak hūṅ. Ab ḳhawātīn mujhe mubārak kaheṅgī.” Us ne us kā nām Āshar yānī Mubārak rakhā.
Gene UrduGeoR 30:14  Ek din anāj kī fasal kī kaṭāī ho rahī thī ki Rūbin bāhar nikal kar khetoṅ meṅ chalā gayā. Wahāṅ use mardumgayāh mil gae. Wuh unheṅ apnī māṅ Liyāh ke pās le āyā. Yih dekh kar Rāḳhil ne Liyāh se kahā, “Mujhe zarā apne beṭe ke mardumgayāh meṅ se kuchh de do.”
Gene UrduGeoR 30:15  Liyāh ne jawāb diyā, “Kyā yihī kāfī nahīṅ ki tum ne mere shauhar ko mujh se chhīn liyā hai? Ab mere beṭe ke mardumgayāh ko bhī chhīnanā chāhtī ho.” Rāḳhil ne kahā, “Agar tum mujhe apne beṭe ke mardumgayāh meṅ se do to āj rāt Yāqūb ke sāth so saktī ho.”
Gene UrduGeoR 30:16  Shām ko Yāqūb khetoṅ se wāpas ā rahā thā ki Liyāh āge se us se milne ko gaī aur kahā, “Āj rāt āp ko mere sāth sonā hai, kyoṅki maiṅ ne apne beṭe ke mardumgayāh ke ewaz āp ko ujrat par liyā hai.” Chunāṅche Yāqūb ne Liyāh ke pās rāt guzārī.
Gene UrduGeoR 30:17  Us waqt Allāh ne Liyāh kī duā sunī aur wuh hāmilā huī. Us ke pāṅchwāṅ beṭā paidā huā.
Gene UrduGeoR 30:18  Liyāh ne kahā, “Allāh ne mujhe is kā ajr diyā hai ki maiṅ ne apne shauhar ko apnī launḍī dī.” Us ne us kā nām Ishkār yānī Ajr rakhā.
Gene UrduGeoR 30:19  Is ke bād wuh ek aur dafā hāmilā huī. Us ke chhaṭā beṭā paidā huā.
Gene UrduGeoR 30:20  Us ne kahā, “Allāh ne mujhe ek achchhā-ḳhāsā tohfā diyā hai. Ab merā ḳhāwind mere sāth rahegā, kyoṅki mujh se us ke chhih beṭe paidā hue haiṅ.” Us ne us kā nām Zabūlūn yānī Rihāish rakhā.
Gene UrduGeoR 30:21  Is ke bād beṭī paidā huī. Us ne us kā nām Dīnā rakhā.
Gene UrduGeoR 30:22  Phir Allāh ne Rāḳhil ko bhī yād kiyā. Us ne us kī duā sun kar use aulād baḳhshī.
Gene UrduGeoR 30:23  Wuh hāmilā huī aur ek beṭā paidā huā. Us ne kahā, “Mujhe beṭā atā karne se Allāh ne merī izzat bahāl kar dī hai.
Gene UrduGeoR 30:24  Rab mujhe ek aur beṭā de.” Us ne us kā nām Yūsuf yānī ‘Wuh Aur De’ rakhā.
Gene UrduGeoR 30:25  Yūsuf kī paidāish ke bād Yāqūb ne Lāban se kahā, “Ab mujhe ijāzat deṅ ki maiṅ apne watan aur ghar ko wāpas jāūṅ.
Gene UrduGeoR 30:26  Mujhe mere bāl-bachche deṅ jin ke ewaz maiṅ ne āp kī ḳhidmat kī hai. Phir maiṅ chalā jāūṅgā. Āp to ḳhud jānte haiṅ ki maiṅ ne kitnī mehnat ke sāth āp ke lie kām kiyā hai.”
Gene UrduGeoR 30:27  Lekin Lāban ne kahā, “Mujh par mehrbānī kareṅ aur yihīṅ raheṅ. Mujhe ġhaibdānī se patā chalā hai ki Rab ne mujhe āp ke sabab se barkat dī hai.
Gene UrduGeoR 30:28  Apnī ujrat ḳhud muqarrar kareṅ to maiṅ wuhī diyā karūṅga.”
Gene UrduGeoR 30:29  Yāqūb ne kahā, “Āp jānte haiṅ ki maiṅ ne kis tarah āp ke lie kām kiyā, ki mere wasīle se āp ke maweshī kitne baṛh gae haiṅ.
Gene UrduGeoR 30:30  Jo thoṛā-bahut mere āne se pahle āp ke pās thā wuh ab bahut zyādā baṛh gayā hai. Rab ne mere kām se āp ko bahut barkat dī hai. Ab wuh waqt ā gayā hai ki maiṅ apne ghar ke lie kuchh karūṅ.”
Gene UrduGeoR 30:31  Lāban ne kahā, “Maiṅ āp ko kyā dūṅ?” Yāqūb ne kahā, “Mujhe kuchh na deṅ. Maiṅ is shart par āp kī bheṛ-bakriyoṅ kī dekh-bhāl jārī rakhūṅgā ki
Gene UrduGeoR 30:32  āj maiṅ āp ke rewaṛ meṅ se guzar kar un tamām bheṛoṅ ko alag kar lūṅgā jin ke jism par chhoṭe yā baṛe dhabbe hoṅ yā jo safed na hoṅ. Isī tarah maiṅ un tamām bakriyoṅ ko bhī alag kar lūṅgā jin ke jism par chhoṭe yā baṛe dhabbe hoṅ. Yihī merī ujrat hogī.
Gene UrduGeoR 30:33  Āindā jin bakriyoṅ ke jism par chhoṭe yā baṛe dhabbe hoṅge yā jin bheṛoṅ kā rang safed nahīṅ hogā wuh merā ajr hoṅgī. Jab kabhī āp un kā muāynā kareṅge to āp mālūm kar sakeṅge ki maiṅ diyānatdār rahā hūṅ. Kyoṅki mere jānwaroṅ ke rang se hī zāhir hogā ki maiṅ ne āp kā kuchh churāyā nahīṅ hai.”
Gene UrduGeoR 30:34  Lāban ne kahā, “Ṭhīk hai. Aisā hī ho jaisā āp ne kahā hai.”
Gene UrduGeoR 30:35  Usī din Lāban ne un bakroṅ ko alag kar liyā jin ke jism par dhāriyāṅ yā dhabbe the aur un tamām bakriyoṅ ko jin ke jism par chhoṭe yā baṛe dhabbe the. Jis ke bhī jism par safed nishān thā use us ne alag kar liyā. Isī tarah us ne un tamām bheṛoṅ ko bhī alag kar liyā jo pūre taur par safed na the. Phir Lāban ne unheṅ apne beṭoṅ ke sapurd kar diyā
Gene UrduGeoR 30:36  jo un ke sāth Yāqūb se itnā dūr chale gae ki un ke darmiyān tīn din kā fāsilā thā. Tab Yāqūb Lāban kī bāqī bheṛ-bakriyoṅ kī dekh-bhāl kartā gayā.
Gene UrduGeoR 30:37  Yāqūb ne safedā, bādām aur chanār kī harī harī shāḳheṅ le kar un se kuchh chhilkā yoṅ utār diyā ki us par safed dhāriyāṅ nazar āīṅ.
Gene UrduGeoR 30:38  Us ne unheṅ bheṛ-bakriyoṅ ke sāmne un hauzoṅ meṅ gāṛ diyā jahāṅ wuh pānī pīte the, kyoṅki wahāṅ yih jānwar mast ho kar milāp karte the.
Gene UrduGeoR 30:39  Jab wuh in shāḳhoṅ ke sāmne milāp karte to jo bachche paidā hote un ke jism par chhoṭe aur baṛe dhabbe aur dhāriyāṅ hotī thīṅ.
Gene UrduGeoR 30:40  Phir Yāqūb ne bheṛ ke bachchoṅ ko alag karke apne rewaṛoṅ ko Lāban ke un jānwaroṅ ke sāmne charne diyā jin ke jism par dhāriyāṅ thīṅ aur jo safed na the. Yoṅ us ne apne zātī rewaṛoṅ ko alag kar liyā aur unheṅ Lāban ke rewaṛ ke sāth charne na diyā.
Gene UrduGeoR 30:41  Lekin us ne yih shāḳheṅ sirf us waqt hauzoṅ meṅ khaṛī kīṅ jab tāqatwar jānwar mast ho kar milāp karte the.
Gene UrduGeoR 30:42  Kamzor jānwaroṅ ke sāth us ne aisā na kiyā. Isī tarah Lāban ko kamzor jānwar aur Yāqūb ko tāqatwar jānwar mil gae.
Gene UrduGeoR 30:43  Yoṅ Yāqūb bahut amīr ban gayā. Us ke pās bahut-se rewaṛ, ġhulām aur launḍiyāṅ, ūṅṭ aur gadhe the.
Chapter 31
Gene UrduGeoR 31:1  Ek din Yāqūb ko patā chalā ki Lāban ke beṭe mere bāre meṅ kah rahe haiṅ, “Yāqūb ne hamāre abbū se sab kuchh chhīn liyā hai. Us ne yih tamām daulat hamāre bāp kī milkiyat se hāsil kī hai.”
Gene UrduGeoR 31:2  Yāqūb ne yih bhī dekhā ki Lāban kā mere sāth rawaiyā pahle kī nisbat bigaṛ gayā hai.
Gene UrduGeoR 31:3  Phir Rab ne us se kahā, “Apne bāp ke mulk aur apne rishtedāroṅ ke pās wāpas chalā jā. Maiṅ tere sāth hūṅgā.”
Gene UrduGeoR 31:4  Us waqt Yāqūb khule maidān meṅ apne rewaṛoṅ ke pās thā. Us ne wahāṅ se Rāḳhil aur Liyāh ko bulā kar
Gene UrduGeoR 31:5  un se kahā, “Maiṅ ne dekh liyā hai ki āp ke bāp kā mere sāth rawaiyā pahle kī nisbat bigaṛ gayā hai. Lekin mere bāp kā Ḳhudā mere sāth rahā hai.
Gene UrduGeoR 31:6  Āp donoṅ jāntī haiṅ ki maiṅ ne āp ke abbū ke lie kitnī jāṅfishānī se kām kiyā hai.
Gene UrduGeoR 31:7  Lekin wuh mujhe fareb detā rahā aur merī ujrat das bār badlī. Tāham Allāh ne use mujhe nuqsān pahuṅchāne na diyā.
Gene UrduGeoR 31:8  Jab māmūṅ Lāban kahte the, ‘Jin jānwaroṅ ke jism par dhabbe hoṅ wuhī āp ko ujrat ke taur par mileṅge’ to tamām bheṛ-bakriyoṅ ke aise bachche paidā hue jin ke jismoṅ par dhabbe hī the. Jab unhoṅ ne kahā, ‘Jin jānwaroṅ ke jism par dhāriyāṅ hoṅgī wuhī āp ko ujrat ke taur par mileṅge’ to tamām bheṛ-bakriyoṅ ke aise bachche paidā hue jin ke jismoṅ par dhāriyāṅ hī thīṅ.
Gene UrduGeoR 31:9  Yoṅ Allāh ne āp ke abbū ke maweshī chhīn kar mujhe de die haiṅ.
Gene UrduGeoR 31:10  Ab aisā huā ki haiwānoṅ kī mastī ke mausam meṅ maiṅ ne ek ḳhāb dekhā. Us meṅ jo menḍhe aur bakre bheṛ-bakriyoṅ se milāp kar rahe the un ke jism par baṛe aur chhoṭe dhabbe aur dhāriyāṅ thīṅ.
Gene UrduGeoR 31:11  Us ḳhāb meṅ Allāh ke farishte ne mujh se bāt kī, ‘Yāqūb!’ Maiṅ ne kahā, ‘Jī, maiṅ hāzir hūṅ.’
Gene UrduGeoR 31:12  Farishte ne kahā, ‘Apnī nazar uṭhā kar us par ġhaur kar jo ho rahā hai. Wuh tamām menḍhe aur bakre jo bheṛ-bakriyoṅ se milāp kar rahe haiṅ un ke jism par baṛe aur chhoṭe dhabbe aur dhāriyāṅ haiṅ. Maiṅ yih ḳhud karwā rahā hūṅ, kyoṅki maiṅ ne wuh sab kuchh dekh liyā hai jo Lāban ne tere sāth kiyā hai.
Gene UrduGeoR 31:13  Maiṅ wuh Ḳhudā hūṅ jo Baitel meṅ tujh par zāhir huā thā, us jagah jahāṅ tū ne satūn par tel unḍel kar use mere lie maḳhsūs kiyā aur mere huzūr qasam khāī thī. Ab uṭh aur rawānā ho kar apne watan wāpas chalā jā.’”
Gene UrduGeoR 31:14  Rāḳhil aur Liyāh ne jawāb meṅ Yāqūb se kahā, “Ab hameṅ apne bāp kī mīrās se kuchh milne kī ummīd nahīṅ rahī.
Gene UrduGeoR 31:15  Us kā hamāre sāth ajnabī kā-sā sulūk hai. Pahle us ne hameṅ bech diyā, aur ab us ne wuh sāre paise khā bhī lie haiṅ.
Gene UrduGeoR 31:16  Chunāṅche jo bhī daulat Allāh ne hamāre bāp se chhīn lī hai wuh hamārī aur hamāre bachchoṅ kī hī hai. Ab jo kuchh bhī Allāh ne āp ko batāyā hai wuh kareṅ.”
Gene UrduGeoR 31:17  Tab Yāqūb ne uṭh kar apne bāl-bachchoṅ ko ūṅṭoṅ par biṭhāyā
Gene UrduGeoR 31:18  aur apne tamām maweshī aur Masoputāmiyā se hāsil kiyā huā tamām sāmān le kar Mulk-e-Kanān meṅ apne bāp ke hāṅ jāne ke lie rawānā huā.
Gene UrduGeoR 31:19  Us waqt Lāban apnī bheṛ-bakriyoṅ kī pashm katarne ko gayā huā thā. Us kī ġhairmaujūdagī meṅ Rāḳhil ne apne bāp ke but churā lie.
Gene UrduGeoR 31:20  Yāqūb ne Lāban ko fareb de kar use ittalā na dī ki maiṅ jā rahā hūṅ
Gene UrduGeoR 31:21  balki apnī sārī milkiyat sameṭ kar farār huā. Dariyā-e-Furāt ko pār karke wuh Jiliyād ke pahāṛī ilāqe kī taraf safr karne lagā.
Gene UrduGeoR 31:22  Tīn din guzar gae. Phir Lāban ko batāyā gayā ki Yāqūb bhāg gayā hai.
Gene UrduGeoR 31:23  Apne rishtedāroṅ ko sāth le kar us ne us kā tāqqub kiyā. Sāt din chalte chalte us ne Yāqūb ko ā liyā jab wuh Jiliyād ke pahāṛī ilāqe meṅ pahuṅch gayā thā.
Gene UrduGeoR 31:24  Lekin us rāt Allāh ne ḳhāb meṅ Lāban ke pās ā kar us se kahā, “Ḳhabardār! Yāqūb ko burā-bhalā na kahnā.”
Gene UrduGeoR 31:25  Jab Lāban us ke pās pahuṅchā to Yāqūb ne Jiliyād ke pahāṛī ilāqe meṅ apne ḳhaime lagāe hue the. Lāban ne bhī apne rishtedāroṅ ke sāth wahīṅ apne ḳhaime lagāe.
Gene UrduGeoR 31:26  Us ne Yāqūb se kahā, “Yih āp ne kyā kiyā hai? Āp mujhe dhokā de kar merī beṭiyoṅ ko kyoṅ jangī qaidiyoṅ kī tarah hāṅk lāe haiṅ?
Gene UrduGeoR 31:27  Āp kyoṅ mujhe fareb de kar ḳhāmoshī se bhāg āe haiṅ? Agar āp mujhe ittalā dete to maiṅ āp ko ḳhushī ḳhushī daf aur sarod ke sāth gāte bajāte ruḳhsat kartā.
Gene UrduGeoR 31:28  Āp ne mujhe apne nawāse-nawāsiyoṅ aur beṭiyoṅ ko bosā dene kā mauqā bhī na diyā. Āp kī yih harkat baṛī ahmaqānā thī.
Gene UrduGeoR 31:29  Maiṅ āp ko bahut nuqsān pahuṅchā saktā hūṅ. Lekin pichhlī rāt āp ke abbū ke Ḳhudā ne mujh se kahā, ‘Ḳhabardār! Yāqūb ko burā-bhalā na kahnā.’
Gene UrduGeoR 31:30  Ṭhīk hai, āp is lie chale gae ki apne bāp ke ghar wāpas jāne ke baṛe ārzūmand the. Lekin yih āp ne kyā kiyā hai ki mere but churā lāe haiṅ?”
Gene UrduGeoR 31:31  Yāqūb ne jawāb diyā, “Mujhe ḍar thā ki āp apnī beṭiyoṅ ko mujh se chhīn leṅge.
Gene UrduGeoR 31:32  Lekin agar āp ko yahāṅ kisī ke pās apne but mil jāeṅ to use sazā-e-maut dī jāe hamāre rishtedāroṅ kī maujūdagī meṅ mālūm kareṅ ki mere pās āp kī koī chīz hai ki nahīṅ. Agar hai to use le leṅ.” Yāqūb ko mālūm nahīṅ thā ki Rāḳhil ne butoṅ ko churāyā hai.
Gene UrduGeoR 31:33  Lāban Yāqūb ke ḳhaime meṅ dāḳhil huā aur ḍhūṅḍne lagā. Wahāṅ se nikal kar wuh Liyāh ke ḳhaime meṅ aur donoṅ launḍiyoṅ ke ḳhaime meṅ gayā. Lekin us ke but kahīṅ nazar na āe. Āḳhir meṅ wuh Rāḳhil ke ḳhaime meṅ dāḳhil huā.
Gene UrduGeoR 31:34  Rāḳhil butoṅ ko ūṅṭoṅ kī ek kāṭhī ke nīche chhupā kar us par baiṭh gaī thī. Lāban ṭaṭol ṭaṭol kar pūre ḳhaime meṅ se guzarā lekin but na mile.
Gene UrduGeoR 31:35  Rāḳhil ne apne bāp se kahā, “Abbū, mujh se nārāz na honā ki maiṅ āp ke sāmne khaṛī nahīṅ ho saktī. Maiṅ aiyām-e-māhwārī ke sabab se uṭh nahīṅ saktī.” Lāban use chhoṛ kar ḍhūṅḍtā rahā, lekin kuchh na milā.
Gene UrduGeoR 31:36  Phir Yāqūb ko ġhussā āyā aur wuh Lāban se jhagaṛne lagā. Us ne pūchhā, “Mujh se kyā jurm sarzad huā hai? Maiṅ ne kyā gunāh kiyā hai ki āp itnī tundī se mere tāqqub ke lie nikle haiṅ?
Gene UrduGeoR 31:37  Āp ne ṭaṭol ṭaṭol kar mere sāre sāmān kī talāshī lī hai. To āp kā kyā niklā hai? Use yahāṅ apne aur mere rishtedāroṅ ke sāmne rakheṅ. Phir wuh faislā kareṅ ki ham meṅ se kaun haq par hai.
Gene UrduGeoR 31:38  Maiṅ bīs sāl tak āp ke sāth rahā hūṅ. Us daurān āp kī bheṛ-bakriyāṅ bachchoṅ se mahrūm nahīṅ rahīṅ balki maiṅ ne āp kā ek menḍhā bhī nahīṅ khāyā.
Gene UrduGeoR 31:39  Jab bhī koī bheṛ yā bakrī kisī janglī jānwar ne phāṛ ḍālī to maiṅ use āp ke pās na lāyā balki mujhe ḳhud us kā nuqsān bharnā paṛā. Āp kā taqāzā thā ki maiṅ ḳhud chorī hue māl kā ewazānā dūṅ, ḳhāh wuh din ke waqt chorī huā yā rāt ko.
Gene UrduGeoR 31:40  Maiṅ din kī shadīd garmī ke bāis pighal gayā aur rāt kī shadīd sardī ke bāis jam gayā. Kām itnā saḳht thā ki maiṅ nīnd se mahrūm rahā.
Gene UrduGeoR 31:41  Pūre bīs sāl isī hālat meṅ guzar gae. Chaudah sāl maiṅ ne āp kī beṭiyoṅ ke ewaz kām kiyā aur chhih sāl āp kī bheṛ-bakriyoṅ ke lie. Us daurān āp ne das bār merī tanḳhāh badal dī.
Gene UrduGeoR 31:42  Agar mere bāp Is'hāq kā Ḳhudā aur mere dādā Ibrāhīm kā mābūd mere sāth na hotā to āp mujhe zarūr ḳhālī hāth ruḳhsat karte. Lekin Allāh ne merī musībat aur merī saḳht mehnat-mashaqqat dekhī hai, is lie us ne kal rāt ko mere haq meṅ faislā diyā.”
Gene UrduGeoR 31:43  Tab Lāban ne Yāqūb se kahā, “Yih beṭiyāṅ to merī beṭiyāṅ haiṅ, aur in ke bachche mere bachche haiṅ. Yih bheṛ-bakriyāṅ bhī merī hī haiṅ. Lekin ab maiṅ apnī beṭiyoṅ aur un ke bachchoṅ ke lie kuchh nahīṅ kar saktā.
Gene UrduGeoR 31:44  Is lie āo, ham ek dūsre ke sāth ahd bāndheṅ. Is ke lie ham yahāṅ pattharoṅ kā ḍher lagāeṅ jo ahd kī gawāhī detā rahe.”
Gene UrduGeoR 31:45  Chunāṅche Yāqūb ne ek patthar le kar use satūn ke taur par khaṛā kiyā.
Gene UrduGeoR 31:46  Us ne apne rishtedāroṅ se kahā, “Kuchh patthar jamā kareṅ.” Unhoṅ ne patthar jamā karke ḍher lagā diyā. Phir unhoṅ ne us ḍher ke pās baiṭh kar khānā khāyā.
Gene UrduGeoR 31:47  Lāban ne us kā nām Yajr-shāhdūthā rakhā jabki Yāqūb ne Jal-ed rakhā. Donoṅ nāmoṅ kā matlab ‘Gawāhī kā Ḍher’ hai yānī wuh ḍher jo gawāhī detā hai.
Gene UrduGeoR 31:48  Lāban ne kahā, “Āj ham donoṅ ke darmiyān yih ḍher ahd kī gawāhī detā hai.” Is lie us kā nām Jal-ed rakhā gayā.
Gene UrduGeoR 31:49  Us kā ek aur nām Misfāh yānī ‘Pahredāroṅ kā Mīnār’ bhī rakhā gayā. Kyoṅki Lāban ne kahā, “Rab ham par pahrā de jab ham ek dūsre se alag ho jāeṅge.
Gene UrduGeoR 31:50  Merī beṭiyoṅ se burā sulūk na karnā, na un ke alāwā kisī aur se shādī karnā. Agar mujhe patā bhī na chale lekin zarūr yād rakheṅ ki Allāh mere aur āp ke sāmne gawāh hai.
Gene UrduGeoR 31:51  Yahāṅ yih ḍher hai jo maiṅ ne lagā diyā hai aur yahāṅ yih satūn bhī hai.
Gene UrduGeoR 31:52  Yih ḍher aur satūn donoṅ is ke gawāh haiṅ ki na maiṅ yahāṅ se guzar kar āp ko nuqsān pahuṅchāūṅgā aur na āp yahāṅ se guzar kar mujhe nuqsān pahuṅchāeṅge.
Gene UrduGeoR 31:53  Ibrāhīm, Nahūr aur un ke bāp kā Ḳhudā ham donoṅ ke darmiyān faislā kare agar aisā koī muāmalā ho.” Jawāb meṅ Yāqūb ne Is'hāq ke mābūd kī qasam khāī ki maiṅ yih ahd kabhī nahīṅ toṛūṅgā.
Gene UrduGeoR 31:54  Us ne pahāṛ par ek jānwar qurbānī ke taur par chaṛhāyā aur apne rishtedāroṅ ko khānā khāne kī dāwat dī. Unhoṅ ne khānā khā kar wahīṅ pahāṛ par rāt guzārī.
Gene UrduGeoR 31:55  Agle din subah-sawere Lāban ne apne nawāse-nawāsiyoṅ aur beṭiyoṅ ko bosā de kar unheṅ barkat dī. Phir wuh apne ghar wāpas chalā gayā.
Chapter 32
Gene UrduGeoR 32:1  Yāqūb ne bhī apnā safr jārī rakhā. Rāste meṅ Allāh ke farishte us se mile.
Gene UrduGeoR 32:2  Unheṅ dekh kar us ne kahā, “Yih Allāh kī lashkargāh hai.” Us ne us maqām kā nām Mahanāym yānī ‘Do Lashkargāheṅ’ rakhā.
Gene UrduGeoR 32:3  Yāqūb ne apne bhāī Esau ke pās apne āge āge qāsid bheje. Esau Saīr yānī Adom ke mulk meṅ ābād thā.
Gene UrduGeoR 32:4  Unheṅ Esau ko batānā thā, “Āp kā ḳhādim Yāqūb āp ko ittalā detā hai ki maiṅ pardes meṅ jā kar ab tak Lāban kā mehmān rahā hūṅ.
Gene UrduGeoR 32:5  Wahāṅ mujhe bail, gadhe, bheṛ-bakriyāṅ, ġhulām aur launḍiyāṅ hāsil hue haiṅ. Ab maiṅ apne mālik ko ittalā de rahā hūṅ ki wāpas ā gayā hūṅ aur āp kī nazar-e-karm kā ḳhāhishmand hūṅ.”
Gene UrduGeoR 32:6  Jab qāsid wāpas āe to unhoṅ ne kahā, “Ham āp ke bhāī Esau ke pās gae. Aur wuh 400 ādmī sāth le kar āp se milne ā rahā hai.”
Gene UrduGeoR 32:7  Yāqūb ghabrā kar bahut pareshān huā. Us ne apne sāth ke tamām logoṅ, bheṛ-bakriyoṅ, gāy-bailoṅ aur ūṅṭoṅ ko do gurohoṅ meṅ taqsīm kiyā.
Gene UrduGeoR 32:8  Ḳhayāl yih thā ki agar Esau ā kar ek guroh par hamlā kare to bāqī guroh shāyad bach jāe
Gene UrduGeoR 32:9  phir Yāqūb ne duā kī, “Ai mere dādā Ibrāhīm aur mere bāp Is'hāq ke Ḳhudā, merī duā sun! Ai Rab, tū ne ḳhud mujhe batāyā, ‘Apne mulk aur rishtedāroṅ ke pās wāpas jā, aur maiṅ tujhe kāmyābī dūṅgā.’
Gene UrduGeoR 32:10  Maiṅ us tamām mehrbānī aur wafādārī ke lāyq nahīṅ jo tū ne apne ḳhādim ko dikhāī hai. Jab maiṅ ne Lāban ke pās jāte waqt Dariyā-e-Yardan ko pār kiyā to mere pās sirf yih lāṭhī thī, aur ab mere pās yih do guroh haiṅ.
Gene UrduGeoR 32:11  Mujhe apne bhāī Esau se bachā, kyoṅki mujhe ḍar hai ki wuh mujh par hamlā karke bāl-bachchoṅ samet sab kuchh tabāh kar degā.
Gene UrduGeoR 32:12  Tū ne ḳhud kahā thā, ‘Maiṅ tujhe kāmyābī dūṅgā aur terī aulād itnī baṛhāūṅgā ki wuh samundar kī ret kī mānind beshumār hogī.’”
Gene UrduGeoR 32:13  Yāqūb ne wahāṅ rāt guzārī. Phir us ne apne māl meṅ se Esau ke lie tohfe chun lie:
Gene UrduGeoR 32:14  200 bakriyāṅ, 20 bakre, 200 bheṛeṅ, 20 menḍhe,
Gene UrduGeoR 32:15  30 dūdh dene wālī ūṅṭniyāṅ bachchoṅ samet, 40 gāeṅ, 10 bail, 20 gadhiyāṅ aur 10 gadhe.
Gene UrduGeoR 32:16  Us ne unheṅ muḳhtalif rewaṛoṅ meṅ taqsīm karke apne muḳhtalif naukaroṅ ke sapurd kiyā aur un se kahā, “Mere āge āge chalo lekin har rewaṛ ke darmiyān fāsilā rakho.”
Gene UrduGeoR 32:17  Jo naukar pahle rewaṛ le kar āge niklā us se Yāqūb ne kahā, “Merā bhāī Esau tum se milegā aur pūchhegā, ‘Tumhārā mālik kaun hai? Tum kahāṅ jā rahe ho? Tumhāre sāmne ke jānwar kis ke haiṅ?’
Gene UrduGeoR 32:18  Jawāb meṅ tumheṅ kahnā hai, ‘Yih āp ke ḳhādim Yāqūb ke haiṅ. Yih tohfā haiṅ jo wuh apne mālik Esau ko bhej rahe haiṅ. Yāqūb hamāre pīchhe pīchhe ā rahe haiṅ.’”
Gene UrduGeoR 32:19  Yāqūb ne yihī hukm har ek naukar ko diyā jise rewaṛ le kar us ke āge āge jānā thā. Us ne kahā, “Jab tum Esau se miloge to us se yihī kahnā hai.
Gene UrduGeoR 32:20  Tumheṅ yih bhī zarūr kahnā hai, āp ke ḳhādim Yāqūb hamāre pīchhe ā rahe haiṅ.” Kyoṅki Yāqūb ne sochā, maiṅ in tohfoṅ se us ke sāth sulah karūṅga. Phir jab us se mulāqāt hogī to shāyad wuh mujhe qabūl kar le.
Gene UrduGeoR 32:21  Yoṅ us ne yih tohfe apne āge āge bhej die. Lekin us ne ḳhud ḳhaimāgāh meṅ rāt guzārī.
Gene UrduGeoR 32:22  Us rāt wuh uṭhā aur apnī do bīwiyoṅ, do launḍiyoṅ aur gyārah beṭoṅ ko le kar Dariyā-e-Yabboq ko wahāṅ se pār kiyā jahāṅ kam gahrāī thī.
Gene UrduGeoR 32:23  Phir us ne apnā sārā sāmān bhī wahāṅ bhej diyā.
Gene UrduGeoR 32:24  Lekin wuh ḳhud akelā hī pīchhe rah gayā. Us waqt ek ādmī āyā aur pau phaṭne tak us se kushtī laṛtā rahā.
Gene UrduGeoR 32:25  Jab us ne dekhā ki maiṅ Yāqūb par ġhālib nahīṅ ā rahā to us ne us ke kūlhe ko chhuā, aur us kā joṛ nikal gayā.
Gene UrduGeoR 32:26  Ādmī ne kahā, “Mujhe jāne de, kyoṅki pau phaṭne wālī hai.” Yāqūb ne kahā, “Pahle mujhe barkat deṅ, phir hī āp ko jāne dūṅgā.”
Gene UrduGeoR 32:27  Ādmī ne pūchhā, “Terā kyā nām hai?” Us ne jawāb diyā, “Yāqūb.”
Gene UrduGeoR 32:28  Ādmī ne kahā, “Ab se terā nām Yāqūb nahīṅ balki Isrāīl yānī ‘Wuh Allāh se Laṛtā Hai’ hogā. Kyoṅki tū Allāh aur ādmiyoṅ ke sāth laṛ kar ġhālib āyā hai.”
Gene UrduGeoR 32:29  Yāqūb ne kahā, “Mujhe apnā nām batāeṅ.” Us ne kahā, “Tū kyoṅ merā nām jānanā chāhtā hai?” Phir us ne Yāqūb ko barkat dī.
Gene UrduGeoR 32:30  Yāqūb ne kahā, “Maiṅ ne Allāh ko rūbarū dekhā to bhī bach gayā hūṅ.” Is lie us ne us maqām kā nām Faniyel rakhā.
Gene UrduGeoR 32:31  Yāqūb wahāṅ se chalā to sūraj tulū ho rahā thā. Wuh kūlhe ke sabab se langaṛātā rahā.
Gene UrduGeoR 32:32  Yihī wajah hai ki āj bhī Isrāīl kī aulād kūlhe ke joṛ par kī nas ko nahīṅ khāte, kyoṅki Yāqūb kī isī nas ko chhuā gayā thā.
Chapter 33
Gene UrduGeoR 33:1  Phir Esau un kī taraf ātā huā nazar āyā. Us ke sāth 400 ādmī the. Unheṅ dekh kar Yāqūb ne bachchoṅ ko bāṅṭ kar Liyāh, Rāḳhil aur donoṅ launḍiyoṅ ke hawāle kar diyā.
Gene UrduGeoR 33:2  Us ne donoṅ launḍiyoṅ ko un ke bachchoṅ samet āge chalne diyā. Phir Liyāh us ke bachchoṅ samet aur āḳhir meṅ Rāḳhil aur Yūsuf āe.
Gene UrduGeoR 33:3  Yāqūb ḳhud sab se āge Esau se milne gayā. Chalte chalte wuh sāt dafā zamīn tak jhukā.
Gene UrduGeoR 33:4  Lekin Esau dauṛ kar us se milne āyā aur use gale lagā kar bosā diyā. Donoṅ ro paṛe.
Gene UrduGeoR 33:5  Phir Esau ne auratoṅ aur bachchoṅ ko dekhā. Us ne pūchhā, “Tumhāre sāth yih log kaun haiṅ?” Yāqūb ne kahā, “Yih āp ke ḳhādim ke bachche haiṅ jo Allāh ne apne karm se nawāze haiṅ.”
Gene UrduGeoR 33:6  Donoṅ launḍiyāṅ apne bachchoṅ samet ā kar us ke sāmne jhuk gaīṅ.
Gene UrduGeoR 33:7  Phir Liyāh apne bachchoṅ ke sāth āī aur āḳhir meṅ Yūsuf aur Rāḳhil ā kar jhuk gae.
Gene UrduGeoR 33:8  Esau ne pūchhā, “Jis jānwaroṅ ke baṛe ġhol se merī mulāqāt huī us se kyā murād hai?” Yāqūb ne jawāb diyā, “Yih tohfā hai tāki āp kā ḳhādim āp kī nazar meṅ maqbūl ho.”
Gene UrduGeoR 33:9  Lekin Esau ne kahā, “Mere bhāī, mere pās bahut kuchh hai. Yih apne pās hī rakho.”
Gene UrduGeoR 33:10  Yāqūb ne kahā, “Nahīṅ jī, agar mujh par āp ke karm kī nazar hai to mere is tohfe ko zarūr qabūl farmāeṅ. Kyoṅki jab maiṅ ne āp kā chehrā dekhā to wuh mere lie Allāh ke chehre kī mānind thā, āp ne mere sāth is qadar achchhā sulūk kiyā hai.
Gene UrduGeoR 33:11  Mehrbānī karke yih tohfā qabūl kareṅ jo maiṅ āp ke lie lāyā hūṅ. Kyoṅki Allāh ne mujh par apne karm kā izhār kiyā hai, aur mere pās bahut kuchh hai.” Yāqūb isrār kartā rahā to āḳhirkār Esau ne use qabūl kar liyā. Phir Esau kahne lagā,
Gene UrduGeoR 33:12  “Āo, ham rawānā ho jāeṅ. Maiṅ tumhāre āge āge chalūṅgā.”
Gene UrduGeoR 33:13  Yāqūb ne jawāb diyā, “Mere mālik, āp jānte haiṅ ki mere bachche nāzuk haiṅ. Mere pās bheṛ-bakriyāṅ, gāy-bail aur un ke dūdh pīne wāle bachche bhī haiṅ. Agar maiṅ unheṅ ek din ke lie bhī had se zyādā hāṅkūṅ to wuh mar jāeṅge.
Gene UrduGeoR 33:14  Mere mālik, mehrbānī karke mere āge āge jāeṅ. Maiṅ ārām se usī raftār se āp ke pīchhe pīchhe chaltā rahūṅgā jis raftār se mere maweshī aur mere bachche chal sakeṅge. Yoṅ ham āhistā chalte hue āp ke pās Saīr pahuṅcheṅge.”
Gene UrduGeoR 33:15  Esau ne kahā, “Kyā maiṅ apne ādmiyoṅ meṅ se kuchh āp ke pās chhoṛ dūṅ?” Lekin Yāqūb ne kahā, “Kyā zarūrat hai? Sab se aham bāt yih hai ki āp ne mujhe qabūl kar liyā hai.”
Gene UrduGeoR 33:17  Yāqūb Sukkāt ke lie rawānā huā. Wahāṅ us ne apne lie makān banā liyā aur apne maweshiyoṅ ke lie jhoṅpṛiyāṅ. Is lie us maqām kā nām Sukkāt yānī Jhoṅpṛiyāṅ paṛ gayā.
Gene UrduGeoR 33:18  Phir Yāqūb chalte chalte salāmatī se Sikam Shahr pahuṅchā. Yoṅ us kā Masoputāmiyā se Mulk-e-Kanān tak kā safr iḳhtitām tak pahuṅch gayā. Us ne apne ḳhaime shahr ke sāmne lagāe.
Gene UrduGeoR 33:19  Us ke ḳhaime Hamor kī aulād kī zamīn par lage the. Us ne yih zamīn chāṅdī ke 100 sikkoṅ ke badle ḳharīd lī.
Gene UrduGeoR 33:20  Wahāṅ us ne qurbāngāh banāī jis kā nām us ne ‘El Ḳhudā-e-Isrāīl’ rakhā.
Chapter 34
Gene UrduGeoR 34:1  Ek din Yāqūb aur Liyāh kī beṭī Dīnā Kanānī auratoṅ se milne ke lie ghar se niklī.
Gene UrduGeoR 34:2  Shahr meṅ ek ādmī banām Sikam rahtā thā. Us kā wālid Hamor us ilāqe kā hukmrān thā aur Hiwwī qaum se tālluq rakhtā thā. Jab Sikam ne Dīnā ko dekhā to us ne use pakaṛ kar us kī ismatdarī kī.
Gene UrduGeoR 34:3  Lekin us kā dil Dīnā se lag gayā. Wuh us se muhabbat karne lagā aur pyār se us se bāteṅ kartā rahā.
Gene UrduGeoR 34:4  Us ne apne bāp se kahā, “Is laṛkī ke sāth merī shādī karā deṅ.”
Gene UrduGeoR 34:5  Jab Yāqūb ne apnī beṭī kī ismatdarī kī ḳhabar sunī to us ke beṭe maweshiyoṅ ke sāth khule maidān meṅ the. Is lie wuh un ke wāpas āne tak ḳhāmosh rahā.
Gene UrduGeoR 34:6  Sikam kā bāp Hamor shahr se nikal kar Yāqūb se bāt karne ke lie āyā.
Gene UrduGeoR 34:7  Jab Yāqūb ke beṭoṅ ko Dīnā kī ismatdarī kī ḳhabar milī to un ke dil ranjish aur ġhusse se bhar gae ki Sikam ne Yāqūb kī beṭī kī ismatdarī se Isrāīl kī itnī be'izzatī kī hai. Wuh sīdhe khule maidān se wāpas āe.
Gene UrduGeoR 34:8  Hamor ne Yāqūb se kahā, “Mere beṭe kā dil āp kī beṭī se lag gayā hai. Mehrbānī karke us kī shādī mere beṭe ke sāth kar deṅ.
Gene UrduGeoR 34:9  Hamāre sāth rishtā bāndheṅ, hamāre beṭe-beṭiyoṅ ke sāth shādiyāṅ karāeṅ.
Gene UrduGeoR 34:10  Phir āp hamāre sāth is mulk meṅ rah sakeṅge aur pūrā mulk āp ke lie khulā hogā. Āp jahāṅ bhī chāheṅ ābād ho sakeṅge, tijārat kar sakeṅge aur zamīn ḳharīd sakeṅge.”
Gene UrduGeoR 34:11  Sikam ne ḳhud bhī Dīnā ke bāp aur bhāiyoṅ se minnat kī, “Agar merī yih darḳhāst manzūr ho to maiṅ jo kuchh āp kaheṅge adā kar dūṅgā.
Gene UrduGeoR 34:12  Jitnā bhī mahr aur tohfe āp muqarrar kareṅ maiṅ de dūṅgā. Sirf merī yih ḳhāhish pūrī kareṅ ki yih laṛkī mere aqd meṅ ā jāe.”
Gene UrduGeoR 34:13  Lekin Dīnā kī ismatdarī ke sabab se Yāqūb ke beṭoṅ ne Sikam aur us ke bāp Hamor se chālākī karke
Gene UrduGeoR 34:14  kahā, “Ham aisā nahīṅ kar sakte. Ham apnī bahan kī shādī kisī aise ādmī se nahīṅ karā sakte jis kā ḳhatnā nahīṅ huā. Is se hamārī be'izzatī hotī hai.
Gene UrduGeoR 34:15  Ham sirf is shart par rāzī hoṅge ki āp apne tamām laṛkoṅ aur mardoṅ kā ḳhatnā karwāne se hamārī mānind ho jāeṅ.
Gene UrduGeoR 34:16  Phir āp ke beṭe-beṭiyoṅ ke sāth hamārī shādiyāṅ ho sakeṅgī aur ham āp ke sāth ek qaum ban jāeṅge.
Gene UrduGeoR 34:17  Lekin agar āp ḳhatnā karāne ke lie taiyār nahīṅ haiṅ to ham apnī bahan ko le kar chale jāeṅge.”
Gene UrduGeoR 34:18  Yih bāteṅ Hamor aur us ke beṭe Sikam ko achchhī lagīṅ.
Gene UrduGeoR 34:19  Naujawān Sikam ne fauran un par amal kiyā, kyoṅki wuh Dīnā ko bahut pasand kartā thā. Sikam apne ḳhāndān meṅ sab se muazzaz thā.
Gene UrduGeoR 34:20  Hamor apne beṭe Sikam ke sāth shahr ke darwāze par gayā jahāṅ shahr ke faisle kie jāte the. Wahāṅ unhoṅ ne bāqī shahriyoṅ se bāt kī.
Gene UrduGeoR 34:21  “Yih ādmī ham se jhagaṛne wāle nahīṅ haiṅ, is lie kyoṅ na wuh is mulk meṅ hamāre sāth raheṅ aur hamāre darmiyān tijārat kareṅ? Hamāre mulk meṅ un ke lie bhī kāfī jagah hai. Āo, ham un kī beṭiyoṅ aur beṭoṅ se shādiyāṅ kareṅ.
Gene UrduGeoR 34:22  Lekin yih ādmī sirf is shart par hamāre darmiyān rahne aur ek hī qaum banane ke lie taiyār haiṅ ki ham un kī tarah apne tamām laṛkoṅ aur mardoṅ kā ḳhatnā karāeṅ.
Gene UrduGeoR 34:23  Agar ham aisā kareṅ to un ke tamām maweshī aur sārā māl hamārā hī hogā. Chunāṅche āo, ham muttafiq ho kar faislā kar leṅ tāki wuh hamāre darmiyān raheṅ.”
Gene UrduGeoR 34:24  Sikam ke shahrī Hamor aur Sikam ke mashware par rāzī hue. Tamām laṛkoṅ aur mardoṅ kā ḳhatnā karāyā gayā.
Gene UrduGeoR 34:25  Tīn din ke bād jab ḳhatne ke sabab se logoṅ kī hālat burī thī to Dīnā ke do bhāī Shamāūn aur Lāwī apnī talwāreṅ le kar shahr meṅ dāḳhil hue. Kisī ko shak tak nahīṅ thā ki kyā kuchh hogā. Andar jā kar unhoṅ ne bachchoṅ se le kar būṛhoṅ tak tamām mardoṅ ko qatl kar diyā
Gene UrduGeoR 34:26  jin meṅ Hamor aur us kā beṭā Sikam bhī shāmil the. Phir wuh Dīnā ko Sikam ke ghar se le kar chale gae.
Gene UrduGeoR 34:27  Is qatl-e-ām ke bād Yāqūb ke bāqī beṭe shahr par ṭūṭ paṛe aur use lūṭ liyā. Yoṅ unhoṅ ne apnī bahan kī ismatdarī kā badlā liyā.
Gene UrduGeoR 34:28  Wuh bheṛ-bakriyāṅ, gāy-bail, gadhe aur shahr ke andar aur bāhar kā sab kuchh le kar chalte bane.
Gene UrduGeoR 34:29  Unhoṅ ne sāre māl par qabzā kiyā, auratoṅ aur bachchoṅ ko qaidī banā liyā aur tamām gharoṅ kā sāmān bhī le gae.
Gene UrduGeoR 34:30  Phir Yāqūb ne Shamāūn aur Lāwī se kahā, “Tum ne mujhe musībat meṅ ḍāl diyā hai. Ab Kanānī, Farizzī aur mulk ke bāqī bāshindoṅ meṅ merī badnāmī huī hai. Mere sāth kam ādmī haiṅ. Agar dūsre mil kar ham par hamlā kareṅ to hamāre pūre ḳhāndān kā satyānās ho jāegā.”
Gene UrduGeoR 34:31  Lekin unhoṅ ne kahā, “Kyā yih ṭhīk thā ki us ne hamārī bahan ke sāth kasbī kā-sā sulūk kiyā?”
Chapter 35
Gene UrduGeoR 35:1  Allāh ne Yāqūb se kahā, “Uṭh, Baitel jā kar wahāṅ ābād ho. Wahīṅ Allāh ke lie jo tujh par zāhir huā jab tū apne bhāī Esau se bhāg rahā thā qurbāngāh banā.”
Gene UrduGeoR 35:2  Chunāṅche Yāqūb ne apne ghar wāloṅ aur bāqī sāre sāthiyoṅ se kahā, “Jo bhī ajnabī but āp ke pās haiṅ unheṅ phaiṅk deṅ. Apne āp ko pāk-sāf karke apne kapṛe badleṅ,
Gene UrduGeoR 35:3  kyoṅki hameṅ yih jagah chhoṛ kar Baitel jānā hai. Wahāṅ maiṅ us Ḳhudā ke lie qurbāngāh banāūṅgā jis ne musībat ke waqt merī duā sunī. Jahāṅ bhī maiṅ gayā wahāṅ wuh mere sāth rahā hai.”
Gene UrduGeoR 35:4  Yih sun kar unhoṅ ne Yāqūb ko tamām but de die jo un ke pās the aur tamām bāliyāṅ jo unhoṅ ne tāwīz ke taur par kānoṅ meṅ pahan rakhī thīṅ. Us ne sab kuchh Sikam ke qarīb balūt ke daraḳht ke nīche zamīn meṅ dabā diyā.
Gene UrduGeoR 35:5  Phir wuh rawānā hue. Irdgird ke shahroṅ par Allāh kī taraf se itnā shadīd ḳhauf chhā gayā ki unhoṅ ne Yāqūb aur us ke beṭoṅ kā tāqqub na kiyā.
Gene UrduGeoR 35:6  Chalte chalte Yāqūb apne logoṅ samet Lūz pahuṅch gayā jo Mulk-e-Kanān meṅ thā. Āj Lūz kā nām Baitel hai.
Gene UrduGeoR 35:7  Yāqūb ne wahāṅ qurbāngāh banā kar maqām kā nām Baitel yānī ‘Allāh kā Ghar’ rakhā. Kyoṅki wahāṅ Allāh ne apne āp ko us par zāhir kiyā thā jab wuh apne bhāī se farār ho rahā thā.
Gene UrduGeoR 35:8  Wahāṅ Ribqā kī dāyā Daborā mar gaī. Wuh Baitel ke junūb meṅ balūt ke daraḳht ke nīche dafn huī, is lie us kā nām Allon-bakūt yānī ‘Rone kā Balūt kā Daraḳht’ rakhā gayā.
Gene UrduGeoR 35:9  Allāh Yāqūb par ek dafā aur zāhir huā aur use barkat dī. Yih Masoputāmiyā se wāpas āne par dūsrī bār huā.
Gene UrduGeoR 35:10  Allāh ne us se kahā, “Ab se terā nām Yāqūb nahīṅ balki Isrāīl hogā.” Yoṅ us ne us kā nayā nām Isrāīl rakhā.
Gene UrduGeoR 35:11  Allāh ne yih bhī us se kahā, “Maiṅ Allāh Qādir-e-mutlaq hūṅ. Phal-phūl aur tādād meṅ baṛhtā jā. Ek qaum nahīṅ balki bahut-sī qaumeṅ tujh se nikleṅgī. Terī aulād meṅ bādshāh bhī shāmil hoṅge.
Gene UrduGeoR 35:12  Maiṅ tujhe wuhī mulk dūṅgā jo Ibrāhīm aur Is'hāq ko diyā hai. Aur tere bād use terī aulād ko dūṅgā.”
Gene UrduGeoR 35:13  Phir Allāh wahāṅ se āsmān par chalā gayā.
Gene UrduGeoR 35:14  Jahāṅ Allāh Yāqūb se hamkalām huā thā wahāṅ us ne patthar kā satūn khaṛā kiyā aur us par mai aur tel unḍel kar use maḳhsūs kiyā.
Gene UrduGeoR 35:16  Phir Yāqūb apne ghar wāloṅ ke sāth Baitel ko chhoṛ kar Ifrātā kī taraf chal paṛā. Rāḳhil ummīd se thī, aur rāste meṅ bachche kī paidāish kā waqt ā gayā. Bachchā baṛī mushkil se paidā huā.
Gene UrduGeoR 35:17  Jab dard-e-zah urūj ko pahuṅch gayā to dāī ne us se kahā, “Mat ḍaro, kyoṅki ek aur beṭā hai.”
Gene UrduGeoR 35:18  Lekin wuh dam toṛne wālī thī, aur marte marte us ne us kā nām Bin-ūnī yānī ‘Merī Musībat kā Beṭā’ rakhā. Lekin us ke bāp ne us kā nām Binyamīn yānī ‘Dahne Hāth yā Ḳhushqismatī kā Beṭā’ rakhā.
Gene UrduGeoR 35:19  Rāḳhil faut huī, aur wuh Ifrātā ke rāste meṅ dafn huī. Ājkal Ifrātā ko Bait-laham kahā jātā hai.
Gene UrduGeoR 35:20  Yāqūb ne us kī qabr par patthar kā satūn khaṛā kiyā. Wuh āj tak Rāḳhil kī qabr kī nishāndihī kartā hai.
Gene UrduGeoR 35:21  Wahāṅ se Yāqūb ne apnā safr jārī rakhā aur Mijdal-idar kī parlī taraf apne ḳhaime lagāe.
Gene UrduGeoR 35:22  Jab wuh wahāṅ ṭhahre the to Rūbin Yāqūb kī haram Bilhāh se hambistar huā. Yāqūb ko mālūm ho gayā. Yāqūb ke bārah beṭe the.
Gene UrduGeoR 35:23  Liyāh ke beṭe yih the: us kā sab se baṛā beṭā Rūbin, phir Shamāūn, Lāwī, Yahūdāh, Ishkār aur Zabūlūn.
Gene UrduGeoR 35:24  Rāḳhil ke do beṭe the, Yūsuf aur Binyamīn.
Gene UrduGeoR 35:25  Rāḳhil kī launḍī Bilhāh ke do beṭe the, Dān aur Naftālī.
Gene UrduGeoR 35:26  Liyāh kī launḍī Zilfā ke do beṭe the, Jad aur Āshar. Yāqūb ke yih beṭe Masoputāmiyā meṅ paidā hue.
Gene UrduGeoR 35:27  Phir Yāqūb apne bāp Is'hāq ke pās pahuṅch gayā jo Habrūn ke qarīb Mamre meṅ ajnabī kī haisiyat se rahtā thā. (Us waqt Habrūn kā nām Qiriyat-arbā thā.) Wahāṅ Is'hāq aur us se pahle Ibrāhīm rahā karte the.
Gene UrduGeoR 35:28  Is'hāq 180 sāl kā thā jab wuh umrrasīdā aur zindagī se āsūdā ho kar apne bāpdādā se jā milā. Us ke beṭe Esau aur Yāqūb ne use dafn kiyā.
Gene UrduGeoR 35:29  Is'hāq 180 sāl kā thā jab wuh umrrasīdā aur zindagī se āsūdā ho kar apne bāpdādā se jā milā. Us ke beṭe Esau aur Yāqūb ne use dafn kiyā.
Chapter 36
Gene UrduGeoR 36:1  Yih Esau kī aulād kā nasabnāmā hai (Esau ko Adom bhī kahā jātā hai):
Gene UrduGeoR 36:2  Esau ne tīn Kanānī auratoṅ se shādī kī: Hittī ādmī Ailon kī beṭī Adā se, Anā kī beṭī Uhlībāmā se jo Hiwwī ādmī Sibaon kī nawāsī thī
Gene UrduGeoR 36:3  aur Ismāīl kī beṭī Bāsamat se jo Nabāyot kī bahan thī.
Gene UrduGeoR 36:4  Adā kā ek beṭā Ilīfaz aur Bāsamat kā ek beṭā Raūel paidā huā.
Gene UrduGeoR 36:5  Uhlībāmā ke tīn beṭe paidā hue, Yaūs, Yālām aur Qorah. Esau ke yih tamām beṭe Mulk-e-Kanān meṅ paidā hue.
Gene UrduGeoR 36:6  Bād meṅ Esau dūsre mulk meṅ chalā gayā. Us ne apnī bīwiyoṅ, beṭe-beṭiyoṅ aur ghar ke rahne wāloṅ ko apne tamām maweshiyoṅ aur Mulk-e-Kanān meṅ hāsil kie hue māl samet apne sāth liyā.
Gene UrduGeoR 36:7  Wuh is wajah se chalā gayā ki donoṅ bhāiyoṅ ke pās itne rewaṛ the ki charāne kī jagah kam paṛ gaī.
Gene UrduGeoR 36:8  Chunāṅche Esau pahāṛī ilāqe Saīr meṅ ābād huā. Esau kā dūsrā nām Adom hai.
Gene UrduGeoR 36:9  Yih Esau yānī Saīr ke pahāṛī ilāqe meṅ ābād Adomiyoṅ kā nasabnāmā hai:
Gene UrduGeoR 36:10  Esau kī bīwī Adā kā ek beṭā Ilīfaz thā jabki us kī bīwī Bāsamat kā ek beṭā Raūel thā.
Gene UrduGeoR 36:11  Ilīfaz ke beṭe Temān, Omar, Safo, Jātām, Qanaz
Gene UrduGeoR 36:12  aur Amālīq the. Amālīq Ilīfaz kī haram Timnā kā beṭā thā. Yih sab Esau kī bīwī Adā kī aulād meṅ shāmil the.
Gene UrduGeoR 36:13  Raūel ke beṭe Nahat, Zārah, Sammā aur Mizzā the. Yih sab Esau kī bīwī Bāsamat kī aulād meṅ shāmil the.
Gene UrduGeoR 36:14  Esau kī bīwī Uhlībāmā jo Anā kī beṭī aur Sibaon kī nawāsī thī ke tīn beṭe Yaūs, Yālām aur Qorah the.
Gene UrduGeoR 36:15  Esau se muḳhtalif qabīloṅ ke sardār nikle. Us ke pahlauṭhe Ilīfaz se yih qabāylī sardār nikle: Temān, Omar, Safo, Qanaz,
Gene UrduGeoR 36:16  Qorah, Jātām aur Amālīq. Yih sab Esau kī bīwī Adā kī aulād the.
Gene UrduGeoR 36:17  Esau ke beṭe Raūel se yih qabāylī sardār nikle: Nahat, Zārah, Sammā aur Mizzā. Yih sab Esau kī bīwī Bāsamat kī aulād the.
Gene UrduGeoR 36:18  Esau kī bīwī Uhlībāmā yānī Anā kī beṭī se yih qabāylī sardār nikle: Yaūs, Yālām aur Qorah.
Gene UrduGeoR 36:20  Mulk-e-Adom ke kuchh bāshinde Horī ādmī Saīr kī aulād the. Un ke nām Lotān, Sobal, Sibaon, Anā,
Gene UrduGeoR 36:21  Dīson, Esar aur Dīsān the. Saīr ke yih beṭe Mulk-e-Adom meṅ Horī qabīloṅ ke sardār the.
Gene UrduGeoR 36:22  Lotān Horī aur Hemām kā bāp thā. (Timnā Lotān kī bahan thī.)
Gene UrduGeoR 36:23  Sobal ke beṭe Alwān, Mānahat, Aibāl, Safo aur Onām the.
Gene UrduGeoR 36:24  Sibaon ke beṭe Aiyāh aur Anā the. Isī Anā ko garm chashme mile jab wuh bayābān meṅ apne bāp ke gadhe charā rahā thā.
Gene UrduGeoR 36:25  Anā kā ek beṭā Dīson aur ek beṭī Uhlībāmā thī.
Gene UrduGeoR 36:26  Dīson ke chār beṭe Hamdān, Ishbān, Yitrān aur Kirān the.
Gene UrduGeoR 36:27  Esar ke tīn beṭe Bilhān, Zāwān aur Aqān the.
Gene UrduGeoR 36:29  Yihī yānī Lotān, Sobal, Sibaon, Anā, Dīson, Esar aur Dīsān Saīr ke mulk meṅ Horī qabāyl ke sardār the.
Gene UrduGeoR 36:30  Yihī yānī Lotān, Sobal, Sibaon, Anā, Dīson, Esar aur Dīsān Saīr ke mulk meṅ Horī qabāyl ke sardār the.
Gene UrduGeoR 36:31  Is se pahle ki Isrāīliyoṅ kā koī bādshāh thā zail ke bādshāh yake bād dīgare Mulk-e-Adom meṅ hukūmat karte the:
Gene UrduGeoR 36:32  Bālā bin Bor jo Dinhābā Shahr kā thā Mulk-e-Adom kā pahlā bādshāh thā.
Gene UrduGeoR 36:33  Us kī maut par Yūbāb bin Zārah jo Busrā Shahr kā thā.
Gene UrduGeoR 36:34  Us kī maut par Hushām jo Temāniyoṅ ke mulk kā thā.
Gene UrduGeoR 36:35  Us kī maut par Hadad bin Bidad jis ne Mulk-e-Moāb meṅ Midiyāniyoṅ ko shikast dī. Wuh Awīt kā thā.
Gene UrduGeoR 36:37  Us kī maut par Sāūl jo Dariyā-e-Furāt par Rahobot Shahr kā thā.
Gene UrduGeoR 36:39  Us kī maut par Hadad jo Fāū Shahr kā thā. (Bīwī kā nām Mahetabel bint Matrid bint Mezāhāb thā.)
Gene UrduGeoR 36:40  Esau se Adomī qabīloṅ ke yih sardār nikle: Timnā, Alwah, Yatet, Uhlībāmā, Ailā, Fīnon, Qanaz, Temān, Mibsār, Majdiyel aur Irām. Adom ke sardāroṅ kī yih fahrist un kī maurūsī zamīn kī ābādiyoṅ aur qabīloṅ ke mutābiq hī bayān kī gaī hai. Esau un kā bāp hai.
Gene UrduGeoR 36:41  Esau se Adomī qabīloṅ ke yih sardār nikle: Timnā, Alwah, Yatet, Uhlībāmā, Ailā, Fīnon, Qanaz, Temān, Mibsār, Majdiyel aur Irām. Adom ke sardāroṅ kī yih fahrist un kī maurūsī zamīn kī ābādiyoṅ aur qabīloṅ ke mutābiq hī bayān kī gaī hai. Esau un kā bāp hai.
Gene UrduGeoR 36:42  Esau se Adomī qabīloṅ ke yih sardār nikle: Timnā, Alwah, Yatet, Uhlībāmā, Ailā, Fīnon, Qanaz, Temān, Mibsār, Majdiyel aur Irām. Adom ke sardāroṅ kī yih fahrist un kī maurūsī zamīn kī ābādiyoṅ aur qabīloṅ ke mutābiq hī bayān kī gaī hai. Esau un kā bāp hai.
Gene UrduGeoR 36:43  Esau se Adomī qabīloṅ ke yih sardār nikle: Timnā, Alwah, Yatet, Uhlībāmā, Ailā, Fīnon, Qanaz, Temān, Mibsār, Majdiyel aur Irām. Adom ke sardāroṅ kī yih fahrist un kī maurūsī zamīn kī ābādiyoṅ aur qabīloṅ ke mutābiq hī bayān kī gaī hai. Esau un kā bāp hai.
Chapter 37
Gene UrduGeoR 37:1  Yāqūb Mulk-e-Kanān meṅ rahtā thā jahāṅ pahle us kā bāp bhī pardesī thā.
Gene UrduGeoR 37:2  Yih Yāqūb ke ḳhāndān kā bayān hai. Us waqt Yāqūb kā beṭā Yūsuf 17 sāl kā thā. Wuh apne bhāiyoṅ yānī Bilhāh aur Zilfā ke beṭoṅ ke sāth bheṛ-bakriyoṅ kī dekh-bhāl kartā thā. Yūsuf apne bāp ko apne bhāiyoṅ kī burī harkatoṅ kī ittalā diyā kartā thā.
Gene UrduGeoR 37:3  Yāqūb Yūsuf ko apne tamām beṭoṅ kī nisbat zyādā pyār kartā thā. Wajah yih thī ki wuh tab paidā huā jab bāp būṛhā thā. Is lie Yāqūb ne us ke lie ek ḳhās rangdār libās banwāyā.
Gene UrduGeoR 37:4  Jab us ke bhāiyoṅ ne dekhā ki hamārā bāp Yūsuf ko ham se zyādā pyār kartā hai to wuh us se nafrat karne lage aur adab se us se bāt nahīṅ karte the.
Gene UrduGeoR 37:5  Ek rāt Yūsuf ne ḳhāb dekhā. Jab us ne apne bhāiyoṅ ko ḳhāb sunāyā to wuh us se aur bhī nafrat karne lage.
Gene UrduGeoR 37:7  Ham sab khet meṅ pūle bāndh rahe the ki merā pūlā khaṛā ho gayā. Āp ke pūle mere pūle ke irdgird jamā ho kar us ke sāmne jhuk gae.”
Gene UrduGeoR 37:8  Us ke bhāiyoṅ ne kahā, “Achchhā, tū bādshāh ban kar ham par hukūmat karegā?” Us ke ḳhāboṅ aur us kī bātoṅ ke sabab se un kī us se nafrat mazīd baṛh gaī.
Gene UrduGeoR 37:9  Kuchh der ke bād Yūsuf ne ek aur ḳhāb dekhā. Us ne apne bhāiyoṅ se kahā, “Maiṅ ne ek aur ḳhāb dekhā hai. Us meṅ sūraj, chāṅd aur gyārah sitāre mere sāmne jhuk gae.”
Gene UrduGeoR 37:10  Us ne yih ḳhāb apne bāp ko bhī sunāyā to us ne use ḍānṭā. Us ne kahā, “Yih kaisā ḳhāb hai jo tū ne dekhā! Yih kaisī bāt hai ki maiṅ, terī māṅ aur tere bhāī ā kar tere sāmne zamīn tak jhuk jāeṅ?”
Gene UrduGeoR 37:11  Natīje meṅ us ke bhāī us se bahut hasad karne lage. Lekin us ke bāp ne dil meṅ yih bāt mahfūz rakhī.
Gene UrduGeoR 37:12  Ek din jab Yūsuf ke bhāī apne bāp ke rewaṛ charāne ke lie Sikam tak pahuṅch gae the
Gene UrduGeoR 37:13  to Yāqūb ne Yūsuf se kahā, “Tere bhāī Sikam meṅ rewaṛoṅ ko charā rahe haiṅ. Ā, maiṅ tujhe un ke pās bhej detā hūṅ.” Yūsuf ne jawāb diyā, “Ṭhīk hai.”
Gene UrduGeoR 37:14  Yāqūb ne kahā, “Jā kar mālūm kar ki tere bhāī aur un ke sāth ke rewaṛ ḳhairiyat se haiṅ ki nahīṅ. Phir wāpas ā kar mujhe batā denā.” Chunāṅche us ke bāp ne use Wādī-e-Habrūn se bhej diyā, aur Yūsuf Sikam pahuṅch gayā.
Gene UrduGeoR 37:15  Wahāṅ wuh idhar-udhar phirtā rahā. Āḳhirkār ek ādmī us se milā aur pūchhā, “Āp kyā ḍhūnḍ rahe haiṅ?”
Gene UrduGeoR 37:16  Yūsuf ne jawāb diyā, “Maiṅ apne bhāiyoṅ ko talāsh kar rahā hūṅ. Mujhe batāeṅ ki wuh apne jānwaroṅ ko kahāṅ charā rahe haiṅ.”
Gene UrduGeoR 37:17  Ādmī ne kahā, “Wuh yahāṅ se chale gae haiṅ. Maiṅ ne unheṅ yih kahte sunā ki āo, ham Dūtain jāeṅ.” Yih sun kar Yūsuf apne bhāiyoṅ ke pīchhe Dūtain chalā gayā. Wahāṅ use wuh mil gae.
Gene UrduGeoR 37:18  Jab Yūsuf abhī dūr se nazar āyā to us ke bhāiyoṅ ne us ke pahuṅchne se pahle use qatl karne kā mansūbā banāyā.
Gene UrduGeoR 37:19  Unhoṅ ne kahā, “Dekho, ḳhāb deḳhne wālā ā rahā hai.
Gene UrduGeoR 37:20  Āo, ham use mār ḍāleṅ aur us kī lāsh kisī gaṛhe meṅ phaiṅk deṅ. Ham kaheṅge ki kisī wahshī jānwar ne use phāṛ khāyā hai. Phir patā chalegā ki us ke ḳhāboṅ kī kyā haqīqat hai.”
Gene UrduGeoR 37:21  Jab Rūbin ne un kī bāteṅ sunīṅ to us ne Yūsuf ko bachāne kī koshish kī. Us ne kahā, “Nahīṅ, ham use qatl na kareṅ.
Gene UrduGeoR 37:22  Us kā ḳhūn na karnā. Beshak use is gaṛhe meṅ phaiṅk deṅ jo registān meṅ hai, lekin use hāth na lagāeṅ.” Us ne yih is lie kahā ki wuh use bachā kar bāp ke pās wāpas pahuṅchānā chāhtā thā.
Gene UrduGeoR 37:23  Jyoṅ hī Yūsuf apne bhāiyoṅ ke pās pahuṅchā unhoṅ ne us kā rangdār libās utār kar
Gene UrduGeoR 37:24  Yūsuf ko gaṛhe meṅ phaiṅk diyā. Gaṛhā ḳhālī thā, us meṅ pānī nahīṅ thā.
Gene UrduGeoR 37:25  Phir wuh roṭī khāne ke lie baiṭh gae. Achānak Ismāīliyoṅ kā ek qāfilā nazar āyā. Wuh Jiliyād se Misr jā rahe the, aur un ke ūṅṭ qīmtī masāloṅ yānī lādan, balsān aur mur se lade hue the.
Gene UrduGeoR 37:26  Tab Yahūdāh ne apne bhāiyoṅ se kahā, “Hameṅ kyā fāydā hai agar apne bhāī ko qatl karke us ke ḳhūn ko chhupā deṅ?
Gene UrduGeoR 37:27  Āo, ham use in Ismāīliyoṅ ke hāth faroḳht kar deṅ. Phir koī zarūrat nahīṅ hogī ki ham use hāth lagāeṅ. Āḳhir wuh hamārā bhāī hai.” Us ke bhāī rāzī hue.
Gene UrduGeoR 37:28  Chunāṅche jab Midiyānī tājir wahāṅ se guzare to bhāiyoṅ ne Yūsuf ko khīṅch kar gaṛhe se nikālā aur chāṅdī ke 20 sikkoṅ ke ewaz bech ḍālā. Ismāīlī use le kar Misr chale gae.
Gene UrduGeoR 37:29  Us waqt Rūbin maujūd nahīṅ thā. Jab wuh gaṛhe ke pās wāpas āyā to Yūsuf us meṅ nahīṅ thā. Yih dekh kar us ne pareshānī meṅ apne kapṛe phāṛ ḍāle.
Gene UrduGeoR 37:30  Wuh apne bhāiyoṅ ke pās wāpas gayā aur kahā, “Laṛkā nahīṅ hai. Ab maiṅ kis tarah Abbū ke pās jāūṅ?”
Gene UrduGeoR 37:31  Tab unhoṅ ne bakrā zabah karke Yūsuf kā libās us ke ḳhūn meṅ ḍuboyā,
Gene UrduGeoR 37:32  phir rangdār libās is ḳhabar ke sāth apne bāp ko bhijwā diyā ki “Hameṅ yih milā hai. Ise ġhaur se dekheṅ. Yih āp ke beṭe kā libās to nahīṅ?”
Gene UrduGeoR 37:33  Yāqūb ne use pahchān liyā aur kahā, “Beshak usī kā hai. Kisī wahshī jānwar ne use phāṛ khāyā hai. Yaqīnan Yūsuf ko phāṛ diyā gayā hai.”
Gene UrduGeoR 37:34  Yāqūb ne ġham ke māre apne kapṛe phāṛe aur apnī kamr se ṭāṭ oṛh kar baṛī der tak apne beṭe ke lie mātam kartā rahā.
Gene UrduGeoR 37:35  Us ke tamām beṭe-beṭiyāṅ use tasallī dene āe, lekin us ne tasallī pāne se inkār kiyā aur kahā, “Maiṅ Pātāl meṅ utarte hue bhī apne beṭe ke lie mātam karūṅga.” Is hālat meṅ wuh apne beṭe ke lie rotā rahā.
Gene UrduGeoR 37:36  Itne meṅ Midiyānī Misr pahuṅch kar Yūsuf ko bech chuke the. Misr ke bādshāh Firaun ke ek ālā afsar Fūtīfār ne use ḳharīd liyā. Fūtīfār bādshāh ke muhāfizoṅ par muqarrar thā.
Chapter 38
Gene UrduGeoR 38:1  Un dinoṅ meṅ Yahūdāh apne bhāiyoṅ ko chhoṛ kar ek ādmī ke pās rahne lagā jis kā nām Hīrā thā aur jo Adullām Shahr se thā.
Gene UrduGeoR 38:2  Wahāṅ Yahūdāh kī mulāqāt ek Kanānī aurat se huī jis ke bāp kā nām Sua thā. Us ne us se shādī kī.
Gene UrduGeoR 38:3  Beṭā paidā huā jis kā nām Yahūdāh ne Er rakhā.
Gene UrduGeoR 38:4  Ek aur beṭā paidā huā jis kā nām bīwī ne Onān rakhā.
Gene UrduGeoR 38:5  Us ke tīsrā beṭā bhī paidā huā. Us ne us kā nām Selā rakhā. Yahūdāh qazīb meṅ thā jab wuh paidā huā.
Gene UrduGeoR 38:6  Yahūdāh ne apne baṛe beṭe Er kī shādī ek laṛkī se karāī jis kā nām Tamr thā.
Gene UrduGeoR 38:7  Rab ke nazdīk Er sharīr thā, is lie us ne use halāk kar diyā.
Gene UrduGeoR 38:8  Is par Yahūdāh ne Er ke chhoṭe bhāī Onān se kahā, “Apne baṛe bhāī kī bewā ke pās jāo aur us se shādī karo tāki tumhāre bhāī kī nasl qāym rahe.”
Gene UrduGeoR 38:9  Onān ne aisā kiyā, lekin wuh jāntā thā ki jo bhī bachche paidā hoṅge wuh qānūn ke mutābiq mere baṛe bhāī ke hoṅge. Is lie jab bhī wuh Tamr se hambistar hotā to nutfā ko zamīn par girā detā, kyoṅki wuh nahīṅ chāhtā thā ki merī mārifat mere bhāī ke bachche paidā hoṅ.
Gene UrduGeoR 38:10  Yih bāt Rab ko burī lagī, aur us ne use bhī sazā-e-maut dī.
Gene UrduGeoR 38:11  Tab Yahūdāh ne apnī bahū Tamr se kahā, “Apne bāp ke ghar wāpas chalī jāo aur us waqt tak bewā raho jab tak merā beṭā Selā baṛā na ho jāe.” Us ne yih is lie kahā ki use ḍar thā ki kahīṅ Selā bhī apne bhāiyoṅ kī tarah mar na jāe chunāṅche Tamr apne maike chalī gaī.
Gene UrduGeoR 38:12  Kāfī dinoṅ ke bād Yahūdāh kī bīwī jo Sua kī beṭī thī mar gaī. Mātam kā waqt guzar gayā to Yahūdāh apne Adullāmī dost Hīrā ke sāth Timnat gayā jahāṅ Yahūdāh kī bheṛoṅ kī pashm katrī jā rahī thī.
Gene UrduGeoR 38:13  Tamr ko batāyā gayā, “Āp kā susar apnī bheṛoṅ kī pashm katarne ke lie Timnat jā rahā hai.”
Gene UrduGeoR 38:14  Yih sun kar Tamr ne bewā ke kapṛe utār kar ām kapṛe pahan lie. Phir wuh apnā muṅh chādar se lapeṭ kar Ainīm Shahr ke darwāze par baiṭh gaī jo Timnat ke rāste meṅ thā. Tamr ne yih harkat is lie kī ki Yahūdāh kā beṭā Selā ab bāliġh ho chukā thā to bhī us kī us ke sāth shādī nahīṅ kī gaī thī.
Gene UrduGeoR 38:15  Jab Yahūdāh wahāṅ se guzarā to us ne use dekh kar sochā ki yih kasbī hai, kyoṅki us ne apnā muṅh chhupāyā huā thā.
Gene UrduGeoR 38:16  Wuh rāste se haṭ kar us ke pās gayā aur kahā, “Zarā mujhe apne hāṅ āne deṅ.” (Us ne nahīṅ pahchānā ki yih merī bahū hai.) Tamr ne kahā, “Āp mujhe kyā deṅge?”
Gene UrduGeoR 38:17  Us ne jawāb diyā, “Maiṅ āp ko bakrī kā bachchā bhej dūṅgā.” Tamr ne kahā, “Ṭhīk hai, lekin use bhejne tak mujhe zamānat deṅ.”
Gene UrduGeoR 38:18  Us ne pūchhā, “Maiṅ āp ko kyā dūṅ?” Tamr ne kahā, “Apnī muhr aur use gale meṅ laṭkāne kī ḍorī. Wuh lāṭhī bhī deṅ jo āp pakaṛe hue haiṅ.” Chunāṅche Yahūdāh use yih chīzeṅ de kar us ke sāth hambistar huā. Natīje meṅ Tamr ummīd se huī.
Gene UrduGeoR 38:19  Phir Tamr uṭh kar apne ghar wāpas chalī gaī. Us ne apnī chādar utār kar dubārā bewā ke kapṛe pahan lie.
Gene UrduGeoR 38:20  Yahūdāh ne apne dost Hīrā Adullāmī ke hāth bakrī kā bachchā bhej diyā tāki wuh chīzeṅ wāpas mil jāeṅ jo us ne zamānat ke taur par dī thīṅ. Lekin Hīrā ko patā na chalā ki aurat kahāṅ hai.
Gene UrduGeoR 38:21  Us ne Ainīm ke bāshindoṅ se pūchhā, “Wuh kasbī kahāṅ hai jo yahāṅ saṛak par baiṭhī thī?” Unhoṅ ne jawāb diyā, “Yahāṅ aisī koī kasbī nahīṅ thī.”
Gene UrduGeoR 38:22  Us ne Yahūdāh ke pās wāpas jā kar kahā, “Wuh mujhe nahīṅ milī balki wahāṅ ke rahne wāloṅ ne kahā ki yahāṅ koī aisī kasbī thī nahīṅ.”
Gene UrduGeoR 38:23  Yahūdāh ne kahā, “Phir wuh zamānat kī chīzeṅ apne pās hī rakhe. Use chhoṛ do warnā log hamārā mazāq uṛāeṅge. Ham ne to pūrī koshish kī ki use bakrī kā bachchā mil jāe, lekin khoj lagāne ke bāwujūd āp ko patā na chalā ki wuh kahāṅ hai.”
Gene UrduGeoR 38:24  Tīn māh ke bād Yahūdāh ko ittalā dī gaī, “Āp kī bahū Tamr ne zinā kiyā hai, aur ab wuh hāmilā hai.” Yahūdāh ne hukm diyā, “Use bāhar lā kar jalā do.”
Gene UrduGeoR 38:25  Tamr ko jalāne ke lie bāhar lāyā gayā to us ne apne susar ko ḳhabar bhej dī, “Yih chīzeṅ dekheṅ. Yih us ādmī kī haiṅ jis kī mārifat maiṅ ummīd se hūṅ. Patā kareṅ ki yih muhr, us kī ḍorī aur yih lāṭhī kis kī haiṅ.”
Gene UrduGeoR 38:26  Yahūdāh ne unheṅ pahchān liyā. Us ne kahā, “Maiṅ nahīṅ balki yih aurat haq par hai, kyoṅki maiṅ ne us kī apne beṭe Selā se shādī nahīṅ karāī.” Lekin bād meṅ Yahūdāh kabhī bhī Tamr se hambistar na huā.
Gene UrduGeoR 38:27  Jab janm dene kā waqt āyā to mālūm huā ki juṛwāṅ bachche haiṅ.
Gene UrduGeoR 38:28  Ek bachche kā hāth niklā to dāī ne use pakaṛ kar us meṅ surḳh dhāgā bāndh diyā aur kahā, “Yih pahle paidā huā.”
Gene UrduGeoR 38:29  Lekin us ne apnā hāth wāpas khīṅch liyā, aur us kā bhāī pahle paidā huā. Yih dekh kar dāī bol uṭhī, “Tū kis tarah phūṭ niklā hai!” Us ne us kā nām Fāras yānī Phūṭ rakhā.
Gene UrduGeoR 38:30  Phir us kā bhāī paidā huā jis ke hāth meṅ surḳh dhāgā bandhā huā thā. Us kā nām Zārah yānī Chamak rakhā gayā.
Chapter 39
Gene UrduGeoR 39:1  Ismāīliyoṅ ne Yūsuf ko Misr le jā kar bech diyā thā. Misr ke bādshāh ke ek ālā afsar banām Fūtīfār ne use ḳharīd liyā. Wuh shāhī muhāfizoṅ kā kaptān thā.
Gene UrduGeoR 39:2  Rab Yūsuf ke sāth thā. Jo bhī kām wuh kartā us meṅ kāmyāb rahtā. Wuh apne Misrī mālik ke ghar meṅ rahtā thā
Gene UrduGeoR 39:3  jis ne dekhā ki Rab Yūsuf ke sāth hai aur use har kām meṅ kāmyābī detā hai.
Gene UrduGeoR 39:4  Chunāṅche Yūsuf ko mālik kī ḳhās mehrbānī hāsil huī, aur Fūtīfār ne use apnā zātī naukar banā liyā. Us ne use apne gharāne ke intazām par muqarrar kiyā aur apnī pūrī milkiyat us ke sapurd kar dī.
Gene UrduGeoR 39:5  Jis waqt se Fūtīfār ne apne gharāne kā intazām aur pūrī milkiyat Yūsuf ke sapurd kī us waqt se Rab ne Fūtīfār ko Yūsuf ke sabab se barkat dī. Us kī barkat Fūtīfār kī har chīz par thī, ḳhāh ghar meṅ thī yā khet meṅ.
Gene UrduGeoR 39:6  Fūtīfār ne apnī har chīz Yūsuf ke hāth meṅ chhoṛ dī. Aur chūṅki Yūsuf sab kuchh achchhī tarah chalātā thā is lie Fūtīfār ko khānā khāne ke siwā kisī bhī muāmale kī fikr nahīṅ thī. Yūsuf nihāyat ḳhūbsūrat ādmī thā.
Gene UrduGeoR 39:7  Kuchh der ke bād us ke mālik kī bīwī kī āṅkh us par lagī. Us ne us se kahā, “Mere sāth hambistar ho!”
Gene UrduGeoR 39:8  Yūsuf inkār karke kahne lagā, “Mere mālik ko mere sabab se kisī muāmale kī fikr nahīṅ hai. Unhoṅ ne sab kuchh mere sapurd kar diyā hai.
Gene UrduGeoR 39:9  Ghar ke intazām par un kā iḳhtiyār mere iḳhtiyār se zyādā nahīṅ hai. Āp ke siwā unhoṅ ne koī bhī chīz mujh se bāz nahīṅ rakhī. To phir maiṅ kis tarah itnā ġhalat kām karūṅ? Maiṅ kis tarah Allāh kā gunāh karūṅ?”
Gene UrduGeoR 39:10  Mālik kī bīwī roz baroz Yūsuf ke pīchhe paṛī rahī ki mere sāth hambistar ho. Lekin wuh hameshā inkār kartā rahā.
Gene UrduGeoR 39:11  Ek din wuh kām karne ke lie ghar meṅ gayā. Ghar meṅ aur koī naukar nahīṅ thā.
Gene UrduGeoR 39:12  Fūtīfār kī bīwī ne Yūsuf kā libās pakaṛ kar kahā, “Mere sāth hambistar ho!” Yūsuf bhāg kar bāhar chalā gayā lekin us kā libās pīchhe aurat ke hāth meṅ hī rah gayā.
Gene UrduGeoR 39:13  Jab mālik kī bīwī ne dekhā ki wuh apnā libās chhoṛ kar bhāg gayā hai
Gene UrduGeoR 39:14  to us ne ghar ke naukaroṅ ko bulā kar kahā, “Yih dekho! Mere mālik is Ibrānī ko hamāre pās le āe haiṅ tāki wuh hameṅ zalīl kare. Wuh merī ismatdarī karne ke lie mere kamre meṅ ā gayā, lekin maiṅ ūṅchī āwāz se chīḳhne lagī.
Gene UrduGeoR 39:15  Jab maiṅ madad ke lie ūṅchī āwāz se chīḳhne lagī to wuh apnā libās chhoṛ kar bhāg gayā.”
Gene UrduGeoR 39:16  Us ne mālik ke āne tak Yūsuf kā libās apne pās rakhā.
Gene UrduGeoR 39:17  Jab wuh ghar wāpas āyā to us ne use yihī kahānī sunāī, “Yih Ibrānī ġhulām jo āp le āe haiṅ merī tazlīl ke lie mere pās āyā.
Gene UrduGeoR 39:18  Lekin jab maiṅ madad ke lie chīḳhne lagī to wuh apnā libās chhoṛ kar bhāg gayā.”
Gene UrduGeoR 39:19  Yih sun kar Fūtīfār baṛe ġhusse meṅ ā gayā.
Gene UrduGeoR 39:20  Us ne Yūsuf ko giriftār karke us jel meṅ ḍāl diyā jahāṅ bādshāh ke qaidī rakhe jāte the. Wahīṅ wuh rahā.
Gene UrduGeoR 39:21  Lekin Rab Yūsuf ke sāth thā. Us ne us par mehrbānī kī aur use qaidḳhāne ke dāroġhe kī nazar meṅ maqbūl kiyā.
Gene UrduGeoR 39:22  Yūsuf yahāṅ tak maqbūl huā ki dāroġhe ne tamām qaidiyoṅ ko us ke sapurd karke use pūrā intazām chalāne kī zimmedārī dī.
Gene UrduGeoR 39:23  Dāroġhe ko kisī bhī muāmale kī jise us ne Yūsuf ke sapurd kiyā thā fikr na rahī, kyoṅki Rab Yūsuf ke sāth thā aur use har kām meṅ kāmyābī baḳhshī.
Chapter 40
Gene UrduGeoR 40:1  Kuchh der ke bād yoṅ huā ki Misr ke bādshāh ke sardār sāqī aur bekarī ke inchārj ne apne mālik kā gunāh kiyā.
Gene UrduGeoR 40:2  Firaun ko donoṅ afsaroṅ par ġhussā ā gayā.
Gene UrduGeoR 40:3  Us ne unheṅ us qaidḳhāne meṅ ḍāl diyā jo shāhī muhāfizoṅ ke kaptān ke sapurd thā aur jis meṅ Yūsuf thā.
Gene UrduGeoR 40:4  Muhāfizoṅ ke kaptān ne unheṅ Yūsuf ke hawāle kiyā tāki wuh un kī ḳhidmat kare. Wahāṅ wuh kāfī der tak rahe.
Gene UrduGeoR 40:5  Ek rāt bādshāh ke sardār sāqī aur bekarī ke inchārj ne ḳhāb dekhā. Donoṅ kā ḳhāb farq farq thā, aur un kā matlab bhī farq farq thā.
Gene UrduGeoR 40:6  Jab Yūsuf subah ke waqt un ke pās āyā to wuh dabe hue nazar āe.
Gene UrduGeoR 40:7  Us ne un se pūchhā, “Āj āp kyoṅ itne pareshān haiṅ?”
Gene UrduGeoR 40:8  Unhoṅ ne jawāb diyā, “Ham donoṅ ne ḳhāb dekhā hai, aur koī nahīṅ jo hameṅ un kā matlab batāe.” Yūsuf ne kahā, “Ḳhāboṅ kī tābīr to Allāh kā kām hai. Zarā mujhe apne ḳhāb to sunāeṅ.”
Gene UrduGeoR 40:9  Sardār sāqī ne shurū kiyā, “Maiṅ ne ḳhāb meṅ apne sāmne angūr kī bel dekhī.
Gene UrduGeoR 40:10  Us kī tīn shāḳheṅ thīṅ. Us ke patte lage, koṅpleṅ phūṭ niklīṅ aur angūr pak gae.
Gene UrduGeoR 40:11  Mere hāth meṅ bādshāh kā pyālā thā, aur maiṅ ne angūroṅ ko toṛ kar yoṅ bhīṅch diyā ki un kā ras bādshāh ke pyāle meṅ ā gayā. Phir maiṅ ne pyālā bādshāh ko pesh kiyā.”
Gene UrduGeoR 40:12  Yūsuf ne kahā, “Tīn shāḳhoṅ se murād tīn din haiṅ.
Gene UrduGeoR 40:13  Tīn din ke bād Firaun āp ko bahāl kar legā. Āp ko pahlī zimmedārī wāpas mil jāegī. Āp pahle kī tarah sardār sāqī kī haisiyat se bādshāh kā pyālā saṅbhāleṅge.
Gene UrduGeoR 40:14  Lekin jab āp bahāl ho jāeṅ to merā ḳhayāl kareṅ. Mehrbānī karke bādshāh ke sāmne merā zikr kareṅ tāki maiṅ yahāṅ se rihā ho jāūṅ.
Gene UrduGeoR 40:15  Kyoṅki mujhe Ibrāniyoṅ ke mulk se aġhwā karke yahāṅ lāyā gayā hai, aur yahāṅ bhī mujh se koī aisī ġhaltī nahīṅ huī ki mujhe is gaṛhe meṅ phaiṅkā jātā.”
Gene UrduGeoR 40:16  Jab shāhī bekarī ke inchārj ne dekhā ki sardār sāqī ke ḳhāb kā achchhā matlab niklā to us ne Yūsuf se kahā, “Merā ḳhāb bhī suneṅ. Maiṅ ne sar par tīn ṭokriyāṅ uṭhā rakhī thīṅ jo bekarī kī chīzoṅ se bharī huī thīṅ.
Gene UrduGeoR 40:17  Sab se ūpar wālī ṭokrī meṅ wuh tamām chīzeṅ thīṅ jo bādshāh kī mez ke lie banāī jātī haiṅ. Lekin parinde ā kar unheṅ khā rahe the.”
Gene UrduGeoR 40:18  Yūsuf ne kahā, “Tīn ṭokriyoṅ se murād tīn din haiṅ.
Gene UrduGeoR 40:19  Tīn din ke bād hī Firaun āp ko qaidḳhāne se nikāl kar daraḳht se laṭkā degā. Parinde āp kī lāsh ko khā jāeṅge.”
Gene UrduGeoR 40:20  Tīn din ke bād bādshāh kī sālgirah thī. Us ne apne tamām afsaroṅ kī ziyāfat kī. Is mauqe par us ne sardār sāqī aur bekarī ke inchārj ko jel se nikāl kar apne huzūr lāne kā hukm diyā.
Gene UrduGeoR 40:21  Sardār sāqī ko pahle wālī zimmedārī sauṅp dī gaī,
Gene UrduGeoR 40:22  lekin bekarī ke inchārj ko sazā-e-maut de kar daraḳht se laṭkā diyā gayā. Sab kuchh waisā hī huā jaisā Yūsuf ne kahā thā.
Gene UrduGeoR 40:23  Lekin sardār sāqī ne Yūsuf kā ḳhayāl na kiyā balki use bhūl hī gayā.
Chapter 41
Gene UrduGeoR 41:1  Do sāl guzar gae ki ek rāt bādshāh ne ḳhāb dekhā. Wuh Dariyā-e-Nīl ke kināre khaṛā thā.
Gene UrduGeoR 41:2  Achānak dariyā meṅ se sāt ḳhūbsūrat aur moṭī gāeṅ nikal kar sarkanḍoṅ meṅ charne lagīṅ.
Gene UrduGeoR 41:3  Un ke bād sāt aur gāeṅ nikal āīṅ. Lekin wuh badsūrat aur dublī-patlī thīṅ. Wuh dariyā ke kināre dūsrī gāyoṅ ke pās khaṛī ho kar
Gene UrduGeoR 41:4  pahlī sāt ḳhūbsūrat aur moṭī moṭī gāyoṅ ko khā gaīṅ. Is ke bād Misr kā bādshāh jāg uṭhā.
Gene UrduGeoR 41:5  Phir wuh dubārā so gayā. Is dafā us ne ek aur ḳhāb dekhā. Anāj ke ek paude par sāt moṭī moṭī aur achchhī achchhī bāleṅ lagī thīṅ.
Gene UrduGeoR 41:6  Phir sāt aur bāleṅ phūṭ niklīṅ jo dublī-patlī aur mashriqī hawā se jhulsī huī thīṅ.
Gene UrduGeoR 41:7  Anāj kī sāt dublī-patlī bāloṅ ne sāt moṭī aur ḳhūbsūrat bāloṅ ko nigal liyā. Phir Firaun jāg uṭhā to mālūm huā ki maiṅ ne ḳhāb hī dekhā hai.
Gene UrduGeoR 41:8  Subah huī to wuh pareshān thā, is lie us ne Misr ke tamām jādūgaroṅ aur ālimoṅ ko bulāyā. Us ne unheṅ apne ḳhāb sunāe, lekin koī bhī un kī tābīr na kar sakā.
Gene UrduGeoR 41:9  Phir sardār sāqī ne Firaun se kahā, “Āj mujhe apnī ḳhatāeṅ yād ātī haiṅ.
Gene UrduGeoR 41:10  Ek din Firaun apne ḳhādimoṅ se nārāz hue. Huzūr ne mujhe aur bekarī ke inchārj ko qaidḳhāne meṅ ḍalwā diyā jis par shāhī muhāfizoṅ kā kaptān muqarrar thā.
Gene UrduGeoR 41:11  Ek hī rāt meṅ ham donoṅ ne muḳhtalif ḳhāb dekhe jin kā matlab farq farq thā.
Gene UrduGeoR 41:12  Wahāṅ jel meṅ ek Ibrānī naujawān thā. Wuh muhāfizoṅ ke kaptān kā ġhulām thā. Ham ne use apne ḳhāb sunāe to us ne hameṅ un kā matlab batā diyā.
Gene UrduGeoR 41:13  Aur jo kuchh bhī us ne batāyā sab kuchh waisā hī huā. Mujhe apnī zimmedārī wāpas mil gaī jabki bekarī ke inchārj ko sazā-e-maut de kar daraḳht se laṭkā diyā gayā.”
Gene UrduGeoR 41:14  Yih sun kar Firaun ne Yūsuf ko bulāyā, aur use jaldī se qaidḳhāne se lāyā gayā. Us ne shew karwā kar apne kapṛe badle aur sīdhe bādshāh ke huzūr pahuṅchā.
Gene UrduGeoR 41:15  Bādshāh ne kahā, “Maiṅ ne ḳhāb dekhā hai, aur yahāṅ koī nahīṅ jo us kī tābīr kar sake. Lekin sunā hai ki tū ḳhāb ko sun kar us kā matlab batā saktā hai.”
Gene UrduGeoR 41:16  Yūsuf ne jawāb diyā, “Yih mere iḳhtiyār meṅ nahīṅ hai. Lekin Allāh hī bādshāh ko salāmatī kā paiġhām degā.”
Gene UrduGeoR 41:17  Firaun ne Yūsuf ko apne ḳhāb sunāe, “Maiṅ ḳhāb meṅ Dariyā-e-Nīl ke kināre khaṛā thā.
Gene UrduGeoR 41:18  Achānak dariyā meṅ se sāt moṭī moṭī aur ḳhūbsūrat gāeṅ nikal kar sarkanḍoṅ meṅ charne lagīṅ.
Gene UrduGeoR 41:19  Is ke bād sāt aur gāeṅ niklīṅ. Wuh nihāyat badsūrat aur dublī-patlī thīṅ. Maiṅ ne itnī badsūrat gāeṅ Misr meṅ kahīṅ bhī nahīṅ dekhīṅ.
Gene UrduGeoR 41:20  Dublī aur badsūrat gāeṅ pahlī moṭī gāyoṅ ko khā gaīṅ.
Gene UrduGeoR 41:21  Aur nigalne ke bād bhī mālūm nahīṅ hotā thā ki unhoṅ ne moṭī gāyoṅ ko khāyā hai. Wuh pahle kī tarah badsūrat hī thīṅ. Is ke bād maiṅ jāg uṭhā.
Gene UrduGeoR 41:22  Phir maiṅ ne ek aur ḳhāb dekhā. Sāt moṭī aur achchhī bāleṅ ek hī paude par lagī thīṅ.
Gene UrduGeoR 41:23  Is ke bād sāt aur bāleṅ niklīṅ jo ḳharāb, dublī-patlī aur mashriqī hawā se jhulsī huī thīṅ.
Gene UrduGeoR 41:24  Sāt dublī-patlī bāleṅ sāt achchhī bāloṅ ko nigal gaīṅ. Maiṅ ne yih sab kuchh apne jādūgaroṅ ko batāyā, lekin wuh is kī tābīr na kar sake.”
Gene UrduGeoR 41:25  Yūsuf ne bādshāh se kahā, “Donoṅ ḳhāboṅ kā ek hī matlab hai. In se Allāh ne huzūr par zāhir kiyā hai ki wuh kyā kuchh karne ko hai.
Gene UrduGeoR 41:26  Sāt achchhī gāyoṅ se murād sāt sāl haiṅ. Isī tarah sāt achchhī bāloṅ se murād bhī sāt sāl haiṅ. Donoṅ ḳhāb ek hī bāt bayān karte haiṅ.
Gene UrduGeoR 41:27  Jo sāt dublī aur badsūrat gāeṅ bād meṅ nikleṅ un se murād sāt aur sāl haiṅ. Yihī sāt dublī-patlī aur mashriqī hawā se jhulsī huī bāloṅ kā matlab bhī hai. Wuh ek hī bāt bayān kartī haiṅ ki sāt sāl tak kāl paṛegā.
Gene UrduGeoR 41:28  Yih wuhī bāt hai jo maiṅ ne huzūr se kahī ki Allāh ne huzūr par zāhir kiyā hai ki wuh kyā karegā.
Gene UrduGeoR 41:29  Sāt sāl āeṅge jin ke daurān Misr ke pūre mulk meṅ kasrat se paidāwār hogī.
Gene UrduGeoR 41:30  Us ke bād sāt sāl kāl paṛegā. Kāl itnā shadīd hogā ki log bhūl jāeṅge ki pahle itnī kasrat thī. Kyoṅki kāl mulk ko tabāh kar degā.
Gene UrduGeoR 41:31  Kāl kī shiddat ke bāis achchhe sāloṅ kī kasrat yād hī nahīṅ rahegī.
Gene UrduGeoR 41:32  Huzūr ko is lie ek hī paiġhām do muḳhtalif ḳhāboṅ kī sūrat meṅ milā ki Allāh is kā pakkā irādā rakhtā hai, aur wuh jald hī is par amal karegā.
Gene UrduGeoR 41:33  Ab bādshāh kisī samajhdār aur dānishmand ādmī ko Mulk-e-Misr kā intazām sauṅpeṅ.
Gene UrduGeoR 41:34  Is ke alāwā wuh aise ādmī muqarrar kareṅ jo sāt achchhe sāloṅ ke daurān har fasal kā pāṅchwāṅ hissā leṅ.
Gene UrduGeoR 41:35  Wuh un achchhe sāloṅ ke daurān ḳhurāk jamā kareṅ. Bādshāh unheṅ iḳhtiyār deṅ ki wuh shahroṅ meṅ godām banā kar anāj ko mahfūz kar leṅ.
Gene UrduGeoR 41:36  Yih ḳhurāk kāl ke un sāt sāloṅ ke lie maḳhsūs kī jāe jo Misr meṅ āne wāle haiṅ. Yoṅ mulk tabāh nahīṅ hogā.”
Gene UrduGeoR 41:37  Yih mansūbā bādshāh aur us ke afsarān ko achchhā lagā.
Gene UrduGeoR 41:38  Us ne un se kahā, “Hameṅ is kām ke lie Yūsuf se zyādā lāyq ādmī nahīṅ milegā. Us meṅ Allāh kī rūh hai.”
Gene UrduGeoR 41:39  Bādshāh ne Yūsuf se kahā, “Allāh ne yih sab kuchh tujh par zāhir kiyā hai, is lie koī bhī tujh se zyādā samajhdār aur dānishmand nahīṅ hai.
Gene UrduGeoR 41:40  Maiṅ tujhe apne mahal par muqarrar kartā hūṅ. Merī tamām riāyā tere tābe rahegī. Terā iḳhtiyār sirf mere iḳhtiyār se kam hogā.
Gene UrduGeoR 41:41  Ab maiṅ tujhe pūre Mulk-e-Misr par hākim muqarrar kartā hūṅ.”
Gene UrduGeoR 41:42  Bādshāh ne apnī unglī se wuh angūṭhī utārī jis se muhr lagātā thā aur use Yūsuf kī unglī meṅ pahnā diyā. Us ne use katān kā bārīk libās pahnāyā aur us ke gale meṅ sone kā gulūband pahnā diyā.
Gene UrduGeoR 41:43  Phir us ne use apne dūsre rath meṅ sawār kiyā aur log us ke āge āge pukārte rahe, “Ghuṭne ṭeko! Ghuṭne ṭeko!” Yoṅ Yūsuf pūre Misr kā hākim banā.
Gene UrduGeoR 41:44  Firaun ne us se kahā, “Maiṅ to bādshāh hūṅ, lekin terī ijāzat ke baġhair pūre mulk meṅ koī bhī apnā hāth yā pāṅw nahīṅ hilāegā.”
Gene UrduGeoR 41:45  Us ne Yūsuf kā Misrī nām Sāfanat-fāneh rakhā aur On ke pujārī Fotīfirā kī beṭī Āsanat ke sāth us kī shādī karāī. Yūsuf 30 sāl kā thā jab wuh Misr ke bādshāh Firaun kī ḳhidmat karne lagā. Us ne Firaun ke huzūr se nikal kar Misr kā daurā kiyā.
Gene UrduGeoR 41:46  Us ne Yūsuf kā Misrī nām Sāfanat-fāneh rakhā aur On ke pujārī Fotīfirā kī beṭī Āsanat ke sāth us kī shādī karāī. Yūsuf 30 sāl kā thā jab wuh Misr ke bādshāh Firaun kī ḳhidmat karne lagā. Us ne Firaun ke huzūr se nikal kar Misr kā daurā kiyā.
Gene UrduGeoR 41:47  Sāt achchhe sāloṅ ke daurān mulk meṅ nihāyat achchhī fasleṅ ugīṅ.
Gene UrduGeoR 41:48  Yūsuf ne tamām ḳhurāk jamā karke shahroṅ meṅ mahfūz kar lī. Har shahr meṅ us ne irdgird ke khetoṅ kī paidāwār mahfūz rakhī.
Gene UrduGeoR 41:49  Jamāshudā anāj samundar kī ret kī mānind bakasrat thā. Itnā anāj thā ki Yūsuf ne āḳhirkār us kī paimāish karnā chhoṛ diyā.
Gene UrduGeoR 41:50  Kāl se pahle Yūsuf aur Āsanat ke do beṭe paidā hue.
Gene UrduGeoR 41:51  Us ne pahle kā nām Manassī yānī ‘Jo Bhulā Detā Hai’ rakhā. Kyoṅki us ne kahā, “Allāh ne merī musībat aur mere bāp kā gharānā merī yāddāsht se nikāl diyā hai.”
Gene UrduGeoR 41:52  Dūsre kā nām us ne Ifrāīm yānī ‘Dugnā Phaldār’ rakhā. Kyoṅki us ne kahā, “Allāh ne mujhe merī musībat ke mulk meṅ phalne-phūlne diyā hai.”
Gene UrduGeoR 41:53  Sāt achchhe sāl jin meṅ kasrat kī fasleṅ ugīṅ guzar gae.
Gene UrduGeoR 41:54  Phir kāl ke sāt sāl shurū hue jis tarah Yūsuf ne kahā thā. Tamām dīgar mamālik meṅ bhī kāl paṛ gayā, lekin Misr meṅ wāfir ḳhurāk pāī jātī thī.
Gene UrduGeoR 41:55  Jab kāl ne tamām Misr meṅ zor pakaṛā to log chīḳh kar khāne ke lie bādshāh se minnat karne lage. Tab Firaun ne un se kahā, “Yūsuf ke pās jāo. Jo kuchh wuh tumheṅ batāegā wuhī karo.”
Gene UrduGeoR 41:56  Jab kāl pūrī duniyā meṅ phail gayā to Yūsuf ne anāj ke godām khol kar Misriyoṅ ko anāj bech diyā. Kyoṅki kāl ke bāis mulk ke hālāt bahut ḳharāb ho gae the.
Gene UrduGeoR 41:57  Tamām mamālik se bhī log anāj ḳharīdne ke lie Yūsuf ke pās āe, kyoṅki pūrī duniyā saḳht kāl kī girift meṅ thī.
Chapter 42
Gene UrduGeoR 42:1  Jab Yāqūb ko mālūm huā ki Misr meṅ anāj hai to us ne apne beṭoṅ se kahā, “Tum kyoṅ ek dūsre kā muṅh takte ho?
Gene UrduGeoR 42:2  Sunā hai ki Misr meṅ anāj hai. Wahāṅ jā kar hamāre lie kuchh ḳharīd lāo tāki ham bhūke na mareṅ.”
Gene UrduGeoR 42:3  Tab Yūsuf ke das bhāī anāj ḳharīdne ke lie Misr gae.
Gene UrduGeoR 42:4  Lekin Yāqūb ne Yūsuf ke sage bhāī Binyamīn ko sāth na bhejā, kyoṅki us ne kahā, “Aisā na ho ki use jānī nuqsān pahuṅche.”
Gene UrduGeoR 42:5  Yoṅ Yāqūb ke beṭe bahut sāre aur logoṅ ke sāth Misr gae. Kyoṅki Mulk-e-Kanān bhī kāl kī girift meṅ thā.
Gene UrduGeoR 42:6  Yūsuf Misr ke hākim kī haisiyat se logoṅ ko anāj bechtā thā, is lie us ke bhāī ā kar us ke sāmne muṅh ke bal jhuk gae.
Gene UrduGeoR 42:7  Jab Yūsuf ne apne bhāiyoṅ ko dekhā to us ne unheṅ pahchān liyā lekin aisā kiyā jaisā un se nāwāqif ho aur saḳhtī se un se bāt kī, “Tum kahāṅ se āe ho?” Unhoṅ ne jawāb diyā, “Ham Mulk-e-Kanān se anāj ḳharīdne ke lie āe haiṅ.”
Gene UrduGeoR 42:8  Go Yūsuf ne apne bhāiyoṅ ko pahchān liyā, lekin unhoṅ ne use na pahchānā.
Gene UrduGeoR 42:9  Use wuh ḳhāb yād āe jo us ne un ke bāre meṅ dekhe the. Us ne kahā, “Tum jāsūs ho. Tum yih deḳhne āe ho ki hamārā mulk kin kin jaghoṅ par ġhairmahfūz hai.”
Gene UrduGeoR 42:10  Unhoṅ ne kahā, “Janāb, hargiz nahīṅ. Āp ke ġhulām ġhallā ḳharīdne āe haiṅ.
Gene UrduGeoR 42:11  Ham sab ek hī mard ke beṭe haiṅ. Āp ke ḳhādim sharīf log haiṅ, jāsūs nahīṅ haiṅ.”
Gene UrduGeoR 42:12  Lekin Yūsuf ne isrār kiyā, “Nahīṅ, tum deḳhne āe ho ki hamārā mulk kin kin jaghoṅ par ġhairmahfūz hai.”
Gene UrduGeoR 42:13  Unhoṅ ne arz kī, “Āp ke ḳhādim kul bārah bhāī haiṅ. Ham ek hī ādmī ke beṭe haiṅ jo Kanān meṅ rahtā hai. Sab se chhoṭā bhāī is waqt hamāre bāp ke pās hai jabki ek mar gayā hai.”
Gene UrduGeoR 42:14  Lekin Yūsuf ne apnā ilzām dohrāyā, “Aisā hī hai jaisā maiṅ ne kahā hai ki tum jāsūs ho.
Gene UrduGeoR 42:15  Maiṅ tumhārī bāteṅ jāṅch lūṅgā. Firaun kī hayāt kī qasam, pahle tumhārā sab se chhoṭā bhāī āe, warnā tum is jagah se kabhī nahīṅ jā sakoge.
Gene UrduGeoR 42:16  Ek bhāī ko use lāne ke lie bhej do. Bāqī sab yahāṅ giriftār raheṅge. Phir patā chalegā ki tumhārī bāteṅ sach haiṅ ki nahīṅ. Agar nahīṅ to Firaun kī hayāt kī qasam, is kā matlab yih hogā ki tum jāsūs ho.”
Gene UrduGeoR 42:17  Yih kah kar Yūsuf ne unheṅ tīn din ke lie qaidḳhāne meṅ ḍāl diyā.
Gene UrduGeoR 42:18  Tīsre din us ne un se kahā, “Maiṅ Allāh kā ḳhauf māntā hūṅ, is lie tum ko ek shart par jītā chhoṛūṅgā.
Gene UrduGeoR 42:19  Agar tum wāqaī sharīf log ho to aisā karo ki tum meṅ se ek yahāṅ qaidḳhāne meṅ rahe jabki bāqī sab anāj le kar apne bhūke ghar wāloṅ ke pās wāpas jāeṅ.
Gene UrduGeoR 42:20  Lekin lāzim hai ki tum apne sab se chhoṭe bhāī ko mere pās le āo. Sirf is se tumhārī bāteṅ sach sābit hoṅgī aur tum maut se bach jāoge.” Yūsuf ke bhāī rāzī ho gae.
Gene UrduGeoR 42:21  Wuh āpas meṅ kahne lage, “Beshak yih hamāre apne bhāī par zulm kī sazā hai. Jab wuh iltijā kar rahā thā ki mujh par rahm kareṅ to ham ne us kī baṛī musībat dekh kar bhī us kī na sunī. Is lie yih musībat ham par ā gaī hai.”
Gene UrduGeoR 42:22  Aur Rūbin ne kahā, “Kyā maiṅ ne nahīṅ kahā thā ki laṛke par zulm mat karo, lekin tum ne merī ek na mānī. Ab us kī maut kā hisāb-kitāb kiyā jā rahā hai.”
Gene UrduGeoR 42:23  Unheṅ mālūm nahīṅ thā ki Yūsuf hamārī bāteṅ samajh saktā hai, kyoṅki wuh mutarjim kī mārifat un se bāt kartā thā.
Gene UrduGeoR 42:24  Yih bāteṅ sun kar wuh unheṅ chhoṛ kar rone lagā. Phir wuh saṅbhal kar wāpas āyā. Us ne Shamāūn ko chun kar use un ke sāmne hī bāndh liyā.
Gene UrduGeoR 42:25  Yūsuf ne hukm diyā ki mulāzim un kī boriyāṅ anāj se bhar kar har ek bhāī ke paise us kī borī meṅ wāpas rakh deṅ aur unheṅ safr ke lie khānā bhī deṅ. Unhoṅ ne aisā hī kiyā.
Gene UrduGeoR 42:26  Phir Yūsuf ke bhāī apne gadhoṅ par anāj lād kar rawānā ho gae.
Gene UrduGeoR 42:27  Jab wuh rāt ke lie kisī jagah par ṭhahre to ek bhāī ne apne gadhe ke lie chārā nikālne kī ġharz se apnī borī kholī to dekhā ki borī ke muṅh meṅ us ke paise paṛe haiṅ.
Gene UrduGeoR 42:28  Us ne apne bhāiyoṅ se kahā, “Mere paise wāpas kar die gae haiṅ! Wuh merī borī meṅ haiṅ.” Yih dekh kar un ke hosh uṛ gae. Kāṅpte hue wuh ek dūsre ko deḳhne aur kahne lage, “Yih kyā hai jo Allāh ne hamāre sāth kiyā hai?”
Gene UrduGeoR 42:29  Mulk-e-Kanān meṅ apne bāp ke pās pahuṅch kar unhoṅ ne use sab kuchh sunāyā jo un ke sāth huā thā. Unhoṅ ne kahā,
Gene UrduGeoR 42:30  “Us mulk ke mālik ne baṛī saḳhtī se hamāre sāth bāt kī. Us ne hameṅ jāsūs qarār diyā.
Gene UrduGeoR 42:31  Lekin ham ne us se kahā, ‘Ham jāsūs nahīṅ balki sharīf log haiṅ.
Gene UrduGeoR 42:32  Ham bārah bhāī haiṅ, ek hī bāp ke beṭe. Ek to mar gayā jabki sab se chhoṭā bhāī is waqt Kanān meṅ bāp ke pās hai.’
Gene UrduGeoR 42:33  Phir us mulk ke mālik ne ham se kahā, ‘Is se mujhe patā chalegā ki tum sharīf log ho ki ek bhāī ko mere pās chhoṛ do aur apne bhūke ghar wāloṅ ke lie ḳhurāk le kar chale jāo.
Gene UrduGeoR 42:34  Lekin apne sab se chhoṭe bhāī ko mere pās le āo tāki mujhe mālūm ho jāe ki tum jāsūs nahīṅ balki sharīf log ho. Phir maiṅ tum ko tumhārā bhāī wāpas kar dūṅgā aur tum is mulk meṅ āzādī se tijārat kar sakoge.’”
Gene UrduGeoR 42:35  Unhoṅ ne apnī boriyoṅ se anāj nikāl diyā to dekhā ki har ek kī borī meṅ us ke paisoṅ kī thailī rakhī huī hai. Yih paise dekh kar wuh ḳhud aur un kā bāp ḍar gae.
Gene UrduGeoR 42:36  Un ke bāp ne un se kahā, “Tum ne mujhe mere bachchoṅ se mahrūm kar diyā hai. Yūsuf nahīṅ rahā, Shamāūn bhī nahīṅ rahā aur ab tum Binyamīn ko bhī mujh se chhīnanā chāhte ho. Sab kuchh mere ḳhilāf hai.”
Gene UrduGeoR 42:37  Phir Rūbin bol uṭhā, “Agar maiṅ use salāmatī se āp ke pās wāpas na pahuṅchāūṅ to āp mere do beṭoṅ ko sazā-e-maut de sakte haiṅ. Use mere sapurd kareṅ to maiṅ use wāpas le āūṅgā.”
Gene UrduGeoR 42:38  Lekin Yāqūb ne kahā, “Merā beṭā tumhāre sāth jāne kā nahīṅ. Kyoṅki us kā bhāī mar gayā hai aur wuh akelā hī rah gayā hai. Agar us ko rāste meṅ jānī nuqsān pahuṅche to tum mujh būṛhe ko ġham ke māre Pātāl meṅ pahuṅchāoge.”
Chapter 43
Gene UrduGeoR 43:2  Jab Misr se lāyā gayā anāj ḳhatm ho gayā to Yāqūb ne kahā, “Ab wāpas jā kar hamāre lie kuchh aur ġhallā ḳharīd lāo.”
Gene UrduGeoR 43:3  Lekin Yahūdāh ne kahā, “Us mard ne saḳhtī se kahā thā, ‘Tum sirf is sūrat meṅ mere pās ā sakte ho ki tumhārā bhāī sāth ho.’
Gene UrduGeoR 43:4  Agar āp hamāre bhāī ko sāth bhejeṅ to phir ham jā kar āp ke lie ġhallā ḳharīdeṅge
Gene UrduGeoR 43:5  warnā nahīṅ. Kyoṅki us ādmī ne kahā thā ki ham sirf is sūrat meṅ us ke pās ā sakte haiṅ ki hamārā bhāī sāth ho.”
Gene UrduGeoR 43:6  Yāqūb ne kahā, “Tum ne use kyoṅ batāyā ki hamārā ek aur bhāī bhī hai? Is se tum ne mujhe baṛī musībat meṅ ḍāl diyā hai.”
Gene UrduGeoR 43:7  Unhoṅ ne jawāb diyā, “Wuh ādmī hamāre aur hamāre ḳhāndān ke bāre meṅ pūchhtā rahā, ‘Kyā tumhārā bāp ab tak zindā hai? Kyā tumhārā koī aur bhāī hai?’ Phir hameṅ jawāb denā paṛā. Hameṅ kyā patā thā ki wuh hameṅ apne bhāī ko sāth lāne ko kahegā.”
Gene UrduGeoR 43:8  Phir Yahūdāh ne bāp se kahā, “Laṛke ko mere sāth bhej deṅ to ham abhī rawānā ho jāeṅge. Warnā āp, hamāre bachche balki ham sab bhūkoṅ mar jāeṅge.
Gene UrduGeoR 43:9  Maiṅ ḳhud us kā zāmin hūṅgā. Āp mujhe us kī jān kā zimmedār ṭhahrā sakte haiṅ. Agar maiṅ use salāmatī se wāpas na pahuṅchāūṅ to phir maiṅ zindagī ke āḳhir tak qusūrwār ṭhahrūṅga.
Gene UrduGeoR 43:10  Jitnī der tak ham jhijakte rahe haiṅ utnī der meṅ to ham do dafā Misr jā kar wāpas ā sakte the.”
Gene UrduGeoR 43:11  Tab un ke bāp Isrāīl ne kahā, “Agar aur koī sūrat nahīṅ to is mulk kī behtarīn paidāwār meṅ se kuchh tohfe ke taur par le kar us ādmī ko de do yānī kuchh balsān, shahd, lādan, mur, pistā aur bādām.
Gene UrduGeoR 43:12  Apne sāth dugnī raqam le kar jāo, kyoṅki tumheṅ wuh paise wāpas karne haiṅ jo tumhārī boriyoṅ meṅ rakhe gae the. Shāyad kisī se ġhaltī huī ho.
Gene UrduGeoR 43:13  Apne bhāī ko le kar sīdhe wāpas pahuṅchnā.
Gene UrduGeoR 43:14  Allāh Qādir-e-mutlaq kare ki yih ādmī tum par rahm karke Binyamīn aur tumhāre dūsre bhāī ko wāpas bheje. Jahāṅ tak merā tālluq hai, agar mujhe apne bachchoṅ se mahrūm honā hai to aisā hī ho.”
Gene UrduGeoR 43:15  Chunāṅche wuh tohfe, dugnī raqam aur Binyamīn ko sāth le kar chal paṛe. Misr pahuṅch kar wuh Yūsuf ke sāmne hāzir hue.
Gene UrduGeoR 43:16  Jab Yūsuf ne Binyamīn ko un ke sāth dekhā to us ne apne ghar par muqarrar mulāzim se kahā, “In ādmiyoṅ ko mere ghar le jāo tāki wuh dopahar kā khānā mere sāth khāeṅ. Jānwar ko zabah karke khānā taiyār karo.”
Gene UrduGeoR 43:17  Mulāzim ne aisā hī kiyā aur bhāiyoṅ ko Yūsuf ke ghar le gayā.
Gene UrduGeoR 43:18  Jab unheṅ us ke ghar pahuṅchāyā jā rahā thā to wuh ḍar kar sochne lage, “Hameṅ un paisoṅ ke sabab se yahāṅ lāyā jā rahā hai jo pahlī dafā hamārī boriyoṅ meṅ wāpas kie gae the. Wuh ham par achānak hamlā karke hamāre gadhe chhīn leṅge aur hameṅ ġhulām banā leṅge.”
Gene UrduGeoR 43:19  Is lie ghar ke darwāze par pahuṅch kar unhoṅ ne ghar par muqarrar mulāzim se kahā,
Gene UrduGeoR 43:20  “Janāb-e-ālī, hamārī bāt sun lījie. Is se pahle ham anāj ḳharīdne ke lie yahāṅ āe the.
Gene UrduGeoR 43:21  Lekin jab ham yahāṅ se rawānā ho kar rāste meṅ rāt ke lie ṭhahre to ham ne apnī boriyāṅ khol kar dekhā ki har borī ke muṅh meṅ hamāre paisoṅ kī pūrī raqam paṛī hai. Ham yih paise wāpas le āe haiṅ.
Gene UrduGeoR 43:22  Nīz, ham mazīd ḳhurāk ḳharīdne ke lie aur paise le āe haiṅ. Ḳhudā jāne kis ne hamāre yih paise hamārī boriyoṅ meṅ rakh die.”
Gene UrduGeoR 43:23  Mulāzim ne kahā, “Fikr na kareṅ. Mat ḍareṅ. Āp ke aur āp ke bāp ke Ḳhudā ne āp ke lie āp kī boriyoṅ meṅ yih ḳhazānā rakhā hogā. Baharhāl mujhe āp ke paise mil gae haiṅ.” Mulāzim Shamāūn ko un ke pās bāhar le āyā.
Gene UrduGeoR 43:24  Phir us ne bhāiyoṅ ko Yūsuf ke ghar meṅ le jā kar unheṅ pāṅw dhone ke lie pānī aur gadhoṅ ko chārā diyā.
Gene UrduGeoR 43:25  Unhoṅ ne apne tohfe taiyār rakhe, kyoṅki unheṅ batāyā gayā, “Yūsuf dopahar kā khānā āp ke sāth hī khāegā.”
Gene UrduGeoR 43:26  Jab Yūsuf ghar pahuṅchā to wuh apne tohfe le kar us ke sāmne āe aur muṅh ke bal jhuk gae.
Gene UrduGeoR 43:27  Us ne un se ḳhairiyat dariyāft kī aur phir kahā, “Tum ne apne būṛhe bāp kā zikr kiyā. Kyā wuh ṭhīk haiṅ? Kyā wuh ab tak zindā haiṅ?”
Gene UrduGeoR 43:28  Unhoṅ ne jawāb diyā, “Jī, āp ke ḳhādim hamāre bāp ab tak zindā haiṅ.” Wuh dubārā muṅh ke bal jhuk gae.
Gene UrduGeoR 43:29  Jab Yūsuf ne apne sage bhāī Binyamīn ko dekhā to us ne kahā, “Kyā yih tumhārā sab se chhoṭā bhāī hai jis kā tum ne zikr kiyā thā? Beṭā, Allāh kī nazar-e-karm tum par ho.”
Gene UrduGeoR 43:30  Yūsuf apne bhāī ko dekh kar itnā muta'assir huā ki wuh rone ko thā, is lie wuh jaldī se wahāṅ se nikal kar apne sone ke kamre meṅ gayā aur ro paṛā.
Gene UrduGeoR 43:31  Phir wuh apnā muṅh dho kar wāpas āyā. Apne āp par qābū pā kar us ne hukm diyā ki naukar khānā le āeṅ.
Gene UrduGeoR 43:32  Naukaroṅ ne Yūsuf ke lie khāne kā alag intazām kiyā aur bhāiyoṅ ke lie alag. Misriyoṅ ke lie bhī khāne kā alag intazām thā, kyoṅki Ibrāniyoṅ ke sāth khānā khānā un kī nazar meṅ qābil-e-nafrat thā.
Gene UrduGeoR 43:33  Bhāiyoṅ ko un kī umr kī tartīb ke mutābiq Yūsuf ke sāmne biṭhāyā gayā. Yih dekh kar bhāī nihāyat hairān hue.
Gene UrduGeoR 43:34  Naukaroṅ ne unheṅ Yūsuf kī mez par se khānā le kar khilāyā. Lekin Binyamīn ko dūsroṅ kī nisbat pāṅch gunā zyādā milā. Yoṅ unhoṅ ne Yūsuf ke sāth jī bhar kar khāyā aur piyā.
Chapter 44
Gene UrduGeoR 44:1  Yūsuf ne ghar par muqarrar mulāzim ko hukm diyā, “Un mardoṅ kī boriyāṅ ḳhurāk se itnī bhar denā jitnī wuh uṭhā kar le jā sakeṅ. Har ek ke paise us kī apnī borī ke muṅh meṅ rakh denā.
Gene UrduGeoR 44:2  Sab se chhoṭe bhāī kī borī meṅ na sirf paise balki mere chāṅdī ke pyāle ko bhī rakh denā.” Mulāzim ne aisā hī kiyā.
Gene UrduGeoR 44:3  Aglī subah jab pau phaṭne lagī to bhāiyoṅ ko un ke gadhoṅ samet ruḳhsat kar diyā gayā.
Gene UrduGeoR 44:4  Wuh abhī shahr se nikal kar dūr nahīṅ gae the ki Yūsuf ne apne ghar par muqarrar mulāzim se kahā, “Jaldī karo. Un ādmiyoṅ kā tāqqub karo. Un ke pās pahuṅch kar yih pūchhnā, ‘Āp ne hamārī bhalāī ke jawāb meṅ ġhalat kām kyoṅ kiyā hai?
Gene UrduGeoR 44:5  Āp ne mere mālik kā chāṅdī kā pyālā kyoṅ churāyā hai? Us se wuh na sirf pīte haiṅ balki use ġhaibdānī ke lie bhī istemāl karte haiṅ. Āp ek nihāyat sangīn jurm ke murtakib hue haiṅ.’”
Gene UrduGeoR 44:6  Jab mulāzim bhāiyoṅ ke pās pahuṅchā to us ne un se yihī bāteṅ kīṅ.
Gene UrduGeoR 44:7  Jawāb meṅ unhoṅ ne kahā, “Hamāre mālik aisī bāteṅ kyoṅ karte haiṅ? Kabhī nahīṅ ho saktā ki āp ke ḳhādim aisā kareṅ.
Gene UrduGeoR 44:8  Āp to jānte haiṅ ki ham Mulk-e-Kanān se wuh paise wāpas le āe jo hamārī boriyoṅ meṅ the. To phir ham kyoṅ āp ke mālik ke ghar se chāṅdī yā sonā churāeṅge?
Gene UrduGeoR 44:9  Agar wuh āp ke ḳhādimoṅ meṅ se kisī ke pās mil jāe to use mār ḍālā jāe aur bāqī sab āp ke ġhulām baneṅ.”
Gene UrduGeoR 44:10  Mulāzim ne kahā, “Ṭhīk hai aisā hī hogā. Lekin sirf wuhī merā ġhulām banegā jis ne pyālā churāyā hai. Bāqī sab āzād haiṅ.”
Gene UrduGeoR 44:11  Unhoṅ ne jaldī se apnī boriyāṅ utār kar zamīn par rakh dīṅ. Har ek ne apnī borī khol dī.
Gene UrduGeoR 44:12  Mulāzim boriyoṅ kī talāshī lene lagā. Wuh baṛe bhāī se shurū karke āḳhirkār sab se chhoṭe bhāī tak pahuṅch gayā. Aur wahāṅ Binyamīn kī borī meṅ se pyālā niklā.
Gene UrduGeoR 44:13  Bhāiyoṅ ne yih dekh kar pareshānī meṅ apne libās phāṛ lie. Wuh apne gadhoṅ ko dubārā lād kar shahr wāpas ā gae.
Gene UrduGeoR 44:14  Jab Yahūdāh aur us ke bhāī Yūsuf ke ghar pahuṅche to wuh abhī wahīṅ thā. Wuh us ke sāmne muṅh ke bal gir gae.
Gene UrduGeoR 44:15  Yūsuf ne kahā, “Yih tum ne kyā kiyā hai? Kyā tum nahīṅ jānte ki mujh jaisā ādmī ġhaib kā ilm rakhtā hai?”
Gene UrduGeoR 44:16  Yahūdāh ne kahā, “Janāb-e-ālī, ham kyā kaheṅ? Ab ham apne difā meṅ kyā kaheṅ? Allāh hī ne hameṅ qusūrwār ṭhahrāyā hai. Ab ham sab āp ke ġhulām haiṅ, na sirf wuh jis ke pās se pyālā mil gayā.”
Gene UrduGeoR 44:17  Yūsuf ne kahā, “Allāh na kare ki maiṅ aisā karūṅ, balki sirf wuhī merā ġhulām hogā jis ke pās pyālā thā. Bāqī sab salāmatī se apne bāp ke pās wāpas chale jāeṅ.”
Gene UrduGeoR 44:18  Lekin Yahūdāh ne Yūsuf ke qarīb ā kar kahā, “Mere mālik, mehrbānī karke apne bande ko ek bāt karne kī ijāzat deṅ. Mujh par ġhussā na kareṅ agarche āp Misr ke bādshāh jaise haiṅ.
Gene UrduGeoR 44:19  Janāb-e-ālī, āp ne ham se pūchhā, ‘Kyā tumhārā bāp yā koī aur bhāī hai?’
Gene UrduGeoR 44:20  Ham ne jawāb diyā, ‘Hamārā bāp hai. Wuh būṛhā hai. Hamārā ek chhoṭā bhāī bhī hai jo us waqt paidā huā jab hamārā bāp umrrasīdā thā. Us laṛke kā bhāī mar chukā hai. Us kī māṅ ke sirf yih do beṭe paidā hue. Ab wuh akelā hī rah gayā hai. Us kā bāp use shiddat se pyār kartā hai.’
Gene UrduGeoR 44:21  Janāb-e-ālī, āp ne hameṅ batāyā, ‘Use yahāṅ le āo tāki maiṅ ḳhud use dekh sakūṅ.’
Gene UrduGeoR 44:22  Ham ne jawāb diyā, ‘Yih laṛkā apne bāp ko chhoṛ nahīṅ saktā, warnā us kā bāp mar jāegā.’
Gene UrduGeoR 44:23  Phir āp ne kahā, ‘Tum sirf is sūrat meṅ mere pās ā sakoge ki tumhārā sab se chhoṭā bhāī tumhāre sāth ho.’
Gene UrduGeoR 44:24  Jab ham apne bāp ke pās wāpas pahuṅche to ham ne unheṅ sab kuchh batāyā jo āp ne kahā thā.
Gene UrduGeoR 44:25  Phir unhoṅ ne ham se kahā, ‘Misr lauṭ kar kuchh ġhallā ḳharīd lāo.’
Gene UrduGeoR 44:26  Ham ne jawāb diyā, ‘Ham jā nahīṅ sakte. Ham sirf is sūrat meṅ us mard ke pās jā sakte haiṅ ki hamārā sab se chhoṭā bhāī sāth ho. Ham tab hī jā sakte haiṅ jab wuh bhī hamāre sāth chale.’
Gene UrduGeoR 44:27  Hamāre bāp ne ham se kahā, ‘Tum jānte ho ki merī bīwī Rāḳhil se mere do beṭe paidā hue.
Gene UrduGeoR 44:28  Pahlā mujhe chhoṛ chukā hai. Kisī janglī jānwar ne use phāṛ khāyā hogā, kyoṅki usī waqt se maiṅ ne use nahīṅ dekhā.
Gene UrduGeoR 44:29  Agar is ko bhī mujh se le jāne kī wajah se jānī nuqsān pahuṅche to tum mujh būṛhe ko ġham ke māre Pātāl meṅ pahuṅchāoge.’”
Gene UrduGeoR 44:30  Yahūdāh ne apnī bāt jārī rakhī, “Janāb-e-ālī, ab agar maiṅ apne bāp ke pās jāūṅ aur wuh dekheṅ ki laṛkā mere sāth nahīṅ hai to wuh dam toṛ deṅge. Un kī zindagī is qadar laṛke kī zindagī par munhasir hai aur wuh itne būṛhe haiṅ ki ham aisī harkat se unheṅ qabr tak pahuṅchā deṅge.
Gene UrduGeoR 44:31  Yahūdāh ne apnī bāt jārī rakhī, “Janāb-e-ālī, ab agar maiṅ apne bāp ke pās jāūṅ aur wuh dekheṅ ki laṛkā mere sāth nahīṅ hai to wuh dam toṛ deṅge. Un kī zindagī is qadar laṛke kī zindagī par munhasir hai aur wuh itne būṛhe haiṅ ki ham aisī harkat se unheṅ qabr tak pahuṅchā deṅge.
Gene UrduGeoR 44:32  Na sirf yih balki maiṅ ne bāp se kahā, ‘Maiṅ ḳhud is kā zāmin hūṅgā. Agar maiṅ ise salāmatī se wāpas na pahuṅchāūṅ to phir maiṅ zindagī ke āḳhir tak qusūrwār ṭhahrūṅga.’
Gene UrduGeoR 44:33  Ab apne ḳhādim kī guzārish suneṅ. Maiṅ yahāṅ rah kar is laṛke kī jagah ġhulām ban jātā hūṅ, aur wuh dūsre bhāiyoṅ ke sāth wāpas chalā jāe
Gene UrduGeoR 44:34  agar laṛkā mere sāth na huā to maiṅ kis tarah apne bāp ko muṅh dikhā saktā hūṅ? Maiṅ bardāsht nahīṅ kar sakūṅgā ki wuh is musībat meṅ mubtalā ho jāeṅ.”
Chapter 45
Gene UrduGeoR 45:1  Yih sun kar Yūsuf apne āp par qābū na rakh sakā. Us ne ūṅchī āwāz se hukm diyā ki tamām mulāzim kamre se nikal jāeṅ. Koī aur shaḳhs kamre meṅ nahīṅ thā jab Yūsuf ne apne bhāiyoṅ ko batāyā ki wuh kaun hai.
Gene UrduGeoR 45:2  Wuh itne zor se ro paṛā ki Misriyoṅ ne us kī āwāz sunī aur Firaun ke gharāne ko patā chal gayā.
Gene UrduGeoR 45:3  Yūsuf ne apne bhāiyoṅ se kahā, “Maiṅ Yūsuf hūṅ. Kyā merā bāp ab tak zindā hai?” Lekin us ke bhāī yih sun kar itne ghabrā gae ki wuh jawāb na de sake.
Gene UrduGeoR 45:4  Phir Yūsuf ne kahā, “Mere qarīb āo.” Wuh qarīb āe to us ne kahā, “Maiṅ tumhārā bhāī Yūsuf hūṅ jise tum ne bech kar Misr bhijwāyā.
Gene UrduGeoR 45:5  Ab merī bāt suno. Na ghabrāo aur na apne āp ko ilzām do ki ham ne Yūsuf ko bech diyā. Asal meṅ Allāh ne ḳhud mujhe tumhāre āge yahāṅ bhej diyā tāki ham sab bache raheṅ.
Gene UrduGeoR 45:6  Yih kāl kā dūsrā sāl hai. Pāṅch aur sāl ke daurān na hal chalegā, na fasal kaṭegī.
Gene UrduGeoR 45:7  Allāh ne mujhe tumhāre āge bhejā tāki duniyā meṅ tumhārā ek bachā-khuchā hissā mahfūz rahe aur tumhārī jān ek baṛī maḳhlasī kī mārifat chhūṭ jāe
Gene UrduGeoR 45:8  chunāṅche tum ne mujhe yahāṅ nahīṅ bhejā balki Allāh ne. Us ne mujhe Firaun kā bāp, us ke pūre gharāne kā mālik aur Misr kā hākim banā diyā hai.
Gene UrduGeoR 45:9  Ab jaldī se mere bāp ke pās wāpas jā kar un se kaho, ‘Āp kā beṭā Yūsuf āp ko ittalā detā hai ki Allāh ne mujhe Misr kā mālik banā diyā hai. Mere pās ā jāeṅ, der na kareṅ.
Gene UrduGeoR 45:10  Āp Jushan ke ilāqe meṅ rah sakte haiṅ. Wahāṅ āp mere qarīb hoṅge, āp, āp kī āl-o-aulād, gāy-bail, bheṛ-bakriyāṅ aur jo kuchh bhī āp kā hai.
Gene UrduGeoR 45:11  Wahāṅ maiṅ āp kī zarūriyāt pūrī karūṅga, kyoṅki kāl ko abhī pāṅch sāl aur lageṅge. Warnā āp, āp ke ghar wāle aur jo bhī āp ke haiṅ bad-hāl ho jāeṅge.’
Gene UrduGeoR 45:12  Tum ḳhud aur merā bhāī Binyamīn dekh sakte ho ki maiṅ Yūsuf hī hūṅ jo tumhāre sāth bāt kar rahā hūṅ.
Gene UrduGeoR 45:13  Mere bāp ko Misr meṅ mere asar-o-rasūḳh ke bāre meṅ ittalā do. Unheṅ sab kuchh batāo jo tum ne dekhā hai. Phir jald hī mere bāp ko yahāṅ le āo.”
Gene UrduGeoR 45:14  Yih kah kar wuh apne bhāī Binyamīn ko gale lagā kar ro paṛā. Binyamīn bhī us ke gale lag kar rone lagā.
Gene UrduGeoR 45:15  Phir Yūsuf ne rote hue apne har ek bhāī ko bosā diyā. Is ke bād us ke bhāī us ke sāth bāteṅ karne lage.
Gene UrduGeoR 45:16  Jab yih ḳhabar bādshāh ke mahal tak pahuṅchī ki Yūsuf ke bhāī āe haiṅ to Firaun aur us ke tamām afsarān ḳhush hue.
Gene UrduGeoR 45:17  Us ne Yūsuf se kahā, “Apne bhāiyoṅ ko batā ki apne jānwaroṅ par ġhallā lād kar Mulk-e-Kanān wāpas chale jāo.
Gene UrduGeoR 45:18  Wahāṅ apne bāp aur ḳhāndānoṅ ko le kar mere pās ā jāo. Maiṅ tum ko Misr kī sab se achchhī zamīn de dūṅgā, aur tum is mulk kī behtarīn paidāwār khā sakoge.
Gene UrduGeoR 45:19  Unheṅ yih hidāyat bhī de ki apne bāl-bachchoṅ ke lie Misr se gāṛiyāṅ le jāo aur apne bāp ko bhī biṭhā kar yahāṅ le āo.
Gene UrduGeoR 45:20  Apne māl kī zyādā fikr na karo, kyoṅki tumheṅ Mulk-e-Misr kā behtarīn māl milegā.”
Gene UrduGeoR 45:21  Yūsuf ke bhāiyoṅ ne aisā hī kiyā. Yūsuf ne unheṅ bādshāh ke hukm ke mutābiq gāṛiyāṅ aur safr ke lie ḳhurāk dī.
Gene UrduGeoR 45:22  Us ne har ek bhāī ko kapṛoṅ kā ek joṛā bhī diyā. Lekin Binyamīn ko us ne chāṅdī ke 300 sikke aur pāṅch joṛe die.
Gene UrduGeoR 45:23  Us ne apne bāp ko das gadhe bhijwā die jo Misr ke behtarīn māl se lade hue the aur das gadhiyāṅ jo anāj, roṭī aur bāp ke safr ke lie khāne se ladī huī thīṅ.
Gene UrduGeoR 45:24  Yoṅ us ne apne bhāiyoṅ ko ruḳhsat karke kahā, “Rāste meṅ jhagaṛā na karnā.”
Gene UrduGeoR 45:25  Wuh Misr se rawānā ho kar Mulk-e-Kanān meṅ apne bāp ke pās pahuṅche.
Gene UrduGeoR 45:26  Unhoṅ ne us se kahā, “Yūsuf zindā hai! Wuh pūre Misr kā hākim hai.” Lekin Yāqūb hakkā-bakkā rah gayā, kyoṅki use yaqīn na āyā.
Gene UrduGeoR 45:27  Tāham unhoṅ ne use sab kuchh batāyā jo Yūsuf ne un se kahā thā, aur us ne ḳhud wuh gāṛiyāṅ dekhīṅ jo Yūsuf ne use Misr le jāne ke lie bhijwā dī thīṅ. Phir Yāqūb kī jān meṅ jān ā gaī,
Gene UrduGeoR 45:28  aur us ne kahā, “Merā beṭā Yūsuf zindā hai! Yihī kāfī hai. Marne se pahle maiṅ jā kar us se milūṅgā.”
Chapter 46
Gene UrduGeoR 46:1  Yāqūb sab kuchh le kar rawānā huā aur Bair-sabā pahuṅchā. Wahāṅ us ne apne bāp Is'hāq ke Ḳhudā ke huzūr qurbāniyāṅ chaṛhāīṅ.
Gene UrduGeoR 46:2  Rāt ko Allāh royā meṅ us se hamkalām huā. Us ne kahā, “Yāqūb, Yāqūb!” Yāqūb ne jawāb diyā, “Jī, maiṅ hāzir hūṅ.”
Gene UrduGeoR 46:3  Allāh ne kahā, “Maiṅ Allāh hūṅ, tere bāp Is'hāq kā Ḳhudā. Misr jāne se mat ḍar, kyoṅki wahāṅ maiṅ tujh se ek baṛī qaum banāūṅgā.
Gene UrduGeoR 46:4  Maiṅ tere sāth Misr jāūṅgā aur tujhe is mulk meṅ wāpas bhī le āūṅgā. Jab tū maregā to Yūsuf ḳhud terī āṅkheṅ band karegā.”
Gene UrduGeoR 46:5  Is ke bād Yāqūb Bair-sabā se rawānā huā. Us ke beṭoṅ ne use aur apne bāl-bachchoṅ ko un gāṛiyoṅ meṅ biṭhā diyā jo Misr ke bādshāh ne bhijwāī thīṅ.
Gene UrduGeoR 46:6  Yoṅ Yāqūb aur us kī tamām aulād apne maweshī aur Kanān meṅ hāsil kiyā huā māl le kar Misr chale gae.
Gene UrduGeoR 46:7  Yāqūb ke beṭe-beṭiyāṅ, pote-potiyāṅ aur bāqī aulād sab sāth gae.
Gene UrduGeoR 46:8  Isrāīl kī aulād ke nām jo Misr chalī gaī yih haiṅ: Yāqūb ke pahlauṭhe Rūbin
Gene UrduGeoR 46:10  Shamāūn ke beṭe āshruel, Yamīn, Uhad, Yakīn, Suhar aur Sāūl the. (Sāūl Kanānī aurat kā bachchā thā.)
Gene UrduGeoR 46:11  Lāwī ke beṭe Jairson, Qihāt aur Mirārī the.
Gene UrduGeoR 46:12  Yahūdāh ke beṭe Er, Onān, Selā, Fāras aur Zārah the. (Er aur Onān Kanān meṅ mar chuke the.) Fāras ke do beṭe Hasron aur Hamūl the.
Gene UrduGeoR 46:13  Ishkār ke beṭe Tolā, Fuwwā, Yob aur Simron the.
Gene UrduGeoR 46:14  Zabūlūn ke beṭe sard, Ailon aur Yahliyel the.
Gene UrduGeoR 46:15  In beṭoṅ kī māṅ Liyāh thī, aur wuh Masoputāmiyā meṅ paidā hue. In ke alāwā Dīnā us kī beṭī thī. Kul 33 mard Liyāh kī aulād the.
Gene UrduGeoR 46:16  Jad ke beṭe Sifyān, Hajjī, Sūnī, Isbūn, Erī, Arūdī aur Arelī the.
Gene UrduGeoR 46:17  Āshar ke beṭe Yimnā, Iswāh, Iswī aur Bariyā the. Āshar kī beṭī Sirah thī, aur Bariyā ke do beṭe the, Hibar aur Malkiyel.
Gene UrduGeoR 46:18  Kul 16 afrād Zilfā kī aulād the jise Lāban ne apnī beṭī Liyāh ko diyā thā.
Gene UrduGeoR 46:20  Yūsuf ke do beṭe Manassī aur Ifrāīm Misr meṅ paidā hue. Un kī māṅ On ke pujārī Fotīfirā kī beṭī Āsanat thī.
Gene UrduGeoR 46:21  Binyamīn ke beṭe Bālā, Bakar, Ashbel, Jīrā, Nāmān, Iḳhī, Ros, Muffīm, Huffīm aur Ard the.
Gene UrduGeoR 46:24  Naftālī ke beṭe Yahsiyel, Jūnī, Yisar aur Sillīm the.
Gene UrduGeoR 46:25  Kul 7 mard Bilhāh kī aulād the jise Lāban ne apnī beṭī Rāḳhil ko diyā thā.
Gene UrduGeoR 46:26  Yāqūb kī aulād ke 66 afrād us ke sāth Misr chale gae. Is tādād meṅ beṭoṅ kī bīwiyāṅ shāmil nahīṅ thīṅ.
Gene UrduGeoR 46:27  Jab ham Yāqūb, Yūsuf aur us ke do beṭe in meṅ shāmil karte haiṅ to Yāqūb ke gharāne ke 70 afrād Misr gae.
Gene UrduGeoR 46:28  Yāqūb ne Yahūdāh ko apne āge Yūsuf ke pās bhejā tāki wuh Jushan meṅ un se mile. Jab wuh wahāṅ pahuṅche
Gene UrduGeoR 46:29  to Yūsuf apne rath par sawār ho kar apne bāp se milne ke lie Jushan gayā. Use dekh kar wuh us ke gale lag kar kāfī der rotā rahā.
Gene UrduGeoR 46:30  Yāqūb ne Yūsuf se kahā, “Ab maiṅ marne ke lie taiyār hūṅ, kyoṅki maiṅ ne ḳhud dekhā hai ki tū zindā hai.”
Gene UrduGeoR 46:31  Phir Yūsuf ne apne bhāiyoṅ aur apne bāp ke ḳhāndān ke bāqī afrād se kahā, “Zarūrī hai ki maiṅ jā kar bādshāh ko ittalā dūṅ ki mere bhāī aur mere bāp kā pūrā ḳhāndān jo Kanān ke rahne wāle haiṅ mere pās ā gae haiṅ.
Gene UrduGeoR 46:32  Maiṅ us se kahūṅgā, ‘Yih ādmī bheṛ-bakriyoṅ ke charwāhe haiṅ. Wuh maweshī pālte haiṅ, is lie apnī bheṛ-bakriyāṅ, gāy-bail aur bāqī sārā māl apne sāth le āe haiṅ.’
Gene UrduGeoR 46:33  Bādshāh tumheṅ bulā kar pūchhegā ki tum kyā kām karte ho?
Gene UrduGeoR 46:34  Phir tum ko jawāb denā hai, ‘Āp ke ḳhādim bachpan se maweshī pālte āe haiṅ. Yih hamāre bāpdādā kā peshā thā aur hamārā bhī hai.’ Agar tum yih kaho to tumheṅ Jushan meṅ rahne kī ijāzat milegī. Kyoṅki bheṛ-bakriyoṅ ke charwāhe Misriyoṅ kī nazar meṅ qābil-e-nafrat haiṅ.”
Chapter 47
Gene UrduGeoR 47:1  Yūsuf Firaun ke pās gayā aur use ittalā de kar kahā, “Merā bāp aur bhāī apnī bheṛ-bakriyoṅ, gāy-bailoṅ aur sāre māl samet Mulk-e-Kanān se ā kar Jushan meṅ ṭhahre hue haiṅ.”
Gene UrduGeoR 47:2  Us ne apne bhāiyoṅ meṅ se pāṅch ko chun kar Firaun ke sāmne pesh kiyā.
Gene UrduGeoR 47:3  Firaun ne bhāiyoṅ se pūchhā, “Tum kyā kām karte ho?” Unhoṅ ne jawāb diyā, “Āp ke ḳhādim bheṛ-bakriyoṅ ke charwāhe haiṅ. Yih hamāre bāpdādā kā peshā thā aur hamārā bhī hai.
Gene UrduGeoR 47:4  Ham yahāṅ āe haiṅ tāki kuchh der ajnabī kī haisiyat se āp ke pās ṭhahreṅ, kyoṅki kāl ne Kanān meṅ bahut zor pakaṛā hai. Wahāṅ āp ke ḳhādimoṅ ke jānwaroṅ ke lie charāgāheṅ ḳhatm ho gaī haiṅ. Is lie hameṅ Jushan meṅ rahne kī ijāzat deṅ.”
Gene UrduGeoR 47:5  Bādshāh ne Yūsuf se kahā, “Terā bāp aur bhāī tere pās ā gae haiṅ.
Gene UrduGeoR 47:6  Mulk-e-Misr tere sāmne khulā hai. Unheṅ behtarīn jagah par ābād kar. Wuh Jushan meṅ raheṅ. Aur agar un meṅ se kuchh haiṅ jo ḳhās qābiliyat rakhte haiṅ to unheṅ mere maweshiyoṅ kī nigahdāsht par rakh.”
Gene UrduGeoR 47:7  Phir Yūsuf apne bāp Yāqūb ko le āyā aur Firaun ke sāmne pesh kiyā. Yāqūb ne bādshāh ko barkat dī.
Gene UrduGeoR 47:8  Bādshāh ne us se pūchhā, “Tumhārī umr kyā hai?”
Gene UrduGeoR 47:9  Yāqūb ne jawāb diyā, “Maiṅ 130 sāl se is duniyā kā mehmān hūṅ. Merī zindagī muḳhtasar aur taklīfdeh thī, aur mere bāpdādā mujh se zyādā umrrasīdā hue the jab wuh is duniyā ke mehmān the.”
Gene UrduGeoR 47:10  Yih kah kar Yāqūb Firaun ko dubārā barkat de kar chalā gayā.
Gene UrduGeoR 47:11  Phir Yūsuf ne apne bāp aur bhāiyoṅ ko Misr meṅ ābād kiyā. Us ne unheṅ Rāmsīs ke ilāqe meṅ behtarīn zamīn dī jis tarah bādshāh ne hukm diyā thā.
Gene UrduGeoR 47:12  Yūsuf apne bāp ke pūre gharāne ko ḳhurāk muhaiyā kartā rahā. Har ḳhāndān ko us ke bachchoṅ kī tādād ke mutābiq ḳhurāk miltī rahī.
Gene UrduGeoR 47:13  Kāl itnā saḳht thā ki kahīṅ bhī roṭī nahīṅ miltī thī. Misr aur Kanān meṅ log niḍhāl ho gae.
Gene UrduGeoR 47:14  Misr aur Kanān ke tamām paise anāj ḳharīdne ke lie sarf ho gae. Yūsuf unheṅ jamā karke Firaun ke mahal meṅ le āyā.
Gene UrduGeoR 47:15  Jab Misr aur Kanān ke paise ḳhatm ho gae to Misriyoṅ ne Yūsuf ke pās ā kar kahā, “Hameṅ roṭī deṅ! Ham āp ke sāmne kyoṅ mareṅ? Hamāre paise ḳhatm ho gae haiṅ.”
Gene UrduGeoR 47:16  Yūsuf ne jawāb diyā, “Agar āp ke paise ḳhatm haiṅ to mujhe apne maweshī deṅ. Maiṅ un ke ewaz roṭī detā hūṅ.”
Gene UrduGeoR 47:17  Chunāṅche wuh apne ghoṛe, bheṛ-bakriyāṅ, gāy-bail aur gadhe Yūsuf ke pās le āe. In ke ewaz us ne unheṅ ḳhurāk dī. Us sāl us ne unheṅ un ke tamām maweshiyoṅ ke ewaz ḳhurāk muhaiyā kī.
Gene UrduGeoR 47:18  Agle sāl wuh dubārā us ke pās āe. Unhoṅ ne kahā, “Janāb-e-ālī, ham yih bāt āp se nahīṅ chhupā sakte ki ab ham sirf apne āp aur apnī zamīn ko āp ko de sakte haiṅ. Hamāre paise to ḳhatm haiṅ aur āp hamāre maweshī bhī le chuke haiṅ.
Gene UrduGeoR 47:19  Ham kyoṅ āp kī āṅkhoṅ ke sāmne mar jāeṅ? Hamārī zamīn kyoṅ tabāh ho jāe? Hameṅ roṭī deṅ to ham aur hamārī zamīn bādshāh kī hogī. Ham Firaun ke ġhulām hoṅge. Hameṅ bīj deṅ tāki ham jīte bacheṅ aur zamīn tabāh na ho jāe.”
Gene UrduGeoR 47:20  Chunāṅche Yūsuf ne Firaun ke lie Misr kī pūrī zamīn ḳharīd lī. Kāl kī saḳhtī ke sabab se tamām Misriyoṅ ne apne khet bech die. Is tarīqe se pūrā mulk Firaun kī milkiyat meṅ ā gayā.
Gene UrduGeoR 47:21  Yūsuf ne Misr ke ek sire se dūsre sire tak ke logoṅ ko shahroṅ meṅ muntaqil kar diyā.
Gene UrduGeoR 47:22  Sirf pujāriyoṅ kī zamīn āzād rahī. Unheṅ apnī zamīn bechne kī zarūrat hī nahīṅ thī, kyoṅki unheṅ Firaun se itnā wazīfā miltā thā ki guzārā ho jātā thā.
Gene UrduGeoR 47:23  Yūsuf ne logoṅ se kahā, “Ġhaur se suneṅ. Āj maiṅ ne āp ko aur āp kī zamīn ko bādshāh ke lie ḳharīd liyā hai. Ab yih bīj le kar apne khetoṅ meṅ bonā.
Gene UrduGeoR 47:24  Āp ko Firaun ko fasal kā pāṅchwāṅ hissā denā hai. Bāqī paidāwār āp kī hogī. Āp is se bīj bo sakte haiṅ, aur yih āp ke aur āp ke gharānoṅ aur bachchoṅ ke khāne ke lie hogā.”
Gene UrduGeoR 47:25  Unhoṅ ne jawāb diyā, “Āp ne hameṅ bachāyā hai. Hamāre mālik ham par mehrbānī kareṅ to ham Firaun ke ġhulām baneṅge.”
Gene UrduGeoR 47:26  Is tarah Yūsuf ne Misr meṅ yih qānūn nāfiz kiyā ki har fasal kā pāṅchwāṅ hissā bādshāh kā hai. Yih qānūn āj tak jārī hai. Sirf pujāriyoṅ kī zamīn bādshāh kī milkiyat meṅ na āī.
Gene UrduGeoR 47:27  Isrāīlī Misr meṅ Jushan ke ilāqe meṅ ābād hue. Wahāṅ unheṅ zamīn milī, aur wuh phale-phūle aur tādād meṅ bahut baṛh gae.
Gene UrduGeoR 47:28  Yāqūb 17 sāl Misr meṅ rahā. Wuh 147 sāl kā thā jab faut huā.
Gene UrduGeoR 47:29  Jab marne kā waqt qarīb āyā to us ne Yūsuf ko bulā kar kahā, “Mehrbānī karke apnā hāth merī rān ke nīche rakh kar qasam khā ki tū mujh par shafqat aur wafādārī kā is tarah izhār karegā ki mujhe Misr meṅ dafn nahīṅ karegā.
Gene UrduGeoR 47:30  Jab maiṅ mar kar apne bāpdādā se jā milūṅgā to mujhe Misr se le jā kar mere bāpdādā kī qabr meṅ dafnānā.” Yūsuf ne jawāb diyā, “Ṭhīk hai.”
Gene UrduGeoR 47:31  Yāqūb ne kahā, “Qasam khā ki tū aisā hī karegā.” Yūsuf ne qasam khāī. Tab Isrāīl ne apne bistar ke sirhāne par Allāh ko sijdā kiyā.
Chapter 48
Gene UrduGeoR 48:1  Kuchh der ke bād Yūsuf ko ittalā dī gaī ki āp kā bāp bīmār hai. Wuh apne do beṭoṅ Manassī aur Ifrāīm ko sāth le kar Yāqūb se milne gayā.
Gene UrduGeoR 48:2  Yāqūb ko batāyā gayā, “Āp kā beṭā ā gayā hai” to wuh apne āp ko saṅbhāl kar apne bistar par baiṭh gayā.
Gene UrduGeoR 48:3  Us ne Yūsuf se kahā, “Jab maiṅ Kanānī shahr Lūz meṅ thā to Allāh Qādir-e-mutlaq mujh par zāhir huā. Us ne mujhe barkat de kar
Gene UrduGeoR 48:4  kahā, ‘Maiṅ tujhe phalne-phūlne dūṅgā aur terī aulād baṛhā dūṅgā balki tujh se bahut-sī qaumeṅ nikalne dūṅgā. Aur maiṅ terī aulād ko yih mulk hameshā ke lie de dūṅgā.’
Gene UrduGeoR 48:5  Ab merī bāt sun. Maiṅ chāhtā hūṅ ki tere beṭe jo mere āne se pahle Misr meṅ paidā hue mere beṭe hoṅ. Ifrāīm aur Manassī Rūbin aur Shamāūn ke barābar hī mere beṭe hoṅ.
Gene UrduGeoR 48:6  Agar in ke bād tere hāṅ aur beṭe paidā ho jāeṅ to wuh mere beṭe nahīṅ balki tere ṭhahreṅge. Jo mīrās wuh pāeṅge wuh unheṅ Ifrāīm aur Manassī kī mīrās meṅ se milegī.
Gene UrduGeoR 48:7  Maiṅ yih terī māṅ Rāḳhil ke sabab se kar rahā hūṅ jo Masoputāmiyā se wāpasī ke waqt Kanān meṅ Ifrātā ke qarīb mar gaī. Maiṅ ne use wahīṅ rāste meṅ dafn kiyā.” (Āj Ifrātā ko Bait-laham kahā jātā hai.)
Gene UrduGeoR 48:8  Phir Yāqūb ne Yūsuf ke beṭoṅ par nazar ḍāl kar pūchhā, “Yih kaun haiṅ?”
Gene UrduGeoR 48:9  Yūsuf ne jawāb diyā, “Yih mere beṭe haiṅ jo Allāh ne mujhe yahāṅ Misr meṅ die.” Yāqūb ne kahā, “Unheṅ mere qarīb le ā tāki maiṅ unheṅ barkat dūṅ.”
Gene UrduGeoR 48:10  Būṛhā hone ke sabab se Yāqūb kī āṅkheṅ kamzor thīṅ. Wuh achchhī tarah dekh nahīṅ saktā thā. Yūsuf apne beṭoṅ ko Yāqūb ke pās le āyā to us ne unheṅ bosā de kar gale lagāyā
Gene UrduGeoR 48:11  aur Yūsuf se kahā, “Mujhe tawaqqo hī nahīṅ thī ki maiṅ kabhī terā chehrā dekhūṅgā, aur ab Allāh ne mujhe tere beṭoṅ ko deḳhne kā mauqā bhī diyā hai.”
Gene UrduGeoR 48:12  Phir Yūsuf unheṅ Yāqūb kī god meṅ se le kar ḳhud us ke sāmne muṅh ke bal jhuk gayā.
Gene UrduGeoR 48:13  Yūsuf ne Ifrāīm ko Yāqūb ke bāeṅ hāth rakhā aur Manassī ko us ke dāeṅ hāth.
Gene UrduGeoR 48:14  Lekin Yāqūb ne apnā dahnā hāth bāīṅ taraf baṛhā kar Ifrāīm ke sar par rakhā agarche wuh chhoṭā thā. Is tarah us ne apnā bāyāṅ hāth dāīṅ taraf baṛhā kar Manassī ke sar par rakhā jo baṛā thā.
Gene UrduGeoR 48:15  Phir us ne Yūsuf ko us ke beṭoṅ kī mārifat barkat dī, “Allāh jis ke huzūr mere bāpdādā Ibrāhīm aur Is'hāq chalte rahe aur jo shurū se āj tak merā charwāhā rahā hai inheṅ barkat de.
Gene UrduGeoR 48:16  Jis farishte ne ewazānā de kar mujhe har nuqsān se bachāyā hai wuh inheṅ barkat de. Allāh kare ki in meṅ merā nām aur mere bāpdādā Ibrāhīm aur Is'hāq ke nām jīte raheṅ. Duniyā meṅ in kī aulād kī tādād bahut baṛh jāe.”
Gene UrduGeoR 48:17  Jab Yūsuf ne dekhā ki bāp ne apnā dahnā hāth chhoṭe beṭe Ifrāīm ke sar par rakhā hai to yih use burā lagā, is lie us ne bāp kā hāth pakaṛā tāki use Ifrāīm ke sar par se uṭhā kar Manassī ke sar par rakhe.
Gene UrduGeoR 48:18  Us ne kahā, “Abbū, aise nahīṅ. Dūsrā laṛkā baṛā hai. Usī par apnā dahnā hāth rakheṅ.”
Gene UrduGeoR 48:19  Lekin bāp ne inkār karke kahā, “Mujhe patā hai beṭā, mujhe patā hai. Wuh bhī ek baṛī qaum banegā. Phir bhī us kā chhoṭā bhāī us se baṛā hogā aur us se qaumoṅ kī baṛī tādād niklegī.”
Gene UrduGeoR 48:20  Us din us ne donoṅ beṭoṅ ko barkat de kar kahā, “Isrāīlī tumhārā nām le kar barkat diyā kareṅge. Jab wuh barkat deṅge to kaheṅge, ‘Allāh āp ke sāth waisā kare jaisā us ne Ifrāīm aur Manassī ke sāth kiyā hai.’” Is tarah Yāqūb ne Ifrāīm ko Manassī se baṛā banā diyā.
Gene UrduGeoR 48:21  Yūsuf se us ne kahā, “Maiṅ to marne wālā hūṅ, lekin Allāh tumhāre sāth hogā aur tumheṅ tumhāre bāpdādā ke mulk meṅ wāpas le jāegā.
Gene UrduGeoR 48:22  Ek bāt meṅ maiṅ tujhe tere bhāiyoṅ par tarjīh detā hūṅ, maiṅ tujhe Kanān meṅ wuh qit'ā detā hūṅ jo maiṅ ne apnī talwār aur kamān se Amoriyoṅ se chhīnā thā.”
Chapter 49
Gene UrduGeoR 49:1  Yāqūb ne apne beṭoṅ ko bulā kar kahā, “Mere pās jamā ho jāo tāki maiṅ tumheṅ batāūṅ ki mustaqbil meṅ tumhāre sāth kyā kyā hogā.
Gene UrduGeoR 49:2  Ai Yāqūb ke beṭo, ikaṭṭhe ho kar suno, apne bāp Isrāīl kī bātoṅ par ġhaur karo.
Gene UrduGeoR 49:3  Rūbin, tum mere pahlauṭhe ho, mere zor aur merī tāqat kā pahlā phal. Tum izzat aur quwwat ke lihāz se bartar ho.
Gene UrduGeoR 49:4  Lekin chūṅki tum beqābū sailāb kī mānind ho is lie tumhārī awwal haisiyat jātī rahe. Kyoṅki tum ne merī haram se hambistar ho kar apne bāp kī behurmatī kī hai.
Gene UrduGeoR 49:5  Shamāūn aur Lāwī donoṅ bhāiyoṅ kī talwāreṅ zulm-o-tashaddud ke hathiyār rahe haiṅ.
Gene UrduGeoR 49:6  Merī jān na un kī majlis meṅ shāmil aur na un kī jamāt meṅ dāḳhil ho, kyoṅki unhoṅ ne ġhusse meṅ ā kar dūsroṅ ko qatl kiyā hai, unhoṅ ne apnī marzī se bailoṅ kī koṅcheṅ kāṭī haiṅ.
Gene UrduGeoR 49:7  Un ke ġhusse par lānat ho jo itnā zabardast hai aur un ke taish par jo itnā saḳht hai. Maiṅ unheṅ Yāqūb ke mulk meṅ titar-bitar karūṅga, unheṅ Isrāīl meṅ muntashir kar dūṅgā.
Gene UrduGeoR 49:8  Yahūdāh, tumhāre bhāī tumhārī tārīf kareṅge. Tum apne dushmanoṅ kī gardan pakaṛe rahoge, aur tumhāre bāp ke beṭe tumhāre sāmne jhuk jāeṅge.
Gene UrduGeoR 49:9  Yahūdāh sherbabar kā bachchā hai. Mere beṭe, tum abhī abhī shikār mār kar wāpas āe ho. Yahūdāh sherbabar balki shernī kī tarah dabak kar baiṭh jātā hai. Kaun use chheṛne kī jurrat karegā?
Gene UrduGeoR 49:10  Shāhī asā Yahūdāh se dūr nahīṅ hogā balki shāhī iḳhtiyār us waqt tak us kī aulād ke pās rahegā jab tak wuh hākim na āe jis ke tābe qaumeṅ raheṅgī.
Gene UrduGeoR 49:11  Wuh apnā jawān gadhā angūr kī bel se aur apnī gadhī kā bachchā behtarīn angūr kī bel se bāndhegā. Wuh apnā libās mai meṅ aur apnā kapṛā angūr ke ḳhūn meṅ dhoegā.
Gene UrduGeoR 49:12  Us kī āṅkheṅ mai se zyādā gadlī aur us ke dāṅt dūdh se zyādā safed hoṅge.
Gene UrduGeoR 49:13  Zabūlūn sāhil par ābād hogā jahāṅ bahrī jahāz hoṅge. Us kī had Saidā tak hogī.
Gene UrduGeoR 49:14  Ishkār tāqatwar gadhā hai jo apne zīn ke do boroṅ ke darmiyān baiṭhā hai.
Gene UrduGeoR 49:15  Jab wuh dekhegā ki us kī ārāmgāh achchhī aur us kā mulk ḳhushnumā hai to wuh bojh uṭhāne ke lie taiyār ho jāegā aur ujrat ke baġhair kām karne ke lie majbūr kiyā jāegā.
Gene UrduGeoR 49:16  Dān apnī qaum kā insāf karegā agarche wuh Isrāīl ke qabīloṅ meṅ se ek hī hai.
Gene UrduGeoR 49:17  Dān saṛak ke sāṅp aur rāste ke afaī kī mānind hogā. Wuh ghoṛe kī eṛiyoṅ ko kāṭegā to us kā sawār pīchhe gir jāegā.
Gene UrduGeoR 49:18  Ai Rab, maiṅ terī hī najāt ke intazār meṅ hūṅ!
Gene UrduGeoR 49:19  Jad par ḍākuoṅ kā jatthā hamlā karegā, lekin wuh palaṭ kar usī par hamlā kar degā.
Gene UrduGeoR 49:20  Āshar ko ġhizāiyat wālī ḳhurāk hāsil hogī. Wuh lazīz shāhī khānā muhaiyā karegā.
Gene UrduGeoR 49:21  Naftālī āzād chhoṛī huī hirnī hai. Wuh ḳhūbsūrat bāteṅ kartā hai.
Gene UrduGeoR 49:22  Yūsuf phaldār bel hai. Wuh chashme par lagī huī phaldār bel hai jis kī shāḳheṅ dīwār par chaṛh gaī haiṅ.
Gene UrduGeoR 49:23  Tīrandāzoṅ ne us par tīr chalā kar use tang kiyā aur us ke pīchhe paṛ gae.
Gene UrduGeoR 49:24  Lekin us kī kamān mazbūt rahī, aur us ke bāzū Yāqūb ke zorāwar Ḳhudā ke sabab se tāqatwar rahe, us charwāhe ke sabab se jo Isrāīl kā Zabardast Sūrmā hai.
Gene UrduGeoR 49:25  Kyoṅki tere bāp kā Ḳhudā terī madad kartā hai, Allāh Qādir-e-mutlaq tujhe āsmān kī barkat, zamīn kī gahrāiyoṅ kī barkat aur aulād kī barkat detā hai.
Gene UrduGeoR 49:26  Tere bāp kī barkat qadīm pahāṛoṅ aur abadī pahāṛiyoṅ kī marġhūb chīzoṅ se zyādā azīm hai. Yih tamām barkat Yūsuf ke sar par ho, us shaḳhs ke chāṅd par jo apne bhāiyoṅ par shahzādā hai.
Gene UrduGeoR 49:27  Binyamīn phāṛne wālā bheṛiyā hai. Subah wuh apnā shikār khā jātā aur rāt ko apnā lūṭā huā māl taqsīm kar detā hai.”
Gene UrduGeoR 49:28  Yih Isrāīl ke kul bārah qabīle haiṅ. Aur yih wuh kuchh hai jo un ke bāp ne un se barkat dete waqt kahā. Us ne har ek ko us kī apnī barkat dī.
Gene UrduGeoR 49:29  Phir Yāqūb ne apne beṭoṅ ko hukm diyā, “Ab maiṅ kūch karke apne bāpdādā se jā milūṅgā. Mujhe mere bāpdādā ke sāth us ġhār meṅ dafnānā jo Hittī ādmī Ifron ke khet meṅ hai.
Gene UrduGeoR 49:30  Yānī us ġhār meṅ jo Mulk-e-Kanān meṅ Mamre ke mashriq meṅ Makfīlā ke khet meṅ hai. Ibrāhīm ne use khet samet apne logoṅ ko dafnāne ke lie Ifron Hittī se ḳharīd liyā thā.
Gene UrduGeoR 49:31  Wahāṅ Ibrāhīm aur us kī bīwī Sārā dafnāe gae. Wahāṅ Is'hāq aur us kī bīwī Ribqā dafnāe gae aur wahāṅ maiṅ ne Liyāh ko dafn kiyā.
Gene UrduGeoR 49:32  Wuh khet aur us kā ġhār Hittiyoṅ se ḳharīdā gayā thā.”
Gene UrduGeoR 49:33  In hidāyāt ke bād Yāqūb ne apne pāṅw bistar par sameṭ lie aur dam chhoṛ kar apne bāpdādā se jā milā.
Chapter 50
Gene UrduGeoR 50:1  Yūsuf apne bāp ke chehre se lipaṭ gayā. Us ne rote hue use bosā diyā.
Gene UrduGeoR 50:2  Us ke mulāzimoṅ meṅ se kuchh ḍākṭar the. Us ne unheṅ hidāyat dī ki mere bāp Isrāīl kī lāsh ko hanūt kareṅ tāki wuh gal na jāe. Unhoṅ ne aisā hī kiyā.
Gene UrduGeoR 50:3  Is meṅ 40 din lag gae. Ām taur par hanūt karne ke lie itne hī din lagte haiṅ. Misriyoṅ ne 70 din tak Yāqūb kā mātam kiyā.
Gene UrduGeoR 50:4  Jab mātam kā waqt ḳhatm huā to Yūsuf ne bādshāh ke darbāriyoṅ se kahā, “Mehrbānī karke yih ḳhabar bādshāh tak pahuṅchā deṅ
Gene UrduGeoR 50:5  ki mere bāp ne mujhe qasam dilā kar kahā thā, ‘Maiṅ marne wālā hūṅ. Mujhe us qabr meṅ dafn karnā jo maiṅ ne Mulk-e-Kanān meṅ apne lie banwāī.’ Ab mujhe ijāzat deṅ ki maiṅ wahāṅ jāūṅ aur apne bāp ko dafn karke wāpas āūṅ.”
Gene UrduGeoR 50:6  Firaun ne jawāb diyā, “Jā, apne bāp ko dafn kar jis tarah us ne tujhe qasam dilāī thī.”
Gene UrduGeoR 50:7  Chunāṅche Yūsuf apne bāp ko dafnāne ke lie Kanān rawānā huā. Bādshāh ke tamām mulāzim, mahal ke buzurg aur pūre Misr ke buzurg us ke sāth the.
Gene UrduGeoR 50:8  Yūsuf ke gharāne ke afrād, us ke bhāī aur us ke bāp ke gharāne ke log bhī sāth gae. Sirf un ke bachche, un kī bheṛ-bakriyāṅ aur gāy-bail Jushan meṅ rahe.
Gene UrduGeoR 50:9  Rath aur ghuṛsawār bhī sāth gae. Sab mil kar baṛā lashkar ban gae.
Gene UrduGeoR 50:10  Jab wuh Yardan ke qarīb Atad ke khaliyān par pahuṅche to unhoṅ ne nihāyat dilsoz nohā kiyā. Wahāṅ Yūsuf ne sāt din tak apne bāp kā mātam kiyā.
Gene UrduGeoR 50:11  Jab maqāmī Kanāniyoṅ ne Atad ke khaliyān par mātam kā yih nazārā dekhā to unhoṅ ne kahā, “Yih to mātam kā bahut baṛā intazām hai jo Misrī karwā rahe haiṅ.” Is lie us jagah kā nām Abīl-misrīm yānī ‘Misriyoṅ kā Mātam’ paṛ gayā.
Gene UrduGeoR 50:12  Yoṅ Yāqūb ke beṭoṅ ne apne bāp kā hukm pūrā kiyā.
Gene UrduGeoR 50:13  Unhoṅ ne use Mulk-e-Kanān meṅ le jā kar Makfīlā ke khet ke ġhār meṅ dafn kiyā jo Mamre ke mashriq meṅ hai. Yih wuhī khet hai jo Ibrāhīm ne Ifron Hittī se apne logoṅ ko dafnāne ke lie ḳharīdā thā.
Gene UrduGeoR 50:14  Is ke bād Yūsuf, us ke bhāī aur bāqī tamām log jo janāze ke lie sāth gae the Misr ko lauṭ āe.
Gene UrduGeoR 50:15  Jab Yāqūb intaqāl kar gayā to Yūsuf ke bhāī ḍar gae. Unhoṅ ne kahā, “Ḳhatrā hai ki ab Yūsuf hamārā tāqqub karke us ġhalat kām kā badlā le jo ham ne us ke sāth kiyā thā. Phir kyā hogā?”
Gene UrduGeoR 50:16  Yih soch kar unhoṅ ne Yūsuf ko ḳhabar bhejī, “Āp ke bāp ne marne se peshtar hidāyat dī
Gene UrduGeoR 50:17  ki Yūsuf ko batānā, ‘Apne bhāiyoṅ ke us ġhalat kām ko muāf kar denā jo unhoṅ ne tumhāre sāth kiyā.’ Ab hameṅ jo āp ke bāp ke Ḳhudā ke pairokār haiṅ muāf kar deṅ.” Yih ḳhabar sun kar Yūsuf ro paṛā.
Gene UrduGeoR 50:18  Phir us ke bhāī ḳhud āe aur us ke sāmne gir gae. Unhoṅ ne kahā, “Ham āp ke ḳhādim haiṅ.”
Gene UrduGeoR 50:19  Lekin Yūsuf ne kahā, “Mat ḍaro. Kyā maiṅ Allāh kī jagah hūṅ? Hargiz nahīṅ!
Gene UrduGeoR 50:20  Tum ne mujhe nuqsān pahuṅchāne kā irādā kiyā thā, lekin Allāh ne us se bhalāī paidā kī. Aur ab is kā maqsad pūrā ho rahā hai. Bahut-se log maut se bach rahe haiṅ.
Gene UrduGeoR 50:21  Chunāṅche ab ḍarne kī zarūrat nahīṅ hai. Maiṅ tumheṅ aur tumhāre bachchoṅ ko ḳhurāk muhaiyā kartā rahūṅgā.” Yoṅ Yūsuf ne unheṅ tasallī dī aur un se narmī se bāt kī.
Gene UrduGeoR 50:22  Yūsuf apne bāp ke ḳhāndān samet Misr meṅ rahā. Wuh 110 sāl zindā rahā.
Gene UrduGeoR 50:23  Maut se pahle us ne na sirf Ifrāīm ke bachchoṅ ko balki us ke potoṅ ko bhī dekhā. Manassī ke beṭe Makīr ke bachche bhī us kī maujūdagī meṅ paidā ho kar us kī god meṅ rakhe gae.
Gene UrduGeoR 50:24  Phir ek waqt āyā ki Yūsuf ne apne bhāiyoṅ se kahā, “Maiṅ marne wālā hūṅ. Lekin Allāh zarūr āp kī dekh-bhāl karke āp ko is mulk se us mulk meṅ le jāegā jis kā us ne Ibrāhīm, Is'hāq aur Yāqūb se qasam khā kar wādā kiyā hai.”
Gene UrduGeoR 50:25  Phir Yūsuf ne Isrāīliyoṅ ko qasam dilā kar kahā, “Allāh yaqīnan tumhārī dekh-bhāl karke wahāṅ le jāegā. Us waqt merī haḍḍiyoṅ ko bhī uṭhā kar sāth le jānā.”
Gene UrduGeoR 50:26  Phir Yūsuf faut ho gayā. Wuh 110 sāl kā thā. Use hanūt karke Misr meṅ ek tābūt meṅ rakhā gayā.