Site uses cookies to provide basic functionality.

OK
Toggle notes
Chapter 1
Psal UrduGeoR 1:1  Mubārak hai wuh jo na bedīnoṅ ke mashware par chaltā, na gunāhgāroṅ kī rāh par qadam rakhtā, aur na tānāzanoṅ ke sāth baiṭhtā hai
Psal UrduGeoR 1:2  balki Rab kī sharīat se lutfandoz hotā aur din rāt usī par ġhaur-o-ḳhauz kartā rahtā hai.
Psal UrduGeoR 1:3  Wuh nahroṅ ke kināre par lage daraḳht kī mānind hai. Waqt par wuh phal lātā, aur us ke patte nahīṅ murjhāte. Jo kuchh bhī kare us meṅ wuh kāmyāb hai.
Psal UrduGeoR 1:4  Bedīnoṅ kā yih hāl nahīṅ hotā. Wuh bhūse kī mānind haiṅ jise hawā uṛā le jātī hai.
Psal UrduGeoR 1:5  Is lie bedīn adālat meṅ qāym nahīṅ raheṅge, aur gunāhgār kā rāstbāzoṅ kī majlis meṅ maqām nahīṅ hogā.
Psal UrduGeoR 1:6  Kyoṅki Rab rāstbāzoṅ kī rāh kī pahrādārī kartā hai jabki bedīnoṅ kī rāh tabāh ho jāegī.
Chapter 2
Psal UrduGeoR 2:1  Aqwām kyoṅ taish meṅ ā gaī haiṅ? Ummateṅ kyoṅ bekār sāzisheṅ kar rahī haiṅ?
Psal UrduGeoR 2:2  Duniyā ke bādshāh uṭh khaṛe hue, hukmrān Rab aur us ke Masīh ke ḳhilāf jamā ho gae haiṅ.
Psal UrduGeoR 2:3  Wuh kahte haiṅ, “Āo, ham un kī zanjīroṅ ko toṛ kar āzād ho jāeṅ, un ke rassoṅ ko dūr tak phaiṅk deṅ.”
Psal UrduGeoR 2:4  Lekin jo āsmān par taḳhtnashīn hai wuh haṅstā hai, Rab un kā mazāq uṛātā hai.
Psal UrduGeoR 2:5  Phir wuh ġhusse se unheṅ ḍānṭtā, apnā shadīd ġhazab un par nāzil karke unheṅ ḍarātā hai.
Psal UrduGeoR 2:6  Wuh farmātā hai, “Maiṅ ne ḳhud apne Bādshāh ko apne muqaddas pahāṛ Siyyūn par muqarrar kiyā hai!”
Psal UrduGeoR 2:7  Āo, maiṅ Rab kā farmān sunāūṅ. Us ne mujh se kahā, “Tū merā Beṭā hai, āj maiṅ terā Bāp ban gayā hūṅ.
Psal UrduGeoR 2:8  Mujh se māṅg to maiṅ tujhe mīrās meṅ tamām aqwām atā karūṅga, duniyā kī intahā tak sab kuchh baḳhsh dūṅgā.
Psal UrduGeoR 2:9  Tū unheṅ lohe ke shāhī asā se pāsh pāsh karegā, unheṅ miṭṭī ke bartanoṅ kī tarah chaknāchūr karegā.”
Psal UrduGeoR 2:10  Chunāṅche ai bādshāho, samajh se kām lo! Ai duniyā ke hukmrāno, tarbiyat qabūl karo!
Psal UrduGeoR 2:11  Ḳhauf karte hue Rab kī ḳhidmat karo, larazte hue ḳhushī manāo.
Psal UrduGeoR 2:12  Beṭe ko bosā do, aisā na ho ki wuh ġhusse ho jāe aur tum rāste meṅ hī halāk ho jāo. Kyoṅki wuh ek dam taish meṅ ā jātā hai. Mubārak haiṅ wuh sab jo us meṅ panāh lete haiṅ.
Chapter 3
Psal UrduGeoR 3:1  Dāūd kā zabūr. Us waqt jab use apne beṭe Abīsalūm se bhāgnā paṛā. Ai Rab, mere dushman kitne zyādā haiṅ, kitne log mere ḳhilāf uṭh khaṛe hue haiṅ!
Psal UrduGeoR 3:2  Mere bāre meṅ bahutere kah rahe haiṅ, “Allāh ise chhuṭkārā nahīṅ degā.” (Silāh)
Psal UrduGeoR 3:3  Lekin tū ai Rab, chāroṅ taraf merī hifāzat karne wālī ḍhāl hai. Tū merī izzat hai jo mere sar ko uṭhāe rakhtā hai.
Psal UrduGeoR 3:4  Maiṅ buland āwāz se Rab ko pukārtā hūṅ, aur wuh apne muqaddas pahāṛ se merī suntā hai. (Silāh)
Psal UrduGeoR 3:5  Maiṅ ārām se leṭ kar so gayā, phir jāg uṭhā, kyoṅki Rab ḳhud mujhe saṅbhāle rakhtā hai.
Psal UrduGeoR 3:6  Un hazāroṅ se maiṅ nahīṅ ḍartā jo mujhe ghere rakhte haiṅ.
Psal UrduGeoR 3:7  Ai Rab, uṭh. Ai mere Ḳhudā, mujhe rihā kar! Kyoṅki tū ne mere tamām dushmanoṅ ke muṅh par thappaṛ mārā, tū ne bedīnoṅ ke dāṅtoṅ ko toṛ diyā hai.
Psal UrduGeoR 3:8  Rab ke pās najāt hai. Terī barkat terī qaum par āe. (Silāh)
Chapter 4
Psal UrduGeoR 4:1  Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Tārdār sāzoṅ ke sāth gānā hai. Ai merī rāstī ke Ḳhudā, merī sun jab maiṅ tujhe pukārtā hūṅ. Ai tū jo musībat meṅ merī maḳhlasī rahā hai mujh par mehrbānī karke merī iltijā sun!
Psal UrduGeoR 4:2  Ai ādamzādo, merī izzat kab tak ḳhāk meṅ milāī jātī rahegī? Tum kab tak bātil chīzoṅ se lipṭe rahoge, kab tak jhūṭ kī talāsh meṅ rahoge? (Silāh)
Psal UrduGeoR 4:3  Jān lo ki Rab ne īmāndār ko apne lie alag kar rakhā hai. Rab merī sunegā jab maiṅ use pukārūṅga.
Psal UrduGeoR 4:4  Ġhusse meṅ āte waqt gunāh mat karnā. Apne bistar par leṭ kar muāmale par soch-bichār karo, lekin dil meṅ, ḳhāmoshī se. (Silāh)
Psal UrduGeoR 4:5  Rāstī kī qurbāniyāṅ pesh karo, aur Rab par bharosā rakho.
Psal UrduGeoR 4:6  Bahutere shak kar rahe haiṅ, “Kaun hamāre hālāt ṭhīk karegā?” Ai Rab, apne chehre kā nūr ham par chamkā!
Psal UrduGeoR 4:7  Tū ne mere dil ko ḳhushī se bhar diyā hai, aisī ḳhushī se jo un ke pās bhī nahīṅ hotī jin ke pās kasrat kā anāj aur angūr hai.
Psal UrduGeoR 4:8  Maiṅ ārām se leṭ kar so jātā hūṅ, kyoṅki tū hī ai Rab mujhe hifāzat se basne detā hai.
Chapter 5
Psal UrduGeoR 5:1  Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Ise bāṅsrī ke sāth gānā hai. Ai Rab, merī bāteṅ sun, merī āhoṅ par dhyān de!
Psal UrduGeoR 5:2  Ai mere Bādshāh, mere Ḳhudā, madad ke lie merī chīḳheṅ sun, kyoṅki maiṅ tujh hī se duā kartā hūṅ.
Psal UrduGeoR 5:3  Ai Rab, subah ko tū merī āwāz suntā hai, subah ko maiṅ tujhe sab kuchh tartīb se pesh karke jawāb kā intazār karne lagtā hūṅ.
Psal UrduGeoR 5:4  Kyoṅki tū aisā Ḳhudā nahīṅ hai jo bedīnī se ḳhush ho. Jo burā hai wuh tere huzūr nahīṅ ṭhahar saktā.
Psal UrduGeoR 5:5  Maġhrūr tere huzūr khaṛe nahīṅ ho sakte, badkār se tū nafrat kartā hai.
Psal UrduGeoR 5:6  Jhūṭ bolne wāloṅ ko tū tabāh kartā, ḳhūṅḳhār aur dhokebāz se Rab ghin khātā hai.
Psal UrduGeoR 5:7  Lekin mujh par tū ne baṛī mehrbānī kī hai, is lie maiṅ tere ghar meṅ dāḳhil ho saktā, maiṅ terā ḳhauf mān kar terī muqaddas sukūnatgāh ke sāmne sijdā kartā hūṅ.
Psal UrduGeoR 5:8  Ai Rab, apnī rāst rāh par merī rāhnumāī kar tāki mere dushman mujh par ġhālib na āeṅ. Apnī rāh ko mere āge hamwār kar.
Psal UrduGeoR 5:9  Kyoṅki un ke muṅh se ek bhī qābil-e-etamād bāt nahīṅ nikaltī. Un kā dil tabāhī se bharā rahtā, un kā galā khulī qabr hai, aur un kī zabān chiknī-chupṛī bāteṅ ugaltī rahtī hai.
Psal UrduGeoR 5:10  Ai Rab, unheṅ un ke ġhalat kām kā ajr de. Un kī sāzisheṅ un kī apnī tabāhī kā bāis baneṅ. Unheṅ un ke muta'addid gunāhoṅ ke bāis nikāl kar muntashir kar de, kyoṅki wuh tujh se sarkash ho gae haiṅ.
Psal UrduGeoR 5:11  Lekin jo tujh meṅ panāh lete haiṅ wuh sab ḳhush hoṅ, wuh abad tak shādiyānā bajāeṅ, kyoṅki tū unheṅ mahfūz rakhtā hai. Tere nām ko pyār karne wāle terā jashn manāeṅ.
Psal UrduGeoR 5:12  Kyoṅki tū ai Rab, rāstbāz ko barkat detā hai, tū apnī mehrbānī kī ḍhāl se us kī chāroṅ taraf hifāzat kartā hai.
Chapter 6
Psal UrduGeoR 6:1  Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Tārdār sāzoṅ ke sāth gānā hai. Ai Rab, ġhusse meṅ mujhe sazā na de, taish meṅ mujhe tambīh na kar.
Psal UrduGeoR 6:2  Ai Rab, mujh par rahm kar, kyoṅki maiṅ niḍhāl hūṅ. Ai Rab, mujhe shifā de, kyoṅki mere āzā dahshatzadā haiṅ.
Psal UrduGeoR 6:3  Merī jān nihāyat ḳhaufzadā hai. Ai Rab, tū kab tak der karegā?
Psal UrduGeoR 6:4  Ai Rab, wāpas ā kar merī jān ko bachā. Apnī shafqat kī ḳhātir mujhe chhuṭkārā de.
Psal UrduGeoR 6:5  Kyoṅki murdā tujhe yād nahīṅ kartā. Pātāl meṅ kaun terī satāish karegā?
Psal UrduGeoR 6:6  Maiṅ karāhte karāhte thak gayā hūṅ. Pūrī rāt rone se bistar bhīg gayā hai, mere āṅsuoṅ se palang gal gayā hai.
Psal UrduGeoR 6:7  Ġham ke māre merī āṅkheṅ sūj gaī haiṅ, mere muḳhālifoṅ ke hamloṅ se wuh zāe hotī jā rahī haiṅ.
Psal UrduGeoR 6:8  Ai badkāro, mujh se dūr ho jāo, kyoṅki Rab ne merī āh-o-bukā sunī hai.
Psal UrduGeoR 6:9  Rab ne merī iltijāoṅ ko sun liyā hai, merī duā Rab ko qabūl hai.
Psal UrduGeoR 6:10  Mere tamām dushmanoṅ kī ruswāī ho jāegī, aur wuh saḳht ghabrā jāeṅge. Wuh muṛ kar achānak hī sharmindā ho jāeṅge.
Chapter 7
Psal UrduGeoR 7:1  Dāūd kā wuh mātamī gīt jo us ne Kūsh Binyamīnī kī bātoṅ par Rab kī tamjīd meṅ gāyā. Ai Rab mere Ḳhudā, maiṅ tujh meṅ panāh letā hūṅ. Mujhe un sab se bachā kar chhuṭkārā de jo merā tāqqub kar rahe haiṅ,
Psal UrduGeoR 7:2  warnā wuh sherbabar kī tarah mujhe phāṛ kar ṭukṛe ṭukṛe kar deṅge, aur bachāne wālā koī nahīṅ hogā.
Psal UrduGeoR 7:3  Ai Rab mere Ḳhudā, agar mujh se yih kuchh sarzad huā aur mere hāth qusūrwār hoṅ,
Psal UrduGeoR 7:4  agar maiṅ ne us se burā sulūk kiyā jis kā mere sāth jhagaṛā nahīṅ thā yā apne dushman ko ḳhāhmaḳhāh lūṭ liyā ho
Psal UrduGeoR 7:5  to phir merā dushman mere pīchhe paṛ kar mujhe pakaṛ le. Wuh merī jān ko miṭṭī meṅ kuchal de, merī izzat ko ḳhāk meṅ milāe. (Silāh)
Psal UrduGeoR 7:6  Ai Rab, uṭh aur apnā ġhazab dikhā! Mere dushmanoṅ ke taish ke ḳhilāf khaṛā ho jā. Merī madad karne ke lie jāg uṭh. Tū ne ḳhud adālat kā hukm diyā hai.
Psal UrduGeoR 7:7  Aqwām tere irdgird jamā ho jāeṅ jab tū un ke ūpar bulandiyoṅ par taḳhtnashīn ho jāe.
Psal UrduGeoR 7:8  Rab aqwām kī adālat kartā hai. Ai Rab, merī rāstbāzī aur begunāhī kā lihāz karke merā insāf kar.
Psal UrduGeoR 7:9  Ai rāst Ḳhudā, jo dil kī gahrāiyoṅ ko tah tak jāṅch letā hai, bedīnoṅ kī sharārateṅ ḳhatm kar aur rāstbāz ko qāym rakh.
Psal UrduGeoR 7:10  Allāh merī ḍhāl hai. Jo dil se sīdhī rāh par chalte haiṅ unheṅ wuh rihāī detā hai.
Psal UrduGeoR 7:11  Allāh ādil munsif hai, aisā Ḳhudā jo rozānā logoṅ kī sarzanish kartā hai.
Psal UrduGeoR 7:12  Yaqīnan is waqt bhī dushman apnī talwār ko tez kar rahā, apnī kamān ko tān kar nishānā bāndh rahā hai.
Psal UrduGeoR 7:13  Lekin jo mohlak hathiyār aur jalte hue tīr us ne taiyār kar rakhe haiṅ un kī zad meṅ wuh ḳhud hī ā jāegā.
Psal UrduGeoR 7:14  Dekh, burāī kā bīj us meṅ ug āyā hai. Ab wuh sharārat se hāmilā ho kar phirtā aur jhūṭ ke bachche janm detā hai.
Psal UrduGeoR 7:15  Lekin jo gaṛhā us ne dūsroṅ ko phaṅsāne ke lie khod khod kar taiyār kiyā us meṅ ḳhud gir paṛā hai.
Psal UrduGeoR 7:16  Wuh ḳhud apnī sharārat kī zad meṅ āegā, us kā zulm us ke apne sar par nāzil hogā.
Psal UrduGeoR 7:17  Maiṅ Rab kī satāish karūṅga, kyoṅki wuh rāst hai. Maiṅ Rab T'ālā ke nām kī tārīf meṅ gīt gāūṅgā.
Chapter 8
Psal UrduGeoR 8:1  Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Tarz: Gittīt. Ai Rab hamāre āqā, terā nām pūrī duniyā meṅ kitnā shāndār hai! Tū ne āsmān par hī apnā jalāl zāhir kar diyā hai.
Psal UrduGeoR 8:2  Apne muḳhālifoṅ ke jawāb meṅ tū ne chhoṭe bachchoṅ aur shīrḳhāroṅ kī zabān ko taiyār kiyā hai tāki wuh terī quwwat se dushman aur kīnāparwar ko ḳhatm kareṅ.
Psal UrduGeoR 8:3  Jab maiṅ tere āsmān kā mulāhazā kartā hūṅ jo terī ungliyoṅ kā kām hai, chāṅd aur sitāroṅ par ġhaur kartā hūṅ jin ko tū ne apnī apnī jagah par qāym kiyā
Psal UrduGeoR 8:4  to insān kaun hai ki tū use yād kare yā ādamzād ki tū us kā ḳhayāl rakhe?
Psal UrduGeoR 8:5  Tū ne use farishtoṅ se kuchh hī kam banāyā, tū ne use jalāl aur izzat kā tāj pahnāyā.
Psal UrduGeoR 8:6  Tū ne use apne hāthoṅ ke kāmoṅ par muqarrar kiyā, sab kuchh us ke pāṅwoṅ ke nīche kar diyā,
Psal UrduGeoR 8:7  ḳhāh bheṛ-bakriyāṅ hoṅ ḳhāh gāy-bail, janglī jānwar,
Psal UrduGeoR 8:8  parinde, machhliyāṅ yā samundarī rāhoṅ par chalne wāle bāqī tamām jānwar.
Psal UrduGeoR 8:9  Ai Rab hamāre āqā, pūrī duniyā meṅ terā nām kitnā shāndār hai!
Chapter 9
Psal UrduGeoR 9:1  Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Tarz: Alāmūt-labbīn. Ai Rab, maiṅ pūre dil se terī satāish karūṅga, tere tamām mojizāt kā bayān karūṅga.
Psal UrduGeoR 9:2  Maiṅ shādmān ho kar terī ḳhushī manāūṅgā. Ai Allāh T'ālā, maiṅ tere nām kī tamjīd meṅ gīt gāūṅgā.
Psal UrduGeoR 9:3  Jab mere dushman pīchhe haṭ jāeṅge to wuh ṭhokar khā kar tere huzūr tabāh ho jāeṅge.
Psal UrduGeoR 9:4  Kyoṅki tū ne merā insāf kiyā hai, tū taḳht par baiṭh kar rāst munsif sābit huā hai.
Psal UrduGeoR 9:5  Tū ne aqwām ko malāmat karke bedīnoṅ ko halāk kar diyā, un kā nām-o-nishān hameshā ke lie miṭā diyā hai.
Psal UrduGeoR 9:6  Dushman tabāh ho gayā, abad tak malbe kā ḍher ban gayā hai. Tū ne shahroṅ ko jaṛ se ukhāṛ diyā hai, aur un kī yād tak bāqī nahīṅ rahegī.
Psal UrduGeoR 9:7  Lekin Rab hameshā tak taḳhtnashīn rahegā, aur us ne apne taḳht ko adālat karne ke lie khaṛā kiyā hai.
Psal UrduGeoR 9:8  Wuh rāstī se duniyā kī adālat karegā, insāf se ummatoṅ kā faislā karegā.
Psal UrduGeoR 9:9  Rab mazlūmoṅ kī panāhgāh hai, ek qilā jis meṅ wuh musībat ke waqt mahfūz rahte haiṅ.
Psal UrduGeoR 9:10  Ai Rab, jo terā nām jānte wuh tujh par bharosā rakhte haiṅ. Kyoṅki jo tere tālib haiṅ unheṅ tū ne kabhī tark nahīṅ kiyā.
Psal UrduGeoR 9:11  Rab kī tamjīd meṅ gīt gāo jo Siyyūn Pahāṛ par taḳhtnashīn hai, ummatoṅ meṅ wuh kuchh sunāo jo us ne kiyā hai.
Psal UrduGeoR 9:12  Kyoṅki jo maqtūloṅ kā intaqām letā hai wuh musībatzadoṅ kī chīḳheṅ nazarandāz nahīṅ kartā.
Psal UrduGeoR 9:13  Ai Rab, mujh par rahm kar! Merī us taklīf par ġhaur kar jo nafrat karne wāle mujhe pahuṅchā rahe haiṅ. Mujhe maut ke darwāzoṅ meṅ se nikāl kar uṭhā le
Psal UrduGeoR 9:14  tāki maiṅ Siyyūn Beṭī ke darwāzoṅ meṅ terī satāish karke wuh kuchh sunāūṅ jo tū ne mere lie kiyā hai, tāki maiṅ terī najāt kī ḳhushī manāūṅ.
Psal UrduGeoR 9:15  Aqwām us gaṛhe meṅ ḳhud gir gaī haiṅ jo unhoṅ ne dūsroṅ ko pakaṛne ke lie khodā thā. Un ke apne pāṅw us jāl meṅ phaṅs gae haiṅ jo unhoṅ ne dūsroṅ ko phaṅsāne ke lie bichhā diyā thā.
Psal UrduGeoR 9:16  Rab ne insāf karke apnā izhār kiyā to bedīn apne hāth ke phande meṅ ulajh gayā. (Higgāyūn kā tarz. Silāh)
Psal UrduGeoR 9:17  Bedīn Pātāl meṅ utreṅge, jo ummateṅ Allāh ko bhūl gaī haiṅ wuh sab wahāṅ jāeṅgī.
Psal UrduGeoR 9:18  Kyoṅki wuh zarūratmandoṅ ko hameshā tak nahīṅ bhūlegā, musībatzadoṅ kī ummīd abad tak jātī nahīṅ rahegī.
Psal UrduGeoR 9:19  Ai Rab, uṭh khaṛā ho tāki insān ġhālib na āe. Baḳhsh de ki tere huzūr aqwām kī adālat kī jāe.
Psal UrduGeoR 9:20  Ai Rab, unheṅ dahshatzadā kar tāki aqwām jān leṅ ki insān hī haiṅ. (Silāh)
Chapter 10
Psal UrduGeoR 10:1  Ai Rab, tū itnā dūr kyoṅ khaṛā hai? Musībat ke waqt tū apne āp ko poshīdā kyoṅ rakhtā hai?
Psal UrduGeoR 10:2  Bedīn takabbur se musībatzadoṅ ke pīchhe lag gae haiṅ, aur ab bechāre un ke jāloṅ meṅ ulajhne lage haiṅ.
Psal UrduGeoR 10:3  Kyoṅki bedīn apnī dilī ārzuoṅ par sheḳhī mārtā hai, aur nājāyz nafā kamāne wālā lānat karke Rab ko haqīr jāntā hai.
Psal UrduGeoR 10:4  Bedīn ġhurūr se phūl kar kahtā hai, “Allāh mujh se jawābtalabī nahīṅ karegā.” Us ke tamām ḳhayālāt is bāt par mabnī haiṅ ki koī Ḳhudā nahīṅ hai.
Psal UrduGeoR 10:5  Jo kuchh bhī kare us meṅ wuh kāmyāb hai. Terī adālateṅ use bulandiyoṅ meṅ kahīṅ dūr lagtī haiṅ jabki wuh apne tamām muḳhālifoṅ ke ḳhilāf phunkārtā hai.
Psal UrduGeoR 10:6  Dil meṅ wuh sochtā hai, “Maiṅ kabhī nahīṅ ḍagmagāūṅgā, nasl-dar-nasl musībat ke panjoṅ se bachā rahūṅgā.”
Psal UrduGeoR 10:7  Us kā muṅh lānatoṅ, fareb aur zulm se bharā rahtā, us kī zabān nuqsān aur āfat pahuṅchāne ke lie taiyār rahtī hai.
Psal UrduGeoR 10:8  Wuh ābādiyoṅ ke qarīb tāk meṅ baiṭh kar chupke se begunāhoṅ ko mār ḍāltā hai, us kī āṅkheṅ badqismatoṅ kī ghāt meṅ rahtī haiṅ.
Psal UrduGeoR 10:9  Jangal meṅ baiṭhe sherbabar kī tarah tāk meṅ rah kar wuh musībatzadā par hamlā karne kā mauqā ḍhūṅḍtā hai. Jab use pakaṛ le to use apne jāl meṅ ghasīṭ kar le jātā hai.
Psal UrduGeoR 10:10  Us ke shikār pāsh pāsh ho kar jhuk jāte haiṅ, bechāre us kī zabardast tāqat kī zad meṅ ā kar gir jāte haiṅ.
Psal UrduGeoR 10:11  Tab wuh dil meṅ kahtā hai, “Allāh bhūl gayā hai, us ne apnā chehrā chhupā liyā hai, use yih kabhī nazar nahīṅ āegā.”
Psal UrduGeoR 10:12  Ai Rab, uṭh. Ai Allāh, apnā hāth uṭhā kar nāchāroṅ kī madad kar aur unheṅ na bhūl.
Psal UrduGeoR 10:13  Bedīn Allāh kī tahqīr kyoṅ kare, wuh dil meṅ kyoṅ kahe, “Allāh mujh se jawāb talab nahīṅ karegā”?
Psal UrduGeoR 10:14  Ai Allāh, haqīqat meṅ tū yih sab kuchh deḳhtā hai. Tū hamārī taklīf aur pareshānī par dhyān de kar munāsib jawāb degā. Nāchār apnā muāmalā tujh par chhoṛ detā hai, kyoṅki tū yatīmoṅ kā madadgār hai.
Psal UrduGeoR 10:15  Sharīr aur bedīn ādmī kā bāzū toṛ de! Us se us kī sharāratoṅ kī jawābtalabī kar tāki us kā pūrā asar miṭ jāe.
Psal UrduGeoR 10:16  Rab abad tak Bādshāh hai. Us ke mulk se dīgar aqwām ġhāyb ho gaī haiṅ.
Psal UrduGeoR 10:17  Ai Rab, tū ne nāchāroṅ kī ārzū sun lī hai. Tū un ke diloṅ ko mazbūt karegā aur un par dhyān de kar
Psal UrduGeoR 10:18  yatīmoṅ aur mazlūmoṅ kā insāf karegā tāki āindā koī bhī insān mulk meṅ dahshat na phailāe.
Chapter 11
Psal UrduGeoR 11:1  Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Maiṅ ne Rab meṅ panāh lī hai. To phir tum kis tarah mujh se kahte ho, “Chal, parinde kī tarah phaṛphaṛā kar pahāṛoṅ meṅ bhāg jā”?
Psal UrduGeoR 11:2  Kyoṅki dekho, bedīn kamān tān kar tīr ko tāṅt par lagā chuke haiṅ. Ab wuh andhere meṅ baiṭh kar is intazār meṅ haiṅ ki dil se sīdhī rāh par chalne wāloṅ par chalāeṅ.
Psal UrduGeoR 11:3  Rāstbāz kyā kare? Unhoṅ ne to buniyād ko hī tabāh kar diyā hai.
Psal UrduGeoR 11:4  Lekin Rab apnī muqaddas sukūnatgāh meṅ hai, Rab kā taḳht āsmān par hai. Wahāṅ se wuh deḳhtā hai, wahāṅ se us kī āṅkheṅ ādamzādoṅ ko parakhtī haiṅ.
Psal UrduGeoR 11:5  Rab rāstbāz ko parakhtā to hai, lekin bedīn aur zālim se nafrat hī kartā hai.
Psal UrduGeoR 11:6  Bedīnoṅ par wuh jalte hue koele aur sholāzan gandhak barsā degā. Jhulasne wālī āṅdhī un kā hissā hogī.
Psal UrduGeoR 11:7  Kyoṅki Rab rāst hai, aur use insāf pyārā hai. Sirf sīdhī rāh par chalne wāle us kā chehrā dekheṅge.
Chapter 12
Psal UrduGeoR 12:1  Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Tarz: Shamīnīt. Ai Rab, madad farmā! Kyoṅki īmāndār ḳhatm ho gae haiṅ. Diyānatdār insānoṅ meṅ se miṭ gae haiṅ.
Psal UrduGeoR 12:2  Āpas meṅ sab jhūṭ bolte haiṅ. Un kī zabān par chiknī-chupṛī bāteṅ hotī haiṅ jabki dil meṅ kuchh aur hī hotā hai.
Psal UrduGeoR 12:3  Rab tamām chiknī-chupṛī aur sheḳhībāz zabānoṅ ko kāṭ ḍāle!
Psal UrduGeoR 12:4  Wuh un sab ko miṭā de jo kahte haiṅ, “Ham apnī lāyq zabān ke bāis tāqatwar haiṅ. Hamāre hoṅṭ hameṅ sahārā dete haiṅ to kaun hamārā mālik hogā? Koī nahīṅ!”
Psal UrduGeoR 12:5  Lekin Rab farmātā hai, “Nāchāroṅ par tumhāre zulm kī ḳhabar aur zarūratmandoṅ kī karāhtī āwāzeṅ mere sāmne āī haiṅ. Ab maiṅ uṭh kar unheṅ un se chhuṭkārā dūṅgā jo un ke ḳhilāf phunkārte haiṅ.”
Psal UrduGeoR 12:6  Rab ke farmān pāk haiṅ, wuh bhaṭṭī meṅ sāt bār sāf kī gaī chāṅdī kī mānind ḳhālis haiṅ.
Psal UrduGeoR 12:7  Ai Rab, tū hī unheṅ mahfūz rakhegā, tū hī unheṅ abad tak is nasl se bachāe rakhegā,
Psal UrduGeoR 12:8  go bedīn āzādī se idhar-udhar phirte haiṅ, aur insānoṅ ke darmiyān kamīnāpan kā rāj hai.
Chapter 13
Psal UrduGeoR 13:1  Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Ai Rab, kab tak? Kyā tū mujhe abad tak bhūlā rahegā? Tū kab tak apnā chehrā mujh se chhupāe rakhegā?
Psal UrduGeoR 13:2  Merī jān kab tak pareshāniyoṅ meṅ mubtalā rahe, merā dil kab tak roz baroz dukh uṭhātā rahe? Merā dushman kab tak mujh par ġhālib rahegā?
Psal UrduGeoR 13:3  Ai Rab mere Ḳhudā, mujh par nazar ḍāl kar merī sun! Merī āṅkhoṅ ko raushan kar, warnā maiṅ maut kī nīnd so jāūṅgā.
Psal UrduGeoR 13:4  Tab merā dushman kahegā, “Maiṅ us par ġhālib ā gayā hūṅ!” Aur mere muḳhālif shādiyānā bajāeṅge ki maiṅ hil gayā hūṅ.
Psal UrduGeoR 13:5  Lekin maiṅ terī shafqat par bharosā rakhtā hūṅ, merā dil terī najāt dekh kar ḳhushī manāegā.
Psal UrduGeoR 13:6  Maiṅ Rab kī tamjīd meṅ gīt gāūṅgā, kyoṅki us ne mujh par ehsān kiyā hai.
Chapter 14
Psal UrduGeoR 14:1  Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Ahmaq dil meṅ kahtā hai, “Allāh hai hī nahīṅ!” Aise log badchalan haiṅ, un kī harkateṅ qābil-e-ghin haiṅ. Ek bhī nahīṅ hai jo achchhā kām kare.
Psal UrduGeoR 14:2  Rab ne āsmān se insān par nazar ḍālī tāki dekhe ki kyā koī samajhdār hai? Kyā koī Allāh kā tālib hai?
Psal UrduGeoR 14:3  Afsos, sab sahīh rāh se bhaṭak gae. Sab ke sab bigaṛ gae haiṅ. Koī nahīṅ jo bhalāī kartā ho, ek bhī nahīṅ.
Psal UrduGeoR 14:4  Kyā jo badī karke merī qaum ko roṭī kī tarah khā lete haiṅ un meṅ se ek ko bhī samajh nahīṅ ātī? Wuh to Rab ko pukārte hī nahīṅ.
Psal UrduGeoR 14:5  Tab un par saḳht dahshat chhā gaī, kyoṅki Allāh rāstbāz kī nasl ke sāth hai.
Psal UrduGeoR 14:6  Tum nāchār ke mansūboṅ ko ḳhāk meṅ milānā chāhte ho, lekin Rab ḳhud us kī panāhgāh hai.
Psal UrduGeoR 14:7  Kāsh Koh-e-Siyyūn se Isrāīl kī najāt nikle! Jab Rab apnī qaum ko bahāl karegā to Yāqūb ḳhushī ke nāre lagāegā, Isrāīl bāġh bāġh hogā.
Chapter 15
Psal UrduGeoR 15:1  Dāūd kā zabūr. Ai Rab, kaun tere ḳhaime meṅ ṭhahar saktā hai? Kis ko tere muqaddas pahāṛ par rahne kī ijāzat hai?
Psal UrduGeoR 15:2  Wuh jis kā chāl-chalan begunāh hai, jo rāstbāz zindagī guzār kar dil se sach boltā hai.
Psal UrduGeoR 15:3  Aisā shaḳhs apnī zabān se kisī par tohmat nahīṅ lagātā. Na wuh apne paṛosī par ziyādatī kartā, na us kī be'izzatī kartā hai.
Psal UrduGeoR 15:4  Wuh mardūd ko haqīr jāntā lekin ḳhudātars kī izzat kartā hai. Jo wādā us ne qasam khā kar kiyā use pūrā kartā hai, ḳhāh use kitnā hī nuqsān kyoṅ na pahuṅche.
Psal UrduGeoR 15:5  Wuh sūd lie baġhair udhār detā hai aur us kī rishwat qabūl nahīṅ kartā jo begunāh kā haq mārnā chāhtā hai. Aisā shaḳhs kabhī ḍāṅwāṅḍol nahīṅ hogā.
Chapter 16
Psal UrduGeoR 16:1  Dāūd kā ek sunahrā zabūr. Ai Allāh, mujhe mahfūz rakh, kyoṅki tujh meṅ maiṅ panāh letā hūṅ.
Psal UrduGeoR 16:2  Maiṅ ne Rab se kahā, “Tū merā āqā hai, tū hī merī ḳhushhālī kā wāhid sarchashmā hai.”
Psal UrduGeoR 16:3  Mulk meṅ jo muqaddasīn haiṅ wuhī mere sūrme haiṅ, unhīṅ ko maiṅ pasand kartā hūṅ.
Psal UrduGeoR 16:4  Lekin jo dīgar mābūdoṅ ke pīchhe bhāge rahte haiṅ un kī taklīf baṛhtī jāegī. Na maiṅ un kī ḳhūn kī qurbāniyoṅ ko pesh karūṅga, na un ke nāmoṅ kā zikr tak karūṅga.
Psal UrduGeoR 16:5  Ai Rab, tū merī mīrās aur merā hissā hai. Merā nasīb tere hāth meṅ hai.
Psal UrduGeoR 16:6  Jab qurā ḍālā gayā to mujhe ḳhushgawār zamīn mil gaī. Yaqīnan merī mīrās mujhe bahut pasand hai.
Psal UrduGeoR 16:7  Maiṅ Rab kī satāish karūṅga jis ne mujhe mashwarā diyā hai. Rāt ko bhī merā dil merī hidāyat kartā hai.
Psal UrduGeoR 16:8  Rab har waqt merī āṅkhoṅ ke sāmne rahtā hai. Wuh mere dahne hāth rahtā hai, is lie maiṅ nahīṅ ḍagmagāūṅgā.
Psal UrduGeoR 16:9  Is lie merā dil shādmān hai, merī jān ḳhushī ke nāre lagātī hai. Hāṅ, merā badan pursukūn zindagī guzāregā.
Psal UrduGeoR 16:10  Kyoṅki tū merī jān ko Pātāl meṅ nahīṅ chhoṛegā, aur na apne muqaddas ko galne-saṛne kī naubat tak pahuṅchne degā.
Psal UrduGeoR 16:11  Tū mujhe zindagī kī rāh se āgāh kartā hai. Tere huzūr se bharpūr ḳhushiyāṅ, tere dahne hāth se abadī masarrateṅ hāsil hotī haiṅ.
Chapter 17
Psal UrduGeoR 17:1  Dāūd kī duā. Ai Rab, insāf ke lie merī fariyād sun, merī āh-o-zārī par dhyān de. Merī duā par ġhaur kar, kyoṅki wuh farebdeh hoṅṭoṅ se nahīṅ nikaltī.
Psal UrduGeoR 17:2  Tere huzūr merā insāf kiyā jāe, terī āṅkheṅ un bātoṅ kā mushāhadā kareṅ jo sach haiṅ.
Psal UrduGeoR 17:3  Tū ne mere dil ko jāṅch liyā, rāt ko merā muāynā kiyā hai. Tū ne mujhe bhaṭṭī meṅ ḍāl diyā tāki nāpāk chīzeṅ dūr kare, go aisī koī chīz nahīṅ milī. Kyoṅki maiṅ ne pūrā irādā kar liyā hai ki mere muṅh se burī bāt nahīṅ niklegī.
Psal UrduGeoR 17:4  Jo kuchh bhī dūsre karte haiṅ maiṅ ne ḳhud tere muṅh ke farmān ke tābe rah kar apne āp ko zālimoṅ kī rāhoṅ se dūr rakhā hai.
Psal UrduGeoR 17:5  Maiṅ qadam baqadam terī rāhoṅ meṅ rahā, mere pāṅw kabhī na ḍagmagāe.
Psal UrduGeoR 17:6  Ai Allāh, maiṅ tujhe pukārtā hūṅ, kyoṅki tū merī sunegā. Kān lagā kar merī duā ko sun.
Psal UrduGeoR 17:7  Tū jo apne dahne hāth se unheṅ rihāī detā hai jo apne muḳhālifoṅ se tujh meṅ panāh lete haiṅ, mojizānā taur par apnī shafqat kā izhār kar.
Psal UrduGeoR 17:8  Āṅkh kī putlī kī tarah merī hifāzat kar, apne paroṅ ke sāy meṅ mujhe chhupā le.
Psal UrduGeoR 17:9  Un bedīnoṅ se mujhe mahfūz rakh jo mujh par tabāhkun hamle kar rahe haiṅ, un dushmanoṅ se jo mujhe gher kar mār ḍālne kī koshish kar rahe haiṅ.
Psal UrduGeoR 17:10  Wuh sarkash ho gae haiṅ, un ke muṅh ghamanḍ kī bāteṅ karte haiṅ.
Psal UrduGeoR 17:11  Jidhar bhī ham qadam uṭhāeṅ wahāṅ wuh bhī pahuṅch jāte haiṅ. Ab unhoṅ ne hameṅ gher liyā hai, wuh ghūr ghūr kar hameṅ zamīn par paṭaḳhne kā mauqā ḍhūnḍ rahe haiṅ.
Psal UrduGeoR 17:12  Wuh us sherbabar kī mānind haiṅ jo shikār ko phāṛne ke lie taṛaptā hai, us jawān sher kī mānind jo tāk meṅ baiṭhā hai.
Psal UrduGeoR 17:13  Ai Rab, uṭh aur un kā sāmnā kar, unheṅ zamīn par paṭaḳh de! Apnī talwār se merī jān ko bedīnoṅ se bachā.
Psal UrduGeoR 17:14  Ai Rab, apne hāth se mujhe in se chhuṭkārā de. Unheṅ to is duniyā meṅ apnā hissā mil chukā hai. Kyoṅki tū ne un ke peṭ ko apne māl se bhar diyā, balki un ke beṭe bhī ser ho gae haiṅ aur itnā bāqī hai ki wuh apnī aulād ke lie bhī kāfī kuchh chhoṛ jāeṅge.
Psal UrduGeoR 17:15  Lekin maiṅ ḳhud rāstbāz sābit ho kar tere chehre kā mushāhadā karūṅga, maiṅ jāg kar terī sūrat se ser ho jāūṅgā.
Chapter 18
Psal UrduGeoR 18:1  Rab ke ḳhādim Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Dāūd ne Rab ke lie yih gīt gāyā jab Rab ne use tamām dushmanoṅ aur Sāūl se bachāyā. Wuh bolā, Ai Rab merī quwwat, maiṅ tujhe pyār kartā hūṅ.
Psal UrduGeoR 18:2  Rab merī chaṭān, merā qilā aur merā najātdahindā hai. Merā Ḳhudā merī chaṭān hai jis meṅ maiṅ panāh letā hūṅ. Wuh merī ḍhāl, merī najāt kā pahāṛ, merā buland hisār hai.
Psal UrduGeoR 18:3  Maiṅ Rab ko pukārtā hūṅ, us kī tamjīd ho! Tab wuh mujhe dushmanoṅ se chhuṭkārā detā hai.
Psal UrduGeoR 18:4  Maut ke rassoṅ ne mujhe gher liyā, halākat ke sailāb ne mere dil par dahshat tārī kī.
Psal UrduGeoR 18:5  Pātāl ke rassoṅ ne mujhe jakaṛ liyā, maut ne mere rāste meṅ apne phande ḍāl die.
Psal UrduGeoR 18:6  Jab maiṅ musībat meṅ phaṅs gayā to maiṅ ne Rab ko pukārā. Maiṅ ne madad ke lie apne Ḳhudā se fariyād kī to us ne apnī sukūnatgāh se merī āwāz sunī, merī chīḳheṅ us ke kān tak pahuṅch gaīṅ.
Psal UrduGeoR 18:7  Tab zamīn laraz uṭhī aur thartharāne lagī, pahāṛoṅ kī buniyādeṅ Rab ke ġhazab ke sāmne kāṅpne aur jhūlne lagīṅ.
Psal UrduGeoR 18:8  Us kī nāk se dhuāṅ nikal āyā, us ke muṅh se bhasm karne wāle shole aur dahakte koele bhaṛak uṭhe.
Psal UrduGeoR 18:9  Āsmān ko jhukā kar wuh nāzil huā. Jab utar āyā to us ke pāṅwoṅ ke nīche andherā hī andherā thā.
Psal UrduGeoR 18:10  Wuh karūbī farishte par sawār huā aur uṛ kar hawā ke paroṅ par manḍlāne lagā.
Psal UrduGeoR 18:11  Us ne andhere ko apnī chhupne kī jagah banāyā, bārish ke kāle aur ghane bādal ḳhaime kī tarah apne girdāgird lagāe.
Psal UrduGeoR 18:12  Us ke huzūr kī tez raushnī se us ke bādal ole aur sholāzan koele le kar nikal āe.
Psal UrduGeoR 18:13  Rab āsmān se kaṛakne lagā, Allāh T'ālā kī āwāz gūṅj uṭhī. Tab ole aur sholāzan koele barasne lage.
Psal UrduGeoR 18:14  Us ne apne tīr chalāe to dushman titar-bitar ho gae. Us kī tez bijlī idhar-udhar girtī gaī to un meṅ halchal mach gaī.
Psal UrduGeoR 18:15  Ai Rab, tū ne ḍānṭā to samundar kī wādiyāṅ zāhir huīṅ, jab tū ġhusse meṅ garjā to tere dam ke jhoṅkoṅ se zamīn kī buniyādeṅ nazar āīṅ.
Psal UrduGeoR 18:16  Bulandiyoṅ par se apnā hāth baṛhā kar us ne mujhe pakaṛ liyā, mujhe gahre pānī meṅ se khīṅch kar nikāl lāyā.
Psal UrduGeoR 18:17  Us ne mujhe mere zabardast dushman se bachāyā, un se jo mujh se nafrat karte haiṅ, jin par maiṅ ġhālib na ā sakā.
Psal UrduGeoR 18:18  Jis din maiṅ musībat meṅ phaṅs gayā us din unhoṅ ne mujh par hamlā kiyā, lekin Rab merā sahārā banā rahā.
Psal UrduGeoR 18:19  Us ne mujhe tang jagah se nikāl kar chhuṭkārā diyā, kyoṅki wuh mujh se ḳhush thā.
Psal UrduGeoR 18:20  Rab mujhe merī rāstbāzī kā ajr detā hai. Mere hāth sāf haiṅ, is lie wuh mujhe barkat detā hai.
Psal UrduGeoR 18:21  Kyoṅki maiṅ Rab kī rāhoṅ par chaltā rahā hūṅ, maiṅ badī karne se apne Ḳhudā se dūr nahīṅ huā.
Psal UrduGeoR 18:22  Us ke tamām ahkām mere sāmne rahe haiṅ, maiṅ ne us ke farmānoṅ ko radd nahīṅ kiyā.
Psal UrduGeoR 18:23  Us ke sāmne hī maiṅ be'ilzām rahā, gunāh karne se bāz rahā hūṅ.
Psal UrduGeoR 18:24  Is lie Rab ne mujhe merī rāstbāzī kā ajr diyā, kyoṅki us kī āṅkhoṅ ke sāmne hī meṅ pāk-sāf sābit huā.
Psal UrduGeoR 18:25  Ai Allāh, jo wafādār hai us ke sāth terā sulūk wafādārī kā hai, jo be'ilzām hai us ke sāth terā sulūk be'ilzām hai.
Psal UrduGeoR 18:26  Jo pāk hai us ke sāth terā sulūk pāk hai. Lekin jo kajrau hai us ke sāth terā sulūk bhī kajrawī kā hai.
Psal UrduGeoR 18:27  Kyoṅki tū pasthāloṅ ko najāt detā aur maġhrūr āṅkhoṅ ko past kartā hai.
Psal UrduGeoR 18:28  Ai Rab, tū hī merā charāġh jalātā, merā Ḳhudā hī mere andhere ko raushan kartā hai.
Psal UrduGeoR 18:29  Kyoṅki tere sāth maiṅ faujī daste par hamlā kar saktā, apne Ḳhudā ke sāth dīwār ko phalāṅg saktā hūṅ.
Psal UrduGeoR 18:30  Allāh kī rāh kāmil hai, Rab kā farmān ḳhālis hai. Jo bhī us meṅ panāh le us kī wuh ḍhāl hai.
Psal UrduGeoR 18:31  Kyoṅki Rab ke siwā kaun Ḳhudā hai? Hamāre Ḳhudā ke siwā kaun chaṭān hai?
Psal UrduGeoR 18:32  Allāh mujhe quwwat se kamarbastā kartā, wuh merī rāh ko kāmil kar detā hai.
Psal UrduGeoR 18:33  Wuh mere pāṅwoṅ ko hiran kī-sī phurtī atā kartā, mujhe mazbūtī se merī bulandiyoṅ par khaṛā kartā hai.
Psal UrduGeoR 18:34  Wuh mere hāthoṅ ko jang karne kī tarbiyat detā hai. Ab mere bāzū pītal kī kamān ko bhī tān lete haiṅ.
Psal UrduGeoR 18:35  Ai Rab, tū ne mujhe apnī najāt kī ḍhāl baḳhsh dī hai. Tere dahne hāth ne mujhe qāym rakhā, terī narmī ne mujhe baṛā banā diyā hai.
Psal UrduGeoR 18:36  Tū mere qadmoṅ ke lie rāstā banā detā hai, is lie mere ṭaḳhne nahīṅ ḍagmagāte.
Psal UrduGeoR 18:37  Maiṅ ne apne dushmanoṅ kā tāqqub karke unheṅ pakaṛ liyā, maiṅ bāz na āyā jab tak wuh ḳhatm na ho gae.
Psal UrduGeoR 18:38  Maiṅ ne unheṅ yoṅ pāsh pāsh kar diyā ki dubārā uṭh na sake balki gir kar mere pāṅwoṅ tale paṛe rahe.
Psal UrduGeoR 18:39  Kyoṅki tū ne mujhe jang karne ke lie quwwat se kamarbastā kar diyā, tū ne mere muḳhālifoṅ ko mere sāmne jhukā diyā.
Psal UrduGeoR 18:40  Tū ne mere dushmanoṅ ko mere sāmne se bhagā diyā, aur maiṅ ne nafrat karne wāloṅ ko tabāh kar diyā.
Psal UrduGeoR 18:41  Wuh madad ke lie chīḳhte-chillāte rahe, lekin bachāne wālā koī nahīṅ thā. Wuh Rab ko pukārte rahe, lekin us ne jawāb na diyā.
Psal UrduGeoR 18:42  Maiṅ ne unheṅ chūr chūr karke gard kī tarah hawā meṅ uṛā diyā. Maiṅ ne unheṅ kachre kī tarah galī meṅ phaiṅk diyā.
Psal UrduGeoR 18:43  Tū ne mujhe qaum ke jhagaṛoṅ se bachā kar aqwām kā sardār banā diyā hai. Jis qaum se maiṅ nāwāqif thā wuh merī ḳhidmat kartī hai.
Psal UrduGeoR 18:44  Jyoṅ hī maiṅ bāt kartā hūṅ to log merī sunte haiṅ. Pardesī dabak kar merī ḳhushāmad karte haiṅ.
Psal UrduGeoR 18:45  Wuh himmat hār kar kāṅpte hue apne qiloṅ se nikal āte haiṅ.
Psal UrduGeoR 18:46  Rab zindā hai! Merī chaṭān kī tamjīd ho! Merī najāt ke Ḳhudā kī tāzīm ho!
Psal UrduGeoR 18:47  Wuhī Ḳhudā hai jo merā intaqām letā, aqwām ko mere tābe kar detā
Psal UrduGeoR 18:48  aur mujhe mere dushmanoṅ se chhuṭkārā detā hai. Yaqīnan tū mujhe mere muḳhālifoṅ par sarfarāz kartā, mujhe zālimoṅ se bachāe rakhtā hai.
Psal UrduGeoR 18:49  Ai Rab, is lie maiṅ aqwām meṅ terī hamd-o-sanā karūṅga, tere nām kī tārīf meṅ gīt gāūṅgā.
Psal UrduGeoR 18:50  Kyoṅki Rab apne bādshāh ko baṛī najāt detā hai, wuh apne masah kie hue bādshāh Dāūd aur us kī aulād par hameshā tak mehrbān rahegā.
Chapter 19
Psal UrduGeoR 19:1  Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Āsmān Allāh ke jalāl kā elān karte haiṅ, āsmānī gumbad us ke hāthoṅ kā kām bayān kartā hai.
Psal UrduGeoR 19:2  Ek din dūsre ko ittalā detā, ek rāt dūsrī ko ḳhabar pahuṅchātī hai,
Psal UrduGeoR 19:3  lekin zabān se nahīṅ. Go un kī āwāz sunāī nahīṅ detī,
Psal UrduGeoR 19:4  to bhī un kī āwāz nikal kar pūrī duniyā meṅ sunāī detī, un ke alfāz duniyā kī intahā tak pahuṅch jāte haiṅ. Wahāṅ Allāh ne āftāb ke lie ḳhaimā lagāyā hai.
Psal UrduGeoR 19:5  Jis tarah dūlhā apnī ḳhābgāh se nikaltā hai usī tarah sūraj nikal kar pahalwān kī tarah apnī dauṛ dauṛne par ḳhushī manātā hai.
Psal UrduGeoR 19:6  Āsmān ke ek sire se chaṛh kar us kā chakkar dūsre sire tak lagtā hai. Us kī taptī garmī se koī bhī chīz poshīdā nahīṅ rahtī.
Psal UrduGeoR 19:7  Rab kī sharīat kāmil hai, us se jān meṅ jān ā jātī hai. Rab ke ahkām qābil-e-etamād haiṅ, un se sādālauh dānishmand ho jātā hai.
Psal UrduGeoR 19:8  Rab kī hidāyāt bā-insāf haiṅ, un se dil bāġh bāġh ho jātā hai. Rab ke ahkām pāk haiṅ, un se āṅkheṅ chamak uṭhtī haiṅ.
Psal UrduGeoR 19:9  Rab kā ḳhauf pāk hai aur abad tak qāym rahegā. Rab ke farmān sachche aur sab ke sab rāst haiṅ.
Psal UrduGeoR 19:10  Wuh sone balki ḳhālis sone ke ḍher se zyādā marġhūb haiṅ. Wuh shahd balki chhatte ke tāzā shahd se zyādā mīṭhe haiṅ.
Psal UrduGeoR 19:11  Un se tere ḳhādim ko āgāh kiyā jātā hai, un par amal karne se baṛā ajr miltā hai.
Psal UrduGeoR 19:12  Jo ḳhatāeṅ beḳhabrī meṅ sarzad huīṅ kaun unheṅ jāntā hai? Mere poshīdā gunāhoṅ ko muāf kar!
Psal UrduGeoR 19:13  Apne ḳhādim ko gustākhoṅ se mahfūz rakh tāki wuh mujh par hukūmat na kareṅ. Tab maiṅ be'ilzām ho kar sangīn gunāh se pāk rahūṅgā.
Psal UrduGeoR 19:14  Ai Rab, baḳhsh de ki mere muṅh kī bāteṅ aur mere dil kī soch-bichār tujhe pasand āe. Tū hī merī chaṭān aur merā chhuṛāne wālā hai.
Chapter 20
Psal UrduGeoR 20:1  Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Musībat ke din Rab terī sune, Yāqūb ke Ḳhudā kā nām tujhe mahfūz rakhe.
Psal UrduGeoR 20:2  Wuh maqdis se terī madad bheje, wuh Siyyūn se terā sahārā bane.
Psal UrduGeoR 20:3  Wuh terī ġhallā kī nazareṅ yād kare, terī bhasm hone wālī qurbāniyāṅ qabūl farmāe. (Silāh)
Psal UrduGeoR 20:4  Wuh tere dil kī ārzū pūrī kare, tere tamām mansūboṅ ko kāmyābī baḳhshe.
Psal UrduGeoR 20:5  Tab ham terī najāt kī ḳhushī manāeṅge, ham apne Ḳhudā ke nām meṅ fatah kā jhanḍā gāṛeṅge. Rab terī tamām guzārisheṅ pūrī kare.
Psal UrduGeoR 20:6  Ab maiṅ ne jān liyā hai ki Rab apne masah kie hue bādshāh kī madad kartā hai. Wuh apne muqaddas āsmān se us kī sun kar apne dahne hāth kī qudrat se use chhuṭkārā degā.
Psal UrduGeoR 20:7  Bāz apne rathoṅ par, bāz apne ghoṛoṅ par faḳhr karte haiṅ, lekin ham Rab apne Ḳhudā ke nām par faḳhr kareṅge.
Psal UrduGeoR 20:8  Hamāre dushman jhuk kar gir jāeṅge, lekin ham uṭh kar mazbūtī se khaṛe raheṅge.
Psal UrduGeoR 20:9  Ai Rab, hamārī madad farmā! Bādshāh hamārī sune jab ham madad ke lie pukāreṅ.
Chapter 21
Psal UrduGeoR 21:1  Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Ai Rab, bādshāh terī quwwat dekh kar shādmān hai, wuh terī najāt kī kitnī baṛī ḳhushī manātā hai.
Psal UrduGeoR 21:2  Tū ne us kī dilī ḳhāhish pūrī kī aur inkār na kiyā jab us kī ārzū ne hoṅṭoṅ par alfāz kā rūp dhārā. (Silāh)
Psal UrduGeoR 21:3  Kyoṅki tū achchhī achchhī barkateṅ apne sāth le kar us se milne āyā, tū ne use ḳhālis sone kā tāj pahnāyā.
Psal UrduGeoR 21:4  Us ne tujh se zindagī pāne kī ārzū kī to tū ne use umr kī darāzī baḳhshī, mazīd itne din ki un kī intahā nahīṅ.
Psal UrduGeoR 21:5  Terī najāt se use baṛī izzat hāsil huī, tū ne use shān-o-shaukat se ārāstā kiyā.
Psal UrduGeoR 21:6  Kyoṅki tū use abad tak barkat detā, use apne chehre ke huzūr lā kar nihāyat ḳhush kar detā hai.
Psal UrduGeoR 21:7  Kyoṅki bādshāh Rab par etamād kartā hai, Allāh T'ālā kī shafqat use ḍagmagāne se bachāegī.
Psal UrduGeoR 21:8  Tere dushman tere qabze meṅ ā jāeṅge, jo tujh se nafrat karte haiṅ unheṅ terā dahnā hāth pakaṛ legā.
Psal UrduGeoR 21:9  Jab tū un par zāhir hogā to wuh bhaṛaktī bhaṭṭī kī-sī musībat meṅ phaṅs jāeṅge. Rab apne ġhazab meṅ unheṅ haṛap kar legā, aur āg unheṅ khā jāegī.
Psal UrduGeoR 21:10  Tū un kī aulād ko rū-e-zamīn par se miṭā ḍālegā, insānoṅ meṅ un kā nām-o-nishān tak nahīṅ rahegā.
Psal UrduGeoR 21:11  Go wuh tere ḳhilāf sāzisheṅ karte haiṅ to bhī un ke bure mansūbe nākām raheṅge.
Psal UrduGeoR 21:12  Kyoṅki tū unheṅ bhagā kar un ke chehroṅ ko apne tīroṅ kā nishānā banā degā.
Psal UrduGeoR 21:13  Ai Rab, uṭh aur apnī qudrat kā izhār kar tāki ham terī qudrat kī tamjīd meṅ sāz bajā kar gīt gāeṅ.
Chapter 22
Psal UrduGeoR 22:1  Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Tarz: Tulū-e-Subah kī Hirnī. Ai mere Ḳhudā, ai mere Ḳhudā, tū ne mujhe kyoṅ tark kar diyā hai? Maiṅ chīḳh rahā hūṅ, lekin merī najāt nazar nahīṅ ātī.
Psal UrduGeoR 22:2  Ai mere Ḳhudā, din ko maiṅ chillātā hūṅ, lekin tū jawāb nahīṅ detā. Rāt ko pukārtā hūṅ, lekin ārām nahīṅ pātā.
Psal UrduGeoR 22:3  Lekin tū quddūs hai, tū jo Isrāīl kī madahsarāī par taḳhtnashīn hotā hai.
Psal UrduGeoR 22:4  Tujh par hamāre bāpdādā ne bharosā rakhā, aur jab bharosā rakhā to tū ne unheṅ rihāī dī.
Psal UrduGeoR 22:5  Jab unhoṅ ne madad ke lie tujhe pukārā to bachne kā rāstā khul gayā. Jab unhoṅ ne tujh par etamād kiyā to sharmindā na hue.
Psal UrduGeoR 22:6  Lekin maiṅ kīṛā hūṅ, mujhe insān nahīṅ samjhā jātā. Log merī be'izzatī karte, mujhe haqīr jānte haiṅ.
Psal UrduGeoR 22:7  Sab mujhe dekh kar merā mazāq uṛāte haiṅ. Wuh muṅh banā kar taubā taubā karte aur kahte haiṅ,
Psal UrduGeoR 22:8  “Us ne apnā muāmalā Rab ke sapurd kiyā hai. Ab Rab hī use bachāe. Wuhī use chhuṭkārā de, kyoṅki wuhī us se ḳhush hai.”
Psal UrduGeoR 22:9  Yaqīnan tū mujhe māṅ ke peṭ se nikāl lāyā. Maiṅ abhī māṅ kā dūdh pītā thā ki tū ne mere dil meṅ bharosā paidā kiyā.
Psal UrduGeoR 22:10  Jyoṅ hī maiṅ paidā huā mujhe tujh par chhoṛ diyā gayā. Māṅ ke peṭ se hī tū merā Ḳhudā rahā hai.
Psal UrduGeoR 22:11  Mujh se dūr na rah. Kyoṅki musībat ne merā dāman pakaṛ liyā hai, aur koī nahīṅ jo merī madad kare.
Psal UrduGeoR 22:12  Muta'addid bailoṅ ne mujhe gher liyā, Basan ke tāqatwar sānḍ chāroṅ taraf jamā ho gae haiṅ.
Psal UrduGeoR 22:13  Mere ḳhilāf unhoṅ ne apne muṅh khol die haiṅ, us dahāṛte hue sherbabar kī tarah jo shikār ko phāṛne ke josh meṅ ā gayā hai.
Psal UrduGeoR 22:14  Mujhe pānī kī tarah zamīn par unḍelā gayā hai, merī tamām haḍḍiyāṅ alag alag ho gaī haiṅ, jism ke andar merā dil mom kī tarah pighal gayā hai.
Psal UrduGeoR 22:15  Merī tāqat ṭhīkre kī tarah ḳhushk ho gaī, merī zabān tālū se chipak gaī hai. Hāṅ, tū ne mujhe maut kī ḳhāk meṅ liṭā diyā hai.
Psal UrduGeoR 22:16  Kuttoṅ ne mujhe gher rakhā, sharīroṅ ke jatthe ne merā ihātā kiyā hai. Unhoṅ ne mere hāthoṅ aur pāṅwoṅ ko chhed ḍālā hai.
Psal UrduGeoR 22:17  Maiṅ apnī haḍḍiyoṅ ko gin saktā hūṅ. Log ghūr ghūr kar merī musībat se ḳhush hote haiṅ.
Psal UrduGeoR 22:18  Wuh āpas meṅ mere kapṛe bāṅṭ lete aur mere libās par qurā ḍālte haiṅ.
Psal UrduGeoR 22:19  Lekin tū ai Rab, dūr na rah! Ai merī quwwat, merī madad karne ke lie jaldī kar!
Psal UrduGeoR 22:20  Merī jān ko talwār se bachā, merī zindagī ko kutte ke panje se chhuṛā.
Psal UrduGeoR 22:21  Sher ke muṅh se mujhe maḳhlasī de, janglī bailoṅ ke sīṅgoṅ se rihāī atā kar. Ai Rab, tū ne merī sunī hai!
Psal UrduGeoR 22:22  Maiṅ apne bhāiyoṅ ke sāmne tere nām kā elān karūṅga, jamāt ke darmiyān terī madahsarāī karūṅga.
Psal UrduGeoR 22:23  Tum jo Rab kā ḳhauf mānte ho, us kī tamjīd karo! Ai Yāqūb kī tamām aulād, us kā ehtirām karo! Ai Isrāīl ke tamām farzando, us se ḳhauf khāo!
Psal UrduGeoR 22:24  Kyoṅki na us ne musībatzadā kā dukh haqīr jānā, na us kī taklīf se ghin khāī. Us ne apnā muṅh us se na chhupāyā balki us kī sunī jab wuh madad ke lie chīḳhne-chillāne lagā.
Psal UrduGeoR 22:25  Ai Ḳhudā, baṛe ijtimā meṅ maiṅ terī satāish karūṅga, ḳhudātarsoṅ ke sāmne apnī mannat pūrī karūṅga.
Psal UrduGeoR 22:26  Nāchār jī bhar kar khāeṅge, Rab ke tālib us kī hamd-o-sanā kareṅge. Tumhāre dil abad tak zindā raheṅ!
Psal UrduGeoR 22:27  Log duniyā kī intahā tak Rab ko yād karke us kī taraf rujū kareṅge. Ġhairaqwām ke tamām ḳhāndān use sijdā kareṅge.
Psal UrduGeoR 22:28  Kyoṅki Rab ko hī bādshāhī kā iḳhtiyār hāsil hai, wuhī aqwām par hukūmat kartā hai.
Psal UrduGeoR 22:29  Duniyā ke tamām baṛe log us ke huzūr khāeṅge aur sijdā kareṅge. Ḳhāk meṅ utarne wāle sab us ke sāmne jhuk jāeṅge, wuh sab jo apnī zindagī ko ḳhud qāym nahīṅ rakh sakte.
Psal UrduGeoR 22:30  Us ke farzand us kī ḳhidmat kareṅge. Ek āne wālī nasl ko Rab ke bāre meṅ sunāyā jāegā.
Psal UrduGeoR 22:31  Hāṅ, wuh ā kar us kī rāstī ek qaum ko sunāeṅge jo abhī paidā nahīṅ huī, kyoṅki us ne yih kuchh kiyā hai.
Chapter 23
Psal UrduGeoR 23:1  Dāūd kā zabūr. Rab merā charwāhā hai, mujhe kamī na hogī.
Psal UrduGeoR 23:2  Wuh mujhe shādāb charāgāhoṅ meṅ charātā aur pursukūn chashmoṅ ke pās le jātā hai.
Psal UrduGeoR 23:3  Wuh merī jān ko tāzādam kartā aur apne nām kī ḳhātir rāstī kī rāhoṅ par merī qiyādat kartā hai.
Psal UrduGeoR 23:4  Go maiṅ tārīktarīn wādī meṅ se guzarūṅ maiṅ musībat se nahīṅ ḍarūṅga, kyoṅki tū mere sāth hai, terī lāṭhī aur terā asā mujhe tasallī dete haiṅ.
Psal UrduGeoR 23:5  Tū mere dushmanoṅ ke rūbarū mere sāmne mez bichhā kar mere sar ko tel se tar-o-tāzā kartā hai. Merā pyālā terī barkat se chhalak uṭhtā hai.
Psal UrduGeoR 23:6  Yaqīnan bhalāī aur shafqat umr-bhar mere sāth sāth raheṅgī, aur maiṅ jīte-jī Rab ke ghar meṅ sukūnat karūṅga.
Chapter 24
Psal UrduGeoR 24:1  Dāūd kā zabūr. Zamīn aur jo kuchh us par hai Rab kā hai, duniyā aur us ke bāshinde usī ke haiṅ.
Psal UrduGeoR 24:2  Kyoṅki us ne zamīn kī buniyād samundaroṅ par rakhī aur use dariyāoṅ par qāym kiyā.
Psal UrduGeoR 24:3  Kis ko Rab ke pahāṛ par chaṛhnī kī ijāzat hai? Kaun us ke muqaddas maqām meṅ khaṛā ho saktā hai?
Psal UrduGeoR 24:4  Wuh jis ke hāth pāk aur dil sāf haiṅ, jo na fareb kā irādā rakhtā, na qasam khā kar jhūṭ boltā hai.
Psal UrduGeoR 24:5  Wuh Rab se barkat pāegā, use apnī najāt ke Ḳhudā se rāstī milegī.
Psal UrduGeoR 24:6  Yih hogā un logoṅ kā hāl jo Allāh kī marzī dariyāft karte, jo tere chehre ke tālib hote haiṅ, ai Yāqūb ke Ḳhudā. (Silāh)
Psal UrduGeoR 24:7  Ai phāṭako, khul jāo! Ai qadīm darwāzo, pūre taur par khul jāo tāki jalāl kā Bādshāh dāḳhil ho jāe.
Psal UrduGeoR 24:8  Jalāl kā Bādshāh kaun hai? Rab jo qawī aur qādir hai, Rab jo jang meṅ zorāwar hai.
Psal UrduGeoR 24:9  Ai phāṭako, khul jāo! Ai qadīm darwāzo, pūre taur par khul jāo tāki jalāl kā Bādshāh dāḳhil ho jāe.
Psal UrduGeoR 24:10  Jalāl kā Bādshāh kaun hai? Rabbul-afwāj, wuhī jalāl kā Bādshāh hai. (Silāh)
Chapter 25
Psal UrduGeoR 25:1  Dāūd kā zabūr. Ai Rab, maiṅ terā ārzūmand hūṅ.
Psal UrduGeoR 25:2  Ai mere Ḳhudā, tujh par maiṅ bharosā rakhtā hūṅ. Mujhe sharmindā na hone de ki mere dushman mujh par shādiyānā bajāeṅ.
Psal UrduGeoR 25:3  Kyoṅki jo bhī tujh par ummīd rakhe wuh sharmindā nahīṅ hogā jabki jo bilāwajah bewafā hote haiṅ wuhī sharmindā ho jāeṅge.
Psal UrduGeoR 25:4  Ai Rab, apnī rāheṅ mujhe dikhā, mujhe apne rāstoṅ kī tālīm de.
Psal UrduGeoR 25:5  Apnī sachchāī ke mutābiq merī rāhnumāī kar, mujhe tālīm de. Kyoṅki tū merī najāt kā Ḳhudā hai. Din-bhar maiṅ tere intazār meṅ rahtā hūṅ.
Psal UrduGeoR 25:6  Ai Rab, apnā wuh rahm aur mehrbānī yād kar jo tū qadīm zamāne se kartā āyā hai.
Psal UrduGeoR 25:7  Ai Rab, merī jawānī ke gunāhoṅ aur merī bewafā harkatoṅ ko yād na kar balki apnī bhalāī kī ḳhātir aur apnī shafqat ke mutābiq merā ḳhayāl rakh.
Psal UrduGeoR 25:8  Rab bhalā aur ādil hai, is lie wuh gunāhgāroṅ ko sahīh rāh par chalne kī talqīn kartā hai.
Psal UrduGeoR 25:9  Wuh farotanoṅ kī insāf kī rāh par rāhnumāī kartā, halīmoṅ ko apnī rāh kī tālīm detā hai.
Psal UrduGeoR 25:10  Jo Rab ke ahd aur ahkām ke mutābiq zindagī guzāreṅ unheṅ Rab mehrbānī aur wafādārī kī rāhoṅ par le chaltā hai.
Psal UrduGeoR 25:11  Ai Rab, merā qusūr sangīn hai, lekin apne nām kī ḳhātir use muāf kar.
Psal UrduGeoR 25:12  Rab kā ḳhauf mānane wālā kahāṅ hai? Rab ḳhud use us rāh kī tālīm degā jo use chunanā hai.
Psal UrduGeoR 25:13  Tab wuh ḳhushhāl rahegā, aur us kī aulād mulk ko mīrās meṅ pāegī.
Psal UrduGeoR 25:14  Jo Rab kā ḳhauf māneṅ unheṅ wuh apne hamrāz banā kar apne ahd kī tālīm detā hai.
Psal UrduGeoR 25:15  Merī āṅkheṅ Rab ko taktī rahtī haiṅ, kyoṅki wuhī mere pāṅwoṅ ko jāl se nikāl letā hai.
Psal UrduGeoR 25:16  Merī taraf māyl ho jā, mujh par mehrbānī kar! Kyoṅki maiṅ tanhā aur musībatzadā hūṅ.
Psal UrduGeoR 25:17  Mere dil kī pareshāniyāṅ dūr kar, mujhe merī takālīf se rihāī de.
Psal UrduGeoR 25:18  Merī musībat aur tangī par nazar ḍāl kar merī ḳhatāoṅ ko muāf kar.
Psal UrduGeoR 25:19  Dekh, mere dushman kitne zyādā haiṅ, wuh kitnā zulm karke mujh se nafrat karte haiṅ.
Psal UrduGeoR 25:20  Merī jān ko mahfūz rakh, mujhe bachā! Mujhe sharmindā na hone de, kyoṅki maiṅ tujh meṅ panāh letā hūṅ.
Psal UrduGeoR 25:21  Begunāhī aur diyānatdārī merī pahrādārī kareṅ, kyoṅki maiṅ tere intazār meṅ rahtā hūṅ.
Psal UrduGeoR 25:22  Ai Allāh, fidyā de kar Isrāīl ko us kī tamām takālīf se āzād kar!
Chapter 26
Psal UrduGeoR 26:1  Dāūd kā zabūr. Ai Rab, merā insāf kar, kyoṅki merā chāl-chalan bequsūr hai. Maiṅ ne Rab par bharosā rakhā hai, aur maiṅ ḍāṅwāṅḍol nahīṅ ho jāūṅgā.
Psal UrduGeoR 26:2  Ai Rab, mujhe jāṅch le, mujhe āzmā kar dil kī tah tak merā muāynā kar.
Psal UrduGeoR 26:3  Kyoṅki terī shafqat merī āṅkhoṅ ke sāmne rahī hai, maiṅ terī sachchī rāh par chaltā rahā hūṅ.
Psal UrduGeoR 26:4  Na maiṅ dhokebāzoṅ kī majlis meṅ baiṭhtā, na chālāk logoṅ se rifāqat rakhtā hūṅ.
Psal UrduGeoR 26:5  Mujhe sharīroṅ ke ijtimāoṅ se nafrat hai, bedīnoṅ ke sāth maiṅ baiṭhtā bhī nahīṅ.
Psal UrduGeoR 26:6  Ai Rab, maiṅ apne hāth dho kar apnī begunāhī kā izhār kartā hūṅ. Maiṅ terī qurbāngāh ke gird phir kar
Psal UrduGeoR 26:7  buland āwāz se terī hamd-o-sanā kartā, tere tamām mojizāt kā elān kartā hūṅ.
Psal UrduGeoR 26:8  Ai Rab, terī sukūnatgāh mujhe pyārī hai, jis jagah terā jalāl ṭhahartā hai wuh mujhe azīz hai.
Psal UrduGeoR 26:9  Merī jān ko mujh se chhīn kar mujhe gunāhgāroṅ meṅ shāmil na kar! Merī zindagī ko miṭā kar mujhe ḳhūṅḳhāroṅ meṅ shumār na kar,
Psal UrduGeoR 26:10  aise logoṅ meṅ jin ke hāth sharmnāk harkatoṅ se ālūdā haiṅ, jo har waqt rishwat khāte haiṅ.
Psal UrduGeoR 26:11  Kyoṅki maiṅ begunāh zindagī guzārtā hūṅ. Fidyā de kar mujhe chhuṭkārā de! Mujh par mehrbānī kar!
Psal UrduGeoR 26:12  Mere pāṅw hamwār zamīn par qāym ho gae haiṅ, aur maiṅ ijtimāoṅ meṅ Rab kī satāish karūṅga.
Chapter 27
Psal UrduGeoR 27:1  Dāūd kā zabūr. Rab merī raushnī aur merī najāt hai, maiṅ kis se ḍarūṅ? Rab merī jān kī panāhgāh hai, maiṅ kis se dahshat khāūṅ?
Psal UrduGeoR 27:2  Jab sharīr mujh par hamlā kareṅ tāki mujhe haṛap kar leṅ, jab mere muḳhālif aur dushman mujh par ṭūṭ paṛeṅ to wuh ṭhokar khā kar gir jāeṅge.
Psal UrduGeoR 27:3  Go fauj mujhe gher le merā dil ḳhauf nahīṅ khāegā, go mere ḳhilāf jang chhiṛ jāe merā bharosā qāym rahegā.
Psal UrduGeoR 27:4  Rab se merī ek guzārish hai, maiṅ ek hī bāt chāhtā hūṅ. Yih ki jīte-jī Rab ke ghar meṅ rah kar us kī shafqat se lutfandoz ho sakūṅ, ki us kī sukūnatgāh meṅ ṭhahar kar mahw-e-ḳhyāl rah sakūṅ.
Psal UrduGeoR 27:5  Kyoṅki musībat ke din wuh mujhe apnī sukūnatgāh meṅ panāh degā, mujhe apne ḳhaime meṅ chhupā legā, mujhe uṭhā kar ūṅchī chaṭān par rakhegā.
Psal UrduGeoR 27:6  Ab maiṅ apne dushmanoṅ par sarbuland hūṅgā, agarche unhoṅ ne mujhe gher rakhā hai. Maiṅ us ke ḳhaime meṅ ḳhushī ke nāre lagā kar qurbāniyāṅ pesh karūṅga, sāz bajā kar Rab kī madahsarāī karūṅga.
Psal UrduGeoR 27:7  Ai Rab, merī āwāz sun jab maiṅ tujhe pukārūṅ, mujh par mehrbānī karke merī sun.
Psal UrduGeoR 27:8  Merā dil tujhe yād dilātā hai ki tū ne ḳhud farmāyā, “Mere chehre ke tālib raho!” Ai Rab, maiṅ tere hī chehre kā tālib rahā hūṅ.
Psal UrduGeoR 27:9  Apne chehre ko mujh se chhupāe na rakh, apne ḳhādim ko ġhusse se apne huzūr se na nikāl. Kyoṅki tū hī merā sahārā rahā hai. Ai merī najāt ke Ḳhudā, mujhe na chhoṛ, mujhe tark na kar.
Psal UrduGeoR 27:10  Kyoṅki mere māṅ-bāp ne mujhe tark kar diyā hai, lekin Rab mujhe qabūl karke apne ghar meṅ lāegā.
Psal UrduGeoR 27:11  Ai Rab, mujhe apnī rāh kī tarbiyat de, hamwār rāste par merī rāhnumāī kar tāki apne dushmanoṅ se mahfūz rahūṅ.
Psal UrduGeoR 27:12  Mujhe muḳhālifoṅ ke lālach meṅ na āne de, kyoṅki jhūṭe gawāh mere ḳhilāf uṭh khaṛe hue haiṅ jo tashaddud karne ke lie taiyār haiṅ.
Psal UrduGeoR 27:13  Lekin merā pūrā īmān yih hai ki maiṅ zindoṅ ke mulk meṅ rah kar Rab kī bhalāī dekhūṅgā.
Psal UrduGeoR 27:14  Rab ke intazār meṅ rah! Mazbūt aur diler ho, aur Rab ke intazār meṅ rah!
Chapter 28
Psal UrduGeoR 28:1  Dāūd kā zabūr. Ai Rab, maiṅ tujhe pukārtā hūṅ. Ai merī chaṭān, ḳhāmoshī se apnā muṅh mujh se na pher. Kyoṅki agar tū chup rahe to maiṅ maut ke gaṛhe meṅ utarne wāloṅ kī mānind ho jāūṅgā.
Psal UrduGeoR 28:2  Merī iltijāeṅ sun jab maiṅ chīḳhte-chillāte tujh se madad māṅgtā hūṅ, jab maiṅ apne hāth terī sukūnatgāh ke Muqaddastarīn Kamre kī taraf uṭhātā hūṅ.
Psal UrduGeoR 28:3  Mujhe un bedīnoṅ ke sāth ghasīṭ kar sazā na de jo ġhalat kām karte haiṅ, jo apne paṛosiyoṅ se bazāhir dostānā bāteṅ karte, lekin dil meṅ un ke ḳhilāf bure mansūbe bāndhte haiṅ.
Psal UrduGeoR 28:4  Unheṅ un kī harkatoṅ aur bure kāmoṅ kā badlā de. Jo kuchh un ke hāthoṅ se sarzad huā hai us kī pūrī sazā de. Unheṅ utnā hī nuqsān pahuṅchā de jitnā unhoṅ ne dūsroṅ ko pahuṅchāyā hai.
Psal UrduGeoR 28:5  Kyoṅki na wuh Rab ke āmāl par, na us ke hāthoṅ ke kām par tawajjuh dete haiṅ. Allāh unheṅ ḍhā degā aur dubārā kabhī tāmīr nahīṅ karegā.
Psal UrduGeoR 28:6  Rab kī tamjīd ho, kyoṅki us ne merī iltijā sun lī.
Psal UrduGeoR 28:7  Rab merī quwwat aur merī ḍhāl hai. Us par mere dil ne bharosā rakhā, us se mujhe madad milī hai. Merā dil shādiyānā bajātā hai, maiṅ gīt gā kar us kī satāish kartā hūṅ.
Psal UrduGeoR 28:8  Rab apnī qaum kī quwwat aur apne masah kie hue ḳhādim kā najātbaḳhsh qilā hai.
Psal UrduGeoR 28:9  Ai Rab, apnī qaum ko najāt de! Apnī mīrās ko barkat de! Un kī gallābānī karke unheṅ hameshā tak uṭhāe rakh.
Chapter 29
Psal UrduGeoR 29:1  Dāūd kā zabūr. Ai Allāh ke farzando, Rab kī tamjīd karo! Rab ke jalāl aur qudrat kī satāish karo!
Psal UrduGeoR 29:2  Rab ke nām ko jalāl do. Muqaddas libās se ārāstā ho kar Rab ko sijdā karo.
Psal UrduGeoR 29:3  Rab kī āwāz samundar ke ūpar gūṅjtī hai. Jalāl kā Ḳhudā garajtā hai, Rab gahre pānī ke ūpar garajtā hai.
Psal UrduGeoR 29:4  Rab kī āwāz zordār hai, Rab kī āwāz purjalāl hai.
Psal UrduGeoR 29:5  Rab kī āwāz deodār ke daraḳhtoṅ ko toṛ ḍāltī hai, Rab Lubnān ke deodār ke daraḳhtoṅ ko ṭukṛe ṭukṛe kar detā hai.
Psal UrduGeoR 29:6  Wuh Lubnān ko bachhṛe aur Koh-e-Siryūn ko janglī bail ke bachche kī tarah kūdne phāṅdne detā hai.
Psal UrduGeoR 29:8  Rab kī āwāz registān ko hilā detī hai, Rab Dasht-e-Qādis ko kāṅpne detā hai.
Psal UrduGeoR 29:9  Rab kī āwāz sun kar hirnī dard-e-zah meṅ mubtalā ho jātī aur jangloṅ ke patte jhaṛ jāte haiṅ. Lekin us kī sukūnatgāh meṅ sab pukārte haiṅ, “Jalāl!”
Psal UrduGeoR 29:10  Rab sailāb ke ūpar taḳhtnashīn hai, Rab bādshāh kī haisiyat se abad tak taḳhtnashīn hai.
Psal UrduGeoR 29:11  Rab apnī qaum ko taqwiyat degā, Rab apne logoṅ ko salāmatī kī barkat degā.
Chapter 30
Psal UrduGeoR 30:1  Dāūd kā zabūr. Rab ke ghar kī maḳhsūsiyat ke mauqe par gīt. Ai Rab, maiṅ terī satāish kartā hūṅ, kyoṅki tū ne mujhe gahrāiyoṅ meṅ se khīṅch nikālā. Tū ne mere dushmanoṅ ko mujh par baġhleṅ bajāne kā mauqā nahīṅ diyā.
Psal UrduGeoR 30:2  Ai Rab mere Ḳhudā, maiṅ ne chīḳhte-chillāte hue tujh se madad māṅgī, aur tū ne mujhe shifā dī.
Psal UrduGeoR 30:3  Ai Rab, tū merī jān ko Pātāl se nikāl lāyā, tū ne merī jān ko maut ke gaṛhe meṅ utarne se bachāyā hai.
Psal UrduGeoR 30:4  Ai īmāndāro, sāz bajā kar Rab kī tārīf meṅ gīt gāo. Us ke muqaddas nām kī hamd-o-sanā karo.
Psal UrduGeoR 30:5  Kyoṅki wuh lamhā-bhar ke lie ġhusse hotā, lekin zindagī-bhar ke lie mehrbānī kartā hai. Go shām ko ronā paṛe, lekin subah ko ham ḳhushī manāeṅge.
Psal UrduGeoR 30:6  Jab hālāt pursukūn the to maiṅ bolā, “Maiṅ kabhī nahīṅ ḍagmagāūṅgā.”
Psal UrduGeoR 30:7  Ai Rab, jab tū mujh se ḳhush thā to tū ne mujhe mazbūt pahāṛ par rakh diyā. Lekin jab tū ne apnā chehrā mujh se chhupā liyā to maiṅ saḳht ghabrā gayā.
Psal UrduGeoR 30:8  Ai Rab, maiṅ ne tujhe pukārā, hāṅ Ḳhudāwand se maiṅ ne iltijā kī,
Psal UrduGeoR 30:9  “Kyā fāydā hai agar maiṅ halāk ho kar maut ke gaṛhe meṅ utar jāūṅ? Kyā ḳhāk terī satāish karegī? Kyā wuh logoṅ ko terī wafādārī ke bāre meṅ batāegī?
Psal UrduGeoR 30:10  Ai Rab, merī sun, mujh par mehrbānī kar. Ai Rab, merī madad karne ke lie ā!”
Psal UrduGeoR 30:11  Tū ne merā mātam ḳhushī ke nāch meṅ badal diyā, tū ne mere mātamī kapṛe utār kar mujhe shādmānī se mulabbas kiyā.
Psal UrduGeoR 30:12  Kyoṅki tū chāhtā hai ki merī jān ḳhāmosh na ho balki gīt gā kar terī tamjīd kartī rahe. Ai Rab mere Ḳhudā, maiṅ abad tak terī hamd-o-sanā karūṅga.
Chapter 31
Psal UrduGeoR 31:1  Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Ai Rab, maiṅ ne tujh meṅ panāh lī hai. Mujhe kabhī sharmindā na hone de balki apnī rāstī ke mutābiq mujhe bachā!
Psal UrduGeoR 31:2  Apnā kān merī taraf jhukā, jald hī mujhe chhuṭkārā de. Chaṭān kā merā burj ho, pahāṛ kā qilā jis meṅ maiṅ panāh le kar najāt pā sakūṅ.
Psal UrduGeoR 31:3  Kyoṅki tū merī chaṭān, merā qilā hai, apne nām kī ḳhātir merī rāhnumāī, merī qiyādat kar.
Psal UrduGeoR 31:4  Mujhe us jāl se nikāl de jo mujhe pakaṛne ke lie chupke se bichhāyā gayā hai. Kyoṅki tū hī merī panāhgāh hai.
Psal UrduGeoR 31:5  Maiṅ apnī rūh tere hāthoṅ meṅ sauṅptā hūṅ. Ai Rab, ai wafādār Ḳhudā, tū ne fidyā de kar mujhe chhuṛāyā hai!
Psal UrduGeoR 31:6  Maiṅ un se nafrat rakhtā hūṅ jo bekār butoṅ se lipṭe rahte haiṅ. Maiṅ to Rab par bharosā rakhtā hūṅ.
Psal UrduGeoR 31:7  Maiṅ bāġh bāġh hūṅgā aur terī shafqat kī ḳhushī manāūṅgā, kyoṅki tū ne merī musībat dekh kar merī jān kī pareshānī kā ḳhayāl kiyā hai.
Psal UrduGeoR 31:8  Tū ne mujhe dushman ke hawāle nahīṅ kiyā balki mere pāṅwoṅ ko khule maidān meṅ qāym kar diyā hai.
Psal UrduGeoR 31:9  Ai Rab, mujh par mehrbānī kar, kyoṅki maiṅ musībat meṅ hūṅ. Ġham ke māre merī āṅkheṅ sūj gaī haiṅ, merī jān aur jism gal rahe haiṅ.
Psal UrduGeoR 31:10  Merī zindagī dukh kī chakkī meṅ pis rahī hai, mere sāl āheṅ bharte bharte zāe ho rahe haiṅ. Mere qusūr kī wajah se merī tāqat jawāb de gaī, merī haḍḍiyāṅ galne-saṛne lagī haiṅ.
Psal UrduGeoR 31:11  Maiṅ apne dushmanoṅ ke lie mazāq kā nishānā ban gayā hūṅ balki mere hamsāe bhī mujhe lān-tān karte, mere jānane wāle mujh se dahshat khāte haiṅ. Galī meṅ jo bhī mujhe dekhe mujh se bhāg jātā hai.
Psal UrduGeoR 31:12  Maiṅ murdoṅ kī mānind un kī yāddāsht se miṭ gayā hūṅ, mujhe ṭhīkre kī tarah phaiṅk diyā gayā hai.
Psal UrduGeoR 31:13  Bahutoṅ kī afwāheṅ mujh tak pahuṅch gaī haiṅ, chāroṅ taraf se haulnāk ḳhabreṅ mil rahī haiṅ. Wuh mil kar mere ḳhilāf sāzisheṅ kar rahe, mujhe qatl karne ke mansūbe bāndh rahe haiṅ.
Psal UrduGeoR 31:14  Lekin maiṅ ai Rab, tujh par bharosā rakhtā hūṅ. Maiṅ kahtā hūṅ, “Tū merā Ḳhudā hai!”
Psal UrduGeoR 31:15  Merī taqdīr tere hāth meṅ hai. Mujhe mere dushmanoṅ ke hāth se bachā, un se jo mere pīchhe paṛ gae haiṅ.
Psal UrduGeoR 31:16  Apne chehre kā nūr apne ḳhādim par chamkā, apnī mehrbānī se mujhe najāt de.
Psal UrduGeoR 31:17  Ai Rab, mujhe sharmindā na hone de, kyoṅki maiṅ ne tujhe pukārā hai. Mere bajāe bedīnoṅ ke muṅh kāle ho jāeṅ, wuh Pātāl meṅ utar kar chup ho jāeṅ.
Psal UrduGeoR 31:18  Un ke farebdeh hoṅṭ band ho jāeṅ, kyoṅki wuh takabbur aur hiqārat se rāstbāz ke ḳhilāf kufr bakte haiṅ.
Psal UrduGeoR 31:19  Terī bhalāī kitnī azīm hai! Tū use un ke lie taiyār rakhtā hai jo terā ḳhauf mānte haiṅ, use unheṅ dikhātā hai jo insānoṅ ke sāmne se tujh meṅ panāh lete haiṅ.
Psal UrduGeoR 31:20  Tū unheṅ apne chehre kī āṛ meṅ logoṅ ke hamloṅ se chhupā letā, unheṅ ḳhaime meṅ lā kar ilzāmtarāsh zabānoṅ se mahfūz rakhtā hai.
Psal UrduGeoR 31:21  Rab kī tamjīd ho, kyoṅki jab shahr kā muhāsarā ho rahā thā to us ne mojizānā taur par mujh par mehrbānī kī.
Psal UrduGeoR 31:22  Us waqt maiṅ ghabrā kar bolā, “Hāy, maiṅ tere huzūr se munqate ho gayā hūṅ!” Lekin jab maiṅ ne chīḳhte-chillāte hue tujh se madad māṅgī to tū ne merī iltijā sun lī.
Psal UrduGeoR 31:23  Ai Rab ke tamām īmāndāro, us se muhabbat rakho! Rab wafādāroṅ ko mahfūz rakhtā, lekin maġhrūroṅ ko un ke rawaiye kā pūrā ajr degā.
Psal UrduGeoR 31:24  Chunāṅche mazbūt aur diler ho, tum sab jo Rab ke intazār meṅ ho.
Chapter 32
Psal UrduGeoR 32:1  Dāūd kā zabūr. Hikmat kā gīt. Mubārak hai wuh jis ke jarāym muāf kie gae. Jis ke gunāh ḍhāṅpe gae haiṅ.
Psal UrduGeoR 32:2  Mubārak hai wuh jis kā gunāh Rab hisāb meṅ nahīṅ lāegā aur jis kī rūh meṅ fareb nahīṅ hai.
Psal UrduGeoR 32:3  Jab maiṅ chup rahā to din-bhar āheṅ bharne se merī haḍḍiyāṅ galne lagīṅ.
Psal UrduGeoR 32:4  Kyoṅki din rāt maiṅ tere hāth ke bojh tale pistā rahā, merī tāqat goyā mausam-e-garmā kī jhulastī tapish meṅ jātī rahī. (Silāh)
Psal UrduGeoR 32:5  Tab maiṅ ne tere sāmne apnā gunāh taslīm kiyā, maiṅ apnā gunāh chhupāne se bāz āyā. Maiṅ bolā, “Maiṅ Rab ke sāmne apne jarāym kā iqrār karūṅga.” Tab tū ne mere gunāh ko muāf kar diyā. (Silāh)
Psal UrduGeoR 32:6  Is lie tamām īmāndār us waqt tujh se duā kareṅ jab tū mil saktā hai. Yaqīnan jab baṛā sailāb āe to un tak nahīṅ pahuṅchegā.
Psal UrduGeoR 32:7  Tū merī chhupne kī jagah hai, tū mujhe pareshānī se mahfūz rakhtā, mujhe najāt ke naġhmoṅ se gher letā hai. (Silāh)
Psal UrduGeoR 32:8  “Maiṅ tujhe tālīm dūṅgā, tujhe wuh rāh dikhāūṅgā jis par tujhe jānā hai. Maiṅ tujhe mashwarā de kar terī dekh-bhāl karūṅga.
Psal UrduGeoR 32:9  Nāsamajh ghoṛe yā ḳhachchar kī mānind na ho, jin par qābū pāne ke lie lagām aur dahāne kī zarūrat hai, warnā wuh tere pās nahīṅ āeṅge.”
Psal UrduGeoR 32:10  Bedīn kī muta'addid pareshāniyāṅ hotī haiṅ, lekin jo Rab par bharosā rakhe use wuh apnī shafqat se ghere rakhtā hai.
Psal UrduGeoR 32:11  Ai rāstbāzo, Rab kī ḳhushī meṅ jashn manāo! Ai tamām diyānatdāro, shādmānī ke nāre lagāo!
Chapter 33
Psal UrduGeoR 33:1  Ai rāstbāzo, Rab kī ḳhushī manāo! Kyoṅki munāsib hai ki sīdhī rāh par chalne wāle us kī satāish kareṅ.
Psal UrduGeoR 33:2  Sarod bajā kar Rab kī hamd-o-sanā karo. Us kī tamjīd meṅ das tāroṅ wālā sāz bajāo.
Psal UrduGeoR 33:3  Us kī tamjīd meṅ nayā gīt gāo, mahārat se sāz bajā kar ḳhushī ke nāre lagāo.
Psal UrduGeoR 33:4  Kyoṅki Rab kā kalām sachchā hai, aur wuh har kām wafādārī se kartā hai.
Psal UrduGeoR 33:5  Use rāstbāzī aur insāf pyāre haiṅ, duniyā Rab kī shafqat se bharī huī hai.
Psal UrduGeoR 33:6  Rab ke kahne par āsmān ḳhalaq huā, us ke muṅh ke dam se sitāroṅ kā pūrā lashkar wujūd meṅ āyā.
Psal UrduGeoR 33:7  Wuh samundar ke pānī kā baṛā ḍher jamā kartā, pānī kī gahrāiyoṅ ko godāmoṅ meṅ mahfūz rakhtā hai.
Psal UrduGeoR 33:8  Kul duniyā Rab kā ḳhauf māne, zamīn ke tamām bāshinde us se dahshat khāeṅ.
Psal UrduGeoR 33:9  Kyoṅki us ne farmāyā to fauran wujūd meṅ āyā, us ne hukm diyā to usī waqt qāym huā.
Psal UrduGeoR 33:10  Rab aqwām kā mansūbā nākām hone detā, wuh ummatoṅ ke irādoṅ ko shikast detā hai.
Psal UrduGeoR 33:11  Lekin Rab kā mansūbā hameshā tak kāmyāb rahtā, us ke dil ke irāde pusht-dar-pusht qāym rahte haiṅ.
Psal UrduGeoR 33:12  Mubārak hai wuh qaum jis kā Ḳhudā Rab hai, wuh qaum jise us ne chun kar apnī mīrās banā liyā hai.
Psal UrduGeoR 33:13  Rab āsmān se nazar ḍāl kar tamām insānoṅ kā mulāhazā kartā hai.
Psal UrduGeoR 33:14  Apne taḳht se wuh zamīn ke tamām bāshindoṅ kā muāynā kartā hai.
Psal UrduGeoR 33:15  Jis ne un sab ke diloṅ ko tashkīl diyā wuh un ke tamām kāmoṅ par dhyān detā hai.
Psal UrduGeoR 33:16  Bādshāh kī baṛī fauj use nahīṅ chhuṛātī, aur sūrme kī baṛī tāqat use nahīṅ bachātī.
Psal UrduGeoR 33:17  Ghoṛā bhī madad nahīṅ kar saktā. Jo us par ummīd rakhe wuh dhokā khāegā. Us kī baṛī tāqat chhuṭkārā nahīṅ detī.
Psal UrduGeoR 33:18  Yaqīnan Rab kī āṅkh un par lagī rahtī hai jo us kā ḳhauf mānte aur us kī mehrbānī ke intazār meṅ rahte haiṅ,
Psal UrduGeoR 33:19  ki wuh un kī jān maut se bachāe aur kāl meṅ mahfūz rakhe.
Psal UrduGeoR 33:20  Hamārī jān Rab ke intazār meṅ hai. Wuhī hamārā sahārā, hamārī ḍhāl hai.
Psal UrduGeoR 33:21  Hamārā dil us meṅ ḳhush hai, kyoṅki ham us ke muqaddas nām par bharosā rakhte haiṅ.
Psal UrduGeoR 33:22  Ai Rab, terī mehrbānī ham par rahe, kyoṅki ham tujh par ummīd rakhte haiṅ.
Chapter 34
Psal UrduGeoR 34:1  Dāūd kā yih zabūr us waqt se mutālliq hai jab us ne Filistī bādshāh Abīmalik ke sāmne pāgal banane kā rūp bhar liyā. Yih dekh kar bādshāh ne use bhagā diyā. Chale jāne ke bād Dāūd ne yih gīt gāyā. Har waqt maiṅ Rab kī tamjīd karūṅga, us kī hamd-o-sanā hameshā hī mere hoṅṭoṅ par rahegī.
Psal UrduGeoR 34:2  Merī jān Rab par faḳhr karegī. Musībatzadā yih sun kar ḳhush ho jāeṅ.
Psal UrduGeoR 34:3  Āo, mere sāth Rab kī tāzīm karo. Āo, ham mil kar us kā nām sarbuland kareṅ.
Psal UrduGeoR 34:4  Maiṅ ne Rab ko talāsh kiyā to us ne merī sunī. Jin chīzoṅ se maiṅ dahshat khā rahā thā un sab se us ne mujhe rihāī dī.
Psal UrduGeoR 34:5  Jin kī āṅkheṅ us par lagī raheṅ wuh ḳhushī se chamkeṅge, aur un ke muṅh sharmindā nahīṅ hoṅge.
Psal UrduGeoR 34:6  Is nāchār ne pukārā to Rab ne us kī sunī, us ne use us kī tamām musībatoṅ se najāt dī.
Psal UrduGeoR 34:7  Jo Rab kā ḳhauf māneṅ un ke irdgird us kā farishtā ḳhaimāzan ho kar un ko bachāe rakhtā hai.
Psal UrduGeoR 34:8  Rab kī bhalāī kā tajrabā karo. Mubārak hai wuh jo us meṅ panāh le.
Psal UrduGeoR 34:9  Ai Rab ke muqaddasīn, us kā ḳhauf māno, kyoṅki jo us kā ḳhauf māneṅ unheṅ kamī nahīṅ.
Psal UrduGeoR 34:10  Jawān sherbabar kabhī zarūratmand aur bhūke hote haiṅ, lekin Rab ke tāliboṅ ko kisī bhī achchhī chīz kī kamī nahīṅ hogī.
Psal UrduGeoR 34:11  Ai bachcho, āo, merī bāteṅ suno! Maiṅ tumheṅ Rab ke ḳhauf kī tālīm dūṅgā.
Psal UrduGeoR 34:12  Kaun maze se zindagī guzārnā aur achchhe din deḳhnā chāhtā hai?
Psal UrduGeoR 34:13  Wuh apnī zabān ko sharīr bāteṅ karne se roke aur apne hoṅṭoṅ ko jhūṭ bolne se.
Psal UrduGeoR 34:14  Wuh burāī se muṅh pher kar nek kām kare, sulah-salāmatī kā tālib ho kar us ke pīchhe lagā rahe.
Psal UrduGeoR 34:15  Rab kī āṅkheṅ rāstbāzoṅ par lagī rahtī haiṅ, aur us ke kān un kī iltijāoṅ kī taraf māyl haiṅ.
Psal UrduGeoR 34:16  Lekin Rab kā chehrā un ke ḳhilāf hai jo ġhalat kām karte haiṅ. Un kā zamīn par nām-o-nishān tak nahīṅ rahegā.
Psal UrduGeoR 34:17  Jab rāstbāz fariyād kareṅ to Rab un kī suntā, wuh unheṅ un kī tamām musībat se chhuṭkārā detā hai.
Psal UrduGeoR 34:18  Rab shikastādiloṅ ke qarīb hotā hai, wuh unheṅ rihāī detā hai jin kī rūh ko ḳhāk meṅ kuchlā gayā ho.
Psal UrduGeoR 34:19  Rāstbāz kī muta'addid takālīf hotī haiṅ, lekin Rab use un sab se bachā letā hai.
Psal UrduGeoR 34:20  Wuh us kī tamām haḍḍiyoṅ kī hifāzat kartā hai, ek bhī nahīṅ toṛī jāegī.
Psal UrduGeoR 34:21  Burāī bedīn ko mār ḍālegī, aur jo rāstbāz se nafrat kare use munāsib ajr milegā.
Psal UrduGeoR 34:22  Lekin Rab apne ḳhādimoṅ kī jān kā fidyā degā. Jo bhī us meṅ panāh le use sazā nahīṅ milegī.
Chapter 35
Psal UrduGeoR 35:1  Dāūd kā zabūr. Ai Rab, un se jhagaṛ jo mere sāth jhagaṛte haiṅ, un se laṛ jo mere sāth laṛte haiṅ.
Psal UrduGeoR 35:2  Lambī aur chhoṭī ḍhāl pakaṛ le aur uṭh kar merī madad karne ā.
Psal UrduGeoR 35:3  Neze aur barchhī ko nikāl kar unheṅ rok de jo merā tāqqub kar rahe haiṅ! Merī jān se farmā, “Maiṅ terī najāt hūṅ!”
Psal UrduGeoR 35:4  Jo merī jān ke lie koshāṅ haiṅ un kā muṅh kālā ho jāe, wuh ruswā ho jāeṅ. Jo mujhe musībat meṅ ḍālne ke mansūbe bāndh rahe haiṅ wuh pīchhe haṭ kar sharmindā hoṅ.
Psal UrduGeoR 35:5  Wuh hawā meṅ bhūse kī tarah uṛ jāeṅ jab Rab kā farishtā unheṅ bhagā de.
Psal UrduGeoR 35:6  Un kā rāstā tārīk aur phisalnā ho jab Rab kā farishtā un ke pīchhe paṛ jāe.
Psal UrduGeoR 35:7  Kyoṅki unhoṅ ne besabab aur chupke se mere rāste meṅ jāl bichhāyā, bilāwajah mujhe pakaṛne kā gaṛhā khodā hai.
Psal UrduGeoR 35:8  Is lie tabāhī achānak hī un par ā paṛe, pahle unheṅ patā hī na chale. Jo jāl unhoṅ ne chupke se bichhāyā us meṅ wuh ḳhud ulajh jāeṅ, jis gaṛhe ko unhoṅ ne khodā us meṅ wuh ḳhud gir kar tabāh ho jāeṅ.
Psal UrduGeoR 35:9  Tab merī jān Rab kī ḳhushī manāegī aur us kī najāt ke bāis shādmān hogī.
Psal UrduGeoR 35:10  Mere tamām āzā kah uṭheṅge, “Ai Rab, kaun terī mānind hai? Koī bhī nahīṅ! Kyoṅki tū hī musībatzadā ko zabardast ādmī se chhuṭkārā detā, tū hī nāchār aur ġharīb ko lūṭne wāle ke hāth se bachā letā hai.”
Psal UrduGeoR 35:11  Zālim gawāh mere ḳhilāf uṭh khaṛe ho rahe haiṅ. Wuh aisī bātoṅ ke bāre meṅ merī pūchh-gachh kar rahe haiṅ jin se maiṅ wāqif hī nahīṅ.
Psal UrduGeoR 35:12  Wuh merī nekī ke ewaz mujhe nuqsān pahuṅchā rahe haiṅ. Ab merī jān tan-e-tanhā hai.
Psal UrduGeoR 35:13  Jab wuh bīmār hue to maiṅ ne ṭāṭ oṛh kar aur rozā rakh kar apnī jān ko dukh diyā. Kāsh merī duā merī god meṅ wāpas āe!
Psal UrduGeoR 35:14  Maiṅ ne yoṅ mātam kiyā jaise merā koī dost yā bhāī ho. Maiṅ mātamī libās pahan kar yoṅ ḳhāk meṅ jhuk gayā jaise apnī māṅ kā janāzā ho.
Psal UrduGeoR 35:15  Lekin jab maiṅ ḳhud ṭhokar khāne lagā to wuh ḳhush ho kar mere ḳhilāf jamā hue. Wuh mujh par hamlā karne ke lie ikaṭṭhe hue, aur mujhe mālūm hī nahīṅ thā. Wuh mujhe phāṛte rahe aur bāz na āe.
Psal UrduGeoR 35:16  Musalsal kufr bak bak kar wuh merā mazāq uṛāte, mere ḳhilāf dāṅt pīste the.
Psal UrduGeoR 35:17  Ai Rab, tū kab tak ḳhāmoshī se deḳhtā rahegā? Merī jān ko un kī tabāhkun harkatoṅ se bachā, merī zindagī ko jawān sheroṅ se chhuṭkārā de.
Psal UrduGeoR 35:18  Tab maiṅ baṛī jamāt meṅ terī satāish aur baṛe hujūm meṅ terī tārīf karūṅga.
Psal UrduGeoR 35:19  Unheṅ mujh par baġhleṅ bajāne na de jo besabab mere dushman haiṅ. Unheṅ mujh par nāk-bhauṅ chaṛhāne na de jo bilāwajah mujh se kīnā rakhte haiṅ.
Psal UrduGeoR 35:20  Kyoṅki wuh ḳhair aur salāmatī kī bāteṅ nahīṅ karte balki un ke ḳhilāf farebdeh mansūbe bāndhte haiṅ jo amn aur sukūn se mulk meṅ rahte haiṅ.
Psal UrduGeoR 35:21  Wuh muṅh phāṛ kar kahte haiṅ, “Lo jī, ham ne apnī āṅkhoṅ se us kī harkateṅ dekhī haiṅ!”
Psal UrduGeoR 35:22  Ai Rab, tujhe sab kuchh nazar āyā hai. Ḳhāmosh na rah! Ai Rab, mujh se dūr na ho.
Psal UrduGeoR 35:23  Ai Rab mere Ḳhudā, jāg uṭh. Mere difā meṅ uṭh kar un se laṛ!
Psal UrduGeoR 35:24  Ai Rab mere Ḳhudā, apnī rāstī ke mutābiq merā insāf kar. Unheṅ mujh par baġhleṅ bajāne na de.
Psal UrduGeoR 35:25  Wuh dil meṅ na socheṅ, “Lo jī, hamārā irādā pūrā huā hai!” Wuh na boleṅ, “Ham ne use haṛap kar liyā hai.”
Psal UrduGeoR 35:26  Jo merā nuqsān dekh kar ḳhush hue un sab kā muṅh kālā ho jāe, wuh sharmindā ho jāeṅ. Jo mujhe dabā kar apne āp par faḳhr karte haiṅ wuh sharmindagī aur ruswāī se mulabbas ho jāeṅ.
Psal UrduGeoR 35:27  Lekin jo mere insāf ke ārzūmand haiṅ wuh ḳhush hoṅ aur shādiyānā bajāeṅ. Wuh kaheṅ, “Rab kī baṛī tārīf ho, jo apne ḳhādim kī ḳhairiyat chāhtā hai.”
Psal UrduGeoR 35:28  Tab merī zabān terī rāstī bayān karegī, wuh sārā din terī tamjīd kartī rahegī.
Chapter 36
Psal UrduGeoR 36:1  Rab ke ḳhādim Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Badkārī bedīn ke dil hī meṅ us se bāt kartī hai. Us kī āṅkhoṅ ke sāmne Allāh kā ḳhauf nahīṅ hotā,
Psal UrduGeoR 36:2  kyoṅki us kī nazar meṅ yih bāt faḳhr kā bāis hai ki use qusūrwār pāyā gayā, ki wuh nafrat kartā hai.
Psal UrduGeoR 36:3  Us ke muṅh se sharārat aur fareb nikaltā hai, wuh samajhdār hone aur nek kām karne se bāz āyā hai.
Psal UrduGeoR 36:4  Apne bistar par bhī wuh sharārat ke mansūbe bāndhtā hai. Wuh mazbūtī se burī rāh par khaṛā rahtā aur burāī ko mustarad nahīṅ kartā.
Psal UrduGeoR 36:5  Ai Rab, terī shafqat āsmān tak, terī wafādārī bādaloṅ tak pahuṅchtī hai.
Psal UrduGeoR 36:6  Terī rāstī bulandtarīn pahāṛoṅ kī mānind, terā insāf samundar kī gahrāiyoṅ jaisā hai. Ai Rab, tū insān-o-haiwān kī madad kartā hai.
Psal UrduGeoR 36:7  Ai Allāh, terī shafqat kitnī beshqīmat hai! Ādamzād tere paroṅ ke sāy meṅ panāh lete haiṅ.
Psal UrduGeoR 36:8  Wuh tere ghar ke umdā khāne se tar-o-tāzā ho jāte haiṅ, aur tū unheṅ apnī ḳhushiyoṅ kī nadī meṅ se pilātā hai.
Psal UrduGeoR 36:9  Kyoṅki zindagī kā sarchashmā tere hī pās hai, aur ham tere nūr meṅ rah kar nūr kā mushāhadā karte haiṅ.
Psal UrduGeoR 36:10  Apnī shafqat un par phailāe rakh jo tujhe jānte haiṅ, apnī rāstī un par jo dil se diyānatdār haiṅ.
Psal UrduGeoR 36:11  Maġhrūroṅ kā pāṅw mujh tak na pahuṅche, bedīnoṅ kā hāth mujhe beghar na banāe.
Psal UrduGeoR 36:12  Dekho, badkār gir gae haiṅ! Unheṅ zamīn par paṭaḳh diyā gayā hai, aur wuh dubārā kabhī nahīṅ uṭheṅge.
Chapter 37
Psal UrduGeoR 37:1  Dāūd kā zabūr. Sharīroṅ ke bāis bechain na ho jā, badkāroṅ par rashk na kar.
Psal UrduGeoR 37:2  Kyoṅki wuh ghās kī tarah jald hī murjhā jāeṅge, hariyālī kī tarah jald hī sūkh jāeṅge.
Psal UrduGeoR 37:3  Rab par bharosā rakh kar bhalāī kar, mulk meṅ rah kar wafādārī kī parwarish kar.
Psal UrduGeoR 37:4  Rab se lutfandoz ho to jo terā dil chāhe wuh tujhe degā.
Psal UrduGeoR 37:5  Apnī rāh Rab ke sapurd kar. Us par bharosā rakh to wuh tujhe kāmyābī baḳhshegā.
Psal UrduGeoR 37:6  Tab wuh terī rāstbāzī sūraj kī tarah tulū hone degā aur terā insāf dopahar kī raushnī kī tarah chamakne degā.
Psal UrduGeoR 37:7  Rab ke huzūr chup ho kar sabar se us kā intazār kar. Beqarār na ho agar sāzisheṅ karne wālā kāmyāb ho.
Psal UrduGeoR 37:8  Ḳhafā hone se bāz ā, ġhusse ko chhoṛ de. Ranjīdā na ho, warnā burā hī natījā niklegā.
Psal UrduGeoR 37:9  Kyoṅki sharīr miṭ jāeṅge jabki Rab se ummīd rakhne wāle mulk ko mīrās meṅ pāeṅge.
Psal UrduGeoR 37:10  Mazīd thoṛī der sabar kar to bedīn kā nām-o-nishān miṭ jāegā. Tū us kā khoj lagāegā, lekin kahīṅ nahīṅ pāegā.
Psal UrduGeoR 37:11  Lekin halīm mulk ko mīrās meṅ pā kar baṛe amn aur sukūn se lutfandoz hoṅge.
Psal UrduGeoR 37:12  Beshak bedīn dāṅt pīs pīs kar rāstbāz ke ḳhilāf sāzisheṅ kartā rahe.
Psal UrduGeoR 37:13  Lekin Rab us par haṅstā hai, kyoṅki wuh jāntā hai ki us kā anjām qarīb hī hai.
Psal UrduGeoR 37:14  Bedīnoṅ ne talwār ko khīṅchā aur kamān ko tān liyā hai tāki nāchāroṅ aur zarūratmandoṅ ko girā deṅ aur sīdhī rāh par chalne wāloṅ ko qatl kareṅ.
Psal UrduGeoR 37:15  Lekin un kī talwār un ke apne dil meṅ ghoṅpī jāegī, un kī kamān ṭūṭ jāegī.
Psal UrduGeoR 37:16  Rāstbāz ko jo thoṛā-bahut hāsil hai wuh bahut bedīnoṅ kī daulat se behtar hai.
Psal UrduGeoR 37:17  Kyoṅki bedīnoṅ kā bāzū ṭūṭ jāegā jabki Rab rāstbāzoṅ ko saṅbhāltā hai.
Psal UrduGeoR 37:18  Rab be'ilzāmoṅ ke din jāntā hai, aur un kī maurūsī milkiyat hameshā ke lie qāym rahegī.
Psal UrduGeoR 37:19  Musībat ke waqt wuh sharmsār nahīṅ hoṅge, kāl bhī paṛe to ser hoṅge.
Psal UrduGeoR 37:20  Lekin bedīn halāk ho jāeṅge, aur Rab ke dushman charāgāhoṅ kī shān kī tarah nest ho jāeṅge, dhueṅ kī tarah ġhāyb ho jāeṅge.
Psal UrduGeoR 37:21  Bedīn qarz letā aur use nahīṅ utārtā, lekin rāstbāz mehrbān hai aur faiyāzī se detā hai.
Psal UrduGeoR 37:22  Kyoṅki jinheṅ Rab barkat de wuh mulk ko mīrās meṅ pāeṅge, lekin jin par wuh lānat bheje un kā nām-o-nishān tak nahīṅ rahegā.
Psal UrduGeoR 37:23  Agar kisī ke pāṅw jam jāeṅ to yih Rab kī taraf se hai. Aise shaḳhs kī rāh ko wuh pasand kartā hai.
Psal UrduGeoR 37:24  Agar gir bhī jāe to paṛā nahīṅ rahegā, kyoṅki Rab us ke hāth kā sahārā banā rahegā.
Psal UrduGeoR 37:25  Maiṅ jawān thā aur ab būṛhā ho gayā hūṅ. Lekin maiṅ ne kabhī nahīṅ dekhā ki rāstbāz ko tark kiyā gayā yā us ke bachchoṅ ko bhīk māṅgnī paṛī.
Psal UrduGeoR 37:26  Wuh hameshā mehrbān aur qarz dene ke lie taiyār hai. Us kī aulād barkat kā bāis hogī.
Psal UrduGeoR 37:27  Burāī se bāz ā kar bhalāī kar. Tab tū hameshā ke lie mulk meṅ ābād rahegā,
Psal UrduGeoR 37:28  kyoṅki Rab ko insāf pyārā hai, aur wuh apne īmāndāroṅ ko kabhī tark nahīṅ karegā. Wuh abad tak mahfūz raheṅge jabki bedīnoṅ kī aulād kā nām-o-nishān tak nahīṅ rahegā.
Psal UrduGeoR 37:29  Rāstbāz mulk ko mīrās meṅ pā kar us meṅ hameshā baseṅge.
Psal UrduGeoR 37:30  Rāstbāz kā muṅh hikmat bayān kartā aur us kī zabān se insāf nikaltā hai.
Psal UrduGeoR 37:31  Allāh kī sharīat us ke dil meṅ hai, aur us ke qadam kabhī nahīṅ ḍagmagāeṅge.
Psal UrduGeoR 37:32  Bedīn rāstbāz kī tāk meṅ baiṭh kar use mār ḍālne kā mauqā ḍhūṅḍtā hai.
Psal UrduGeoR 37:33  Lekin Rab rāstbāz ko us ke hāth meṅ nahīṅ chhoṛegā, wuh use adālat meṅ mujrim nahīṅ ṭhaharne degā.
Psal UrduGeoR 37:34  Rab ke intazār meṅ rah aur us kī rāh par chaltā rah. Tab wuh tujhe sarfarāz karke mulk kā wāris banāegā, aur tū bedīnoṅ kī halākat dekhegā.
Psal UrduGeoR 37:35  Maiṅ ne ek bedīn aur zālim ādmī ko dekhā jo phalte-phūlte deodār ke daraḳht kī tarah āsmān se bāteṅ karne lagā.
Psal UrduGeoR 37:36  Lekin thoṛī der ke bād jab maiṅ dubārā wahāṅ se guzarā to wuh thā nahīṅ. Maiṅ ne us kā khoj lagāyā, lekin kahīṅ na milā.
Psal UrduGeoR 37:37  Be'ilzām par dhyān de aur diyānatdār par ġhaur kar, kyoṅki āḳhirkār use amn aur sukūn hāsil hogā.
Psal UrduGeoR 37:38  Lekin mujrim mil kar tabāh ho jāeṅge, aur bedīnoṅ ko āḳhirkār rū-e-zamīn par se miṭāyā jāegā.
Psal UrduGeoR 37:39  Rāstbāzoṅ kī najāt Rab kī taraf se hai, musībat ke waqt wuhī un kā qilā hai.
Psal UrduGeoR 37:40  Rab hī un kī madad karke unheṅ chhuṭkārā degā, wuhī unheṅ bedīnoṅ se bachā kar najāt degā. Kyoṅki unhoṅ ne us meṅ panāh lī hai.
Chapter 38
Psal UrduGeoR 38:1  Dāūd kā zabūr. Yāddāsht ke lie. Ai Rab, apne ġhazab meṅ mujhe sazā na de, qahr meṅ mujhe tambīh na kar!
Psal UrduGeoR 38:2  Kyoṅki tere tīr mere jism meṅ lag gae haiṅ, terā hāth mujh par bhārī hai.
Psal UrduGeoR 38:3  Terī lānat ke bāis merā pūrā jism bīmār hai, mere gunāh ke bāis merī tamām haḍḍiyāṅ galne lagī haiṅ.
Psal UrduGeoR 38:4  Kyoṅki maiṅ apne gunāhoṅ ke sailāb meṅ ḍūb gayā hūṅ, wuh nāqābil-e-bardāsht bojh ban gae haiṅ.
Psal UrduGeoR 38:5  Merī hamāqat ke bāis mere zaḳhmoṅ se badbū āne lagī, wuh galne lage haiṅ.
Psal UrduGeoR 38:6  Maiṅ kubaṛā ban kar ḳhāk meṅ dab gayā hūṅ, pūrā din mātamī libās pahne phirtā hūṅ.
Psal UrduGeoR 38:7  Merī kamr meṅ shadīd sozish hai, pūrā jism bīmār hai.
Psal UrduGeoR 38:8  Maiṅ niḍhāl aur pāsh pāsh ho gayā hūṅ. Dil ke azāb ke bāis maiṅ chīḳhtā-chillātā hūṅ.
Psal UrduGeoR 38:9  Ai Rab, merī tamām ārzū tere sāmne hai, merī āheṅ tujh se poshīdā nahīṅ rahtīṅ.
Psal UrduGeoR 38:10  Merā dil zor se dhaṛaktā, merī tāqat jawāb de gaī balki merī āṅkhoṅ kī raushnī bhī jātī rahī hai.
Psal UrduGeoR 38:11  Mere dost aur sāthī merī musībat dekh kar mujh se gurez karte, mere qarīb ke rishtedār dūr khaṛe rahte haiṅ.
Psal UrduGeoR 38:12  Mere jānī dushman phande bichhā rahe haiṅ, jo mujhe nuqsān pahuṅchānā chāhte haiṅ wuh dhamkiyāṅ de rahe aur sārā sārā din farebdeh mansūbe bāndh rahe haiṅ.
Psal UrduGeoR 38:13  Aur maiṅ? Maiṅ to goyā bahrā hūṅ, maiṅ nahīṅ suntā. Maiṅ gūṅge kī mānind hūṅ jo apnā muṅh nahīṅ kholtā.
Psal UrduGeoR 38:14  Maiṅ aisā shaḳhs ban gayā hūṅ jo na suntā, na jawāb meṅ etarāz kartā hai.
Psal UrduGeoR 38:15  Kyoṅki ai Rab, maiṅ tere intazār meṅ hūṅ. Ai Rab mere Ḳhudā, tū hī merī sunegā.
Psal UrduGeoR 38:16  Maiṅ bolā, “Aisā na ho ki wuh merā nuqsān dekh kar baġhleṅ bajāeṅ, wuh mere pāṅwoṅ ke ḍagmagāne par mujhe dabā kar apne āp par faḳhr kareṅ.”
Psal UrduGeoR 38:17  Kyoṅki maiṅ laṛkhaṛāne ko hūṅ, merī aziyat mutawātir mere sāmne rahtī hai.
Psal UrduGeoR 38:18  Chunāṅche maiṅ apnā qusūr taslīm kartā hūṅ, maiṅ apne gunāh ke bāis ġhamgīn hūṅ.
Psal UrduGeoR 38:19  Mere dushman zindā aur tāqatwar haiṅ, aur jo bilāwajah mujh se nafrat karte haiṅ wuh bahut haiṅ.
Psal UrduGeoR 38:20  Wuh nekī ke badle badī karte haiṅ. Wuh is lie mere dushman haiṅ ki maiṅ bhalāī ke pīchhe lagā rahtā hūṅ.
Psal UrduGeoR 38:21  Ai Rab, mujhe tark na kar! Ai Allāh, mujh se dūr na rah!
Psal UrduGeoR 38:22  Ai Rab merī najāt, merī madad karne meṅ jaldī kar!
Chapter 39
Psal UrduGeoR 39:1  Dāūd kā zabūr. Yadūtūn ke lie. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Maiṅ bolā, “Maiṅ apnī rāhoṅ par dhyān dūṅgā tāki apnī zabān se gunāh na karūṅ. Jab tak bedīn mere sāmne rahe us waqt tak apne muṅh ko lagām die rahūṅgā.”
Psal UrduGeoR 39:2  Maiṅ chup-chāp ho gayā aur achchhī chīzoṅ se dūr rah kar ḳhāmosh rahā. Tab merī aziyat baṛh gaī.
Psal UrduGeoR 39:3  Merā dil pareshānī se tapne lagā, mere karāhte karāhte mere andar bechainī kī āg-sī bhaṛak uṭhī. Tab bāt zabān par ā gaī,
Psal UrduGeoR 39:4  “Ai Rab, mujhe merā anjām aur merī umr kī had dikhā tāki maiṅ jān lūṅ ki kitnā fānī hūṅ.
Psal UrduGeoR 39:5  Dekh, merī zindagī kā daurāniyā tere sāmne lamhā-bhar kā hai. Merī pūrī umr tere nazdīk kuchh bhī nahīṅ hai. Har insān dam-bhar kā hī hai, ḳhāh wuh kitnī hī mazbūtī se khaṛā kyoṅ na ho. (Silāh)
Psal UrduGeoR 39:6  Jab wuh idhar-udhar ghūme phire to sāyā hī hai. Us kā shor-sharābā bātil hai, aur go wuh daulat jamā karne meṅ masrūf rahe to bhī use mālūm nahīṅ ki bād meṅ kis ke qabze meṅ āegī.”
Psal UrduGeoR 39:7  Chunāṅche ai Rab, maiṅ kis ke intazār meṅ rahūṅ? Tū hī merī wāhid ummīd hai!
Psal UrduGeoR 39:8  Mere tamām gunāhoṅ se mujhe chhuṭkārā de. Ahmaq ko merī ruswāī karne na de.
Psal UrduGeoR 39:9  Maiṅ ḳhāmosh ho gayā hūṅ aur kabhī apnā muṅh nahīṅ kholtā, kyoṅki yih sab kuchh tere hī hāth se huā hai.
Psal UrduGeoR 39:10  Apnā azāb mujh se dūr kar! Tere hāth kī zarboṅ se maiṅ halāk ho rahā hūṅ.
Psal UrduGeoR 39:11  Jab tū insān ko us ke qusūr kī munāsib sazā de kar us ko tambīh kartā hai to us kī ḳhūbsūratī kīṛā lage kapṛe kī tarah jātī rahtī hai. Har insān dam-bhar kā hī hai. (Silāh)
Psal UrduGeoR 39:12  Ai Rab, merī duā sun aur madad ke lie merī āhoṅ par tawajjuh de. Mere āṅsuoṅ ko dekh kar ḳhāmosh na rah. Kyoṅki maiṅ tere huzūr rahne wālā pardesī, apne tamām bāpdādā kī tarah tere huzūr basne wālā ġhairshahrī hūṅ.
Psal UrduGeoR 39:13  Mujh se bāz ā tāki maiṅ kūch karke nest ho jāne se pahle ek bār phir hashshāsh-bashshāsh ho jāūṅ.
Chapter 40
Psal UrduGeoR 40:1  Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Maiṅ sabar se Rab ke intazār meṅ rahā to wuh merī taraf māyl huā aur madad ke lie merī chīḳhoṅ par tawajjuh dī.
Psal UrduGeoR 40:2  Wuh mujhe tabāhī ke gaṛhe se khīṅch lāyā, daldal aur kīchaṛ se nikāl lāyā. Us ne mere pāṅwoṅ ko chaṭān par rakh diyā, aur ab maiṅ mazbūtī se chal-phir saktā hūṅ.
Psal UrduGeoR 40:3  Us ne mere muṅh meṅ nayā gīt ḍāl diyā, hamāre Ḳhudā kī hamd-o-sanā kā gīt ubharne diyā. Bahut-se log yih dekheṅge aur ḳhauf khā kar Rab par bharosā rakheṅge.
Psal UrduGeoR 40:4  Mubārak hai wuh jo Rab par pūrā bharosā rakhtā hai, jo tang karne wāloṅ aur fareb meṅ uljhe huoṅ kī taraf ruḳh nahīṅ kartā.
Psal UrduGeoR 40:5  Ai Rab mere Ḳhudā, bār bār tū ne hameṅ apne mojize dikhāe, jagah bajagah apne mansūbe wujūd meṅ lā kar hamārī madad kī. Tujh jaisā koī nahīṅ hai. Tere azīm kām beshumār haiṅ, maiṅ un kī pūrī fahrist batā bhī nahīṅ saktā.
Psal UrduGeoR 40:6  Tū qurbāniyāṅ aur nazareṅ nahīṅ chāhtā thā, lekin tū ne mere kānoṅ ko khol diyā. Tū ne bhasm hone wālī qurbāniyoṅ aur gunāh kī qurbāniyoṅ kā taqāzā na kiyā.
Psal UrduGeoR 40:7  Phir maiṅ bol uṭhā, “Maiṅ hāzir hūṅ jis tarah mere bāre meṅ kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai.
Psal UrduGeoR 40:8  Ai mere Ḳhudā, maiṅ ḳhushī se terī marzī pūrī kartā hūṅ, terī sharīat mere dil meṅ ṭik gaī hai.”
Psal UrduGeoR 40:9  Maiṅ ne baṛe ijtimā meṅ rāstī kī ḳhushḳhabrī sunāī hai. Ai Rab, yaqīnan tū jāntā hai ki maiṅ ne apne hoṅṭoṅ ko band na rakhā.
Psal UrduGeoR 40:10  Maiṅ ne terī rāstī apne dil meṅ chhupāe na rakhī balki terī wafādārī aur najāt bayān kī. Maiṅ ne baṛe ijtimā meṅ terī shafqat aur sadāqat kī ek bāt bhī poshīdā na rakhī.
Psal UrduGeoR 40:11  Ai Rab, tū mujhe apne rahm se mahrūm nahīṅ rakhegā, terī mehrbānī aur wafādārī musalsal merī nigahbānī kareṅgī.
Psal UrduGeoR 40:12  Kyoṅki beshumār taklīfoṅ ne mujhe gher rakhā hai, mere gunāhoṅ ne āḳhirkār mujhe ā pakaṛā hai. Ab maiṅ nazar bhī nahīṅ uṭhā saktā. Wuh mere sar ke bāloṅ se zyādā haiṅ, is lie maiṅ himmat hār gayā hūṅ.
Psal UrduGeoR 40:13  Ai Rab, mehrbānī karke mujhe bachā! Ai Rab, merī madad karne meṅ jaldī kar!
Psal UrduGeoR 40:14  Mere jānī dushman sab sharmindā ho jāeṅ, un kī saḳht ruswāī ho jāe. Jo merī musībat deḳhne se lutf uṭhāte haiṅ wuh pīchhe haṭ jāeṅ, un kā muṅh kālā ho jāe.
Psal UrduGeoR 40:15  Jo merī musībat dekh kar qahqahā lagāte haiṅ wuh sharm ke māre tabāh ho jāeṅ.
Psal UrduGeoR 40:16  Lekin tere tālib shādmān ho kar terī ḳhushī manāeṅ. Jinheṅ terī najāt pyārī hai wuh hameshā kaheṅ, “Rab azīm hai!”
Psal UrduGeoR 40:17  Maiṅ nāchār aur zarūratmand hūṅ, lekin Rab merā ḳhayāl rakhtā hai. Tū hī merā sahārā aur merā najātdahindā hai. Ai mere Ḳhudā, der na kar!
Chapter 41
Psal UrduGeoR 41:1  Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Mubārak hai wuh jo pasthāl kā ḳhayāl rakhtā hai. Musībat ke din Rab use chhuṭkārā degā.
Psal UrduGeoR 41:2  Rab us kī hifāzat karke us kī zindagī ko mahfūz rakhegā, wuh mulk meṅ use barkat de kar use us ke dushmanoṅ ke lālach ke hawāle nahīṅ karegā.
Psal UrduGeoR 41:3  Bīmārī ke waqt Rab us ko bistar par saṅbhālegā. Tū us kī sehhat pūrī tarah bahāl karegā.
Psal UrduGeoR 41:4  Maiṅ bolā, “Ai Rab, mujh par rahm kar! Mujhe shifā de, kyoṅki maiṅ ne terā hī gunāh kiyā hai.”
Psal UrduGeoR 41:5  Mere dushman mere bāre meṅ ġhalat bāteṅ karke kahte haiṅ, “Wuh kab maregā? Us kā nām-o-nishān kab miṭegā?”
Psal UrduGeoR 41:6  Jab kabhī koī mujh se milne āe to us kā dil jhūṭ boltā hai. Pas-e-pardā wuh aisī nuqsāndeh mālūmāt jamā kartā hai jinheṅ bād meṅ bāhar jā kar galiyoṅ meṅ phailā sake.
Psal UrduGeoR 41:7  Mujh se nafrat karne wāle sab āpas meṅ mere ḳhilāf phusphusāte haiṅ. Wuh mere ḳhilāf bure mansūbe bāndh kar kahte haiṅ,
Psal UrduGeoR 41:8  “Use mohlak marz lag gayā hai. Wuh kabhī apne bistar par se dubārā nahīṅ uṭhegā.”
Psal UrduGeoR 41:9  Merā dost bhī mere ḳhilāf uṭh khaṛā huā hai. Jis par maiṅ etamād kartā thā aur jo merī roṭī khātā thā, us ne mujh par lāt uṭhāī hai.
Psal UrduGeoR 41:10  Lekin tū ai Rab, mujh par mehrbānī kar! Mujhe dubārā uṭhā khaṛā kar tāki unheṅ un ke sulūk kā badlā de sakūṅ.
Psal UrduGeoR 41:11  Is se maiṅ jāntā hūṅ ki tū mujh se ḳhush hai ki merā dushman mujh par fatah ke nāre nahīṅ lagātā.
Psal UrduGeoR 41:12  Tū ne mujhe merī diyānatdārī ke bāis qāym rakhā aur hameshā ke lie apne huzūr khaṛā kiyā hai.
Psal UrduGeoR 41:13  Rab kī hamd ho jo Isrāīl kā Ḳhudā hai. Azal se abad tak us kī tamjīd ho. Āmīn, phir āmīn.
Chapter 42
Psal UrduGeoR 42:1  Qorah kī aulād kā zabūr. Hikmat kā gīt. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Ai Allāh, jis tarah hirnī nadiyoṅ ke tāzā pānī ke lie taṛaptī hai usī tarah merī jān tere lie taṛaptī hai.
Psal UrduGeoR 42:2  Merī jān Ḳhudā, hāṅ zindā Ḳhudā kī pyāsī hai. Maiṅ kab jā kar Allāh kā chehrā dekhūṅgā?
Psal UrduGeoR 42:3  Din rāt mere āṅsū merī ġhizā rahe haiṅ. Kyoṅki pūrā din mujh se kahā jātā hai, “Terā Ḳhudā kahāṅ hai?”
Psal UrduGeoR 42:4  Pahle hālāt yād karke maiṅ apne sāmne apne dil kī āh-o-zārī unḍel detā hūṅ. Kitnā mazā ātā thā jab hamārā julūs nikaltā thā, jab maiṅ hujūm ke bīch meṅ ḳhushī aur shukrguzārī ke nāre lagāte hue Allāh kī sukūnatgāh kī jānib baṛhtā jātā thā. Kitnā shor mach jātā thā jab ham jashn manāte hue ghūmte-phirte the.
Psal UrduGeoR 42:5  Ai merī jān, tū ġham kyoṅ khā rahī hai, bechainī se kyoṅ taṛap rahī hai? Allāh ke intazār meṅ rah, kyoṅki maiṅ dubārā us kī satāish karūṅga jo merā Ḳhudā hai aur mere deḳhte deḳhte mujhe najāt detā hai.
Psal UrduGeoR 42:6  Merī jān ġham ke māre pighal rahī hai. Is lie maiṅ tujhe Yardan ke mulk, Harmūn ke pahāṛī silsile aur Koh-e-Mis'ār se yād kartā hūṅ.
Psal UrduGeoR 42:7  Jab se tere ābshāroṅ kī āwāz buland huī to ek sailāb dūsre ko pukārne lagā hai. Terī tamām maujeṅ aur lahreṅ mujh par se guzar gaī haiṅ.
Psal UrduGeoR 42:8  Din ke waqt Rab apnī shafqat bhejegā, aur rāt ke waqt us kā gīt mere sāth hogā, maiṅ apnī hayāt ke Ḳhudā se duā karūṅga.
Psal UrduGeoR 42:9  Maiṅ Allāh apnī chaṭān se kahūṅgā, “Tū mujhe kyoṅ bhūl gayā hai? Maiṅ apne dushman ke zulm ke bāis kyoṅ mātamī libās pahne phirūṅ?”
Psal UrduGeoR 42:10  Mere dushmanoṅ kī lān-tān se merī haḍḍiyāṅ ṭūṭ rahī haiṅ, kyoṅki pūrā din wuh kahte haiṅ, “Terā Ḳhudā kahāṅ hai?”
Psal UrduGeoR 42:11  Ai merī jān, tū ġham kyoṅ khā rahī hai, bechainī se kyoṅ taṛap rahī hai? Allāh ke intazār meṅ rah, kyoṅki maiṅ dubārā us kī satāish karūṅga jo merā Ḳhudā hai aur mere deḳhte deḳhte mujhe najāt detā hai.
Chapter 43
Psal UrduGeoR 43:1  Ai Allāh, merā insāf kar! Mere lie ġhairīmāndār qaum se laṛ, mujhe dhokebāz aur sharīr ādmiyoṅ se bachā.
Psal UrduGeoR 43:2  Kyoṅki tū merī panāh kā Ḳhudā hai. Tū ne mujhe kyoṅ radd kiyā hai? Maiṅ apne dushman ke zulm ke bāis kyoṅ mātamī libās pahne phirūṅ?
Psal UrduGeoR 43:3  Apnī raushnī aur sachchāī ko bhej tāki wuh merī rāhnumāī karke mujhe tere muqaddas pahāṛ aur terī sukūnatgāh ke pās pahuṅchāeṅ.
Psal UrduGeoR 43:4  Tab maiṅ Allāh kī qurbāngāh ke pās āūṅgā, us Ḳhudā ke pās jo merī ḳhushī aur farhat hai. Ai Allāh mere Ḳhudā, wahāṅ maiṅ sarod bajā kar terī satāish karūṅga.
Psal UrduGeoR 43:5  Ai merī jān, tū ġham kyoṅ khā rahī hai, bechainī se kyoṅ taṛap rahī hai? Allāh ke intazār meṅ rah, kyoṅki maiṅ dubārā us kī satāish karūṅga jo merā Ḳhudā hai aur mere deḳhte deḳhte mujhe najāt detā hai.
Chapter 44
Psal UrduGeoR 44:1  Qorah kī aulād kā zabūr. Hikmat kā gīt. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Ai Allāh, jo kuchh tū ne hamāre bāpdādā ke aiyām meṅ yānī qadīm zamāne meṅ kiyā wuh ham ne apne kānoṅ se un se sunā hai.
Psal UrduGeoR 44:2  Tū ne ḳhud apne hāth se dīgar qaumoṅ ko nikāl kar hamāre bāpdādā ko mulk meṅ paude kī tarah lagā diyā. Tū ne ḳhud dīgar ummatoṅ ko shikast de kar hamāre bāpdādā ko mulk meṅ phalne-phūlne diyā.
Psal UrduGeoR 44:3  Unhoṅ ne apnī hī talwār ke zariye mulk par qabzā nahīṅ kiyā, apne hī bāzū se fatah nahīṅ pāī balki tere dahne hāth, tere bāzū aur tere chehre ke nūr ne yih sab kuchh kiyā. Kyoṅki wuh tujhe pasand the.
Psal UrduGeoR 44:4  Tū merā Bādshāh, merā Ḳhudā hai. Tere hī hukm par Yāqūb ko madad hāsil hotī hai.
Psal UrduGeoR 44:5  Terī madad se ham apne dushmanoṅ ko zamīn par paṭaḳh dete, terā nām le kar apne muḳhālifoṅ ko kuchal dete haiṅ.
Psal UrduGeoR 44:6  Kyoṅki maiṅ apnī kamān par etamād nahīṅ kartā, aur merī talwār mujhe nahīṅ bachāegī
Psal UrduGeoR 44:7  balki tū hī hameṅ dushman se bachātā, tū hī unheṅ sharmindā hone detā hai jo ham se nafrat karte haiṅ.
Psal UrduGeoR 44:8  Pūrā din ham Allāh par faḳhr karte haiṅ, aur ham hameshā tak tere nām kī tamjīd kareṅge. (Silāh)
Psal UrduGeoR 44:9  Lekin ab tū ne hameṅ radd kar diyā, hameṅ sharmindā hone diyā hai. Jab hamārī faujeṅ laṛne ke lie nikaltī haiṅ to tū un kā sāth nahīṅ detā.
Psal UrduGeoR 44:10  Tū ne hameṅ dushman ke sāmne paspā hone diyā, aur jo ham se nafrat karte haiṅ unhoṅ ne hameṅ lūṭ liyā hai.
Psal UrduGeoR 44:11  Tū ne hameṅ bheṛ-bakriyoṅ kī tarah qassāb ke hāth meṅ chhoṛ diyā, hameṅ muḳhtalif qaumoṅ meṅ muntashir kar diyā hai.
Psal UrduGeoR 44:12  Tū ne apnī qaum ko ḳhafīf-sī raqam ke lie bech ḍālā, use faroḳht karne se nafā hāsil na huā.
Psal UrduGeoR 44:13  Yih terī taraf se huā ki hamāre paṛosī hameṅ ruswā karte, gird-o-nawāh ke log hameṅ lān-tān karte haiṅ.
Psal UrduGeoR 44:14  Ham aqwām meṅ ibratangez misāl ban gae haiṅ. Log hameṅ dekh kar taubā taubā kahte haiṅ.
Psal UrduGeoR 44:15  Din-bhar merī ruswāī merī āṅkhoṅ ke sāmne rahtī hai. Merā chehrā sharmsār hī rahtā hai,
Psal UrduGeoR 44:16  kyoṅki mujhe un kī gāliyāṅ aur kufr sunanā paṛtā hai, dushman aur intaqām lene par tule hue ko bardāsht karnā paṛtā hai.
Psal UrduGeoR 44:17  Yih sab kuchh ham par ā gayā hai, hālāṅki na ham tujhe bhūl gae aur na tere ahd se bewafā hue haiṅ.
Psal UrduGeoR 44:18  Na hamārā dil bāġhī ho gayā, na hamāre qadam terī rāh se bhaṭak gae haiṅ.
Psal UrduGeoR 44:19  Tāham tū ne hameṅ chūr chūr karke gīdaṛoṅ ke darmiyān chhoṛ diyā, tū ne hameṅ gahrī tārīkī meṅ ḍūbne diyā hai.
Psal UrduGeoR 44:20  Agar ham apne Ḳhudā kā nām bhūl kar apne hāth kisī aur mābūd kī taraf uṭhāte
Psal UrduGeoR 44:21  to kyā Allāh ko yih bāt mālūm na ho jātī? Zarūr! Wuh to dil ke rāzoṅ se wāqif hotā hai.
Psal UrduGeoR 44:22  Lekin terī ḳhātir hameṅ din-bhar maut kā sāmnā karnā paṛtā hai, log hameṅ zabah hone wālī bheṛoṅ ke barābar samajhte haiṅ.
Psal UrduGeoR 44:23  Ai Rab, jāg uṭh. Tū kyoṅ soyā huā hai? Hameṅ hameshā ke lie radd na kar balki hamārī madad karne ke lie khaṛā ho jā.
Psal UrduGeoR 44:24  Tū apnā chehrā ham se poshīdā kyoṅ rakhtā hai, hamārī musībat aur ham par hone wāle zulm ko nazarandāz kyoṅ kartā hai?
Psal UrduGeoR 44:25  Hamārī jān ḳhāk meṅ dab gaī, hamārā badan miṭṭī se chimaṭ gayā hai.
Psal UrduGeoR 44:26  Uṭh kar hamārī madad kar! Apnī shafqat kī ḳhātir fidyā de kar hameṅ chhuṛā!
Chapter 45
Psal UrduGeoR 45:1  Qorah kī aulād kā zabūr. Hikmat aur muhabbat kā gīt. Tarz: Sosan ke Phūl. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Mere dil se ḳhūbsūrat gīt chhalak rahā hai, maiṅ use bādshāh ko pesh karūṅga. Merī zabān māhir kātib ke qalam kī mānind ho!
Psal UrduGeoR 45:2  Tū ādmiyoṅ meṅ sab se ḳhūbsūrat hai! Tere hoṅṭ shafqat se masah kie hue haiṅ, is lie Allāh ne tujhe abadī barkat dī hai.
Psal UrduGeoR 45:3  Ai sūrme, apnī talwār se kamarbastā ho, apnī shān-o-shaukat se mulabbas ho jā!
Psal UrduGeoR 45:4  Ġhalbā aur kāmyābī hāsil kar. Sachchāī, inkisārī aur rāstī kī ḳhātir laṛne ke lie nikal ā. Terā dahnā hāth tujhe hairatangez kām dikhāe.
Psal UrduGeoR 45:5  Tere tez tīr bādshāh ke dushmanoṅ ke diloṅ ko chhed ḍāleṅ. Qaumeṅ tere pāṅwoṅ meṅ gir jāeṅ.
Psal UrduGeoR 45:6  Ai Allāh, terā taḳht azal se abad tak qāym-o-dāym rahegā, aur insāf kā shāhī asā terī bādshāhī par hukūmat karegā.
Psal UrduGeoR 45:7  Tū ne rāstbāzī se muhabbat aur bedīnī se nafrat kī, is lie Allāh tere Ḳhudā ne tujhe ḳhushī ke tel se masah karke tujhe tere sāthiyoṅ se kahīṅ zyādā sarfarāz kar diyā.
Psal UrduGeoR 45:8  Mur, ūd aur amaltās kī beshqīmat ḳhushbū tere tamām kapṛoṅ se phailtī hai. Hāthīdāṅt ke mahaloṅ meṅ tārdār mausīqī terā dil bahlātī hai.
Psal UrduGeoR 45:9  Bādshāhoṅ kī beṭiyāṅ tere zewarāt se sajī phirtī haiṅ. Malikā Ofīr kā sonā pahne hue tere dahne hāth khaṛī hai.
Psal UrduGeoR 45:10  Ai beṭī, sun merī bāt! Ġhaur kar aur kān lagā. Apnī qaum aur apne bāp kā ghar bhūl jā.
Psal UrduGeoR 45:11  Bādshāh tere husn kā ārzūmand hai, kyoṅki wuh terā āqā hai. Chunāṅche jhuk kar us kā ehtirām kar.
Psal UrduGeoR 45:12  Sūr kī beṭī tohfā le kar āegī, qaum ke amīr terī nazar-e-karm hāsil karne kī koshish kareṅge.
Psal UrduGeoR 45:13  Bādshāh kī beṭī kitnī shāndār chīzoṅ se ārāstā hai. Us kā libās sone ke dhāgoṅ se bunā huā hai.
Psal UrduGeoR 45:14  Use nafīs rangdār kapṛe pahne bādshāh ke pās lāyā jātā hai. Jo kuṅwārī saheliyāṅ us ke pīchhe chaltī haiṅ unheṅ bhī tere sāmne lāyā jātā hai.
Psal UrduGeoR 45:15  Log shādmān ho kar aur ḳhushī manāte hue unheṅ wahāṅ pahuṅchāte haiṅ, aur wuh shāhī mahal meṅ dāḳhil hotī haiṅ.
Psal UrduGeoR 45:16  Ai bādshāh, tere beṭe tere bāpdādā kī jagah khaṛe ho jāeṅge, aur tū unheṅ ra'īs banā kar pūrī duniyā meṅ zimmedāriyāṅ degā.
Psal UrduGeoR 45:17  Pusht-dar-pusht maiṅ tere nām kī tamjīd karūṅga, is lie qaumeṅ hameshā tak terī satāish kareṅgī.
Chapter 46
Psal UrduGeoR 46:1  Qorah kī aulād kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Gīt kā tarz: Kuṅwāriyāṅ. Allāh hamārī panāhgāh aur quwwat hai. Musībat ke waqt wuh hamārā mazbūt sahārā sābit huā hai.
Psal UrduGeoR 46:2  Is lie ham ḳhauf nahīṅ khāeṅge, go zamīn laraz uṭhe aur pahāṛ jhūm kar samundar kī gahrāiyoṅ meṅ gir jāeṅ,
Psal UrduGeoR 46:3  go samundar shor machā kar ṭhāṭheṅ māre aur pahāṛ us kī dahāṛoṅ se kāṅp uṭheṅ. (Silāh)
Psal UrduGeoR 46:4  Dariyā kī shāḳheṅ Allāh ke shahr ko ḳhush kartī haiṅ, us shahr ko jo Allāh T'ālā kī muqaddas sukūnatgāh hai.
Psal UrduGeoR 46:5  Allāh us ke bīch meṅ hai, is lie shahr nahīṅ ḍagmagāegā. Subah-sawere hī Allāh us kī madad karegā.
Psal UrduGeoR 46:6  Qaumeṅ shor machāne, saltanateṅ laṛkhaṛāne lagīṅ. Allāh ne āwāz dī to zamīn laraz uṭhī.
Psal UrduGeoR 46:7  Rabbul-afwāj hamāre sāth hai, Yāqūb kā Ḳhudā hamārā qilā hai. (Silāh)
Psal UrduGeoR 46:8  Āo, Rab ke azīm kāmoṅ par nazar ḍālo! Usī ne zamīn par haulnāk tabāhī nāzil kī hai.
Psal UrduGeoR 46:9  Wuhī duniyā kī intahā tak jangeṅ rok detā, wuhī kamān ko toṛ detā, neze ko ṭukṛe ṭukṛe kartā aur ḍhāl ko jalā detā hai.
Psal UrduGeoR 46:10  Wuh farmātā hai, “Apnī harkatoṅ se bāz āo! Jān lo ki maiṅ Ḳhudā hūṅ. Maiṅ aqwām meṅ sarbuland aur duniyā meṅ sarfarāz hūṅgā.”
Psal UrduGeoR 46:11  Rabbul-afwāj hamāre sāth hai. Yāqūb kā Ḳhudā hamārā qilā hai. (Silāh)
Chapter 47
Psal UrduGeoR 47:1  Qorah kī aulād kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Ai tamām qaumo, tālī bajāo! Ḳhushī ke nāre lagā kar Allāh kī madahsarāī karo!
Psal UrduGeoR 47:2  Kyoṅki Rab T'ālā purjalāl hai, wuh pūrī duniyā kā azīm Bādshāh hai.
Psal UrduGeoR 47:3  Us ne qaumoṅ ko hamāre taht kar diyā, ummatoṅ ko hamāre pāṅwoṅ tale rakh diyā.
Psal UrduGeoR 47:4  Us ne hamāre lie hamārī mīrās ko chun liyā, usī ko jo us ke pyāre bande Yāqūb ke lie faḳhr kā bāis thā. (Silāh)
Psal UrduGeoR 47:5  Allāh ne saūd farmāyā to sāth sāth ḳhushī kā nārā buland huā, Rab bulandī par chaṛh gayā to sāth sāth narsingā bajtā rahā.
Psal UrduGeoR 47:6  Madahsarāī karo, Allāh kī madahsarāī karo! Madahsarāī karo, hamāre Bādshāh kī madahsarāī karo!
Psal UrduGeoR 47:7  Kyoṅki Allāh pūrī duniyā kā Bādshāh hai. Hikmat kā gīt gā kar us kī satāish karo.
Psal UrduGeoR 47:8  Allāh qaumoṅ par hukūmat kartā hai, Allāh apne muqaddas taḳht par baiṭhā hai.
Psal UrduGeoR 47:9  Dīgar qaumoṅ ke shurafā Ibrāhīm ke Ḳhudā kī qaum ke sāth jamā ho gae haiṅ, kyoṅki wuh duniyā ke hukmrānoṅ kā mālik hai. Wuh nihāyat hī sarbuland hai.
Chapter 48
Psal UrduGeoR 48:1  Gīt. Qorah kī aulād kā zabūr. Rab azīm aur baṛī tārīf ke lāyq hai. Us kā muqaddas pahāṛ hamāre Ḳhudā ke shahr meṅ hai.
Psal UrduGeoR 48:2  Koh-e-Siyyūn kī bulandī ḳhūbsūrat hai, pūrī duniyā us se ḳhush hotī hai. Koh-e-Siyyūn dūrtarīn shimāl kā ilāhī pahāṛ hī hai, wuh azīm Bādshāh kā shahr hai.
Psal UrduGeoR 48:3  Allāh us ke mahaloṅ meṅ hai, wuh us kī panāhgāh sābit huā hai.
Psal UrduGeoR 48:4  Kyoṅki dekho, bādshāh jamā ho kar Yarūshalam se laṛne āe.
Psal UrduGeoR 48:5  Lekin use deḳhte hī wuh hairān hue, wuh dahshat khā kar bhāg gae.
Psal UrduGeoR 48:6  Wahāṅ un par kapkapī tārī huī, aur wuh dard-e-zah meṅ mubtalā aurat kī tarah pech-o-tāb khāne lage.
Psal UrduGeoR 48:7  Jis tarah mashriqī āṅdhī Tarsīs ke shāndār jahāzoṅ ko ṭukṛe ṭukṛe kar detī hai usī tarah tū ne unheṅ tabāh kar diyā.
Psal UrduGeoR 48:8  Jo kuchh ham ne sunā hai wuh hamāre deḳhte deḳhte Rabbul-afwāj hamāre Ḳhudā ke shahr par sādiq āyā hai, Allāh use abad tak qāym rakhegā. (Silāh)
Psal UrduGeoR 48:9  Ai Allāh, ham ne terī sukūnatgāh meṅ terī shafqat par ġhaur-o-ḳhauz kiyā hai.
Psal UrduGeoR 48:10  Ai Allāh, terā nām is lāyq hai ki terī tārīf duniyā kī intahā tak kī jāe. Terā dahnā hāth rāstī se bharā rahtā hai.
Psal UrduGeoR 48:11  Koh-e-Siyyūn shādmān ho, Yahūdāh kī beṭiyāṅ tere munsifānā faisloṅ ke bāis ḳhushī manāeṅ.
Psal UrduGeoR 48:12  Siyyūn ke irdgird ghūmo-phiro, us kī fasīl ke sāth sāth chal kar us ke burj gin lo.
Psal UrduGeoR 48:13  Us kī qilābandī par ḳhūb dhyān do, us ke mahaloṅ kā muāynā karo tāki āne wālī nasl ko sab kuchh sunā sako.
Psal UrduGeoR 48:14  Yaqīnan Allāh hamārā Ḳhudā hameshā tak aisā hī hai. Wuh abad tak hamārī rāhnumāī karegā.
Chapter 49
Psal UrduGeoR 49:1  Qorah kī aulād kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Ai tamām qaumo, suno! Duniyā ke tamām bāshindo, dhyān do!
Psal UrduGeoR 49:2  Chhoṭe aur baṛe, amīr aur ġharīb sab tawajjuh deṅ.
Psal UrduGeoR 49:3  Merā muṅh hikmat bayān karegā aur mere dil kā ġhaur-o-ḳhauz samajh atā karegā.
Psal UrduGeoR 49:4  Maiṅ apnā kān ek kahāwat kī taraf jhukāūṅgā, sarod bajā kar apnī pahelī kā hal batāūṅgā.
Psal UrduGeoR 49:5  Maiṅ ḳhauf kyoṅ khāūṅ jab musībat ke din āeṅ aur makkāroṅ kā burā kām mujhe gher le?
Psal UrduGeoR 49:6  Aise log apnī milkiyat par etamād aur apnī baṛī daulat par faḳhr karte haiṅ.
Psal UrduGeoR 49:7  Koī bhī fidyā de kar apne bhāī kī jān ko nahīṅ chhuṛā saktā. Wuh Allāh ko is qism kā tāwān nahīṅ de saktā.
Psal UrduGeoR 49:8  Kyoṅki itnī baṛī raqam denā us ke bas kī bāt nahīṅ. Āḳhirkār use hameshā ke lie aisī koshishoṅ se bāz ānā paṛegā.
Psal UrduGeoR 49:9  Chunāṅche koī bhī hameshā ke lie zindā nahīṅ rah saktā, āḳhirkār har ek maut ke gaṛhe meṅ utregā.
Psal UrduGeoR 49:10  Kyoṅki har ek dekh saktā hai ki dānishmand bhī wafāt pāte aur ahmaq aur nāsamajh bhī mil kar halāk ho jāte haiṅ. Sab ko apnī daulat dūsroṅ ke lie chhoṛnī paṛtī hai.
Psal UrduGeoR 49:11  Un kī qabreṅ abad tak un ke ghar banī raheṅgī, pusht-dar-pusht wuh un meṅ base raheṅge, go unheṅ zamīneṅ hāsil thīṅ jo un ke nām par thīṅ.
Psal UrduGeoR 49:12  Insān apnī shān-o-shaukat ke bāwujūd qāym nahīṅ rahtā, use jānwaroṅ kī tarah halāk honā hai.
Psal UrduGeoR 49:13  Yih un sab kī taqdīr hai jo apne āp par etamād rakhte haiṅ, aur un sab kā anjām jo un kī bāteṅ pasand karte haiṅ. (Silāh)
Psal UrduGeoR 49:14  Unheṅ bheṛ-bakriyoṅ kī tarah Pātāl meṅ lāyā jāegā, aur maut unheṅ charāegī. Kyoṅki subah ke waqt diyānatdār un par hukūmat kareṅge. Tab un kī shakl-o-sūrat ghise-phaṭe kapṛe kī tarah gal saṛ jāegī, Pātāl hī un kī rihāishgāh hogā.
Psal UrduGeoR 49:15  Lekin Allāh merī jān kā fidyā degā, wuh mujhe pakaṛ kar Pātāl kī girift se chhuṛāegā. (Silāh)
Psal UrduGeoR 49:16  Mat ghabrā jab koī amīr ho jāe, jab us ke ghar kī shān-o-shaukat baṛhtī jāe.
Psal UrduGeoR 49:17  Marte waqt to wuh apne sāth kuchh nahīṅ le jāegā, us kī shān-o-shaukat us ke sāth Pātāl meṅ nahīṅ utregī.
Psal UrduGeoR 49:18  Beshak wuh jīte-jī apne āp ko mubārak kahegā, aur dūsre bhī khāte-pīte ādmī kī tārīf kareṅge.
Psal UrduGeoR 49:19  Phir bhī wuh āḳhirkār apne bāpdādā kī nasl ke pās utregā, un ke pās jo dubārā kabhī raushnī nahīṅ dekheṅge.
Psal UrduGeoR 49:20  Jo insān apnī shān-o-shaukat ke bāwujūd nāsamajh hai, use jānwaroṅ kī tarah halāk honā hai.
Chapter 50
Psal UrduGeoR 50:1  Āsaf kā zabūr. Rab Qādir-e-mutlaq Ḳhudā bol uṭhā hai, us ne tulū-e-subah se le kar ġhurūb-e-āftāb tak pūrī duniyā ko bulāyā hai.
Psal UrduGeoR 50:2  Allāh kā nūr Siyyūn se chamak uṭhā hai, us pahāṛ se jo kāmil husn kā izhār hai.
Psal UrduGeoR 50:3  Hamārā Ḳhudā ā rahā hai, wuh ḳhāmosh nahīṅ rahegā. Us ke āge āge sab kuchh bhasm ho rahā hai, us ke irdgird tez āṅdhī chal rahī hai.
Psal UrduGeoR 50:4  Wuh āsmān-o-zamīn ko āwāz detā hai, “Ab maiṅ apnī qaum kī adālat karūṅga.
Psal UrduGeoR 50:5  Mere īmāndāroṅ ko mere huzūr jamā karo, unheṅ jinhoṅ ne qurbāniyāṅ pesh karke mere sāth ahd bāndhā hai.”
Psal UrduGeoR 50:6  Āsmān us kī rāstī kā elān kareṅge, kyoṅki Allāh ḳhud insāf karne wālā hai. (Silāh)
Psal UrduGeoR 50:7  “Ai merī qaum, sun! Mujhe bāt karne de. Ai Isrāīl, maiṅ tere ḳhilāf gawāhī dūṅgā. Maiṅ Allāh terā Ḳhudā hūṅ.
Psal UrduGeoR 50:8  Maiṅ tujhe terī zabah kī qurbāniyoṅ ke bāis malāmat nahīṅ kar rahā. Terī bhasm hone wālī qurbāniyāṅ to musalsal mere sāmne haiṅ.
Psal UrduGeoR 50:9  Na maiṅ tere ghar se bail lūṅgā, na tere bāṛoṅ se bakre.
Psal UrduGeoR 50:10  Kyoṅki jangal ke tamām jāndār mere hī haiṅ, hazāroṅ pahāṛiyoṅ par basne wāle jānwar mere hī haiṅ.
Psal UrduGeoR 50:11  Maiṅ pahāṛoṅ ke har parinde ko jāntā hūṅ, aur jo bhī maidānoṅ meṅ harkat kartā hai wuh merā hai.
Psal UrduGeoR 50:12  Agar mujhe bhūk lagtī to maiṅ tujhe na batātā, kyoṅki zamīn aur jo kuchh us par hai merā hai.
Psal UrduGeoR 50:13  Kyā tū samajhtā hai ki maiṅ sānḍoṅ kā gosht khānā yā bakroṅ kā ḳhūn pīnā chāhtā hūṅ?
Psal UrduGeoR 50:14  Allāh ko shukrguzārī kī qurbānī pesh kar, aur wuh mannat pūrī kar jo tū ne Allāh T'ālā ke huzūr mānī hai.
Psal UrduGeoR 50:15  Musībat ke din mujhe pukār. Tab maiṅ tujhe najāt dūṅgā aur tū merī tamjīd karegā.”
Psal UrduGeoR 50:16  Lekin bedīn se Allāh farmātā hai, “Mere ahkām sunāne aur mere ahd kā zikr karne kā terā kyā haq hai?
Psal UrduGeoR 50:17  Tū to tarbiyat se nafrat kartā aur mere farmān kachre kī tarah apne pīchhe phaiṅk detā hai.
Psal UrduGeoR 50:18  Kisī chor ko deḳhte hī tū us kā sāth detā hai, tū zinākāroṅ se rifāqat rakhtā hai.
Psal UrduGeoR 50:19  Tū apne muṅh ko bure kām ke lie istemāl kartā, apnī zabān ko dhokā dene ke lie taiyār rakhtā hai.
Psal UrduGeoR 50:20  Tū dūsroṅ ke pās baiṭh kar apne bhāī ke ḳhilāf boltā hai, apnī hī māṅ ke beṭe par tohmat lagātā hai.
Psal UrduGeoR 50:21  Yih kuchh tū ne kiyā hai, aur maiṅ ḳhāmosh rahā. Tab tū samjhā ki maiṅ bilkul tujh jaisā hūṅ. Lekin maiṅ tujhe malāmat karūṅga, tere sāmne hī muāmalā tartīb se sunāūṅgā.
Psal UrduGeoR 50:22  Tum jo Allāh ko bhūle hue ho, bāt samajh lo, warnā maiṅ tumheṅ phāṛ ḍālūṅgā. Us waqt koī nahīṅ hogā jo tumheṅ bachāe.
Psal UrduGeoR 50:23  Jo shukrguzārī kī qurbānī pesh kare wuh merī tāzīm kartā hai. Jo musammam irāde se aisī rāh par chale use maiṅ Allāh kī najāt dikhāūṅgā.”
Chapter 51
Psal UrduGeoR 51:1  Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Yih gīt us waqt se mutālliq hai jab Dāūd ke Bat-sabā ke sāth zinā karne ke bād Nātan Nabī us ke pās āyā. Ai Allāh, apnī shafqat ke mutābiq mujh par mehrbānī kar, apne baṛe rahm ke mutābiq merī sarkashī ke dāġh miṭā de.
Psal UrduGeoR 51:2  Mujhe dho de tāki merā qusūr dūr ho jāe, jo gunāh mujh se sarzad huā hai us se mujhe pāk kar.
Psal UrduGeoR 51:3  Kyoṅki maiṅ apnī sarkashī ko māntā hūṅ, aur merā gunāh hameshā mere sāmne rahtā hai.
Psal UrduGeoR 51:4  Maiṅ ne tere, sirf tere hī ḳhilāf gunāh kiyā, maiṅ ne wuh kuchh kiyā jo terī nazar meṅ burā hai. Kyoṅki lāzim hai ki tū bolte waqt rāst ṭhahre aur adālat karte waqt pākīzā sābit ho jāe.
Psal UrduGeoR 51:5  Yaqīnan maiṅ gunāhālūdā hālat meṅ paidā huā. Jyoṅ hī maiṅ māṅ ke peṭ meṅ wujūd meṅ āyā to gunāhgār thā.
Psal UrduGeoR 51:6  Yaqīnan tū bātin kī sachchāī pasand kartā aur poshīdagī meṅ mujhe hikmat kī tālīm detā hai.
Psal UrduGeoR 51:7  Zūfā le kar mujh se gunāh dūr kar tāki pāk-sāf ho jāūṅ. Mujhe dho de tāki barf se zyādā safed ho jāūṅ.
Psal UrduGeoR 51:8  Mujhe dubārā ḳhushī aur shādmānī sunane de tāki jin haḍḍiyoṅ ko tū ne kuchal diyā wuh shādiyānā bajāeṅ.
Psal UrduGeoR 51:9  Apne chehre ko mere gunāhoṅ se pher le, merā tamām qusūr miṭā de.
Psal UrduGeoR 51:10  Ai Allāh, mere andar pāk dil paidā kar, mujh meṅ nae sire se sābitqadam rūh qāym kar.
Psal UrduGeoR 51:11  Mujhe apne huzūr se ḳhārij na kar, na apne muqaddas Rūh ko mujh se dūr kar.
Psal UrduGeoR 51:12  Mujhe dubārā apnī najāt kī ḳhushī dilā, mujhe musta'id rūh atā karke saṅbhāle rakh.
Psal UrduGeoR 51:13  Tab maiṅ unheṅ terī rāhoṅ kī tālīm dūṅgā jo tujh se bewafā ho gae haiṅ, aur gunāhgār tere pās wāpas āeṅge.
Psal UrduGeoR 51:14  Ai Allāh, merī najāt ke Ḳhudā, qatl kā qusūr mujh se dūr karke mujhe bachā. Tab merī zabān terī rāstī kī hamd-o-sanā karegī.
Psal UrduGeoR 51:15  Ai Rab, mere hoṅṭoṅ ko khol tāki merā muṅh terī satāish kare.
Psal UrduGeoR 51:16  Kyoṅki tū zabah kī qurbānī nahīṅ chāhtā, warnā maiṅ wuh pesh kartā. Bhasm hone wālī qurbāniyāṅ tujhe pasand nahīṅ.
Psal UrduGeoR 51:17  Allāh ko manzūr qurbānī shikastā rūh hai. Ai Allāh, tū shikastā aur kuchle hue dil ko haqīr nahīṅ jānegā.
Psal UrduGeoR 51:18  Apnī mehrbānī kā izhār karke Siyyūn ko ḳhushhālī baḳhsh, Yarūshalam kī fasīl tāmīr kar.
Psal UrduGeoR 51:19  Tab tujhe hamārī sahīh qurbāniyāṅ, hamārī bhasm hone wālī aur mukammal qurbāniyāṅ pasand āeṅgī. Tab terī qurbāngāh par bail chaṛhāe jāeṅge.
Chapter 52
Psal UrduGeoR 52:1  Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Hikmat kā yih gīt us waqt se mutālliq hai jab Doeg Adomī Sāūl Bādshāh ke pās gayā aur use batāyā, “Dāūd Aḳhīmalik Imām ke ghar meṅ gayā hai.” Ai sūrme, tū apnī badī par kyoṅ faḳhr kartā hai? Allāh kī shafqat din-bhar qāym rahtī hai.
Psal UrduGeoR 52:2  Ai dhokebāz, terī zabān tez ustre kī tarah chaltī huī tabāhī ke mansūbe bāndhtī hai.
Psal UrduGeoR 52:3  Tujhe bhalāī kī nisbat burāī zyādā pyārī hai, sach bolne kī nisbat jhūṭ zyādā pasand hai. (Silāh)
Psal UrduGeoR 52:4  Ai farebdeh zabān, tū har tabāhkun bāt se pyār kartī hai.
Psal UrduGeoR 52:5  Lekin Allāh tujhe hameshā ke lie ḳhāk meṅ milāegā. Wuh tujhe mār mār kar tere ḳhaime se nikāl degā, tujhe jaṛ se ukhāṛ kar zindoṅ ke mulk se ḳhārij kar degā. (Silāh)
Psal UrduGeoR 52:6  Rāstbāz yih dekh kar ḳhauf khāeṅge. Wuh us par haṅs kar kaheṅge,
Psal UrduGeoR 52:7  “Lo, yih wuh ādmī hai jis ne Allāh meṅ panāh na lī balki apnī baṛī daulat par etamād kiyā, jo apne tabāhkun mansūboṅ se tāqatwar ho gayā thā.”
Psal UrduGeoR 52:8  Lekin maiṅ Allāh ke ghar meṅ zaitūn ke phalte-phūlte daraḳht kī mānind hūṅ. Maiṅ hameshā ke lie Allāh kī shafqat par bharosā rakhūṅgā.
Psal UrduGeoR 52:9  Maiṅ abad tak us ke lie terī satāish karūṅga jo tū ne kiyā hai. Maiṅ tere īmāndāroṅ ke sāmne hī tere nām ke intazār meṅ rahūṅgā, kyoṅki wuh bhalā hai.
Chapter 53
Psal UrduGeoR 53:1  Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Hikmat kā gīt. Tarz: Mahalat. Ahmaq dil meṅ kahtā hai, “Allāh hai hī nahīṅ!” Aise log badchalan haiṅ, un kī harkateṅ qābil-e-ghin haiṅ. Ek bhī nahīṅ hai jo achchhā kām kare.
Psal UrduGeoR 53:2  Allāh ne āsmān se insān par nazar ḍālī tāki dekhe ki kyā koī samajhdār hai? Kyā koī Allāh kā tālib hai?
Psal UrduGeoR 53:3  Afsos, sab sahīh rāh se bhaṭak gae. Sab ke sab bigaṛ gae haiṅ. Koī nahīṅ jo bhalāī kartā ho, ek bhī nahīṅ.
Psal UrduGeoR 53:4  Kyā jo badī karke merī qaum ko roṭī kī tarah khā lete haiṅ unheṅ samajh nahīṅ ātī? Wuh to Allāh ko pukārte hī nahīṅ.
Psal UrduGeoR 53:5  Tab un par saḳht dahshat wahāṅ chhā gaī jahāṅ pahle dahshat kā sabab nahīṅ thā. Jinhoṅ ne tujhe gher rakhā thā Allāh ne un kī haḍḍiyāṅ bikher dīṅ. Tū ne un ko ruswā kiyā, kyoṅki Allāh ne unheṅ radd kiyā hai.
Psal UrduGeoR 53:6  Kāsh Koh-e-Siyyūn se Isrāīl kī najāt nikle! Jab Rab apnī qaum ko bahāl karegā to Yāqūb ḳhushī ke nāre lagāegā, Isrāīl bāġh bāġh hogā.
Chapter 54
Psal UrduGeoR 54:1  Dāūd kā zabūr. Hikmat kā yih gīt tārdār sāzoṅ ke sāth gānā hai. Yih us waqt se mutālliq hai jab Zīf ke bāshindoṅ ne Sāūl ke pās jā kar kahā, “Dāūd hamāre pās chhupā huā hai.” Ai Allāh, apne nām ke zariye se mujhe chhuṭkārā de! Apnī qudrat ke zariye se merā insāf kar!
Psal UrduGeoR 54:2  Ai Allāh, merī iltijā sun, mere muṅh ke alfāz par dhyān de.
Psal UrduGeoR 54:3  Kyoṅki pardesī mere ḳhilāf uṭh khaṛe hue haiṅ, zālim jo Allāh kā lihāz nahīṅ karte merī jān lene ke darpai haiṅ. (Silāh)
Psal UrduGeoR 54:4  Lekin Allāh merā sahārā hai, Rab merī zindagī qāym rakhtā hai.
Psal UrduGeoR 54:5  Wuh mere dushmanoṅ kī sharārat un par wāpas lāegā. Chunāṅche apnī wafādārī dikhā kar unheṅ tabāh kar de!
Psal UrduGeoR 54:6  Maiṅ tujhe razākārānā qurbānī pesh karūṅga. Ai Rab, maiṅ tere nām kī satāish karūṅga, kyoṅki wuh bhalā hai.
Psal UrduGeoR 54:7  Kyoṅki us ne mujhe sārī musībat se rihāī dī, aur ab maiṅ apne dushmanoṅ kī shikast dekh kar ḳhush hūṅgā.
Chapter 55
Psal UrduGeoR 55:1  Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Hikmat kā yih gīt tārdār sāzoṅ ke sāth gānā hai. Ai Allāh, merī duā par dhyān de, apne āp ko merī iltijā se chhupāe na rakh.
Psal UrduGeoR 55:2  Mujh par ġhaur kar, merī sun. Maiṅ bechainī se idhar-udhar ghūmte hue āheṅ bhar rahā hūṅ.
Psal UrduGeoR 55:3  Kyoṅki dushman shor machā rahā, bedīn mujhe tang kar rahā hai. Wuh mujh par āfat lāne par tule hue haiṅ, ġhusse meṅ merī muḳhālafat kar rahe haiṅ.
Psal UrduGeoR 55:4  Merā dil mere andar taṛap rahā hai, maut kī dahshat mujh par chhā gaī hai.
Psal UrduGeoR 55:5  Ḳhauf aur larzish mujh par tārī huī, haibat mujh par ġhālib ā gaī hai.
Psal UrduGeoR 55:6  Maiṅ bolā, “Kāsh mere kabūtar ke-se par hoṅ tāki uṛ kar ārām-o-sukūn pā sakūṅ!
Psal UrduGeoR 55:7  Tab maiṅ dūr tak bhāg kar registān meṅ baserā kartā,
Psal UrduGeoR 55:8  maiṅ jaldī se kahīṅ panāh letā jahāṅ tez āṅdhī aur tūfān se mahfūz rahtā.” (Silāh)
Psal UrduGeoR 55:9  Ai Rab, un meṅ abtarī paidā kar, un kī zabān meṅ iḳhtilāf ḍāl! Kyoṅki mujhe shahr meṅ har taraf zulm aur jhagaṛe nazar āte haiṅ.
Psal UrduGeoR 55:10  Din rāt wuh fasīl par chakkar kāṭte haiṅ, aur shahr fasād aur ḳharābī se bharā rahtā hai.
Psal UrduGeoR 55:11  Us ke bīch meṅ tabāhī kī hukūmat hai, aur zulm aur fareb us ke chauk ko nahīṅ chhoṛte.
Psal UrduGeoR 55:12  Agar koī dushman merī ruswāī kartā to qābil-e-bardāsht hotā. Agar mujh se nafrat karne wālā mujhe dabā kar apne āp ko sarfarāz kartā to maiṅ us se chhup jātā.
Psal UrduGeoR 55:13  Lekin tū hī ne yih kiyā, tū jo mujh jaisā hai, jo merā qarībī dost aur hamrāz hai.
Psal UrduGeoR 55:14  Merī tere sāth kitnī achchhī rifāqat thī jab ham hujūm ke sāth Allāh ke ghar kī taraf chalte gae.
Psal UrduGeoR 55:15  Maut achānak hī unheṅ apnī girift meṅ le le. Zindā hī wuh Pātāl meṅ utar jāeṅ, kyoṅki burāī ne un meṅ apnā ghar banā liyā hai.
Psal UrduGeoR 55:16  Lekin maiṅ pukār kar Allāh se madad māṅgtā hūṅ, aur Rab mujhe najāt degā.
Psal UrduGeoR 55:17  Maiṅ har waqt āh-o-zārī kartā aur karāhtā rahtā hūṅ, ḳhāh subah ho, ḳhāh dopahar yā shām. Aur wuh merī sunegā.
Psal UrduGeoR 55:18  Wuh fidyā de kar merī jān ko un se chhuṛāegā jo mere ḳhilāf laṛ rahe haiṅ. Go un kī tādād baṛī hai wuh mujhe ārām-o-sukūn degā.
Psal UrduGeoR 55:19  Allāh jo azal se taḳhtnashīn hai merī sun kar unheṅ munāsib jawāb degā. (Silāh) Kyoṅki na wuh tabdīl ho jāeṅge, na kabhī Allāh kā ḳhauf māneṅge.
Psal UrduGeoR 55:20  Us shaḳhs ne apnā hāth apne dostoṅ ke ḳhilāf uṭhāyā, us ne apnā ahd toṛ liyā hai.
Psal UrduGeoR 55:21  Us kī zabān par makkhan kī-sī chiknī-chupṛī bāteṅ aur dil meṅ jang hai. Us ke tel se zyādā narm alfāz haqīqat meṅ khīṅchī huī talwāreṅ haiṅ.
Psal UrduGeoR 55:22  Apnā bojh Rab par ḍāl to wuh tujhe saṅbhālegā. Wuh rāstbāz ko kabhī ḍagmagāne nahīṅ degā.
Psal UrduGeoR 55:23  Lekin ai Allāh, tū unheṅ tabāhī ke gaṛhe meṅ utarne degā. Ḳhūṅḳhār aur dhokebāz ādhī umr bhī nahīṅ pāeṅge balki jaldī mareṅge. Lekin maiṅ tujh par bharosā rakhtā hūṅ.
Chapter 56
Psal UrduGeoR 56:1  Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Tarz: Dūr-darāz Jazīroṅ kā Kabūtar. Yih sunahrā gīt us waqt se mutālliq hai jab Filistiyoṅ ne use Jāt meṅ pakaṛ liyā. Ai Allāh, mujh par mehrbānī kar! Kyoṅki log mujhe tang kar rahe haiṅ, laṛne wālā din-bhar mujhe satā rahā hai.
Psal UrduGeoR 56:2  Din-bhar mere dushman mere pīchhe lage haiṅ, kyoṅki wuh bahut haiṅ aur ġhurūr se mujh se laṛ rahe haiṅ.
Psal UrduGeoR 56:3  Lekin jab ḳhauf mujhe apnī girift meṅ le le to maiṅ tujh par hī bharosā rakhtā hūṅ.
Psal UrduGeoR 56:4  Allāh ke kalām par merā faḳhr hai, Allāh par merā bharosā hai. Maiṅ ḍarūṅga nahīṅ, kyoṅki fānī insān mujhe kyā nuqsān pahuṅchā saktā hai?
Psal UrduGeoR 56:5  Din-bhar wuh mere alfāz ko toṛ-maroṛ kar ġhalat mānī nikālte, apne tamām mansūboṅ se mujhe zarar pahuṅchānā chāhte haiṅ.
Psal UrduGeoR 56:6  Wuh hamlā-āwar ho kar tāk meṅ baiṭh jāte aur mere har qadam par ġhaur karte haiṅ. Kyoṅki wuh mujhe mār ḍālne par tule hue haiṅ.
Psal UrduGeoR 56:7  Jo aisī sharīr harkateṅ karte haiṅ, kyā unheṅ bachnā chāhie? Hargiz nahīṅ! Ai Allāh, aqwām ko ġhusse meṅ ḳhāk meṅ milā de.
Psal UrduGeoR 56:8  Jitne bhī din maiṅ beghar phirā hūṅ un kā tū ne pūrā hisāb rakhā hai. Ai Allāh, mere āṅsū apne mashkīze meṅ ḍāl le! Kyā wuh pahle se terī kitāb meṅ qalamband nahīṅ haiṅ? Zarūr!
Psal UrduGeoR 56:9  Phir jab maiṅ tujhe pukārūṅga to mere dushman mujh se bāz āeṅge. Yih maiṅ ne jān liyā hai ki Allāh mere sāth hai!
Psal UrduGeoR 56:10  Allāh ke kalām par merā faḳhr hai, Rab ke kalām par merā faḳhr hai.
Psal UrduGeoR 56:11  Allāh par merā bharosā hai. Maiṅ ḍarūṅga nahīṅ, kyoṅki fānī insān mujhe kyā nuqsān pahuṅchā saktā hai?
Psal UrduGeoR 56:12  Ai Allāh, tere huzūr maiṅ ne mannateṅ mānī haiṅ, aur ab maiṅ tujhe shukrguzārī kī qurbāniyāṅ pesh karūṅga.
Psal UrduGeoR 56:13  Kyoṅki tū ne merī jān ko maut se bachāyā aur mere pāṅwoṅ ko ṭhokar khāne se mahfūz rakhā tāki zindagī kī raushnī meṅ Allāh ke huzūr chalūṅ.
Chapter 57
Psal UrduGeoR 57:1  Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Tarz: Tabāh na Kar. Yih sunahrā gīt us waqt se mutālliq hai jab wuh Sāūl se bhāg kar ġhār meṅ chhup gayā. Ai Allāh, mujh par mehrbānī kar, mujh par mehrbānī kar! Kyoṅki merī jān tujh meṅ panāh letī hai. Jab tak āfat mujh par se guzar na jāe maiṅ tere paroṅ ke sāy meṅ panāh lūṅgā.
Psal UrduGeoR 57:2  Maiṅ Allāh T'ālā ko pukārtā hūṅ, Allāh se jo merā muāmalā ṭhīk karegā.
Psal UrduGeoR 57:3  Wuh āsmān se madad bhej kar mujhe chhuṭkārā degā aur un kī ruswāī karegā jo mujhe tang kar rahe haiṅ. (Silāh) Allāh apnā karm aur wafādārī bhejegā.
Psal UrduGeoR 57:4  Maiṅ insān ko haṛap karne wāle sherbabaroṅ ke bīch meṅ leṭā huā hūṅ, un ke darmiyān jin ke dāṅt neze aur tīr haiṅ aur jin kī zabān tez talwār hai.
Psal UrduGeoR 57:5  Ai Allāh, āsmān par sarbuland ho jā! Terā jalāl pūrī duniyā par chhā jāe!
Psal UrduGeoR 57:6  Unhoṅ ne mere qadmoṅ ke āge phandā bichhā diyā, aur merī jān ḳhāk meṅ dab gaī hai. Unhoṅ ne mere sāmne gaṛhā khod liyā, lekin wuh ḳhud us meṅ gir gae haiṅ. (Silāh)
Psal UrduGeoR 57:7  Ai Allāh, merā dil mazbūt, merā dil sābitqadam hai. Maiṅ sāz bajā kar terī madahsarāī karūṅga.
Psal UrduGeoR 57:8  Ai merī jān, jāg uṭh. Ai sitār aur sarod, jāg uṭho! Āo, maiṅ tulū-e-subah ko jagāūṅ.
Psal UrduGeoR 57:9  Ai Rab, qaumoṅ meṅ maiṅ terī satāish, ummatoṅ meṅ terī madahsarāī karūṅga.
Psal UrduGeoR 57:10  Kyoṅki terī azīm shafqat āsmān jitnī buland hai, terī wafādārī bādaloṅ tak pahuṅchtī hai.
Psal UrduGeoR 57:11  Ai Allāh, āsmān par sarfarāz ho! Terā jalāl pūrī duniyā par chhā jāe.
Chapter 58
Psal UrduGeoR 58:1  Dāūd kā sunahrā gīt. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Tarz: Tabāh na Kar. Ai hukmrāno, kyā tum wāqaī munsifānā faislā karte, kyā diyānatdārī se ādamzādoṅ kī adālat karte ho?
Psal UrduGeoR 58:2  Hargiz nahīṅ, tum dil meṅ badī karte aur mulk meṅ apne zālim hāthoṅ ke lie rāstā banāte ho.
Psal UrduGeoR 58:3  Bedīn paidāish se hī sahīh rāh se dūr ho gae haiṅ, jhūṭ bolne wāle māṅ ke peṭ se hī bhaṭak gae haiṅ.
Psal UrduGeoR 58:4  Wuh sāṅp kī tarah zahr ugalte haiṅ, us bahre nāg kī tarah jo apne kānoṅ ko band kar rakhtā hai
Psal UrduGeoR 58:5  tāki na jādūgar kī āwāz sune, na māhir sapere ke mantar.
Psal UrduGeoR 58:6  Ai Allāh, un ke muṅh ke dāṅt toṛ ḍāl! Ai Rab, jawān sherbabaroṅ ke jabṛe ko pāsh pāsh kar!
Psal UrduGeoR 58:7  Wuh us pānī kī tarah zāe ho jāeṅ jo bah kar ġhāyb ho jātā hai. Un ke chalāe hue tīr beasar raheṅ.
Psal UrduGeoR 58:8  Wuh dhūp meṅ ghoṅge kī mānind hoṅ jo chaltā chaltā pighal jātā hai. Un kā anjām us bachche kā-sā ho jo māṅ ke peṭ meṅ zāe ho kar kabhī sūraj nahīṅ dekhegā.
Psal UrduGeoR 58:9  Is se pahle ki tumhārī degeṅ kāṅṭedār ṭahniyoṅ kī āg mahsūs kareṅ Allāh un sab ko āṅdhī meṅ uṛā kar le jāegā.
Psal UrduGeoR 58:10  Āḳhirkār dushman ko sazā milegī. Yih dekh kar rāstbāz ḳhush hogā, aur wuh apne pāṅwoṅ ko bedīnoṅ ke ḳhūn meṅ dho legā.
Psal UrduGeoR 58:11  Tab log kaheṅge, “Wāqaī rāstbāz ko ajr miltā hai, wāqaī Allāh hai jo duniyā meṅ logoṅ kī adālat kartā hai!”
Chapter 59
Psal UrduGeoR 59:1  Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Tarz: Tabāh na Kar. Yih sunahrā gīt us waqt se mutālliq hai jab Sāūl ne apne ādmiyoṅ ko Dāūd ke ghar kī pahrādārī karne ke lie bhejā tāki jab mauqā mile use qatl kareṅ. Ai mere Ḳhudā, mujhe mere dushmanoṅ se bachā. Un se merī hifāzat kar jo mere ḳhilāf uṭhe haiṅ.
Psal UrduGeoR 59:2  Mujhe badkāroṅ se chhuṭkārā de, ḳhūṅḳhāroṅ se rihā kar.
Psal UrduGeoR 59:3  Dekh, wuh merī tāk meṅ baiṭhe haiṅ. Ai Rab, zabardast ādmī mujh par hamlā-āwar haiṅ, hālāṅki mujh se na ḳhatā huī na gunāh.
Psal UrduGeoR 59:4  Maiṅ bequsūr hūṅ, tāham wuh dauṛ dauṛ kar mujh se laṛne kī taiyāriyāṅ kar rahe haiṅ. Chunāṅche jāg uṭh, merī madad karne ā, jo kuchh ho rahā hai us par nazar ḍāl.
Psal UrduGeoR 59:5  Ai Rab, lashkaroṅ aur Isrāīl ke Ḳhudā, dīgar tamām qaumoṅ ko sazā dene ke lie jāg uṭh. Un sab par karm na farmā jo sharīr aur ġhaddār haiṅ. (Silāh)
Psal UrduGeoR 59:6  Har shām ko wuh wāpas ā jāte aur kuttoṅ kī tarah bhaunkte hue shahr kī galiyoṅ meṅ ghūmte-phirte haiṅ.
Psal UrduGeoR 59:7  Dekh, un ke muṅh se rāl ṭapak rahī hai, un ke hoṅṭoṅ se talwāreṅ nikal rahī haiṅ. Kyoṅki wuh samajhte haiṅ, “Kaun sunegā?”
Psal UrduGeoR 59:8  Lekin tū ai Rab, un par haṅstā hai, tū tamām qaumoṅ kā mazāq uṛātā hai.
Psal UrduGeoR 59:9  Ai merī quwwat, merī āṅkheṅ tujh par lagī raheṅgī, kyoṅki Allāh merā qilā hai.
Psal UrduGeoR 59:10  Merā Ḳhudā apnī mehrbānī ke sāth mujh se milne āegā, Allāh baḳhsh degā ki maiṅ apne dushmanoṅ kī shikast dekh kar ḳhush hūṅgā.
Psal UrduGeoR 59:11  Ai Allāh hamārī ḍhāl, unheṅ halāk na kar, warnā merī qaum terā kām bhūl jāegī. Apnī qudrat kā izhār yoṅ kar ki wuh idhar-udhar laṛkhaṛā kar gir jāeṅ.
Psal UrduGeoR 59:12  Jo kuchh bhī un ke muṅh se nikaltā hai wuh gunāh hai, wuh lānateṅ aur jhūṭ hī sunāte haiṅ. Chunāṅche unheṅ un ke takabbur ke jāl meṅ phaṅsne de.
Psal UrduGeoR 59:13  Ġhusse meṅ unheṅ tabāh kar! Unheṅ yoṅ tabāh kar ki un kā nām-o-nishān tak na rahe. Tab log duniyā kī intahā tak jān leṅge ki Allāh Yāqūb kī aulād par hukūmat kartā hai. (Silāh)
Psal UrduGeoR 59:14  Har shām ko wuh wāpas ā jāte aur kuttoṅ kī tarah bhaunkte hue shahr kī galiyoṅ meṅ ghūmte-phirte haiṅ.
Psal UrduGeoR 59:15  Wuh idhar-udhar gasht lagā kar khāne kī chīzeṅ ḍhūṅḍte haiṅ. Agar peṭ na bhare to ġhurrāte rahte haiṅ.
Psal UrduGeoR 59:16  Lekin maiṅ terī qudrat kī madahsarāī karūṅga, subah ko ḳhushī ke nāre lagā kar terī shafqat kī satāish karūṅga. Kyoṅki tū merā qilā aur musībat ke waqt merī panāhgāh hai.
Psal UrduGeoR 59:17  Ai merī quwwat, maiṅ terī madahsarāī karūṅga, kyoṅki Allāh merā qilā aur merā mehrbān Ḳhudā hai.
Chapter 60
Psal UrduGeoR 60:1  Dāūd kā zabūr. Tarz: Ahd kā Sosan. Tālīm ke lie yih sunahrā gīt us waqt se mutālliq hai jab Dāūd ne Masoputāmiyā ke Arāmiyoṅ aur Zobāh ke Arāmiyoṅ se jang kī. Wāpasī par Yoāb ne Namak kī Wādī meṅ 12,000 Adomiyoṅ ko mār ḍālā. Ai Allāh, tū ne hameṅ radd kiyā, hamārī qilābandī meṅ raḳhnā ḍāl diyā hai. Lekin ab apne ġhazab se bāz ā kar hameṅ bahāl kar.
Psal UrduGeoR 60:2  Tū ne zamīn ko aise jhaṭke die ki us meṅ darāṛeṅ paṛ gaīṅ. Ab us ke shigāfoṅ ko shifā de, kyoṅki wuh abhī tak thartharā rahī hai.
Psal UrduGeoR 60:3  Tū ne apnī qaum ko talḳh tajraboṅ se dochār hone diyā, hameṅ aisī tez mai pilā dī ki ham ḍagmagāne lage haiṅ.
Psal UrduGeoR 60:4  Lekin jo terā ḳhauf mānte haiṅ un ke lie tū ne jhanḍā gāṛ diyā jis ke irdgird wuh jamā ho kar tīroṅ se panāh le sakte haiṅ. (Silāh)
Psal UrduGeoR 60:5  Apne dahne hāth se madad karke merī sun tāki jo tujhe pyāre haiṅ wuh najāt pāeṅ.
Psal UrduGeoR 60:6  Allāh ne apne maqdis meṅ farmāyā hai, “Maiṅ fatah manāte hue Sikam ko taqsīm karūṅga aur Wādī-e-Sukkāt ko nāp kar bāṅṭ dūṅgā.
Psal UrduGeoR 60:7  Jiliyād merā hai aur Manassī merā hai. Ifrāīm merā ḳhod aur Yahūdāh merā shāhī asā hai.
Psal UrduGeoR 60:8  Moāb merā ġhusl kā bartan hai, aur Adom par maiṅ apnā jūtā phaiṅk dūṅgā. Ai Filistī mulk, mujhe dekh kar zordār nāre lagā!”
Psal UrduGeoR 60:9  Kaun mujhe qilāband shahr meṅ lāegā? Kaun merī rāhnumāī karke mujhe Adom tak pahuṅchāegā?
Psal UrduGeoR 60:10  Ai Allāh, tū hī yih kar saktā hai, go tū ne hameṅ radd kiyā hai. Ai Allāh, tū hamārī faujoṅ kā sāth nahīṅ detā jab wuh laṛne ke lie nikaltī haiṅ.
Psal UrduGeoR 60:11  Musībat meṅ hameṅ sahārā de, kyoṅki is waqt insānī madad bekār hai.
Psal UrduGeoR 60:12  Allāh ke sāth ham zabardast kām kareṅge, kyoṅki wuhī hamāre dushmanoṅ ko kuchal degā.
Chapter 61
Psal UrduGeoR 61:1  Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Tārdār sāz ke sāth gānā hai. Ai Allāh, merī āh-o-zārī sun, merī duā par tawajjuh de.
Psal UrduGeoR 61:2  Maiṅ tujhe duniyā kī intahā se pukār rahā hūṅ, kyoṅki merā dil niḍhāl ho gayā hai. Merī rāhnumāī karke mujhe us chaṭān par pahuṅchā de jo mujh se buland hai.
Psal UrduGeoR 61:3  Kyoṅki tū merī panāhgāh rahā hai, ek mazbūt burj jis meṅ maiṅ dushman se mahfūz hūṅ.
Psal UrduGeoR 61:4  Maiṅ hameshā ke lie tere ḳhaime meṅ rahnā, tere paroṅ tale panāh lenā chāhtā hūṅ. (Silāh)
Psal UrduGeoR 61:5  Kyoṅki ai Allāh, tū ne merī mannatoṅ par dhyān diyā, tū ne mujhe wuh mīrās baḳhshī jo un sab ko miltī hai jo terā ḳhauf mānte haiṅ.
Psal UrduGeoR 61:6  Bādshāh ko umr kī darāzī baḳhsh de. Wuh pusht-dar-pusht jītā rahe.
Psal UrduGeoR 61:7  Wuh hameshā tak Allāh ke huzūr taḳhtnashīn rahe. Shafqat aur wafādārī us kī hifāzat kareṅ.
Psal UrduGeoR 61:8  Tab maiṅ hameshā tak tere nām kī madahsarāī karūṅga, roz baroz apnī mannateṅ pūrī karūṅga.
Chapter 62
Psal UrduGeoR 62:1  Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Yadūtūn ke lie. Merī jān ḳhāmoshī se Allāh hī ke intazār meṅ hai. Usī se mujhe madad miltī hai.
Psal UrduGeoR 62:2  Wuhī merī chaṭān, merī najāt aur merā qilā hai, is lie maiṅ zyādā nahīṅ ḍagmagāūṅgā.
Psal UrduGeoR 62:3  Tum kab tak us par hamlā karoge jo pahle hī jhukī huī dīwār kī mānind hai? Tum sab kab tak use qatl karne par tule rahoge jo pahle hī girne wālī chārdīwārī jaisā hai?
Psal UrduGeoR 62:4  Un ke mansūboṅ kā ek hī maqsad hai, ki use us ke ūṅche ohde se utāreṅ. Unheṅ jhūṭ se mazā ātā hai. Muṅh se wuh barkat dete, lekin andar hī andar lānat karte haiṅ. (Silāh)
Psal UrduGeoR 62:5  Lekin tū ai merī jān, ḳhāmoshī se Allāh hī ke intazār meṅ rah. Kyoṅki usī se mujhe ummīd hai.
Psal UrduGeoR 62:6  Sirf wuhī merī jān kī chaṭān, merī najāt aur merā qilā hai, is lie maiṅ nahīṅ ḍagmagāūṅgā.
Psal UrduGeoR 62:7  Merī najāt aur izzat Allāh par mabnī hai, wuhī merī mahfūz chaṭān hai. Allāh meṅ maiṅ panāh letā hūṅ.
Psal UrduGeoR 62:8  Ai ummat, har waqt us par bharosā rakh! Us ke huzūr apne dil kā ranj-o-alam pānī kī tarah unḍel de. Allāh hī hamārī panāhgāh hai. (Silāh)
Psal UrduGeoR 62:9  Insān dam-bhar kā hī hai, aur baṛe log fareb hī haiṅ. Agar unheṅ tarāzū meṅ tolā jāe to mil kar un kā wazn ek phūṅk se bhī kam hai.
Psal UrduGeoR 62:10  Zulm par etamād na karo, chorī karne par fuzūl ummīd na rakho. Aur agar daulat baṛh jāe to tumhārā dil us se lipaṭ na jāe.
Psal UrduGeoR 62:11  Allāh ne ek bāt farmāī balki do bār maiṅ ne sunī hai ki Allāh hī qādir hai.
Psal UrduGeoR 62:12  Ai Rab, yaqīnan tū mehrbān hai, kyoṅki tū har ek ko us ke āmāl kā badlā detā hai.
Chapter 63
Psal UrduGeoR 63:1  Dāūd kā zabūr. Yih us waqt se mutālliq hai jab wuh Yahūdāh ke registān meṅ thā. Ai Allāh, tū merā Ḳhudā hai jise maiṅ ḍhūṅḍtā hūṅ. Merī jān terī pyāsī hai, merā pūrā jism tere lie tarastā hai. Maiṅ us ḳhushk aur niḍhāl mulk kī mānind hūṅ jis meṅ pānī nahīṅ hai.
Psal UrduGeoR 63:2  Chunāṅche maiṅ maqdis meṅ tujhe deḳhne ke intazār meṅ rahā tāki terī qudrat aur jalāl kā mushāhadā karūṅ.
Psal UrduGeoR 63:3  Kyoṅki terī shafqat zindagī se kahīṅ behtar hai, mere hoṅṭ terī madahsarāī kareṅge.
Psal UrduGeoR 63:4  Chunāṅche maiṅ jīte-jī terī satāish karūṅga, terā nām le kar apne hāth uṭhāūṅgā.
Psal UrduGeoR 63:5  Merī jān umdā ġhizā se ser ho jāegī, merā muṅh ḳhushī ke nāre lagā kar terī hamd-o-sanā karegā.
Psal UrduGeoR 63:6  Bistar par maiṅ tujhe yād kartā, pūrī rāt ke daurān tere bāre meṅ sochtā rahtā hūṅ.
Psal UrduGeoR 63:7  Kyoṅki tū merī madad karne āyā, aur maiṅ tere paroṅ ke sāy meṅ ḳhushī ke nāre lagātā hūṅ.
Psal UrduGeoR 63:8  Merī jān tere sāth lipṭī rahtī, aur terā dahnā hāth mujhe saṅbhāltā hai.
Psal UrduGeoR 63:9  Lekin jo merī jān lene par tule hue haiṅ wuh tabāh ho jāeṅge, wuh zamīn kī gahrāiyoṅ meṅ utar jāeṅge.
Psal UrduGeoR 63:10  Unheṅ talwār ke hawāle kiyā jāegā, aur wuh gīdaṛoṅ kī ḳhurāk ban jāeṅge.
Psal UrduGeoR 63:11  Lekin bādshāh Allāh kī ḳhushī manāegā. Jo bhī Allāh kī qasam khātā hai wuh faḳhr karegā, kyoṅki jhūṭ bolne wāloṅ ke muṅh band ho jāeṅge.
Chapter 64
Psal UrduGeoR 64:1  Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Ai Allāh, sun jab maiṅ apnī āh-o-zārī pesh kartā hūṅ. Merī zindagī dushman kī dahshat se mahfūz rakh.
Psal UrduGeoR 64:2  Mujhe badmāshoṅ kī sāzishoṅ se chhupāe rakh, un kī halchal se jo ġhalat kām karte haiṅ.
Psal UrduGeoR 64:3  Wuh apnī zabān ko talwār kī tarah tez karte aur apne zahrīle alfāz ko tīroṅ kī tarah taiyār rakhte haiṅ
Psal UrduGeoR 64:4  tāki tāk meṅ baiṭh kar unheṅ bequsūr par chalāeṅ. Wuh achānak aur bebākī se unheṅ us par barsā dete haiṅ.
Psal UrduGeoR 64:5  Wuh burā kām karne meṅ ek dūsre kī hauslā-afzāī karte, ek dūsre se mashwarā lete haiṅ ki ham apne phande kis tarah chhupā kar lagāeṅ? Wuh kahte haiṅ, “Yih kisī ko bhī nazar nahīṅ āeṅge.”
Psal UrduGeoR 64:6  Wuh baṛī bārīkī se bure mansūboṅ kī taiyāriyāṅ karte, phir kahte haiṅ, “Chalo, bāt ban gaī hai, mansūbā soch-bichār ke bād taiyār huā hai.” Yaqīnan insān ke bātin aur dil kī tah tak pahuṅchnā mushkil hī hai.
Psal UrduGeoR 64:7  Lekin Allāh un par tīr barsāegā, aur achānak hī wuh zaḳhmī ho jāeṅge.
Psal UrduGeoR 64:8  Wuh apnī hī zabān se ṭhokar khā kar gir jāeṅge. Jo bhī unheṅ dekhegā wuh “Taubā taubā” kahegā.
Psal UrduGeoR 64:9  Tab tamām log ḳhauf khā kar kaheṅge, “Allāh hī ne yih kiyā!” Unheṅ samajh āegī ki yih usī kā kām hai.
Psal UrduGeoR 64:10  Rāstbāz Allāh kī ḳhushī manā kar us meṅ panāh legā, aur jo dil se diyānatdār haiṅ wuh sab faḳhr kareṅge.
Chapter 65
Psal UrduGeoR 65:1  Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie gīt. Ai Allāh, tū hī is lāyq hai ki insān Koh-e-Siyyūn par ḳhāmoshī se tere intazār meṅ rahe, terī tamjīd kare aur tere huzūr apnī mannateṅ pūrī kare.
Psal UrduGeoR 65:2  Tū duāoṅ ko suntā hai, is lie tamām insān tere huzūr āte haiṅ.
Psal UrduGeoR 65:3  Gunāh mujh par ġhālib ā gae haiṅ, tū hī hamārī sarkash harkatoṅ ko muāf kar.
Psal UrduGeoR 65:4  Mubārak hai wuh jise tū chun kar qarīb āne detā hai, jo terī bārgāhoṅ meṅ bas saktā hai. Baḳhsh de ki ham tere ghar, terī muqaddas sukūnatgāh kī achchhī chīzoṅ se ser ho jāeṅ.
Psal UrduGeoR 65:5  Ai hamārī najāt ke Ḳhudā, haibatnāk kāmoṅ se apnī rāstī qāym karke hamārī sun! Kyoṅki tū zamīn kī tamām hudūd aur dūr-darāz samundaroṅ tak sab kī ummīd hai.
Psal UrduGeoR 65:6  Tū apnī qudrat se pahāṛoṅ kī mazbūt buniyādeṅ ḍāltā aur quwwat se kamarbastā rahtā hai.
Psal UrduGeoR 65:7  Tū mutalātim samundaroṅ ko thamā detā hai, tū un kī garajtī lahroṅ aur ummatoṅ kā shor-sharābā ḳhatm kar detā hai.
Psal UrduGeoR 65:8  Duniyā kī intahā ke bāshinde tere nishānāt se ḳhauf khāte haiṅ, aur tū tulū-e-subah aur ġhurūb-e-āftāb ko ḳhushī manāne detā hai.
Psal UrduGeoR 65:9  Tū zamīn kī dekh-bhāl karke use pānī kī kasrat aur zarḳhezī se nawāztā hai, chunāṅche Allāh kī nadī pānī se bharī rahtī hai. Zamīn ko yoṅ taiyār karke tū insān ko anāj kī achchhī fasal muhaiyā kartā hai.
Psal UrduGeoR 65:10  Tū khet kī reghāriyoṅ ko sharābor karke us ke ḍheloṅ ko hamwār kartā hai. Tū bārish kī bauchhāṛoṅ se zamīn ko narm karke us kī fasloṅ ko barkat detā hai.
Psal UrduGeoR 65:11  Tū sāl ko apnī bhalāī kā tāj pahnā detā hai, aur tere naqsh-e-qadam tel kī farāwānī se ṭapakte haiṅ.
Psal UrduGeoR 65:12  Bayābān kī charāgāheṅ tel kī kasrat se ṭapaktī haiṅ, aur pahāṛiyāṅ bharpūr ḳhushī se mulabbas ho jātī haiṅ.
Psal UrduGeoR 65:13  Sabzāzār bheṛ-bakriyoṅ se ārāstā haiṅ, wādiyāṅ anāj se ḍhakī huī haiṅ. Sab ḳhushī ke nāre lagā rahe haiṅ, sab gīt gā rahe haiṅ!
Chapter 66
Psal UrduGeoR 66:1  Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Zabūr. Gīt. Ai sārī zamīn, ḳhushī ke nāre lagā kar Allāh kī madahsarāī kar!
Psal UrduGeoR 66:2  Us ke nām ke jalāl kī tamjīd karo, us kī satāish urūj tak le jāo!
Psal UrduGeoR 66:3  Allāh se kaho, “Tere kām kitne purjalāl haiṅ. Terī baṛī qudrat ke sāmne tere dushman dabak kar terī ḳhushāmad karne lagte haiṅ.
Psal UrduGeoR 66:4  Tamām duniyā tujhe sijdā kare! Wuh terī tārīf meṅ gīt gāe, tere nām kī satāish kare.” (Silāh)
Psal UrduGeoR 66:5  Āo, Allāh ke kām dekho! Ādamzād kī ḳhātir us ne kitne purjalāl mojize kie haiṅ!
Psal UrduGeoR 66:6  Us ne samundar ko ḳhushk zamīn meṅ badal diyā. Jahāṅ pahle pānī kā tez bahāw thā wahāṅ se log paidal hī guzare. Chunāṅche āo, ham us kī ḳhushī manāeṅ.
Psal UrduGeoR 66:7  Apnī qudrat se wuh abad tak hukūmat kartā hai. Us kī āṅkheṅ qaumoṅ par lagī rahtī haiṅ tāki sarkash us ke ḳhilāf na uṭheṅ. (Silāh)
Psal UrduGeoR 66:8  Ai ummato, hamāre Ḳhudā kī hamd karo. Us kī satāish dūr tak sunāī de.
Psal UrduGeoR 66:9  Kyoṅki wuh hamārī zindagī qāym rakhtā, hamāre pāṅwoṅ ko ḍagmagāne nahīṅ detā.
Psal UrduGeoR 66:10  Kyoṅki ai Allāh, tū ne hameṅ āzmāyā. Jis tarah chāṅdī ko pighlā kar sāf kiyā jātā hai usī tarah tū ne hameṅ pāk-sāf kar diyā hai.
Psal UrduGeoR 66:11  Tū ne hameṅ jāl meṅ phaṅsā diyā, hamārī kamr par aziyatnāk bojh ḍāl diyā.
Psal UrduGeoR 66:12  Tū ne logoṅ ke rathoṅ ko hamāre saroṅ par se guzarne diyā, aur ham āg aur pānī kī zad meṅ ā gae. Lekin phir tū ne hameṅ musībat se nikāl kar farāwānī kī jagah pahuṅchāyā.
Psal UrduGeoR 66:13  Maiṅ bhasm hone wālī qurbāniyāṅ le kar tere ghar meṅ āūṅgā aur tere huzūr apnī mannateṅ pūrī karūṅga,
Psal UrduGeoR 66:14  wuh mannateṅ jo mere muṅh ne musībat ke waqt mānī thīṅ.
Psal UrduGeoR 66:15  Bhasm hone wālī qurbānī ke taur par maiṅ tujhe moṭī-tāzī bheṛeṅ aur menḍhoṅ kā dhuāṅ pesh karūṅga, sāth sāth bail aur bakre bhī chaṛhāūṅgā. (Silāh)
Psal UrduGeoR 66:16  Ai Allāh kā ḳhauf mānane wālo, āo aur suno! Jo kuchh Allāh ne merī jān ke lie kiyā wuh tumheṅ sunāūṅgā.
Psal UrduGeoR 66:17  Maiṅ ne apne muṅh se use pukārā, lekin merī zabān us kī tārīf karne ke lie taiyār thī.
Psal UrduGeoR 66:18  Agar maiṅ dil meṅ gunāh kī parwarish kartā to Rab merī na suntā.
Psal UrduGeoR 66:19  Lekin yaqīnan Rab ne merī sunī, us ne merī iltijā par tawajjuh dī.
Psal UrduGeoR 66:20  Allāh kī hamd ho, jis ne na merī duā radd kī, na apnī shafqat mujh se bāz rakhī.
Chapter 67
Psal UrduGeoR 67:1  Zabūr. Tārdār sāzoṅ ke sāth gānā hai. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Allāh ham par mehrbānī kare aur hameṅ barkat de. Wuh apne chehre kā nūr ham par chamkāe (Silāh)
Psal UrduGeoR 67:2  tāki zamīn par terī rāh aur tamām qaumoṅ meṅ terī najāt mālūm ho jāe.
Psal UrduGeoR 67:3  Ai Allāh, qaumeṅ terī satāish kareṅ, tamām qaumeṅ terī satāish kareṅ.
Psal UrduGeoR 67:4  Ummateṅ shādmān ho kar ḳhushī ke nāre lagāeṅ, kyoṅki tū insāf se qaumoṅ kī adālat karegā aur zamīn par ummatoṅ kī qiyādat karegā. (Silāh)
Psal UrduGeoR 67:5  Ai Allāh, qaumeṅ terī satāish kareṅ, tamām qaumeṅ terī satāish kareṅ.
Psal UrduGeoR 67:6  Zamīn apnī fasleṅ detī hai. Allāh hamārā Ḳhudā hameṅ barkat de!
Psal UrduGeoR 67:7  Allāh hameṅ barkat de, aur duniyā kī intahāeṅ sab us kā ḳhauf māneṅ.
Chapter 68
Psal UrduGeoR 68:1  Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie gīt. Allāh uṭhe to us ke dushman titar-bitar ho jāeṅge, us se nafrat karne wāle us ke sāmne se bhāg jāeṅge.
Psal UrduGeoR 68:2  Wuh dhueṅ kī tarah bikhar jāeṅge. Jis tarah mom āg ke sāmne pighal jātā hai usī tarah bedīn Allāh ke huzūr halāk ho jāeṅge.
Psal UrduGeoR 68:3  Lekin rāstbāz ḳhush-o-ḳhurram hoṅge, wuh Allāh ke huzūr jashn manā kar phūle na samāeṅge.
Psal UrduGeoR 68:4  Allāh kī tāzīm meṅ gīt gāo, us ke nām kī madahsarāī karo! Jo rath par sawār bayābān meṅ se guzar rahā hai us ke lie rāstā taiyār karo. Rab us kā nām hai, us ke huzūr ḳhushī manāo!
Psal UrduGeoR 68:5  Allāh apnī muqaddas sukūnatgāh meṅ yatīmoṅ kā bāp aur bewāoṅ kā hāmī hai.
Psal UrduGeoR 68:6  Allāh begharoṅ ko gharoṅ meṅ basā detā aur qaidiyoṅ ko qaid se nikāl kar ḳhushhālī atā kartā hai. Lekin jo sarkash haiṅ wuh jhulse hue mulk meṅ raheṅge.
Psal UrduGeoR 68:7  Ai Allāh, jab tū apnī qaum ke āge āge niklā, jab tū registān meṅ qadam baqadam āge baṛhā (Silāh)
Psal UrduGeoR 68:8  to zamīn laraz uṭhī aur āsmān se bārish ṭapakne lagī. Hāṅ, Allāh ke huzūr jo Koh-e-Sīnā aur Isrāīl kā Ḳhudā hai aisā hī huā.
Psal UrduGeoR 68:9  Ai Allāh, tū ne kasrat kī bārish barasne dī. Jab kabhī terā maurūsī mulk niḍhāl huā to tū ne use tāzādam kiyā.
Psal UrduGeoR 68:10  Yoṅ terī qaum us meṅ ābād huī. Ai Allāh, apnī bhalāī se tū ne use zarūratmandoṅ ke lie taiyār kiyā.
Psal UrduGeoR 68:11  Rab farmān sādir kartā hai to ḳhushḳhabrī sunāne wālī auratoṅ kā baṛā lashkar nikaltā hai,
Psal UrduGeoR 68:12  “Faujoṅ ke bādshāh bhāg rahe haiṅ. Wuh bhāg rahe haiṅ aur aurateṅ lūṭ kā māl taqsīm kar rahī haiṅ.
Psal UrduGeoR 68:13  Tum kyoṅ apne zīn ke do boroṅ ke darmiyān baiṭhe rahte ho? Dekho, kabūtar ke paroṅ par chāṅdī aur us ke shāhparoṅ par pīlā sonā chaṛhāyā gayā hai.”
Psal UrduGeoR 68:14  Jab Qādir-e-mutlaq ne wahāṅ ke bādshāhoṅ ko muntashir kar diyā to Koh-e-Zalmon par barf paṛī.
Psal UrduGeoR 68:15  Koh-e-Basan ilāhī pahāṛ hai, Koh-e-Basan kī muta'addid choṭiyāṅ haiṅ.
Psal UrduGeoR 68:16  Ai pahāṛ kī muta'addid choṭiyo, tum us pahāṛ ko kyoṅ rashk kī nigāh se deḳhtī ho jise Allāh ne apnī sukūnatgāh ke lie pasand kiyā hai? Yaqīnan Rab wahāṅ hameshā ke lie sukūnat karegā.
Psal UrduGeoR 68:17  Allāh ke beshumār rath aur anginat faujī haiṅ. Ḳhudāwand un ke darmiyān hai, Sīnā kā Ḳhudā maqdis meṅ hai.
Psal UrduGeoR 68:18  Tū ne bulandī par chaṛh kar qaidiyoṅ kā hujūm giriftār kar liyā, tujhe insānoṅ se tohfe mile, un se bhī jo sarkash ho gae the. Yoṅ hī Rab Ḳhudā wahāṅ sukūnatpazīr huā.
Psal UrduGeoR 68:19  Rab kī tamjīd ho jo roz baroz hamārā bojh uṭhāe chaltā hai. Allāh hamārī najāt hai. (Silāh)
Psal UrduGeoR 68:20  Hamārā Ḳhudā wuh Ḳhudā hai jo hameṅ bār bār najāt detā hai, Rab Qādir-e-mutlaq hameṅ bār bār maut se bachne ke rāste muhaiyā kartā hai.
Psal UrduGeoR 68:21  Yaqīnan Allāh apne dushmanoṅ ke saroṅ ko kuchal degā. Jo apne gunāhoṅ se bāz nahīṅ ātā us kī khopaṛī wuh pāsh pāsh karegā.
Psal UrduGeoR 68:22  Rab ne farmāyā, “Maiṅ unheṅ Basan se wāpas lāūṅgā, samundar kī gahrāiyoṅ se wāpas pahuṅchāūṅgā.
Psal UrduGeoR 68:23  Tab tū apne pāṅwoṅ ko dushman ke ḳhūn meṅ dho legā, aur tere kutte use chāṭ leṅge.”
Psal UrduGeoR 68:24  Ai Allāh, tere julūs nazar ā gae haiṅ, mere Ḳhudā aur Bādshāh ke julūs maqdis meṅ dāḳhil hote hue nazar ā gae haiṅ.
Psal UrduGeoR 68:25  Āge gulūkār, phir sāz bajāne wāle chal rahe haiṅ. Un ke ās-pās kuṅwāriyāṅ daf bajāte hue phir rahī haiṅ.
Psal UrduGeoR 68:26  “Jamātoṅ meṅ Allāh kī satāish karo! Jitne bhī Isrāīl ke sarchashme se nikle hue ho Rab kī tamjīd karo!”
Psal UrduGeoR 68:27  Wahāṅ sab se chhoṭā bhāī Binyamīn āge chal rahā hai, phir Yahūdāh ke buzurgoṅ kā purshor hujūm Zabūlūn aur Naftālī ke buzurgoṅ ke sāth chal rahā hai.
Psal UrduGeoR 68:28  Ai Allāh, apnī qudrat ba-rū-e kār lā! Ai Allāh, jo qudrat tū ne pahle bhī hamārī ḳhātir dikhāī use dubārā dikhā!
Psal UrduGeoR 68:29  Use Yarūshalam ke ūpar apnī sukūnatgāh se dikhā. Tab bādshāh tere huzūr tohfe lāeṅge.
Psal UrduGeoR 68:30  Sarkanḍoṅ meṅ chhupe hue darinde ko malāmat kar! Sānḍoṅ kā jo ġhol bachhṛoṅ jaisī qaumoṅ meṅ rahtā hai use ḍāṅṭ! Unheṅ kuchal de jo chāṅdī ko pyār karte haiṅ. Un qaumoṅ ko muntashir kar jo jang karne se lutfandoz hotī haiṅ.
Psal UrduGeoR 68:31  Misr se safīr āeṅge, Ethopiyā apne hāth Allāh kī taraf uṭhāegā.
Psal UrduGeoR 68:32  Ai duniyā kī saltanato, Allāh kī tāzīm meṅ gīt gāo! Rab kī madahsarāī karo (Silāh)
Psal UrduGeoR 68:33  jo apne rath par sawār ho kar qadīm zamāne ke bulandtarīn āsmānoṅ meṅ se guzartā hai. Suno us kī āwāz jo zor se garaj rahā hai.
Psal UrduGeoR 68:34  Allāh kī qudrat ko taslīm karo! Us kī azmat Isrāīl par chhāī rahtī aur us kī qudrat āsmān par hai.
Psal UrduGeoR 68:35  Ai Allāh, tū apne maqdis se zāhir hote waqt kitnā mahīb hai. Isrāīl kā Ḳhudā hī qaum ko quwwat aur tāqat atā kartā hai. Allāh kī tamjīd ho!
Chapter 69
Psal UrduGeoR 69:1  Dāūd kā zabūr. Tarz: Sosan ke Phūl. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Ai Allāh, mujhe bachā! Kyoṅki pānī mere gale tak pahuṅch gayā hai.
Psal UrduGeoR 69:2  Maiṅ gahrī daldal meṅ dhaṅs gayā hūṅ, kahīṅ pāṅw jamāne kī jagah nahīṅ miltī. Maiṅ pānī kī gahrāiyoṅ meṅ ā gayā hūṅ, sailāb mujh par ġhālib ā gayā hai.
Psal UrduGeoR 69:3  Maiṅ chillāte chillāte thak gayā hūṅ. Merā galā baiṭh gayā hai. Apne Ḳhudā kā intazār karte karte merī āṅkheṅ dhundlā gaīṅ.
Psal UrduGeoR 69:4  Jo bilāwajah mujh se kīnā rakhte haiṅ wuh mere sar ke bāloṅ se zyādā haiṅ, jo besabab mere dushman haiṅ aur mujhe tabāh karnā chāhte haiṅ wuh tāqatwar haiṅ. Jo kuchh maiṅ ne nahīṅ lūṭā use mujh se talab kiyā jātā hai.
Psal UrduGeoR 69:5  Ai Allāh, tū merī hamāqat se wāqif hai, merā qusūr tujh se poshīdā nahīṅ hai.
Psal UrduGeoR 69:6  Ai Qādir-e-mutlaq Rabbul-afwāj, jo tere intazār meṅ rahte haiṅ wuh mere bāis sharmindā na hoṅ. Ai Isrāīl ke Ḳhudā, mere bāis tere tālib kī ruswāī na ho.
Psal UrduGeoR 69:7  Kyoṅki terī ḳhātir maiṅ sharmindagī bardāsht kar rahā hūṅ, terī ḳhātir merā chehrā sharmsār hī rahtā hai.
Psal UrduGeoR 69:8  Maiṅ apne sage bhāiyoṅ ke nazdīk ajnabī aur apnī māṅ ke beṭoṅ ke nazdīk pardesī ban gayā hūṅ.
Psal UrduGeoR 69:9  Kyoṅki tere ghar kī ġhairat mujhe khā gaī hai, jo tujhe gāliyāṅ dete haiṅ un kī gāliyāṅ mujh par ā gaī haiṅ.
Psal UrduGeoR 69:10  Jab maiṅ rozā rakh kar rotā thā to log merā mazāq uṛāte the.
Psal UrduGeoR 69:11  Jab mātamī libās pahne phirtā thā to un ke lie ibratangez misāl ban gayā.
Psal UrduGeoR 69:12  Jo buzurg shahr ke darwāze par baiṭhe haiṅ wuh mere bāre meṅ gappeṅ hāṅkte haiṅ. Sharābī mujhe apne tanz bhare gītoṅ kā nishānā banāte haiṅ.
Psal UrduGeoR 69:13  Lekin ai Rab, merī tujh se duā hai ki maiṅ tujhe dubārā manzūr ho jāūṅ. Ai Allāh, apnī azīm shafqat ke mutābiq merī sun, apnī yaqīnī najāt ke mutābiq mujhe bachā.
Psal UrduGeoR 69:14  Mujhe daldal se nikāl tāki ġharq na ho jāūṅ. Mujhe un se chhuṭkārā de jo mujh se nafrat karte haiṅ. Pānī kī gahrāiyoṅ se mujhe bachā.
Psal UrduGeoR 69:15  Sailāb mujh par ġhālib na āe, samundar kī gahrāī mujhe haṛap na kar le, gaṛhā mere ūpar apnā muṅh band na kar le.
Psal UrduGeoR 69:16  Ai Rab, merī sun, kyoṅki terī shafqat bhalī hai. Apne azīm rahm ke mutābiq merī taraf rujū kar.
Psal UrduGeoR 69:17  Apnā chehrā apne ḳhādim se chhupāe na rakh, kyoṅki maiṅ musībat meṅ hūṅ. Jaldī se merī sun!
Psal UrduGeoR 69:18  Qarīb ā kar merī jān kā fidyā de, mere dushmanoṅ ke sabab se ewazānā de kar mujhe chhuṛā.
Psal UrduGeoR 69:19  Tū merī ruswāī, merī sharmindagī aur tazlīl se wāqif hai. Terī āṅkheṅ mere tamām dushmanoṅ par lagī rahtī haiṅ.
Psal UrduGeoR 69:20  Un ke tānoṅ se merā dil ṭūṭ gayā hai, maiṅ bīmār paṛ gayā hūṅ. Maiṅ hamdardī ke intazār meṅ rahā, lekin befāydā. Maiṅ ne tawaqqo kī ki koī mujhe dilāsā de, lekin ek bhī na milā.
Psal UrduGeoR 69:21  Unhoṅ ne merī ḳhurāk meṅ kaṛwā zahr milāyā, mujhe sirkā pilāyā jab pyāsā thā.
Psal UrduGeoR 69:22  Un kī mez un ke lie phandā aur un ke sāthiyoṅ ke lie jāl ban jāe.
Psal UrduGeoR 69:23  Un kī āṅkheṅ tārīk ho jāeṅ tāki wuh dekh na sakeṅ. Un kī kamr hameshā tak ḍagmagātī rahe.
Psal UrduGeoR 69:24  Apnā pūrā ġhussā un par utār, terā saḳht ġhazab un par ā paṛe.
Psal UrduGeoR 69:25  Un kī rihāishgāh sunsān ho jāe aur koī un ke ḳhaimoṅ meṅ ābād na ho,
Psal UrduGeoR 69:26  kyoṅki jise tū hī ne sazā dī use wuh satāte haiṅ, jise tū hī ne zaḳhmī kiyā us kā dukh dūsroṅ ko sunā kar ḳhush hote haiṅ.
Psal UrduGeoR 69:27  Un ke qusūr kā saḳhtī se hisāb-kitāb kar, wuh tere sāmne rāstbāz na ṭhahreṅ.
Psal UrduGeoR 69:28  Unheṅ kitāb-e-hayāt se miṭāyā jāe, un kā nām rāstbāzoṅ kī fahrist meṅ darj na ho.
Psal UrduGeoR 69:29  Hāy, maiṅ musībat meṅ phaṅsā huā hūṅ, mujhe bahut dard hai. Ai Allāh, terī najāt mujhe mahfūz rakhe.
Psal UrduGeoR 69:30  Maiṅ Allāh ke nām kī madahsarāī karūṅga, shukrguzārī se us kī tāzīm karūṅga.
Psal UrduGeoR 69:31  Yih Rab ko bail yā sīṅg aur khur rakhne wāle sānḍ se kahīṅ zyādā pasand āegā.
Psal UrduGeoR 69:32  Halīm Allāh kā kām dekh kar ḳhush ho jāeṅge. Ai Allāh ke tālibo, tasallī pāo!
Psal UrduGeoR 69:33  Kyoṅki Rab muhtājoṅ kī suntā aur apne qaidiyoṅ ko haqīr nahīṅ jāntā.
Psal UrduGeoR 69:34  Āsmān-o-zamīn us kī tamjīd kareṅ, samundar aur jo kuchh us meṅ harkat kartā hai us kī satāish kare.
Psal UrduGeoR 69:35  Kyoṅki Allāh Siyyūn ko najāt de kar Yahūdāh ke shahroṅ ko tāmīr karegā, aur us ke ḳhādim un par qabzā karke un meṅ ābād ho jāeṅge.
Psal UrduGeoR 69:36  Un kī aulād mulk ko mīrās meṅ pāegī, aur us ke nām se muhabbat rakhne wāle us meṅ base raheṅge.
Chapter 70
Psal UrduGeoR 70:1  Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Yāddāsht ke lie. Ai Allāh, jaldī se ā kar mujhe bachā! Ai Rab, merī madad karne meṅ jaldī kar!
Psal UrduGeoR 70:2  Mere jānī dushman sharmindā ho jāeṅ, un kī saḳht ruswāī ho jāe. Jo merī musībat deḳhne se lutf uṭhāte haiṅ wuh pīchhe haṭ jāeṅ, un kā muṅh kālā ho jāe.
Psal UrduGeoR 70:3  Jo merī musībat dekh kar qahqahā lagāte haiṅ wuh sharm ke māre pusht dikhāeṅ.
Psal UrduGeoR 70:4  Lekin tere tālib shādmān ho kar terī ḳhushī manāeṅ. Jinheṅ terī najāt pyārī hai wuh hameshā kaheṅ, “Allāh azīm hai!”
Psal UrduGeoR 70:5  Lekin maiṅ nāchār aur muhtāj hūṅ. Ai Allāh, jaldī se mere pās ā! Tū hī merā sahārā aur merā najātdahindā hai. Ai Rab, der na kar!
Chapter 71
Psal UrduGeoR 71:1  Ai Rab, maiṅ ne tujh meṅ panāh lī hai. Mujhe kabhī sharmindā na hone de.
Psal UrduGeoR 71:2  Apnī rāstī se mujhe bachā kar chhuṭkārā de. Apnā kān merī taraf jhukā kar mujhe najāt de.
Psal UrduGeoR 71:3  Mere lie chaṭān par mahfūz ghar ho jis meṅ maiṅ har waqt panāh le sakūṅ. Tū ne farmāyā hai ki mujhe najāt degā, kyoṅki tū hī merī chaṭān aur merā qilā hai.
Psal UrduGeoR 71:4  Ai mere Ḳhudā, mujhe bedīn ke hāth se bachā, us ke qabze se jo be'insāf aur zālim hai.
Psal UrduGeoR 71:5  Kyoṅki tū hī merī ummīd hai. Ai Rab Qādir-e-mutlaq, tū merī jawānī hī se merā bharosā rahā hai.
Psal UrduGeoR 71:6  Paidāish se hī maiṅ ne tujh par takiyā kiyā hai, māṅ ke peṭ se tū ne mujhe saṅbhālā hai. Maiṅ hameshā terī hamd-o-sanā karūṅga.
Psal UrduGeoR 71:7  Bahutoṅ ke nazdīk maiṅ badshugūnī hūṅ, lekin tū merī mazbūt panāhgāh hai.
Psal UrduGeoR 71:8  Din-bhar merā muṅh terī tamjīd aur tāzīm se labrez rahtā hai.
Psal UrduGeoR 71:9  Buṛhāpe meṅ mujhe radd na kar, tāqat ke ḳhatm hone par mujhe tark na kar.
Psal UrduGeoR 71:10  Kyoṅki mere dushman mere bāre meṅ bāteṅ kar rahe haiṅ, jo merī jān kī tāk lagāe baiṭhe haiṅ wuh ek dūsre se salāh-mashwarā kar rahe haiṅ.
Psal UrduGeoR 71:11  Wuh kahte haiṅ, “Allāh ne use tark kar diyā hai. Us ke pīchhe paṛ kar use pakaṛo, kyoṅki koī nahīṅ jo use bachāe.”
Psal UrduGeoR 71:12  Ai Allāh, mujh se dūr na ho. Ai mere Ḳhudā, merī madad karne meṅ jaldī kar.
Psal UrduGeoR 71:13  Mere harīf sharmindā ho kar fanā ho jāeṅ, jo mujhe nuqsān pahuṅchāne ke darpai haiṅ wuh lān-tān aur ruswāī tale dab jāeṅ.
Psal UrduGeoR 71:14  Lekin maiṅ hameshā tere intazār meṅ rahūṅgā, hameshā terī satāish kartā rahūṅgā.
Psal UrduGeoR 71:15  Merā muṅh terī rāstī sunātā rahegā, sārā din tere najātbaḳhsh kāmoṅ kā zikr kartā rahegā, go maiṅ un kī pūrī tādād gin bhī nahīṅ saktā.
Psal UrduGeoR 71:16  Maiṅ Rab Qādir-e-mutlaq ke azīm kām sunāte hue āūṅgā, maiṅ terī, sirf terī hī rāstī yād karūṅga.
Psal UrduGeoR 71:17  Ai Allāh, tū merī jawānī se mujhe tālīm detā rahā hai, aur āj tak maiṅ tere mojizāt kā elān kartā āyā hūṅ.
Psal UrduGeoR 71:18  Ai Allāh, ḳhāh maiṅ būṛhā ho jāūṅ aur mere bāl safed ho jāeṅ mujhe tark na kar jab tak maiṅ āne wālī pusht ke tamām logoṅ ko terī quwwat aur qudrat ke bāre meṅ batā na lūṅ.
Psal UrduGeoR 71:19  Ai Allāh, terī rāstī āsmān se bāteṅ kartī hai. Ai Allāh, tujh jaisā kaun hai jis ne itne azīm kām kie haiṅ?
Psal UrduGeoR 71:20  Tū ne mujhe muta'addid talḳh tajraboṅ meṅ se guzarne diyā hai, lekin tū mujhe dubārā zindā bhī karegā, tū mujhe zamīn kī gahrāiyoṅ meṅ se wāpas lāegā.
Psal UrduGeoR 71:21  Merā rutbā baṛhā de, mujhe dubārā tasallī de.
Psal UrduGeoR 71:22  Ai mere Ḳhudā, maiṅ sitār bajā kar terī satāish aur terī wafādārī kī tamjīd karūṅga. Ai Isrāīl ke Quddūs, maiṅ sarod bajā kar terī tārīf meṅ gīt gāūṅgā.
Psal UrduGeoR 71:23  Jab maiṅ terī madahsarāī karūṅga to mere hoṅṭ ḳhushī ke nāre lagāeṅge, aur merī jān jise tū ne fidyā de kar chhuṛāyā hai shādiyānā bajāegī.
Psal UrduGeoR 71:24  Merī zabān bhī din-bhar terī rāstī bayān karegī, kyoṅki jo mujhe nuqsān pahuṅchānā chāhte the wuh sharmsār aur ruswā ho gae haiṅ.
Chapter 72
Psal UrduGeoR 72:1  Sulemān kā zabūr. Ai Allāh, bādshāh ko apnā insāf atā kar, bādshāh ke beṭe ko apnī rāstī baḳhsh de
Psal UrduGeoR 72:2  tāki wuh rāstī se terī qaum aur insāf se tere musībatzadoṅ kī adālat kare.
Psal UrduGeoR 72:3  Pahāṛ qaum ko salāmatī aur pahāṛiyāṅ rāstī pahuṅchāeṅ.
Psal UrduGeoR 72:4  Wuh qaum ke musībatzadoṅ kā insāf kare aur muhtājoṅ kī madad karke zālimoṅ ko kuchal de.
Psal UrduGeoR 72:5  Tab log pusht-dar-pusht terā ḳhauf māneṅge jab tak sūraj chamke aur chāṅd raushnī de.
Psal UrduGeoR 72:6  Wuh kaṭī huī ghās ke khet par barasne wālī bārish kī tarah utar āe, zamīn ko tar karne wālī bauchhāṛoṅ kī tarah nāzil ho jāe.
Psal UrduGeoR 72:7  Us ke daur-e-hukūmat meṅ rāstbāz phale phūlegā, aur jab tak chāṅd nest na ho jāe salāmatī kā ġhalbā hogā.
Psal UrduGeoR 72:8  Wuh ek samundar se dūsre samundar tak aur Dariyā-e-Furāt se duniyā kī intahā tak hukūmat kare.
Psal UrduGeoR 72:9  Registān ke bāshinde us ke sāmne jhuk jāeṅ, us ke dushman ḳhāk chāṭeṅ.
Psal UrduGeoR 72:10  Tarsīs aur sāhilī ilāqoṅ ke bādshāh use ḳharāj pahuṅchāeṅ, Sabā aur Sibā use bāj pesh kareṅ.
Psal UrduGeoR 72:11  Tamām bādshāh use sijdā kareṅ, sab aqwām us kī ḳhidmat kareṅ.
Psal UrduGeoR 72:12  Kyoṅki jo zarūratmand madad ke lie pukāre use wuh chhuṭkārā degā, jo musībat meṅ hai aur jis kī madad koī nahīṅ kartā use wuh rihāī degā.
Psal UrduGeoR 72:13  Wuh pasthāloṅ aur ġharīboṅ par tars khāegā, muhtājoṅ kī jān ko bachāegā.
Psal UrduGeoR 72:14  Wuh ewazānā de kar unheṅ zulm-o-tashaddud se chhuṛāegā, kyoṅki un kā ḳhūn us kī nazar meṅ qīmtī hai.
Psal UrduGeoR 72:15  Bādshāh zindābād! Sabā kā sonā use diyā jāe. Log hameshā us ke lie duā kareṅ, din-bhar us ke lie barkat chāheṅ.
Psal UrduGeoR 72:16  Mulk meṅ anāj kī kasrat ho, pahāṛoṅ kī choṭiyoṅ par bhī us kī fasleṅ lahlahāeṅ. Us kā phal Lubnān ke phal jaisā umdā ho, shahroṅ ke bāshinde hariyālī kī tarah phaleṅ-phūleṅ.
Psal UrduGeoR 72:17  Bādshāh kā nām abad tak qāym rahe, jab tak sūraj chamke us kā nām phale-phūle. Tamām aqwām us se barkat pāeṅ, aur wuh use mubārak kaheṅ.
Psal UrduGeoR 72:18  Rab Ḳhudā kī tamjīd ho jo Isrāīl kā Ḳhudā hai. Sirf wuhī mojize kartā hai!
Psal UrduGeoR 72:19  Us ke jalālī nām kī abad tak tamjīd ho, pūrī duniyā us ke jalāl se bhar jāe. Āmīn, phir āmīn.
Psal UrduGeoR 72:20  Yahāṅ Dāūd bin Yassī kī duāeṅ ḳhatm hotī haiṅ.
Chapter 73
Psal UrduGeoR 73:1  Āsaf kā zabūr. Yaqīnan Allāh Isrāīl par mehrbān hai, un par jin ke dil pāk haiṅ.
Psal UrduGeoR 73:2  Lekin maiṅ phisalne ko thā, mere qadam laġhzish khāne ko the.
Psal UrduGeoR 73:3  Kyoṅki sheḳhībāzoṅ ko dekh kar maiṅ bechain ho gayā, is lie ki bedīn itne ḳhushhāl haiṅ.
Psal UrduGeoR 73:4  Marte waqt un ko koī taklīf nahīṅ hotī, aur un ke jism moṭe-tāze rahte haiṅ.
Psal UrduGeoR 73:5  Ām logoṅ ke masāyl se un kā wāstā nahīṅ paṛtā. Jis dard-o-karab meṅ dūsre mubtalā rahte haiṅ us se wuh āzād hote haiṅ.
Psal UrduGeoR 73:6  Is lie un ke gale meṅ takabbur kā hār hai, wuh zulm kā libās pahne phirte haiṅ.
Psal UrduGeoR 73:7  Charbī ke bāis un kī āṅkheṅ ubhar āī haiṅ. Un ke dil belagām wahmoṅ kī girift meṅ rahte haiṅ.
Psal UrduGeoR 73:8  Wuh mazāq uṛā kar burī bāteṅ karte haiṅ, apne ġhurūr meṅ zulm kī dhamkiyāṅ dete haiṅ.
Psal UrduGeoR 73:9  Wuh samajhte haiṅ ki jo kuchh hamāre muṅh se nikaltā hai wuh āsmān se hai, jo bāt hamārī zabān par ā jātī hai wuh pūrī zamīn ke lie ahmiyat rakhtī hai.
Psal UrduGeoR 73:10  Chunāṅche awām un kī taraf rujū hote haiṅ, kyoṅki un ke hāṅ kasrat kā pānī piyā jātā hai.
Psal UrduGeoR 73:11  Wuh kahte haiṅ, “Allāh ko kyā patā hai? Allāh T'ālā ko ilm hī nahīṅ.”
Psal UrduGeoR 73:12  Dekho, yihī hai bedīnoṅ kā hāl. Wuh hameshā sukūn se rahte, hameshā apnī daulat meṅ izāfā karte haiṅ.
Psal UrduGeoR 73:13  Yaqīnan maiṅ ne befāydā apnā dil pāk rakhā aur abas apne hāth ġhalat kām karne se bāz rakhe.
Psal UrduGeoR 73:14  Kyoṅki din-bhar maiṅ dard-o-karab meṅ mubtalā rahtā hūṅ, har subah mujhe sazā dī jātī hai.
Psal UrduGeoR 73:15  Agar maiṅ kahtā, “Maiṅ bhī un kī tarah bolūṅgā,” to tere farzandoṅ kī nasl se ġhaddārī kartā.
Psal UrduGeoR 73:16  Maiṅ soch-bichār meṅ paṛ gayā tāki bāt samjhūṅ, lekin sochte sochte thak gayā, aziyat meṅ sirf izāfā huā.
Psal UrduGeoR 73:17  Tab maiṅ Allāh ke maqdis meṅ dāḳhil ho kar samajh gayā ki un kā anjām kyā hogā.
Psal UrduGeoR 73:18  Yaqīnan tū unheṅ phisalnī jagah par rakhegā, unheṅ fareb meṅ phaṅsā kar zamīn par paṭaḳh degā.
Psal UrduGeoR 73:19  Achānak hī wuh tabāh ho jāeṅge, dahshatnāk musībat meṅ phaṅs kar mukammal taur par fanā ho jāeṅge.
Psal UrduGeoR 73:20  Ai Rab, jis tarah ḳhāb jāg uṭhte waqt ġhairhaqīqī sābit hotā hai usī tarah tū uṭhte waqt unheṅ wahm qarār de kar haqīr jānegā.
Psal UrduGeoR 73:21  Jab mere dil meṅ talḳhī paidā huī aur mere bātin meṅ saḳht dard thā
Psal UrduGeoR 73:22  to maiṅ ahmaq thā. Maiṅ kuchh nahīṅ samajhtā thā balki tere sāmne maweshī kī mānind thā.
Psal UrduGeoR 73:23  To bhī maiṅ hameshā tere sāth lipṭā rahūṅgā, kyoṅki tū merā dahnā hāth thāme rakhtā hai.
Psal UrduGeoR 73:24  Tū apne mashware se merī qiyādat karke āḳhir meṅ izzat ke sāth merā ḳhairmaqdam karegā.
Psal UrduGeoR 73:25  Jab tū mere sāth hai to mujhe āsmān par kyā kamī hogī? Jab tū mere sāth hai to maiṅ zamīn kī koī bhī chīz nahīṅ chāhūṅgā.
Psal UrduGeoR 73:26  Ḳhāh merā jism aur merā dil jawāb de jāeṅ, lekin Allāh hameshā tak mere dil kī chaṭān aur merī mīrās hai.
Psal UrduGeoR 73:27  Yaqīnan jo tujh se dūr haiṅ wuh halāk ho jāeṅge, jo tujh se bewafā haiṅ unheṅ tū tabāh kar degā.
Psal UrduGeoR 73:28  Lekin mere lie Allāh kī qurbat sab kuchh hai. Maiṅ ne Rab Qādir-e-mutlaq ko apnī panāhgāh banāyā hai, aur maiṅ logoṅ ko tere tamām kām sunāūṅgā.
Chapter 74
Psal UrduGeoR 74:1  Āsaf kā zabūr. Hikmat kā gīt. Ai Allāh, tū ne hameṅ hameshā ke lie kyoṅ radd kiyā hai? Apnī charāgāh kī bheṛoṅ par terā qahr kyoṅ bhaṛaktā rahtā hai?
Psal UrduGeoR 74:2  Apnī jamāt ko yād kar jise tū ne qadīm zamāne meṅ ḳharīdā aur ewazānā de kar chhuṛāyā tāki terī mīrās kā qabīlā ho. Koh-e-Siyyūn ko yād kar jis par tū sukūnatpazīr rahā hai.
Psal UrduGeoR 74:3  Apne qadam in dāymī khanḍarāt kī taraf baṛhā. Dushman ne maqdis meṅ sab kuchh tabāh kar diyā hai.
Psal UrduGeoR 74:4  Tere muḳhālifoṅ ne garajte hue terī jalsāgāh meṅ apne nishān gāṛ die haiṅ.
Psal UrduGeoR 74:5  Unhoṅ ne gunjān jangal meṅ lakaṛhāroṅ kī tarah apne kulhāṛe chalāe,
Psal UrduGeoR 74:6  apne kulhāṛoṅ aur kudāloṅ se us kī tamām kandākārī ko ṭukṛe ṭukṛe kar diyā hai.
Psal UrduGeoR 74:7  Unhoṅ ne tere maqdis ko bhasm kar diyā, farsh tak tere nām kī sukūnatgāh kī behurmatī kī hai.
Psal UrduGeoR 74:8  Apne dil meṅ wuh bole, “Āo, ham un sab ko ḳhāk meṅ milāeṅ!” Unhoṅ ne mulk meṅ Allāh kī har ibādatgāh nazar-e-ātish kar dī hai.
Psal UrduGeoR 74:9  Ab ham par koī ilāhī nishān zāhir nahīṅ hotā. Na koī nabī hamāre pās rah gayā, na koī aur maujūd hai jo jāntā ho ki aise hālāt kab tak raheṅge.
Psal UrduGeoR 74:10  Ai Allāh, harīf kab tak lān-tān karegā, dushman kab tak tere nām kī takfīr karegā?
Psal UrduGeoR 74:11  Tū apnā hāth kyoṅ haṭātā, apnā dahnā hāth dūr kyoṅ rakhtā hai? Use apnī chādar se nikāl kar unheṅ tabāh kar de!
Psal UrduGeoR 74:12  Allāh qadīm zamāne se merā Bādshāh hai, wuhī duniyā meṅ najātbaḳhsh kām anjām detā hai.
Psal UrduGeoR 74:13  Tū hī ne apnī qudrat se samundar ko chīr kar pānī meṅ azhdahāoṅ ke saroṅ ko toṛ ḍālā.
Psal UrduGeoR 74:14  Tū hī ne Liwiyātān ke saroṅ ko chūr chūr karke use janglī jānwaroṅ ko khilā diyā.
Psal UrduGeoR 74:15  Ek jagah tū ne chashme aur nadiyāṅ phūṭne dīṅ, dūsrī jagah kabhī na sūkhne wāle dariyā sūkhne die.
Psal UrduGeoR 74:16  Din bhī terā hai, rāt bhī terī hī hai. Chāṅd aur sūraj tere hī hāth se qāym hue.
Psal UrduGeoR 74:17  Tū hī ne zamīn kī hudūd muqarrar kīṅ, tū hī ne garmiyoṅ aur sardiyoṅ ke mausam banāe.
Psal UrduGeoR 74:18  Ai Rab, dushman kī lān-tān yād kar. Ḳhayāl kar ki ahmaq qaum tere nām par kufr baktī hai.
Psal UrduGeoR 74:19  Apne kabūtar kī jān ko wahshī jānwaroṅ ke hawāle na kar, hameshā tak apne musībatzadoṅ kī zindagī ko na bhūl.
Psal UrduGeoR 74:20  Apne ahd kā lihāz kar, kyoṅki mulk ke tārīk kone zulm ke maidānoṅ se bhar gae haiṅ.
Psal UrduGeoR 74:21  Hone na de ki mazlūmoṅ ko sharmindā ho kar pīchhe haṭnā paṛe balki baḳhsh de ki musībatzadā aur ġharīb tere nām par faḳhr kar sakeṅ.
Psal UrduGeoR 74:22  Ai Allāh, uṭh kar adālat meṅ apne muāmale kā difā kar. Yād rahe ki ahmaq din-bhar tujhe lān-tān kartā hai.
Psal UrduGeoR 74:23  Apne dushmanoṅ ke nāre na bhūl balki apne muḳhālifoṅ kā musalsal baṛhtā huā shor-sharābā yād kar.
Chapter 75
Psal UrduGeoR 75:1  Āsaf kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Tarz: Tabāh na Kar. Ai Allāh, terā shukr ho, terā shukr! Terā nām un ke qarīb hai jo tere mojize bayān karte haiṅ.
Psal UrduGeoR 75:2  Allāh farmātā hai, “Jab merā waqt āegā to maiṅ insāf se adālat karūṅga.
Psal UrduGeoR 75:3  Go zamīn apne bāshindoṅ samet ḍagmagāne lage, lekin maiṅ hī ne us ke satūnoṅ ko mazbūt kar diyā hai. (Silāh)
Psal UrduGeoR 75:4  Sheḳhībāzoṅ se maiṅ ne kahā, ‘Ḍīṅgeṅ mat māro,’ aur bedīnoṅ se, ‘Apne āp par faḳhr mat karo.
Psal UrduGeoR 75:5  Na apnī tāqat par sheḳhī māro, na akaṛ kar kufr bako.’”
Psal UrduGeoR 75:6  Kyoṅki sarfarāzī na mashriq se, na maġhrib se aur na bayābān se ātī hai
Psal UrduGeoR 75:7  balki Allāh se jo munsif hai. Wuhī ek ko past kar detā hai aur dūsre ko sarfarāz.
Psal UrduGeoR 75:8  Kyoṅki Rab ke hāth meṅ jhāgdār aur masāledār mai kā pyālā hai jise wuh logoṅ ko pilā detā hai. Yaqīnan duniyā ke tamām bedīnoṅ ko ise āḳhirī qatre tak pīnā hai.
Psal UrduGeoR 75:9  Lekin maiṅ hameshā Allāh ke azīm kām sunāūṅgā, hameshā Yāqūb ke Ḳhudā kī madahsarāī karūṅga.
Psal UrduGeoR 75:10  Allāh farmātā hai, “Maiṅ tamām bedīnoṅ kī kamr toṛ dūṅgā jabki rāstbāz sarfarāz hogā.”
Chapter 76
Psal UrduGeoR 76:1  Āsaf kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Tārdār sāzoṅ ke sāth gānā hai. Allāh Yahūdāh meṅ mashhūr hai, us kā nām Isrāīl meṅ azīm hai.
Psal UrduGeoR 76:2  Us ne apnī mānd Sālim meṅ aur apnā bhaṭ Koh-e-Siyyūn par banā liyā hai.
Psal UrduGeoR 76:3  Wahāṅ us ne jalte hue tīroṅ ko toṛ ḍālā aur ḍhāl, talwār aur jang ke hathiyāroṅ ko chūr chūr kar diyā hai. (Silāh)
Psal UrduGeoR 76:4  Ai Allāh, tū daraḳhshāṅ hai, tū shikār ke pahāṛoṅ se āyā huā azīmush-shān sūrmā hai.
Psal UrduGeoR 76:5  Bahāduroṅ ko lūṭ liyā gayā hai, wuh maut kī nīnd so gae haiṅ. Faujiyoṅ meṅ se ek bhī hāth nahīṅ uṭhā saktā.
Psal UrduGeoR 76:6  Ai Yāqūb ke Ḳhudā, tere ḍānṭne par ghoṛe aur rathbān behis-o-harkat ho gae haiṅ.
Psal UrduGeoR 76:7  Tū hī mahīb hai. Jab tū jhiṛke to kaun tere huzūr qāym rahegā?
Psal UrduGeoR 76:8  Tū ne āsmān se faisle kā elān kiyā. Zamīn saham kar chup ho gaī
Psal UrduGeoR 76:9  jab Allāh adālat karne ke lie uṭhā, jab wuh tamām musībatzadoṅ ko najāt dene ke lie āyā. (Silāh)
Psal UrduGeoR 76:10  Kyoṅki insān kā taish bhī terī tamjīd kā bāis hai. Us ke taish kā āḳhirī natījā terā jalāl hī hai.
Psal UrduGeoR 76:11  Rab apne Ḳhudā ke huzūr mannateṅ mān kar unheṅ pūrā karo. Jitne bhī us ke irdgird haiṅ wuh purjalāl Ḳhudā ke huzūr hadiye lāeṅ.
Psal UrduGeoR 76:12  Wuh hukmrānoṅ ko shikastā rūh kar detā hai, usī se duniyā ke bādshāh dahshat khāte haiṅ.
Chapter 77
Psal UrduGeoR 77:1  Āsaf kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Yadūtūn ke lie. Maiṅ Allāh se fariyād karke madad ke lie chillātā hūṅ, maiṅ Allāh ko pukārtā hūṅ ki mujh par dhyān de.
Psal UrduGeoR 77:2  Apnī musībat meṅ maiṅ ne Rab ko talāsh kiyā. Rāt ke waqt mere hāth bilānāġhā us kī taraf uṭhe rahe. Merī jān ne tasallī pāne se inkār kiyā.
Psal UrduGeoR 77:3  Maiṅ Allāh ko yād kartā hūṅ to āheṅ bharne lagtā hūṅ, maiṅ soch-bichār meṅ paṛ jātā hūṅ to rūh niḍhāl ho jātī hai. (Silāh)
Psal UrduGeoR 77:4  Tū merī āṅkhoṅ ko band hone nahīṅ detā. Maiṅ itnā bechain hūṅ ki bol bhī nahīṅ saktā.
Psal UrduGeoR 77:5  Maiṅ qadīm zamāne par ġhaur kartā hūṅ, un sāloṅ par jo baṛī der hue guzar gae haiṅ.
Psal UrduGeoR 77:6  Rāt ko maiṅ apnā gīt yād kartā hūṅ. Merā dil mahw-e-ḳhyāl rahtā aur merī rūh taftīsh kartī rahtī hai.
Psal UrduGeoR 77:7  “Kyā Rab hameshā ke lie radd karegā, kyā āindā hameṅ kabhī pasand nahīṅ karegā?
Psal UrduGeoR 77:8  Kyā us kī shafqat hameshā ke lie jātī rahī hai? Kyā us ke wāde ab se jawāb de gae haiṅ?
Psal UrduGeoR 77:9  Kyā Allāh mehrbānī karnā bhūl gayā hai? Kyā us ne ġhusse meṅ apnā rahm bāz rakhā hai?” (Silāh)
Psal UrduGeoR 77:10  Maiṅ bolā, “Is se mujhe dukh hai ki Allāh T'ālā kā dahnā hāth badal gayā hai.”
Psal UrduGeoR 77:11  Maiṅ Rab ke kām yād karūṅga, hāṅ qadīm zamāne ke tere mojize yād karūṅga.
Psal UrduGeoR 77:12  Jo kuchh tū ne kiyā us ke har pahlū par ġhaur-o-ḳhauz karūṅga, tere azīm kāmoṅ meṅ mahw-e-ḳhyāl rahūṅgā.
Psal UrduGeoR 77:13  Ai Allāh, terī rāh quddūs hai. Kaun-sā mābūd hamāre Ḳhudā jaisā azīm hai?
Psal UrduGeoR 77:14  Tū hī mojize karne wālā Ḳhudā hai. Aqwām ke darmiyān tū ne apnī qudrat kā izhār kiyā hai.
Psal UrduGeoR 77:15  Baṛī quwwat se tū ne ewazānā de kar apnī qaum, Yāqūb aur Yūsuf kī aulād ko rihā kar diyā hai. (Silāh)
Psal UrduGeoR 77:16  Ai Allāh, pānī ne tujhe dekhā, pānī ne tujhe dekhā to taṛapne lagā, gahrāiyoṅ tak larazne lagā.
Psal UrduGeoR 77:17  Mūslādhār bārish barsī, bādal garaj uṭhe aur tere tīr idhar-udhar chalne lage.
Psal UrduGeoR 77:18  Āṅdhī meṅ terī āwāz kaṛaktī rahī, duniyā bijliyoṅ se raushan huī, zamīn kāṅptī kāṅptī uchhal paṛī.
Psal UrduGeoR 77:19  Terī rāh samundar meṅ se, terā rāstā gahre pānī meṅ se guzarā, to bhī tere naqsh-e-qadam kisī ko nazar na āe.
Psal UrduGeoR 77:20  Mūsā aur Hārūn ke hāth se tū ne rewaṛ kī tarah apnī qaum kī rāhnumāī kī.
Chapter 78
Psal UrduGeoR 78:1  Āsaf kā zabūr. Hikmat kā gīt. Ai merī qaum, merī hidāyat par dhyān de, mere muṅh kī bātoṅ par kān lagā.
Psal UrduGeoR 78:2  Maiṅ tamsīloṅ meṅ bāt karūṅga, qadīm zamāne ke muamme bayān karūṅga.
Psal UrduGeoR 78:3  Jo kuchh ham ne sun liyā aur hameṅ mālūm huā hai, jo kuchh hamāre bāpdādā ne hameṅ sunāyā hai
Psal UrduGeoR 78:4  use ham un kī aulād se nahīṅ chhupāeṅge. Ham āne wālī pusht ko Rab ke qābil-e-tārīf kām batāeṅge, us kī qudrat aur mojizāt bayān kareṅge.
Psal UrduGeoR 78:5  Kyoṅki us ne Yāqūb kī aulād ko sharīat dī, Isrāīl meṅ ahkām qāym kie. Us ne farmāyā ki hamāre bāpdādā yih ahkām apnī aulād ko sikhāeṅ
Psal UrduGeoR 78:6  tāki āne wālī pusht bhī unheṅ apnāe, wuh bachche jo abhī paidā nahīṅ hue the. Phir unheṅ bhī apne bachchoṅ ko sunānā thā.
Psal UrduGeoR 78:7  Kyoṅki Allāh kī marzī hai ki is tarah har pusht Allāh par etamād rakh kar us ke azīm kām na bhūle balki us ke ahkām par amal kare.
Psal UrduGeoR 78:8  Wuh nahīṅ chāhtā ki wuh apne bāpdādā kī mānind hoṅ jo ziddī aur sarkash nasl the, aisī nasl jis kā dil sābitqadam nahīṅ thā aur jis kī rūh wafādārī se Allāh se lipṭī na rahī.
Psal UrduGeoR 78:9  Chunāṅche Ifrāīm ke mard go kamānoṅ se lais the jang ke waqt farār hue.
Psal UrduGeoR 78:10  Wuh Allāh ke ahd ke wafādār na rahe, us kī sharīat par amal karne ke lie taiyār nahīṅ the.
Psal UrduGeoR 78:11  Jo kuchh us ne kiyā thā, jo mojize us ne unheṅ dikhāe the, Ifrāīmī wuh sab kuchh bhūl gae.
Psal UrduGeoR 78:12  Mulk-e-Misr ke ilāqe Zuan meṅ us ne un ke bāpdādā ke deḳhte deḳhte mojize kie the.
Psal UrduGeoR 78:13  Samundar ko chīr kar us ne unheṅ us meṅ se guzarne diyā, aur donoṅ taraf pānī mazbūt dīwār kī tarah khaṛā rahā.
Psal UrduGeoR 78:14  Din ko us ne bādal ke zariye aur rāt-bhar chamakdār āg se un kī qiyādat kī.
Psal UrduGeoR 78:15  Registān meṅ us ne pattharoṅ ko chāk karke unheṅ samundar kī-sī kasrat kā pānī pilāyā.
Psal UrduGeoR 78:16  Us ne hone diyā ki chaṭān se nadiyāṅ phūṭ nikleṅ aur pānī dariyāoṅ kī tarah bahne lage.
Psal UrduGeoR 78:17  Lekin wuh us kā gunāh karne se bāz na āe balki registān meṅ Allāh T'ālā se sarkash rahe.
Psal UrduGeoR 78:18  Jān-būjh kar unhoṅ ne Allāh ko āzmā kar wuh ḳhurāk māṅgī jis kā lālach karte the.
Psal UrduGeoR 78:19  Allāh ke ḳhilāf kufr bak kar wuh bole, “Kyā Allāh registān meṅ hamāre lie mez bichhā saktā hai?
Psal UrduGeoR 78:20  Beshak jab us ne chaṭān ko mārā to pānī phūṭ niklā aur nadiyāṅ bahne lagīṅ. Lekin kyā wuh roṭī bhī de saktā hai, apnī qaum ko gosht bhī muhaiyā kar saktā hai? Yih to nāmumkin hai.”
Psal UrduGeoR 78:21  Yih sun kar Rab taish meṅ ā gayā. Yāqūb ke ḳhilāf āg bhaṛak uṭhī, aur us kā ġhazab Isrāīl par nāzil huā.
Psal UrduGeoR 78:22  Kyoṅ ? Is lie ki unheṅ Allāh par yaqīn nahīṅ thā, wuh us kī najāt par bharosā nahīṅ rakhte the.
Psal UrduGeoR 78:23  Is ke bāwujūd Allāh ne un ke ūpar bādaloṅ ko hukm de kar āsmān ke darwāze khol die.
Psal UrduGeoR 78:24  Us ne khāne ke lie un par man barsāyā, unheṅ āsmān se roṭī khilāī.
Psal UrduGeoR 78:25  Har ek ne farishtoṅ kī yih roṭī khāī balki Allāh ne itnā khānā bhejā ki un ke peṭ bhar gae.
Psal UrduGeoR 78:26  Phir us ne āsmān par mashriqī hawā chalāī aur apnī qudrat se junūbī hawā pahuṅchāī.
Psal UrduGeoR 78:27  Us ne gard kī tarah un par gosht barsāyā, samundar kī ret jaise beshumār parinde un par girne die.
Psal UrduGeoR 78:28  Ḳhaimāgāh ke bīch meṅ hī wuh gir paṛe, un ke gharoṅ ke irdgird hī zamīn par ā gire.
Psal UrduGeoR 78:29  Tab wuh khā khā kar ḳhūb ser ho gae. Kyoṅki jis kā lālach wuh karte the wuh Allāh ne unheṅ muhaiyā kiyā thā.
Psal UrduGeoR 78:30  Lekin un kā lālach abhī pūrā nahīṅ huā thā aur gosht abhī un ke muṅh meṅ thā
Psal UrduGeoR 78:31  ki Allāh kā ġhazab un par nāzil huā. Qaum ke khāte-pīte log halāk hue, Isrāīl ke jawān ḳhāk meṅ mil gae.
Psal UrduGeoR 78:32  In tamām bātoṅ ke bāwujūd wuh apne gunāhoṅ meṅ izāfā karte gae aur us ke mojizāt par īmān na lāe.
Psal UrduGeoR 78:33  Is lie us ne un ke din nākāmī meṅ guzarne die, aur un ke sāl dahshat kī hālat meṅ iḳhtitāmpazīr hue.
Psal UrduGeoR 78:34  Jab kabhī Allāh ne un meṅ qatl-o-ġhārat hone dī to wuh use ḍhūṅḍne lage, wuh muṛ kar Allāh ko talāsh karne lage.
Psal UrduGeoR 78:35  Tab unheṅ yād āyā ki Allāh hamārī chaṭān, Allāh T'ālā hamārā chhuṛāne wālā hai.
Psal UrduGeoR 78:36  Lekin wuh muṅh se use dhokā dete, zabān se use jhūṭ pesh karte the.
Psal UrduGeoR 78:37  Na un ke dil sābitqadmī se us ke sāth lipṭe rahe, na wuh us ke ahd ke wafādār rahe.
Psal UrduGeoR 78:38  To bhī Allāh rahm dil rahā. Us ne unheṅ tabāh na kiyā balki un kā qusūr muāf kartā rahā. Bār bār wuh apne ġhazab se bāz āyā, bār bār apnā pūrā qahr un par utārne se gurez kiyā.
Psal UrduGeoR 78:39  Kyoṅki use yād rahā ki wuh fānī insān haiṅ, hawā kā ek jhoṅkā jo guzar kar kabhī wāpas nahīṅ ātā.
Psal UrduGeoR 78:40  Registān meṅ wuh kitnī dafā us se sarkash hue, kitnī martabā use dukh pahuṅchāyā.
Psal UrduGeoR 78:41  Bār bār unhoṅ ne Allāh ko āzmāyā, bār bār Isrāīl ke Quddūs ko ranjīdā kiyā.
Psal UrduGeoR 78:42  Unheṅ us kī qudrat yād na rahī, wuh din jab us ne fidyā de kar unheṅ dushman se chhuṛāyā,
Psal UrduGeoR 78:43  wuh din jab us ne Misr meṅ apne ilāhī nishān dikhāe, Zuan ke ilāqe meṅ apne mojize kie.
Psal UrduGeoR 78:44  Us ne un kī nahroṅ kā pānī ḳhūn meṅ badal diyā, aur wuh apnī nadiyoṅ kā pānī pī na sake.
Psal UrduGeoR 78:45  Us ne un ke darmiyān juoṅ ke ġhol bheje jo unheṅ khā gaīṅ, meṅḍak jo un par tabāhī lāe.
Psal UrduGeoR 78:46  Un kī paidāwār us ne jawān ṭiḍḍiyoṅ ke hawāle kī, un kī mehnat kā phal bāliġh ṭiḍḍiyoṅ ke sapurd kiyā.
Psal UrduGeoR 78:47  Un kī angūr kī beleṅ us ne oloṅ se, un ke anjīr-tūt ke daraḳht sailāb se tabāh kar die.
Psal UrduGeoR 78:48  Un ke maweshī us ne oloṅ ke hawāle kie, un ke rewaṛ bijlī ke sapurd kie.
Psal UrduGeoR 78:49  Us ne un par apnā sholāzan ġhazab nāzil kiyā. Qahr, ḳhafagī aur musībat yānī tabāhī lāne wāle farishtoṅ kā pūrā dastā un par hamlā-āwar huā.
Psal UrduGeoR 78:50  Us ne apne ġhazab ke lie rāstā taiyār karke unheṅ maut se na bachāyā balki mohlak wabā kī zad meṅ āne diyā.
Psal UrduGeoR 78:51  Misr meṅ us ne tamām pahlauṭhoṅ ko mār ḍālā aur Hām ke ḳhaimoṅ meṅ mardānagī kā pahlā phal tamām kar diyā.
Psal UrduGeoR 78:52  Phir wuh apnī qaum ko bheṛ-bakriyoṅ kī tarah Misr se bāhar lā kar registān meṅ rewaṛ kī tarah lie phirā.
Psal UrduGeoR 78:53  Wuh hifāzat se un kī qiyādat kartā rahā. Unheṅ koī ḍar nahīṅ thā jabki un ke dushman samundar meṅ ḍūb gae.
Psal UrduGeoR 78:54  Yoṅ Allāh ne unheṅ muqaddas mulk tak pahuṅchāyā, us pahāṛ tak jise us ke dahne hāth ne hāsil kiyā thā.
Psal UrduGeoR 78:55  Un ke āge āge wuh dīgar qaumeṅ nikāltā gayā. Un kī zamīn us ne taqsīm karke Isrāīliyoṅ ko mīrās meṅ dī, aur un ke ḳhaimoṅ meṅ us ne Isrāīlī qabīle basāe.
Psal UrduGeoR 78:56  Is ke bāwujūd wuh Allāh T'ālā ko āzmāne se bāz na āe balki us se sarkash hue aur us ke ahkām ke tābe na rahe.
Psal UrduGeoR 78:57  Apne bāpdādā kī tarah wuh ġhaddār ban kar bewafā hue. Wuh ḍhīlī kamān kī tarah nākām ho gae.
Psal UrduGeoR 78:58  Unhoṅ ne ūṅchī jaghoṅ kī ġhalat qurbāngāhoṅ se Allāh ko ġhussā dilāyā aur apne butoṅ se use ranjīdā kiyā.
Psal UrduGeoR 78:59  Jab Allāh ko ḳhabar milī to wuh ġhazabnāk huā aur Isrāīl ko mukammal taur par mustarad kar diyā.
Psal UrduGeoR 78:60  Us ne Sailā meṅ apnī sukūnatgāh chhoṛ dī, wuh ḳhaimā jis meṅ wuh insān ke darmiyān sukūnat kartā thā.
Psal UrduGeoR 78:61  Ahd kā sandūq us kī qudrat aur jalāl kā nishān thā, lekin us ne use dushman ke hawāle karke jilāwatanī meṅ jāne diyā.
Psal UrduGeoR 78:62  Apnī qaum ko us ne talwār kī zad meṅ āne diyā, kyoṅki wuh apnī maurūsī milkiyat se nihāyat nārāz thā.
Psal UrduGeoR 78:63  Qaum ke jawān nazar-e-ātish hue, aur us kī kuṅwāriyoṅ ke lie shādī ke gīt gāe na gae.
Psal UrduGeoR 78:64  Us ke imām talwār se qatl hue, aur us kī bewāoṅ ne mātam na kiyā.
Psal UrduGeoR 78:65  Tab Rab jāg uṭhā, us ādmī kī tarah jis kī nīnd uchāṭ ho gaī ho, us sūrme kī mānind jis se nashe kā asar utar gayā ho.
Psal UrduGeoR 78:66  Us ne apne dushmanoṅ ko mār mār kar bhagā diyā aur unheṅ hameshā ke lie sharmindā kar diyā.
Psal UrduGeoR 78:67  Us waqt us ne Yūsuf kā ḳhaimā radd kiyā aur Ifrāīm ke qabīle ko na chunā
Psal UrduGeoR 78:68  balki Yahūdāh ke qabīle aur Koh-e-Siyyūn ko chun liyā jo use pyārā thā.
Psal UrduGeoR 78:69  Us ne apnā maqdis bulandiyoṅ kī mānind banāyā, zamīn kī mānind jise us ne hameshā ke lie qāym kiyā hai.
Psal UrduGeoR 78:70  Us ne apne ḳhādim Dāūd ko chun kar bheṛ-bakriyoṅ ke bāṛoṅ se bulāyā.
Psal UrduGeoR 78:71  Hāṅ, us ne use bheṛoṅ kī dekh-bhāl se bulāyā tāki wuh us kī qaum Yāqūb, us kī mīrās Isrāīl kī gallābānī kare.
Psal UrduGeoR 78:72  Dāūd ne ḳhulūsdilī se un kī gallābānī kī, baṛī mahārat se us ne un kī rāhnumāī kī.
Chapter 79
Psal UrduGeoR 79:1  Āsaf kā zabūr. Ai Allāh, ajnabī qaumeṅ terī maurūsī zamīn meṅ ghus āī haiṅ. Unhoṅ ne terī muqaddas sukūnatgāh kī behurmatī karke Yarūshalam ko malbe kā ḍher banā diyā hai.
Psal UrduGeoR 79:2  Unhoṅ ne tere ḳhādimoṅ kī lāsheṅ parindoṅ ko aur tere īmāndāroṅ kā gosht janglī jānwaroṅ ko khilā diyā hai.
Psal UrduGeoR 79:3  Yarūshalam ke chāroṅ taraf unhoṅ ne ḳhūn kī nadiyāṅ bahāīṅ, aur koī bāqī na rahā jo murdoṅ ko dafnātā.
Psal UrduGeoR 79:4  Hamāre paṛosiyoṅ ne hameṅ mazāq kā nishānā banā liyā hai, irdgird kī qaumeṅ hamārī haṅsī uṛātī aur lān-tān kartī haiṅ.
Psal UrduGeoR 79:5  Ai Rab, kab tak? Kyā tū hameshā tak ġhusse hogā? Terī ġhairat kab tak āg kī tarah bhaṛaktī rahegī?
Psal UrduGeoR 79:6  Apnā ġhazab un aqwām par nāzil kar jo tujhe taslīm nahīṅ kartīṅ, un saltanatoṅ par jo tere nām ko nahīṅ pukārtīṅ.
Psal UrduGeoR 79:7  Kyoṅki unhoṅ ne Yāqūb ko haṛap karke us kī rihāishgāh tabāh kar dī hai.
Psal UrduGeoR 79:8  Hameṅ un gunāhoṅ ke qusūrwār na ṭhahrā jo hamāre bāpdādā se sarzad hue. Ham par rahm karne meṅ jaldī kar, kyoṅki ham bahut pasthāl ho gae haiṅ.
Psal UrduGeoR 79:9  Ai hamārī najāt ke Ḳhudā, hamārī madad kar tāki tere nām ko jalāl mile. Hameṅ bachā, apne nām kī ḳhātir hamāre gunāhoṅ ko muāf kar.
Psal UrduGeoR 79:10  Dīgar aqwām kyoṅ kaheṅ, “Un kā Ḳhudā kahāṅ hai?” Hamāre deḳhte deḳhte unheṅ dikhā ki tū apne ḳhādimoṅ ke ḳhūn kā badlā letā hai.
Psal UrduGeoR 79:11  Qaidiyoṅ kī āheṅ tujh tak pahuṅchīṅ, jo marne ko haiṅ unheṅ apnī azīm qudrat se mahfūz rakh.
Psal UrduGeoR 79:12  Ai Rab, jo lān-tān hamāre paṛosiyoṅ ne tujh par barsāī hai use sāt gunā un ke saroṅ par wāpas lā.
Psal UrduGeoR 79:13  Tab ham jo terī qaum aur terī charāgāh kī bheṛeṅ haiṅ abad tak terī satāish kareṅge, pusht-dar-pusht terī hamd-o-sanā kareṅge.
Chapter 80
Psal UrduGeoR 80:1  Āsaf kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Tarz: Ahd ke Sosan. Ai Isrāīl ke gallābān, ham par dhyān de! Tū jo Yūsuf kī rewaṛ kī tarah rāhnumāī kartā hai, ham par tawajjuh kar! Tū jo karūbī farishtoṅ ke darmiyān taḳhtnashīn hai, apnā nūr chamkā!
Psal UrduGeoR 80:2  Ifrāīm, Binyamīn aur Manassī ke sāmne apnī qudrat ko harkat meṅ lā. Hameṅ bachāne ā!
Psal UrduGeoR 80:3  Ai Allāh, hameṅ bahāl kar. Apne chehre kā nūr chamkā to ham najāt pāeṅge.
Psal UrduGeoR 80:4  Ai Rab, lashkaroṅ ke Ḳhudā, terā ġhazab kab tak bhaṛaktā rahegā, hālāṅki terī qaum tujh se iltijā kar rahī hai?
Psal UrduGeoR 80:5  Tū ne unheṅ āṅsuoṅ kī roṭī khilāī aur āṅsuoṅ kā pyālā ḳhūb pilāyā.
Psal UrduGeoR 80:6  Tū ne hameṅ paṛosiyoṅ ke jhagaṛoṅ kā nishānā banāyā. Hamāre dushman hamārā mazāq uṛāte haiṅ.
Psal UrduGeoR 80:7  Ai lashkaroṅ ke Ḳhudā, hameṅ bahāl kar. Apne chehre kā nūr chamkā to ham najāt pāeṅge.
Psal UrduGeoR 80:8  Angūr kī jo bel Misr meṅ ug rahī thī use tū ukhāṛ kar Mulk-e-Kanān lāyā. Tū ne wahāṅ kī aqwām ko bhagā kar yih bel un kī jagah lagāī.
Psal UrduGeoR 80:9  Tū ne us ke lie zamīn taiyār kī to wuh jaṛ pakaṛ kar pūre mulk meṅ phail gaī.
Psal UrduGeoR 80:10  Us kā sāyā pahāṛoṅ par chhā gayā, aur us kī shāḳhoṅ ne deodār ke azīm daraḳhtoṅ ko ḍhāṅk liyā.
Psal UrduGeoR 80:11  Us kī ṭahniyāṅ maġhrib meṅ samundar tak phail gaīṅ, us kī ḍāliyāṅ mashriq meṅ Dariyā-e-Furāt tak pahuṅch gaīṅ.
Psal UrduGeoR 80:12  Tū ne us kī chārdīwārī kyoṅ girā dī? Ab har guzarne wālā us ke angūr toṛ letā hai.
Psal UrduGeoR 80:13  Jangal ke suar use khā khā kar tabāh karte, khule maidān ke jānwar wahāṅ charte haiṅ.
Psal UrduGeoR 80:14  Ai lashkaroṅ ke Ḳhudā, hamārī taraf dubārā rujū farmā! Āsmān se nazar ḍāl kar hālāt par dhyān de. Is bel kī dekh-bhāl kar.
Psal UrduGeoR 80:15  Use mahfūz rakh jise tere dahne hāth ne zamīn meṅ lagāyā, us beṭe ko jise tū ne apne lie pālā hai.
Psal UrduGeoR 80:16  Is waqt wuh kaṭ kar nazar-e-ātish huā hai. Tere chehre kī ḍānṭ-ḍapaṭ se log halāk ho jāte haiṅ.
Psal UrduGeoR 80:17  Terā hāth apne dahne hāth ke bande ko panāh de, us ādamzād ko jise tū ne apne lie pālā thā.
Psal UrduGeoR 80:18  Tab ham tujh se dūr nahīṅ ho jāeṅge. Baḳhsh de ki hamārī jān meṅ jān āe to ham terā nām pukāreṅge.
Psal UrduGeoR 80:19  Ai Rab, lashkaroṅ ke Ḳhudā, hameṅ bahāl kar. Apne chehre kā nūr chamkā to ham najāt pāeṅge.
Chapter 81
Psal UrduGeoR 81:1  Āsaf kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Tarz: Gittīt. Allāh hamārī quwwat hai. Us kī ḳhushī meṅ shādiyānā bajāo, Yāqūb ke Ḳhudā kī tāzīm meṅ ḳhushī ke nāre lagāo.
Psal UrduGeoR 81:2  Gīt gānā shurū karo. Daf bajāo, sarod aur sitār kī surīlī āwāz nikālo.
Psal UrduGeoR 81:3  Nae chāṅd ke din narsingā phūṅko, pūre chāṅd ke jis din hamārī īd hotī hai use phūṅko.
Psal UrduGeoR 81:4  Kyoṅki yih Isrāīl kā farz hai, yih Yāqūb ke Ḳhudā kā farmān hai.
Psal UrduGeoR 81:5  Jab Yūsuf Misr ke ḳhilāf niklā to Allāh ne ḳhud yih muqarrar kiyā. Maiṅ ne ek zabān sunī, jo maiṅ ab tak nahīṅ jāntā thā,
Psal UrduGeoR 81:6  “Maiṅ ne us ke kandhe par se bojh utārā aur us ke hāth bhārī ṭokrī uṭhāne se āzād kie.
Psal UrduGeoR 81:7  Musībat meṅ tū ne āwāz dī to maiṅ ne tujhe bachāyā. Garajte bādal meṅ se maiṅ ne tujhe jawāb diyā aur tujhe Marībā ke pānī par āzmāyā. (Silāh)
Psal UrduGeoR 81:8  Ai merī qaum, sun, to maiṅ tujhe āgāh karūṅga. Ai Isrāīl, kāsh tū merī sune!
Psal UrduGeoR 81:9  Tere darmiyān koī aur Ḳhudā na ho, kisī ajnabī mābūd ko sijdā na kar.
Psal UrduGeoR 81:10  Maiṅ hī Rab terā Ḳhudā hūṅ jo tujhe Mulk-e-Misr se nikāl lāyā. Apnā muṅh ḳhūb khol to maiṅ use bhar dūṅgā.
Psal UrduGeoR 81:11  Lekin merī qaum ne merī na sunī, Isrāīl merī bāt mānane ke lie taiyār na thā.
Psal UrduGeoR 81:12  Chunāṅche maiṅ ne unheṅ un ke diloṅ kī zid ke hawāle kar diyā, aur wuh apne zātī mashwaroṅ ke mutābiq zindagī guzārne lage.
Psal UrduGeoR 81:13  Kāsh merī qaum sune, Isrāīl merī rāhoṅ par chale!
Psal UrduGeoR 81:14  Tab maiṅ jaldī se us ke dushmanoṅ ko zer kartā, apnā hāth us ke muḳhālifoṅ ke ḳhilāf uṭhātā.
Psal UrduGeoR 81:15  Tab Rab se nafrat karne wāle dabak kar us kī ḳhushāmad karte, un kī shikast abadī hotī.
Psal UrduGeoR 81:16  Lekin Isrāīl ko maiṅ behtarīn gandum khilātā, maiṅ chaṭān meṅ se shahd nikāl kar use ser kartā.”
Chapter 82
Psal UrduGeoR 82:1  Āsaf kā zabūr. Allāh ilāhī majlis meṅ khaṛā hai, mābūdoṅ ke darmiyān wuh adālat kartā hai,
Psal UrduGeoR 82:2  “Tum kab tak adālat meṅ ġhalat faisle karke bedīnoṅ kī jānibdārī karoge? (Silāh)
Psal UrduGeoR 82:3  Pasthāloṅ aur yatīmoṅ kā insāf karo, musībatzadoṅ aur zarūratmandoṅ ke huqūq qāym rakho.
Psal UrduGeoR 82:4  Pasthāloṅ aur ġharīboṅ ko bachā kar bedīnoṅ ke hāth se chhuṛāo.”
Psal UrduGeoR 82:5  Lekin wuh kuchh nahīṅ jānte, unheṅ samajh hī nahīṅ ātī. Wuh tārīkī meṅ ṭaṭol ṭaṭol kar ghūmte-phirte haiṅ jabki zamīn kī tamām buniyādeṅ jhūmne lagī haiṅ.
Psal UrduGeoR 82:6  Beshak maiṅ ne kahā, “Tum Ḳhudā ho, sab Allāh T'ālā ke farzand ho.
Psal UrduGeoR 82:7  Lekin tum fānī insān kī tarah mar jāoge, tum dīgar hukmrānoṅ kī tarah gir jāoge.”
Psal UrduGeoR 82:8  Ai Allāh, uṭh kar zamīn kī adālat kar! Kyoṅki tamām aqwām terī hī maurūsī milkiyat haiṅ.
Chapter 83
Psal UrduGeoR 83:1  Gīt. Āsaf kā zabūr. Ai Allāh, ḳhāmosh na rah! Ai Allāh, chup na rah!
Psal UrduGeoR 83:2  Dekh, tere dushman shor machā rahe haiṅ, tujh se nafrat karne wāle apnā sar tere ḳhilāf uṭhā rahe haiṅ.
Psal UrduGeoR 83:3  Terī qaum ke ḳhilāf wuh chālāk mansūbe bāndh rahe haiṅ, jo terī āṛ meṅ chhup gae haiṅ un ke ḳhilāf sāzisheṅ kar rahe haiṅ.
Psal UrduGeoR 83:4  Wuh kahte haiṅ, “Āo, ham unheṅ miṭā deṅ tāki qaum nest ho jāe aur Isrāīl kā nām-o-nishān bāqī na rahe.”
Psal UrduGeoR 83:5  Kyoṅki wuh āpas meṅ salāh-mashwarā karne ke bād dilī taur par muttahid ho gae haiṅ, unhoṅ ne tere hī ḳhilāf ahd bāndhā hai.
Psal UrduGeoR 83:6  Un meṅ Adom ke ḳhaime, Ismāīlī, Moāb, Hājirī,
Psal UrduGeoR 83:7  Jabāl, Ammon, Amālīq, Filistiyā aur Sūr ke bāshinde shāmil ho gae haiṅ.
Psal UrduGeoR 83:8  Asūr bhī un meṅ sharīk ho kar Lūt kī aulād ko sahārā de rahā hai. (Silāh)
Psal UrduGeoR 83:9  Un ke sāth wuhī sulūk kar jo tū ne Midiyāniyoṅ se yānī Qaison Nadī par Sīsarā aur Yābīn se kiyā.
Psal UrduGeoR 83:10  Kyoṅki wuh Ain-dor ke pās halāk ho kar khet meṅ gobar ban gae.
Psal UrduGeoR 83:11  Un ke shurafā ke sāth wuhī bartāw kar jo tū ne Oreb aur Zaeb se kiyā. Un ke tamām sardār Zibah aur Zalmunnā kī mānind ban jāeṅ,
Psal UrduGeoR 83:12  jinhoṅ ne kahā, “Āo, ham Allāh kī charāgāhoṅ par qabzā kareṅ.”
Psal UrduGeoR 83:13  Ai mere Ḳhudā, unheṅ luṛhakbūṭī aur hawā meṅ uṛte hue bhūse kī mānind banā de.
Psal UrduGeoR 83:14  Jis tarah āg pūre jangal meṅ phail jātī aur ek hī sholā pahāṛoṅ ko jhulsā detā hai,
Psal UrduGeoR 83:15  usī tarah apnī āṅdhī se un kā tāqqub kar, apne tūfān se un ko dahshatzadā kar de.
Psal UrduGeoR 83:16  Ai Rab, un kā muṅh kālā kar tāki wuh terā nām talāsh kareṅ.
Psal UrduGeoR 83:17  Wuh hameshā tak sharmindā aur hawāsbāḳhtā raheṅ, wuh sharmsār ho kar halāk ho jāeṅ.
Psal UrduGeoR 83:18  Tab hī wuh jān leṅge ki tū hī jis kā nām Rab hai Allāh T'ālā yānī pūrī duniyā kā mālik hai.
Chapter 84
Psal UrduGeoR 84:1  Qorah ḳhāndān kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Tarz: Gittīt. Ai Rabbul-afwāj, terī sukūnatgāh kitnī pyārī hai!
Psal UrduGeoR 84:2  Merī jān Rab kī bārgāhoṅ ke lie taṛaptī huī niḍhāl hai. Merā dil balki pūrā jism zindā Ḳhudā ko zor se pukār rahā hai.
Psal UrduGeoR 84:3  Ai Rabbul-afwāj, ai mere Bādshāh aur Ḳhudā, terī qurbāngāhoṅ ke pās parinde ko bhī ghar mil gayā, abābīl ko bhī apne bachchoṅ ko pālne kā ghoṅslā mil gayā hai.
Psal UrduGeoR 84:4  Mubārak haiṅ wuh jo tere ghar meṅ baste haiṅ, wuh hameshā hī terī satāish kareṅge. (Silāh)
Psal UrduGeoR 84:5  Mubārak haiṅ wuh jo tujh meṅ apnī tāqat pāte, jo dil se terī rāhoṅ meṅ chalte haiṅ.
Psal UrduGeoR 84:6  Wuh Bukā kī ḳhushk wādī meṅ se guzarte hue use shādāb jagah banā lete haiṅ, aur bārisheṅ use barkatoṅ se ḍhāṅp detī haiṅ.
Psal UrduGeoR 84:7  Wuh qadam baqadam taqwiyat pāte hue āge baṛhte, sab Koh-e-Siyyūn par Allāh ke sāmne hāzir ho jāte haiṅ.
Psal UrduGeoR 84:8  Ai Rab, ai lashkaroṅ ke Ḳhudā, merī duā sun! Ai Yāqūb ke Ḳhudā, dhyān de! (Silāh)
Psal UrduGeoR 84:9  Ai Allāh, hamārī ḍhāl par karm kī nigāh ḍāl. Apne masah kie hue ḳhādim ke chehre par nazar kar.
Psal UrduGeoR 84:10  Terī bārgāhoṅ meṅ ek din kisī aur jagah par hazār dinoṅ se behtar hai. Mujhe apne Ḳhudā ke ghar ke darwāze par hāzir rahnā bedīnoṅ ke gharoṅ meṅ basne se kahīṅ zyādā pasand hai.
Psal UrduGeoR 84:11  Kyoṅki Rab Ḳhudā āftāb aur ḍhāl hai, wuhī hameṅ fazl aur izzat se nawāztā hai. Jo diyānatdārī se chaleṅ unheṅ wuh kisī bhī achchhī chīz se mahrūm nahīṅ rakhtā.
Psal UrduGeoR 84:12  Ai Rabbul-afwāj, mubārak hai wuh jo tujh par bharosā rakhtā hai!
Chapter 85
Psal UrduGeoR 85:1  Qorah kī aulād kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Ai Rab, pahle tū ne apne mulk ko pasand kiyā, pahle Yāqūb ko bahāl kiyā.
Psal UrduGeoR 85:2  Pahle tū ne apnī qaum kā qusūr muāf kiyā, us kā tamām gunāh ḍhāṅp diyā. (Silāh)
Psal UrduGeoR 85:3  Jo ġhazab ham par nāzil ho rahā thā us kā silsilā tū ne rok diyā, jo qahr hamāre ḳhilāf bhaṛak rahā thā use chhoṛ diyā.
Psal UrduGeoR 85:4  Ai hamārī najāt ke Ḳhudā, hameṅ dubārā bahāl kar. Ham se nārāz hone se bāz ā.
Psal UrduGeoR 85:5  Kyā tū hameshā tak ham se ġhusse rahegā? Kyā tū apnā qahr pusht-dar-pusht qāym rakhegā?
Psal UrduGeoR 85:6  Kyā tū dubārā hamārī jān ko tāzādam nahīṅ karegā tāki terī qaum tujh se ḳhush ho jāe?
Psal UrduGeoR 85:7  Ai Rab, apnī shafqat ham par zāhir kar, apnī najāt hameṅ atā farmā.
Psal UrduGeoR 85:8  Maiṅ wuh kuchh sunūṅgā jo Ḳhudā Rab farmāegā. Kyoṅki wuh apnī qaum aur apne īmāndāroṅ se salāmatī kā wādā karegā, albattā lāzim hai ki wuh dubārā hamāqat meṅ ulajh na jāeṅ.
Psal UrduGeoR 85:9  Yaqīnan us kī najāt un ke qarīb hai jo us kā ḳhauf mānte haiṅ tāki jalāl hamāre mulk meṅ sukūnat kare.
Psal UrduGeoR 85:10  Shafqat aur wafādārī ek dūsre ke gale lag gae haiṅ, rāstī aur salāmatī ne ek dūsre ko bosā diyā hai.
Psal UrduGeoR 85:11  Sachchāī zamīn se phūṭ niklegī aur rāstī āsmān se zamīn par nazar ḍālegī.
Psal UrduGeoR 85:12  Allāh zarūr wuh kuchh degā jo achchhā hai, hamārī zamīn zarūr apnī fasleṅ paidā karegī.
Psal UrduGeoR 85:13  Rāstī us ke āge āge chal kar us ke qadmoṅ ke lie rāstā taiyār karegī.
Chapter 86
Psal UrduGeoR 86:1  Dāūd kī duā. Ai Rab, apnā kān jhukā kar merī sun, kyoṅki maiṅ musībatzadā aur muhtāj hūṅ.
Psal UrduGeoR 86:2  Merī jān ko mahfūz rakh, kyoṅki maiṅ īmāndār hūṅ. Apne ḳhādim ko bachā jo tujh par bharosā rakhtā hai. Tū hī merā Ḳhudā hai!
Psal UrduGeoR 86:3  Ai Rab, mujh par mehrbānī kar, kyoṅki din-bhar maiṅ tujhe pukārtā hūṅ.
Psal UrduGeoR 86:4  Apne ḳhādim kī jān ko ḳhush kar, kyoṅki maiṅ terā ārzūmand hūṅ.
Psal UrduGeoR 86:5  Kyoṅki tū ai Rab bhalā hai, tū muāf karne ke lie taiyār hai. Jo bhī tujhe pukārte haiṅ un par tū baṛī shafqat kartā hai.
Psal UrduGeoR 86:6  Ai Rab, merī duā sun, merī iltijāoṅ par tawajjuh kar.
Psal UrduGeoR 86:7  Musībat ke din maiṅ tujhe pukārtā hūṅ, kyoṅki tū merī suntā hai.
Psal UrduGeoR 86:8  Ai Rab, mābūdoṅ meṅ se koī terī mānind nahīṅ hai. Jo kuchh tū kartā hai koī aur nahīṅ kar saktā.
Psal UrduGeoR 86:9  Ai Rab, jitnī bhī qaumeṅ tū ne banāīṅ wuh ā kar tere huzūr sijdā kareṅgī aur tere nām ko jalāl deṅgī.
Psal UrduGeoR 86:10  Kyoṅki tū hī azīm hai aur mojize kartā hai. Tū hī Ḳhudā hai.
Psal UrduGeoR 86:11  Ai Rab, mujhe apnī rāh sikhā tāki terī wafādārī meṅ chalūṅ. Baḳhsh de ki maiṅ pūre dil se terā ḳhauf mānūṅ.
Psal UrduGeoR 86:12  Ai Rab mere Ḳhudā, maiṅ pūre dil se terā shukr karūṅga, hameshā tak tere nām kī tāzīm karūṅga.
Psal UrduGeoR 86:13  Kyoṅki terī mujh par shafqat azīm hai, tū ne merī jān ko Pātāl kī gahrāiyoṅ se chhuṛāyā hai.
Psal UrduGeoR 86:14  Ai Allāh, maġhrūr mere ḳhilāf uṭh khaṛe hue haiṅ, zālimoṅ kā jatthā merī jān lene ke darpai hai. Yih log terā lihāz nahīṅ karte.
Psal UrduGeoR 86:15  Lekin tū, ai Rab, rahīm aur mehrbān Ḳhudā hai. Tū tahammul, shafqat aur wafā se bharpūr hai.
Psal UrduGeoR 86:16  Merī taraf rujū farmā, mujh par mehrbānī kar! Apne ḳhādim ko apnī quwwat atā kar, apnī ḳhādimā ke beṭe ko bachā.
Psal UrduGeoR 86:17  Mujhe apnī mehrbānī kā koī nishān dikhā. Mujh se nafrat karne wāle yih dekh kar sharmindā ho jāeṅ ki tū Rab ne merī madad karke mujhe tasallī dī hai.
Chapter 87
Psal UrduGeoR 87:1  Qorah kī aulād kā zabūr. Gīt. Us kī buniyād muqaddas pahāṛoṅ par rakhī gaī hai.
Psal UrduGeoR 87:2  Rab Siyyūn ke darwāzoṅ ko Yāqūb kī dīgar ābādiyoṅ se kahīṅ zyādā pyār kartā hai.
Psal UrduGeoR 87:3  Ai Allāh ke shahr, tere bāre meṅ shāndār bāteṅ sunāī jātī haiṅ. (Silāh)
Psal UrduGeoR 87:4  Rab farmātā hai, “Maiṅ Misr aur Bābal ko un logoṅ meṅ shumār karūṅga jo mujhe jānte haiṅ.” Filistiyā, Sūr aur Ethopiyā ke bāre meṅ bhī kahā jāegā, “In kī paidāish yihīṅ huī hai.”
Psal UrduGeoR 87:5  Lekin Siyyūn ke bāre meṅ kahā jāegā, “Har ek bāshindā us meṅ paidā huā hai. Allāh T'ālā ḳhud use qāym rakhegā.”
Psal UrduGeoR 87:6  Jab Rab aqwām ko kitāb meṅ darj karegā to wuh sāth sāth yih bhī likhegā, “Yih Siyyūn meṅ paidā huī haiṅ.” (Silāh)
Psal UrduGeoR 87:7  Aur log nāchte hue gāeṅge, “Mere tamām chashme tujh meṅ haiṅ.”
Chapter 88
Psal UrduGeoR 88:1  Qorah kī aulād kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Tarz: Mahalat Lannot. Haimān Izrāhī kā hikmat kā gīt. Ai Rab, ai merī najāt ke Ḳhudā, din rāt maiṅ tere huzūr chīḳhtā-chillātā hūṅ.
Psal UrduGeoR 88:2  Merī duā tere huzūr pahuṅche, apnā kān merī chīḳhoṅ kī taraf jhukā.
Psal UrduGeoR 88:3  Kyoṅki merī jān dukh se bharī hai, aur merī ṭāṅgeṅ qabr meṅ laṭkī huī haiṅ.
Psal UrduGeoR 88:4  Mujhe un meṅ shumār kiyā jātā hai jo Pātāl meṅ utar rahe haiṅ. Maiṅ us mard kī mānind hūṅ jis kī tamām tāqat jātī rahī hai.
Psal UrduGeoR 88:5  Mujhe murdoṅ meṅ tanhā chhoṛā gayā hai, qabr meṅ un maqtūloṅ kī tarah jin kā tū ab ḳhayāl nahīṅ rakhtā aur jo tere hāth ke sahāre se munqate ho gae haiṅ.
Psal UrduGeoR 88:6  Tū ne mujhe sab se gahre gaṛhe meṅ, tārīktarīn gahrāiyoṅ meṅ ḍāl diyā hai.
Psal UrduGeoR 88:7  Tere ġhazab kā pūrā bojh mujh par ā paṛā hai, tū ne mujhe apnī tamām maujoṅ ke nīche dabā diyā hai. (Silāh)
Psal UrduGeoR 88:8  Tū ne mere qarībī dostoṅ ko mujh se dūr kar diyā hai, aur ab wuh mujh se ghin khāte haiṅ. Maiṅ phaṅsā huā hūṅ aur nikal nahīṅ saktā.
Psal UrduGeoR 88:9  Merī āṅkheṅ ġham ke māre pazhmurdā ho gaī haiṅ. Ai Rab, din-bhar maiṅ tujhe pukārtā, apne hāth terī taraf uṭhāe rakhtā hūṅ.
Psal UrduGeoR 88:10  Kyā tū murdoṅ ke lie mojize karegā? Kyā Pātāl ke bāshinde uṭh kar terī tamjīd kareṅge? (Silāh)
Psal UrduGeoR 88:11  Kyā log qabr meṅ terī shafqat yā Pātāl meṅ terī wafā bayān kareṅge?
Psal UrduGeoR 88:12  Kyā tārīkī meṅ tere mojize yā Mulk-e-farāmosh meṅ terī rāstī mālūm ho jāegī?
Psal UrduGeoR 88:13  Lekin ai Rab, maiṅ madad ke lie tujhe pukārtā hūṅ, merī duā subah-sawere tere sāmne ā jātī hai.
Psal UrduGeoR 88:14  Ai Rab, tū merī jān ko kyoṅ radd kartā, apne chehre ko mujh se poshīdā kyoṅ rakhtā hai?
Psal UrduGeoR 88:15  Maiṅ musībatzadā aur jawānī se maut ke qarīb rahā hūṅ. Tere dahshatnāk hamle bardāsht karte karte maiṅ jān se hāth dho baiṭhā hūṅ.
Psal UrduGeoR 88:16  Terā bhaṛaktā qahr mujh par se guzar gayā, tere haulnāk kāmoṅ ne mujhe nābūd kar diyā hai.
Psal UrduGeoR 88:17  Din-bhar wuh mujhe sailāb kī tarah ghere rakhte haiṅ, har taraf se mujh par hamlā-āwar hote haiṅ.
Psal UrduGeoR 88:18  Tū ne mere dostoṅ aur paṛosiyoṅ ko mujh se dūr kar rakhā hai. Tārīkī hī merī qarībī dost ban gaī hai.
Chapter 89
Psal UrduGeoR 89:1  Aitān Izrāhī kā hikmat kā gīt. Maiṅ abad tak Rab kī mehrbāniyoṅ kī madahsarāī karūṅga, pusht-dar-pusht muṅh se terī wafā kā elān karūṅga.
Psal UrduGeoR 89:2  Kyoṅki maiṅ bolā, “Terī shafqat hameshā tak qāym hai, tū ne apnī wafā kī mazbūt buniyād āsmān par hī rakhī hai.”
Psal UrduGeoR 89:3  Tū ne farmāyā, “Maiṅ ne apne chune hue bande se ahd bāndhā, apne ḳhādim Dāūd se qasam khā kar wādā kiyā hai,
Psal UrduGeoR 89:4  ‘Maiṅ terī nasl ko hameshā tak qāym rakhūṅgā, terā taḳht hameshā tak mazbūt rakhūṅgā.’” (Silāh)
Psal UrduGeoR 89:5  Ai Rab, āsmān tere mojizoṅ kī satāish kareṅge, muqaddasīn kī jamāt meṅ hī terī wafādārī kī tamjīd kareṅge.
Psal UrduGeoR 89:6  Kyoṅki bādaloṅ meṅ kaun Rab kī mānind hai? Ilāhī hastiyoṅ meṅ se kaun Rab kī mānind hai?
Psal UrduGeoR 89:7  Jo bhī muqaddasīn kī majlis meṅ shāmil haiṅ wuh Allāh se ḳhauf khāte haiṅ. Jo bhī us ke irdgird hote haiṅ un par us kī azmat aur rob chhāyā rahtā hai.
Psal UrduGeoR 89:8  Ai Rab, ai lashkaroṅ ke Ḳhudā, kaun terī mānind hai? Ai Rab, tū qawī aur apnī wafā se ghirā rahtā hai.
Psal UrduGeoR 89:9  Tū ṭhāṭheṅ mārte hue samundar par hukūmat kartā hai. Jab wuh maujzan ho to tū use thamā detā hai.
Psal UrduGeoR 89:10  Tū ne samundarī azhdahe Rahab ko kuchal diyā, aur wuh maqtūl kī mānind ban gayā. Apne qawī bāzū se tū ne apne dushmanoṅ ko titar-bitar kar diyā.
Psal UrduGeoR 89:11  Āsmān-o-zamīn tere hī haiṅ. Duniyā aur jo kuchh us meṅ hai tū ne qāym kiyā.
Psal UrduGeoR 89:12  Tū ne shimāl-o-junūb ko ḳhalaq kiyā. Tabūr aur Harmūn tere nām kī ḳhushī meṅ nāre lagāte haiṅ.
Psal UrduGeoR 89:13  Terā bāzū qawī aur terā hāth tāqatwar hai. Terā dahnā hāth azīm kām karne ke lie taiyār hai.
Psal UrduGeoR 89:14  Rāstī aur insāf tere taḳht kī buniyād haiṅ. Shafqat aur wafā tere āge āge chaltī haiṅ.
Psal UrduGeoR 89:15  Mubārak hai wuh qaum jo terī ḳhushī ke nāre lagā sake. Ai Rab, wuh tere chehre ke nūr meṅ chaleṅge.
Psal UrduGeoR 89:16  Rozānā wuh tere nām kī ḳhushī manāeṅge aur terī rāstī se sarfarāz hoṅge.
Psal UrduGeoR 89:17  Kyoṅki tū hī un kī tāqat kī shān hai, aur tū apne karm se hameṅ sarfarāz karegā.
Psal UrduGeoR 89:18  Kyoṅki hamārī ḍhāl Rab hī kī hai, hamārā bādshāh Isrāīl ke Quddūs hī kā hai.
Psal UrduGeoR 89:19  Māzī meṅ tū royā meṅ apne īmāndāroṅ se hamkalām huā. Us waqt tū ne farmāyā, “Maiṅ ne ek sūrme ko tāqat se nawāzā hai, qaum meṅ se ek ko chun kar sarfarāz kiyā hai.
Psal UrduGeoR 89:20  Maiṅ ne apne ḳhādim Dāūd ko pā liyā aur use apne muqaddas tel se masah kiyā hai.
Psal UrduGeoR 89:21  Merā hāth use qāym rakhegā, merā bāzū use taqwiyat degā.
Psal UrduGeoR 89:22  Dushman us par ġhālib nahīṅ āegā, sharīr use ḳhāk meṅ nahīṅ milāeṅge.
Psal UrduGeoR 89:23  Us ke āge āge maiṅ us ke dushmanoṅ ko pāsh pāsh karūṅga. Jo us se nafrat rakhte haiṅ unheṅ zamīn par paṭaḳh dūṅgā.
Psal UrduGeoR 89:24  Merī wafā aur merī shafqat us ke sāth raheṅgī, mere nām se wuh sarfarāz hogā.
Psal UrduGeoR 89:25  Maiṅ us ke hāth ko samundar par aur us ke dahne hāth ko dariyāoṅ par hukūmat karne dūṅgā.
Psal UrduGeoR 89:26  Wuh mujhe pukār kar kahegā, ‘Tū merā Bāp, merā Ḳhudā aur merī najāt kī Chaṭān hai.’
Psal UrduGeoR 89:27  Maiṅ use apnā pahlauṭhā aur duniyā kā sab se ālā bādshāh banāūṅgā.
Psal UrduGeoR 89:28  Maiṅ use hameshā tak apnī shafqat se nawāztā rahūṅgā, merā us ke sāth ahd kabhī tamām nahīṅ hogā.
Psal UrduGeoR 89:29  Maiṅ us kī nasl hameshā tak qāym rakhūṅgā, jab tak āsmān qāym hai us kā taḳht qāym rakhūṅgā.
Psal UrduGeoR 89:30  Agar us ke beṭe merī sharīat tark karke mere ahkām par amal na kareṅ,
Psal UrduGeoR 89:31  agar wuh mere farmānoṅ kī behurmatī karke merī hidāyāt ke mutābiq zindagī na guzāreṅ
Psal UrduGeoR 89:32  to maiṅ lāṭhī le kar un kī tādīb karūṅga aur mohlak wabāoṅ se un ke gunāhoṅ kī sazā dūṅgā.
Psal UrduGeoR 89:33  Lekin maiṅ use apnī shafqat se mahrūm nahīṅ karūṅga, apnī wafā kā inkār nahīṅ karūṅga.
Psal UrduGeoR 89:34  Na maiṅ apne ahd kī behurmatī karūṅga, na wuh kuchh tabdīl karūṅga jo maiṅ ne farmāyā hai.
Psal UrduGeoR 89:35  Maiṅ ne ek bār sadā ke lie apnī quddūsiyat kī qasam khā kar wādā kiyā hai, aur maiṅ Dāūd ko kabhī dhokā nahīṅ dūṅgā.
Psal UrduGeoR 89:36  Us kī nasl abad tak qāym rahegī, us kā taḳht āftāb kī tarah mere sāmne khaṛā rahegā.
Psal UrduGeoR 89:37  Chāṅd kī tarah wuh hameshā tak barqarār rahegā, aur jo gawāh bādaloṅ meṅ hai wuh wafādār hai.” (Silāh)
Psal UrduGeoR 89:38  Lekin ab tū ne apne masah kie hue ḳhādim ko ṭhukrā kar radd kiyā, tū us se ġhazabnāk ho gayā hai.
Psal UrduGeoR 89:39  Tū ne apne ḳhādim kā ahd nāmanzūr kiyā aur us kā tāj ḳhāk meṅ milā kar us kī behurmatī kī hai.
Psal UrduGeoR 89:40  Tū ne us kī tamām fasīleṅ ḍhā kar us ke qiloṅ ko malbe ke ḍher banā diyā hai.
Psal UrduGeoR 89:41  Jo bhī wahāṅ se guzare wuh use lūṭ letā hai. Wuh apne paṛosiyoṅ ke lie mazāq kā nishānā ban gayā hai.
Psal UrduGeoR 89:42  Tū ne us ke muḳhālifoṅ kā dahnā hāth sarfarāz kiyā, us ke tamām dushmanoṅ ko ḳhush kar diyā hai.
Psal UrduGeoR 89:43  Tū ne us kī talwār kī tezī beasar karke use jang meṅ fatah pāne se rok diyā hai.
Psal UrduGeoR 89:44  Tū ne us kī shān ḳhatm karke us kā taḳht zamīn par paṭaḳh diyā hai.
Psal UrduGeoR 89:45  Tū ne us kī jawānī ke din muḳhtasar karke use ruswāī kī chādar meṅ lapeṭā hai. (Silāh)
Psal UrduGeoR 89:46  Ai Rab, kab tak? Kyā tū apne āp ko hameshā tak chhupāe rakhegā? Kyā terā qahr abad tak āg kī tarah bhaṛaktā rahegā?
Psal UrduGeoR 89:47  Yād rahe ki merī zindagī kitnī muḳhtasar hai, ki tū ne tamām insān kitne fānī ḳhalaq kie haiṅ.
Psal UrduGeoR 89:48  Kaun hai jis kā maut se wāstā na paṛe, kaun hai jo hameshā zindā rahe? Kaun apnī jān ko maut ke qabze se bachāe rakh saktā hai? (Silāh)
Psal UrduGeoR 89:49  Ai Rab, terī wuh purānī mehrbāniyāṅ kahāṅ haiṅ jin kā wādā tū ne apnī wafā kī qasam khā kar Dāūd se kiyā?
Psal UrduGeoR 89:50  Ai Rab, apne ḳhādimoṅ kī ḳhajālat yād kar. Merā Sīnā muta'addid qaumoṅ kī lān-tān se dukhtā hai,
Psal UrduGeoR 89:51  kyoṅki ai Rab, tere dushmanoṅ ne mujhe lān-tān kī, unhoṅ ne tere masah kie hue ḳhādim ko har qadam par lān-tān kī hai!
Chapter 90
Psal UrduGeoR 90:1  Mard-e-Ḳhudā Mūsā kī duā. Ai Rab, pusht-dar-pusht tū hamārī panāhgāh rahā hai.
Psal UrduGeoR 90:2  Is se pahle ki pahāṛ paidā hue aur tū zamīn aur duniyā ko wujūd meṅ lāyā tū hī thā. Ai Allāh, tū azal se abad tak hai.
Psal UrduGeoR 90:3  Tū insān ko dubārā ḳhāk hone detā hai. Tū farmātā hai, ‘Ai ādamzādo, dubārā ḳhāk meṅ mil jāo!’
Psal UrduGeoR 90:4  Kyoṅki terī nazar meṅ hazār sāl kal ke guzare hue din ke barābar yā rāt ke ek pahar kī mānind haiṅ.
Psal UrduGeoR 90:5  Tū logoṅ ko sailāb kī tarah bahā le jātā hai, wuh nīnd aur us ghās kī mānind haiṅ jo subah ko phūṭ nikaltī hai.
Psal UrduGeoR 90:6  Wuh subah ko phūṭ nikaltī aur ugtī hai, lekin shām ko murjhā kar sūkh jātī hai.
Psal UrduGeoR 90:7  Kyoṅki ham tere ġhazab se fanā ho jāte aur tere qahr se hawāsbāḳhtā ho jāte haiṅ.
Psal UrduGeoR 90:8  Tū ne hamārī ḳhatāoṅ ko apne sāmne rakhā, hamāre poshīdā gunāhoṅ ko apne chehre ke nūr meṅ lāyā hai.
Psal UrduGeoR 90:9  Chunāṅche hamāre tamām din tere qahr ke taht ghaṭte ghaṭte ḳhatm ho jāte haiṅ. Jab ham apne sāloṅ ke iḳhtitām par pahuṅchte haiṅ to zindagī sard āh ke barābar hī hotī hai.
Psal UrduGeoR 90:10  Hamārī umr 70 sāl yā agar zyādā tāqat ho to 80 sāl tak pahuṅchtī hai, aur jo din faḳhr kā bāis the wuh bhī taklīfdeh aur bekār haiṅ. Jald hī wuh guzar jāte haiṅ, aur ham parindoṅ kī tarah uṛ kar chale jāte haiṅ.
Psal UrduGeoR 90:11  Kaun tere ġhazab kī pūrī shiddat jāntā hai? Kaun samajhtā hai ki terā qahr hamārī ḳhudātarsī kī kamī ke mutābiq hī hai?
Psal UrduGeoR 90:12  Chunāṅche hameṅ hamāre dinoṅ kā sahīh hisāb karnā sikhā tāki hamāre dil dānishmand ho jāeṅ.
Psal UrduGeoR 90:13  Ai Rab, dubārā hamārī taraf rujū farmā! Tū kab tak dūr rahegā? Apne ḳhādimoṅ par tars khā!
Psal UrduGeoR 90:14  Subah ko hameṅ apnī shafqat se ser kar! Tab ham zindagī-bhar bāġh bāġh hoṅge aur ḳhushī manāeṅge.
Psal UrduGeoR 90:15  Hameṅ utne hī din ḳhushī dilā jitne tū ne hameṅ past kiyā hai, utne hī sāl jitne hameṅ dukh sahnā paṛā hai.
Psal UrduGeoR 90:16  Apne ḳhādimoṅ par apne kām aur un kī aulād par apnī azmat zāhir kar.
Psal UrduGeoR 90:17  Rab hamārā Ḳhudā hameṅ apnī mehrbānī dikhāe. Hamāre hāthoṅ kā kām mazbūt kar, hāṅ hamāre hāthoṅ kā kām mazbūt kar!
Chapter 91
Psal UrduGeoR 91:1  Jo Allāh T'ālā kī panāh meṅ rahe wuh Qādir-e-mutlaq ke sāy meṅ sukūnat karegā.
Psal UrduGeoR 91:2  Maiṅ kahūṅgā, “Ai Rab, tū merī panāh aur merā qilā hai, merā Ḳhudā jis par maiṅ bharosā rakhtā hūṅ.”
Psal UrduGeoR 91:3  Kyoṅki wuh tujhe chiṛīmār ke phande aur mohlak marz se chhuṛāegā.
Psal UrduGeoR 91:4  Wuh tujhe apne shāhparoṅ ke nīche ḍhāṅp legā, aur tū us ke paroṅ tale panāh le sakegā. Us kī wafādārī terī ḍhāl aur pushtā rahegī.
Psal UrduGeoR 91:5  Rāt kī dahshatoṅ se ḳhauf mat khā, na us tīr se jo din ke waqt chale.
Psal UrduGeoR 91:6  Us mohlak marz se dahshat mat khā jo tārīkī meṅ ghūme phire, na us wabāī bīmārī se jo dopahar ke waqt tabāhī phailāe.
Psal UrduGeoR 91:7  Go tere sāth khaṛe hazār afrād halāk ho jāeṅ aur tere dahne hāth das hazār mar jāeṅ, lekin tū us kī zad meṅ nahīṅ āegā.
Psal UrduGeoR 91:8  Tū apnī āṅkhoṅ se is kā mulāhazā karegā, tū ḳhud bedīnoṅ kī sazā dekhegā.
Psal UrduGeoR 91:9  Kyoṅki tū ne kahā hai, “Rab merī panāhgāh hai,” tū Allāh T'ālā ke sāy meṅ chhup gayā hai.
Psal UrduGeoR 91:10  Is lie terā kisī balā se wāstā nahīṅ paṛegā, koī āfat bhī tere ḳhaime ke qarīb phaṭakne nahīṅ pāegī.
Psal UrduGeoR 91:11  Kyoṅki wuh apne farishtoṅ ko har rāh par terī hifāzat karne kā hukm degā,
Psal UrduGeoR 91:12  aur wuh tujhe apne hāthoṅ par uṭhā leṅge tāki tere pāṅwoṅ ko patthar se ṭhes na lage.
Psal UrduGeoR 91:13  Tū sherbabaroṅ aur zahrīle sāṅpoṅ par qadam rakhegā, tū jawān sheroṅ aur azhdahāoṅ ko kuchal degā.
Psal UrduGeoR 91:14  Rab farmātā hai, “Chūṅki wuh mujh se lipṭā rahtā hai is lie maiṅ use bachāūṅgā. Chūṅki wuh merā nām jāntā hai is lie maiṅ use mahfūz rakhūṅgā.
Psal UrduGeoR 91:15  Wuh mujhe pukāregā to maiṅ us kī sunūṅgā. Musībat meṅ maiṅ us ke sāth hūṅgā. Maiṅ use chhuṛā kar us kī izzat karūṅga.
Psal UrduGeoR 91:16  Maiṅ use umr kī darāzī baḳhshūṅgā aur us par apnī najāt zāhir karūṅga.”
Chapter 92
Psal UrduGeoR 92:1  Zabūr. Sabat ke lie gīt. Rab kā shukr karnā bhalā hai. Ai Allāh T'ālā, tere nām kī madahsarāī karnā bhalā hai.
Psal UrduGeoR 92:2  Subah ko terī shafqat aur rāt ko terī wafā kā elān karnā bhalā hai,
Psal UrduGeoR 92:3  ḳhāskar jab sāth sāth das tāroṅ wālā sāz, sitār aur sarod bajte haiṅ.
Psal UrduGeoR 92:4  Kyoṅki ai Rab, tū ne mujhe apne kāmoṅ se ḳhush kiyā hai, aur tere hāthoṅ ke kām dekh kar maiṅ ḳhushī ke nāre lagātā hūṅ.
Psal UrduGeoR 92:5  Ai Rab, tere kām kitne azīm, tere ḳhayālāt kitne gahre haiṅ.
Psal UrduGeoR 92:6  Nādān yih nahīṅ jāntā, ahmaq ko is kī samajh nahīṅ ātī.
Psal UrduGeoR 92:7  Go bedīn ghās kī tarah phūṭ nikalte aur badkār sab phalte-phūlte haiṅ, lekin āḳhirkār wuh hameshā ke lie halāk ho jāeṅge.
Psal UrduGeoR 92:9  Kyoṅki tere dushman, ai Rab, tere dushman yaqīnan tabāh ho jāeṅge, badkār sab titar-bitar ho jāeṅge.
Psal UrduGeoR 92:10  Tū ne mujhe janglī bail kī-sī tāqat de kar tāzā tel se masah kiyā hai.
Psal UrduGeoR 92:11  Merī āṅkh apne dushmanoṅ kī shikast se aur mere kān un sharīroṅ ke anjām se lutfandoz hue haiṅ jo mere ḳhilāf uṭh khaṛe hue haiṅ.
Psal UrduGeoR 92:12  Rāstbāz khajūr ke daraḳht kī tarah phale phūlegā, wuh Lubnān ke deodār ke daraḳht kī tarah baṛhegā.
Psal UrduGeoR 92:13  Jo paude Rab kī sukūnatgāh meṅ lagāe gae haiṅ wuh hamāre Ḳhudā kī bārgāhoṅ meṅ phaleṅ-phūleṅge.
Psal UrduGeoR 92:14  Wuh buṛhāpe meṅ bhī phal lāeṅge aur tar-o-tāzā aur hare-bhare raheṅge.
Psal UrduGeoR 92:15  Us waqt bhī wuh elān kareṅge, “Rab rāst hai. Wuh merī chaṭān hai, aur us meṅ nārāstī nahīṅ hotī.”
Chapter 93
Psal UrduGeoR 93:1  Rab Bādshāh hai, wuh jalāl se mulabbas hai. Rab jalāl se mulabbas aur qudrat se kamarbastā hai. Yaqīnan duniyā mazbūt buniyād par qāym hai, aur wuh nahīṅ ḍagmagāegī.
Psal UrduGeoR 93:2  Terā taḳht qadīm zamāne se qāym hai, tū azal se maujūd hai.
Psal UrduGeoR 93:3  Ai Rab, sailāb garaj uṭhe, sailāb shor machā kar garaj uṭhe, sailāb ṭhāṭheṅ mār kar garaj uṭhe.
Psal UrduGeoR 93:4  Lekin ek hai jo gahre pānī ke shor se zyādā zorāwar, jo samundar kī ṭhāṭhoṅ se zyādā tāqatwar hai. Rab jo bulandiyoṅ par rahtā hai kahīṅ zyādā azīm hai.
Psal UrduGeoR 93:5  Ai Rab, tere ahkām har tarah se qābil-e-etamād haiṅ. Terā ghar hameshā tak quddūsiyat se ārāstā rahegā.
Chapter 94
Psal UrduGeoR 94:1  Ai Rab, ai intaqām lene wāle Ḳhudā! Ai intaqām lene wāle Ḳhudā, apnā nūr chamkā.
Psal UrduGeoR 94:2  Ai duniyā ke munsif, uṭh kar maġhrūroṅ ko un ke āmāl kī munāsib sazā de.
Psal UrduGeoR 94:3  Ai Rab, bedīn kab tak, hāṅ kab tak fatah ke nāre lagāeṅge?
Psal UrduGeoR 94:4  Wuh kufr kī bāteṅ ugalte rahte, tamām badkār sheḳhī mārte rahte haiṅ.
Psal UrduGeoR 94:5  Ai Rab, wuh terī qaum ko kuchal rahe, terī maurūsī milkiyat par zulm kar rahe haiṅ.
Psal UrduGeoR 94:6  Bewāoṅ aur ajnabiyoṅ ko wuh maut ke ghāṭ utār rahe, yatīmoṅ ko qatl kar rahe haiṅ.
Psal UrduGeoR 94:7  Wuh kahte haiṅ, “Yih Rab ko nazar nahīṅ ātā, Yāqūb kā Ḳhudā dhyān hī nahīṅ detā.”
Psal UrduGeoR 94:8  Ai qaum ke nādāno, dhyān do! Ai ahmaqo, tumheṅ kab samajh āegī?
Psal UrduGeoR 94:9  Jis ne kān banāyā, kyā wuh nahīṅ suntā? Jis ne āṅkh ko tashkīl diyā kyā wuh nahīṅ deḳhtā?
Psal UrduGeoR 94:10  Jo aqwām ko tambīh kartā aur insān ko tālīm detā hai kyā wuh sazā nahīṅ detā?
Psal UrduGeoR 94:11  Rab insān ke ḳhayālāt jāntā hai, wuh jāntā hai ki wuh dam-bhar ke hī haiṅ.
Psal UrduGeoR 94:12  Ai Rab, mubārak hai wuh jise tū tarbiyat detā hai, jise tū apnī sharīat kī tālīm detā hai
Psal UrduGeoR 94:13  tāki wuh musībat ke dinoṅ se ārām pāe aur us waqt tak sukūn se zindagī guzāre jab tak bedīnoṅ ke lie gaṛhā taiyār na ho.
Psal UrduGeoR 94:14  Kyoṅki Rab apnī qaum ko radd nahīṅ karegā, wuh apnī maurūsī milkiyat ko tark nahīṅ karegā.
Psal UrduGeoR 94:15  Faisle dubārā insāf par mabnī hoṅge, aur tamām diyānatdār dil us kī pairawī kareṅge.
Psal UrduGeoR 94:16  Kaun sharīroṅ ke sāmne merā difā karegā? Kaun mere lie badkāroṅ kā sāmnā karegā?
Psal UrduGeoR 94:17  Agar Rab merā sahārā na hotā to merī jān jald hī ḳhāmoshī ke mulk meṅ jā bastī.
Psal UrduGeoR 94:18  Ai Rab, jab maiṅ bolā, “Merā pāṅw ḍagmagāne lagā hai” to terī shafqat ne mujhe saṅbhālā.
Psal UrduGeoR 94:19  Jab tashwīshnāk ḳhayālāt mujhe bechain karne lage to terī tasalliyoṅ ne merī jān ko tāzādam kiyā.
Psal UrduGeoR 94:20  Ai Allāh, kyā tabāhī kī hukūmat tere sāth muttahid ho saktī hai, aisī hukūmat jo apne farmānoṅ se zulm kartī hai? Hargiz nahīṅ!
Psal UrduGeoR 94:21  Wuh rāstbāz kī jān lene ke lie āpas meṅ mil jāte aur bequsūroṅ ko qātil ṭhahrāte haiṅ.
Psal UrduGeoR 94:22  Lekin Rab merā qilā ban gayā hai, aur merā Ḳhudā merī panāh kī chaṭān sābit huā hai.
Psal UrduGeoR 94:23  Wuh un kī nāinsāfī un par wāpas āne degā aur un kī sharīr harkatoṅ ke jawāb meṅ unheṅ tabāh karegā. Rab hamārā Ḳhudā unheṅ nest karegā.
Chapter 95
Psal UrduGeoR 95:1  Āo, ham shādiyānā bajā kar Rab kī madahsarāī kareṅ, ḳhushī ke nāre lagā kar apnī najāt kī chaṭān kī tamjīd kareṅ!
Psal UrduGeoR 95:2  Āo, ham shukrguzārī ke sāth us ke huzūr āeṅ, gīt gā kar us kī satāish kareṅ.
Psal UrduGeoR 95:3  Kyoṅki Rab azīm Ḳhudā aur tamām mābūdoṅ par azīm Bādshāh hai.
Psal UrduGeoR 95:4  Us ke hāth meṅ zamīn kī gahrāiyāṅ haiṅ, aur pahāṛ kī bulandiyāṅ bhī usī kī haiṅ.
Psal UrduGeoR 95:5  Samundar us kā hai, kyoṅki us ne use ḳhalaq kiyā. Ḳhushkī us kī hai, kyoṅki us ke hāthoṅ ne use tashkīl diyā.
Psal UrduGeoR 95:6  Āo ham sijdā kareṅ aur Rab apne Ḳhāliq ke sāmne jhuk kar ghuṭne ṭekeṅ.
Psal UrduGeoR 95:7  Kyoṅki wuh hamārā Ḳhudā hai aur ham us kī charāgāh kī qaum aur us ke hāth kī bheṛeṅ haiṅ. Agar tum āj us kī āwāz suno
Psal UrduGeoR 95:8  “To apne diloṅ ko saḳht na karo jis tarah Marībā meṅ huā, jis tarah registān meṅ Massā meṅ huā.
Psal UrduGeoR 95:9  Wahāṅ tumhāre bāpdādā ne mujhe āzmāyā aur jāṅchā, hālāṅki unhoṅ ne mere kām dekh lie the.
Psal UrduGeoR 95:10  Chālīs sāl maiṅ us nasl se ghin khātā rahā. Maiṅ bolā, ‘Un ke dil hameshā sahīh rāh se haṭ jāte haiṅ, aur wuh merī rāheṅ nahīṅ jānte.’
Psal UrduGeoR 95:11  Apne ġhazab meṅ maiṅ ne qasam khāī, ‘Yih kabhī us mulk meṅ dāḳhil nahīṅ hoṅge jahāṅ maiṅ unheṅ sukūn detā.’”
Chapter 96
Psal UrduGeoR 96:1  Rab kī tamjīd meṅ nayā gīt gāo, ai pūrī duniyā, Rab kī madahsarāī karo.
Psal UrduGeoR 96:2  Rab kī tamjīd meṅ gīt gāo, us ke nām kī satāish karo, roz baroz us kī najāt kī ḳhushḳhabrī sunāo.
Psal UrduGeoR 96:3  Qaumoṅ meṅ us kā jalāl aur tamām ummatoṅ meṅ us ke ajāyb bayān karo.
Psal UrduGeoR 96:4  Kyoṅki Rab azīm aur satāish ke bahut lāyq hai. Wuh tamām mābūdoṅ se mahīb hai.
Psal UrduGeoR 96:5  Kyoṅki dīgar qaumoṅ ke tamām mābūd but hī haiṅ jabki Rab ne āsmān ko banāyā.
Psal UrduGeoR 96:6  Us ke huzūr shān-o-shaukat, us ke maqdis meṅ qudrat aur jalāl hai.
Psal UrduGeoR 96:7  Ai qaumoṅ ke qabīlo, Rab kī tamjīd karo, Rab ke jalāl aur qudrat kī satāish karo.
Psal UrduGeoR 96:8  Rab ke nām ko jalāl do. Qurbānī le kar us kī bārgāhoṅ meṅ dāḳhil ho jāo.
Psal UrduGeoR 96:9  Muqaddas libās se ārāstā ho kar Rab ko sijdā karo. Pūrī duniyā us ke sāmne laraz uṭhe.
Psal UrduGeoR 96:10  Qaumoṅ meṅ elān karo, “Rab hī Bādshāh hai! Yaqīnan duniyā mazbūtī se qāym hai aur nahīṅ ḍagmagāegī. Wuh insāf se qaumoṅ kī adālat karegā.”
Psal UrduGeoR 96:11  Āsmān ḳhush ho, zamīn jashn manāe! Samundar aur jo kuchh us meṅ hai ḳhushī se garaj uṭhe.
Psal UrduGeoR 96:12  Maidān aur jo kuchh us meṅ hai bāġh bāġh ho. Phir jangal ke daraḳht shādiyānā bajāeṅge.
Psal UrduGeoR 96:13  Wuh Rab ke sāmne shādiyānā bajāeṅge, kyoṅki wuh ā rahā hai, wuh duniyā kī adālat karne ā rahā hai. Wuh insāf se duniyā kī adālat karegā aur apnī sadāqat se aqwām kā faislā karegā.
Chapter 97
Psal UrduGeoR 97:1  Rab Bādshāh hai! Zamīn jashn manāe, sāhilī ilāqe dūr dūr tak ḳhush hoṅ.
Psal UrduGeoR 97:2  Wuh bādaloṅ aur gahre andhere se ghirā rahtā hai, rāstī aur insāf us ke taḳht kī buniyād haiṅ.
Psal UrduGeoR 97:3  Āg us ke āge āge bhaṛak kar chāroṅ taraf us ke dushmanoṅ ko bhasm kar detī hai.
Psal UrduGeoR 97:4  Us kī kaṛaktī bijliyoṅ ne duniyā ko raushan kar diyā to zamīn yih dekh kar pech-o-tāb khāne lagī.
Psal UrduGeoR 97:5  Rab ke āge āge, hāṅ pūrī duniyā ke mālik ke āge āge pahāṛ mom kī tarah pighal gae.
Psal UrduGeoR 97:6  Āsmānoṅ ne us kī rāstī kā elān kiyā, aur tamām qaumoṅ ne us kā jalāl dekhā.
Psal UrduGeoR 97:7  Tamām butparast, hāṅ sab jo butoṅ par faḳhr karte haiṅ sharmindā hoṅ. Ai tamām mābūdo, use sijdā karo!
Psal UrduGeoR 97:8  Koh-e-Siyyūn sun kar ḳhush huā. Ai Rab, tere faisloṅ ke bāis Yahūdāh kī beṭiyāṅ bāġh bāġh huīṅ.
Psal UrduGeoR 97:9  Kyoṅki tū ai Rab, pūrī duniyā par sab se ālā hai, tū tamām mābūdoṅ se sarbuland hai.
Psal UrduGeoR 97:10  Tum jo Rab se muhabbat rakhte ho, burāī se nafrat karo! Rab apne īmāndāroṅ kī jān ko mahfūz rakhtā hai, wuh unheṅ bedīnoṅ ke qabze se chhuṛātā hai.
Psal UrduGeoR 97:11  Rāstbāz ke lie nūr kā aur dil ke diyānatdāroṅ ke lie shādmānī kā bīj boyā gayā hai.
Psal UrduGeoR 97:12  Ai rāstbāzo, Rab se ḳhush ho, us ke muqaddas nām kī satāish karo.
Chapter 98
Psal UrduGeoR 98:1  Rab kī tamjīd meṅ nayā gīt gāo, kyoṅki us ne mojize kie haiṅ. Apne dahne hāth aur muqaddas bāzū se us ne najāt dī hai.
Psal UrduGeoR 98:2  Rab ne apnī najāt kā elān kiyā aur apnī rāstī qaumoṅ ke rūbarū zāhir kī hai.
Psal UrduGeoR 98:3  Us ne Isrāīl ke lie apnī shafqat aur wafā yād kī hai. Duniyā kī intahāoṅ ne sab hamāre Ḳhudā kī najāt dekhī hai.
Psal UrduGeoR 98:4  Ai pūrī duniyā, nāre lagā kar Rab kī madahsarāī karo! Āpe meṅ na samāo aur jashn manā kar hamd ke gīt gāo!
Psal UrduGeoR 98:5  Sarod bajā kar Rab kī madahsarāī karo, sarod aur gīt se us kī satāish karo.
Psal UrduGeoR 98:6  Turam aur narsingā phūṅk kar Rab Bādshāh ke huzūr ḳhushī ke nāre lagāo!
Psal UrduGeoR 98:7  Samundar aur jo kuchh us meṅ hai, duniyā aur us ke bāshinde ḳhushī se garaj uṭheṅ.
Psal UrduGeoR 98:8  Dariyā tāliyāṅ bajāeṅ, pahāṛ mil kar ḳhushī manāeṅ,
Psal UrduGeoR 98:9  wuh Rab ke sāmne ḳhushī manāeṅ. Kyoṅki wuh zamīn kī adālat karne ā rahā hai. Wuh insāf se duniyā kī adālat karegā, rāstī se qaumoṅ kā faislā karegā.
Chapter 99
Psal UrduGeoR 99:1  Rab Bādshāh hai, aqwām laraz uṭheṅ! Wuh karūbī farishtoṅ ke darmiyān taḳhtnashīn hai, duniyā ḍagmagāe!
Psal UrduGeoR 99:2  Koh-e-Siyyūn par Rab azīm hai, tamām aqwām par sarbuland hai.
Psal UrduGeoR 99:3  Wuh tere azīm aur purjalāl nām kī satāish kareṅ, kyoṅki wuh quddūs hai.
Psal UrduGeoR 99:4  Wuh Bādshāh kī qudrat kī tamjīd kareṅ jo insāf se pyār kartā hai. Ai Allāh, tū hī ne adl qāym kiyā, tū hī ne Yāqūb meṅ insāf aur rāstī paidā kī hai.
Psal UrduGeoR 99:5  Rab hamāre Ḳhudā kī tāzīm karo, us ke pāṅwoṅ kī chaukī ke sāmne sijdā karo, kyoṅki wuh quddūs hai.
Psal UrduGeoR 99:6  Mūsā aur Hārūn us ke imāmoṅ meṅ se the. Samuel bhī un meṅ se thā jo us kā nām pukārte the. Unhoṅ ne Rab ko pukārā, aur us ne un kī sunī.
Psal UrduGeoR 99:7  Wuh bādal ke satūn meṅ se un se hamkalām huā, aur wuh un ahkām aur farmānoṅ ke tābe rahe jo us ne unheṅ die the.
Psal UrduGeoR 99:8  Ai Rab hamāre Ḳhudā, tū ne un kī sunī. Tū jo Allāh hai unheṅ muāf kartā rahā, albattā unheṅ un kī burī harkatoṅ kī sazā bhī detā rahā.
Psal UrduGeoR 99:9  Rab hamāre Ḳhudā kī tāzīm karo aur us ke muqaddas pahāṛ par sijdā karo, kyoṅki Rab hamārā Ḳhudā quddūs hai.
Chapter 100
Psal UrduGeoR 100:1  Shukrguzārī kī qurbānī ke lie zabūr. Ai pūrī duniyā, ḳhushī ke nāre lagā kar Rab kī madahsarāī karo!
Psal UrduGeoR 100:2  Ḳhushī se Rab kī ibādat karo, jashn manāte hue us ke huzūr āo!
Psal UrduGeoR 100:3  Jān lo ki Rab hī Ḳhudā hai. Usī ne hameṅ ḳhalaq kiyā, aur ham us ke haiṅ, us kī qaum aur us kī charāgāh kī bheṛeṅ.
Psal UrduGeoR 100:4  Shukr karte hue us ke darwāzoṅ meṅ dāḳhil ho, satāish karte hue us kī bārgāhoṅ meṅ hāzir ho. Us kā shukr karo, us ke nām kī tamjīd karo!
Psal UrduGeoR 100:5  Kyoṅki Rab bhalā hai. Us kī shafqat abadī hai, aur us kī wafādārī pusht-dar-pusht qāym hai.
Chapter 101
Psal UrduGeoR 101:1  Dāūd kā zabūr. Maiṅ shafqat aur insāf kā gīt gāūṅgā. Ai Rab, maiṅ terī madahsarāī karūṅga.
Psal UrduGeoR 101:2  Maiṅ baṛī ehtiyāt se be'ilzām rāh par chalūṅgā. Lekin tū kab mere pās āegā? Maiṅ ḳhulūsdilī se apne ghar meṅ zindagī guzārūṅga.
Psal UrduGeoR 101:3  Maiṅ sharārat kī bāt apne sāmne nahīṅ rakhtā aur burī harkatoṅ se nafrat kartā hūṅ. Aisī chīzeṅ mere sāth lipaṭ na jāeṅ.
Psal UrduGeoR 101:4  Jhūṭā dil mujh se dūr rahe. Maiṅ burāī ko jānanā hī nahīṅ chāhtā.
Psal UrduGeoR 101:5  Jo chupke se apne paṛosī par tohmat lagāe use maiṅ ḳhāmosh karāūṅgā, jis kī āṅkheṅ maġhrūr aur dil mutakabbir ho use bardāsht nahīṅ karūṅga.
Psal UrduGeoR 101:6  Merī āṅkheṅ mulk ke wafādāroṅ par lagī rahtī haiṅ tāki wuh mere sāth raheṅ. Jo be'ilzām rāh par chale wuhī merī ḳhidmat kare.
Psal UrduGeoR 101:7  Dhokebāz mere ghar meṅ na ṭhahre, jhūṭ bolne wālā merī maujūdagī meṅ qāym na rahe.
Psal UrduGeoR 101:8  Har subah ko maiṅ mulk ke tamām bedīnoṅ ko ḳhāmosh karāūṅgā tāki tamām badkāroṅ ko Rab ke shahr meṅ se miṭāyā jāe.
Chapter 102
Psal UrduGeoR 102:1  Musībatzadā kī duā, us waqt jab wuh niḍhāl ho kar Rab ke sāmne apnī āh-o-zārī unḍel detā hai. Ai Rab, merī duā sun! Madad ke lie merī āheṅ tere huzūr pahuṅcheṅ.
Psal UrduGeoR 102:2  Jab maiṅ musībat meṅ hūṅ to apnā chehrā mujh se chhupāe na rakh balki apnā kān merī taraf jhukā. Jab maiṅ pukārūṅ to jald hī merī sun.
Psal UrduGeoR 102:3  Kyoṅki mere din dhueṅ kī tarah ġhāyb ho rahe haiṅ, merī haḍḍiyāṅ koeloṅ kī tarah dahak rahī haiṅ.
Psal UrduGeoR 102:4  Merā dil ghās kī tarah jhulas kar sūkh gayā hai, aur maiṅ roṭī khānā bhī bhūl gayā hūṅ.
Psal UrduGeoR 102:5  Āh-o-zārī karte karte merā jism sukaṛ gayā hai, jild aur haḍḍiyāṅ hī rah gaī haiṅ.
Psal UrduGeoR 102:6  Maiṅ registān meṅ dashtī ullū aur khanḍarāt meṅ chhoṭe ullū kī mānind hūṅ.
Psal UrduGeoR 102:7  Maiṅ bistar par jāgtā rahtā hūṅ, chhat par tanhā parinde kī mānind hūṅ.
Psal UrduGeoR 102:8  Din-bhar mere dushman mujhe lān-tān karte haiṅ. Jo merā mazāq uṛāte haiṅ wuh merā nām le kar lānat karte haiṅ.
Psal UrduGeoR 102:9  Rākh merī roṭī hai, aur jo kuchh pītā hūṅ us meṅ mere āṅsū mile hote haiṅ.
Psal UrduGeoR 102:10  Kyoṅki mujh par terī lānat aur terā ġhazab nāzil huā hai. Tū ne mujhe uṭhā kar zamīn par paṭaḳh diyā hai.
Psal UrduGeoR 102:11  Mere din shām ke ḍhalne wāle sāy kī mānind haiṅ. Maiṅ ghās kī tarah sūkh rahā hūṅ.
Psal UrduGeoR 102:12  Lekin tū ai Rab abad tak taḳhtnashīn hai, terā nām pusht-dar-pusht qāym rahtā hai.
Psal UrduGeoR 102:13  Ab ā, Koh-e-Siyyūn par rahm kar. Kyoṅki us par mehrbānī karne kā waqt ā gayā hai, muqarrarā waqt ā gayā hai.
Psal UrduGeoR 102:14  Kyoṅki tere ḳhādimoṅ ko us kā ek ek patthar pyārā hai, aur wuh us ke malbe par tars khāte haiṅ.
Psal UrduGeoR 102:15  Tab hī qaumeṅ Rab ke nām se ḍareṅgī, aur duniyā ke tamām bādshāh tere jalāl kā ḳhauf khāeṅge.
Psal UrduGeoR 102:16  Kyoṅki Rab Siyyūn ko az sar-e-nau tāmīr karegā, wuh apne pūre jalāl ke sāth zāhir ho jāegā.
Psal UrduGeoR 102:17  Muflisoṅ kī duā par wuh dhyān degā aur un kī fariyādoṅ ko haqīr nahīṅ jānegā.
Psal UrduGeoR 102:18  Āne wālī nasl ke lie yih qalamband ho jāe tāki jo qaum abhī paidā nahīṅ huī wuh Rab kī satāish kare.
Psal UrduGeoR 102:19  Kyoṅki Rab ne apne maqdis kī bulandiyoṅ se jhāṅkā hai, us ne āsmān se zamīn par nazar ḍālī hai
Psal UrduGeoR 102:20  tāki qaidiyoṅ kī āh-o-zārī sune aur marne wāloṅ kī zanjīreṅ khole.
Psal UrduGeoR 102:21  Kyoṅki us kī marzī hai ki wuh Koh-e-Siyyūn par Rab ke nām kā elān kareṅ aur Yarūshalam meṅ us kī satāish kareṅ,
Psal UrduGeoR 102:22  ki qaumeṅ aur saltanateṅ mil kar jamā ho jāeṅ aur Rab kī ibādat kareṅ.
Psal UrduGeoR 102:23  Rāste meṅ hī Allāh ne merī tāqat toṛ kar mere din muḳhtasar kar die haiṅ.
Psal UrduGeoR 102:24  Maiṅ bolā, “Ai mere Ḳhudā, mujhe zindoṅ ke mulk se dūr na kar, merī zindagī to adhūrī rah gaī hai. Lekin tere sāl pusht-dar-pusht qāym rahte haiṅ.
Psal UrduGeoR 102:25  Tū ne qadīm zamāne meṅ zamīn kī buniyād rakhī, aur tere hī hāthoṅ ne āsmānoṅ ko banāyā.
Psal UrduGeoR 102:26  Yih to tabāh ho jāeṅge, lekin tū qāym rahegā. Yih sab kapṛe kī tarah ghis-phaṭ jāeṅge. Tū unheṅ purāne libās kī tarah badal degā, aur wuh jāte raheṅge.
Psal UrduGeoR 102:27  Lekin tū wuhī kā wuhī rahtā hai, aur terī zindagī kabhī ḳhatm nahīṅ hotī.
Psal UrduGeoR 102:28  Tere ḳhādimoṅ ke farzand tere huzūr baste raheṅge, aur un kī aulād tere sāmne qāym rahegī.”
Chapter 103
Psal UrduGeoR 103:1  Dāūd kā zabūr. Ai merī jān, Rab kī satāish kar! Merā rag-o-reshā us ke quddūs nām kī hamd kare!
Psal UrduGeoR 103:2  Ai merī jān, Rab kī satāish kar aur jo kuchh us ne tere lie kiyā hai use bhūl na jā.
Psal UrduGeoR 103:3  Kyoṅki wuh tere tamām gunāhoṅ ko muāf kartā, tujhe tamām bīmāriyoṅ se shifā detā hai.
Psal UrduGeoR 103:4  Wuh ewazānā de kar terī jān ko maut ke gaṛhe se chhuṛā letā, tere sar ko apnī shafqat aur rahm t ke tāj se ārāstā kartā hai.
Psal UrduGeoR 103:5  Wuh terī zindagī ko achchhī chīzoṅ se ser kartā hai, aur tū dubārā jawān ho kar uqāb kī-sī taqwiyat pātā hai.
Psal UrduGeoR 103:6  Rab tamām mazlūmoṅ ke lie rāstī aur insāf qāym kartā hai.
Psal UrduGeoR 103:7  Us ne apnī rāheṅ Mūsā par aur apne azīm kām Isrāīliyoṅ par zāhir kie.
Psal UrduGeoR 103:8  Rab rahīm aur mehrbān hai, wuh tahammul aur shafqat se bharpūr hai.
Psal UrduGeoR 103:9  Na wuh hameshā ḍānṭtā rahegā, na abad tak nārāz rahegā.
Psal UrduGeoR 103:10  Na wuh hamārī ḳhatāoṅ ke mutābiq sazā detā, na hamāre gunāhoṅ kā munāsib ajr detā hai.
Psal UrduGeoR 103:11  Kyoṅki jitnā buland āsmān hai, utnī hī azīm us kī shafqat un par hai jo us kā ḳhauf mānte haiṅ.
Psal UrduGeoR 103:12  Jitnī dūr mashriq maġhrib se hai utnā hī us ne hamāre qusūr ham se dūr kar die haiṅ.
Psal UrduGeoR 103:13  Jis tarah bāp apne bachchoṅ par tars khātā hai usī tarah Rab un par tars khātā hai jo us kā ḳhauf mānte haiṅ.
Psal UrduGeoR 103:14  Kyoṅki wuh hamārī sāḳht jāntā hai, use yād hai ki ham ḳhāk hī haiṅ.
Psal UrduGeoR 103:15  Insān ke din ghās kī mānind haiṅ, aur wuh janglī phūl kī tarah hī phaltā-phūltā hai.
Psal UrduGeoR 103:16  Jab us par se hawā guzare to wuh nahīṅ rahtā, aur us ke nām-o-nishān kā bhī patā nahīṅ chaltā.
Psal UrduGeoR 103:17  Lekin jo Rab kā ḳhauf māneṅ un par wuh hameshā tak mehrbānī karegā, wuh apnī rāstī un ke potoṅ aur nawāsoṅ par bhī zāhir karegā.
Psal UrduGeoR 103:18  Shart yih hai ki wuh us ke ahd ke mutābiq zindagī guzāreṅ aur dhyān se us ke ahkām par amal kareṅ.
Psal UrduGeoR 103:19  Rab ne āsmān par apnā taḳht qāym kiyā hai, aur us kī bādshāhī sab par hukūmat kartī hai.
Psal UrduGeoR 103:20  Ai Rab ke farishto, us ke tāqatwar sūrmāo, jo us ke farmān pūre karte ho tāki us kā kalām mānā jāe, Rab kī satāish karo!
Psal UrduGeoR 103:21  Ai tamām lashkaro, tum sab jo us ke ḳhādim ho aur us kī marzī pūrī karte ho, Rab kī satāish karo!
Psal UrduGeoR 103:22  Tum sab jinheṅ us ne banāyā, Rab kī satāish karo! Us kī saltanat kī har jagah par us kī tamjīd karo. Ai merī jān, Rab kī satāish kar!
Chapter 104
Psal UrduGeoR 104:1  Ai merī jān, Rab kī satāish kar! Ai Rab mere Ḳhudā, tū nihāyat hī azīm hai, tū jāh-o-jalāl se ārāstā hai.
Psal UrduGeoR 104:2  Terī chādar nūr hai jise tū oṛhe rahtā hai. Tū āsmān ko ḳhaime kī tarah tān kar
Psal UrduGeoR 104:3  apnā bālākhānā us ke pānī ke bīch meṅ tāmīr kartā hai. Bādal terā rath hai, aur tū hawā ke paroṅ par sawār hotā hai.
Psal UrduGeoR 104:4  Tū hawāoṅ ko apne qāsid aur āg ke sholoṅ ko apne ḳhādim banā detā hai.
Psal UrduGeoR 104:5  Tū ne zamīn ko mazbūt buniyād par rakhā tāki wuh kabhī na ḍagmagāe.
Psal UrduGeoR 104:6  Sailāb ne use libās kī tarah ḍhāṅp diyā, aur pānī pahāṛoṅ ke ūpar hī khaṛā huā.
Psal UrduGeoR 104:7  Lekin tere ḍānṭne par pānī farār huā, terī garajtī āwāz sun kar wuh ek dam bhāg gayā.
Psal UrduGeoR 104:8  Tab pahāṛ ūṅche hue aur wādiyāṅ un jaghoṅ par utar āīṅ jo tū ne un ke lie muqarrar kī thīṅ.
Psal UrduGeoR 104:9  Tū ne ek had bāndhī jis se pānī baṛh nahīṅ saktā. Āindā wuh kabhī pūrī zamīn ko nahīṅ ḍhāṅkne kā.
Psal UrduGeoR 104:10  Tū wādiyoṅ meṅ chashme phūṭne detā hai, aur wuh pahāṛoṅ meṅ se bah nikalte haiṅ.
Psal UrduGeoR 104:11  Bahte bahte wuh khule maidān ke tamām jānwaroṅ ko pānī pilāte haiṅ. Janglī gadhe ā kar apnī pyās bujhāte haiṅ.
Psal UrduGeoR 104:12  Parinde un ke kināroṅ par baserā karte, aur un kī chahcahātī āwāzeṅ ghane bel-būṭoṅ meṅ se sunāī detī haiṅ.
Psal UrduGeoR 104:13  Tū apne bālāḳhāne se pahāṛoṅ ko tar kartā hai, aur zamīn tere hāth se ser ho kar har tarah kā phal lātī hai.
Psal UrduGeoR 104:14  Tū jānwaroṅ ke lie ghās phūṭne aur insān ke lie paude ugne detā hai tāki wuh zamīn kī kāshtkārī karke roṭī hāsil kare.
Psal UrduGeoR 104:15  Terī mai insān kā dil ḳhush kartī, terā tel us kā chehrā raushan kar detā, terī roṭī us kā dil mazbūt kartī hai.
Psal UrduGeoR 104:16  Rab ke daraḳht yānī Lubnān meṅ us ke lagāe hue deodār ke daraḳht serāb rahte haiṅ.
Psal UrduGeoR 104:17  Parinde un meṅ apne ghoṅsle banā lete haiṅ, aur laqlaq jūnīpar ke daraḳht meṅ apnā āshiyānā.
Psal UrduGeoR 104:18  Pahāṛoṅ kī bulandiyoṅ par pahāṛī bakroṅ kā rāj hai, chaṭānoṅ meṅ bijjū panāh lete haiṅ.
Psal UrduGeoR 104:19  Tū ne sāl ko mahīnoṅ meṅ taqsīm karne ke lie chāṅd banāyā, aur sūraj ko ġhurūb hone ke auqāt mālūm haiṅ.
Psal UrduGeoR 104:20  Tū andherā phailne detā hai to din ḍhal jātā hai aur janglī jānwar harkat meṅ ā jāte haiṅ.
Psal UrduGeoR 104:21  Jawān sherbabar dahāṛ kar shikār ke pīchhe paṛ jāte aur Allāh se apnī ḳhurāk kā mutālabā karte haiṅ.
Psal UrduGeoR 104:22  Phir sūraj tulū hone lagtā hai, aur wuh khisak kar apne bhaṭoṅ meṅ chhup jāte haiṅ.
Psal UrduGeoR 104:23  Us waqt insān ghar se nikal kar apne kām meṅ lag jātā aur shām tak masrūf rahtā hai.
Psal UrduGeoR 104:24  Ai Rab, tere anginat kām kitne azīm haiṅ! Tū ne har ek ko hikmat se banāyā, aur zamīn terī maḳhlūqāt se bharī paṛī hai.
Psal UrduGeoR 104:25  Samundar ko dekho, wuh kitnā baṛā aur wasī hai. Us meṅ beshumār jāndār haiṅ, baṛe bhī aur chhoṭe bhī.
Psal UrduGeoR 104:26  Us kī satah par jahāz idhar-udhar safr karte haiṅ, us kī gahrāiyoṅ meṅ Liwiyātān phirtā hai, wuh azhdahā jise tū ne us meṅ uchhalne kūdne ke lie tashkīl diyā thā.
Psal UrduGeoR 104:27  Sab tere intazār meṅ rahte haiṅ ki tū unheṅ waqt par khānā muhaiyā kare.
Psal UrduGeoR 104:28  Tū un meṅ ḳhurāk taqsīm kartā hai to wuh use ikaṭṭhā karte haiṅ. Tū apnī muṭṭhī kholtā hai to wuh achchhī chīzoṅ se ser ho jāte haiṅ.
Psal UrduGeoR 104:29  Jab tū apnā chehrā chhupā letā hai to un ke hawās gum ho jāte haiṅ. Jab tū un kā dam nikāl letā hai to wuh nest ho kar dubārā ḳhāk meṅ mil jāte haiṅ.
Psal UrduGeoR 104:30  Tū apnā dam bhej detā hai to wuh paidā ho jāte haiṅ. Tū hī rū-e-zamīn ko bahāl kartā hai.
Psal UrduGeoR 104:31  Rab kā jalāl abad tak qāym rahe! Rab apne kām kī ḳhushī manāe!
Psal UrduGeoR 104:32  Wuh zamīn par nazar ḍāltā hai to wuh laraz uṭhtī hai. Wuh pahāṛoṅ ko chhū detā hai to wuh dhuāṅ chhoṛte haiṅ.
Psal UrduGeoR 104:33  Maiṅ umr-bhar Rab kī tamjīd meṅ gīt gāūṅgā, jab tak zindā hūṅ apne Ḳhudā kī madahsarāī karūṅga.
Psal UrduGeoR 104:34  Merī bāt use pasand āe! Maiṅ Rab se kitnā ḳhush hūṅ!
Psal UrduGeoR 104:35  Gunāhgār zamīn se miṭ jāeṅ aur bedīn nest-o-nābūd ho jāeṅ. Ai merī jān, Rab kī satāish kar! Rab kī hamd ho!
Chapter 105
Psal UrduGeoR 105:1  Rab kā shukr karo aur us kā nām pukāro! Aqwām meṅ us ke kāmoṅ kā elān karo.
Psal UrduGeoR 105:2  Sāz bajā kar us kī madahsarāī karo. Us ke tamām ajāyb ke bāre meṅ logoṅ ko batāo.
Psal UrduGeoR 105:3  Us ke muqaddas nām par faḳhr karo. Rab ke tālib dil se ḳhush hoṅ.
Psal UrduGeoR 105:4  Rab aur us kī qudrat kī dariyāft karo, har waqt us ke chehre ke tālib raho.
Psal UrduGeoR 105:5  Jo mojize us ne kie unheṅ yād karo. Us ke ilāhī nishān aur us ke muṅh ke faisle dohrāte raho.
Psal UrduGeoR 105:6  Tum jo us ke ḳhādim Ibrāhīm kī aulād aur Yāqūb ke farzand ho, jo us ke barguzīdā log ho, tumheṅ sab kuchh yād rahe!
Psal UrduGeoR 105:7  Wuhī Rab hamārā Ḳhudā hai, wuhī pūrī duniyā kī adālat kartā hai.
Psal UrduGeoR 105:8  Wuh hameshā apne ahd kā ḳhayāl rakhtā hai, us kalām kā jo us ne hazār pushtoṅ ke lie farmāyā thā.
Psal UrduGeoR 105:9  Yih wuh ahd hai jo us ne Ibrāhīm se bāndhā, wuh wādā jo us ne qasam khā kar Is'hāq se kiyā thā.
Psal UrduGeoR 105:10  Us ne use Yāqūb ke lie qāym kiyā tāki wuh us ke mutābiq zindagī guzāre, us ne tasdīq kī ki yih merā Isrāīl se abadī ahd hai.
Psal UrduGeoR 105:11  Sāth sāth us ne farmāyā, “Maiṅ tujhe Mulk-e-Kanān dūṅgā. Yih terī mīrās kā hissā hogā.”
Psal UrduGeoR 105:12  Us waqt wuh tādād meṅ kam aur thoṛe hī the balki mulk meṅ ajnabī hī the.
Psal UrduGeoR 105:13  Ab tak wuh muḳhtalif qaumoṅ aur saltanatoṅ meṅ ghūmte-phirte the.
Psal UrduGeoR 105:14  Lekin Allāh ne un par kisī ko zulm karne na diyā, aur un kī ḳhātir us ne bādshāhoṅ ko ḍānṭā,
Psal UrduGeoR 105:15  “Mere masah kie hue ḳhādimoṅ ko mat chheṛnā, mere nabiyoṅ ko nuqsān mat pahuṅchānā.”
Psal UrduGeoR 105:16  Phir Allāh ne Mulk-e-Kanān meṅ kāl paṛne diyā aur ḳhurāk kā har zaḳhīrā ḳhatm kiyā.
Psal UrduGeoR 105:17  Lekin us ne un ke āge āge ek ādmī ko Misr bhejā yānī Yūsuf ko jo ġhulām ban kar faroḳht huā.
Psal UrduGeoR 105:18  Us ke pāṅw aur gardan zanjīroṅ meṅ jakaṛe rahe
Psal UrduGeoR 105:19  jab tak wuh kuchh pūrā na huā jis kī peshgoī Yūsuf ne kī thī, jab tak Rab ke farmān ne us kī tasdīq na kī.
Psal UrduGeoR 105:20  Tab Misrī bādshāh ne apne bandoṅ ko bhej kar use rihāī dī, qaumoṅ ke hukmrān ne use āzād kiyā.
Psal UrduGeoR 105:21  Us ne use apne gharāne par nigarān aur apnī tamām milkiyat par hukmrān muqarrar kiyā.
Psal UrduGeoR 105:22  Yūsuf ko Firaun ke ra'īsoṅ ko apnī marzī ke mutābiq chalāne aur Misrī buzurgoṅ ko hikmat kī tālīm dene kī zimmedārī bhī dī gaī.
Psal UrduGeoR 105:23  Phir Yāqūb kā ḳhāndān Misr āyā, aur Isrāīl Hām ke mulk meṅ ajnabī kī haisiyat se basne lagā.
Psal UrduGeoR 105:24  Wahāṅ Allāh ne apnī qaum ko bahut phalne-phūlne diyā, us ne use us ke dushmanoṅ se zyādā tāqatwar banā diyā.
Psal UrduGeoR 105:25  Sāth sāth us ne Misriyoṅ kā rawaiyā badal diyā, to wuh us kī qaum Isrāīl se nafrat karke Rab ke ḳhādimoṅ se chālākiyāṅ karne lage.
Psal UrduGeoR 105:26  Tab Allāh ne apne ḳhādim Mūsā aur apne chune hue bande Hārūn ko Misr meṅ bhejā.
Psal UrduGeoR 105:27  Mulk-e-Hām meṅ ā kar unhoṅ ne un ke darmiyān Allāh ke ilāhī nishān aur mojize dikhāe.
Psal UrduGeoR 105:28  Allāh ke hukm par Misr par tārīkī chhā gaī, mulk meṅ andherā ho gayā. Lekin unhoṅ ne us ke farmān na māne.
Psal UrduGeoR 105:29  Us ne un kā pānī ḳhūn meṅ badal kar un kī machhliyoṅ ko marwā diyā.
Psal UrduGeoR 105:30  Misr ke mulk par meṅḍakoṅ ke ġhol chhā gae jo un ke hukmrānoṅ ke andarūnī kamroṅ tak pahuṅch gae.
Psal UrduGeoR 105:31  Allāh ke hukm par Misr ke pūre ilāqe meṅ makkhiyoṅ aur juoṅ ke ġhol phail gae.
Psal UrduGeoR 105:32  Bārish kī bajāe us ne un ke mulk par ole aur dahakte shole barsāe.
Psal UrduGeoR 105:33  Us ne un kī angūr kī beleṅ aur anjīr ke daraḳht tabāh kar die, un ke ilāqe ke daraḳht toṛ ḍāle.
Psal UrduGeoR 105:34  Us ke hukm par anginat ṭiḍḍiyāṅ apne bachchoṅ samet mulk par hamlā-āwar huīṅ.
Psal UrduGeoR 105:35  Wuh un ke mulk kī tamām hariyālī aur un ke khetoṅ kī tamām paidāwār chaṭ kar gaīṅ.
Psal UrduGeoR 105:36  Phir Allāh ne Misr meṅ tamām pahlauṭhoṅ ko mār ḍālā, un kī mardānagī kā pahlā phal tamām huā.
Psal UrduGeoR 105:37  Is ke bād wuh Isrāīl ko chāṅdī aur sone se nawāz kar Misr se nikāl lāyā. Us waqt us ke qabīloṅ meṅ ṭhokar khāne wālā ek bhī nahīṅ thā.
Psal UrduGeoR 105:38  Misr ḳhush thā jab wuh rawānā hue, kyoṅki un par Isrāīl kī dahshat chhā gaī thī.
Psal UrduGeoR 105:39  Din ko Allāh ne un ke ūpar bādal kambal kī tarah bichhā diyā, rāt ko āg muhaiyā kī tāki raushnī ho.
Psal UrduGeoR 105:40  Jab unhoṅ ne ḳhurāk māṅgī to us ne unheṅ baṭer pahuṅchā kar āsmānī roṭī se ser kiyā.
Psal UrduGeoR 105:41  Us ne chaṭān ko chāk kiyā to pānī phūṭ niklā, aur registān meṅ pānī kī nadiyāṅ bahne lagīṅ.
Psal UrduGeoR 105:42  Kyoṅki us ne us muqaddas wāde kā ḳhayāl rakhā jo us ne apne ḳhādim Ibrāhīm se kiyā thā.
Psal UrduGeoR 105:43  Chunāṅche wuh apnī chunī huī qaum ko Misr se nikāl lāyā, aur wuh ḳhushī aur shādmānī ke nāre lagā kar nikal āe.
Psal UrduGeoR 105:44  Us ne unheṅ dīgar aqwām ke mamālik die, aur unhoṅ ne dīgar ummatoṅ kī mehnat ke phal par qabzā kiyā.
Psal UrduGeoR 105:45  Kyoṅki wuh chāhtā thā ki wuh us ke ahkām aur hidāyāt ke mutābiq zindagī guzāreṅ. Rab kī hamd ho.
Chapter 106
Psal UrduGeoR 106:1  Rab kī hamd ho! Rab kā shukr karo, kyoṅki wuh bhalā hai, aur us kī shafqat abadī hai.
Psal UrduGeoR 106:2  Kaun Rab ke tamām azīm kām sunā saktā, kaun us kī munāsib tamjīd kar saktā hai?
Psal UrduGeoR 106:3  Mubārak haiṅ wuh jo insāf qāym rakhte, jo har waqt rāst kām karte haiṅ.
Psal UrduGeoR 106:4  Ai Rab, apnī qaum par mehrbānī karte waqt merā ḳhayāl rakh, najāt dete waqt merī bhī madad kar
Psal UrduGeoR 106:5  tāki maiṅ tere chune hue logoṅ kī ḳhushhālī dekh sakūṅ aur terī qaum kī ḳhushī meṅ sharīk ho kar terī mīrās ke sāth satāish kar sakūṅ.
Psal UrduGeoR 106:6  Ham ne apne bāpdādā kī tarah gunāh kiyā hai, ham se nāinsāfī aur bedīnī sarzad huī hai.
Psal UrduGeoR 106:7  Jab hamāre bāpdādā Misr meṅ the to unheṅ tere mojizoṅ kī samajh na āī aur terī muta'addid mehrbāniyāṅ yād na rahīṅ balki wuh samundar yānī Bahr-e-Qulzum par sarkash hue.
Psal UrduGeoR 106:8  To bhī us ne unheṅ apne nām kī ḳhātir bachāyā, kyoṅki wuh apnī qudrat kā izhār karnā chāhtā thā.
Psal UrduGeoR 106:9  Us ne Bahr-e-Qulzum ko jhiṛkā to wuh ḳhushk ho gayā. Us ne unheṅ samundar kī gahrāiyoṅ meṅ se yoṅ guzarne diyā jis tarah registān meṅ se.
Psal UrduGeoR 106:10  Us ne unheṅ nafrat karne wāle ke hāth se chhuṛāyā aur ewazānā de kar dushman ke hāth se rihā kiyā.
Psal UrduGeoR 106:11  Un ke muḳhālif pānī meṅ ḍūb gae. Ek bhī na bachā.
Psal UrduGeoR 106:12  Tab unhoṅ ne Allāh ke farmānoṅ par īmān lā kar us kī madahsarāī kī.
Psal UrduGeoR 106:13  Lekin jald hī wuh us ke kām bhūl gae. Wuh us kī marzī kā intazār karne ke lie taiyār na the.
Psal UrduGeoR 106:14  Registān meṅ shadīd lālach meṅ ā kar unhoṅ ne wahīṅ bayābān meṅ Allāh ko āzmāyā.
Psal UrduGeoR 106:15  Tab us ne un kī darḳhāst pūrī kī, lekin sāth sāth mohlak wabā bhī un meṅ phailā dī.
Psal UrduGeoR 106:16  Ḳhaimāgāh meṅ wuh Mūsā aur Rab ke muqaddas imām Hārūn se hasad karne lage.
Psal UrduGeoR 106:17  Tab zamīn khul gaī, aur us ne Dātan ko haṛap kar liyā, Abīrām ke jatthe ko apne andar dafn kar liyā.
Psal UrduGeoR 106:18  Āg un ke jatthe meṅ bhaṛak uṭhī, aur bedīn nazar-e-ātish hue.
Psal UrduGeoR 106:19  Wuh Koh-e-Horib yānī Sīnā ke dāman meṅ bachhṛe kā but ḍhāl kar us ke sāmne aundhe muṅh ho gae.
Psal UrduGeoR 106:20  Unhoṅ ne Allāh ko jalāl dene ke bajāe ghās khāne wāle bail kī pūjā kī.
Psal UrduGeoR 106:21  Wuh Allāh ko bhūl gae. Hālāṅki usī ne unheṅ chhuṛāyā thā, usī ne Misr meṅ azīm kām kie the.
Psal UrduGeoR 106:22  Jo mojize Hām ke mulk meṅ hue aur jo jalālī wāqiyāt Bahr-e-Qulzum par pesh āe the wuh sab Allāh ke hāth se hue the.
Psal UrduGeoR 106:23  Chunāṅche Allāh ne farmāyā ki maiṅ unheṅ nest-o-nābūd karūṅga. Lekin us kā chunā huā ḳhādim Mūsā raḳhne meṅ khaṛā ho gayā tāki us ke ġhazab ko Isrāīliyoṅ ko miṭāne se roke. Sirf is wajah se Allāh apne irāde se bāz āyā.
Psal UrduGeoR 106:24  Phir unhoṅ ne Kanān ke ḳhushgawār mulk ko haqīr jānā. Unheṅ yaqīn nahīṅ thā ki Allāh apnā wādā pūrā karegā.
Psal UrduGeoR 106:25  Wuh apne ḳhaimoṅ meṅ buṛbuṛāne lage aur Rab kī āwāz sunane ke lie taiyār na hue.
Psal UrduGeoR 106:26  Tab us ne apnā hāth un ke ḳhilāf uṭhāyā tāki unheṅ wahīṅ registān meṅ halāk kare
Psal UrduGeoR 106:27  aur un kī aulād ko dīgar aqwām meṅ phaiṅk kar muḳhtalif mamālik meṅ muntashir kar de.
Psal UrduGeoR 106:28  Wuh Bāl-faġhūr Dewatā se lipaṭ gae aur murdoṅ ke lie pesh kī gaī qurbāniyoṅ kā gosht khāne lage.
Psal UrduGeoR 106:29  Unhoṅ ne apnī harkatoṅ se Rab ko taish dilāyā to un meṅ mohlak bīmārī phail gaī.
Psal UrduGeoR 106:30  Lekin Fīnhās ne uṭh kar un kī adālat kī. Tab wabā ruk gaī.
Psal UrduGeoR 106:31  Isī binā par Allāh ne use pusht-dar-pusht aur abad tak rāstbāz qarār diyā.
Psal UrduGeoR 106:32  Marībā ke chashme par bhī unhoṅ ne Rab ko ġhussā dilāyā. Unhīṅ ke bāis Mūsā kā burā hāl huā.
Psal UrduGeoR 106:33  Kyoṅki unhoṅ ne us ke dil meṅ itnī talḳhī paidā kī ki us ke muṅh se bejā bāteṅ niklīṅ.
Psal UrduGeoR 106:34  Jo dīgar qaumeṅ mulk meṅ thīṅ unheṅ unhoṅ ne nest na kiyā, hālāṅki Rab ne unheṅ yih karne ko kahā thā.
Psal UrduGeoR 106:35  Na sirf yih balki wuh ġhairqaumoṅ se rishtā bāndh kar un meṅ ghul mil gae aur un ke rasm-o-riwāj apnā lie.
Psal UrduGeoR 106:36  Wuh un ke butoṅ kī pūjā karne meṅ lag gae. Aur yih un ke lie phande kā bāis ban gae.
Psal UrduGeoR 106:37  Wuh apne beṭe-beṭiyoṅ ko badrūhoṅ ke huzūr qurbān karne se bhī na katrāe.
Psal UrduGeoR 106:38  Hāṅ, unhoṅ ne apne beṭe-beṭiyoṅ ko Kanān ke dewatāoṅ ke huzūr pesh karke un kā māsūm ḳhūn bahāyā. Is se mulk kī behurmatī huī.
Psal UrduGeoR 106:39  Wuh apnī ġhalat harkatoṅ se nāpāk aur apne zinākārānā kāmoṅ se Allāh se bewafā hue.
Psal UrduGeoR 106:40  Tab Allāh apnī qaum se saḳht nārāz huā, aur use apnī maurūsī milkiyat se ghin āne lagī.
Psal UrduGeoR 106:41  Us ne unheṅ dīgar qaumoṅ ke hawāle kiyā, aur jo un se nafrat karte the wuh un par hukūmat karne lage.
Psal UrduGeoR 106:42  Un ke dushmanoṅ ne un par zulm karke un ko apnā mutī banā liyā.
Psal UrduGeoR 106:43  Allāh bār bār unheṅ chhuṛātā rahā, hālāṅki wuh apne sarkash mansūboṅ par tule rahe aur apne qusūr meṅ ḍūbte gae.
Psal UrduGeoR 106:44  Lekin us ne madad ke lie un kī āheṅ sun kar un kī musībat par dhyān diyā.
Psal UrduGeoR 106:45  Us ne un ke sāth apnā ahd yād kiyā, aur wuh apnī baṛī shafqat ke bāis pachhtāyā.
Psal UrduGeoR 106:46  Us ne hone diyā ki jis ne bhī unheṅ giriftār kiyā us ne un par tars khāyā.
Psal UrduGeoR 106:47  Ai Rab hamāre Ḳhudā, hameṅ bachā! Hameṅ dīgar qaumoṅ se nikāl kar jamā kar. Tab hī ham tere muqaddas nām kī satāish kareṅge aur tere qābil-e-tārīf kāmoṅ par faḳhr kareṅge.
Psal UrduGeoR 106:48  Azal se abad tak Rab, Isrāīl ke Ḳhudā kī hamd ho. Tamām qaum kahe, “Āmīn! Rab kī hamd ho!”
Chapter 107
Psal UrduGeoR 107:1  Rab kā shukr karo, kyoṅki wuh bhalā hai, aur us kī shafqat abadī hai.
Psal UrduGeoR 107:2  Rab ke najātyāftā jin ko us ne ewazānā de kar dushman ke qabze se chhuṛāyā hai sab yih kaheṅ.
Psal UrduGeoR 107:3  Us ne unheṅ mashriq se maġhrib tak aur shimāl se junūb tak dīgar mamālik se ikaṭṭhā kiyā hai.
Psal UrduGeoR 107:4  Bāz registān meṅ sahīh rāstā bhūl kar wīrān rāste par māre māre phire, aur kahīṅ bhī ābādī na milī.
Psal UrduGeoR 107:5  Bhūk aur pyās ke māre un kī jān niḍhāl ho gaī.
Psal UrduGeoR 107:6  Tab unhoṅ ne apnī musībat meṅ Rab ko pukārā, aur us ne unheṅ un kī tamām pareshāniyoṅ se chhuṭkārā diyā.
Psal UrduGeoR 107:7  Us ne unheṅ sahīh rāh par lā kar aisī ābādī tak pahuṅchāyā jahāṅ rah sakte the.
Psal UrduGeoR 107:8  Wuh Rab kā shukr kareṅ ki us ne apnī shafqat aur apne mojize insān par zāhir kie haiṅ.
Psal UrduGeoR 107:9  Kyoṅki wuh pyāsī jān ko āsūdā kartā aur bhūkī jān ko kasrat kī achchhī chīzoṅ se ser kartā hai.
Psal UrduGeoR 107:10  Dūsre zanjīroṅ aur musībat meṅ jakaṛe hue andhere aur gahrī tārīkī meṅ baste the,
Psal UrduGeoR 107:11  kyoṅki wuh Allāh ke farmānoṅ se sarkash hue the, unhoṅ ne Allāh T'ālā kā faislā haqīr jānā thā.
Psal UrduGeoR 107:12  Is lie Allāh ne un ke dil ko taklīf meṅ mubtalā karke past kar diyā. Jab wuh ṭhokar khā kar gir gae aur madad karne wālā koī na rahā thā
Psal UrduGeoR 107:13  to unhoṅ ne apnī musībat meṅ Rab ko pukārā, aur us ne unheṅ un kī tamām pareshāniyoṅ se chhuṭkārā diyā.
Psal UrduGeoR 107:14  Wuh unheṅ andhere aur gahrī tārīkī se nikāl lāyā aur un kī zanjīreṅ toṛ ḍālīṅ.
Psal UrduGeoR 107:15  Wuh Rab kā shukr kareṅ ki us ne apnī shafqat aur apne mojize insān par zāhir kie haiṅ.
Psal UrduGeoR 107:16  Kyoṅki us ne pītal ke darwāze toṛ ḍāle, lohe ke kunḍe ṭukṛe ṭukṛe kar die haiṅ.
Psal UrduGeoR 107:17  Kuchh log ahmaq the, wuh apne sarkash chāl-chalan aur gunāhoṅ ke bāis pareshāniyoṅ meṅ mubtalā hue.
Psal UrduGeoR 107:18  Unheṅ har ḳhurāk se ghin āne lagī, aur wuh maut ke darwāzoṅ ke qarīb pahuṅche.
Psal UrduGeoR 107:19  Tab unhoṅ ne apnī musībat meṅ Rab ko pukārā, aur us ne unheṅ un kī tamām pareshāniyoṅ se chhuṭkārā diyā.
Psal UrduGeoR 107:20  Us ne apnā kalām bhej kar unheṅ shifā dī aur unheṅ maut ke gaṛhe se bachāyā.
Psal UrduGeoR 107:21  Wuh Rab kā shukr kareṅ ki us ne apnī shafqat aur mojize insān par zāhir kie haiṅ.
Psal UrduGeoR 107:22  Wuh shukrguzārī kī qurbāniyāṅ pesh kareṅ aur ḳhushī ke nāre lagā kar us ke kāmoṅ kā charchā kareṅ.
Psal UrduGeoR 107:23  Bāz bahrī jahāz meṅ baiṭh gae aur tijārat ke silsile meṅ samundar par safr karte karte dūr-darāz ilāqoṅ tak pahuṅche.
Psal UrduGeoR 107:24  Unhoṅ ne Rab ke azīm kām aur samundar kī gahrāiyoṅ meṅ us ke mojize dekhe haiṅ.
Psal UrduGeoR 107:25  Kyoṅki Rab ne hukm diyā to āṅdhī chalī jo samundar kī maujeṅ bulandiyoṅ par lāī.
Psal UrduGeoR 107:26  Wuh āsmān tak chaṛhīṅ aur gahrāiyoṅ tak utrīṅ. Pareshānī ke bāis mallāhoṅ kī himmat jawāb de gaī.
Psal UrduGeoR 107:27  Wuh sharāb meṅ dhut ādmī kī tarah laṛkhaṛāte aur ḍagmagāte rahe. Un kī tamām hikmat nākām sābit huī.
Psal UrduGeoR 107:28  Tab unhoṅ ne apnī musībat meṅ Rab ko pukārā, aur us ne unheṅ tamām pareshāniyoṅ se chhuṭkārā diyā.
Psal UrduGeoR 107:29  Us ne samundar ko thamā diyā aur ḳhāmoshī phail gaī, lahreṅ sākit ho gaīṅ.
Psal UrduGeoR 107:30  Musāfir pursukūn hālāt dekh kar ḳhush hue, aur Allāh ne unheṅ manzil-e-maqsūd tak pahuṅchāyā.
Psal UrduGeoR 107:31  Wuh Rab kā shukr kareṅ ki us ne apnī shafqat aur apne mojize insān par zāhir kie haiṅ.
Psal UrduGeoR 107:32  Wuh qaum kī jamāt meṅ us kī tāzīm kareṅ, buzurgoṅ kī majlis meṅ us kī hamd kareṅ.
Psal UrduGeoR 107:33  Kaī jaghoṅ par wuh dariyāoṅ ko registān meṅ aur chashmoṅ ko pyāsī zamīn meṅ badal detā hai.
Psal UrduGeoR 107:34  Bāshindoṅ kī burāī dekh kar wuh zarḳhez zamīn ko kallar ke bayābān meṅ badal detā hai.
Psal UrduGeoR 107:35  Dūsrī jaghoṅ par wuh registān ko jhīl meṅ aur pyāsī zamīn ko chashmoṅ meṅ badal detā hai.
Psal UrduGeoR 107:36  Wahāṅ wuh bhūkoṅ ko basā detā hai tāki ābādiyāṅ qāym kareṅ.
Psal UrduGeoR 107:37  Tab wuh khet aur angūr ke bāġh lagāte haiṅ jo ḳhūb phal lāte haiṅ.
Psal UrduGeoR 107:38  Allāh unheṅ barkat detā hai to un kī tādād bahut baṛh jātī hai. Wuh un ke rewaṛoṅ ko bhī kam hone nahīṅ detā.
Psal UrduGeoR 107:39  Jab kabhī un kī tādād kam ho jātī aur wuh musībat aur dukh ke bojh tale ḳhāk meṅ dab jāte haiṅ
Psal UrduGeoR 107:40  to wuh shurafā par apnī hiqārat unḍel detā aur unheṅ registān meṅ bhagā kar sahīh rāste se dūr phirne detā hai.
Psal UrduGeoR 107:41  Lekin muhtāj ko wuh musībat kī daldal se nikāl kar sarfarāz kartā aur us ke ḳhāndānoṅ ko bheṛ-bakriyoṅ kī tarah baṛhā detā hai.
Psal UrduGeoR 107:42  Sīdhī rāh par chalne wāle yih dekh kar ḳhush hoṅge, lekin be'insāf kā muṅh band kiyā jāegā.
Psal UrduGeoR 107:43  Kaun dānishmand hai? Wuh is par dhyān de, wuh Rab kī mehrbāniyoṅ par ġhaur kare.
Chapter 108
Psal UrduGeoR 108:1  Dāūd kā zabūr. Gīt. Ai Allāh, merā dil mazbūt hai. Maiṅ sāz bajā kar terī madahsarāī karūṅga. Ai merī jān, jāg uṭh.
Psal UrduGeoR 108:2  Ai sitār aur sarod, jāg uṭho! Maiṅ tulū-e-subah ko jagāūṅgā.
Psal UrduGeoR 108:3  Ai Rab, maiṅ qaumoṅ meṅ terī satāish, ummatoṅ meṅ terī madahsarāī karūṅga.
Psal UrduGeoR 108:4  Kyoṅki terī shafqat āsmān se kahīṅ buland hai, terī wafādārī bādaloṅ tak pahuṅchtī hai.
Psal UrduGeoR 108:5  Ai Allāh, āsmān par sarfarāz ho! Terā jalāl pūrī duniyā par chhā jāe.
Psal UrduGeoR 108:6  Apne dahne hāth se madad karke merī sun tāki jo tujhe pyāre haiṅ najāt pāeṅ.
Psal UrduGeoR 108:7  Allāh ne apne maqdis meṅ farmāyā hai, “Maiṅ fatah manāte hue Sikam ko taqsīm karūṅga aur Wādī-e-Sukkāt ko nāp kar bāṅṭ dūṅgā.
Psal UrduGeoR 108:8  Jiliyād merā hai aur Manassī merā hai. Ifrāīm merā ḳhod aur Yahūdāh merā shāhī asā hai.
Psal UrduGeoR 108:9  Moāb merā ġhusl kā bartan hai, aur Adom par maiṅ apnā jūtā phaiṅk dūṅgā. Maiṅ Filistī mulk par zordār nāre lagāūṅgā!”
Psal UrduGeoR 108:10  Kaun mujhe qilāband shahr meṅ lāegā? Kaun merī rāhnumāī karke mujhe Adom tak pahuṅchāegā?
Psal UrduGeoR 108:11  Ai Allāh, tū hī yih kar saktā hai, go tū ne hameṅ radd kiyā hai. Ai Allāh, tū hamārī faujoṅ kā sāth nahīṅ detā jab wuh laṛne ke lie nikaltī haiṅ.
Psal UrduGeoR 108:12  Musībat meṅ hameṅ sahārā de, kyoṅki is waqt insānī madad bekār hai.
Psal UrduGeoR 108:13  Allāh ke sāth ham zabardast kām kareṅge, kyoṅki wuhī hamāre dushmanoṅ ko kuchal degā.
Chapter 109
Psal UrduGeoR 109:1  Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Ai Allāh mere faḳhr, ḳhāmosh na rah!
Psal UrduGeoR 109:2  Kyoṅki unhoṅ ne apnā bedīn aur farebdeh muṅh mere ḳhilāf khol kar jhūṭī zabān se mere sāth bāt kī hai.
Psal UrduGeoR 109:3  Wuh mujhe nafrat ke alfāz se gher kar bilāwajah mujh se laṛe haiṅ.
Psal UrduGeoR 109:4  Merī muhabbat ke jawāb meṅ wuh mujh par apnī dushmanī kā izhār karte haiṅ. Lekin duā hī merā sahārā hai.
Psal UrduGeoR 109:5  Merī nekī ke ewaz wuh mujhe nuqsān pahuṅchāte aur mere pyār ke badle mujh se nafrat karte haiṅ.
Psal UrduGeoR 109:6  Ai Allāh, kisī bedīn ko muqarrar kar jo mere dushman ke ḳhilāf gawāhī de, koī muḳhālif us ke dahne hāth khaṛā ho jāe jo us par ilzām lagāe.
Psal UrduGeoR 109:7  Muqaddame meṅ use mujrim ṭhahrāyā jāe. Us kī duāeṅ bhī us ke gunāhoṅ meṅ shumār kī jāeṅ.
Psal UrduGeoR 109:8  Us kī zindagī muḳhtasar ho, koī aur us kī zimmedārī uṭhāe.
Psal UrduGeoR 109:9  Us kī aulād yatīm aur us kī bīwī bewā ban jāe.
Psal UrduGeoR 109:10  Us ke bachche āwārā phireṅ aur bhīk māṅgne par majbūr ho jāeṅ. Unheṅ un ke tabāhshudā gharoṅ se nikal kar idhar-udhar roṭī ḍhūṅḍnī paṛe.
Psal UrduGeoR 109:11  Jis se us ne qarzā liyā thā wuh us ke tamām māl par qabzā kare, aur ajnabī us kī mehnat kā phal lūṭ leṅ.
Psal UrduGeoR 109:12  Koī na ho jo us par mehrbānī kare yā us ke yatīmoṅ par rahm kare.
Psal UrduGeoR 109:13  Us kī aulād ko miṭāyā jāe, aglī pusht meṅ un kā nām-o-nishān tak na rahe.
Psal UrduGeoR 109:14  Rab us ke bāpdādā kī nāinsāfī kā lihāz kare, aur wuh us kī māṅ kī ḳhatā bhī darguzar na kare.
Psal UrduGeoR 109:15  Un kā burā kirdār Rab ke sāmne rahe, aur wuh un kī yād rū-e-zamīn par se miṭā ḍāle.
Psal UrduGeoR 109:16  Kyoṅki us ko kabhī mehrbānī karne kā ḳhayāl na āyā balki wuh musībatzadā, muhtāj aur shikastādil kā tāqqub kartā rahā tāki use mār ḍāle.
Psal UrduGeoR 109:17  Use lānat karne kā shauq thā, chunāṅche lānat usī par āe! Use barkat denā pasand nahīṅ thā, chunāṅche barkat us se dūr rahe.
Psal UrduGeoR 109:18  Us ne lānat chādar kī tarah oṛh lī, chunāṅche lānat pānī kī tarah us ke jism meṅ aur tel kī tarah us kī haḍḍiyoṅ meṅ sirāyat kar jāe.
Psal UrduGeoR 109:19  Wuh kapṛe kī tarah us se lipṭī rahe, paṭke kī tarah hameshā us se kamarbastā rahe.
Psal UrduGeoR 109:20  Rab mere muḳhālifoṅ ko aur unheṅ jo mere ḳhilāf burī bāteṅ karte haiṅ yihī sazā de.
Psal UrduGeoR 109:21  Lekin tū ai Rab Qādir-e-mutlaq, apne nām kī ḳhātir mere sāth mehrbānī kā sulūk kar. Mujhe bachā, kyoṅki terī hī shafqat tasallībaḳhsh hai.
Psal UrduGeoR 109:22  Kyoṅki maiṅ musībatzadā aur zarūratmand hūṅ. Merā dil mere andar majrūh hai.
Psal UrduGeoR 109:23  Shām ke ḍhalte sāy kī tarah maiṅ ḳhatm hone wālā hūṅ. Mujhe ṭiḍḍī kī tarah jhāṛ kar dūr kar diyā gayā hai.
Psal UrduGeoR 109:24  Rozā rakhte rakhte mere ghuṭne ḍagmagāne lage aur merā jism sūkh gayā hai.
Psal UrduGeoR 109:25  Maiṅ apne dushmanoṅ ke lie mazāq kā nishānā ban gayā hūṅ. Mujhe dekh kar wuh sar hilā kar “Taubā taubā” kahte haiṅ.
Psal UrduGeoR 109:26  Ai Rab mere Ḳhudā, merī madad kar! Apnī shafqat kā izhār karke mujhe chhuṛā!
Psal UrduGeoR 109:27  Unheṅ patā chale ki yih tere hāth se pesh āyā hai, ki tū Rab hī ne yih sab kuchh kiyā hai.
Psal UrduGeoR 109:28  Jab wuh lānat kareṅ to mujhe barkat de! Jab wuh mere ḳhilāf uṭheṅ to baḳhsh de ki sharmindā ho jāeṅ jabki terā ḳhādim ḳhush ho.
Psal UrduGeoR 109:29  Mere muḳhālif ruswāī se mulabbas ho jāeṅ, unheṅ sharmindagī kī chādar oṛhnī paṛe.
Psal UrduGeoR 109:30  Maiṅ zor se Rab kī satāish karūṅga, bahutoṅ ke darmiyān us kī hamd karūṅga.
Psal UrduGeoR 109:31  Kyoṅki wuh muhtāj ke dahne hāth khaṛā rahtā hai tāki use un se bachāe jo use mujrim ṭhahrāte haiṅ.
Chapter 110
Psal UrduGeoR 110:1  Dāūd kā zabūr. Rab ne mere Rab se kahā, “Mere dahne hāth baiṭh, jab tak maiṅ tere dushmanoṅ ko tere pāṅwoṅ kī chaukī na banā dūṅ.”
Psal UrduGeoR 110:2  Rab Siyyūn se terī saltanat kī sarhaddeṅ baṛhā kar kahegā, “Ās-pās ke dushmanoṅ par hukūmat kar!”
Psal UrduGeoR 110:3  Jis din tū apnī fauj ko khaṛā karegā terī qaum ḳhushī se tere pīchhe ho legī. Tū muqaddas shān-o-shaukat se ārāstā ho kar tulū-e-subah ke bātin se apnī jawānī kī os pāegā.
Psal UrduGeoR 110:4  Rab ne qasam khāī hai aur is se pachhtāegā nahīṅ, “Tū abad tak imām hai, aisā imām jaisā Malik-e-sidq thā.”
Psal UrduGeoR 110:5  Rab tere dahne hāth par rahegā aur apne ġhazab ke din dīgar bādshāhoṅ ko chūr chūr karegā.
Psal UrduGeoR 110:6  Wuh qaumoṅ meṅ adālat karke maidān ko lāshoṅ se bhar degā aur dūr tak saroṅ ko pāsh pāsh karegā.
Psal UrduGeoR 110:7  Rāste meṅ wuh nadī se pānī pī legā, is lie apnā sar uṭhāe phiregā.
Chapter 111
Psal UrduGeoR 111:1  Rab kī hamd ho! Maiṅ pūre dil se diyānatdāroṅ kī majlis aur jamāt meṅ Rab kā shukr karūṅga.
Psal UrduGeoR 111:2  Rab ke kām azīm haiṅ. Jo un se lutfandoz hote haiṅ wuh un kā ḳhūb mutāla'ā karte haiṅ.
Psal UrduGeoR 111:3  Us kā kām shāndār aur jalālī hai, us kī rāstī abad tak qāym rahtī hai.
Psal UrduGeoR 111:4  Wuh apne mojize yād karātā hai. Rab mehrbān aur rahīm hai.
Psal UrduGeoR 111:5  Jo us kā ḳhauf mānte haiṅ unheṅ us ne ḳhurāk muhaiyā kī hai. Wuh hameshā tak apne ahd kā ḳhayāl rakhegā.
Psal UrduGeoR 111:6  Us ne apnī qaum ko apne zabardast kāmoṅ kā elān karke kahā, “Maiṅ tumheṅ ġhairqaumoṅ kī mīrās atā karūṅga.”
Psal UrduGeoR 111:7  Jo bhī kām us ke hāth kareṅ wuh sachche aur rāst haiṅ. Us ke tamām ahkām qābil-e-etamād haiṅ.
Psal UrduGeoR 111:8  Wuh azal se abad tak qāym haiṅ, aur un par sachchāī aur diyānatdārī se amal karnā hai.
Psal UrduGeoR 111:9  Us ne apnī qaum kā fidyā bhej kar use chhuṛāyā hai. Us ne farmāyā, “Merā qaum ke sāth ahd abad tak qāym rahe.” Us kā nām quddūs aur purjalāl hai.
Psal UrduGeoR 111:10  Hikmat is se shurū hotī hai ki ham Rab kā ḳhauf māneṅ. Jo bhī us ke ahkām par amal kare use achchhī samajh hāsil hogī. Us kī hamd hameshā tak qāym rahegī.
Chapter 112
Psal UrduGeoR 112:1  Rab kī hamd ho! Mubārak hai wuh jo Allāh kā ḳhauf māntā aur us ke ahkām se bahut lutfandoz hotā hai.
Psal UrduGeoR 112:2  Us ke farzand mulk meṅ tāqatwar hoṅge, aur diyānatdār kī nasl ko barkat milegī.
Psal UrduGeoR 112:3  Daulat aur ḳhushhālī us ke ghar meṅ rahegī, aur us kī rāstbāzī abad tak qāym rahegī.
Psal UrduGeoR 112:4  Andhere meṅ chalte waqt diyānatdāroṅ par raushnī chamaktī hai. Wuh rāstbāz, mehrbān aur rahīm hai.
Psal UrduGeoR 112:5  Mehrbānī karnā aur qarz denā bābarkat hai. Jo apne muāmaloṅ ko insāf se hal kare wuh achchhā karegā,
Psal UrduGeoR 112:6  kyoṅki wuh abad tak nahīṅ ḍagmagāegā. Rāstbāz hameshā hī yād rahegā.
Psal UrduGeoR 112:7  Wuh burī ḳhabar milne se nahīṅ ḍartā. Us kā dil mazbūt hai, aur wuh Rab par bharosā rakhtā hai.
Psal UrduGeoR 112:8  Us kā dil mustahkam hai. Wuh sahmā huā nahīṅ rahtā, kyoṅki wuh jāntā hai ki ek din maiṅ apne dushmanoṅ kī shikast dekh kar ḳhush hūṅgā.
Psal UrduGeoR 112:9  Wuh faiyāzī se zarūratmandoṅ meṅ ḳhairāt bikher detā hai. Us kī rāstbāzī hameshā qāym rahegī, aur use izzat ke sāth sarfarāz kiyā jāegā.
Psal UrduGeoR 112:10  Bedīn yih dekh kar nārāz ho jāegā, wuh dāṅt pīs pīs kar nest ho jāegā. Jo kuchh bedīn chāhte haiṅ wuh jātā rahegā.
Chapter 113
Psal UrduGeoR 113:1  Rab kī hamd ho! Ai Rab ke ḳhādimo, Rab ke nām kī satāish karo, Rab ke nām kī tārīf karo.
Psal UrduGeoR 113:3  Tulū-e-subah se ġhurūb-e-āftāb tak Rab ke nām kī hamd ho.
Psal UrduGeoR 113:4  Rab tamām aqwām se sarbuland hai, us kā jalāl āsmān se azīm hai.
Psal UrduGeoR 113:5  Kaun Rab hamāre Ḳhudā kī mānind hai jo bulandiyoṅ par taḳhtnashīn hai
Psal UrduGeoR 113:6  aur āsmān-o-zamīn ko deḳhne ke lie nīche jhuktā hai?
Psal UrduGeoR 113:7  Pasthāl ko wuh ḳhāk meṅ se uṭhā kar pāṅwoṅ par khaṛā kartā, muhtāj ko rākh se nikāl kar sarfarāz kartā hai.
Psal UrduGeoR 113:8  Wuh use shurafā ke sāth, apnī qaum ke shurafā ke sāth biṭhā detā hai.
Psal UrduGeoR 113:9  Bāṅjh ko wuh aulād atā kartā hai tāki wuh ghar meṅ ḳhushī se zindagī guzār sake. Rab kī hamd ho!
Chapter 114
Psal UrduGeoR 114:1  Jab Isrāīl Misr se rawānā huā aur Yāqūb kā gharānā ajnabī zabān bolne wālī qaum se nikal āyā
Psal UrduGeoR 114:2  to Yahūdāh Allāh kā maqdis ban gayā aur Isrāīl us kī bādshāhī.
Psal UrduGeoR 114:3  Yih dekh kar samundar bhāg gayā aur Dariyā-e-Yardan pīchhe haṭ gayā.
Psal UrduGeoR 114:4  Pahāṛ menḍhoṅ kī tarah kūdne aur pahāṛiyāṅ jawān bheṛ-bakriyoṅ kī tarah phāṅdne lagīṅ.
Psal UrduGeoR 114:5  Ai samundar, kyā huā ki tū bhāg gayā hai? Ai Yardan, kyā huā ki tū pīchhe haṭ gayā hai?
Psal UrduGeoR 114:6  Ai pahāṛo, kyā huā ki tum menḍhoṅ kī tarah kūdne lage ho? Ai pahāṛiyo, kyā huā ki tum jawān bheṛ-bakriyoṅ kī tarah phāṅdne lagī ho?
Psal UrduGeoR 114:7  Ai zamīn, Rab ke huzūr, Yāqūb ke Ḳhudā ke huzūr laraz uṭh,
Psal UrduGeoR 114:8  us ke sāmne thartharā jis ne chaṭān ko johaṛ meṅ aur saḳht patthar ko chashme meṅ badal diyā.
Chapter 115
Psal UrduGeoR 115:1  Ai Rab, hamārī hī izzat kī ḳhātir kām na kar balki is lie ki tere nām ko jalāl mile, is lie ki tū mehrbān aur wafādār Ḳhudā hai.
Psal UrduGeoR 115:2  Dīgar aqwām kyoṅ kaheṅ, “Un kā Ḳhudā kahāṅ hai?”
Psal UrduGeoR 115:3  Hamārā Ḳhudā to āsmān par hai, aur jo jī chāhe kartā hai.
Psal UrduGeoR 115:4  Un ke but sone-chāṅdī ke haiṅ, insān ke hāth ne unheṅ banāyā hai.
Psal UrduGeoR 115:5  Un ke muṅh haiṅ lekin wuh bol nahīṅ sakte. Un kī āṅkheṅ haiṅ lekin wuh dekh nahīṅ sakte.
Psal UrduGeoR 115:6  Un ke kān haiṅ lekin wuh sun nahīṅ sakte, un kī nāk hai lekin wuh sūṅgh nahīṅ sakte.
Psal UrduGeoR 115:7  Un ke hāth haiṅ, lekin wuh chhū nahīṅ sakte. Un ke pāṅw haiṅ, lekin wuh chal nahīṅ sakte. Un ke gale se āwāz nahīṅ nikaltī.
Psal UrduGeoR 115:8  Jo but banāte haiṅ wuh un kī mānind ho jāeṅ, jo un par bharosā rakhte haiṅ wuh un jaise behis-o-harkat ho jāeṅ.
Psal UrduGeoR 115:9  Ai Isrāīl, Rab par bharosā rakh! Wuhī terā sahārā aur terī ḍhāl hai.
Psal UrduGeoR 115:10  Ai Hārūn ke gharāne, Rab par bharosā rakh! Wuhī terā sahārā aur terī ḍhāl hai.
Psal UrduGeoR 115:11  Ai Rab kā ḳhauf mānane wālo, Rab par bharosā rakho! Wuhī tumhārā sahārā aur tumhārī ḍhāl hai.
Psal UrduGeoR 115:12  Rab ne hamārā ḳhayāl kiyā hai, aur wuh hameṅ barkat degā. Wuh Isrāīl ke gharāne ko barkat degā, wuh Hārūn ke gharāne ko barkat degā.
Psal UrduGeoR 115:13  Wuh Rab kā ḳhauf mānane wāloṅ ko barkat degā, ḳhāh chhoṭe hoṅ yā baṛe.
Psal UrduGeoR 115:14  Rab tumhārī tādād meṅ izāfā kare, tumhārī bhī aur tumhārī aulād kī bhī.
Psal UrduGeoR 115:15  Rab jo āsmān-o-zamīn kā Ḳhāliq hai tumheṅ barkat se mālāmāl kare.
Psal UrduGeoR 115:16  Āsmān to Rab kā hai, lekin zamīn ko us ne ādamzādoṅ ko baḳhsh diyā hai.
Psal UrduGeoR 115:17  Ai Rab, murde terī satāish nahīṅ karte, ḳhāmoshī ke mulk meṅ utarne wāloṅ meṅ se koī bhī terī tamjīd nahīṅ kartā.
Psal UrduGeoR 115:18  Lekin ham Rab kī satāish ab se abad tak kareṅge. Rab kī hamd ho!
Chapter 116
Psal UrduGeoR 116:1  Maiṅ Rab se muhabbat rakhtā hūṅ, kyoṅki us ne merī āwāz aur merī iltijā sunī hai.
Psal UrduGeoR 116:2  Us ne apnā kān merī taraf jhukāyā hai, is lie maiṅ umr-bhar use pukārūṅga.
Psal UrduGeoR 116:3  Maut ne mujhe apnī zanjīroṅ meṅ jakaṛ liyā, aur Pātāl kī pareshāniyāṅ mujh par ġhālib āīṅ. Maiṅ musībat aur dukh meṅ phaṅs gayā.
Psal UrduGeoR 116:4  Tab maiṅ ne Rab kā nām pukārā, “Ai Rab, mehrbānī karke mujhe bachā!”
Psal UrduGeoR 116:5  Rab mehrbān aur rāst hai, hamārā Ḳhudā rahīm hai.
Psal UrduGeoR 116:6  Rab sādā logoṅ kī hifāzat kartā hai. Jab maiṅ pasthāl thā to us ne mujhe bachāyā.
Psal UrduGeoR 116:7  Ai merī jān, apnī ārāmgāh ke pās wāpas ā, kyoṅki Rab ne tere sāth bhalāī kī hai.
Psal UrduGeoR 116:8  Kyoṅki ai Rab, tū ne merī jān ko maut se, merī āṅkhoṅ ko āṅsū bahāne se aur mere pāṅwoṅ ko phisalne se bachāyā hai.
Psal UrduGeoR 116:9  Ab maiṅ zindoṅ kī zamīn meṅ rah kar Rab ke huzūr chalūṅgā.
Psal UrduGeoR 116:10  Maiṅ īmān lāyā aur is lie bolā, “Maiṅ shadīd musībat meṅ phaṅs gayā hūṅ.”
Psal UrduGeoR 116:11  Maiṅ saḳht ghabrā gayā aur bolā, “Tamām insān daroġhgo haiṅ.”
Psal UrduGeoR 116:12  Jo bhalāiyāṅ Rab ne mere sāth kī haiṅ un sab ke ewaz maiṅ kyā dūṅ?
Psal UrduGeoR 116:13  Maiṅ najāt kā pyālā uṭhā kar Rab kā nām pukārūṅga.
Psal UrduGeoR 116:14  Maiṅ Rab ke huzūr us kī sārī qaum ke sāmne hī apnī mannateṅ pūrī karūṅga.
Psal UrduGeoR 116:15  Rab kī nigāh meṅ us ke īmāndāroṅ kī maut girāṅqadar hai.
Psal UrduGeoR 116:16  Ai Rab, yaqīnan maiṅ terā ḳhādim, hāṅ terā ḳhādim aur terī ḳhādimā kā beṭā hūṅ. Tū ne merī zanjīroṅ ko toṛ ḍālā hai.
Psal UrduGeoR 116:17  Maiṅ tujhe shukrguzārī kī qurbānī pesh karke terā nām pukārūṅga.
Psal UrduGeoR 116:18  Maiṅ Rab ke huzūr us kī sārī qaum ke sāmne hī apnī mannateṅ pūrī karūṅga.
Psal UrduGeoR 116:19  Maiṅ Rab ke ghar kī bārgāhoṅ meṅ, ai Yarūshalam tere bīch meṅ hī unheṅ pūrā karūṅga. Rab kī hamd ho.
Chapter 117
Psal UrduGeoR 117:1  Ai tamām aqwām, Rab kī tamjīd karo! Ai tamām ummato, us kī madahsarāī karo!
Psal UrduGeoR 117:2  Kyoṅki us kī ham par shafqat azīm hai, aur Rab kī wafādārī abadī hai. Rab kī hamd ho!
Chapter 118
Psal UrduGeoR 118:1  Rab kā shukr karo, kyoṅki wuh bhalā hai, aur us kī shafqat abadī hai.
Psal UrduGeoR 118:3  Hārūn kā gharānā kahe, “Us kī shafqat abadī hai.”
Psal UrduGeoR 118:4  Rab kā ḳhauf mānane wāle kaheṅ, “Us kī shafqat abadī hai.”
Psal UrduGeoR 118:5  Musībat meṅ maiṅ ne Rab ko pukārā to Rab ne merī sun kar mere pāṅwoṅ ko khule maidān meṅ qāym kar diyā hai.
Psal UrduGeoR 118:6  Rab mere haq meṅ hai, is lie maiṅ nahīṅ ḍarūṅga. Insān merā kyā bigāṛ saktā hai?
Psal UrduGeoR 118:7  Rab mere haq meṅ hai aur merā sahārā hai, is lie maiṅ un kī shikast dekh kar ḳhush hūṅgā jo mujh se nafrat karte haiṅ.
Psal UrduGeoR 118:8  Rab meṅ panāh lenā insān par etamād karne se kahīṅ behtar hai.
Psal UrduGeoR 118:9  Rab meṅ panāh lenā shurafā par etamād karne se kahīṅ behtar hai.
Psal UrduGeoR 118:10  Tamām aqwām ne mujhe gher liyā, lekin maiṅ ne Allāh kā nām le kar unheṅ bhagā diyā.
Psal UrduGeoR 118:11  Unhoṅ ne mujhe gher liyā, hāṅ chāroṅ taraf se gher liyā, lekin maiṅ ne Allāh kā nām le kar unheṅ bhagā diyā.
Psal UrduGeoR 118:12  Wuh shahd kī makkhiyoṅ kī tarah chāroṅ taraf se mujh par hamlā-āwar hue, lekin kāṅṭedār jhāṛiyoṅ kī āg kī tarah jald hī bujh gae. Maiṅ ne Rab kā nām le kar unheṅ bhagā diyā.
Psal UrduGeoR 118:13  Dushman ne mujhe dhakkā de kar girāne kī koshish kī, lekin Rab ne merī madad kī.
Psal UrduGeoR 118:14  Rab merī quwwat aur merā gīt hai, wuh merī najāt ban gayā hai.
Psal UrduGeoR 118:15  Ḳhushī aur fatah ke nāre rāstbāzoṅ ke ḳhaimoṅ meṅ gūṅjte haiṅ, “Rab kā dahnā hāth zabardast kām kartā hai!
Psal UrduGeoR 118:16  Rab kā dahnā hāth sarfarāz kartā hai, Rab kā dahnā hāth zabardast kām kartā hai!”
Psal UrduGeoR 118:17  Maiṅ nahīṅ marūṅga balki zindā rah kar Rab ke kām bayān karūṅga.
Psal UrduGeoR 118:18  Go Rab ne merī saḳht tādīb kī hai, us ne mujhe maut ke hawāle nahīṅ kiyā.
Psal UrduGeoR 118:19  Rāstī ke darwāze mere lie khol do tāki maiṅ un meṅ dāḳhil ho kar Rab kā shukr karūṅ.
Psal UrduGeoR 118:20  Yih Rab kā darwāzā hai, isī meṅ rāstbāz dāḳhil hote haiṅ.
Psal UrduGeoR 118:21  Maiṅ terā shukr kartā hūṅ, kyoṅki tū ne merī sun kar mujhe bachāyā hai.
Psal UrduGeoR 118:22  Jis patthar ko makān banāne wāloṅ ne radd kiyā wuh kone kā buniyādī patthar ban gayā.
Psal UrduGeoR 118:23  Yih Rab ne kiyā aur deḳhne meṅ kitnā hairatangez hai.
Psal UrduGeoR 118:24  Isī din Rab ne apnī qudrat dikhāī hai. Āo, ham shādiyānā bajā kar us kī ḳhushī manāeṅ.
Psal UrduGeoR 118:25  Ai Rab, mehrbānī karke hameṅ bachā! Ai Rab, mehrbānī karke kāmyābī atā farmā!
Psal UrduGeoR 118:26  Mubārak hai wuh jo Rab ke nām se ātā hai. Rab kī sukūnatgāh se ham tumheṅ barkat dete haiṅ.
Psal UrduGeoR 118:27  Rab hī Ḳhudā hai, aur us ne hameṅ raushnī baḳhshī hai. Āo, īd kī qurbānī rassiyoṅ se qurbāngāh ke sīṅgoṅ ke sāth bāndho.
Psal UrduGeoR 118:28  Tū merā Ḳhudā hai, aur maiṅ terā shukr kartā hūṅ. Ai mere Ḳhudā, maiṅ terī tāzīm kartā hūṅ.
Psal UrduGeoR 118:29  Rab kī satāish karo, kyoṅki wuh bhalā hai aur us kī shafqat abadī hai.
Chapter 119
Psal UrduGeoR 119:1  Mubārak haiṅ wuh jin kā chāl-chalan be'ilzām hai, jo Rab kī sharīat ke mutābiq zindagī guzārte haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:2  Mubārak haiṅ wuh jo us ke ahkām par amal karte aur pūre dil se us ke tālib rahte haiṅ,
Psal UrduGeoR 119:3  jo badī nahīṅ karte balki us kī rāhoṅ par chalte haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:4  Tū ne hameṅ apne ahkām die haiṅ, aur tū chāhtā hai ki ham har lihāz se un ke tābe raheṅ.
Psal UrduGeoR 119:5  Kāsh merī rāheṅ itnī puḳhtā hoṅ ki maiṅ sābitqadmī se tere ahkām par amal karūṅ!
Psal UrduGeoR 119:6  Tab maiṅ sharmindā nahīṅ hūṅgā, kyoṅki merī āṅkheṅ tere tamām ahkām par lagī raheṅgī.
Psal UrduGeoR 119:7  Jitnā maiṅ tere bā-insāf faisloṅ ke bāre meṅ sīkhūṅgā utnā hī diyānatdār dil se terī satāish karūṅga.
Psal UrduGeoR 119:8  Tere ahkām par maiṅ har waqt amal karūṅga. Mujhe pūrī tarah tark na kar!
Psal UrduGeoR 119:9  Naujawān apnī rāh ko kis tarah pāk rakhe? Is tarah ki tere kalām ke mutābiq zindagī guzāre.
Psal UrduGeoR 119:10  Maiṅ pūre dil se terā tālib rahā hūṅ. Mujhe apne ahkām se bhaṭakne na de.
Psal UrduGeoR 119:11  Maiṅ ne terā kalām apne dil meṅ mahfūz rakhā hai tāki terā gunāh na karūṅ.
Psal UrduGeoR 119:13  Apne hoṅṭoṅ se maiṅ dūsroṅ ko tere muṅh kī tamām hidāyāt sunātā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:14  Maiṅ tere ahkām kī rāh se utnā lutfandoz hotā hūṅ jitnā ki har tarah kī daulat se.
Psal UrduGeoR 119:15  Maiṅ terī hidāyāt meṅ mahw-e-ḳhyāl rahūṅgā aur terī rāhoṅ ko taktā rahūṅgā.
Psal UrduGeoR 119:16  Maiṅ tere farmānoṅ se lutfandoz hotā hūṅ aur terā kalām nahīṅ bhūltā.
Psal UrduGeoR 119:17  Apne ḳhādim se bhalāī kar tāki maiṅ zindā rahūṅ aur tere kalām ke mutābiq zindagī guzārūṅ.
Psal UrduGeoR 119:18  Merī āṅkhoṅ ko khol tāki terī sharīat ke ajāyb dekhūṅ.
Psal UrduGeoR 119:19  Duniyā meṅ maiṅ pardesī hī hūṅ. Apne ahkām mujh se chhupāe na rakh!
Psal UrduGeoR 119:20  Merī jān har waqt terī hidāyāt kī ārzū karte karte niḍhāl ho rahī hai.
Psal UrduGeoR 119:21  Tū maġhrūroṅ ko ḍānṭtā hai. Un par lānat jo tere ahkām se bhaṭak jāte haiṅ!
Psal UrduGeoR 119:22  Mujhe logoṅ kī tauhīn aur tahqīr se rihāī de, kyoṅki maiṅ tere ahkām ke tābe rahā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:23  Go buzurg mere ḳhilāf mansūbe bāndhne ke lie baiṭh gae haiṅ, terā ḳhādim tere ahkām meṅ mahw-e-ḳhyāl rahtā hai.
Psal UrduGeoR 119:24  Tere ahkām se hī maiṅ lutf uṭhātā hūṅ, wuhī mere mushīr haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:25  Merī jān ḳhāk meṅ dab gaī hai. Apne kalām ke mutābiq merī jān ko tāzādam kar.
Psal UrduGeoR 119:26  Maiṅ ne apnī rāheṅ bayān kīṅ to tū ne merī sunī. Mujhe apne ahkām sikhā.
Psal UrduGeoR 119:27  Mujhe apne ahkām kī rāh samajhne ke qābil banā tāki tere ajāyb meṅ mahw-e-ḳhyāl rahūṅ.
Psal UrduGeoR 119:28  Merī jān dukh ke māre niḍhāl ho gaī hai. Mujhe apne kalām ke mutābiq taqwiyat de.
Psal UrduGeoR 119:29  Fareb kī rāh mujh se dūr rakh aur mujhe apnī sharīat se nawāz.
Psal UrduGeoR 119:30  Maiṅ ne wafā kī rāh iḳhtiyār karke tere āīn apne sāmne rakhe haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:31  Maiṅ tere ahkām se lipṭā rahtā hūṅ. Ai Rab, mujhe sharmindā na hone de.
Psal UrduGeoR 119:32  Maiṅ tere farmānoṅ kī rāh par dauṛtā hūṅ, kyoṅki tū ne mere dil ko kushādagī baḳhshī hai.
Psal UrduGeoR 119:33  Ai Rab, mujhe apne āīn kī rāh sikhā to maiṅ umr-bhar un par amal karūṅga.
Psal UrduGeoR 119:34  Mujhe samajh atā kar tāki terī sharīat ke mutābiq zindagī guzārūṅ aur pūre dil se us ke tābe rahūṅ.
Psal UrduGeoR 119:35  Apne ahkām kī rāh par merī rāhnumāī kar, kyoṅki yihī maiṅ pasand kartā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:36  Mere dil ko lālach meṅ āne na de balki use apne farmānoṅ kī taraf māyl kar.
Psal UrduGeoR 119:37  Merī āṅkhoṅ ko bātil chīzoṅ se pher le, aur mujhe apnī rāhoṅ par saṅbhāl kar merī jān ko tāzādam kar.
Psal UrduGeoR 119:38  Jo wādā tū ne apne ḳhādim se kiyā wuh pūrā kar tāki log terā ḳhauf māneṅ.
Psal UrduGeoR 119:39  Jis ruswāī se mujhe ḳhauf hai us kā ḳhatrā dūr kar, kyoṅki tere ahkām achchhe haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:40  Maiṅ terī hidāyāt kā shadīd ārzūmand hūṅ, apnī rāstī se merī jān ko tāzādam kar.
Psal UrduGeoR 119:41  Ai Rab, terī shafqat aur wuh najāt jis kā wādā tū ne kiyā hai mujh tak pahuṅche
Psal UrduGeoR 119:42  tāki maiṅ be'izzatī karne wāle ko jawāb de sakūṅ. Kyoṅki maiṅ tere kalām par bharosā rakhtā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:43  Mere muṅh se sachchāī kā kalām na chhīn, kyoṅki maiṅ tere farmānoṅ ke intazār meṅ hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:44  Maiṅ har waqt terī sharīat kī pairawī karūṅga, ab se abad tak us meṅ qāym rahūṅgā.
Psal UrduGeoR 119:45  Maiṅ khule maidān meṅ chaltā phirūṅga, kyoṅki tere āīn kā tālib rahtā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:46  Maiṅ sharm kie baġhair bādshāhoṅ ke sāmne tere ahkām bayān karūṅga.
Psal UrduGeoR 119:47  Maiṅ tere farmānoṅ se lutfandoz hotā hūṅ, wuh mujhe pyāre haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:48  Maiṅ apne hāth tere farmānoṅ kī taraf uṭhāūṅgā, kyoṅki wuh mujhe pyāre haiṅ. Maiṅ terī hidāyāt meṅ mahw-e-ḳhyāl rahūṅgā.
Psal UrduGeoR 119:49  Us bāt kā ḳhayāl rakh jo tū ne apne ḳhādim se kī aur jis se tū ne mujhe ummīd dilāī hai.
Psal UrduGeoR 119:50  Musībat meṅ yihī tasallī kā bāis rahā hai ki terā kalām merī jān ko tāzādam kartā hai.
Psal UrduGeoR 119:51  Maġhrūr merā had se zyādā mazāq uṛāte haiṅ, lekin maiṅ terī sharīat se dūr nahīṅ hotā.
Psal UrduGeoR 119:52  Ai Rab, maiṅ tere qadīm farmān yād kartā hūṅ to mujhe tasallī miltī hai.
Psal UrduGeoR 119:53  Bedīnoṅ ko dekh kar maiṅ āg-bagūlā ho jātā hūṅ, kyoṅki unhoṅ ne terī sharīat ko tark kiyā hai.
Psal UrduGeoR 119:54  Jis ghar meṅ maiṅ pardesī hūṅ us meṅ maiṅ tere ahkām ke gīt gātā rahtā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:55  Ai Rab, rāt ko maiṅ terā nām yād kartā hūṅ, terī sharīat par amal kartā rahtā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:56  Yih terī baḳhshish hai ki maiṅ tere āīn kī pairawī kartā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:57  Rab merī mīrās hai. Maiṅ ne tere farmānoṅ par amal karne kā wādā kiyā hai.
Psal UrduGeoR 119:58  Maiṅ pūre dil se terī shafqat kā tālib rahā hūṅ. Apne wāde ke mutābiq mujh par mehrbānī kar.
Psal UrduGeoR 119:59  Maiṅ ne apnī rāhoṅ par dhyān de kar tere ahkām kī taraf qadam baṛhāe haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:60  Maiṅ nahīṅ jhijaktā balki bhāg kar tere ahkām par amal karne kī koshish kartā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:61  Bedīnoṅ ke rassoṅ ne mujhe jakaṛ liyā hai, lekin maiṅ terī sharīat nahīṅ bhūltā.
Psal UrduGeoR 119:62  Ādhī rāt ko maiṅ jāg uṭhtā hūṅ tāki tere rāst farmānoṅ ke lie terā shukr karūṅ.
Psal UrduGeoR 119:63  Maiṅ un sab kā sāthī hūṅ jo terā ḳhauf mānte haiṅ, un sab kā dost jo terī hidāyāt par amal karte haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:64  Ai Rab, duniyā terī shafqat se māmūr hai. Mujhe apne ahkām sikhā!
Psal UrduGeoR 119:65  Ai Rab, tū ne apne kalām ke mutābiq apne ḳhādim se bhalāī kī hai.
Psal UrduGeoR 119:66  Mujhe sahīh imtiyāz aur irfān sikhā, kyoṅki maiṅ tere ahkām par īmān rakhtā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:67  Is se pahle ki mujhe past kiyā gayā maiṅ āwārā phirtā thā, lekin ab maiṅ tere kalām ke tābe rahtā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:68  Tū bhalā hai aur bhalāī kartā hai. Mujhe apne āīn sikhā!
Psal UrduGeoR 119:69  Maġhrūroṅ ne jhūṭ bol kar mujh par kīchaṛ uchhālī hai, lekin maiṅ pūre dil se terī hidāyāt kī farmāṅbardārī kartā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:70  Un ke dil akaṛ kar behis ho gae haiṅ, lekin maiṅ terī sharīat se lutfandoz hotā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:71  Mere lie achchhā thā ki mujhe past kiyā gayā, kyoṅki is tarah maiṅ ne tere ahkām sīkh lie.
Psal UrduGeoR 119:72  Jo sharīat tere muṅh se sādir huī hai wuh mujhe sone-chāṅdī ke hazāroṅ sikkoṅ se zyādā pasand hai.
Psal UrduGeoR 119:73  Tere hāthoṅ ne mujhe banā kar mazbūt buniyād par rakh diyā hai. Mujhe samajh atā farmā tāki tere ahkām sīkh lūṅ.
Psal UrduGeoR 119:74  Jo terā ḳhauf mānte haiṅ wuh mujhe dekh kar ḳhush ho jāeṅ, kyoṅki maiṅ tere kalām ke intazār meṅ rahtā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:75  Ai Rab, maiṅ ne jān liyā hai ki tere faisle rāst haiṅ. Yih bhī terī wafādārī kā izhār hai ki tū ne mujhe past kiyā hai.
Psal UrduGeoR 119:76  Terī shafqat mujhe tasallī de, jis tarah tū ne apne ḳhādim se wādā kiyā hai.
Psal UrduGeoR 119:77  Mujh par apne rahm kā izhār kar tāki merī jān meṅ jān āe, kyoṅki maiṅ terī sharīat se lutfandoz hotā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:78  Jo maġhrūr mujhe jhūṭ se past kar rahe haiṅ wuh sharmindā ho jāeṅ. Lekin maiṅ tere farmānoṅ meṅ mahw-e-ḳhyāl rahūṅgā.
Psal UrduGeoR 119:79  Kāsh jo terā ḳhauf mānte aur tere ahkām jānte haiṅ wuh mere pās wāpas āeṅ!
Psal UrduGeoR 119:80  Merā dil tere āīn kī pairawī karne meṅ be'ilzām rahe tāki merī ruswāī na ho jāe.
Psal UrduGeoR 119:81  Merī jān terī najāt kī ārzū karte karte niḍhāl ho rahī hai, maiṅ tere kalām ke intazār meṅ hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:82  Merī āṅkheṅ tere wāde kī rāh deḳhte deḳhte dhundlā rahī haiṅ. Tū mujhe kab tasallī degā?
Psal UrduGeoR 119:83  Maiṅ dhueṅ meṅ sukaṛī huī mashk kī mānind hūṅ lekin tere farmānoṅ ko nahīṅ bhūltā.
Psal UrduGeoR 119:84  Tere ḳhādim ko mazīd kitnī der intazār karnā paṛegā? Tū merā tāqqub karne wāloṅ kī adālat kab karegā?
Psal UrduGeoR 119:85  Jo maġhrūr terī sharīat ke tābe nahīṅ hote unhoṅ ne mujhe phaṅsāne ke lie gaṛhe khod lie haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:86  Tere tamām ahkām purwafā haiṅ. Merī madad kar, kyoṅki wuh jhūṭ kā sahārā le kar merā tāqqub kar rahe haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:87  Wuh mujhe rū-e-zamīn par se miṭāne ke qarīb hī haiṅ, lekin maiṅ ne tere āīn ko tark nahīṅ kiyā.
Psal UrduGeoR 119:88  Apnī shafqat kā izhār karke merī jān ko tāzādam kar tāki tere muṅh ke farmānoṅ par amal karūṅ.
Psal UrduGeoR 119:89  Ai Rab, terā kalām abad tak āsmān par qāym-o-dāym hai.
Psal UrduGeoR 119:90  Terī wafādārī pusht-dar-pusht rahtī hai. Tū ne zamīn kī buniyād rakhī, aur wuh wahīṅ kī wahīṅ barqarār rahtī hai.
Psal UrduGeoR 119:91  Āj tak āsmān-o-zamīn tere farmānoṅ ko pūrā karne ke lie hāzir rahte haiṅ, kyoṅki tamām chīzeṅ terī ḳhidmat karne ke lie banāī gaī haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:92  Agar terī sharīat merī ḳhushī na hotī to maiṅ apnī musībat meṅ halāk ho gayā hotā.
Psal UrduGeoR 119:93  Maiṅ terī hidāyāt kabhī nahīṅ bhūlūṅgā, kyoṅki unhīṅ ke zariye tū merī jān ko tāzādam kartā hai.
Psal UrduGeoR 119:94  Maiṅ terā hī hūṅ, mujhe bachā! Kyoṅki maiṅ tere ahkām kā tālib rahā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:95  Bedīn merī tāk meṅ baiṭh gae haiṅ tāki mujhe mār ḍāleṅ, lekin maiṅ tere āīn par dhyān detā rahūṅgā.
Psal UrduGeoR 119:96  Maiṅ ne dekhā hai ki har kāmil chīz kī had hotī hai, lekin tere farmān kī koī had nahīṅ hotī.
Psal UrduGeoR 119:97  Terī sharīat mujhe kitnī pyārī hai! Din-bhar maiṅ us meṅ mahw-e-ḳhyāl rahtā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:98  Terā farmān mujhe mere dushmanoṅ se zyādā dānishmand banā detā hai, kyoṅki wuh hameshā tak merā ḳhazānā hai.
Psal UrduGeoR 119:99  Mujhe apne tamām ustādoṅ se zyādā samajh hāsil hai, kyoṅki maiṅ tere āīn meṅ mahw-e-ḳhyāl rahtā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:100  Mujhe buzurgoṅ se zyādā samajh hāsil hai, kyoṅki maiṅ wafādārī se tere ahkām kī pairawī kartā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:101  Maiṅ ne har burī rāh par qadam rakhne se gurez kiyā hai tāki tere kalām se lipṭā rahūṅ.
Psal UrduGeoR 119:102  Maiṅ tere farmānoṅ se dūr nahīṅ huā, kyoṅki tū hī ne mujhe tālīm dī hai.
Psal UrduGeoR 119:103  Terā kalām kitnā lazīz hai, wuh mere muṅh meṅ shahd se zyādā mīṭhā hai.
Psal UrduGeoR 119:104  Tere ahkām se mujhe samajh hāsil hotī hai, is lie maiṅ jhūṭ kī har rāh se nafrat kartā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:105  Terā kalām mere pāṅwoṅ ke lie charāġh hai jo merī rāh ko raushan kartā hai.
Psal UrduGeoR 119:106  Maiṅ ne qasam khāī hai ki tere rāst farmānoṅ kī pairawī karūṅga, aur maiṅ yih wādā pūrā bhī karūṅga.
Psal UrduGeoR 119:107  Mujhe bahut past kiyā gayā hai. Ai Rab, apne kalām ke mutābiq merī jān ko tāzādam kar.
Psal UrduGeoR 119:108  Ai Rab, mere muṅh kī razākārānā qurbāniyoṅ ko pasand kar aur mujhe apne āīn sikhā!
Psal UrduGeoR 119:109  Merī jān hameshā ḳhatre meṅ hai, lekin maiṅ terī sharīat nahīṅ bhūltā.
Psal UrduGeoR 119:110  Bedīnoṅ ne mere lie phandā taiyār kar rakhā hai, lekin maiṅ tere farmānoṅ se nahīṅ bhaṭkā.
Psal UrduGeoR 119:111  Tere ahkām merī abadī mīrās ban gae haiṅ, kyoṅki un se merā dil ḳhushī se uchhaltā hai.
Psal UrduGeoR 119:112  Maiṅ ne apnā dil tere ahkām par amal karne kī taraf māyl kiyā hai, kyoṅki is kā ajr abadī hai.
Psal UrduGeoR 119:113  Maiṅ dodiloṅ se nafrat lekin terī sharīat se muhabbat kartā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:114  Tū merī panāhgāh aur merī ḍhāl hai, maiṅ tere kalām ke intazār meṅ rahtā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:115  Ai badkāro, mujh se dūr ho jāo, kyoṅki maiṅ apne Ḳhudā ke ahkām se lipṭā rahūṅgā.
Psal UrduGeoR 119:116  Apne farmān ke mutābiq mujhe saṅbhāl tāki zindā rahūṅ. Merī ās ṭūṭne na de tāki sharmindā na ho jāūṅ.
Psal UrduGeoR 119:117  Merā sahārā ban tāki bach kar har waqt tere āīn kā lihāz rakhūṅ.
Psal UrduGeoR 119:118  Tū un sab ko radd kartā hai jo tere ahkām se bhaṭke phirte haiṅ, kyoṅki un kī dhokebāzī fareb hī hai.
Psal UrduGeoR 119:119  Tū zamīn ke tamām bedīnoṅ ko nāpāk chāṅdī se ḳhārij kī huī mail kī tarah phaiṅk kar nest kar detā hai, is lie tere farmān mujhe pyāre haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:120  Merā jism tujh se dahshat khā kar thartharātā hai, aur maiṅ tere faisloṅ se ḍartā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:121  Maiṅ ne rāst aur bā-insāf kām kiyā hai, chunāṅche mujhe un ke hawāle na kar jo mujh par zulm karte haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:122  Apne ḳhādim kī ḳhushhālī kā zāmin ban kar maġhrūroṅ ko mujh par zulm karne na de.
Psal UrduGeoR 119:123  Merī āṅkheṅ terī najāt aur tere rāst wāde kī rāh deḳhte deḳhte rah gaī haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:124  Apne ḳhādim se terā sulūk terī shafqat ke mutābiq ho. Mujhe apne ahkām sikhā.
Psal UrduGeoR 119:125  Maiṅ terā hī ḳhādim hūṅ. Mujhe fahm atā farmā tāki tere āīn kī pūrī samajh āe.
Psal UrduGeoR 119:126  Ab waqt ā gayā hai ki Rab qadam uṭhāe, kyoṅki logoṅ ne terī sharīat ko toṛ ḍālā hai.
Psal UrduGeoR 119:127  Is lie maiṅ tere ahkām ko sone balki ḳhālis sone se zyādā pyār kartā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:128  Is lie maiṅ ehtiyāt se tere tamām āīn ke mutābiq zindagī guzārtā hūṅ. Maiṅ har farebdeh rāh se nafrat kartā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:129  Tere ahkām tājjubangez haiṅ, is lie merī jān un par amal kartī hai.
Psal UrduGeoR 119:130  Tere kalām kā inkishāf raushnī baḳhshtā aur sādālauh ko samajh atā kartā hai.
Psal UrduGeoR 119:131  Maiṅ tere farmānoṅ ke lie itnā pyāsā hūṅ ki muṅh khol kar hāṅp rahā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:132  Merī taraf rujū farmā aur mujh par wuhī mehrbānī kar jo tū un sab par kartā hai jo tere nām se pyār karte haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:133  Apne kalām se mere qadam mazbūt kar, kisī bhī gunāh ko mujh par hukūmat na karne de.
Psal UrduGeoR 119:134  Fidyā de kar mujhe insān ke zulm se chhuṭkārā de tāki maiṅ tere ahkām ke tābe rahūṅ.
Psal UrduGeoR 119:135  Apne chehre kā nūr apne ḳhādim par chamkā aur mujhe apne ahkām sikhā.
Psal UrduGeoR 119:136  Merī āṅkhoṅ se āṅsuoṅ kī nadiyāṅ bah rahī haiṅ, kyoṅki log terī sharīat ke tābe nahīṅ rahte.
Psal UrduGeoR 119:137  Ai Rab, tū rāst hai, aur tere faisle durust haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:138  Tū ne rāstī aur baṛī wafādārī ke sāth apne farmān jārī kie haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:139  Merī jān ġhairat ke bāis tabāh ho gaī hai, kyoṅki mere dushman tere farmān bhūl gae haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:140  Terā kalām āzmā kar pāk-sāf sābit huā hai, terā ḳhādim use pyār kartā hai.
Psal UrduGeoR 119:141  Mujhe zalīl aur haqīr jānā jātā hai, lekin maiṅ tere āīn nahīṅ bhūltā.
Psal UrduGeoR 119:142  Terī rāstī abadī hai, aur terī sharīat sachchāī hai.
Psal UrduGeoR 119:143  Musībat aur pareshānī mujh par ġhālib ā gaī haiṅ, lekin maiṅ tere ahkām se lutfandoz hotā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:144  Tere ahkām abad tak rāst haiṅ. Mujhe samajh atā farmā tāki maiṅ jītā rahūṅ.
Psal UrduGeoR 119:145  Maiṅ pūre dil se pukārtā hūṅ, “Ai Rab, merī sun! Maiṅ tere āīn ke mutābiq zindagī guzārūṅga.”
Psal UrduGeoR 119:146  Maiṅ pukārtā hūṅ, “Mujhe bachā! Maiṅ tere ahkām kī pairawī karūṅga.”
Psal UrduGeoR 119:147  Pau phaṭne se pahle pahle maiṅ uṭh kar madad ke lie pukārtā hūṅ. Maiṅ tere kalām ke intazār meṅ hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:148  Rāt ke waqt hī merī āṅkheṅ khul jātī haiṅ tāki tere kalām par ġhaur-o-ḳhauz karūṅ.
Psal UrduGeoR 119:149  Apnī shafqat ke mutābiq merī āwāz sun! Ai Rab, apne farmānoṅ ke mutābiq merī jān ko tāzādam kar.
Psal UrduGeoR 119:150  Jo chālākī se merā tāqqub kar rahe haiṅ wuh qarīb pahuṅch gae haiṅ. Lekin wuh terī sharīat se intahāī dūr haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:151  Ai Rab, tū qarīb hī hai, aur tere ahkām sachchāī haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:152  Baṛī der pahle mujhe tere farmānoṅ se mālūm huā hai ki tū ne unheṅ hameshā ke lie qāym rakhā hai.
Psal UrduGeoR 119:153  Merī musībat kā ḳhayāl karke mujhe bachā! Kyoṅki maiṅ terī sharīat nahīṅ bhūltā.
Psal UrduGeoR 119:154  Adālat meṅ mere haq meṅ laṛ kar merā ewazānā de tāki merī jān chhūṭ jāe. Apne wāde ke mutābiq merī jān ko tāzādam kar.
Psal UrduGeoR 119:155  Najāt bedīnoṅ se bahut dūr hai, kyoṅki wuh tere ahkām ke tālib nahīṅ hote.
Psal UrduGeoR 119:156  Ai Rab, tū muta'addid tarīqoṅ se apne rahm kā izhār kartā hai. Apne āīn ke mutābiq merī jān ko tāzādam kar.
Psal UrduGeoR 119:157  Merā tāqqub karne wāloṅ aur mere dushmanoṅ kī baṛī tādād hai, lekin maiṅ tere ahkām se dūr nahīṅ huā.
Psal UrduGeoR 119:158  Bewafāoṅ ko dekh kar mujhe ghin ātī hai, kyoṅki wuh tere kalām ke mutābiq zindagī nahīṅ guzārte.
Psal UrduGeoR 119:159  Dekh, mujhe tere ahkām se pyār hai. Ai Rab, apnī shafqat ke mutābiq merī jān ko tāzādam kar.
Psal UrduGeoR 119:160  Tere kalām kā lubb-e-lubāb sachchāī hai, tere tamām rāst farmān abad tak qāym haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:161  Sardār bilāwajah merā pīchhā karte haiṅ, lekin merā dil tere kalām se hī ḍartā hai.
Psal UrduGeoR 119:162  Maiṅ tere kalām kī ḳhushī us kī tarah manātā hūṅ jise kasrat kā māl-e-ġhanīmat mil gayā ho.
Psal UrduGeoR 119:163  Maiṅ jhūṭ se nafrat kartā balki ghin khātā hūṅ, lekin terī sharīat mujhe pyārī hai.
Psal UrduGeoR 119:164  Maiṅ din meṅ sāt bār terī satāish kartā hūṅ, kyoṅki tere ahkām rāst haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:165  Jinheṅ sharīat pyārī hai unheṅ baṛā sukūn hāsil hai, wuh kisī bhī chīz se ṭhokar khā kar nahīṅ gireṅge.
Psal UrduGeoR 119:166  Ai Rab, maiṅ terī najāt ke intazār meṅ rahte hue tere ahkām kī pairawī kartā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:167  Merī jān tere farmānoṅ se lipṭī rahtī hai, wuh use nihāyat pyāre haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:168  Maiṅ tere āīn aur hidāyāt kī pairawī kartā hūṅ, kyoṅki merī tamām rāheṅ tere sāmne haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:169  Ai Rab, merī āheṅ tere sāmne āeṅ, mujhe apne kalām ke mutābiq samajh atā farmā.
Psal UrduGeoR 119:170  Merī iltijāeṅ tere sāmne āeṅ, mujhe apne kalām ke mutābiq chhuṛā!
Psal UrduGeoR 119:171  Mere hoṅṭoṅ se hamd-o-sanā phūṭ nikle, kyoṅki tū mujhe apne ahkām sikhātā hai.
Psal UrduGeoR 119:172  Merī zabān tere kalām kī madahsarāī kare, kyoṅki tere tamām farmān rāst haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:173  Terā hāth merī madad karne ke lie taiyār rahe, kyoṅki maiṅ ne tere ahkām iḳhtiyār kie haiṅ.
Psal UrduGeoR 119:174  Ai Rab, maiṅ terī najāt kā ārzūmand hūṅ, terī sharīat se lutfandoz hotā hūṅ.
Psal UrduGeoR 119:175  Merī jān zindā rahe tāki terī satāish kar sake. Tere āīn merī madad kareṅ.
Psal UrduGeoR 119:176  Maiṅ bhaṭkī huī bheṛ kī tarah āwārā phir rahā hūṅ. Apne ḳhādim ko talāsh kar, kyoṅki maiṅ tere ahkām nahīṅ bhūltā.
Chapter 120
Psal UrduGeoR 120:1  Ziyārat kā gīt. Musībat meṅ maiṅ ne Rab ko pukārā, aur us ne merī sunī.
Psal UrduGeoR 120:2  Ai Rab, merī jān ko jhūṭe hoṅṭoṅ aur farebdeh zabān se bachā.
Psal UrduGeoR 120:3  Ai farebdeh zabān, wuh tere sāth kiyā kare, mazīd tujhe kyā de?
Psal UrduGeoR 120:4  Wuh tujh par jangjū ke tez tīr aur dahakte koele barsāe!
Psal UrduGeoR 120:5  Mujh par afsos! Mujhe ajnabī mulk Masak meṅ, Qīdār ke ḳhaimoṅ ke pās rahnā paṛtā hai.
Psal UrduGeoR 120:6  Itnī der se amn ke dushmanoṅ ke pās rahne se merī jān tang ā gaī hai.
Psal UrduGeoR 120:7  Maiṅ to amn chāhtā hūṅ, lekin jab kabhī bolūṅ to wuh jang karne par tule hote haiṅ.
Chapter 121
Psal UrduGeoR 121:1  Ziyārat kā gīt. Maiṅ apnī āṅkhoṅ ko pahāṛoṅ kī taraf uṭhātā hūṅ. Merī madad kahāṅ se ātī hai?
Psal UrduGeoR 121:2  Merī madad Rab se ātī hai, jo āsmān-o-zamīn kā Ḳhāliq hai.
Psal UrduGeoR 121:3  Wuh terā pāṅw phisalne nahīṅ degā. Terā muhāfiz ūṅghne kā nahīṅ.
Psal UrduGeoR 121:4  Yaqīnan Isrāīl kā muhāfiz na ūṅghtā hai, na sotā hai.
Psal UrduGeoR 121:5  Rab terā muhāfiz hai, Rab tere dahne hāth par sāebān hai.
Psal UrduGeoR 121:6  Na din ko sūraj, na rāt ko chāṅd tujhe zarar pahuṅchāegā.
Psal UrduGeoR 121:7  Rab tujhe har nuqsān se bachāegā, wuh terī jān ko mahfūz rakhegā.
Psal UrduGeoR 121:8  Rab ab se abad tak tere āne jāne kī pahrādārī karegā.
Chapter 122
Psal UrduGeoR 122:1  Dāūd kā ziyārat kā gīt. Maiṅ un se ḳhush huā jinhoṅ ne mujh se kahā, “Āo, ham Rab ke ghar chaleṅ.”
Psal UrduGeoR 122:2  Ai Yarūshalam, ab hamāre pāṅw tere darwāzoṅ meṅ khaṛe haiṅ.
Psal UrduGeoR 122:3  Yarūshalam Shahr yoṅ banāyā gayā hai ki us ke tamām hisse mazbūtī se ek dūsre ke sāth juṛe hue haiṅ.
Psal UrduGeoR 122:4  Wahāṅ qabīle, hāṅ Rab ke qabīle hāzir hote haiṅ tāki Rab ke nām kī satāish kareṅ jis tarah Isrāīl ko farmāyā gayā hai.
Psal UrduGeoR 122:5  Kyoṅki wahāṅ taḳht-e-adālat karne ke lie lagāe gae haiṅ, wahāṅ Dāūd ke gharāne ke taḳht haiṅ.
Psal UrduGeoR 122:6  Yarūshalam ke lie salāmatī māṅgo! “Jo tujh se pyār karte haiṅ wuh sukūn pāeṅ.
Psal UrduGeoR 122:7  Terī fasīl meṅ salāmatī aur tere mahaloṅ meṅ sukūn ho.”
Psal UrduGeoR 122:8  Apne bhāiyoṅ aur hamsāyoṅ kī ḳhātir maiṅ kahūṅgā, “Tere andar salāmatī ho!”
Psal UrduGeoR 122:9  Rab hamāre Ḳhudā ke ghar kī ḳhātir maiṅ terī ḳhushhālī kā tālib rahūṅgā.
Chapter 123
Psal UrduGeoR 123:1  Ziyārat kā gīt. Maiṅ apnī āṅkhoṅ ko terī taraf uṭhātā hūṅ, terī taraf jo āsmān par taḳhtnashīn hai.
Psal UrduGeoR 123:2  Jis tarah ġhulām kī āṅkheṅ apne mālik ke hāth kī taraf aur launḍī kī āṅkheṅ apnī mālikan ke hāth kī taraf lagī rahtī haiṅ usī tarah hamārī āṅkheṅ Rab apne Ḳhudā par lagī rahtī haiṅ, jab tak wuh ham par mehrbānī na kare.
Psal UrduGeoR 123:3  Ai Rab, ham par mehrbānī kar, ham par mehrbānī kar! Kyoṅki ham had se zyādā hiqārat kā nishānā ban gae haiṅ.
Psal UrduGeoR 123:4  Sukūn se zindagī guzārne wāloṅ kī lān-tān aur maġhrūroṅ kī tahqīr se hamārī jān dūbhar ho gaī hai.
Chapter 124
Psal UrduGeoR 124:1  Dāūd kā ziyārat kā gīt. Isrāīl kahe, “Agar Rab hamāre sāth na hotā,
Psal UrduGeoR 124:2  agar Rab hamāre sāth na hotā jab log hamāre ḳhilāf uṭhe
Psal UrduGeoR 124:3  aur āg-bagūlā ho kar apnā pūrā ġhussā ham par utārā, to wuh hameṅ zindā haṛap kar lete.
Psal UrduGeoR 124:4  Phir sailāb ham par ṭūṭ paṛtā, nadī kā tez dhārā ham par ġhālib ā jātā
Psal UrduGeoR 124:5  aur mutalātim pānī ham par se guzar jātā.”
Psal UrduGeoR 124:6  Rab kī hamd ho jis ne hameṅ un ke dāṅtoṅ ke hawāle na kiyā, warnā wuh hameṅ phāṛ khāte.
Psal UrduGeoR 124:7  Hamārī jān us chiṛiyā kī tarah chhūṭ gaī hai jo chiṛīmār ke phande se nikal kar uṛ gaī hai. Phandā ṭūṭ gayā hai, aur ham bach nikle haiṅ.
Psal UrduGeoR 124:8  Rab kā nām, hāṅ usī kā nām hamārā sahārā hai jo āsmān-o-zamīn kā Ḳhāliq hai.
Chapter 125
Psal UrduGeoR 125:1  Ziyārat kā gīt. Jo Rab par bharosā rakhte haiṅ wuh Koh-e-Siyyūn kī mānind haiṅ jo kabhī nahīṅ ḍagmagātā balki abad tak qāym rahtā hai.
Psal UrduGeoR 125:2  Jis tarah Yarūshalam pahāṛoṅ se ghirā rahtā hai usī tarah Rab apnī qaum ko ab se abad tak chāroṅ taraf se mahfūz rakhtā hai.
Psal UrduGeoR 125:3  Kyoṅki bedīnoṅ kī rāstbāzoṅ kī mīrās par hukūmat nahīṅ rahegī, aisā na ho ki rāstbāz badkārī karne kī āzmāish meṅ paṛ jāeṅ.
Psal UrduGeoR 125:4  Ai Rab, un se bhalāī kar jo nek haiṅ, jo dil se sīdhī rāh par chalte haiṅ.
Psal UrduGeoR 125:5  Lekin jo bhaṭak kar apnī ṭeṛhī-meṛhī rāhoṅ par chalte haiṅ unheṅ Rab badkāroṅ ke sāth ḳhārij kar de. Isrāīl kī salāmatī ho!
Chapter 126
Psal UrduGeoR 126:1  Ziyārat kā gīt. Jab Rab ne Siyyūn ko bahāl kiyā to aisā lag rahā thā ki ham ḳhāb dekh rahe haiṅ.
Psal UrduGeoR 126:2  Tab hamārā muṅh haṅsī-ḳhushī se bhar gayā, aur hamārī zabān shādmānī ke nāre lagāne se ruk na sakī. Tab dīgar qaumoṅ meṅ kahā gayā, “Rab ne un ke lie zabardast kām kiyā hai.”
Psal UrduGeoR 126:3  Rab ne wāqaī hamāre lie zabardast kām kiyā hai. Ham kitne ḳhush the, kitne ḳhush!
Psal UrduGeoR 126:4  Ai Rab, hameṅ bahāl kar. Jis tarah mausam-e-barsāt meṅ Dasht-e-Najab ke ḳhushk nāle pānī se bhar jāte haiṅ usī tarah hameṅ bahāl kar.
Psal UrduGeoR 126:5  Jo āṅsū bahā bahā kar bīj boeṅ wuh ḳhushī ke nāre lagā kar fasal kāṭeṅge.
Psal UrduGeoR 126:6  Wuh rote hue bīj bone ke lie nikleṅge, lekin jab fasal pak jāe to ḳhushī ke nāre lagā kar pūle uṭhāe apne ghar lauṭeṅge.
Chapter 127
Psal UrduGeoR 127:1  Sulemān kā ziyārat kā gīt. Agar Rab ghar ko tāmīr na kare to us par kām karne wāloṅ kī mehnat abas hai. Agar Rab shahr kī pahrādārī na kare to insānī pahredāroṅ kī nigahbānī abas hai.
Psal UrduGeoR 127:2  Yih bhī abas hai ki tum subah-sawere uṭho aur pūre din mehnat-mashaqqat ke sāth rozī kamā kar rāt gae so jāo. Kyoṅki jo Allāh ko pyāre haiṅ unheṅ wuh un kī zarūriyāt un ke sote meṅ pūrī kar detā hai.
Psal UrduGeoR 127:3  Bachche aisī nemat haiṅ jo ham mīrās meṅ Rab se pāte haiṅ, aulād ek ajr hai jo wuhī hameṅ detā hai.
Psal UrduGeoR 127:4  Jawānī meṅ paidā hue beṭe sūrme ke hāth meṅ tīroṅ kī mānind haiṅ.
Psal UrduGeoR 127:5  Mubārak hai wuh ādmī jis kā tarkash un se bharā hai. Jab wuh shahr ke darwāze par apne dushmanoṅ se jhagaṛegā to sharmindā nahīṅ hogā.
Chapter 128
Psal UrduGeoR 128:1  Ziyārat kā gīt. Mubārak hai wuh jo Rab kā ḳhauf mān kar us kī rāhoṅ par chaltā hai.
Psal UrduGeoR 128:2  Yaqīnan tū apnī mehnat kā phal khāegā. Mubārak ho, kyoṅki tū kāmyāb hogā.
Psal UrduGeoR 128:3  Ghar meṅ terī bīwī angūr kī phaldār bel kī mānind hogī, aur tere beṭe mez ke irdgird baiṭh kar zaitūn kī tāzā shāḳhoṅ kī mānind hoṅge.
Psal UrduGeoR 128:4  Jo ādmī Rab kā ḳhauf māne use aisī hī barkat milegī.
Psal UrduGeoR 128:5  Rab tujhe Koh-e-Siyyūn se barkat de. Wuh kare ki tū jīte-jī Yarūshalam kī ḳhushhālī dekhe,
Psal UrduGeoR 128:6  ki tū apne potoṅ-nawāsoṅ ko bhī dekhe. Isrāīl kī salāmatī ho!
Chapter 129
Psal UrduGeoR 129:1  Ziyārat kā gīt. Isrāīl kahe, “Merī jawānī se hī mere dushman bār bār mujh par hamlā-āwar hue haiṅ.
Psal UrduGeoR 129:2  Merī jawānī se hī wuh bār bār mujh par hamlā-āwar hue haiṅ. To bhī wuh mujh par ġhālib na āe.”
Psal UrduGeoR 129:3  Hal chalāne wāloṅ ne merī pīṭh par hal chalā kar us par apnī lambī lambī reghāriyāṅ banāī haiṅ.
Psal UrduGeoR 129:4  Rab rāst hai. Us ne bedīnoṅ ke rasse kāṭ kar mujhe āzād kar diyā hai.
Psal UrduGeoR 129:5  Allāh kare ki jitne bhī Siyyūn se nafrat rakheṅ wuh sharmindā ho kar pīchhe haṭ jāeṅ.
Psal UrduGeoR 129:6  Wuh chhatoṅ par kī ghās kī mānind hoṅ jo sahīh taur par baṛhne se pahle hī murjhā jātī hai
Psal UrduGeoR 129:7  aur jis se na fasal kāṭne wālā apnā hāth, na pūle bāndhne wālā apnā bāzū bhar sake.
Psal UrduGeoR 129:8  Jo bhī un se guzare wuh na kahe, “Rab tumheṅ barkat de.” Ham Rab kā nām le kar tumheṅ barkat dete haiṅ!
Chapter 130
Psal UrduGeoR 130:1  Ziyārat kā gīt. Ai Rab, maiṅ tujhe gahrāiyoṅ se pukārtā hūṅ.
Psal UrduGeoR 130:2  Ai Rab, merī āwāz sun! Kān lagā kar merī iltijāoṅ par dhyān de!
Psal UrduGeoR 130:3  Ai Rab, agar tū hamāre gunāhoṅ kā hisāb kare to kaun qāym rahegā? Koī bhī nahīṅ!
Psal UrduGeoR 130:4  Lekin tujh se muāfī hāsil hotī hai tāki terā ḳhauf mānā jāe.
Psal UrduGeoR 130:5  Maiṅ Rab ke intazār meṅ hūṅ, merī jān shiddat se intazār kartī hai. Maiṅ us ke kalām se ummīd rakhtā hūṅ.
Psal UrduGeoR 130:6  Pahredār jis shiddat se pau phaṭne ke intazār meṅ rahte haiṅ, merī jān us se bhī zyādā shiddat ke sāth, hāṅ zyādā shiddat ke sāth Rab kī muntazir rahtī hai.
Psal UrduGeoR 130:7  Ai Isrāīl, Rab kī rāh deḳhtā rah! Kyoṅki Rab ke pās shafqat aur fidyā kā ṭhos band-o-bast hai.
Psal UrduGeoR 130:8  Wuh Isrāīl ke tamām gunāhoṅ kā fidyā de kar use najāt degā.
Chapter 131
Psal UrduGeoR 131:1  Ziyārat kā gīt. Ai Rab, na merā dil ghamanḍī hai, na merī āṅkheṅ maġhrūr haiṅ. Jo bāteṅ itnī azīm aur hairānkun haiṅ ki maiṅ un se nipaṭ nahīṅ saktā unheṅ maiṅ nahīṅ chheṛtā.
Psal UrduGeoR 131:2  Yaqīnan maiṅ ne apnī jān ko rāhat aur sukūn dilāyā hai, aur ab wuh māṅ kī god meṅ baiṭhe chhoṭe bachche kī mānind hai, hāṅ merī jān chhoṭe bachche kī mānind hai.
Psal UrduGeoR 131:3  Ai Isrāīl, ab se abad tak Rab ke intazār meṅ rah!
Chapter 132
Psal UrduGeoR 132:1  Ziyārat kā gīt. Ai Rab, Dāūd kā ḳhayāl rakh, us kī tamām musībatoṅ ko yād kar.
Psal UrduGeoR 132:2  Us ne qasam khā kar Rab se wādā kiyā aur Yāqūb ke qawī Ḳhudā ke huzūr mannat mānī,
Psal UrduGeoR 132:3  “Na maiṅ apne ghar meṅ dāḳhil hūṅgā, na bistar par leṭūṅgā,
Psal UrduGeoR 132:4  na maiṅ apnī āṅkhoṅ ko sone dūṅgā, na apne papoṭoṅ ko ūṅghne dūṅgā
Psal UrduGeoR 132:5  jab tak Rab ke lie maqām aur Yāqūb ke sūrme ke lie sukūnatgāh na mile.”
Psal UrduGeoR 132:6  Ham ne Ifrātā meṅ ahd ke sandūq kī ḳhabar sunī aur yār ke khule maidān meṅ use pā liyā.
Psal UrduGeoR 132:7  Āo, ham us kī sukūnatgāh meṅ dāḳhil ho kar us ke pāṅwoṅ kī chaukī ke sāmne sijdā kareṅ.
Psal UrduGeoR 132:8  Ai Rab, uṭh kar apnī ārāmgāh ke pās ā, tū aur ahd kā sandūq jo terī qudrat kā izhār hai.
Psal UrduGeoR 132:9  Tere imām rāstī se mulabbas ho jāeṅ, aur tere īmāndār ḳhushī ke nāre lagāeṅ.
Psal UrduGeoR 132:10  Ai Allāh, apne ḳhādim Dāūd kī ḳhātir apne masah kie hue bande ke chehre ko radd na kar.
Psal UrduGeoR 132:11  Rab ne qasam khā kar Dāūd se wādā kiyā hai, aur wuh us se kabhī nahīṅ phiregā, “Maiṅ terī aulād meṅ se ek ko tere taḳht par biṭhāūṅgā.
Psal UrduGeoR 132:12  Agar tere beṭe mere ahd ke wafādār raheṅ aur un ahkām kī pairawī kareṅ jo maiṅ unheṅ sikhāūṅgā to un ke beṭe bhī hameshā tak tere taḳht par baiṭheṅge.”
Psal UrduGeoR 132:13  Kyoṅki Rab ne Koh-e-Siyyūn ko chun liyā hai, aur wuhī wahāṅ sukūnat karne kā ārzūmand thā.
Psal UrduGeoR 132:14  Us ne farmāyā, “Yih hameshā tak merī ārāmgāh hai, aur yahāṅ maiṅ sukūnat karūṅga, kyoṅki maiṅ is kā ārzūmand hūṅ.
Psal UrduGeoR 132:15  Maiṅ Siyyūn kī ḳhurāk ko kasrat kī barkat de kar us ke ġharīboṅ ko roṭī se ser karūṅga.
Psal UrduGeoR 132:16  Maiṅ us ke imāmoṅ ko najāt se mulabbas karūṅga, aur us ke īmāndār ḳhushī se zordār nāre lagāeṅge.
Psal UrduGeoR 132:17  Yahāṅ maiṅ Dāūd kī tāqat baṛhā dūṅgā, aur yahāṅ maiṅ ne apne masah kie hue ḳhādim ke lie charāġh taiyār kar rakhā hai.
Psal UrduGeoR 132:18  Maiṅ us ke dushmanoṅ ko sharmindagī se mulabbas karūṅga jabki us ke sar kā tāj chamaktā rahegā.”
Chapter 133
Psal UrduGeoR 133:1  Dāūd kā zabūr. Ziyārat kā gīt. Jab bhāī mil kar aur yagāngat se rahte haiṅ yih kitnā achchhā aur pyārā hai.
Psal UrduGeoR 133:2  Yih us nafīs tel kī mānind hai jo Hārūn Imām ke sar par unḍelā jātā hai aur ṭapak ṭapak kar us kī dāṛhī aur libās ke garebān par ā jātā hai.
Psal UrduGeoR 133:3  Yih us os kī mānind hai jo Koh-e-Harmūn se Siyyūn ke pahāṛoṅ par paṛtī hai. Kyoṅki Rab ne farmāyā hai, “Wahīṅ hameshā tak barkat aur zindagī milegī.”
Chapter 134
Psal UrduGeoR 134:1  Ziyārat kā gīt. Āo, Rab kī satāish karo, ai Rab ke tamām ḳhādimo jo rāt ke waqt Rab ke ghar meṅ khaṛe ho.
Psal UrduGeoR 134:2  Maqdis meṅ apne hāth uṭhā kar Rab kī tamjīd karo!
Psal UrduGeoR 134:3  Rab Siyyūn se tujhe barkat de, āsmān-o-zamīn kā Ḳhāliq tujhe barkat de.
Chapter 135
Psal UrduGeoR 135:1  Rab kī hamd ho! Rab ke nām kī satāish karo! Us kī tamjīd karo, ai Rab ke tamām ḳhādimo,
Psal UrduGeoR 135:2  jo Rab ke ghar meṅ, hamāre Ḳhudā kī bārgāhoṅ meṅ khaṛe ho.
Psal UrduGeoR 135:3  Rab kī hamd karo, kyoṅki Rab bhalā hai. Us ke nām kī madahsarāī karo, kyoṅki wuh pyārā hai.
Psal UrduGeoR 135:4  Kyoṅki Rab ne Yāqūb ko apne lie chun liyā, Isrāīl ko apnī milkiyat banā liyā hai.
Psal UrduGeoR 135:5  Hāṅ, maiṅ ne jān liyā hai ki Rab azīm hai, ki hamārā Rab dīgar tamām mābūdoṅ se zyādā azīm hai.
Psal UrduGeoR 135:6  Rab jo jī chāhe kartā hai, ḳhāh āsmān par ho yā zamīn par, ḳhāh samundaroṅ meṅ ho yā gahrāiyoṅ meṅ kahīṅ bhī ho.
Psal UrduGeoR 135:7  Wuh zamīn kī intahā se bādal chaṛhnī detā aur bijlī bārish ke lie paidā kartā hai, wuh hawā apne godāmoṅ se nikāl lātā hai.
Psal UrduGeoR 135:8  Misr meṅ us ne insān-o-haiwān ke tamām pahlauṭhoṅ ko mār ḍālā.
Psal UrduGeoR 135:9  Ai Misr, us ne apne ilāhī nishān aur mojizāt tere darmiyān hī kie. Tab Firaun aur us ke tamām mulāzim un kā nishānā ban gae.
Psal UrduGeoR 135:10  Us ne muta'addid qaumoṅ ko shikast de kar tāqatwar bādshāhoṅ ko maut ke ghāṭ utār diyā.
Psal UrduGeoR 135:11  Amoriyoṅ kā bādshāh Sīhon, Basan kā bādshāh Oj aur Mulk-e-Kanān kī tamām saltanateṅ na rahīṅ.
Psal UrduGeoR 135:12  Us ne un kā mulk Isrāīl ko de kar farmāyā ki āindā yih merī qaum kī maurūsī milkiyat hogā.
Psal UrduGeoR 135:13  Ai Rab, terā nām abadī hai. Ai Rab, tujhe pusht-dar-pusht yād kiyā jāegā.
Psal UrduGeoR 135:14  Kyoṅki Rab apnī qaum kā insāf karke apne ḳhādimoṅ par tars khāegā.
Psal UrduGeoR 135:15  Dīgar qaumoṅ ke but sone-chāṅdī ke haiṅ, insān ke hāth ne unheṅ banāyā.
Psal UrduGeoR 135:16  Un ke muṅh haiṅ lekin wuh bol nahīṅ sakte, un kī āṅkheṅ haiṅ lekin wuh dekh nahīṅ sakte.
Psal UrduGeoR 135:17  Un ke kān haiṅ lekin wuh sun nahīṅ sakte, un ke muṅh meṅ sāṅs hī nahīṅ hotī.
Psal UrduGeoR 135:18  Jo but banāte haiṅ wuh un kī mānind ho jāeṅ, jo un par bharosā rakhte haiṅ wuh un jaise behis-o-harkat ho jāeṅ.
Psal UrduGeoR 135:19  Ai Isrāīl ke gharāne, Rab kī satāish kar. Ai Hārūn ke gharāne, Rab kī tamjīd kar.
Psal UrduGeoR 135:20  Ai Lāwī ke gharāne, Rab kī hamd-o-sanā kar. Ai Rab kā ḳhauf mānane wālo, Rab kī satāish karo.
Psal UrduGeoR 135:21  Siyyūn se Rab kī hamd ho. Us kī hamd ho jo Yarūshalam meṅ sukūnat kartā hai. Rab kī hamd ho!
Chapter 136
Psal UrduGeoR 136:1  Rab kā shukr karo, kyoṅki wuh bhalā hai, aur us kī shafqat abadī hai.
Psal UrduGeoR 136:2  Ḳhudāoṅ ke Ḳhudā kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
Psal UrduGeoR 136:3  Mālikoṅ ke mālik kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
Psal UrduGeoR 136:4  Jo akelā hī azīm mojize kartā hai us kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
Psal UrduGeoR 136:5  Jis ne hikmat ke sāth āsmān banāyā us kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
Psal UrduGeoR 136:6  Jis ne zamīn ko mazbūtī se pānī ke ūpar lagā diyā us kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
Psal UrduGeoR 136:7  Jis ne āsmān kī raushniyoṅ ko ḳhalaq kiyā us kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
Psal UrduGeoR 136:8  Jis ne sūraj ko din ke waqt hukūmat karne ke lie banāyā us kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
Psal UrduGeoR 136:9  Jis ne chāṅd aur sitāroṅ ko rāt ke waqt hukūmat karne ke lie banāyā us kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
Psal UrduGeoR 136:10  Jis ne Misr meṅ pahlauṭhoṅ ko mār ḍālā us kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
Psal UrduGeoR 136:11  Jo Isrāīl ko Misriyoṅ meṅ se nikāl lāyā us kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
Psal UrduGeoR 136:12  Jis ne us waqt baṛī tāqat aur qudrat kā izhār kiyā us kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
Psal UrduGeoR 136:13  Jis ne Bahr-e-Qulzum ko do hissoṅ meṅ taqsīm kar diyā us kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
Psal UrduGeoR 136:14  Jis ne Isrāīl ko us ke bīch meṅ se guzarne diyā us kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
Psal UrduGeoR 136:15  Jis ne Firaun aur us kī fauj ko Bahr-e-Qulzum meṅ bahā kar ġharq kar diyā us kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
Psal UrduGeoR 136:16  Jis ne registān meṅ apnī qaum kī qiyādat kī us kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
Psal UrduGeoR 136:17  Jis ne baṛe bādshāhoṅ ko shikast dī us kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
Psal UrduGeoR 136:18  Jis ne tāqatwar bādshāhoṅ ko mār ḍālā us kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
Psal UrduGeoR 136:19  Jis ne Amoriyoṅ ke bādshāh Sīhon ko maut ke ghāṭ utārā us kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
Psal UrduGeoR 136:20  Jis ne Basan ke bādshāh Oj ko halāk kar diyā us kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
Psal UrduGeoR 136:21  Jis ne un kā mulk Isrāīl ko mīrās meṅ diyā us kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
Psal UrduGeoR 136:22  Jis ne un kā mulk apne ḳhādim Isrāīl kī maurūsī milkiyat banāyā us kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
Psal UrduGeoR 136:23  Jis ne hamārā ḳhayāl kiyā jab ham ḳhāk meṅ dab gae the us kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
Psal UrduGeoR 136:24  Jis ne hameṅ un ke qabze se chhuṛāyā jo ham par zulm kar rahe the us kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
Psal UrduGeoR 136:25  Jo tamām jāndāroṅ ko ḳhurāk muhaiyā kartā hai us kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
Psal UrduGeoR 136:26  Āsmān ke Ḳhudā kā shukr karo, kyoṅki us kī shafqat abadī hai.
Chapter 137
Psal UrduGeoR 137:1  Jab Siyyūn kī yād āī to ham Bābal kī nahroṅ ke kināre hī baiṭh kar ro paṛe.
Psal UrduGeoR 137:2  Ham ne wahāṅ ke safedā ke daraḳhtoṅ se apne sarod laṭkā die,
Psal UrduGeoR 137:3  kyoṅki jinhoṅ ne hameṅ giriftār kiyā thā unhoṅ ne hameṅ wahāṅ gīt gāne ko kahā, aur jo hamārā mazāq uṛāte haiṅ unhoṅ ne ḳhushī kā mutālabā kiyā, “Hameṅ Siyyūn kā koī gīt sunāo!”
Psal UrduGeoR 137:4  Lekin ham ajnabī mulk meṅ kis tarah Rab kā gīt gāeṅ?
Psal UrduGeoR 137:5  Ai Yarūshalam, agar maiṅ tujhe bhūl jāūṅ to merā dahnā hāth sūkh jāe.
Psal UrduGeoR 137:6  Agar maiṅ tujhe yād na karūṅ aur Yarūshalam ko apnī azīmtarīn ḳhushī se zyādā qīmtī na samjhūṅ to merī zabān tālū se chipak jāe.
Psal UrduGeoR 137:7  Ai Rab, wuh kuchh yād kar jo Adomiyoṅ ne us din kiyā jab Yarūshalam dushman ke qabze meṅ āyā. Us waqt wuh bole, “Use ḍhā do! Bunyādoṅ tak use girā do!”
Psal UrduGeoR 137:8  Ai Bābal Beṭī jo tabāh karne par tulī huī hai, mubārak hai wuh jo tujhe us kā badlā de jo tū ne hamāre sāth kiyā hai.
Psal UrduGeoR 137:9  Mubārak hai wuh jo tere bachchoṅ ko pakaṛ kar patthar par paṭaḳh de.
Chapter 138
Psal UrduGeoR 138:1  Dāūd kā zabūr. Ai Rab, maiṅ pūre dil se terī satāish karūṅga, mābūdoṅ ke sāmne hī terī tamjīd karūṅga.
Psal UrduGeoR 138:2  Maiṅ terī muqaddas sukūnatgāh kī taraf ruḳh karke sijdā karūṅga, terī mehrbānī aur wafādārī ke bāis terā shukr karūṅga. Kyoṅki tū ne apne nām aur kalām ko tamām chīzoṅ par sarfarāz kiyā hai.
Psal UrduGeoR 138:3  Jis din maiṅ ne tujhe pukārā tū ne merī sun kar merī jān ko baṛī taqwiyat dī.
Psal UrduGeoR 138:4  Ai Rab, duniyā ke tamām hukmrān tere muṅh ke farmān sun kar terā shukr kareṅ.
Psal UrduGeoR 138:5  Wuh Rab kī rāhoṅ kī madahsarāī kareṅ, kyoṅki Rab kā jalāl azīm hai.
Psal UrduGeoR 138:6  Kyoṅki go Rab bulandiyoṅ par hai wuh pasthāl kā ḳhayāl kartā aur maġhrūroṅ ko dūr se hī pahchān letā hai.
Psal UrduGeoR 138:7  Jab kabhī musībat merā dāman nahīṅ chhoṛtī to tū merī jān ko tāzādam kartā hai, tū apnā dahnā hāth baṛhā kar mujhe mere dushmanoṅ ke taish se bachātā hai.
Psal UrduGeoR 138:8  Rab merī ḳhātir badlā legā. Ai Rab, terī shafqat abadī hai. Unheṅ na chhoṛ jin ko tere hāthoṅ ne banāyā hai!
Chapter 139
Psal UrduGeoR 139:1  Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Ai Rab, tū merā muāynā kartā aur mujhe ḳhūb jāntā hai.
Psal UrduGeoR 139:2  Merā uṭhnā baiṭhnā tujhe mālūm hai, aur tū dūr se hī merī soch samajhtā hai.
Psal UrduGeoR 139:3  Tū mujhe jāṅchtā hai, ḳhāh maiṅ rāste meṅ hūṅ yā ārām karūṅ. Tū merī tamām rāhoṅ se wāqif hai.
Psal UrduGeoR 139:4  Kyoṅki jab bhī koī bāt merī zabān par āe tū ai Rab pahle hī us kā pūrā ilm rakhtā hai.
Psal UrduGeoR 139:5  Tū mujhe chāroṅ taraf se ghere rakhtā hai, terā hāth mere ūpar hī rahtā hai.
Psal UrduGeoR 139:6  Is kā ilm itnā hairānkun aur azīm hai ki maiṅ ise samajh nahīṅ saktā.
Psal UrduGeoR 139:7  Maiṅ tere Rūh se kahāṅ bhāg jāūṅ, tere chehre se kahāṅ farār ho jāūṅ?
Psal UrduGeoR 139:8  Agar āsmān par chaṛh jāūṅ to tū wahāṅ maujūd hai, agar utar kar apnā bistar Pātāl meṅ bichhāūṅ to tū wahāṅ bhī hai.
Psal UrduGeoR 139:9  Go maiṅ tulū-e-subah ke paroṅ par uṛ kar samundar kī dūrtarīn had par jā basūṅ,
Psal UrduGeoR 139:10  wahāṅ bhī terā hāth merī qiyādat karegā, wahāṅ bhī terā dahnā hāth mujhe thāme rakhegā.
Psal UrduGeoR 139:11  Agar maiṅ kahūṅ, “Tārīkī mujhe chhupā de, aur mere irdgird kī raushnī rāt meṅ badal jāe,” to bhī koī farq nahīṅ paṛegā.
Psal UrduGeoR 139:12  Tere sāmne tārīkī bhī tārīk nahīṅ hotī, tere huzūr rāt din kī tarah raushan hotī hai balki raushnī aur andherā ek jaise hote haiṅ.
Psal UrduGeoR 139:13  Kyoṅki tū ne merā bātin banāyā hai, tū ne mujhe māṅ ke peṭ meṅ tashkīl diyā hai.
Psal UrduGeoR 139:14  Maiṅ terā shukr kartā hūṅ ki mujhe jalālī aur mojizānā taur se banāyā gayā hai. Tere kām hairatangez haiṅ, aur merī jān yih ḳhūb jāntī hai.
Psal UrduGeoR 139:15  Merā ḍhāṅchā tujh se chhupā nahīṅ thā jab mujhe poshīdagī meṅ banāyā gayā, jab mujhe zamīn kī gahrāiyoṅ meṅ tashkīl diyā gayā.
Psal UrduGeoR 139:16  Terī āṅkhoṅ ne mujhe us waqt dekhā jab mere jism kī shakl abhī nāmukammal thī. Jitne bhī din mere lie muqarrar the wuh sab terī kitāb meṅ us waqt darj the, jab ek bhī nahīṅ guzarā thā.
Psal UrduGeoR 139:17  Ai Allāh, tere ḳhayālāt samajhnā mere lie kitnā mushkil hai! Un kī kul tādād kitnī azīm hai.
Psal UrduGeoR 139:18  Agar maiṅ unheṅ gin saktā to wuh ret se zyādā hote. Maiṅ jāg uṭhtā hūṅ to tere hī sāth hotā hūṅ.
Psal UrduGeoR 139:19  Ai Allāh, kāsh tū bedīn ko mār ḍāle, ki ḳhūṅḳhār mujh se dūr ho jāeṅ.
Psal UrduGeoR 139:20  Wuh fareb se terā zikr karte haiṅ, hāṅ tere muḳhālif jhūṭ bolte haiṅ.
Psal UrduGeoR 139:21  Ai Rab, kyā maiṅ un se nafrat na karūṅ jo tujh se nafrat karte haiṅ? Kyā maiṅ un se ghin na khāūṅ jo tere ḳhilāf uṭhe haiṅ?
Psal UrduGeoR 139:22  Yaqīnan maiṅ un se saḳht nafrat kartā hūṅ. Wuh mere dushman ban gae haiṅ.
Psal UrduGeoR 139:23  Ai Allāh, merā muāynā karke mere dil kā hāl jān le, mujhe jāṅch kar mere bechain ḳhayālāt ko jān le.
Psal UrduGeoR 139:24  Maiṅ nuqsāndeh rāh par to nahīṅ chal rahā? Abadī rāh par merī qiyādat kar!
Chapter 140
Psal UrduGeoR 140:1  Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Ai Rab, mujhe sharīroṅ se chhuṛā aur zālimoṅ se mahfūz rakh.
Psal UrduGeoR 140:2  Dil meṅ wuh bure mansūbe bāndhte, rozānā jang chheṛte haiṅ.
Psal UrduGeoR 140:3  Un kī zabān sāṅp kī zabān jaisī tez hai, aur un ke hoṅṭoṅ meṅ sāṅp kā zahr hai. (Silāh)
Psal UrduGeoR 140:4  Ai Rab, mujhe bedīn ke hāthoṅ se mahfūz rakh, zālim se mujhe bachāe rakh, un se jo mere pāṅwoṅ ko ṭhokar khilāne ke mansūbe bāndh rahe haiṅ.
Psal UrduGeoR 140:5  Maġhrūroṅ ne mere rāste meṅ phandā aur rasse chhupāe haiṅ, unhoṅ ne jāl bichhā kar rāste ke kināre kināre mujhe pakaṛne ke phande lagāe haiṅ. (Silāh)
Psal UrduGeoR 140:6  Maiṅ Rab se kahtā hūṅ, “Tū hī merā Ḳhudā hai, merī iltijāoṅ kī āwāz sun!”
Psal UrduGeoR 140:7  Ai Rab Qādir-e-mutlaq, ai merī qawī najāt! Jang ke din tū apnī ḍhāl se mere sar kī hifāzat kartā hai.
Psal UrduGeoR 140:8  Ai Rab, bedīn kā lālach pūrā na kar. Us kā irādā kāmyāb hone na de, aisā na ho ki yih log sarfarāz ho jāeṅ. (Silāh)
Psal UrduGeoR 140:9  Unhoṅ ne mujhe gher liyā hai, lekin jo āfat un ke hoṅṭ mujh par lānā chāhte haiṅ wuh un ke apne saroṅ par āe!
Psal UrduGeoR 140:10  Dahakte koele un par barseṅ, aur unheṅ āg meṅ, athāh gaṛhoṅ meṅ phaiṅkā jāe tāki āindā kabhī na uṭheṅ.
Psal UrduGeoR 140:11  Tohmat lagāne wālā mulk meṅ qāym na rahe, aur burāī zālim ko mār mār kar us kā pīchhā kare.
Psal UrduGeoR 140:12  Maiṅ jāntā hūṅ ki Rab adālat meṅ musībatzadā kā difā karegā. Wuhī zarūratmand kā insāf karegā.
Psal UrduGeoR 140:13  Yaqīnan rāstbāz tere nām kī satāish kareṅge, aur diyānatdār tere huzūr baseṅge.
Chapter 141
Psal UrduGeoR 141:1  Dāūd kā zabūr. Ai Rab, maiṅ tujhe pukār rahā hūṅ, mere pās āne meṅ jaldī kar! Jab maiṅ tujhe āwāz detā hūṅ to merī fariyād par dhyān de!
Psal UrduGeoR 141:2  Merī duā tere huzūr baḳhūr kī qurbānī kī tarah qabūl ho, mere terī taraf uṭhāe hue hāth shām kī ġhallā kī nazar kī tarah manzūr hoṅ.
Psal UrduGeoR 141:3  Ai Rab, mere muṅh par pahrā biṭhā, mere hoṅṭoṅ ke darwāze kī nigahbānī kar.
Psal UrduGeoR 141:4  Mere dil ko ġhalat bāt kī taraf māyl na hone de, aisā na ho ki maiṅ badkāroṅ ke sāth mil kar bure kām meṅ mulawwas ho jāūṅ aur un ke lazīz khānoṅ meṅ shirkat karūṅ.
Psal UrduGeoR 141:5  Rāstbāz shafqat se mujhe māre aur mujhe tambīh kare. Merā sar is se inkār nahīṅ karegā, kyoṅki yih us ke lie shifābaḳhsh tel kī mānind hogā. Lekin maiṅ har waqt sharīroṅ kī harkatoṅ ke ḳhilāf duā kartā hūṅ.
Psal UrduGeoR 141:6  Jab wuh gir kar us chaṭān ke hāth meṅ āeṅge jo un kā munsif hai to wuh merī bātoṅ par dhyān deṅge, aur unheṅ samajh āegī ki wuh kitnī pyārī haiṅ.
Psal UrduGeoR 141:7  Ai Allāh, hamārī haḍḍiyāṅ us zamīn kī mānind haiṅ jis par kisī ne itne zor se hal chalāyā hai ki ḍhele uṛ kar idhar-udhar bikhar gae haiṅ. Hamārī haḍḍiyāṅ Pātāl ke muṅh tak bikhar gaī haiṅ.
Psal UrduGeoR 141:8  Ai Rab Qādir-e-mutlaq, merī āṅkheṅ tujh par lagī rahtī haiṅ, aur maiṅ tujh meṅ panāh letā hūṅ. Mujhe maut ke hawāle na kar.
Psal UrduGeoR 141:9  Mujhe us jāl se mahfūz rakh jo unhoṅ ne mujhe pakaṛne ke lie bichhāyā hai. Mujhe badkāroṅ ke phandoṅ se bachāe rakh.
Psal UrduGeoR 141:10  Bedīn mil kar un ke apne jāloṅ meṅ ulajh jāeṅ jabki maiṅ bach kar āge niklūṅ.
Chapter 142
Psal UrduGeoR 142:1  Hikmat kā gīt. Duā jo Dāūd ne kī jab wuh ġhār meṅ thā. Maiṅ madad ke lie chīḳhtā-chillātā Rab ko pukārtā hūṅ, maiṅ zordār āwāz se Rab se iltijā kartā hūṅ.
Psal UrduGeoR 142:2  Maiṅ apnī āh-o-zārī us ke sāmne unḍel detā, apnī tamām musībat us ke huzūr pesh kartā hūṅ.
Psal UrduGeoR 142:3  Jab merī rūh mere andar niḍhāl ho jātī hai to tū hī merī rāh jāntā hai. Jis rāste meṅ maiṅ chaltā hūṅ us meṅ logoṅ ne phandā chhupāyā hai.
Psal UrduGeoR 142:4  Maiṅ dahnī taraf nazar ḍāl kar deḳhtā hūṅ, lekin koī nahīṅ hai jo merā ḳhayāl kare. Maiṅ bach nahīṅ saktā, koī nahīṅ hai jo merī jān kī fikr kare.
Psal UrduGeoR 142:5  Ai Rab, maiṅ madad ke lie tujhe pukārtā hūṅ. Maiṅ kahtā hūṅ, “Tū merī panāhgāh aur zindoṅ ke mulk meṅ merā maurūsī hissā hai.”
Psal UrduGeoR 142:6  Merī chīḳhoṅ par dhyān de, kyoṅki maiṅ bahut past ho gayā hūṅ. Mujhe un se chhuṛā jo merā pīchhā kar rahe haiṅ, kyoṅki maiṅ un par qābū nahīṅ pā saktā.
Psal UrduGeoR 142:7  Merī jān ko qaidḳhāne se nikāl lā tāki tere nām kī satāish karūṅ. Jab tū mere sāth bhalāī karegā to rāstbāz mere irdgird jamā ho jāeṅge.
Chapter 143
Psal UrduGeoR 143:1  Dāūd kā zabūr. Ai Rab, merī duā sun, merī iltijāoṅ par dhyān de. Apnī wafādārī aur rāstī kī ḳhātir merī sun!
Psal UrduGeoR 143:2  Apne ḳhādim ko apnī adālat meṅ na lā, kyoṅki tere huzūr koī bhī jāndār rāstbāz nahīṅ ṭhahar saktā.
Psal UrduGeoR 143:3  Kyoṅki dushman ne merī jān kā pīchhā karke use ḳhāk meṅ kuchal diyā hai. Us ne mujhe un logoṅ kī tarah tārīkī meṅ basā diyā hai jo baṛe arse se murdā haiṅ.
Psal UrduGeoR 143:4  Mere andar merī rūh niḍhāl hai, mere andar merā dil dahshat ke māre behis-o-harkat ho gayā hai.
Psal UrduGeoR 143:5  Maiṅ qadīm zamāne ke din yād kartā aur tere kāmoṅ par ġhaur-o-ḳhauz kartā hūṅ. Jo kuchh tere hāthoṅ ne kiyā us meṅ maiṅ mahw-e-ḳhyāl rahtā hūṅ.
Psal UrduGeoR 143:6  Maiṅ apne hāth terī taraf uṭhātā hūṅ, merī jān ḳhushk zamīn kī tarah terī pyāsī hai. (Silāh)
Psal UrduGeoR 143:7  Ai Rab, merī sunane meṅ jaldī kar. Merī jān to ḳhatm hone wālī hai. Apnā chehrā mujh se chhupāe na rakh, warnā maiṅ gaṛhe meṅ utarne wāloṅ kī mānind ho jāūṅgā.
Psal UrduGeoR 143:8  Subah ke waqt mujhe apnī shafqat kī ḳhabar sunā, kyoṅki maiṅ tujh par bharosā rakhtā hūṅ. Mujhe wuh rāh dikhā jis par mujhe jānā hai, kyoṅki maiṅ terā hī ārzūmand hūṅ.
Psal UrduGeoR 143:9  Ai Rab, mujhe mere dushmanoṅ se chhuṛā, kyoṅki maiṅ tujh meṅ panāh letā hūṅ.
Psal UrduGeoR 143:10  Mujhe apnī marzī pūrī karnā sikhā, kyoṅki tū merā Ḳhudā hai. Terā nek Rūh hamwār zamīn par merī rāhnumāī kare.
Psal UrduGeoR 143:11  Ai Rab, apne nām kī ḳhātir merī jān ko tāzādam kar. Apnī rāstī se merī jān ko musībat se bachā.
Psal UrduGeoR 143:12  Apnī shafqat se mere dushmanoṅ ko halāk kar. Jo bhī mujhe tang kar rahe haiṅ unheṅ tabāh kar! Kyoṅki maiṅ terā ḳhādim hūṅ.
Chapter 144
Psal UrduGeoR 144:1  Dāūd kā zabūr. Rab merī chaṭān kī hamd ho, jo mere hāthoṅ ko laṛne aur merī ungliyoṅ ko jang karne kī tarbiyat detā hai.
Psal UrduGeoR 144:2  Wuh merī shafqat, merā qilā, merā najātdahindā aur merī ḍhāl hai. Usī meṅ maiṅ panāh letā hūṅ, aur wuhī dīgar aqwām ko mere tābe kar detā hai.
Psal UrduGeoR 144:3  Ai Rab, insān kaun hai ki tū us kā ḳhayāl rakhe? Ādamzād kaun hai ki tū us kā lihāz kare?
Psal UrduGeoR 144:4  Insān dam-bhar kā hī hai, us ke din tezī se guzarne wāle sāy kī mānind haiṅ.
Psal UrduGeoR 144:5  Ai Rab, apne āsmān ko jhukā kar utar ā! Pahāṛoṅ ko chhū tāki wuh dhuāṅ chhoṛeṅ.
Psal UrduGeoR 144:6  Bijlī bhej kar unheṅ muntashir kar, apne tīr chalā kar unheṅ darham-barham kar.
Psal UrduGeoR 144:7  Apnā hāth bulandiyoṅ se nīche baṛhā aur mujhe chhuṛā kar pānī kī gahrāiyoṅ aur pardesiyoṅ ke hāth se bachā,
Psal UrduGeoR 144:8  jin kā muṅh jhūṭ boltā aur dahnā hāth fareb detā hai.
Psal UrduGeoR 144:9  Ai Allāh, maiṅ terī tamjīd meṅ nayā gīt gāūṅgā, das tāroṅ kā sitār bajā kar terī madahsarāī karūṅga.
Psal UrduGeoR 144:10  Kyoṅki tū bādshāhoṅ ko najāt detā aur apne ḳhādim Dāūd ko mohlak talwār se bachātā hai.
Psal UrduGeoR 144:11  Mujhe chhuṛā kar pardesiyoṅ ke hāth se bachā, jin kā muṅh jhūṭ boltā aur dahnā hāth fareb detā hai.
Psal UrduGeoR 144:12  Hamāre beṭe jawānī meṅ phalne-phūlne wāle paudoṅ kī mānind hoṅ, hamārī beṭiyāṅ mahal ko sajāne ke lie tarāshe hue kone ke satūn kī mānind hoṅ.
Psal UrduGeoR 144:13  Hamāre godām bhare raheṅ aur har qism kī ḳhurāk muhaiyā kareṅ. Hamārī bheṛ-bakriyāṅ hamāre maidānoṅ meṅ hazāroṅ balki beshumār bachche janm deṅ.
Psal UrduGeoR 144:14  Hamāre gāy-bail moṭe-tāze hoṅ, aur na koī zāe ho jāe, na kisī ko nuqsān pahuṅche. Hamāre chaukoṅ meṅ āh-o-zārī kī āwāz sunāī na de.
Psal UrduGeoR 144:15  Mubārak hai wuh qaum jis par yih sab kuchh sādiq ātā hai, mubārak hai wuh qaum jis kā Ḳhudā Rab hai!
Chapter 145
Psal UrduGeoR 145:1  Dāūd kā zabūr. Hamd-o-sanā kā gīt. Ai mere Ḳhudā, maiṅ terī tāzīm karūṅga. Ai Bādshāh, maiṅ hameshā tak tere nām kī satāish karūṅga.
Psal UrduGeoR 145:2  Rozānā maiṅ terī tamjīd karūṅga, hameshā tak tere nām kī hamd karūṅga.
Psal UrduGeoR 145:3  Rab azīm aur baṛī tārīf ke lāyq hai. Us kī azmat insān kī samajh se bāhar hai.
Psal UrduGeoR 145:4  Ek pusht aglī pusht ke sāmne wuh kuchh sarāhe jo tū ne kiyā hai, wuh dūsroṅ ko tere zabardast kām sunāeṅ.
Psal UrduGeoR 145:5  Maiṅ tere shāndār jalāl kī azmat aur tere mojizoṅ meṅ mahw-e-ḳhyāl rahūṅgā.
Psal UrduGeoR 145:6  Log tere haibatnāk kāmoṅ kī qudrat pesh kareṅ, aur maiṅ bhī terī azmat bayān karūṅga.
Psal UrduGeoR 145:7  Wuh josh se terī baṛī bhalāī ko sarāheṅ aur ḳhushī se terī rāstī kī madahsarāī kareṅ.
Psal UrduGeoR 145:8  Rab mehrbān aur rahīm hai. Wuh tahammul aur shafqat se bharpūr hai.
Psal UrduGeoR 145:9  Rab sab ke sāth bhalāī kartā hai, wuh apnī tamām maḳhlūqāt par rahm kartā hai.
Psal UrduGeoR 145:10  Ai Rab, terī tamām maḳhlūqāt terā shukr kareṅ. Tere īmāndār terī tamjīd kareṅ.
Psal UrduGeoR 145:11  Wuh terī bādshāhī ke jalāl par faḳhr kareṅ aur terī qudrat bayān kareṅ
Psal UrduGeoR 145:12  tāki ādamzād tere qawī kāmoṅ aur terī bādshāhī kī jalālī shān-o-shaukat se āgāh ho jāeṅ.
Psal UrduGeoR 145:13  Terī bādshāhī kī koī intahā nahīṅ, aur terī saltanat pusht-dar-pusht hameshā tak qāym rahegī.
Psal UrduGeoR 145:14  Rab tamām girne wāloṅ kā sahārā hai. Jo bhī dab jāe use wuh uṭhā khaṛā kartā hai.
Psal UrduGeoR 145:15  Sab kī āṅkheṅ tere intazār meṅ rahtī haiṅ, aur tū har ek ko waqt par us kā khānā muhaiyā kartā hai.
Psal UrduGeoR 145:16  Tū apnī muṭṭhī khol kar har jāndār kī ḳhāhish pūrī kartā hai.
Psal UrduGeoR 145:17  Rab apnī tamām rāhoṅ meṅ rāst aur apne tamām kāmoṅ meṅ wafādār hai.
Psal UrduGeoR 145:18  Rab un sab ke qarīb hai jo use pukārte haiṅ, jo diyānatdārī se use pukārte haiṅ.
Psal UrduGeoR 145:19  Jo us kā ḳhauf māneṅ un kī ārzū wuh pūrī kartā hai. Wuh un kī fariyādeṅ sun kar un kī madad kartā hai.
Psal UrduGeoR 145:20  Rab un sab ko mahfūz rakhtā hai jo use pyār karte haiṅ, lekin bedīnoṅ ko wuh halāk kartā hai.
Psal UrduGeoR 145:21  Merā muṅh Rab kī tārīf bayān kare, tamām maḳhlūqāt hameshā tak us ke muqaddas nām kī satāish kareṅ.
Chapter 146
Psal UrduGeoR 146:1  Rab kī hamd ho! Ai merī jān, Rab kī hamd kar.
Psal UrduGeoR 146:2  Jīte-jī maiṅ Rab kī satāish karūṅga, umr-bhar apne Ḳhudā kī madahsarāī karūṅga.
Psal UrduGeoR 146:3  Shurafā par bharosā na rakho, na ādamzād par jo najāt nahīṅ de saktā.
Psal UrduGeoR 146:4  Jab us kī rūh nikal jāe to wuh dubārā ḳhāk meṅ mil jātā hai, usī waqt us ke mansūbe adhūre rah jāte haiṅ.
Psal UrduGeoR 146:5  Mubārak hai wuh jis kā sahārā Yāqūb kā Ḳhudā hai, jo Rab apne Ḳhudā ke intazār meṅ rahtā hai.
Psal UrduGeoR 146:6  Kyoṅki us ne āsmān-o-zamīn, samundar aur jo kuchh un meṅ hai banāyā hai. Wuh hameshā tak wafādār hai.
Psal UrduGeoR 146:7  Wuh mazlūmoṅ kā insāf kartā aur bhūkoṅ ko roṭī khilātā hai. Rab qaidiyoṅ ko āzād kartā hai.
Psal UrduGeoR 146:8  Rab andhoṅ kī āṅkheṅ bahāl kartā aur ḳhāk meṅ dabe huoṅ ko uṭhā khaṛā kartā hai, Rab rāstbāz ko pyār kartā hai.
Psal UrduGeoR 146:9  Rab pardesiyoṅ kī dekh-bhāl kartā, yatīmoṅ aur bewāoṅ ko qāym rakhtā hai. Lekin wuh bedīnoṅ kī rāh ko ṭeṛhā banā kar kāmyāb hone nahīṅ detā.
Psal UrduGeoR 146:10  Rab abad tak hukūmat karegā. Ai Siyyūn, terā Ḳhudā pusht-dar-pusht Bādshāh rahegā. Rab kī hamd ho.
Chapter 147
Psal UrduGeoR 147:1  Rab kī hamd ho! Apne Ḳhudā kī madahsarāī karnā kitnā bhalā hai, us kī tamjīd karnā kitnā pyārā aur ḳhūbsūrat hai.
Psal UrduGeoR 147:2  Rab Yarūshalam ko tāmīr kartā aur Isrāīl ke muntashir jilāwatanoṅ ko jamā kartā hai.
Psal UrduGeoR 147:3  Wuh dilshikastoṅ ko shifā de kar un ke zaḳhmoṅ par marham-paṭṭī lagātā hai.
Psal UrduGeoR 147:4  Wuh sitāroṅ kī tādād gin letā aur har ek kā nām le kar unheṅ bulātā hai.
Psal UrduGeoR 147:5  Hamārā Rab azīm hai, aur us kī qudrat zabardast hai. Us kī hikmat kī koī intahā nahīṅ.
Psal UrduGeoR 147:6  Rab musībatzadoṅ ko uṭhā khaṛā kartā lekin badkāroṅ ko ḳhāk meṅ milā detā hai.
Psal UrduGeoR 147:7  Rab kī tamjīd meṅ shukr kā gīt gāo, hamāre Ḳhudā kī ḳhushī meṅ sarod bajāo.
Psal UrduGeoR 147:8  Kyoṅki wuh āsmān par bādal chhāne detā, zamīn ko bārish muhaiyā kartā aur pahāṛoṅ par ghās phūṭne detā hai.
Psal UrduGeoR 147:9  Wuh maweshī ko chārā aur kawwe ke bachchoṅ ko wuh kuchh khilātā hai jo wuh shor machā kar māṅgte haiṅ.
Psal UrduGeoR 147:10  Na wuh ghoṛe kī tāqat se lutfandoz hotā, na ādmī kī mazbūt ṭāṅgoṅ se ḳhush hotā hai.
Psal UrduGeoR 147:11  Rab unhīṅ se ḳhush hotā hai jo us kā ḳhauf mānte aur us kī shafqat ke intazār meṅ rahte haiṅ.
Psal UrduGeoR 147:12  Ai Yarūshalam, Rab kī madahsarāī kar! Ai Siyyūn, apne Ḳhudā kī hamd kar!
Psal UrduGeoR 147:13  Kyoṅki us ne tere darwāzoṅ ke kunḍe mazbūt karke tere darmiyān basne wālī aulād ko barkat dī hai.
Psal UrduGeoR 147:14  Wuhī tere ilāqe meṅ amn aur sukūn qāym rakhtā aur tujhe behtarīn gandum se ser kartā hai.
Psal UrduGeoR 147:15  Wuh apnā farmān zamīn par bhejtā hai to us kā kalām tezī se pahuṅchtā hai.
Psal UrduGeoR 147:16  Wuh ūn jaisī barf muhaiyā kartā aur pālā rākh kī tarah chāroṅ taraf bikher detā hai.
Psal UrduGeoR 147:17  Wuh apne ole kankaroṅ kī tarah zamīn par phaiṅk detā hai. Kaun us kī shadīd sardī bardāsht kar saktā hai?
Psal UrduGeoR 147:18  Wuh ek bār phir apnā farmān bhejtā hai to barf pighal jātī hai. Wuh apnī hawā chalne detā hai to pānī ṭapakne lagtā hai.
Psal UrduGeoR 147:19  Us ne Yāqūb ko apnā kalām sunāyā, Isrāīl par apne ahkām aur āīn zāhir kie haiṅ.
Psal UrduGeoR 147:20  Aisā sulūk us ne kisī aur qaum se nahīṅ kiyā. Dīgar aqwām to tere ahkām nahīṅ jāntīṅ. Rab kī hamd ho!
Chapter 148
Psal UrduGeoR 148:1  Rab kī hamd ho! Āsmān se Rab kī satāish karo, bulandiyoṅ par us kī tamjīd karo!
Psal UrduGeoR 148:2  Ai us ke tamām farishto, us kī hamd karo! Ai us ke tamām lashkaro, us kī tārīf karo!
Psal UrduGeoR 148:3  Ai sūraj aur chāṅd, us kī hamd karo! Ai tamām chamakdār sitāro, us kī satāish karo!
Psal UrduGeoR 148:4  Ai bulandtarīn āsmāno aur āsmān ke ūpar ke pānī, us kī hamd karo!
Psal UrduGeoR 148:5  Wuh Rab ke nām kī satāish kareṅ, kyoṅki us ne farmāyā to wuh wujūd meṅ āe.
Psal UrduGeoR 148:6  Us ne nāqābil-e-mansūḳh farmān jārī karke unheṅ hameshā ke lie qāym kiyā hai.
Psal UrduGeoR 148:7  Ai samundar ke azhdahāo aur tamām gahrāiyo, zamīn se Rab kī tamjīd karo!
Psal UrduGeoR 148:8  Ai āg, olo, barf, dhund aur us ke hukm par chalne wālī āṅdhiyo, us kī hamd karo!
Psal UrduGeoR 148:9  Ai pahāṛo aur pahāṛiyo, phaldār daraḳhto aur tamām deodāro, us kī tārīf karo!
Psal UrduGeoR 148:10  Ai janglī jānwaro, mawīshiyo, reṅgne wālī maḳhlūqāt aur parindo, us kī hamd karo!
Psal UrduGeoR 148:11  Ai zamīn ke bādshāho aur tamām qaumo, sardāro aur zamīn ke tamām hukmrāno, us kī tamjīd karo!
Psal UrduGeoR 148:12  Ai naujawāno aur kuṅwāriyo, buzurgo aur bachcho, us kī hamd karo!
Psal UrduGeoR 148:13  Sab Rab ke nām kī satāish kareṅ, kyoṅki sirf usī kā nām azīm hai, us kī azmat āsmān-o-zamīn se ālā hai.
Psal UrduGeoR 148:14  Us ne apnī qaum ko sarfarāz karke apne tamām īmāndāroṅ kī shohrat baṛhāī hai, yānī Isrāīliyoṅ kī shohrat, us qaum kī jo us ke qarīb rahtī hai. Rab kī hamd ho!
Chapter 149
Psal UrduGeoR 149:1  Rab kī hamd ho! Rab kī tamjīd meṅ nayā gīt gāo, īmāndāroṅ kī jamāt meṅ us kī tārīf karo.
Psal UrduGeoR 149:2  Isrāīl apne Ḳhāliq se ḳhush ho, Siyyūn ke farzand apne Bādshāh kī ḳhushī manāeṅ.
Psal UrduGeoR 149:3  Wuh nāch kar us ke nām kī satāish kareṅ, daf aur sarod se us kī madahsarāī kareṅ.
Psal UrduGeoR 149:4  Kyoṅki Rab apnī qaum se ḳhush hai. Wuh musībatzadoṅ ko apnī najāt kī shān-o-shaukat se ārāstā kartā hai.
Psal UrduGeoR 149:5  Īmāndār is shān-o-shaukat ke bāis ḳhushī manāeṅ, wuh apne bistaroṅ par shādmānī ke nāre lagāeṅ.
Psal UrduGeoR 149:6  Un ke muṅh meṅ Allāh kī hamd-o-sanā aur un ke hāthoṅ meṅ dodhārī talwār ho
Psal UrduGeoR 149:7  tāki dīgar aqwām se intaqām leṅ aur ummatoṅ ko sazā deṅ.
Psal UrduGeoR 149:8  Wuh un ke bādshāhoṅ ko zanjīroṅ meṅ aur un ke shurafā ko beṛiyoṅ meṅ jakaṛ leṅge
Psal UrduGeoR 149:9  tāki unheṅ wuh sazā deṅ jis kā faislā qalamband ho chukā hai. Yih izzat Allāh ke tamām īmāndāroṅ ko hāsil hai. Rab kī hamd ho!
Chapter 150
Psal UrduGeoR 150:1  Rab kī hamd ho! Allāh ke maqdis meṅ us kī satāish karo. Us kī qudrat ke bane hue āsmānī gumbad meṅ us kī tamjīd karo.
Psal UrduGeoR 150:2  Us ke azīm kāmoṅ ke bāis us kī hamd karo. Us kī zabardast azmat ke bāis us kī satāish karo.
Psal UrduGeoR 150:3  Narsingā phūṅk kar us kī hamd karo, sitār aur sarod bajā kar us kī tamjīd karo.
Psal UrduGeoR 150:4  Daf aur loknāch se us kī hamd karo. Tārdār sāz aur bāṅsrī bajā kar us kī satāish karo.
Psal UrduGeoR 150:5  Jhāṅjhoṅ kī jhankārtī āwāz se us kī hamd karo, gūṅjtī jhāṅjh se us kī tārīf karo.
Psal UrduGeoR 150:6  Jis meṅ bhī sāṅs hai wuh Rab kī satāish kare. Rab kī hamd ho!.